KYA JANNAT OR JAHANNAM ME BHI JANWAR HOGE QURAAN W HADISH KI ROSHNI ME

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya jannat or Jahannam me bhi Janwar hoge ?
quraan w hadish ki roshni me..

*🌹JAWAB:-🌹*

👉(1) Parindah ke Jannat mein hone ki daleel:
Allah Taala ne Quran e Kareem mein farmaya:

وَلَحْمِ طَيْرٍ مِّمَّا يَشْتَهُونَ​

Tarjumah: Aur parindon ke gosht jo chahe..
*📚(Surah Al-Waqi’ah, Surah No: 56 Ayat No: 21)*

Sahih Muslim mein hai ke shaheedon ki roohein sabz rang ke parindon ke andar hain aur Jannat mein jis jagah chahein charti, chugti aur udti phirti hain:

أَرْوَاحُهُمْ فِي جَوْفِ طَيْرٍ خُضْرٍ، لَهَا قَنَادِيلُ مُعَلَّقَةٌ بِالْعَرْشِ، تَسْرَحُ مِنَ الْجَنَّةِ حَيْثُ شَاءَتْ، ثُمَّ تَأْوِي إِلَى تِلْكَ الْقَنَادِيلِ​

Tarjumah: Un (shaheedon) ki roohein (souls) sabz rang (green colour) ke parindon ke andar rehti hain, un ke liye qindeelein (chandeliers) hain jo arsh se latak rahi hain. Woh roohein Jannat mein se jahan se un ka jee chahta hai khati peeti hain phir un qindeelon (chandeliers) ki taraf laut aati hain.
*📚(Sahih Muslim: 1887)*

(2) Jannatiyon ki ghiza (khane) mein bail ka gosht:
Sahih Muslim ki lambi Hadees ka ek tukda hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

يُنْحَرُ لَهُمْ ثَوْرُ الْجَنَّةِ الَّذِي كَانَ يَأْكُلُ مِنْ أَطْرَافِهَا​

Tarjumah: Un ke (yani fuqara e muhajireen ke) liye Jannat mein bail zabah kiya jayega jo uske atraaf mein charta phirta hai.
*📚(Sahih Muslim: 315)*

(3) Jannat ki oontni:
Jannat mein oontni bhi hogi:

عَنْ أَبِي مَسْعُودٍ الأَنْصَارِيِّ، قَالَ جَاءَ رَجُلٌ بِنَاقَةٍ مَخْطُومَةٍ فَقَالَ هَذِهِ فِي سَبِيلِ اللَّهِ‏.‏ فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم: لَكَ بِهَا يَوْمَ الْقِيَامَةِ سَبْعُمِائَةِ نَاقِةٍ كُلُّهَا مَخْطُومَةٌ​

Tarjumah: Hazrat Abu Mas’ood Ansari Radhiallahu Anhu se riwayat hai unhon ne kaha ke ek aadmi mahaar waali (lagaam waali) oontni le kar aaya aur kaha yeh Allah ki raah mein hain. To Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Is ke sabab tumhare liye Qayamat ke din isi tarah mahaar waali (lagaam waali) 700 oontni hongi.
*📚(Sahih Muslim: 1892)*

(4) Jannatiyon ki sawari surkh heeron waale ghode:

عَنْ سُلَيْمَانَ بْنِ بُرَيْدَةَ عَنْ أَبِيهِ أَنَّ رَجُلًا سَأَلَ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ يَا رَسُولَ اللَّهِ هَلْ فِي الْجَنَّةِ مِنْ خَيْلٍ قَالَ إِنْ اللَّهُ أَدْخَلَكَ الْجَنَّةَ فَلَا تَشَاءُ أَنْ تُحْمَلَ فِيهَا عَلَى فَرَسٍ مِنْ يَاقُوتَةٍ حَمْرَاءَ يَطِيرُ بِكَ فِي الْجَنَّةِ حَيْثُ شِئْتَ قَالَ وَسَأَلَهُ رَجُلٌ فَقَالَ يَا رَسُولَ اللَّهِ هَلْ فِي الْجَنَّةِ مِنْ إِبِلٍ قَالَ فَلَمْ يَقُلْ لَهُ مِثْلَ مَا قَالَ لِصَاحِبِهِ قَالَ إِنْ يُدْخِلْكَ اللَّهُ الْجَنَّةَ يَكُنْ لَكَ فِيهَا مَا اشْتَهَتْ نَفْسُكَ وَلَذَّتْ عَيْنُكَ​

Tarjumah: Hazrat Sulaiman bin Buraidah Radhiallahu Anhu apne walid se bayan karte hain ke ek shakhs ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se sawal kiya ke kya jannat mein ghode honge? To Aap ne farmaya: Agar tumhein Allah Taala ne jannat mein daakhil kiya to agar tum chahoge ke surkh heeron waale ghode par tumhein sawaar kiya jaaye aur woh jannat mein tumhein le kar jahan tum chaho ude to aisa zaroor hoga. Phir ek shakhs ne kaha: Aye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Kya jannat mein oont bhi honge? To Aap ne usay is tarah jawab na diya jaise pehle shakhs ko diya tha. Taham Aap ne farmaya: Agar tumhein Allah Taala ne jannat mein daakhil kiya to us mein tumhein woh sab kuch milega jis ki khwahish tumhara nafs karega aur jis se tumhari aankhon ko lazzat milegi.
*📚(Tirmizi: 2543)*

10 janwar jo Jannat me dakhil honge -
1. Huzur Sallallahu Alaihi wsallam ka Burak
2. Hazrat Saleh Alaihissalam ki Untni
3. Hazrat Ibrahim Alaihissalam ka Buchda
4. Hazrat Ismail Alaihissalam ka mendha
5. Hazrat Musa Alaihissalam ki gay
6. Hazrat Yunus Alaihissalam ki machli
7. Hazrat Uzair Alaihissalam ka khacchar
8. Hazrat Sulaiman Alaihissalam ki chinti
9. Bilkis ka hud-hud
10. Ashabe kahaf ka kutta
*📚(Al ishbah wannjair, hamvi sharah ishbah page 583)*

In janwaro ke alawa kuch aur janwar bhi
jannat me jayenge jaise mor, ghoda, aur
wah janwar jo dekhne me khubsurat hai
ya wah parinda jiski awaz sureeli aur acchi
hai ya wah janwar jinka gosht jannatiyo ko
pasand hoga, ahle jannatiyo ki giza ke lye jannat me jayenge.

*📚( Tafsir azizi para 30 page 63)*

👉kuch aise bhi janwar hoge jo
jahannum me jayenge jo muji janwar hai
jaise Saap, bicchu wagaira jahannum me
kafiro ko azab dene k lye jayenge, unko
khud koi taklif na hogi jis tarah azab ke
farishto ko koi taklif na hogi.

*📚( Al malfuz 4 page 80)*

Aur baki janwar mitti kar diye jayenge,
unko mitti hota dekhkar kafir kahenge ki
kash hm bhi unhi ki tarah mitti ho jate

*📚( Al malfuz 4 page 80)*
=========➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*

=========➖➖➖➖=========

MERAJ SHAREEF QURAAN SE

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Quraan Shareef me meraj shareef ka zikr he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Mo'ajezat Seerat E Ambiya Alaihimusalam ka Bahot hi numaya aur Roshan Baab Hai, Inki Hakkaniat ka inkaar nahi kiya jaa sakta hai. Allah عزوجل Ne Har Nabi Alaihumsalam ko koi na koi Mojeza deke bheja. Pyare Nabi ﷺ k La Ta'adaad Mojeze me se ek bahot hi Munfarid Mumtaz Mojeza hai MERAJ.
Jiska Zikr Quran e Karim me Rab  عزوجل ne Surah Bani Israel /Isra  aur Surah Nazm Kiya Hai
“Paaki Hai Usse Jo Raato Raat Apne Bande Ko Le Gaya Masjid e Haraam (Khana E Kaaba) Se Masjid e Aksa (Baitul Mukaddas) Tak Jiske Ird Gird Humne Barkat Rakhi Ki Hum Usse Apni Azeem Nishaniya Dikhaye Beshak Wo Sunta Dekhta Hai”
*📚(Surah Bani Israel Ayat 01)*

Nabi e Karim ﷺ ne raat k kuch hisso me Haram Sharif se Masjid E Aqsa Baitul Muqaddas phr Saatho Aasman Arsh o Kursi se Sidratul Munteha se laa Maka phir Deedar e Allah عزوجل kiya aur wapas Jamin par jalwagar Huwe. Subhan Allah
Rajjab ul Murazzab ka Mahina aate hi Aashikan e Mustafa k chehre khil jaate hai aur Ahle Sunnah Wa Jamaat ki Majaliso me Nabi e Akram ﷺ k Meraj ka Tazkira safar e Meraj Falsafa e Meraj ka bayan hota hai Shan e Risalat pe khitabat hote hai Alhamdullilah.

inshaAllah agar tafsil chahiye to baad me send kiya jaega..

=========➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:-Pathan Moin Raza Khan_*

========➖➖➖➖=========

JANNAT SIRF SUNNI KE LIYE

*🌹SAWAL:-🌹*
Jannat kis ke liye he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

```Jannat sirf Ahle sunnat w jama'at ke liye he jo huzur sallallahu alaihi w sallam ke or huzur ke sahaba ke maslak par he. Or ye wahi maslak he jise aaj ke daur me maslake aala hazrat kaha jata he.. Wahabi, deobandi ,ahele hagees, shiya, qadyani jamati wagarah kafiro murtad he or vo log un bahattar firqo me se he jo jahannami he..
Or ahele sunnat w jama'at hi vo ek firqa he jo jannati he.```

Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ki,

Beshak Bani Israyeel Ke Bahattar (72) Firke Ho Gaye The Aur Meri Ummat Ke Tihattar (73) Giroh Ho Jayenge Jinme Se 72 Giroh Dozakhi Honge Aur Ek (1) Giroh Jannati Hoga

Sahaba-E-Kiraam Ne Arz Kiya Ki, Ya Rasoolallah Sallallaho Alaihi Wasallam! Wo Ek Jannati Giroh Kaun Hoga?

Humare Pyaare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ki,

Jo Mere Aur Mere Sahaba Ke Tariqe Par Hoga

*📚(جامع ترمذی، ج2، ص93)*

(مشکٰوت، باب الاعتصام، ص31)

Hazrat Mulla Ali Qari Rehmatullahi Ta’ala Alaih Is Hadees Paak Ko Bayaan Karke Farmate Hain Ki,

Is Baat Mein Koi Shako Shuba Nahin Ki Wo Jannati Giroh Ahle Sunnat Wa Jama’at (Sunni) Hi Hai

*📚(مرقات، شرح مشکٰوت، ج1، ص248)*

Imamul Auliya Sayyiduna Ghause Aazam Radiallaho Ta’ala Anho Irshad Farmate Hain Ki,

Jo Giroh Najaat Paane Waala Hai Wo Ahle Sunnat Wa Jama’at Hai

*📚(غنیتہ الطالبین، ص164)*

Hujjatul Islam Sayyiduna Imam Ghazali Rehmatullahi Ta’ala Alaih Farmate Hain Ki,

Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Ahle Sunnat Wa Jama’at Ke Baare Mein Farmaya Ki Jis Tariqe Par Main Aur Mere Sahaba Hain

*📚(احیاء العلوم، ج3، ص161)*

*📚(الملل والنحل للشھر ستانی، ج1، ص13)*

Shaykh Abdul Haque Muhaddise Dehelvi Rehmatullahi Ta’ala Alaih Farmate Hain Ki,

Deen -E- Islam Mein Sawaad -e- Aazam (Wo Badi Jama’at Jo Najaat Paane Waali Hai) Se Murad Ahle Sunnat Wa Jama’at Hi Hai

*📚(اشعت اللمعات، فارسی، ج1، ص141)*

Imamul Hind Shah Waliullah Muhaddise Dehelvi Farmate Hain Ki,

Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Sawaad -e- Aazam Ki Itteba Karne Ka Hukm Irshad Farmaya Aur Ab Siwaye In 4 Mazahib (Hanfi, Shafayi, Hambali Aur Maaliki) Ke Sab Khatm Ho Gaye To Ab Inki Itteba Karna Hi Sawaad -e- Aazam Ki Pairwi Karna Hai Aur Isse Baahar Hona Sawaad -e- Aazam Se Katna Hai

*📚(عقد الجید، ص33)*

Ek Riwayat Mein Hai Ke Nabiye Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki,

Ahle Sunnat Wa Jama’at Hi Najaat Paane Waala Giroh Hai

*📚(الملل النحل، ج1، ص20)*

========➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*
📲
=========➖➖➖➖========

Quraani Aayat ko Mobile Ya Leptop me Bina Wuzu Chhuna Ya Padhna Kaisa ?

*🌹SAWAL🌹*
Quraani Aayat ko Mobile Ya Leptop me Bina Wuzu Chhuna Ya Padhna Kaisa ?

*🌹JAWAB🌹*

Padhne ke liye wuzu zaroori nahi he agar vo taharate kamila par he or us par gusl wajib nahi he to vo Quraane kareem dekh kar ke ya hafze se padh sakta he.
Ye aesa hi he jese ki quraane kareem ka aqs shise me nazar aaye to us shise ko chhuna quraane kareem ko chhuna nahi hoga isi taur par jo screen he usme jo Aayate quraani nazar aa rahi he vo us parde ke pichhe he or us parde ke pichhe se aadmi ko nazar aati he albatta agar koi Ahetiyat kare to bahetar he..

http://jamiaturraza.com/session/07June09/22.mp3

*_🎙Al-Jawab:- QAZI UL QUZZAT, HUZUR TAJUSHSHARIYAH MADDAZILAHUL AALI_*

Bager Vuzu usko touch kar sakte hai. .uski dalil ye hai k mobile par Ek glass laga rehta hai Aur Voh quran sharif par rakhhe huve gilaf ki tarah hai. . To jis tarah gilaf ya kapde ke uper se be Vuzu quran sharif ko mass kar sakte hai. .Usi par qayas karke mobile ki screen per nazar aa rahi aayat ko bager vazu chhu sakte hai. .
 *📚(MAJLISE SHARAI,MUBARAK PUR)*

Ehtiyat isme he ki wuzu ke sath hi chhue..

Wallahu aa'alam

=========➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:-Pathan Moin Raza Azhari_*
=========➖➖➖➖=========

RAHAN (GIRVI RAKHI HUI CHIZ) KA MAS'ALA

*🌹SAWAL:-🌹*

Zaid Ne bakar Ko 1 Lakh Rupye Diye Aur Ek Makan Girvi Rakha Ab 6 Maah Baad Jab bakar 1 Lakh Rupaye Lautata Hai To Kya Zaid Pure 1 Lakh Lega Ya 6 Maah Ka Kiraya Katwakar Paise Lega ?
Or bakar jisne karz diya kya vo us makan ko apne liye istemal kar sakta he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

```Soorate mas'ula me zaid apne 1 laakh rupye hi lega girvi rakhi hui chiz ka kiraya katwa nahi sakta.```

Jisney rupye qarz diye hain usey Girwi rakhey Huey makan se nafa'A Lena jaiz nahi hai. Aur jisney Girwi rakha usko apna qabzah rakhna jaiz nahi hai poora qabzah makan ka dena zaroori hai. To jisney rupya diya woh bas apney poorey ek lakh rupye lega issey ziadah kuchh nahi lega.

Murtahin yani jiske paas saman girvi rakha jae( soorate mas'ula me bakar)

Murtahin ko rahan(yani girvi rakhi hui chiz) se kisi tarah ka intafa'a jaiz nahi, na reh kar, na  kiraye par de kar, sab haram or sood he.
*📚 FATAWA RAZVIYA SHAREEF,J-10,S-300(qadeem)*

=========➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*
📲8487928693

ALLAH KE LIYE SHAYDA YA FIDA E MUHAMMAD LAFZ ISTEMAL KARNA KAISA? OR EK SALAM KA SHER UMMATI KYA KHUD KHUDA HE SHAYDA TUMHARA YE SHER PADHNA KESA ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Ek salam he *'Aaqa lelo salam ab hamara'* is  salam m ek sher he,
*"Ummati kya khud Khuda he shaida tumara"*
Ye line padh na kaisa he ??

Kya allah ke liye shayda ya fida e muhammad lafz istemal karna jaiz he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

```Is tarah ke sher padhna bilkul jaiz nahi.
Allah ta'ala ke liye Shayada ya fida e muhammad lafz istemal karna kufr hai....```

```Jaisa ki huzur shareh bukhari hazrat allama shariful haqq amjadi alaihir rahma taherir farmate hai.,,```

'Allah عز و جل  ko 'fida e muhammad' kehna kufr he. Fida ke asl ma'ane he apni Jaan de kar kisi ko bachana. Allah Ta'ala hayyu w qayyum he, uske liye maut nahi. Neez jaan de kar dusre ko us waqt bachaya jata he jab ke jaan bachane wala kisi or tarkib se jaan bachane se aajiz ho. Or allah ta'ala mu'ajjiz he use aajiz manna kufr hai..or shayda e muhammad kehna bhi jaiz nahi ke is me ma'ana su(Galat mining) ka ehtemal hai.
Shayda ka ma'ana aashufta,farefta, majnoon, ishq me dooba huaa, aashiq he.
Allah ta'ala in tamam bato se munazzah (pak Aur beniyaz) hai...'
*📚(FATAWA SHAREH BUKHARI,J-1,S-141)*

Wallahu ta'ala aa'alam

=========➖➖➖➖========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Khan_*

=========➖➖➖➖=========

SHABE QADR KO 7 (SAAT) AZAN DENA KESA ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Hamare yaha Shabe Qadr ke Mauke par Ba-Waqte Isha 7 Azan Dene ka Dastoor he. Kya shara'a me aesa karna durust he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Baaz Jagah Shabe Qadr Me Isha ki Namaz ke Liye Saat Baar Azan Kahte he ye be-asl he jiska koi saboot nahi..
*📚Anwarul Hadish,S-249*
=========➖➖➖➖========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*

==========➖➖➖➖==========

QURAAN SHAREEF GALTI SE GIR JAE TO KYA HUKM HE

*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamailykum  Agar  Qurane  Karim  Hath se  chut kar  gir jaye to  us ka  koi Fidiya  Dena padta he  yaa kuch  or ?

*🌹JAWAB:-🌹*

W Alaikum Assalam,
Quraane kareem Agar Galti se gir jaaye ya hath se chhut jaye to vo Taubah w astagfar karle uska koi kaffara nahi..
Aesa hi, *📚FATAWA SHAREH BUKHARI,J-1,S- 649)* par he

Or agar koi janbuz kar ya tauheen kar ke feke to ye kufr hoga jo koi musalman to kar hi nahi sakta,,
Itna jaan le k Quran majeed Allah ka paak Kalam hai, Quran majeed ka ahtram aur tazeem faraz hai. Iski be-adbi aur be-hurmati na jayaz aur haram hai. Baaz awqaat iski toheen kufr tak poncha deti hai. Isliye Quran Kareem lene dene uthane rakhne m ahteyat se kaam Lena chye.

Lekin phir bhe gair-irade tor par Quran majeed hath se chut kar gir jaye to koi gunah lazim nahi aata aur na hi koi Kaffara shriyat me Tay kiya gaya hai.

Sahabi e Rasool Abdullah bin Abbas Radiallahu anhu se riwayat hai k Allah k Rasool sallallahu alaihi w sallam ne faramaya :

" Allah tala ne meri Ummat se galti, bhool chook aur zoor zabardasti k nateeje me hone wale khilaf e sharai kamo ko maaf kar diya hai.*
*📚Sunan Ibne Maja : 2045_*

Isse pata chalta hai k bande se Agar bhool chook ho jaye to Allah tala use maaf farma deta hai, Agar bhool se Quran Kareem bhi gir jaye to WO Allah tala k nazdeek maaf hai Aur Quran Kareem k girne par koi Kaffara lazim nahi he.. Agar banda Astagfaar kar leta hai to behtar hai. Allah se duwa hai k hame Quran paak ko samjh kar padhne ki tofeeq ata kare...aameen

Wallahu aa'alam bis-sawab..
========➖➖➖➖===========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*

=========➖➖➖➖============

NABI KO MUSHKIL KUSHA KAHNA QURAAN W HADISH SE

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Nabi mushil kusha hai? Quran o hadees ki roshni me juwab inayath farmaiye..

*🌹JAWAB:-🌹*

Beshak huzur sallallahu alaihi w sallam W allah ke maheboob bande allah ke fazl se allah ki ata se mushkil kusha yani hamari mushkilo ko door karne wale he or unhe mushkil kusha kahna bilkul jaiz he...

JAISA KI QURAAN E MAJEED ME IRSHADW BAARI HE,,,

Tumhara Madadgar Nahi Magar ALLAH Aur Uska Rasool(Sallallaho AlaiheWasallam)
*📚[Surah Al-Maida ayat no 55]*

ALLAH Aur Uskey Rasool (Sallallahu alaihiwasallam) Ney Apney Fazal Sey Ghani Kar Dya
*📚[Surah Touba ayat no 74]*

Be Shak ALLAH Unka Madadgar Aur Jibrael Aur Nek Imaan Waley Aur Is Ke Baad Farishtay
*📚[Surah Tehreem ayat no 4]*

Ghair ALLAH sey madad mangna jaiz hai, asl main jo koi bhi ALLAH عزوجل k illawa kisi aur sey madad mangta hai tou us ka aqeeda yehi hota hai k haqeeqi ata kerny wali zaat ALLAH عزوجل ki hi hai, lekin jis sey madad mangi ja rahi hai wo ALLAH عزوجل k hukm sey humain ALLAH عزوجل sey ata kerwai ga,or yahi ahele sunnat w jamat ka aqida he or Yeh aqeeda Quran-o-Hadees sey sabit hai:

QURAANE KAREEM ME RAB TA'ALA IRSHAD FARMATA HE,,

“Aur jub wo apni jaano per zulm ker bethen tou aey Mehboob tumhary hazoor hazir hon aur ALLAH sey maafi chahain, aur rasool in ki shifaat fermai, tou zaroor ALLAH bohat tauba qabool kerny wala hai”.
*📚(Sura Nissa, verse:64)*

“Mominoo, neiki aur perheezgari per main aik dosry ki madad karo”.
*📚(Sura Maida, Verse:2)*

-“Aey gheib ki khabr deinay waly Nabi, tumhary liya ALLAH kafi hai, aur jitny musalman tumhary peiro hain”.
*📚(Sura Anfal, Verse:64)*

-“Aey eman walo ager tum deen-e-KHUDA ki madad karo gy tou KHUDA tumhari madad kary ga”.
*📚(Sura Muhammad, Verse:7)*

“Tou beshak ALLAH inka madadgar hai aur Jibrael, aur eman waly, aur in k baad farishty madad per hain”.
*📚(Sura tehreem, Ayat:4)*

HADISH E MUBARAKA,,

AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney Hazrat Syedna Ka’ab رضی الله عنہ sey fermaya:” Maango kya mangty ho, Hazrat Ka’ab رضی الله عنہ ney fermaya, JANNAT main aapka sath mangta hon”.
*📚(Sahi Muslim, Mishqat ul Misabih, V:1, Pg:156, Published by Maktaba-al-Mishkaat)*

-Hazrat Jabir Bin Abdullah Al-Ansari رضی الله عنہ sey riwayat hai, AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:”ALLAH عزوجل atta kerta hai aur main bant’ta hon”.
*📚(Sahi Bukhari, V:8, Book:73, Number:216)*

-Hadees shareef main irshad hai ki, jo mujh sey hajjat talab kary tou eski hajat poori kerny ka main zimma leita hon
*📚(Kanzul Aamal, Hadees:221)*

-Aik nabeena SAHABI AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat main hazir hua aur apni ankhon ki binai k liye arz ki, AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney SAHABI ko jo dua seekhai wo yeh thi:
”Ya RASOOL ALLAH, main aap k zariyay sey ALLAH ki taraf mutawaja hota hon, k aey ALLAH k NABI meri hajjat poori ho”.
*📚(Sunan Ibn-e-Maaja, Hadees:336)*

-Hazrat Utba Bin Ghazwan رضی الله عنہ sey riwayat hai k AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:”Jub tum koi cheez guma betho ya madad ka irada ker lo aur ager tum aisi jaga per ho jahan tumhara koi anees na ho tou es tarha kaho, AEY ALLAH K BANDO MERI MADAD KARO, AEY ALLAH K BANDO MERI MADAD KARO”.
*📚(Tibrani Kabeer, Hadees:290)*

 Hazrat Ali رضی الله تعالی عنہ farmate hain ke, Jab HUZOOR صلی اللہ علیہ وسلم ke wisaal farmane ke kuch roz baad ek aaraabi Qabr e Anwar par haazir hua aur Qabr e Anwar ki khaak apne sar par daalne ke baad kehne laga:”YA RASOOLALLAH صلی اللہ علیہ وسلم Jo kuch aapne farmaya hum ne suna aur Aap se humne Quraan ki ye aayat bhi suni ke:”Jo log apni jaano par zulm kar baithe wo aap ke paas haazir hon.’Aye ALLAH ke RASOOL صلی اللہ علیہ وسلم Main apni jaan par zulm kar baitha hu aur ab gunaahon ki muafi ke liye Aapke paas aaya hun.’Aaraabi ne ye kaha to Qabr Anwar se aawaaz aayi ke, ‘Jaao! ALLAH ne tumhe bakhsh diya.
*📚(Hawala: Hujjatullah Alal A’alamin, Safa-777)*

Nabi-Wali Se Madad Maangna Na Shirk Hai Na Bid’at.
Agar Nabi-Wali se Madad Mangna Shirk Hai, To Ye Shirk Aakhirat Tak Chalega. Ye Nahi Ho Sakta Ke Abhi Shirk Hai Lekin Aakhirat Me Ayne Tauheed Ho Jaaye, Kyun Ke Shirk To Har Waqt Shirk Hee Rahega.
Aakhirat Me Bhi Koi Gayrullah Se Madad Maangega To Bhi Shirk Hee Hoga.

Mehshar Ki Mushibat Se Badh Kar Kounsi Mushibat Hogi ! Us Se Bachane Ke Liye Tamaam Log Aadam Alaihissalan Ki Khidmat Me Aayenge Ke Aap Abool Bashar Aadam Ho, Aap Hamari Shafaa’at Karo Aadam Alaihissalam Ye Nahi Farmaege Ke Tum Shirk Kar Rahe Ho ! Mere Paas Kya Maangte Ho ?! Jaao Khuda Ke Paas ! Nahin, Balke Woh Bhi Gayr Ki Raah Deekhaenge Aur Farmaaenge, NAFSEE NAFSEE IZAHABOO ILAA GAYREE……

Feer Tamaam Log Hazrat Aadam Alaihissalam Ki Rehnumaai Se Baari Baari Hazrat Nooh, Hazrat Ibrahim,
Hazrat Moosa Aur Aakhir Me Hazrat Isaa Alaihimussalamu Ke Paas Jaaenge, Har Ek Aisa Hee Kahege Ke IZAHABOO ILAA GAYREE.

Ab Unhe Khyaal Aayega Ke Chalo ! Huzoor Poor Noor, Shaafe-E- Youmunnusur, Saiyadul Mursaleen, Rehmatulil Aalamin,  SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Bargah-E Bekash Panah Me Jaate Hai. Jab Vaha Pahunchenge To Madanee Taajdaar Ambiya ke Sardaar Abd karaar Mehboob E-Parwardigaar Nabion Ke Saalaar Dino Duniya Ke Mukhtaar Ahmad-E-Mujtaba Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Aisa Nahi Kahege Ke, Tum To Mushrik Ho ! Fula Fula Nabi Ke Paas Gaye Baad Me Mere Paas Aaye Ho ! Jaaon ! Khuda Ke Paas !

Balke Farmaenge Ke Hazrat Aadam,Hazrat Nooh,Hazrat Ibrahim, Hazrat Moosa Aur Hazrat Isaa Alaihimussalamu Ne NAFSEE NAFSEE IZAHABOO ILAA GAYREE Is Liye Kaha Thaa Ke Mere Tak Pahunch Jaaon. Aur Is Kaam Ke Liye To Mein Hee Hoon,
Kyun Ke Allah Ta’ala Ne Mujhe Hee Ye Martaba Ata Farmaaya Hain.
SUB’HANALLAH !

*📚[Sahih Al-Bukhari, Vol.-04, Page-1748, Hadith-4441.*
*📚Sahih Al-Bukhari, Vol.-02, Page-536, Hadith-1405.*
*📚Sunan An-Nasa’i, Vol.-06, Page-381, Hadith-295.*
*📚Sunan Ibn Maaja, Vol.-02, Page-871, Hadith-927.*
*📚Sunan Ibn Maaja, Vol.-02, Page-854, Hadith-884.*
*📚At-Tabarani Mu’jam Al-Awsat, Vol.-08, Page-30, Hadith-8725.*
*📚Bayhaqi Shu’ab-Ul-Imaan, Vol.-03 Page-269 Hadith-3509.*
*📚Daylami Musnad Al-Firdaus, Vol-02, Page-377, Hadith-3677.*
*📚Al-Haythami Majma’ Az-Zawa’id, Vol-10, Page-371.]*

Matlab Ke Allah Ta’ala ki Ata Se Nabi-Wali Ko Har Ek Tareh Ki Kudarat Mili Huee Hai Jis Se Un Se Maangna Shirk Nahin Balki Imaan Waalon Ka Tareeka Hai,

Hum Rasool se Kyon na Mange, Jab ke Huzur Sallallaaho Alaihe Wasallam Farmate hai,

“Innama Ana Qasimun Wallaho Yuti”
“Beshak Allah deta hai
Aur main Taqsim Karta hun”

*📚(Bukhari Sharif, Vol. 1, Page 16)*

Sarkar Sallallaaho Alaihe Wasallam Farmate hai,

“Beshak, Ali mujh se hai Aur mainAli se hun, Aur Ali Har Momin ke madadgar hai, Mere Baad.”

*📚(Tirmiji Sharif, Vol. 2, Pg.212)*

```IN SAB QURAAN KI AAYTE OR HADISH SHAREEF SE WAZEH HE KI BESHAK ALLAH KI ATA SE ALLAH KE NABI,FARISHTE,AULIYA,OR USKE MAHEBOOB BANDE MADAD KARTE HE.. OR UNHE MUSHKIL KUSHA KAHNA BILA SHAKKO SUBAH JAIZ HE```
========➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*

=========➖➖➖➖========

HATHI HARAM JANWARO ME SE HE

*🌹SAWAL:-🌹*
HATHI KA GOSHT HARAM HE YA HALAL?

*🌹JAWAB:-🌹*

Hathi ka gosht halal nahi he. Is liye ke vo nukile daant or fadne wale janwaro me se he.

Nabi e kareem sallallahu alaihi w sallam ne nukile daant waale janwaro ko khane se mana kiya.
Jaisa ke sahih bukhari me hadish paak he..

Hazrat saiyedna abu salba radiallahu anhu se riwayat he ki rasoollallah sallallahu alaihi w sallam ne nuqile dant wale janwar ko khane se mana kiya.
*📚SAHIH BUKHARI, J-2,S-830*

JAISA KI DURRE MUKHTAR JILD 5 ME BHI ZIKR HE...

Or Bahare Shariyat,hajj ke masail me ek mas'ala darz he ki,
Haram or halal janwar dono ke shikar ka ek hukm he magar haram janwar ke qatl karne me kuffara ek bakri se zyada nahi he agarche us janwar ki kimat ek bakri se bahut zaaid ki ho maslan hathi ko qatl kiya to sirf ek bakri kuffara me wajib he..
*📚BAHARE SHARIYAT, H-6,S-150*

Is mas'ale se zahir hota he ki hathi haram janwar me shumar he...

Hathi ka gosht haram he
*📚FATAWA QAZI KHAN*

Wallahu aa'alam bis-sawab
========➖➖➖➖========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Khan_*

=========➖➖➖➖========

DUAA E MANZIL ME KON KON SI AAYAT HE OR DUAA E MANZIL KE FAYDE

*🌹SAWAL:-🌹*

Duaa e manzil me kon kon si aayat he or is ke fawaid kya he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

ALLAH ke rasool sallallahu a’laihi wa sallam ne har deeni ya dunyawi hajat ke liye dua ke zariye hal batate hain. Ahaadith mein jo duayein warid huwi hain unka padhna zyada mufeed aur acha hai. Hazrat Abi bin Kaab radiallahua’nhu bayan karte hain keh mai Nabi kareem sallallahu a’laihi wa sallam ki khidmat mein hazir tha keh ek deehati aaya. Usne arz ki keh mera bhai beemar hai. Aap sallallahu a’laihi wa sallam ne pucha keh kya beemari hai? Toh usne bataya uspar aasaib ka asar hai. Aap sallallahu a’laihi wa sallam ne irshad farmaya keh ise mere paas laao toh ise laakar aap sallallahu a’laihi wa sallam ke saamne lita diya gaya. Aap sallallahu a’laihi wa sallam ne ispar yeh manzil ki ayat tilawat farmakar dum kiya toh woh uthkar aise khada hogaya jaise woh kabhi beemar tha hi nahi.
*(مسند احمدحدیث نمبر2037)*

RasoolAllah sallallahu a’laihi wa sallam aur sahaba ke baad ALLAH ke neik bandon ka bhi tareeqa raha hai keh woh aasaib ke beemaron par in aayaat ki tilawat karke dum karte hain. Iske alawa har qism ki pareshaniyon aur museebaton se hifazat ke liye or shaytan or choro se hifazat ke liye in aayaat ka tilawat karna behad mufeed hai.

```Duaa e manzil me shamil aayate👇🏻```

Surah Al-Fatihah, Chapter 1, Verses 1 to 7
Surah Al-Bakarah, Chapter 2, Verses 1 to 5, 163, 255 to 257, and 284 to 286
Surah Al-Imran, Chapter 3,: Verses 18, 26 and 27
Surah Al-A’araf, Chapter 7,: Verses 54 to 56
Surah Al-Israa, Chapter 17,: Verses 110 and 111
Surah Al-Muminoon, Chapter 23, Verses 115 to 118
Surah Al-Saaffaat, Chapter 37, Verses 1 to 11
Surah Al-Rehman, Chapter 55, Verses 33 to 40
Surah Al-Hashr, Chapter 59, Verses 21 to 24
Surah Al-Jinn, Chapter 72, Verses 1 to 4
Surah Al-Kaafiroon, Chapter 109, Verses 1 to 6
Surah Al-Ikhlas, Chapter 112, Verses 1 to 4
Surah Al-Falaq, Chapter 113, Verses 1 to 5
Surah Al-Naas, Chapter 114, Verses 1 to 6.
=======➖➖➖➖=======
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza_*
📲
========➖➖➖➖=======

QURAAN KI TILAWAT KITNI BULAND AAWAZ SE PADHNA ZAROORI HE

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum  
Sawal. Quraan sharif ki tilavat buland aawaj se padhna jaruri  hai ya fir dil me padh le to shariat ka kya hukm hai jawab inayat farmaiye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Dil me padhna ye tasavvur e quran hai tilawat e quraan nahi .. Itni zor se padna zaruri hai k agar shor sharaba na ho to khud saf saf sun sake .. ye hai (sirr) aahista se tilawat or qirat ka tarqa.

✍HAZRAT MAULANA HAFIZ MUHAMMAD TAUFIQ RAZA SAHAB MISBAHI
=========➖➖➖➖========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬khadim:- Pathan Moin Raza_*
=======➖➖➖➖=======

DAURANE SAAL NAYA MAAL AAYA TO USKI ZAKAT HOGI...

*_🌹Sahibe nisab ke paas Daurane saal dusra paisa aaya to uski zakat hogi☘_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat

Agar Kisine Zakat Ki Taarikh 20 Ramzan Muqarrar Ki Hai

Agar Us Shaks K Paas 21 Ramzan Ko 1 Lakh Rupaye The Aur 6 Maah Baad 1 Laakh Rupaye Aur Aa Gaye Aur 20 Ramzan K 1 Maah Pahle 1 Lakh Aur Aaye
Ab Uske Paas Kul 3 Lakh Rupaye Hai
To Ab Vo Shaks Jakat Kitne Rupaye Par Nikalega Jaisa Ki Maal Par 1 Saal Guzarna Jaruri Hai To Sirf Pahle Wale 1 Lakh Par Saal Guzra Hai

Vo Shaks Kitne Rupayon Par Jakat Nikalega

Rehnumayi Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*

```Huzur Sadrushshariya Hazrat Allama Amjad ali Aazmi Alaihir Rahma Taherir Farmate he....```
*Mas'ala:-* Jo shakhs malike nisab he agar darmiyane saal me kuchh or maal usi jins ka hasil kiya to is naye maal ka juda saal nahi balki pahle maal ka khatm saal iske liye bhi saale tamam he yani pura saal he, agarche saal pura hone se 1 hi minute pahle hasil kiya ho khwah wah maal iske pahle maal se hasil huaa ya miras w hiba or kisi jaiz zariye se mila ho or agar dusri jins ka he maslan pahle uske paas unt the or ab bakriya mili to iske liye naya saal shumar hoga.

*Mas'ala:-* Malike nisab ko darmiyame saal me kuchh maal hasil huaa or iske paas do nisabe he or dono ka juda juda saal he to jo maal darmiyane saal me hasil huaa ise uske saath milaye jiski zakat pahle wajib ho maslan us ke paas 1 hazar rupye he or saima ki kimat jis ko zakat de chuka tha ki dono milaye nahi jayege ab darmiyane saal me ek hazar rupye or hasil kiye to inka saale tamam yaani inka saal us waqt pura mana jaega jo dono me pahle ka ho..(durre mukhtar)
*_📚(BAHARE SHARIYAT,HISSA-5, SAFA-481)_*

Surate mas'ula me 1 lakh rakam jis par 1 saal guzar chuka he or us par zakat farz he or daurane saal uske paas 1 lakh or fir 1 lakh aaye to zaid ko total 3 lakh rupye hue.Use 3 lakh rupye ki zakat ada karni hogi
```Ab zaid ko 3 lakh rupe ka 40 va hissa bataure zakat nikalna hoga.```

Wallahu aa'alam
========➖➖➖➖=======
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza_*

========➖➖➖➖========

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts