Loading Date...
﷽
Header image

Hijri Date Adjustment

Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?

 *Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* السلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالیٰ و برکاتہ  Mufti Sahab Qibla Ki Baargaah Me Suwaal Arz He Kalam E Aala Hazrat رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ Par Tazmin Likhna or Parhna Kaisa? *🌹JAWAB:-🌹* وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Kalame Raza Par Tazmeen Likhna Ye Agar Barkat Ke Liye He Ki Sarkare Aala Hazrat Ke Kalaam Ke Sath Hamare Bhi Kuchh Kalaam Mil Jaye to Hamara Bhi Kalam Mutabarrak Ho Jaye, Is Tarah Se Ho Isme Koi Be Adbi Na Ho, to Fir Haraj Nahiñ Hona Chahiye.. Lekin Agar Is Taur Par He Ki Aala Hazrat Jaisa Kalaam Ham Bhi Likh Sakte Hai, Kuchh Baraabari Ka Indiyah Dene Maqsood Ho to Ye Ek Galat Massage Jayega Is Liye Is Tarah Se Tazmeen Likhne Se Bachna Chahiye. واللہ تعالیٰ اعلم بالصواب  *🎙️Al-Jawab: Nabeera E Sadrushshariyah, Hazrat Allama Mufti Faizanul Mustafa Qadri Amjadi Sahab Qibla* *📬Baani Jamiaah Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow* *🗓️6 June 2026, 19 Zulhijja 1446* *🌹SAWAL-O...

Search This Blog

Latest Masail
Loading Latest Posts...

Maslake Aalahazrat Zindabad

3 Talaq Ke Baad Wapas Nikah Karne Ke Liye Kya Kare

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuh


Teen Talaq Hochuke Ho To Un Shohar Biwi Ko Wapas Nikah Karna Ho To Unhe Tasjdeed E Nikah Karna Hoga Ya Halala Karna Hoga??


Halala Hoga To Uska Taqeeqa Kya Hay


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Shohar Ne Biwi Ko Teen Talaqeñ Dedi To Bagair Halala Ke Chara Hi Nahi, Khwañ Yakbaargi Teen Talaqeñ Deñ Ya Juda Juda Karke Har Soorat Me Bagair Halala Ke Nikah Me Aane Ki Koi Soorat Nahi..


Allah Ta'ala Farmata He,

فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا تَحِلُّ لَهُۥ مِنۢ بَعْدُ حَتَّىٰ تَنكِحَ زَوْجًا غَيْرَهُۥ

Tarjama: Phir Agar Teesri Talaq Use Di To Ab Vo Aurat Use Halal Na Hogi Jab Tak Dusre Khawind Ke Paas Na Rahe.

*📚(Surah Baqrah, Aayat-230)*


Or Yahi Baat Bukhari W Muslim Or Digar Kutube Ahadis Me Nabi E Kareem ﷺ Ne Ek Sahabi Hazrat Rafa'aa Radiallahu Anhu Ki Biwi Se Farmai..


Halala Ki Soorat Ye He Ki Agar Aurat Madkhulah He To Talaq Ki Iddat Puri Hone Ke Baad Aurat Kisi Or Se Nikahe Sahih Kare Or Ye Shohare Saani Us Aurat Se Watee Bhi Karle Ab Us Shohare Saani Ke Talaq Ya Maut Ke Baad Iddat Puri Hone Par Shohare Awwal Se Nikah Ho Sakta He Or Agar Aurat Madkhulah Nahi He To Pahle Shohar Ke Talaq Dene Ke Baad Fauran Dusre Se Nikah Kar Sakti He Ki Iske Liye Iddat Nahi.

*📚(Bahare Shariyat, Fatawa Faqihe Millat, W Digar Kutube Fiqh)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*

*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🗓️4 Feb 2021, 21 Jamadi Ul Aakhir 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Qasam Khana Kesa Maa Baap Ki Qasam Khana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Kasam Khana Kaisa Hai??

Jaise Allah Ki Kasam Main Sach Bol Raha Hu,

Ya Fir Maa Kasam Wagairah

Rehnumai Farmaea


*🌹JAWAB:-🌹*

Qasam Khana Jaaiz He Magar Jahañ Tak Ho Kami Bahtar He Or Baat Baat Par Qasam Khani Na Chahiye Or Ba'az Logoñ Ne Qasam Ko Takiya Kalam Bana Rakha He Ki Qasdo Be Qasd Zaban Se Jaari Hoti He Or Iska Bhi Khayal Nahi Rakhte Ki Baat Sachi He Ya Jhuthi Ye Sakht Mo'ayub He Or Gair Khuda Ki Qasam Makrooh He Or Ye Shar'an Qasam Bhi Nahi. Yaani Uske Todne Se Kaffara Lazim Nahi..


Gair Khuda Ki Qasam Qasam Nahi Maslan Tumhari Qasam, Apni Qasam, Tumhari Jaan Ki Qasam, Apni Jaan Ki Qasam, Tumhare Sarki Qasam, Apne Sarki Qasam, Aankho Ki Qasam, Jawani Ki Qasam, Maañ Baap Ki Qasam, Awlad Ki Qasam, Mazhab Ki Qasam, Deen Ki Qasam, Ilm Ki Qasam, Ka'aba Ki Qasam, Arshe Ilahi Ki Qasam, RasoolAllah Ki Qasam.

*📚(Bahare Shariyat, Hissa-9)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*

*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🗓️4 Feb 2021, 21 Jamadi Ul Aakhir 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aqeeqa Me Baal Katna Zaroori He Kya ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Aqeeqa Karne Ke Liye Baal Katwane Zaruri Hen Kya Aur Ager Aur Ager Han To Kitne Baal Kyunke Bachi Badi H To Thode Baal Katwa Sakte H  ?

Dua W Qunoot Yaad Na Karna Or Dusri Dua Padhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum...Hazrat 

 Agar Kisi Shakhs Ko Duaye Qunoot Yaad Karne Ki Salahiyat Ho Fir Bhi Wo Jaan Boojh Kar Agar Wo Yaad Nahi Karke Sirf Rabbana Aatena Padhta Hai To Kiya Aisa Karna Durust Hai Bahawala Jawab Inayat Farmaye?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Yaad Karne Par Qudrat He To Yaad Karni Chahiye Ke Khaas Duaa E Qunoot Ka Padhna Sunnat He, Or Mutlaqan Duaa Padhna Wajib He.


Jesa Ke Sarkaar Aala Hazrat Fatawa Rizwiya Shareef Me Ek Sawal Ke Jawab Me Irshad Farmate He,


Namaz Sahih Ho Jane Me To Kalam Nahi, Na Ye Sajda E Sahw Ka Muhal Ki Sahwan Koi Wajib Tark Na Huva, Duaa E Qunoot Agar Yaad Nahi Yaad Karna Chahiye Ki Khas Uska Padhna Sunnat He, Or Jab Tak Yaad Na Ho 

اَللّٰہُمَّ رَبَّنَاۤ اٰتِنَا فِی الدُّنْیَا حَسَنَةً وَّ فِی الْاٰخِرَةِ حَسَنَةً وَّ قِنَا عَذَابَ النَّار

Padh Liya Kare. Ye Bhi Yaad Na Ho To اَللّٰھُمَّ اغفِرلِی Teen Baar Kah Liya Kare, Ye Bhi Na Aata Ho To Sirf یا رب Teen Baar Kah Le Wajib Ada Ho Jayega.

*📚(Fatawa Razviya Shareef, Jild-7)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️7 Feb 2021, 24 Jamadi Ul Aakhir 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aysa Photo Edit Karna Jis Me Insan Ki Shakl Me Kutta Billi Ki Aankh Kaan Wagairah Ho

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum, Is Tarah Ki Photo Edit Karke Photo Banana Kesa Jisme Aadmi Ke Chahere Par Janwar Ke Kaan Sing Zaban Wagairah Aate Ho ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Tasweer Khinchna Ya Banana Dono Na Jaaiz O Haraam He,

Or Jo Aap Ne Bheja He Us Me To App Ke Zariye Insan Ki Sahih Shakl O Surat Ko Bigad Kar Kutte, Billi Ya Dusre Janwaro Ki Shakl Me Tabdil Kar Dete He Yani Chehre Ka Kuchh Hissa Insani Rehta He Or Naak ,munh Wagairah Janwaro Ki Shakl Ke Mushaba Hota He, Is Tarah Shakl O Surat Bigadna Bhi Sakht Na Jaaiz O Haraam He..


Allah Ta'ala Quran Paak Me Irshad Farmata He,

لَقَدۡ خَلَقۡنَا الۡاِنۡسَانَ فِیۡۤ  اَحۡسَنِ تَقۡوِیۡمٍ

Beshak Hamne Aadmi Ko Achchhi Soorat Par Banaya.

*📚(Surah Teen, Surah Number-95, Aayat-4)*

 

Fir Achhi Shakl O Soorat Ko Chhod Kar Janwaro Ki Shakl Banana Nihayat Qabih Or Allah Ki Pasandida Cheez Ko Apni Taraf Se Tabdil Karna He Jo Sakht Na Jaaaiz O Haraam He.

Wallahu Ta'ala Aa'alam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️7 Feb 2021, 24 Jamadi Ul Aakhir 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Fees De Kar Cricket Tournament Khelna Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*

 Kya Cricket Ke Tournament Me Entry Fee Dekar Khelna Kaisa Hai ? Jawaab Ba Hawala Dijiye Hazrat


*🌹JAWAB:-🌹*

Cricket Khelna Najaaizo Haram He, 

Huzur Bahrul Uloom Abdul Mannan Aazmi Alaihir Rahma Farmate Hai,

Khel Ki Garz Se Jo Af'aal Kiye Jayeñ Shariyat Me Haram W Najaaiz Hai Hadees Shareef Me He 

کل لھو المسلم حرام الا من ثلث

Bilkhusoos Aaj Kal Ka Cricket Ka Khel Jo Beshumar Buraiyoñ Ka Zariya He

*📚(Fatawa Bahrul Uloom, J-5, S-579)*

Or Rupya Paisa Lagana Juda Fe'ale Haram Ki Ye Juva He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Zaiyai Amjadi Sahab Qibla*

*📬Darul Uloom Mustafiya Haldarwa Gujarat*

*🗓️1 Feb 2021, 18 Jamadi Ul Aakhir 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Allah Ko God Kahna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Allah Ta'ala Ko God Likhna Ya Kahna Kesa ?


*🌹JAWAB:-🌹*

God Likhne Ya Kahne Se Bachna Chahiye..


Huzur Shareh Bukhari Mufti Shariful Haqq Amjadi Alaihir Rahma Isi Tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai,


God Angrezi Lafz He Uske Ma'ana Muhafiz Ke Hai, Unke Urf Me Khuda Ko Bhi God Kahte Hai Is Lihaz Se Allah Azwajal Ko Ishwar Or God Kahne Me Koi Harj Nahi Lekin Yahañ Ek Khas Baat Ye He Ki Ishwar Wagairah Khuda Ko Kahna Hinduoñ Ka Urf He Or God Kahna Angrezo Ka Agar Koi Ajnabi Aadmi Kisi Ke Samne Ye Kahe Ishwar Chahe To Ye Hoga To Sunne Wala Use Hindu Samjhega Isi Tarah Agar Koi Kahe Ki God Chahe To Ye Hoga To Use Isaai Samjhega Is Se Ma'aloom Huva Ki Ma'aboode Barhaq Ko Ishwar Wagairah Kahna Hinduoñ Ka Shuaar He Or God Kahna Nasara Ka Is Liye Musalman Ishwar God Wagairah Kahne Se Ehteraz Kareñ.

*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-1, S-173)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Zaiyai Amjadi Sahab Qibla*

*📬Darul Uloom Mustafiya Haldarwa Gujarat*

*🗓️1 Feb 2021, 18 Jamadi Ul Aakhir 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+9

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Shabe Zufaf Ki Dua Konsi He

 *🌹SAWAL:-🌹*

Shab E Zufaf Me Jo Aurat Ke Sir Ke Samne Ke Baal Pakad Ke Dua Padhi Jaati Hai Wo Hind Me Kisi Ke Pas Ho To Send Kare


*🌹JAWAB:-🌹*

Namaz Or Duaa Padh Lene Ke Baad Dulhan Dulha Sukoon W Itminan Se Beth Jaye, Fir Uske Baad Dulha Apni Dulhan Ki Peshani Ke Thode Se Baal Apne Sidhe Hath Me Narmi Ke Sath Muhabbat Bhare Andaz Me Pakde Or Ye Dua Padhe,

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ خَيْرَهَا وَخَيْرَ مَا جَبَلْتَهَا عَلَيْهِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّهَا وَ شَرِّ مَا جَبَلْتَهَا عَلَيْهِ

(अल्लाहुममा इन्नी असअलु का मिन खयरहा व खैयर मा जबल्तहा अलयही व अऊजुबिका मिन शररिहा व शर्री मा जबल्तहा अलयही) 


Tarjma: Ay Allah ! Me Tujh Se Is (biwi) Ki Bhalai Or Khair W Barkat Mangta Hu Or Iski Fitri Aadatoñ Ki Bhalai Or Teri Panah Chahta Huñ Iski Burai Or Fitri Aadatoñ Se.

*📚(Qareena E Zindagi Hindi, Safha-93)*

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*

*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🗓️29 Jan 2021, 14 Rabi Ul Aakhir 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+91

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ulte Hath Se Khana Ya Kaam Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Salaam Hazrat 


Ulte Haath Se Khana Khana Ya Koi Bhi Kaam Ko Ulte Hath Se Krna Kesa Hai ? 

Rehnumai Farmaye


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Baayeñ(Left) Hath Se Khana Pina Or Digar Kaam Jo Dahine (Right) Hath Se Karne Chahiye Unko Baayeñ (Left) Hath Se Karna Ye Khilafe Sunnat Or Shaitani Tareeqa He.


Jaisa Ki Ahadise Kareema Me Aaya,

Sahih Muslim Me Ibne Umar Radiallahu Anhuma Se Marwi Ki RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: Jab Khana Khao To Dahine Hath Se Khaye Or Pani Piye To Dahne Hath Se Piye.

*📚(Sahih Muslim, Baab Aadabe Ta'aam W Sharb, Hadees-105, Safha-1117)*


Sahih Muslim Me Unhiñ Se Marwi He Ki Huzur  ﷺ Ne Farmaya: Koi Shakhs Na Baayeñ Hath Se Khana Khaye, Na Paani Piye Ki Baayeñ Hath Se Khana Pina Shaitan Ka Tareeqa He.

*📚(Marjaus Sabiq, Hadees-106, 1117)*


Ibne Maja Ne Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Riwayat Ki Ke Nabi E Kareem  ﷺ Ne Farmaya Ki, Dahine Hath Se Khaye Or Dahine Hath Se Piye Or Dahine Hath Se Le Or Dahine Hath Se De, Kyuñ Ki Shaitan Baayeñ Se Khata He, Baayeñ Se Pita He Or Baayeñ Se Leta Or Baayeñ Se Deta He..

*📚(Sunan Ibne Maja, Hadees-3266, J-4, S-12)*

*📚(Bahare Shariyat, Hissa-16, Khane Ka Bayan)*


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*

*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🗓️26 Jan 2021, 12 Rabi Ul Aakhir 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+9

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Most Popular Posts

KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???

```KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ?👇🏻``` *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ??? *🌹JAWAB:-🌹* Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin aap ke wisal ki tarikh 15 rajab he is lihaz Se15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab hi he to Afzal he. Or Jo Kunde Ki Niyaz Dilai Jaati He Vo 22 Rajab Ko Mash'hoor He, Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Ameerul Mu'amineen Hazrat Ameere Muawya RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal He, Is Liye 22 Rajab Ko In Dono Hazraat Ke Naam Se Fatiha Kare Tab Bhi Afzal He. Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He, Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko... *📚(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265)* *📚(MIRATUL ASRAR SAFA-213)* *📚(SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125)* Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sa...

Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹* Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ? *🌹JAWAB:-🌹* ```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye.. ✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho. Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare.. Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu. ✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```  Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua (...

ISLAM ME GANA (MUSIC/SONG) SUNNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹* Assalam O Alaikum.... Hazrat Jo Gana (Song/Music)Sunte hai unke uper Qur_Aan O Hadees ki Roushni me kya Hukm hai Tafsil me Jawab mile to Jayada Behtar hoga .... Hazrat Rahnumai Farmaye... Jazakallaho Khair. *🌹JAWAB:-🌹* Islam me Music sunna najaizo haram w sakht azab he. Quran-e-Paak main ALLAH عزوجل fermata hai: "Aur kuch loog khel ki baate khareedte hain k ALLAH ki rah se behka dein be sumjhe aur esse hassi bana lein, un k liye zillat ka azaab hai". *📚(Sura Luqman, Ayat:6)* Tafseer:Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas رضی الله تعالی عنہ ney es ayat ki tafseer yeh fermai k es sey muraad aalat-e-moseeqi hain. Aik aur jaga irshad hua:"Aur behka dey in main sey jis per qudrat paey apni awaz sey". *📚(Sura Bani Israeil, Ayat:64)* Hazrat Syedna Mujahid رضی الله تعالی عنہ ney eski tafseer gaaney baajon k sath ki. Ahadees: -AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany waly k illawa h...