Beti Ke Liye Rakhe Zewar Par Zakat Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Sawal  H Ke Mera Admy Nhi H Beta 10 Sal Ka H Betiya Bdy H Mera Zevr Bety Ke Liye Rkha H Koi Shara Nhi H Beta Chota H To Kya Mujh Pr Zkat Dena Wajib H


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Shadi Ke Liye Rakhe Huve Sona Wagairah Ke Zewrat Ki Aam Taur Par Vo Ladki Uski Maalik Nahi Hoti He Balki Uski Maañ Ya Baap Un  Zewrat Ke Malik Hote He, Lihaza Puchhi Gai Soorat Me Agar Waqaee Me Aysa Hi He To Ye Sona Jo Uski Maañ Ne Sambhal Ke Rakha He Uski Malik Uski Maa Hi He, Fir Agar Ye Sona Nisab Ko Pahunch Jata He Ya Nisab Ko Nahiñ Pahunchta Or Hajate Asliya Ke Siwa Or Bhi Koi Sona Ya Chandi Ya Rupye Paise He, To Agar Un Sab Ko Mila Kar Taqreeban 45000 (Maujuda 52.5 Tola Chandi Ki Qeemat Ke Aitbar Se) Ki Qeemat Ho Jati He To Is Soorat Me Bhi Is Rakhe Huve Sone Par Zakat Wajib Hogi. Lekin Agar Koi Chandi Nahiñ He, Kuchh Rupye Paise Nahiñ He, Sirf Sona 93 Gram Se Kam He To Fir Is Soorat Me Zakat Wajib Nahiñ Hogi..

Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️17 April 2022, 15 Ramzanul Mubarak 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts