Kya Tasweer Kashi Karne Wala Maslake Aala Hazrat Se Hat Gaya ? Or Maslake Aala Hazrat Se Hatne Wala Kya Islam Se Hat Gaya ?

*🌹SAWAL:-🌹*

AssalamuAlaikum

👇Hazrat Mera Ek Sawal Hai'??? 

Hamare Yahan Shehre Gulbarga Me Ek Alime Deen Hain Hazrat Unka Kehna Ye Hai Ke Agar Koi Alime Deen Video Me Aata Hai To Kya Wo Maslake Aala Hazrat Se Hat Gaya Aur Unka Kehna Ye Bhi Hai Agar Aap Kisi Ko Maslake Aala Hazrat Se Hatare Hain To Usko Islam Se Hatare Hain'??? 

👆Unka Ye Kehna Hai Hazrat👆

Hazrat Hamari Rehnumai Farmayiye


*🌹JAWAB:-🌹*

و عليكم السلام و رحمة الله و بركاته

Maslake Aala Hazrat Hai Kya Is Ko Pehle Achchhi Tarah Samjh Le, Hindustan Me Aala

Niyaz Ki Niyat Se Rakhi Raqam Bataure Imdad Dena Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aulma E Kiram Ki Bargah Me Ek Masla Arz He Ki Niyaze Gause Paak Ki Niyat Se Rakhk Hui Raqam Kisi Majboor Zaroorat Mand Ya Bimar Ko Bataure Imdad Dena Jaaiz He. ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Nahi Kar Sakte, Kyuñ Ki Jo Raqam Jis Kaam Ke Liye Jama'a Ki Gai Ya Jin Logoñ Ne Jis Kaam Ke Liye Raqam Di He, Us Raqam Ko Usi Me Kharch Kare.. Lihaza Hukm To Yahi He Ki Jo Chanda Logoñ Se Niyaze Gause Aazam

Billi Gosht Kha Le To Bacha Hua Gosht Khana Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Agar Gosht Ki Panni Me Se Billi Ek Do Boti Leke Bhag Jaye To Us Gosht Ko Kha Sakte He ? Or Agar Gosht Ko Agar Billi Ne Kha Liya To Use Paak Karne Ka Kuchh Tariqa He Ya Ayse Hi Kha Sakte He ?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Billi Ka Jhuta Makrooh He Lihaza Us Gosht Ka Maaldar Ke Liye Khana Makrooh He Or

Billi Dudh Me Munh daalde To Use Pina Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Salaam Hazat 


Agr Billi Doodh Pii Jaye To Kya Bacha Hua Doodh Istemal Me Le Skte H


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Ghar Me Rahne Wale Janwar Jaise Billi, Chuha, Saanp, Chhipkali Ka Jhuta Makrooh He.

Barahna (Tamam Kapde Nikal Kar) Gusl Karna kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum Muhammad Bashir Uddin Raza Bihar Gaya Jila Se 

 Hazrat Mera Ek Sawal Tha Ki Kya Gusl E Khane Main Ek Dam Se Pura Kapda Utta Kar Gusl Kar Sakte Hain Ya Gusl Kar Liye To Kya Gusl Hoga Ya Nahi


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Aysi Jagah Ho Janha Koi Dekh Na Raha Ho Ya Charo Taraf Se Band Ho Ya Charo Taraf Unchi Diware Ho, Agar Che Us Par Chhat Na Ho To Sab Kapde Nikal Kar Bhi Naha Sakta He, Gusl Ho Jayega, Koi Haraj Nahi, Magar Ehtiyat Isi Me He Ke Tehband Wagaira Bandh Le... Jabki Qibla Rukh Ho....


Bahar E Sharia't Me He,

Agar Gusl Khana Ki Chhat Na Ho Ya Nange Badan Nahaye Basharteki Mawza E Ehtiyat Ho To Koi Haraj Nahiñ. Haañ Aurtoñ Ko Bahut Zyada Ehtiyat Ki Zaroorat He Or Aurtoñ Ko Beth Kar Nahana Bahetar He. Baad Nahane Ke Fauran Kapde Pahan Le Or Wuzu Ke Sunan W Mustahabbat, Gusl Ke Liye Sunan W Mustahabbat Hai Magat Sitr Khula Ho To Qibla Ko Munh Karna Na Chahiye Or Tahband Bandhe Ho To Haraj Nahi.

*📚(Bahare Shariyat, H-2, Gusl Ka Bayan, Mas'ala-1)*

Wallahu Ta'ala Aa'alam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Madrsa e islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh  Bariya Dahod Gujarat*

*🗓️25 Feb 2022, 23 Rajab 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

3ri Rakat Me Surah Milana Bhul Gaya Or Ruku'a Me Ya Sajda Me Yaad Aaye To Kya Kare

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Koi Shakhs Zuhar Ki Char  Raka'at Sunnat Ada Kar Raha He Or Hsne Do Raka'at Ka Qa'ada Kiya Or Tisre Ke Liye Khada Huaa To Tisri Raka'at Me Surah Fatiha Ke Baad Surat Padhna Bhul Gaya Phir Ruku'a Me Yaad Aaye To Kya Kare ? Or Agar Ruku'a Me Na Yaad Aaye Sajde Me Yaad Aaye Tab Kya Hukm He ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Surah Fatiha Ke Baad Surat Milana Bhul Gaya Or Ruku'a Me Chala Gaya To Agar Ruku'a Me Yaad Aa Gaya To Fauran Khada Ho Jaye Surat Milaye Or Aakhir Me Sajda E Sahw Kare. Or Agar Ruku'a Me Yaad Nahi Aaya, Sajda Me Yaad Aaya To Ab Wapas Na laute Balki Aakhir Me Sajda E Sahw Karle. Is Tarah Se Uski Namaz Muqammal Ho Jayegi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️16 March 2022, 12 Shaban 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Masbooq Qaida Ula Me Kya Padhe ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Agar Ham Magrib Ki Jama'at Se Namaz Padh Rahe Hai Or Hamari Ek Raka'at Jama'at Chhut Gai, Hameñ Imam Sahab Ki Dusri Raka'at Or Hamari Pahli To Qa'ada Me To Bethna Hoga Ab Ham Qaaida Me Kya Kareñ

*🌹JAWAB:-🌹*
Har Muqtadi Ko Imam Ki Itteba Wajib He To Soorate Masa'ula Me Bhi Dusri Raka'at Me Jab Imam Sahab Qaaida Karege To Aap Imam Sahab Ke Sath Qaaida Kare Or Attahiyat Padhe.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️16 March 2022, 12 Rajab 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Chori Ki Light Se Bane Khane Ko Khana Or Garam Paani Se Wuzu Karna Or Usse Namaz Padhna kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum Ek Sawal Thaa Ki Chhori Ki Light Se Kisi Ke Ghr Kee Kaam Hotee H Aur Khana Bhe Banta H Aur Tang Mein Pani Bhe Bharta H Us Khane Ko Khana Kaisa Aur Pani Se Buju Aur Gusl Kaisa Aur Kapde Bhe Dhulte H Un Kapdon Ko Pahnna Kaisaa


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Pakde Jaane Par Badnaami Hai Aur Zyada Maal Ke Nuqsan Ka Andesha Hai Is Liye Aisa Nahin Karna Chahiye. Albatta Us Ke Zariye Se Taiyar Ki Gai Sab Chizon Ka Istemal Jaaiz Hai.


Jaisa Ki Fatawa Faqihe Millat Me He,

Masjid Me Bila Connection Chori Se Bijli Jalana Mana'a He K Isme Hukumat Ko Dhoka Dena Or Uske Qanoon Ko Todna He. Apne Aap Ko Ahaanat Ke Liye Pesh Karna, Apni Izzat Ko Khatra Me Dalna He. Or Izzat Ki Hifazat Karna Zillat W Ruswai Se Bachna Zaroori He.


Sarkar Mufti Aazame Hind Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai Ki Yahañ Kuffar Agarche Harbi Hai Magar Bila Ticket (rail Me) Safar Karna Apne Ko Ahaanat Ke Liye Pesh Karna He Apni Izzat Ko Khatra Me Dalna He Ki Khilafe Qanoon He. Mustawjab Saza Hoga Is Harkat Se Ehteraz Lazim Jo Maujube Zillat W Ruswai Ho.

*📚(Fatawa Mustafwiya, J-3, S-146)*

*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-192)*


Or Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Se Suwal Hua Ki Chori Ki Bijli Se Garm Kiye Gaey Pani Se Wuzu Kar Ke Namaz Ada Ki Namaz Hui Ke Nahin Jiske Jawab Me Aap Farmate Hai, 

Namaz Ho Gai..

Http://jamiaturraza.com/session/11July11/26.mp3


Wallahu Ta'ala Aa'alam

*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Juned Raza Azhari Sahab Qibla*

*📬Fazile Jame'a Misr, Khalifa E Gulzare Millat W Huzur Ashraful Fuqha, Nadiyad*

*🗓️16 March 2022, 12 Shaban 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Hamal Kab Gira Sakte He ? (Abortion)

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalam O Alaikum 

 Hazrat Baz Surtu Mein Hamal Girana Ka Kya Hukum Hai  Agar Aurat Kamjor Hai Hai Aur Uski Bahut Jyada Tabiyat Kharab Hai Use Surat Mein Ya Kam Karna Kaisa Aur Agar Aurat Sehat Mand Hai Uske Bawjud Bhi Agar Yah Kam Karti Hai Hamal Girana Ke To Donon Surat Mein Kya Hukum Hai Iske Upar Hazrat Jawab Rehnumai Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jab Aurat Ummid Se Hoti He To Use Allah Ki Taraf Se Atiya Or Nemat Milti He..
Lihaza Isqate Hamal Se Bachna Zaroori He Warna Ne'amat Se Mahroom Ho Jayeñge..

Jab Aurat Hamila Hoti He To Uske Pet Me Maujud Bachche Ke Andar 4 Maah Yaani 120 Din Tak Rooh Nahiñ Daali Jati 4 Maah Ke Baad Rooh Daali Jati He.

Agar 120 Din Ho Gaye Ho To Kisi Soorat Me Isqate Hamal Ki Ijazat Nahiñ Agar Gira Dega To Bachche Ka Qatl Karne Wala Kahlayega.

Or 120 Din Se Pahle Agar Uzr Ho To Gira Sakte Hai..

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Isqate Hamal Ke Liye Dawa Karna Ya Daai Se Hamal Saqit Karana Mana'a He. Bachche Ki Soorat Bani Ho Ya Na Bani Ho Donoñ Ka Ek Hukm He, Haañ Agar Uzr Ho Maslan Aurat Ke Sher Khwar Bachche He Or Baap Paas Itna Nahiñ K Daya Muqarrar Kare Ya Daya Dastiyab Nahiñ Hoti Or Hamal Se Dudh Khushk Ho Jayega Or Bachcha Ke Halaak Hone Ka Andesha He To Is Majboori Se Hamal Saqit Kiya Ja Sakta He, Basharteki Uske Aaza Na Bane Hoñ Or Uski Muddat Ek So Bees 120 Din He.
*📚(Bahare Shariyat, H-16, Ayadat W Ilaj Ka Bayan, Mas'ala-15)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️8 March 2022, 4 Shaban 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Bacha Paida Hone Ke Baad Kya Aurat 40 Din Tak Napaak Rahti He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Kuchh Log Yah Kahate Hain Ki Agar Baccha Paida Ho Gaya Uske Bad Mein 40 Din Tak Aurat Napak Rahti Hai Nahane Ke Bad Bhi Jab Wo Hospital Se Ghar A Jaati Hai Fir Bhi Wo 40 Din Tak Napak Rahti Hai


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Ye Jahalat He Is Se Bachna Chahiye...


Bahare Shariyat Me Sarkar Sadrushshariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,

Aksar Aurtoñ Me Ye Riwaj He Ki Jab Tak Chilla Pura Na Ho Le Agarche Nifas Khatm Ho Liya Ho, Na Namaz Parheñ Na Apne Ko Qabile Namaz Ke Jaaneñ Ye Mahaz Jahalat He Jis Waqt Nifas Khatm Huva Usi Waqt Se Naha Kar Namaz Shuru'a Kardeñ Agar Nahane Se Bimari Ka Pura Andesha Ho To Tayammum Karleñ.

*📚(Bahare Shariyat, H-2, Haiz W Nikah Ke Muta'alliq Ahkam, Mas'ala-40)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*

*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🗓️8 March 2022, 4 Shaban Ul Muazzam 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Holi Ke Ek Din Pahle Office Me Majburi Me Koi Rang Laga De To Kya Hukm He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Asslamo Alaikum 

Sawal.. Agr Majburi Me Rang Lgana Pd Jaye To Iske Liye Kya Hukm Hai . Office Me Aksr Y Sb Chizo Ka Samna Krna Pdta Hai,?

 Holi Ke Din Nhi Aaj Aisa Hua Holi Ke Din Nhi, Wo V Mjburi Me Kya Mjhe Dobara Bayat Hona Hoga?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aysi Kya Majboori He K Rang Lagana Padta He ? Agarche Holi Me Na Sahi, Ki Holi To Unka Kufri Or Shirki Tyohar He Magar Usse Pahle Bhi Jism Par Bilawajah Rang Malna Or Ek Dusre Par Udana Ye Konsi Sharai Majboori He ? Ye To Israafe Maal He Jo Sarasar Haram Or Najaaiz He. Lehaza Apne Jism ya Kapre Par Rang Udana Ya Lagana Iza'ate Maal Aur Sakht Najaaizo Haram He Or Isse Taubah Kare..


Or Agar Office Me Koi Aap Pe Rang Udane Ki Koshish Karta He To Use Mana Kar Dijye, Jese Aap Digar Umoor Jo Apne Liye Baaise Nuqshan Samajhte He Vo Mana Kar Dete He To Ayse Hi Isko Bhi Mana Kar Dijye Ki Aap Mujh Pe Rang Mat Udaiyega Or Na Me Aap Pe Rang Udauñga Mujhse Ye Nahi Ho Payega, Mana Kar De To Koi Nahi Karega..

Wallahu Ta'ala Aa'alam

*🎙️Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*

*📬Baani Sadrushshariyah Academy W Mufti Amjadi Darul Ifta, Porbandar Gujarat*

*🗓️16 March 2022, 12 Shaban 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Tub Wagairah Balti Me Kapde Kese Paak Kare Ek Ek Kapda Ya sab Sath Me ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Ager Kapda Paak Karna Ho To Kisi Tub Mein Kapde Daal Kar Paani Thoda Der Baha Den To Kapda Paak Hojata H Puchna Ye H Ke Kuch Kapde Eik Saath Daal Kar Paani Baha Sakte H Ya Eik Eik Kapda Kar Ke Paani Bahaya Jaye


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Kapde Agar Tub Me Daal Kar Paani Baha Kar Dhoye To Kapdoñ Ko Andar Duba Ke Rakhe Lakid Ya Hath Se, Is Tarah Ki Paani Kapdoñ Ke Upar Se Bahe, Or Isme Koi Ye Nahi Ki Ek Kapda Do Kapda Aap Chahe Utne Kapde Magar Vo Itne Ho Ki Upar Se Paani Bahe Or Paani Ki Miqdar Zyada Rahe.

Wallahu Ta'ala Aa'alam

*🎙️Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*

*_📬Qazi E Petlad W Sadar JRM Petlad Branch_*

*🗓️11 March 2022, 7 Shaban Ul Muazzam 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

14 Shaban Ko Arfa Ka Fatiha Karna Or Uski Haqiqat ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Shab E Barat Se 1 Din Pahle Jo ARFA Manate Hai Ya ARFA Ka Fateha Karte Hai Uske Bare Me Tafsil Se Bataein...❓❓

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Koi Shabe Baraat Se Pahle Mar Jaye To Aane Wali Shabe Baraat Ke Ek Din Pahle Jo Fatiha Dilai Jati He Hamare Yahañ Log Use Arfa Ka Fatiha Kahte Hai.. Jo Bilkul Jaaiz He.

 Lekin Isme Ye Samajhna Ki Jab Tak Arfa Ka Fatiha Na Dilaya Jaye Us Mayyat Ke Sath Dusre Ka Naam Shamil Na Kiya Jaye, Alag Se Fatiha Diya Jaye. Ya Shabe Barat Me Aam Roohoñ Ko Fatiha Dilana Munasib Na Samjhe... Ye Sab Jahalat He. Iski Koi Asl Nahi.. Balki Jab Chaheñ Jitni Roohoñ Ko Chahe Sath Fatiha Dilaye Ya Alag Alag Dilaye Arfa Ke Pahle Ya Baad Me Koi Harj Nahi...

Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,
Mayyat Ko Isale Sawab Ke Liye Shara'a Ki Janib Se Koi Khas Din Muta'ayyin Nahiñ Isale Sawab Karne Wale Ko Saal Ya Maah Me Jis Din Sahulat Nazar Aaye Vo Din Uske Liye Khas Kar Sakta He Lihaza Mayyat Ko Isale Sawab Ke Liye Shaban Ki Pandrahviñ Raat Se Pahle Chaudhviñ Raat Ko Khas Karne Me Koi Harj Nahi...

Neez Agar Vo Fatiha Sunnat Tareeqa Par Kiya Jata He Or Usme Koi Amr Khilafe Shara'a Anjam Nahi Pata To Ye Fatiha Mahmood W Mustahasan He..

Or Ye Khayal Rakhna Ki Jab Tak Is Saal Ki Mayyat Ke Liye Arfa Ka Makhsoos Fatiha Nahi Ho Jata Shabe Barat Me Aam Roohoñ Ko Fatiha Dilana Munasib Nahiñ Batil Khayal He Ki Ahaadise Mubarak Me Shabe Baraat Ki Ibadat W Fatiha Ki Bahut Zyada Fazilat Warid He.

Fatawa Razviya Shareef Me He,
Arfa Tak Ya Baad Tak Agar Alag Hamesha Fatiha De To Harj Nahi, Shamil Rakhe To Harj Nahi , Ye Samajhna Ki Arfa Tak Alag Ka Hukm He Phir Shamil Ka Ye Galat W Jahalat He.
*📚(Fatawa Razviya, J-4, S-213)*
*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-1, S-382)*

Or Huzur Allama Abdul Mannan Aazmi Alaihir Rahma Farmate Hai,
Arfa Karna Na Sunnat He, Na Wajib, Ye Isale Sawab He Or Ye Mustahasan He Jiska Jee Chahe Kare Or Jiska Jee Chahe Na Kare.
*📚(Fatawa Bahrul Uloom, J-2, S-95)*

Lihaza Arfa Ka Fatiha Karna Mustahasan He, Kare To Sawab Payega.. Na Kare To Gunah Bhi Nahi... 
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓14 March 2022, 10 Shaban 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mard Ko hath Pair Me Mahendi Lagana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualayekum Hazrat Mera Sawal H Ki Admi Ko Hath Pairo Par Mahndi Lagana Kesa H Tafsili Jawab Inayat Farmaye 

Thoda Urgent H Meherbani Hogi Jaldi Jawab Mil Jaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Fatawa Faqihe Millat Me He,
Mardoñ Ko Bila Azr Hath Pair Me Mahendi Lagana Haram He. Sar Or Dadhi Me Lagana Mustahab He.

Mazeed Aala Hazrat Imam Ahemad Raza Muhaddise Barailvy Alaihir Rahma Taherir Famate Hai,
Mard Ko Hatheli Ya Talwe Balki Sirf Nakhunoñ Hi Me Mahendi Lagana Haram He Ki Aurtoñ Se Tashba He.
*📚(Shar'atul Islam, Safha-301)*
W *📚(Mirqat Sharah Mishkat)* Me He,
الحناء سنة للنساء ویکرہ لغیرھن من الرجال الا ان یکون لعذر لانه تشبه بھن اھ اقول والکراھة تحریمیة للحدیث الماری لعن اللہ المتشتبھین من الرجال بالنساء فصح التحریم ثم الا طلاق شمل الاظفار اھ)
*📚(Fatawa Razviya, J-9 Nisf Aakhar, Safha-149)*

Or *Usi Jild Ke Safha Number 126* Par Tahreer Farmate Hai.
Hath Panw Me Mahendi Ki Rangat Mard Ke Liye Haram He Sar Or Darhi Me Mustahab He.
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-2, S-348)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓20 Feb 2022, 18 Rajab 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jandar Ki Tasweer (Photo) Par SubhanAllah MashaAllah Kahna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
1/  Jaandar Ki Tasweer Ka Kya Huqm Hai..

2/  Kuch Log Jaandar Ki Tasweer Par Subhan'ALLAH Masha'ALLAH Likhte Hai Unka Ye Amal Kaisa Hai

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jandar Ki Tasweer Banana, Banwana, Ya Tazeeman Apne Paas Rakhna Najaaizo Haram He.. Jab Ye Tasweer Najaaizo Haram He To Us Tasweer Ki Tareef Karna Tasweer Par SubhanAllah MashaAllah Ki Comments Karna Bhi Sab Najaaizo Haram He.. 

Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Se Isi Ta'alluq Se Suwal Hua Ki,
Kuch Log Facebook Pe Apni Khud Ki Tasweer Kheench Kar Upload Karte Hai Uske Baad Us Tasweer Upload Karne Wale Ke Friend Us Tasweer Ko Dekh Kar Comment Me SubhanAllah, Masha Allah Kehte Hai. Jiske Jawab Me Aap Farmate Hai,

Ye Najaaizo Haram He Taubah Kare..
Http://jamiaturraza.com/session/1Feb15/14.mp3
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️27 Feb 2022, 25 Rajab 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Khate Waqt Salam Karna Or Uska Jawab Dena Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaikum,  Qibla Mufti Sb Sawal Hai,  Zaid Ne Kaha Khana Khane Wale Se Salam Nahi Karna Chahiye, Aur Jo Khana Kha Raha Hai Wo Bhi Salam Naa Kare,,  To Bakar Ne Kaha Ye Kaha'n Likha Hai,  Mujhe Daleel Chahiye,  ,

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Log Khana Kha Rahe Hoñ Us Waqt Koi Aaya To Salam Na Kare, Haañ Agar Ye Bhuka He Or Janta He Ki Use Log Khane Me Shareek Karleñge To Salam Karle. Ye Us Waqt He Ki Khane Wale Ke Munh Me Luqma He Or Vo Chaba Raha He Ki Us Waqt Vo Jawab Dene Se Aajiz He Or Abhi Khane Ke Liye Betha Hi He Ya Kha Chuka He To Salam Kar Sakta He Ki Ab Vo Aajiz Nahi.
*📚(Bahare Shariyat, H-16, Salam Ka Bayan, Mas'ala-11)*
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh Bariya Dahod Gujarat*
*🗓️10 Feb 2022, 8 Rajab 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Tere Dar Pe Sajda Kiya Tujhe Apna Kaba Bana Liya Sher Padhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

 ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﻴﻜﻢ ﻭﺭﺣﻤﺔ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﻛﺎﺗﻪ

Aulmae Kiram Ki Bargah Me Ek Sawal Arz He Ki Ye Sher Padhna Kesa Or Uske Padhne Wale Par Kya Hukm Hoga.. ?


Tere Dar Par Sajda Kiya, Tujhe Apna Kaba Bana Liya,

Ye Gunah Huva He Huva Kare, Mujhe Is Gunah Par Naaz He.


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Sajda E Tabbudi Sirf Allah Ta'ala Ko He Our Kisi Ko Karna Kufr He, Our Taazim Ka Sajda Bhi Sharia't E Muhammadiya Sallallahu Taala Alyhi Wsallam Me Najaaiz O Haram He..


Lihaza Ayse Asha'aar Ka Padhna Is Tarah Ka Aqida Rakh Kar Yaqinan Kufr He, Our Aysa Aqida Na Bhi Rakkhe Tab Bhi Padhna Najaaiz He. Or Gunah Par Naaz Karna Bhi Kufr He. Wallahu Ta'ala Aa'alam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh  Bariya Dahod Gujarat*

*🗓️10 Feb 2022, 8 Rajab 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Bure Khayalat Se Jo Rutoobat Nikle (Mazi) Usse Wuzu Or Gusl ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat Ek Shaksh Ko Bimari Ki Bajha Se Bo Kisi Aurat Ya Koi Baat Man Mein Aaye Ya Kuch Dekh Le To Mani Nikal Jati H Aur 1 Din Mein 2 Baar Ya 1 Baar Ya 2din Mein 1 Baar Aisa Ho Jata H Lekin Usee Pata Nahi Chlta Jb Bo Toilet Mein Dekhta H To Kuch Nisaan Hote H Aise Sakhs Ko Gusl Karna Padegaa Baraye Krm Jawab Jaldi Inayat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aage Ke Maqaam Se Mani Nikalne Se Gusl Us Waqt Farz Hoga Ki Jab Mani Apni Jagah Se Shahewat Ke Sath Juda Ho Kar Uzw Se Nikli.. Lihaza Agar Mani Patli Pad Gai He Ki Peshab Ke Waqt Ya Waise Hi Kuchh Qatre Bila Shahewat Nikal Aaye To Gusl Wajib Nahi Hota.. Albatta Wuzu Toot Jayega. To Ye Shakhs Apni Halaat Par Gaur Kare Ki Kya Shahewat Ke Sath Mani Apni Jagah Se Nikli He Ya Fir Patli Pad Jane Ki Wajah Se Ya Bagair Shahewat Ke Sirf Boj Uthane Ya Bulandi Se Niche Utarne Ke Sabab Mani Nikli To Isse Gusl Farz Nahi Hota.. Albatta Wuzu Toot Jayega.. Aysa Hi *📚Bahare Shariyat* Me He...
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️9 Feb 2022, 6 Rajab 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gusl Ke Baad Napaak Kapde Pahenna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Kya Napak Kapde Gusl K Baad Pahen Sakte Hain


Agar Saaf Kapde Available Na Ho ?


*🌹JAWAB:-🌹*

Napaak Kapde Nahi Pahenne Chahiye.. Lekin Agar Paak Kapde Maujud Nahi To Usi Napaak Kapde Ko Paak Karne Ke Baad Pahene.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️9 Feb 2022, 6 Rajab 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mahere Fatimi Ka Kitna Rupya Hota He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamo Alaikum...
Hazrat Hamara Ek Sawal Hai Ke Aaj Ke Waqt Me Indian Currency Me "Mehar_Fatmi" Ka Total Kitna Rupya Banta Hai...
Hazrat Jawab De Kr Shookriya Ka Mauka Dein...

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Mahre Fatimi Yaani Hazrate Fatima Radiallahu Anha Ka Mahar 400 Miskaal Tha. 

Or 1 Miskaal = 4.5 Masha
Or Ek Masha = 1.0368 Gram

Yaani 1 Miskaal Ka Hisab  4.5 Miskaal × 1.0368 Gram = 4.6656 Gram

*Is Hisab Se Mehre Fatimi: 400 × 4.6656 = 1866.24 Gram Huva.. Yani 1 Kilo 866 Gram 240 Mili Gram He..*

Ab Uski Currency Ke Hisab Se Raqam Aap Gram Par Se Laga Sakte He Kyuñ Ki Chandi Ki Qeemat Waqt Or Din Or Jagah Ke Sath Badalti Rehti He.. Aapko Jab Ada Karna Ho Us Waqt Us Jagah Jo Chandi Ki Qeemat Ho Us Hisab Se Aap Mahere Fatimi Currency Ke Hisab Se Kar Sakte He.

Isi Tarah Fatawa Akrami Me He,
Mehare Fatimi Ki Miqdar Chaar So (400) Misqaal Chandi He Jaisa Ki Mirqaatul Mafaatih Me He Or Aysa Hi Kutube Fatawa Me He, Fee Zamana Uski Miqdaar Ek 1 Kilo 866 Gram 240 Mili Gram Chandi Hoti He. Uski Raqam Muta'ayyin Karna Dushwar He Chuñki Taqreeban Har Shahar Me Chandi Ki Qeemat Judagaana He Ab Jis Shahar Me Jo Chandi Ki Qeemat Ho Usi Aitebar Se Muta'ayyin Kiya Jayega.
*📚(Fatawa Akrami, Safha-280)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓9 Feb 2022, 5 Rajab 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ham Hanfi Rafa'a Yaden Kyuñ Nahi Karte

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat
Hazrat Aap Khairyat Se He? 
Aapse Guzarish He Baraye Karam Namazo Me Raffeden Krne Ka Masla Bataya Ye Hum Imam A Azam Abu Hanifa Radiyallahu . Ko Maane Wale Kyu Nhi Krte Or Baki Jo Imam Shafi Wale Kyu Karte He? Or Ahle Hadees Kyu Krte He Raffeden? Kahi Log Kehte He Hadees Me To Raffeden Krna Likha .. Tum Hadees Ki Mutabik Namaz Nhi Pad Rahe Ho... 
To Hum Aise Shaks Ko Jawab Kese De.. Kese Sabit Kre Dalil Se ....

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ham Hanfiyo Ke Nazdik Rafa'a Yaden Na Karna Sunnat He... Rafa'a Yaden Karne Ki Jo Ahaadis He Wo Pehle Ki He Ba'ad Me Aap ﷺ Ne Rafa'a Yaden Tark Farma Diya... Yaani Jin Ahaadis Me Rafa'a Yaden Ka Suboot He Wo Pehle Ki He Jo Mansookh He..

Tehqiq Mulahiza Ho...
حدیث نمبر 38
Riwayat He Hazrat Alqahum Se Farmate Hai Ki Hamse Hazrat Ibne Masood Ne Farmaya Kya Me Tumhare Samne Huzur Ki Namaz Na Parhuñ To Namaz Parhi To Aapne Hath Sirf Ek Baar Hi Yaani Shuru'a Ki Takbir Ke Sath Uthaye.

Alqamah Chand Hai. Yahañ Alqamah Ibne Qais Ibne Malik Murad Hai Jo Mash'hoor Tabaee Hai Or Hazrat Ibne Masood Ke Sathiyoñ Me Se Aapki Mulaqat Khulfa E Rashideen Se Bhi He. Ye Hadees Imame Aazam Ki Qawi Daleel He Ki Ruki'a Me Jate Aate Rafa'a Yaden Nahiñ. Hazrat Ibne Masood Bade Faqih Sahabi Or Aakhir Dam Tak Huzur ﷺ Ke Safar Or Hazar Ke Sathi Hai, Huzur Ki Namaz Par Jaide Aap Matla'a Ho Sakte Hai Ayse Dusre Vo Sahaba Jo Kabhi Kabhi Hazire Bargah Hote The Matla'a Nahiñ Ho Sakte The,

Daar Qutni Or Ibne Adi Ne Inhiñ Hazrat Ibne Masood Se Riwayat Ki, Farmate Hai Ki Huzur  ﷺ Ke Pichhe Bhi Namazeñ Parhi Hai Or Hazrat Siddique Akbar W Farooq Ki Iqteda Me Bhi Jin Me Se Koi Buzurg Siwa E Takbire Tahreema Ke Or Kisi Waqt Namaz Me Hath Nahiñ Uthate The, Neez Bahut Sahaba E Kiram Se Isi Tarah Riwayatem Hai.

Ham Ne Rafa'a Yaden Na Karne Ki Pachchis 25 Hadeeseñ Apni Kitab "jaa Al Haq" Hissa Dom Me Jama'a Ki Hai. Khayal Rahe Ki Hazrat Ibne Masood Sahab Or Tabaeen Ke Majma'a Me Ye Namaz Parh Kar Dikhate Or Koi Aap Par Aiteraz Nahiñ Karta.. Maloom Huva Ki Vo Tamam Hazraat Rafa'a Yaden Na Karne Par Mutaffiq He.
*📚(Miratul Manaajih, J-2, Hadees-38)*

Iski Mazeed Malumat Karni Ho To Jaa Al Haq Ka Dusra Hissa Deke...

Note: Aaj Ke Jitne Gair Muqallid He Wo Dawa Karte He Ke Ham Hadees Par Amal Karte He Unko Challange He Ke Rafa'a Yaden Ki Tamam Ahaadis Par Amal Kar Ke Dikhao... Kyu Ki Bahut Si Ahaadis Me Rafa'a Yaden Karne Ka Subut He Jo Ibtida E Islam Ki He Our Baad Ki Ahaadis Me Aap ﷺ Ne Rafa'a Yaden Tark Farma Diya Thaa.. Jis Par Bahut Si Ahaadis Moujud He ...

Ab In Gair Muqallido Se Kaha Jaae Ke Tum Ek Hi Waqt Me Dono Tarh Ki Ahaadis Par Amal Kar Ke Dikhlaao.. Kbhi Nahi Kar Sakte... Lihaza Un Par Taqlid Lazim He...shawafe Jo Imam Ki Taqlid Karte Hue Rafa'a Yaden Karte He Unpar To Kalam Nahi... Ke Wo Imam Ki Taqlid Kar Rahe He ..magar Gair Muqallido Ke Liye Koi Raah Nahi Ke Wo Ek Hi Waqt Me Rafa Yaden Ki Tamam Ahaadis Par Amal Kar Sake...
Our Rafa Yaden Ke Mas'ale Me Ahnaf Ka Mauqif Nihayat Qawi He... 
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh Bariya, Dahod Gujarat.*
*🗓️27 Jan 2022, 23 Jamadi Us Saani 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Khana Khate Waqt Baat Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Khana Khate Time Baat Karna Kesa Hai ? 

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kar Sakta He Magar Behuda Bate Na Kare Bilkul Chup Nahi Rahna Chahiye, Ke Ye Majoosiyoñ Ka Tariqa He.

Bahar Shariat Me He..
Khane Ke Waqt Baateñ Karta Jaaye, Bilkul Chup Rahna Majoosiyoñ Ka Tariqa He, Magar Behooda Baateñ Na Bake Balki Achchi Baateñ Kare.
*📚(Bahaar Shariaat, H-16, Khane Pine Ke Aadab, Mas'ala-14)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh  Bariya, Dahod Gujarat*
*🗓️27 Jan 2022, 23 Jamadi Us Saani 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Sauteli Ma Ki Beti Se Nikah Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام عليكم ورحمة الله وبركاتہ
Muhammad Emran Hanfi Razvi, From → Kolkata

Kya Sauteli Maa Ki Beti Se Nikah Karna Jaiz Hai ???
JazakAllahu Khairan Kaseerah

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Souteli Maañ Se Murad Ye Ho Ki Dono Alag Baap Ke Nufte Se Or Alag Maañ Ke Pet Se Ho Is Tarah Baap Bhi Alag Or Maayeñ Bhi Alag, Yaani Dono Na Baap Shareek Bhai Bahan Hai Na Maañ Shareek Bhai Bahan, Yaani Baap Ki Mankuha Ki Beti To Usse Nikah Karna Jaaiz W Durust He... Jab ki Koi Or Maane'a Nikah Na Ho..

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Hai,
Sauteli Maañ Ka Baap Na Apna Nana, Na Sauteli Maañ Ki Bahan Apni Khala. Sauteli Maañ Ki Haqeeqi Maañ Ya Bahan Ya Beti Sab Se Nikah Jaaiz He Agarche Vo Apne Baap Ki Saas Ya Saali Ya Dukhatre Zan He.

Raddul Muhtar Me He,
ہے:لاتحرم ام زوجۃ الاب ولابنتھا 
Baap Ki Mankuha Ki Maañ Or Us Ki Beti (Jo Pehle Shohar Se Ho) Haram Nahi Hotiñ.
*📚(ردالمحتار فصل فی المحرمات داراحیاء التراث العربی بیروت ۲/۲۷۹)*
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-11, Mas'ala-175)*

Or Durre Mukhtar Me He,
اما بنت زوجۃ ابیہ وابنہ فحلال
Or Apne Baap Ki Zauja Yaani Sauteli Maañ Ki Beti Jo Baap Ke Nutfe Se Nahi Or Apne Bete Ki Zauja Ki Beti Jo Bete Ke Nutfa Se Nahi Vo Halal Hai.
*📚(درمختار فصل فی المحرمات مجتبائی دہلی ۱/۱۸۷)*
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-11, Mas'ala-282)*

Or Sauteli Maañ Se Murad Ye Ho Ki Dono Ki Maañ Ek He Or Baap Alag (Yaani Dono Alag Baap Ke Nufte Se Or Ek Hi Maañ Ke Pet Se) Ya Baap Ek He Or Maañ Alag (Ek Hi Baap Ke Nutfe Se Magar Alag Alag Maañ Ke Pet Se) Yaani Allaati Bhai Bahan To Is Soorat Me Dono Ke Darmiyan Nikah Haram Hoga... 

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Bahan Khwah Haqeeqi Ho Yaani Ek Maañ Baap Se Ya Sauteli Ki Baap Donoñ Ka Ek He Or Maayeñ Do Ya Maañ Ek He Or Baap Do Sab Haram Hai.
*📚(Bahare Shariyat, H-7, Mahrumaat Ka Bayan, Hurmate Nasab, Mas'ala-3)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️22 Jan 2022, 18 Jamadi Us Saani 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mayyat Ko Baal Ya Dadhi Me Kangha Karna Nakhun Tarashna, Baal Mundna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Mayyat Ki Daadih Ya Sar Ke Baal Me Kangaah Karna Ya Nakhun Tarashna Ya Kisi Jagah Ke Baal Mundana Ya Katrana Ya Ukhadna Kaisa Hai

Naajayez Hai

Makrooh E Tanzihi 

 Makrooh E Tahrimi Hai


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Isi Tarah Ke Sawal Ke Jawab Me Taherir Farmate Hai,

(Mard Ke Baal Marne Ke Baad Katna) Najaaiz He, 

فی الدرلایسرح شعرہ ای یکرہ تحریما ولایقص ظفرہ الاالمکسور ولاشعرہ ولایختن

Durre Mukhtar Me He,

Mayyat Ke Baaloñ Me Kangha Na Kiya Jaye Yaani Ye Makroohe Tahreemi He, Or Uske Nakhun Na Tarashe Jayeñ Magar Jo Tuta Huva He, Na Hi Baal Tarashe Jaayeñ Na Khatna Kiya Jaye.

*📚(درمختار باب صلوۃ الجنائز مطبوعہ مطبع مجتبائی دہلی ۱ /۱۲۰)*


وفی ردالمحتار عن النھر عن القنیۃ، التزیین بعد موتھا والامتشاط وقطع الشعر لایجوز۱

Raddul Muhtar Me Nahar Se, Usme Qunya Se Manqool He,

Uske Marne Ke Baad Zeenat Karna Kangha Karna Baal Katna Najaaiz He.

*📚(ردالمحتار باب صلوۃ الجنائز مطبوعہ ادارۃ الاطباعۃ المصر یۃ مصر ۱ /۵۷۵)*

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-9, S-92, Mas'ala-5)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓17 Jan 2022, 13 Jamadi Us Saani 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Abdul Muttalib Or Abu Talib Ke Janaze Me Huzur ﷺ Ne Shirkat Ki ?? Kafir Ke Janaza Me Jana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Kuch Logo Ka Kehna Hai Ke Abdul Muttalib Aur Abu Talib Ke Janaze Me Sarkaar ﷺ Tashrif Le Gaye.Kya Ye Baat Sahi Hai?


Agar Sahi Hai To Daleel Ke Saath Wajahat Farmaye.


Isi Baat Ko Lekar Kuch Log Ye Keh Rahe Hain Ke Kafiro Ke Janaze Me Jana Chahiye.


40 Kadam Par Chalna Chahiye, Kandha Aur Mitti Nahi Deni Chahiye.


Kya Unka Ye Kahna Sahi Hai?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Huzure Aqdas ﷺ Ke Dada Hazrat Abdul Muttalib Momin  W Tauheed Parast The.. Or Janab Abu Talib Ki Namaze Janaza Parhai Hi Nahi Gai CheJayge Huzur ﷺ Usme Shirkat Karte.. 


Jaisa Ki Hadeese Paak Me He,

حَدَّثَنَا مُسَدَّدٌ حَدَّثَنَا يَحْيَی عَنْ سُفْيَانَ حَدَّثَنِي أَبُو إِسْحَقَ عَنْ نَاجِيَةَ بْنِ کَعْبٍ عَنْ عَلِيٍّ عَلَيْهِ السَّلَام قَالَ قُلْتُ لِلنَّبِيِّ صَلَّی اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِنَّ عَمَّکَ الشَّيْخَ الضَّالَّ قَدْ مَاتَ قَالَ اذْهَبْ فَوَارِ أَبَاکَ ثُمَّ لَا تُحْدِثَنَّ شَيْئًا حَتَّی تَأْتِيَنِي فَذَهَبْتُ فَوَارَيْتُهُ وَجِئْتُهُ فَأَمَرَنِي فَاغْتَسَلْتُ وَدَعَا لِي"

Hazrate Ali Radiallahu Anhu Se Riwayat He Ki (Jab Abu Talib Ka Wisal Hua To) Mene RasoolAllah ﷺ Se Arz Kiya Ki Ya RasoolAllah ﷺ ! Aap Ke Burhe Or Gumrah Chacha Ka Inteqal Ho Gaya He Aap Ne Farmaya Jaa Or Apne Baap Ko Dafn Kar Aa Or Uske Alawa Koi Or Kaam Na Karna Yahañ Tak Ki Tu Mere Paas Lot Aaye Lihaza Me Gaya Or Unko Dafn Karke Aa Gaya. Pas Aapne Mujhe Gusl Karne Ka Hukm Farmaya Pas Mene Gusl Kiya Or Aapne Mere Liye Dua Farmai.

*📚(Sunan Abu Dawood, J-2, Janazoñ Ka Bayan, Hadees-1446)*


Isi Tarah Musnad Imam Ahemad Me He,

حَدَّثَنَا وَكِيعٌ حَدَّثَنَا سُفْيَانُ عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ عَنْ نَاجِيَةَ بْنِ كَعْبٍ عَنْ عَلِيٍّ قَالَ لَمَّا مَاتَ أَبُو طَالِبٍ أَتَيْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقُلْتُ إِنَّ عَمَّكَ الشَّيْخَ الضَّالَّ قَدْ مَاتَ فَقَالَ انْطَلِقْ فَوَارِهِ وَلَا تُحْدِثْ شَيْئًا حَتَّى تَأْتِيَنِي قَالَ فَانْطَلَقْتُ فَوَارَيْتُهُ فَأَمَرَنِي فَاغْتَسَلْتُ ثُمَّ دَعَا لِي بِدَعَوَاتٍ مَا أُحِبُّ أَنَّ لِي بِهِنَّ مَا عَرُضَ مِنْ شَيْءٍ"

Hazrat Ali Radiallahu Anhu Farmate Hai Ki Jab Abu Talib Ka Inteqal Ho Gaya To Me Ne Nabi  ﷺ Ki Khidmat Me Hazir Ho Kar Arz Kiya Ki Aap Ka Burha Or Gumrah Chacha Mar Gaya He, Nabi ﷺ Ne Farmaya Jaa Kar Use Kisi Garhe Me Chhupa Do Or Mere Paas Aane Se Pahle Kisi Se Koi Baat Na Karna, Chunanche Me Gaya Or Use Ek Garhe Me Chhupa Diya, Nabi  ﷺ Ne Uske Baad Mujhe Gusl Karne Ka Hukm Diya Or Mujhe Utni Duaayeñ Diñ Ki Unke Muqable Me Kisi Wasee'a  W Areez Cheez Ki Meri Nigahoñ Me Koi Hesiyat Nahi.

*📚(Musnad Ahmad, J-1, Hadees-1039)*


Imam Shafai Ki Riwayat Me He,

فقلت یارسول اﷲ انہ مات مشرکا قال اذھب فوارہ

Mene Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ ! Vo To Mushrik Mara, Farmaya Jaao, Daba Aao.

*📚(نصف الرایہ بحوالۃ الشافعی کتاب الصلوۃ فصل فی الصلوۃ علی ا لمیت النوریہ الرضویہ الخ ۳ /۲۹۰)*


Ye Hadees Kai Alfazo Ke Sath

*📚( نصب الرایۃ بحوالۃ الشافعی واسحق بن راہو یہ وابی داؤد الطیالسی وغیرھم کتاب الصلوۃفصل فی الصلوۃ علی المیت الحدیث الحادی العشرالنوریۃ الرضویۃ پبلشنگ کمپنی لاہور ۲ /۲۸۹ و ۲۹۰)*

*(سنن ابی داؤدکتاب الجنائز باب الرجل یموت لہ قرابۃ مشرک آفتاب عالم پریس ۲ /۱۰۲)*

*(مسند احمد بن حنبل عن علی رضی اللہ عنہ المکتب الاسلامی بیروت ۱ /۱۲۹ و۱۳۰)*

*(السنن الکبری کتاب الجنائزباب المسلم یغسل ذاقرابتہ دارصادر بیروت ۳ /۳۵۸)*

*المصنف لابن ابی شیبہ کتاب الجنائزباب فی الرجل یموت لہ قرابۃ المشرک ادارۃ القرآن کراچی ۳ /۳۴۸)*

Wagairah Kutub Me Mazkoor He..


Or Khas Baat Ye Ki Us Waqt Namaze Janaza Parhne Ka Hukm Bhi Nahi Hua Tha.. 


Or Kafir Ke Janazoñ Me Shirkat Na Karne Or Unki Namaze Janaza Na Parhne  Ke Ta'alluq Se Qura'an Majeed Me He,

وَلَا تُصَلِّ عَلَىٰ أَحَدٍ مِّنْهُم مَّاتَ أَبَدًا وَلَا تَقُمْ عَلَىٰ قَبْرِهِ ۖ إِنَّهُمْ كَفَرُوا بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ وَمَاتُوا وَهُمْ فَاسِقُونَ

Or Unme Se Kisi Ki Mayyat Par Kabhi Namaz Na Parhna Or Na Unki Qabr Par Khade Hona, Beshak Allah Or Rasool Se Munkir Huve Or Fisq Hi Me Mar Gaye.

*📚(Surah Taubah, Aayat-84)*


Isi Tarah Hadeese Paak Me He,

Hadees Me Farmaya,

لَا تُؤَاكِلُوهُمْ، وَلَا تُشَارِبُوهُمْ وَلَا تُجَالِسُوهُمْ وَلَا تُنَاكِحُوهُمْ وَلَا تُصَلُّوا عَلَيْهِمْ وَلَا تُصَلُّوا مَعَهُمْ، 

Unke Sath Na Khao Na Unke Sath Paani Piyo Or Unke Paas Na Betho Unke Sath Shadi Biyah Na Karo Or Vo Bimar Ho To Iyadat Ko Na Jaao Or Jab Mar Jaaye To Janaza Par Na Jao Or Vo Mar Jaaye To Na Unki Namaze Janaza Padho Na Unke Sath Namaz Padho.

*📚(Fatawa Amjadiya, J-4, S-397)*


Or Fatawa Africa Me He,

Kafir Se Murad Agar Kafire Murtad He Maslan Qadyani, Wahabi, Deobandi To Uske Janaza Or Taziyat Me Jana Haram Ashad Haram, Nihayat Bad Anjam He Agar Use Musalman Samajh Kar Uske Janaza W Ta'aziyat Me Koi Shareek Hua To Shareek Hone Wale Par Na Sirf Khaufe Kufr He Balki Us Par Tajdide Iman Or Agar Biwi Rakhta Ho To Tajdeede Nikah Lazim He Ki Murtad Ko Musalman Samajhna IndushShara'a Kufr He.

*📚(FATAWA AFRICA, S-220)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓15 Jan 2022, 11 Jamadi Us Saani 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Solar System Se Garam Kiye Gaye Paani Se Wuzu Or Gusl Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaykum 

Hazrat Mera Sawal Hai K Aisi Koi Hadis Hai K Jiska Mafhum Hai K Suraj Ki Roshni Me Garam Kiya Huva Pani Gusal K Yani Nahane K Liye Durust Nahi Hai Aisa Karne Par Kodh Ki Bimari Hone Ka Khatra Hai.

Aur Agar Aisi Koi Hadis Hai Ya Nahi To Iska Solar Panel Ki Electricity Se Garam Kiya Pani Ka Mas-ala Bataye. Or Sard Mulk USA Wagairah Me Kya Hukm He ?

JazakAllah


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Miraatul Manajeeh Me He,

Riwayat He Hazrat Umar Ibne Khattab Se Aapne Farmaya Ki Dhup Ke Garam Shuda Paani Se Gusl Na Karo Is Liye Ki Vo Kodh Paida Karta He.

*📚(Rawahud Dar Qutni)*


Ye Agarche Farooqe Aazam Ka Qaul He, Lekin Sahaba E Kiram Ki Maujudgi Me He Or Kisi Ne Is Par Eiteraz Nahi Kiya Jisse Ye Mas'ala Ijmaai Ho Gaya. Zahir Ye He Ki Isse Har Paani Murad He Thoda Ho Ya Zyada, Lihaza Hoz Ka Paani Jab Dhup Me Garam Ho Jaye To Usse Wuzu Na Kiya Jaye.

*📚(Miraatul Manajeeh Sharah Mishkaatul Masaabih, J-1, Paaniyoñ Ka Bayan, Hadees-489, S-309,310)*


Or Bahare Shariyat Me He,

Jo Paani Garam Mulk Me Garam Mausam Me Sone Chandi Ke Siwa Kisi Or Dhaat Ke Bartan Me Dhup Me Garam Ho Gaya, To Jab Tak Garam He Usse Wuzu Or Gusl Na Chahiye, Na Usko Peena Chahiye Balki Badan Ko Kisi Tarah Pahunchana Na Chahiye, Yahañ Tak Ki Agar Usse Kapde Bhig Jaye To Jab Tak Thanda Na Ho Le Uske Pahanne Se Bacheñ Ki Us Paani Ke Istemal Me Andesha E Bars He Phir Bhi Agar Wuzu Ya Gusl Kar Liya To Ho Jayega.

*📚(Bahare Shariyat, H-2, Baab Kis Paani Se Wuzu Jaaiz Or Kisse Nahi, Mas'ala-27)*


Lihaza Mas'ala Saaf He Ki Is Tarah Direct Paani Ke Bartan Me Ya Hoz Wagairah Me Suraj Ki Garmi Se Paani Garam Huaa To Usse Wuzu Ya Gusl Na Kare Ki Isse Bars Yaani Safed Daag Ki Bimari Paida Hone Ka Andesha He, Or Agar Kar Liya To Wuzu Or Gusl Ho Jayega.. Kyuñ Ki Ye Karahat Karahate Tahreemi Nahi Balki Tanzihi He... Or Sard Mulk Jaise USA Wagairah Usme Karahat Bhi Nahi..


Or Agar Paani Machin Ke Zariya Garam Kiya Gaya Maslan Solar System, Heater Wagairah Ki Usme Direct Suraj Ki Shuaa E Nahiñ Pahunchti Balki Machin Ke Zariya Paani Garam Hota He, To Ye Suraj Se Garam Huve Paani Ke Hukm Me Nahi, To Bila Karahat Usse Wuzu Gusl Jaaiz He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh  Bariya, Dahod Gujarat*

*🗓️15 Jan 2022, 11 Jamadi Us Saani 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Bagair Wuzu Azan Dena Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Ulema Ikraam Aur Tamaam Momin Bhaiyo Ki Khidmat Me Salam Tarz E Adab Pesh  

Karta Hu


ASSALAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAAHI WA BARAKAATUHU


Hazrat Mera Sawaal Hai Kya Bina Wuzu Namaaz Ke Liye Di Jaane Waali Azaan,  

Qabr Par Di Jaane Waali Azaan, Waba O Bala Ki Dafa Me Di Jaane Wali Azaan  

Wagairah Kya Jayaz Hai?


Baraye Karam Islah Farmaayein,


Jazakum ALLAAHU Kharan


Regards,

Mohammad Shoeb Bin Gulzar Alam Qadri Rizvi |


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Bagair Wuzu Azan Chahe Namaz Ke Liye Ho, Qabr Par Di Jane Wali Ho Ya Daf E Waba Ke Liye Ho Azan Ho Jayegi Magar Be Wuzu Azan Dena Makrooh He Lihaza Bahetar He Ki Bawuzu Di Jaye..


Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,

Be Wuzu Azan Jaaiz He Baayeñ Ma'ana K Azan Ho Jayegi Magar Chahiye Nahi, Hadees Me Is Se Mumaaneat Aai He, Walihaza Allama Shernablaali Ne Nazar BaHadees Karahat Ikhtiyar Farmai.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-5, Mas'ala-335)*


Or Sadrushshariyah Alaihir Rahma Farmate Hai,

Be Wuzu Ki Azan Sahih He. Magar Be Wuzu Azan Kahna Makrooh He.

*📚(Bahare Shariyat, J-3, Safha-466, Azan Ka Bayan, Mas'ala-16)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓12 Jan 2022, 8 Jamadi Ul Aakhar 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Chalte Firte Durood Padhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum


Chalte Chalte Durood Sharif Padhna Kaisa?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Chalte Phirte, Uthte Bethte Bhi Durood Shareef Ka Wird Kar Sakte He.. Albatta Ye Khayal Rahe Ki Najasat Ki Jagah Se Guzar Ho To Utni Der Ke Liye Parhna Maukuf Karde Gandagi Ki Jagah Par Zikro Durood Karna Mana'a He.


Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

Durood Shareef Raah Chalte Bhi Parhne Ki Ijazat He Jahañ Najasat Pari Ho Vahañ Ruk Jaye Bahetar Ye He Ek Waqt Mu'ayyan Karke Ek Adad Muqarrar Karle Is Qadar Bawuzu Do Zaano Adab Ke Sath Madeena Tayyabah Ki Taraf Muñh Karke Rozana Arz Kiya Kare Jis Ki Miqdaar So Baar Se Kam Na Ho Zyada Jis Qadar Nibha Sake Bahetar He, Alawa Is Uthte Bethte, Chalte Phirte Bawuzu Be Wuzu Har Haal Me Durood Jaari Rakhe, Or Uske Liye Bahetar Ye He Ki Ek Siga Khas Ka Paband Na Ho Balki Waqtan Fa Waqtan Mukhtakif Seego Se Arz Karta Rahe Taaki Huzur Qalb Me Farq Na Ho.... Or Apne Tamam Awqaat Ko Durood Shareef Me Sarf Kar Dene Ko Farmaya Ki Aysa Karega To Allah Tere Sab Kaam Bana Dega Or Tere Gunah Muaaf Farma Dega.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-6, Mas'ala-413)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓11 Jan 2022, 7 Jamadi Ul Aakhar 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts