2 Saal Shohar se Door he Talaq lene par Iddat Kya hogi ?

*🌹SAWAL🌹*
Hindah Talaq Suda Thi... Kai Saal Ke Baad Uska Dusra Nikaah Zaid Ke Saath Huwa... Kuchh Dino Tak Muaamlaat Achhe Rahe.... Lekin Fir Zaid Kisi Aur Aurat Ke Chakkar Me Pad Gaya... Aur Is Baat Ko Le Kar Dono Miyan Biwi Me Aksar Nok-Jhok Rahene Lagi... Aakhir Main Zaid Ne Hindah Ko Maarna Shuru Kiya... Tab Hindah Pichhle 2 Saal Se Apne Baap Ke Ghar Aa Gai... Hindah Aur Uske Ghar Walon Ne Uska Ghar Phir Se Basane Ke Liye Bahot Kawishe Ki....
Lekin Koi Fayda Nazar Na Aaya... Ab Baat Talaq Tak Pahoch Gai Hai....

Sawal Ye Hai Ke Hindah Kam Se Kam Pichhle 2 Saal Se Uske Sohar Zaid Se Alag Apne Baap Ke Ghar Reh Rahi Hai... To Ab Talaq Hone Par Kya Hindah Ko Iddat Ke Aaiyam Guzaarne Honge....? Ya Nahi...?

*🌹JAWAB:-🌹*

Soorate Mas'oola Me, Jis Waqt Shohar Talaq Dega Us Waqt Se Us Ki Iddat Hogi. Agar Haiz Aata he to 3 Haiz or agar Hamal Se he to Bachche ki pedaish Tak Iddat Ke Ayyam Guzaregi.

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namaste Or Namaskar Kahna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kisi Ko Namaste Or Namaskar Kahna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

_Huzur Shareh Bukhari Hazrat Allama Shariful Haq Amjadi Alaihir Rahmato Ridwan isi tarah  ke sawal ke jawab meTaherir Farmate He_

Ye Tariqa Sakht Haram Or Ba Aetbar Zahir ke Kufr he. pahli Baat Ye khas hinduo ka Mazhabi Shu'aar he kisi Kafir Ke Mazhabi Shu'aar ko Qubool karna kufr he,

 Hadees Me Farmaya Gaya,
من تشبہ بقوم  فھو منھم
Jo Kisi Qaum Ka Mazhabi Shu'aar ikhtiyar kare vo unhi me se he.

Namaste ke ma'ana me Tumhari ta'azeem ke liye jhukta  hu. Ye kis qadar gairati ki baat he ki Musalman jise Allah ne Islam se izzat di or islam ki badaulat sare jahan se muazzaz he vo Allah Ta'ala or Rasool ﷺ Ke dushman balki apne jaano maal ke dushman ki Ta'azeem ke liye jhuke

chunke awam na namaste ke ma'ana jante he na hath jod ne ka matlab Ma'aloom he vo sirf ek rasm samajh kar hinduo ko khush karne ke liye aysa karte he is liye un par hukme kufr nahi, magar gunahgar zaroor hoge, or sakht gunahgar is liye Musalmano par wajib he ki hinduo ke samne hath jodne or namaste se parhez kare.

hindu gardi ke is zamane me hinduo ke raah w rasm ko ikhtiyar karna bahut badi kamzori he is waqt to Musalmano ko bahut sakhti ke sath apne mazhab ka paband rahna chahiye or gair Musalmano ke taur tariqa ikhtiyar karne se mukammal parhez karna wajib he.

Allah Ta'ala Musalmano ko Islam par sabit qadmi ata farmaye or kuffaro mushrikeen ke taur tariqe se bachne ki Taufiq ata farmaye aameen.
*📚(FATAWA SHAREH BUKHARI, J-3, S-135)*

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aadab Arz Kahna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kisi Musalman Ko Aadab Arz He kahna kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Is tarah Ka lafz Sunnat ke khilaf He. Agar kisi Musalman Se mile to pahle salam kare jo sunnat se sabit he.

_Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He_

Baa'az Log Aadab Arz Kahte he, Agarche Is me itni burai Nahi magar Sunnat Ke Khilaf he.
*📚BAHARE SHARIYAT, H-16, S-108)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Abu Talib Ne Huzur Ka Nikah Padhaya tha ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Hazrat ek Sahab he Or Vo Sunni he Unhone Kaha ke Huzur Sallallahu alayhi Wasallam ka nikh Hazrate Abu Talib ne Padhaya tha To Kiy Majallah Huzurne Kafir Se Nikha Padha Mene bohot Samjhya To Unhone kaha Ke Muje Iska jawab Lado
Baraye karam Olmaye kiram Rehtumai Farmaye Is Masle par
Or Hazrate Abu Talib ke Talluk se Scene Wagerah bhi Sand kare

*🌹JAWAB:-🌹*
Us waqt Aaqa e Kareem SallallahuAlayheWasallam ki Taraf se  daAwat islam jaari nahi hui thi. To Abu Talib us waqt Deen e Fatrat par they muwaHhid they kafir nahi they. Aur mas-alah aaj bhi Fiqah ki kitabon men yeh hai ke agar nikah padhney wala kafir ho tab bhi nikaH ho jayega Halanke yeh najaiz aur gunah hai ke isme kafir ki taAzeem hoti hai. BaAd men jab Abu Talib par Allaah TaAala ke Hukm se Aqa e Kareem SallallahuAlayheWasallam ne daAwat e islam pesh ki akhiri waqt bhi unhoney qubool nahi ki is wajah se unka shumar eeman laney walon men nahi hua kyunke ab jabke Huzoor e Paak SallallahuAlayheWasallam ne eeman ki daAwat pesh kar di to unpar eeman laana farz tha jo naa kiya aur unka wisal kufr par hua yeh to khud unke betey Hadrat Maula Ali RadiAllaahuAnh ki  AHadees e Paak se sabit hai jiska zikr Sarkar e aAla Hadrat RadiAllaahuAnh ne apney Fatawa men farmaya hai

*✍️Al-Jawab:- Hazrat Janab Masood Noori Sahab,Rajasthan*

Or Janab Abu Talib ke Ta'alluk ss Scan Hamari web site pe hi ek alag se page he ba naam Imane Abu Talib Quran W Hadish Ki Roshni me Mulaheza Farmaye.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp
📬Pathan Moin Raza Khan, Petlad

📲84
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Marne Ke Baad Momin Ko Rooh Ghar Aati he

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Marne ke Baad Momin Ki Rooh Apne Ghar Aati he?

*🌹JAWAB:-🌹*

Ji Marne Ke Baad Momin Ki Rooh Shabe Jumaa, Eid ke roz or Aashura ke Roz Or shabe barat ko Apne Gharo me Aati he.

_Is Ta'alluk Se Huzur Saiyedi Aala Hazrat Alaihir Rahma Ne Ek Risala Taherir Farmaya he_

Farmate he,

Khatimul Muhaddiseen Shaikh Abdul Haq Muhaddise Dahelvi Rahematullah Alaihi sharah mishkat shareef baab ziyarate Quboor me farmate he,
Mayyat ke dunya se jane ke baad saat din tak uski taraf se sadqa karna mustahab he. Mayyat ki taraf se sadqa uske liye nafa bakhsh hota he. Isme ahle ilm ka koi ikhtelaf nahi, is baare me sahih hadise warid he, khusoosan paani sadqa karne ke bare me. Or ba'az aulma ka qaul he ki mayyat ko sirf sadqa or dua ka sawab pahuchta he. Or ba'az riwayat me aaya he ki rooh shabe jumaa ko apne ghar aati he or intezar karti he ki us ki taraf se sadqa karte he ya nahi.
*📚(Ash'atul Lam'aat Baab Ziyarate Quboor, J-1, S-816,817)*

Shaikhul Islam Kashful Guta'a, fasl Hashtum me farmate he

Garaaib or khazana me manqool he ki Momin ki roohe har shabe jumaa, Roz Eid, Roz Aashura, Or Shabe Barat ko apne ghar bahar khadi rahti he or har rooh gamnak buland aawaz se nida karti he ki, ay mere ghar walo, Ay meri Aulad, Ay Mere Qarabat Daro! Sadqa karke ham par maherbani karo.
*📚(Kashful Guta'a Amalizam Lil Muta Alal Ahya'a, Fasl Ahkame Dua w Sadqa, S-66)*

Usi me he, Sharahus Sudoor Me Shaikh Jalaluddin Suyuti Rahematullah Alaihi ne un me se aksar awqat ke bare me mukhtalif hadise naql ki he.....

Imam Ajal Abdullah bin mubarak w abu bakar bin abi Shayba ustad bukhari w muslim hazrat Abdullah bin umar w bin aas RadiAllahu Anhum se mauqoofan or imam ahamd musnad or tabrani mu'ajamul kabeer or hakim sahih mustadarak or abi naeem hilya me basanad sahih huzur poor noor saiyede aalam  ﷺ se marfuan raawi,

Ye ibne Mubarak ke alfaz he,
Beshak dunya kaafir ki bahisht or musalman ka qaid khana he, jab Musalman ki jaan nikalti he to us ki misal aysi he jaise koi shakhs zindan me tha ab aazad kar diya gaya to zameen me gasht karne or ba faragat chalne firne laga..
*📚(Kitabul Zahadul ibne mubarak baab fi talabul halal, Hadis-597 Darul kutbul ilmiya Bayroot, S-211)*

Or Abu Bakar ki Riwayat yu he,
Jab Momin marta he uski raah khol di jati he ki jaha chahe jaye.
*📚(Musannaf ibne abi shayba, kitabul zahad, Hadis 16571, Idaratul Qura'an karachi, J-13, S-355)*

Ibne abi dinya w bayhaqi Saeed bin musayyab RadiAllahu Anhuma se raawi hazrat salman farsi w abdullah bin salam RadiAllahu anhuma baham mile, ek ne dusre se kaha ki agar mujh se pahle inteaal karo to mujhe khabar dena ki vaha kya pesh aaya, kaha kya zinde or murde bhi milte he ? Kaha
نعم اما المومنون فان ارواحھم فی الجنۃ وھی تذھب حیث شاءت
Yaani Musalman ki roohe to jannat me hoti he unhe Ikhtiyar hota he jaha chahe jaye.
*📚(Shoabul Iman, Hadis-1355, J-2,S-121)*

Ibne mubarak kitabul zahad w abu bakar ibne abi dinya w ibne mandah salman RadiAllahu Anhu se raawi,
قال ان ارواح المؤمنین فی برزخ من الارض تذھب حیث شاءت ونفس الکافر فی سجین..
Beshak Musalman ki roohe zameen ke barzakh me he jaha chahti he jaati he, or kafir ki rooh sijjeen me muqeed he.
*📚(Kitabul Zahadul ibne mubarak baab maja'a fil Tawaqqal, Hadis-429 Darul Kutbul ilmiya Bayroot, S-144)*

Ibne Abi dinya malik bin anas RadiAllahu Anhu se raawi
قال بلغنی ان ارواح المومنین مرسلۃ تذھب حیث شاءت.
Farmaya mujhe hadish pahunchi he ke Musalmano ki roohe aazad he jahañ chahti he jaati he.
*📚(Sharhus Sudoor, S-98)*

Imam Jalaluddin Suyooti Sharhus Sudoor me farmate he,
رجح ابن البران ارواح الشھداء فی الجنۃ وارواح غیرھم علی افنیۃ القبور فتسرح حیث شاءت.
Imam Abu umar ibne abdulbir ne farmaya, Raajeh ye he ki shahido ki roohe jannat me he or Musalmano ki fana e quboor par, jaha chahe aati jati he.
*📚(Sharhus Sudoor, S-105)*

Allama Manavi tisri sharah jame'a sageer me farmate he,
ان الروح اذا انخلعت من ھذا الھیکل وانفکت من القیود بالموت تحول الی حیث شاءت.
Beshak jab rooh us qalib se juda or maut ke baees qaido se riha hoti he jaha chahti he jula karti he.
*📚(Tisri Sharah Jame'a Sageer, J-1, S-329)*

Qazi Sana Ullah Bhi Tazkiratul Maut Me likhte he,
Auliya e kiram qudsat asraham ki roohe zameen aasman, bahisht me jaha chahti he jati he.
*📚( Tazkiratul Muta w quboor Urdu Tarjama Misbahun Noor, S-75,76)*

Ba'az Aulma muhaqqiqeen se marwi he ki roohe shabe jumaa chhutti paati or felti jati he, pahle apni qabro par aati he fir apne gharo me.
*📚(Khazanatul Riwayat)*
....
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-9, S-638)*

Hasil yahi ki Allah ke Fazl se Baade wafat momin ki roohe mukhtalif awqat me Apne ghar aati he. Or jaha chahe aati jaati he.

Zyada Tafsil ke Liye Fatawa Razviya Me Jild-9 Risala
رسالہاِتْیَانُ الْاَرْوَاح لِدِیَارِھَمْ بَعْدَ الرَّوَاح
(Rooho ka Ba'ad Wafat Apne ghar aana) Mulaheza Farmaye

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Barish Ke Paani Me Shifa he ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya ye Hadish Sahih he ?👇🏻
Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya ki barish ke paani me Allah ne shifa rakhi he nabi ﷺ ne farmaya agar koi barish ke paani ko bartan me jama kare or usme sura e rahman pade or kisi ese mariz ko pilaye jisko la ilaj bimari ho to allah use shifa dega.

*🌹JAWAB:-🌹*
Is Tarah ki koi hadees nazar me Nahi, Lekin Beshak Barish Ka paani Khairo Barkat Wala he, Or Us par Qura'ani Aayat Dam karne se khairo barkat w shifa Milti he.

_Jaisa Ki Qura'an Majeed me Rab Tabarak W Ta'ala Irshad Farmata he_

وَنَزَّلْنَا مِنَ السَّمَاءِ مَاءً مُّبَارَكًا فَأَنبَتْنَا بِهِ جَنَّاتٍ وَحَبَّ الْحَصِيدِ
Or ham ne aasman se barkat wala paani utara.
*📚(SURA E QAAF, AAYAT-9)*

_Or Uski Tafsir Me He,_

Yaha se Allah Ta'ala ki qudrat ki tisri daleel bayan ki jaa rahi he, chunanche is aayat or is ke ba'ad wali do aayat ka khulasa ye he ki ham ne aasamn se barish ka paani utara jis se Har cheez ki zindagi bhi he or bahut khairo barkat bhi........
*📚(Tafsir Madarik)*
*📚(Tafsire Khazin)*
*📚(Tafsire Jalalain)*
*📚(SIRATUL JINAN FI TAFSIRIL QURA'AN)*

Or Ek Riwayat Ameerul Mua'mineen Hazrat Saiyeduna Maula e kainat, Hazrat Ali KaramAllahu Wajahul Kareem Mareezo ko is tarah hidayat famate the ki Qura'ane Paak Ki koi si Aayat likh kar usko barish ke paani se dho kar us paani me Shahad Mila kar pee le insha'Allah Shifa Payega.
 *📚تَفْسِیْراِبْنِ کَثِیْر، پ۱۴،النحل،تحت الآیة:۶۹،۴/۵۰۱  ملخّصاً*

Beshak Qura'an Majeed Ki Kisi Bhi Aayat Ko Paani Par Dam Kar Ne se Usme Allah Ta'ala Apne fazl se Khairo Barkat w Bimario se Shifa Ata Farmata he.
Lekin Bina Hawale Use Hadees Shareef Kahna Durust Nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kekda Khana Or Kekde Ka Karobar Karna Kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Karachla (kekra) ke Ta'aluq koi hadise paak ya koi Quraani aayat ho to Baraye karam ittela farmaye Karachla ka Karo Baar karna kesa???

*🌹JAWAB:-🌹*

Kekra Khana Jaiz nahi, Or Uska Karobar Bhi Jaiz Nahi.

Jaisa Ki Hidaya Me he
ولا يؤكل من حيوان الماء إلا السمك
*📚(Al-Hidaya, J-5, S-353)*

Or Isi Tarah Bahare Shariyat me he,
Pani Ke Janwaro Me Sirf Machhli Halal He.
*📚(Bahare Shariyat, H-3, S-324)*

Or kekra Hashratul Ard me se he or Hashratul Ard ki kharido farokht jaiz nahi

Jaisa Ki *الجوھرۃ النیرۃ📚* Me He,

"ﻭﻻ ﻳﺠﻮﺯ ﺑﻴﻊ اﻟﻬﻮاﻡ ﻛﺎﻷﺣﻨﺎﺵ، ﻭاﻟﺤﻴﺎﺕ، ﻭاﻟﻌﻘﺎﺭﺏ ﻭاﻟﻔﺄﺭﺓ، ﻭاﻟﺒﻮﻡ ﻭاﻟﻀﻔﺪﻉ ﻭﻏﻴﺮ ﺫﻟﻚ."

Or Bahare Shariyat Me he,

Machhli Ke Siwa pani ke tamam Janwar Mendak, kekra Wagairah or Hashratul Ard Chuha, Chhachhundar, Ghuns, Chhipkali, Girgit, Goh, Bichhu, Chinti ki be'a(kharido Farokht) Najaiz He.

*📚(Bahare Shariyat, J-11, 203)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Qabrastan Me Namaze Janaza padhna Ya Qabarstan Ki Hudood Me Ibadat gaah ya masjid banana kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
 *السلام عليكم ورحمة الله*
علماء کرام کی بارگاہ میں ایک سوال عرض ہے کہ قبرستان میں  ایک مخصوص جگہ نمازِ جنازہ کے لئے بنائی گئی ہے  وہاں نمازِ جنازہ ادا کی جاتی ہے 

اب  جب بھی *ماہ رمضان المبارک*  آتا ہے تو اسی جگہ پر پانچ وقت کی نماز اور تراویح بھی  ادا کی جاتی ہے 

تو کیا جو جگہ نماز جنازہ کے لئے خاص ہو وہاں پر  پنج وقتہ نماز پڑھسکتے ہيں

اگر پڑھسکتے ہیں تو نماز  جنازہ مسجد میں کیوں نہیں پڑھ سکتے ❓
 
٢)اور قبرستان کی حدود میں مسجد  یا عبادت گاہ  یامکتب  مدرسہ  بناسکتے ہیں یا نہیں 

حوالہ کے ساتھ مدلل جواب عنايت فرماکر قوم کی اصلاح کا موقع  مرحمت فرمائیں

*🌹JAWAB:-🌹*

و علیکم السلام و رحمۃ اللہ تعالیٰ و برکاتہ

 الجـــــوابــــــــــــــــــ بعون الملک الوہاب اللہم ھدایت الحق والصواب
(1) پہلے یہ جان لیں کہ جس شہر یا گاؤں میں جگہ کی قلت ہے اور اس بنیاد پر اہل محلہ یا اہل شہر قبرستان کی زمین میں جہاں قبریں نہیں ہیں اس جگہ نماز جنازہ کے لئے انتخاب کیا ہے اور سامنے قبریں بھی نہ ہوں یا ہوں لیکن سامنے کی دیوار شرعی طور پر اٹھا دی گئی ہے تو اس صورت میں وہاں نماز جنازہ پڑھی جا سکتی ہے اور جنازہ ہی نہیں بلکہ وقت ضرورت نماز تراویح بھی پڑھی جا سکتی ہے کوئ قباحت نہیں ہاں بلا ضروت مسجد کو چھوڑ کر پڑھنا جائز نہیں اس لئے کہ وہ جگہ فرائض وقتیہ کی ادائیگی کے لئے نہیں ہے
جیسا کہ مراۃ المناجیح شرح مشکوۃ المصابیح  جلد 2 ص 167 میں ہے
اس سے معلوم ہوا کہ مسلمانوں پر جماعت کی نماز بھی واجب ہے اور مسجد کی حاضری بھی،کیونکہ نور مجسم رحمت عالم سراپا اخلاق تارکین جماعت کے گھر جلانے کا ارادہ فرمارہے ہیں۔ مرقاۃ نے فرمایا کہ علماء کا اس پر اتفاق ہے کہ کسی کو گھر بار جلانے کی سزا نہ دی جائے سوائے تارک جماعت کے کہ سلطان اس کو یہ سزا دے سکتا ہے معلوم ہوا کہ یہ دونوں بڑے اہم ہیں"

اب رہی بات کہ مسجد میں نماز جنازہ کیوں نہیں پڑھ سکتے تو یہ جان لیں کہ مسجد میں میت کو لے جانا منع ہے اور صحیح یہ ہے کہ ممانعت نماز جنازہ کی وجہ سے ہے اگرچہ میت مسجد کے اندر نہ ہو مگر بارش وغیرہ کاعذر ہو تو رخصت ہے"
(الاشباہ والنظائر القول فی احکام المسجد مطبوعۃ ادارۃ القرآن والعلوم اسلامیہ کراچی 2/  230)
(فتاویٰ رضویہ ج/9  ص/257)

اور مسجد جماعت میں نماز جنازہ مکروہ تحریمی ہے جبکہ جنازہ مسجد کے اندر ہو اس لئے کہ مسجد فرائض وقتیہ کی ادائیگی کے لئے بنی ہے. اور اگر باہر ہے تو اس کے بارے میں اختلاف ہے .مختار یہ ہے کہ مکروہ ہے. یہ اختلاف اس لئے ہے کہ کراہت کی علت آلودگی مسجد کا احتمال ہے"

(درمختار باب صلوۃ الجنائز مطبوعہ مطبع مجتبائ دہلی 1/ 123)
(فتاویٰ رضویہ ج /9. ص/257)


(2) وقفی قبرستان جو مسلمانوں کے مردوں کو دفن کرنے کے لئے خاص ہو چکا ہو اس کے کسی حصے پر مدرسہ بنانا سخت ناجائز و حرام ہے اگرچہ مدرسہ اس حصے پر بناۓ جس پر ابھی تک تدفین عمل میں نہ آئ ہے کہ یہ ابطال غرض وقف ہے اور یہ ہرگز جائز نہیں.

فتاوی عالمگیری میں ہے 👇
(لا یجوز تغییر الوقف عن ھیئتہ"اھ)
(فتاویٰ عالمگیری ج/2  ص/490)

اور ردالمحتار میں ہے 👇
(الواجب ابقاء الوقف علی ما کان علیہ"اھ)
(ردالمحتار  ج/3  ص/427)

نیز اعلیٰ حضرت رضی اللہ تعالیٰ عنہ فتاویٰ رضویہ میں تحریر فرماتے ہیں کہ قبرستان وقف میں کوئ تصرف خلاف وقف جائز نہیں مدرسہ ہو خواہ مسجد یا کچھ اور"
(فتاویٰ رضویہ ج /6  ص/347)

اور بہار شریعت میں ہے 👇
قبروں کے لئے زمین وقف کی تو وقف صحیح ہے اور اصح یہ ہے کہ وقف کرنے سے ہی واقف کی ملک سے خارج ہو گئ اگرچہ نہ ابھی مردہ دفن کیا ہو اور نہ اسے قبضہ سے نکال کر دوسرے کو قبضہ دلایا ہو"اھ
(بہار شریعت ج/1 ص/87)
(فتاویٰ مرکز تربیت افتاء ج/2  ص/218)

اور فتاویٰ فیض الرسول میں ہے 👇
اگر مدرسہ ایسی زمین پر بنایا جا رہا ہے کہ جہاں پہلے قبریں تھیں تو بلا تاخیر اس کی دیواروں کو گرا دینا مسلمانوں پر لازم ہے اگر نہیں گرائیں گے تو گنہگار ہوں گے👇
(لان المیت یتأذی کما یتأذی منہ الحی کما فی الحدیث)
اور اگر کبھی وہاں قبریں نہیں تھیں تو جو زمین قبرستان کی ملکیت ہے اسے مدرسہ کی ملکیت میں لانا جائز نہیں"

(فتاویٰ فیض الرسول ج/1  ص/463)

ھذا ما سنح لی واللہ تعالیٰ اعلم باالصواب
المفتقر الی رحمۃ اللہ التواب

✍🏻از قلم محمد آفتاب عالم رحمتی مصباحی دہلوی خطیب و امام جامع مسجد مہا سمند
(چھتیس گڑھ)

✅الجواب صحیح والمجیب نجیح حضرت علامہ و مولانا محمد الفاظ قریشی صاحب قبلہ مد ظلہ العالی والنورانی
✅الجواب  صحیح وصواب
محمد رضا امجدی
دارالعلوم چشتیہ رضویہ کشن گڑھ اجمیر شریف
مقام ھر پوروا باجپٹی سیتامڑھی بھار


*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Batakh Ka Anda Ya Gosht Khana Kesa

Assalamu Alaikum
Sawal

Batak ka anda ya gosht khana kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Tafsirat e ahmdyah me


Mulla jivan Rahmatullahi taaala alaih farmate hain

Batakh khana halal he.

Or Batakh ka anda khana bhi halal.

Wllahu taaala aalam
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Naye Ghar Me Jane Se Pahle Kya Kare Or Bad Nazar se bachne ka wazifa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaykum
Naye ghar me Jane se pehle
Kya padhna ya karna chahiye?

Aur
Bad nazar se bachne ka ilaj ya dua bataye hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*
W Alaikum Assalam W Rahematullah,

Huzur Gause Aazam Ke Naam se Fateha kare. Tilawate Qura'an Kare. Or Ashabe Kahaf Ka Naam Likh kar Neem me rakhde.

Or Bad nazar se Bachne ke Liye  sura e falaq w surah e naas 11 - 11 martaba parh kar dam kare.

insha'Allah Kambyabi Hogi

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Maslake Bu Hanifa Ka Ailan He Maslake Aala Hazrat Meri Shan He, Sher Par Aitraz Ka Jawab

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Ye Sher padhna kesa he Rehnumai farmaye

मसलके बू हनीफ का ऐलान है
मसलके आलाहज़रत मेरी शान है

जो उलझता है इस्से वो नादान है
वोतो इंसान नही बलके शैतान है
बू हनीफा ने जो लिखा आलाहज़रत ने बताया
कोंन केहता है मसलक नया है
वो बरेली का अहमद राजा है

Hazrat Kuch Log ye keh rahe he Ke Sarkar Imam Aazam Ko To Parda kare Bohot Waqt Ho Gaya he to unhone kab Kaha ke Aalahazrat meri shan he
Hazrat Iski Rehnumai Farmay

*🌹JAWAB:-🌹*
Is shear me ye nahi kaha k Imam Abu Hanifa ne kaha k Alahazrat Imam Ahmad Raza meri shan hai...  is me to ye kaha gaya hai k Maslake bu hanifa ka Elana hai...  yani Imam e Azam ne jo Apni Talimat chori is par hindustan me Imam Ahmad Raza NE khub Tehqiq kar k ise bahot aama kiya or khub felaya goya k Hanfi maslak ko Badi aan baan or shaan se felane ki wajah se aap hind me Maslak e Hanfi ki shan hai.

*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Sahab Misbahi*
*_📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya,Haldarva W Qazi E Petlad_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim: Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Karobar Ya Job Ke Liye Wazeefa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat,
Karobar Mulazimat Ya Job Ke Liye Koi Wazeefa Irsal Farmaye.

*🌹JAWAB:-🌹*
1. Jab Insan Koshis karte karte Thak Jaye Or Halat ayse paida ho jaye ki koshisho ka koi nateeja na nikle ummeed bandhe or toot Jaye aas lage or khatm ho jaye is Tarah hafto or mahino guzar jaye magar mulazimat or karobar na mile ya karobar me barkat na ho to is aayate kareema ka naqsh bazoo par bandhe ya gale me pahan le.
اللَّهُ لَطِيفٌ بِعِبَادِهِ يَرْزُقُ مَن يَشَاءُ ۖ وَهُوَ الْقَوِيُّ الْعَزِيزُ
*📚(Sura e Shura, Aayat-19)*

Or Har waqt chalte firte uthte bethte sote jagte
 یا حی یا قیوم
(Ya Hayyu Ya Qayyum)
Ka Wird kare namazo ki pabandi ke sath amal Karna shuru'a kare insha'Allah Gaib se asbab muhayya ho jayege.
*✍🏻Hazrat Maulana Daud Husain Misbahi Sahab, Aurangabad Maharashtra*

2. Har naw chandi JumeRaaat ko ba'ad namaze Isha gusl kare or kuchh shirni la kar ek hazar martaba Duroode Gausiya parhe or fatiha kare Huzur Gause Aazam RadiAllahu Anhu ke naam se.
Iske baad shirni bachcho ko taqsim kare insha'Allah zaroor Kamyabi Hogi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mazar Par Sandal Lagana Or Juluse Sandal Gumana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Auliya E Kiram Ke Mazar Par Sandal Lagana Kesa ? Or Use Shahro galio me gashte karte huye Lana kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Buzurgane deen ke urs ke mauke par Sandal nikalna Shahro Galio me gasht karna or na'at khwani padhna or turbat par sandal lagana jaiz w mubah he, magar usme dhol tashe bajana jaiz nahi.

_Jaisa ki Huzur Mazhare Aala Hazrat Huzur SherBeshe Ahle Sunnat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Auliya e kiram RadiAllahu Anhum ke mazarat tayybah par sandal lagana or lagane se pahle us ko shahar me gasht karana or uske sath naat shareef ya ash'aar manqabate buzurgane deen RadiAllahu anhum padhna yaqeenan jaizo mubah be. Shariyate mutahhara se is ki mumane'at par hargiz koi daleel nahi.
*📚(FATAWA HASHMATIYA, S-280)*

Or *📚SAFA-281* par Taherir Farmate he ki,
Allah ﷻ W Rasool ﷺ ne kisi aayat ya hadees me mazarate auliya par sandal lagane ya us ko gasht karane ko mana'a nahi farmaya.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Khwab Me Marhoom Ko Khush Dekhna Or Ne'amato me dekhna ki Ta'abeer

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaykum hazrat mera sawal hai ki agar hum apne marhumin ko khwab me dekhte hai ke vo khus hai aur neamato me hain aur khud keh rahe hain ki me badi acchi jagah pe hu mera bohot accha ghar he iska matlab kya ho sakta hai???

*🌹JAWAB:-🌹*
W alaikumAssalam W Rahematullah,

Iska matlab ye ho sakta he ki marhoom ne apni hayat me jo nek aamal kiue raza e rab w rasool ke liye jo umoor anjam diye to khallaqe kainat ne aone fazlo karam se baad wafat usko uska bahetar badla ata farmaya

Jis ka sara manzar aap khwab ke zarihe dekh rahe he or aap ko us shakhs ka khwab aamale saleh or umoore khair ko targeeb dila raha he ki aap bhi achche kaam karo take aap ko aysa badla mil sake.

Taham marhoom ke liye kuchh parh kar fatiha khwani kar deni Chahiye.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab_*
*📬Khatibo Imam Noori Masjid, Mahudha, Gujarat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Khwab Me Zinda Ko Murda Dekhna Matlab ?

*🌹SAWAL:-🌹*
saval ke humara yaha kehte hain ki khwab me agar koi shaks kisi ko dekhe ke usks inteqal ho chuka he lekin wo duniya me hayat hai to kaha jata hai ki uski umr lambi aur barkat vali hogi kya ye durust hai???

*🌹JAWAB:-🌹*
Khwabo ki Ta'abeer radeef ز  me he ki,

Zinda Ko murda dekhna matlab umr ka daraz hona he.
*📚(Khwabo Ki Ta'abeer, S-82)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab_*
*📬Khatibo Imam Noori Masjid, Mahudha, Gujarat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Qabar Par Phool Dalna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Qabro Par Phool Dalna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Qabr Par Phool Dalna Jaiz w Mustahsan w Khairo barkat ka kaam he. Khwañ Qabar Auliya Allah Ki Ho Ya Aam Muslim Ki, Qabr Par Phool Dalna Jaiz he. ki vo jab tak Tar Rahete he Allah Ta'ala ki Tasbih karte he or isse mayyat ka dil bahalta he or rahmat Utarti He.

_Jaisa ki Saiyedi Aala Hazrat Alaihir Rahma Farmate he_

Qabr par Phool Dalna ki vo Jab tak tar he Tasbih karte he is se mayyat ka dil bahalta he or rahmat utarti he.

Fatawa Aalamgiri Me he,
ضع الورد والریاحین علی القبورحسن
Qabro Par gulab or phoolo ka rakhna Achcha he.
*📚(Fatawa Hindiya, J-5, S-351)*

Fatawa imam Qazi khan w imdadul fatah sharahul musannif lee maraqil Falah w Raddul Muhtar Alal Durre  Mukhtar me he,
انہ مادام رطبایسبح فیؤنس المیت وتنزل بذکرہ الرحمۃ
Phool jab tak tar rahe tasbih karta rahta he jis se mayyat ko uns(Fayda) Hasil hota he or uske zikr se rahmat nazil hoti je.
*📚(Raddul Mohtar, J-1, S-606)*

*📚(FATAWA RAZVIYA, J-9, S-135)*

Or Farmate He,
Qabri Par Gulab Wagairah Ke Phool Rakhna Achcha he.
*📚(Fatawa Hindiya, J-5, S-351)*
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-9, S-512)*

Or Hadees Shareef Me he,
 ابْنِ عَبَّاسٍ ـ رضى الله عنهما ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم أَنَّهُ مَرَّ بِقَبْرَيْنِ يُعَذَّبَانِ فَقَالَ ‏"‏ إِنَّهُمَا لَيُعَذَّبَانِ وَمَا يُعَذَّبَانِ فِي كَبِيرٍ أَمَّا أَحَدُهُمَا فَكَانَ لاَ يَسْتَتِرُ مِنَ الْبَوْلِ، وَأَمَّا الآخَرُ فَكَانَ يَمْشِي بِالنَّمِيمَةِ ‏"‏‏.‏ ثُمَّ أَخَذَ جَرِيدَةً رَطْبَةً فَشَقَّهَا بِنِصْفَيْنِ، ثُمَّ غَرَزَ فِي كُلِّ قَبْرٍ وَاحِدَةً‏.‏ فَقَالُوا يَا رَسُولَ اللَّهِ، لِمَ صَنَعْتَ هَذَا فَقَالَ ‏"‏ لَعَلَّهُ أَنْ يُخَفَّفَ عَنْهُمَا مَا لَمْ يَيْبَسَا .

Hazrat Abdullah ibn Abbas Radi Allaho Anho Se rivayat Hai Huzoor Sayadul Mursaleen صلى الله عليه و آله وسلم Ka Guzar 2 Kabro k paas Se Huwa To Aap صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya inko Kisi badi Galti ki Wajah Se Aazab Nahi Horaha hai, balki inme se ek peshab ki Cheent(boond) se nahi bachta Tha Aur Dusra Chugal Khori Kiya Karta Tha.
Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم ne jab un dono kabro me aazab dekha to Aapne Khazoor Ki Ek Sabz Shaak Lekar Uske 2 Tukde Farmaye Aur Dono Kabro par eke k Gaad Diya.
Sahaba E Kiram Rizwanallahu azmain ne jab Aap k is amal ko dekha to arz kiya YA RASOOL ALLAH صلى الله عليه و آله وسلم Aapne Aisa Kyu Kiya ?
Is Par Sarkar E Do Aalam صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya
 لَعَلَّهُ أَنْ يُخَفَّفَ عَنْهُمَا مَا لَمْ يَيْبَسَا
Jab Tak Ye Shake Khusk Na Hogi Un Par aazab me Takhfeef Rahegi.

*(📚SahihBukhari, J-2, S-255, Kitabuz Janaiz, Baab : Kabr Par Shakein Lagana, Hadees : 1361)*
*📚(Sahi Bukhari, Vol 01, Pg : 172, Kitab No 05 Kitabul Waju, Hadees : 216)*
*📚(sahi Bukhari, Vol : 08, Pg : 54, Kitabl Adab, Hadees : 6055)*
*📚(Sunan Nasai, Vol : 03, Pg :, Kitab No 21, Kitabuz Janaiz, Baab : Waz’al Jaridha Alal Kabre, Hadees : 2070/2071)*
*📚(Mishkat Al Masabih, vol :01, Baab : Adabil Khala,Pg : 43)*

Imam Ibn Hajar Asqalani Futoohul Baari Shara E Sahih Bukhari me farmate hai,
إن المعنى فيه أن يسبح ما دام رطباً فيحصل التخفيف ببركة التسبيح، وعلى هذا فيطرد في كل ما فيه رطوبة من الأشجار وغيرها. وكذلك فيما فيه بركة كالذكر وتلاوة القرآن من باب الأولى

Iska Maana Ye Hai k Jab Tak Shake’in Taaza Rahengi Ye Tasbeeh Karengi Aur USKI BARKAT se Azaab Me Takfeef Rahegi.
Is Se Ye Bhi Maloom Huwa k wo har chiz jo taaza rahe jisme Taazgi ho Ped Paudo Me Daala Jaaye To Azaab ki kami ka baaes hoga.
Isi Tarah ‘Har Wo Cheez Jis Se Barkat e Zikr Aur Quran Ka padhna is se Afzal Hai.”
References :
*📚(Imam Ibn Hajar Asqalani Fatuhool Baari Shara E Sahi Bukhari Vol : 01. Pg : 426)*

Fuqha E Kiram Rahematullah alaihi farmate he,
Chaub Aur Hari Ghaas Ka Makbare Se Kaatna Makrooh Hai Aur Agar Khushk Ho To Muzaika Nahi Wo Jab Tak Rehti Hai, Allah Ki tasbeeh Karti Hai, Aur Us Se Mayyat Ka Jee Bahelta Hai.

*📚(Imam Hasan Bin Mansoor Qazi Khan Al Mutwaffa 592 Hizri ne Fatawa Qazi Khan Vol : 01, Pg : 195, Baab : Ahkaamil Janaiz)*
*📚(Fatawa Hindiya Vol : 02, Pg : 471, Al Baabusani Ashar Firubabaat)*
*📚(Imam Shami Raddul Mohtar Vol : 01, Pg : 606, Baab : Salatul Janaiz, Matbua : Idaratutaba’til Misriya, Cairo Egypt)*
*📚(Fatawa E Razviya ’Mutarzim’ Vol : 09, Pg : 443 & 757)*

Pata chala Jab tak ye cheez taazi hoti hai to kabr pe rahat ka sabab banti hai dusra Jikre ilahi karti hai. Deegar Fatawa aur kutoobe Hadees Me Bhi ye maujood Hai.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖==========

Masbook Ne Imam ke Sath Qaida e Aakhira me Durood W Dua padhi kya Baad Me Sajda e Sahawa Karega ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Zaid maghrib ki dusri rakat m shamil hua lekin qaadae aakhira mai usne durood sharif aur dua padh li jab imam sb ne ek salam fera to use yaad aaya ki uski ek rakat baki hai zaid foran khada ho gaya aur apni baki rakat puri ki kya zaid ko sajdae sahav karna hoga

Zaid ka kahna hai ki jab tak zaid imam sb k piche tha yani imam sb k salam ferne tak to use sajdae sahav nahi karna hoga kyoki imam sb k piche galati ho to muqtadi ko sajdae sahav nahi karna hota
lekin jab imam sb salam fer le aur zaid apni baki rakat puri kare usme agar zaid se koi galati ho to zaid sajdae sahav karega kya zaid ka ye qaul sahi h

Lekin baaqar ka kahna hai ki zaid masbook muqtadi hai agar imam k piche usse koi galati hoti hai ya vo durood sharif padta hai jabki uski rakat baki ho to jab vo apni baki rakat puri kare to use sajdae sahav karna hoga

Hazrat rehnumayi farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
Soorate Mas'oola me Zaid Ka Qaul Sahih he.

Ki imam ke Pichche Halate iqteda me agar Muqtadi se sahaw ho to muqtadi par sajda e sahaw wajib nahi.

_Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Agar Muqtadi se ba-halate iqteda sahaw Waqe'e hua to Muqtadi par sajda e sahaw wajib nahi or aysi namaz ka lautana bhi zaroori nahi.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4, SAJDA E SAHAW KA BAYAN)*

Or Agar Masbook Muqtadi ko imam me salam ferne ke baad jo apni faut shuda raka'at padh raha tha usme sahaw(galti) hua to sajda e sahaw wajib he.

Masbook Muktadi imam ke salam ferne ke baad apni faut shuda raka'ate padhega, tab kayam me kir'at karega or agar un raka'ato ko padhne ke darmiyan sahw(galti) ho to Sajda e Sahw bhi karega.
*📚(Raddul Mohtar, Bahare Shariyat H-3, S-136)*
*📚(MOMIN KI NAMAZ, S-349, hindi)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬 Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖=========

Namaza Me Do Sajdo Ke Darmiyan Khamosh Raha Jaye Ya Dua Padhi Jaye ?

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم
Hazrat Kyaa Hanafi Fiqh Men
Namaaz Men Donon Sajdon Ke Darmiyaan Jo Qhaamosh Rehne Kaa Hukm Hai Woh Hadees Ke Qhilaaf Hai?

Hazrat Hadees Men Aataa Hai Ke Donon Sajdon Ke Darmiyaan Du'aa Padhi Jaae.

*🌹JAWAB:-🌹*
 و علیکم السلام و رحمت اللہ

_Huzur Aala Hazrat Mujaddide Dino Millat Ashshah imam Ahemad Raza Khan Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Qauma W Jalsa ke Azkare Taweel nawafil par mahmool he lihaza hamare A'imma faraiz me unhe masnoon nahi jante or shak nahi ki faraiz me taweel fahash khilafe sunnat he or imam ke liye to qat'an mamnoo'a jab ki muqtadio me kisi par bhi girañ ho, Hañ munfarid ba'az kalimate masoorah badhaye to harj bhi nahi, yunhi imam bhi jabki muqtadi mahsoor or sab raazi ho, raha Muqtadi vo aap hi itba'e imam karega, agar imam kahe, kahe warna nahi.

وفی الدرالمختار یجلس بین السجدتین مطمئنا ولیس بینھما ذکر مسنون و کذالیس بعد رفعہ من الرکوع دعاء وکذا لایاتی فی رکوعہ وسجود بغیر التسبیح علی المذھب وماورد محمول علی النفل

Durre Mukhtar me he Namazi Do Sajdo ke Darmiyan jalsa me itminan se bethe, do sajdo ke darmiyan koi zikr sunnat nahi. Usi Tarah Ruku'a se khade hone ke ba'ad qauma me koi duaa masnoon nahi. Usi Tarah Ruku'a w sujood me tasbih ke alawa koi dua na kare, sahih mazhab yahi he or jo riwayat me aaya he vo Nawafil par mahmool he.
*📚(Durre Mukhtar, J-1, S-76)*

Muharrar mazhab Saiyedna imam Muhammad Rahematullahi Ta'ala Alaihi Jame'a Sageer me Farmate he:
:قال ابویوسف سالت ابا حنیفۃ عن الرجل یرفع راسہ من الرکوع فی الفریضۃ ویقول اللھم اغفرلی قال یقول ربنا لک الحمد و یسکت (کذلک) بین السجدتین یسکت
Imam Abu Yusuf bayan karte he ki mene imam abu hanifa se us shakhs ke bare me puchha jo faraiz me Ruku'a ke ba'ad sar uthane ke ba'ad ye kahta he AllahummagFirli. Aap ne farmaya vo sirf 'rabbna lakal Hamd' Kahe fir khamosh ho jaye or usi tarah dono sajdo ke darmiyan jalsa me bhi khamosh rahe.
*📚(Jame'a Us Sageer, S-11, 12)*

حلیہ میں زیر قول متن ولا یزید علی ھذا (اس پر اضافہ نہ کرے ۔ت) فرمایا۔ان ارادالزیادۃ ماورد فی السنۃ فینبغی ان یکون ھذا فی حق الا مامۃ اذاخاف التثقیل علی القوم وفی حق المقتدی اذالم یفعل الامام ذلک اماالمنفرد او الامام اذاکان لایثقل علی القوم اتیانہ بذلک اوالمقتدی اذاکان امامہ قد اتی بہ فلیسوا بممنوعین من زیادتھم بہ علی ذلک ولا سیماالمنفرد فی النوافل ومن ادعی ذلک فعلیہ البیان ۱؎۔

Agar Zyadati se murad azkar he jo sunnat me warid he to ye haq imamat ke bare me hoga jabki muqtadi bojh mahsoos kare or Muqtadi ke haq me us waqt he jab imam ye na padh raha ho, raha mu'amla munfarid ya vo imam jis ke muqtadi uske padhne ko bojh mahsoos na kare ya vo Muqtadi jiska imam padh raha ho to aysi soorat me unke liye un azkar ka izafa mamnoo'a nahi, khusoosan vo munfarid jo nawafil padh raha ho or jo uska muddai ho vo us par daleel laye.
*📚(Hilyatul Muhalla Sharah Munyatul Musalla)*

Usi me do Warq baad he,

:صرح مشائخنا یحمل مافی حدیث علی رضی اﷲ تعالی عنہ علی النوافل علی انہ ثبت فی المکتوبۃ فلیکن فی حالۃ الانفراد وفی حالۃ کونہ اماما والمامومون محصورون لا یثقلون بذلک کما نصت علیہ الشافعیۃ ولا ضیر فی التزامہ
Hamare Mashaikh ne is baat ko tasreeh ki he ke hazrat Saiyedna Ali RadiAllahu Ta'ala Anhu se marwi hadees ko nawafil par mahmool kiya jayega alawa azeeñ faraiz me bhi ye sabit he to us waqt jab namazi tanha faraiz ada kar raha ho ya imamat ki halat me us waqt jab muqtadi mahsoor ho jo bojh mahsoos na kare jaisa ki Shavafe'a ne tasreef ki he or us ke intezam me koi Nuqsan nahi.
*📚(Hilyatul Muhalla Sharah Munyatul Musalla)*

*📚(FATAWA RAZVIYA, J-6, S-169)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖==========

Marhum Ki Jaidad Me Baap Biwi Or Bachcho Ko Kitna Hissa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Muftiyaane Ikraam U'lmaae Ikraam Aur Group Me Mimbaraan Assalaamu A'laikum

Meraa Sawaal Hai Ke
Agar Koi Shaqhs Mar Jaae Aur Us Kaa Baap Zindah Hai
To Marhoom Ki Jaaedaad Men Uske Beewi Bacche Kaa Hissaa Hogaa Yaa Naheen?

*🌹JAWAB:-🌹*
و علیکم و رحمۃ اللہ و برکاتہ
bar sidqe mustafti hasbe sharait e faraiz puri jaidad manqula va gair manqula is tarah taqsim hogi.
Baap ka 6ta hissa ,
Bibi ka 8 va hissa,
Agar sirf ek beti ho to puri jaidad ka aadha hissa.
Aur agar bahut sari betiya hi ho ladka na ho to jaidad ka tihai hissa.
Aur agar ladka ya ladke ho to phir batore asubat puri jaidad ashabe faraiz ko Dene ke bad jo bache uska ek hissa ladki ka aur usse dabal ladke ka.. is par qurani aayat mulahaza kare. Allah tala ka irshad hai
 لِلذَّكَرِ  مِثْلُ  حَظِّ  الْاُنْثَیَیْنِۚ-فَاِنْ  كُنَّ  نِسَآءً  فَوْقَ  اثْنَتَیْنِ  فَلَهُنَّ  ثُلُثَا  مَا  تَرَكَۚ-وَ  اِنْ  كَانَتْ  وَاحِدَةً  فَلَهَا  النِّصْفُؕ-وَ  لِاَبَوَیْهِ  لِكُلِّ  وَاحِدٍ  مِّنْهُمَا  السُّدُسُ   مِمَّا  تَرَكَ  اِنْ  كَانَ  لَهٗ  وَلَدٌۚ.....فَاِنْ  كَانَ  لَكُمْ  وَلَدٌ  فَلَهُنَّ  الثُّمُنُ  مِمَّا  تَرَكْتُمْ  مِّنْۢ  بَعْدِ  وَصِیَّةٍ  تُوْصُوْنَ  بِهَاۤ  اَوْ  دَیْنٍؕ-
Surae nisa ,aayat no.11,12
واللہ تعالی اعلم بالصواب۔
*✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi*
*_📬Darul Uloom Qadriyah Razviyah Petlad_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim: Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
📲
============➖➖➖➖=======

Sadqa E Fitra Ke Ahkam o Masail Tafsili

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum W Rahematullah,
Sadqa E fitr ke Ahekam, Sadqa e fitr kon de sakta he kise de sakte he, or Sadqa e Fitr kitna he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Wa Alaikum Assalam W Rahematullahi w Barkatuhu,

Sadqa ye tamam Musibat Aafat Ko Door Karne ka zariya he. Allah ke Rasool ﷺ ne sadqa e Fitr ada karne ki taqeed farmai, Or ek shakhs ko bheja ki Makka Ki Gali kucho me Aelan karde ki Sadqa E Fitr Wajib he. Sadqa e fitr ka Ek fayda Allah ke Rasool ﷺ ne ye irshad farmaya ki bande ka roza Aasmano Zamin Ke darmiyan  muallak raheta he ya Latakta Rahta he. Or jab vo Sadqa e Fitr ada kar deta he to Aasmano ke uper Pahuch jata he.

*➡Sadqa E Fitr Kis Par Wajib He*

Sadqa E Fitr Aadmi Par Wajib He Maal par Wajib Nahi.
Lihaza Agar Koi Shakhs Mar gaya to uske maal se ada nahi kiya Jayega, lekin agar wariseen ada kare to ye ada ho sakta he ye Jaiz he.
Sadqa e Fitr har Musalman aazad malike nisab par Jiski Nisab Hajate Asliya Se farig ho, wajib he. Iska waqt eid ke din Subah Sadiq Shuru hote hi Sadqa e Fitr wajib ho jata he. Sadqa e Fitr wajib hone ke liye Roza rakhna shart nahi, agar kisi uzr, safar, marz, burhHape ki wajah se, ya Ma'azAllah Bagair kisi Uzr ke roza na rakha jab bhi sadqa e Fitr wajib he.
Har shakhs par sadqa e fitr wajib he. Lihaza baap ki nabalig aulad ki jo malike nisab nahi unka sadqa e Fitr baap par wajib he. Or agar baap na ho to baap ki jagah par dada he, dada par uska sadqa dena wajib he. Maa par apne chhote bachho ki taraf se Sadqa dena wajib nahi.

*➡Sadqa E Fitr Kon Ada Kare*

Usi tarah kisi shakhs par apni aurat apni biwi or balig aakil aulad ka fitra uske zimma nahi he, agarche vo mohtaj ho, Apahij ho. Aurat ya ballig Aulad ka fitra bagair unki ijazat ke ada kar diya to ada ho jayega. Balig Aulad ka fita bagair unke izn, bagair unki ijazat  ada karne me shart ye he ki vo  aulad uske ayal me ho, uski parwarish me ho. Usi tariqe se kisi shakhs par uske maa baap, dada dadi, nabalig bhai, or digar rishtedaro ka fitra wajib nahi. Bagair hukm ke ada bhi nahi kar sakta.

*➡Sadqa e fitra kitna he or kin cheezo ko sadqe me diya jaye.*

Ahadise Nabviya me jo 4 cheeze mash'hoor w ma'aroof he un cheezo ko sadqe me diya jaye.
1. gehuñ ya uska aanta nisf Saa'a yaani 2 kilo 45 gram.
2. Khujoor
3. Kismish
4. Jaw
Aakhir ki 3 cheeze uska wazan 1 Saa'a yani 4 kilo 90 gram ya uske karib me he. Utna ada kiya jaye.

Ye bhi ho sakta he ki gehuñ ki jo kimat he vo bhi ada kare ya khujoor, munakke (kishmish) ya jaw ki jo wazan ke barabar jo kimat he vo ada kare.

Aulma e kiram farmate he Ki Gehuñ ya Jaw ke dene se unka aanta dena afzal he. Or aanta dene se bhi afzal ye he ki unke badle kimat dede, taaki fil faur garib, fuqra usko istemal karle. Aaj Kal 2 kilo 45 gram gehuñ ki kimat, jo aam taur par ham gharo me khate he, ya aanta uski kimat 50 rupye se 60 Rupye tak he. Or dusri cheeze khujoor, kishmish, jaw wagairah ki kimat aap Apne karibi dukano bazaro se ma'aloom kar sakte he. Wazan bata diya gaya he us wazan ka hisab nikal kar ke aap uski kimat ma'aloom kar sakte he.

Fitra ko aap Eid ki namaz se pahle bhi de sakte he or dene me ye he ki garib faqir ko de. Faqeer ko malik bana de, ya to pure ek fitre ka malik ek garib faqeer ko bana de ya fir ek fitre ke chand hisse kar ke alag alag faqeero ko malik bana de ye bhi jaiz he.
Sadqa e Fitr unko de sakte he jinko zakat de sakte he, jin ko zakat nahi de sakte unko sadqa e fitr bhi nahi de sakte.
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab

*🎙 Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi*
*_📬 Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan, Petlad_*
📲8
===========➖➖➖➖==========

Marhum Ki Kaza Namaz W Roze Ka Fidya kese Ada Kare ? Or Fidye Ka Calculation Kese Kare ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalmoalyekum marhoom ka jindgi ka fidiya dene ki kya sharait hi maslan koi kisi ki walida ya walid jinhoney hayatey zindgi me roje na rakh paye hon aur aulad unka fidiya dena chahey to calculation kaisey kiya jaye...Rehnumai farmayen..?!

 Jawab inayat farmaye.

*🌹JAWAB:-🌹*

Sab se pahle to aap 12 baras adni muddat bulug ki nikal lijye, or Unki umr jitni ho uska andaza lagaiye. Maan Lijye unki umr 70 saal ki thi or vo faut ho gaye, Ab 12 saal Adni bulug ke nikal lijye, jisse 58 hoge, Yani 58 saal ke roze ya namaz un par farz thi,  ab andaza lagaiye ki aap ke walida ya walid ki kitni namaze qaza hui ya kitne roze kaza huye. Ya unhone kitne roze rakhe ya namaze padhi, jab Aap Andaza laga le to ek roze ka fidya vahi hoga jo sadqa e fitra ka he. Yaani 2 kilo 47 gram aante ki kimat. Or isi tarah se ek namaz ka fidya hoga 2 kilo 47 gram, yaani 1 din me 6 namaze hogi, yaani 5 to farz namaze or ek witar. Yaani 6 namazo ka fidya 1 din me dena hoga. 1 fidya sawa do sher aante ki kimat hogi or ek din me Namaz ke 6 fidye hoge. Ab unki namaz ka hisab lagaiye or is tarah se fidya ada kar sakte he.

2 kilo 47 gram Aante Ki Kimat Gujrat me Takriban 50 Rupye ke karib hoti he. Is hisab se Calculation karke qimat ada kar sakte he.

_Aala Hazrat Alaihir Rahemato Ridwan Taherir Farmate he_

Agar Mayyat par namaz Roza Qaza he or usne itna maal na chhora jis ke salas se ba-halat wasiyat uska fidya ada ho sake ya wasiyat na ki or sab warsa ada e fidya par raazi nahi to pahli soorat me uska tihai maal ka hisab lagaye ki usse kis qadar ka fidya ada ho sakta he maslan farz karo ke charum ki qadr he to salas maal faqeer ko ba niyyat fidya de faqeer us se le kar fir waris ko hiba karde ye fir ba niyat fidya de faqeer fir le kar hiba karde or har baar faqeer w waris qabza karte jaye yahañ tak ki fidya ada ho jaye ya maal bilkul nahi he to waris maslan derh ser gehuñ ya us ki kimat kisi se qarz le kar uska ulat fer karle agar che hazar baar ya zaaid me fidya ki had tak Pahuche.

Durre Mukhtar me he,
Agar koi shakhs faut ho jata he or us par namaze he or apne kaffara ki wasiyat kar jata he to har namaz ke aoz fitra ki tarah gandum ka nisf Saa'a diya jayega witr or tarawih ka bhi yahi hukm he or ye us ke tihai maal se diya jayega or agar mayyat ne maal hi nahi chhora to waris nisf Saa'a qarz le kar kisi faqeer ko de or fir faqeer nisf waris ko de, isi tarah dete rahe yahañ tak ki tamam namazo ka aoz ho jaye
*📚(Durre Mukhtar, J-1, S-101)*

Iske Siwa Jo awam me raaij he ki sare fidya ke aoz ek Qura'an de diya ki vo to be baha he yuñ Ada nahi hota. Qura'an majeed beshak be baha he magar jo be baha yaani kalame ilahi ke warqo me likha ho vo maal nahi, na vo dene ki cheez he to jo maal he yaani kagaz or pathe isi tarah qimat mu'atebar hogi or jab miqdare fidya ko na pahunche gi fidya kyunke ada hoga ye Nihayat hi wazeh he.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-8, S-166)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Khan, Petlad*
📲84

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖========

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts