HAUZ KI LAMBAI OR CHURAI KITNI HONI CHAHIYE

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum W Rahematullahi W Barakatuhu,,
Kya farmate he aulma e deen w muftiyane shara'a mateen is mas'ale me ki Hauz ki lambai or chodai kitni honi chahiye ? Or feet ke aetbar se kitni honi chahiye ?
Tafsili jawab inayat farmae..

*🌹JAWAB:-🌹*

W AlaikumAssalam W Rahematullahi W Barakatuhu,,
Hauz ya talab me lambai chourai pani ki Murad hoti he zarf yani Hauz ya talab ki jagah nahi,
Lihaza kisi Hauz ya talab me itna pani ho ki pani ki lambai chourai deh-dar-deh ho,aysa pani bahte or jaari pani ke hukm me he.

*_📌Dah-Dar-Dah ka maana or matlab👇🏻_*

Dah dar dah farsi zaban ke alfaz he jinka mana hoga 10 me 10 ko jarb dena.

Asal me ye kaseer or bahte pani ki sharai paimaishi miqdar he or iska matlab he pani ki satah ka lambai or chaurai me 10×10 hath hona.

Shariyat me ek hath dedh feet(1 hath=1.5 feet) ka mana jata he is hisab se matlab ye hoga ke jo pani lambai me 15 feet or churai me 15 feet ho aesa pani bade Hauz or talab ke hukm me he jo najasat or napaki girne se napak na hoga jab tak ke najasat or napaki ki wajah se pani ka rang ya boo ya maza na badal jaye. Lihaza agar aese bahte or kaseer pani me najasat girne se in 3 chizo me se koi ek bhi badal gaya to vo pani napak mana jaega.
▶Niz aesa pani be wuzu or be gusl ke chhune se must'amal bhi nahi hoga.

👉🏻15 foot lamba or 15 foot chura hone ka naap square ke aetbar se 15×15=225 square foot hoga.

Or inch ke hisab se 15 feet me 180 inch hoge.
Yani 180 inch lambai or 180 inch chourai honi chahiye jo 180×180 ke hisab se 32400 square inch hoga.

*📚(FATAWA RAZVIYA SHAREEF,JILD-1,SAFA-318)*

*_✍🏻Al-Jawab:- 🌹QAZI E PETLAD, HAZRAT ALLAMA w MAULANA HAFIZ MUHAMMAD TAUFIQ RAZA SAHAB MISBAHI_*
```💐(KHALIFA E HUZUR TAJUSHSHARIYAH W HUZUR MUHADDISE KABEER)```
*_📬PETLAD, GUJARAT_*

======================
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:-Pathan MoinRaza,Petlad_*
📲
=========================

KYA JIS KE NAAM SE AQIQAH HO VO KHUD USKA GOSHT KHA SAKTA HE

*🌹SAWAL:-🌹*
Jiske naam se aqiqah kiya ho wo kha sakta he usme se??

*🌹JAWAB:-🌹*
Ji bilkul kha Sakta he, or kisi bhi fiqha ki Kitab me  iske mana ki koi Dalil bhi nahi he.

"AQIQAH Ke Janwar Ki Wahi Shara'it Hain Jo Qurbani Ke Janwar Ki Hai"
*_📚{Bahar-e-Sharaiat, Hissa-15, Page-357}_*

Yani jo hukm qurbani ke gosht ka he vahi hukm aqiqe ke gosht ka he.
Jis tarah qurbani ka gosht jiske Naam se qurbani he vo khud khaa Sakta he usi tarah aqiqeh ka gosht bhi jiske Naam se aqiqah ho vo kha Sakta he..

Wallahu aa'alam bis sawab

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza, Petlad_*
📲
~:::::::::::::➖➖➖➖➖:::::::::::::::~

GAIR MUSLIM AURAT SE NIKAH KARNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹*
Gair Muslim Aurat se nikah karna kaisa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Gair Muslim Aurat Agar Islam le aaye to usse nikah jaiz he, agar vo islam qubul karle uske baad ki kuch Surate he👇🏻
_HUZUR FAQIHE MILLAT ALLAMA JALALUDDIN AMJADI ALAIHIR RAHMA EK SAWAL KE JAWAB ME TAHERIR FARMATE HE_
Agar vo(gair muslim aurat) shadi shuda ho or uska shohar bhi teen haiz aane se pahle islam le aaye to vo badsutur sabiq uski biwi rahegi is soorat me kisi dusre ke liye usse shadi karna jaiz nahi or agar shohar islam na laaye to teen mahvari guzarne ke baad usse shadi karna jaiz he
Aesa hi *FATAWA AMJADIYA JILD 2 SAFA 8* PAR HE,
Or shadi shuda nahi to use musalman bana kar fauran nikah karna jaiz he
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT,JILD-1,SAFA-369)*

```Dusri jagah huzur faqihe millat taherir farmate he```

Kafir Aurat Agar Shohar wali nahi he to shakhs mazkoor ba'ade islam Fouran usse nikah kar sakta he or agar shohar wali he to ba'ade islam fauran usse nikah nahi kar sakta he, kyu ke agar shohar wali kafira musalman ho jaae to hukm ye he k us ke shohar par islam pesh kiya jaae agar vo islam le aae to aurat badsutur us ki biwi he or agar shohar islam se inkar kare to teen haiz ke baad dusre se nikah kar sakti he is se pahle nikah karna sahih nahi.
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT,JILD-1,SAFA-384,385)*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan MoinRaza Khan💐_*
📲
~:::::::::::::::::::➖➖➖::::::::::::::::::~

ISLAM ME PATANG UDANA KAISA ? Patang Ki Shuruaat Kaha Se Hui ?

*🌹SAWAL🌹*

Islam me Patang udana kaisa ???

*🌹JAWAB:-🌹*

Islam me Patang bazi karna kharido farokht karna sab najaizo haram he,or baise gunaah he

*_📌Aaiye dekhte he ki sab se pahle iski shuruaat kaha se hui_*

👉🏻Iswi San 1707 se 1759 ke dauran Panjab ke governor Zakariya khan the us waqt me siyal court ke ek gair Muslim khatrimal Rai ke bete haqikat Rai ne rasoole paak sallallahu alaihi w sallam or Hazrat or hazrate Fatima radiallahu anha ki Shane aqdas me gustakhiya ki or bure bure kalimat kahe. Bil aakhir is Gustakhiya ke jurm ki tapas ke Baad us gustkah Ko korhe mare Gaye or sutun ke sath bandh kar uski gardan maardi

👉🏻Us gustakh ki yaad me vaha gair Muslimo ne ek qbr taiyar ki or har saal vaha is Deen Jashn manaya Jane Laga or aahista aahista vaha is din mela bharane Laga.
Isi mele me Sabse Paheli Patang udai gai or ye din ab tahevar ki shaql ban Gaya he.

👉🏻 nabi ki be-izzati karne wale ki yaad me sab se pahle Patang udai gai tab se ye tahewar Hindustan or Pakistan me manaya Jane Laga 
Is baat ka ikrar Hindustan ke itihas karone Kiya he.
*HAZRAT MUFTI FAIZ AHEMAD OWAISI ALAIHIR RAHMA* ne bhi apni kitab 
*_📚(BASANT TAHEWAR YA GAZABE KIRDAR,SAFA-10,11)_*
Par taherir farmaya

Or Yahi waqya ek *sikh doctor B.S.Najjara* ne apni Kitab
*_📚(PUNJAB UNDER THE LATTER MUGHALS)_* me bhi likha he.

Or Dusri Baat ki ye tahewar gair Muslim ka he or uski musabehat karne ka ma'ani ki ham unke ye tahewar se raazi he or Hadis Shareef ke mutabik hamne jiski musabehat ki hamara hashr bhi uske saath Hoga (allahu Akbar).
Kya AAP chahte he ki aap  ka hashr bhi in kafiro ke saath ho ??
👉🏻Patang bazi me dusre Kai tarah ke Gunah bhi hote he Fuzul Kharchi, naach gana, dusre Janwar ya parindo Ko pareshan karna, wagairah.

Is tarah Patang udane ka riwaj ek gustakhe Rasool ki yaad me manaya Jane Laga ab musalmano Ko sochna chahiye ke vo Patang uda kar kiske MADADGAR bante he ?

👏🏻Allah hame is tarah ke najaizo haram kaam se bachne or apne bhaio Ko bachane ki taufiq de or khas nabi ki Shan me gustakhiya ki gai uski yaad wale tahewar se hamari hifazat farmae..aameen

*🌹 SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬khadim:-Pathan Moin Raza, Petlad_*
📲
*~:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~*

KHANE KI CHIZ SAMNE RAKH KE FATEHA DENA

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum w rahematullahi w barakatuhu
Kya farmate he aulma e kiram is mas'ala me ki mithai ya khana ya koi bhi halal chiz samne rakh ke fateha parh sakte he ?
Hawale ke sath jawab inayat farmae...

*🌹JAWAB:-🌹*

W alaikumassalam w rahematullahi w barakatuhu,,

Khane ki chiz samne rakh kar fateha dena bila subah jaiz or huzur sallallahu alaihi w sallam se sabit he,,
Or kai Hadiso se me bhi maujud he jisme se ek Hadish darze zail he,,

👉🏻HAZRAT ANAS RADIALLAHO TAALA ANHO BAYAN KARTE HAI KI
"NABI KARIM SALALAHO ALAI WASSALAM JANAB ZAINAB SE NIKAH KE NAUSHA THE TO MERI MAA UMME SULAIM NE KHUJUR,GHI,OR PANEER KA HALWA BANAYA OR EK BARTAN ME KARKE MUJHSE KAHA KI
"ANAS ISKO HUZUR KI KHIDMAT ME LE JAO OR ARZ KARO YA RASUL ALLAH SALALAHO ALAI WASSALAM YE MERI MAA NE AAP KI KHIDMAT ME THODASA HADIA BHEJA HAI OR UNHONE AAPKO SALAAM ARZ KIYA HAI"
CHHUNANCHE MAI GAYA OR MAINE YE KAHA
HUZUR NE IRSHAD FARMAYA
"ISSE RAKHDO OR JAO,HUMARE PAS FALA FALA KO BULA LAO"
JISKA HUZUR NE NAAM LIA OR UNHE B JO TUMKO MILE YEHA TAK KI JAB MAI WAPAS LAUTA TO HUZUR KA GHAR BHAR CHHUKA THA.HAZRAT ANAS SE PUCHA GAYA KI KITNI TAADAD THI UNHONE FARMAYA KARIBAN TEEN SAU LOG THE.FIR MAI NE NABI SALALAHO ALAI WASSALAM KO DEKHA AAPNE HALWE PAR HAATH RAKHKAR KUCH PADA JO ALLAH NE CHAHA,FIR HUZUR DASDAS KO BULAANE LAGE WOH ISME SE KHAANE LAGE.HUZUR INSE FARMATE THE ALLAH KA NAAM LO OR HAR SHAKH APNE SAAMNE SE KHAAYE.JAB SAB NE KHAA LIYA TO HUZUR NE MUJHSE FARMAYA
"AI ANAS IS KO UTHAALO"
Jab MAINE DEKHA TO MUJHKO MAALUM NAHI KI JAB RAKHA THA TAB JYADA THA YA JAB UTHAYA TAB JYAADA THA"
*📚[BUKHARI SHAREEF,J:2,KITABUL NIKAAH,SAFA:775]*
*📚[MUSLIM SHAREEF, J:1,SAFA:461]*
*📚(MISHKAT SHAREEF,BAB FIL MU'AJIZAT,SAFA 538)*
~::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:-Pathan MoinRaza PETLAD_*
📲
~::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts