Huzur ﷺ Ka Hazrate Aaisha Se Nikah Ki Hikmat Or Gair Muslimo Ko Jawab

*🌹SAWAL:-🌹*
Huzur ﷺ Ka Hazrat Aaisha Ka Nikah Ki Hikmat Kya He Is Par Gair Muslim Aitraaz Karte He Iska Kya Jawab He

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Allah Ke Hukm Par Aap ﷺ Ne Ummul Mu'amineen Hazrate Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha Se Nikah Farmaya Jab Ke Unki Umr 6 Saal Thi, Magar Usi Waqt Rukhsati Nahi Ki Gai, Jab Hazrate Aaisha RadiAllahu Anha Ki Umr 9 Saal Ki Hui Tab Aap Ki Rukhsati Hui.

Aap  ﷺ Ki Hazrate Aaisha Se Nikah Ki Kai Saari Hikmate Thi.

Ab Sawal He Ki, Jis Waqt Aapki Rukhsati Hui Us Waqt Kya Hazrate Aaisha Nabalig Bachchi Thi ??

Nahi, Balki Mulke Arab Ke Mausam Or Wahañ Ki Tarteeb Ke Hisab Se Vo Umr Bachcho Ki Rukhsati Ke Liye Qabile Qubool Umr Thi.

Tarikh Or Jadeed Science Is Baat Ko Wazeh Karte He Ki, Buloogat Ki Umr Mukhtalif Zamane Or Mukhtalif Ilaqo Ke Hisab Se Mukhtalif Hoti Rahi He.

Maujuda Science Ki Tahqiqat Is Baat Ko Sabit Karte Hai Ki Ladkiya Mukammal Buloogat Ki Umr Ko 9 Se 15 Saal Ki Umr Ke Darmiyan Kisi Bhi Waqt Pahunch Sakti He.

Http://www.livescience.com/1824-truth-early-puberty.html

The Average Temperature Of The Country Is Considered The Chief Factor With Regard To Menstruation And Sexual Puberty"*
*📚(Women : An Historical, Gynecological And Anthropological Compendium, Volume I, Lord And Brandsby , 1998, P. 563)*

In  Dalail Ki Roshni Me Agar Is Waqeaa  Ko Dekhe To Ye Ashkaal Ke Hazrate Aaisha Rukhsati Ke Waqt Na Balig Bachchi Thi, Bilkul Khatm Ho Jata He. Or In Saare Waqeaat Or Tarikhi Pas Manzar Ko Samne Rakh Kar Dekha Jaye To Kisi Ko Bhi Is Nikah Par Aitraz Karne Ka Koi Bhi Mauqa'a Baqi Nahi Rahta.

*⏩Hazrate Aaisha Se Nikah Ki Hikmat*

Hazrate Aaisha Se Nikah Huzur ﷺ Ne Allah Ta'ala Ke Hukm Ki Ta'ameel Par Kya Tha.
*📚(Sahihul Bukhari, J-5, Hadees-235)*

Huzur ﷺ Ki Hazrate Aaisha RadiAllahu Anha Se Nikah Ki Ek Hikmat Ye Bhi Thi Ki Hazrate Aaisha Ki Bachpan Me Jo Zahanat Or Samajdari Ki Alamat Or Nishaniya Dekhi To Is Bina Par Unse Shadi Karna Pasand Farmaya Taa Ki Nabi  ﷺ Ke Af'aal Or Aqwaal Ko Dusro Ki Banisbat Sahih Or Bahetar Tariqa Se Naql Kar Sake.

Or Fir Haqiqatan Huva Bhi Aysa Hi Bade Bade Sahaba S Kiram Aaisha RadiAllahu Anha Se Ruju'a Kaarte Or Unse Masail Puchha Karte The.

Jaisa Ki Hazrat Saiyeduna Abu Moosa Ash'ari RadiAllahu Anhu Farmate He, Ham Ashaabe Rasool Ko Kisi Baat Me Ishkaal Hota To Ummul Mu'amineen Hazrate Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha Ki Bargah Me Sawal Karte Or Aap RadiAllahu Anha Se Hi Us Baat Ka Ilm Paate.
*📚(Sunan Tirmizi, Safha-873, Hadees-3882)*

Saiyedna Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha Ne Allah Ke Habeeb  ﷺ Ki 2200 Se Zaaid Ahadis Ham Tak Pahuchai Hai. Hazrate Aaisha RadiAllahu Anha Ka Mamooli Zahan Nahi Tha Balki Bahut Bahetrareen Quwwate Haafza Ki Malik Thi.

Or Chuñki Kam Umr Me Hi Unki Shadi RasoolAllah ﷺ Se Ho Gai Thi, To Unhe  Aap  ﷺ Se Bahut Sara Ilm Hasil Karne Ka Mauqa'a Mil Gaaya. Jiski Badaulat Aage Chal Kar Unhone Ek Bahut Bahetrareen Ustad, Mahir Or Faqiha Ka Kirdar Ada Kiya, To Is Shadi Ke Pichhe Badi Hikmate Poshida Thi.

Jitne Bhi Nikah Aap  ﷺ Ne Apni Hayate Tayyaba Me Farmaye Vo Mardo Wale Shoq Ki Shadiya Nahi Thi, Balki Vo Hukme Ilahi Or Hikmate Khudawandi Ki Bunyad Par Thi.

1400 Saal Pahle Kam Umri Me Shadi Hona Ek Aam Si Baat Thi, Or Ye Tarikhi Haqiqat He Ki Europe Asia, Africa. Or America Me 9 Saal Ss 14 Saal Ki Ladkiyo Ki Shadiya Kardi Jati Thi.

*⏩Isaiyo Ka Aitraaz Or Isai Mazhab Me Shadi Ki Umr*

Misaal Ke Taur Par, Saint Augustin 350 AD Ne Jis Ladki Se Shadi Ki Uski Umr *10 Saal Thi.*

King Richard-2, 1400-AD Ne Jis Ladki Se Shadi Ki Uski Umr *7 Saal Ki Thi.*

Henry 8 Ne Ek *6 Saal* Ki Ladki Se Shadi Ki Thi.

Yahañ Tak Isaiyo Ki Padhi Jane Wali Aaj Ki Maujuda Bible Me He,
"But Save For Yourselves Every GIRL Who Has Never Slept Woth A Man"
*📚(Bible Book, Chapter-31, Verse-17)*

Yaani Magar Har Vo Ladki Jo Baakra He Usko Apne Liye Mahfooz Karlo.

Isaaiyo Ki Ketholic Encyclopedia Ke Mutabiq Hazrat Isa Alaihis Salam Ki Walida Hazrat Maryam Ka Nikah Unki 12 Saal Ki Umr Me 99 Bars Ke Jocef Se Hui Thi..

1929 Se Pahle Tak Bartaniya Me Charch Of England Ke Wazra *12 Saal* Ki Ladki Se Shadi Kar Sakte The.

Or Bhi Bahut He.... 

Yaha Tak To Isaiyo Or Magribi Mumalik Me Ladki Ki Shadi Ki Munasib Umr Or Waha Ke Ma'aroof  Shakhsiyat Ke Muta'alliq Tha, Jisse Ye Saaf Hota He Ki Tarikhi Nukta Nazar Se Us Umr Ki Ladki Se Nikah Karna Ek Aam Si Baat Thi Or Isko Koi Ma'ayoob Yaani Bura Nahi Samjhta Tha.

*⏩Hindu Mazhab Me Shadi Ki Umr*

Hindu Mazhab Ki Kitab Manusmriti Me Likha He,
Ladki Balig Hone Se Pahle Uski Shadi Kar Deni Chahiye.
*📚(Gautama, 18-21)*

Http://www.payer.de/dharmashastra/dharmash083.htm

*⏩Hindustan Me Shadi Ki Umr*

Iske Muta'alliq Cambridge Ke Sant John's Collage Ke Jack Goody Ne Apni Kitab. " The Oriental, The Ancient And Primitive" Me Likha He Ki Hindustani Gharo Me Ladkiya Bahut Jaldi Hi Biyah Di Jati Thi.

Sri Niwas Un Dino Ke Bare Me Likhte He Jab Ki India Me Buloogat Se Qabl Shadi Karne Ka Riwaj Chalta Tha..

(1984:11) : Ladki Ko Uski Umr Ko Pahunchne Se Pahle Uski Shadi Kar Deni Hoti Thi, Hindu Law Ke Mutabik Or Mulk Ke Riwaj Ke Mawafiq Ladki Ke Baap Par Ye Zaroori Tha Ki Vo Balig Hone Se Pahle Uski Shadi  Karde, Garche Ki Rukhsati Me Aksar Takhir Hoti Thi, Jo Taqreeban 3 Saal Hoti Thi.
*📚(The Oriental, The Ancient, And The Primitive, Page-208)*

Or Aysi Kam Umri Ki Shadi Ka Aaj Bhi India Me Riwaj He.

The Encyclopedia Of Religion And Ethics Me Likhte He,

Jis Ki Beti Is Halat Me Buloogat Ko Pahuchti Thi Ki Vo Gair Shadi Shuda Ho To Uske (hindu) Baap Ko Gunahgar Samjha Jata Tha, Agar Aysa Hota To Vo Ladki Khud Bakhud Sadra(nichli Zaat) Ke Darja Me Chali Jati Thi. Or Aysi Ladki Se Shadi Karna Shohar Ks Liye Baeese Ruswai Huva Karta Tha.

*Manu Ki Smriti* Ne  Mard Or Aurat Ke Liye Shadi Ki Jo Umre Tay Ki He Vo Is Tarah Ke Ladka 30 Saal Ka Or Ladki 12 Saal Ki Ya Ladka 24 Saal Ka Or Ladki 8 Saal Ki...
Magar Aage Chal Kar *Bharaspati* Or *mahabharat* Ki Taleem Ke Mutabik Ayse Mauqo Par (hindu) Ladkiyo Ki Jo Shadi Ki Umr Batai Gai He, Vo 10 Saal Or 7 Saal He, Jabki Uske Baad *Shlokas* Me Shadi Ki Kam Az Kam Umr 4 Se 6 Saal Or Zyada Se Zyada 8 Saal Batai Gai He. Or Is Baat Ke Be Shumar Shawahid He Ki Ye Baate Sirf Taherir Me Nahi Thi. (Yaani In Par Amal Kiya Jata Tha).
*📚(Encyclopedia Of Religion And Ethics, Page-450)*

To Hindu Mazhab Ke Manne Walo Ki Apni Kitabo Ke Mutabiq Bhi Is Umr Me Shadi Karna Koi Ayb Ki Baat Nahi He, Jo Log Huzur  ﷺ Par Aitraz Karte He Unko Chahiye Ki Pahle Tarikh Ka Or Apni Mazhabi Kitabo Ka Muta'ala Kare.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓27 May 2020, 3 Shawwal 1441 Hijri*
📲+918487

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ibne Wahab Najdi Ke Walid Abdul Wahab Najdi Ko Alaihir Rahma Kahna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Hazrat Kya Ibne Wahab Najdi Badaqida Ke Walid Abdul Wahab Najdi Ko Alaihir Rahma Kah Sakte He,

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Abdul Wahab Najdi Ek Aalim E Deen Mudarris The. Aur Sunni Sahihul Aqida Muslaman The Is Lihaz Se Agar Unko علیہ الرحمہ  Kaha Jaye To Be Ja Na Hoga, Balki Jaiz Hoga.

Tarikh E Najd O Hijaz Me Hai,

Allama Tahtaawi Likhte He,
Shaikh Najdi (Bad Aqida) Apne Walid Ke Halqa E Dars Me Hazir Huva Karta Tha Or (Naam Nihad) Bid'aat Par Aitraz Kiya Karta Tha, Yahañ Tak Ki Tamam Log Uske Mukhalif Ho Gaye Or Us Ke Walid Bhi Us Par Naraz Huve Or Karsarzanish Ki Shaikh Abdul Wahab Sulah Joo Shakhs The, Jhagde Ka Napasand Farmate The, Unhone Usko (shuaare Ahle Sunnat) Ki Mukhalifat Karne Se Man'a Kiya. (Lekin Shaikh Najdi Baaz Na Aaya) Or Apne Walid Se Sakht Takraar Or Bahas Ki Or (shuaare Ahle Islam) Ki Mukhalifat Par Qaaim Raha. Chand Log Uske Sath Ho Gaye Or Aksar Uski Mukhalifat Karne Lage, Hatta Ki Shaikh Abdul Wahab Ke Halqa E Dars Ke Talba Me Do Giroh Qaaim Ho Gaye. Aqliyat Shaikh Najdi Ke Sath Thi Or Aksariyat Uske Walide Girami Shaikh Abdul Wahab Rahematullah Ke Sath Thi.
*📚(Muhammad Bin Abdul Wahab Najdi, S-20,21)*

Or Farmate He,
Shaikh Najdi(ibne Abdul Wahab Bad Aqida) Apne Walid Ka Qadar Se Lihaaz Karta Tha, Lekin Uske Bawajood Uska Aqida Tha Ki Walid Ki Izzat W Tauqeer Is Baat Ki Ijazat Nahi Deti Ki Vo Apne Afkaar Ki Da'awat Se Dastbardaar Ho Jaye, Lekin Jab Uske Walid Rahematullah 1153 Hijri Me Waasile Bahaq Huve, To Shaikh Najdi Ki Da'awat Me Rahi Sahi Zanjire Bhi Toot Gai. Fir Usne Alal Ailan Apni Da'awat Ko Felana Shuru'a Kiya Or Apni Puri Quwwat Or Taqat Ko Usme Kharch Kar Diya.
*📚(Muhammad Bin Abdul Wahab, S-21)*
*📚(Tarikhe Najdo Hijaj, Baab-1, S-2,3)*

Dono Ibarato Me Allama Tahtaawi Alaihir Rahmato Ridwan Ne Abdul Wahab Sahab Ki Tarifo Tausif Ki, Unko Mudarris Likha, Or Allama Mufti Abdul Qayyum Qadri Hazarwi Rahematullah Alaihi Ne Unko Yaani Ibne Wahab Najdi Ke Walid Abdul Wahab Sahab Ko Rahematullah Alaihi Bhi Likha, Isse Maloom Hota He Ki Abdul Wahab Sahab Ko Alaihir Rahma Kahna Jaiz Hoga.
ھذا ما ظھر لی و اللہ تعالی اعلم بالصواب 
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️27 May 2020, 2 Shawwal 1441 Hijri*

*✅Al-Jawabus Sahih: Hazrat Allama Mufti Ahemad Chaturvedi Sahab Qibla*
*📬Jameaa Hamdard University New Delhi*

*✅Ji Haañ Ye Jawab Durust He, Ye Hazrate Allama Abdul Wahab Sunni Sahihul Aqida The, Or Unke Bete Sulaiman Bin Abdul Wahab Unhone Muhammad Bin Abdul Wahab Najdi Ke Radd Me Kitab Bhi Likhi Thi, Ye Sahih He, Allah Ta'ala Hazrat Mufti Taufiq Raza Sahab Ko Iska Ajr Ata Farmaye Or Bahetar Se Bahetar Khidmaat Karne Ki Taufiq Ata Farmaye, Ham Sabko Ilme Naafe'a Amale Swaleh Ki Taufiq Ata Farmaye.*

*Hazrat Allama Mufti Ashraf Raza Sahab Burhani*
*📬Jamia Madinatul Uloom, Ratanpur Gujrat*

*✅ Al-Jawabus Sahih, Wallahu Ta'ala Aa'alam*

*Muhammad Bin Abdul Wahab Ke Dada Suleman Bin Ali, Chacha Ibrahim Bin Suleman, Ibrahim Ke Bete Abdur Rahim, Uske Bhai Suleman Bin Abdul Wahab Ye Sab Apne Zamane Ke Bade Faqih W Mumtaz Aalime Deen W Adeeb Or Sunni Sahihul Aqida The Or  Ibne Abdul Wahab Ke Walid Hazrat Abdul Wahab Alaihir Rahma Bhi Sunni Sahihul Aqida Nihayat Swaleh Buzurg Or Mash'hoor Aalime Deen Or Faqih The Vo Apne Bete Muhammad Ko Tanqeese Risalat, Tauheene Ma'aside Sahaba Or Takfirul Muslimeen Jaise Gumrah Kun Aqaaid Par Hamesha Sarzansh Karte Rahe.*

*Is Liye Nacheez Ne Bhi Unke Naam Ke Sath Kalma e Tarhim Taherir Kiya He.*
*Hawala Tarikhe Najdo Hijaz*

*Hazrat Allama Mufti Jafar Ali Siddiqui Sahab Qibla*
*📬Sangli Maharashtra*un

*✅Al-Jawabus Sahih W Mujeebu Najeeh*
*MashaAllah Mujeeb Ne Nihayat Hi Aala Tarz Me Jawab Ata Farmaya He*

*Hazrat Allama Mufti Alfaz Quraishi Najmi Sahab Qibla*
*📬Khatibo Imam Noorani Masjid, Sara Karnatak*

*✅ Al-Jawabus Sahih W Mujeebu Najeeh, Wallahu Ta'ala Aa'alam*

*Hazrat Mufti Dilshad Ahemad Ziyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬 Darul Uloom Mustafviya, Haldarwa Gujarat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Shawwal Ke 6 Roze Or Uski Fazilat

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Shawal Ke 6 Roze Ke Bare Me Batae Aur Uski Fazilat

*🌹JAWAB:-🌹*

Shawwal Me 6 Din Ke Roze Jinhen Log Shasha Eid Ke Roze Kahte Hai.

Bahetar Ye He Ki Ye Roze Mutafarriq Rakhe Jaaye Or Eid Ke Baad Lagatar 6 Din Me Ek Sath Rakh Le, Tab Bhi Harj Nahi. 

Muslim W Abu Dawood W Tirmizi W Nasai W Ibne Maja W Tabrani Abu Ayub RadiAllahu Anhu Se Raawi, RasoolAllah ﷺ Farmate Hai, Jisme Ramzan Ke Roze Rakhe Fir Unke Baad 6 Din Shawwal Me Rakhe To Aysa He Jaise Dahr Ka Roza Rakha.
*📚(Sahih Muslim, Kitabus Siyam, Hadees-1164, S-592)*

Or Isi Ke Misl Abu Huraira RadiAllahu Anhu Se Marwi.

Nasai W Ibne Khuzaima W Ibne Hibban Soban RadiAllahu Anhu Se Or Imam Ahmad Or Tabrani W Bazaar Jabir Bin Abdullah RadiAllahu Anhuma Se Raawi, RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya,
Jis Ne Eidul Fitr Ke Baad 6 Roze Rakh Liye To Usne Pure Saal Ka Roza Rakha, Ki Jo Ek Neki Laaye Ga Use Das. Milegi To Maahe Ramzan Ka Roza Das Mahine Barabar He Or Un 6 Dino Ke Badle Me Do Mahine To Pure Saal Ke Roze Ho Gaye.
*📚(Sunane Kubra Lil Nasai, Kitabus Siyam, Hadees-2860,2861, J-2, S-162,163)*

Tabrai Awsat Me Abdullah Bin Umar RadiAllahu Anhuma Se Raawi, Ki RasoolAllah ﷺ Farmate Hai,
Jisme Ramzan Ke Roze Rakhe Fir Uske Baad 6 Din Shawwal Me Rakhe To Gunaho Se Ayse Nikal Gaya, Jaise Aaj Maañ Ke Pet Se Paida Huva He.
*📚(Al Maujamul Awsat, Hadees-8622, J-6, S-233)*

*📚 (Bahare Shariyat, Jild-1, Hissa-5, S-1010)*
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️26 May 2020, 2 Shawwal 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Madarse Ke Talibe Ilm Ko Zakat Dena Kesa

Madarse Ke Talibe Ilm Ko Zakat Dena Kesa?

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Madarse Ke Talibe Ilm Ko Zakaat Ya Fitre Ki Raqam De Sakte Hai Jab Ki Uske Maañ Baap Gaanv Me Khud Sahib E Nisaab Ho.

*🌹JAWAB:-🌹*

Marhum Ki Taraf Se Sadqa E Fitr Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Faut Shuda Marhum Walidain Ki Taraf Se Sadqa E Fitr Ada Karna Awlad Par Wajib He Ya Nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Marhum Walidain Ka Sadqa Ada Karna Awlad Par Wajib Nahi, Magar Ada Kare To Uska Sawab Zaroor Milega.

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Sadqa E Fitr Shakhs Par Wajib He Maal Par Nahi, Lihaza Mar Gaya To Uske Maal Se Ada Nahi Kiya Jayega. Haañ Agar Warsa Bataure Ahsaan Apni Taraf Se Ada Kare To Ho Sakta He, Kuchh Jabr Nahi, Or Wasiyat Kar Gaya He To Tihai Maal Se Zaroor Ada Kiya Jayega Agarche Warsa Ijazat Na De.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Sadqa E Fitr Ka Bayan)*

Agar Koi Marhum Walidain Ke Naam Se Sadqa Kare To Uska Sawab Marhum Ko Bhi Milta He Or Ada Karne Wale Ko Bhi, Marhum Ke Naam Se Sadqa Ada Karna Jaiz W Mustahab Or Ek Achcha Amal He Magar Farz Ya Wajib Nahi.

Hadees Shareef Me He,
Hazrate Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha Bayan Karti He, Ek Shakhs Ne Rasoole Kareem  ﷺ Ki Khidmat Me Arz Kiya Ki Meri Maa Ki Jaan Achanak Nikal Gai He Or Mujhe Yaqeen He Ki Agar Vo Bolti To Zaroor Sadqa Karti. Ab Agar Me Apni Maa Ki Taraf Se Sadqa Karu To Kya Uska Sawab Use Milega ? Aap ﷺ Ne Farmaya: Haañ (Uska Sawab Milega)
*📚(Bukhari, Kitabul Janaiz)*

Hazrat Abdullah Bin Umar W Bin Aas RadiAllahu Anhuma Se Riwayat He Ki RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya, Jab Tum Me Se Koi Shakhs Kisi Sadqa E Nafila Ka Irada Kare To Uska Kya Harj He Ki Vo Apne Maa Baap Ki Niyat Se De Ki Unhe Iska Sawab Pahuchega Or Use Un Dono Ke Ajro Ke Barabar Milega. Or Unke Sawab Me Bhi Kuchh Kami Na Hogi.
*📚Jaame Us Sageer Ma'a Faizul Qadeer, Ba Hawala, Ibne Asaakir, Hadees-7943, J-5, S-205)*
*📚(Fatawa Razviya, J-9, S-610)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️24 May 2020, 30 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Biwi Ka Sadqa E Fitr Kon Ada Kare

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat masla pesh e khidmat hai, 

Shohar k ghar biwi ko jod kar 6 afraad hain, aur shohar k sasural me b biwi ko jod kar 6 afraad hai, par biwi is Ramzan apne sasural me nhi apne mayke me hai to biwi k hisse ka jo sadqa e fitra nikaalna hoga wo kis par wajib hoga?

Jawab Hazrat zaroori masla hai khudaara jald az jald jawab inaayat farmaayein,

Jazakum ALLAHU Khairan Katheeran Bi Rahmatika Wa Barkaatika.
Dua go,

*🌹JAWAB:-🌹*

Biwi Ka Sadqa E Fitr Na Uske Maa Baap Par Wajib He Na Uske Shohar Par, Balki Uski Milkiyat Me Se Ada Kiya Jaye, Fir Bhi Aagar Shohar Biwi Ki Taraf Se Ada Kar Deta He To Ada Ho Jayega, Or Ye Us Mard Ka Ahsan Hoga.

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Na Balig Ladki Jo Is Qabil He Ki Shohar Ki Khidmat Kar Sake Usa Nikah Kar Diya Or Shohar Ke Yahañ Use Bhej Bhi Diya To Kisi Par Uski Taraf Se Sadqa Wajib Nahi, Na Shohar Par, Na Baap Par Or Agar Qabile Khidmat Nahi Ya Shohar Ke Yahañ Use Bheja Nahi To Badsutoor Baap Par He, Fir Yye Sab Us Waqt He Ki Ladki Khud Malike Nisab Na Ho, Warna Bahr Haal Uska Sadqa E Fitr Uske Maal S Ada Kiya Jaye.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Sadqa E Fitr Ka Bayan)*

Or Farmate He,
Apni Aurat Or Awlad Aaqil Balig Ka Fitra Uske Zimma Nahi Agarche Apaahij Ho, Agarche Uske Nafqaat Uske Zimma Ho. Aurat Ya Balig Awlad Ka Fitra Unke Bagair Izn (ijazat) Ada Kar Diya To Ada Ho Gaya. Basharte Ki Awlad Uske Ayaal Me Ho Yaani Uska Nafqa Wagairah Uske Zimma Ho, Warna Awlad I Taraf Se Bila Izn(bagair Ijazat) Ada Na Hoga.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Sadqa E Fitr Ka Bayan)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️24 May 2020, 30 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

4 Rakat Chasht Ki Namaz Me 3 4 Rakat Me Sana Or Durood Padhne Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Chasht Ki 3 Rakat Me Sana Q Padhi Jayegi, Or Namazo Me To Esa Nhi Hota Or Na Hi Dusri Rakat Me Durood E Ibrahim Padha Jata H Or Hazrat Dua E Mashura Ye Konsi Dua H Rahnumayi Farmaye 

Ye Sawal Mene Isliye Kara H Kuki Upar Ek Jawab Me Ye Bhi Likha H Ki Jese Johar Ki 4 Rakat Padhi Jati H Wese Hi Padhe Ab Johar Me To Ham 3 Rakat Me Sana Nhi Padhte Na Hi 2 Me Drood Shareef Padte Rahnumayi Farmaye Hazrat.

*🌹JAWAB:-🌹*
Asl Me Yeh Jo Chasht Ki Namaz Hai Yeh Nafl Namaz Hai Aur Nafl Namaz Do Do Rakaat Kar Ke Hi Mashrua Hai Yani Do Do Rakaat Kar Ke Padhna Chahiye, Lekin Agar Koi Ek Sath Char Rakaat Padhe Yani Ek Hi Salam Se Padhe Matalab Char Rakaat Padh Kar Salam Phere Tab Bhi Jaiz Hai, Namaz Ho Jayegi.

Lekin Yeh Namaz Chunki Nafl Hai Agarche Ek Sath Char Rakaat Padh Raha Hai Phir Bhi Hukm Me 2 Ke Hi Hai Isi Wajah Se Tisri Rakaat Me Sana Padhi Jayegi Aur Qa'ade Ula Me Bhi Duroode Ibrahim Aur Dua E Masura Bhi Padhi Jayegi.

Rahi Bat Zuhar Ki Char Rakaat Sunnat Ki To Wah Sunnate Mo'akkida He, Char Rakaat Hi Mashrua Aur Char Hi Rakaat Ke Hukm Me Hai.  Yah Jo Kaha Gaya Hai Char Rakaat Chasht Ki Namaz Char Rakaat Zuhar Ki Namaz Ki Tarah Padhi Jayegi Is Ka Matalab Yeh Hai Ki Jis Tarah Zuhar Ki Har Charon Rakaat Me Suraye Fatiha (alhamdu) Ke Bad Surat Milate Hain Usi Tarah Chasht Ki Har Char Rakaat Me Bhi Suraye Fatiha Ke Bad Surat Milai Jayegi.

Or Jo Bhi 4 Rakaat Wali Nafl Padhni Ho Isi Tarah Padhi Jayegi Aur Har Char Rakaat Wali Sunnate Gair Muakkidah Bhi Isi Tarah Padhi Jayegi.

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Jo Sunnate Mu'akkeda 4 Raka'ati He Uske Qa'ada Ula Me Sirf Attahiyat Padhe, Agar Bhul Kar Durood Shareef Padh Liya To Sajda E Sahw Kare Or In Sunnato Me Jab Tisri Raka'at Ke Liye Khada Huva To Subhanak Or A'auzu  Bhi Na Padhe, Or Inke Alawa Or Char Raka'at Wale Nawafil Ke Qa'ada Ula Me Bhi Durood Shareef Padhe Or Tisri Raka'at Me Subhanak Or A'auzu Bhi Padhe, Basharte Ki Do Raka'at Ke Baad Qa'ada Kiya Ho Warna Padhla Subhanak Or A'auzu Kafi He.
*📚(Bahare Shariyat, Hissa-4)*
واللہ تعالیٰ اعلم

*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️24 May 2020, 30 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mazi Sui Barabar Kapdo Par Lage To Kya Hukm He

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Agar Mazi Ki Miqdar 
Ek Sui Barabar Ho Aur Kayi Baar Agar Ek Katre Se Kam Lekin Nazar Aane Ki Haalat Me Ho Aur Baar Baar Wasawis Aur Gair Itminaani E Qalb K Surat Me Aisa Lage K Mazi Kharij Huyi To Ab B Kya Us Kapde K Hisse Ko Aur Us Aaza Ko Dhona Farz Hai Ya Na Dhoya To Paki Baki Rahegi?

*🌹JAWAB:-🌹*
Mazi Najasate Galeeza Me Se He,

Najasat Galiza Ka Hukm Ye He Ki Agar Kapde Ya Badan Me Ek Dirham Se Zyada Lag Jaye To Uska Paak Karna Farz Hai, Be Paak Kiye Namaz Padhli To Hogi Hi Nahi Or Qasdan Padhi To Gunah Bhi Huva Or Agar Ba Niyyate Istekhfaaaf He To Kufr Huva.
Or Agar Ek Dirham Ke Barabar Hai To Paak Karna Wajib Hai,
Bagair Paak Kiye Namaz Padhi To Makruhe Tehrimi Hui Yani Aisi Namaz Ka Ae'aada Wajib He Or Qasdan Padhi To Gunahgar Bhi Huva.

Agar Ek Dirham Se Kam Hai To Paak Karna Sunnat Hai, Bagair Paak Kiye Namaz Namaz Ho Gai Magar Khilafe Sunnat Hui Or Uska Ae'aada Bahtar He.

Agar Najasat Patli Ho, Jaise Aadmi Ka Peshab Or Sharab (Mazi) To Dirham Se Murad Uski Lambai Chodai He Or Shariyat Ne Uski Miqdaar Hatheli Ki Gehrai Ke Barabar Batai Yaani Hatheli Khub Fela Kar Hamwaar Rakhe Or Us Par Aahista Se Itna Paani Daale Ki Us Se Zyada Paani Na Ruk Sake, Ab Paani Ka Jitna Failav He Utna Bada Dirham Samjha Jaye Or Uski Miqdaar Taqreeban Yahañ Ke Rupe Ke Barabar He.
*📚 Makhuz:(Bahare Shariyat, H-2, Najasato Ke Muta'alliq Ahkam)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️16 May 2020, 22 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Beti Ne Baap Par Zina Ka Ilzam lagaya Machine Test Se Zina Sabit Ho Magat Gawah Na Ho To Baap Or Uski Maa Ko Juda Kiya Jaye ya Nahi

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kya Farmate He Aulma E Kiram Is Mas'ala Ke Bare Me Ki Hinda Ka Da'awa He Ki Uske Baap Zaid Ne Uske Sath Zana Kiya He Jab Ki Baap Ka Da'awa Ye He Ki Usne zina Nahi Kiya he, Ladki Ke Paas Gawah Nahi He, Ladki Ka Checkup Karaya Gaya Jis Ki Wajah Se Ye Baat Wazeh Hoti He Ki Baap Ne Zana Kiya He, Aysi Soorat Me Kya Machin Ke Test Ki Bina Par Zaid Or Uski Biwi Ke Darmiyan Alahidgi Ka Hukm Diya Jayega Ya Nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Machine Test Ek Majhool Shay Hai, Or Shahadat Ki Salahiyat Nahi Rakhti Is Liye Zaid Or Uski Biwi Ke Darmiyan Judai Nahi Ki Jaa Sakti, Shariyat Ka Qanoon Ye He Ki Zana Ke Muaamla Me Jab Tak Chaar Ayni Shahid Na Hon Zana Sabit Nahi Hoga, Agar 4 Me Se 3 Gawahi Den Or Chotha Gawahi Saaf Taur Par Na De To Un Tino Ko  Tohmat Lagane Ki Saza (80 Kode Marne Ki) Di Jayegi.

Kyu Ki zina Sabit Na Huva, To Tohmat Sabit Ho Gai, Or Usi Ki Had Jaari Ki Jayegi.

Jaisa Ki Qura'an Majeed  me Hai,
وَالَّذِينَ يَرْمُونَ الْمُحْصَنَاتِ ثُمَّ لَمْ يَأْتُوا بِأَرْبَعَةِ شُهَدَاءَ فَاجْلِدُوهُمْ ثَمَانِينَ جَلْدَةً وَلَا تَقْبَلُوا لَهُمْ شَهَادَةً أَبَدًا ۚ وَأُولَٰئِكَ هُمُ الْفَاسِقُونَ (سورة النور ايت 4) 
Yaani Or Jo Parsa Aurton Ko Ayeb Lagaye Fir 4 Gawah ayni  Na Laaye To Unhe Assi(80) Kode Lagao Or Unki Gawahi Kabhi Na Maano, Or Wahi Fasiq Hain.
*📚(Surah Noor, Aayat-4)*.

Or Machine Test Ke Ta'alluq Se Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ne Tafsili Jawab Taherir Farmaya he Jiska Labe Labaab Yahi He Ki Aalah Yaani Machin Se Thodi Bahut Jankari Hasil Ho Bhi Gai To Vo Yaqeen Ke Darja Tak Nahi, Yaani Majhool He, Shahadat Ke Darja Tak Nahi.
Tafsil Ke Liye Dekhe *(📚Fatawa Razviya, J-26, 467-To -487)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🎙Al-Jawab:- Hazrat Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*
*_📬idara Sharaiyah W Samaji Khidmat, Aala Hazrat Masjid NavaYard Vadodara Gujrat_*
*🗓️27 April 2020, 3 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Qaza Namaz Ho To Chasht Ki Nafl Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Lockdown ki waja Jo log Apne Apne gharo par 4 Rikat Nafil namaz aada karnge (Chaast ki)

Kya jis ki Qaza Umri Namaz Baki ho wo bhi Eid ke Din Nafil namaz padhega

*🌹JAWAB:-🌹*
Parh Sakte He.

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat esa bhi he na ki
Jiski qaza ho uska koi nafl Qubool nahi. Iska kya Ma'ana hoga.

*🌹JAWAB:-🌹*
Is ka ma'na ye hai k Qaza Namazein jald ada kare . Aisa nahi ke kuch parhe hi nahi.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Maqsood Akhtar Qadri Amjadi Sahab Qibla*
*📬Radwi Amjadi Darul Ifta, Mumbai*
*🗓️22 May 2020, 28 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Fitra Ki Raqam Masjid Madarsa Me Dena Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Fitra Ki Raqam Masjid Aur Madarse Ke Kharch K Liye Dena Kaisa Aur Agar Usme Se Imam Sahab Ki Tankhwah Bhi Di Jaye To Kya Huqm Hai Aur Sirf Madarse Par Kharch Karna Kaisa Jabki Hilae Sharai Kiya Jaye

Rehnumayi Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
Har Vo Jagah Jahañ Par Zakat Di Ja Sakti He Vahañ Sdaqa Fitra Bhi De Sakte He, 

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Farmate He,
Fitra Ke Masaarif Ba Ayniya Masaarife Zakat Hai.
*📚(Fatawa Razviya, J-10, S-266)*

Or Huzur SadrushShariyah Alaihir Taherir Farmate He,

Sadqa E Fitr W Zakat Na Ta'ameere Madarsa Me Sarf Ki Ja Sakti He, Na Tankhwahe Mudarriseen Me, Magar Is Qism Ki Madado Ko Agar Nikal Diya Jaye To Madarsa Ki Aamdani Us Zamane Me Itni Kam Reh Jayegi Jis Se Uska Chalna Dushwar Ho Jayega Or Tahsile Ilm Ka Darwaza Band Hota Huva Nazar Aayega, Lihaza Un Cheez Me Zakat Or Sadqa E Fitr Bataure Heela Ke Sarf Kiya Jaye.
*📚(Fatawa Amjadiya, J-1, S-376)*

Mazeed Tafail Ke Liye, Zakat Ka Rupya Madarsa W Masjid Me Sarf Karne Ka Hukm Pahle Bayan Kiya Gaya Usse Bhi Aap Jawab Akhz Kar Sakte He. Padhne Ke Liye Is Link Par Click Kare👇
Https://pathanmoinraza13.blogspot.com/2020/05/zakat-ki-raqam-masjid-madarsa-me-sarf.html

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️20 May 2020, 26 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Sirf Sona Chandi Ho Cash Na Ho To Zakat Kis Cheez Se Ada Kare

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Ek Sawal

Jis Ke Pass Sirf Sona(gold),Chandi(Silver) Ho Aur Ghar Me Paisa (Cash)nahi Ho Tw Wo Zakat Kaise Aada Kare

*🌹JAWAB:-🌹*

Dono Ki Qimat Milade Aur Phir Hisab Karke 40 Va Hissa Zakat Me Ada Kare. Kisi Se Qarz Le Kar Zakat Ada Kare Ya Usi Qimat Ka Sona Ada Kare Ya Chandi Ada Kare. Kyu Ki Ye Sona Chandi Bhi Qimti Hai Aur Zakat Us Se Bhi Ada Kar Sakte Hai... Balki Pehle Usi Se Zakat Ada Ki Jati Thi.

Abhi Bhi Kuchh Nek Logo Ne Aisa Hi Kiya K Sone Ki Anguthi Hi Zakat Me Di. Zakat Kisi Bhi Tarah Ada Kare. Ye Ziyada Aasan Hai Us Se Ki Na Ada Karne Me Jo Azab Hai.

Isi Tarah Raddul Muhtar Me He,
ولو لم يكن عنده مال فأراد أن يستقرض لأداء الزكاة إن كان أكبر رأيه أنه يقدر على قضائه فالأفضل الاستقراض وإلا فلا لأن خصومة صاحب الدين أشد. اهـ
*📚(Raddul Muhtar, J-3, S-192)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️20 May 2020, 26 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kaam Ke Liye Insurance ka Paisa Bank Me Ho To Zakat Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamu alaikum WA rahmatullahi WA barkatuhu 
Agr insurance ka paisa ho or wo bank me ho or us paise se kuch kam lena hai. Aage koi kmai ka jariya  bhi nhi hai
Kya us paise ka jakat nikalna Hoga

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Saal Guzar Gaya To Bilkul Zakat Wajib He, Agarche Aage Kaam Nikalna Ho.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️20 May 2020, 26 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Allah W Rasool Se Wada Kar sakte He

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
 Kya Koi Shaks Allah E Pak Aur Rasool E Pakﷺ  Se Wada Karsakta Hai?... Gunah Se Bachne Ka?????
Rehnumaai Farma'e..

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ji Allah ﷻ W Rasool ﷺ Se Bhi Wada Kar Sakte Hai, Or Agar Wada Kare To Pura Karna Zaroori He.

Jaisa Ki Hakimul Ummat Mufti Ahemad Yaar Khan Naeemi Alaihir Rahma Farmate Hai,
Waada Ka Pura Karna Zaroori He, Musalman Se Waada Karo Ya Kafir Se, Azeez Se Waada Kaaro Ya Gair Azeez Se, Ustad, Shaikh, Nabi, Allah Ta'ala Se Kiye Huve Tamam Waade Pure Karo.
*📚(Mir'aatul Manajih, J-6, S-492, 483)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️20 May 2020, 26 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Fatawa Razviya Ko Na Manne Wale Par Kya Hukm He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat
Ek Sawal He Jo Sunni Muslman Fatwa E Razviya Ke Hawale Ko Man Ne Se Inkar Kare Uske Liye Kiya Hukam He 
Hawale Ke Sath Tafsir Se Jawab De Ke Barae Marbani Hogi

*🌹JAWAB:-🌹*
Fatawa Razviya Shareef Fiqhe Hanfi Ki Naadir Rozgaar W Azeemush Shan Had Darja Maqbool Anaam Kitab He, Isko Na Manna Agar Bar Bina E Wahabiyat He To Wahabiyat Khud Kufr He, Or Agar Is Liye Nahi Manta Ki Iske Musannif Shaikhul Islam W Muslimeen Mujaddide Aazan, Fana Fir Rasool Aashiqe Sadiq Sarkar Aala Hazrat Fazile Barailvy RadiAllahu Anhu Hai To Aysa Shakhs Gumrah Balki Dushmane Khuda He Or Agar Bar Bina E Kotahe Qalbi He To Sakht Be Barkata Or Fazle Azeem W Khaire Jaseem Se Mahroom He.

Sarkar Aala Hazrat RadiAllahu Anhu Se Sawal Huva Ki Ek Moulvi Sahab Ajmer Ke Sath Shareef Or Asli Naam Gulam Moinuddin Ke Sath Gulam Nahi Likhte Ye Khilaf Aqida Ahle Sunnat He Ya Nahi ?

Aap Jawab Irshad Farmate Hai

Ajmer Shareef Ke Naame Paak Ke Sath Lafz 'shareef' Na Likhna Or Un Tamam Mawaaqe'a Me Uska Iltezam Karna Agar Is Bar Bina Par He Ki Huzur Saiyeduna Khwja Gareeb Nawaz RadiAllahu Anhu Ki Jalwa Afrozi Hayate Zahiri W Mazare Pur Anwaar Ko Wajhe Sharafat Nahi Janta To Gumrah Balki Adullaah He, 

Sahih Bukhari Shareef Me He RasoolAllah ﷺ Farmate Hai Allah Ta'ala Farmata He:
من عادی لی ولیا فقد آذنتہ بالحرب ،

Or Agar Ye Napak Iltezam Bar Bina E Kasl W Kotahi Qalbi He To Sakht Be Barkata Or Fazle Azeem W Khaire Jaseem Se Mahroom He,
کماافادہ الامام المحقق محی الدین ابوزکریا قدس سرہ فی الترضی

Or Agar Uska Mabni Wahabiyat He To Wahabiyat Kufr He Uske Baad Aysi Baato Ki Kya Shikayat.
*📚(Fatawa Razviya, J-15, S-266, Raza Foundation)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Muhammad Shakeel Akhtar Qadri Barkati Sahab Qibla*
*📬Shaikhul Hadis Ba-Madrastul Banat Maslake Aala Hazrat Sadrus Soofa, Hubli Karnatak* *(Al-Halqatul Ilmiya Group)*
*🗓17 May 2020, 23 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

Mustanad Aalime Deen Ke Fatwe Ko Na Manne Wala Gumrah He,

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Jo Shakhs Khud Aalime Kamil Nahi To Mustanad Aulma E Deen Ke Fatwe Ko Na Manne Ke Sabab Zaal W Gumrah He. Qura'ane Majeed W Furqane Hameed Me Gair Aalim Ke Liye Hukm Diya Gaya Ki Aalim Se Puchho Na Ki Jis Par Tumhara Dil Gawahi De Amal Karo,
Allah Ta'ala Farmata He
فَاسْأَلُواْ أَهْلَ الذِّكْرِ إِن كُنتُمْ لاَ تَعْلَمُونَ
*📚(Fatawa Razviya, J-21, S-173)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Zakat Ki Raqam Masjid Madarsa Me Sarf Karna Mudarriseen Ki Tankhwah Me Dena Kesa ?

Zakat Ki Raqam Masjid Madarsa Me Sarf Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu

Hazrat, Zakaat Ka Paisa Masjid Ya Madarsa Ke Maulana Ko Tankhawah Ke Liye Diya Ja Sakta Hai

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Masjid Ke Imam Ya Madrse Ke Mudarris Haqdaar He To Unko Dena Dusre Haqdaroñ Ko Dene Se Zyada Fazilat Rakhta He. 
Al Batta Ujrat Ke Tour Par Zakat Di Ya Tankhwah Me Shumar Ki To Zakat Ada Na Hogi. 

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Faqeer Agar Aalim Ho To Use Dena Jahil Ko Dene Se Afzal He. Magar Aalim Ko De To Iska Lihaz Rakhe Ki Uska Aezaz Madde Nazar Ho, Adab Ke Sath De Jaise Chhote Bado Ko Nazr Dete Hai Or Ma'azAllah Aalime Deen Ki Hiqaraat Agar Qalb Me Aai To Ye Halakat Or Bahut Sakht Halakat He.

Bahut Se Log Maale Zakat Islami Madaaris Me Bhej Dete Hai Unko Chahiye Ki Mutawwali E Madarsa Ko Itla'a De Ki Ye Maale Zakat He Taaki Mutawwali Us Maal Ko Juda Rakhe Aur Maal Me Na Milaye Or Gareeb Talba Par Sarf Kare, Kisi Kaam Ki Ujrat Me Na De Warna Zakat Ada Na Hogi.
*📚(Bahaar E Shariat Hissa 5 Zakat Ka Bayan)*

Al Batta Madrse Waloñ Ne Uska Sharai Hila Karwa Liya Ho To Ab Har Nek Kaam Me Kharch Kar Sakte He. 

Saiyedi Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,
Madarsa Islamiya Agar Sahih Islamiya Khas Ahle Sunnat Ka Ho. Nechriyoñ, Wahabiyoñ, Qadyaniyoñ, Rafziyoñ, Deobandiyoñ Wagairahum Murtadeen Ka Na Ho To Us Me Maale Zakat Is Shart Par Diya Ja Sakta He Ki Mohtamim Us Maaal Ko Juda Rakhe Or Khas Tamleek Faqeer Ke Masaarif Me Sarf Kare, Mudarriseen Ya Digar Mulazimeen Ki Tankhwah Us Se Nahi Di Ja Sakti. Na Madarsa Ki Ta'ameer Ya Marammat Ya Farsh Wagairah Me Sarf Ho Sakti He, Na Ye Ho Sakta He Ki Ye Jin Talba Ko Madarsa Se Khana Diya Jata He Us Rupye Se Khana Paka Kar Un Ko Khilaya Jaye Ki Ye Soorate ibaahat He Or Zakat Me Tamleek Lazim Haañ Unko Naqad Rupya Ba Niyyate Zakat De Kar Malik Kar De Fir Vo Apne Khane Ke Liye Wapas De Ya Jin Talba Ko Wazeefana Ujratan Balki Mahaz Bataure Imdad He Unke Wazeefe Me De Ya Kitabe Kharid Kar Talba Unka Malik Karde.

Haañ Rupya Ba Niyyat Zakat Kisi Masrafe Zakaat Ko De Kar Malik Karde Vo Apni Taraf Se Madarsa Ko Dede To Tankhwah Mudarriseen W Mulazimeen Wagairah Jumla Masaarife Madarsa Me Sarf Ho Sakta He.
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, Jild-10, Kitabuz Zakat , Safha-254)*
Wallahu Taala Aalam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*
*🗓️18 May 2020, 24 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Rishtedar Ko Zakat Dena Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum .
Zaid k rishtedar ko ladka nahi hai aur lockdown jaise halat hai aur taklif hai to inhe zakat de sakte hai ya nahi

*🌹JAWAB:-🌹*
وعلیکم السلام و رحمۃاللہ وبرکاتہ
Zaid ke rishtedar agar sahibe nisab nahin hain aur zakat ke mustahiqe hain to desakte hain.

Jaisa ki fatawa jamiah ashrafiah me hai,
zakat wagairah sadaqaye me afzal yeh hai ki pahle apne bhaiyoñ aur bahnoñ ko de phir unki aulad ko de phir chacha aur phophi ko phir un ki aulad ko phir mamu aur khala ko phir unki aulad ko phir zawil arham yani rishte daaron phir padosiyon ko phir apne pesha walon ko phir apne shahar ya gaon ke rahne walon ko.
*📚(Fatawa jamiya ashrafiah jild 1 safah 316)*
واللہ تعالیٰ اعلم
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️17 May 2020, 23 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Roza Rakh ke Ek Jagah Se Dusri Jagah Gaya Iftar Konse Waqt Par Kare

*🌹SAWAL:-🌹*
Aaj kal plen me safar jyada hota hai yaha raat to vaha din hota hai
Agar che koi yaha se roza rakh kar safar karta hai or jaha pahucha vaha mishal ke tor pe 5 ghante me pahoch gaya or vaha iftar ka time ho to kya hukm hai

*🌹JAWAB:-🌹*
 السلام علیکم و رحمۃ اللہ وبرکاتہ
Roza daar jis mulk ya jis jagah pahunche usi mulk ya usi jagah ke waqt ke mutabiq iftar karega.
aisa hi Huzoor Taushariyah badarut tariqah mufti Akhtar raza khan علیہ الرحمۃ والرضوان ne farmaya hai,
http://jamiaturraza.com/session/21Jul13/24.mp3
واللہ تعالیٰ اعلم
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️5 May 2020, 11 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aurat Ko Aitekaaf Me Ghar Ke Bahar Baytul Khala Jana Kesa

Aurat Ko Aitekaaf Me Ghar Ke Bahar Baytul Khala Jana Kesa 

*🌹SAWAL:-🌹*
Aurat Aitekaaf Me Bethe Or Baitul Khala Ghar Se Alag Ho To Kya Kare ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Apne Ghar Ke Bahar Istenja Khana He, Ghar Me Nahiñ He To Wahañ Tak Jaa Sakti He.

Bahare Shariyat Me He,
Qaza E Hajat Ko Gaya To Taharat Karke Fauran Chala Aaye Thaharne Ki Ijazat Nahiñ Or Agar Mu'atakif Ka Makan Masjid Se Door He Or Uske Dost Ka Makan Qareeb To Ye Zaroor Nahiñ Ki Dost Ke Yaha Qaza E Hajta Ko Jaye, Balki Apne Makan Par Bhi Jaa Sakta He Or Agar Uske Khud Do Makan He Ek Nazdik Dusra Door To Nazdik Wale Makan Me Jaye Ki Ba'az Mashaaikh Farmate Hai Door Wale Me Jayega To Aitekaaf Fasid Ho Jayega.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Aitekaaf Ka Bayan)*
Wallahu Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*
*🗓️14 May 2020, 20 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

20 Ramzan Ko Gurube Aaftab Ke Baad Raat Me Aitekaaf Ki Niyat Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kisi Khatoon Ko Aitekaaf Me Bethna He, Or Unhone Ab Tak Yaani 20 Roze Ke Baad Raat 10 Baje Tak Niyat Nahi Kari To Kya Ab Kar Le ?? Uski Kya Sharait He ?

Saheri Ka Waqt Khatm Hone Ke Baad Saheri Ka Waqt Samajh Kar Kha Liya To Roza Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Agar Koi Shakhs Sehri Ka Waqt Khatm Hone Ke 2 3 Minute Baad Bedar Hua Aur Us Ne Pani Piya Baad Me Pata Chala Ke Sehri Ka Waqt Khatm Ho Gaya Tha To Is Surat Me Kya Hukm H ?

Roza Me Mazdoori Ya Mahenat Wala Kaam Ho To Roza Chhod Sakte He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
 Assalamualaikum
Hazrat Hamara Ek Dost Hai Wo Kisi Dukan Mein Kaam Karta Hai Wo Dukan Mein Zyada Kaam Rehta Hai To Usko Roza Rakhne Mein Prblm Hoti Hai Ke Wo Kaam Karte Karte Sust Hojata Hai Kya Wo Roza Nahi Rakhega To Gunahgar Hoga Meherbani Hogi Jawab Inayat Farmai

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Roza Islam Ke Arkaan Me Se Ek Aham Rukn He, Bila Wajhe Sharai Usko Chhodna Najaizo Gunah He, Or Nokri Karna Ya Mazdoori Karna Koi Aysa Uzr Nahi Ki Ramzanul Mubarak Ka Roza Hi Chhod Diya Jaye Balki Hukm Ye He Ki Roza Rakh Kar Kaam Kiya Jaye Or Agar Kaam Ki Wajah Se Roza Rakhne Me Dushwari Aati He To Kaam Ki Miqdar Kam Kar Leni Chahiye.

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Ramzan Ke Dino Me Aysa Kaam Karna Jaaiz Nahi, Jis Se Aysa Zaeef Aa Jaye Ki Roza Todne Ka Zanne Galiib Ho. Lihaza Naanbaai Ko Chahiye Ke Duphar Tak Roti Pakaye Fir Baaqi Din Me Aaram Kare. Yahi Hukm Muamaar W Mazdoor Or Mashqat Ke Kaam Karne Walo Ka He Ki Zyada Zaeefi Ka Andesha Ho To Kaam Me Kami Kar De Ki Roze Ada Kar Sake.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Roze Ke Makroohat Ka Bayan)*

*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️6 May 2020, 12 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Iftar Siren Ya Azan Ki Aawaz Par Hi Kare Ya Waqt Ho To Iftar Kar Liya Jaye

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum,
Hazrat Ek Sawal Hai Iftaar Ke Waqt Bahut Sare Masjid Mein Time Ke Hisab Se Sairan Ya Dua Nahi Bolte Hai Ek Ka Kehna Hai Iftari 2 Ya 3mints Baad Bhi Kholi Jati Hai Pehle Masjid Mein Bolye Phir Iftaar Karna 
Kya Humko Sairan Ya Masjid Mein Jab Tak Nahi Bolte Humko Wait Karna Hai Bahawala Jawab Inayat Farmai Meherbani Hogi Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*

Wahabi Ki Azan Par 5 Minutes Pahle Iftar Kar Liya to Roza Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Ek Sunni H Ai Usksi Dukan Ke Pass  2 Masjid He Ek Sunni Ki Dusri Deobandi Wahabi Ki 
Roza Ka Time Pahle Unki Aazan Hoti He Phir  Sunni Ki
Mager Koi Mehmaan  Ne Jisko Malum Nahi Tha Usne Deobandi Ki Aazan Hote Hi Pani Piliya

Haalanki Sunni Masjid Me Azaan 5 Minutes Baad Huyi

Kya Jisne Devbandi Ki Azaan Se Roza Khola Kya Uska Roza Ho Gaya ??

Ya Roza Qaza  Wapas Rakhna Padegaa ?


*🌹JAWAB:-🌹*
Soorate Mas'ula Me Ek To Wahabi Deobandi Wagairah Badmazhab Ki Azan Sun Kar Iftar Karna Mana He, Or Agar Kar Hi Liya To Iski Do Soorte He Ki Agar Usne Iftar Kar Liya Or Suraj Gurub Ho Gaya Yaani Iftar Ka Waqt Ho Gaya To Roza Ho Jayega, Or Agar Iftari Ka Waqt Nahi Hua Tha 5 Minutes Ya Kuchh Minutes Pahle Kha Pi Liya To Roza Fasid Ho Gaya, Uski Qaza Lazim He.

Fatawa Baraily Shareef Me He,
Wahabi Deobandi Shia Wagairah Ki Azan Ki Aawaz Sun Kar Roza Iftar Karna Bhi Mana'a He.
لعدم قبول قولہ فی الدیانات 
*📚(Durre Mukhtar, J-1, S-29)*
*📚(Fatawa Baraily Shareef, S-355)*

Faizane Farze Uloom Me He,
Agar Guroob Aaftab Se Pahle Hi Siren Ki Aawaz Gunj Uthi Ya Azane Magrib Shuru'a Ho Gai Or Aap Ne Roza Iftar Kar Liya Baad Me Maloom Huva Ki Siren Ya Azan Waqt Se Pahle Shuru Ho Gaye The Isme Aap Ka Qasoor Ho Ya Na Ho Bahr Haal Roza Toot Gaya Ussse Qaza Karna Hoga.
*📚(Durre Mukhtar, J-1, S-383)*
*📚(Faizane Farze Uloom, J-1, S-355)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓17 May 2020, 23 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Shabe Qadr Ki Alamat Kya He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Shab E Qadr Ko Dhundne Ki Kya Nishaniyan Hai???

*🌹JAWAB:-🌹*
Shabe Qadr Ke Muta'alliq Ikhtelaf He Ki Ye Konsi Raat He Magar Mash'hoor Ye He Ki Ramzan Shareef Ki 27 Raat He.

Is Raat Ki Bahut Si Fazilate He, Is Liye Sarkare Do Aalam ﷺ Ne Shabe Qadr Ko Ramzan Ki Aakhri Raat Me Talash Karne Farmaya, Is Raat Ko Dhundh Ne Ki Kuchh Alamate He,

Jaisa Ki Hadees Shareef Me He,

Hazrat Abaada Bin Saamat RadiAllahu Anhu Ne RasoolAllah ﷺ Se Shabe Qadr Ke Bare Me Puchha, To Aap  ﷺ Ne Farmaya, Vo Ramzan Ke Aakhri Ashra Me He. Vo Kisi Taaq Raat Me Hoti He, 21vi Raat Ya 23vi Raat Ya 25vi Raat Ya 27vi Raat Ya 29vi Raat Ya Fir Ramzan Ki Aakhri Raat Me. Jisne Iman W Ikhlas Ke Sath, Is Raat Me Qayam Kiya, Uske Sabeqa Gunaho Ki Magfirat Kardi Jayegi Or Uski Alamat Me Se Ge He Ki Raat Intehaai Rahat Bakhsh, Saaf, Pursukoon Or Khamosh Hoti He, Na Zyada Garam Hoti He Na Zyada Thandi Hoti He. Usme Chand Roshan Hota He. Is Raat Me Subah Tak Kisi Sitare Ke Liye Tutne Ki Ijazat Nahi Hoti Or Uski Alamaat Me Se Ye Bhi He Ki Uski Subah Ko Sooraj Tulu'a Hota He Goya Ki Vo 14vi Raat Ka Chand He Or Allah Ta'ala Ne Shaitan Par Haram Qarar Diya He Is Din Vo Uske Sath Nikle(yaani is ek din ke alawa roz shaitan sooraj ke sath nikalta he).
*📚(Durrul Mansoor, J-8, S-571)*
Isi Tarah *📚(Musnad Imam Ahmad, J-8, S-402, 414, Hadees- 22776, 22829)*

Isi Tarah Imam She'araani Rahematullah Alaihi Ne Shabe Qadr Ki Kuchh Alamate Bayan Farmai Hai Ki Ye Raat Chamakdaar Or Shaffaf Hogi, Na Zyada Garam Or Na Zyada Thandi Mu'atadal Hogi. Is Raat Me Na Badal Hoge Na Hi Barish Hogi Or Na Hi Sitare Tutege Jo Shaitano Ko Maaare Jate Hai. Or Is Raat Ki Subah Ko Suraj Bagair Shua'a Ke Nikale Ga. Or Is Raat Me Kutte Nahi Bhonkte.
*📚(Kashful Gunna, J-1, S-213)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️16 May 2020, 22 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gusl Ke Baad Bagair Wuzu Namaz Padhna

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum, Ke Gusul Karne Ke Baad Nmaz Ada Kar Sakte Hain Kya Bina Wazu Kiye??.....

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Mukammal Gusl Kar Lene Ke Baad Namaz Ke Liye Dubara Wuzu Karne Ki Zaroorat Nahi, Agarche Barahna Ho, Is Liye Ki Gusl Karne Se Vo Sabhi Aa'za Bhi Dhul Jayege Jiska Wuzu Me Dhona Zaroori Hota He, Balki Agar Sunnat Tariqa Se Gusl Kiya To Usme Pahle Wuzu Bhi Ho Jayega To Baad Me Uska Dobara Wuzu Karna Zaroori Nahi. 

Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,
Gus Ke Baad Namaz Ke Liye Dobara Wuzu Karne Ki Zaaroorat Nahi Jab Ki Baade Gusl Koi Hadas Laahiq Na Huva Ho.

Jaisa Ki Hadees Shareef Me He,
Ummul Mu'amineen Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha Se Riwayat He Ki RasoolAllah ﷺ Gusl Ke Baad Wuzu Nahi Farmate.
*📚(Mishkat, Baabul Gusl, S-48)*
*📚(Fatawwa Markaze Tarbiyat Ifta, J-1, S-101)*

Isi Tarah Bahare Shariyat Me He,
Ummul Mu'amineen Siddiqa RadiAllahu Anha Se Riwayat Ki, Farmati Hai Ki, Nabi  ﷺ Gusl Ke Baad Wuzu Nahi Farmate.
*📚 (Jame'a Tirmizi, Hadees-107, J-1, S-161)*
*📚(Bahare Shariyat, H-2, S-313)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓16 May 2020, 22 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Halat Roza Me Biwi Se Baat Ke Dauran Mazi Nikal Jaye To Roza Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Shohar Ka Apni Biwi Ke Sath Baat Karte Dauran Mazi Kharij Hui To Kya Roza Or Wuzu Toot Jayega ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Roze Ki Halat Me Biwi Se Baat Ki Or Mazi Kharij Ho Jaye To Roza Nahi Tutega, Albatta Wuzu Tut Jayega.

Ehtelam Yaani Bagair Hath Lagaye Mani Ke Kharij Hone Se Roza Nahi Tutta To Mazi Ke Nikalne Se Badarja Awla Roza Nahi Tutega.

Bhare Shariyat Me He,
Ehtelam Huva Ya Gibat Ki Roza Na Gaya. 
*📚(Bahare Shariyat Application, H-5, S-119)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓16 May 2020, 22 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mazi Nikalne Se Namaz Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Agar Mazi Ki Miqdar 
Ek Sui Barabar Ho Aur Kayi Baar Agar Ek Katre Se Kam Lekin Nazar Aane Ki Haalat Me Ho Aur Baar Baar Wasawis Aur Gair Itminaani E Qalb K Surat Me Aisa Lage K Mazi Kharij Huyi To Ab B Kya Us Kapde K Hisse Ko Aur Us Aaza Ko Dhona Farz Hai Ya Na Dhoya To Paki Baki Rahegi?

*🌹JAWAB:-🌹*
Mazi Najasate Galeeza Me Se He,

Najasat Galiza Ka Hukm Ye He Ki Agar Kapde Ya Badan Me Ek Dirham Se Zyada Lag Jaye To Uska Paak Karna Farz Hai, Be Paak Kiye Namaz Padhli To Hogi Hi Nahi Or Qasdan Padhi To Gunah Bhi Huva Or Agar Ba Niyyate Istekhfaaaf He To Kufr Huva.
Or Agar Ek Dirham Ke Barabar Hai To Paak Karna Wajib Hai,
Bagair Paak Kiye Namaz Padhi To Makruhe Tehrimi Hui Yani Aisi Namaz Ka Ae'aada Wajib He Or Qasdan Padhi To Gunahgar Bhi Huva.

Agar Ek Dirham Se Kam Hai To Paak Karna Sunnat Hai, Bagair Paak Kiye Namaz Namaz Ho Gai Magar Khilafe Sunnat Hui Or Uska Ae'aada Bahtar He.

Agar Najasat Patli Ho, Jaise Aadmi Ka Peshab Or Sharab (Mazi) To Dirham Se Murad Uski Lambai Chodai He Or Shariyat Ne Uski Miqdaar Hatheli Ki Gehrai Ke Barabar Batai Yaani Hatheli Khub Fela Kar Hamwaar Rakhe Or Us Par Aahista Se Itna Paani Daale Ki Us Se Zyada Paani Na Ruk Sake, Ab Paani Ka Jitna Failav He Utna Bada Dirham Samjha Jaye Or Uski Miqdaar Taqreeban Yahañ Ke Rupe Ke Barabar He.
*📚 Makhuz:(Bahare Shariyat, H-2, Najasato Ke Muta'alliq Ahkam)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️16 May 2020, 22 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Qaza Namaz Unke Waqt Par Hi Ada Karni He ? Fajar Ki Qaza Zohar Me Padhna ?

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
Ulmaae Ekram Ki Bargah Main Ek Sawal Arz Hai Ke..
Umar E Qaza Nmaz....Fazar Ke Waqt Zohar Ada Karsakte Hai Aur Asar Ke Waqt Fazar Ada Kar Sate Hain Kya Sirf Fazar Ke Waqt Fazar Ki Umar E Kaza Nmaz Ada Hogi Aur Zohar Ke Waqt Zohar Ki ??????
*🌹JAWAB:-🌹*
 و علیکم السلام و رحمۃ اللہ و برکاتہ 
Ha Qaza Namaz Ko Kisi Bhi Waqt Ada Kar Sakte Hai, Albatta Vaqt E Makrooh Ka Khayal Rakhhe K Us Vaqt Qaza Bhi Nahi Padh Sakte Hai.

Durre Mukhtar Me He,
وجميع أوقات العمر وقت للقضاء إلا الثلاثة المنهية وهي الطلوع والاستواء والغروب۔ 
Yaani Tamam Zindagi Qaza Namaz Ke Liye Waqt He Siwaye 3 Awqaat Munhiya Ke, 1. Tulu'a Aaftab, 2. Nisfun Nahar, 3.Guroob Aaftab.
*📚(Durre Mukhtar Ma'a Raddul Muhtar)*

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️1 May 2020, 7 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gair Muslim Ko Zakat Dena Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
 Assalamu Alaikum 

Aap Hazraat Ki Barhgah Me Aik Suwal He 
Ki Agar Koi Shaks Kisi Ger Muslim Ko Zakat Deta He To Kya Uski Zakaat Adaa Ho Jayegi Aur Agar Jaan Buj Kar Zakat Deta He To Uska Sharai Hukm Kya He Uski Zakat Ada Hogi Ya Nahi Ya Zakat Dena Haram He 

Jawab Inayat Farmaye Hawale Ke Sath Taki Isko Har Bhasha Me Likh Kar Logo Ko Aagah Kiya Jaye 
Badi Maherbani Hogi 

*🌹JAWAB:-🌹*
 وعلیکم السلام و رحمۃاللہ وبرکاتہ
Gair Muslim Ko Zakat Dene Se Zakat Ada Na Hogi Gair Muslim Ko Zakat Dena Haram.

Aala Hazarat Imam Ahmad Raza Khan Muhaddis Barailawi علیہ الرحمۃ والرضوان 
Kafir Mushrik Wahabi Rafazi Qadiyani Wagairah Ko Zakat Dene Ke Muatalliq Taherir Farmate Hain Ki,
 Un Ko Zakat Dena Haram Aur Un Ko Zakat Dene Se Ada Na Hogi.
*📚 Fatawa Razawiyah, J-4, S-491*
*📚Fatawa Faqihe Millat Jild-1 Safah-315*

Aur Aysa Hi *📚Bahare Shariyat Hissa 4 Zakat Ke Bayan* Me Durre Mukhtar Ke Hawale Se He,
*📚Durre Mukhtar, Kitabuz Zakat, J-3, S-356*
واللہ تعالیٰ اعلم
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️5 May 2020, 11 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aitekaaf Me Aurat Ko Ghar Ke Kaam Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Islami Behne Kya Aiteqaf Ki Halat M Ghar Ke Kaam Kar Sakti Hai Jab Ke Koi Qaid Na Ho ..

*🌹JAWAB:-🌹*
Aurato Ka Aitekaaf Apne Gharo Me He. Ghar Me Umooman Jis Jagah Namaz Ada Ki Jaati He Wahañ Aurte Aitekaaf Kare Or Agar Koi Muqarrara Jagah Nahi. To Ghar Me Kisi Ek Jagah Ko Muqarrar Karke Wahañ Aitekaaf Kare. Jise Masjide Bayt Bhi Kahte He.

Bahare Shariyat Me He, 
Aurat Ne Masjide Bayt Me Aitekaaf Wajib Ya Masnoon Kiya To Bagair Azr Wahañ Se Nahi Nikal Sakti, Agar Wahañ Se Nikli Agarche Ghar Hi Me Rahi Aitekaaf Jata Raha.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Aitekaaf Ka Bayan)*

Aitekaaf Karne Wali Aurat Ko Aitekaaf Me Beth Kar Ghar Ke Kaam Kaaj Karne Ki Ijazat Nahi Balki Ghar Ka Kaam Beti Ya Kisi Or Ko Karna Chahiye Or Aitekaaf Karne Wali Aurat Ko Apni Ibadat Gaah Par Rahna Chahiye Albatta Agar Koi Ghar Me Khana Pakane Wala Na Ho To Aitekaaf Waali Aurat Ko Jald Az Jald Khana Tayyar Kaar Lene Ki Ijazat He.
*📚(Aitekaaf Ka Bayan, Safha-29)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓14 May 2020, 20 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+91848

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aitekaaf Me Bagair Gusl Farz Huve Gusl Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamuallaikum

Hazrat 1 Sawal Hai 
Sunnat Aiteqaf Main Sirf Yuhi Gusl Karna Jaiz Hai Ya Nahi(agr Wajib Na Ho) ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Gusl Khana Fana E Masjid Me He, To Bagair Gusl Wajib Huve Garmi W Taro Taazgi Ke Liye Gusl Kar Sakta He.  

Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Fana E Masjid Jo Jagah Masjid Se Bahar Usse Mulhiq Zarooriyate Masjid Ke Liye He Maslan Juta Utarne Ki Jagah Or Gusl Khana Wagairah Unme Jaane Se Aitekaf Nahi Tutega.... Fana E Masjid Is Muaamla Me Masjid Ke Hukm Me He.
*📚(Fatawa Amjadiya, J-1, S-399)*

Or Agar Gusl Khana Masjid Ke Bahar He To Bagair Gusl Wajib Huve Sirf Taro Taazgi Ke Liye Gusl Karne Jane Se Aitekaf Toot Jayega.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️14 May 2020, 20 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Lockdown Me Nabalig Or Dadhi Munde Ke Pichhe Namaz

*🌹SAWAL:-🌹*
 Assalamualaikum
Aaj kal lockdown ki wajah se jo log gharo mein namaz padh rahe hai ye riwaj chal raha hai ki nabalig ladke bhi namaz padhana shuru kar diye hai aur aise log bhi namaz padha rahe hai jo dadhi bhi nahi rakhte aise logo ka kya hukm hai aap iska jawab ba hawala voice recording mein bheje to hum dusro ki galti ko sudar sake hazrat apki badi meherbani hogi.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Nabalig ke pichhe baligeen ki tarawih na hogi yahi sahih he.
Aurat, khunsa, nabalig ladke ki iqteda mard balig kisi namaz me nahi kar sakta, yahañ tak ki namaze janaza w tarawih w nawafil me, or mard balig in sab kaa imam ho sakta he.
*📚(Bahare Shariyat, H-3)*

Albatta nabaaligo ke imam Ke liye baalig hona shart nahi, balki nabalig bhi nabaliho ki imamat kar sakkta he, magar samajh wala ho.
*📚(Bahare Shariyat, H-3)*

Hamare Akabir Aulma Mashaikh auliya kaa yahi mazhab he ki dadhi mundaa haram. Or baqadre qanza (yaani muthi)) bhar wajib.

Jaisa ki Shah abdul haq Muhaddise dahelvi ne farmaya,
حلق کردن لحیه حرام است و گزاشتن آں بقدر
*📚(Ash'atul Lam'aat, J-1, S-228)*

Yaani dadhi mundaa haram ke qabza bhar chhodna wajib he.

Or Aala Hazrat imam ishqo Muhabbat farmate he,

Aagar koi ailanyaa fisqo fujoor karta he or koi laaiq imamat Nahi nahi milta to tanha namaza padhe kayu ki taqdeem fisqo gunah or us ke pichhe namaz makrooh tahrimi he.
*📚(Fatawa Razviya, J-6, s-600)*

Lihaza Jo Dadhi katwana ho ya had Shara'a se Kam rakhta ho vo laaiq imamat naahi use imam banana gunah padhi hui namaze ferni wajib.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️28 April 2020, 4 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Saheri Ke Baad Pata Chala Gusl Farz He To Kya Kare

*🌹SAWAL:-🌹* 
Assalamualaikum Warahmatullah wa barkatuhu,
Zaid Subah Me Sehri Ke Liye Utha Or Sehri Khaa Liye Baad Me Thode der Baad Usko Pata chala Ke Napaak Hai Gusl Wajib Ho gaya hai???

To Roza Me Kuch Kharaabi Aayegi Kya ?

Zina Ka Dawa Me Gawah Pesh Na Karna Or Machine Test Se Hamal Sabit Ho to ?

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kya Farmate He Aulma E Kiram Is Mas'ala Ke Bare Me Ki Hinda Ka Da'awa He Ki Uske Baap Zaid Ne Uske Sath Zana Kiya He Jab Ki Baap Ka Da'awa Ye He Ki Usne Nahi Kiya he, Ladki Ke Paas Gawah Nahi He, Ladki Ka Checkup Karaya Gaya Jis Ki Wajah Se Ye Baat Wazeh Hoti He Ki Baap Ne Zana Kiya He, Aysi Soorat Me Kya Machin Ke Test Ki Bina Par Zaid Or Uski Biwi Ke Darmiyan Alahidgi Ka Hukm Diya Jayega Ya Nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Machine Test Ek Majhool Shay He Or Shahadat Ki Salahiyat Nahi Rakhti Is Liye Zaid Or Uski Biwi Ke Darmiyan Judai Nahi Ki Jaa Sakti Shariyat Ka Qanoon Ye He Ki Zana Ke Muaamla Me Jab Tak Chaar Aynu Shahid Na Ho Zana Sabit Nahi Hoga, Agar 4 Me Se 3 Gawahi De Or Chota Gawahi Saaf Taur Par Na De To Un Tino Ko Tohmat Lagane Ki Saza (80 Kode Marne Ki) Di Jayegi.

Kyu Ki Zana Sabit Na Huva, To Tohmat Sabit Ho Gai, Or Usi Ki Had Jaari Ki Jayegi.

Jaisa Ki Qura'an Majeed He,
وَالَّذِينَ يَرْمُونَ الْمُحْصَنَاتِ ثُمَّ لَمْ يَأْتُوا بِأَرْبَعَةِ شُهَدَاءَ فَاجْلِدُوهُمْ ثَمَانِينَ جَلْدَةً وَلَا تَقْبَلُوا لَهُمْ شَهَادَةً أَبَدًا ۚ وَأُولَٰئِكَ هُمُ الْفَاسِقُونَ
Yaani Or Jo Paarsa Aurto Ko Ayb Lagaye Fir 4 Gawah Muaayna Ke Na Laaye Too Unhe Assi(80) Kode Lagao Or Unki Gawahi Kabhi Na Maano, Or Wahi Fasiq He.
*📚(Surah Noor, Aayat-4)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🎙Al-Jawab:- Hazrat Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*
*_📬idara Sharaiyah W Samaji Khidmat, Aala Hazrat Masjid NavaYard Vadodara Gujrat_*
*🗓️27 April 2020, 3 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Marhum Ki Qaza Namazo Ka Kafffara Kese Ada Kare

*🌹SAWAL:-🌹* AssalamuAlaikum

👇Hazrat Ek Sawal Hai'??
Jo Musalman Is Duniya Se Inteqal Kar Jata Hai Agar Us Ke Zimme Farz Namaze Baqi  Ho
To Inteqal Karne Ke Bad Us Shakhs Ke Qaza Namazon Ka Kaffara Kaise Ada Hoga'??

👆Hazrat Jawab Inayat Farmayiye Tafseel Ke Saat Maherbani Hogi

*🌹JAWAB:-🌹*
 وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jis Ki Namaze Qaza Ho Gai Or Inteqal Ho Gaya To Agar Wasiyat Kar Gaya Or Maal Bhi Chhoda to Uski Tihayi Se Har Farz W Witr Ke Badle Nisf Saa'a Gehuñ Ya Ek Saa'a Jaw Tasadsuq Kare.

Or Maal Na Chhoda Or Warsa Fidya Dena Chahe To Kuchh Maal Apne Paas Se Ya Qarz Le Kar Miskeen Par Tasadduq Karke Uske Qabza Me De, Or Miskeen Apni Taraf Se Use Hiba Karde. Or Ye Qabza Bhi Karle Fir Ye Miskeen Ko De, Yuñhi Lot Fer Karte Rahe Yahañ Tak Ke Sab Ka Fidya Ada Ho Jaye.

Or Agar Maal Chhoda Magar Vo Nakaafi He Jab Bhi Yahi Kare Or Agar Wasiyyat Na Ki Or Wali Apni Taraf Se Bataure Ehsan Fidya Dena Chahe To De Or Agar Maal Ka Tihayi Baqadr Kaafi He Or Wasiyyat Ye Ki Ke Usme Se Thoda Le Kar Lot Fer Karke Fidya Pura Karle Or Baaqi Ko Warsa Ya Or Koi Lele To Gunahgar Huva.
*📚(Bahare Shariyat, H-4)*

*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️4 May 2020, 10 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Bachpan Me Be Ilmi Me Mandir Me Pooja Ki To Kya Hukm He

*🌹SAWAL:-🌹*
 Assalamu Alaikum Hazrat

Ek Dost Ka Sawaal Hai Kii Jab Woh 16-17 Saal Ka Thaa Toh Woh Apne Hindu Dosto Ke Saath 2-3  Baar Mandir Gaya Tha  Aur Pooja Paath Bhi Kiya Lekin Us Time Pe Usko Deen Ke Baare Me Kuch Knowledge Nii Thaa Ki Usne Shirk Kiya Lekin Ab Use Yeh Ehsaas Hua Kii Usne Shirk Kiya Toh Aisi Haalat Me Ab Woh Kya Kare Kya Shirk Ki Maafi Hai Kyunki Usne Anjaane Me Kiya Toh Ab Woh Bahut Pachta Raha Hai Toh Ab Wo Kya Kre Jawab Irsal Farmaye Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*
 و علیکم السلام و رحمۃ اللہ و برکاتہ 
Ye Uzr K Usko Maloom Nahi Tha, Anjane Me Huva Ye Sab Uzr E Lung Hai, Kyu K  Zarooriyat E Deen Ka Ilm  Hasil Karna K Iman Ki Hifazat Ho Sake Farz E Ain Hai. 
Sidq Dil Se Touba Kare Astagfar Kalima Vagera Padhe Dobara Pir Sahab Se Bayat Kare Agar Shadi Hui Hai To Dobara Shadi Kare ..
و اللہ تعالی اعلم بالصواب

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️1 May 2020, 7 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aulma Ke Naam Ke Sath Qibla Lafz Lagana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹* 
Assalamualaikum
Ek Ka Sawal Hai Bahut Sare Ulama Ko Log Naam Ke Sath Qibla Kehte Hai Iska Kya Matlab Hai Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*
 وعلیکم السلام و رحمۃاللہ وبرکاتہ

Qiblah Ka Ek Maana Hai Kaabah Wo Simt Jidhar Musalman Munh Kar Ke Namaz Padhate Hain,
Aur Dusra Maana Hai Yeh Lafz Kalmaye Taazim Hai
Hazarat Aur Janab Ke Maane Me Bhi Aata Hai,
Isi Tarah Lafze Qiblah Wa Kaabah Bhi Kalmaye Taazim Wa Takrim Hai
*📚(Firoozul Loogat Safah 511)*

Ulama, Peer, Ustaz, Ya Kisi Badi Shakhsiyat Ke Naam Ke Sath Jo Qiblah Ka Kaha Ya Likha Jata Hai Wah Hazrat Aur Janab Ke Maane Me Hota Hai.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️9 May 2020, 15 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namaz Me Bich Wali Aayat Chhod Kar Baad Wali Aayat Padhna

*🌹SAWAL:-🌹*
Jab Imam Namaz Padhaye Aur Suarh Fatiha K Baad K Jb Surat Milaye To Teen Aayat Padhna Jaruri H Lekin Imam Ne Namaz Padhayi Aur Ek Ayat Padhne K Baad Dusri Aayat Bhul Kr Chut Gayi Aur Fir Agli Kuch Aayate Padh

Sawal Ye Hai Ki Kya Ek Aayat Padhne K Baad Dusri Aayat Bhul Kr Chut Jaye Aur Fir Agli Kuch Aayte Padhe To Namaz Ka Kya Huqm H

Aur Dusra Sawal Ye Ki Imam Ne Surah Falak Ki Shuru Ki Teen Aayate Padhi Aur 4thi Aayat Bhul Gaye Fir 5vi Aayat Padhi To Ab Namaz Ka Kya Huqm H
Rehnumayi Farmaye Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Soorate Mas'ula Me Imam Sahab Ne Bhul Kar Ek Aayat Chhod Kar Dusri Aayat Padhi To Agar Usse Ma'ana Me Fasad Lazim Aata He To Namaz Na Hogi Or Agar Ma'ana Fasid Na Huva To Namaz Ho Gai. Or Is Tarah Karna Makrooh He Or Agar Bhul Se Aysa Hua To Lote Or Chhuti Hui Aayate Padhe.

Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Qira'at Me Galti Hone Me Qaaida E Kulliya Ye He Ki Agar Aysi Galti Hui Jis Se Ma'ana Bigad Gaye, Namaz Fasid Ho Gai, Warna Nahi.
*📚(Bahare Shariyat Application, H-3, S-122)*

Or Farmate He,

Agar Ek Hi Raka'at Me Chand Aayate Padhi Fir Kuchh Chhod Kar Dusri Jagah Se Padha To Makrooh He Or Bhul Kar Aysa Huva To Lote Or Chhuti Hui Aayate Padhe.
*📚(Bahare Shariyat H-3, S-117)*

Or Masaile Sajda e Sahw Me He,
Agar Kisi Ne Ek Hi Raka'at Me Kisi Surah Ki Chand Aayate Padhi Fir Kuchh Chhod Kar Dusri Jagah Se Usi Surah Ki Aayate Padhi To Aysa Karna Makrooh He Or Agar Bhul Kar Aysa Huva To Yaad Aate Hi Lotaye Orr Chhuti Hui Aayate Padhe, Magar Is Par Sajda E Sahw Nahi.
*📚(Masaile Sajda S Sahw, S-64)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓7 May 2020, 13 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+91848

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Sajda e Tilawat Ka Tariqa

*🌹SAWAL:-🌹*
Sajda e Tilawat Ka Tariqa Kya He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Sajda E Tilawat Me Niyat Is Tarah Kare Ki Mene Jo Aayate Sajda Suni Yaa Padhi Uske Liye Sajda E Tilawat Kar Raha Hu, Uski Niyat Me Ye Shart Nahi Ki Falañ Aayat Ka Sajda He Balki Mutlaqan Sajda E Tilawat Ki Niyat Kaafi He.

Sajda E Tilawat Ke Liye Allahu Akbar Kahte Waqt Na Hath Uthanaa He Or Na Us Me Tasha'hud He Na Salam.

Sajda Ka Masnoon Tariqa Ye He Ki Khada Ho Kar Allahu Akbar Kahta Huva Sajda Me Jaaye Or Kam Se Kam 3 Baar "SubhanaRabbil Aa'ala" Kahe, Fir Allahu Akbar Kahta Huva Khada Ho Jaye,

Pahle Or Aakhir Me Dono Baar Allahu Akbar Kahna Sunnat He Or Khade Ho Kar Sajda Me Jana Or Sajda Ke Baad Khada Hona Ye Dono Qayam Mustahab He.
*📚Makhuz (Bahare Shariyat, H-4, Sajda E Tilawat Ka Bayan)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
 *_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️5 May 2020, 11 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Lockdown Me Chhutiyo Ki Mudarriseen Ko Tankhwañ Dena

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Sawal Madarsa Me Ramzan Ul Mubarak Me Maulana Sahab Ko Tankha Dabal2 Di Jaati Hai

Aur Abhi Corona Ke Mutabik Kya Maulana Sahab Ko Tankha De Sakte Hain Dabal 2
Rehnumaye  Farmaye Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Soorate Mas'ula Me Mudarris Sahab Ko Jitni Tankhwañ Ramzanul Mubarak Me Dete He Utni Tankhwañ Abhi Lockdown Ki Wajah Se Bhi Ramzanul Mubarak Me Di Jaye Is  Chhuti Ki Wajah Se Unki Tankhwañ Ko Na Dena Ya Kam Dena Jaiz Nahi, Kyuñ Ki Ye Chhuti Khud Mudarris Ne Nahi Li Balki Hukumat Ki Taraf Se He.

Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Chhuti Ke Dino Me Agarche Mudarriseen Se Kaam Nahi Liya Jata Magar Vo In Dino Ki Tankhwañ Paane Ke Mustahik He.

Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,

Mudarriseen W Amsaalahum Ajeere Khas Hai. Or Ajeere Khas Par Waqte Muqarrara Ma'ahuda Me Tasleeme Nafs Laazim He Or Usi Se Vo Ujrat Ka Mustahiq Hota He Agarche Kaam Na Ho. Jis Qadar Tasleeme Nafs Me Kami Hogi Utni Tankhwañ Waza'a Hogi. Ma'amuly Ta'atileñ Maslan Jumuah, Eidain Or Ramzanul Mubarak Is Hukm Se Alag He Ki In Ayyam Me Be Tasleeme Nafs Bhi Mustahiqe Tankhwañ He.
*📚(Fatawa Razviya, J-8, S-170)*

Or *📚Durre Mukhtar Ma'a Shami, J-8, S-69* Me He,
الاجیرالخاص ویسمی اجیروحد وھومن یعمل لواحد عملا موقتا بالتخصیص ویستحق الاجیر بتسلیم نفسه فی المدة وان لم یعمل کمن استؤجر شھرا للخدمة ۔اھ

Or *📚Raddul Muhtar, J-4, S-372* Me He,
حیث کانت البطالة معروفة فی یوم الثلاثا والجمعه وفی رمضان والعیدین یحل الاخذ۔
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-2, S-230)*

Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Farmate He,
Ta'atilate Ma'ahuda (Yaani Mukarrara Chhutiyo) Me Misl Ta'atteel Maahe Mubarak Ramzan W Eidain Wagairah Ki Tankhwañ Mudarriseen Ko Beshak Di Jayegi.
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-19, S-437)*

Lihaza Trusty Hazraat Par Laazim He Ki Lockdown Ki Chhutiyo Ki Tankhwañ Mudarriseen Ko Ada Kare Jese Har Saal Double Tankhwa Dete He To Is Saal Lockdown Me Bhi Double Hi Denge, Kyuñ Ki Mudarriseen Ne Apni Marzi Se Chhuti Nahi Li, Balki Ye Hukumate Hind Ki Janib Se Chhuti He Agar Hukumat Ki Taraf Se Chhuti Na Hoti To Mudarriseen Zaroor Hazri Dete.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
 *_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️4 May 2020, 10 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+9184

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Majboori Me Mic Par Namaz Padhane Wale Imam Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
Sawal;-Ke  Imam Shab Ko Pta Hai Ke Mic Main Nmaz Nhi Hoti Aur Masjid Walo'n (Kameeti)..Ke Kehne Pe Mic Main Nmaz E JUMA'A Padhaa Rhe Hain To Unpe Kya Hukoom Lagegaaa,..........

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Log Mic Se Namaz Padhne Par Majboor Kare To Mukabbireen Ka Bhi Intezam Kiya Jaye Or Muqtadiyo Ko Aagah Kar Diya Jaye Ki Vo Mukabbir Ki Aawaz Par Iqteda Kare. 

Isi Tarah Mukabbireen Ko Bhi Hidayat Ki Jaye Ki Vo Bhi Loudspeaker Ki Aawaz Par Iqeda Na Kare.

Kahiñ Mukabbir Muqarrar Karne Ki Bhi Soorat Na Bane To Imam Mas'ala Bata De Vo Is Bina Par Imamat Se Musta'afi Na Ho.
*📚(Faisla Jaat Sharai Counsil Baraily Shareef, S-38)*

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓4 May 2020, 10 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Girvi Maal Ka Lockdown Me Zakat

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Sawal Ye He 1 Lakh Me Ghar Girvi Rakha He To Kiya Us Shaqs Ko Zakat Deni Padegi Or Uske Pas Ye Lok Dwaun Ke Mahol Me Itna Pesa Nahi He Ke Vo Zakat De Sake To Uspar Kiya Hukm He Jawab Inayat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
بسم اللہ الرحمن الرحیم
Zahir Yahi Hai K Jo Usne Giroh Makan Rakh Kar Ek Lakh Diya Hai Uski Hasiyat Qarz Ki Hai Aur Jo Bhi Hamara Paisa Dusre Par Qarz Aata Hai Uski Zakat Malik Par Vajib Hoti Hai. Lihaza Aap Par Us Ek Lakh Ki Zakat Vajib Hai ..lekin Aap Ne Majburi Zahir Ki K Lockdawon Me Aap Ke Paas Zakat Nikalne Ke Paise Nahi Hai To Koi Harj Nahi Shariat E Mustafa ﷺ Bahut Aasan Hai Us Ne Aap Par Ye Enaam Aur Ehsan Kiya K Abhi Uski Zakat Ada Karna Aap Par Wajib Nahi Balki Jab Voh Rupe Aap Ke Pas Aajaye Tab Usko Ada Karna Vajib Hai. Magar Jab Bhi Aap Ko Aasani Ho Ada Karde To Behter Hoga. Aysa Hi Kutub E Fiqh Me Mazkur Hai
ھذا ما ظھر لی و اللہ تعالی اعلم بالصواب
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️1 May 2020, 7 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•


Qarz Daar Ko Zakat Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Aulmao Ki Bargah Me Suwal He ,
 Ye He Ek Dost Landan Me Student Vize Pe Gaya He Vaha Vo Padhai Bhi Karta He Or Job Bhi Karta He Lekin Uske Valid Ne India Se Bheja Takriban 5 Ya 6 Lakh Karz He To Us Dost Ko Zakat Deni Hogi 
Jabke Vo Job Karke Kamata He 


*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
بسم اللہ الرحمن الرحیم
Sara Qarz Nikalne Ke Bad Agar Voh Sahib E Nisab Nahi Rahta To Us Par Zakat Farz Nahi Yani Jab Uska Qarz Uske Sare Nisab Ko Gher Le Aur Bad Me Kuchh Bhi Nisab Na Bache To Is Soorat  Me Zakat Farz Nahi,
Aisa Hi Bahar E Shariat Me Hai 
و اللہ تعالی اعلم بالصواب 

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️1 May 2020, 7 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aurat Ko Joda Bandh Kar Ya Baal Khule Rakh Kar Namaz Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
assalamualyekum hazrat kya orat bina choti bandhe namaz padh sakti h juda bandh kar ya bal khule chod kar agar nhi padh sakti to q nhi padh sakti iski kya wajah h rehnumayu farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aurat Choti Bandh Kar Namaz Padh Sakti He Isme Koi Harj Nahi, Or Baal Khule Rakh Kar Bhi Namaz Padh Sakti He Bashrteki Baal Parde Me Rahe Ki Aurat Ke Baal Bhi Aurat He. Yaani Chhupane Ki Cheez He, Or Agar Aurat Ke Baal Bahar Nazar Aaye To Namaz Na Hogi. Bahetar Yahi He Ki Joda Bandh Kar Ya Balo Ko Chhupa Kar Hi Namaz Padhe. 

Jais Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Joda Bandhne Ki Karahat Mard Ke Liye Zaroori He, Hadees Me Saaf نھی الرجل He, Aurat Ke Baal Aurat Hai Pareshan(Khule) Honge To Inkeshaf Ka Khauf He Or Choti Khulne Ka Use Gusl Me Bhi Hukm Na Huva Ki Namaz Me Kaffe She'ar Gandhi Choti Me He Jab Usme Harj Nahi Jode Me Kya Harj He.
*📚(Fatawa Razviya, J-7, S-296)*

Or Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Agar Chadar Me Se Aurat Ke Baalo Ki Siyahi Chamke Namaz Na Hogi.
*📚(Bahare Shariyat Application, H-3, S-48)*

Or Farmate He,

Itna Bareek Dupatta Jis Se Baal Ki Siyahi Chamke, Aurat Ne Udh Kar Namaz Padhi, Na Hogi, Jab Tak Us Par Koi Aysi Cheez Na Udhe, Jis Se Baal Wagairah Ka Rang Chhup Jaye.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-3, S-49)*

Baal Khol Kar Namaz Padhne Se Baal Nazar Aa Sakte he, Lihaza Bahetar Yahi He Baal Bandh Kar Hi Namaz Padhe.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓2 May 2020, 8 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Tarawih Me Quraan Dekh Kar Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Suwal:- Assalamualaikum Taraweeh  me quran shareef dekh kar padna kaisa hai? 
Kuch log kehte hain ke us zamane me ghulaam quran dekh kar padte hain jiska zikr riwayato me aaya hai.. 
Wazahath kardein ..

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Tarawih Ya Kisi Bhi Namaz Me Qura'an Shareef Dekh Kar Namaz Padhna Mutlaqan Mufside Namaz He Yaani Namaz Hogi Hi Nahi.

Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Namaz Me Mas'haf Shareef Se Dekh Kar Qura'an Padhna Mutlaqan Mufside Namaz He, Yuñhhi Agar Maherab Wagairah Me Likha Ho Use Dekh Kar Padhna Bhi Mufsid He, Haañ Agar Yaad Par Padhta Ho Mas'haf Ya Maherab Par Faqat Nazar He, To Harj Nahi.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-3, S-177)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️1 May 2020, 7 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Asar Ke Baad Sajda E Tilawat Karna

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Sawal....
Mere Ghar Haafiz Sahab Aate Hai Namaz Padane.... Unhone Mujhe Bole Hai K Asar Baad Hum Qurani Ayato Ka Sajda Nahi Kar Skte.......Jaise Hum Quran Sharif Padte Hai Or Usme Jo Sajda Ata Hai...uska Sajda Nahi Karna Hai.....or Aisa Bole K Asar Baad Koi Dusri Ibadat Nahi Kar Skte....or Sajda B Ibadat E Hai Bole......

Mai Asar Baad E Quran Sharif Padta Hu Or Sajda B Turant Kar Leta Hu......

Sawal Ye Hai K Asar K Baad Quran Sharif Ka Sajda Karna Kaisa....❓

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Awqate Makrooha Yaani Tulu'a Aaftab, Nisfun Nahar, Gurube Aaftab, In Waqto Me Kisi Bhi Tarah Ka Sajda Karna Jaiz Nahi, Iska Lagbhag Waqt 20 Minutes Hota He, In Waqto Me Namaz Padhna Ya Sajda Karna Jaiz Nahi, 

Lihaza Asar Ki Namaz Ke Baad Agar Gurube Aaftab Ka Waqt Nahi Hua He To Sajda E Tilawat Kar Sakte He, Or Agar Gurube Aaftab Ka Waqt Ho Gaya Ho (Yaani Magrib Ke Waqt Se 20 Minutes Pahle Tak) Sajda E Tilawat Karna Bhi Jaiz Nahi.

Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Tulu'a W Guroob W Nisfun Nahar In Tino Waqto Me Koi Namaz Jaiz Nahi, Na Farz Na Wajib Na Nafl Na Ada Na Qaza, Yuñhi Sajda E Tilawat W Sajda E Sahw Bhi Najaiz He, Albatta Us Roz Agar Asar Ki Namaz Nahi Padhi To Agarche Aaftab Dubta Hoo Padhle, Magar Itn Takheer Karna Haram He.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-3, S-22)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓1 May 2020, 7 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Roza Me Nakhun Or Baal Katwana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Roze Ki Halat Me Nakhun Or Baal Katwana Ya Zere Naaf Katarna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Roze Ki Halat Me Baal Tarashwana, Mooe Zere Naaf Mundna, Nakhun Tarashna Wagairah Sab Jaiz He, Or Mufside Som (Roza) Nahi.
*📚(Fatawa Baraily Shareef, S-358)*

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️30 April 2020, 6 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Farz Namaz Ki Ek Waqt Me Ek Jagah Do Jamaat Karana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Farz Namaz ki  jamat ek jagah par ek sath do imam.  Kar sakte he ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ek Masjid Me Ek Hi Waqt Me Farz Namaz Ki Do Jama'at Qasdan Karna Bila Wajhe Sharai Najaizo Mamnoo'a He, Or Aysi Tafreeq Saraahatan Bid'ate Saiyyah Shaniaa He, Magar Namaz Ho Jayegi.

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Ek Masjid Me Ek Farz Ki Do Jama'ate Ek Sath Qasdan Karna Bila Wajhe Sharai Najaiz W Mamnoo'a He Lekin Ek Jama'at Hanfiya Ki Imam Hanfi Ke Pichhe Ho Or Dusri Shafaiya Ya Maalikiya Ya Hambaliya Ki Apne Ham Mazhab Imam Ke Pichhe Ho Us Me Harj Nahi Jis Tarah Harmain Shareefain Me Ma'amool He Ki Ye Wajhe Sharai Se He.
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-7, S-199)*

Or Farmate He,
Adame Jawaaz Ba Ma'ana Gunah To Jamee'a Faraiz Me He Soorate Sawal Se Zahir Ki Dida W Danista Do Jama'ate Bil Qasd Is Tarah (bich Me Parda Daal Kar Parde Ke Dono Etraf) Ki Or Kisi Farz Ki Do Jama'ate Ek Masjid Ek Waqt Me Bilqasd Qaaim Karna Hargiz Jaiz Nahi, Dono Fareeq Ya Laaqul Dono Me Se Ek Zaroor Gunahgar Hova Ki Jama'ate Faraiz Ki Aysi Tafreeq Saraahatan Bid'ate Saiyyah Shaniaa He, Agar Dono Imam Me Sirf Ek Saleh Imamat Bila Karahat He, Maslan Dusra Fasiqe Mu'allin Ya Bad Mazhab He Jab To Karahat Sirf Us Dusre Par He, Or Agar Dono Saleh To Jis Ki Niyat Pahle Bandh Gai Us Par Ilzam Nahi Dusre Par He, Or Ma'am (ek Sath) Bandhi To Dono Par. Or Jumuah Me To Jawaz Ba Ma'ana Sehat Hi Nahi Kam Se Kam (dono Me Se) Ek Fareeq Ka Jumuah Sare Se Ada Hi Na Hoga.
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-8, S-320)*

Haañ Ek Jama'at Ke Khatm Hone Par Us Farz Ki Dubara Jama'at Kar Sakte He, Magar Is Tarah Ki
Jis Tariqe Par Pahli Jama'at Yaani Mukarrar Imam Ne Bich Maherab Me Jis Jagah Par Padhai Us Jagah Par Dusra Imam Wahi Namaz Azan Or Iqamat Ke Sath Qaaim Nahi Kar Sakta, Tagyere Hayate Ula Yaani Jab Dusra Imam Dusri Jama'at Karaye To Fir Dubara Azan Na De Sirf Iqamat Kah Le, Or Iqamat Ke Sath Namaz Padhaye Or Jahañ Par Pahli Jama'at Qaaim Hui Us Jagah Ko Chhod Kar Dusri Jagah Par Jama'at Qaaim Kare To Is Tariqe Se Jama'at Qaaim Ho Sakti He.
Jaisa Ki *📚(Bahare Shariyat, H-3, Jama'at Ka Bayan)* Me He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️29 April 2020, 5 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•*🌹SAWAL:-🌹*
Farz Namaz ki  jamat ek jagah par ek sath do imam.  Kar sakte he ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ek Masjid Me Ek Hi Waqt Me Farz Namaz Ki Do Jama'at Qasdan Karna Bila Wajhe Sharai Najaizo Mamnoo'a He, Or Aysi Tafreeq Saraahatan Bid'ate Saiyyah Shaniaa He, Magar Namaz Ho Jayegi.

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Ek Masjid Me Ek Farz Ki Do Jama'ate Ek Sath Qasdan Karna Bila Wajhe Sharai Najaiz W Mamnoo'a He Lekin Ek Jama'at Hanfiya Ki Imam Hanfi Ke Pichhe Ho Or Dusri Shafaiya Ya Maalikiya Ya Hambaliya Ki Apne Ham Mazhab Imam Ke Pichhe Ho Us Me Harj Nahi Jis Tarah Harmain Shareefain Me Ma'amool He Ki Ye Wajhe Sharai Se He.
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-7, S-199)*

Or Farmate He,
Adame Jawaaz Ba Ma'ana Gunah To Jamee'a Faraiz Me He Soorate Sawal Se Zahir Ki Dida W Danista Do Jama'ate Bil Qasd Is Tarah (bich Me Parda Daal Kar Parde Ke Dono Etraf) Ki Or Kisi Farz Ki Do Jama'ate Ek Masjid Ek Waqt Me Bilqasd Qaaim Karna Hargiz Jaiz Nahi, Dono Fareeq Ya Laaqul Dono Me Se Ek Zaroor Gunahgar Hova Ki Jama'ate Faraiz Ki Aysi Tafreeq Saraahatan Bid'ate Saiyyah Shaniaa He, Agar Dono Imam Me Sirf Ek Saleh Imamat Bila Karahat He, Maslan Dusra Fasiqe Mu'allin Ya Bad Mazhab He Jab To Karahat Sirf Us Dusre Par He, Or Agar Dono Saleh To Jis Ki Niyat Pahle Bandh Gai Us Par Ilzam Nahi Dusre Par He, Or Ma'am (ek Sath) Bandhi To Dono Par. Or Jumuah Me To Jawaz Ba Ma'ana Sehat Hi Nahi Kam Se Kam (dono Me Se) Ek Fareeq Ka Jumuah Sare Se Ada Hi Na Hoga.
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-8, S-320)*

Haañ Ek Jama'at Ke Khatm Hone Par Us Farz Ki Dubara Jama'at Kar Sakte He, Magar Is Tarah Ki
Jis Tariqe Par Pahli Jama'at Yaani Mukarrar Imam Ne Bich Maherab Me Jis Jagah Par Padhai Us Jagah Par Dusra Imam Wahi Namaz Azan Or Iqamat Ke Sath Qaaim Nahi Kar Sakta, Tagyere Hayate Ula Yaani Jab Dusra Imam Dusri Jama'at Karaye To Fir Dubara Azan Na De Sirf Iqamat Kah Le, Or Iqamat Ke Sath Namaz Padhaye Or Jahañ Par Pahli Jama'at Qaaim Hui Us Jagah Ko Chhod Kar Dusri Jagah Par Jama'at Qaaim Kare To Is Tariqe Se Jama'at Qaaim Ho Sakti He.
Jaisa Ki *📚(Bahare Shariyat, H-3, Jama'at Ka Bayan)* Me He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️29 April 2020, 5 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91848
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Tijarat Ka Maal Kitna He Maloom Na Ho To Zakat Kese Ada Kare

*🌹SAWAL:-🌹*
Zakat Ka Ek Masla Ye Hai Ki, Maal E Tijarat Kis Tarah Hisab Lagae?
Khudra Vyapari Hain, Kitna Maal Rakha Hua H Iska Ilm Nahi Or Na Hi Iska Hisab Lagaya Ja Sakta H, Kitna Khareeda Or Kitna Becha Iska Bhi Hisab Nahi Hai, Is Soorat Me Kis Tarah Zakat Nikal Sakte Hain.

*🌹JAWAB:-🌹*
Surate Mazkura Me Vyapari Apne Maal Ka Etna Hisab Andaze Se Lagaye K Use Galibe Guman Ya Yaqin Ho Jaye K Is Se Kam Nahi Hoga ..ha Ziyada Ho Sakta Hai ..to Jo Zakat Ke Barabar Hoga Vo Zakat me  Shumar Hoga Aur Ziyada To Vo Zaye Nahi Hoga Apne Rab Tala Ke Yaha Zakhira Aur Savab Payega ..
Aisa Hi *📚Fatawa Razviya Sharif* Me Hai 
و اللہ تعالی اعلم بالصواب
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️29 April 2020, 5 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Erturgal Drama Dekhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Allah Ke Wali Gazi Erturgal Ke Naam Par Aaj Jo Serial Film Ya Drama Banaya Jaa Raha He Kya Tarikhe Islam Ki Maloomat Ke Liye Ise Dekhna Jaiz He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Gair muslim Or Digar Mazhab Wale Apne Jhuthe Khudao Ke Naam Par Film Or Drame Banate Aa Rahe Hai Afsos Aaj Islam Or Digar Buzurgane Deen Or Khas Islam Ki Azeem Hasti Allah Ke Walli Gaazi Erturgal Rahematullah Alaihi Ke Naam Par Bhi Drame Or Filme Banai Ja Rahi He.

Isi Tarah Islam Ke Naam Par Film Banana Haqiqat Me Ye Islam Ka Tamasha Banana He Or Jo Log Islam Ka Tamasha Banate Hai Unke Ta'alluq. Se Quraan Kareem Me Wazeh Farman Maujud He,

Allah Ta'ala Qura'an Azeem Me Irshad Farmata He,
یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا لَا تَتَّخِذُوا الَّذِیْنَ اتَّخَذُوْا دِیْنَكُمْ هُزُوًا وَّ لَعِبًا مِّنَ الَّذِیْنَ اُوْتُوا الْكِتٰبَ مِنْ قَبْلِكُمْ وَ الْكُفَّارَ اَوْلِیَآءَۚ-وَ اتَّقُوا اللّٰهَ اِنْ كُنْتُمْ مُّؤْمِنِیْن
*📚(Surah Maaida, Aayat-57)*

Ay Iman Walo ! Jo Logo Ko Tum Se Pahle Kitab Di Gai Unme Se Vo Log Jinhone Tumhare Deen Ko Mazaq Or Khel Bana Liya He Unhe Or Kafiro Ko Apna Dost Na Banao  Or Agar Iman Rakhte Ho To Allah Se Darte Raho.

Lihaza Ye Film Or Drama Dekhna Or Use Aage Share Karna Najaiz W Haram He Kyuñ Ki Ye Film Bhi Or Filmo Ki Tarah He Yaani Isme Bahut Se Khilafe Shara'a Kaam Paaye Jate He,

Maslan Music, Aurte, Ishqe Mijazi Wagairah Jo Bila Shuba Qat'an Haram He. 
Aur is tarah ki filmen agar dekhi jaegi to jab bhi hamare buzurgo ka tazkera hoga hamara zahan in faseeqo ki taraf jaega aur ye  buzurgan e din tavhin  be adabi he 

Lekin Chuñki Isme Islam Ki Tarikh Batai Gai He Is Bina Par Log Samajhte Hai Ki Iske Dekhne Me Harj Nahi Or Isme Kuchh Sikhne Ko Bhi Milta He.

Lekin Ye Haqiqat Me Shaitan Ka Bahut Bada Dhoka He.

Allah Ta'ala Qura'an Majeed Me Irshad Farmata He,
زَیَّنَ لَهُمُ الشَّیْطٰنُ مَا كَانُوْا یَعْمَلُوْنَ
*📚(Surah An'aam, Aayat-43)*

Shaitan Ne Unke Aamal Unke Liye Aarasta Kar Diye The.

Yaani Kaam To Gunah Wala He Lekin Shaitan Se Bahkane Ss Ye Kaam Logo Ko Bahut Achcha Lagta He.

Khudara Tarikhe Islam Ka Mazaq Naa Udao Aaj Jo Musalman Is Drame Ko Shoq Se Dekh Rahe Hai Kal Ma'azAllah Hamare Nabi Ki Seerat Par Bhi Filme Banai Jayegi To Kya Log Ye Kah Kar Filme Dikhege Ki Is Se Kuchh Sikhne Milta He, Astagfirullaah

Jise Tarikhhe Islam Ka Shoq Hee To Vo Kitabo Ka Muta'ala Kyuñ Nahi Karta Lekin Chuñki Logo Ko Filme Dekhna Pasand He Or Ye Islam Ke Naam Par Ek Drama Banaya Gaya He Is Liye Log Apni Hawash Puri Karne Ke Liye Islam Ki Aad Me Ye Drame Dekhte Hai.

Lekin Yaad Rakhna Galat Kaamo Koo Dekhnna Bhi Galat Kaamo Par Madad Karna He Kyuñ Ki YouTube Par Uski Video Par Jitne Views Zyada Honge Utni Hi Us Fillm Banane Wala Ko Madad Milegi Or Use Maali Nafa'a Bhi Hoga.

Allah Ta'ala Qura'an Majeed Me Irshad Farmata He,
وَلَا تَعَاوَنُوا عَلَى الْإِثْمِ وَالْعُدْوَانِ ۚ
*📚(Surah Maaidah, Aayat-2)*
Gunah Or Zyadati Par Ek Dusre Ki Madad Na Karo.

Lihaza Ye Film Or Drama Or Isi Tarah Or Filme Or Drame Bhi Dekhna Najaizo Haram He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️11 May 2020, 17 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

*🌹SAWAL🌹* 
Ertugrul Darama Dekhna Kaisa Hai? Kya Is Darama Ko Dekhne Se Imaan Me Taazgi Aayegi? Jab Key Kuch Aalim Hazaraat Bhi Ise Jaaiz Samajh Kar Khud Bhi Dekhte Hain Aur Logo Ko Dekhne Ki Talqeen Bhi Karte Hai'n Shar'an Us Aalim Per Kya Hukm Hoga? 


*🌹JAWAB🌹*
Har Tareh Ke Filmi Darame, movies, Wagairah Dekhna Na-Jaaiz O Haraam Wa Sakht Gunaahe Azeem Hai. Agar Che Ba-zaahir Use Deeni Ma'amlaat Per Hi Kiyo'n Na Filmaya Gaya Ho.
Sarkaar E Aala Hazrat رضي الله عنه Fatawa Razviyah Shareef Me Tahreer Farmate Hai'n

 "Huzoor ﷺ Ne Zi-Rooh Ki Tasveer Banaana Banwaana,  Aezaazan Apne Paas Rakhna Sab Haraam Farmaya, Aur Un Per Sakht Waeede'n Irshaad Ki'n Aur Un Ko Door Karne Aur Mitaane Ka Hukm Diya Ahaadees Is  Bare Me Hadde Tawaatur Per Hai'n"
*📚(part 9 page 143)*

Huzoor  Shareh Bukhari  علیہ الرحمۃ والرضوان Farmate Hai'n "Ghar Me T.v Rakhna Haraam Aur Use Dekhna, Dikhaana Sab Haraam Key Buks(Screen) Par Jo Insaani Tasveer Nazar Aati Hai Tasveer Hai Aur Bil-Qasd Tasveer Ko Dekhna Bhi Haraam Agar Che Kisi Allah Ke Wali Ki Ho"
*📚(Mah Naama Ashrafiya, Shumarah December 1994ء)*

Rahi Baat Ertugrul Darama Ki To Yaad Rakhen Ghazi ErtuGrul Khilafate Usmaniya Ke Baani Usmaan Al Awwal Ke Walid The Jo Ke Bahut Hi Nek Sifat Aur Islaam Ke Ja'nbaaz Sipaahi The Aur Apne Mujaahidana Kirdaar Se Islaam Ko Khoob Taqviyat Di Hai. To Zahir Hai Agar Koi Shakhs In Ke Roll Me Kisi Nachaniya Actor Ko Dekhe Ga To Jab Bhi Aap Ka Zikre Khair Hoga Aap Ka Khayaal Us Nachaniya Darama Baaz Ki Shakl Me Zahen O Fahem Me Aa Chapega Jab Key Ye Kisi Had Tak Durust Nahi Hai Aur  Ye Allah Ke Nek Bandon Ke Waqaar O Hurmat ki Pa-maali Ka Sabab Hai.Lehaza Is Tarah Ke Daramo Se Musalmano Ko Parhez Karna Chahiye. Aur Hukme Shara'a Awaam Wa Khawaas Har Kisi Ke Liye Hai Agar Koi Aalim Is Tareh Ke Darame Ko Jayez Maan Kar Dekhe Aur Awaam Ko Dekhne Ki Talqeen Kare To Ayesa Shakhs Sakht Fasiq O Faajir Mustahiqe Azaabe Naar Hai Aur Ayesa Shakhs Hargiz Aalim Nahi Ho Sakta Ba-Naam Aalim Ayesa Shakhs Nira Jahil Hai.

Yaad Rahe Key Haraam Wa Gunaah Ke Raaste Se Deen Ki Tableeg O Isha'at Hargiz Nahi Ho Sakti Key Gande Naale Me Agar Doodh Baha Diya Jaye To Doodh Ab Apni Asl Per Baaqi Na Raha Na Hi Koi Use Peena Gawarah Karega .Isi Tareh Se Napaak Pani Se Qata'an Paki Hasil Nahi Ki Ja Sakti.

Agar Waqaee Imaan Me Taazgi Lana Hai To Buzurgo'n Ki Sirat E Karima ka Kutub E Saheeha se Mutala Kare'n Aur Un Ke Pakeezah Wa Mujahidaana Kirdaar Ko Apne Liye Mash'ala E Raah Banae'n.

Lehaaza Musalmano Ko Chahiye Key Is Tareh Ke Daramo Se Ijtenaab Kare'n Aur Pur Zor Boycott Kare'n .واللہ تعالیٰ اعلم
*✍Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Ubaid Akhtar Ziyaee Amjadi Sahab Qibla*
*📬Jamat Raza E Mustafa Upleta*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts