Tumne Use Apna Khuda Maan Liya He !! Kahna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Koi Shakhs Kisi Shakhs Se Maali Madad Leta Ho Aur Dusra Madad Lene Wale Ko Ye Kahe Ki Tum Log Ne To Use Apna Khuda Maan Liya Hai To Kahne Wala Kya Dayra E Islam Se Kharij Ho Gaya ???


*🌹JAWAB:-🌹*

Kehne Wale Ko Aisa Nahi Kahna Chahiye Lekin Isse Wo Kharije Islam Nahi Hoga Agar Is Tarah Kahe Ki Tum Khuda Maan Liye Ho Ya Tum Kafir Ho, To Kahne Wala Kafir Hoga.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab


*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Hasan Raza Qadri Sahab Qibla*

*_📬Ameer Tahreek Faizane Umar Farooque, Aandhrapradesh_*

*🗓️19 Nov 2020, 3 Rabi Ul Aakhir 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aurto Ko Bagasre Ki Chudiya Pahanna Kesa ?

 

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم
Aurat Ko Bagasare Ki Chundiya Pahenna Kaisa

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sone Chandi Ke Alawa Kanch (yaani Shisha) Or Plastic Ke Zewar Bhi Aurtoñ Ko Pahnna Jaaiz He Or Dusri Tamam Dhaatoñ Ka Zewar Pahanna Jaaiz Nahi.

Saiyedi Sarkar Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Muhaddise Barailvy Alaihir Rahma Dhaatoñ Ke Muta'alliq Farmate Hai Ki
Chandi Sone Ke Siwa Lohe, Pital, Taañbe Rang Ka Zewar Aurtoñ Ko Bhi Mubah Nahi.
*📚(Fatawa Razviya, Jild-9 Nisf Awwal, Safha-14)*

Or Tahreer Farmate Hai, Ki Taañba, Pital Kaañsa Loha To Aurtoñ Ko Bhi Pahanna Mamnoo'a He Or Us Se Namaz Unki Bhi Makrooh He.
*📚(Fatawa Razviya, J-9, Nisf Aakhir, Safha-279)*

Or Khatimul Muhaqqiqeen Hazrat Allama Ibne Aabedin Shami Quddassirahus Saami Tahreer Farmate Hai,
التختم بالحدید والصفر والنحاس والرصاص مکروہ للرجال والنساء
*📚(Durre Mukhtar, J-5, S-253)*

Lihaza Kaanch (Yaani Shisha) Or Plastic Ki Chudiyañ Pahanna Or Pahan Kar Namaz Padhna Sahih W Durust He, Or Sone Chandi Ke Alawa Dusri Dhaatoñ Ki Chudiyañ Pahanna Najaaiz Or Pahan Kar Namaz Padhna Makrooh He.
*📚(Ba-Hawala: Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-177)*

Lihaza Aurtoñ Ko Bagasre (Sone Chandi Ke Alawa Dusri Dhaat) Ki Chudiyañ Pahanna Jaaiz Nahi. Or Use Pahan Kar Namaz Padhna Bhi Makrooh He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓18 Nov 2020, 2 Rab Ul Aakhir 1442*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWF.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Asar Magrib Ke Darmiyan Sona, Khana Pina, Namaz Padhna, Zikro Azkaar Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum Wa Rahmat Ullahi Wa Barkatuh


Asar Aur Maghrib K Darmiyan Namaz Padhna, Zikr O Aakaar Karna, Sona, Khana Khana Kaisa???


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Asar Or Magrib Ke Darmiyan Kisi Bhi Qism Ki Namaz Nahi Padhni Chahiye, Waqte Makrooh Shuru Hone Se Pahle Nafl Namaze Mana'a He, Or Waqte Makrooh Shuru Ho Jane Ke Baad Waqte Makrooh Se Le Kar Magrib Ki Azaan Tak, Sooraj Dubne Tak Kisi Bhi Qism Ki Qaza Wajib Wagairah Namaz Padhna Mana'a He Najaaiz He, Albatta Agar Us Din Ki Asr Ki Namaz Abhi Tak Nahi Padhi To Fir Makrooh Waqt Me Bhi Asr Ki Namaz Padhle, 


Aysa Hi Bahare Shariyat Me SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Ne Taherir Farmaya He.


Rahi Baat Zikro Azkaar Ki Tasbihaat Wagairah Padhne Me Koi Harj Nahi, Albatta Aam Kutube Fiqh Me Ye Likha Huva He Ki Qura'an Shareef Ki Tilawat Na Karna Bahetar He, Lekin Agar Koi Karle To Gunahgar Na Hoga.


Asar Or Magrib Ke Darmiyan Sona Mana'a He,

Ek Riwayat Me Aaya He Ki Jo Asr Ki Namaz Ke Baad So Jaye Or Uski Aql Jaati Rahe To Vo Apne Aap Hi Ko Malaamat Kare.

To Asr Ki Namaz Padh Kar Hargiz Na Soye.


Asar Ki Or Magrib Ki Namaz Ke Darmiyan Khane Pine Me Koi Harj Nahi. Kha Pi Sakte He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️19 Oct 2020, 1 Rabi Ul Awwal 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+91

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Zaid Gaanw Me Ba Jama'at Jumuah Padhe To Baqiyah Namaz Me Zuhar Ki Niyat Kare Ya Jumuah


اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

*🌹SAWAL:-🌹*

Zaid Apne Ghar Se Door Nokri Karta He Wahiñ Par Rahta He. Zaid Jahañ Rahta He Vo Ek Gaañw He, Or Us Gaañw Me Jumuah Ki Namaz Bhi Hoti He. To Is Soorat Me Zaid Kya Kare ? Kya Vo Jumuah Ki Ba Jama'at Namaz Us Gaañw Me Ada Kare? Or Agar Jumuah Tarq Kardi To Kya Jumuah Chhodne Ki Jo Waeed He Usi Me Dakhil Hoga ??

2. Zaid Agar Ba Jama'at Us Gaañw Me Jumuah Ada Karle. To Baqiyah Namaz Me Niyyat Kya Kare ? Jumuah Ki Ya Zuhar Ki ?

3. Or Jo Zuhar Ki 4 Raka'at Farz He Vo Farz Ada Kare Ya Jumuah Ki 4 Sunnat Ki Niyyat Se ?

Aulma E Kiram Se Guzarish He Tafseeli Jawab Inayat Farma Kar Rahenumai Farmaye...

*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Sehate Jumuah Ki Ek Shart Misr He, Yaani Vo Jagah Mazhabe Hanfi Ke Mutabiq Shahar Honi Chahiye.. Lihaza Asl Mazhab Ke Mutabiq Dehaat Ya Gaañw Me Jumuah Nahi Ho Sakta... Lekin Agar Koi Dehaat Ya Gaañw Aysa He Jahañ Pahle Hi Se Jumuah Qaaim He Or Mana'a Karne Me Khaufe Fitna Ka Andesha He To Wahañ Jumuah Ki Namaz Ada Karleñ.

Majlise Sharai Ke Seminar Me Jumuah Ki Namaz Ke Ta'alluq Se Huzur Mufti Jalaluddin Ahemad Amjadi, Huzure Tajushshariya, Or Huzur Muhaddise Kabeer Tino Hazraat Ne Faisal Board Ki Hesiyat Se Faisla Saadir Farmaya Ki, 

Riwayate Naadirah Ke Mutabiq Us Gaañw Ki Aabadi Itni He Ki Ahle Jumuah Wahañ Ki Badi Masjid Me Sab Jama'a Ho Jaye To Masjid Ubal Pade Or Unko Dusri Masjide Jame'a Banani Pade.. To Agar Gaañw Aysa He Jo Riwayate Naadirah Par Poora Utarta He Or Wahañ Jumuah Pahle Hi Se Jaari He To Wahañ Usko Band Na Kiya Jaye Riwayate Naadirah Ke Mutabiq Vo Bhi Sehate Jumuah Ke Liye Shahar Samjha Jayega.. Haañ Khawas Ko Hukm He Ki Apni Zuhar Ki Namaz Padhe.. Or Jo Gaañw Aysa Bhi Nahi Wahañ Jumuah Hargiz Nahi Ho Sakta.. Awam Ko Narmi Ke Sath Samjhaya Jaaye..

Lihaza Agar Mustafti Bade Gaañw Me Jaa Kar Namaze Jumuah Padhta He To Uski Namaze Jumuah Riwayate Naadirah Ke Mutabiq Ho Jayegi.. Namaze Zuhar Ki Haajat Nahi. Or Agar Chhota Dehaat Ya Gaañw He Jo Riwayate Naadirah Par Poora Nahi Utarta He Wahañ Saail Ko Namaze Zuhar Hi Ada Karni He Or Yahi Farz Bhi He.

*📚(Mulakhkhasan: Majlise Sharai Ke Faisle, S-203,204)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️16 Oct 2020, 28 Safar 1442*

                *🌹Tasdiq W Tayid🌹*

*✅Al-Jawabu Sahihun: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*

*📬Khadim Tadriso Ifta Darul Uloom Gause Aazam Porbandar Gujarat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Sabko Hazrat Lekin Imam Ahmad Raza Ko Aala Hazrat Kahna Kesa ??

 *🌹SAWAL:-🌹*

Aalahazrat Aalahazrat Kaise Hai

Agar Wo Aalahazrat Huye To Sab Hazrato Ke Hazrat Huye

Nabi Ko Sirf Hazrat Kehte Hai Or Ummati Ko Aalahazrat

Mujhe Ahmad Raza Khan Ko Aalahazrat Sabit Kr Ke Bta Do Bhut Mehrbani Hogi Aap Hazrato Ki


Or Ye Sawal Mere Nahi Hai Mujhse Kisi Ne Kiye He

Plz Koi Bhi Iska Jawab De

Jawab Aisa Dena Jo Ki Ek Kam Aqal Inshan Ko Bhi Samjh Aa Jaye Plz


*🌹JAWAB:-🌹*

Asslamu Alykum

Aala Hazrat Ko Aala Hazrat Unke Zamane Ke Hisab Se Kaha Gaya Yaani Unke Zamane Me Bahut Se Hazraat Aulma E Kiram Moujud The Magar Jo Fiqhi Basirat, Ilmi Tabahhur Aur Tahqeeqo Research Ki Salahiyyat Aala Hazrat Me Paai Jati Thi Wo Unke Zamane Ke Digar Aulma E Kiram Me Nahi Nazar Aati Thi, Lihaza Hind O Paak Balki Arab O Ajam Ke Muqtadar Aulma E Kiram Ne Unko Apna Shaikh Aur Sardar Tasleem Kiya Is Lihaz Se Unko Unke Zamane Ke Sab Hazrato Se Aala Yaani Aala Hazrat Ka Laqab Mila. Iska Matlab Ye Nahi Ke Unse Pehle Jo Buzurgan E Deen W Olma E Kiram Guzre He Wo Sab Sirf Hazrat The. Aur Ye To Ummati Ki Baat He Jab Gair E Sahabi Sahabi Ke Barabar Nahi Ho Sakta Aur Koi Bhi Sahabi Hargiz Hargiz Nabi Ke Barabar Nahi Ho Sakta To Fir Sare Nabiyo K Sardar, Tamam Rasolo Ke Peshwa Huzur Sarwar E Aalam Sallallahu Ta'ala W Tabaraka Wasallam Ki Barabari.

Lihaza Tamam Sardaro Ke Sardar Tamam Hazrato Ke Hazrat Yani Sab Se Aala O Awla Bad E Khuda E Ta'ala Sirf Huzur ﷺ Ki Zaat E Wala Sifat He.


Chunache Huzur Aala Hazrat Farmate He,

Sab Se Awla W Aala Hamara Nabi,

Sab Se Bala O Wala Hamara Nabi.


Lihaza Aala Hazrat Imam Ahemad Raza Khan Ko Aala Hazrat Unke Zamane Ke Aitbar Se Kaha Gaya He, Unke Pahle Ke Buzurgane Deen Ke Bhi Aitbar Se Nahi,  Yanha Jab Unke Zamane Se Pehle Ke Buzurgo Ki Taraf Nisbat Karte Huve Aala Hazrat Nahi Kaha Gaya To Fir Huzur Alyhisslaat O Wttasleem Ke Aur Unke Ummati Ke Darmiyan Nisbat Ka To Sawal Hi Payda Nahi Hota.

Kanha Nabi Aur Kanha Ummati!!

Wallahu Taala Aalam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️15 Oct 2020, 27 Safar 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Wada Karke Udhar Kapde Kharide Or Wada Pura Na Kiya To Us Kapdo Me Namaz Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum 

Sawal Yeh Hai Ke 

    Agar Sunni Bhai Ki Dukan Se Udhar Kapde Liye Ye Vaada Kar Ke Fula Tarikh Ko De Dunga.

Ab Agar Vo Tarikh Chali Gyi Or Abhi Tak Kapde Ke Paise Nahi Diye To Kya Vo Kapdo Me Namaz Padhi Vo Ho Jayegi Ya Nahi?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Mushtari Ka Ye Fe'al Najaaiz Huva Ki Usne Wa'ada Khilafi Ki Lekin Us Kapde Me Namaz Bila Karahat Jaaiz He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Zaiyai Amjadi Sahab Qibla*

*📬Darul Uloom Mustafiya Haldarwa Gujarat*

*🗓️18 Oct 2020, 30 Safar 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namaz Ka Waqt Tang Ho Or Gusl Farz Ho To Kya Kare ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum Wa Rahmat Ullahi Wa Barkatuh


Haalat E Ehtalam Hay Agar Ghusl Kare To Namaz Ka Waqt Khatam Hojae Ga To Us Waqt Kya Karna Chahiye


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Waqt Tang Ho Gaya Ki Wuzu Ya Gusl Karega To Namaz Qaza Ho Jayegi To Chahiye Ki Tayammum Karke Namaz Padhle Phir Wuzu Ya Gusl Karke Ae'aada Karna(Yaani Lautana) Lazim He.

*📚(Bahare Shariyat, H-2, Tayammum Ka Bayan)*

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️18 Oct 2020, 30 Safar 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+91

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Raat Ko Paode Todna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

As Salamu Aliakum Kya Raat Ke Waqt Koi Paode Ka Tukda Kaatna Kesaaaa?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Koi Harj Nahi. Tod Sakte Hai.. Log Ye Samjhte Hai K Darakht Par Jinnat Hote Hai... Is Liye Rat Koi Phal Paude Wagairah Nahi Tod Sakte Ye Jahalat Hai... Shariyat Me Iski Koi Asl Nahi..

 ھذا ما ظھر لی و اللہ تعالی اعلم بالصواب۔۔۔

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️16 Oct 2020, 28 Safar 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+9

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Dua E Qunoot Na Padhne Se Kya Namaz Wajibul Ae'aada Hogi ??

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُه

ُ‎ 

Namaz E Witr Me Dua E Qunoot Padhna Wajib He 

Lekin Kisi Ne Ab Tak Witr Ki Namaz Me Dua E Qunoot Nahi Padhi Thi Ab Usko Dua E Qunoot Yad Ho Gayi To Kya Wo Pehle Ki Namaz E Witr Fir Se Wapas Padhe


*🌹JAWAB:-🌹*

وعلیکم السلام  و رحمۃ اللہ و برکاتہ 

Dua E Qunut Yad Nahi Thi Aur Uski Jagah Koi Dua Maslan:- 

ربنا آتنا فی الدنیا ۔۔۔الخ ۔۔۔

Padhta Tha To Uski Voh Tamam Namaz Ho Gai....aur Koi Dua Hi Nahi Padhta Tha To Ab Voh Tamam Vitr Ki Namaz Ko Dohraye...k Ye Jan Bujh Kar Vajib Ka Tarak Huva Hai Aur Usse Namaz Vajib Ul Eaada Hoii...

واللہ تعالی اعلم بالصواب

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️15 Oct 2020, 27 Safar 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+9

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

English Me Allah Capital Latter Me Likhe Ya Small ??

 *🌹SAWAL:-🌹*

Salaam hazart 


English me Allah ka name likhte hue agr 'A' small letter me likh dena glt hai kya? 


Logo ka kehna hai Allah ke name me first letter small nhi likhna chahiye 


To is baat ki kya hesiyat hai 

Rehnumai farmaye..


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Isi Tarah Ke ek Sawal Ke jawab me Farmate Hai,


Jis Tarah Chahe Likhe, Capital Huroof Me Sare Alfaz Ho Vo bhi thik he, Ya Pahla capital latter Me Ho Baaki Small Latter Me Ho.

http://jamiaturraza.com/session/24Feb13/5.mp3


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️8 Oct 2020, 20 Safar 1442*

📲+9


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namazi Ke Aage Se Guzarna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Namaz Ke Aage Se Jaan Boojh Kr Nikal Na Kaisa Hai?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Mussali Ke Aage Se Guzarna Bahut Sakht Gunah He.


Hadees Me Farmaya Ki, Usme Jo Kuchh Gunah He, Agar Guzarne Wala Janta To Chalees (40) Tak Khade Rahne Ko Guzarne Se Bahetar Janta. Raawi Kahte Hai, Me Nahi Janta Ki Chalees Din Kahe Ya Chalees Mahine Ya Chalees Baras. Ye Hadees Sihahe Sitta Me Abi Jaheem RadiAllahu Anhu Se Marwi Hui Or Bazzaar Ki Riwayat Me Chalees Baras Ki Tasreeh He.


Or Ibne Maja Ki Riwayat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu Se Ye He Ki RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya, Agar Koi Janta Ki Apne Bhai Ke Samne Namaz Me Aad Ho Kar Guzarne Me Kya He To So (100) Baras Khada Rahna Us Ek Qadam Chalne Se Bahetar Samajhta.


Imam Malik Ne Riwayat Kiya Ki Ka'ab Ahbaar Farmate Hai, Namazi Ke Samne Guzarne Wala Agar Janta Ki Us Par Kya Gunah He To Zameen Me Dhans Jane Ko Guzarne Se Bahetar Janta.

*📚(Bahare Shariyat, H-3)*


*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*

*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🗓️8 Oct 2020, 20 Safar 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+9

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Huzur Gause Aazam Ki Paidaish Kab Hui Or Wisal ki Tarikh Konsi Or 11vi Ka Saboot

 *🌹SAWAL:-🌹*

ASSALAAMUALAIKUM Wa Rahmat Ullahi Wa Barkatuh 


Ghouse Paak Raziallahu Talaanh Ki Wiladat Kab Huwi Aur Wisaal Kab Farmae 

11v Shareef Manana Kaha Se Sabit Hay


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Hazrat Saiyed Abdul Qadir Jilani Rahmatullah Alaihi Qasba Jeelan Yakum Ramzan Baroz Jumuah Mubarak Hijri 470 Mutabia 1075 Iswi Ko Paida Huve.


Hafiz Ibne Kaseer Damishqi Apni Tasneef Al-Bidaya Wan-Nihaya Me Huzur Gause Paak Ka San Wiladat 470 Hijri Likhte Hai Or Imam Yafa'ee Apni Tasneef Miraatul Jinan W Ibrarul Yaqzaan Me Farmate Hai Jab Bhi Huzur Gause Aazam Se Aap Ke Saal Wiladat Ke Muta'alliq Sawal Kiya To Aap Ne Farmaya Mujhe Sahih Taur Par Yaad Nahi Albatta Itna Zaroor Janta Huñ Ki Jis Saal ME Badad Aaya Usi Sal  Abdul Wahab Tameemi Ka Wisal Huva Os Waqt 488 Hijri Tha Or Us Waqt Meri Umr 18 Saal Ki Thi..


Is Hisab Aap Ka San

 Wiladat 470 Hijri Huva..


Allama Jaami Ne Nafhatul Uns  Ke Andar Huzur Gause Aazam Ke Muta'alliq Jo Kuchh Likha He Vo Imam Yafa'ee Ki Kitab Se Likha He Or Baad Ke Jumla Sawaneh Nigaroñ Ki Jo Kuchh Tahreerat Or Bayanat He Vo Zyada Tar Nafhaat Hi Se Makhooz Hai.


Isi Liye Yahi Mash'hoor He Ki Aap Ka San Wiladat 470 Hijri He...


Agarche Baaz Hazraat Ka Ikhtelaf He Magar Beshtar Ahle Tahqeeq Ne Ise Hi Tarikhe Wiladat Qaraar Diya He.


Aap Ka Wisal Rabi Us Saani 561 Hijri Me Huva.

Aapke Wisal Ke Muta'alliq 4 Tarikhe Milti He.

8, 10, 11, 17


_Giyarvi Sharif  Ka Subut_


Giyarvi Sharif Isal E Sawab Ka Name He Aur Isaal E Sawab Karna Quraan Majid Se Sabit He 


*📚Surah Hashr, Aayat 10*


وَ الَّذِیْنَ جَآءُوْ مِنْۢ بَعْدِهِمْ یَقُوْلُوْنَ رَبَّنَا اغْفِرْ لَنَا وَ لِاِخْوَانِنَا الَّذِیْنَ سَبَقُوْنَا بِالْاِیْمَانِ وَ لَا تَجْعَلْ فِیْ قُلُوْبِنَا غِلًّا لِّلَّذِیْنَ اٰمَنُوْا رَبَّنَاۤ اِنَّكَ رَءُوْفٌ رَّحِیْمٌ۠

Tarjama: Un Ke Bad Aane Vale Arz Karte Hen Ay Hamare Rab Hame Aur Hamare Un Bhaiyo Ko Bakhsh De Jo Ham Se Pehle Iman Laye  Aur Hamare Dilo Me Iman Valo Ke Liye Koi Kina Na Rakh  Ae Hamare Rab Beshk Tu Nihayat Maherban Bahut Rehmat Vala He.


Is Aayat Se Sabit Huva Isal E Savab Jaaiz V Durust He 

Aur Giyarvi Sharif Per Bhi Fatiha Khwani Quraan Khwani Aur Zikr O Azkaar Karke Bargah E Gosiyat Me Tohfa Paish Kiya Jata He 

Lihaza Giyarvi Manana Jaiz O Durust Aur Kaare Sawab He. Albttah Jo Kam Ilm Hazraat Giyarvi Sharif Per Nach Gane Ya Gair Sharai Kaam Karte Ho To Ye Jaaiz Nahi 

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*

*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🗓️8 Oct 2020, 20 Safar1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+91

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Pasand Ki Shadi Karna Kesa ??

 *🌹SAWAL:-🌹*

Salam 


Kia Khud Ki Pasnd Se Shadi Kr Skte Hai ?? Aur Iske Hawale Se Koi Farmana E Mustafa SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM Hai ??


*🌹JAWAB:-🌹*

Walykum Asslam

Haa, Kar Sakte He. Quran Sharif Me Allah Taala Ka Irshad He,

فَانْكِحُوا مَا طَابَ لَكُمْ مِنَ النِّسَاءِ

Nikah Karo Un Aurto Se Jo Tumhe Bhaali Lage.

*📚(Surah Nisa, Aayat-3)*


Sarkar Alaihis Salam Ka Farman He,

Abu Dawood W Nasai W Hakim Ma'aqil Bin Yasaar RadiAllahu Anhu Se Raawi, Ki Ek Shakhs Ne RasoolAllah ﷺ Ki Khidmat Me Hazir Ho Kar Arz Ki, Ya RasoolAllah ﷺ Mene Izzat W Mansab W Maal Wali Ek Aurat Paai, Magar Uske Bachhe Nahi Hote Kya Me Usse Nikah Kar Luñ ? Huzur ﷺ Ne Mana'a Farmaya. Phir Dobara Hazir Ho Kar Arz Ki, Huzur ﷺ Ne Mana'a Farmaya, Teesri Martaba Hazir Ho Kar Phir Arz Ki, Irshad Farmaya, Aysi Aurat Se Nikah Karo, Jo Muhabbat Karne Wali, Bachcha Janne Wali Ho Ki Me Tumhare Sath Or Ummato Par Kasrat Zaahir Karne Wala Huñ.


Bukhari W Muslim W Abu Dawood W Nasai W Ibne Maja Abu Hurairah RadiAllahu Anhu Se Raawi, RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya, Aurat Se Nikah Karo Char Baatoñ Ki Wajah Se Kiya Jata He (Nikah Me Inka Lihaz Hota He) 1. Maal W 2. Hasab W 3. Jamaal W 4. Deen,. Or Tu Deen Wali Ko Tarjeeh De.


*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️8 Oct 2020, 20 Safar1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

BadMazhab Ke Bachho Ki Namaze Janaza Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*

AssalamuAlaikum


👇Hazrat Mera Sawal Hai'?? 


Gair Muqallid Wahabi Deobandi XYZ Ke Jahan Jab Bachcha Paida Hota Hai Aur Paida Hotey Hi Inteqal Kar Jata Hai Ya Phr Kuch Mahine Ya Kuch Saal Bad Balig Hone Se Pehle Inteqal Kar Jata Hai To Us Bachcha Bachchi Ki Jamaze Janaza Padhana Padhna Us Janaze Me Shariq Hona Kaisa'??? 


👆Hazrat Jawab Inayat Farmayiye Ilm Me Izafa Hoga


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Wahabi Shia Wagairah Firqa E Batila Ke Bachcho Ki Namaze Janaza Ke Ta'alluq Se Farmate He,


Nabalig Samajhdaar He To Uska Islam Mo'atebar He Or Na Samajh He To Khairul Abween Ka Tabe'a He Usme Deegar Warsa Ka Aitebar Nahi. Lihaza Agar Uske Walidain Kufriya Aqaaid Rakhte Hoñ Or Bachcha Nasamajh Ho To Janaza Me Shirkat Jaaiz Nahi.

*📚(Fatawa Amjadiya, J-1, S-314)*

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓7 Oct 2020, 19 Safar 1442*

📲+9


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts