ANKHON KE PHARAKNE YA HATH ME KHUJLI SE KUCH HOTA HE ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum

Kya Aankh Ke Phadhakne Ya Hath Ke Khujane Se Kuchh Hota Hai Jaise Kisi Pareshani Waghaira Ka Pesh Aana?

*🌹JAWAB 🌹,*
_Hazrath Allama Bahrul Uloom Mufti Abdul Mannan Saheb Qibla Alaihirrahma Tehreer Farmate Hai'n Ke.._

Bad Fai'li Jayez Nahi Jaise Aankh Phadhakne Ko Bura Shagoon Mante Hain Uska Aetebaar Na Karna Chahiye Aur Hateli Khujlane Per Ye Kehte Hain Ke Paisa Milega Aetebaar Iska Bhi Nahi..

( *📚Fatawa Bahrul Uloom Jild :4,Safah :145*)

~::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~
*🌹SAWAL-O-JAWAB 🌹F.T.S 👑grp*
*_📬Khadim:-PATHAN MOIN RAZA, PETLAD_*
📲~::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~

SUNNAT ADA KARNE ME SUSTI KARNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹*

Baaz Log Sunnat Ada Karne Me Susti Karte hain, iske Mutaalliq Kya Hukm Hai..?

*🌹JAWAB:-🌹*

Sunnaten Baaz Muakida Hain K Shariyat Mein ispar Taakeed Aayi, Bila Azar Ek Baar Bhi Tark Kare To Mustahiq Malamat Hai Aur Sunnat Ko Tark Karne Ki Aadat Bana Lena Haraam Ke Qareeb Hai,

Aur Aise Shakhs Ke Mutaalliq Andesha Hai Ke Maaz ALLAH Shafa'at Se Mahroom Ho Jaaye K Huzoor e Aqdasصلى الله عليه وسلم Ne Farmaya, "Jo Sunnat Ko Tark Karega Usey Meri Shafa'at Na Milegi "_

📚 Reference:-
*📗 Deeni Taleem (Hazrat Allama Syed Shah Turab Ul Haq Alaihirrahma)*

~::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬khadim:- Pathan Moin Raza, petlad_*
📲
~:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~

SHIRT PAINT ME IN KARKE NAMAZ PARHNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu alaikum
shirt paint me in karke namaz parhna kaisa ??

*🌹JAWAB:-🌹*

Walaikumassalam wa rahematullah

*_shirt in karke namaz parhna makroohe tahrimi he_*

"Kapra me khuns kar namaz parhna bhi makruhe tahrimi he, or har vo namaz jo makruhe tahrimi ho us ka ae'aada(yani dobara parhna) wajib he...

*📚(Fatawa Faqihe millat, jild-1,safa-178)*

Tajdare ahele sunnat huzur aala hazrat ashshah imam ahmad raza khan fazile barailvy radiallahu anha tahrir farmate he...
_Rasoolallah  sallallahu alaihi w sallam_ ne namaz me kapra sametne , gharsne(khusne) se mana farmaya...
*📚(Fatawa Razviya,jild-3, safa-246, raza academy mumbai)*

~:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑 grp*
*_📬khadim:-Pathan Moin Raza, petlad_*
📲
~:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~

WUZU KARTE WAQT ANGUTHI KA KYA HUKM HE

*🌹SAWAL:-🌹*

Kya farmate he aulma e kiram w Muftiyane izam is mas'ala me k mardo ka anguthi pahenna kaisa ?
wuzu karte waqt kuch khas ehtiyat hoga agar use koi roz pahenta hoto ????

rahenumai farmae.

*🌹JAWAB:-🌹*

surate mas'ula me mard ko chandi ki anguthi pahanna jaiz he jo wazan me ek misqal yani sare char masha se kam ho vo anguthi barabar pahan sakta he magar wuzu banane me ye khyal rahe k agar anguthi tang he to wuzu me harkat dena wajib he jaisa ke "noorul idah' me he
 ویجب تحریک الخاتم الضیق

or agar anguthi dhili he fir bhi aadabe wuzu me se ye he ki usko harkat de jaisa ki mazkura kitab ke hawale se mazkoor he
و تحریک خاتمہ الواسع  من آداب الوضو

sarkar alaihissalam ne anguthi nagina ke sath hi pahni he
*📚(sahih bukhari v muslim shareef)*

*✍🏻Hazrat Allama Mufti Muhammad Sharfuddin Razvi, maddazilahun noorani..*
*_📬Darool uloom qadriyah habibya, fail khana, hawra, bangal.._*

*_urdu to Roman Translate:- Pathan Moin Raza, Petlad_*

~:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬khadim:-Pathan Moin Raza petlad_*
📲8
~::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~

AALA HAZRAT PAR AITRAAZ TARIKHE WILADATE NABI ALAIHISSALAM

*🌹SAWAL:-🌹*

AalaHazrat per Ilzam lagane wale Wahabi Kehte hain ki AalaHazrat ne Fatawae Razviya me Nabi alaihe salam ki wiladat 8 Rabiul Awwal hi likhi hai, or 12 rabiul awwal ko wishal likha
kya ye sahih he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Ye ek Jhuta Ilzam hai,. Aur Wahabiyo ki Makkari hai.

AalaHazrat ne tamam aqwal ko shumar kiya, ki Wiladat par 2, 8, 10, 12, 17, 22 tarikh ke aqwal bhi maujud hain,

fir iske baad Mawahibul Laduniya aur Madarijun Nabuwwa ke Hawale se 12 Rabiul Awwal ko hi mash'hur aur zyada sahi qarar diya hai,

*_📚(Fatawae Razviya, J-26, Pg.411)_*

Andhe WAHABIYO, dekho Fatwae Razviya me kya likha hai??

Aaiye kuch aur Aimma-e-Mujtehdeen ke aqwal par bhi nazar dalte hain ki 12 rabiul awwal hi wiladat ka din he,

  Imam Ibn-e-Ishaq (85-151 H): Allah ke Nabi (صلى الله عليه وآله وسلم) 12 Rabi-ul-Awal ko Aam-ul -Feel me paida hue.

*📚(Ibn-e-Jozi in Al-Wafa, Page 87)*

 Allama Ibn-e-Hisham (213 H): Allah ke Nabi (صلى الله عليه وآله وسلم) Peer ke din 12 Rabi-ul-Awal me Aam-ul-Feel me paida hue.

*📚(Ibn-e-Hasham in As-Sirat-un-Nabawiya, Vol. 1, Page 158)*

Imam Ibn-e-Jareer Tabari (224-310 H): Allah ke Nabi (صلى الله عليه وآله وسلم) Peer ke dina 12 Rabi-ul-Awal ko Aam-ul-Feel me paida hue.

*📚(Tarikh-ul-Umam-wal-Muluk, Vol. 2, Page 125)*

 Allama Abu-ul-Hasan Ali Bin Muhammad Al-Mawardi (370-480 H): Allah ke Nabi (صلى الله عليه وآله وسلم) Ashab-ul-Feel ke waqeye ke 50 din ke baad aur apne waalid ke wisal ke baad 12 Rabi-ul-Awal ko paida hue.

*📚(Ailam-un-Nabuwa, Page 192)*

 Sheikh Abdul-Haq Muhaddis Dehlvi (950-1052 H): Ye Jaan len ki Tarikho ko Jaanne wali ek badi Jamaat (i.e. biographers and historians) ki tehqiq hai ki Hazrat ( Mohammed صلى الله عليه وآله وسلم) Aam-ul-Feel me paida hue … aur Ye achhi tarah jaana jaata hai ki Rabi-ul-Awal ka Mahina tha aur 12 Tarikh thi.

Is Tarikh par bahot sare Ulama ka Ijma hai.

*📚(Madarij-un-Nabuwa, Vol. 2, Page 14)*

~::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑 grp*
*📬Khadim:- Pathan MoinRaza, Petlad*
📲
~::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~

BABRI MASJID KI YAAD ME 6 DECEMBER KO BLACK DAY MANANA CHAHIYE YA SOG MANANA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹*

Kya 6 december ko black day manana chahiye ?

*🌹JAWAB:-🌹*

बड़ा अफ़सोस हो रहा है के आज हम किस राह पर चल रहे हैं

मेरे प्यारे भाइयों “ब्लैक डे” मानाने का मतलब है उस दिन गम मानना जिस दिन “बाबरी मस्जिद” कुफ़्फ़ारों ने शहीद की थी।

अब आपसे मेरा सवाल है की आप इस्लाम की तारीख (History) में मुझे एक दिन ऐसा बता दे के जिस दिन हम गम मनाते हैं?

बड़ी ही माज़रत के साथ मुझे आपको कहना पड़ेगा की ऐसा कोई दिन नहीं इस्लाम में की जिस दिन हम ने गम मनाया हो क्यों की इस्लाम में गम मनाना मातम करना जाइज़ ही नहीं है।

कुछ तारीखी वाक़ियात आपको याद दिलाने की कोशिश करता हूँ जो इस्लाम में बहुत ही ग़मगीन दिन हैं फिर भी हम इन दिनों में गम नहीं मनाते न ही मातम करते हैं।

हुज़ूर सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने जब पर्दा फर्माया:-

इस्लाम के तीन मुक़द्दस खलीफा (हज़रत उमर, हज़रत उस्मान, हज़रत अली) रज़ि अल्लाहु तआला अन्हुमा को शहीद किया गया।

कर्बला में इमाम-ए-हुसैन रज़ि अल्लाहु तआला अन्हु और अहले-बैत रज़ि अल्लाहु तआला अन्हुमा को यज़ीदियों ने शहीद किया।

बैत-उल-मुक़द्दस पर जब गैरों ने क़ब्ज़ा किया।

इन सब वाक़ियात पर अगर गौर किया जाये तो हमें पता चला की हम ने कभी इन दिनों पर ब्लैक डे नहीं मनाया बल्कि हम इन दिनों में “इस्लामिक डे” यानी खूब नेकियों भरा दिन के तौर पर मनाते है।

नमाज़ें पढ़ते हैं,

रोज़ा रखते हैं,

सदक़ा देते हैं,

मुसलमानों को खाना खिलाते हैं,

आगे आने वाली ज़िन्दगी के लिए अच्छी अच्छी नियतें करते हैं के इन्शा अल्लाह शरीअत की पाबन्दी से अब दिन गुजारेंगे (Etc)

इसलिए मेरे प्यारे भाइयों हमें चाहिए की बाबरी मस्जिद के लिए “(Black Day”) न मनाकर इससे”इस्लामिक डे” के तौर पर मनाया जाये,

अब हमारे “(Black Day)” मानाने से जो हुआ उसको नहीं बदला जा सकता है मगर इतना ज़रूर है की “बाबरी मस्जिद” की याद में हम 6th दिसम्बर को आपने दिन ज़्यादा से ज़्यादा अपनी मस्जिदों में बीता कर उन्हें आबाद ज़रूर कर सकते हैं,

हमें चाहिए की 6th दिसम्बर को खूब इबादत करे और दुआ करे की “ए अल्लाह तू हम मुसलमानों को आपने खोया हुआ वक़ार वापस अता फार्मा दे”

अगर हम हमेशा शरीअत पर अमल करने वाले बन जायेंगे तो एक दिन ऐसा भी आएगा अल्लाह ने चाहा तो जहाँ हमारी मस्जिद थी वहीँ दोबारा मस्जिद बनायीं जाएगी…

कुछ लोग (Black Day) मानाने को सवाब का काम समझते हैं, जबकि ये गलत है,

किसी दिन को मनहूस (Bura) समझना (Black Day) गलत बात है,

हाँ बाबरी मस्जिद की शहादत का दुख हमें भी है,

लेकिन किसी की शहादत पर 3 दिन तक ही हदीस के अतिबर से गम मना सकते है, इससे ज़ियादा नहीं,

हदीस निचे देख लीजिये,

हज़रते ज़ैनब बिन्ते-जहश रज़ि अल्लाहु तआला अन्हा के भाई का इंतेक़ाल हो गया.

तीन दिन के बाद उन्होंने खुशबू मंगवाई और उसको लगाया,

फिर कहा मुझे खुशबू की ज़रुरत

नहीं थी मगर मैंने “रसूल’अल्लाह ﷺ से सुना के जो औरत और मर्द अल्लाह तआला और क़यामत पर ईमान रखते हो उसके लिए हलाल नहीं के तीन दिन से ज़्यादा किसी मय्यत पर शोग करे,

“सिवाए शौहर के जिसका सोग 4 माह (महीना) 10 दिन है,”

*📚(बुखारी शरीफ “अल जनाइज़ बाब अल’शियाब अल बैद उल कफ़न’ हदीस : (1264″ 1271″ 1272″ 1273” 1287)*

इस हदीस से साबित हुआ के सोग सिर्फ तीन दिन का होना चाहिए और वो भी शरीअत के हिसाब से मनाना है?

Say No To “(Black Day) Its Not Allowed In Islam !

अल्लाह पढ़ने से ज़्यादा सोच समझकर अमल करने की तौफ़ीक़ अता फरमाए:-

~::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan MoinRaza (petlad)_*
📲
~:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~

kya wajah hai ki hum fajr,magrib,aur isha mai jahar say or zuhar aur asar mai siri say qirat kartay hai?

*🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualikum,
kya wajah hai ki hum fajr,magrib,aur isha mai jahar say or zuhar aur asar mai siri say qirat kartay hai?

*🌹JAWAB:-🌹* Walaikumassalam wa rahmatullah,,
Kutab e tafaseer me uski badi tafseel aayi hai,jiska khuslasa ye hai,ke ibtedaye islam me jab din me jahri qirat ki jarah thi to kuffaro ko ibadat ka pata chal raha tha to wo satane keliye hazir hojate awr namaz me khalal paida karte,awr aksar ZOHAR WA ASAR ki Namazo me huva karta tha,kyu ke ye Namaze din me huva karti hai,awr Maghrib ,isha wa fajar me aysa nahi tha,to Allah tala ne hukm farmaya : APNI PURI NAMAZ ME QIRAT NA JAHR HO AWR NAHI SIRR(AHISTAH) BALKE UN DONO KE DARMIYAN ME QIRAT HO”
*📖(AL QURAN,VOL/15,Surah,Bani israyeel),*

lehaza 2 namazo me qirat sirri awr 3 namazo me jahri rakh di gayi,

NOTE: Eidain ki Namaze DIn me hoti hai,awr us din qirat awaz se honi wajah ye hai,ke us din saare log jama hote hai,awr fitrati wa sharee 2 khushiya hoti hai,to uske shukr ke izhaar awr momino ke ittehad ke iftekhar ki wazahat me qirat jahri ka hukm hai

~::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑 grp*
*_📬khadim:- Pathan MoinRaza,(petlad)_*
📲
~:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~

ISLAM ME TAAI PAHANNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹*

Asslamualykum,

Hzrat Ek sawal he ke
Islam me Taai pahanne ka kiya huqm he ?
Agar nahi pehn sakte to
Jo pehnta he uspar kiya huqm he ?

Kiya is masle par ikhtalaf he
Or tai kyu nahi pahan sakte ?
Muftiyane kiram se gujaris he tafsil se jawab inayat farmaye.

Or Hawala bi de

*🌹JAWAB:-🌹*

W alaikumassalam w rahematullah..

Huzur Mufti aazame hind alaihirrahma farmate he ki taai qura'ane azeem ka radd he qura'an farmata he "yahudiyo ne hazrat isa alaihissalam ko qatl na kiya na unhe sooli di balki unke liye unki shabiaa ka dusra bana diya gaya or yahudiyo ne hazrat isa alaihissalam ko yaqinan qatl na kiya.
*📖(SURA E NISA 156)*

iske bar khilaf isaiyo ka aqida ye he ki yahudiyo ne hazrate isa alaihissalam ko phansi di or sooli oar latkaya lihaza isai iski yaad me salib ka nisan jise cross ✝ kahte he or gale me taai (phanda) bandhte he.

is ki isaiyo ke yaha itni ahmiyat he ki murda ko bhi taai pahnate he, to zaroor ye unka mazhabi shuaar he jo muslim ke liye haram he.

Fuqha tasrih farmate he ki kisi chiz ko "zunar" kaha or or usko jism par bandh liya kafir ho jaaega
yaani kisi aurat ne apni kamar par rassi bandhli or kaha ye jienoo he to kaafir ho gai.
*📚(fatawa hindya jild-1,277)*

or taai to surate cross ✝ ki hamshakl he or itna hi uski hurmat ke liye kaafi he balki aesi soorat me bhi baaz aulma ne hukme kufr diya  aulma farmate he ki majoosi ki topi ke musabe rumal bandhna haram he or ba'az ne kufr bataya.
iski juzya ki roshni me agar taai ko cross ✝ na maane balki hamshakl cross ➕ karar de to bar qaule aksar takfir se awam ko bachaya ja sakta he.

baharhaal taai ka istemal haram asad haram badkaam bad-anjam he or bandhne wale par indul fuqha hukme kufr he agarche ehtiyatan mahaz bandhne par muhaqqikin ke nazdik takfir nahi ki jaaegi bafarze galat taai ko shuaar na maane to bhi hukme hurmat kaaim ki shar'an ehtiyaz muslimine matloob he.

*Hazrat allama qazi mufti abdur rahim sahab bastavi* farmate he ki taai nasara ka shuaare mazhabi he or shuaare mazhabi ka istemal kufr he.

"jisne kafiro ke kisi feal ko achcha samja bil-ittifaq mashaiq ke nazdik vo kafir ho gaya"
agar aesa nahi to fisq zaroor he allah ta'ala musalmano ko nasara ke shuaare mazhabi v qaumi se bachne ki taufiq bakhshe,aameen...

*_KITAB:-_ *📚(TAAI KA MASALA)*

zyada tafsil ke liye kitab TAAI KA MAS'ALA  dekhe.

wallahu aa'alam

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts