Umrah Ke Baad Ahram Ke Kapde Ka Kya Kare

*🌹SAWAL:-🌹*
Umhrah Me Jo Ahram Ka Kapda Pahan Kar Umrah Karte He, Use Umrah Ke Baad Uska kya Karna Chahiye Use Apne Istemal Me Lana Kesa ? Or Kuchh Log Use Fek dete he aysa Karna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Hajj Ya Umrah Ke Baad Jo Ahram Ka Jo Kapda Rahta He Use Apne Istemal Me Laa Sakte He, Or Bahetar Ye He Ki Hattul Imkan Use Najasat Wagairah Se door Rakhe, or Ise Tabarruk Ke Taur Par Bhi Rakh Sakte He, Use Kafan Me Istemal Bhi Kar Sakte He, Or Dubara Hajj Ya Umrah Me Istemal Bhi Kar Sakte He, Baaz Log Jo Use Mina Ya Makkah Me Fek Dete he Ye Israfe Maal He. Or Israfe Maal Jaiz Nahi Shar'an Mamnoo'a He.

Jaisa Ki Fatawa Hajjo Umrah Me He,

Ahram Ki Chadare Istemal Ke Baad Bhi Is Qabil Hoti He Ki Unko Muta'addid Baar Bataure Ahram Istemal Kiya Ja Sakta He Ya Kisi Or Kaam Me Laya Ja Sakta He. Yaani Vo Qimti Maal Hota He Jise Fek Dena Shar'an Mamnoo'a He Ki Ye Israaf He Or Qura'ane Kareem Me Israaf Se Mana'a Kiya Gaya He Or Israaf Karne Walo Ki Mazammat Bayan Ki Gai He, Chunanche Qura'an Kareem Me He,
وَكُلُوا وَاشْرَبُوا وَلَا تُسْرِفُوا ۚ إِنَّهُ لَا يُحِبُّ الْمُسْرِفِينَ۔
Or Khaao Or Piyo Or Had Se Na Barho Beshak Har se Barhne Wale Use Pasand Nahi.
*📚(Sura e A'araf, Aayat-31)*

Or Ham Dekhte He Ki Harmain Shareefain Jane Wale Wapsi par sath tabarrukan Jo Cheeze apne sath laate he or unhe khud rakhte he ya apne rishtedaaro or Dosto Ko Dete he In me kaafi cheeze aysi hoti he jo vahañ ki bani hui nahi hoti mahaz us paak zameen se ho kar aane se ham use mutabarrak samajte he to kya ye ahram ki chadare us paak sar zameen par nahi pahuchi ? Ye Mutabarrak Nahi Hui ? Agar Vo istemal ki gai he to in chadaro me mataaf ko mas kiya hoga, kaabatullah Ki Diwaro Ko Chhuva Hoga, Arfat ki paak sar zameen ko lagi hogi ye to batareeq awla mutabarrak huye fir un ko fek dene ka kya matlab ? Haajiyo Ko Chahiye ki is Tabarruk Ko Apne sath le jaaye aabe zamzam me bhigo le, Madina Shareef Ghuma Laaye, Fir Khud Rakhe Ki Kafan Ke Liye Kaam Aaye Ya Kisi Or Ko De To Vo Bhi Khushi Khushi Is Azeem Tohfe Ko Qubool Karega.

Or Naye Ahram Ka Bhi Yahi Hukm He Ki Vo Qimti Maal He Use Fek Dena Israaf He Jo Ki Shar'an Mamnoo'a He.
*📚(Fatawa Hajjo Umrah, J-3, S-135,136)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+9

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kafan Ke Bache Huye Kapde Ka Kya Kare ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuhu
 Kafan ka kuch kpda bacha hua rakha ho pahle ka to kya us kpde ko pahenne ke liye use kar skte he

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kafan Ka Bacha Hua Kapda Mayyat Ke Tarka Me Se He To Vo Warsa'a Ka Haq He, Warsa'a Ki Ijazat Ke Bagair Kisi Ko Nahi Diya Ja Sakta, Agar Tamam Warsa'a Aaqil, Baalig, Hoñ Or Ijazat Dede To Usko Unki Ijazat Ke Mutabiq Kisi Kaam Me Istemal Kiya Jaa Sakta He. Or Agar Mayyat ke Tarka Me Se Nahi He Balki Kisi Ne Apni Taraf Se Use Kafan Diya He To Is Soorat Me Ye Kapda Usi Kafan Dene Wale Ki Milk Me Hoga Usi Ki Ijazat Se Ye Kapda Dusre Kisi Kaam Me Istemal Kiya Ja Sakta He.

Durre Mukhtar Me He,
Agar Kafan Me Se Koi Cheez Bach Gai To Agar Ma'aloom He Ki Falañ Ne Kafan Diya He To Usko Wapas Ki Jaayegi Or Agar Kafan Dene Wale Ka Pata Na Chale To Usi Ki Misl Mohtaj Ke Kafan Me Sarf Kiya Jaaye Or Agar Aysa Bhi Na Ho To Sadqa Kar Diya Jaaye. Or Kafan Tabra'a Karne Wale Ki Milk Se Kafan Nahi Niklega.
*📚(Durre Mukhtar Ma'a Raddul Muhtar, J-3, S-120)*

Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate he,
Saamane Tajheez Maslan Khushboo Or Gusaal Or Le Jane Walo Ki Ujrat Or Dafan Masaarib Sab Me Sharai Miqdar Murad He Baaqi Or Baate Agar Mayyat Ke Maal Se Ki Gai Or Warsa'a Baalig Ho Or Sab Wariso Ne Ijazat Bhi Dedi Ho To Jaiz He Warna Kharch Karne wale Ke Zimma He.

Kafan Ke Liye Sawal Kar Laaye Usme Se Kuchh Bach Raha To Agar Ma'aloom He ki Ye Falañ Ne Diya He To Use Wapas Kar De, Warna Dusre Mohtaj Ke Kafan Me Sarf Kar De, Ye Bhi Na Ho To Tasadduq (Sadqa) Kar De.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, S-170)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ba Barkat Peer Ke Wisal Ke Baad Dusre Buzurg Se Talib Hona Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Qabile Sad Ehtaram Ulama-e kiraam se ek sawal hai ke...

Zaid Ahsanul ulama se mureed hai aur wo Tajushharia ke paas logon ko mureed hote dekh kar khud bhi daman pakad leta hai. Deegar log mureed hone k liye daman pakadte hai. Magar wo talib hone ki niyat se.
To ye Talib hona kaisa ??
Aur talib hone ke kya mani hain
Braye meharbi wazahat farmayein.

*🌹JAWAB:-🌹*

Mureed Ka Matlab Hota He Kisi Ke Hath Bik Jaana Or Talib Ka Matlab Hota He Talibe Faizan ; Faiz Talab Karne Wala. Sufiya e Kiram Or Hamare Aulma e Kiram Farmate He k Murshid Ki Zindagi Me Kisi Se Taliba Na Hona Bahetar He, Nahi Hona Chahiye, Or Murshid Ke Inteqal Ke Baad Kisi Se Tajdide Bay'at Kiye Bagair Talib Banta He, To Ban Sakta He, Or Niyyat Ye Rakhe Ki k Peero Murshid Ka Jo Faizan Muje Mil Raha He Vo Inki Badaulat Muje Milta He, To Ab Ye Hua Wasta, To Talibe Faizan Ka Matlab Ye Hua Ki Faiz Ko Talab Karne Wala, Yaani Peero Murshid Ke Faiz Ko Talab Karne Wala Is Shaikh Ke Zariye Jis Shaikh Se Vo Talib Ho Raha.

Lihaza Agar Koi Sarkare Ahsanul Aulma Alaihir Rahmato Ridwan Ka Mureed He Or Aap Ke Wisale Mubarak Ke Baad Huzur Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Ke Daste Paak Par Talib Hua To Ye Jaiz He Or Niyyat Dil Me Ye Rakhe Ki Huzure Tajushshariya Ke Zariye Muje Apne Peero Murshid Ka Faizan Mila To Asl Faizan Huzur Ahsanul Aulma Ka Hoga, Or Uske Fuyuzo Barkaat Jo Milege Sarkar Tajushshariya Ki wasatat Se.

*🎙(Voice Of): Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla Maddazilluhul Aali*
*_📬Khadim Tadris o Ifta Darul Uloom Gause Aazam Porbandar Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Sunni Ladki Ka Nikah Wahabi Se Ho To ladki Ki Shadi Me Jana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Suwal hai ki
Ek momin ladki ka Nikaah Wahabada ke ghar ho rahi hai Jo bahut hi azeez log hai to us ladki ke Nikaah me shareek hone wale par kya hukum lgega plz Rahnumai farmaye
Gulaame Musatafa

*🌹JAWAB:-🌹*

Wahabi Se Nikah Haram Haram, Sire Se Hoga Hi Nahi Or Khalis Ma'azAllah Zina kaari Hogi, Lihaza Jitne Log Is Nikah Me Shareek Ho, Un Sab Par Aelaniya Taubah Lazim He, Or Us Wahabi Ladke Ko Musalman Samajh Kar Shamil Hua Us Par Taubah w Tajdide Iman Lazim He.

*🎙(Voice Of): Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla Maddazilahul Aali*
*_📬Khadim Tadris o Ifta Darul Uloom Gause Aazam Porbandar Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mobile Me Quraan Ki Application Download Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Walikum Hazrat,

Agar mobile mein quran ka app download kar ke rakhna kaisa hai hadess se jawab de.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jaiz He, Or Usme Qura'an Shareef Bhi Padh Sakte He, Albatta Uske Sath Ya Apne Mobile Me Koi Gandi Cheeze Download Karke Na Rakhe, Or Yuñ Bhi Gandi Chizo Ka Rakhna Gair Zaroori Applicationo Ka Rakhna Sahih Nahi He, Lihaza Aap Qura'an Shareef Ki Application Download Kar Sakte He, Usme Qura'an Shareef Padh Bhi Sakte He, Sun Bhi Sakte He, Jab Ki Sunni Sahihul Aqida Ki Ho..

Or Qura'an Shareef Jo Screen Par Nazar Aata Ho Use Zubani Bhi Padh Sakte He Or Be Wuzu Ho To Bagair Haath Lagaye Bhi Padh Sakte He, Usi Ke Sath Sath Sharai Council Baraily Shareef Ke Seminar Ka Fesla He Ki Screen Par Qura'ani Aayat Nazar Aati Ho To Us Par Bagair Wuzu Hath Lagana Jaiz Nahi He, Lihaza  Wuzu Karke Vo Hath Laga Kar Bhi Padh Sakta He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Qabrastan Me Jute Chappal Pahan Kar Jana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Qabrastan Me Jute Chappal Pahan Kar Chalna Kesa ? Or Agar Qabro Ke Karib Me Rasta Ho Kya Vahañ Jute Pahan Kar Chal Sakte He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Musalman Ki Qabr Par Chalne Ke Ta'alluk Se Ahadise Kareema Me Kai Saari Waeede Aai He, Magar Qabrastan Me Jo Rasta Hota he Usme Agar Vo Rasta Naya Bana He To Us Par Bhi Chalne Ko Aulma e Kiram Ne Haram Farmaya Ki Uske Niche Muslamano Ki Qabr Ho Sakti He, Or Musalman Ki Qabr Par Chalna Haram, Sakht Gunah, Hurmate Momin Ke Khilaf, Tarke Adab, Gustakhi He, Or Agar Qabrastan Me Koi Purana Rasta Ho Jahañ Qabre Na Ho Vahañ Chalna Jaiz He Agarche Jute Chappal Pahan Kar Ho. Or Qabro Ke Karib Me Bhi Jo Rasta Hota He Vahañ Jute Pahan Kar Bhi Na  Chale Ki Isse Qabr Wale Ko Ko eeza Pahunchti He.

Jaisa Ki Saiyedi Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Hamare Aulma Ne Tasreeh Farmaai Ki Qabrastan Me Jo Naya Raasta Nikala Gaya Ho Us Me Aadmiyo Ko Chalna Haram He,
فی الشامیہ عن الطحطاویۃ آخر کتاب الطھارۃ نصوا علٰی ان المرورفی سکۃ حادثۃ فیھا حرام
Aakhir Kitab Shaami Me  Tahtaawi Se He Aulma Ne Is Baat Ki Tasreeh Ki He Ki Qabrastan Me Jo Naya Raasta Nikala Gaya Ho Us Par Chalna Haram He.
*📚(Raddul Muhtar, J-1, S-228)*

Or Aage Farmate He,

Nabi E Kareem ﷺ Ne Ek Shakhs Ko Maqaabir Me Juta Pahne Chalte Dekha Irshad Farmaya, Haay Kam Bakhti Teri Ay Taaifi Jute Wale ! Fenk Apni Juti.

اخرج الائمۃ ابوداؤد النسائی والطحطاوی وغیرھم عن بشیر بن الخصاصیۃ واللفظ للامام الحنفی ان رسول اﷲ صلی اﷲ تعالی علیہ وسلم رای رجلا یمشی بین القبور فی نعلین، فقال ویحک یا صاحب السبتیتین الق سبتیتیک

Abu Dawood, Nasai, Tahtawi, Wagairahum Ne Basheer Bin Khasaasya Se Riwayat Ki Or Lafz Imam Hanfi Ke He Ki RasoolAllah ﷺ Ne Ek Shakhs Ko Qabro Ke Darmiyan Jutiyañ Pahan Kar Chalte Huye Dekha To Farmaya: Kharabi Ho Teri Ay Jutiyo Wale Apni Jutiyañ Utar De.
*📚(Sharah Ma'aanil Aasar, J-1, S-342)*

Fazile Muhaqqiq Hasan Sharnablaali Or Unke Ustad Allama Muhammad Bin Ahmad Hamwi Farmate He, Chalne Me Jo Aawaz Kafshe Paa Se Paida Hoti He Amwaat Ko Ranj Deti He.

حیث قال فی مراقی الفلاح اخبرنی شیخی العلامۃ محمد بن احمد الحموی الحنفی رحمہ اﷲ تعالی بانھم یتأذون بخفتی النعال انتھی.

Is Liye Ki Maraaqil Falah Me Kaha Ki Mujhe Khabar di Mere Shaikh Allama Muhammad Bin Ahmad Hamwi Hanfi Rahmatullah Alaihi Ne Ki Murde Jutiyoñ Ki Pahchal Se Taklif Mahsoos Karte He.
*📚( Miraaqil Falah Ala Hamishul Tahtawi, Fasl Fee Ziyarate Quboor, S-342)*

*(Fatawa Razviya, J-9, S-931, 932)*

Imaam Ayni Sharah Sahih Bukhari Shareef Me Farmate He,

فیہ ذھول عماورد فی بعض الاحادیث ان صاحب القبر کان یسأل فلما سمع صریر السبتتین اصغٰی الیہ فکاد یھلک لعدم جواب الملکین فقال لہ صلی اﷲ تعالی علیہ وسلم القھما لئلا توذی صاحب القبر ذکرہ ابوعبداﷲ الترمذی.
Yaani Is Qaail Ko Yaad Na Raha Vo Jo Ek Hadees Me Aaya He Ki Qabr Wale Se Sawal Ho Raha Tha Itne Me Jootoñ Ki Pahchal Us Ne Suni Udhar Kaan Lagaye Jawab Me Der Hui, Qareeb Tha Ki Halak Ho Jaye, Saiyede Aalam ﷺ Ne Us Juta Pahan Kar Chalne Wale Se Farmaya Unhe Utar Daal Ke Murde Ko eeza Na Pahunche. Ye Hadis Abu Abdullah Muhammad Tirmizi Ne Zikr Farmai..
*📚(Umdatul Qaari Sharah Sahih Bukhari, J-7, S-48)*

*📚(Fatawa Razviya, J-9, S-922)*

Or Agar Qabrastan Me Purana Rasta Ho Jahañ Qabre Na Ho To Us Par Chalna Jaiz He,

Jaisa Ki Fatawa Razviya Me He,
Qabro Par Chalne Ki Mumane'at He Na Ki Juta Pahanna Sakht Tauheene Amwaate Muslimeen He, Haañ Jo Qadeem Rasta Qabrastan Me Ho Jis Me Qabr Nahi Usme Chalna Jaiz He Agar Che Jute Pahane Ho.
*📚(Fatawa Razviya, J-9, S-398)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kabutar Udana,Palna, MurgBaazi, BaterBaazi, Patang Baazi, Patang Udana Or Bechna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kabutar Udana Or Palna Or Murg Baazi, Bater Baazi, Neez Kankiya Yaani Patang Baazi, Patang Or Maanjna Farokht Karna Jaiz He Ya Nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Sunnate Mu'akkeda Or Gair Mu'akkeda Ki Takhsis

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya sunnate muakkidah wa ghair muakkidah sirf ibaadaat se mutalliq Hai?

Ibaadaat ke alawah bhi Doosre maamulaat ki sunnaton mein bhi mukkidah o ghair muakkidah ki koyi takhsees hai ya nahin?

*🌹JAWAB:-🌹*

Sunnate Mua'kkeda Jise Sunnate Huda Bhi Kahte He Jiska Ma'ana Ye He Ki Aysi Sunnat Jisko Aaqa Alaihis Salam Ne Bataure Ibadat Hamesha Kiya, Haañ Kabhi Kabhi Bila Azr Tark Farmaya Ya Tark Nahi Farmaya Lekin Tarik Par Ta'an Na Farmaya.

Misal Ke Taur Par Jama'at, Azan Iqamat Wagairah Sunnate Mu'akkeda Me He..

Iska Hukm Ye He Ki Iska Tark Karne Wala Mustahiqe Malamat W itab He.

Sunane Huda Vo Sunane Mu'akkeda Jo Shuaa'ir Ka Darja Rakhti He Unke Tarikeen Par Itab Hoga. Hatta Ki Agar Kisi Shahar Me Azan, Jama'at Ke Tark Par Misr Ho To Hakime Waqt unko Taqat Ke Zariye Un Sunan Ki Da'awat De Kyu Ki Aysi Sunan Shuaa'ire Islam Hone Ki Wajah Se Ba Manzila Wajib He. Vo Sunan Jo Shuaa'ire Islam Ke Darje Par Faaiz Nahi To Unka Hukm Ye Nahi Hoga.

Imam Sarkhasi Tasreeh Karte He,

Agar Sunnate Mua'kkeda Maslan Namaze Eid, Azan, iqamat, Jama'at Koi Qaum Tark Kar Deti He To Vo Malamat W Itab Ki Mustahik Hogi Or Agar Tamam Ahle Shahar Uske Tark Par Israar Kare To To Hakime Waqt Unke Khilaf inzabti karwaai kare yahañ Tak ki Vo Use Baja Laaye Kyu Ki Ye Sunane Shuaa'ire Islam Hone Ki Wajah Se Ba Manzila Wajib He, Haañ Vo Sunan Jo Shuaa'ire Islam Me Se Nahi unka Ye Hukm Nahi Hoga.
*📚(Usoolul Sarkhasi, J-1, S-112)*


Or Sunnate Gair Mu'akkeda Jise Sunnate Zaaida Bhi Kahte He Jiska Ma'ana Ye He Ki Aysi Sunnat Jo Aap  ﷺ Se Bataure Ibadat Nahi Balki Bataure Aadat Sadir Hui Ho.

Misal Ke Taur Par Libas, Khana , Asa Pakadna, Amama Bandhna Wagairah Tarike Sunnate Gair Mu'akkeda Me He.

Iska Hukm Ye He Ki Is Par Amal Qabile Ajr W Sawab Magar Iska Tarak Karne Wala Qabile Malamat Nahi Hota.

Sunane Zawaid Par Amal Mustahsan He Kyu Ki Jo Amal Risalate Ma'aab ﷺ Ne Kiya Khwañ Bataure Ho Ya Bataure Aadat Is Amal Me Khair Hi He Balki Azraahe Muhabbat Karne Se Ummati Ke Darjaat Me Balandi Or Huzur ﷺ Ka Qurb Naseeb Hota He Magar Is Par Amal Payra Na hone wale insan par malamat nahi ki jaa sakti kyuñ ke jab nabi  ﷺ ne un sunan ka paband ummat ko nahi farmaya to ab dusre ko haq Nahi pahuchta ki vo usme Sakhti kare.

Imam Sarkhasi Tasreeh Farmate he

Sunane Zawaid Maslan Huzur ﷺ Ka Libas Mubarak, Qayam, Qa'ood, Chalna, Aaram Farmana,Unke Tark me Koi Harj Nahi Or Unki Itla'a Mustahsan He (Balki) Afzal He, Ki Aap Ki Zaate Aqdas Ki izzato Maqam Ke Peshe Nazar Bataure Muhabbat Unhe Baja laya Jaaye lekin unke tarik par malamat munasib nahi che jaaike uski mazammat ki jaye.
*📚(Usoolul Sarkhasi, J-1, S-112)*

*📚Makhuz: (USOOLE FIQH, MA'AARIFUL AHKAM, S-209-214)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Muh Se Lahsan Pyaz Ki Boo Se Wuzu Toota He Ya Nahi

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم
Muftiyaane Kiraam Ki Baargaah Men Sawaal Hai Ke

Muhh se kuch cheezo ke khane par smell aati hai jese lehsan , piyaz ,muli.. wazoo ke bad bhi smell aati hai to wazu toot jata hai ?
Rehnumaai Farmaaen!

*🌹JAWAB:-🌹*

Ye Naqize Wuzu Nahi He.
Wese Bhi Wuzu Me Munh Ka Dhona Farz Ya Wajib Nahi Hai. Or Badbu Ka Chhudana Jab Najasato Me Muaaf Hai To Lahsun Wagairah To Paak He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qazi E Petlad w Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujrat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Muharram Mahine Me Shadi Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Muharram Ke Mahine Me Shadi Karna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Maahe Muharramul Haram Ya Kisi Bhi Mahine Me Mangani, Shadi Or Is Jaisi Digar Taqreebat Karne Me Koi Sharai Mumane'at Nahi.

Jaisa Ki Saiyedi Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Maahe Safar w Muharram Me Shadi Karne Ke Muta'alliq Sawal Ke Jawab Me Farmate He,
Nikah Kisi Mahine Me Mana'a Nahi.
*📚(Fatawa Razviya, J-11, S-265)*

Or isi Tarah Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Farmate He,
Maahe Muharram Me Shadi Biyah Karna Jaiz He, Shar'an Koi Mumane'at Nahi.
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-1, S-562)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

LIC Ka Nafa'a Halal He

*🌹SAWAL:-🌹*
Me LIC insurance company pe policy karwata hu to isse jo commission ban raha hai wo hallal hai ya haram ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Hindu Ki Dukan Se Kharide Huye Saman Par Fatiha Dena Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuhu
Mere suwal hai
Ki Kisi hindu ki dukan se koi cheez khareed kar Fateha karwana kaisa hai,jaise mithai Jalebi wagairah plz Rahnumai farmaye
Gulaame Musatafa

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Gair Muslim Hindu Wagairah Ki Dukan Se Kharida Hua Gosht Ke Alawa Ka Saman Mithai Wagairah Par Fatiha Dene Me Harj Nahi, Jaiz He, Jab Ki Usme Koi Najasat Na Mili Ho. Or Bahetar Yahi He Ki Kisi Muslim Ki Dukan Se Kharide.

Jaisa Ki Fatawa Hindiya Me He,
ولا بأس بطعام المجوس کله إلا الذبیحة فإن ذبیحتهم حرام " اھ
Yaani Majoosi (Aatish Parast)  Ke Zabeeha Ke Alawa Baqiya Ta'aam (Khane Me)  Koi Harj Nahi.
*📚(Fatawa Hindiya, J-5, S-347)*

Or Fatawa Faqihe Millat Me He,

Saiyeduna Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he,

Hindu Ke Hath Ka Paka Huva Gosht Haram He Or Baaqi Khane Uske Pakaye Huye Ho To Jaiz He, Jab Ki Paani Ya Bartan Me Khillate Najasat Ma'aloom Na Ho.
*📚(Fatawa Razviya, J-9 Nisf Aakhir, S-115)*

Or Farmate He Hindu Ke Yaha Ka Gosht Khana Haram He Or Dusri Cheez Me Fatwa Jawaz Or Taqwa Aehteraz, Imam Muhammad Rahmatullah Alaihi Farmate He,
بہ ناخذ مالم نعرف شیئا بعینہ
*📚(Fatawa Razviya, J-9 Nisf Aakhir, S-163)*

Or Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahma Farmate He,
Hindu Ke Hath Ka Pakaya Huva Khana Najis Nahi Magar Hattul Wasa'a Muslim ko unki Pakai Hui Cheezo Se Aehteraz Karna Chahiye.
*📚(Fatawa Amjadiya, J-4, S-292)*
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-2, S-314)*

Or Isi Tarah Fataw Europe Me He,
Mushrikeen Ki Banai Hui Cheezo Ke Istemal Ya Ashya'a Khuradni Ke Khane Me Koi Harj W Mumane'at Nahi Or Na Unki Bheji Hui Cheezo Se Iftar Karne Ki Mumane'at He Baaqi Raha Sawab To Indush Shara'a Sawab Ahle iman Ke Sath Mukhtas He.
*📚(Fatawa Europe, S-300)*

Or Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,

Or Zaid ne Gair Muslim Se Shirni Le Kar Apni Karke Apne Aap Fatiha De Kar Apni Samajh Kar Taqsim Kar diya to koi harj nahi.
*📚(Fatawa Mustafiya, S-453)*
*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-2, S-340)*

Lihaza Hindu Ke Dukan Se Laai Hui Mithai Me Agar Najasat Wagairah Na Mili Ho To Use Khane me Or Us Par Fatiha Dene me koi harj nahi fatiha bhi bila Shubah Ho Jayega, Magar Bahetar Yahi He Ki Agar Musalman Ki Dukan Ho To Usi Se Kharide, Kafir Ki Dukan Se Bachna Bahetar.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Nafa'a Ko Sood Kahne Se Kya Vo Sood Ho Jayega

*🌹SAWAL:-🌹*
Kafir Bank Se Milne Wala Nafa'a Ko Sood Kahne Se Kya Vo Sood Ho Jayega Or Vo Halal Hoga Ya Haram ?
*🌹JAWAB:-🌹*

Kisi Ke Sood kah dene se vo sood na hoga, Haañ Use Sood Samajh Kar Lene Se Gunah Zaroor Hoga, Magar Vo Maal Halal He.

Jaisa Ki Huzur Mufti Aazame Hind Alaihir Rahma Farmate He,

Jab government ek raqam apni raza se khud zaaid deti he us ke lene me koi harj nahi ki vo sood nahi magar sood samajh kar lena zaroor gunah hoga, use samajhne se vo sood na ho jaega jo zaaid maal akz kiya maale halal he magar haram samajh kar liya uska gunah hua.
*📚(FATAWA MUSTAFIYA, S-414)*

Isi Tarah Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Farmate He,

Is Nafa'a Ko(Kafir Bank Se Milne Wala Intrest) Kisi ke Sood Kah dene se Shariyat Ke Nazdik Sood Nahi Ho Jayega.
*Makhuz:📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-387)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gaane Ki Tarz Par Naat Padhna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
assalamualaikum gane ki taraz me naat shareef padhna ya sunna kesa
hai aur aaj kal gaane ki taraz m naat shreef nikal rahi hai bina music ke wo sunna kesa hai plz Rahnumai farmaiye

*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Naat Shareef Ko Gaane Ki Tarz Par Padhna Or Sunna Dono Jaiz Nahi. Isi Tarah Agar Gaane Ki Tarz Par Bagair Mausiqi (Music) Ke Ho Tab Bhi Jaiz Nahi Ki Jab Vo Naat Ko Suna Jayega To Zahen Gane Ki Taraf Jayega, Or Naat Zikre Rasool ﷺ He, Lihaza Is Tarah Gaane Ki Tarz Par Naat Padhna Naat Ki Tauhin He Or Fussaq Ke Sath Musabehat He.

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate he

Naat Saada Khush Ilhani ke Sath Ho,  Gaano Ki Tarz Par Na Parhi Jaye.
*📚(Fatawa Razviya, J-23, S-363)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Attahiyat Or Durood Ke Baad Sajda e Sahw Yaad Aaya To Kya Kare

*🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Main 3 Rakat Vitr Padh Raha Tha Teesri Rakat Me Kul Shareef Padhke ruku Me Chala Gaya Duaa E Qunoot Padhna Bhool Gaya Ab Hona To Ye Chahiye Tha Ke Main Attahiyaat Padhke Ek Taraf Ke Salaam Pherke Sajda e Shaw Karta Lekin Waha Bhi Bhool Ho Gai Duroode Ibrahim Pehli Padhne Ke Baad Yaad Aaya Yaad Aate Hi Wahi se Sajda E Shaw Kiya Or Namaz Poori Ki Kya Namaz Ho Gai.

REHNUMAI Farmaea

*🌹JAWAB:-🌹*
Soorate Mas'ula Me Sajda e Sahw Wajib tha or bhul se Qa'ada e aakhira me At-Tahiyat ke baad Duroode ibrahim padh liya or baad me yaad aaya ki sajda e sahw karna tha to yaad aate hi sajda e sahw kare, fir At-Tahiyat Wagairah padh kar salam ferde, Namaz Ho Jayegi.

Jaisa Ki Masaile Sajda e Sahw me he,

Kisi Par Sajda e Sahw Wajib Tha At-Tahiyat Ke Baad Sajda e Sahw Karna Yaad Na Raha, Durood shareef Ya duaa e Masura parhne me baad yaad aaya, to usi waqt Sajda e sahw kare fir At-Tahiyat Wagairah Padh kar salam ferde.
*📚(Masaile Sajda s Sahw, S-106)*

Or Bahare Shariyat Me he,

Sajda e Sahw ke baad Bhi At-Tahiyat Padhna Wajib he, At-Tahiyat Padh kar salam fere or bahetar he ki dono ka'ado (Yaani Sajda e Sahw se pahle or Sajda e Sahw Ke Baad) Me Durood Shareef Bhi Padhe. Or ye bhi ikhtiyar he ki pahle qa'ada me At-Tahiyat w durood padhe or dusre me sirf At-Tahiyat.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Sajda e Sahw Ka Bayan)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Munafiq Kise Kahte He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuhu,
Munafiq kise kehte hai

Gulaame Musatafa

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Huzur Faqihe Millat Hazrat Allama Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he,

Soora e Baqra Ruku'a Awwal ki Aayate Kareema,
إِنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا سَوَاءٌ عَلَيْهِمْ
Ke Tahat Tafsire Khazin Me He ki Kufr ki 4 Qisme he un me se ek kufr nifaq bhi, kufre nifaq ye he,
وھو ان یقرأ بلسانہ  ولا یعتقد صحۃ ذالک بقلبہ

Yaani Kufre Nifaq Ye he ki Aadmi Zaban se Islam ka iqraar kare magar dil se Uske sahih hone ka aeteqad na rakhe.

Or Ibne Maja Ki Hadise Paak He Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya,

من ادرک الاذان فی المسجد ثم خرج لم یخرج لحاجتہ وھو لا یرید الرجعہ فھو منافق
Yaani Azan Ke Baad Jo Shakhs Masjid Se chala Gaya or kisi hajat ke liye nahi gaya or na wapas aane ka irada he to vo munafiq he.

Or Ek Dusri Hadis Mishkat Shareef ki he ki Jis me ye 4 baate hogi Vo Khalis Munafiq He, or Jisme In Khasaail ms se ek hogi usme ek khaslat nifaq ki paai jayegi, Yahañ Tak ki Usko chhod de, Jab Amanat Rakhi Jaye to khayanat kare, Jab Baat Kare To Jhuth Bole, Jab Ahad Kare to daga kare, or Jab Jagra kare to Gaali de..

Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddise Dahelvi Ash'atul Lam'aat Me Tahrir Farmate He,
Jis Se Ye Sabit Hota he ki
Munafiq ki do Qisme he Munafiq Aeteqadi or munafiq Amali.

Munafiq Aeteqadi Vo he jo Zaban se islam ko zahir kare or dil me kufr chhupaye rakhe jaise abdullah bin ubay Wagairah.

Qura'ane Kareem ki aayate karima
إِنَّ الْمُنَافِقِينَ فِي الدَّرْكِ الْأَسْفَلِ مِنَ النَّارِ
Usi Munafiq aeteqadi ke bare me he jo Kafiro ki badtareen qism he.

Or Munafiq Amali vo shakhs he jis ke iman me kharabi na ho balki sirf seerat w kirdar me nifaq ho jaise kazzab, khaain, or bad ahad Wagairah.
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-1, S-141)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Online Trading Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﻴﻜﻢ ﻭﺭﺣﻤﺔ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﻛﺎﺗﻪ

Baad Salam Muftiyaane Kiraam ki Baargaah Me Sawaal Arz hai ke...

👉 *Expert Options me Online Trading karna kesa ?*

📋 *Expert Option -*

{Expert Option Bilkul Share Market ki Tarhaa Hota hai,
Duniya me Bahot si Mukhtalif  Currency's Hai Jinke Price har second me Ghat te Badh te Rahete hai, Aur isme Kaam yeh hota hai ke Aap ko isme Andaaza Lagaana Hota hai ke Agale 30 Second me Aap Ne Jo Currency ko Select kiya hai Uski Price Jyaada Hogi ya kam Ho Jaaegi, Agar aap ka Andaaza sahi hua to Aap ne Jitne Paise Lagaaye the uske Double Paise Aap ko Account me Mil Jaate hai aur agar Andaaza Galat hua to Aap ne Lagaaye Huwe Saare Paise Account se Kaat Liye Jaate hai...}

To ab pcuhan yeh hai ke is Tarhaa se Kamaaye huwe Paiso Par kya Hukm Lagega, kya is Tarhaa kamaana Haraam hai, Ya Makhrooh hai ya Na Jaaiz ?

Aur is Tarhaa se kamaaye huwe paiso ko istemaal me lene par kya Hukm lagega ?
Aur kya isey Deeni kaam me istemaal kiya ja sakta hai

Hazraate kiraami is Masa'ale me Tafseel Darkaar hai...

Baraaye karam Qura'aan o Hadees ki Roshni me Tafseel se Jawaab De kar Hamaari Rahenumaai Farmaaye, Aur Hamaari la ilmi dur Farmaa kar Gunaah se Bachne ka Moka Ataa Farmaaye

Jazaakallahu Khaira

*🌹JAWAB:-🌹*
Mazkura Sawal Me Jo Soorat Bayan Ki Gai Ki Andaza Sahi Hone Par Double Paise Milege Or Andaza Galat Hone Par Use Paise Dene Padege, Ye Juve Ki Soorat He Ki Jis Me Haar W Jeet Ho Ye Juva He. Lihaza Is Tarah Online Trading Karna Najaizo Haram He.  Or Haram Tariqe se kamaya Paisa Bhi Haram w Khabees Hota he Ise Khud Apne Kaam me Lana Ya Kisi Bhi Dini Kaam Me Lana Bhi Haram W Gunah He.

Qura'an Majeed Me Rab Tabarak W Ta'ala Ka Farman He,
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِنَّمَا الْخَمْرُ وَالْمَيْسِرُ وَالْأَنصَابُ وَالْأَزْلَامُ رِجْسٌ مِّنْ عَمَلِ الشَّيْطَانِ فَاجْتَنِبُوهُ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ
Yaani Ay Iman Walo Beshak Sharab Or Juva Or But Or Paase Napak Hi He Or Shaytani Kaam To Unse Bachte Rahna Ki Tum Falah Paao.
*📚(Sura e Maaida, Aayat-90)*

Is Aayat Ki Tafsir Ke Tahat Aallama Aloosi Alaihir Rahma Farmate He,

Har Vo Jis Me Nafa'a w Nuqshan Shart me dakhil ho or rahan Wagairah jis me shart lagai jaye usi me ( Yaani Juve Me) Dakhil He.
*📚(Ruhul Ma'aani, J-2, S-114)*

Qimmaar Yaani Juva Ke Mafhoom Ko Allama Shami Ne Is Tarah Bayan Kiya He Ki,

Qimmaar Vo Muaamla he jis me dono fariqain ko nuqshan  pahochne ka ahtemal barabar ho.
*📚(Raddul Muhtar, J-6, S-403)*

Har vo Soorat Jisme Haar w Jeet he or Usme Kisi Ko Maloom Nahi Hota ki aage haar hogi ya jeet ye juva he.

Jaisa Ki imame Ahle sunnat Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate he,

Or Khasa e Qimmaar (Juva) He Ki Baaye Mushtari ke liye ek aainda na ma'aloom Soorat Me Ki Khuda Jaane Kis Tarah Waqe'a Hogi Haar Jeet Badi Gai he or qimmaar banasse Qatai Qura'an Haram He
*📚(Fatawa Razviya, J-7, S-35)*

Or Ye Bhi Ek Musallima Haqiqat He Ki jitne Afrad Hote he Sab yahi chahte he ki hamari jeet ho koi fard apni haar ko maante huye option wala button nahi dabata he yahi juve ka asli Ma'ana he,

Meer Saiyed Shareef Jarjaani Farmate he,
القمار: هو أن يأخذ من صاحبه شيئًا فشيئًا في اللعب.
Har Vo Khel Jisme Ye Shart Ho Ki Haarne Wale Ki Koi Cheez Jitne Wale Ko Di Jayegi, Qimmaar (Juva) He.
*📚(Jarjaani, At-Ta'areefat, J-1, S-229)*

Or Shar'an Juve Ki Haqiqat Bhi Yahi He.

Or Shami Me He,
القمار من القمر الذی یزید و ینقص و سمی القمار قمارا لان کل واحد من المقامرین ممن یجوز ان یذھب مالہ الی صاحبہ و یجوز ان یستفید مال صاحبہ
Yaani Qamaar Ka Lafz Qamar Yaani Chand Se Bana He Jo Gatta Barhta Rahta He Isi Tarah Juva Khelne walo me har aadmi ke har dam gatne ya barhne ka imkan rahta he ki is ka maal is maqabil ko mil jaye ha iska uski taraf chala jaye.

Saawi me he,
(قولہ القمار)من المقامرۃ و ھی المغالبتہ لان کلا یرید المغالبتہ لصاحبہ
*📚(Saawi, S-263)*

Al-Atayun Nabviya Me He,
Tama'a ke jaal me logo ko phansna or ek ummide mauhom par pansa dalna hi qamaar he.
*📚(Al-Atayun Nabviya, J-7, S-95)*

Isi Tarah Bahare Shariyat Me He,

Agar Dono Janib Se Maal Ki Shart Ho Maslan Tum Aage Ho Gaye To Me Itna Dunga Or Me Aage Ho Gaya To Me Itna Lunga Ye Sooraf Juva Or Haram He.
*📚(Aalamgiri, Durre Mukhtar)*
*📚(Bahare Shariyat Application, H-16, S-251)*

Lihaza is Tarah Expert Option me ya kisi Bhi Tarah Ki Online trading Paisa Lagana Jis Me Haar w Jeet Ho Najaizo Haram Sakht Gunah, Or Uska Paisa Bhi Haram..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gair Muslim Ko Niyaz Khilana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*

ASSALAMUALAIKUM
goush pak ki niyaz kya kisi gair muslim ko de sakte he yani khila sakte he

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Gair Muslim Ko Na Fatiha Ki Shirni Dena Durust Na Khilana...

_Jaisa Ki Huzur Mufti Aazame Hind Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He_

Yahañ Ke Harbi Kuffar Ko Na Fatiha Ki Shirni Deni Durust He Na Gair Fatiha Ki.
*📚(Fatawa Mustafiya, S-453)*
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gosht Le Jate Waqt Sath Me Nuqili Cheez Rakhne ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualykum

Jab Hum koi non-veg, jese gosht ya koi chicken wagerah  cheez ghar se bahar lejate hai to ghar wale uske sath koi nukeeli, dhardaar cheez rakhne ko kehte hai kya shariat me iska koi huqm hai jawab inayat farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Shariyat Me Iska Koi Hukm Nahi.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲8
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Halate Musafir Me Chhuti Hui Namaz Ki Qaza Kasar Padhega ya Puri ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaykum Wa-Rahmatullhi Wa-Barkatuh

Ziad Ek Din Ke Liye Apne Shaher Se Takriban 100 km.  Se Zyada Dur Gaya... Ab Wo Apna Shaher Chhodte Hin Musafir Ho Gaya... Is Dauran Us Par Kasar Namaz Ka Hukm Hai....
Ab.....

Agar Is Safar Ke Dauran Koi Namaz Qaza Ho Gai Aur Zaid Apne Shaher Wapas Aa Gaya to Ab Us Safar Ki Namaz Ki Kaza Kaise Karega...?

*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Soorate Mas'ula Me Jo Namaz Jaisi Faut Hui Uski Qaza Waisi Hi Padhi Jayegi, Lihaza Musafir Se Safar Me Namaz Qaza Hui To Char Raka'at Wali Do Hi Parhi Jayegi Agarche Iqamat Ki Halat Me Parhe.

_Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahma Farmate He_

Jo Namaz Jesk Faut Hui Us ki Qaza Waisi hi parhi jayegi, Maslan Safar Me Namaz Qaza Hui to char Raka'at Wali do hi parhi jayegi Agarche iqamat ki halat me parhe or Halate Iqamat me faut hui to char Raka'at wali ki Qaza Char Raka'at He, Agarche Safar me parhe. Albatta Qaza parhne ke waqt koi azr he to uska aetbar kiya jayega, maslan jis waqt faut hui thi us waqt khada ho kar parh sakta tha or ab qaham nahi kar sakta to beth kar parhe ya us wqt ishara hi se parh sakta he to ishare se parhe or sehat ke baad uska ae'aada nahi.
*📚(Fatawa Hindiya, Kitabus Salat, J-1, S-121)*
*📚(Durre Mukhtar, J-2, S-650)*
*📚(BAHARE SHARIYAT APPLICATION, H-4, S-53)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Musafir Kasar Ki Jagah Puri Namaz Padhle To Kya Hukm he

*🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaykum Wa-Rahmatullhi Wa-Barkatuh

Ziad Ek Din Ke Liye Apne Shaher Se Takriban 100 km.  Se Zyada Dur Gaya... Ab Wo Apna Shaher Chhodte Hin Musafir Ho Gaya... Is Dauran Us Par Kasar Namaz Ka Hukm Hai....
Ab.....

1.  Zaid Ne Kasar Namaz Ke Badle Bhul Se Zohar, Asar, Aur Isha Ki Farz Namaz Main Se Kisi Ek Ya Do Ya Tino Namazo Me Bhul Kar Puri Rak'aten Padhi To Ab Kya Hukm Hai...?

*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Soorate Mas'ula Me Agar Musafir Par Qasr Namaz Padhna Wajib He. Or Agar Musafir Ne Zohar, Asar, Ya Isha Ki Namaz Ko Kasar Ki Bajaye Puri 4 Raka'at Padhli Or usme 2 Raka'at Par Qaida Kiya To Farz Ada Ho Gaya or Pichhli Do Raka'ate Nafl Hui, Magar Gunahgar W Mustahiqqe Naar Huva Ki Wajib Tark Kiya, Lihaza Taubah Kare.

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,

Musafir Par Wajib He Ki Namaz Me Kasr Kare Yaani Char Raka'at Wale Farz ko do padhe. Uske haq me do hi Raka'ate puri namaz he, Or Qasdan Char Pardhi Or Do Par Qa'ada Kiya to farz ada ho gaye or pichhli do Raka'ate nafl hui magar Gunahgar W Mustahiqqe Naar Hua Ki Wajib Chhoda, Lihaza Taubah Kare.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4, NAMAZE MUSAFIR KA BAYAN)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Satavasa (God Bharai) Ka Khana Khana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Satvasa (God Bharai) Ka Khana Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
God Bharai Ka Khana Khana Durust He,Usme Koi Harj Nahi, Jab Ki Isme Or Koi  Khilafe Shara'a Kaam Na Ho.

God Bharai Ek Rasm He, Iske Pas Parda Samaj Me Daurane Hamal Kisi Shadi Shuda Aurat Ko Taheniyat Pesh Ki Jati he. Is Taqreeb Me Naw Maulood Bachche Ka Khandan Me Khair Maqdam Karne Ke Sath Sath Hamila Aurat Ko Maañ Banne Ki Dhero Khushiyoñ Ki Barkat Ka Izhar Kiya Jata He Or Kuchh Jagaho Par Da'awat Ka Program Bhi Hota He.

Ab Agar Ayse Program Me Khilafe Shara'a Kaam Na Ho Jaise Naach Gana, Dance Wagairah Wagairah To Usme Ja Bhi Sakte He Or Da'awat Kha Bhi Sakte He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Sahaba Ki Gustakhi Karne Wale Par Kya Hukm He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Hazrat Aulmao Ki Bargah me sawal he Ke  Kisi bhi Sahabiye Rasool sallallahu alayhi wasallam ki shan me Gustakhi karne Vale par kiya hukm he kiya Ye kufr he Ya sirf Gumrahi he

Quran wa Hadeed sharif ki Roshni me Rehnumai Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Tamam Sahaba e kiram RadiAllahu Anhum Ahle Khair W Sulaah he or aadil, un ka Jab Zikr Kiya Jaaye To khair hi Ke Sath Hona Farz He.

Kisi Sahabi Ke Sath soo'a (Buri) Aqidat Bad Mazhabi W Gumrahi w istehqaqe Jahannam he, ki vo Huzure Aqdas ﷺ Ke Sath bugz he. Aysa Shakhs Rafzi He, Agarche charo Khulfa ko mane or apne aap ko sunni kahe.

Maslan Hazrat Ameere Muaawya or unke walide Majid hazrat abu sufyan or walida majida hazrate Hind, isi tarah hazrat saiyedna amr bin aas w hazrat mugeera bin sho'aba, w hazrat abu Moosa Ash'ari RadiAllahu Anhum, Hatta Ki Hazrat Wahshi RadiAllahu Anhu jinhone qable islam hazrat Saiyedna Saiyedush Shohda Hamza RadiAllahu Anhu Ko Shaheed kiya or ba'ade islam akhbasun Naas khabees musaylima kazzab mal'oon ko wasile jahannam kiya. Vo khud farmaya karte the, ki mene khairun Naas w shirun Naas Ko Qatl kiya in me se kisi ki shan me gustakhi, Tabarra he or iska qaail rafzi, agarche hazraate shaikhain RadiAllahu Anhuma ki Tauheen ke misl nahi ho sakti, ki unki Tauheen, balki unki khilafat se inkar hi fuqha e kiram ke nazdik kufr he.
*📚(Bahare Shariyat, J-1, Imamat Ka Bayan)*

Sahaba e kiram ko Gali Galoch ya Tabarra Karna bad mazhabi va gumrahi he..

Ek rivayat ka mafhum he ki umar farooke Aazam tak ye baat pahuchi fulañ shakhs sahaba ko bura bhala kehta he to hazrat ne  farmaya nabi ki gustakhi to kufr he magar sahaba ka gustakh ye gumrah bad mazhab, be din he.

Wallahu ta'aala aa'alam va rasulahu

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

Isi Tarah Huzur Shareh Bukhari Alaihir Rahmato Ridwan Farmate he,

Sahaba e kiram ki Tauheen ke mukhtalif madarij he. Ba'az Tauheen yaqeenan kufr he. Maslan Hazrat Siddiqe Akbar RadiAllahu Anhu Ke Sahabi hone se inkar karna ya sahaba e kiram ko mutlaqan munafiq is ma'ana kar kahna ki he yaqiqat me musalman nahi he, dunyavi lalach ki bina par zaban se kalma parh liya tha. Haqiqat md kafir the, or Dusri Tauheen ki soorte Gumrahi w Bad deeni He, Or Tauheen karne wala jahannam ka kutta he, Magar us par kufr ka fatwa nahi, Jab Tak Tauheen ki naw'iyat nahi maloom hogi, Qatai Hukm Nahi Lagaya Ja Sakta.
*📚Fatawa Shareh Bukhari, J-2, S-26)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aalim Par Tohmat Lagane Wale Imam Ki Iqteda Me Namaz Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Ek Masjid Me Ek Mawlana Sahab Hai Jo Bachcho Ko Padhate Hai Kayi Saalo Se Or Unhone Ne Kitne Imamo Ko Tikne Nahi Diya Masjid Ke Zimmedaraan Se Galat Baate Bayaan Karke Imamo Ko Nikalwa Diya Taake Apni Gaddi Salamat Rahe Apne Se Achche Hafiz Aalim Ko Rukne Nahi Diya Agar Aesa Shaks Namaz Padhaye To Kya Uske Peeche Namaz Ho Jayegi

Rehnumai Farmaea?

*🌹JAWAB:-🌹*

Allah Wah Dahu Laashreek Ka Irshad He,
وَالَّذِينَ يُؤْذُونَ الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ بِغَيْرِ مَا اكْتَسَبُوا فَقَدِ احْتَمَلُوا بُهْتَانًا وَإِثْمًا مُّبِينًا
Or Jo Iman Wale Mardo Or Aurto Ko Be Kiye Satate He Unhone Bohtan Or Khula Gunah Apne Sar Liya.
*📚(Sura e Ahzab, Aayat-58)*

Or Sarkare Do Aalam  ﷺ Irshad Farmate He,
ان قذف المحصنۃ یھدم عمل مأۃ سنۃ
Yani Kisi Paak Daman Aurat Par Zina Ki Tohmat Lagana So (100) Saal Ki Nekiyo Ko Barbad Kar Deta He.
*📚(Mo'ajmul Kabeer)*

Imame Ishqo Muhabbat Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Fazile Barailvy RadiAllahu Anhu Farmate He,

Kisi Musalman Ko Tohmat Lagani Harame Qata'ee He Khusoosan Ma'azAllah Agar Tohmate Zina Ho.
*📚(Fatawa Razviya, J-24, S-386)*

Lihaza Shariyat Me Da'awa Or Haq Ko Sabit Karne Ke Liye Ye Zabta He Ki Muddaee Ko Da'awa Sabit Karne Ke Liye Gawah Pesh Karna Hoga Agar Gawah Na Pesh Kar Sake To Muddaee Alaiha(jis par Dawa kiya gaya ho us) Par Qasam Khana He Or Agar Vo Qasam Khaa Le To Uski Baat Mo'atebar Hogi.

To Zaid Par Lazim He Ki Gawah Pesh Kare,,

Jaisa Ki Hadise Paak Me He,
البینۃ علی الدعی والیمین علی من انکر
Muddaee Par Gawah Pesh Karna He Or Muddaee Alaiha Par Qasam Khana He
*📚(Takhrijul Hidaya Lilzil'aa)*

To Zaid Par Lazim He Ki Gawah Pesh Kare Agar Aysa Na Kar saka to jab tak zaid taubah na karle na uski gawahi qabool ki jayegi na uske pichhe namaz hogi, Kyu ki zaid par Fisq Ka Jurm Sabit Hoga Or Fasiqo Ki Imamat Durust Nahi Or Pahle Hi Se Jin Logo Ko Ye Yaqeen Ke Sath Ma'aloom ho ki zaid galti par he to uske pichhe padhi gai namazo ko dohrana hoga jo Anjan the unke liye muaaf he.

Qura'an Majeed Me He,
وَالَّذِينَ يَرْمُونَ الْمُحْصَنَاتِ ثُمَّ لَمْ يَأْتُوا بِأَرْبَعَةِ شُهَدَاءَ فَاجْلِدُوهُمْ ثَمَانِينَ جَلْدَةً وَلَا تَقْبَلُوا لَهُمْ شَهَادَةً أَبَدًا ۚ وَأُولَٰئِكَ هُمُ الْفَاسِقُونَ
Or Jo Paarsa Aurto Ko Ayb Lagaye Fir Char Gawah Muaaina Ke Na Laaye To unhe Assi (80) kode lagao or unki gawahi kabhi na mano or wahi fasiq he.
*📚(Sura e Noor, Aayat-4)*

Magar Jab Taubah Karle To Uski Gawahi Bhi Mo'atebar Hogi Or Uske Pichhe Namaz Bhi Hogi,

Allah Ta'ala Ka Irshad He,
إِلَّا الَّذِينَ تَابُوا مِن بَعْدِ ذَٰلِكَ وَأَصْلَحُوا فَإِنَّ اللَّهَ غَفُورٌ رَّحِيمٌ
Magar Jo Uske Ba'ad Taubah Karle Or Sanwar Jaaye To BeShak Allah bakhsh Ne Wala Maharban He.
*📚(Sura e Noor, Aayat-5)*

Sarkar Sadrush Shariyah Alaihir Rahma Farmate he,

Bohtan Ki Soorat Me Taubah Karna Or Muaafi Mangna Zaroori He Balki Jinke Samne Bohtan Bandha He Unke Paas Jaakar Ye Kahna Zaroori He ki Mene Jhuth Kaha Tha Jo Falañ Par Mene Tohmat Bandha Tha.
*📚(Bahare Shariyat, H-16, S-538)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Muhammad Nizamuddin Qadri Sahab Qibla*
*📬Sarbarahe Aala Darul Uloom Hazrat Bilal, Jarkhand*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Musalman Ko Shaitan Kahna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Salam kisi ko ye Jumla kehna kesa Tum sab se Bade Saitan ho ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Wa Alaikum Assalam, Aaj Kal Ye Lafz Aksar Log Bataure Gaali Istemal Karte He. Sharaarati Bachche Ko Bhi Shaitan Bol Dete He.

Is Ki Soorat Bayan Karte Huve Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He

Gumrah Bad-Deen Ko Shaitan Kaha Jaa Sakta He, Or Use Bhi  Jo Logo Me Fitna Pardaazi Kare, Idhar Ki Udhar Laga Kar Fasad Dalwaye, Jo Kisi Ko Gunah Ki Targeeb De Kar le Jaaye Vo Uska Shaitan He, Or Momin Saleh Ko Shaitan Kahna Shaitan Ka Kaam He.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-13, S-652)*

Or Farmate He,

Muslamao ko bila Wajhe sharai Mardood Ya Iblees Kahna Sakht Haram He.

Allah Ta'ala Farmata He,
وَالَّذِينَ يُؤْذُونَ الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ بِغَيْرِ مَا اكْتَسَبُوا فَقَدِ احْتَمَلُوا بُهْتَانًا وَإِثْمًا مُّبِينًا
Tarjama: Or Jo Iman Wale Mardo Or Aurto Ko Be Kiye Satate He Unhone Bohtan Or Khula Gunah Apne Sar Liya.
*📚(Surah Ahzab, Aayat-58)*

Nabi ﷺ Farmate He,
من اٰذی مسلمافقد اٰذانی ومن اٰذانی فقد اٰذی اﷲ۔
Yaani Jis ne kisi musalman ko (nahaq) eeza di usne mujhe eeza di or jisne mujhe eeza di usme Allah Ta'ala Ko Eezza Di.
*📚(Al-Moajamul Awsat, J-2, S-386, Hadis-3607)*
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-13, S-649)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲8487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts