12 Rabi Ul Awwal Ko Huzur ﷺ Ka Wisal Or Wiladat Dono Kahte Hai To Sirf Khushi Kis Liye

*🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Kuch Bad Aqeedo Ka Kehna H Ke Sarkaarﷺ Ki Tareekhe Wiladat Aur Wisaale Mubarak Ki Tareekh  Mein Ikhtelafat Hen To Aapke Wisale Mubark Aur Wiladat Ki Tareekh Jab Alag Alag H To Wisale Mubarak Ke Din Aap Khushi Kaise Mana Sakte H


*🌹JAWAB:-🌹*

https://baharemasail.blogspot.com/2020/10/12-rabi-ul-awwal-ko-huzur-ka-wisal-or.html


اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aap  ﷺ Ki Tarikhe Wiladat Ke Kai Aqwal He Magar Mash'hoor Or Sahih Tarikh 12 Rabi Ul Awwal He,  Or Aap  ﷺ Ki Tarikhe Wisal Ki Bhi Kai Riwayat He, Magat Jamhoor Ka Yahi Qaul He Ki 12 Rabi Ul Awwal Tarikhe Wisal Hargiz Nahi.


Ne'amat Ki Khushi Manana Shar'an Hamesha Or Baar Baar Mahboob He. Lekin Wafat Ka Gam Wafat Se Teen Roz Ke Baad Qat'an Jaaiz Nahi. Magar Afsos Ki Hadees Ke Naam Nihad Aashiq Ahle Hadees Samet Deobandi Me Ek Ko Bhi Is Qaboone Sharai Ki Khabar Nahi. Warna Aysa Lagw Aitraz Karne Ki Naubat Na Aati.


Chunanche Kai Sahaba E Kiram, A'imma E Kiram Se Ye Riwayat He,

Hame Hukm Diya Gaya Ki Ham Kisi Wafaat Yaafta Par 3 Roz Ke Baad Gam Na Manaye, Magar Shohar Par (Char Maah Das Roz Tak Biwi Gam Mana Sakti He)

*📚(Muta Imam Malik, Safha-219)*

*📚(Muta Imam Muhammad, Ibne Abi Shayba, Abdur Razaq Wagairah)*


RasoolAllah ﷺ Irshad Farmate Hai,

Tumhare Dino Me Afzal Din Jumuah Ka Din He, Isi Roz Aadam Alaihis  Paida Huve, Or Isi Roz Aapne Wafaat Paai.

*📚(Sunan Nisai, J-1, S-150, Karachi)*


Fir Sarkar Farmate Hai,

Ye Jumuah Eid Ka Din He, Use Allah Ta'ala Ne Musalamanoñ Ke Liye Eid Ka Din Banaya He.

*📚(Sunan Ibne Majah, J-1, S-78)*


Ma'aloom Hua Ki Jumuah Ka Din Youme Miladunnabi Bhi He, Or Youme Wafaatun Nabi Bhi He. Iske Bawajood Allah Ta'ala Ne Wafaat Ki Gami Ko Nazar Andaz Karte Huve Youme Milad Ki Khushi Ko Baaqi Rakha, Or Har Jumuah Ko Eid Manane Ka Hukm Diya.


Wazeh Ho Gaya Ki Ek Hi Roz Me Agar Gami Or Khushi Ke Waqeaat Jama'a Ho Jayeñ, To Azroo E Shariyate Muhammadi 'Gami Ki Yaad' Teen Roz Ke Baad Khatm Kardi Jati He Or Khushi Ki Yaad Hamesha Baaqu Rakhi Jati He.


Lihaza Agar 12 Rabi Ul Awwal Ko Youme Miladunnabi Or Youme Wafaat Bhi Maan Liya Jaye, To Wafaat Ki Gami Wafaat Se 3 Roz Baad Khatm Ho Chuki, Or Milad Ki Khushi Qayamat Tak Baaqi Rahegi.


Ye To Aam Baat Thi Ki Wisaal Ke Baat 3 Roz Se Zyada Gam Karna Mana'a He Lekin Ummat Ke Haq Me Huzur ﷺ Ki Wiladat Or Rahelate At'har Dono Hi Rahmat Hai.


Hazrat Abdullah Bin Mas'ood RadiAllahu Anhu Se Marwi He Ki Huzur ﷺ Ne Farmaya Meri Zahiri Hayaat Or Mera Wisal Dono Tumhare Liye Baaise Khair He.

حیاتی خیر الكم و موتی خیر الکم

*📚(Shifa Shareef, J-2, S-19)*


Dusre Maqam Par Iski Hiqmat Bayan Karte Huve Farmaya, Jab Allah Ta'ala Kisi Ummat Par Apna Khas Karam Karne Ka Iradah Farma Leta He To Us Ummat Ke Nabi Ko Wisal Ata Karke Us Ummat Ke Liye Shafa'at Ka Saamaan Kar Deta He Or Jab Kisi Ummat Ki Halakat Ka Iradah Farmata He To Uski Zahiri Hayat Me Hi Azaab Me Mubtala Karke Halaak Kar Deta He Or Us Ummat Ki Halakat Ke Zariye Apne Pyare Nabi Ki Aankhoñ Ko Thandak Ata Farmata He.

*📚(Muslim Shareef)*


Is Ummat Par Allah Ta'ala Ki Kitni Badi Inayat He Ki Aakhirat Me Pesh Hone Se Pahle Uske Liye Huzur ﷺ Ko Shafee'a Bana Diya Gaya. Isi Liye Aapne Farmaya Mera Wisaal Bhi Tumahre Liye Rahmat He. Jab Ye Baat Tay Paa Gai Ki Ummat Ke Haq Me Dono Rahmat Hai To Ab Dekhna Ye He Ki In Dono Me Ne'amate Azeem Konsi He? To Zaahir He Ki Aap ﷺ Ki Dunya Me Tashreef Aawri Ummat Ke Haq Me Aysi Azeem Ne'amat He Ki Uske Zariye Hi Dusri Ne'amat Hasil Hui.


Shariyat Ne Wiladat Ke Mauqa'a Par Aqeeqah Ka Hukm Diya He Or Ye Bachche Ke Paida Hone Par Allah Ke Shukr Or Khushi Ke Izhaar Ki Ek Soorat He, Lekin Maut Ke Waqt Aysi Kisi Cheez Ka Hukm Nahi Diya. Balki Noha, Maatam, Juz'a Wagairah Se Mana'a Kar Diya He. Shariyat Ke Mazkoorah Usool Ka Taqaaza He Ki Rabi Ul Awwal Shareef Me Aap ﷺ Ki Wiladat Ba Sa'aadat Par Khushi Ka Izhaar Kiya Jaye Na Ki Wisaal Par Gam.


Is Mas'ala Par Guftagu Karte Huve Mufti Inayat Ahmad Kaakurvi Harmain Shareefain Ke Hawale Se Likhte Hai, Aulma Ne Likha He Ki Is Mahefil Me Zikre Wafaat Shareef Na Chahiye Is Liye Ki Ye Mahfil Waste Khushi Milad Shareef Ke Mun'aqid Hoti He. Zikre Gam Jaañkah Is Mahfil Me Na-zeib He. Harmain Shareefain Me Hargiz Aadate Zikre Qissa E Wafaat Ki Nahi He.

*📚(Tawarikhe Habeebullah, S-15)*


Or Phir Aap  ﷺ  Ka Wisaal Aysa Nahi Jo Ummat Se Aap  ﷺ Ka Ta'alluq Khatm Karde Balki Aap  ﷺ Ka Faizane Nabuwwat Ta Qayamat Jaari He. Or Aap  ﷺ Barzakhi Zindagi Me Dunyavi Zindagi Se Badh Kar Hayaat Ke Malik Hai. 


Hazrat Mulla Ali Qaari Ne Aap Ke Wisal Ke Bare Me Kya Khub Farmaya He,

لیس هناک موت ولافوت بل انتقال من حال الی حال

*📚(Mirqaat Shareef)*

Ke Yahaañ Na Maut He Or Na Wafaat Balki Ek Haal Se Dusre Ki Taraf Muntaqil Hona He.

Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓24 Oct 2020, 6 Rabi Ul Awwal 1442*

📲+918487928693


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Allah Ko Kis Tarah Pukare Jama'a Ke Siga Se Ya Wahid Siga Se

 *🌹SAWAL:-🌹*

Allah Ko Kis Trh Pukarna Chaye Or Q Reason Ke Sath Btaye Hazrt Kisi Skhs Ko Details Me Btana Hai. JazakAllah


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Rab Tabarak W Ta'ala Ki Bargah Me, Wahid Ka Siga Istemal Karna Chahiye, Yahi Ansab Or Munasib Bhi He, Albatta Ta'azeem Ke Taur Par Siga E Jama'a Bhi Istemal Kar Sakte He Koi Harj Nahi.


Qura'an Shareef Me Bahut Si Jagho Par Allah Tabarak W Ta'ala Ne Zamaaire Mutaqallim Yaani Jama'a Ka Siga Istemal Farmaya He. Lihaza Chuñki Allah Tabarak W Ta'ala Wahid Ahad He, Is Wajah Se Uski Bargah Me Wahid Yaani Tu, Ya Ant Wagairah Wahid Ke Sige Istemal Kiye Jayeñge. "Allah Ta'ala Farmate He" Ki Bajaye "Allah Ta'ala Farmata He" Kaha Jaye. Lekin Agar Koi 'Allah Ta'ala Farmate He' Kahe To Us Par Koi Kufro Shirk Wagairah Ka Hukm Na Hoga, Or Na Hi Koi Wahmo Guman Hoga. Albatta Ye Khilafe Awla He, Bahetar Or Munasib Wahid Ka Siga Istemal Kare Yaani Allah Ta'ala Farmata He, Tu Rahman He, Tu Rahim He, Is Tarah Se Pukare.. Huzur Saiyedi Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ne Is Ta'alluq Se Ye Tahreer Farmaya.


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️7 Oct 2020, 19 Safar 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+91

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Shariyat, Tareeqat Or Marefat Kya He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum, Hazrat Shariyat Kya He, Tareeqat Kya He, Marefat Kya He ? Kuchh Logo Ayse He Jo Hath Me Char Panch Anguthi Pahente He, Kaan Me Baalo Pahente He, Namaz Nahi Padhte, Or Vo Kahte He Ham Marfati Log He, Ham Marefat Wale He, To Hazrat Shariyat Tareeqat Or Ma'arefat Ke Bare Me Bata Dijye.


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Tareeqat Manaafi E Shariyat Nahi Vo Shariyat Hi Ka Batini Hissa He, Baaz Jahil Mutasawwif Jo Ye Kah Diya Karte Hai, Ki Tareeqat Or He Shariyat Or, Mahaz Gumrahi He Or Is Zo'ame Batil Ke Baais Apne Aapko Shariyat Se Aazad Samajhna Sareeh Kufr W Ilhaad.


*📚Bahare Shariyat Hissa Awwal Aqaaid Ka Bayan,*

*في ’’إحیاء العلوم ‘‘، کتاب قواعد العقائد، الفصل الثاني: في وجہ التدریج إلی الإرشاد۔۔۔إلخ، ج۱، ص ۱۳۸۔۱۳۹*

: (إنّ الباطن إن کان مناقضاً للظاہر ففیہ إبطال الشرع، وہو قول من قال: إنّ الحقیقۃ خلاف الشریعۃ وہوکفر لأنّ الشریعۃ عبارۃ عن الظاہر والحقیقۃ عبارۃ عن الباطن)…(فمن قال: إنّ الحقیقۃ تخالف الشریعۃ أو الباطن یناقض الظاہر فہو إلی الکفر أقرب منہ إلی الإیمان)، ملتقطاً۔ 

*وفي ’’عوارف المعارف‘‘، ص۵۲، ۱۲۸۔*  

*وفي ’’کشف المحجوب‘‘، ومن ذلک الشریعۃ والحقیقۃ والفرق بینہما ص۴۲۳۔۴۳۳۔*


Aala Hazrat Azeemul Martabat Parwana E Sham E Risalat Mujaddide Deeno Millat Ashshah Imam Ahmad Raza Khan Alaihir Rahma, "Fatawa Razviya" Me Farmate Hai,


"Shariyat, Tareeqat, Haqeeqat, Ma'arefat Me Baham Aslan Koi Ikhtelaf Nahi  Uska Muddaee Agar Be Samjhe Kahe Ti Nira Jahil He Or Samajh Kar Kahe To Gumrah Bad Deen.


Shariyat Huzur ﷺ Ke Aqwal Hai, Or Tareeqat Huzur ﷺ Ke Af'aal, Or Haqeeqat Huzur Ke Ahwaal, Or Ma'arefat Huzur Ke Aloome Be Misaal, 

صلی اللّٰہ تعالٰی علیہ وآلہ وأصحابہ إلی مالا یزال

*📚(Fatawa Razviya, J-21, S-460)*

*📚W Anzar "Fatawa Razviya", Risal: "Maqaale Irfa Ba- Ezaze Shara'a W Aulma", J-21, S-521-568*

*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*

*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*

*🗓️16 Sep 2020, 27 Muharram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+9

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Udhar De Kar Zaaid Raqam Lena Kesa

 *🌹SAWAL:-🌹*

السلام علیکم 

Agar Koi Sunni Bhai Kahe Ke Muje Abhi 20000 De Me Tuje Thode Dino Baad 25000(5000 Jyada) Dunga . Kya Esa Karna Jaiz He?

Or Agar Koi Gairmuslim Paise Mange Or Thode Dino Baad Jyada Dene Ka Vada  Kare To Kya Usko Paise Dena Or Usse Jyada Lena Jaiz He?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎


Musalman Ko Udhar De Kar Zaaid Raqam Lena Sood He Jo Najaaizo Haram He, Jaisa Ki Fatawa Faqihe Millat Me He,


Pandrah Hazar (15000) Rupya Bataure Qarz Is Shart Par Dena Ki Pandrah Hazar Ka Bees Hazar (20000) Luñga Ye Qarz De Kar Nafa'a Hasil Karna He Jo Sood He. Sood Lena Or Dena Dono Haram He.


Khuda E Ta'ala Ka Irshad He,

حَرَّمَ الرِّبَا

*📚(Parah-3, Surah Baqrah, Aayat-275)*


Or Hadees Shareef Me He,

كل قرض جر منفعة فهو ربا

Yaani Qarz De Kar Nafa'a Hasil Ho Vo Sood He.

*📚(Sunan Bayhaqi, J-5, S-573)*


Or Sood Ka Gunah Bahut Sakht He. Hadees Shareef Me He,

الربواسبعون جزٕ ایسرھاان ینکح امہ

Yaani Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya, Sood (ka Gunah) Ayse Sattar Gunahoñ Ke Barabar He Jin Me Sabse Kam Darja Ka Gunah Ye He Ki Mard Apni Maañ Se Zina Kare. Al-AyazoBillah

*📚(Mishkat Shareef, S-242)*


Or Hadees Shareef Me He,

لعن رسول اللہ صلی اللہ تعالی علیہ وسلم آکل الربا 

Yaani Huzur ﷺ Me Sood Lene Waloñ Par La'anat Farmai.

*📚(Sunan Bayhaqi, J-5, S-451)*


Or RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya,

درھم ربوایاکلہ الرجل وھویعلم اشد من ستة وثلثین زنییة

Yaani Sood Ka Ek Dirham Jo Aadmi Jaan Bujh Kar Khaye Uska Gunah Chhattis (36) Baar Zina Karne Se Zyada He.

*📚(Musnad Imam Ahmad Bin Hambal, J-6, S-296)*


Lihaza Pandrah Hazar Jo Bataure Qarz Diya He Sirf Usi Ko Le Usse Zyada Hargiz Na Le Agar Le Liya Ho To  Wapas Kare. Agar Vo Aysa Na Kare To Sab Musalman Uska Boycott Kare.

*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-2, S-204)*


Kafir Harbi Se Zaaid Raqam Lena Sood Nahi, Jaisa Ki Fatawa Faqihe Millat Me He,


Yahañ Ke Kafir Harbi Hai Or Musalaman W Harbi Ke Darmiyan Sood Nahi.

کاما فی الحدیث النبوی لا ربا بین المسلم و الحربی۔

Lihaza Yahañ Ke Kafiroñ Ko Udhar De Kar Bilashubah Nafa'a Le Sakte Hai, Magar Sood Samajh Kar Na Le Balki Maale Mubah Samajh Kar Leñ. 


Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai, 

Jaaiz He Jab Ki Unheñ Mahdood Rakhe Agar Khuda Nakhwastah Uski Aadat Pad Jaye Ki Musalamanoñ Se Bhi Isi Tarah Karne Lage To Najaaizo Haram He.

*📚(Fatawa Amjadiya, J-3, S-228)*


Or *📚(Fatawa Mustafiya, S-427)* Par He,

Kisi Musalman Ya Kafir Zimmi Or Mustamin Ko Qarz De Kar Us Par Koi Nafa'a Lena Sood He. Kafir Harbi Se Liya Jayega To Sood Nahi Hoga.

*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-2, S-209)*


Lihaza Musalman Ko 20000 Rupya De Kar Us Par Zaaid Raqam Lena Yaani 25000 (500 Zyada) Lena Sood He, Jo Najaaizo Haram He. Or Harbi Kafir Ko Qarz De Kar Nafa'a Hasil Karna Jaaiz He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓6 Oct 2020, 18 Safar 1442*

📲+91


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Hijda (Kinner) Ko Gusl Kon De ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hijadaa (kinnar) Ke Marne Ke Baad Usse Gusl Kon Denga

Aadami Ya Aurat


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Khunsa Mushkil ( Yaani Jisme Mard Wa Aurat Dono Ki Alamateñ Paai Jayeñ Or Ye Sabit Na Ho Ki Mard He Ya Aurat) Ka Inteqal Huva To Use Na Mard Nahla Sakta He Na Aurat Balki Tayammum Karaya Jaye Or Tayammum Karane Wala Ajnabi Ho To Hath Par Kapda Lapet Le Or Kalaiyoñ Par Nazar Na Kare. Yuñhi Khunsa Mushkil Kisi Mard Ya Aurat Ko Gusl Nahi De Sakta.

*📚(Aalamgiri)*


Khunsa Mushkil Chhota Bachcha Ho To Use Mard Bhi Nahla Sakte Hai Or Aurat Bhi Yuñhi Aks.

*📚(Bahare Shariyat, H-4, Mayyat Ko Nahlane Ka Bayan)*


Or Jo Mard Khassi Kara Kar Hijda Bana To Mard Hi Ke Hukm Me He. Chunanche *📚Bahare Shariyat, H-4* Hi Me He Ki Jis Mard Ka Azoo E Tanasul Ya Unsayen Kaat Liye Gaye Hoñ Vo Mard Hi He Yaani Mard Hi Use Gusl De Sakta He Ya Uski Aurat. *📚(Aalamgiri)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*

*_📬Khalifa E Huzur Tajushshariya, Qazi E Petlad, Gujrat_*

*🗓️5 Oct 2020, 17 Safar 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+9

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Naak Me Ungli Na Daali To Gusl Hoga Ya Nahi

 *🌹SAWAL:-🌹*

As Salamu Aliakum, Ager Gusul Main Nak Mai Ungli Dalna Bhool Gya To Ghusul Hoga Ya Nhi?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Wa Alaikumus Salaam


Gusl Me Nak Ki Narm Haddi Tak Pani Pohnchana Farz Hai ... Is Talluq Se Huzur Sadrush Shariah Alaihirrahmah *📚Bahar E Shariat Hiss 2* Me Farmate Hai.


Naak Me Pani Dalna Yani Dono Nathno Ki Jaha Tak Narm Jagah Hai Dhulna K Pani Ko Sungh Kar Upar Charaye Bal Barabar Jagh Bhi Dhulne Se Reh Na Jaye Warna Gusl Na Hoga,  Nak K Andar Rinth Sukh Gai To Us Ko Churana Farz Hai Niz Nak K Bal Dhulna Bhi Farz Hai.


Al Hasil Nak K Is Hisse Ko Dona Yani Har Jagag Pani Beh Jaye ... Chahe Ungli Naak Me Dale Ya Na Dale. Bagair Ungli Dale Bhi Sab Par Beh Gaya To Farz Ada Ho Gaya .. Albatta Baye Hath Ki Chugli Yani Choti Ungli Se Nak K Andar Saf Karna Sunnat Hai ... Janbujh Kar Tark Na Kare.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*

*_📬 Khalifa E Huzur Tajushshariya, Qazi E Petlad, Gujarat_*

*🗓️5 Oct 2020, 17 Safar 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+91

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Islam Me Rep Ki Saza

 *🌹SAWAL:-🌹*

Log Bahut Status Laga Rhe Hazrat 

Ke Islam Me Balatkar/rape Se Saza Mout/qatl Hai

Rehnumai Farmaye


*🌹JAWAB:-🌹*

Rep Ki Islam Me Yeh Saza K

Hai Ki Kuñvare Ko 100 Kode Mare Jayen, Aur Shadi Shuda Ko Sine Tak Gaddhe Me Gaadh Kar Uspar Patthar Mare Jayen, Ki Mar Jaye, 

Saza Nafiz Karna Hukumat Ka Kaam Hai, Har Shakhs Yeh Saza Nafiz Nahi Kar Sakta.


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*🎙Al-Jawab:- Hazrat Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*

*_📬idara Sharaiyah W Samaji Khidmat, Aala Hazrat Masjid NavaYard Vadodara Gujarat_*

*🗓️1 Oct 2020, 13 Safar 1442*


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+91848

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Qabr Se Paani Nikta Rahe To Mayyat Ko Kis Tarah Darn Kare

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum Hazrat Mayyeet Ko Dafan Karne Ke Waqt Qabar Me Pani Nikal Gaya Rukne Wala Nahi Is Surat Me Kya Kiya Jay Jawab Inayat Farmayen Meharbani Hogi


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Qabr Se Paani Nikal Raha Ho Band Hi Na Hota Ho To Dusri Jagah Qabar Khod Kar Dafn Karde, Agar Ye Mumkin Na Ho Or Koi Jagah Na Ho To Is Soorat Me Majboor He Lihaza Mayyat Ko Lakdi Ke Sandooq Me Rakh Kar Dafn Karde.


Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,

Qabar Do Qism He, Lahad Ki Qabar Khod Kar Us Me Qibla Ki Taraf Mayyat Ke Rakhne Ki Jagah Khodeñ Or Sandooq Vo Jo Hindustan Me Umooman Raaij He, Lahad Sunnat He Agar Zameen Is Qabil Ho To Yahi Kareñ Or Narm Zameen Ho To Sandooq Me Harj Nahi.

*📚(Fatawa Hindiya, J-1, S-165)*


Taboot Ke Mayyat Ko Kisi Lakdi Wagairah Ke Sandooq Me Rakh Kar Dafan Kareñ Ye Makrooh He. Magar Jab Zaroorat Ho Maslan Zameen Bahut Tar He To Harj Nahi Or Is Soorat Me Taboot Ke Masaarif Usme Se Liye Jayeñ Jo Mayyat Ne Maal Chhoda.

*📚(Fatawa Hindiya, J-1, S-166)*

*📚(Durre Mukhtar, J-3, S-165)*


Agar Taboot Me Rakh Kar Dafn Kareñ To Sunnat Ye He Ki Usme Mitti Bichha Deñ Or Daahne Baayeñ Khaam (yaani Kachchi) Inteñ Laga Deñ Or Upar Kahgal (yaani Mitti Ki Lipaai) Kar Deñ Garz Ye Ki Andar Ka Hissa Misl Lahad Ke Ho Jaye Or Lohe Ka Taboot Makrooh He Or Qabar Ki Zameen Narm Ho To Dhul Bichha Dena Sunnat He.

*📚(Raddul Muhtar, J-3, S-165)*


*📚(Bahare Shariyat, J-1, H-4, Kabro Dafan Ka Bayan, S-843)*


Lihaza Mayyat Ko Lakdi Ke Sandooq Me Rakh Kar Dafn Karde, Or Sandooq Ko Bhi Misle Lahad Yaani Sandooq Ke Niche Mitti Or Upar Mitti Se Lipaai Or Dono Taraf Kachchi Int Rakhde.


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓4 Oct 2020, 16 Safar 1442*

📲+


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aurat Kalma E Kufr Bole To Nikah Fasid Hoga Ya Nahi ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

السلام علیکم

Aurat Agar Kalima E Kufr Bole To Nikah Jata Rahega ?

رہنمائی فرمائیں

جزاک اللہ خیر


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aurat Agar Kalma E Kufr Bolde To Nikah Se Na Niklegi, Magar Ehtiyatan Usi Shohar Se Tajdeede Nikah Ka Hukm Diya Jayega.


Jaisa Ki Saiyedi Aala Hazrat Alaihir Rahma Ek Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai,


Hinda Ne Pahla Fiqrah Kaha Ho Khwañ Dusra (Dono Jumle Sareeh Kufriyat Hai Lihaza) Har Tarah Uska Iman Jata Raha Ki Usne Shar'a Mutahhrah Ki Tauheen Ki Magar Hinda (Murtada Ho Jane Ke Bawajood) Nikah Se Na Nikli, Na Hargiz Use Rawa (Yaani Jaaiz) He Ki Baade Islam Kisi Dusre Se Nikah Karle.

لان الفتوی علٰی روایۃ النوادرلاجل فسادالزمان کما بیّنّاۃ فی فتاوٰنا

(Kyuñ Ki Fasaade Zaman Ki Wajah Se Fatwa Nawadir Ki Riwayat Par He Jaisa Ki Hamne Usko Apne Fatawa Me Bayan Kiya He)


 Haañ Baade Islam Sabiqah Shohar Hi Se Tajdeede Nikah Par Majboor Ki Jayegi. 

احتیاطا لاصل المذہب

Ehtiyat Ke Taur Par Waste Asl Mazhab Ke.


Durre Mukhtar Me He,

تجبر علی الاسلام وعلی تجدید النکاح زجرا لھا بمھر یسیر کدینار وعلیہ الفتوٰی


Islam Par Majboor Ki Jayegi Or Bataure Zajr Kamtareen Mahar Maslan Ek Dinaar Ke Badle Tajdeede Nikah Par Majboor Ki Jayegi Or Isi Par Fatwa He.

*📚(Durre Mukhtar, J-1, S-210)*


Raddul Muhtar Me He,

فلکل قاض ان یجددہ بمھریسیر ولو بدینار رضیت ام لا 

Ye Qazi Ko Ikhtiyar He Ki Vo Us Aurat Se Kamtareen Mahar Ke Aoz Tajdeede Nikah Karaye Agarche Ek Dinar Ho Chahe Vo Aurat Raazi Ho Ya Na Ho.

*📚(Raddul Muhtar, J-2, S-392)*

*📚(Fatawa Razviya, J-12, S-263)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓4 Oct 2020, 16 Safar 1442*

📲+


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jo Accident Ya Gir Kar Mar Jaate He Kya Unki Maut Ayse Hi Aani Thi

 *🌹SAWAL:-🌹*

Jo Accident Main Ya Kat Ke Ya Uper Se Gir Kar Mar jaate Hain... Is Ki Kya Hakeekat Hai???? Kya  Unko Mouth Ayesi Hi Aani Thi???


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Ahle Sunnat W Jama'at Ka Ye Mutafaqqa Aqeeda He Ki Allah Tabarak W Ta'ala Hi Ke Daste Qudrat Me Hayato Mamaat He, Yaani Logo Ko Zindagi Dena, Maut Dena Ye Rab Tabarak W Ta'ala Hi Ke Daste Qudrat Me He, Ye Ahle Sunnat W Jama'at Ka Mutafaqqa Aqeeda He. Ham Ko Rozi Bhi Wahi Deta He, Maut Bhi Wahi Dega He Or Hayaat Zindagi Bhi Wahi Deta He. 


Albatta Ye Dunya Darul Asbaab He, To Jo Log Accident Me Mar Jate He, Ya Gir Kar Mar Jate He, Ya Jal Kar Ya Paani Ke Dub Kar Mar Jate He, To Ye Asbaab Waqe'a Hote He, Sabab Ban Jate He, Lekin Haqeeqat Me Ye Mauto Hayaat Allah Tabarak W Ta'ala Hi Ki Jaanib Se Hoti He, 


Allah Tabarak W Ta'ala Qura'ane Azeem Me Irshad Farmata He,

أَيْنَمَا تَكُونُوا يُدْرِككُّمُ الْمَوْتُ وَلَوْ كُنتُمْ فِي بُرُوجٍ مُّشَيَّدَةٍ ۗ وَإِن تُصِبْهُمْ حَسَنَةٌ يَقُولُوا هَٰذِهِ مِنْ عِندِ اللَّهِ

Yaani, Tum Jahañ Kahiñ Ho Maut Tumheñ Aalegi Agarche Mazboot Qil'aoñ Me Ho Or Unhai Koi Bhalai Pahunche To Kaheñ Ye Allah Ki Taraf Se He..

*📚(Surah Nisa, Aayat-78)*


To Ye Dunya Darul Asbaab He Kisi Bhi Sabab Se Maut Waqe'a Ho Sakti He, Lekin Haqeeqatan Ye Maut Allah Tabarak W Ta'ala Hi Ki Janib Se He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️3 Oct 2020, 15 Safar 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+9

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Wuzu Ka Bacha Hua Paani Khade Ho Kar Pina Chahiye

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum Mera Sawal Hai Ki Hazrat, Kuch Maulana Bolte Hain Wuzu Karne Ke Baad Jo Pani Bachta Hai Use Khade Ho Kar Pina Sunnat Hai.... Rehnumai Farmaye


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Wuzu Ka Paani Or Aabe Zamzam Ko Khade Ho Kar Piya Jaye, Baaqi Dusre Paani Ko Beth Kar.

*📚(Sahih Muslim, Hadees-117 (2027), S-1119)*

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*

*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🗓️26 Sep 2020, 8 Safar 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+91

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Iblees Farishta Tha Ya Jin ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Iblees Pahle Farishta Tha Ya Jin ? Jawab Daleel Ke Satha Ata Farmaye, Badi Maherbani.


*🌹JAWAB:-🌹*

Iblees Pahle Qaume Jin Se Tha.. *📚Surah Kahaf, Aayat-50* Me Irshade Rab He,

وَإِذْ قُلْنَا لِلْمَلَائِكَةِ اسْجُدُوا لِآدَمَ فَسَجَدُوا إِلَّا إِبْلِيسَ كَانَ مِنَ الْجِنِّ فَفَسَقَ عَنْ أَمْرِ رَبِّهِ ۗ

Or Yaad Karo Jab Ham Ne Farishtoñ Ko Farmaya Ki Aadam Ko Sajda Karo To Sabne Sajda Kya Siwa Iblees Ke Qaume Jin Se Tha To Apne Rabke Hukm Se Nikal Gaya. 

*📚(Tarjma E Kanzul Iman)*

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*

*_📬Qazi E Petlad W Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujrat_*

*🗓️26 Sep 2020, 8 Safar 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+9

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Massage Par Salam Ka Jawab Dena Zaroori He?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Mobile Pr Chaitting  Karte Wakt Koi Salam Karta Hai To Jawab Dena Wajib Hai Kya....

Rahenumayi Farmaye...


*🌹JAWAB:-🌹*

Jis Tarah Mobile Or Khat Ke Salam Ka Jawab Wajib He. Isi Tarah Massage Ke Zariye Kiye Gaye Salam Ka Jawab Bhi Wajib He. Mobile Par Guftagu 'Khitab' He Or Massage Ke Zariye Paigam Rasaai "kitab" He Or Fiqah Ka Ye Aam Zabta He,

الکتاب کالخطاب

Kitab ( Khat W Kitab) Khitab (bil Mushafa Guftagu) Ki Tarah He.

*📚(Hidaya Aakhir, J-2, S-286, Majlise Barkaat Mubarak Pur)*


Durre Mukhtar Me He,

ویجب ردجواب کتاب التحیة لان الکتاب من الغاٸب بمنزلة الخطاب من الحاضر 

Khat Ke Salam Ka Jawab Wajib He Kyuñ Ki Gaaib Shakhs Ka Maktoob (khat) Hazir Shakhs Ke Khitab Ki Manzil Me He.

*📚(Fatawa Shami, J-5, S-294)*


Shara'a Counsil Of India Baraily Shareef Ke Fiqhi Seminar Munaqida 4 July 2010 Me Ye Faisla Ho Chuka He Ki "fax, E-mail, Or Massage Ki Tahreer "kitab W Khat" Ke Hukm Me He" Or Khat W Kitabat Ke Salam Ka Jawab Wajib He To Massage Ke Zariye Kiye Gaye Salam Ka Jawab Bhi Wajib Hoga.

*📚(Mobile Phone Ke Zaroori Masaail, S-119)*


Bahare Shariyat Me He,

Khat Me Salam Likha Hota He, Uska Jawab Dena Bhi Wajib He Or Yahañ Jawab Do Tarah Hota He, Ek Ye Ki Zuban Se Jawab De, Dusri Soorat Ye He Ki Salam Ka Jawab Likh Kar Bheje. 


Magar Chuñki Jawabe Salam Fauran Dena Wajib He To Agar Fauran Tahreeri Jawab Na Ho Jaisa Ki Umooman Yahi Hota He Ki Khat Ka Jawab Fauran Hi Nahi Likha Jata Khwamakhwah Kuch Der Hoti He To Zuban Se Jawab Fauran De De, Taaki Takheer Se Gunah Na Ho. Isi Wajah Se Allama Saiyed Ahamd Tahtawi Ne Is Jagah Farmaya, 

Yaani Log Isse Gafil Hai.


Aala Hazrat Jab Khat Padha Karte The Khat Me Jo اَلسَلامُ عَلَيْكُم  Likha Hota He Uska Jawab Zuban Se Dekar Baad Ka Mazmoon Padhte.

*📚(Bahare Shariyat, H-16, S-463, Maktabul Madina Dehli)*


Massage Bhi Ek Tarah Ka Khat He Lihaza Massage Ke Zariye Bheje Gaye Salam Ka Jawab Bhi Wajib He. Agar Kisi Wajah Se Tahreeran Usi Waqt Jawab Na De Sake To Zuban Se Usi Waqt Jawab De Dena Chahiye.


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

1 Oct 2020, 13 Safar 1442*

📲+9


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Social Media Par Deen Ki Baate Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

ASSALAMUALAIKUM 


Hazrat Aaj Kal Bahut Hi  Log Social Media Ka Use Krte Lkn Koi Ache Kaam Ke Liye Yani Islamic Messge Ko Aage Badhane Ke Liye Bhi Krte Hai To Log Kehte Hai Ye Social Media Par Acha Nhi Krna Ye Talib Madraso Me Do Yaha Ye Sab Na Kro Kia Ye Kehne Wale Pr Koi Hukum ?? Aur Hazrat Hame Social Media Ke Kese Use Krna Chahiye Jaiz Tarika ? Aur Social Media Ka Use Kaha Mana Hai ?? 


Rahanumai Farmaye


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Social Media Ya Websites Par Paaye Jane Wale Mazaamin Kitabo Ki Hesiyat Rakhte Hai. Jin Me Achchi, Buri Mo'atebar Gair Mo'atebar Har Tarah Ki Kitabat Hoti He. Or Aaj Kal Sabse Zyada Jo Istemal Kiya Jata He Vo Internet, Mobile Or Social Media He, Lihaza Hame Chahiye Ki Iska Sahih Tareeqa Se Istemal Kare, Or Bure Najaaiz Kaamo Se Bach Kar Shariyat Ki Had Me Shariyate Mustafa Ki Jis Tarah Bhi Isha'at Ho Uski Koshish Kare, Social Media Ek Esa Platform He Jahañ Ham Apni Aawaz Aasani Se Sekdo Logo Tak Pahuncha Sakte He. Iska Istemal Karne Ka Bahetar Or Jaaiz Tareeqa Yahi He Ki Zyada Se Zyada Deen Ki Baat Logo Tak Pahuchaye. Social Media Ka Istemal Sirf Lahw Laeeb Or Jokes Or Betuki Baate Karne Ke Liye Nahi, Balki Deen Ki Isha'at Ke Liye Kiya Jaye To Ye Bhi Ek Sadqa Or Kaare Khair Or Baaise Sawab He. Deen Ki Baat Failane Se Rokne Wala Ya To Hasid He Ya Jahil. 


Qura'an Majeed Me He,

 وَقُولُوا لِلنَّاسِ حُسْنًا

Or Logo Se Achchi Baat Kaho.

*📚(Surah Baqrah, Aayat-83)*


Or Dusri Jagah Irshad Farmaya,

قَدْ أَفْلَحَ الْمُؤْمِنُونَ الَّذِينَ هُمْ فِي صَلَاتِهِمْ خَاشِعُونَ وَالَّذِينَ هُمْ عَنِ اللَّغْوِ مُعْرِضُونَ

Beshak Murad Ko Pahunche Iman Wale, Jo Apni Namaz Me Gidgidate He, Or Vo Jo Kisi Behuda Baat Ki Taraf Iltifat Nahi Karte.

*📚(Surah Muaminun, Aayat-1,2,3)*


Yaani Behuda Baato Se Bachne Walo Ka Iman Pukhta He.


Jo Ham Se Door He Hamare Paas Nahi Unko Mobile Ya Social Media Ke Zariya Deen Ki Baat Batana RasoolAllah ﷺ Ka Paigam Pahucha Ne Ka Saboot Hadees Shareef Se Bhi Milta He,


Hadees Shareef Ka Mafhoom He,

 الا فلیبلغ الشاھد الغائب فانہ رب مبلغ یبلغہ اوعنی لہ من سامع۔

Hazrat Abu Bakar RadiAllahu Anhu Se Riwayat He Ki RasoolAllah ﷺ Ne Hujjatul Wida'a Ke Mauqa'a Par Farmaya,  Jo Yahañ Hazir He Vo Isko Pahuncha De Jo Gaaib He, Khuñki Jo Hazir He Vo Shayad Ayse Shakhs Ko Khabar Karde Jo Baat Ko Usse Zyada Yaad Rakhe.

*📚(Bukhari Shareef, 67)*

*📚(Muslim Shareef, 1679)*


Isi Tarah Dusri Hadees Me He,

Abdullah Bin Umar RadiAllahu Anhu Riwayat Karte Hai Ki RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya, 

بلِّغوا عنّي ولو آية

Yaani Agar Aapko Qura'an Ki Ek Aayat Ka Bhi Ilm Ho To Use Dusro Tak Pahuncha Do. 

*📚(Sahih Bukhari, Hadees-3461)*

Yaani Jo Hazir He Vo Jo Gaaib He Un Tak Agar Qura'an Ki Ek Aayat Ka Bhi Ilm Ho To Pahunch De.


Huzur ﷺ Ne Farmaya Achchi Baat Kahna Sadqa He.

*📚(Bukhari, 2589)*


Or Hadeese Mubarika Me He,

RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya Fuzool Baatoñ Ko Chhod Dena, Aadmi Ke Islam Ki Achchai Ki Daleel He.

*📚(Musnad Ahmad, J-1, S-201)*


Lihaza Iman Walo Ki Ye Nishani He Ki Jab Logo Se Baat Kahe To Achhi Baat Kahe Or Buri Or Fuzool Baato Se Door Rahe, Fir Agarche Vo Social Media Ke Zariya Ho. Internet Ka Sahih Istemal Yahi He Ki Is Par Kitabo Sunnat Ki Roshni Me Deeni Baat Kahi Jaye, Or Fahash Baate Jese Faltu Jokes, Hasi Mazak, Be Hayai, Wagairah Se Door Raha Jaye.


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

📲+9


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Huzur Ke Chacha Abu Talib Ko Hazrat Kahna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Kya Abu Talib Ko *Hazrat Ya Janab* Kahe Sakte Hai...❓

Kya Unka Zikr Kair Ke Sath Karna Chahiye....❓


*🌹JAWAB:-🌹*

Huzur ﷺ Ke Chacha Abu Talib Ka Iman Lana Sabit Nahi, Unki Maut Halate Kufr Me Hui, Lihaza Unke Naam Ke Sath Hazrat Nahi Likhna Chahiye.


Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Farmate He,

Abu Talib Ko Hazrat Abu Talib Kahne Ki Ijazat Nahi Is Liye Ki Unki Maut Kufr Par Hui.

*📚(Fatawa Barkatiya, S-358)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓25 Sep 2020, 7 Safar 1441*

📲+


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ladki Ka Status Par Be Parda Photo Rakhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Ek Ladki Hai Status Pr Bepardagi Jaise Bal Khol Kr Photo Rakhti H Or Sab Ladke Ladkiya Iska Status Dekhte H To Aisa Kuch Bataye Jo Mai Ise Bheju Taki Aayinda Ye Aise Pic Status Pr Na Rkhe


*🌹JAWAB:-🌹*

Aurat Aurat He Yaani Chhupane Ki Cheez He, Gair Maheram Ke Samne Be Parda Hone Wali Aurtoñ Par Azabe Ilahi Ki Kai Saari Waide He, Or Aysa Karne Wali Aurateñ Sakht Gunahgar Azabe Ilahi Ke Haqdar He. Parde Ka Hukm Qura'an Majeed Or Ahadise Mubaraka Se Sabit He. Aurat Ko Apne Jisme Ke Aa'aza Ko Gair Ke Samne Dikhana Agarche Mobile Ya Internet Ke Zariye Ho Sakht Najaizo Haram, Bad Kaam Bad Anjam He, Azabe Ilahi W Laanat Ki Haqdar Or Sakht Jahalat He.


Jaisa Ki Qura'an Majeed Me Rab Tabarak W Ta'ala Ka Irshad He,

 وَقَرْنَ فِي بُيُوتِكُنَّ وَلَا تَبَرَّجْنَ تَبَرُّجَ الْجَاهِلِيَّةِ الْأُولَىٰ

Yaani Apne Gharo Me Thahri Raho, Or Be Parda Na Niklo, Jaise Agli Jahiliyat Ki Be Pardagi.

*📚(Surah Ahzab, Aayat-33)*


Hazrat Allama Saiyed Naeemuddim Muradabadi Alaihir Rahma Farmate Hai,

Agli Jahiliyat Se Murad Qable Islam Ka Zamana He, Us Zamana Me Aurteñ Itrati Nikalti Thi, Apni Zeenat W Mahasim (yaani Banaw Singhar Or Jism Ki Khubiyan Maslan Seene Ke Ubhaar Wagairah) Ka Izhar Karti Thi Ki Gair Mard Dekheñ. Libas Ayse Pahanti Thi Jin Se Jism Ke Aaza Achchi Tarah Na Dhakeñ.

*📚(Khazainul Irfan)*


Afsos Maujuda Daur Me Zamana E Jahiliyat Wali Be Pardagi Paai Jaa Rahi He. Or Qura'an Ki Mukhalifat Karti He.


Or Dusri Jagah Allah Tabarak W Ta'ala Ka Farman He,


وَقُل لِّلْمُؤْمِنَاتِ يَغْضُضْنَ مِنْ أَبْصَارِهِنَّ وَيَحْفَظْنَ فُرُوجَهُنَّ وَلَا يُبْدِينَ زِينَتَهُنَّ إِلَّا مَا ظَهَرَ مِنْهَا ۖ وَلْيَضْرِبْنَ بِخُمُرِهِنَّ عَلَىٰ جُيُوبِهِنَّ ۖ وَلَا يُبْدِينَ زِينَتَهُنَّ إِلَّا لِبُعُولَتِهِنَّ....

Or Musalaman Aurtoñ Ko Hukm Do Apni Nigaheñ Kuchh Nichi Rakheñ Or Apni Paarsaai Ki Hifazat Kareñ Or Apna Banaw Na Dikhaye Magar Jitna Khud Hi Zahir He Or Vo Dupatte Apne Girebanoñ Par Daale Raheñ, Or Apna Singhar Zahir Na Kareñ Magar Apne Shoharoñ Par.....

*📚(Surah Noor, Aayat-31)*


Or Mafhoome Hadees He Ki, 

Nabi E Kareem ﷺ Farmate Hai Ke,

Sabse Buri Aurte Wo Hai Jo Bepardgi Kare Aur Takabbur Se Chalne Wali Ho, Ye Us Ummat Ke Munafiqat Hai, Aur Ye Wo Hai Jo Jahnnum Me Kavve Ki Tarah Chikhti Hui Dakhil Ho Jayengi.

*📚(Baihaqi)*


Un Auraton Par Jahannam Me Sakht Kode Mare Jayenge Jo Kapda Pehne Huye Bhi Barhana Nazar Aati Hain.

*📚(Muslim Sharif)*


Hazrat Imam Ahmad Bin Hajar Makki Shafei Rahmatullah Alaihi Naql Farmate He, Meraaj Ki Raat Sarware Kaainat  ﷺ Ne Jo Baaz Aurtoñ Ke Azab Ke Holnaak Manazir Mulahiza Farmaye Unme Se Ye Bhi Tha Ki Aurteñ Baaloñ Se Latki Hui Thi Or Us Ka Dimag Khaul Raha Tha. Sarkar ﷺ Ki Khidmate Sarapa Shafqate Arz Ki Gai Ki Ye Aurteñ Apne Baaloñ Ko Gair Mardo Se Nahi Chhupati Thi.

*📚(Az-Zawajiru Anil Iqtirafil Kabaair,  J-2, S-97,98)*


RasoolAllah ﷺ Ka Ka Azeem Farman Jiska Ta'alluq Meraaj Ki Shab Se He, Jab RasoolAllah ﷺ Ne Jahannam Ka Mushahidah Kiya Tha, Rasoole Akram ﷺ Ko Jahannam Ka Mushahidah Karte Huve Chand Manazir Nazar Aaye, Aapne Vo Bayan Kiye Hai,  Bayhaqi Ne Usko Bayan Kiya He, Ibne Hajar Ne *📚Azzwajir, J-2, S-15* Me Likha He,


RasoolAllah ﷺ Farmate Hai, Fir Mera Guzar Ek Ghaddhe Ke Paas Se Huva Jis Se Badboo Aa Rahi Thi. Bahut Bada Gadha Tha Us Se Bahut Zyada Boo Aa Rahi Thi. Or Badi Shadeed Aawazeñ Mujhe Aa Rahi Thi, Haay Haay Ki Or Badi Dukh Bhari Aawazeñ Or Badi Karaahati Hui Aawazeñ Mujhe Aa Rahi Thi. Mene Jibrail Se Puchha, Ay Jibrail Ye Kon He ? To Hazrat Jibrail Alaihis Salam Ne Kaha, Ye Tumhari Ummat Ki Vo Aurteñ Hai Ki Jinhone Halaal Zeenat Ko Chhod Kar Haraam Zeenat Ikhtiyar Ki. 


Jis Had Tak Shariyat Mutaharrah Me Jaaiz Tha, Usse Tajawuz Kar Gai Us Se Aage Nikal Gai. Or Bhi Kai Ahadise Mubarika He Jisme Be Parda Aurtoñ Par Sakht Azabe Ilahi Hota He.


Lihaza Musalman Aurto Ko Chahiye Ki Apna Parda Kare, Or Be Parda Apne Photos Social Media Par Share Karna Bahut Hi Bura He Ki, Isme Dunyavi Aitbar Se Bhi Kai Kharabiya Ki Log Un Photos Ka Galat Istemal Kar Sakte Hai, Or Aysa Hota Bhi He Or Apne Photos Share Karne Me Tasweer Banane Ka Jo Azaab He Vo Bhi Sakht Azab He Jisla Zikr Ahadise Mubarika Me Warid He. Or Be Parda Apne Baalo Ko, Chahere Ko Or Dusre Aa'aza Ko Gair Ke Samne Dikhana Sakht Gunah Ka Kaam Or Aysa Azab Jise Sun Kar Dil Kaanp Jaaye. Lihaza Allah Ke Azab Se Dare Or Shariyat Ki Had Me Rah Kar Social Media Wagairah Ka Istemal Kare.. Allah Ham Sabko Shariyate Mustafa Par Or Hamari Aurtoñ Ko Hazrate Fatimatuz Zahra RadiAllahu Anha Ki Seerate Mubarika Par Amal Karne Wala Banaye.. Aameen Summa Aameen

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓23 Sep 2020, 5 Safar 1442*

📲+918


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts