Allah Ke liye Lafz Wo Ka Istemal Karna Kesa ? Wo Allah He Wagairah??

 *🌹SAWAL:-🌹*
اسلامُ علیکم حضرت
Kiya Allah Tala Ke Liye "Wo" Ka Lafz Use Kr Sakte Hai?

Jawab  Inayat Farmye Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Allah Tabarak W Ta'ala Ke Liye "Wo" Ka Lafz Istemal Karna Jaaiz He.. Qura'an Shareef Me Allah Tabarak Wa Ta'ala Ne Irshad Farmaya He,
قُلۡ هُوَ ٱللَّهُ أَحَدٌ 
Yahañ Par هُوَ Ka Tarjama Hi "Vo" He.. Or Dusri Baat Ye Ki Tafseere Naeemi Wagairah Me Lafze Allah Ki Bahut Sari Khusoosiyaat Bayan Farmai He Ki Lafze Allah Ki Khusoosiyaat Me Se Ek Khusoosiyat Ye He Ke Lafze Allah Zaate Wah Dahu La Shareek Ke Liye Musta'amal He.. Usi Ke Sath Sath Agar Lafze اللہ (Allah) Se Agar Aleef Ko Hata Diya Jaaye to للہ (Lillah) Baaqi Rahta He Vo Bhi Allah Tabarak Wa Ta'ala Ke Liye Istemaal Hota He Yuñ Hi للہ Me Se ل (Laam) Ko Nikaal Diya Jaye to لہ (Lahu) Baaqi Rahta He to Ye Lahu Bhi Allah Tabarak Wa Ta'ala Ke Liye Istemaal Hota He or لہ (Lahu) Me Se ل (Laam) Ko Bhi Hata Diya Jaye ہُ (Hu) Baaqi Rahega to ہُ (Hu) Bhi Allah Tabarak Wa Ta'ala Ke Liye Istemaal Hota He, to Isi ہُ (Hu) Ka Tarjama "Vo" He... Lihaza Allah Tabarak Wa Ta'ala Ke Liye ہُ (Hu), Vo, Us, Wagairah Alfaaz Istemaal Kar Sakte He.

Jaisa Ki Tafseeee Naeemi Me He,
Tafseere Kabeer Shareef Me بسم اللہ (Bismillah) Ki Tafseer Me Farmaya Ki Lafz Allah Me Chand Khusoosiyateñ Hai Ek Ye Ki Lafz Allah Rab Ki Zaat Par Dalaalat Karne Me Huroof Ka Mohtaj Nahiñ Aleef Ko Gira Do to للہ (Lillah) Rahta He. Vo Bhi Zaat Ko Bata Raha He Haq Ta'ala Farmata He, 
وَ لِلّٰہِ جُنُوۡدُ السَّمٰوٰتِ وَ الۡاَرۡضِ
*(Al-Fatah, Aayat-7)*
Agar Uska Pahla Laam Bhi Gira Do to لہُ Ki Shakal Par Rahta He Ye Bhi Usi Zaat Ko Bata Raha He Farmata He 
لَہُ الْمُلْکُ وَلَہُ الْحَمْد
Agar Dusra Laam Bhi Gira Deñ to Faqat ہُ Baaqi Rahta He. Vo Bhi Zaat Ko Bata Raha He. 
لا الہ الا ھو ۔
Jis Tarah Se Kaho Uska Naam Huroof Ka Mohtaj Nahiñ Ayse Hi Uski Zaat Kisi Ki Mohtaj Nahiñ... الخ 
*📚(Tafseere Naeemi, J-1, S-50)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab 
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️5 Oct 2024, 1 Rabi Us Saani 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Ke Sath Chhedchhad Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts