Kya Jisne Isha Padhi Usi Ki Fajar Ki Namaz Qubool Hogi ???

 *🌹SAWAL:-🌹*

Asslamualaikum

Hazart Jisne Isha Ki Namaz Ada Ki , Kya Fazar Ki Namaz Usi Ki Qubool Hogi , Aesa Koi Masla H To Dalail Pesh Kare Ya Iske Talluk Koi Aehm Masala Kuchh Galati Hui Ho To Maaf Kare


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Namaz Qubool Hona Ya Na Hona Ye Gaibi Masala Hai... Is Ka Ilm Allah Tabarak Wa Ta'ala Ko Hai. Uske Batane Se Uske Pyare Bandoñ Ko Iska Ilm Hai... Albatta Namaz Ada Hui Ya Nahi??? To Is Par Arz Hai K Aap Ne Namaz Ki Tamam Sharaait Ke Mutabiq Namaz Ada Ki To Namaz Ada Ho Gai...

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️28 May 2021, 15 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Aurat Haiz Ki Halat Me Qura'an Hifz Kar Sakti He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

السلام علیکم ورحمۃ اللہ وبرکاتہ

Kya Aurat Haiz Ki Halath Me Quran Hifz Karsakti Hai?

Kyu Ki Haiz Khatam Hone Tak Agr Wo Quran Pak Hifz Karna Chorde Toh Bhulne Ke Chances Hai


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aurat Haiz Ki Halat Me Hifz To Dar Kinar Qura'an Sharif Ko Chhu Bhi Nahi Sakti... Haiz Ki Halat Me Durood Sharif Padhe.. Is Ki Barkat Se Voh Qura'an Sharif Nahi Bhulegi...


Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,

Haiz W Nifas Wali Aurat Ko Qura'ane Majeed Parhna Dekh Kar, Ya Zabani Or Uska Chhuna Agarche Uski Jild Ya Choli Ya Hashya Ko Hath Ya Ungli Ki Nok Ya Badan Ka Koi Hissa Lage Ye Sab Haram Hai.


Kagaz Ke Parche Par Koi Surah Ya Aayat Likhi Ho Uska Bhi Chhuna Haram He.

*📚(Bahare Shariyat, H-2, Haiz W Nifas Ke Muta'alliq Ahkam, Mas'ala-1,2)*

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️28 May 2021, 15 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Biwi Ka Apne Naam Ke Sath Shohar Ka Naam Lagana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuh


Aurat Apne Shohar Ka Naam Apne Naam Ke Sath Laga Sakti Hay Kya??


Agar Shohar Pathan Hay To Kya Aurat Apne Naam Ke Sath Khan Laga Sakti??


Aurat Apne Naam Se Sath Kis Kis Ka Naam Jodh Sakti Hay??


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Shayad Ye Suwal Is Wajah Se Ho Raha He Ki Ho Sakta He Ki Kisi Ko Ye Shubah Ho Ki Apni Nisbat Apne Baap Ke Alawa Kisi Or Ki Taraf Karna Ye Najaaizo Haram He, Or Hamare Samaaj Me Aurtoñ Ke Naam Ke Baad Unke Shoharoñ Ka Zikr Kiya Jata He To Ye Bhi Nisbat Apne Baap Ke Alawa Kisi Or Ke Taraf He... Halañ Ki Ye Dono Mas'ale Alag Alag He.. Kisi Ka Nasabi Aitebar Se Apne Baap Ke Alawa Kisi Or Ki Taraf Nisbat Karna Ye Najaaizo Haram He Or Rahi Baat Ki Biwi Ka Nikah Ke Baad Apne Naam Ke Baad Apne Shohar Ka Naam Zikar Karna Ye Durust He, Jaaiz He..


Jaisa Ki Rab Tabarak W Ta'ala Ne Surah Al-tahreem Me Irshad Farmaya,


ضَرَبَ ﷲُ مَثَـلًا لِّلَّذِيْنَ کَفَرُوا امْرَاَتَ نُوْحٍ وَّامْرَاَتَ لُوْطٍ

*📚(التحريم، 66: 10)*


وَضَرَبَ اﷲُ مَثَـلًا لِّلَّذِيْنَ اٰمَنُوا امْرَاَتَ فِرْعَوْنَ

*📚(التحريم، 66: 11)*


Ki Allah Tabarak W Ta'ala Ne Surah Al-tahreem Me Hazrate Loot Alaihis Salam Or Hazrate Nooh Alaihis Salam Ye Dono Muqaddas Hastiyoñ Ki Biwi Ki Nisbat Unke Shoharoñ Ki Taraf Farmai Or Usi Ke Sath Sath Hazrate Aasiya Radiallahu Anha Ki Nisbat Bhi Unke Shohar Ki Taraf Qura'ane Paak Me Allah Tabarak W Ta'ala Ne Bayan Farmai He.


To Yaqeenan Aurat Nikah Ke Baad Apne Naam Ke Sath Shohar Ka Naam Likh Sakti He, Or Agar Vo Shohar Khan He To Vo Apne Naam Ke Sath Khan Bhi Likh Sakti He. Ye Jaaiz He Ye Durust He..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️27 May 2021, 14 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Wuzu Ke Baad Aa'aza Se Paani Puchhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum

Kya wazu karke wazu ka pani towel se poch sakte hai kisi ne kaha hai ki wazu ke pani ko nahi pochna chahiye jawab inayat farmai hazrat


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Wuzu Ke Baad Aa'aza E Wuzu Tolya Rumal Wagairah Se Puchh Sakte He, Magar Bagair Zaoorat Bilkul Khushk Na Kare Wuzu Ke Mustahbbat Me Se He Ki Aa'aza E Wuzu Bila Zaroorat Na Punchhne Chahiye Agar Punchhna Ho Tabhi Bila Zaroorat Bilkul Khusk Na Kareñ Ki Kuchh Tari Baaqi Rakheñ Ki Ye Baroze Qayamat Nekiyoñ Ke Palre Me Rakhi Jayegi.


Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Aa'aza E Wuzu Bagair Zaroorat Na Punchheñ Or Punchheñ To Be Zaroorat Khushk Na Karle. Qadre Nim Baaqi Rahne De Ki Roze Qayamat Palla E Hasnaat Me Rakhi Jayegi.

*📚(Bahare Shariyat, H-2, Wuzu Ke Mustahbbat)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓28 May 2021, 15 Shawwalul Mukarram 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Buzurg Ki Purani Tasweer Ko Kya Kare ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

‏اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ

Jaise Ghar Me Tasveer Lagana Mana Hai 

Agar Ghar Me Kisi Buzurg Ki Tasveer Ho Usko Hamne Nikaal Diya Ab Us Tasveer Ko Kya Kare


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Jala Deñ Ya Phaad Ke Phenk Den. Tasweer Hai Hi Tauheen Wali Chiz..

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Juned Raza Azhari Sahab Qibla, Nadiyad Gujarat*

*🗓️27 May 2021, 14 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Iftar Ke Waqt Se Pahle Azan Ho Jaye To Roza Khol Le Ya Waqt Ka Intezar Kare

 *🌹SAWAL:-🌹*

السلام علیکم ورحمۃ اللہ وبرکاتہ

Muhammad Imran Raza Qadri

Kanpur  Up


Aapki Bargha Me Ek Sawal Hai Agar Ahle Sunnat Ki Masjid Se Magrib Ki Azaan Ho Our Aftar Ka Waqt Hone Me Abhi 1 Se 2 Minute Baki Ho To Is Surat Me Kiya Kare Masjid Ki Azaan Sun Kar Roza Khole Ya Time Pura Hone Ka Intezaar Kare


Jawab Inayat Farmae Meharbani Hogi


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Iftar Us Waqt Kare Jab Suraj Gurub Hone Ka Guman E Galib Ho Jaaye Agar Che Moazzin Ne Azan Keh Di Ho.


Bahar E Shariaat Hissa 5 Me He ,

Iftar Me Jaldi Karna Mustahab He, Magar Iftar Us Waqt Kare Ki Guroob Ka Galib Guman Ho, Jab Tak Guman Galib Na Ho Iftar Na Kare, Agarche Moazzin Ne Azan Kah Di He Or Abar Ke Dinoñ Me Iftar Jaldi Na Chahiye.

*📚(Bahare Shariyat, H-5, Roza Ke Makroohat Ka Bayan, Mas'ala-15)*


Lihaza Agar Ham Sunniyo Ki Kisi Masjid Me Gurub Se Ek Ya Do Minut Pehle Azan Keh Di To Iftar Na Kare Jab Tak Gurub Ka Guman Galib Na Ho Jaaye.

Wallahu Ta'ala Aa'alam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️27 May 2021, 14 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Murde Ya Mayyat Ki Tasweer Lena Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Kya Murde Ki Tasveer Lena Jaiz Hai.

Rehnumai Farmaea


*🌹JAWAB:-🌹*

Atayul Qadeer Fee Hukme Tasweer Jo Imame Ahle Sunnat Ki Kitab He Or Sarkar Tajushshariya Ne Use Arbi Me Tahreer Farmaya He 


Aap Is Kitab Ke Hawale Se Farmate Hai, Jaandar Ki Tasweer Yaani Vo Soorat Jo Jandar Ki Hikayat Karti Ho Or Use Dekhne Se Ye Pata Lage Ki Ye Jandar Ki Tasweer He Vo Insan Ho Haywan Ho Janwar Ho Billi Ho Kutta Ho Mara Ho Ya Zinda Ho Uski Tasweer Lena Jaaiz Nahi He.

Http://jamiaturraza.com/session/15May11/9.mp3

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*

*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*📚22 May 2021, 9 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jis Din Nikah Ho Usi Din Walima Karna Kesa

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ


Hazrat Kya Jis Din Nikah Ho Ushi Din Walima Karna Kaisa.. ❓


Baraaye Karam Daleel Inaayat Farmaye


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎


Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,

Dawate Walima Sunnat He. Walima Ye He Ki Shabe Zafaaf Ki Subah Ko Apne Dost Ahbab Azeezo Aqrab Or Muhalla Ke Logoñ Ki Hasbe Isteta'at Ziyafat Kare Or Iske Liye Janwar Zabah Karna Or Khana Tayyar Karana Jaaiz He.

*📚(Bahare Shariyat, H-16, Walima Or Ziyafat Ka Bayan)*


Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Shabe Zafaaf Ki Subah Ko Ahbab Ki Da'awat Walima He, Rukhsat Se Pahle Jo Da'awat Ki Jaye Walima Nahi, Yuñ Hi Baade Rukhsat Qable Zafaaf.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-11, S-255)*


Lihaza Rukhsati Ke Baad Shabe Zafaaf Se Pahle Jo Da'awat Ki Jaye Vo Mahaz Nikah Ki Khushi Par Ek Da'awat He, Usko Walima Ka Naam Nahi Diya Ja Sakta. Walima Ki Sunnat Shabe Zafaaf Ki Raat Guzarne Ke Baad Hi Ada Hogi

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

📲+918487928693

*🗓26 May 2021, 13 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Walidain Ki Qabr Chumna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Walidain Ki Qabr Choomna Kaisa ❓jawab Inayat Farmaye


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Walidain Ki Qabroñ Ko Bosa Dene Me Koi Harj Nahi.


Jaisa Ki Hakimul Ummat Hazrat Allama Mufti Ahemad Yaar Khan Naeemi Alaihir Rahma Taherir Famate Hai,

لا بأس بتقبیل قبر والدیه کذا فی الغرائب

Yaani Apne Maañ Baap Ki Qabroñ Ko Chumne Me Harj Nahi.

*📚(Fatawa Aalamgiri, Kitabul Karahat, Baabul Ziyarate Quboor)*

*📚(Jaa Al Haq, Hissa-1, S-298, Qadri Publishers)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

📲+918487928693

*🗓26 May 2021, 13 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Shawwal Ke Roze Ramzan Ke Qaza Rozo Ki Niyat Se Rakhna Kesa

 *🌹SAWAL:-🌹*

Shawwal Ke 6 Roze Ramzaan Sharif Ke Qaza Roze Ki Niyyat Se Rakh Sakte Hai Ya Nafil Ki Niyyat Se Hi Rakne Hoge ?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Jinke Ramzanul Mubarak Ke Qaza Roze Baaqi Hoñ To Unheñ Nafl Rozoñ Ki Jagah Ramzanul Mubarak Me Farz Roze Rakhna Chahiye Taaki Ramzanul Mubarak Ke Qaza Roze Bhi Ada Ho Jayeñ Or Farz Rozoñ Ki Ada Ki Barkat Se Allah Ta'ala Nafl Rozoñ Ka Sawab Bhi Apne Gaib Se Ata Farmaye Is Tarah Zyada Sawab Ki Ummid He.


Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,

فان اشتغل بالسنن والنوافل قبل الفرائض لم یقبل منہ واھین۔ 

Yaani Farz Chhor Kar Sunnat W Nafl Me Mashgool Hoga Ye Qabool Na Honge Or Khwar Kiya Jayega.

*📚(فتوح الغیب مع شرح عبدالحق الدہلوی المقالۃ الثامنۃوالا ربعون منشی نولکشور لکھنؤ ص ۲۷۳)*

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-10, S-179)*


Or Huzur Khalile Millat Hazrat Allama Mufti Khalil Ahmad Khan Qadri Alaihir Rahma Farmate Hai,

Jo Shakhs Nafl Namaz Or Nafl Roze Ki Jagah Qaza E Umri, Farz W Wajib Ada Kare Vo Lo Lagaye Rakhe Ki Maula Azwajal Apne Karame Khas Se  Qaza Namazo (Or Rozoñ) Ke Zaman Me Un Nawafil Ka Sawab Bhi Apne Khazaine Gaib Se Ata Farmaye Jin Ke Awqat Me Ye Qaza Namaze Padhi Gai (Or Ramzanul Mubarak Ke Qaza Roze Rakhe Gaye)

*📚(Sunni Bahishti Zewar, Nafl Namazo Ka Bayan, J-2, S-104)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

📲+918487928693

*🗓️24 May 2021, 11 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Bhul Kar 2 Raka'at Ki Jagah 4 Raka'at Ki Niyat Ki To Namaz Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

السلام عليكم و رحمة الله و بركاته

Sawal Arz Haike ,Zaid Imaam Hai Namaze Qaser Mein Bhool Ker Do Raka't Ki Jagah Char Raka't Ki Niyyat Kerta Hai, Qaidae Uola Mein Yaad Aane Per, Ab Do Rak'at Per Hi Salam Pheyr Leta Hai,


Kiya Zaid Ki Aur Zaid Ke Peeche Muqeem Aur Musaafir Muqdadiyon Ki Namaz Durust Hogi.


Baray Karam Rahnumai Fermaein

JazakAllahu Khaira


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Zaid Ki Or Zaid Ke Pichhe Tamam Muqtadiyoñ Ki Namaz Sahih Sahih Ada Ho Gai. Kyuñ Ki Niyyat Me Ta'adade  Raka'at Ka Ta'ayyun Zaroori Nahi He.


Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Hazrat Allama Mufti Amjad Ali Alaihir Rahmato Ridwan Bahare Shariyat Me Taherir Fatmate Hai,


Niyyat Me Ta'adade Raka'at Ki Zaroorat Nahiñ Albatta Afzal He, To Ta'adade Raka'at Me Khata Waqe'a Hui Maslan 3 Rak'ateñ Zuhar Ki Ya 4 Raka'ateñ Magrib Ki Niyat Ki, To Namaz Ho Jayegi.

*📚(Bahare Shariyat, Namaz Ki Shartoñ Ka Bayan, J-3, Mas'ala-92)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️19 May 2021, 6 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kisi Ko Durood Ya Quran Parhne Se Pahle Isale Sawab Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Huzur Ki Bargah Me Tohfa Pesh Karna Ho Ya Koi Mahrum Ko Isale Sawab Karna Ho Jese Me Darood Sharif Para Nahi Magar Mene Tohfa Ya Isale Sawab Kar Diya Or Bad Me Par Luñga To Ye Chal Sakta He Tafasil Se Jawab Ata Kare Hawale Ke Sath


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Ye Soorat Bilkul Bhi Durust Nahiñ Balki Ye To Sirf Padhne Ka Wa'ada Hua, To Aap Is Wa'ade Ka Kya Isale Sawab Kareñge, Haañ Aapki Jo Niyat He Vo Niyyate Khair He To Allah Tabarak W Ta'ala Ki Bargah Se Ummid He Ki Aap Ne Jo Durood Shareef Padhne Ki Niyat Ki He To Us Niyat Ka Sawab Allah Tabarak W Ta'ala Buzurgane Deen Ki Bargah Me Pahunchaye Iski Puri Ummid He, Lekin Aysa Hargiz Hargiz Nahiñ Karna Chahiye..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️19 May 2021, 6 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Fisq Ko Sahi Samajna Or Samjane Par Aulma Ko Bura Kahne Wale Par Hukme Shara'a

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Kya Farmate Hai Aulma E Kiram Agar Koi Shakhs Fisq Me Mubtala Ho Or Use Samjhane Par Vo Fisq Ko Sahih Kahe Or Fisq Ka Rad Karne Wale Aulma E Haq Ko Bura Bhala Kahe To Ayse Shakhs Par Kya Hukm Hoga ?? Rahenumai Farmaye 


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aysa Shakhs Nira Jahil Fasiqe Mu'allin, Gumrah BadMazhab He Or Agar Usne Kisi Harame Qata'ee Ko Sahih Kaha Ya Aulma E Kiram Ki Tauheen Ya Aulma E Kiram Ko Bura Bhala Kaha Unke Ilm Ki Bina Par To Yaqeenan Ye Kufr He, Ayse Shakhs Par Tajdide Iman , Tajdide Nikah Or Tajdide Bay'at Ye Tino Baate Zaroori He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️19 May 2021, 6 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Cable Operater Ka Bussiness Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Cable Operator Ke Bussiness Karna Kaisa ❓


*🌹JAWAB:-🌹*

Agar Sirf Cable Lagane Ka Kaam Hai To Usmeñ Kuchh Harj Nahiñ Ke Istemal Karne Wala Jane Ke Wo Kismeñ Istemal Karega Haañ Agar Wo Dish Waghairah Lagata Hai To Iski Ijazat Nahiñ Di Jayegi Kiyuñ Ki Jis Tarah Gunah Karna Jurm W Gunah W Laaeqe Saza Hai Yunhi Us Chiz Ka Zariah Banna Jo Gunah Karne Ka Sabab Bane.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Saiyed Qafeel Hashmi Sahab Qibla*

*📬Markazi Darul Ifta Manzare Islam Baraily Shareef*

*🗓️20 May 2021, 7 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kai Log Ghar Me Kamate Ho To Zakat Ek Ada Kare Ya Sab ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Asslamualaikum 

Hazart AGR Ghr Me 3 Log Kamaane Wale Hain 

To Teeno Log Zakaat Ada Karenge ?? Ya Ek K Ada Krne Se Ho Jayegi


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Sab Log Malike Nisab He To Sab Par Zakat Farz He. Aur Ek Hi Karobar He To Ab Us Me Se Teeno Ke Hisse Me Jo Aata He Wo Hajate Asliyya Se Zaaid He Aur Nisab Tak Phunchta He To Saal Guzrane Par Us Par Zakat Hogi.

Wallahu Ta'ala Aa'alam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️19 May 2021, 6 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Alcohol Wala Perfume Istemal Karna Or Namaz Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Kuch Perfume Mein 0% Alcohol Hota H Kya Use Istemal Kar Sakte


Aur Ager Nahi Kar Sakte To Kabhi Ager Haath Mein Laga Liya H To Namaz Se Pehle Jis Hisse Per Lagay The Dho Len Aisa Kar Sakte H


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aisa Perfume Ya Body Spray Jo Alcohol Free Ho Use Spray Karke Lagana Jaaiz He.


Jaisa Ki Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahma Farmate Hai,

Http://jamiaturraza.com/session/17Nov13/1.mp3


Or Agar Perfume Me Alcohol Mila Hua Ho To Uska Istemal Karna Jaaiz Nahi..

Jaisa Ki Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahma Farmate Hai,

Agar Maloom He Sabit He, Ki Is Khas Bottel Me Alcoholic Perfume He To Vo Napaak He Uska Istemal Jaaiz Nahi He, Or Uska Apply Karna Ye Najaaiz He.

Http://jamiaturraza.com/session/12Feb12/8.mp3


Or Farmate Hai, 

Alcoholic Perfume Ka Istemal Karna Jaaiz Nahi He, Or Usme Ye He Ki Ye Jaldi Ud Jata He, Lihaza Agar Usko Apply Kiya To Apply Karna Jaaiz Nahi He Lekin Agar Vo Itni Kasrat Se Nahi He Ki Ek Dirham Ya Ek Dirham Se Zyada Ho To Namaz Ho Jayegi. 

Http://jamiaturraza.com/session/16June2009/8.mp3

Perfume Me Agar Alcohol He To Vo Najasate Galiza Ke Hukm Me He Hath Par Ya Jis Hisse Par Lagi Use Paak Kar Lene Se Namaz Ho Jayegi..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓19 May 2021, 6 Shawwalul Mukarram 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Short Durood Jaise صلعم , صل Likhne Ka Hukm Ba Hawala

 *🌹SAWAL:-🌹*

السلام عليكم و رحمة الله و بركاته


Sawal Arz Haike

Short Durood Ikhtesar Jaise صلعم , صل Waghaira  Jo Likha Jata Hai, Us Ta'luq Se Imaam Jalaaluddin Suyyuoti AlaihirRahmah Ka Ek Qaul Peysh Kiya Jata Hai. Ke Aap Fermate Hain


" Jis Ne Sab Se Pahle Darod Sharif Ka Aisa Ikhtesar Kiya Us Ka Hath Kata Gaya,"


Baray Maherbani Ye Kis Kitaab Mein Hain Uska Hawal Enayat Fermaein, Aur Bhi Es Ta'luq Se Rahenumai Fermaen

Kisi Ahle Hadas Ke Batana Hai, 

JazakAllahu Khaira


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Hazrat Saiyeduna Allama Jalaluddin Suyuti Alaihir Rahma Farmate Hai, Pahla Shakhs Jisne Durood Shareef Ka Ikhtesar (Shortcut) Eejad Kiya Uska Hath Kaat Diya Gaya.

*📚(تدریب الراوی للسیوطی النوع خامس والعشرون ص 284)*

Isi Tarah Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan *📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-22, S-681, Mas'ala-241)* Par Taherir Fatmate Hai..


Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Huzur ﷺ Ke Naam Ke Sath صلعم Likhna Ye Jahalat Aaj Kal Bahut Jald Baazoñ Me Raaij He. Koi صلعم Likhta He Koi عم Koi ص, Or Ye Sab Behooda W Makrooh W Sakht Napasandida W Maujube Mahroomi Shadeed He Isse Bahut Sakht Sakht Ehteraz Chahiye Agar Tahrir Me Hazar Jagah Naame Paak Huzure Aqdas ﷺ Aaye Har Jagah Pura ﷺ Likha Jaye Hargiz Hargiz Kahiñ صلعم Wagairah Na Ho Aulma Ne Isse Sakht Mumaneat Farmai He Yahañ Tak Ki Ba'az Kitaboñ Me To Bahut Ashad Hukm Likha He.


Allama Tahtawi Hashiya Durre Mukhtar Me Farmate Hai,

ویکرہ الرمز بالصلوۃ والترضی بالکتابۃ بل یکتب ذلک کلہ بکمالہ وفی بعض المواضع من التتار خانیۃ من کتب علیہ السلام بالھمزۃ والمیم یکفر لانہ تخفیف و تخفیف الانبیاء کفربلاشک ولعلہ ان صح النقل فھو مقید بقصد والافالظاھر انہ لیس بکفر وکون لازم الکفر کفرابعد تسلیم کونہ مذھبا مختارا محلہ اذاکان اللزوم بینا نعم الاحتیاط فی الاحتزار عن الایھام و الشبھۃ .

Yaani صل اللہ علیہ وسلم Ki Jagah ص Wagairah Or رضی اللہ عنہ  Ki Jagah رض  Likhna Makrooh He Balki Use Kamil Taur Par Likha Padha Jaye, Tatar Khaniya Me Ba'az Jagah Par He Jis Ne Durood W Salam Hamza ( ء ) Or Meem (م) Ke Sath Likha Usne Kufr Kiya Kyuñ Ki Ye Amal Takhfeef He Or Ambiya Alahimus Salam Ki Bargah Me Ye Amal Bila Shubah Kufr He. Agar Ye Qaul Sehat Ke Sath Manqool Ho To Ye Muqeed Hoga Is Baat Ke Sath Ke Aysa Karne Wala Qasdan Aysa Kare, Warna Zahir Ye He Ki Vo Kafir Nahiñ Baaqi  Luzoome Kufr Se Kufr Us Waqt Sabit Hoga Jab Use Mazhabe Mukhtar Tasleem Kiya Jaye Or Iska Mahal Vo Hota He Jahañ Luzoom Bayan Shuda Or Zahir Ho Albatta Ehtiyat Isme He Ki Ayhaam Or Shuba Se Ehteraz Kiya Jaye

*📚(۱؎ حاشیہ الطحطاوی علی الدرالمختار مقدمۃ الکتاب مطبوعہ دارالمعرفۃ بیروت ۱/ ۶)*

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-6, S-221, Mas'ala-444)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓19 May 2021, 6 Shawwalul Mukarram 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ruku Se Uthte Waqt Pent Ya Pajama Khinchne Se Namaz Ka Hukm ?

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salam Alaikum, Agar Ruku Se Utthkar Sajde Me Jaate Waqt Pant Ya Pajama Kheeckar Sajde Me Jae To Sahi H Ya Galat

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Namaz Me Ruku'a Se Uth Kar Sajda Me Jaate Waqt Ek Sath Donoñ Hathoñ Se Shalwar Pent Ya Pajama Upar Ki Taraf Khinchna Ya Qamees Ka Daaman Sametna Makroohe Tahreemi Najaaizo Gunah He, Ki Ye Kaffe Soob Me Dakhil He Jis Se Hadees Shareef Me Mana'a Farmaya Gaya He Or Aysi Soorat Me Namaz Wajibul Ae'aada Yaani Dubara Padhni Wajib Hogi.

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Kapda Sametna, Maslan Sajda Me Jaate Waqt Aage Ya Pichhe Se Utha Lena Agarche Gard Se Bachane Ke Liye Kiya Ho Or Agar Bilawajah Ho To Or Zyada Makrooh He.
*📚(Bahare Shariyat, H-3, Makroohe Tahreemi Ka Bayan, S-624, Matbuaa Maktabul Madinah)*

Isi Tarah Fatawa Faizur Rasool Me He,
Kapda Sametna Jaisa Ki Nawaaqif Log Sajdah Me Jate Huye Aage Ya Pichhe Ke Kapde Ko Uthate Hai, Ye Mufside Namaz Nahiñ Balki Makroohe Tahreemi Or Najaaiz He. Jis Namaz Me Aysa Kiya Gaya, Us Namaz Ka Dubara Parhna Wajib He.
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-1, S-276)*

Albatta Ruku'a Se Uthne Ke Baad Ya Sajda Se Qayam Ki Taraf Aane Ke Baad Kabhi Kabhar Kapda Jism Se Chipak Jata He, Dekhne Wale Ko Karahat Mahsoos Ho Ya Jism Ke Hey'at Zahir Hoti Ho To Use Amale Qaleel Ke Zariya Chhurane Me Koi Harj Nahi Ki Ye Amal Mufeed He Or Ek Hath Se Aasani Se Ho Sakta He. Lihaza Agar Amale Qaleel Ke Zariyah Ek Hath Se Pent Ya Pajama Upar Ki Taraf Chadane Me Harj Nahi Or Agar Ek Sath Do Hath Se Kapde Samete To Namaz Makroohe Tahreemi Wajibul Ae'aada Hogi. Or Agar Dono Hatho Ka Istemal Is Tarah Kiya Ki Door Se Dekhne Wale Ko Ye Zanne Galib Ho Ki Ye Namaz Me Nahiñ He To Ye Soorat Amale Kaseer Ki Hogi Jis Ki Bina Par Namaz Hi Fasid Ho Jayegi..

Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Farmate Hai,
Har Vo Amale Qaleel Ki Musalli Ke Liye Mufeed Ho Jaaiz He Or Jo Mufeed Na Ho, Makrooh He.
*📚(Bahare Shariyat, H-3, Makroohate Tanzeehi Ka Bayan, Mas'ala-41, S-631, Maktabul Madinah)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓18 May 2021, 5 Shawwalul Mukarram 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Dadhi Ke Baal Straight Karana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Salam dhadi ke bal ko straight karana kaisa jab ke zaid ki niyat sahi hu

Mtlb fashion ke hisab se nahi balke khali dhadi ke bal sedha krna hai ????


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Jaaiz He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*

*📬Khadim Tadriso Ifta Darul Uloom Gause Aazam Porbandar Gujarat*

*🗓️12 May 2021, 29 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ramzan Ke Baad Zakat Ada Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Zaid Sahibe Nisaab Hai Usne Kuch Zakaat Nikal Di Hai Or Kuch Nikalna Baaki Hai Lekin Zaid Ka Kuch Kaam Fasa Huwa Hai To Kya Zaid Ramadan Ke Baad Nikal Sakta Hai Jabke Ek Saal Se Kuch Din Zayada Ho Jayega.


REHNUMAI Farmaea


*🌹JAWAB:-🌹*

Zakat To Uske Zimma Wajib Hi Rahegi Or Ramzan Ke Baad Bhi Ada Karni Rahegi, Magar Jitni Takhir Karega Gunah Me Zyadati Hogi.. Is Liye Jald Se Jald Ada Kare.


Bahare Shariyat Me He,

Zakat Farz He, Uska Munkir Kafir Ir Na Dene Wala Fasiq Or Qatl Ka Mustahiq Or Ada Me Takhir Karne Wala Gunahgar W Mardoodush Shahdah He.

*📚(Bahare Shariyat, H-5, Zakat Ka Bayan, Mas'ala-1)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️12 May 2021, 29 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

2 lakh Rupaye Par Ek Saal Guzra Bich Saal 1 Lakh Rupye Aaye Ab Zakat Kis Tarah Nikale ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Zaid Ke Paas 2 Lakh The Jispar Saal Guzar Gaya Tha Zaid Par Is 2 Lakh Ki Zakat Nikalna Farz Tha Ab Zaid Ke Paas Zakat Nikalne Se Pehle 1 Lakh Ki Raqam Or Aayi To Kya 3 Lakh Ki Zakat Nikalni Hogi Ya Fir 1 Lakh Jo Abhi Aaya Hai Uspar Saal Guzarne Ke Baad Nikalna Hoga.


REHNUMAI Farmaea


*🌹JAWAB:-🌹*

Agar Pehle Se Wo Malike Nisab Tha To Darmiyan Saal Jo Kuchh Zyadati Hui Maal Me, Us Par Alag Se Saal Nahi Guzarna He Balki Usko Bhi Maal Me Add Kar Ke Total Par Zakat Nikalni He.


Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,

Jo Shakhs Malike Nisab He Agar Darmiyane Saal Me Kuchh Or Maal Usi Jins Ka Hasil Kiya To Us Naye Maal Ka Juda Saal Nahi, Balki Pahle Maal Ka Khatm Saal Uske Liye Bhi Saale Tamam He, Agarche Saale Tamam Se Ek Hi Minute Pahle Hasil Kiya Ho, Khwañ Vo Maal Uske Pahle Maal Se Hasil Huva Ya Miras W Hiba Ya Or Kisi Jaaiz Zariyah Se Mila Ho Or Agar Dusri Jins Ka He Maslan Pahle Uske Paas Unt The Or Ab Bakariyañ Miliñ To Uske Liye Jadeed Saal Shumar Hoga.

*📚(Bahare Shariyat, H-5, Zakat Ka Bayan, Mas'ala-43)*

Wallahu Ta'ala Aa'alam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️11 May 2021, 28 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Thoda Cash Or Thoda Gold w Chandi Or Girvi Raqam Ho Zakat Ka Ek Mas'ala

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum Hazrat,

Meri Chhoti Behan Ke Pass Cash 9000₹ , Gold 2 Tole, Or Chandi 6000₹, Or Kisi Ko Karz Diya Hua Hai 25500₹.,.  Iske Alwa Gold 2 Tole Girvi Rakha Hua.,


Kiya Iske Hisab Se Zakat Banti Hai Ya Nahi.,

Or Agar Zakat Banti Hai To Kitni Banti Hai Hazrat


Rehnumayi Farmaye


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Jab Kuchh Sona, Kuch Chandi Aur Kuchh Raqam Ho To Teeno Ko Mila Kar Dekha Jaayega Ke Kisi Ek Ke Nisab Tak Phunchta He. Yaani Sadhe Saat Tola Sona Ya Sadhe Bawan Tola Chandi Ya Un Me Se Kisi Ek Ke Barabar Pahunch Jaaye Aur Us Par Saal Guzar Jaaye ( Jab Ki Wo Pehle Se Malike Nisab Na Ho)to Us Par Zakat Farz He.


Ab Mas'la E Mazkura Me Cash Raqam 9000 Rp, Silver Ki Total Raqam 6000 Rp, Yaani 15000 Rp Hui. Aur Do Tola Sone Ki Moujuda Qeemat Taqriban 99,000 Rp Banti He Aaj Ke Hisab Se.


Yani Total Unke Pas Raqam 1,14000 Rp Huve.


Us Me Se Qarz Jo Ki 25500 Rp He Mines (-) Karenge To 88500 Rp Bache.


Aur Ye Chandi Ke Nisab Tak Phunch Jaate He. Chandi Ka Nisab Sadhe Bawan Tola Yaani Moujuda Wazan K Hisab Se Taqriban 654 Gm Hota He, Ek Gm Aaj Ke Hisab Se Chandi Ka Rate Taqriban 71 Rp He 654*71=46434 Rp Huye.

Aur Qarz Ada Karne K Bad Jo Rp Bache Wo 88500 He Jo Ke Chandi Ke Nisab Tak Pahunch Jate He Balki Us Se Zyada He, 


Lihaza Aap Par Zakat Farz He.

88500 Ki Zakat Ada Kare 

100 Rp Me 2.50 Ke Hisab Se Kul Raqam Ka 40 Wa Hissa Nikalna He 88500÷40 Kare To 2213 Rp Taqriban Zakat Hogi.


Note: Agar Chandi Sone Ki Maujuda Qeemat Me Kuchh Kami Beshi Ho To Uska Hisab Karne Ke Waqt Zaroor Dhyan Rakhkhe..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️11 May 2021, 28 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Sadqa E Fitr Ke Liye Maal Par Ek Saal Guzarna Zaroori He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

السلام علیکم و رحمة الله و بركاته

Kiya Sadqae Fiter Ke Wojoob Ke Liye Sahibe Nisaab Ke Maal Ko Hawlane Hawl Ek Saal Tak Rahena Zaroori,


Baray Karam Rahnumai Fermaen.


*🌹JAWAB:-🌹*

وعلیکم السلام ورحمۃ اللہ وبرکاتہ

Hawlan E Hawl Yani Saal Guzarna To Dur Ki Baat He, Agar Subh Sadiq Tulu'a Hone Se Qabl Faqeer Tha Aur Tulu'a Sadiq Ke Waqt Maaldaar Ho Gaya To Sadqa E Fitr Wajib Ho Gaya..


Bahare Shariyat Me He,

Eid Ke Din Subah Sadiq Tulu'a Hote Hi Sadqa E Fitr Wajib Hota He. Lihaza Jo Shakhs Subah Hone Se Pahle Mar Gaya Ya Gani Tha Faqeer Ho Gaya Ya Subah Tulu'a Hone Ke Baad Kafir Musalman Huva Ya Bachcha Paida Huva Ya Faqeer Tha Gani Ho Gaya To Wajib Na Huva Or Agar Subah Tulu'a Hone Ke Baad Mara Ya Subah Tulu'a Hone Se Pahle Kafir Musalman Huva Ya Bachcha Paida Huva Ya Faqeer Tha Gani Ho Gaya To Wajib He.

*📚(Bahare Shariat Hissa-5, Sadqa E Fitr Ka Bayan, Mas'ala-3)*

Wallahu Ta'ala Aa'alam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️11 May 2021, 28 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Zakat Or Fitra Me Kya Farq He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat
Mujhse Kisi Ne Pucha Zakat Or Fitra Or Sadka Mai Kiya Farq Hota Hai ?
Aap Thodi Tafsil Se Bayan Karde,
Rehnumayi Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Zakat Aur Sadqa E Fitr Ya Fitra Me Kuch Farq He.

Zakat: Jo Shakhs Malike Nisab Ho Yani Sadhe Saat Tola Sona Ya Sadhe Bawan Tola Chandi Ya Usme Se Kisi Ke Barabar Raqam Ho Ya Tijarat Ka Maal Itna Ho Jo Nisab Tak Phunchta Ho, To Zakat Ayse Maal Par Farz He. 

Magar Zakat Ke Liye Sharaait He, Maal Ka Nami Hona, Nisab Tak Phunchna, Qabza Me Hona, Hajate Asliyya Se Zaaid Hona Isi Tarh Us Par Ek Saal Ka Guzrna.
 Isi Tarh Jis Par Zakat He Uske Liye Bhi Kuch Shart He Jese Aaqil, Balig, Musalman Hona.

Aur Sadqa E Fitr Ya Fitra Ke Liye Aqil, Balig Hona Isi Tarah Maal Ka Naami Hona Shart Nahi. Saal Ka Guzarna  Shart Nahi.

Bahar E Shariat Me He,
Sadqa E Fitr Har Musalman Aazad Malike Nisab Par Jis Ki Nisab Hajate Asliya Se Farig Ho Wajib He. Isme Aaqil Balig Or Maal Naami Hone Ki Shart Nahi.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Sadqa E Fitr Ka Bayan, Mas'ala-4)*

Sadqa E Fitr Ada Karne Ke Liye Maal Ka Baaqi Rahna Bhi Shart Nahi, Maal Halak Hone Ke Baad Bhi Sadqa Wajib Rahega Saqit Na Hoga. Bakhilaf Zakat W Ushr Ke Ye Dono Maal Halak Ho Jane Se Saqit Ho Jate Hai.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Sadqa E Fitr Ka Bayan, Mas'ala-6)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*
*🗓️11 May 2021, 28 Ramzanul Mubarak 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

2 Bhai 3 Bahne Ho To Tarqa Kis Tarah Taqsim Kare ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم و رحمة الله و بركاته
Ek Aurat Ka Inteqal Howa
Uske 2 Bhai
3 Behene Hai,
Aur Koi Nahi,
Terka Kaise Taqseem Hoga
Baray Karam Rahnumai Fermaen

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Bar Sidqe Mustafti Baad Ada E Duyun
 ِلذَّكَرِ مِثْلُ حَظِّ الأُنثَيَيْنِ 
Ke Mutabiq Puri Varasat Saat (7) Hisso Me Taqsim Hogi. Jisme Se Ek Ek Hissa Bahen Ka Total 3 Aur Do Do Hisse Bhai Ke Total 4. Is Tarah Puri Jaidad Taqsim Hogi.
واللہ تعالی اعلم بالصواب
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️11 May 2021, 28 Ramzanul Mubarak 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Zakat Maal Ke Ek Saal Guzarne Par He ??

 *🌹SAWAL:-🌹*

Zakat Ki Rakam Ko 1 Year Pura Hona Chahiye  Ya Nahi ?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Koi Pehle Se Hi Nisab Ka Malik Nahi He, Abhi Malik Hua To Jo Maal Uski Hajat E Asliyya Ke Alawa Bacha Hua He Us Par Zakat Farz Hone Ke Liye Hawlan E Howl Yaani Ek Saal Ka Mukammal Guzarna Shart He, Us Se Qabl Us Maal Par Zakat Farz Na Hogi. Aur Agar Pehle Se Hi Malik He To Jitna Maal Darmiyan Me Aata Jaayega Usi Me Add Ho Jaayega Aur Pure Par Zakat Farz Hogi.

*📚(Hawala: Bahar E Shariat, Hissa-5, Zakat Ka Bayan)*

Wallahu Ta'ala Aa'alam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️11 May 2021, 28 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Sadqa E Fitr Kab Wajib Hota He ? Or Ramzan Me Sadqa E Fitr Ada Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Sadqa E Fitr Kab Wajib Hota Hai.. ?

Ramzan Ka Chand Dikhne Ke Baad Ya Eid Ka Chand Dikhne Ke Baad ?

Agar Eid Ka Chand Dikhne Ke Baad Wajib Hota Hai To Fir Jo Log Ramzan Hi Main Sadq E Fitr Dete Hai Unke Liye Kya Huqm Hai...? Kya Sadqa E Fitr Wajib Hone Se Pahele De Sakte Hain... ?

*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Sadqa E Fitr Ka Wujub Na Hi  Ramzan Ka Chand Nazar Aane Par Hota He Aur Na Hi Shawwal Yaani Eid Ul Fitr Ka Chand Nazar Aane Ke Baad Hota He, Balki Eid Ke Din Subah Sadiq Tulu'a Hote Hi Sadqa E Fitr Wajib Hota He..


*📚Bahar E Shariat Hissa-5, Sadqa E Fitra Ka Bayan, Mas'ala-3  Me He,*

Eid Ke Din Subah Sadiq Tulu'a Hote Hi Sadqa E Fitr Wajib Hota He.


Jis Tarh Zakat Advance Me Nikal Sakte He Isi Tarah Sadqa E Fitr Yani Fitra Ko Bhi Eid Se Pahle Yaani Ramzan Ke Mahine Me Hi Ada Karna Chahe To Kar Sakte He. Magar Eid Ki Namaz Se Pehle Ada Karna Afzal He. Aur Baad Me Ada Kiya Tab Bhi Ada Hi Hoga Qaza Nahi Hoga.

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,

Fitra Ka Muqddam Karna Mutlaqan Jaaiz He Jabki Vo Shakhs Maujud Ho, Jis Ki Taraf Se Ada Karta Ho Agar Ramzan Se Peshtar Ada Karde Or Agar Fitra Ada Karte Waqt Malike Nisab Na Tha Phir Ho Gaya To Fitra Sahih He Or Bahetar Ye He Ki Eid Ki Subah Sadiq Hone Ke Baad Or Eidgaah Jane Se Pahle Ada Kare.

*📚(Bahare Shariyat, H-5, Sadqa E Fitra Ka Bayan, Mas'ala-32)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab 

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️11 May 2021, 28 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Tijarat Ke Maal Par Zakat Kharid Qeemat Par Ada Kare Ya Bechne Ki Qeemat Par ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Tijarat Ke Maal Ki Zakat Ka Andaz Konse Rate Ke Hisab Se Lagayege ?


Hamne Jo Ret Me Kharide Wo Wali Ya Jo Ret Me Bechege Wo Wali ?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Bazar Se Jis Qeemat Me Maal Kharidega Us Qeemat Ke Hisab Se Kul Raqam Jod Kar Usse Zakat Nikalega. Bechne Par To Aadmi Chahe Utne Par Bech Sakta He Uska Aitebar Nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*🎙️Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*

*_📬Markazul Uloomil Islamiyah Al-Madrasatul Alwiyyah, Petlad_*

*🗓️10 May 2021, 27 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Maloom Na Ho Ki Samne Wala Zakat Ka Mustahiq He Ki Nahi Use Zakat Dena Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat MERI Khala Garib Hai Apni Beti Ki Shadi Karna Chahti Hai Unhone Mujhse Zakat Fitra Ki Raqam Mangi Hai Mujhe Iska Ilm Nahi Ke Wo Zakaat Ki Mustahiq Hai Ya Nahi To Kya Unhe De Sakte Hai.

Rehnumai Farmaea


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Aapki Khala Ka Zahiri Haal Garibo Faqeer Jesa He Or Aap Taharri Kare Soche Goro Fiqr Kare Ki Haañ Ye Sahibe Nisab Nahiñ Honge Ye Faqeer He Jin Ko Zakat Di Ja Sakti He To Ye Taharri Karke Ki Haañ Ye Garib Hi He Ya Faqeer Hi He Uske Baad Aap Zakat De, Khuda-na-khwasta Agar Vo Mustahiqe Zakat Nahi Bhi Hoñge Tab Bhi Shar'an Aapki Zakat Ada Ho Jayegi.


Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,

Jisne Taharri Ki Yaani Socha Or Dilme Ye Baat Jami Ki Isko Zakat De Sakte Hai Or Zakat Dedi Baad Me Zahir Huva Ki Vo Masroofe Zakat He Ya Kuchh Haal Na Khula To Ada Ho Gai Or Baad Me Maloom Huva Ki Vo Gani Tha Uske Walidain Me Koi Tha Ya Apni Awlad Thi Ya Shohar Tha Ya Zaujah Thi Ya Hashmi Ya Hashmi Ka Gulam Tha Ya Zimmi Tha, Jab Bhi Ada Ho Gai Or Agar Ye Maloom Huva Ki Uska Gulam Tha Ya Harbi Tha To Ada Na Hui. Ab Phir De Or Ye Bhi Taharri Hi Ke Huk Me He Ki Usne Sawal Kiya, Usne Use Gani Na Jaan Kar De Diya Ya Vo Faqeeroñ Ki Jama'at Me Unhiñ Ki Waz'a Me Tha Use De Diya.

*📚(Bahare Shariyat, H-5, Maale Zakat Kin Logoñ Par Sarf Kiya Jaye, Mas'ala-47)*


Agar Be Soche Samjhe Dedi Yaani Ye Khayal Bhi Na Aaya Ki Use De Sakte Hai Ya Nahi Or Baad Me Maloom Huva Ki Use Nahi De Sakte The To Ada Na Hui, Warna Ho Gai. Or Agar Dete Waqt Shak Tha Or Taharri Na Ki Ya Ki Magar Kisi Taraf Dil Na Jama Ya Taharri Ki Or Galib Guman Ye Huva Ki Ye Zakat Ka Masraf Nahi Or De Diya To In Sab Soortoñ Me Ada Na Hui Magar Jabke Dene Ke Baad Ye Zahir Huva Ki Waqaee Vo Masroofe Zakat Tha To Ho Gai.

*📚(Bahare Shariyat, H-5, Maale Zakat Kin Logoñ Par Sarf Kiya Jaye, Mas'ala-48)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️10 May 2021, 27 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Zawal Ka Waqt Kab Se Kab Tak Rahta He ? Usme Namaz Padhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum.. Hazart

Zawal Ka Time Kab Se Kab Tak Rahta Hai Hazart..?


Aur Zawal Ka Time Kitna Der Tak Rahta Hai Hazart...?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Zawal Ka Waqt Use Kahte He Ki Mumaneat Ka Waqt Khatm Hota He Yaani Makrooh Waqt Khatm Hua Or Jawaz Ka Waqt Shuru Hua. Awam Me Ye Mash'hoor Ki Vo Zawal Ke Waqt Ko Makrooh Waqt Samajhte Halañki Aysa Nahi He, Duphar Me Jo Makrooh Waqt Hota He Use Zahwe Kubra Ya Nisfunnahare Sharai Kahte He. Is Waqt Ke Andar Namaz Padhni Makrooh Or Tilawat Karna Mana'a He. Or Ye Waqt Ke Khatam Hote Hi Zawal Ka Waqt Shuru Hota He, Or Jaise Hi Zawal Shuru Ho Jaye Ab Zawal Ke Waqt Me Ibadat Karne Ki Ijazat He.


Makrooh Waqt Kitna Hota He Isko Samjhne Ke Liye Aasan Misal Samjhye Ki Din Ki Do Qism Hoti He Ek Hota He Sharai Din Or Ek Hota He Urfi Din, To Sharai Din Ki Shuruaat Jab Shahri Ka Waqt Khatm Hota He Tabse Hoti He. Or Sooraj Dubne Tak Ye Waqt Rahta He. Or Urfi Din Sooraj Nikalne Se Sooraj Dubne Tak Rahta He.

Dono Ka Khatm Sooraj Dubne Par Hi Hota He Lekin Shuruaat Ka Waqt Alag Alag He.


Yaad Rakhe Hamesha Saheri Or Sooraj Nikalne Ka Waqt Ek Nahi Rahta Vo Mausam Or Jagah Ke Aitbar Se Tabdil Hota He. Isko Janne Ke Liye Kai Jagah Par Takweem Hoti He Use Dekh Kar Aap Pata Kar Sakte He. 


Aasani Se Samjhne Ke Liye Ek Misal Ke Taur Par Sharai Din Ki Shuruaat Yaani Khatme Saheri Ya Subhe Sadiq Ka Waqt 5 Baje He. Or Sooraj Dubne Ka Waqt 7 Baje He. Yaani Kul 14 Ghante Ka Din Hua. Ab Iska Aadha Kare. To Aadha Hua 7 To Ab Ye Ghante Kab Khatm Hoge To Ye 5+7= 12 Baje Duphar Ko. (Ye Nisfunnahare Sharai Ka Waqt Hua)


Isi Tarah Maan Lijye Urfi Din (Yaani Nisfunnahare Urfi Ya Tulu E Aaftab) Ki Shuruaat Yaani Sooraj Nikalne Ka Waqt 6:20 Baje He Or Sooraj Dubne Ka Waqt 7 Baje To Kul Waqt 12:40 Ghante Huve. Ab Iska Aadha Kare To 6:20 Gante Huve. Ab Shuru Waqt (Suraj Nikalne Ke Waqt) Me Ye Waqt Milayege. Yaani 6:20+6:20 =12:40 Baje (Ye Nisfunnahare Urfi Ka Waqt Hua). 


Jahañ Se Sharai Din Ka Aadha Hua Yaani 12 Baje Or Jahañ Urfi Din Ka Aadha Hua Yaani 12:40 Minutes In Dono Ke Bich Ke Waqt Ko Makrooh Waqt Kahte He Yaani Dono Ke Bich Jo 40 Minutes Ka Waqt He Vo Waqte Makrooh He. Jab Ye Waqt Khatm Ho Jaye To Zawal Ka Waqt Shuru Hota He Or Ibadat Ka Waqt Shuru Hota He. Lihaza Zawal Ke Waqt Ko Waqte Makrooh Kahna Durust Nahi.


Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Zawal To Suraj Dhalne Ko Kahte He, Ye Vo Waqt He Ki Mumaneat Ka Waqt Nikal Gaya Or Jawaz Ka Waqt Aa Gaya, To Waqte Mumaneat Ko Zawal Kahna Sareeh Musamahat He.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-5, S-126, Mas'ala-270)*


Nisfunnahare Sharai Ko Zahwe Kubra Bhi Kahte He, Or Nisfunnahare Urfi Ko Istawa E Haqiqi Bhi Kahte He. In Dono Ke Bich Ka Jise Makrooh Waqt Kahte He Vo Kam Se Kam 39 Minutes Or Zyada Se Zyada 47 Minutes Hota He.


Jaisa Ki Fatawa Razviya Me He,

Zahwe Kubra Se Kar Nisfunnahare Tak Namaz Makrooh He, Ye Waqt Hamare Bilad Me (Shahro Me) Kam Se Kam 39 Yor Zyada Se Zyada 47 Minutes Hota He. 

*📚(Fatawa Razviya, J-2, S-345)*

Mazeed Jaankari Ke Liye *📚(Momin Ki Namaz, Namaze Zuhar Ka Bayan)* Me Dekhe...

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️10 May 2021, 27 Ramzanul Mubarak 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Khula'a Me Iddat Ka Kharcha Or iddat Me Dusra Nikah Karna Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuh


Agar Biwi Ne Khula Liya Ho To Use Iddat Ke Din Guzarna Zaroori Hay Kya???


Agar Douran E Iddat Use Dusre Nikah Ka Rishta Aaye To Kya Wo Iddat Ke Din Chod Kar Nikah Dusra Nikah Kar Sakti Hay???


Agar Ladki Ke Paas Khula Ke Baad Akhrajat Ke Liye Paisa Aur Makaan Na Ho To Wo Pehle Shohar Se Paisa Le Sakti Hay Kya???


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Khula'a Dar Haqiqat Maal Ke Badle Aurat Ka Apne Ko Chhudana He. Aur Is Me Talaqe Baain Waqe'a Hogi. Aur Jo Maal Aurat Ne Dene Ko Kaha Tha Wo Dena Lazim Hoga. 


Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,

Maal Ke Badle Me Nikah Zaail Karne Ko Khula'a Kahte Hai Aurat Ka Qabool Karna Shart He Bagair Iske Qabool Kiye Khula'a Nahi Ho Sakta Or Jskw Alfaaz Muayyan Hai Unke Alawa Or Lafzoñ Se Na Hoga.

Agar Zauj W Zaujah Me Na Ittefaqi Rahti Ho Or Ye Andesha Ho Ki Ahkame Sharaiyah Ki Pabandi Na Kar Sakeñge To Khula'a Me Mazaaiqah Nahiñ Or Jab Khula'a Karleñ To Talaqe Baain Waqe'a Ho Jayegi Or Jo Maal Thahra He Aurat Par Uska Dena Lazim He.

*📚(Bahare Shariyat, H-8, Khula'a Ka Bayan, Mas'ala-1,2)*


Jab Tak Iddat Na Guzre Dusra Nikah Nahi Kar Sakti.


Khula'a Karane Ke Sabab, Nikah Ki Wajah Se Jitne Huqooq Ek Dusre Par The Sab Saqit Ho Jate He Aur Jo Huqooq  Nikah Ke Alawa He Wo Saqit Na Honge. Iddat Ka Kharcha AgarChe Ye Nikah Ke Huqooq Se He Magar Ye Khula'a Karane Ki Wajah Se Saqit Na Hoga, Yani Wo Khula'a Karane K Baad Bhi Iddat Ka Kharch Le Sakti He, Albatta Usne Ye Shart Laga Di Ke Iddat Ka Kharch Wagairah Bhi Nahi Lungi To Ab Saqit Ho Jaaega.

Aysa Hi *📚(Bahare Shariyat, H-8, Khula'a Ka Bayan, Mas'ala-11)* Me He..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️9 May 2021, 26 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jis Shadi Me Wahabi Ko Dawat Di Ho Usme Jana Kesa Or Koi Imam Jaye To Kya Hukm He?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Zaid Ki Sadi Me Wahabi Ko Dawat Di Gaye Thi  Or Wahabi Aaya Bhi 

IMAM Shab Ko Is Bat Ka Ilm Tha Ke Wahabi Aaya Hai Or Niikha Phadane Ke Bad IMAM Shab Ne Khana Kha Liya Us IMAM Shab Ke Peche Namaz Phadna Kaisa ???

2)aise Shadi Me Jana Or Khana Khana Kaisa Jis Me Wahabi Ko Dawat Di Jaiye (dhule Ya Dulhan) Ki Traf Se ????


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Jis Shadi Wagairah Me Wahabi Ki Shirkat Ho Usme Jana Jaaiz Nahi, Jo Log Wahabiyoñ Ko Apni Taqreeb Me Shareek Kare Unka Boycott Kiya Jaye, Unke Yahañ Kisi Taqreeb Me Shirkat Na Ki Jaye, Or Khas Aalim Ya Muqtada Ko Aysi Dawat Me Jane Par Or Bhi Sakht Hukm He, Kyuñ Ki Use Dekh Ke Awam Bhi Gumrah Hogi. Soorate Mas'ula Me Jin Imam Sahab Ke Bare Me Puchha Gaya Pahle To Unse Is Baat Ki Wazahat Talab Ki Jaye.. Or Agar Imam Sahab Ko Pahle Se Maloom Tha Ki Us Nikah Me Wahabiyoñ Ki Shirkat Hogi To Unka Jana Hi Jaaiz Nahi. Or Agar Baad Me Maloom Hua To Agar Isteta'at Rakhte Ho To Wahabiyoñ Ki Shirkat Se Inkar Kare, Or Agar Isteta'at Na Ho Or Khas Usi Mahefil Me Jahañ Imam Sahab He Vahañ BadMazhab Ho To Uth Kar Dusri Jagah Chala Jaye. Or Imam Sahab Ne BadMazhab Se Door Rahkar Dawat Khai To Is Soorat Me Imam Sahab Par Koi Sakht Hukm Na Hoga, Bawajood Iske Agar Imam Ne  Jaanbujh Kar Jahañ Wahabi He Khas Usi Mahefil Me Shirkat Ki To Ye Najaaizo Haram Kaam Kiya, Un Par Taubah Laazim He. Awlan To Imam Sahab Se Hi Iski Wazahat Talab Ki Jaye.. 


Jaisa Ki Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahma Farmate Hai,

Jabki Ilm Ke He Ki BadMazhab Aayeñge Or BadMazhaboñ Ki Shirkat Hogi Agar Pahle Se Ilm He To Jana Hi Jaaiz Nahi He Or Agar Jaane Ke Baad Ilm Hua To Agar Khas Usi Jagah Par Jahañ Ye Betha He Wahañ Kisi BadMazhab Ke Shirkat He To Usko Wahañ Se Uth Karke Yahañ Aana Zaroori He Or Agar Taqat Rakhta He To Us Par Inkar Kare, Or Khusoosan Jabki Vo Muqtada Ho To Usko Wahañ Bethna Jaaiz Nahi He, Is Liye Ki Vo Muqtada He Or Uska Fe'al Jo He Muta'addi He Agar Vo Isme Kuchh Narmi Bartega To Usse Dusroñ Ke Amal Par Or Unke Aiteqad Par Harf Aa Sakta He.

Http://jamiaturraza.com/session/21May10/10.mp3


Or Farmate Hai,

Har Us Mahfil Me Jana Shar'an Najaaizo Haram He Jisme BadMazhab Mad'aoo Hoñ. 

*📚(Fatawa Tajushshariya, J-2, S-218)*


Or Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,

Deobandi Wahabi Zarooriyate Deen Ke Munkir Hai Or Zarooriyate Deen Ka Munkir Kafir He.

لاخلاف فی کفر المخالف فی ضروریات الاسلام وان کان من اھل القلبة المواظب طول عمرہ علی الطاعات کما فی شرح التحریر

*📚(Raddul Muhtar, J-1, S-561)*

Unheñ Shadi Wagairah Me Da'awat Dena Najaaiz W Gunah He.


Mujaddide Aazam Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Fazile Barailvy Radiallahu Anhu Taherir Famate Hai,

Wahabiya, Gair Muqallideen Or Deobandi Wagairahum  Sab Kuffaro Murtadeen Hai Unke Paas Nashisto Barkhast Haram He Or Unse Mel Jol Haram He.

*📚(Fatawa Razviya, J-9 Nisf Aakhir, S-311)*


Lihaza Jin Logoñ Ne Aysi Baraat Me Shirkat Ki Jis Me Deobandi Shareek The, Randiyañ Nachne Ke Liye Aayeñ Or Dusre Khurafat Huve. Vo Sab Fasiqo Fajir, Gunahgar, Mustahiqe Azabe Naar Hai, Khwañ Vo Shirkat Karne Wale Aalim Hoñ Ya Jahil. Aalim Hoñ To Unpar Hukm Or Sakht Hota He Ki Unko Dekh Kar Dusre Log Bhi Gumrah Hoñge Ayse Logoñ Ka Boycott Kar Diya Jaye.

*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-2, S-390)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓8 May 2021, 25 Ramzanul Mubarak 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Zakat Ka Naam Liye Bagair Rishtedar Ko Zakar Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum Hazrat

Agar Koi Rishtedar Garib Hai Or Uske Husband Ki Bhi Tabiyat Thik Nhi Hai, To Kiya Unko Zakat Or Fitra Ki Rakam Unko Bina Bataye De Sakte Hai, Kyuke Agar Unko Bataya Gaya To Unko Sharmingi Mehsus Ho Ya Fir Wo Na Le, To Kiya Iss Surat Mai Dil Mai Irada Karke Unko Zakat Or Fitra Ada Kar Sakte Hai,. Kiya Isse Zakat Or Fitra Ada Ho Jayaga.,

Note: Unko Sirf Ye Kehkar Paise Diye Hai Ke Apke Bhai Ne Bhijwaya Hai..

Rehnumayi Farmaye


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Rishtedar Agar Mustahiqe Zakat He To Pahle Unko Zakat Dena Afzal He, Or Zakat Ke Liye Kah Kar Dena Zaroori Nahi Ki Ye Zakat He, Niyat Kaafi He, Balki Tohfa Ke Taur Par Ya Eidi Taur Par Bhi De Sakte He.


Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,

Zakat Dene Me Iski Zaroorat Nahi Ki Faqeer Ko Zakat Kah Kar De, Balki Sirf Niyyate Zakat Kaafi He Yahañ Tak Ki Agar Hiba Ya Qarz Kah Karde Or Niyyat Zakat Ki Ho Ada Ho Gai. Yuñhi Nazr Ya Hadiya Ya Paan Khane Ya Bachchoñ Ke Mithai Khane Ya Eidi Ke Naam Se Di Ada Ho Gai. Ba'az Mohtaj Zaroorat Mand Zakat Ka Rupya Nahi Lena Chahte, Unheñ Zakat Kah Kar Diya Jayega To Nahi Leñ Ge Lihaza Zakat Ka Lafz Na Kahe.

*📚(Bahare Shariyat, H-5, Zakat Ka Bayan, Mas'ala-76)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓8 May 2021, 25 Ramzanul Mubarak 1442

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Tarawih Me Dusri Raka'at Me Betha Nahi Or Tisri Ke Liye Khada Ho Gaya To Kya Hukm He

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum Hazrat Tarawih Ki Dusri Rakat Me Bethna Bhul Gaya Or Tisri Rakat Ke Liye Khada Ho Gaya To Kya Hukm He ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Tarawih Ki Namaz Me 2 Raka'at Par Bethna Bhul Gaya Or Tisri Raka'at Ke Liye Sidha Khada Ho Gaya To Yaad Aate Hi Qaaidah Ki Taraf Lot Aaye Or Attahiyat Padh Kar Sajda E Sahw Kare Phir Attahiyat Padh Kar Salam Phere, Or Agar Lota Nahi Balki Tisri Raka'at Padh Kar Qaaidah Me Betha Or Attahiyat Padh Kar Sajda E Sahw Kiya To As'ha (Sahih Tareen) Mazhab Par Namaz Na Hui, Us Namaz Ko Dobara Padhe, Or Jitna Qura'an In Teenoñ Raka'atoñ Me Padha He Usko Dohraye.

*📚(Fatawa Razviya, J-3, S-653)*

*📚(Masaile Sajda E Sahw, S-100)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️7 May 2021, 24 Ramzanul Mubarak 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jumuatul Wada'a Ki Sharai Hesiyat ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Jumatul Wida'a Ki Kya Sharai Haisiyat He ? Kuchh Log Kahte He Isse Door Rahna Chahiye Iski Shariyat Me Koi Hesiyat Nahi Ye Bid'at He? Or Jumatul Wida'a Ke Khutbe Me Alwida'a Ay Maahe Ramzan Wagairah Padhna Kesa ? Rahenumai Farmaye


*🌹JAWAB:-🌹*

Jumua Tul Wida'a Ramzan Mahina Ke Aakhri Jumuah Ko Kahte Iski Fazilat Aysi Hi  He Jaise Ramzan Ke Dusre Jumuah Ke Din He, Is Din Ki Koi Alag Se Fazilat Ya Martaba Nahi Aai He. Or Alwida'a Iska Naam Is Liye Padh Gaya Ki Rukhsat Ka Muaamla He. Isme Koi Harj Nahi Ki Isko Jumuatul Wida'a Kahe. Lekin Iski Koi Alag Fazilat Ya Martaba Ya Ahemiyat Samjhna Be Ilmi He.


Ham Ahle Sunnat Jumua Tul Wada Ko Yaani Ramzan Ke Aakhri Jumuah Ke Khutbe Me "Alwida'a Ay Sharur Ramzan" Wagairah Alfaz Istemao Karne Ko Farz, Wajib Ya Sunnat Nahi Mante Magar Ye Mubah He Aur Har Mubah Niyyat E Hasan Se Mustahab Ho Jata He, Lihaza Isko Bida'at E Sayyiah Kehna Wahabiyo Ka Tariqa He, Hamara Nahi.


Hadees Sharif Me He,

انما الاعمال بالنيات

Beshak Aamal Ka Madar Niyyato Par He. Niyyat Hasan He Aur Wo Kaam Islam Ke Muzahim Nahi To Wo Apni Zaat Me Accha He, Aur Mustahab Ke Darje Me He,

Al Batta Isko Farz O Wajib Ya Sunnat Samjh Kar Amal Karna Bilkul Galat He. Ye Mubah He Aur Niyyat E Hasan Ke Sabab Mustahab.


Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,


Alwida'a Jis Tarah Raaij He Huzure Aqdas ﷺ Se Sabit Nahi. Na Sahaba E Kiram W Mujtahideene Izaam Radiallahu Anhum Se Na Iska Maujud Ma'aloom. Vo Apni Had Zaat Me Mubah He Har Mubah Niyyate Hasan Se Mustahab Ho Jata He Or Aurooz W Awaariz Khilaf Se Makrooh Se Haram Tak.


Jumuah Ke Liye Khutba Shart He Khas Khutbatul Wida'a Koi Cheez Nahi Unke Tark Se Namaz Par Kuchh Asar Nahi Pad Sakta Iske Tark Me Kuchh Khalal Nahi, Na Taarik Par Na Zajroo Malamat Rawa Jabki Tark Bar Bina E Wahabiyat Na Ho, Haañ Agar Wahabiyat He To Wahabi Ke Pichhe Namaz Beshal Najaaiz Mahaz Batil Or Vo Zajro Malamat Se Bhi Sakht Tarka Mustahiq He.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-8, S-448, Mas'ala-1372-1376)*


Or Farmate Hai,

Alwida'a Ke Raaij He Na Koi Sharai Hukm He Na Usse Mana'a E Sharai, Haañ Aulma Iska Iltezam Na Kareñ, Kabhi Tark Bhi Kareñ Ki Awam Wajib Na Samajhne Lage Or Sachchi Alwida'a Qalb Se He Ki Ramzan Shareef Ke Aane Se Khush Ho Or Jane Se Gamgin, Or Ye Halat Ho Ki Aana Baar Tha Or Jane Ke Liye Ghariyañ Gineñ To Vo Jhuthi Alwida'a He.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-8, S-450, Mas'ala-1381)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️7 May 2021, 24 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Dudh Bakhshwana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Dhoodh Baksh Wane Ke Sharai Hukm Kya Hai.


REHNUMAI FARMAEA


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Dudh Bakhshwana Shar'an Be Asl Cheez He Iski Qataee Koi Hajat Nahi Ki Maañ Par Ye Bachche Ka Haq He Ki Vo Bachche Ko Dudh Pilaye To Maañ Ne Apna Haq Ada Kiya Na Ke Bachche Ke Zimme Qarz Ka Bujh Lada He.


Haañ Maañ Ke Ahsanaat Awlad Par Kaseer Hai Unse Awlad Maañ Ki Bahut Kuchh Khidmat Karke Bhi Sabakdosh Nahi Ho Sakti.


Balki Walidain Ki Ita'at Or Unke Sath Husne Sulook Ta Umr Har Shakhs Par Lazim He, Jahañ Tak Ho Sake Har Shakhs Apne Walidain Ki Khushnoodi Hasil Kare, Is Liye Ki Rab Ki Raza Walidain Ki Raza Me He.


Hadees Shareef Me He,

رضا الرب فی رضا الوالدین

*📚(At-Targeeb WatTarheeb, J-3, S-221)*

Yaani Rab Ki Raza Walidain Ki Raza Me He.

*📚(Markaze Tarbiyat Ifta, J-2, S-396)*


Isi Tarah Ziya E Shariyat Me He,


Huzur Bahrul Uloom Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

Shariyat Me Dudh Pilane Wali Ka Dudh Pine Wale Par Koi Mutalba Nahi Is Liye Dudh Bakhshwana Koi Sharai Hukm Nahi Iske Alawa Bhi Awlad Par Maañ Ke Be Shumar Huqooq Hai Inteqal Ke Baad Huqooq Ki Adayegi Ki Yahi Soorat He Ki Unke Haq Me Dua E Khair Or Unke Liye Isale Sawab Kare.

*📚(Fatawa Bahrul Uloom, J-2, S-79)*


Or Maañ Ke Dudh Bakhshwane Ko Zaroori Samjhna Jahilana Khayal He Kyuñ Ki Apne Bachchoñ Ko Dudh Pilana Maañ Ka Haq He To Maayeñ Dudh Pila Kar Apna Haq Ada Karti Hai Na Ye Ki Bachchoñ Par Qarz Ka Bojh Dalti He.


Albatta Bachcho Par Ye Unka Ahsan He Ki Jis Ki Wajah Se Allah Ne Unka Martaba Bahut Uncha Kar Diya He, Or Awlad Ko Bhi Husne Sulook Ka Hukm Diya He.

*📚(Mahnama Kanzul Iman Dehli, Safha-18, March-2015)*

*📚(Ba-Hawala: Ziya E Shariyat, J-1, S-199)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓6 May 2021, 23 Ramzanul Mubarak 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Masjid Me Heela e Sharai Ke Baad Zakat Istemal Karna Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalam Alaikum, Hazrat Sawal Hai,  Zakat Ki Rakam Ko Hila Sharayi Karana Kaisa Masjid Ke Liye ??


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Zakat Ki Raqam Masjid Me Lagana Shar'an Jaaiz Nahi. Magar Majboori Ki Soorat Me Baade Heela E Sharai Ke Masjid Me Lagaai Ja Sakti He.


Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Taherir Famate Hai,


Zakat Ki Raqam Heela E Sharai Se Masjid Me Lagaai Ja Sakti He.


Jaisa Ki Huzur Saiyeduna Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Fazile Barailvy Alaihir Rahma Durre Mukhtar Ke Hawale Se Taherir Famate Hai,

وحیلۃ التکفین بھا التصدق علی فقیر ثم ھو یکفن فیکون الثواب بھا وکذا فی تعمیر المسجد ۔

*📚(Fatawa Razviya, J-4, S-469)*


Or Khud Saiyeduna Aala Hazrat Muhaddise Barailvy Radiallahu Anhu Taherir Fatmate Hai, 

Agar Muzaki Ne Zare Zakat Use (Masroofe Zakat) Diya Or Mazoone Mutlaq Kiya Ki Isse Jis Taur Par Chaho Meri Zakat Ada Karo Usne Khud Ba Niyyate Zakat Le Liya Uske Baad Masjid Me Laga Diya To Ye Bhi Sahih W Jaaiz He.

*📚(Fatawa Razviya, J-4, S-475)*


Pas Ma'aloom Huva Ki Heela E Sharai Ke Zariya Zakat Ki Raqam Masjid Me Lagana Jaaiz He Lekin Jahañ Log Masjid Dusri Raqamoñ Se Bana Sakte Hoñ Vo Aaj Ke Murawajjeh Heela E Sharai Zakat Ki Raqam Masjid Me Na Lagayeñ Sirf Majboori Ki Soorat Me Lagayeñ Taaki Gurba'a W Masaakeen Wagairah Jo Uske Asl Masaarif Me Hai Or Zaroorat Mand Madaarise Arbiyah Ki Haq Talfee Na Ho.

*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-325)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*6 May 2021, 23 Ramzanul Mubarak 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Raat Ko Hambistari Ki Or Bagair Gusl Ke Saheri Karli To Roze Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*

Masla Pesh Khidmat Hai Jawab Inayat Farmayen Nawazish Hogi

 Zaid Apni Bivi Ke Sath Raat Me Hambistar Huwa Subah Aakhir Waqt Me Jagaa To Pahle Sehri Kiya Fir Gusl Karne Baitha Gusl Shuru Hi Kiya Tha Ki Aazan Hone Lagi. To Kiya Uska Roza  Mana Gaya Ya Nahi


*🌹JAWAB:-🌹*

Uska Roza Ho Gaya Janabat Ki Wajah Se Roze Par Kuchh Asar Nahi Padega, Kyuñ Ki Vo Raat Me Hambistar Hua Tha Na Ki Subah Sadiq Ke Waqt Ya Baad Me, Lihaza Uska Roza Ho Jayega.


Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,

Janabat Ki Halat Me Subah Ki Balki Agarche Saare Din Junub Raha Roza Na Gaya Magar Itni Der Tak Qasdan Gusl Na Karna Ki Namaz Qaza Ho Jaye Gunah W Haram He. Hadees Me Farmaya: Ki Junub Jis Ghar Me Hota He, Us Me Rahmat Ke Farishte Nahiñ Aate.

*📚(Bahare Shariyat, H-5, Un Cheezoñ Ka Bahan Jinse Roza Nahi Jata, Mas'ala-15)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️5 May 2021, 22 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aitekaaf Me Mobile Istemal Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum...Hazrat

Sawal-Etekaaf Me (Muattakif)ko Call Pe Baat Karna Kaisa Hai?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Jis Tarah Moatakif Bagair Mobile Ke Majboori Ke Waqt Sirf Zaroorat Ki Jaaiz Gufatagu Masjid Me Kar Sakta He Isi Tarah Mobile Par Bhi Call Ya Massage Ke Zariye Zaroorat Ke Waqt Sirf Jaaiz Gufatagu Kar Sakta He Basharteki Isse Kisi Namazi Ki Namaz Or Digar Ibadat Me Khalal Waqe'a Na Ho Or Naahiñ Ringtone Gaane Baaje Par Mushtamil Ho, Albatta Bahetar Ye He Ki Jab Tak Sakht Majboori Na Ho Mobile Ko Hargiz Istemal Na Kiya Jaye, Kyuñ Ki Jis Tarah Fee Zamana Hamare Yahañ Mo'atakifeen Mobile Istemal Karte Hai Ki Bila Zaroorat Dostoñ Se Or Digar Logoñ Se Gap Shap Ka Silsila Hota He Ye Aitekaaf Ki Roohaniyat Ke Khilaf Bhi He Or Shar'an Iski Ijazat Bhi Nahi Albatta Deeni Kaamoñ Ke Liye Mobile Istemal Karne Me Harj Nahi He.

*📚(Aitekaaf Ke Masail Or Unka Hal, S-21)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓5 May 2021, 22 Ramzanul Mubarak 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Biwi Ke Liye Kharide Kapde Ko Zakat Me Dene Se Ada Hogi Ya Nahi

 *🌹SAWAL:-🌹*

Salam

Hazrat Ek Shakhs Ne Dress Kharidi 2450/- Rs Ki Apni Wife Ke Liye...lekin Uski Wife Ko Pasand Nhi Aayi To Kiya Es Dress Ko Jakat Ki Niyat Se Kisi Ko De Skta H. Or Etne Rs Ki Jakat Ada Ho Jayegi?


*🌹JAWAB:-🌹*

Wa Alaikumus Salaam


Kapda Bhi Maal Hi Hai Jis Tarah Zakat K Paiso K Kapde Ya Khana Kharid Kar Faqeer Ko Malik Bana Dene Se Zakat Ada Ho Jayegi Ayse Hi Is Dress Me Bhi Agar Voh Zakat Ki Niyyat Karle Or Faqeer Ko Malik Bana De To Jitne Me Kharida Hai Utni Qimat Ki Zakat Ada Ho Jayegi.


Aysa Hi Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahma Ek Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai,

Http://jamiaturraza.com/session/18Jan09/15.mp3

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*

*_📬Markazul Uloomil Islamiyah Al-Madrasatul Alwiyyah, Petlad_*

*🗓️4 May 2021, 21 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Chothi Raka'at Me Qaaidah E Aakhira Nahi Kiya Or Panchviñ Ke Liye Khada Ho Gaya To Kya kare ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Imam Sahab Aakhri Raka'at Ka Sajda Karke Bagair Tash'hud Padhe Mukammal Khade Ho Gaye. Fir Luqma Diya Gaya To Beth Gaye Or Aakhir Me Sajda E Sahw Kar Liya.. Kya Ye Namaz Ho Gai ??


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Soorate Mas'ula Me Namaz Sahih Ho Jayegi.


Jaisa Ki Huzur Ashraful Fuqha Alaihir Rahma Fatawa AalamGiri W Bahare Shariyat Ke Hawale Se  Farmate Hai Ki,

Agar Chothi Raka'at Me Qaaidah E Aakhira Nahi Kiya Tha Or Panchvi Ke Liye Khada Ho To Yaad Aate Hi Lot Aaye Or Sajda E Sahw Karke Namaz Puri Kare. Or Agar Palta Nahiñ Or Panchwiñ Ka Sajda Kar Liya To Is Soorat Me Sab Ki Namaz Fasid Ho Gai Agar Kisi Muqtadi Ne Imam Ka Sath Na Diya Or Tash'hud Padh Kar Salam Phera To Uski Namaz Ho Gai.

*📚(Fatawa Aalamgiri, J-1, S-67)*

*📚(Bahare Shariyat, J-3, S-139)*

*📚(Masaile Sajda E Sahw, S-88)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️27 April 2021, 14 Ramzanul Mubarak 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namaz Ke Kitni Baar Khujla Sakte He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Namaz Ke Andar Qayaam Ki Haalat Me Badan Ko Khujlana Kaisa ❓

Yaane Ke Haath Ko Ek Baar Us Jagah Rakhkar, Bina Haath Hataye Kai Baar Khujlana Yaane Kai Baar Harkat Karna Kaisa,---❓

3 Bar Se Ziyaada Khujlana Tw Kya Hukum... ❓

Aur Imam Ke Liye Kya Hukum❓


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Namaz Ke Kisi Rukn Me 3 Baar Is Tarah Khujaya Ki Har Baar Khuja Kar Hath Hata Liya To Namaz Fasid Ho Jayegi. Or Ek Baar Hath Rakh Kar Bagair Hath Uthaye Kai Martaba Harkat Karne Se Ek Hi Baar Khujana Shumar Kiya Jayega. 


Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Ek Rukn Me 3 Baar Khujane Se Namaz Jati Rahti He. Yaani Is Tarah Khujaya Ki Ek Martaba Khuja Kar Hath Hata Liya, Phir Dusri Martaba Khuja Kar Hath Hata Liya, Phir Tisri Martaba Khujaya To Namaz Fasid Ho Jayegi.. Or Agar Sirf Ek Baar Hath Rakh Kar Chand Martaba Harkat Di To Ek Hi Martaba Khujana Kaha Jayega.

*📚(Makhuz: Bahare Shariyat, H-3, S-156)*


Or Fatawa Razviya Me He,

Agar Halate Namaz Me Badan Ke Kisi Maqam Par Khujli Aaye To Bahetar Ye He Ki Zabt Kare Or Agar Zabt Na Ho Sake Or Uske Sabab Namaz Me Dil Pareshan Ho To Khujale Magar Ek Rukn Maslan Qayam Ya Qu'ood Ya Ruku'a Ya Sujood Me 3 Martaba Na Khujave. Sirf Do Martaba Khujane Ki Ijazat He.

*📚(Fatawa Razviya, J-3, S-446)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓3 May 2021, 20 Ramzanul Mubarak 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Rahne Ke Liye Plot Kharida Us Par Zakat Ka Hukm Or Business Ke Liye Godawn Kharida Us Par Zakat ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Asslamualaykum 

Mene Plot Kharida He Apne Liye Makan Banana He To Uspar Zakat Deni Hogi Ya Nahi ?


Mera Business He Abhi Godaon Bhade Pe He 

Muje Godaon Kharidna He Uske Liye Raqam Jama'a Ki He Uspar Zakat Deni Hogi ?


Kuchh Raqam Esi He Jisko 1 Saal Nahi Hova To Vo Kese Hisab Lagay ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

1. Aap K Khareede Huve Plot Par Zakat Nahi Jis Ko Aapne Makan Banane K Liye Kharida Hai. 


2. Godown Wagaira Kisi Bhi Cheez Ko Kharid Ne K Liye Jama'a Kiya Huva Paisa Agar Nisab K Barabar Hai Ya Baaki Cheezo K Sath Mil Kar Nisab K Barabar Hai To Zakat Ki Baqi Sharto K Sath Saal Guzar Gaya To Us Par Zakat Wajib Hai.


Jis Aamdani Par Saal Nahi Guzra , Agr Aap Pehle Se Sahibe Nisab Hai To Darmiyan Saal Me Aap Ko Milne Vali Aamdani Ko Us K Hamjins K Sath Hi Jor Denge Sone Ko Sone K Satha , Rupyo Ko Rupyo K Sath Wagairah Or Pehle Par Sal Ka Guzarna Is Nayi Aamdani K Liye Bhi Saal Guzarna Kehlayega.

و اللہ اعلم

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*

*_📬Markazul Uloomil Islamiyah Al-Madrasatul Alwiyyah, Petlad_*

*🗓️2 May 2021,19 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kafir Ke Maran Bhojan Me Jana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum Hazart 

Kafir Ki Jo Maut Hoti Hay To 13 Din Baad Unke Yaha Se Khana Khilate Hay To Agar Wo Hame Invite Kare To Kya Ye Waha Jana Aur Khana Sahi Hay .??? 


*🌹JAWAB:-🌹*

Kuffaro Mushrikeen Ke Maran Bhojan Me Jana Najaaizo Haram He,


Jaisa Ki Huzur Shareh Bukhari Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Hindu Murde Ke Maran Bhoj Me Shareek Hona Haram He. Balki Munjiru ilal Kufr, Hindu Ye Khana Is Niyyat Se Karte Hai Ki Khane Wale Jo Kuchh Khayeñge Vo Mayyat Tak Pahunchega, Agar Ma'azAllah Kisi Musalman Ka Ye Aiteqad Ho Gaya Ki Ham Ne Jo Kuchh Yahañ Khaya He Vo Is Hindu Murda Tak Pahunchega. To Uska Iman Jata Raha, Kyuñ Ki Usne Kafir Ko Sawab Ka Ahal Jana Ye Kufr He.

*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-2, S-629)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓3 May 2021, 20 Ramzanul Mubarak 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mu'atakif Ka Masjid Ke Bahar Wuzu W Baytul Khala Ke Liye Jana Kesa ?

 *🌹 SAWAL:-🌹*

Hamare Yaha Masjid Ke Bahar Pisab Pakana He Khulle Aasman Me Vaju Bi Masjid Ke Bhar He To KeSe Etekaf Kare Hajrat


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Fana E Masjid Yaani Masjid Ke Bahar Ki Vo Jagah Jahañ Peshab Khana Ya Wuzu Khana Ho Vo Masjid Ke Hi Hukm Me He Mu'takif Wuzu Ya Qaza E Hajat Ke Liye Ja Sakta He Isse Aitekaf Nahi Tutega,Or Aasman Dekhne Na Dekhne Se Aitekaf Me Koi Harj Nahi.


Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Fana E Masjid Yaani Jo Jagah Masjid Se Bahar Usse Mulhiq Zarooriyate Masjid Ke Liye He Maslan Juta Utarne Ki Jagah Or Gusl Khana Wagairah Unme Jane Se Aitekaf Nahi Tutega. Fana E Masjid Is Muaamla Me Hukme Masjid Me He.

*📚(Fatawa Amjadiya, J-1, S-399)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓1 May 2021, 18 Ramzanul Mubarak 1442

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Daulat Mand Ko Uski Daulat Ki Wajah Se Izzat Dene Se Iman Chala Jayega

 *🌹SAWAL:-🌹*

Zaid Agar Daulat Mand Ko Sirf Uski Daulat Ki Wajah Se Izzat Deta He To Kya Zaid Ka Iman Chala Jayega ?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Kisi Daulat Mand Ki Uski Daulat Ki Wajah Se Izzat Karna Ye Koi Kufr Or Shirk Nahi He, Ki Agar Kisi Ne Kisi Daulat Mand Shakhs Ki Daulat Ki Wajah Se Izzat Kardi To Ye Kufr Ho Jaye Aysa Hargiz Nahi, Albatta Logoñ Ki Izzat Unke Deen, Unke Ilm Ki Wajah Se Honi Chahiye Na Ki Unki Daulat Ki Wajah Se. Agar Kisi Ne Daulat Ki Wajah Se Izzat Kardi To Isse Imaan Chala Nahiñ Jayega. Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️30 April 2021, 17 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Heavy Deposit Ya Pagdi Par Bhari Hui Raqam Par Zakat Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum  

Sawal Ye Hai Ki Koi  Room Ka Heavy Deposit 3Lakh Rupya Bhar Kar Rahta Hai Room Bagair Bhada Ka Hai 3Lakh Ka Zakat Nikal Na Padega Ya Nahi ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Heavy Deposit Jise Security Deposit Ya Paghdi Bhi Kaha Jata He. Lihaza Soorate Mas'ula Me Jo Heavy Deposit De Kar Room Bhade Se Rahta He Vo Paisa Usi Ka He Or Us 3 Lakh Rupyo Ki Zakat Bhi Usi Ko Deni Hogi.


Jaisa Ki Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Sahab Misbahi Fatawa Faqihe Millat Ke Hawale Se Taherir Fatmate Hai,

Security Deposit (Pagdi) Par Diye Rupye Dene Wale Hi Ke Hai Or Ye Bhi Ek Tarah Ka Qarz Hi He. Lihaza Is Par Bhi Qarz Par Di Gai Raqam Ki Tarah Zakat Wajib Hoti Rahegi.

*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-322)*

*📚(Ahkame Zakat, S-20)*


Isi Tarah Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahma Ka Bhi Farman He,

http://jamiaturraza.com/session/22Aug10/1.mp3


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️28 April 2021, 15 Ramzanul Mubarak 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Siri Paaye Khana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹* 

Salaam 

Kya Siri Khana Jayaz Hai? Siri Paya Jo Bnta Hai


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Kha Sakte He, Koi Haraj Nahi. 


Isi Tarah Huzur Tajushshariya Alaihir Rahma Se Ek Sawal Hua Ki Bakri Ki Siri Sek Kar Kha Sakte He ?


Jiske Jawab Me Aap Farmate Hai,

Kha Sakte Hai.

Http://jamiaturraza.com/session/27Oct13/1.mp3

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️28 April 2021, 15 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Bank Me Rakhe Girvi Gold Par Zakat Ka Hukm?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Zaid Ka 10 Tola Sona Bank M Girvi H Aur Uska Intrest Bhi Lagta H Aur Us Rakam Se Zaid Ne Ek Plot Khud K Liye Kharida Usme Tijarat Ki Niyat Nahi H

Zaid K Paas Dusri Aur Chije Milakar Bhi Nisab Ki Rakam Ho Rahi H


Bank M Rkhe Sone Pr Zakat Ka Kya Hukm Hoga Agar Us Par Zakat Nahi Hai  To Jo Alag Se Nisab Ki Rakam Ho Rahi Hai Usme Se Vo Sone Ki Rakam Minus Hogi Ya Nahi


Rehnumayi Farmaye


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Girvi Rakhi Huee Cheez Par Zakat Farz Nahi. 

Bahare Shariat Me Hai,

"shay E Marhoon Ki Zakat Na Murtahin Par Hai Na Rahin Per". Lihaza Jo Sona Bank Me Rakhha Hai Girvi Uski Zakat Wajib Nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️24 April 2021, 11 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ghar Kharidne Or Dawai Ke Liye Rakhe Paiso Par Zakat Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Ham log Ka Ghar Ka Paisa Rakha Hua He Ghar Lena He 6 Lakh's 90 Thousand Or Usi Me Ammi Ki Dawa Bhi Karwana Hi To Wo Paise Ki Zakat Nikalna Padega Kya?


*🌹JAWAB:-🌹*

Ji Abhi Aap Ke Pas Jo Paisa Hai Unki Zakat Hai...


*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️26 April 2021, 13 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Saheri Ka Waqt Nikal Gaya Or Sota Raha Subah Pata Chala To Kya Roza Rakh Sakta he ?

 *🌹SAWAL:-🌹* 

Sehri Ke Bagair Or Koi Niyyat Nahi Ki Subah Time Nikal Jane Ke Bad Pata Chala To Kya Roza Hojayega 


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Sahri Nahi Ki Or Sahri Ka Waqt Khatm Ho Gaya Balki Subah Utha To Pata Chala Is Soorat Me Agar Kuchh Khaya Piya Nahi Ya Koi Amr Roza Ke Mukhalif Na Kiya Ho To Zahwe Kubra Ke Pahle Niyat Karle Roza Ho Jayega.


Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,

Maahe Ramzan Ka Roza Farz Jab Hoga Ki Vo Waqt Jis Me Roza Ki Ibteda Kar Sake Paa Le Yaani Subah Sadiq Se Zahwe Kubra Ki Uske Baad Roza Ki Niyyat Nahi Ho Sakti, Lihaza Roza Nahi Ho Sakta.

*📚(Bahare Shariyat, H-5, Roza Ka Bayan, Mas'ala-4)*


Or Farmate Hai,

Adaye Roza Ramzan Or Nazre Muayyan Or Nafl Ke Rozoñ Ke Liye Niyyat Ka Waqt Guroobe Aaftab Se Zahwe Kubra Tak He, Us Waqt Me Jab Niyat Karle Ye Roze Ho Jayenge.

*📚(Bahare Shariyat, H-5, Roza Ka Bayan, Mas'ala-6)*


Or Farmate Hai,

Din Me Vo Niyyat Kaam Ki He Ki Subah Sadiq Se Niyat Karte Waqt Tak Roza Ke Khilaf Koi Amr Na Paya Gaya Ho, Lihaza Agar Subah Sadiq Ke Baad Bhul Kar Bhi Kha Pi Liya Ho Ya Jima'a Kar Liya To Ab Niyat Nahi Ho Sakti. Magar Moatemad Ye He Ki Bhulne Ki Halat Me Ab Bhi Niyat Sahih He.

*📚(Bahare Shariyat, H-5, Roza Ka Bayan, Mas'ala-16)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓24 April 2021, 11 Ramzanul Mubarak 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Iftar Khajoor Se Kare Ya Paani Se Ya Namak Se ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum

Hazrat Kuch Log Iftari Pani Se Kholte Hai Khajoor Rehne Par Bhi Roza Kis Se Kholna Chahiye Aur Bahot Sare Log 10 Roza Namak Mein 10 Roza Khajoor Mein 10 Roza Pani Mein Kholte Hai Kya Ye Sahi Jawab Inayat Farmai Hazrat Meherbani Hogi


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Bahare Shariyat Me He,

Imam Ahmad W Abu Dawood W Tirmizi W Ibne Maja W Daremi Salman Bin Aamir Radiallahu Anhu Se Raawi, Huzure Aqdas ﷺ Farmate Hai, Jab Tum Me Koi Roza Iftar Kare To Khajoor Ya Chhuhare Se Iftar Kare Ki Vo Barkat He Or Agar Na Mile To Paani Se Ki Vo Paak Karne Wala He.


Abu Dawood W Tirmizi Anas Radiallahu Anhu Se Raawi Ki Huzur ﷺ Namaz Se Pahle Tar Khajooroñ Se Roza Iftar Farmate, Tar Khajooreñ Na Hotiñ To Chand Khushk Khajooroñ Se Or Agar Ye Bhi Na Hotiñ To Chand Chullu Paani Pite.

*📚(Bahare Shariyat, H-5, Sahri W Iftar Ka Bayan)*


Lihaza Agar Khajooreñ Hai To Usse Roza Iftar Kareñ Agar Na Ho To Paani Se Bhi Iftar Kiya Ja Sakta He.


Lekin Das Din Namak Das Roza Khajoor Das Roza Paani Se Iftar Karna Iski Koi Haqeeqat Nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*

*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🗓️19 April 2021, 6 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kafir Ka Jhutha Paak He Ya Napaak ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ

Hazrat Kafir Ka Jhutha Pak Hai Ya Napak... 

Kafir Ke Jhutte Se Wazu Karna Kaisa?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

Kafir Napaak Hai,

قال اللہ تعالیٰ إِنَّمَا الْمُشْرِكُونَ نَجَسٌ 

Kafir Nare Napaak He.

*📚(Surah Taubah, Aayat-28)*


Ye Napaaki Unke Baatin Ki He Phir Agar Sharab Wagairah Najasatoñ Ka Asar Unke Munh Me Ho Napaaki Zahiri Bhi Maujud He Us Waqt Unka Jhutha Zaroor Napaak He Or Jis Cheez Ko Unka Luaab Lag Jaye Napaak Ho Jayegi.


Or Agar Zahiri Najasatoñ Se Bilkul Juda Ho To Uske Jhuthe Ko Kutte Ke Jhuthe Ki Tarah Napaak Nahi Kaha Jayega.


فی التنوير و الدرر ۔سور آدمی مطلقاً و لو جنبا او کافرا طاھر الفم طاھرا ۔

Aadmi Ka Jhutha Mutlaqan Paak He Agarche Junubi Ho Ya  Kafir Basharte Ki Uska Munh Paak Ho.


Mukhtasatan, Agarche Har Cheez Ki Napaak Na Ho Tayyab W Be Dagdaga Hona Bhi Zaroori Nahi. Rinth Bhi Napaak Nahi Phir Kon Aaqil Use Apne Lab W Zaban Se Lagana Gawara Karega ? Kafir Ke Jhuthe Se Bhi Bihamdillah Musalmanoñ Ko Ayse Hi Nafrat He Or Ye Nafrat Unke Iman Se Naashi He. 


Or Aage Chand Dalail Pesh Karne Ke Baad Farmate Hai,

Dalaile Sharaiyah W Hadeese Sahiha Se Sabit Huva Ki Kafir Ke Jhuthe Se Ehteraz Zaroori He.

*📚(Ahkame Shariyat, H-1, S-33,34,35, Nizamiya Kutub Ghar)*


Lihaza Agar Kafir Ke Munh Me Sharab Wagairah Najasatoñ Ka Asar Ho Tab To Uska Jhutha Zaroor Napaak He Or Agar Najasatoñ Ka Asar Na Bhi Ho Fir Bhi Kafir Ke Jhuthe Se Ehteraz Karna Zaroori He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*

*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🗓️18 April 2021, 5 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts