Kya Makhluq Ko Paida Karne Se Pahle Allah Badal Pe Tha ?? Ek Hadis Ka Tarjama

*🌹SAWAL:-🌹*
Ek Hadish Shareef He,

Hazrat Abu Razin Radi Allahu Anhu se riwayat hai meine Arz Kiya *Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam* Hamara RABB Apni Makhluq ke paida Karne se pehle Kahan tha ? Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya *BADAL* main tha. Na to Uske neeche Hawa thi Na upar Hawa thi aur Na hi koi Makhluq thi ( phir pani paida Kiya ) aur uska arsh pani pe tha..

Iska Ma'ana Kya He Or Kya Ye Sahih He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

وعَنْ أَبِي رَزِينٍ قَالَ : " قُلْتُ يَا رَسُولَ اللَّهِ أَيْنَ كَانَ رَبُّنَا عَزَّ وَجَلَّ قَبْلَ أَنْ يَخْلُقَ خَلْقَهُ ؟ قَالَ : ( كَانَ فِي عَمَاءٍ مَا تَحْتَهُ هَوَاءٌ وَمَا فَوْقَهُ هَوَاءٌ ، ثُمَّ خَلَقَ عَرْشَهُ عَلَى الْمَاءِ )
*📚رواه الترمذي ( 3109 )*
 *📚وابن ماجه ( 182 )*
*📚وأحمد ( 15755 )*

Ye hai hadis k Asl arabi kalimat ... Is me ek lafz hai عماء  jis ka tarjama badal kiya gaya hai ...

Ahle sunnat ka Aqida hai k Allah La Mehdood hai yani koi chiz ise gher nahi saki na is par ghalib aa sakti hai ...

Kyu k Jo chiz ghir Jaye voh lambai chodai or gherai vali hai or jis me ye teen bate ho us ko jism kehte hai or jism fani hota hai or Jo fani ho voh khuda nahi ho sakta lihaza khuda ka jism vala hone se Pak hona zaruri ...

Ab Zahir e hadis k Ma'ana ke lihaz se ye kahe k khuda badal me hai to badal k andar khuda ka hona lazim aayege or badal k andar hoga to badal khuda ko gherne vala ho jayega .. or khuda ka Mehdood jism or fani hona lazim aayega ... Ma'azAllah

To hadis me Murad kaya hai ...? ..
ise samjhte hai.

Pehli baat ye yaad rakhe is tarah ki hadis mutashibehat me se kehlati hai or mutashabehat k zahire ma'ana ko lekar is tarah ki bahas se avam to avam khwas olam ko bhi Mana kiya gaya hai ... To ayse massage se bechare avam Zahir e Mana k translation ki vajah se ghalat samjh bethenge. .. aysi bate avam me na rakhe ..

Hadis ka sahi Matlab padhiye jis me khuda e paak k liye jism or Mehdud hone jaise ayb lazim na aaye.   عماء ka meaning sirf badal nahi hota is ka Mana zulmat Yani andhera bhi hota hai .. عماء ka ek Mana mu'amma Yani raaz bhi hota hai ... Arabi Lughat

Hadis me هواء ka lafz hai jis ka Mana hava Yani air kiya gaya jab k hava ka Mana khvahish or nafs bhi hota hai.

Zulamat Yani andhere ki Surat me Mana ye hoga ki khuda zulmat me tha Yani us ne khlaq ko apne Noor ki qudrat se noor azim se paida nahi ki thi jis ki vajha se koi Allah ko janne vali makhlooq na thi.. us ne Noor ata kiya to makhluq ko jahalat ki Andheri se khuda ki ma'arefat ka Noor mila.

Muamma Yani raaz ... Jaysa k khud farmata hai hadis e qudsi me k me ek poshida raaz tha (koi mere bare me janne vala na tha) jab mene chaha k me pehchana jau to khalq ko paida kiya ..

Lihaza is tarah k Mana Shariat me sabit hai or ye Murad lene me koi kharabi nahi to Bila vajah ibn e taimiyah mardud ki tarah Ahle sunnat k mauqif k khilaf ma'ani nikalne se bachna chahye.

Is se upar na hava thi na niche hava thi ... Ye Matlab bhi thik nahi ...
Ham ne bataya k hava ka meaning nafs jaan or khvahish bhi hota hai ..lihaza Matlab hoga Allah hamesha se hai hamesha rahega na Allah se pehle koi Nafs na baad me koi Nafs or jan ... Woh qadim Azali Abadi or baki sab nufus ek zamane me Mehdud fani
و الله اعلم
*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Allama Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Mustafiya Haldarva W Qazi e Petlad, Gujrat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲84879
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Muharram Me Sina Pitna Noha Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:🌹*
Hazrat Moharram Ke Juloos Me kuch Sunni Ladko Ne Apne Seene Or Peeth Par Chaaku, Churi, Blad, To Kisi Ne Tubelight, Muhse Aag Nikala Ye Saare Kaam Kiya Un Ladko Par Shariyat Ka Kya Hukm Hai.

REHNUMAI Farmaea

*🌹JAWAB:-🌹*
Muharram ke Juloos Me Noha Karna, Sarke Baal Bikherna, Kapde Fadna, Sar par khak dalna, Sina Kubi Karna, Ba'az Jagaho par zanjiro chhuriyo se matam karte He ki sine se khun bahne lagta he. Ye Sab Najaizo Haram Or Jahilo Ke Af'aal He. Hadis Shareef Me Is Ki Sakht Mumane'at Aai he . Is se Muslaman Ko Bachna Lazim He.

Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,

Matam w Noha Muharram Ho Ya Gair Muharram Mutlaqan Haram He.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-23, S-404)*

Or Hadis Shareef Me He,

Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaya Jo Rukhsare Pite, Gireban Faade, Or Daure Jahiliyat Ki Tarah Chikhe Chillaye Vo Ham Me Se Nahi.
*📚(Sahihul Bukhari, J-1, S-436, Hadis-1235)*
*📚(Sahih Muslim, J-1, S-99)*

Durre Mukhtar Me He,
Gana Bajana Rona Pitna Ye Af'aale Gunah He.
*📚(Durre Mukhtar, J-2, S-179)*

_Or Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahma Farmate He,_

Noha W Matam Bhi Hota He Or Sina Kubi Hoti he, itne zor zor se sina kutte he ki Warm ho jata he, sina surkh ho jata he balki ba'az Jagah zanjiro or chhuriyo se matam karte he ki sine se khoon nikalne lagta he.

Or Farmate He,

Izhare Gam Ke Liye Sar Ke Baal Bikherte He, Kapde Fadte Or Sar Par Khak Dalte or bhunsa Udate he, Ye Bhi Najaiz or Jahiliyat Ke Kaam He, In se bachna nihayat zaroori he, Ahadis me inki sakht mumane'at Aai he. Musalmano par lazim he ki ayse umoor se parhez kare or ayse kaam kare jin se Allah ﷻ Or Rasool ﷺ Razi Ho, Yahi Nijat Ka Rasta He.
*📚(Bahare Shariyat, Hissa-16)*

Or Farmate He,

Gireban Faadna, Munh Nochna, Baal Kholna, Sar par khak dalna, Sina Kutna Raan Par Hath Marna Ye Sab Jahiliyat Ke Kaam He Or Haram He.
*📚(Fatawa Hindiya, J-1, S-167)*

Sahihain Me Abu Darda RadiAllahu Anhu Se Marvi, Farmate He RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya, jo Sar Mundaye,Or Noha Kare Or Kapde Faade Me Usse Bari Hu.
*📚Sahih Muslim, Kitabul Iman, Hadis-104, S-66)*

*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848792

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gusl Ke Baad SharmGaah Se Jo Qatre Aaye Uska Hukm ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Mujhe Baad e Ghusl k Aage ki Janib sharmgah se Kuch maadda zahir hota hai, chunke mera jism poora geela hota hai aur towel se sukha raha hota hu to ye fark karna mushkil hota hai k ye madhi, wadi ya peshab k qatre hai jo bas ek boond ya usse b kam adad me paya jaata hai, to kya ye maadda paak hai ya najis?

2) Baad Wuzu aur Instinja b yehi haal pesh haal hota hai k kuch kapde par gira hai meri aage ki sharmgah se, baad iske k main us aaza ko dho chuka hota hu, to kya is haal me paak hu ya napak?

*🌹JAWAB:-🌹*
Agar Uska Ye Nahana Farz Tha, Yaani Shahewat Ke Sath Mani Nikalne Ke Baad Vo Nahaya, Jab Naha Liya Uske Baad Fir Mani Nikli To Dubara Nahana Wajib Hoga, Magar Uske Liye Shart Ye He Ki Agar Usne Nahane Se Pahle Peshab Na Kiya Ho, Ya Soya Na Ho Ya Zyada Na Chala Ho, Tab Ye Nikle Tab Dubara Nahana Wajib Hoga.

 Lekin Agar So Liya Ho, Peshab Kar Chuka Ho Ya Zyada Chal Liya Ho, Fir Agar Ye Mani Bagair Shahwat Ke Nikli To Gusl Farz Na Hoga.

Isi Tariqe Se Ye Nahana Gusl Farz Hone Ki Wajah Se Nahi Tha, Balki Aam Taur Par Nahana Tha, Or Usko Aam Taur Par Nahane Ke Baad Katre Tapakne Ki Bimari He, Or Jab Ye Cheez Nikli Shahewat Bhi Nahi He, To Usko Peshab Ke Qatre, Ya Mazi Ya Wadi Par Mahmool Karege.

Jis Jagah Par, Jis Kapde Par Ye Cheez Lagegi Vo Jagah, Vo Kapda Na Paak Hoga. Albatta Gusl Farz Na Hoga.

Jaisa Ki Fatawa Razviya Me He,
Inzal Huva Or Naha Liya Uske Ba'ad Fir Mani Nikli Dobara Nahana Wajib Hoga Agarche Is Baar Be Shahwat Nikli Ho Magar Ye Ki Peshab Kar Chuka Ho Ya So Liya Ya Zyada Chal Liya Iske Ba'ad Mani Be Shahwat Nikli To Gusl Ka Ae'aada Nahi.
*📚(Fatawa Razviya Shareef, Gusl Ka Bayan)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲84879
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aqeeqah Ke Baad Naam Badalna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Aqiqa Hone Ke Baad Naam Badalna Kesa ? Or Kya Naam Badalne Ke Liye Fir Se Aqiqa Karna Hoga ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Naam Kabhi Bhi Badal Sakte He Agar Naam Durust Na Ho Yaani Uska Ma'ana W Matlab Thik Na Ho. Aqiqa Ke Baad Bhi Naam Badal Sakte He, Naam badalne Ki Liye Dubara Aqiqa Karne Ki Koi Zaroorat nahi.

Agar Naam Bura He To Fauran Badal Diya Jaye, Jaisa Ki Hadis Shareef Me He Ki Jin Ka Naam Bura Hota Tha Nabi E Paak  ﷺ Achche Naam Badal Diya Karte The.

Jaisa Ki Sahih Muslim Me Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma Se Marvi, Kahte He, Jawairya RadiAllahu Anha  Ka Naam Barrah Tha, Huzur ﷺ Ne Ye Naam Badal Kar Jawairya Rakha Or Ye Baat Huzur ﷺ Ko Napasand Thi Ke Yuñ Kaha Jaye Ki Barrah Ke Paas Se Chale Gaye.
*📚(Al-Marja Us Sabiq, Hadis-16 (2140), S-1182)*

Sahih Muslim Me Ibne Umar RadiAllahu Anhuma Se Marvi, Kahte He Ki Hazrat Umar RadiAllahu Anhu Ki Ek Ladki Ka Naam Aasya Tha, Huzur  ﷺ Ne Uska Naam Jameela Rakha.
*📚(Sahih Muslim Kitabul Aadab, Hadis-15 (2139), S-1181)*

Tirmizi Ne Hazrate Aaisha RadiAllahu Anha Se Riwayat Ki, Ke RasoolAllah ﷺ Bure Naam Ko Badal Dete The.
*📚(Sunan Tirmizi, Kitabul Aadab, Hadis-2848, J-4, S-382)*

Sahih Bukhari Me Saeed Bin Musayyab RadiAllahu Anhu Se Marvi, Kahte he, Mere Dada Nabi E Kareem  ﷺ Ki Khidmat Me Hazir Huye. Huzur  ﷺ Ne Puchha: Tumahara Kya Naam He ? Unhone Kaha: Huzn. Farmaya Tum Sahal Ho. Yaani Apna Naam Sahal Rakho Ki Is Ke Ma'ana He Narm, Or Huzn Sakht Ko Kahte He. Unhone Kaha Ki Jo Naam Mere Baap Ne Rakha He Use Nahi Badluga.
*📚(Sahih Bukhari, Kitabul Aadab, Hadis-6193, J-4, S-153)*

Saeed Ibnul Musayyab Kahte He Is Ka Nateeja Ye Huva Ki Ham Me Ab Tak Sakhti Paayi Jati He..

*📚Ba-Hawala(BAHARE SHARIYAT, H-16, S-243,244, Application)*

In Ahadis Se Sabit Huva Agar Naam Bure Ho Yaani jiska Ma'ana W Matlab Durust Na Ho Use Fauran Badal Dena Chahiye. Iske Liye Firse Aqiqa Karna Zaroori Nahi. Lihaza Aqiqa Ke Baad Bhi Naam Badal Sakte He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848792..

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Peer Hayat Na Ho To Tajdide Bay'at Kis Se Kare ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Agar Pir Parda Farma Gaye Hain Or Tajdid E Bay'at Karne Ki Zarurat Padi To Kya Pir Ke Jaanashin Va Khalifa Se Bay'at Kare Ya Fir Pir Ke Pirkhane Se Koi Buzurg Ya Fir Pir Ke Dada Pir Ke Koi Mashaikh Yani Silsila E Tarikat Me Upar Ke Koi Bhi Mashaaikh Se Bay'at Kar Sakte Hain....?

*🌹JAWAB:-🌹*
Bahetar To Yahi He Ki Us Peer Ke Khulfa Me Se Kisi Se Bhi Tajdide Bay'at Kare Warna Dusre Se Bhi Jo Us ke Peer Ka Silsila He Usse Bhi Tajdide Bay'at Karne Me Koi Qabahat Nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Muhammad Zafar Ali Siddiqi Sahab Qibla, Sangli Maharastra*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲84879...
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Tajdide Nikah Ka Tariqa Kya He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Tajdide Nikah Ka Tariqa Kya He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Tajdide Nikah Ka Matlab He Naye Mahar Se Naya Nikah Karna Is ke liye Logo ko Ikaththa karna zaroori nahi he kyu ki nikah naam he eejabo Qubool Ka Albatta Ba waqte nikah do Musalmam Mard Ya Ek Mard or Do Aurat Ka Hazir Hona Lazmi He Or Maher Sharai Yaani Kam Az Kam 10 Dirham Mahar Hona Zaroori He.

Khutba e Nikah Shart Nahi Balki Mustahab He Agar Yaad Na Ho To Ta'awwuz, Tasmiya Ke Baad Sura e Fatiha Bhi Padh Sakte He.

Ab Mazkoora Gawaho ki Maujudgi Me Eejab Kijye Maslan Ye Kahe ki mene itne mahar ke badle Aap se nikah kiya aurat kahe mene Qubool kiya nikah ho gaya.

Or ye ho sakta he ki Aurat hi Khutba ya sura e fatiha parh kar eejab kare or mard kahe mene Qubool Kiya Agar Aurat chahe to maher maaf bhi kar sakti he magar mard bila hajate Sharai Mard Maher Maaf Karne ka Sawal Na Kare.
*📚(ANWARUL HADIS, S-302)*

Ehtiyati Tajdide Nikah Ka Bhi Yahi Tariqa He, Agar ba Aasani Gawah Dastiyab Ho To Bayan karda Tariqe Ke Mutabik Miya Biwi Taubah Karke Ghar Ki Chaar Diwari Me Kabhi Kabhi Ahtiyatan Tajdide Nikah Bhi kar  Liya Kare. Maañ Baap, Bhai Bahan Or Awlad Wagairah Aaqil W Balig Muslaman Mard w Aurat Nikah Ke Gawah Ban Sakte He. Ahtiyati Tajdide Nikah Bilkul Muft He Us Ke liye Mahar Ki Bhi Zaroorat Nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848792

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Peer Hayat Na Ho To Tajdide Bay'at Kese Kare ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Agar Peer hayat na Ho ToTajdide Bay'at Kese Kare ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Agar Pir Hayat Na Ho To Unke Janashin Ya Khalifa Se Bay'at Kare Ya Usi Silsile Ke Jame'a Sharait Buzurg Se Bay'at Karle.

Jaisa Ki Al-Malfooz Me He,

Tabdile Bay'at Bila Wajahe Sharai Mamnoo'a He, Or Tajdide Bay'at Jaiz Balki Mustahab He.

Peer Jis Silsila Ke The Unse Bagair Inheraf ke usi silsile ke kisi sunni Sahihul Aqida Mutaqqi Parhezgaar  Se Bay'at kare to ye Bay'ate Tabdil Nahi Balki Tajdide Bay'at He.
*📚(Makhuz: AL-MALFOOZ KAMIL, HISSA-1, S-12)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Tajdide Iman Ka Tariqa Kya He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Tajdeed E Iman Kaise Karte Hai Uska Tarika Kya Hai.

Hazrat Rehnumai Farmaea
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kufr se taubah usi waqt maqbool hogi jabke vo us kufr ko kufr taslim karta ho or dil me us kufr se nafrat w bedari bhi ho. Jo kufr sarzad huva taubah me us ka tazkira bhi ho. Maslan jisne visa form par apne aap ko Christian likh diya vo is tarah kahe: Ya Allah ﷻ ! Me ne jo visa Form Me Apne Aap Ko Christian zahir kiya he us kufr se taubah karta Hu.
Taubah Ke Baad Parhe,
لَا ٓاِلٰـہَ اِلَّا اللہُ مُحَمَّدٌ رَّسُوْلُ اللہِ
(Yaani Allah Ke Siwa Koi Ibadat Ke laeeq Nahi Or Muhammad ﷺ Allah Ke Rasool He.)

Is Tarah Makhsoos Kufr Se Taubah Bhi Ho Gai Or Tajdide Iman (Yaanj Naye Sare Se Musalman Hona) Bhi.

Agar Ma'azAllah Kai Kufriyat Bake Ho Or Yaad Na Ho Ki Kya Kya Baka He To Yuñ Kahe: Allah ﷻ Mujh se Jo Jo Kufriyat Sadir Huye He Me Unse Taubah Karta Hu Fir Kalma Parh le.

Agar Ye Ma'alool Hi Nahi Ki Kufr Baka Bhi He Ya NahubTab Bhi Agar Ehtiyatan Taubah Karna Chahe To Is Tarah Kahe: Ya Allah  عَزَّوَجَلَّ  ! Agar Mujh se koi Kufr Ho Gaya Ho To Me Us ss Taubah Karta Huñ.  Ye Kahne Ke Baad Kalma Parh Le.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848792...

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Saee Me Wuzu Toot Jaye To Kya Kare ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Agr Sa'i me 5wa shout me wuzu tuth geyi, pr pta nhi tha ki Kya aur kaise krna tha, aur darr ke maare, firbhi Sa'i  complete  krke, 2 rkat namaz adaa kiya, to kya hukm hai?
Barahe karam rehnumahi farmayen ain nawazish hogi.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Saee ke liye wuzu hona bahetar he w sunnat he. Be wuzu bhi agar koi saee kare to uski saee mukammal w Ada ho jayegi. Magar sawab me kuchh kami aayegi. Lihaza agar saee karte huye bich me wuzu toot jaye to vaha kisi ko puchh kar bahar tashrif le jaye, wuzu kare, fir dobara aaye or saee kare. Jis fere par saee ko chhoda tha vahi se shuru karege. lihaza agar bich saee me panchva fera karte huye wuzu toot jaye to aap saee ko mukammal bhi kar sakte he or agar aap chahe ki pure ka pura sawab mile, be wuzu saee na karu, to bahar jaye wuzu karke fir wapas aaye or saee ko mukammal karle.

Lekin aap ne sawal me ek ye bhi puchha ki saee bhi karli or uske baad namaz ko bhi ada kiya. Lihaza namaz ko be wuzu ada kar hi nahi sakte , namaz shuru karne se pahle namaz ki sharto me se ek shart taharat he, or taharat  me namazi ka badan hadse asgar w hadse akbar Wagairah se paak hona zaroori he. Lihaza aap ki vo namaz nahi hui.

Agar Aap Ne Dar ki wajah se be wuzu ho kar janbuz kar namaz padh li to ye haram hua. Or murtakibe kabira huye, usse taubah kare.
Or agar kisi or shakhs ne ehanat ki niyat se padhli to ye kufr hoga. Magar ek banda e mo'amin se namaz ki ehanat hargiz hargiz maqsood nahi ho sakti, usse aysa khayal nahi ho sakta. Is wajah se yaha par hukme kufr nahi, Albatta Agar junbuz kar be wuzu namaz padhli to dobara ada kare or taubah kare. Or pakka ahad kare ki aainda kabhi aysa na hoga.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲848792....
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Umrah Ke Liye Niyat Or Ahram Masjide Aayesha Ja kar yaa Hotel Me Karege ?

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agr fir Umrah ki tamanna ho, to kya hotel ke room se Ehraam pahen kr, Ayesha masjid pe nafil namaz aur niyyat krke Wapas aana hai? Ya Ayesha masjid se hi Ehraam pehenna hai aur namaz aur niyyat krni hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar dobara tamanna ho umrah karne ki to Ahram hotel hi se bandh sakte he.

Ahram pahen kar jaye or wuzu bhi karle. Ya fir masjide aaisha ja kar wuzu kare. vaha par masjide aaisha jaaye, vaha 2 rak'aat ahram ki niyyat se padhe. Or 2 rak'aat padhne ke baad fauran sar se kapda utar de, uske baad labbaik Allahumma Labbaik Wagairah padh kar umrah ki niyat kare. Uske baad wapas aaye or tawaf saee wagairah sab kuchh Karle. Is tarike se umrah mukammal ho jayega. Ye koi  Zaroori nahi ki ahram ke kapde masjide aaisha jakar hi paheno, Room Par se bhi Pahen Kar Ja Sakte Ho, or isme aasani he.

Lekin Room par se niyyat nahi karna he, na Room Par Namaz Padhni he balki makka sharif me rahte huye agar dusra umrah karna he to fir Ahram ki niyyat, umrah ki niyyat masjide aaisha ja kar hi karna padega.

Aysa hi *📚Bahare Shariyat Or Digar 📚Kutube Fiqh* Me Mazkoor He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲848792...
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Makka Se Jiddah Gaye To Kya Wapas Aa Kar Umrah Karna Hoga ?

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمة اللہ وبرکاتہ
Kya agar Makkah shareef se Jaddah shopping ke liye geye, to kia Wapas hotel aane ke liye, Umrah krna pregi?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Nahi, agar makka shareef se aap jiddah Shoping ke liye gaye to aap ko makka shareef ya hotel par wapsi ke liye ahram bandh kar umrah karne ki koi zaroorat Nahi.

Kyu ki jiddah Miqat ke andar hi he. Or ek baar umrah ho gaya  or ahram se aap farig ho chuke to ahram se nikalne ke baad aap miqat ke andar kahi bhi jaa sakte he or wapas makka sharif ya hotel me aane ke liye aap ko Ahram bandh ne ki or Umrah ki koi zaroorat nahi he, aap bagair ahram ke makka shareef me dakhil ho sakte ho.

Lekin agar aap miqat se bahar ho jao jese ki taa'if, ki ye taa'if makka shareef se bahut door he, miqat se bahar he, to agar aap taa'if tasharif le gaye or taa'if se jab wapas hoge to ab zaroori he ki ahran bandhna hoga or ahram se farig hone ke liye aap ko umrah karna padega.

Taa'if ka mas'ala is wajah se bataya ki kuchh log is mas'ale se na waqif he.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲8487....
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Khula Ka Tareeqa. Ladki Khula Lena Chahe To Kese Khula De ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Behen ka sawal hai.. Ladki khula lena chahti hai aur ladka isse razi hai..
Ab iska process ya procedure kya hoga? Kya ladke ki sign kaafi hai divorce paper par ya kaise khula leni chahiye batadein meherbani.

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Khula Ka Ma'ana Maal ke Badle Me nikah ko tod dena, zaeel kar dena he, is me ek shart ye he ki aurat usko qubool karle bagair uske qubool kiye khula nahi ho sakta. Or agar shohar or biwi me na ittefaqi rahti ho or ye andesha ho ki ahkame sharaiyyah ki pabandi na kar sakege to khula me muzayeqa nahi, khula kar lena chahiye, or jab khula kar liya to talaqe baeen waqe'a ho jayegi or jo maal thahera he aurat ki janib se dena us aurat par uska dena lazim w zaroori he. Kabhi kabaar miya biwi me na ittefaqi, zulmo ziyadati shohar ki taraf se hoti he to khula karne ki soorat me Mutlaqan Shohar ke liye paise lena makrooh w mana'a he. Or kabhi kabaar ye zyadati ya na ittefaqi aurat  ki taraf se hoti he to aurat ko bhi chahiye ki jo maher diya he usi par bas karle, usse zyada na le, usse zyada legi uske liye makrooh he, mana'a he. Lekin agar zyada le legi ya zyada le lega to kaza'andi jaiz he. Khula ke kuchh alfaz muta'ayyan he unhi naamo or alfazo ke sath kiya jaye.

Khula ke alfaz misal ke taur par, mera maher jo tumne diya he wapas lelo or meri jaan chhod do, shohar ne kaha thik he mene jaan chhod di,

jesa ki hadis shareef me aaya Allah Ke Rasool  ﷺ Ki khidmat Hazrate Sabit Bin Qais RadiAllahu Anhu ki Jauza Ne hazir ho kar arz ki Ya RasoolAllah ﷺ Sabit Bin Qais ke Akhlaq w deen ki nisbat par muje kuchh kalam nahi yaane unke akhkaq bhi achche he or dindar bhi he magar islam me me kufrane ne'amat ko me pasand nahi karti yaane ba wajhe khubsoorat na hone ke meri tabiyat unke taraf maeel nahi , irshad farmaya uska baag jo tum ko maher me diya gaya he kya tu wapas kar degi? To Sabit Bin Qais RadiAllahu Anhu ki Jauza Ne arz ki haañ Huzur Me usko wapas kardugi. Huzur  ﷺ ne sabit bin Qais se farmaya baag lelo or talaq dedo. Ye khula ke alfaz he jese hi biwi maal ko qubool karle shohar usko khula ki ijazat de dega to khula waqe'a ho jayega or khula se ek talaqe baeen waqe'a ho jayegi. Or jo Maal bhi thahra he uska aurat par dena lazim w zaroori hoga ya maher lotana wajib w zaroori hoga.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab(in Audio):- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲848792869
*_📬Pathan Moin Raza khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Saal Girah Manana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Shadi Ki Saal Girah Manana Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Saal Girah Manane Me Fee Nafsa Koi Harj Nahi Jab Ki Munkirat se khali ho. Fir agar us me  shirni par Qura'an shareef, Duroode paak Wagairah Parh kar uska sawab Buzurgo ki Arwah ko isal kiya jaye to ab ye kaare khair hoga or shirni niyaz kah layegi. Or agar vo munkirat par mushtamil ho to is wajah se mumane'at ka hukm hoga or aysi saal girah manana najaiz hoga.

Fatawa Razviya Me He,

Saal Girah do tarah hoti he, ek me kuchh Qura'an majeed w durood shareef parh kar Huzur ﷺ w Saiyedna Gause Aazam Wagairah Auliya e kiram RadiAllahu Anhum Ki Niyaz Or Ahbab w fuqra ko kuchh taqsim..

Dusri vo jo kuffaro fujjar karte he ki jis me lahw la'aub, naach rang wagairaha shaytanateñ hoti hai.
*📚Mulkhasan (FATAWA RAZVIYA, J-11, S-129)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬Darul Uloom Gause Aazam Porbandar Gujarat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲8487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Raat Me Nakhun Katna Kesa?

*🌹SAWAL:-🌹*

Raat Me Nakhun Katna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Nakhun Har Waqt Katna jaiz he, Raat Me Bhi Nakhun Kaat Sakte he.

Fatawa Aalamgiri me he,
حکي أن هارون الرشید سأل أبا یوسف رحمه اللہ تعالی عن قص الأظافیر في اللیل فقال : ینبغي فقال ما الدلیل علی ذلک فقال : قوله علیہ السلام "  الخیر لا یوٴخر " کذا في الغرائب " اھ
Yaani Hikayat he ki Haroon Rashid Khalifa e waqt ne imam abu yusuf se daryaft kiya ke kya raat me nakhun katna kesa he farmaya ke haañ rawa he to haroon rashid ne puchha ki iski daleel kiya he farmaya ki Huzur ﷺ ne Farmaya,
الخیر لا یوخر
Yaani Bhale kaam me der na karni chahiye...
*📚(FATAWA AALAMGIRI, J-5, S-358)*

isi Tarah Se Tafshimul Masail Me He,

Raat Ke Waqt Nakhun Kaatne Ki Koi Mumane'at Nahi He.
*📚(TAFHIMUL MASAIL, J-1, S-403)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Masjid Me Koi Tilawat Karta Ho Tab Kursi Par Bethna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu w Rahematullah,
Masjid Me kuchh log pahli saf me Qura'an ki Tilawat karte ho or pichhe koi mazoor shakhs namaz padhate he to namaz se farig ho kar vo table ya kursi 4 ya 5 saf me bethe he to vo gunahgar hoga ya nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Wa Alaikumus salaam

Aaj Kal masjido me Chairman hazraat ki kafi bhid ho gai hai. Ye masalah khud ek pareshankun hai .. khair aap k saval ka javab ye hai k kursi pe nahi Beth sakte Kyu k koi zarurat ya hajat sabit nahi ... Lihaza masjid me agar subh sham kisi bhi vakt Log pehli ya aakhri kisi bhi saf me quraan padhne k liye bethe to aysi Surat me vaha maujud kisi bhi shakhs ka kursi ya unchi jagah pe bethna Quran k adab k khilaf hai ... Or bimar vagaira k liye kursi par bethne k eilava or bhi raste hai uneh apnaye..

Jesa Ki Bahare Shariyat Me he,
Qura'an majeed ke Aadab me ye bhi he ki uski taraf peeth na ki jaye, na paanw felaye jaye, na Paanw ko Us se uncha kare, Na ye ki khud unchi jagah par ho or Qura'an majeed niche ho.
*📚(Bahare Shariyat, H-16)*

Allah hi  Aleem or Khbeer
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qazi E Petlad w Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujrat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲848792
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namaz Me Ek Sajda Chhut Jaye To Kya Kare

*🌹SAWAL:-🌹*
Namaz me ek sajda chut jaye to Kya kare ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Ek Sajda Kisi Rak'at ka bhul gaya to jab yaad aaye karle, agarche salam ke baad basharte ki koi fe'al manafi na sadir huva ho or sajda e sahw kare.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-3,WAJIBATE NAMAZ)*

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qazi E Petlad, Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujrat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲8487
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Budh Ke Din Nakhun Katna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Nakhun katne ki kisi bhi din mumane'at he ? Or budh ke din nakhun katna kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Nakhun Kaatne se muta'alliq kisi din koi mumane'at nahi.

Is liye ke din ki ta'ayyin me koi hadis sabit nahi,

Albatta Ba'az Zaeef hadiso me budh ke din nakhun katne ki mumane'at he, lihaza agar budh ka din wujoob ka din aa jaye, maslan untalis (39) din se nahi tarashe the, aaj budh ko chaliswab(40) din he, agar aaj nahi tarashta to chalis din se zaayid ho jayege, to us par wajib hoga ki budh ke din tarashe is liye ki chalis (40) din se zaaid nakhun rakhna najaizo makroohe tahrimi he.

Or mazkoora soorat na ho to budh ke allawa kisi or din tarashna munasib ke janibe mana'a ko tarjeeh rahti he.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-22, S-685)*

Or Farmate He Budh ke din nakhun nahi katne chahiye ki hadis me usse nahi aai ki Ma'azAllah Usse Moris bars(jism par safed daag paida) hota he.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-22, S-671)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Apne Aap Ko Islami ki Shahezadi Ya Maslak Ki Shahezadi Kahna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Khawatin ka Apne Aap ko islam ki shahezadi ya Maslak ki Shahezadi kahna kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Shahezadi ko arbi me bint kahte he. Or is lafz ka Iste'amal us ke liye hota he jisse ta'alluk or wabastagi gaheri hoti he jese ibnus sabil musafir ko kehte he k raste se uska ta'alluk gehra hota he. Isi Tarah Jo Musalman Khawateen Hoti he jinka islam ya maslak se gahera ta'alluk he vo apne aap ko maslak ki shahezadi ya islam ki shahezadi kahti he. Jesa k Mard apne aap ko Farzandane islam kahte. Lihaza is tarah kahne me koi harj nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🎙 Audio Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬 Darul Uloom Gause Aazam Porbandar, Gujarat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲84
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Talaq De Duga Se Talaq Nahi Hoti

*🌹SAWAL:-🌹*
maine kisi ghair fard muzakkar ya muannas se jalaal me aa kar kaha k main apni ahilya ko talaq de dunga to kya meri talaq meri ahilya pe farz huyi na talaq hi na huyi?

*🌹JAWAB:-🌹*

Soorate Mas'ula Me Ye Khana Ki Talaq De Duga isse Talaq Na Hogi.

_Jaisa ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He_

Lafz 'Me tuje talaq de duga' mahaz na mo'atebar he ki sirf wa'ada hi wa'ada he is se kuchh nahi hota.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-13, S-267)*

Or Farmate He,
Sirf Itna Kaha tha ki maal fekegi to talaq de duga, pas is soorat me talaq sabit nahi.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-12, S-652)*

Isi tarah se Fatawa Khalilya me he,
Shohar ne sirf itna hi kaha ki talaq de dunga to ye irada e talaq he or irada e talaq Talaq Nahi.Dono Miya biwi he.
*📚(FATAWA KHALILYA, J-2, S-175)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namaz Me Mahsoos Ho ki Hawa Kharij Hui To Wuzu Nahi Tutta

*🌹SAWAL:-🌹*
Dauran e namaaz ya baad wuzu pet me badhazmi k wajohat se kabhi riya kharij hone ka ehsaas hota hai, aur ye baat ka pukhta yakeen nahi hota k riya kharij huyi hai ya ho rahi hai to is surat dobara wuzu karna hoga ya pehla wuzu baaki raha?

*🌹JAWAB:-🌹*

Soorate Mas'ula Me Halate Namaz Me Sirf Guman Hua Ki Reeh(hawa) kharij hui Koi Aawaz ya Badbu Nahi Thi, or Galib Guman Ho Ki Reeh Kharij Nahi Hui To Isse Wuzu Nahi Tutega, Balki Is tarah se Shaytan Waswase Dilata he. Or Agar Yaqeen Ho Ki Hawa Kharij Ho Gai Ki aawaz ya Bu Mahsoos Ho To Usse Wuzu Toot jayega.

_Jaisa Ki Sarkar Saiyedi Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He_

RasoolAllah ﷺ Farmate He,
:واذا وجد احدکم فی بطنہ شیا فاشکل علیہ اخرج منہ شیئ ام لافلا یخرج من المسجد حتی یسمع صوتا اویجد ریحا رواہ مسلم والترمذی۲؎ عن ابی ھریرۃ۔
Yaani Jab Tum me koi shikam me kuchh mahsoos kare jis se us par ishtabah ho jaye ki us se kuchh kharij huva ya nahi to vo masjid se na nikle yaha tak ki aawaz sune ya boo paye. Ise muslim w Tirmizi ne hazrat abu hurairah se Riwayat kiya.
*📚(Sahih Muslim, J-1, S-158)*
*📚(Sunan Tirmizi, J-1, S-158, Hadis-75)*

والا حمد والترمذی وابن ماجۃ والخطیب عنہ مختصرا بلفظ لاوضوء الامن صوت اوریح.
Or Unse imam ahmad, Tirmizi, ibne maja or khateeb ne mukhtasaran in alfaz me riwayat kiya he, Wuzu Nahi Magar Aawaz ya Boo Se.
*📚(Sunan Tirmizi, Hadis-75, J-1, S-134)*
*📚(Musnad Ahmad Bin Hambal, J-2, S-210,435)*

ولا حمد والشیخین وابی داؤد والنسائی وابناء ماجۃ وخزیمۃ وحبان عن عباد بن تمیم عن عمہ عــہ عبداللّٰہ بن زید بن عاصم قال شکی الی النبی صلی اللّٰہ تعالی علیہ وسلم الرجل یخیل الیہ انہ یجد الشیئ فی الصلٰوۃ قال لاتنصرف حتی تسمع صوتا اوتجد ریحا .
Ek Shakhs ne nabi  ﷺ ke paas ye shikayat arz ki ke use khayal hota he ki namaz me vo kuchh mahsoos kar raha he. Sarkar ne farmaya namaz se na firo yaha tak ki aawaz suno ya boo paao.
*📚(Sahihul Bukhari, J-1, S-25)*

ولا حمد وابی یعلی عن ابی سعید عن النبی صلی اللّٰہ تعالی علیہ وسلم ان الشیطان لیاتی احدکم وھو فی صلاتہ فیاخذ بشعرۃ من دیرہ فیمدھا فیری انہ قداحدث فلا ینصرف حتی یسمع صوتا اویجد ریحا.
Or Imam Ahmad w Abu Ya'ala Hazrat abu saeed se vo Nabi ﷺ se Raawi he ki tum me koi namaz me hota he or shaytan us ke paas aakar uske pichhe se koi baal khinchta he jis se vo ye khayal karne lagta he ki uska wuzu jata raha, aysa ho yo vo namaz se na fire yaha tak ki aawaz sune ya boo paaye.
*📚Al-Jame'a Us Sageer, J-1, S-124, Hadees-2027)*

ورواہ عنہ سعید بن منصور مختصرا نحو المرفوع من حدیث عباد وللبراز عن ابن عباس عن النبی صلی اللّٰہ تعالی علیہ وسلم یاتی احدکم الشیطان فی الصلاۃ فینفح فی مقعدتہ فیخیل انہ احدث ولم یحدث فاذا وجد ذلک فلا ینصرف حتی یسمع صوتا اویجد ریحا.
Or Use unse saeed bin mansoor ne mukhtasaran hazrat ibad ki hadis ke marfu'a alfaz ke ham ma'ana zikr kiya he, or bazar hazrat ibne abbas se vo Nabi ﷺ se Raawi he ki tum me kisi ke paas namaz me shaytan Aakar uske pichhe phoonk deta he jisse usko khayal hota he ki muje hadas ho gaya halañki use hadas na huva to koi aysa mahsoos kare to namaz se na fire yaha tak ki aawaz sune ya boo paye.
*📚(Kashful istar An Zawaidul Bazar, J-1, S-147)*

In hadiso Ka Hasil Ye he ki Shaytan namaz me dhoka dene ke liye kabhi insan ki sharmgaah par aage se thook deta he ki use qatra aane ka guman hota he kabhi pichhe funkta ya baal khinchta he ki reeh(hawa) kharij hone ka khayal guzarta he is par hukm huva ki namaz na feiro jab tak tari ya aawaz ya boo na paao jab tak waqoo e hadas par yaqeen na ho le.

Mas'ala: Shaytan Ke Thuk or phoonk se namaz me qatre or reeh ka shuba jata he hukm he ki jab tak aysa yaqeen na ho jis par qasam kha sake us par lihaz na kare, shaytan kahe ki tera wuzu jata raha to dil me jawab de le ki khabees tu jhutha he or apni namaz me mashgool rahe.
*Mulkhasan📚(FATAWA RAZVIYA, J-2, S-1046-1051)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848792

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Abu Talib Ka Iman Lana Sabit Nahi Aala Hazrat Alaihir Rahma

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Aulmao ki Bargah me Sawal he ke Sarkare Aalahazrat Radiallaho Anhuma ka Kiya Moqif he Abu Talib ke Talluk se

Baraye Karam Hawalo ke Sath Bataye or Scene bhi Mil Jaye to Bohot Mehrbani Hogi

*🌹JAWAB:-🌹*

W alaikum Assalam W Rahematullah,

Sarkar Aala Hazrat, Mujaddide Aazam, Ashshah Imam Ahmad Raza Khan Alaihir Rahmato Ridwan ne Huzur  ﷺ Ke Chaha Janab Abu Talib Ke Imam Ke Ta'alluk Se Ek Taheqiqi Risala Taherir Farmaya He Ba-Naam *"Sharahul Matalib Fi Mabhase  Abi Talib"*
Jisme Aap Ne Kai Muhaddissin W Aqawale Ahadis W Aayate Qura'anyaSe Sabit Kiya He Ki  Abu Talib Ka Iman Lana Sabit Nahi. Or Halate Kufr me Maut Hui.

Jesa Ki Aap Taherir Farmate He,

Isme Shak Nahi Ki Abu Talib Tamam Umar Huzur Saiyedul Mursaleen Saiyedul Awwaleen W Aakhireen Saiyedul Abrar  ﷺ Ki Hifzo Himayat W Kifayat w nusrat me Masroof Rahe. Apni Aulad Se zyada Huzur Ko Azeez Rakha, Or us waqt Me Sath diya ki Ek Aalam Huzur Ka Dushmane Jaañ Ho Gaya tha, or Huzur Ki muhabbat me apne tamam azeezo Qareebo Se Mukhalifat Gawara Ki, Sab ko chhor dena qubool kiya, Koi Daqeeqa gumgusari w jaañ nisari ka naa mara'ee na rakha, Or Yaqinan Jante the ki Huzur Afzalul Mursaleen  ﷺ Allah Ke Sachche Rasool Hain, Un par Iman Lane Me Jannat Abdi Or Takzib Me Jahannam Daeemi He.

Or Aage Farmate He,

Magar Mujrdaan Umoor Se Iman Sabit Nahi Hota. Kaash Ye Af'aal W Aqwal Un se Halate Islam Me sadir Hote To Saiyeduna Abbas Balki Zahiran Saiyeduna Hamza RadiAllahu Anhuma Se Bhi Afzal Qarar Paate Or Afzalul amam Huzur Afzulul Anam Alaihi W aleh w afzalus Salato Salam Kahlaye Jaate. Taqdeere Ilahi ne barbina us hikmat ke jise vo jaane ya us ka rasool  ﷺ unhe girohe muslimeen w gulamane Shafi ul Muznibeen  ﷺ Me Shumar Kiya Jana Manzoor Na Farmaya.

فاعتبروایا اولی الابصار.
To Ibrat Lo Ay Nigah Walo
*📚(Sura e Hashr, Aayat-2)*

*Makhuz 📚FATAWA RAZVIYA, J-29, 650-654)*

Or Aage Farmate He,

Mirqat Sharah Mishkat Me He,
لقولہ تعالی فی حقہ باتفاق المفسرین انک لا تھدی من احببت.
Allah Ta'ala Ke Is Irshad Ki wajah se jo baittifaq mufassireen us (Abu Talib)ke bare me he: Ay Nabi Tum Hidayat Nahi Dete Jise Dost Rakho.
*📚(مرقاۃ المفاتیح کتاب الفتن باب صفۃ النار و اھلھا تحت حدیث ۵۶۶۸ مکتبہ حبیبیہ کوئٹہ ۹/ ۶۴۰ )*

Sahih Hadees Me is Aayate Karima ka Sababe nuzool yuñ Mazkoor Ke jab huzure Aqdas  ﷺ Ne Abu Talib se Marte waqt kalma padhne ko irshad farmaya, saaf inkar kiya or kaha mujhe quraish ayb lagayege ki maut ki sakhti se gabhra kar musalman Ho gaya warna Huzur Ki Khushi kar deta.
Is Par Rabbul Izzat tabarak w ta'ala ne ye aayate kareema utari yaani ay Habib tum uska gam na karo tum apna mansabe tablig ada kar chuke, hidayat dena or dil me noor paida Karna ye tunhara fe'al nahi Allah  ﷻ ke ikhtiyar me he or use khub maloom he ki kise ye daulat dega kise mahroom rakhega.

Sahih Muslim Shareef Kitabul Iman W Jame'a Tirmizi Kitabul Tafsir me Saiyedna Abu Hurairah RadiAllahu Anhu Marwi:
قال قال رسول اللہ صلی اللہ تعالی علیہ وسلم لعمہ (زاد مسلم فی اخری عند الموت ) قل لا الہ الا اللہ اشھد لک بھا یوم القیٰمۃ قال لولا ان تعیرنی قریش یقولون انما حملہ علی ذلک الجزع لاقررت بھا عینک فانزل اللہ عزوجل انک لا تھدی من احببت ولکن اللہ یھدی من یشاء.

Abu Huraira RadiAllahu Ne Kaha Ki RasoolAllah ﷺ Ne apne chacha se farmaya(Muslim ne dusri riwayat me ye izafa kiya ke bawaqte maut farmaya)  La ilaha illallah  Kah Do me tere liye qayamat ke din us ki gawahi duga. Us ne jawab diya: agar ye baat na hui ki quraish mujhe aar dilayege ke maut ki shiddat ke baees musalman ho gaya to me aap ki aankh thandi kar deta. Is par allah Ta'ala ne ye aayat Nazil Farmai Ke, Ay Nabi Tum Hidayat Nahi Dete jise dost rakho, haañ khuda hidayat deta he jise chahe.
*📚( صحیح مسلم کتاب الایمان باب الدلیل علی صحۃ الاسلام الخ قدیمی کتب خانہ کراچی ۱/ ۴۰)(جامع الترمذی ابواب التفسیر سورۃ القصص امین کمپنی دہلی ۲/ ۱۵۰)*

Sharah Aqaide Nasfi Me He,

لیست حقیقۃ التصدیق ان تقع فی القلب نسبۃ الصدق الی الخبر والمخبر من غیراذعان وقبول بل ھو اذعان وقبول لذٰلک بحیث یقع علیہ اسم التسلیم علی ماصرح بہ الامام الغزالی.
Haqiqat Tasdiq ye nahi ki dil me khabar ya mukhbir ki sachchai ki nisbat waqe'a ho jaye bagair az'aan w qubool ke balki vo to az'aan or is tarah qubool karna he ki us par isme taslim waqe'a ho. Jaisa ki imam gazali Alaihir Rahma Ne iski tasreeh farmai he.
*📚( ۔ شرح عقائد النسفی والایمان فی اللغۃ التصدیق دارالاشاعۃ العربیہ قندھار افغانستان ص ۸۹)*

Usi Me he,
بعض القدریۃ ذھب الی ان الایمان ھوالمعرفۃ واطبق علماؤنا علٰی فسادہ لان اھل الکتاب کانوا یعرفون نبوۃ محمد صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم کما کانوا یعرفون ابناء ھم مع القطع بکفرھم لعدم التصدیق ولان من الکفار من کان یعرف الحق یقینا وانما کان ینکرعناداً اواستکباراً قال اﷲ تعالٰی وجحدوا بھا واستیقنتھا انفسھم.
Ba'az Quduriya is taraf gaye he ke iman faqat ma'arefat ko kahte he, or hamare aulma ka is qaul ke fasad par ijma'a he, kyu ke ahle kitab Muhammad Mustafa  ﷺ ki nabuwwat ko ayse pahchante the jese apne beto ko pahechante the, is ma'arefat ke bawajood unka kufr qata'ee he kyu ki wahañ tasdiq nahi paai gai, or is liye bhi ba'az kafir yaqeeni taur par haq ko pahechante the or mahaz inado takbir ki wajah se inkar karte the, Allah Ta'ala ne farmaya,
Halañki Unke munkir huye or unke dilo me unka yaqeen tha.
*📚(  شرح عقائد النسفی والایمان لایزید ولا ینقص دارالاشاعت العربیہ قندھار افغانستان ص ۹۳ و ۹۴)*

*_👉🏻Aayate Qura'anya W Ahadise Sahiha Mutwafira se Abu Talib Ka Kufr Par Marna Or Dame Wapsi Iman Lane Se inkar karna or aqabat kaar as'habe Naar Se Hona Ayse Roshan Saboot Se Sabit Jis se Kisi Sunni Ko Majale Dam zadan Nahi,_*

Qura'an Majeed Me Rab Tabarak w Ta'ala ne farmaya,

:انک لاتھدی من احببت ولکن اﷲ یھدی من یشاء وھو اعلم بالمھتدین.
Ay Nabi Tum hidayat Nahi dete jise dost rakho Haañ khuda hidayat deta he jise chahe vo khub janta he jo raah paane wale hain.
*📚(Sura e Qasas, Aayat-56)*

Mufassireen ka ijma'a He ki ye aayat abu talib ke haq me nazil hui.
Ma'aalimul Tanzeel Me he,
نزلت فی ابی طالب
Abu Talib Ke Haq Me Nazil Hui.

*📚(۔ معالم التنزیل (تفسیر البغوی)تحت آیۃ ۲۸ /۵۶ دارالکتب العلمیہ بیروت ۳ /۳۸۷)*

Dusri Aayat Me He,
ما کان للنبی والذین امنوا ان یستغفروا للمشرکین ولوکانوا اولی قربی من بعد ما تبین لھم انھم اصحٰب الجحیم۔
Rawa nahi nabi or iman walo ko ki ye astagfaar kare mushriko ke liye agarche vo apne qarabat Wale ho ba'ad us ke ki un par zahir ho chuka ki vo barhakti aag me jaane wale he.
*📚(Sura e Taubah, Aayat-113)*

Ye Aayate Karima Bhi Abu Talib Ke Haq me Nazil Hui. Tafsir Imam Nasfi He,
:ھم علیہ الصلوۃ والسلام ان یستغفر لابی طالب فنزل ماکان للنبی.
*📚( مدارک التنزیل(تفسیرالنسفی ) تحت آیۃ۹ /۱۱۳ دارالکتاب العربی بیروت ۲ /۱۴۸)*

JalaLain Me he,
نزل فی استغفارہ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم لعمہ ابی طالب.
Ye Aayat Huzur  ﷺ Ke Apne chacha abu talib ke liye astagfar karne ke bare me nazil hui.
*📚(  تفسیر جلالین تحت آیۃ ۹ /۱۱۳ اصح المطابع دہلی ص ۱۶۷)*
*Makhuz:📚FATAWA RAZVIYA, J-29, S-659-663)*

Imamul A'aimma, Sirajul A'aimma, Hazrat Imame Aazam Abu Hanifa RadiAllahu Anhu Farmate He
ابوطالب عمہ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم مات کافرا.
Nabi  ﷺ Ke Chacha Abu Talib Ki Maut Kufr Par Hui.
*📚( ۱ ؂ الفقہ الاکبر مع وصیّت نامہ ملک سراج الدین اینڈ سنز پبلشرز کشمیری بازار لاہور ص ۲۱)*

Lihaza Huzur ﷺ Ke Chacha Abu Talib Ka Iman Lana Sabit Nahi Or Unki Maut Halate Kufr Par Hui. Jis Par Huzur Saiyedi Aala Hazrat Ne Aayate Qura'anya W Ahadise Sahiha W Muhaddissin Ke Aqwal Se wazeh Kiya He.

Tafsil Ke Liye Aap Ka Risala *📚 SHARHUL MATALIB FEE MABHASE ABU TALIB* Ka Muta'ala Kare.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Muharram Me Sabeel Lagana Or Sharbat Pina Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum
Aashura k din jo sabil par Sharbat Hota He Use Pina Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Aashura Ke Din Ya Ayyame Muharram Me Sabeelo Par Paani Ya Sharbat Banana Pina Pilana Or Imam Husain w Shohda e Karbala Or Buzurgane deen ko Isale sawab karna Sab Bila Shuba Jaizo Mustahab W Kaare Sawab He.

Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,

Paani Ya Sharbat Ki Sabeel Lagaya Jabki Ye Niyyate Mahmood (Yaani Achchi Niyyat Ke Sath) Or Khalisan Li wajjhulllah (Allah Ki Raza Ke Liye) Sawab Rasai Arwahe Tayyabah A'aimma e Athar(A'aimma E Athar Ki Paak Arwah Ko Sawab Pahuchana) Maqsood Ho To Bila Shuba Bahetar W Mustahab W Kaare Sawab He.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-24, S-560)*

Isi Tarah Se Hazrat Mufti Khalil Khan Barkati Alaihir Rahma Farmate He,

Maahe Muharram Me Das Dino Tak Khusoosan Daswi Ko Hazrat Saiyduna Imam Husain Radiallahu anhu W Digar Shohda e Karbala Ko Isale Sawab Karte He Koi Sharbat Par Fatiha Dilata He, Koi Mithai Par, Koi Roti Gosht Par, Koi Khichhda Pakwata He, Bahut Se Paani Or Sharbat Ki Sabeel Laga Dete He. Jaarho(Yaani Shardiyo) Me Chai Pilate He Ye Sab Jaaiz He In Ko Najaiz Nahi Kaha Ja Sakta.
*📚(SUNNI BAHISHTI ZEWAR, H-3, S-318,319)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Rabi Ul Awwal Ko Madina Ka Dhancha Bana Kar Gumana Kesa ? Use Taziyadari Se Musabeh Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Maine Apne Dost Ko Bataya Ke Taziya Banana Or Isko Ghumana Jaiz Nahi Hai,

To Mere Dost Ne Palat Kar Sawal Kiya Ke 12 Rabi'ul Awwal Ko Jo Makka Shareef Or Madina Shareef Ka Modal Nikala Jaata Hai Wo Bhi Jaiz Nahi Hona Chahiye??

Hazrat Rehnumai Farmaea

*🌹JAWAB:-🌹*

Awwalan To Gumbade Khizra Ka Bhi Is tarah se Dhancha Bana Kar Gumana Jisme Aurto or mardo ka Mela Ho Ya Kisi Tarah Ki Khurafat Hi Vo Jaiz Nahi. Un Khurafat Ko Rok Kar In Dino Ko Shariyat Ki Roshni Me Manaya Jaye.

Magar Jis Tarah Muharramul Haram Me Taziya Ke Samne Khurafate Hoti He, jese fatiha padhna, mannate Mangna, Taziya Ko Hajat rawa Samajna, Taziya pe phool agarbatti karna, Matam W Dhol Bajana,  Wagairah Khurafate Hoti He Jo Rabi Ul Awwal Me To Hargiz Nahi Hoti. Is Liye Muharramul Haram Me Hone Wali Jahilana w Be bunyadi khurafato ka Bhi Rokna Zaroori he. Taziya Or isme Ye bhi Farq hota he Ki Gumbade Khizra Hubahu Roze Ki Tarah Banaya Jata he Magar Taziya kisi bhi tarah ka gumbad bana kar use Imame aali Makam ka roza kahte he or kai sari khurafate karte he.

_Fatawa Razviya Ki Ek Ibarata Ka Khulasa Ye He ki.._

Shay ki 2 Qisme Hoti He,
Ek to Ye ki Shay Apne Wujoode urfi ke lihaz se hi galat ho.

Or Ek Ye Ki Shay Apne Wujood Ke Lihaz Se To Sahih Ho, Kabhi Galat Tariqe Se Paai Ja Rahi Ho Ya Kabhi Sahih Tariqe Se Paai jaa Rahi Ho To Aysi Soorat Me Dono Ke Ahekam Alag Alag Hote He. Ab agar vo cheez Sahih Tariqe Se paai jaye to sahih or agar galat tariqe se Paai Jaye To Galat. Jese Majlise Milade Nabi  ﷺ, Imame Husain Ke Shahadat Naame, Buzurgo Ke Aaras, To Ye Sahih Tariqe Par Bhi Hote he or Galat Tariqe par bhi Hote He. Usme Jo Sahih Tariqe Par Ho Vo Sahih Or Jo Galat Tariqe Par Ho Vo Galat. Usko Mulaqan Galat Nahi Kaha Ja Sakta. Lihaza jaha Majlise Milad Me Riwayat Sahih Padhi Jaye Isi Tarah Majlise Shahadat Me Riwayat Sahih Padhi Jaye, Ya Julus Milad Sahih Tariqe Se Nikala Jaye To Ham Use Sahih Hi Kahege Or Agar Usme Kuchh Baate Galat Hoti He to Us Galat Baato Ko Ya Us Amal Ko galat kahege us wajah se us shay ya Vo cheez Galat Nahi Ho Jayegi.

Or ek Cheez Hoti He Ki Shay Apni Haqiqate Urfiya Hi Ke Lihaz se Galat Ho, to aysi soorat me ye cheez mutlaqan Galat Hogi. Ab Ye Nahi Kah sake ki Ye agar sahih ke sath Paai jaye to sahih or galat cheezo ke sath Paai jaye to galat, Is Liye Ki Vo cheez Urf Me Ya samaj me Galat tariqe par hi mashHoor He Ki Uski Haqiqat Hi Un Galat Cheezo Ka Majmuaa He, Vo cheez Mutlaqan Galat Hogi.

Jiski Misal Aala Hazrat Ne Is tarah se di he ki,

Wadd, wa sawa, wa yagoos, wa ya'auq, wa nasr Ye panch Log bani israil ke nek log the, ki pahle logo ne sirf unki yaad manane ke liye, ki unko dekh kar hame unki nekiya yaad aaye unki tasweere rakhi, unko dekh kar unko khuda ki yaad aati khuda ka zikr yaad aata, Lekin Baad Walo ne unki pooja Shuru kardi, To Jab Baad Walo ne unki pooja Shuru kardi to unki tasweer but hi ke taur par mash'hooro Ma'aroof Ho Gai. Ab ye koi Nahi Keh sakta ki isse agar zikre ilahi maqsood ho, khuda ki yaad maqsood ho, To jaiz he warna jaiz nahi.

Isi Tarah Taziya,... Ki Taziya Agarche Sunne Me Ye aaya he ki Taimur lang ne Sirf Imame Aali Maqam ke Roze Ki Naql Or Shabi Apne Sath Is Liye bana kar rakhi ki usko jango me jaane ki wajah se Or Saltanat me mashguliyat ki wajah se har saal Imame Aali Maqam Ke Rauze Par Hazri Dushwar Thi, To Aap Ki Yaad Ke Liye Rakha, Magar Baad Walo Ne Isko Bigad Tarash Karke Itna Farzi Bana diya Ke Aaj Taziyadari Unhi Galat Or Farzi Chizo ka Naam He Jo Aam Taur Par Raaij He. Koi Agar Apne Ghar Me Imame Aali Makam Ke Roze Ki Sahih Naqs Bana Kar Rakhe To Koi Usko Taziya Nahi Kahega Balki Kahege ki Ye Dargah Ki Photo He. Magar Taziya Naam He Usi Ka Jo Galat Or Farzi Or Biddat Or Najaiz Chizo ka Majmuaa He, Or Taziye ki Haqiqate Urfiya Hi Biddato Najaiz Chizo Ka Majmuaa He Is Liye Ye Mutlaqan Najaizo Gunah He.

Tafsil Ke Liye *📚FATAWA RAZVIYA SHAREEF, JILD-9, NISFE AWWAL, SAFA-64* Ki Taraf Ruju'a Kare.
Isme Huzur Aala Hazrat Ne Is Masle Ki Mukammal Taheqiq Ki He Jiska Khulasa Zikr Kiya Gaya.

_Or Jesa Ki Fatawa Faqihe Millat Me he,_

Rabi Ul Awwal Shareef Ke Mauqe Par Julus Nikalna Zaroor Kaare Sawab He Us Me RasoolAllah  ﷺ Ki  Ta'azimo Takreem He Or Us se Aap  ﷺ Ki Azmat w Barhai Zahir Hoti He Lekin Jis Tarah Nawwi Muharramul Haram Ko Ta'aziya Bana Kar Raat Bhar Aurto, Mardo Ka mela Lagana Haram he Usi Tarah Gumbade Khizra Wagairah Bana kar Mardo, Aurto Ka Raat Bhar Mela Lagana Fir Us Dhanche Ko Le Kar Mardo Ke Sath Julus Nikalna Bhi Najaizo Haram He. Alawa Azeeñ aage chal kar ye bhi murawajja taziya daari ki tarah bahut bada fitna ho jayega or ye mubarak din behuda rusoom or jahilana w fasiqana melo ka zamana ho jayega is liye ise band kiya jaye Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Apne Risala e Mubaraka *📚'Haadiyun Naas Fee Rusoomul Uraas' Safha 7* me taherir Farmate he "sare se fitna ka darwaza band kar diya jaye na ungli niklne ki jagah payenge na aage paanw fela payenge.

Lihaza Tamam Musalmamo Par Lazim He Ki Vo Gumbade Khizra Ka dhancha Hargiz Na banaye balki sirf kagaz, kapde ya teen par uska aks tayyar kare or sirf din me julus nikale or raat me jalsa Eide Milad Mun'aqid kare jis Me Aurto Ko bethne ke liye parda me jalsa gaah se hat kar intezam kare taaki aurto or mardo ki nigahe ek dusre ki taraf na uthe or din ke julus me bhi aurto ko hargiz na sharik hone de aulma w khawas agar unhe julus me shirkat se na rokege to vo sakht gunahgar w mubtalaye azabe naar hoge.
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, J-2, S-296)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namaze Eid Ke Waqt Janaza Aaye To Pahle Kya Padhe ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Namaze Eid ke waqt agar janaza aa jaye to pahle kya padha jayega namaze janaza ya fir namaze eid ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Namaze Eid Ke Waqt Agar Janaza Aaye To Pahle Eid Ki Padhe Fir Janaza Fir Khutba.
*📚(BAHARE SHARIYAT APPLICATION, J-4, S-191)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲848792
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

3 Talaq Ke Baad Iddat Kitne Deen

*🌹SAWAL:-🌹*
3 Talaq Ke Baad Aurat ko Kitne Deen Iddat Me bethna Hota He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Mutlaqa Aurat Haiz Wali Ho to Us ki iddat 3 Haiz he.
Qur'an Majeed Me He,

وَالْمُطَلَّقَاتُ يَتَرَبَّصْنَ بِأَنفُسِهِنَّ ثَلَاثَةَ قُرُوءٍ
Tarjama: Or Talaq Waliya Apni Jaano Ko Roke Rahe 3 Haiz Tak.
*📚(Sura e Baqra, Aayat-228)*

 *_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲848792
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

6 Mahine Se Alag Ho Or Talaq Ho Jaye To Iddat Ka kya Hukm He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
6 mahine Tak Miya Biwi jagde ki wajah se alag he or aysi Halat me talaq hui to aurat ko iddat me bethna hoga ya nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Talaq Ki Iddat Waqte Talaq Se He Agarche miya biwi jagda ki wajah se 6 mahina ya 6 saal tak alag rahe ho. Jab talaq di usi waqt se iddat shumar hogi aysa hi *📚Fatawa Shaami* Me he.
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲848792
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aurat Talaq De Sakti He Ya Nahi ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Aurat Talaq De Sakti He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Aurat Talaq Nahi De Sakti Iska Ikhtiyar Aurat ke Hakim yaani khawind ko diya he.
Qur'an Majeed Me he,
 بِيَدِهِ عُقْدَةُ النِّكَاحِ
*📚(Sura e Baqra, Aayat-237)*
Or isme bahut se fawaid or hikmat muzmar(poshida) he jis par logo ka tajarba shahid he.

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲848792
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gusl karte Waqt Aurat Ko Guthan Dhakna Zaroori He Ya Nahi ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum.

Kya aurut ko janabat ka gusal karte waqt  ghuthan par kapda daalna jaruri hai ???

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aurat Ko Janabat Ka Gusl Karte waqt ghutno par kapda dalna koi zaroori nahi he. Albatta Sunnat ye he ki vo aysi jagah nahaye ki koi usko dekhe nahi or beth kar nahana uske liye sunnat he. Or agar kisi qism ka koi andesha ho to uske liye farzo wajib he ki vo kapde pahen kar nahaye.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲848792
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Hadis Me Huzur ﷺ Ne Kis Ka Deen Ikhtiyar Karne Ko Kaha He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Ek Hadis Shareef He UsMe Huzur ﷺ Ne Kiska Deen Ikhtiyar karne ko kaha he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Hadis Me Huzur ﷺ ne Hazrate Ibrahim عَلَیْہِ السَّلَام ke deen Ko Ikhtiyar Karne Ko Kaha He.

Qur'an Majeed Me Allah ﷻ Irshad Farmata he,

وَقَالُوا كُونُوا هُودًا أَوْ نَصَارَى تَهْتَدُوا قُلْ بَلْ مِلَّةَ إِبْرَاهِيمَ حَنِيفًا وَمَا كَانَ مِنَ الْمُشْرِكِينَ.
Or Kitabi Bole Yahudi ya nasrani Ho Jaao Raah Paaoge tum farmao balki ham to Ibrahim ka deen lete he jo har batil se juda the or mushriko se na the.
*📚(Sura e Baqra, Aayat-135)*

قُلْ صَدَقَ اللَّهُ فَاتَّبِعُوا مِلَّةَ إِبْرَاهِيمَ حَنِيفًا وَمَا كَانَ مِنَ الْمُشْرِكِينَ.
Or Farmao Allah Sachcha he, to ibrahim ke deen par chalo jo har batil se juda the or shirk walo me na the.
*📚(Sura e Aale Imran, Aayat-95)*

Aayat Me Bhi Qaul Ki Nisbat Huzur ﷺ ki Taraf Hi he.

Or Hadis Shareef Me He,
عَنْ أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ ، قَالَ: " كَانَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُعَلِّمُنَا إِذَا أَصْبَحْنَا: ( أَصْبَحْنَا عَلَى فِطْرَةِ الْإِسْلَامِ وَكَلِمَةِ الْإِخْلَاصِ، وَسُنَّةِ نَبِيِّنَا مُحَمَّدٍ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، وَمِلَّةِ أَبِينَا إِبْرَاهِيمَ حَنِيفًا مُسْلِمًا ، وَمَا كَانَ مِنَ الْمُشْرِكِينَ ) وَإِذَا أَمْسَيْنَا مِثْلَ ذَلِكَ " .
RasoolAllah ﷺ hame sikhate the ki ham subah w sham fitrate islam, hamare Nabi Muhammad  ﷺ Ki Sunnat Or Hamare Walid Hazrat Ibrahim  Ke deene Haneef Wale Musalman Ho Kar Hi Kare.

هذا ما ظهر لي والعلم عند الله الغني
*✍🏻 Al-Jawab: Qazi E Petlad, Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla💎*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲84
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts