*Qabr Ke Upar Masjid Banana Or Namaz Parhna Kesa ?*
*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Farmate Hai Aulma E Kiram W Muftiyane Islam Darj Zail Mas'ala Me Ki,
Ek Jagah Do Qabr Maujud Thi or Vo Jagah Unhiñ Qabr Waloñ Ki Thi Ab Unke Bachche Jo Is Waqt Us Zameen Ke Waris W Maalik Hai Us Jagah Masjid Bana Diye Hai, Masjid Banane Se Pahle Vo Jagah Jahañ Masjid Banaai Gai He Vahañ Ki Aam Zameenoñ Se Niche Thi Is Liye Unlogoñ Ne Pilar De Kar Chhat Qaaim Kiya Jis Se Vo Zameen Aam Zameenoñ Ke Barabar Ho Gai or Niche Se Qabr Tak Jaane Ke Ke Liye Rasta Bhi He Uske Upar Chhat Par Masjid Banai Gai Magar Qabr Jis Jagah Maujud Thi Uske Thik Upar Koi Ihaata Nahiñ Kiya Gaya Balki Uspar Bhi Namaz Hoti He Ab Gaanw Ke Log Ye Janna Chahte Hai Ki Kya Is Tarah Masjid Banana Durust He ? Or Us Khas Qabr Wali Jagah Ke Upar (Chhat Par) Namaz Parh Sakte Hai Ya Nahiñ ? Ya Us Khas Qabr Wali Jagah Jo Chhat Par Aa Rahi He Usko Gher Diya Jaye or Baaqi Jaghoñ Par Namaz Parhi Jayegi ? Mukammal Wazahat Farma Kar Rahenumai Farmayeñ, Nawazish Hogi.
*🌹JAWAB:-🌹*