AQIQA ME LADKA OR LADKI KE LIYE KITNE JANWAR HE.. OR AQIQE KA GOSHT KON KON KHA SAKTA HE.?

*_Sawal:_* assalamu alaikum
ham akika karte he to ladke ke liye kitne janawar de or ladki ke liye kitne janawar de or akike ka gosht ladka ya ladki ke maa baap kha sakte he ????

*_Jawab_*
W alaikum assalam.
Bachcha Or Bachchi Dono Ka Aqiqah Karna Sunnat He, Sirf Ek Farq He, Wo Ye Ke Bachche Ke Aqiqeh Me 2 Or Bachchi Ke Aqiqeh Me 1 Bakra/Bakri Zaruri He.
Note : Lekin Agar Kisi Shakhs Ke Pas Bachche Ke Aqiqeh Ke Liye 2 Bakre Zabah Karne Ki Taqat Na Ho To Wo 1 Bakre Se Bhi Aqiqah Kar Sakta He. (4)

  Aqiqah Ke Gosht Ke Bare Me Ye Bat Logo Me Zyada Mashhoor He Ke Us Gosht Ko Bachche Ke Walidain Nahi Kha Sakte Unke Liye Alag Gosht Wagerah Mangwakar Usme Mila Liya Jaye, _Ye Bat Bilkul Be Asal Or Manghadat He,_ Balke Is Gosht Ko Ghar Ka Har Shakhs (Maa & Bap, Dada Dadi, Nana Nani Or Khud Ladka Bhi ) Kha Sakta He.

🔻🔺🔻🔺🔻🔺🔻🔺🔻🔺

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹 FTS👑 GRP*
*Admin:-* *_🌹Pathan Moin Raza khan azhari (Petlad)👑_*


➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

Aqiqa ke mas'ale ba-hawala

✒MAS'ALA:
AQIQAH Ke Liye 7wa Din Behtar Hai, Aur 7we Din Na Kar Sake To Jab Chahe Kar Sakte Hain, Sunnat Ada Ho Jayegi....
Baz ulma Ne Kaha 7we 14we 21we Din Yani Baherhaal 7 Din Ka Lihaz Rakhe Ye Behtar Hai.... 7wa Din Is Tarah Mane Jaise Bachcha Juma Ko Paida Hua To 7wa Din Jumerat Hoga, Sanichar Ko Hua To 7wa Din Juma Hoga
{بهارشریعت، حصہ-15، صفحہ-356}
✒MAS'ALA:
Ladke Ke AQIQE Me 2 Bakre & Ladki Ki AQIQE Me 1 Bakri Zabah Kee Jaye, Yani Ladke Me Nar Janwar Aur Ladki Me Madah Janwar Behtar Hai, Aur Agar Gaye Me Hissa Le To Ladke Ke 2 Hisse & Ladki Ka Eik Hissa Hoga, Qurbani Wale Janwar Me AQIQAH Wala Bhi Hissa Le Sakta Hai
{Bahar-e-Sharaiat, Hissa-15, Page-357}
✒MAS'ALA:
AQIQAH Ke Janwar Ki Wahi Shara'it Hain Jo Qurbani Ke Janwar Ki Hai,,, Aur iska Gosht Faqeer Azeez Qareeb Dost O Ahbab Ko Kachcha De Ya Paka Kar Ya Dawat Khilaye Ye Sab Surten Jayez hai
{Bahar-e-Sharaiat, Hissa-15, Page-357}
✒MAS'ALA:
Awam Me Ye Jo Mash'hoor Hai Ki AQIQAH Ka Gosht Bachche Ke Maa Baap Dada Dadi Nana Nani Na Khayen Ye Mahez Galat Hai Iska Koi Saboot Nahi
{Bahar-e-Sharaiat, Hissa-15, page-357}
✒MAS'ALA:
AQIQAH Ke Din Bachche Ka Sar Moondhne Ke Bad Sar Pe Zafran Pees Kar Lagana Behtar Hai
{Bahar-e-Sharaiat, Hissa-15, Page-357}
✒MAS'ALA:
AQIQAH Ke Janwar Ki Haddiyan Na Todi Jaye, Haddi pe se gosht utar liya jaye
Ye Bachche Ke Salamti Ki Nek Faal Hai, Gosht Ko jis Tarah Chahe Paka Sakte Hain Magar Saath Me Meetha Pakaya Jaye To Bachche Ke AKHLAQ Achche Hoge
{Bahar-e-Sharaiat, Hissa-15, Page-357}
✒MAS'ALA:
Ladke Ke AQIQAH Me Bajaye 2 Bakre Ki 2 Bakriyan Hon Ya Eik Hi Bakri Ho Tab Bhi Jayez Hai, Aur AQIQAH Ke Janwar Ki Khal Ka Wahi Hukm hai Jo Qurbani Ke Janwar Ki Khal Ka Hai,
Apne istemal Me Laye Ya Kisi Miskeen Ko De Ya Masjid O Madarsa Me De Ye Sab Jayez Hai
{Bahar-e-Sharaiat, Hissa-15, Page-357}


🔻🔺🔻🔺🔻🔺🔻🔺🔻🔺

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹 FTS👑 GRP*
*Admin:-* *_🌹Pathan Moin Raza khan azhari (Petlad)👑_*


➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

Islam me shadi me dulha dulhan ko haldi lagana..

*Sawal:-* shadi me dulha dulhan ko haldi lagana kaisa ??

*Jawab:-*
Rasm shadi me haldi ki jise urf e aam me “UBTAN” kaha jata hai, JAIZ HAI, aur ye qaida yaad rakhna chahiye ki shariat me kisi kaam ke jaiz hone ki liyeye zaruri nahi ki quran hadis me uska milna lazim ho ya nabi sallhu alhewasalam ne kiya ho, balki JAIZ HONE KE LIYE ITNA KAAFI HAI KI WO KAM SHARIAT ME MANA NAA HO”
shadi se kuch din pehle dulha ya dulhan ko ubtan lagai jaati hai, isme harz nahi magar is rasm me jo khurafathoti hai aur haram kaam hote hain usse bachna farz hai, maslan, dulah ko uske ghar ki ya khandan ki gair mehram ladkiya ubtan naa lagaye, isi tarah naa bhabhi naa chachia hatta ki har wo aurat jisse parda farz hai usse ubtan dulah ko ubtan lagwana ya badan chuana haram hai, aur is rasam ke naam par rat me dhol baje gane wagera karna bhi haram, isi tarah agar dolah ko 3 din ubtan me bithaya aur ghar se bahar naa jane diya aur masjid ki jamat se namaz ada naa ki to bhi gunahgar ki jamat se namaz wajib hai,

aur dulah ke hath me mehndi lagana bhi haram, aur hath aaj kal ek chaku ya kangna badhte hain wo bhi gunah hai, ki mard ko kalai me koi zewar halal nahi, isme karna ye chahiye ki dulhan ko ladkiya ubtan lagaye aur wo parde me rahe, kyunki use ghar me hi namaz padhni hai, aur dulah bad isha khud laga kar so jaye aur subha naha kar fajr padh le aur ye kam wo khud bhi shadi se kai din pehle kar sakta hai, isse namaz bhi baki rahegi aur ubtan bhi lag jayegi,
MAGAR KISI JAIZ RASM ME NAJAIZ KAM SHAMIL HONE SE WO RASAM NAJAIZ NAHI HOTI, BAS US NAJAIZ KAM KO DOOR KARNA CHAHIYE, NAA KI RASAM KO BURA YA GHALAT SAMJHNA CHAHIYE ”Fatawa Razawiya Jild:22 Safah:245 par hai“
ubtan malna jaiz hai….baligh ke badan me na-mehram auraton ka malna NAJAIZ HAI.
🔻🔺🔻🔺🔻🔺🔻🔺🔻🔺

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹 FTS👑 GRP*
*Admin:-* *_🌹Pathan Moin Raza khan azhari (Petlad)👑_*


➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

Farishto ki Tasbih or uski fazilat

*_SAWAL:-_*

Faristo ki tasbih konsi he tafsil ke sath batae ??

*_JAWAB:-_*

 FARISHTON KI TASBIH AUR ISKI
HADEES

Riwayat Hain Ki Ek Shaks Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Khidmat May Haazir Hua Aur Arz Ki, Ki Duniya Meri Taraf Se Peet Fherker Chali Gayi! Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Farmaya, Farishton Ki Tasbih Padha Karo Yani Subah Sadiq Ke Baad Suraj Nikalne Se Pehle SUBHANALLAHI-WA-BI-HAMDEHI-SUBHANALLA-HIL-AZIM, 100 Bar Padha Karo! Yeh Sunker Wo Shaks Chala Gaya Aur Kuch Roz Baad Aaya Aur Arz Kiya, Ya Rasoolallah! ALLAH-TA'AALA Ne Mujhe Itna Ata Kiya Hain Ki Mere Ghar May Rakhne Ki Jagah Nahi Rahi!
SUBHANALLAH!
(Mawahibul Ladunniyah)
(KAJH- Pg-452)

SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan MoinRaza Azhari(PETLAD)_*

🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

Islam me Qawwali, sunna or padhna kaisa ?? Hadish w buzurgane deen ki roshni me..(Qawwali,mazamir, gane baaje haram)


*_🌹SAWAL:-🌹_*
Islam me Qawwali mazamir or gane baaje sunna aur padna kaisa hai jawab inayat farmaiye

*_🌹JAWAB:-🌹_*

*Mazamir Ke sath Qawwali Sunna Najaizo Haram He*

Aaj kal buzurgane deen ke mazaraat par unke urson ke naam par khub mauj mastiyan ho rahi hai aur apni rang rangeliyon, baazo, tamasho auraton ki ched chaad ke maze uthane ke liye ALLAH Walo ke Mazaron ko istemal kiya jaa raha hai aur aise logon ko na ALLAH T'AALA ka khauf hai na Maut ki fiqr aur na Jahannam ka dar,

Mazhab e islam mai dhol baaze aur mazamir humesha se haraam rahe hain, Huzur Nabi e Pak Alaihissalatu wassalam ne irshad farmaya" Jarur meri ummat mai se aise log hone wale hai joh zina, reshami kapdo, sharaab aur baazon taashon ko halal thaherayenge"
*📚(SAHIHUL BUKHARI)*

Dusri Hadees e Pak mai Huzur Nabi e Pak Alaihissalatu wassalam ne qayamat ki nishaniyan bayan karte huwe farmaya" Qayamat ke kareeb naachne gaane waliyon aur baazon taashon ki kasrat ho jayegi.
*📚(TIRMIZI SHAREEF, MISHQAT SHAREEF)*

AAQA e kareem Sallallahu alaihi w sallam ney fermaya:
"Mujhy dhool aur bansari torney ka hukm dia gaya hai."
*📚(Firdoos Al-Akhbaar, Hadees:483)*

AAQA kareem Sallallahu Alaihi w sallam ney fermaya jo shaks gana suney ga tou qayamat k din es k kaano main pighla hua seesa daala jai ga."
*📚(Kanzul Aamal, Hadees:40226)*

AAQA kareem Sallallahu Alaihi w sallam ney fermaya:
"2 awaazon per duniya aur akhrat main lannat hai,
(1)Na'emat k waqt bajaa (2)Museebat k waqt chilana."
*📚(Kanzul Aamal, Hadees:40654)*

AAQA kareem sallallahu alaihi w sallam ney fermaya:
"Gaana dil main nafaq es terhan ugata hai jeisey sabjee ko paani."
*📚(Firdoos Al-Akhbaar, Hadees:4204)*

Fatawa e Alamgiri joh ab se kareeb 350 saal pahele Hazrat muhiyuddin aurangzeb alamgiri rehmatullah taala alai ke huqm se us daur ke takreeban sabhi mustanad wa moatbar ulamaye kiraam ne jama hokar murattab farmayi joh arbi zubaan mai takreeban 3000 safhat aur 6 zildon par faila huwa ek azim islami encyclopedia hai usmai likkha hai
" Sima, Qawwali aur Raks(naach kud) joh aaj kal ke naam nihad sufiyon mai raiz hai yeh haraam hai ismai shirkat jaez nahi
*📚(Fatawa Alamgiri)*

Ala Hazrat Muhaddis e Barelwi Rehmatullah taala alai ka fatawa arab wa ajam mai maana ja raha hai unhone Mazamir ke saath Qawwaliyon ko apni kitabon mai kai jagah haraam likkha hai,

Kuch log kahete hai mazamir ke saath qawwali chistiya silsile me raiz aur jaez hai, yeh buzurgane chistiya par unka khula bohtaan hai balki un buzurgo ne bhi mazamir ke saath qawwali sun ne ko haraam farmaya hai, Sayidna Mehboob e ILAHI Nizamuddin Dehlvi Rehmatullah taala alai ne apne khaas khalifa Sayidna Fakhruddin zardari se mas'ala e qawwali ke mutalliq ek risala likhwaya jiska naam *📚(qashful qina'a an usulis'sima'a")* hai ismai saaf taur par likkha hai, Humare buzurgon ka sima'a is Mazamir ke bohtan se bari hai(unka sima'a toh yeh hai) sirf qawwal ki awaz ashaar ke saath ho joh qalam san'ate ilahi ki khabar dete hai,

Qutbul Aktaab Sayidna Fareduddin ganj shakkar rematullahi taala alai ke mureed aur Sayidna Mehboob e ILAHI Nizamuddin Awlia Dehlvi Rehmatullahi taala alai ke Khalifa Sayidna Muhammed bin Mubarak Alwi Qirmani Rehmatullahi taala alai apni mashoor kitab *📚(Sairul Awliya)* mai tehreer farmate hai: Mehboob e ILAHI Khwaja Nizamuddin Dehlvi Alaihirrehmatu warridwan ne farmaya ki chand sharait ke saath simah halal hai,
*1)* Sun ne wala mard kamil ho chota baccha aur aurat na ho,
*2)* Sun ne wala yaad e KHUDA se gafil naho,
*3)* Joh qalam padha jaye, fahash, behayaai aur mashkhargi na ho,
*4)* Aalae simah yani sarangi mazamir wa rubab se paak ho,
*📚(Sirul Awliya)*

Musalman jara socho yeh Hazrat Khwaja Nizamuddin Awliya Dehlwi RadiAllahu Taala Anhu Ka Fatawa hai joh aapne upar padha in aqwal ke hote huwe koi keh sakta hai ki khandan e chistiya mai mazamir ke saath qawwali jaez hai? Haan yeh baat wohi kahenge joh na chisti hai na qadri unhe toh mazedariyan aur lutf andoziya chahiye is post ko padhkar humare islami bhai bura na maane balki thande dil se sochen apni aur apne bhaiyon ki islah ki koshish karen aur qawwali mazamir aise gunah ke kamo se bachen aur apne bhaiyon ko bhi bachayen.

```Daure hazir me jo MAZAMIR ke sath qawwali hoti he vo bilkul najaizo haram he,Aese Program me jana bhi jaiz nahi or aese program rakhna bhi jaiz nahi.```

Wallahi aa'alam Bis-Sawab
*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*
*_📬khadim:-Pathan Moin Raza khan Azhari(PETLAD)_*

=========➖➖➖➖=======


Heart blockage w dil(heart) ki tamam bimariyon se sifa ka wazif

*_SAWAL_*
heart blockage ke liye wazifa irshal kare.

*_JAWAB_*

 *یَا اللہُ  یاَ رحمنُ  یاَ رحیمُ  دِلِ  مَا  رَا  کُنۡ  مُسۡتَقِیۡمۡ*

*بِحَقِّ  اِیَّا کَ  نَعۡبُدُ  وَ  اِیَّا کَ نَسۡتَعِیۡنۡ*

 *_YA ALLAHU YA RAHMANU YA RAHIMU DILE MARA KUM MUSTAQIM,_*
*_BI HAQQI IYYAK NA'ABUDU W IYYAK NASTA'AIN._*

Uper di gai duaa ko awwal aakhir 11 baar durood Shareef ke sath 11 baar padhe or apne dil  par phunk mar le. Tamam amal karte waqt niyyat allah paak se madad mangne ki ho ki vo aap ki pareshani ya jobhi sabab he use door farmaye.

*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan Moin Raza khan Azhari(PETLAD)_*

🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

Whatsapp Facebook par chalne wale galat ir mangadat msg ki islah ..ye msg 10 logo ko bhejo..etc

Ye msg 10 logo ko bhejo


Hamaare Kuch Dost o Ahbab Aaj kal
Whatsapp
Facebook
Twitter etc k Zariye Logon ko Galat Galat Messages Forward karte rehte hai
Jaise k Neeche Kuch Samples diye hue hai
Ulma Farmaate hai k Ye Sab Msges Apne Dil se Banaaye hue hai
Jo k Galat hai aur Ulma ne Hamaari Islaah ki Koshish farmaaye hai

1.Kisi Islami Maah Ki Mubarkbad Dene Se Jannat Wajib ho jaana?
Aisa kuch Nahi hai,

2. Allah k Naam ka Msgs itne logon ko forward karo Aapko Abhi Khushkhabri Milegi?
Allah K Naam Ya Koi Wazifa Fwd Karne Se KhushKhbri Nahi Milti,

3.Huzoor Sallallahu Alahi wasallam ki Qasam de de kar msgs Forward karwana?
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Qasam De Kar Msgs Frwd Karne Ko Kehna Haraam Hai,
?
Aise forwarded Msgs Aane Wale Msges aap dusro ko Frwd Na Karen,

5.Koi Bhi Qurani Aayat Ya Hadis Pak Ya Qaul Confirm Kiye Baghair Frwd Na Karen,

6.Tum Mujhe
mere Bandon K Samne Rad Karonge, Mai Tumhe Qayamt Ke Din Apne Saamne Rad Krdunga
Ye koi Qurani Ayat Ya Hadis Nahi Hai

7. Ye Msg Itne logon ko bhejo warna Buri Khabar sunne milegi etc…

Musalmaanon Aise ManGhadat msges Aage forward na karen.
Ajeeb Riwaj Nikla Hai Yeh

 Yeh Message 9 Logo Ko Send Karo Murad Puri Hongi

 Yeh Message 10 Logo Ko Send Karo Warna 10 Saal Ke Liye Bad Qismat Ho Jaonge

Kiya Ab Qismat Ke Faisale Mobile karenge

5 Dino Mein Khush khabri Milengi

 Jannat Milengi etc.

Kya Hum Apne DEEN Ko Itna Hi Jante Hain Ke Button Press Karne Se

 Jannat Mil Jaye
Bad Qismat Ho Jaye
Phir Namaz, Roza, Hajj, Zakat, Jihad Aur Digar Aamaal Kis Kam Ke

Kya Messages Send Karne Se Murad Puri Hongi ??

Toh ALLAH (azwajal) Ke Samne Rona, Haath Phelana Kis Kam Ka ???

*_AISE MESSAGE AAYE TOH PEHLE DELETE KARO _*

Aur Yeh Message Zyada SeZyada Logon Ko Forward Karen Ta Ke Yeh Fitna Khatam Ho….

🔻🔺🔻🔺🔻🔺🔻🔺🔻🔺

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹 FTS👑 GRP*
*Admin:-* *_🌹Pathan Moin Raza khan azhari (Petlad)👑_*


➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

ISLAM ME KISSE NIKAH JAIZ OR KISSE HARAM ?

*🌹Sawal:-🌹*
Islam me Nikah kis kis se jaiz or kis se najaiz he ??

*🌹Jawab:-🌹*

Hazrat Amra bint Aburrahman wa Hazrat Maula Ali Radiallahu anhu se Riwayat he Ke Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
"Raja'at yani dudh ke rishte se bhi wahi rishte haram ho jate he, Jo wiladat se haram ho jate he"
*📚(Bukhari Sharif, Jild 3, Safa 62,)*
*📚(Tirmizi sharif, Jild 1, Safa 587)*

Yani jisne bachpan me kisi aurat ka dudh piya to usse Maa ka rishta ho jata Hai. Ab Uski Beti Behen Hai Usse Nikah Haram Hai.

Allah Ta'ala Quran Pak me irshad farmata he
"Haraam hui tum par tumhari Maa, Betiya, Behne Aur Fufiya, Khalaye, Bhatijiya, Bhanjiya, Aur Tumhari Ma jinhone Dudh pilaya Aur Dudh ki behne, Aurato ki Maaye."
*📚(Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 23)*

Hazrat Abdullah ibne Abbas radiallaho anhu se imaam bukhari radiallahu anhu se Riwayat kiya
"Char se jyada Biwiya isi tarah Haraam he jaise Aadmi ki Beti Aur Behen"
*📚(Bukhari Sharif, Jild 3, Bab no 54, Safa 64)*

Allah irshad farmata he
"Aur Mushriko ke nikah me Na do Jab tak wo Imaan Na laye."
*📚(Tarjuma: Kanzul Iman, Para 2, Surah Bakar, Aayat 221)*

Allah irshad farmata he
"Aur Shirk wali Aurato se Nikah na karo Jab tak Musalman Na ho Jaye"
*📚(Tarjuma: Kanzul imaan, Para 2, Surah Bakar, Aayat 221)*

*_📬Pathan Moin Raza khan Azhari(Petlad)👑_*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹 FTS👑 GRP*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

Kya khade hokar baal banana ya kangi karna galat he ??

*_🌹SAWAL:-🌹_*

Khade hoke baal banane me koi mas'ala he ?
 Zaid kahta he ki khade hoke baal nhi bana sakte h or kangi bhi nhi kar sakte ??
Kya ye sahi  ??

*_🌹JAWAB:-🌹_*

Isme koi harz nahi..
Shariyat me is tarah ki koi baat meri nazar se nahi guzri..
Or zaid ye kahta he to use chahiye ki dalil pesh kare.

Wallahu ta'ala aa'alam

Al-jawab:-✍🏻 Hazrat Allama Mufti Ata Mushahidi Sahab Qibla
Darul Uloom Hashmatur Raza Pilibhit Shareef

*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan Moin Raza khan Azhari(PETLAD)_*
📲
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

Wuzu ke pani ko najis jagah girane ka mas'ala

*_🌹SAWAL🌹:_*

Assalamu alaikum,

Kya farmate he aulma e kiram is mas'ale me ki
Wuzu ka pani napak jagah girana makrooh he is se kya Murad he ??

Makroohe tahrimi murad ye ya makroohe tanzihi ???


*_🌹JAWAB🌹_*

W alaikumussalam w rahematullahi w barakatuhu.

Wuzu ke makroohat me se ek wuzu ka paani najis yani ba'ayne napak jagah girana he. Yahi is ki Murad bhi he ke wuzu ko napak jagah na kare..

ke agar wuzu ka pani napaky par girega to zaroor is napaki ke chchinte wuzu karne wale par girenge.
Jis se us ke kapde wagairah napak hone ka galib guman he.

*Is se ye hargiz murad nahi ke wuzu ka paani bah kar napak jagah par na jaae.*

Or ye na hona ye is riwayat se sabit hota he ki sahaba e kiram sham me tashrif laae, aapne vaha dekha ki ahele sham najasat ki jagah par paani baha dete he. ye dekh kar sahaba e kiram ne farmaya ke ab is jagah paaki hasil kar sakte he . Is me koi harz nahi.
*_Is se sabit huva ke paani ka napaki par girna makrooh he.-*
*_Nake bah kar napak jagah par jana._*

Wuzu ke pani ka najasat par girna ye makrooh he
(Durre mukhtar,,bhare shariyat)

Yaha saaf alfaz me likha he ki wuzu ke pani ka Napak jagah par girna makrooh he..

Or girna or bahna alag baat he.
Matlab wuzu ka pani agar bah kar najasat me jaae to harz nahi

Is ki vajah ye bayan ki gai ki wuzu ke pani ka ahetaram bhi karna he ki wuzu ka pani najasat par na gire.

Durre mukhtar ke hasiye me allama ibn abidin ash-shami bayan karte he ki yaha makrooh se Murad makroogm tahrimi he..
Or aulma e kiram agar mutlaq makrooh likhe to vo makroohe tahrimi hota he. Yahi imame aazam abu hanifa radiallahu anha ne farmaya.
Kama qalal imam ahmad  raza Barailvy quddasirahu.

Wallahu ta'ala aa'alam

*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan MoinRaza Azhari(PETLAD)_*
📲+918487928693
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

Qurbani ka janwar sunni ne zabah kiya magar gost ke tukde mushreek ne kiya iska kya hukm he ?

*_🌹SAWAL:-🌹_*
Qurbani ke janwar ko kisi sunni ne zabah kiya magar gost ko tukde kisi kafir ne musalman ki maujudgi me kiya to kya is fe'al se qurbani par koi farq padega ya nahi ??

*_🌹JAWAB🌹_*

Agar mushreek ke paas gosht raha or nazare muslim se gaaib ho gaya to ab us ka khana haram he.
Or agar vo vaha shuru'a se maujud raha to uska khana jaiz he.
(Fatawa Amjadiya hissa som safa 298)

*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan MoinRaza Azhari(PETLAD)_*
📲
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

Gair muslim ko shadi me bulana or unse meljhol/rishtedari karna kaisa ? quraan w hadish se.

*_SAWAL:-_*
Assalamu alaikum warahmatullahi wabarkatahu...
 nikah me gair muslim ko INVITE kar sakte hai ya nahi jawab inayat farmaiye hazrat

*_JAWAB:-_*

 .*-agar koi gair Muslim ho jiska kufr jahir na ho na hi had e kuffar ko pahucha ho na Islam k khilaf Jung ki ho use invite kiya ja sakta hy warna nahi_*

Jiska aqida hadde kufr tak na ho Un logo se bhi qalbi taalluq na jaiz hai sirf rasmi tor par bulale k ..un logo se bussiness vagera karna hai... .. Lakin unki tazim hargiz hargiz na kare...aur ek khas bat Orton ko unke samne aane se bachhaye.. Unka chehra hargiz hargiz na dekhe.

Or aaj kal zyadatar gair muslim/badmazhabo ka aqida hadde kufr tak hi hota he is liye bahetar ye he ki unhe na bulaya jaae.

Hadees o Quran se HAZRATE ABADAH IBNE SAMIT ne jange ahzaat k din SAYYAD E ALAM SALLALLAHU ALAIHE WASALLAM se arz ki ke mere saath 500 yahudi hai jo mere halif (karibi ya dost) hai meri raai hai k me dushman k mukable unse madad hasil karu. Us par ye aayat e karim nazil huwi aur kafiro ko dost wa madadgar banana ki mumane’at farmai gai.Kafiron se dosti wa muhabbat mamnu’a wa haram hai. Unhe raazdar banana na-jaiz hai. Agar jaan ya maal ka khauf ho tou aise waqt sirf zahir bartaw jaiz hai.Musalman kafiron ko anpna dost na banale, musalmano k siwa; aur jo aisa karega use ALLAH se kuch ilaaqah na raha, magar ye ki tum unse kuch darro; aur ALLAH tumhe apney gazab se darrata hai; aur ALLAH hi ki taraf firna hai.
[Al Imran, Para 3, Ayaah 28 – Tarjama: Kanzool Imaan]

Zara socho ki jang jaise mauke par bhi unki khufiya jankari aur unke plan kya hai ye janne ke liye bhi hume unki zaroorat ho tou bhi dosti unse mamnu'a hai. aur aise me unse dosti karke koi madad hansil karna bhi na-jaiz hai. aur unse karibi rakhne wala ALLAH se door ho jayega jho ki ye aayat me saaf waze'a hai.jab unse dosti rahegi tou pyar-muhabbat barhegi, unke saath khana pieena sab baate barhegi, rishta mazboot hoga, so dosti se hi use door rakhe taki unse mel-jhol hi na barhe.Bukhari aur Muslim me huzoor alaihissalam ne unse mel-jhol, salam-kalam, unki bimari par ayadat aur unke janaze me shamil hona aur unse shadi-biyah sab se mana farmaya hai.Hazrat Jabir Bin Abdullahرَضِىَ اللهُ تَعَالٰی عَنْهُ say Riwayat hai key Sarkarصَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِه وَسَلَّم nay Irshad Farmaya k Agar wo ( Kufar Non Muslim ) Beymar parhain to Pouchnay na jao Marjain To Janazy Main Hazir na hoo.
[Ibne maja Jild 1 Page 70 Hadees No 92]

in sab daleel aur quran ki digar aayetein aur hadeeso se aur buzurgane deen ke kai sare amal se pata chalta hi hai ki gairo ka tyohar ho ya unki khushi ya gham har haal me unse mel jhol sakht mana hai.

*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan MoinRaza Azhari(PETLAD)_*
📲+91
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

Makka madina me wahabIyo ki hukumat kyu jabke sunniyo ka aqida sahi he??? Badmazhabo ko muh tod jawab hadish ki roshni me

*_Sawal_*
Badmazhab kahte he ki agar tumhara yani sunniyo ka aqida sahi he iske bawajood macca madina me wahabiyo ki hukumat kyu or waha unka aqida kyu????

*Jawab*

Aaj Wahabi kehte hain ki "Makka aur Madina me to hamara Qabza hai, aur Madina me kisi Galat ka qabza nahi ho sakta, isliye hum hi Haq par hain,"
.
Aaiye hum Hadees sunate hain:
.
HADEES: Hazrat Abu Huraira radiallahu anhabayan karte hain ki Nabi e karim sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Ek zamana aisa ayega ki Log apne Amzaad bhaiyo aur rishtedaro ko bulakar kahenge ki jahan asani aur sahulat ho, wahan chalo, Aish-o-Ishrat ki taraf chalo, Kaash wo log ye jaan lete ki Madina hi unke liye behtar hai. Qasam us zaat ki jiske qabza-e-qudrat me meri jaan hai, Jo shaks Madina se e'raaz karke chala jayega, ALLAH usse behtar Shaks ko Madina me laakar aabad kar dega. Suno, Madina ek bhatti ki tarah hai, jo Mael Kuchail ko nikalkar bahar phenk deta hai. Aur Qayamat us waqt tak qayem nahi hogi, Jab tak Madina Khabis logo ko nikalkar bahar nahi kar dega, jaise ki Lohar ki bhatti lohe ke mail ko nikalkar phekti hai.
(Muslim, Kitabul Hajj, Baabul Madina, Hadees no.3339)
.
SubhanALLAH,
Is Hadees se 4 baate pata chalti hain,
.
1: Rasoolullah alaihe salam ne apne Ilme Gaib se bata diya ki akhir zamana me log Madina ke bare me kya alfaz bolenge?
.
2: Akhir Nabi alaihe salam ne ALLAH ke ghar Kaaba ko hamare liye behtar kyu nahi kaha? Balki apne Madina ko kyu behtar kaha?
Kyunki Mere Aaqa alaihe salam jante hain ki HUM UMMATIYO KE LIYE KAABE SE AFZAL MADINA HAI.
.
3: Madina me Khabis logo ka waqti taur pe aa jana bhi mumkin hai.
.
4: Rasoolullah alaihe salam ke farman ke mutabiq qayamat se pehle Madina ke Khabis log bahar phek diye jayenge aur fir wahan Sahi-ul-Aqeeda logo ki Hukumat ayegi, yani aaj agar Wahan par Wahabiyo ki hukumat qayem hai to qayamat se pehle wo bahar phek diye jayenge, aur fir wahan AHLESUNNAT ki hukumat ayegi,
agar hukumat badalna na hota, to fir is Hadees ka kya matlab reh jayega?
.
SubhanALLAH, aur in Wahabiyo ki hukumat ko maine apni taraf se Khabis nahi kaha, Balki Imam Muslim ne khud kaha hai,
upar Baab ka naam dekhiye jo Imam Muslim ne likha hai,
"BAABUL MADINATE TANFIL KHABASAHA"
.

🔻🔺🔻🔺🔻🔺🔻🔺🔻🔺

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹 FTS👑 GRP*
*Admin:-* *_🌹Pathan MoinRaza (Petlad)👑_*
 84

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

Khade hoker wuzu karna kaisa ?

*_SAWAL:-_*
Khade hoker wuju karna kesa???

*_JAWAB:-_*

Masla ye hai ki khade hoke wazu karna khilaf e sunnat hy lekin
Agar kahi majburi me namaj ka waqt ho jay aur wazu ke liye NAL uper ho baitne ka jugah na ho to khade hoke wazu kar liya jay kyoki namaj chor nahi sakte  bairhaal kasdan adat bhi na banai jay

Al-jawab:- Maulana hamza Razvi Yakoob.

*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan MoinRaza Azhari(PETLAD)_*
📲+9184
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

Kafir ke school me muslim bachcho ko bhejna

*_SAWAL:-_*

अससलामू अलयकुम हजरत

कीया फरमाते है ऊलमाऐदीन व शरऐमतीन मसलऐ हाजीराह मै

के बचचौ कौ दूनीया वी ताअलीम कै लीऐ काफीरौ कै मैनैजमैनट वाली सकूल मै भैजना ,,जीसमै सूबहकौ कूफरीयाना अलफाज वाली पराथना सब बचचौकौ पठाइ जाती  हौ ,,ओर काफीरौ कै तयवारौ की पैरवी कराइ जाऐ,,,जैैसै मूसलमान बचचीऔ सै गैर मजहब कै लडकौकौ राखडी बनघवाना ,, गरबा खैलवाना ,पतंग बाजी,, और नाचना ,,  दीगर खूराफाती रसूमात कराइ जाती हौ वहा सकूल मे पठना और इन कूफरीयाना परोगरामो मै हीससा लैना कैसा है  ,,

और बचचौ कौ ऐसी जगह भैजना कैसा है,,कया मा बाप ,और भैजनैवालै भी गूनाह गार हौगै़ ,,
और शरीयत का कया हूकम हौगा,,  

जब कै गांव मै दूसरी सकूल मूसलमानौ कै मैनैजमैनट मै मूसलमान बचचौ कै लीऐ हैो,,
जहां कूफरीयाना रसूमात नही हौती , फीरभी ऐसी जगह भैजना जहां कूफरीयाना रसूमात कराइ जाती हौ ,, इस पर शरीयत का कया हूकम हौगा,,
जवाब फरमाकर मूसलमानौ की रहनूमाइ फरमाऐ,,,

*_JAWAB:-_*

WaAlaykumusSalam WaRaHmatullaah WaBarakatuh. Jis school men eeman ki salamati ho wahn bhejna chahiyye
OR agar kafiro ke school me bhejta he  jiski wajah se bachcha kufri kalemat school men padhta hai aur walid KO ilm bhi hai phir bhi manaA nahi karta hai balke wahin bhejta hai  to isko taubah wa tajdeed e eeman karna chahiyye tajdeed e Nikah bhi.

*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan MoinRaza Azhari(PETLAD)_*
📲+91
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

Jo log hajj ko jate he vo logo ki dawat karte he. Agar na kare to kya hajj hoga ???

*_SAWAL:-_*

Aslamo asylum mera sawal ye he ke koi Muslim bhai Hajj ke liye jata he to pure gav ki davt karta he lekin koy muslim bhai kisi ki bhi davta nahi karta or vo davat ke pese masjid me deta he to kya uski hajj kabul ho sakti he?

*_JAWAB:-_*

Haj maqbul hona logo ki dawat karne par ya unko khilane par maquf nahi hai.. Haji ka logon ko khilana aur unki dawat karna ye to bas duniya ki rasme hai... Varna Agar logon ko na khileye tab bhi jaiz hai... To jab khilana pilana koi zaruri kam na huva to ab un paiso ko masjid me dena bhi jaiz hai... US par savab bhi payega.... Aur ye jaiz VA durust hai... Hajj ka maqbul hona ye arkane hajj sahi tor par ada karne par moquf hai na ki logon ki dawat karne par

Al-jawab:- HAZRAT ALLAMA MUFTI TAUFIQ RAZA MISBAHI SAHAB QIBLA
TADRISO IFTA DARUL ULOOM QADARIYA RAZVIYA ,PETLAD

*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan MoinRaza Azhari(PETLAD)_*
📲+9184
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

Id card ya passport ke liye apni taswir (jandar ki Taswir) banawana kaisa?? Sunni BarailVY muslim

*_SAWAL:-_*

अससलामू अलयकुम व रहमतूललाहै व बरकातौहू

कीया फरमाते है ऊलमाऐदीन व शरऐमतीन मसलऐ हाजीराह मै

 के जौ शखस अपनी तसवीर
 बनवाऐ सीरफ इस लीऐ के वोटर आईडी -- आघार कारड -- बैनक ऐकाउनट पासबूक --  बैंक सै लौन के लिऐ कनपनी आईडी कारड -- सरकारी मिलनेवाली सहाय  सकूल कोलेज के आईडी -- जिवन विमा _ पासपोरट

 विगैरह के लिऐ अपनी तसवीर बनवाऐ तो शरीयत का कया हूकम हौगा

तसवीर वाला आईडी कारड अपने गलेमे लटका सकता है

शरीयत मै कीस जरूरत पर अपनी तसवीर बनवा सकता है
जवाब फरमाकर मूसलमानौ की रहनूमाइ फरमाऐ


*_JAWAB:-_*

WaAlaykumusSalam WaRaHmatullaah WaBarakatuh. Jandar KI Tasweer banana banwana SharAn Haram hai. Jahan majboor kiya jaye YaAni SharaEE majboori ho wahan muAfi hai lekin woh bhi Tasweer hi hai taubah ussey bhi karna chahiyye

*_SAWAL:-_*

शरइ मजबूरी ---  कया है समजाऐ  ताकी  मसलए समजने मे आसानी हो ,,
*_JAWAB:-_*

Jahan Momin ke eemaan o jaan o maal ke nuqsan ka SaheeH andesha ho wahan ShareeAt ka Hukm Halat ke mutabiq narm hota hai lekin asl masalah wahi rehta hai jo ShareeAt ne bayan kiya. Haram KO Haram hi kaha jayega.

AL-JAWAB:- JANAB MASOOD NOORI SAHAB

*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan MoinRaza Azhari(PETLAD)_*
📲+9
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

Islam me friendship day manana kaisa ? Or friendship day ki shuruaat kaha se hui?? Tafsir..

*🌹SAWAL:-🌹*
 Islam me friendship day manana kaisa??

*🌹JAWAB:-🌹*
Zahir hai k ye gairo ka day hai.aur tariqa bhi.. Ye musalmano ka tariqa nahi hai.aur hame hukm hai ke rasoollallah sallallahu alaihi w sallam ke tariqe par chale, na k gairo ke tariqe par. aur mazhab e Islam me iski koi asl bhi nahi..aur isme kitne gunah hote hai ye alag bat hai.  Ek Dost dusre dost ko ek Patti hath me pehnata hai jis par frandship vagera likhha hota hai..

Ye bilkul gairo ka tariqa hota hai. Or isme ladka ladki ka aapas me milna hatho par patti bandhna or kai sari khurafate hoti he. Jiski islam me ijazat nahi...

👉🏻Or jaisa ki taheqik ke mutabik pata chala ki is ki shuruaat america me 1935 me ek shakhs ko faansi hone ke baad uske ek dost ne Khud Kushi kari thi.
Us shakhs ki faansi ki wajah se Uske dost ne Khudkushi ki to isi dosti ke naam par vaha k logo ne is deen ko yadgar maana or is din ko friendship day ke naam se jana gaya.
👉🏻 Agar vaqai aisa hai Or Agar Ye Waqe'aa Sahih He to usne gunah e Azim Kiya ki Khudkushi karna haram ashadd haram hai... Aur uski yad mana kar uske is gunah ko achha samajna hai. aur ye bhi ek gunah hai... To iski yad manana Bhi Jaiz Nahi.

Islam aesa mazhab he jo har din apne musalman bhai se achcha suluq w aapas me muhabbat kayam karne ka darsh deta he.. har din hame apne musalman bhai ki madad karte rehna chahiye...

Or is tarah ke din jis me khurafate hoti ho jo islam me NAJAIZO haram he iski ijazat nahi.

Wallahu ta'ala aa'alma bis-sawab

https://pathanmoinraza13.blogspot.com/2017/08/islam-me-friendship-day-manana-kaisa-or.html?m=1

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹 FTS👑 GRP*
*📬khadim:- Pathan MoinRaza azhari  (Petlad)_*
📲
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

'Deen aasan he' kya ye hadish me he ?

*_SAWAL:-_*

〰 Deen Aasaan Hai.!!!!!

Ye Koi Quraan Ka Farman (Quraan Me Likha Hua Hai Yaa Hadish Me.) Hai Yaa Hadith me Hai........


Barahe Karam RehnumAi FarmAe!!!!!!!!!!!!

*_JAWAB:-_*

YE HADISH SHAREEF HE.

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Nabi Kareem Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya beshaq *Deen aasan hai* aur jo shaksh deen mein sakhti ikhtiyar karega Deen us par ghalib aa jayega ( yani us ki sakhti na chal sakegi) islie apney Amal mein pukhtagi (continuity) ikhtiyar karo aur jahan tak mumkeen ho mayana rawi (naa bahoot zyada naa bahoot kam) barto aur khush ho jao , aur Subah ,Dopahar mein aur sham mein aur kis qadar raat mein (Ibadat se) madad hasil karo
{Sahih Bukhari, Vol 1, 39}

*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan MoinRaza Khan Azhari(PETLAD)_*
📲+91
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

Imam mobile me jandar ki taswir dekhta ho to uske piche namaz

*_SAWAL:-_*

imam phone me jandar ki taswir dekhta ho to uske piche namaz padhne ka kya hukm he ??

Or agar yaha koi aesa imam na paya jata ho jo is fe'al se parhez kare to aese me hame kya karna chahiye ???


*_JAWAB:-_*

Baghair uzr e SharaEE to Tasweer e Jandar se bachna hi chahiyye.. Hadrat e Taajush ShariAh SaHib maddazillahulAali ka fatwa Shareef ka khulasah yeh ke jo Imam Tasweer e Jandar banata  banwata hai aur usme  shohrat hai uski to woh fasiq e moAlin hai usko Imam banana Jaiz nahi. Fasiq ke peechhey Namaz e JumaA wa Eiden Jaiz hain jabke ghair e fasiq Imam naa milta ho.lekin koshis karni chahiye ke paband e shara imam ke piche namaz padhe. To aimmamh hazrat or ham bhi masla e Sharaee ka khayal rakhen aur Tasweer bazi se parhez karen.

Al-jawab:-JANAB MASOOD NOORI SAHAB

*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan MoinRaza Azhari(PETLAD)_*
📲+918487928693
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

Loudspeaker par namaz ka mas'ala

*_SAWAL_*:-

Hazrat hamare yaha masajido me loud speakers  ka istemal kiya jata h jume k din to ham kya kare kya un imamo k piche namaj ho jayegi or hamare liye ye mumkin nhi ki har bar ham jaldi jakar age ki shaf me khade ho to ese me ham namaj e juma kese ada kare

*_JAWAB_*:-

Aesey waqt men aap mukabbir ki awaz par Yaa aagey ki saff ke  namaziyon ke mutabiq Namaz padhen

*_SAWAL:-_*Lekin mukabbir bhi moujud nhi..Or aage ki shaf wale to khud speaker ki awaj me ruku w sajda kar rahe h to jab unka hi ruku sajda na hoga to hamara kese hoga???
 Or jaha mukabbir h bhi to wo itni piche hote h ki imam ki awaj un tak nahi pahunchti wo bhi speaker ki awaj par hi ruku sajda karte h ese halat me ham kya kare???

*_JAWAB:-_*

Awwal safon waley to direct Imam ki awaz sun letey hain..Bahar Haal jahan par Imam ki khudki ya mukabbir ne imam se sunkar takbeeraat kahin wahan Namaz ho jayegi unki awaz par.

AL-JAWAB:- JANAB MASOOD NOORI SAHAB, RAJASTHAN

*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan MoinRaza Khan Azhari(PETLAD)_*
📲+91
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

Badmazhab Ko Free Me Dawai Dena Kaisa ??


*🌹SAWAL:-🌹*
 मेरे क्लिनिक के आस पास तब्लीगी जमती मदरसे और मसाजिद हैं और मस्लक अल्लाहज़रत की भी। दोनों ही जगह से मेरे पास इमाम और मदरसे के बच्चे के दवा लेने के लिए आते हैं। मैं उन्हें फ्री मेडिसिन और ट्रेटमेंट बताता हूँ और देता हूँ। जो बरेलवी मस्लक के इमाम या बच्चे आते हैं उनको सवाब की नीयत से पैसे नही लेता ।।।।और जो बाक़ी देवबन्दी हज़रात के इमाम और उनके मदरसे के तालिबे इल्म आते हैं उनसे भी नही लेता नियत सवाब की भी है और उन लोगों में अपनी अच्छाई कराने की भी जबकि वो जानते हैं कि मैं पक्का बरेलवी हूँ।। उनको काफ़िर जानता और मानता हूँ।। उनको फ्री दवा देना सवाब की नीयत से और उनमे अपने मस्लक की अच्छाई दिखाने के लिए कैसा है?? जवाब इनायत करें मेहेरबानी होगी।।

Huzur TAJUSHSHARIYAH ki tasanifat

🌹👑🌹👑🌹👑🌹👑🌹👑

_*نبیرہء اعلٰی حضرت قاضی القضاۃ فی الہندحضرت تاج الشریعہ مولانامفتی اختررضاخان ازہری مدظلہ العالی کی تصانیف:*_


وارث علوم اعلیٰحضرت جانشین مفتی اعظم حضور تاج الشریعہ دام ظلہ، علینا افتاء و قضا، کثیر تبلیغی اسفار اوردیگر بے تحاشہ مصرفیات کے باوجود تصنیف و تالیف کا سلسلہ بھی جاری رکھے ہوئے ہیں یہاں تک کہ سفر میں یہ  کام جاری رہتا ہے _ جو حاسد یہ بکواس کرتے ہے کہ تاج الشریعہ نے کیا کیا ہے یہ ان کے منہ پہ طمانچہ ہے۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔اتنی مصروفیت کے باوجود آپ کی کئی ساری تصانیف منظر عام پہ آچکی ہیں۔ آپ کی تصانیف کی فہرست درج ذیل ہے۔


اردو تصانیف:


١۔۔۔۔۔۔ ہجرت رسول

٢۔۔۔۔۔۔ آثار قیامت

٣۔۔۔۔۔۔ ٹائی کا مسئلہ

٤۔۔۔۔۔۔ حضرت ابراہیم کے والد تارخ یا آزر

٥۔۔۔۔۔۔ ٹی وی اور ویڈیوکا آپریشن مع شرعی حکم

٦۔۔۔۔۔۔ شرح حدیث نیت

٧۔۔۔۔۔۔ سنو چپ رہو

٨۔۔۔۔۔۔ دفاع کنز الایمان (2جلد)

٩۔۔۔۔۔۔ الحق المبین

١٠۔۔۔۔۔۔ تین طلاقوں کا شرعی حکم

١١۔۔۔۔۔۔ کیا دین کی مہم پوری ہوچکی ؟

١٢۔۔۔۔۔۔ جشن عید میلاد النبی

١٣۔۔۔۔۔۔ سفینہ بخشش (نعتیہ دیوان )

١٤۔۔۔۔۔۔ فضیلت نسب

١٥۔۔۔۔۔۔ تصویر کا مسئلہ

١٦۔۔۔۔۔۔ اسمائے سورۃ فاتحہ کی وجہ تسمیہ

١٧۔۔۔۔۔۔ القول الفائق بحکم الاقتداء بالفاسق

١٨۔۔۔۔۔۔ سعودی مظالم کی کہانی اختر رضا کی زبانی

١٩۔۔۔۔۔۔ العطایاالرضویہ فی فتاویٰ الازہریہ المعروف ازہرالفتاویٰ (زیر ترتیب 5جلد)


عربی تصانیف:


١۔۔۔۔۔۔ الحق المبین

٢۔۔۔۔۔۔ الصحابۃ نجوم الاھتداء

٣۔۔۔۔۔۔ شرح حدیث الاخلاص

٤۔۔۔۔۔۔ نبذۃ حیاۃ الامام احمد رضا

٥۔۔۔۔۔۔ سد المشارع

٦۔۔۔۔۔۔ حاشیہ عصیدۃ الشہدہ شرح القصیدۃ البردہ

٧۔۔۔۔۔۔ تعلیقاتِ زاہرہ علی صحیح البخاری

٨۔۔۔۔۔۔ تحقیق أن أباسیدنا إبراہیم ں (تارح)لا(آزر)

٩۔۔۔۔۔۔ مراۃ النجدیہ بجواب البریلویہ (2جلد)

۱۰۔۔۔۔۔۔ نهاية الزين في التخفيف عن أبي لهب يوم الإثنين

۱۱۔۔۔۔۔۔ الفردۃ فی شرح قصیدۃ البردۃ


عربی کتب کے اردوتراجم:


١۔۔۔۔۔۔ انوار المنان فی توحید القرآن

٢۔۔۔۔۔۔ المعتقد والمنتقد مع المعتمد المستمد

٣۔۔۔۔۔۔ الزلال النقیٰ من بحر سبقۃ الاتقی


تعاریب(یعنی اعلٰی حضرت کی اردوکتب کے عربی تراجم)


١۔۔۔۔۔ ۔برکات الامداد لاہل استمداد

٢۔۔۔۔۔۔ فقہ شہنشاہ

٣۔۔۔۔۔۔ عطایا القدیر فی حکم التصویر

٤۔۔۔۔۔۔ اہلاک الوہابین علی توہین القبور المسلمین

٥۔۔۔۔۔۔ تیسیر الماعون لسکن فی الطاعون

٦۔۔۔۔۔۔ شمول الاسلام لاصول الرسول الکرام

٧۔۔۔۔۔۔ قوارع القھارفی الردالمجسمۃ الفجار

٨۔۔۔۔۔۔ الہاد الکاف فی حکم الضعاف

٩۔۔۔۔۔۔ الامن والعلی لناعتی المصطفی بدافع البلاء

۱۰۔۔۔۔۔۔ سبحان السبوح عن عيب كذب المقبوح

۱۱۔۔۔۔۔۔ حاجز البحرين الواقي عن جمع الصلاتين


نوٹ 👈 *اس پوسٹ کو ہر گروپ میں شئیر کریں اور قوم کو حضور تاج الشریعہ کی خدمات سے روشناس کرائیں.*

🌹👑🌹👑🌹👑🌹👑🌹👑

Huzoor TajushShariah SaLamat Rahein (Aameen)

🌹👑🌹👑🌹👑🌹👑🌹👑

_*TaLib-E-Dua*_:- PATHAN MOIN RAZA KHAN AZHARI(PETLAD,GUJARAT)

Musafa Karte Waqt Jukna Kaisa ??|| ahele sunnat w jama'at

*🌹SAWAL:-🌹*
Aksar Log Musafa Karte Waqt Jukte He Kya Aysa Krna Sahih He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Musafa Karte Waqt Ya Mulaqat Ke Waqt Jukna Mana He

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,

Mulaqat Ke Waqt Jukna Mana He. yaani Itna Jhukna Ki Hadde Ruku'a Tak Ho Jaye.

Or Riyadus Saliheen Me He,

Hazrat anas radiallahu anha se Marvi he ki ek shakhs ne sawal kiya 'ya RasoolAllah ﷺ ham me se koi jab apne bhai ya dost se mile to kya uske liye juke ?' Aap ﷺ ne farmaya 'Nahi !' (Jukna nahi) fir farmaya. 'Kya Uska hath pakad kar musafa kare ?' Aap ﷺ 'ji haa' (aesa karna munasib he)
*_📚(Tirmizi Shareef)_*
*Imam Tirmizi ne is hadiah ko hasan farmaya*

*📚(Ba-hawala:- riyadussalihin, jild 1, 320)*

Lihaza Musafa karte waqt  Jukne ko huzur sallallahu alaihi w sallam ne napasand farmaya aesa karna Makrooh he

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mazar ko bosa dena ya Chumna kaisa?|| Ahele sunnat w jama'at

*🌹SAWAL🌹*
Qabr ko Bosa Dena Ya Qabr Ko Chumna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Qabr Ko Bosa Dene Ke Ta'alluk Se Aulma Me Ikhtelaf He, Bahetar Ye he Ki Bosa Na Diya Jaye Ki Be Adbi Na Ho. Or Agar Koi Qabr Ko Bosa De Bhi De To Vo Gunahgar Na Hoga.

_Jaisa Ki Saiyedi Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He_

Bosa E Qabr Me Aulma Ka Ikhtilaf He. or Tahqiq Ye He Ki Vo(Bosa) Ek Amr He Do Cheezo Daaee (Bosa Ki Taraf Da'awat Dene Wala Amr) W Maane'a (Bosa Se Rokne Wale Amr) Ke Darmiyan Daair (Munhasae He), Daaee Muhabbat He Or Maane'a Adab To Jise Galba e Muhabbat, To Jise Galba E Muhabbat Ho Us Oar Mawakhaza ( Pakad) Nahi Ki Akabir Sahaba RadiAllahu Anhum se Sabit he or awam ke liye Maane'a  Ahwat (yaani zyada ahtiyat wali Baat) He, Aulma Tasreeh Farmate He ki Mazare Akabir Se Kam Az Kam Chaar Hath Ke Fasle Se Khada Ho Fir Taqbeel Ki Kya Sabeel (Yaani Bosa Lene Ki Kya Raah ?) 
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-1, S- 528)*

Or Dusri Jagah Farmate He,

Qabr Ko Bosa Lena Na Chahiye.
*📚(FATAWA RAZVIYA, JILD-9)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Huzur sallallahu alaihi w sallam ki namaze janaza/ahele sunnat

SAWAL:-Huzur sallallahu alaihi w sallam ki namaze janaza kisne padhai ?

JAWAB:-

Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Namaz-e-Janaza sab sy (1)Phalay JIBRAEEL  Alaihimusslam ne Padhee.
(2)Hazrat ISRAFEEL  Alaihimusslam  us ky bad.
(3)  Meekail, Alaihimusslam  pher
Malakul Maut  Alaihimusslam  ny Maliak / (Firshtoun) ke laskarun ke sath padhayee.
Us ky bad Sahaba-kram  (Rahmatullahi Allaih) degar lugun ny padhayee.


Ref:-ZARQANI Jild Hasthum ( 8 ) Page No 270.
Rfef:- FATAWA-RIDAWAIYYAH Jild Nuun (9) page No 314.
Note= Electronic media in URDU Masla 84 S.No 262 Page No.314.
***Ref:- MAKHZAN-E-MALUMAT Prnted on 2001 Page No140.


*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan MoinRaza  khan Azhari(PETLAD)_*
📲+91
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

15 August or 26 January ko patang udana kesa ?

*_SAWAL:-_*
15 August ko patang udana kaisa ??

*_JAWAB:-_*

15 August ho ya koi bhi din patang udana mana or ladana gunah he

Tajdare ahele sunnat mujaddide dino millat huzur aala hazrat radiAllahu anha se patang udane or bechne ke bare me sawal kiya gaya to aap ne tahrir farmaya

*'Kankiya(patang) udana mana he or ladana gunah'*
*_(Fatawa razviya jild 25 safa 660)_*

neez farmate he,,

Patang udane me waqt , maal zaYe karna hota he. Ye bhi gunah he . Or gunah ke aalat patang dor bechna bhi mana he ehtiyat kare.
*_(Fatawa razviya jild 24 safa 659)_*

*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan MoinRaza Azhari(PETLAD)_*
📲+918487928693
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

Qurbani ke masail/ qurbani kis par wajib he Tafsil ke sath

*_🌹SAWAL🌹_*:-
Qurbani kis par wajib he ???

*_🌹JAWAB🌹_*

1)  Musalman hona...gaire muslim par Qurbani wajib nahen.

2. Aaqil w baalig hona.
Yani jo shakhs aaqil or baalig ho us par qurbani wajib he..nabalig par qurbani wajib nahi.

3. "Muqeem hona“ Musafir (Traveler) pay Qurbani wajib nahen.
Yani 92 kilometers se zyada ka safar ho or 15 din se zyada uske vaha rukne ka ho to vo Mukim kahlayega.
Or agar 15 din se kam din rukne ka ho to vo musafir he..or musafir par qurbani wajib nahi..

4)   Hurriyat “ Yani azaad hona, kyun k ghulami main Qurbani wajib nahi..

5)   sahibe nisab hona.

Har musalman aqil balig mard wa aurat jis ke paas qurbani ke din 10,11,12, zil hajjah me  nisaab ke baqadr ka maalik  ho qurbani wajib hai.

Nisaab: 52.5 (saade bavan tola), 612 gram 35 mili gram  chaandi (silver)

ya uski aaj ki qeemat takriban 24000 ₹se 25000 ₹ tak he. maal,saaman qarza ho to ada karne ke baad itni kimat bachti ho.

Ya thoda sona he or thodi chandi he to in dono ki kimat mila kar agar vo sahibe nisab ki kimat jitni kimat hoti ho yani 52.5 tola chandi ki kimat ya 7.5 tola sone ki kimat ya uski kimat takriban 24000 se 25000 tak ho us par qurbani wajib he.

Maslan kisi ke paas 1 tola sona hai aur kuch rupees Cash hai to in dono ki qeemat agar 52.5 tola chaandi se bhi ziyada ho., to qurbani wajib hogi,(aajkal bahut see aurton ke paas itna to hota hee hai) haan sirf sona hi ho, sath me kisi qism ka maal bilkul na ho to 7.5 tole se kam ho ne ki soorat me qurbani  wajib nahi hai

Agar in ayyam me,(10,11,12 zilhajjah) maslan qurbani ke pehle 2 dino me, agar koi musalman malik e nisab ko nahi pahochta to usper qurnbani wajib nahi ha agar teesre din uske paas itna maal jama hogay ke wo malik e nisaab ko pahooch gaya to us per tesre din qurbani wajib ho jayegi.

Nisab me hajat ki chizo ko nahi gina jaaega. Jaise rehnay k liye ghar, aur khana daari k liye samaan, roz marrah k istemaal ki cheezain waghaira..

*Ye sharte jisme pai jaye us par qurbani wajib he..*


*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan MoinRaza khan Azhari(PETLAD)_*
📲
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒


Or allah ki rassi mazboot tham lo sab mil kar or aapas me fut na jana. Aayat tazuma ba tafsir

*🌹SAWAL🌹*
Iska Kya Ma'ana He Ki Allah Ki Rassi Mazbuti se Tham Lo Or Aapas Me Fut Na Daalo ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Is Aayat Ko Pesh Karte Huye Sulehkulli Ye Bayan Karte He Ki Is Aayat Ka Ma'ana He Firqo Me Na Bato Or Wahabi Deobandi, ahele hagees, shia, rafzi or sunni sab ek ho jao. Magar iska ye ma'ana hargiz nahi. Balki Huzur Sallaallahu Alaihi W sallam ne farmaya meri ummat 73 firqo me bategi, jisme se ek jannati or baki jahannami. Lihaza Iska Ye Ma'ana hargiz nahi hoga Ki Sabhi Batil firqe or ahele sunnat ek ho jaye. Balki iska ma'ana ye hoga ki aapas me yaane Ahle sunnat w jama'at me hi...

Quraan Shareef Allah Ta'ala Farmata He,

Or allah ki rassi mazboot tham lo sab mil kar or aapas me fut na jana.

وَاعْتَصِمُوا بِحَبْلِ اللَّهِ جَمِيعًا وَلَا تَفَرَّقُوا ۚ
*📚(Aale imaran#103)*

*_TARZUMA_*
Or allah ki rassi mazboot tham lo sab mil kar or aapas me fut na jana.

*_TAFSEER_*
'Hablillah' yani allah ki Rassi iski tafsir me mufassirine kiram ke kuch qaul he kuch kahte he ki allah ki rassi se murad qur'aan he.muslim shareef ki hadish me aaya ki quraan allah ki rassi he. jo is par chala vo hidayat par he or jisne ise chchoda vo gumrahi par he hazrat ibne mas'ud radiallahu anha ne farmaya ki rassi se murad jama'at he.or farmaya ki tum jama'at ko lazim karo ke vah hablillah he. Jisko majbooti se thamne ka hukm diya.

Jaise yahudi or isai alag alag ho gaye is aayat me un kamo or harkato se mana kiya he. jo musalman ke bich fut ka karan bane. musalman ka tarika ahele sunnat mazhab he iske alawa koi raah ikhtiyar karna deen me fut dalna he jisse mana kiya gaya.
*📚(Tafsire khazainul irfan)*

*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan MoinRaza Azhari(PETLAD)_*
📲+918487928693
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

SULEHKULLIYO KO JAWAB.

SUNNI BARAILVY..

TALIBE DUAA:- Pathan MoinRaza Khan Azhari (Petlad,Gujarat)

Quraan Ki Aayat Ko Mobile Se Delete Ya Send Karna Kesa ? Use Qayamat Ki Nishani Kahna ?

*_🌹SAWAL🌹_*
Quran Ki Aayat Ko Mobile Se Send Ya Delete Karna Kesa ??? Kya Quraan Ki Aayat Ko Mobile Se Delete Karna Qayamat Ki Nishani He ?

*_🌹JAWAB:-🌹_*


Qur'an Ki Aayat Ya Hadis Shareef Ko Mobile Ya Computer Se Send Karna Jaiz He Or Isi Tarah Se Us Massage Ko Zaroorat Padne Par Ki Jab Storage Full Ho Jaye Use Delete Karne Me Bhi Koi Harj Nahi. Or Agar Bacha Jaye To Bahetar He, Magar Mobile Se Quran Ki Likhi Hui Aayat Ko Delete Karna Iska Matlab Ye Hargiz Nahi Ki Ye Qura'an Ko Mitana he.

Humare Pyare Aaqa ﷺ Ke Duar Me Jab Wahi Nazil Hoti To Waha Par Maujud Sahaba Pathar Par Ya Mitti Par Ya Darakhto Ke Patto Par Ayat Likh Liya Karte Ab Sochiye Ki Us Daur Me Se Hi Pathar Mitti Par Aayat Likhi Jati Aur Baad Me Wahi Se Kisi Sakht Chiz Par Likh Kar Us Pathar Ya Mitti Par Likhi Huwi Ayat Ko Mita Di Jati Thi To Ye Aayat ka Mitna To Us Daur Se Hi Chalu Tha Aaj Se Nahi.

Us Daur Me Aur Humare Aaj Ke Madraso Me Aaj Bhi Black Board Par Bacho Ko Quran Ki Aayat Aur Hadees Likha Kar Sikhai Jati Hai Phir Naya Chapter Par Aane Ke Liye Us Likhe Huwe Ko Mitaya Jata Hai To Ye Mitane Ka Silsila Bhi Isi Tarah Barso Se Chalta Aaraha Hai.

Quran E Karim Me ALLAH Irshad Farmata Hai,
Beshak Humne Utara Hai Yeh Quran Aur Beshak Hum Khud Is Ke Nigehban.
*📚(Surah Al Hijr, Aayat 9, Parah 14)*

Lihaza Jiski Hifazat Allah Kare Use Koi Mita Nahi Sakta..

Or Jo Log Is Tarah Jahilana Massage Felate He Ki Qura'an Se Aayat Karna Qayamat Ki Nishani He Ye Bilkul Jahilana Baat He Or Ek Sazish He Kyun Ki Jab Se Media Aur Social Networks Aur Mobile Jaisi Chize Humare Bich Aayi Hai

Tab Se Islam Ke Liye Kaam Karna Humare Liye Bada Aasan Ho Gaya Hai To Kuch Islam Ke Dushman Ye Nahi Chahte Ki Islam Ka Iske Zariye Bol Bala Ho Isliye Aayato Aur Hadeeso Ke Galat Matlab Nikal Kar Phaila Dete Hai Unka Kaam Ayse Galat Msg Ko Phelana Hai Ki Quran Ki Aayato Ke Msg Na Kare Woh Delete Ho Jate Hai Aur Qayamat Ki Nishani Hai Ki Log Apne Hatho Se Use Mitayenge Bas Unka Kaam Is Msg Ko Send Karna Hai,

Uske Baad Log Use Parh Kar Is Msg Ko Phelana Shuru Kar Dete Hai Aur Dekhte Hi Dekhte Sab Jagah Woh Msg Pheil Jata Hai Aur Log Quran Ki Ayat Ko Send Karna Band Kar Dete hai Aur Is Se Un Shazishkaro Ki Shazish Kamyab Ho Jati Hai..

Or Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Mobile Me Load Kiye Huye Qura'ani Aayat Se Faiz Hasil Karne Ke Baad Use Delete Kar Sakte He Isme Koi Sharai Qabahat Nahi.
http://jamiaturraza.com/session/30May10/28.mp3

Or Sirajul Fuqha Ki Deeni Majalis Me He,

Istedalal Wagairah Ki Zaroorat Ho To Aayate Qura'ani Ko Send Kar Sakte He or Tilawat Maqsood Ho To Pura Qura'an Paak Mahfooz Kar Sakte He Or Jab Koi Farmaish Kare To Uske Mobile Me Bhi Bhej Sakte He.

Hañ Istedalal Or Tilawat Wagairah Ki Zaroorat Na Ho To Bachna Chahiye Taaki Vo Mahw Se Mahfooz Rahe.

Ye Baat Hamesha Zahan Me Rakhe Ki Mobile Ke Huroof Shuaai Huroof Hote He, Mobile Over Load Ho Jaye To Shuaai Huroof Ko Mahw Kar Dene Me Koi Harj Nahi, Bache To Bahetar.
Fatawa Aalamgiri Me Is Ta'alluk Se Juzya Maujud He.

*📚(Sirajul Fuqha Ki Deeni Majalis, S-142)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ludo Game Khelna Jaiz Nahi || Ludo game khelna kesa ???



*🌹SAWAL:-🌹*
Islam Ludo Game Khelna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Ludo Game Khelna Mamnoo'a W Najaiz He.

Is Ki Ek Wajah Ye Bhi He Ki Ye Shatranj Ki Tarah He Or Fuqha E Kiram Ne Shatranj Ko Mutlaqan Najaiz Qarar Diya He.

Allama Shaami Alaihir Rahma Durre Mukhtar Me Farmate He,
 فہو حرام وکبیرة عندنا، وفی اباحتہ اعانة الشیطان علی اّلسَلم والمسلمین.
Hamare Nazdik Shatranj Khelna Haram Or Gunahe Kabeera He Or Use Jaiz Thahrane Me Islam Or Musalmano Ke Khilaf Shaytan Ko Madad Dena He.
*📚(DURRE MUKHTAR, J-9, S-650)*

Or Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Shatranj Ganjafa, Chosar Ke Ta'alluk Se Farmate He,

Ye Sab Khel Mamnoo'a Or Najaiz He Or Unme Chosar Or Ganjafa Badtar He. Or Shatranj Ko Agarche  Ba'az Aulma Ne Ba'az Riwayat Me Chand Sharto Ke Sath Jaiz Bataya He.. Magar Tahqiq Ye Ki Mutlaqan Mana'a He Or Haq Ye He Ki Un Sharto Ka Nibah Hargiz Nahi Hota Khusoosan Sharte Daum W Soum Ke Jab Us Ka Chaska Parh Jata He Zaroor Madawat Karte Hain Or La Aql Waqte Namaz Me Tangi Ya Jama'at Me Gair Hazri Beshak Hoti He Jaisa Ki Tajarba Is Par Shahid Or Bil Farz Hazar Me Ek Aadh Aadmi Aysa Nikle Ki In Sharait Ka Pura Lihaz Rakhe To Nadir Par Hukm Nahi Hota.
وانماتبتنی الاحکام الفقھیةعلی الغالب فلاینظرالی النادرولایحکم الابالمنع کماافادہ المحقق فی الفتح فی مسئلة مجاورة الحرم وفی الدرفی مسئلةالحمام.
Fiqhi Ahkam Galiban Halat Par Mabni Hote Hain Lihaza Nadirul waquu'a Par Nigah Nahi Ki Jati Is Liye Mumane'at Ka Faisla Hi Kiya Jayega Jaisa Ki Muhaqqiq Ibne Humam Ne Fathul Qadeer Me Hamsaigi haram ke mas'ala me ifada farmaya or durre mukhtar Me Mas'ala Humam Me Yahi Farmaya He.

Or Chosar Khel Ke Ta'alluk Se He,
حضور اقدس صلی اللہ تعالیٰ علیہ والہ وسلم نے فرمایا:من لعب بالنردشیرفکانماصبغ یدہ فی لحم خنزیرودمہ۱؂۔رواہ مسلم۔

Huzur ﷺ Ne Farmaya Jisne Chosar Kheli Usne Goya Apna Hath Suwwar Ke Gosht Khon Me Ranga.
*📚(Sahih Muslim, J-2, S-240)*

Dusri Hadis Me Farmaya,
من لعب بالنردفقدعصی اللہ ورسولہ اخرجہ احمد ۱؂وابوداؤد وابن ماجہ والحاکم عن ابی موسی الاشعری رضی اللہ تعالیٰ عنہ۔
Jis Ne Chosar Kheli Us ne Khuda Or Rasool Ki Nafarmani Ki
*📚(Musnad Ahmad Bin Hambal, J-4, S-394)*

Chosar Bil Ijma'a Haram w Maujube Fisq W Radde Shahadat He,
Fatawa Shami Me Fahastani Se Naql Kiya Gaya He Ki Chosar Khelna Haram He Is Se Bil Ijma 'a Adalat Saqit Ho Jati He.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-24, S_72)*

Lihaza Shatranj Khelna Mutlaqan Mamnoo'a w najaiz he Or Chosar Khelna Bhi Mutlaqan Haram Or Ludo Bhi Inhi Ke Misl He Is Wajah Se Ludo Khelna Bhi Mamnoo'a W Najaiz He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•


Scane :-FATAWA RAZVIYA SHAREEF👇👇👇👇



NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts