Mayyat Ke Gusl Or Namaze Janaza Ka Haqdar Kon

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum..
Sawal..Baap ke Inteqaal Hone Pe Usko Gusul Aur Namaz e Janaza Koun Padhana Chahiyee Aur Gusul Koun Dena Chahiyee,,

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Murda Mard Ko Mard Or Aurat Ko Aurat Gusl De.

Koi Bhi Gusl Dede Ho Jayega Albatta, Bahetar Ye He Ki Nahlane Wala Mayyat Ka Sabse Zyada Qareebi Rishtedaar Ho, Vo Na Ho Ya Nahlana Na Janta Ho To Koi Or Shakhs Jo Amanat Daar w Parhezgaar Ho.
*📚(Bahare Shariyat, H-4)*

Neez Usi Me Namaze Janaza Ke Istehaqaaq Ka Hukm Bayan Karte Huye Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahma Farmate He,

Namaze Janaza Me Imamat Ka Haq Badshahe Islam Ko He, Fir Qaazi, Fir Imame Jumuah, Fir Imame Muhalla, Fir Wali Ko, Imame Muhalla ka Wali Par Taqaddum Bataure Istehbaab He Or Ye Bhi Us Waqt Ke Wali Se Afzal Ho Warna Wali Bahetar He.

Wali Se Murad Mayyat Ka Vo Qareebi Mard Rishtedaar Jo Akela Hone Ki Soorat Me Mayyat Ke Kul Maal Ka Haqdaar Bane Or Dusre Waris Maujud Hone Ki Soorat Me Usko Uska Haq Dene Ke Baad Baqi Bacha Maal Le Jaye.

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qazi E Petlad w Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujrat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Silsila e Warisya Me Mureed Hona Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Waris Paak Se Jo Log Mureed Hain . To Kya Waris Paak Ke Naam Se Mureed Hona Sahi Hai ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Huzur Shareh Bukhari Alaihir Rahma Farmate He,

Ye Baat Sahih He Is Se Kisi Warsi Ko Inkar Nahi Ki Hazrat Warise Paak Rahematullah Alaihi Ne Kisi Ko Khilafat Nahi Di Thi. Jab Khilafat Nahi Di Thi To is Silsila Me Mureed Hona Sahih Nahi.
*📚(Fatawa Shareh, Bukhari, J-2, S-244)*

Isi Tarah Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Farmate He,

Mash'hoor Ye He Ki Hazrat Haaji Waris Ali Shah Alaihir Rahma Ne Kisi Ko Apna Khalifa Nahi Banaya. Agar Ye Sahih He To Silsila e Warisya Me Bay'at Hona Durust Nahi Or Un ke Mazar Ki Chadar Pakad Kar Bay'at Karna Galat He.

Agar Ye Sahih Hota To Maheboob Subhani Huzur Saiyeduna Shaikh Abdul Qadir Jilani Or Khwaja Gareeb Nawaz Ajmeri RadiAllahu Anhuma Ki Chadar Pakad Kar Log Barahe Rast Unse Mureed Ho Jate Or Unke Khalifa Se Mureed Na Hote.
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-2, S-411)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Chand Ke Ulta Hone Ka Sabab

*🌹SAWAL:-🌹*
Kuchh Jagah Par Abhi Chand Ulta Nazar Aata He Iski Kya Haqiqat He?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Chand Or Suraj Mashriq Se Magrib Ki Taraf Nikal Kar Dubte He. Yahi Aadate Aalam He.

29 Or 30 Ko Bhi Isi Tarah Nikalte He Magar Chand Par Jab Roshni Padna Shuru Hoti He To Pahla Chand Mana Jata He. Lekin Ye Chamak Suraj Ki Tez Roshni Me Hame Nazar Nahi Aati, Jab Suraj Dubta He Or Qadre Andhera Felta He To Dikhai Deti He. Lihaza Jab Chand Apni Mashriq Se Magrib Tak Ki Masaafat Tay Karta He Us Waqt Vo Suraj Ke Pichhe Hota He Jaise Suraj Dubta He Chand Chamakta He Or Ham Pahla Chand Magrib Me  Dekhte He Fir Dhirw Dhire Chand Or Suraj Ke Darmiyan Fasla Or Chamak Badhte Rahte Hai Is Liye Din Me Bhi Chand Dikhai Deta He. Jaise Jaise Chand Ki Tareekhe Badti He Waise Waise Suraj Ke Pichhe Pichhe Chand Bhi Damakta He.

Ibtedai Taqreeban Das Dino Me Chand Din Me Hi Suraj Ke Pichhe Pichhe Rahta Hs Yaha Tak Ki Dono Mukhalif Simt Me Aa Jate Hai, Suraj Magrib Me To Chand Mashriq Me Fie Fasle Badhne Se Chand Raat Me Nazar Aata He.

Lihaza In Dino Suraj Jab Bich Me Hoga To Chand Faslw Kam Hone Ki Wajah Se Mashriq Me Hoga Or Ulta Nazar Aayega Or Jab Yahi Chand Magrib Me Pahunche ga To Sidha Ho Jayega.

Hamne Kabhi Is Par Gaur Nahi Kiya Tha Or Aaj Khali Bethe Hai To Ye Sab Cheeze Dikh Kar Hairat Hoti He Or Ham Use Koi Ajooba Ya Anhoni Samajhte Hai.

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qazi E Petlad w Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujrat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Imam Husain Ki Tarikhe Wiladat Konsi

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Imam Husain Ki Wiladat Konsi Tarikh Ko He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Farmate He,
Saiyedush Shohda Hazrat Imam Husain RadiAllahu Anhu Ki Wiladate Mubaraka 5 Shaban, 4Hijri Ko Madina Tayyabah Me Hui.
*📚(Khutbate Muharram, S-329)*

Isi Tarah *📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-2, S-65)* Par Bhi Tahrir He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+9184

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Imam Mahedi Ke Zahur Ke Waqt Kya Kaha Khali Ho Jayega Ek Galat Riwayat

*🌹SAWAL:-🌹*
Ek video jisme ye Riwayat Bayan Ki Jaa Rahi He Ki jab Hazrat Mahedi Ke Zahur Ka Waqt Aayega To Allah Ka Ghar Wiran Ho Jayega, Auliya   Allah Ke Mazarat Ko Band Kiya Jayega, Or Khauf Ki wajah Se Insan Insan ko Chhune Se Darega,..
Kya Ye Riwayat Sahih He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Bahare Shareeat Hissa Avval Me Hazrat Imam Mehdi Radiyallahu anhu k zuhur ki nishani ye batai hai k us daur me Sari dunya k Abdal Avliya Hijrat kar k Harmain Shareefain Chale jayege .. Harmain k eilava Sari dunya me kufr ka kabza hoga. .. Avliya tavaf me hoge or Hazrat Imam Mehdi ki khilafat ka gaibi elan hoga ...
*📚Makhuz(Bahare Shariyat Application, H-1, S-124)*

Is se saaf Zahir hai k us vakt is Banavti rivayat me Jo bataya gaya aysa nahi Hoga balke us k bar aks Khana e kaba to Avliya se aabab hoga tavaf jari hoga.  Or abhi Harmain Shareefain k ilava bhi dunya k bahot se ilaqo me Islam Puri Aana ban bhi Shan k sath hai ... Lihaza ye rivayat Banavti hi lagti hai niz is ka koi havala bhi nahi pesh kiya gaya..

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qazi E Petlad w Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujrat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gair Mahram Ke Samne Aurat Ko Munh Chhupa Kar Namaz Padhna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
asslamu alikum
mera sawal hai ke ham log safar me jate train me or waha namaz pdhte hai muh chupa kar namaz pdh sakte hai ya nahi or muh kholege to be pardegi hogi aisi halat me kare muh chupa kar namaz pdh sakte

rahnumai farma dijiye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Munh Chhupa Karke Namaz Padhna Makrooh He Jab Ki Gair Maheram Ko Chahera Dikhana Haram He, To Jab Do Najaiz Kaam Ikaththe Huye Chahera Dikhana Haram Or Chahera Chhupa Kar Namaz Padhna Makroohe Tahrimi, Fiqah Ka Kulliya Qaida Ye He Ki Jahañ Do Haram Ya Do Najaiz Ikaththe Ho Jaye, Vahañ Bade Haram Ko Chhod Diya Jayega, Chhote Haram Par Amal Kar Liya Jayega, To Bada Haram Yaani Gair Mahram Ko Chahera Dikhana Ye Haram He, Jab Ki Muh Chhupa Kar Namaz Makroohe Tahrimi He, Lihaza Aysi Soorat Me Muh Chhupa Kar Ke Bhi Namaz Padh Sakte He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*🎙Al-Jawab:- Hazrat Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*
*📬Idara Sharaiyah w Samaji Khidmaat*
*_📬Aala Hazrat Masjid NavaYard Vadodra, Gujrat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91848
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Azan Ke Alfaz Me Tabdili Kisi Bhi Waqt Jaiz Nahi, Chahe Dafae Waba Ki Azan Ho

*🌹SAWAL:-🌹*
Musibat Ke Waqt  Yaani Aandhi, Aag, Toofan, Hawa Ki Zyadati, Mohliq Bimari  Wagairah Me Azan Dete Waqt Hayya Alas w Hayya Alal Falah Ki Jagah Ya Dafe'a Al Bala, Ya Dafe'a Al Waba Kahna Kesa ? Ya Azan Ke Alfaz Me Kami Zyadati Karna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Huzur Bahrul Uloom Hazrat Allama Mufti Abdul Mannan Aazmi Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Azan Ke Pandrah Kalme Huzur ﷺ Se Mutwatir Taur Par Manqool He, Aulma Ke Nazeek Isme Kami Or Zyadati Mamnoo'a He.

Bidai'As Sanai'a Jild Awwal Me He,
وأما بيان كيفية الاذان : فهو على الكيفية المعروفة المتواترة، من غير زيادة ولا نقصان عند عامة العلماء
*📚(Jild-1, Safa-365)*

Azan Kis Tarah Di Jati He Ye Sab Ko Ma'aloom He, Mutwatir Tariqa Par Isme Kuchh Kami Ya Zyadati Nahi Karni Chahiye, Yahi Aulma Ka Qaul He, Chahe Panj Waqta Namaz Ho Ya Daf'e Bala Wagairah Umoor Ke Liye.

*📚Aalamgiri Jild-1, Safa-56* Me He,

Yaani Aulma Farmate He Nav Maulud Ke Kaan Me Azan Dene Wala Bhi Iska Lihaz Kare Ki Hayya Alas Salah Or Hayya Alal Falah Kahte Waqt Daañye Or Baañye Munh Fere.

Pas Soorate Mas'ula Me Hayya Alal Falah Ki Bajaye Dafa e Bala w Dafa e Vaba Jaise Kamilat Kahna Durust Nahi.
*📚(Fatawa Bahrul Uloom, J-1, S-113)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+9184

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Fasiq Dafa e Waba Ki Azan De Sakta He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Aaj Kal Jo Bawa Faili Huwi Hai To Log Chato Pe Azaan De Rahe Hai.

SAWAL Ye Hai Ke Kya Koi Fasiq E Mollin Azaan De Sakta Hai Jiski Dadhi Na Ho????

*🌹JAWAB:-🌹*
Jo Waba Faili Hui He Usme Jo Log Azan De Rahe He Hona To Yahi Chahiye Ki Ba Shara'a Log Azan De, Taaki Unki Azan Bargahe Ilahi Me Zyada Qabuliyat Ki Mustahiq Ho, Qabuliyat Ke Zyada Qareeb Ho, Fir Bhi Koi Fasiq Azan Deta He To Use Roka Na Jaye, Ye Hukm Jo Waba Ke Liye Azan Di Jati He Us Ta'alluk Se He, Albatta Namaz Ke Liye Jo Azan Di Jati He Usme Taaqeed Ke Sath Ba Shara'a Logo Se Hi Azan Dilwai Jaye.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🎙️ Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬Khadim Tadriso Ifta Darul Uloom Gause Aazam Porbandar Gujrat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91848
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Hukumat Ki Pabandi Par Jumaa Ke Din Ghar Me Zuhar Ki Jama'at Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Maujuda Halat Me Jo Corona Virus Ki Wajah Se Pabandi Lagai Gai He, Usme Ghar Me Jumaa Ke Din Jama'at Ke Sath Zuhar Ada Ki Ja Sakti He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Nahi, Jumaa Ke Roz Zuhar Ki Namaz Ba Jama'at Na Jumaa Se Pahle Hogi Na Jumaa Ke Baad Jaiz He, Balki Jumaa Ki Namaz Ke Baad Log Tanha Tanha Apne Gharo Me Zuhar Ki Namaz Padhle, Bakiya Namaz Is Halat Me Chahe To Ghar Pe Ba Jama'at Padh Sakte He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🎙️ Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬Khadim Tadriso Ifta Darul Uloom Gause Aazam Porbandar Gujrat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Hazrate Fatima Ki Rooh Allah Ne Qabz Ki Kahna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum, Esa Kahna Kesa Ki Hazrat Fatimtuz Zahra RadiAllahu Anha Ki Rooh Khud Allah Ta'ala Ne Qabz Ki ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Soorate Mas'ula Me Ye Kahna Ki Hazrat Fatima RadiAllahu Anha Ki Rooh Ko Allah Ta'ala Ne Qabz Farmai Shar'an Koi Qabahat Nahi. Kyu Ki Beshak Haqiqi Rooh Dene Wali Or Qabz Karne Wali Zaat Allah Ta'ala Hi Ki He, Magar Logo Ke Samne Aysi Baate Nahi Karni Chahiye Jo Unki Samajh Me Na Aaye Or Usse Fitna Me Padh Jaye.

_Chunanche Huzur Bahrul Uloom Hazrat Allama Mufti Abdul Mannan Aazmi Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,_

Maut Ke Mauzu Par Qura'an Shareef Me Bahut Si Aayate He, Ham Mas'ala Ki Wazahat Ke Liye 3 Aayato Ka Zikr Karte He,

اللَّهُ يَتَوَفَّى الْأَنفُسَ حِينَ مَوْتِهَ
*📚(Sura e Zumar, Aayat-42)*
Yaani Allah Ta'ala Maut Ke Waqt Sab Ki Rooh Qabz Karta He.

Is Aayate Shareefa Me Rooh Qabz Karne Ki Nisbat Allah Ta'ala Ki Taraf He.

حَتَّى إِذَا جَاءَ أَحَدَكُمُ الْمَوْتُ تَوَفَّتْهُ رُسُلُنَا وَهُمْ لا يُفَرِّطُونَ
*📚(Sura e An'aam, Aayat-61)*
Yaani Jab Tum Me Se  Kisi Ko Maut Aati He, To Hamare Farishte Jo Jaan Nikalne Par Muqarrar He, Rooh Qabz Kar Lete He.

Is Aayat Me Is Baat Ki Sarahat He Ki Rooh Qabz Karne Wale Bahut Se Farishte He.

Allah Ta'ala Sura e Sajdah Me Irshad Farmata He,
قُلْ يَتَوَفَّاكُم مَّلَكُ الْمَوْتِ الَّذِي وُكِّلَ بِكُمْ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّكُمْ تُرْجَعُونَ
*📚(Sura e Sajdah, Aayat-11)*
Yaani Aap Farmao!  Ki Malakul Maut Roohe Qabz Karte He, Jo Is Par Muqarrar He.

Aap Heran Hoge Ki Mas'ala Ek Or Qura'an Shareef Me Iske 3 Mukhtalif Jawabat !! Allah Ta'ala Sab Ki Rooh Qabz Karta He, Malakul Maut Sab Ki Rooh Qabz Karte He, Bahut Se Farishte Mil Kar Rooh Qabz Karte He.

Isme Kuchh Achambe Ki Baat Nahi He, Ek makan banta he, malik ki Zameen, paisa or saman usme lagta he is kiye vo khush ho kar kahta he ki mene makan banavaya. Aap ko uski baaat par koi hairat nahi hoti. Engineer socha he ki mere naqshe or meri nigrani me ye makan bana, is par vo kahta he ki mene ye makan banaya or aap ko koi Ta'ajjub nahi. Mistri or mazdooro ne mill kar malik ke Sarmaya or Engineer ke naqshe ko mujassam or mukammal kar diya, is liye unka Da'awa he ki ye makan ham ne banaya, aap isko bhi taslim kaarte he ki ye Da'awa saab ka ek he. Lekin nawiyat sab kii alag he.

Baat samjhane ke liye hamne ek dunyavi misal bayan ki, warna Kahañ khaaki insan or kahañ Allah baqi Ki Shan.

Is Mas'ala Me Allama Ahmad Saawi Ka Bayan Mulahiza Ho,
ولا منافات بينها فما هنا محمول على مباشرة اخذها - وما فى الا نعام محمول على معالجة أعوان عزرائيل عليه السلام لمن أمر بقبض روحه - وما فى الزمر محمول على الحقيقة فإن المتوفى حقيقة هو الله - "
*📚(Saawi, Jild-3, Safa-246)*

In Tino Aayato me koi munafaat nahi. Izrail Alaihis Salam ke Ae'awan marne wale ke pure jism se rooh samet kar Halq Tak Pahucha Dete He. Is liye Unko Qaabize Rooh Kaha Gaya, Hazrat Izrail Alaihis Salam Usko Halq Paas Se Apne Qabza Me Kar Lete He To Unke Liye Kaha Ki Vo Rooh Qabz Karte He. Or Allah Ta'ala Ki Taraf Rooh Qabz Karne Ki Nisbat Haqiqi He, Wahi Haqiqat Me Wafat Dene Wala He, To Agar Ye Kah Diya Jaye Ki ' Hazrat Fatima Zahra RadiAllahu Anha Ki Rooh Ko Allah Ta'ala Ne Qabz Kiya To Isme Koi Sharai Qabahat Kya ?

Ab Ahadise Mubaraka Mulahiza Farmaye !!

Huzur Nabi e Kareem ﷺ Ne Ek Janaza Par Ye Dua Parhi,
" اللهم انت ربها وانت خلقها وانت  هديتها الى الا سلام وانت. قبضت روحها "
*📚(Mishkat Shareef, Safa-147)*

Yani Ya Allah Tu Us Marne Wale Ka Rab He, Tune Hi Use Paida Kiya Or Tune Hi Use Islam Ki Hidayat Di Or Tune Hi Uski Rooh Qabz Ki.

Janaza Ki Namaz Me Ham Ye Padhte He,
 اللھم....!!! من احییتہ منا فاحیہ علی الاسلام...!  ومن توفیتہ منا فتوفاہ علی الایمان -"
Yaani Ya Allah Tu Ham Se Jis Ko Zinda Rakhe Islam Par Zinda Rakh ! Or Jis Ko Wafat De, Jis Ki Rooh Qabz Kar Tu Iman Par Qabz Farma.

Or Farmate He,

Sahibe Roohul Bayan Ek Bade Aalime Deen He, Is Waqt Hamare Samne Unki Tafseer Ka Aanthva Hissa He, Jis Ka Sarnama Par Tahreer He Ki,
Imame Aalam Fazile Shaikh Muhaqqiq, Kamil, Ilme Zahir w Batin Ke Jame'a Or Apne Iqraan Amasaal Me Qabile Fakhr Mufassireen Ke Khawaatim Or Ahle Tahqiq w Taswwuf Ke Rahenuma, Apne Waqt Ke Yakta Or Qutube Zamana, Tamam Uloom Ke Mamba'a, Hamare Or Tamam Logo Ke Maulana Shaikh Ismail Hanfi Or Mash'hoor Mu'arrikh Muniruddin Zarqani Ne Apni Mash'hoor Kitab
*📚(Al-Aa'alaam, J-1, S-312)*
Par Inka Tazkira Naql Kiya, Farmate He,
اسماعیل حقی ابن مصطفی ، متصوف  ؛ مفسر؛ ترکی ؛ مستعرب؛ من العربیہ؛ مات ۱۱۳۷
Aapne Apni Tafseer, *📚(Roohul Bayan, J-8, S-143)*  Par Ye Riwayat Bila Sanad Naql Ki, Kyu Ki Baab Fazail Me Aulma Tanqeed W Tahqeeq Nahi Karte He. Uske Sath Hazrat Zunnoon Misri Rahematullah Alaihi Ye Dua e Naql Ki He,
الھی...!!! لا تکلف الی ملک الموت واقبض روحی انت

Bahar Haal Jahil Aawam Ke Samne Ye Riwayat Nahi Karni Chahiye, Jis Se Khwah Makhwah Hijan Paida Ho.

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan *📚(Fatawa Razviya Shareef, J-6, S-206)*

Par Ye Hadees Shareef Naql Farmate He,
حدثواالناس بما یفھمون
Yaani Logo Ke Samne Aysi Baate Bayan Karo Jise Samajh Sake.

Neez Farmate He,
Logo Se Unke Samajh Me Na Aane Wali Baat Bayan Karoge To Usse Ba'az Log Fitna Me Pad Jayege
*📚(Fatawa Bahrul Uloom, J-2, S-5,6,7)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jumaa Qaim Karne Ka Sharait

*🌹SAWAL:-🌹*
Jumaa Qaim Karne Ke Liye Konsi Sharte He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Jumaa Parhne Ke Liye Chhe Sharte He Ki Unme Se Ek Shart Bhi Mafqood Ho Yaani Na Paai Jaaye To Hogi Hi Nahi.

1. Misr (Shahar) Ya Fanae Mishr

Yaani Jumaa Shahar Me Padha Jaye Ya Kasbe Me Ya Unki Fana Me Gaanv Me Jaiz Nahi.

2. Sultane Islam Ya Uska Naaib Jise Jumaa Qaim Karne Ka Hukm Diya

3. Waqte Zuhar
Yaani Zuhar Ke Waqt Me Namaz Puri Ho Jaye

4. Khutba

5. Jama'at Yaani Imam Ke Alawa Kam Se Kam 3 Mard.

6. Izne Aam
Yaani Masjid Ka Darwaza Khol Diya Jaye Ki Jis Musalman Ka Jee Chahe Aaye Kiai Ki Rok Tok Na Ho.
*📚Makhuz:(Bahare Shariyat, H-4, Jume Ka Bayan)*
Zyada Tafseel Ke Liye Mazkoora Kitab Ka Muta'ala Farmaye.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Badkar Ya Zana Kaar Biwi Ko Talaq Ka Hukm ?

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Zaid Ki Biwi Ne Dusre Ke Sath Zana Kiya Or Phone Par Baat Karti He, Ab Zaid Ko Ma'aloom Huva Ki Vo Dusre Ke Sath Zana Kiya To Zaid Us Se Puchha Kya Tera Ta'alluq Dusre Ke Sarh Bhi He Ab Vi Inkar Karti He Jab Ki Phone Gawah He Ab Zaid Usko Talaq Dena Chahta He To Uski Soorat Kya He.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Isi tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,

Soorate Mustafsira Me Bil Ijma Talaq Durust Or Mubah He Kyu Ki Talaq Ke Mubah Hone Me Aulma Ke 3 Qaul He,
Ek ye Ki Talaq Mutlaqan Mubah He Agarche Bila Wajah Di Jaaye. Allama Gazi Ne Tanweer Ke Matan Me Isko Bayan Kiya He Jis Ke Muta'alliq Iske Shareh Allama Alaai Ka Khayal He ki Allama Gazi Ka Yahi Mauqif He Or Allama Bahar Ne Apni Kitab Bahar Me Da'awa Kiya He Ki Yahi Haq Or Yahi Mazhab He,

Dusra Ye Ki Biwi Ke Burhape Ya Uski Aawargi Ya Bad waz'ee Ke Bagair Shohar Ke Ke Liye Talaq Dena Mubah He, Ye Zaeef Qaul He Jaisa Ki Raddul Muhtar Me He.

Tisra Qaul Ye Hs Ki Agar Shohar Ko Talaq Ki Koi Hajat He To Mubah He Warna Mamnoo'a He, Yahi Qaul Sahih Or Dalail Se Mo'ayad He. Allama Muhaqqiq Ne Fathul Qadeer Me Isko Sahih Qarar Diya He Or Allama Khatmul Muhaqqiqeen Shami Ne Iska Difa'a Kiya He Jis Se Uski Sehat Mustafaad Hoti He,

Mas'ula Soorat Me Jab Aawargi Paai Jati He To Tino Aqwal Par Talaq Ka Mubah Hona Muhaqqaq He Balki Aurat Ka Fisq Or Kisi Haram Fe'al Ka Irtekab Sabit He To Talaq Mustahab He.

Raddul Muhtar Me He Ki Namaz Ke Alawa Digar Faraiz Ka Tark Bhi Namaz Ki Tarah He, Taham Is Soorat Me Talaq Dena Wajib Nahi He Agar Khawind Talaq Na Dena Chahe To Na De.

Durre Mukhtar Me He Ki Fasiqa Aurat Ka Talaq Dena Khawind Par Wajib Nahi He.
*📚(Fatawa Razviya, J-12, S-63)*

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qazi E Petlad w Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujrat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Waba Ki Wajah Se Hukumat Ki Tarqf Se Pabandi Ke Waqt Namaze Jumaa Or Panj Waqta Namaz Ka Hukm ?

*🌹SAWAL:-🌹**
As Salaamu Alaikum
Corona Virus Ki Wajah Se Bahut si jagah par police masjid me lock lagwa rahi hai aise me jummah Or Panj Waqta Namaz Ka Kya Hukm He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Shariyate Islamiya Ke Mutabik Musalmano Ke Liye Panj Waqta Namaze Ba Jama'at Masjid Me Ja Kar Ada Karna Wajib He, Magar Aaj Jab Hukumat Ne Sakht Qaid Kar Rakhi He, Hatta Ki Masjid Jane Par Imamo Mu'azzin Trusti Hazraat Ke Khilaf F.I.R Wagairah Tak Darj Ki Jaa Rahi He, To Musalman Is Halat Me Mazoor He,  Ab Vo Apne Gharo Par Namaz Ada Kare, Agar Vaha Jama'at Kar Sakte Ho To Ba Jama'at Or Tanha Tanha Padh Le, Ye Hukm Panj Waqta Namazo Ke Liye He,

Magar Khas Kar Namaze Jumaa Ke Liye Kuchh Tafseel He, Kutube Fiqh Me Namaze Jumaa Ke Farz Hone Ki Ek Aham Shart Ye Bhi He Ki Aadmi Par Hakim Wagairah Ka Khauf Na Ho,

Fatawa Ki Mash'hooro Maroof W Mo'atebar Kitab Raddul Muhtar Me He,

Yaani Badshah Ya Chor Wagairah Ki Janib Se Koi Khauf Na Ho.

To Jise Namaze Jumaa Ke Liye Masjid Jane Me Hakim Waqt Ka Khauf Ho Us Par Jumaa Farz Hi Nahi He,

Is Mas'ala Ke Peshe Nazar Arz He Ki Namaze Jumaa Ke Liye Government Ki Taraf Se Waqe'ee Aysi Sakhti Ho Rahi He, Jiska Aap Ne Zikr Farmaya He, To Masjid Ki Aabadi Ki Khatir Jumaa Qaim Rakhne Ke Liye Imam Ke Alawa Chand Hazraat Namaze Jumaa Ada Karle Or Baqiya Hazraat Apne Gharo Me Namaze Zohar Padhe, Magar Is Baat Ka Bhi Khayal Rakhe Ki Agar Shahar Me Esi Halat Ho To Vaha Ke Log Namaze Jumaa Ke Baad Hi Zohar Padhe, Or Jama'at Se Nahi Balki Tanha Tanha Padhe, Or Agar Dihat Me Ho To Tanha Ya Jama'at Jo Bhi Soorat Mayassar Ho Us Par Amal Kare.

Allah Ta'ala Huzur ﷺ Ke Tufail Is Wabai Marz Se Dunya Ki Khusoosan Hamare Mulke Azeez Hindustan Or Musalamano Ki Hifazat Farmaye..
*🎙️Makhuz Bayane: Hazrat Allama Mufti Akhtar Husain Alimi Sahab Qibla*
*📬 Sadrush Shoaba Wal Ifta Darul Uloom Alimiya, Jamdashahi, Up India*

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

4 Rakat Wali Namaz Galti Se 5 Padhli To Kya Kare

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
Sawal:_....Kya Ager 4rakat Farz Nmaz 5rakat padhli To Hojaaegi Ya Dohrani Padegi???

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Panchvi Raka'at Ka Jab Tak Sajda Na Kiya Ho Yaad Aane Par Beth Jaye Or Namaz Mukammal Kare Lekin Agar Panchwi Raka'at Ka Sajda Kar Liya To Farz Batil Ho Gaya Dubara Padhe Or Us Panch Ke Sath Ek Raka'at Or Milale.

Bahare Shariyat Me Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahma Irshad Farmate He,

Char Raka'at Wale Farz Me Chothi Raka'at Ke Baad Qa'ada Na Kiya, To Jab Tak Panchvi Ka Sajda Na Kiya Ho Beth Jaye Or Panchvi Ka Sajda Kar Liya Ya Fajar Me Dusri Par Nahi Betha Or Tisri Or Chothi Ka Sajda Kar Liya, To In Sab Soorato Me Farz Batil Ho Gaye. Magrib Ke Siwa Or Namazo Me Ek Raka'at Or Mila Le.
*📚(Bahare Shariyat App, H-3, S-83,84)*

*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Zaiyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Darul Uloom Mustafiya Haldarwa Gujarat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aurat Ko YouTube Par Cooking Channel Chalana Jis Me Sirf Aawaz Or Hath Dikhe

*🌹SAWAL:-🌹*
Suwal ye hai ki islami bhno Ko youtube me cooking channel chalana kesa hai kya ye jaiz hai apni awaz k sath channel chalaye ispr ulama e kiram kya kehte hai..?
Bs awaz or haath dikhte or Sirf awaz wo khud ni aati He.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jamhoor Aulma e Kiram Bilkhuaoos Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ka Yahi Mauqif He, Ki Aurat Ki Aawaz Bhi Aurat He, Lihaza Is Soorat Me Bila Kisi Zaroorate Sharaiyah Ke Aurat Ki Aawaz Gair Mahram Ko Sunana Ya Us Tak Pahuchane Ka Koi Zariya Paida Karna Najaizo Haram.

Is Mas'ala Ki Roo Se YouTube Par Khane Pine Wagairah Ki Chize Banwa Kar Channel Chalana Or Usme Sirf Aawaz Or Hath Hi Dikhai Dena Yaqeenan Najaizo Haram.

Chuñki Aurat Ki Aawaz Bhi Aurat He, Or Aurat Ka Pura Badan Siwaye Muh Ke Takli, Dono Hatheliya Or Dono Paanw Ke In Pancha Aa'aza Ke Alawa Uska Pura Badan Bhi Aurat He, Or Uska Chhupana Zaroori He, Farz He.

Lihaza Hath Dikhane Ki Soorat Me Bhi Ye Shariyate Mutaharra Ke Khilaf Hoga, Lihaza Jab Aurat Ki Aawaz Bhi Aurat He Or Aurat Ke Hath Wagairah Bhi Aurat He, Or Un Dono Ko Chhupana Farz He To Aysi Soorat Me YouTube Channel Chalane Ki Bilkul Bhi Ijazat Nahi Hogi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gair Muslim Ke Salam Ka Jawab Kese De ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Koi Gair Muslim Agar Salam Kare To Uska Jawab Dena Kesa Or Kis Tarah Jawab Diya Jaye ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Gair Muslim Ko Ke Salam Me Pahal Karna Haram He Or Agar Vo Salam Kare To Jawab Me Sirf 'Wa Alaikum' Hi Kaha Jaye.

Is Liye Ki Salam Ki Asliyat Dua He, Jab Koi Musalman Dusre Musalman Se Milta He To Salamati Ki Dua Deta He, Or Iske Jawab Me Bhi Vo Salamati Ki Dua Hi Deta He, Or Kafir Ke Liye Dua Nahi.

Jaisa Ki Hadees Shareef Me He,
إِذَا سَلَّمَ عَلَيْكُمْ أَهْلُ الْكِتَابِ فَقُولُوا: وَعَلَيْكُمْ
Jab Ahle Kitab Tumhe Salam Kare To Tum Uske Jawab Me Sirf "wa Alaikum" Kaho.
*📚(Sahih Muslim, Kitabus Salam, J-2, S-214, Hadees-2167)*

Or Raddul Muhtar Me He,
ولو سلم یھودی او نصرانی او مجوسی علی مسلم فلا بأس بالرد ولٰکن لا یزید علی قولہ وعلیک
Agar Kisi Musalman Ko Yahoodi, Isai Ya Majoosi Salam Kare To Uska Jawab Sirf "Wa Alaikum" Kah Kar Dene Me Harj Nahi.
*📚(Raddul Muhtar, J-9, S-591)*

Isi Tarah Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahma Farmate He,

Kuffar Ko Salam Na Kare Or Vo Salam Kare To Jawab De Sakta He Magar Jawab Me Sirf 'Alaikum' Kahe.
*📚(Bahare Shariyat, J-16, S-90)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Corona Virus Ki Wajah Se Namaze Jumaa Or Panj Waqta Namaz Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹**
As Salaamu Alaikum
Corona Virus Ki Wajah Se Bahut si jagah par police masjid me lock lagwa rahi hai aise me jummah Or Panj Waqta Namaz Ka Kya Hukm He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Shariyate Islamiya Ke Mutabik Musalmano Ke Liye Panj Waqta Namaze Ba Jama'at Masjid Me Ja Kar Ada Karna Wajib He, Magar Aaj Jab Hukumat Ne Sakht Qaid Kar Rakhi He, Hatta Ki Masjid Jane Par Imamo Mu'azzin Trusti Hazraat Ke Khilaf F.I.R Wagairah Tak Darj Ki Jaa Rahi He, To Musalman Is Halat Me Mazoor He,  Ab Vo Apne Gharo Par Namaz Ada Kare, Agar Vaha Jama'at Kar Sakte Ho To Ba Jama'at Or Tanha Tanha Padh Le, Ye Hukm Panj Waqta Namazo Ke Liye He,

Magar Khas Kar Namaze Jumaa Ke Liye Kuchh Tafseel He, Kutube Fiqh Me Namaze Jumaa Ke Farz Hone Ki Ek Aham Shart Ye Bhi He Ki Aadmi Par Hakim Wagairah Ka Khauf Na Ho,

Fatawa Ki Mash'hooro Maroof W Mo'atebar Kitab Raddul Muhtar Me He,

Yaani Badshah Ya Chor Wagairah Ki Janib Se Koi Khauf Na Ho.

To Jise Namaze Jumaa Ke Liye Masjid Jane Me Hakim Waqt Ka Khauf Ho Us Par Jumaa Farz Hi Nahi He,

Is Mas'ala Ke Peshe Nazar Arz He Ki Namaze Jumaa Ke Liye Government Ki Taraf Se Waqe'ee Aysi Sakhti Ho Rahi He, Jiska Aap Ne Zikr Farmaya He, To Masjid Ki Aabadi Ki Khatir Jumaa Qaim Rakhne Ke Liye Imam Ke Alawa Chand Hazraat Namaze Jumaa Ada Karle Or Baqiya Hazraat Apne Gharo Me Namaze Zohar Padhe, Magar Is Baat Ka Bhi Khayal Rakhe Ki Agar Shahar Me Esi Halat Ho To Vaha Ke Log Namaze Jumaa Ke Baad Hi Zohar Padhe, Or Jama'at Se Nahi Balki Tanha Tanha Padhe, Or Agar Dihat Me Ho To Tanha Ya Jama'at Jo Bhi Soorat Mayassar Ho Us Par Amal Kare.

Allah Ta'ala Huzur ﷺ Ke Tufail Is Wabai Marz Se Dunya Ki Khusoosan Hamare Mulke Azeez Hindustan Or Musalamano Ki Hifazat Farmaye..
*🎙️Makhuz Bayane: Hazrat Allama Mufti Akhtar Husain Alimi Sahab Qibla*
*📬 Sadrush Shoaba Wal Ifta Darul Uloom Alimiya, Jamdashahi, Up India*

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Ek Ki Bimari Dusre Shakhs Ko Lag Sakti He ? Jese Corona Virus

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kya Kisi Ki Bimari Corona Virus Ya Or Koi bhi Bimari Dusre Shakhs Ko Lag Sakti He, Bimar Shakhs Ke Paas Jane Se Uski Bimari Tandurast Shaks Me Aa Sakti He Ya Nahi ? Kya Is Tarah Ki Koi Hadees He Jisme Huzur ﷺ Ne Bimar Shakhs Se Door Rahne Ka Kaha Ho ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ek Shakhs Ki Bimari Dusre Ko Nahi Lagti, Hadeese Paak Me Huzur ﷺ Ka Irshade Aali He لا عدوى Yaani Koi Bimari Ud Kar Nahi Lagti, Or Jin Ahadis Me Juzam Ki Bimari Wale Mareez Se Door Rahne Ka Aaya Ye Is Wajah Se Nahi Ki iski Bimari Ud kar Use Lag Jaye, Balki Is Wajah Se Ki Juzami Ke Jism Se Badboo Aati He, Or Use Dekh Kar Nafrat Paida Ho Ya Gheen Mahsoos Kare Ya Musibat Zado Ko Dekh Kar Haqeer Samjhe Wagairah..

Lihaza Ek Shakhs Ki Bimari Dusre Ko Lagna Ye Batil Aqida He, Islam Me Iski Koi Haqiqat Nahi.. Koi Bhi Marz Ek Shakhs Se Dusre Shakhs Me Nahi Ja Sakta, Allah Ta'ala Hi Malik He, Allah Ke Hukm Ke Bagair Patta Bhi Nahi Hil Sakta, Taqdeere Ilahi Par Yaqeene Kamil Chahiye, Or Huzur ﷺ Ka Ye Hukm لا عدوی Hi Aqida e Barhaq He.

Ye Kaha Jata He Ki Ek Ki Bimari Dusre Ko Lag Gai, To Fir Pahle Wale Ko Bimari Kaha Se Lagi ?? Yaani Jis Tarah Allah Ne Pahle Shakhs Ko Bimari Di Usi Tarah Dusre Ko Balki Hazaro Ko Bhi De Sakta He, Yaani Ek Ki Bimari Dusre Ko Nahi Lagti, Sab Allah Hi Ke Hukm Se He,

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ne Is Par Ek Mukammal Risala Raqam Farmaya Jiska Naam, الحق المجتلٰی فی حکم المبتلٰی (Yaani Bimari Ke Shikar Shakhs Ke Hukm Se Muta'alliq Wazeh w Roshan Haq) Jisme Aapne Dono Tarah Ki Ahadise Zikr Farmai Or Aakhir Me Hukme Shara'a Farmaya Ki Ek Ki Bimari Ud Kar Dusre Ko Lagna Ye Batil Khayal He.

Chunanche Hadeese Paak Me He,

RasoolAllah ﷺ Farmate He,
لا عدوى ولا طيرة
Yaani Koi Bhi Bimari Ud Kar Nahi Lagti Or BadShuguni, Badfali, Koi Cheez Nahi.
*📚(Bukhari Shareef, J-2, S-859)*

Or Farmate He,
"لا عدوى ولا صفر ولا هامة فقال أعرابي يا رسول الله صلى الله عليه وسلم :    فما بال الإبل تكون في الرمال لكأنها الظباء فيخالطها البعير الاجرب فيجربها فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم :  فمن أعدى الأول"

Yaani Bimari Ud Kar Nahi Lagti, Safar Ke Mahine Ki Nahoosat Koi Cheez Nahi, Ullu Ki Nahoosat Ki Kuchh Haqiqat Nahi, To Ek Aerabi Ne Arz Ki Ya RasoolAllah ﷺ Agar Aysa He To Fir Unto Ke Bareme Kya Kahna He ? Jo Registan Me Hote He To (Khal Ki Saaf Safai Or Chamak Me) Hirno Ki Tarah Lagte He Fir Achanak Koi Kharish Zada Unt Un Unto Se Mil Jata He To Unhe Bhi Kharish Zada Bana Deta He, To RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya,
Agar Ye Baat Haqiqat He To Fir Pahle Unt Ko Bimari Kis Ne Lagai ?

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya, Kisi Marz Me Ta'adiya Nahi (Yaani Marz Ud Kar Dusre Tandurast Ko Lag Jaye) Or Ullu Wagairah Me Nahoosat Nahi, Maahe Safar Ki Aamad Me Nahoosat Nahi. Bimar Janwar Ko Tandurast Janwar Ke Paas Na Laaye Balki Tandurast Janwar Ko Jahañ Chahe Le Jaye. Logo Ne Arz Kiya Ye Kyuñ Ya RasoolAllah ﷺ . Aap Ne Irshad Farmaya Isme Aziyat He Yaani Logo Ko Eeza Hogi.
*📚(Muta Imam Malik Kitabul Jame'a, S-721)*
*📚(Sharah Zarqani Alal Muta Imam Malik, J-2, S-333)*

Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Kai Ahadise Kareema Pesh Karne Ke Baad Tahqiqi Hukm Farmate He Ki,

Ahadis Qism Saani To Apne Ifada Me Saaf Sareeh He Ki Bimari Ud Kar Nahi Lagti, Koi Marz Ek Se Dusre Ki Taraf Sarayat Nahi Karta, Koi Tandurast Bimar Ke Qareeb W Ikhtelat Se Bimar Nahi Ho Jata, Jise Pahle Shuru'a Hui Use Kis Ki Ud Kar Lagi. In Mutwatir w Roshan w Zahid Irshadate Aalya Ko Sun Kar Ye Khayal Kisi Tarah Gunjaish Nahi Pata Ki Waqe'a Me To Bimari Ud Kar Lagti He Magar RasoolAllah ﷺ Ne Zamana e Jahiliyat Ka Waswasa Uthane Ke Liye Mutlaqan Nafee Farmai, Fir Huzur ﷺ w Ajalla Sahaba e Kiram رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی  عَنْہَم Ki Amali Kaar-Rawai Majzoomo Ko Apne Sath Khilana, Unka Jhutha Paani Pina, Unka Hath Apne Hath Se Pakad Kar Bartan Me Rakhna, Khas Unke Khane Ki Jagah Se Niwala Utha Kar Khana Jahañ Munh Laga Kar Unhone Piya Bil Qasd Usi Jagah Munh Rakh Kar Khud Nosh Karna Ye Or Bhi Wazeh Kar Rahi He Ki Adwa Yaani Ek Ki Bimari Dusre Ko Lag Jana Mahaz Khayale Batil He Warna Apne Aap Ko Bala Ke Liye Pesh Karna Shara'a Hargiz Rawa Nahi Rakhti.

Allah Ta'ala Ka Irshad He,
وَ لَا لاتلقوا بِاَیْدِیْکُمْ اِلَی التَّهْلُکْةِ ـ
Aap Apne Hatho Halakat Me Na Pado.
*📚Sura e Baqrah, Aayat-195)*

Rahi Qism Awwal Ki Hadeese, Vo Is Darja e Aaliya Sahat Par Nahi Jis Par Ahadise Nafee He Unme Aksar Zaeef He Jaisa Ki Ham Bayan w ishara Kar Aaye...
*📚(Fatawa Razviya, J-24, S-237)*

Or Farmate He,
Koi Hadees Saboote Adwa Me Nas Nahi, Ye Mutwatir Hadeeso Me Farmaya Ki Bimari Ud Kar Nahi Lagti, Or Ye Ek Hadees Me Bhi Nahi Aaya Ki Aadi Taur Par Ud Kar Lag Jati He. Hadees Chaharum Ki "Juzamiyo Ko Nazar Jama Kar Na Dekho Unki Taraf Tez Nigah Na Karo" Saaf Ye Mahmul Rakhti He Ki Udhar Zyada Dekhne Se Tumhe Gheen Aayegi Nafrat Paida Hogi Un Musibat Zado Ko Haqeer Samjhoge, Ek To Ye Khud Izzat Ko Pasand Nahi Fir Usse Un Giraftarane Bala Ko Nahaq Eeza Pahuchegi, Or Ye Rawa Nahi,

Or Farmate He,

Beshak Huzur ﷺ Ne In Aasar Me (Ahadis) Ta'adiya Marz Ki Nafee Farmai, Chunanche Aap Ka Irshad He Ki Pahle Mareez Ko Kaise Ta'adiya Marz Huva Balki Allah Ta'ala Ki Taqdeer Se Lahiq Huva.

Is Liye Dusro Ko Bhi Jo Kuchh Pahucha Usi Tarah Pahucha, Agar Koi Qaail Yu Kahe Ki Ham Isko Is Hadees Ke Mutzad Qarar Dete He Jo Huzur ﷺ Se Marwi He Ki Koi Mareez Kisi Tandurast Aadmi Ke Paas Na Jaye.

Jaisa Ki Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu Ne Yahi Kaha He.

Me Kahta Hu Ki Ham Aysa Nahi Karte Balki Unke Irshad La Adwa Ko Lete He.

Jaisa Ki Huzur ﷺ Ne Farmaya To Ta'adiya Marz Ki Hamesha Nafee Hogi Or Ham Huzur ﷺ Ke Irshad "Koi Mareez Kisi Tandurast Par Na Warid Ho" Ki Bunyad In Andesha Par Rakhte He Ki Mareez Kabhi Kabhar Sehat Mand Or Tandurast Ke Paas Jaye Or Fir Tandurast Ko Taqdire Ilahi Se Wahi Marz Lahiq Ho Jaye Jis Me Mareez Mubtala Ho Chuka Ho To Log Kahege Ki Pahle Ka Marz (Bataure Tajawuz) Us Me Sarayat Kar Gaya He To Fir Us Kahne Andesha Se Kisi Tandurast Ka Mareez Ke Paas Jana Ya Uska Ulat, Na Pasand Kiya Gaya Or Hamne Or Hamne RasoolAllah ﷺ Ka Apna Mubarak Amal Bhi Ta'adiya Marz Ki Nafee Ki Daleel He. Agar Ta'adiya Marz Kisi Tarah Imkan Rakhta To Nabi e Kareem ﷺ Kabhi Aysa Khatarnak Kaam (Juzami Ko Apne Sath Khana Khilane wala) Na Karte Kyu Ki Isme Eeza Ko Apni Taraf Khinch Kar Lana He Halanki Allah Ta'ala Buzurg w Bartar Ne Isse Mana'a Farmaya He.
*📚(Sharah Ma'aanil Aasare Lil Tahtawi, Kitabul Karahat, J-2, S417)*

*📚(Fatawa Razviya, J-24, S-245, 247)*

Makhuz Az: *📚(Fatawa Razviya Shareef, J-24, Risala Haqqul Mujtala Fee Hukme Mubtala,)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Corona Virus Ke Khauf Se Masjid Me Jamat Qaaim Na Karna Or Azan Me Assalatu Buyutikum Kahna Kesa


*🌹SAWAL:-🌹*
Corona Virus Ke Khauf Se Ye Ailan Kiya Ja Raha He Ki Masjido Me Na Jaye, Jumaa Ki Namaz Me Na Jaye, Jama'at Qayam Na Ki Jaye. Kya Corona Virua Ke Khauf Se Jama'at Ko Tark Kar Sakte He, Or Ye Kaha Jata He Ki Kuwait Ki Ek Masjid Me Azan Ke Dauran Muazzin Ne Hayya Alas Salah Ki Jagah Assalatu Fi Buyutikum Kaha Or Ye Kah Rahe He Ki Esa Huzur ﷺ Ke Daur Me Bhi Hua Tha, Kya Is Waqt Azan Me Aysa Kahna Durust He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Corona Virus Ke Dar Se Masjid Me Jane Se Rokna, Ba Jama'at Namaz Ada Na Karna Or Jumuah Ki Namaz Ke Liye Bhi Jama'at Na Karna, Masjido Ko Taale Laga Dena, Ye Sab Bilkul Najaiz He. Aysa Karne Wale Sab Sakht Gunahgar He, Allah Ke Azab Ke Haqdar He, Mahaz Ek Bimari Ke Dar Se Allah Ki Ibadat Se Rokna, Farz Namazo Se Rokna, Wajibat Se Rokna, Ye Islami Tariqa Nahi, Balki Jahil Or Waham Parastoñ, Or Khaufe Khuda Na Rakhne walo Ka Tariqa He. Sabhi Musalmano Ko Chahiye Ki Panj Waqta Namaz Ya Jumuah Ki Namaz Ba Jama'at Hi Ada Kare.

Or Ye Kahna Ki Kuwait Ki Ek Masjid Me ' Hayya Alas Salah' Ki Jagah Muazzin Ne "AsSalatu Fee Buyutikum" (Yaani Apne Gharo Me Hi Namaz Padho) Kaha, Or Ek Hadees Ka Hawala Diya Ja Rahe He, Pahle To Ye Jaan Le Ki Ahnaf Ke Nazdik Azan Ke Dauran Koi Or Lafz Bolna Durust Nahi. Or Is Tarah Ek Bimari Se Dar Ke Ailan Karna Bhi Jaiz Nahi,
Is Tarah Ki Ek Hadees Shareef Kutube Ahadis Me Paai Jaati He Vo Ye He Ki,
حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ يُوسُفَ ، قَالَ : أَخْبَرَنَا مَالِكٌ ، عَنْ نَافِعٍ ، أَنَّ ابْنَ عُمَرَ أَذَّنَ بِالصَّلَاةِ فِي لَيْلَةٍ ذَاتِ بَرْدٍ وَرِيحٍ ، ثُمّ قَالَ : أَلَا صَلُّوا فِي الرِّحَالِ ، ثُمَّ قَالَ إِنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ :    كَانَ يَأْمُرُ الْمُؤَذِّنَ إِذَا كَانَتْ لَيْلَةٌ ذَاتُ بَرْدٍ وَمَطَرٍ يَقُولُ أَلَا صَلُّوا فِي الرِّحَالِ
Abdullah Bin Umar RadiAllahu Anhuma Ne Ek Thandi Or Barsaat Ki Raat Me Azan Di, Fir Yuñ Pukar Kar Kah Diya ألاصلوا في الرحال‏ Ki Ay Logo Apni Qayam Gaaho Par Hi Namaz Padhlo.
Fir Farmaya Ki Nabi e Kareem ﷺ Sardi w Barish Ki Raato Me Mu'azzin Ko Hukm Dete The Ki Vo Ailan Karde Ki Logo Apni Qayam Gaaho Par Hi Namaz Padhlo.
*📚(Al-Jameus Sahih Bukhari, S-166, Matbuaa Daar Ibne Kaseer Damishk)*
Iski Shara'a Me Huzur Shareh Bukhari Alaihir Rahma Farmate He,
Is Hadees Se Sabit Hua Ki Sunnat Yahi He Ki Kalimat Azan Me Kuchh Dakhil Na Kiya Jaye, Ba'ad Me ألا صلوا في الرحال‏ Kaha Jaye.
*📚(Nuzhatul Qaari, J-2, S-314,315, Matbuaa Faridi Book Stall)*
Lihaza Hadees Shareef Me Jo Assalah Fir Rihal Kaha Gaya He Vo Azan Ke Baad Kaha Jaye Na Ki Azan Ke Bich Me, Or Ye Us Daur Me Khas Mauqa Par Tha Ki Logo Ko Masjid Ki Bajaye Apne Gharo Me Namaz Padhne Ka Is Liye Kaha Gaya Tha Ki Us Waqt Itna Tez Toofan Or Tez Barish Thi Ki Ek To Sahaba e Kiram Ke Paas Itne Kapde Nahi Hote The Ki Toofan Ya Barish Me Kapde Bhigne Se Dusre Kapde Pahan Sake, Or Pahne Huye Kapde Bhigne Ke Baad Bhi Shardi Wagairah Se Mahfooz Rah Sake, Or Dusra Ye Ki Pahle Ke Raste Itne Pakke Nahi The, Tez Barish Ki Wajah Se Itna Kichad Ho Gaya Tha Ki Pure Pair Usme Dhas Jate, Chalna Mushkil, Ek Jagah Se Dusri Jagah Jana Mushkil, Is Wajah Se Us Waqt Huzur ﷺ Ne Masjid Ki Bajaye Apni Apni Qayam Gaah Me Logo Ko Namaz Ka Hukm Diya, Or Aaj Ke Daur Me To Raste, Sadake Itne Achche Hote He Ki Barish Ke Mausam Me Bhi Masjid Tak Pahuncha Ja Sake,  Bagair Kisi Badi Dikkat Ke..
Or Corona Virus Ke Khauf Se Masjid Me Aane Se Namaziyo Ko Rokna Jama'at Qaaim Karne Se Mana Karna Ye Mahaz Jahalat He, Or Vo Kisi Ko Ye Bimari Hone Ka Yaqeen Nahi Sirf Shak Or Waham Ki Kisi Ko Agar Ye Bimari Ho, Or Islam Ne Waham Parasti Ko Bilkul Door Kiya He. Or us zamana me haqiqi is tarah ki pareshani thi jis ki wajah se ye hukm diya gaya tha magar aaj Na to ye bimari kisi ko lagi ho uska yaqeen.
Or Ye Baat Samajh Leñ Ki Faraiz w Wajibat, Jumuah Or Jama'at Ki Namaz Ko Chhod Dene Me Wabao Ka Ilaj Nahi Rakha Gaya He, Balki In Wabao Ke Ilaj Ke Taur Par Taubah, Astagfaar, Namaz, Tilawat, Duaa, Durood Shareef Wagairah Kiya Jaye.
Qura'an Majeed Me Allah Ta'ala Irshad Farmata He,
ظَهَرَ الْفَسَادُ فِي الْبَرِّ وَالْبَحْرِ بِمَا كَسَبَتْ أَيْدِي النَّاسِ لِيُذِيقَهُم بَعْضَ الَّذِي عَمِلُوا لَعَلَّهُمْ يَرْجِعُونَ
Yaani Khushki Or Tari Me Jitni Kharabi He Vo Sab Insano Ke Hatho Ki Kamai He, (Ye Sab Is Liye He) Taaki Unhe Chakhaye Unki Ba'az Bad Aamaliyo Ki Saza (Or Ye Is Liye) Taaki Vo (Apni Bad Aamaliyo) Se Taubah Karle.
*📚(Surah Rum, Aayat-41)*
Or In Musibato Se Darna Kesa Jo Allah Ta'ala Ne Hamari Taqdeer Me Likha He Vo Ho Kar Rahega.
Allah Ta'ala Ka Irshad He,
مَا أَصَابَ مِن مُّصِيبَةٍ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي أَنفُسِكُمْ إِلَّا فِي كِتَابٍ مِّن قَبْلِ أَن نَّبْرَأَهَا ۚ
Tarjama: Nahi Pahunchti Koi Musibat Zameen Me Or Na Tumhari Jaano Me Magar Vo Ek Kitab Me He Qabl Uske Ki Ham Use Paida Kare.
*📚(Surah Hadeed, Aayat-22)*
Yaani Jo Bhi Musibat Zameen Par Aati He Ya Tumhari Jaano Par Aati He Vo Pahle Se Atal Shuda Taqdeer Me Likhi Hui He.
Or Farmata He,
قُل لَّن يُصِيبَنَا إِلَّا مَا كَتَبَ اللَّهُ لَنَا هُوَ مَوْلَانَا ۚ وَعَلَى اللَّهِ فَلْيَتَوَكَّلِ الْمُؤْمِنُونَ
Tarjama: Tum Farmao Hame Na Pahuchega  Magar Jo Allah Ne Hamare Liye Likh Diya Vo Hamara Maula He Or  Musalmano Ko Allah Hi Par Bharosa Chahiye.
*📚(Surah Taubah, Aayat-51)*
Or Farmata He,
ۗ قُل لَّوْ كُنتُمْ فِي بُيُوتِكُمْ لَبَرَزَ الَّذِينَ كُتِبَ عَلَيْهِمُ الْقَتْلُ إِلَىٰ مَضَاجِعِهِمْ ۖ
Tarjama: Tum Farmado Ki Agar Tum Apne Gharo Me Hote Jab Bhi Jinka Mara Jana Likha Jaa Chuka Tha Apni Qatl Gaaho Tak Nikal Aate. (Yaani Taqdeer Ka Likha Huaa Ho Kar Rahega)
*📚(Sura e Aale Imran, Aayat-154)*
Pas Hamara Allah Ta'ala Ki Taqdeer Par Iman Or Uski Zaat Par Bharosa Hame Kisi Bimari Wagairah Ke Waham Se Faraizo Wajibat, Jumuah Or Jama'at Se Rok Nahi Sakta.
Or Allah Ta'ala Ka Irshad He,
وَاسْتَعِينُوا بِالصَّبْرِ وَالصَّلَاةِ ۚ وَإِنَّهَا لَكَبِيرَةٌ إِلَّا عَلَى الْخَاشِعِينَ
Tarjama: Or Sabr Or Namaz Se Madad Chaho, Or Beshak Namaz Zaroor Bhari He Magar Un Par (Nahi) Jo Dil Se Meri Taraf Jhukte He.
*📚(Sura e Baqrah, Aayat-45)*
Is Aayat Se Pata Chala Ki Namaz Ko Qaaim Karke Madad Hasil Ki Jaye. To Fir Namaz Ke Zariye Madad Hasil Karne Ki Bajaye Namaz Ko Tarq Kar Dena Konsa Islam He ?
Or Namaz Ko Qaaim Karne Ka Tariqa Vo Hoga Jo Nabi e Kareem ﷺ Ne Masjid Me Ada Karke Dikhaya.
Or Nabi e Kareem ﷺ Ko Jab Bhi Koi Sakht Or Nagawar Baat Pesh Aati To Aap  ﷺ Fauran Namaz Ada Karte The.
Nabi e Kareem ﷺ Ke Amal Se Hamare Liye Ye Rahenumai Milti He Ki Corona Ke Hamle Ke Mauqa Par Ham Bhi Namaz Ki Taraf Dodne Wale Ho. Naa Ye Ki Jumuah Or Jama'at Ki Namaz Ko Hi Tark Karde.


Or Allah Ta'ala Irshad Farmata He,

وَمَنْ أَظْلَمُ مِمَّن مَّنَعَ مَسَاجِدَ اللَّهِ أَن يُذْكَرَ فِيهَا اسْمُهُ وَسَعَىٰ فِي خَرَابِهَا ۚ أُولَٰئِكَ مَا كَانَ لَهُمْ أَن يَدْخُلُوهَا إِلَّا خَائِفِينَ ۚ لَهُمْ فِي الدُّنْيَا خِزْيٌ وَلَهُمْ فِي الْآخِرَةِ عَذَابٌ عَظِيمٌ

Tarjama: Or Usse Badh Kar Zalim Kon Jo Allah Ki Masjido Ko Roke, Unme Naame Khuda Liye Jane Se Me Or Unki Wirani Me Koshish Kare, Unko Na Pahunchta Tha Ki Masjido Me Jaaye Magar Darte Huye Unke Liye Dunya Me Ruswai He Or Unke Liye Aakhirat Me Bada Azab.
*📚(Sura e Baqrah, Aayat-114)*

Is Aayat Se Pata Chala Ki Masjido Me Jane Se Rokna, Masjido Me Zikre Khuda Karne Se Rokna Zalimo Ka Kaam He, Or Ayse Logo Ko Dunya Me Ruswai Or Aakhirat Me Bhi Allah Ka Bada Azab He Jo Masjido Me Jane Se Rokte He.

Or Jo Log Roke Unka Sath Hargiz Na Do Balki Masjido Me Ba Jama'at Namaz Ada Karo.

Allah Ta'ala Ka Irshad He,
وَلَا تَعَاوَنُوا عَلَى الْإِثْمِ وَالْعُدْوَانِ
Gunah Or Zulm Par Ek Dusre Ka Sath Na Do..

Lihaza Corona Virus Ya Kisi Bhi Is Tarah Ki Bimari Ke Khauf Se Namaze Ba Jama'at Band Karna Masjido Ko Band Karna Ye Sab Najaizo Gunah He, Namaze Ba Jama'at Se Rokne Wale Gunahgar, Zalim Or Azabe Ilahi Ke Haqdad He, Balki Sahih Tariqa To Ye He Ki Mushkilo Me Allah Ki Ibadat Ki Jaye, Zyada Se Zyada Masjide Aabad Ki Jaye. Magar Baad Me Hukumat Ki Taraf Se Sakht Hukm Diya Gaya, Lihaza Hukumat Ke Hukm Ki Khilaf Warzi Bhi Na Ki Jaye, Jisse Musalmano Ko Taklif Uthani Pade, Hukumat Jitne Logo ki Ijazat De 4 5 Jitne Bhi Log Ho Utne Bhi Jama'a Ho Kar Masjid Me Jama'at Qayam Kare.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*24 March 2020*
📲http://wa.me/+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Corona Virus Se Bachne Ke Liye Sanitizers Ka Istimal Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Ye Jo Aaj kal Sanitizer Log Use kar rahe hai corona virus se bachne ke liye toh usme alcohol paaya jata hai toh isse use karna kesa aur Namaz mai kya hukm hoga?

*🌹JAWAB:-🌹*
Alcohal napaak misl e peshab hai . Lehaza us ko hatho me lagana goya k peshab lagana hua . Aur begair dhoye Namaz ada ki to Namaz na hui. Us ko acchi tarah dho kar saaf karna zaruri hai.

*✍🏻Khalifa e Huzoor Tajush Shariah*
*Mufti Maqsood Akhtar Sahab Qibla Razavi Amjadi, Mumbai*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Tere Naam Ka Kalma Padhu Kahna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Asslam Alaikum, Ek Song He Jis Me Ye Laf He, 'Tere Naam Ka Kalma Padhu' Aysa Kahna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Is Tarah Kahne Or Sunne Se Bachna Zaroori He, Bahetar Yahi He Is Tarah Ke Alfaz Istemal Karne Se Bacha Jaye .

Shareh Bukhari Hazrat Allama Mufti Shariful Haq Amjadi Alaihir Rahma Isi Tarah Ke Sawal Ke Jawab Me Farmate He,

Urdu Me Kalma Padhna Bataure Muhavara Baat Manne Or Farma Bardari Ke Aate He. Is liye Is She'ar Ko Kufr Nahi Kaha Ja Sakta. Albatta Ayse Kalimat  Kahne Or Sunne Se Ehtraz Lazim He.
*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-2, S-313)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Paisa De Kar Collage Me Hajri (Attendance) Lagavana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Hmare yaha teacher training k liye regular Collage jana pdta he or agr donation de de to only exams dene jana pdega Mtlb clg m paise de dete h to wo attandence lga dete he
To es trh paisa dekar hazri lgwana jaiz hai
Gulame Musatafa

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Apna Kaam Nikalwane Ya Dusro Ka Haq Talfi Ke Liye Kisi Ko Kuchh Dena Rishwat Kahlata He, Lihaza Soorate Masoola Me Collage Me Paise De Kar Hazri Laga Kar Apna Kaam Nikalwana Rishwat He Or Ye Najaizo Haram He.

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Rishwat Lena Mutlaqan Haram He, Kisi Halat Me Jaiz Nahi, Jo paraya Haq Dabane Ke Liye Diya Jaye Rishwat He , Yuñ Hi Jo Apna Kaam Banane Ke Liye Hakim Ko Diya Jaye Rishwat He.
*📚(Fatawa Razviya, J-23, S-580)*

Or Hazrat Allama Mufti Waqaruddin Alaihir Rahma Farmate He,
Rishwat Ke Ma'ana Apne Mafaad Ke Kiye Ya Kisi Ki Haq Talfi Ke Kiye Raqam De Kar Vo Kaam Karna He.
*📚(Faqarul Fatawa, J-3, S-314)*

Or Rishwat Lena Sakht Najaizo Haram Jiska Zikr Qura'an W Hadees Me Maujud He,

RasoolAllah ﷺ Farmate He,
لعن اﷲ الراشی والمرتشی والرائش الذی یمشی بینھما۔ رواہ الامام احمد عن ثوبان رضی اﷲ تعالی عنہ۔
Allah Ki La'anat Rishwat Dene Wale Or Lene Wale Or Unke Dalal Par.
Ise Imam Ahmad Rahematullah Alaihi Ne Soban RadiAllahu Anhu Se Riwayat Kiya.
*📚(Musnad Ahmad Tarjama Soban RadiAllahu Anhu Darul Fikr Bayrut , J-5, S-279)*

Ek Dusri Hadees Me He, Huzur  ﷺ Ne Farmaya,
الراشی والمرتشی کلاہما فی النار
Rishwat Lene Wala Or Dene Wala Dono Dozakhi He.
*📚(Kanzul Ummal, Hadees-15077, J-6, S-113)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mazar Ko Gusl Dena Kesa Or Uske Paani Ko Tabarruk Ke Taur Par Istemal Karna

*🌹SAWAL:-🌹*
mera sawal ye hai k jab mazarat par urs k mauke par jo waha gusl dia jata hai uski kya wajah hai or kya wo durust hai ? or jab gusl k bad uska pani log peete hain wo kya durust hai?
Eska Jawab enayat farmaye badi maherbani hogi
Gulame Musatafa

*🌹JAWAB:-🌹*
Mazarate Awliya Ko Gusl Dene Me Or Us Paani Ko Bataure Tabarruk Rakhne Me Shara'an Koi Harj Nahi Ye Jaiz He. Or Us Gusl Ke Paani Ko Tabarruk Ke Taur Par Pina Ya Ilaj Wagairah Me Istimal Karne Me Bhi Koi Qabahat Nahi.

Jaisa Ki Hazrat Allama Mufti Munibur Rahman Sahab Qibla Farmate He,

Mazarat Ko Gusl Dene Ke Liye Din Ya Waqt Ka Ta'ayyan Bhi Urfi He Logo Ko Apni Sahoolat Or Sawabadeed Par Munhasar He Lihaza Urs Ke Taqreebat Ke Aagaz Par Ya Aakhri Din Gusl Dena Dono Hi Durust He Or Usme Koi Sharaee Qabahat Or Harj Nahi He Waise Mazarat Ko Gusl Dena Koi Sharaee Zaroorat Nahi He Taham Uski Hikmat Ye Ho Sakti He Ki Kaseer Ta'adad Me Log Buzurgan Ke Mazarat Par Esale Sawab Or Izhare Aqeedat Ke Liye Aate He, Lihaza Mazar Or Usse Muhliq Jagah Ka Saaf Suthra Hona Achchi Baat He Or Usme Koi Sharaee Qabahat nahi He,  Or Uski Asl Gusl Ka'aba He Mazar Ko Urs Ke Aagaz Par Gusl Diya Jaye Ya Ekhtemam Par Dono Ki Hesiyat Yaksañ He.
*📚(Tafhimul Masail, J-5, S-458)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gusse Me Musalman Ko Kafir Kahne Wale Par Hukm Or Uski Taubah Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya farmaate hai muftyan e kram is masle me ke

Ek behen ne gusse me dusro se baath karte hue ye jumle istemal kiye apne bhai ke teheth

"Kithna bada kaafir hai ye to bath hi nahi sun raha"
Hattake inka mathlab ye nahi tha ke uska bhai kaafir hai lekin zaban ko lagaam nahi isiliye wo ye alfaaz nikal bethi

Usko bad me samjhaya gaya ke wo jo lafz istemal ki hai wo ghalath the to usko tauba karne ke liye kaha gaya.. To kuch ghante baad wo boli ke usne tauba kar li hai aur kisiko bataane ki zarurath nahi hai..

Kya ye tauba qubool hui kyuke iske gawah koi nahi..
Kya is behen ko tajdeed e iman bhi karna chahiye? Ya ye tawbah kaafi hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
Bagair Kisi Wajah Ke Kisi Musalman Ko Kafir Kahna Khud Kufre Shanee'a w Qabeeh He.

Allah Ke Habeeb  ﷺ Ne Farmaya Jisne Agar Kisi Musalman Ko Kafir Kaha To Vo Kufr Un Me Se Ek Ki Taraf Paltega.

Yaani Jisko Kaha Agar Vo Kafir  He To Thik Warna Kahne Wale Ki Taraf Paltega.

Lekin Agar Sabbo Sitam Yaani Gaali Galoch Ke Taur Par Kafir Kaha Aqeeda Ke Aitbar Se Nahi Kaha To Sakht Gunahe Kabeera He Magar Kufr Nahi.

*Jaisa Ki 📚Fatawa Razviya Ki App Ke Part 14 Me He*

Musalman Ko Bila Wajah Kafir Kahne Par Hadeese Sahih Me Irshad Farmaya Ki Vo Kahna Us Kahne Wale Hi Par Palat Aayega Yaani Jab Ki Ba Wajah Eteqad Ho Or Ba Wajah Sabbo Dushnaam To Ashad Kabeera.

Sabbo Shitam Zahir Si Baat He Gusse Or Gazab Hi Me Hote He. Lihaza Agar Mazkoora Mas'oola Soorat Me Qaail Par Hukme Kufr Na Hoga.

Rahi Baat Taubah Ki To,
Sirf Itna Kah Dena Ki Mene Taubah Karli Ye Kaafi Nahi Kyu Ki Agar Usne Apne Bhai Ki Taraf Sakht Baat Ki Nisbat Karke Haq Abd Ko Pamal Kiya He To Vo Uske Samne Taubah Kare Or Bhai Se Muaafi Maange.
Or Agar Ye Baat Ailaniya Kahi He To Ailaniya Taubah Bhi Kare.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qazi E Petlad w Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujrat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Izzat Bachane Ke Liye Sucide Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Izzat aur abroo bachane k liye kya ladki suicide kar sakti  hai ?? Mulk ke haalath aise hai ke kaafiro ne zulm kiya rakha hai to ye sawal ek bhai ne poocha hai

*🌹JAWAB:-🌹*
Khud Kushi Shakht Haram Bad Anjam He Kisi Bhi Halat Me Islam Me Khud Kushi Ki Ijazat Nahi.

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qazi E Petlad w Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujrat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Nafl Rozo Ki Niyat Raat Se Karna Zaroori He?

*🌹SAWAL:-🌹*
Raat Ko Nafl Roza Rakhne Ki Niyyat Ki Or Subah Aankh Na Khuli To Ab Kya Karna Chahiye ? Roza rakhna Chahiye Ya Nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Soorate Mas'ula Me Nafl Roza Rakhne Ke Liye Saheri Ke Waqt Aankh Na Khuli Or Kuchh Khaya Piya Nahi To Duphar Se Pahle Niyat Karle Tab Bhi Roza Ho Jayega.

Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Ada e Ramzan Ka Roza, Nazre Muayyan Or Nafli Roze Ki Niyyat Raat Se Karna Zaroori Nahi Agar Zahwe Kubra Yaani Duphar Se Pahle Niyat Karli Tab Bhi Ye Roze Ho Jayege Magar Shart Ye He Ki Kuchh Khaya Piya Na Ho.
Or In Tino Rozo Ke Alawa Qaza e Ramzan, Nazre Gair Muayyan Or Nafl Ki Qaza Wagairah Ke Rozo Ki Niyyate Ayn Roza Shuru'a Hone Ke Waqt Ya Raat Me Karna Zaroori He.

Jaisa Ki Durre Mukhtar Me He Ki,
يصح اداء صوم رمضان و النذر المعين و النفل بنية من الليل إلى الضحوة الكبرى و الشرط للباقى من الصيام قران النية للفجر ولو حكما وهو تبييت النية " اھ تلخيصا
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-1, S-512)*

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gareeb Deobandi Ko Sadqa Dena Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Gareeb Deobandi Ko Sadqa De Sakte He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Deobandi Apne Kufriya Aqaid Ki Bina Par Kafiro Murtad He, Or Kafiro Murtad Ki Kisi Bhi Tarah Se iaanat Or Unko Kisi Bhi Tarah ka Sadqa Wagairah Nahi De Sakte, Agar Kisi Ne Wajib Sadqa Ya Zakat Di To Ye Sadqa Or Zakat Bhi Ada Na Huva.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Abdul Nabi Naam Rakhna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Abdun Nabi Naam Rakh Sakte He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Abdun Nabi Naam Rakh Sakte He, Usme Koi Harj Nahi, Shayad Is Wajah se Kisi Ko Shubah Ho Raha Ho Ki  Yaha Par Abd He, Or Abd Ka Ma'ana Ibadat Karne Wala Hota He, Lekin Abd Ka Sirf Ibadat Karne Wala Hi Ma'ana Nahi He, Abd Ka Ek Ma'ana Gulam Bhi Aata He, Ita'at Karne Wala Or Farmabardar Bhi Aata He, Lihaza Yaha Par Abdun Nabi Ka Ma'ana Ye Hoga Ki Nabi Ka Farmabardar Ya Nabi Ka Gulam.

Huzur Sarkar Aala Hazrat Ne Isi Ma'ana Me Apne Ek Sher Me Irshad Farmaya ,

Khauf Na Rakh Raza Zara Tu To He Abde Mustafa,
Tere Liye Amaan He Tere Liye Amaan He.

Yahañ Par Jo Abde Mustafa He Uska Ma'ana Ye Ki Mustafa Kareem  ﷺ Ka Farmabardar Ya Unka Gulam.

Or Saiyedi w Murshidi Sarkar Tajushshariya Mufti Akhtar Raza Khan Alaihir Rahmato Ridwan Apne Ek Naatiya Kalam Me Sher Darj Farmaya Ki,

Chandni Char Din He Sabhi Ke Liye,
He Sada Chand Abdun Nabi Ke Liye.

Yaha Par Abdun Nabi Ka Istemal Farmaya Isi Tarah Se Khanwada e Aala Hazrat Ke Buzurg Hazrat Allama Naqi Ali Khan Alaihir Rahmato Ridwan, Jo Sarkar Aala Hazrat Ke Walide Girami He Unhone Ek Durood Shareef Ke Andar Is Baat Ko Darj Farmaya He,
Allahu Rabbu Muhammadiñ Salla Alaihi W Sallama,
Nahnu Ibadu Muhammadiñ Salla Alaihi W Sallama.

Yaha Par Abd Ki Jagah Ibaad. or Ibaadu Muhammadiñ Aapne Istemal Farmaya, Yahañ Par Bhi Ibaadu Ka Matlab Muhammad  ﷺ Ka Farma Bardar Unke Gulam He.

Lihaza in Tamam Ash'ar Or Durood Shareef Ke Hawale Se Baat Sabit Ho Jati He Ki Abdun Nabi Ka istemal Ya Abdun Nabi Naam Rakhna Jaiz He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Shohar Ke Talaq Dene Ke Baad Bhi Miya Biwi Ka Ek Sath Rahna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Mera sawal hai ki Hinda ko uske  shauhar ne 3 talaq dediya tha bahot saal pehle fir bhi woh dono ek saath reh rahe the.  Shauhar nahi chahta tha ke woh aurat halala kare.  Bache chote hone ki wajah se woh alag na ho sake. Dar gaye the. Par biwi ko hamesha yeh baat khayi jaati hai . Aise me use kya karna chaiye. Rehnumai farmaye.
Urjent  h plzZzzzzz
Gulam Musatafa

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Bar Sidqe Mustafti Agar Waqe'ee Me Aurat Ko Uske Shohar Ne 3 Talaq Dedi To Vo Aurat Us Par Haram Ho Gai, Ab Bagair Halala Uske Nikah Me Nahi  Aa Sakti.

Allah Tabarak w Ta'ala Ne Qura'an Majeed Me Farmaya,
فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا تَحِلُّ لَهُ مِن بَعْدُ حَتَّىٰ تَنكِحَ زَوْجًا غَيْرَهُ
Yaani Agar Tisri Talaq Use Di To Ab Vo Aurat Use Halal Na Hogi Jab Tak Dusre Khawind  Ke Paas Na Rahe.
*📚(Sura e Baqrah, Aayat-230)*

Jab Itna Saaf Hukm Hone Ke Bawajood Usne Halala Nahi Kiya Or Bachcche Chhote Hone Wagairah Ka Or Shohar Ke Na Manne Ka Usne Uzr Pesh Kiya, To Ye Uzre Lang Hargiz Hargiz Qubool Na Kiye Jayege. Aurat Ko Chahiye Jis Tarah Se Bhi Vo Mard Se Rihaai Hasil Kar Sakti He To Kare, Agarche Usko Maal De Kar Rupya Paisa De Kar Apni Jaan Chhuda Sakti He To Apni Jaan Chhudae Or Agar Maal Daulat Wagairah Le Kar Bhi Vo Mard Usko Na Chhode To Jis Tarah Ban Pade Uske Paas Se Bhag Jaaye, Or Kabhi Bhi Use Apne Upar Kaabu Na De, Hambistari Wagairah Ka Koi Bhi Ta'alluk Hargiz Hargiz Qaaim Na Kare, Or Agar Ye Bhi Na Mumkeen Ho Ki Kahi Nahi Bhag Sakti To Kabhi Bhi Apni Khwahish Se Uske Sath Miya Biwi Jesa Bartwav Na Kare, Or Na Uske Majboor Karne Par Khud Raazi Ho Jaye, Fir Agar Us Mard Ne Majboor Kiya, Or Hambistari Ki To Fir Wabaal Us Par He, Ki Is Soorat Me

Allah Tabarak w Ta'ala ka Irshad He Ki
لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا ۚ لَهَا مَا كَسَبَتْ وَعَلَيْهَا مَا اكْتَسَبَتْ ۗ
*📚(Sura e Baqrah, Aayat-286)*

Yaani Allah Ta'ala Kisi Jaan Par Uski Taqat Se Zyada Takleef Nahi Dalta,

Algarz Us Aurat Ko Ye Chahiye Ki Kisi Bhi Tarah Se Apni Jaan Ko Usse Chhudaye  Maalo Daulat De Kar Bhi Usse Chhuda Le, Or Ye Uzr Karna Ki Chhote Chhote Bachche Hone Ki Wajah Se Me Alag Na Hui, To Ye Uzr Lang He Hargiz Hargiz Qubool Na Kiya Jayega,

Albatta Rahi Baat Khufiya Taur Par Halala Karane Ki  To Usme Zahir Si Baat He Ki Usme Nikahe Saani Hargiz Hargiz Khufya Na Rahega, Fir Bhi Agar Vo Kisi Tarah Se Halala Kara Leti He Khufya Taur Par Dubara Fir Jo Dusre Shohar Se Talaq Hui, Or Us Talaq Ki Iddat Guzarne Ke Baad Pahle Wale Shohar Ke Paas Agar Jana He To Fir Se Nikah Padhna Padhega.

Jab Vo Nikahe Jadeed, Dusra Nikah Padhne Ke Liye Shohare Awwal Ke Paas Jayegi To Us Waqt Us Shohare Awwal Ko Maloom Ho hi Jayega Ki Ye Halala Kar Diya He, Algarz Agar Vo Is Tarah Khufya Taur Par Halala Karle Chahe Shohare Awwal Raazi Ho Ya Na Ho, Or Uski Iddat Guzar Jaye, Or Iddat Guzar Jane Ke Baad Fir Vo Shohare Awwal Se Dubara Nikah Karle, To Fir Ba-dastoor Vo Uski Biwi Ho Jayegi Or Baadahu Vo Hambistari Wagairah Kar Sakti He, Magar Jab Tak Halala Na Kiya Shohare Awwal Ke Upar Vo Haram vo Ajnabi He, Dono Ke Bich Me Kisi Qism Ka Koi Ta'alluk Qaaim Hona Ye Khalis Zina He, Or Jo Bachcha Usse Paida Hoga Vo Waladuzzana Hoga Harami Hoga, In Tamam Baato Ko Malhoos Rakha Jaye, Fir Bhi Agar Kisi Kareebi Aalime Deen Se Mas'ala Khub Achchi Tarah Se Maloom Karle Fir Vo Jis Tarah Se Hidayat Farmaye Us Par Amal Kare.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Holi Khelna Kesa ? Holi Ke Din Rang Lagana Ya Lagwana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Holi Khelna Kesa Or Usme Rang Lagana Ya Lagwana Kesa ? Or Jo Kafiro Se Ittehad Ki Bina Par Usme Shareek Ho Ya Use Achcha Samajh Kar Un Par Kya Hukm He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Holi Ke Din Holi Khelna Or Usme Rang Lagana Ya Lagwana Agar Use Achcha Samajh Kar He To Kufr He Warna Sakht Najaizo Haram He, Ki Ye Hinduo Ka Shuaare Mazhab He.

Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Holi Hinduo Ki Aatish Parasti Ka Ek Khas Din He Jis Me Aag Ki Parastish Karte Or Apne Taur Par Khushi Manate He.

Holi Khelna Ya Us Zamana Me Badan Ya Kapde Par Rang Dalna Ya Dalwana Khas Shuaare Hunood He, Or Ayse Umoor Ka Irtekab Kufr He, Hadees Shareef Me He,
من تشبہ بقوم فہو منہم
Us Shakhs Par Taubah Farz He Or Tajdide Nikah Lazim He.
*📚(Fatawa Amjadiya, J-4 S-151)*

Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Zahir He Ki Af'aale Shaneeaa Mazkoora Sakht Mal'aoon He Jis Ne Unhe Mustahsan Jana Ba Ittifaqe A'imma e Kiram Kafir He,

Gamzul Auyoon Wal Basaair Me He,
من استحسن فعلا من افعلال الکفار کفر باتفاق المشائخ
Jis Ne Kuffar Ke Af'aal Me Se Kisi Fe'al Ko Achcha Samjha To Vo Mashaikh Ke Ittefaq Se Kafir Ho Gaya.
*📚(Gamzul Auyoon Wal Basaair, J-1, S-295)*

Ye Log To Islam Se Kharij Ho Gaye Unki Aurte Nikah Se Nikal Gai Unki Bay'at Jaati Rahi, Neez jisne in Af'aal ko Jaiz w Halal Jana Or Un par raazi huva or un par Muatarizeen se Muaarza Kiya Ye Log Bhi Isi Hukm Me He Ki Mushrikeen Ke Tahewar Ki Khushi Manana Unke Ayse Af'aale Mal'aoona Me Shirkat Karna Mu'asiyate Qataiyya He. Or Mu'asiyate Qataiyya Ka Istehlaal Kufr He. Or Jinhone In Af'aale Mal'aoona Ko Mal'aoon W Shanee'a Hi Jaana Or Unhe Bura Jaan Kar Apni Shaytani Maslehat Ke Khayal Se Shirkat Ki Unke Qalb Ka Haal Allah Ta'ala janta He, Murtakibe Kabaair Huye, Mustahiqe Azabe Naar Huye, Sazawaare La'anat Huye Magar Indullah Kafir Na Huye, Lekin Shara'a Zahir Par Hukm Farmati He.

Hadees Shareef Me Huzur ﷺ Farmate He,
من تشبہ بقوم فہو منہم
Jo Kisi Qaum Se Mushabehat Paida Karega Vo Unhi Me Se Hoga.
*📚(Sunan Abu Dawood, J-2, S-203)*

Dusri Hadees Me He Huzur ﷺ Farmate He,
من کثر سواد قوم فہو منہم۔
Jo Kisi Qaum Ki Jama'at Barhaye Vo Unhi Me Se He.
*📚(Tarikhe Bagdad Tarjama Abdullah Bin Itaab, J-10, S-40)*

Un Par Bhi Taubah Or Tajdide Islam Farz He Taaib Ho Or Naye Sare Se Kalma Padh Kar Apni Aurto Se Nikah Dubara Kare Or Vo Maslehate Mal'aoona Ittehad Ke Unke Qalb Me Iblees Ne ilqaa'a Ki, Vo Khud Kab Halal He. Kafiro Momin Me Ittehad Kaisa.

Allah Ta'ala Farmata He,
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَتَّخِذُوا عَدُوِّي وَعَدُوَّكُمْ أَوْلِيَاءَ
Ay Iman Walo Mere Or Apne Dushman Ko Dost Na Thahrao.
*📚(Sura e Mumtahinah, Aayat-1)*

Or Farmata He,
لَّا يَتَّخِذِ الْمُؤْمِنُونَ الْكَافِرِينَ أَوْلِيَاءَ مِن دُونِ الْمُؤْمِنِينَ ۖ
Imaan Wale Iman Walo Ke Siwa Kafiro Ko Apna Dost Na Banaye.
*📚(Sura e Aale Imran, Aayat-28)*

Or Farmata He,
لَّا تَجِدُ قَوْمًا يُؤْمِنُونَ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ يُوَادُّونَ مَنْ حَادَّ اللَّهَ وَرَسُولَهُ وَلَوْ كَانُوا آبَاءَهُمْ أَوْ أَبْنَاءَهُمْ أَوْ إِخْوَانَهُمْ أَوْ عَشِيرَتَهُمْ ۚ
Tum Na Paaoge Unhe Jo Iman Rakhte He Allah Or Qayamat Ke Din Par Ke Dosti Kare Unse Jinhone Mukhalifat Ki Allah W Rasool Ki Agarche Vo Unke Baap Ho Ya Bete Ho Ya Bhai Ho Ya Kumbe Wale Ho.
*📚(Sura e Mujadalah, Aayat-22)*

Or Farmata He,
 وَمَن يَتَوَلَّهُم مِّنكُمْ فَإِنَّهُ مِنْهُمْ
Tum Me Jo Unse Dosti Rakhega Vo Unhi Me Se He.
*📚(Sura s Maaidah, Aayat-51)*

*📚(Fatawa Razviya, J-21, S-165-168)*

Lihaza Jo Holi Ke Din Use Achcha Smajah Kar Rang Lagaye Ya Unke Kisi Bhi Mazhabi Kaam Me Shirkat Kare Usne Kufr Kiya Us Par Taubah Tajdide Iman, Tajdide Bay'at Or Biwi Wala Ho To Tajdide Nikah Lazim, Or Use Bure Jante Huye Kiya Fir Bhi Sakht Najaizo Haram Azabe Naar Ka Haqdar Hua, Ayso Par Bhi Taubah Lazim.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Naam Likhe Huye Kagaz Ko Kachre Me Fekna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu

 Hazrat mera ek sawal hai ki agr Apne naam ko kisi kagaz par likh Kar aur use kachre mei fenk de jis par Nabi e paak ka naam bhi likha hota hai,to  is par kya hukam hai

*🌹JAWAB🌹*
  وُ عَلَيْكُم السلام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kore Kagaz Ke Ehetaram Karne Ka Bhi Hukm Hai. Maslan Jisme Kuchh Na Likha Ho, Sada Kagaz Ho, Usse Istinja Karna Mana Likha Gaya He, Kyun Ki woh Mahalle Kitabat Hai, Likhne Ka Zariya Or zarf Hai, Abhi Nahi Likha Gaya Magar Aainda Kabhi  Koi Likh Sakta He, Is liye Us Sada Kagaz Ka Bhi Ahetaram Karne Ka Hukm He, Che Jaaike Jis Kagaz Ke Upar Kisi Ne Apna Naam Likha Or Khas Allah wa RasoolAllah ﷺ Ka Naam Likha Gaya Usko Kachre Me Fekna Nihayat Be Adbi Or Gustakhi He, Lihaza Usko Chahiye Ki Agar Apna Naam Ya Kisi Musalman Bhai Ka Naam Kisi Kagaz Ke Tukde Par Likha Hua kachre me pads Dekhe ya Raste me pada dekheTo Usko Adab Ke Sath Utha Kar Kahin   Unchi Jagah Rakhde, Taaki Allah Or Uske Rasool ﷺ ke name Ki Be Hurmati Na Ho.

Sirf Itna Ahetaram karne par hazrate Bashar Haafi Rahematullah Alaihi Jinki Ibtedaai zindagi Sharab Noshi Or Sharab Saazi Me Guzri, Lekin  Unhone sirf *Bismillah Hir Rahman Nir Raheem* Ka Kagaz Ka Tukda Zameen Par Pada hua dekha to usko adab ke sath utha kar unchi jagah par rakh diya, Bas itni si ada par Allah Ta'ala Ne Unko Hidayat Ata Farma Di Or woh Apne Zamane Ke Bahut Bade Wali. Ban gaye

Is liye Jis Kagaz Ke Tukde par Allah or uske Rasool se milta julta naam ho Uska Aehtaram karna chahiye , kachre me nahi fekna Chahiye, kahi unchi jagah par rakh de taake uska Aehtram bar karaar rahe,

or jo aysa karta he yani (name likhe huwe  kagaz ko kachre me phenkta hai) gunahgar hai usse taubah kare.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*🎙Al-Jawab: Hazrat Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*
*idara e shariyya wa samaji khidmat*
*_📬Aala Hazrat Masjid, NavaYard, Vadodra Gujrat_*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.mebhi/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Masjid Me Dunyavi Taalim Dena Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya masjid mein duniyawi ilm haasil kar sakte hain?aap kisi Haafiz sab se mashwara karke plz bataaiye aur hadees ki daleel bhi bataaiye

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Masjid Me Dunyavi Ta'aleem Dena Jaiz Nahi.

Jaisa Ki Fatawa Baraily Shareef Me He,
Or Dunyavi Ta'aleem Masjid Me Dena Bhi Jaiz Nahi.
*📚(Fatawa Baraily Shareef, S-69)*

Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Masjid Me Ta'aleem Basharait Jaiz He,
1. Ta'aleem Deen Ho
2. Mu'allim Sunni Sahihul Aqida Ho, Na Wahabi Wagairah Bad Deen Ke Ta'aleeme Kufr W Zalaal karega.
3. Mu'allim Bila Ujrat Ta'aleem Kare Ki Ujrat Se Kaare Dunya Ho Jayegi.
4. Na Samajh Bachche Na Ho Ki Masjid Me Be Adbi Kare.
5. Jama'at Par Jagah Tang Na Ho Ki Asl Maqsad Masjide Jama'at He.
6. Gul Shor Se Namazi Ko Eeza Na Pahuche.
7. Mu'allim Khwañ Talibe Ilm Kisi Ke Bethne Se Qata'a Saf Na Ho.
*📚(Fatawa Razviya, J-8, S-116)*

Or Farmate He,
Dunya Ki Baato Ke Liye Masjid Me Jaa Kar Bethna Haram He.

Ashbah wan Nazaair Me Fathul Qadeer Se Naql Farmaya,

Masjid Me Dunya Ka Kalam Nekiyo Ko Aysa Kha Jata He Jaise Aag Lakdi Ko.
*📚(Fatawa Razviya, J-8, S-112)*

Or Farmate He,
Masjid Me Dunya ki Baat Ke Liye Bethna Haram He Or Usme Jama'a Ho Kar Dunya Ki Baat Karna Zaroor Khata He.
*📚(Fatawa Razviya, J-6, S-543)*

Lihaza In Tamam Ibarat Se Wazeh He Ki Masjid Me Dunyavi Ta'aleem Dena Jaiz Nahi Balki Dunyavi Baat Karna Bhi Haram He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aasteen Chadaye Bagair Wuzu Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Hazrat aap se mera ek sawal hw,
Aaj aksar ye hota he ki log kapde itne chust Pahante he ki wuzu banane ke liye Aasteen bhi kohni se upar nahi chadha sakte he ye zyada aurto me hota he to ye wuzu karne ke liye Aasteen ko upar kiye bagair kohni tak hath dho dete he, to kya aysi soorat me wuzu hoga ya nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aapne Jo Soorat Zikr Ki He Usme Hargiz Hargiz Wuzu Na Hoga Kyu Ki Kohnyo Samet Dono Hatho ka Dhona farz he,

Qura'an Shareef Me Allah Tabarak w Ta'ala irshad farmata he,
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا قُمْتُمْ إِلَى الصَّلَاةِ فَاغْسِلُوا وُجُوهَكُمْ وَأَيْدِيَكُمْ إِلَى الْمَرَافِقِ وَامْسَحُوا بِرُءُوسِكُمْ وَأَرْجُلَكُمْ إِلَى الْكَعْبَيْنِ
Yaani Jab Tum Namaz Ka Irada Karo To Apne Chahere Ko Dhovo Or Apne Dono Hatho Ko Kohniyo Samet Dhovo.
*📚(Sura e Maaida, Aayat-6)*

Lihaza Suwal Mazkoor me jo aapne zikr kiya, ki kohni Wagairah se upar kapda jata nahi, or kohni Wagairah dhote tak nahi he, Bagair Dhove Wuzu Karke Uth Jate He, Aysa Wuzu Na Hoga, Ayse Wuzu Se Jitni Bhi Namaze Padhi Gai, Vo Namaze Na Hui, Vo Namazo Ko Dohraye, Haañ Agar Kapda Uthay Bina Upar Se Paani Daal Diya Yaani Kapda Bhi Bhig Gaya Or Kohni Par Se Bhi Paani Guzar Gaya To Yaqinan Isse Wuzu Ho Jayega,

Wallahu Ta'aala Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kabrastan Me Qawwali Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Ek Jagah Purana (Old) Kabristaan Hai Or Waha Allah Ke Ek Muqaddas Wali Bhi Baste Hai. Or Use Jagah Vo Wali Ka Urs Aane Per Log Qawwali Rakhte Hai.

Kya Farmate Hai Mufti Yan E Kiraam Is Masle Me

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Qawwal Agar Amard( Be Daarhi Munchh Ka Naw Umr Haseen Ladka) Ya Aurat na ho or Ash'aar Sahiha Hamdo Na'at w Manqabat Ke Bila Mazamir Khush Ilhani Se Parhe To Bila Shuba jaiz he.

Fatawa Razviya Me He,
Qawwal Agar Na Amard Ho Na Aurat, Or Ash'aare Sahiha Hamdo Na'ato Manqabat Bila Mazamir Khush Ilhani Se Parhe Ya Khas Majma'e Saliheen Me Unke Sath Tagnee Kare Biljumla Na Kisi Fitna Par Feel Haal Ishtamal Na Aainda Uska Sahih Ahtemal, To Sahih Ye He Ki Bila Shuba Jaiz He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjam, J-16, S-219)*

Lekin Agar Mazamir Ke Sath Ho To Najaizo Haram Aysi Qawwali Karane Wale Sunne Wale Or Qawwal Sabhi Gunahgar He.

Mazamir Ke Sath Qawwali Sunne Ke Sawal Ke Jawab Me Sarkar Aala Hazrat Irshad Farmate He,
Aysi Qawwali Haram He, Hazreen Sab Gunahgar He, Or Un Sab Ka Gunah Aysa Karne Walo Or Qawwalo Par He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjam, J-24, S-114)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Ziyai Amjadi Sahab Qibla*
*_📬Darul Uloom Mustafiya Haldarwa Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kursi Par Namaz Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Kursi Par Beth Kar Namaz Hoti He Bahut Se Aulma Farmate He Ki Azr Hone Ke Bawajood Kursi Par Beth Kar Namaz Nahi Hoti.

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Farz Wajib Eidain  W Sunnate Fajr Me Qayam Farz He, Bila Azre Sahih Beth Kar Parhne Se Namaze Nahi Hogi Or Azre Sharai Ki Tafsil Karte Huye Sadrush Shariyah Mufti Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahma  Raqam Taraaz He Ki Khade Hone Se Mahaz Kuchh Taklif Hona Azr Nahi, Balki Qayam Us Waqt Saaqit Hoga Ki Khada Na Ho Sake Ya Sajda Na Kar Sake Ya Khade Hone Ya Sajda Karne Me Zakhm Bahta He Ya Khade Hone Me Qatra Aata He Ya Chothai Satr Khulta He Ya Qira'at Se Majboor Mahaz Ho Jata He Yu hi Khada Ho Sakta He Lekin Us Marz Me Zyadati Hoti He Ya Der Me Achcha Higa Ya NaQabile Bardasht Takleef Hogi To Beth Kar Padhe Or Agar Kuchh Der Bhi Khada Ho Sakta He Agar Che Itna Hi Ke Allahu Akbar Khada Ho Kar Kah le To Farz He Ki Khade Ho Kar Itna Kah le fir Jaaye.
*📚(Bahare Shariyat, J-3, S-511)*

In Mazkoora Halat Ke Alawa Zameen Ya Kursi Par Namaz Padhne Se Namaz Nahi Hogi Or Agar Qayaam Rukoo'a w Sujood Par Qadir Na Ho Magar Zameen Par Beth Kar Padh Sakta He To Kursi Par  Beth Kar Namaz Ho Jayegi, Magar Aysa Hargiz Na Kare Balki Zameen Par Beth Kar Namaz Padhe Or Is Soorat Me Rukoo'a W Sujood Ishara Se Kare.

Or Agar Waqe'ee Beth kar namaz padhne me koi azr Sahih ho yo kursi par namaz padh sakta he usi halat me table Ki Zaroorat Nahi or soorat me Rukoo'a w Sujood ishara se kare or kursi wale namazi hazraat saf ke aakhir me kursi lagaye yaaani diwar ke janib kursi lagaye.
*📚(Fatawa Alimiya, J-1, S-144)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+9

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Jaha 40 Musalman Jama'a Ho Vaha Ek Wali Hota He ?


*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Sawal Ye Hai Ki Mai ne Suna Hai Ki 40 Logon Me 1 Allah Ka Walee Hota Hai Jab Ki Aksar pahchan Ke Hi 50, 60 Logo Ka Majma Dekha Jata Hai Aur Maloomaat Ke Mutabik Us Majme me Ko Aalime Deen Bhi Nahi to kya Us Majme me Bhi Kya Koi Allah Ka Walee Ho Sakta Hai ? Aur Walee Kise Kahte Hain Is Par Roshni Daal Den .
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jahañ 40 Muttaqi Musalman Maujud Hote He Usme Se Ek Wali Hota He, Is Hadis Me Musalman Se Murad Muttaqi Parhezgar Musalman He, Or Wali Se Murad TashreeAi Wali He, Warna Cinemao Wagairah Me Hazaro Fasiq w Gair Muttaqi Musalman Bhi Hote He, Iska Matlab Ye Hargiz Nahi Ki Unme se Ek Wali Ho.
Jaisa Ki Hakimul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Awliya Do Qism Ke He,
1. TashreeAi Wali
2. Takweeni Wali
TashreeAi Wali Yaani Allah Se Qurb Rakhne Wale Awliya, Huzur Ki Ummat Me Be Shumar He Jahañ Chalis Saleh Musalman Jama'a Ho Vahañ Ek Do Wali Zaroor Hote He.
Takweeni Wali Vo Ki Jinhe Aalam Me Tasarruf Ka Ikhtiyar Diya Gaya Ho, Unki Makhsoos Jama'at He Jaise Gaus, Qutub, Abdal Wagairah Unki Mukhtalif Aqsam He Or Ye Tamam Qayamat Ke Dar Or Ranj Se Ya Dunya Ke Muzir Khauf w Gam Se Mahfooz He.
*📚(Miratul Manajeeh, J-8, S-517)*
*📚(Noorul Irfan  Parah-11, Sura e Yoonus, Aayat-62)*
Or Ek Hadis Shareef Me He,
Riwayat He Hazrat Kuraib Ibne Abbas Ke Maula Se Vo Abdullah Ibne Abbas Se Raawi Ki unka Farzand Qadeer Ya Asfaan Me Wafat Paa Gaya, To Aap Ne Farmaya Ki Ay Kuraib Dekho Kitne Log Jama'a Ho Gaye, Farmate He Me Nikla To Kuchh Log Jama'a Ho Hi Gaye The, Mene Aap Ko Khabar Di, Farmaya Kya Tum Kah Sakte Ho Ki Chalis Hoge, Mene Kaha Haañ, Farmaya Mayyat Ko Laao Mene RasoolAllah ﷺ Ko Farmate Suna Ki Aysa Koi Musalman Nahi Jo Mar Jaaye Uske Janaze Par Chalis Aadmi Khade Ho Jo Allab Ka Koi Shareek Na Banate Ho, Allah Unki Sifarish Us Mayyat Ke Bare Me Zaroor Qabool Farmata He.
*📚(Muslim Shareef)*
Is Hadees Ki Sharah Me Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Alaihir Rahma Farmate He,
Mirqat Me He Ki Jahañ Chalis Musalman Jama'a Ho Unme Koi Wali Zaroor Hota He, Jis Ki Duaa Qubool Hoti He, Uski Barkat Se Dusro Ki Bhi. Khayal Rahe Ki Ye Zikr Wali TashreeAi Ka He, Wali Takweeni Ki Ta'adad Muqarrar  He Ki Cinemao Or Tamasha Gaaho Me Secdo  Fussaq Hote He.
*📚(Miratul Manajeeh, J-2, S-484, Baab Janaze Ke Sath Chalna Or Us Par Namaz)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts