BAHARE RAMZAN PART WISE || RAMZAN KI FAZILAT, AHEMIYAT OR MASAIL MUKAMMAL

*📚RAMZAN PART 01📚*
🌹بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يارسول الله

*_"BAHARE-RAMZAN"_*

_↪PART :- 01._

🍃Islami saal ka 9wa mahina RAMZAN-UL-MUBARAK Beshumar Barkaton aur Sa'aadaton ke sath humare bich saya firgan huwab hai,
🍂Saal me 1 baar tashreef lane wala ye mahina be panah khair O Barkat ka mahina hai is me ALLAH TA'ALA ki rahmaten khoob barasti hai Mamooli Kaar O Khair per bhi Dhero Ajr O Sawab ata kiya jata hai,
*🍃Is mahe Moazzam me Momin ka Rizq badha diya jata hai,*

*🍂Nekiyon ke sawab me izafa kar diya jata hai.*
🍃ALLAH hum sab ko RAMDAN-UL-MUBARAK me khoob ibadat karne ki taufeeq ata farmaye ....

         *📜ROZE KI FARZIYAT📜*

🍃ROZA bhi Misl NAMAZ ke farzeain hai iski farziyat ka Munkir
kafir hai aur bila ujr chorne wala sakht gunahgar aur dozakh ka sazawaar hai....
🍂Jo bacche ROZA rakh sakte ho unko Rakhaya jaye aur qavi mazboot ladke ladkiyon ko maar maar kar rakhaya jaye.
🍃Pure ek Mahine Ramzan ka ROZA farz hai .
*📚(QANOON-E-SHARIYAT PAGE NO. 173)*

🍂Shariyat me ROZE k mayne hai ALLAH ki Ibadat ki Niyat se subha sadiq se le kar sooraj d
Doobne tak khane Pine aur Jima se apne ap ko Roke rakhna.....

🍃Aurat ka Haiz wa Nifas se khali hona Shart hai yani haiz wa Nifas ki halat me ROZA sahi nahi.
🍂Haiz wa Nifas wali par farz hai ki pak hone ke bad in dino ki qaza rakhen.

🍃Nabalig par ROZA farz nahi aur Majnu per bhi farz na hoga jabki pura mahina RAMZAN ka junoon ki halat me guzar jaye aur agar kisi ek din me bhi aise waqt me hosh aye ki waqt ROZA ki niyat ka waqt hai to pure Mahine ki qaza lazim hai ....
🍂Aslan Shuru RAMZAN se Pagal hua aur 29 Tareekh ko subha sadiq se zahwayae qubra tak hosh me aya to pure RAMZAN ki qaza lazim hue
*📚(QANOON E SHARIYAT PAGE NO 173)*


~_______________________________________________~


🌹بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يارسول الله

*_"BAHARE-RAMZAN"_*

_↪PART :- 02._

*🌙Chand Dekhne Ka Bayan....*

              *↪QURAN:-*

🍃Aye Mehboob Tum Se Chand Ke Bare Me Sawal Karte Hain, Tum Farma Do Wo Logon Ke Kamo Aur Haj Ke Liye AWQAT Hain.....
*📓{القرآن، الجزء-2، سورة البقرة-189}*

           *🌺Hadees:-🌺*

🍂Chand Dekh Kar Roza Rakhna Shuru Kro & Chand Dekh Kar Iftar Karo,,,
Aur Agar Abar (Badal) Ho To Shaban Ki Ginti 30 Ki Puri Karo...
*📚{صحیح البخاري، كتاب الصوم، الحديث-1909}*

                *🌺Hadees:-🌺*

🍃Ummul Momineen Hazrat Aisha Siddiqa Radiallahu Anha Se Riwayat Hai Rasool صلى الله عليه وسلم Shaban Ke Mahine Ki is Qadar Hifazat Karte Ki itni kisi Aur Mahine Ki Nahi Karte.....

🍂Phir chand Dekh Kar Ramzan Ke Roze Shuru karte.....
Agar Abar Hota To 30 Din Shaban Ke Pure Kar Ke Ramzan Ka Roza Rakhte.....
*📚{ سنن أبي داود، كتاب الصيام، باب إذا أغمي الشهر، الحديث-2325}*

🍃Chand Ke Hawale Se Masayel Fiqhe Hanafi Ki Roshni Me......

                *📜Mas'ala:-📜*

🍂5 mahino Ka Chand Dekhna Wajibe Kifayah Hai...

*✔Shaban*
*✔Ramzan*
*✔Shawwal*
*✔Zee Qadah*
*✔Zil Hijjah.....*

🍃Shaban ka is liye Ki Agar Ramzan ka Chand Dekhte waqt Abar Ya Gubaar Ho To Ye 30 Ki ginti Puri Kar Ke Ramzan Shuru Kare....

🍂Aur ramzan ka is liye ki roza rakhna hai,
🍃Shawwal ka is liye ki roza khatm karna hai,,
🍂Aur Zee Qadah Ka Is Liye Ki Zil hajja Me Chand Dekhna Hai..
🍃Aur Zil Hajja Ka is Liye Ki Baqra Eid Karni Hai
*📚{الفتاوى الرضوية، جلد-10، صفحہ-451}*

           *📜Mas'ala:-📜*

🍂Kisi Ne Ramzan Ya Eid Ka Chand Dekha Magar uski Gawahi Qubool Na Hui fasiq (Dadhi Katta, Ya khule aam gunahe kabira karne wala fasiq hai) Hone Ki Wajah Se...

🍃Ya kisi Ek Hi Admi Ne Chand Dekha Aur Uski gawahi maani nahi Gai To Ab Ye Bhi Roza Rakhe AgarChe isne chand Dekha Ho...

🍂Isko Roza Todna Jayez Nahi, aur Todega To Kaffara Lazim Nahi...
*📚{Bahar-e-shariat, Hissa-5, page-975}*

                *📜Mas'ala:-📜*

🍃Abar Aur Gubar Me Ramzan Ka Saboot Ek Musalman Aaqil Baligh Mastoor Ya Aadil Shakhs Se Ho Jata Hai,

🍂Chahe Wo Mard Ho Ya Aurat...
Azad Ho Ya Baandi,
Ya Uspe Zina ki Had Jari Ho Chuki Ho jab ki tauba Kar Liya Ho...
*📚{Bahar-e-shariat, Hissa-5, Page-975}*

🍃Aadil Hone Ka Mana Ye Hai Ki Kam Se Kam Muttaqi Ho Yani Bade Gunaho Se Bachta Ho aur Chhote Gunah Hamesha Na Karta Ho,
Aur aisa kaam na karta ho jo Murawwat ke khilaf Ho masalan
Bazar me khana.......
*📚{Bahar-e-shariat}*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

BAHARE-RAMZAN(PART :- 03)

HADITH:-

HAZRAT ABU HURAIRA RADI ALLAHU TA'ALA ANHU ne kaha ki NABI KAREEM SALLALLAHU TA'ALA ALLAIHI WA SALLAM ne farmaya:-

Jab Ramzan ka mahina shuru hota hai to Asman ke Darwaze khol diye jate hai aur ek Riwayat me hai ki
Jannat ke Darwaze khool diye jate hai aur Jahennum ke Darwaze band kar diye jate hai aur shaitan zanjiro me jakad diye jate hai!
Aur ek riwayat me hai ki rahmat ke darwaze khool diye jate hai....
(BUKHARI -MUSLIM)

MAS'ALA :-
KHANE YA PINE YA JIMAA KARNE SE ROZA TUT JATA HAI JABKI ROZDAR HONA YAAD HO AUR AGAR ROZDAR HONA YAAD NA RAHA AUR BHUL KAR KHA LIYA YA PI LIYA YA JIMAA KAR LIYA TO ROZA NA GYA (QANOON-E-SHARYAT PAGE NO 177)

MAS'ALA:-
HUKKA/SIGRET/BIDI/CHURUT/SIGAR/PINESE ROZA TUT JATA HAI....
(QANOON E SHARYAT PAGE NO 177)

MAS'ALA:-
CHINI/GUD.WAGAIRAH AISI CHIZE JO MUH ME RAKHNE SE GHUL JATI HAI MUH ME RAKKHI AUR THOK NIGAL GYA TO ROZA TUT GYA.
(QANOON E SHARYAT PAGE NO 178)

MAS'ALA:-
DANTO ME KOI CHIZ CHANE BARABAR YA ISSE ZIYADAH THI USE KHA GYA YA KAM HI THI MAGAR MUH SE NIKAL KAR FIR KHA LI TO ROZA TUT GYA.....
(QANOON E SHARYAT PAGE NO 178)

Jari Rahega.....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

BAHARE-RAMZAN (PART :- 04)

QURAN:-
Aye imam Walon Tum Pe Roza Farz Kiya Gaya..
Jaisa unpe Farz Hua Tha Jo Tum Se Pehle Huye..

Taki Tum Gunaho Se Bacho,, phir Tum Me Jo Bimar Ho Ya Safar Me Ho Wo Aur Dino Me Ginti Puri Kare (Bimari Ya Safar Khatm Hone Ke Bad Roza Rakhe), Aur Jo TAQAT Nahi Rakhte (Budha Admi Ya Aisa Bimar Jiske Tandurust Hone ki Ummid na Ho) wo Fidya Den,,,,,,

Ek Miskeen Ka Khana phir Jo Ziyadah Bhalai Kare Ye Uske Liye Behtar Hai, Aur Roza Rakhna Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jante Ho....
📚{قرآن كريم، پارہ-2، سورة البقرة-187}

HADEES:-
Hazrat Ibne ABBAS Se Riwayat Hai Jab Ramzan Ka Mahina Aata To Huzoor صلى الله عليه وسلم Tamam Qaidyon Ko Riha Farma Dete Aur Har Mangne Wale Ko Ata Farmate....
📚{شعب الایمان، باب في الصيام، فضائل شهر رمضان، ج-3، ص-311، الحديث-3629}

HADEES:-
Hazrat Salman Farsi رضي الله تعالي عنه Kehte Hain Huzoor Ne Shaban Ke Akhri Din Waz Farmaya,,,

Farmaya Ki Aye Logon Tumhare Pas Azmat Wala Barkat Wala Mahina Aaya Wo Mahina Jisme ek Raat Hazaar Mahino Se Behtar Hai,,,Iske Roze Allah Ne Tum Par Farz Kiye,
Aur Iski Raton Me Qayam (Namaz Padhna) aur jo isme Neki Ka Koi Kaam Kare To Aisa Hi Hai jaise kisi Aur Mahine Me Farz Ada Kiya...Aur Isme Jisne Farz Ada Kiya Aisa Hi Hai Jaise Aur Dino Me 70 Farz Ada Kiye....

Ye Mahina Sabr Ka Hai Aur Sabr Ka Badla Jannat Hai,
Aur Ye Mahina Hamdardi Ka Hai, Is mahine Me Momin Ka Rizq Badha Diya jata Hai..Aur jo Isme Roza Dar Ko Iftar Karaye uske Gunaho Ke Liye Magfirat Hai, Aur uski Gardan Aag (Dozakh) Se Azad Hogi..Aur Iftar Karane Wale Ko Aise Hi Sawab Milega Jaisa Roza Rakhne Wale Ko Milega.....

Hum Ne (sahaba ne) pucha Ya Rasulullahﷺ Hum Me Har Shakhs Wo Chiz Na Pata Ki Rozadar Ko Aftar Karaye, Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Allah pak Ye Sawab Har Us Shakhs Ko Bhi Dega Jo Ek Ghunt Doodh Ya Ek Khajoor Ya Ek Ghunt pani Se Roza Aftar Karwaye...

Aur Jisne Rozadar Ko Bhar Pet Khana Khilaya Use Allah Pak Mere Hauz (Hauze kausar) Se pilayega Aisa Ki Kabhi Pyasa Na Hoga Yahan Tak Ki Jannat Me Dakhil Hoga..

Ye Wo Mahina Hai Jiska Awwal (10 din) Rehmat,

Jiska Awsat (11 se 20 din) Magfirat,

Jiska Aakhir {21 se akhri tak) Jahannam Se Azadi Hai..

Jo is Mahine Me Apne Gulam (kaam karne wale.nokar chakar mazdoor) Par Kaam Me Takhfeef (kami) Kare Allah Tala Use Bakhsh Dega Aur Jahnnam Se Azad Farmayega.
📚{شعب الایمان، باب في الصيام، فضائل شهر رمضان المبارك، ج-3، ص-305، الحديث-3608}

Allahu Akbar Kabeera,
Is Mahine Ki Ahmiyat Ka Andaza Lagaye Ki iske Aane Se Qabal Hi Huzoor Iski Barkato Aur Rehmaton Ko zikr Farma Rahe Hain Aur isme kiye Jane wale Sawab Ke Kaam irshad Farma Rahe Hain....

Subhan'Allah Isse Badh Kar Ramzan Ki Azmat Aur Kya Hogi Ki iske Ahtemam Ko Allah Ke Mehboob Paigambar Hamare AAQA O MAULA Bayan Farma Rahe Hain....

Allah Pak Hum Sab Ko Ramzane Kareem Ki Qadr Karne Aur usme Kasrat Se IBADAT Karne Ki Taufeeq Ata Farmae...
Ameen
Jari Rahega.....

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

BAHARE-RAMZAN (PART :- 05)

HADITH:-

HAZRAT ABU HURAIRA RADI ALLAHU TA'ALA ANHU Se Riwayat hai ki NABI KAREEM SALALLAHU TA'ALA ALLAIHI WA SALLAM ne farmaya ki
Jab mahe RAMZAN ki paihli raat hoti hai to shayateen aur sarkash jin qaid kar liye jate hai aur JAHENNUM ke darwaze band kar diye jate hai unme se koi darwaza khola nahi jata aur JANNAT ke darwaze khol diye jate hai aur unme se koi darwaza band nahi kiya jata aur Munaadi pukarte hai A khair ki talab karne wale mutawajje ho aur A burai ka irada rakhne wale burai se baaz reh aur ALLAH bahot se logon ko DOZAK se aazad karta hai aur har raat aisa hota hai ..
(TIRMIZI-IBN-E-MAJAH)

MAS'ALA:-
Daton se khoon nikal kar halaq se niche utra aur khoon thook se zyadah ya barabar tha ya kam tha magar uska maza halaq me maloom hua to in suratoon me ROZA jata raha aur agar khoon kam tha aur maza bhi maloom na hua to ROZA na gaya!
(KANOON-E-SHARIYAT PAGE NO. 178)

MAS'ALA:-
Kulli kar raha tha bila kasd pani halaq se utar gaya ya naak me pani chad raha tha pani dimag me chad gaya to ROZA tut gya lekin agar ROZA hona bhul gaya to na tutega!
(KANOON-E-SHARIYAT PAGE NO.178)

Jari Rahega.....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts