Jis Dawaa Me Khinzir Ki Charbi Ho Uska Istemal Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Aajkal Ke Kuch Dawao (medicene) Me Gelatin Naam Ka Ek Ingrident(powder)dalkar Banaya Jaa Raha Hai Jo  Khinzir Ya Badjanwaro Ki Charbi Se Banta Hai .. Aisi Medicene Istemal Karna Kaisa Hai?

Zarurath Ke Time Par Haraam Cheezein Istemal Ki Jaa Sakti Hai Aisa Suna Hai To Kya Aisi Medicenes  Khaa Sakte Hai?
Rehnumai Farmaiye

*🌹JAWAB:-🌹*
Ha Istemal Kar Sakte Hai... k Jis Tarah Alcohol Mix Dava Ka Istemal Jaiz Hai Umoome Balva Ki Vajah Se Aur Ab Usse Bachan Bhi Harj E Azim Hai Usi Tarah Agar Har Davai Me Ingredient Mila Hi Rehta Hai Aur Usse Bachna Mushkil Hai To Phir Ye Bhi Umoome Balva Aur Harj E Azim Ki Vajah Se Jaiz Hai...
ھذا ما ظھر لی و اللہ تعالی اعلم بالصواب
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️19 June 2020, 26 Shawwal 1441*
Bahare Masail

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namaze Hajat Ka Tariqa

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Hadrat Hajat Ki Namaaz Kaise Padhi Jati Hai Aor Kitne Rakat Ki Hoti Hai Aor Kis Waqt Me Padha Ja Sakta Hai

*🌹JAWAB:-🌹*

Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,

Abu Dawood Huzaifa RadiAllahu Anhu Se Raavi, Kahte He, Jab Huzure Aqdas ﷺ Ko Koi Amre Aham Pesh Aata To Namaz Padhte.

Is Ke Liye 2 Raka'at Ya 4 Padhe.

Hadees Me He, Pahli Raka'at Me Surah Fatiha Or 3 Baar Aayatul Kursi Padhe Or Baaqi 3 Raka'ato Me Surah Fatiha Or Surah Ikhlaas W Surah Falaq W Surah Naas, Ek Ek Baar Padhe,

To Ye Aysi Hai Jaise Shabe Qadr Me 4 Raka'ate Padheñ. Mashaaikh Farmate Hai, Ki Ham Ne Ye Namaz Padhi Or Hamari Hajateñ Puri Hui.

Ek Hadees Me He Jisko Tirmizi W Ibne Maaja Ne Abdullah Bin Aof RadiAllahu Se Riwayat Kiya, Ki Huzur ﷺ Farmate Hai, Jis Ko Koi Haajat Allah Ki Taraf Ho Ya Kisi Bani Aadam Ki Taraf To Achchi Tarah Wuzu Kare Fir Do Raka'at Namaz Padh Kar Allah Azwajal Ki Sana Kare Or Nabi  ﷺ Par Durood Bheje Fir Ye Padhe.
لا إِلٰهَ إِلَّا ﷲُ الْحَلِيْمُ الْکَرِيْمُ، سُبْحَانَ اﷲِ رَبِّ الْعَرْشِ الْعَظِيْمِ، الْحَمْدُ ِﷲِ رَبِّ الْعَالَمِيْنَ، اَللَّهُمَّ إِنِّیْ أَسْأَلُکَ مُوْجِبَاتِ رَحْمَتِکَ وَعَزَائِمَ مَغْفِرَتِکَ وَالْغَنِيْمَةَ مِنْ کُلِّ بِرٍّ وَالسَّلَامَةَ مِنْ کُلِّ إِثْمٍ، أَسْأَلُکَ أَنْ لَا تَدَعَ لِیْ ذَنْبًا إِلَّا غَفَرْتَهُ وَلَا هَمًّا إِلَّا فَرَّجْتَهُ وَلَا حَاجَةً هِیَ لَکَ رِضًا إِلَّا قَضَيْتَهَا یا ارحم الراحمین۔
(Tarjama: Allah Ke Siwa Koi Ma'abood Nahi Jo Haleem W Kareem He, Paaak He Allah, Maalik He Arshe Azeem Ka, Hamd He Allah Ke Liye Jo Rab He Tamam Jahañ Ka, Me Tujh Se Teri Rahmat Ke Asbaab Maangta Huñ Or Talab Karta Huñ Teri Bakhshish Ke Zaraaye'a Or Har Neki Se Ganimat Or Har Gunah Se Salaamati Ko Mere Liye Koi Gunah Bagair Magfirat Ma Chhod Or Har Gam Ko Door Karde Or Jo Haajat Teri Raza Ks Mawaafiq He Uss Pura Karde, Ay Sab Maherbano Se Zyada Maherban.)
*📚(Jameul Tirmizi, Abwaabul Witr, Baab Maja Fee Salatul Hajah, Hadees-478, Jild-2, S-21)*

Tirmizi Ba-faada E Tahsin W Tasheeh W Ibne Maaja W Tabraani Wagairahum Usman Bin Haneef RadiAllahu Anhu Se Raavi, Ki Ek Sahab Naabina Hazir Khidmate Aqdas Huve Or Arz Ki, Allah Se Duaa Kijye Ki Mujhe Aafiyat De, Irshad Farmaya Agar Tu Chahe To Duaa Karuñ Or Chahe Sabar Kar Or Ye Tere Liye Bahetar He. Unhone Arz Ki, Huzur ﷺ Duaa Kareñ Unhone Hukm Farmaya: Ki Wuzu Karo Or Achcha Wuzu Karo Or 2 Raka'at Namaz Padh Kar Ye Duaa Padho.

'’اللّھم اِنيّ أَسْئَلُکَ وَ أَتَوَجَّہ اِلَیْکَ بِنَبِیِّک مُحَمَّدٍ نَبِيّ الرَّحْمَۃ یَا مُحَمَّد اِنيّ تَوجّھت بِکَ اِلیٰ رَبيّ فِي حَاجَتِي ھٰذہ ، فَتَقضي لِي اَللّٰھُم شَفّعہٗ فيّ‘‘
(Tarjama: Ay Allah Me Tujhse Sawal Karta Huñ Or Tawassul Karta Huñ Or Teri Taraf Mutawajjah Hota Huñ Tere Nabi Muhammad ﷺ Ke Zariye Se Jo Nabi Rahmat Hai Ya RasoolAllah ﷺ!! Me Huzur ﷺ Ke Zariye Se Apne Rab Ki Taraf Is Hajat Ke Bare Me Mutawajjah Hota Huñ Taaki Meri Haajat Puri Ho. Ilaaha Unki. Shafa'at Mere Haq Me Qubool Farma.)

Usmaan Bin Haneef RadiAllahu Anhu Farmate Hai, Khuda Ki Qasam ! Ham Uthne Bhi Na Paaye The, Baateñ Hi Kar Rahe The Ki Vo Hamare Paas Aaye, Goya Kabhi Andhe The Hi Nahi.
*📚(Sunan Ibne Maaja, Hadees-1389, Jild-2, S-156)*
*📚(Jameul Tirmizi, Hadees-3589, Jild-5, S-336)*

*📚(Bahare Shariyat, Hissa-4, Namaze Haajat)*

In Ahadise Karima Me Namaze Hajat Ka Tariqa Bayan Kiya Gaya He, Inme Se Kisi Bhi Duaa Ko Padh Sakte He, Puri Tarah Khushu'a W Khuzu'a Ke Sath Is Tariqa Par 2 Ya 4 Raka'at Namaz Padh Kar Huzure Aqdas  ﷺ Par Duroodo Salam Padh Kar Jo Bhi Hajat Ho Allah Ki Bargah Me Arz Kare, InshaAllahul Azeez Haajat Puri Hogi. Makrooh Awqaat Ke Siwa Kisi Bhi Waqt Me Padh Sakte He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️19 June 2020, 26 Shawwal 1441*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ilme Gaib Ka Munkir Kafir He





*🌹SAWAL:-🌹*
Ilme Gaib E Mustafa  ﷺ Ka Inkkar Karne Se Kya Koi Shakhs Islam Ke Daire Ss Bahar Ho Jata He ? Ilme Gaib Ka Inkar Karne Wala Kon He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Jo Shakhs Huzur ﷺ Ke Ilme Gaib Ka Munkir He Vo Islam Se Kharij Kafiro Murtad He.
*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-1, S-566)*

Huzur ﷺ Ke Ilme Gaib Ke Inkar Karne Wale Ko Qura'an Majeed Me Bhi Kafir Kaha He,

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Dekho Allah Gawahi Deta He Ki Nabi Ki Shaan Me Be Adbi Ka Lafz, Kalma E Kufr He Or Uska Kahne Wala Agarche Laakh Musalmaani Ka Muddaee Karodo Baar Kalma Go Ho, Kafir Ho Jata He.

Or Allah Farmata He,
وَلَئِن سَأَلْتَهُمْ لَيَقُولُنَّ إِنَّمَا كُنَّا نَخُوضُ وَنَلْعَبُ ۚ قُلْ أَبِاللَّهِ وَآيَاتِهِ وَرَسُولِهِ كُنتُمْ تَسْتَهْزِئُونَ
لَا تَعْتَذِرُوا قَدْ كَفَرْتُم بَعْدَ إِيمَانِكُمْ ۚ

Yaani, Or Agar Tum Unse Puchho To Beshak Zaroor Kaheñge Ki Ham To Hansi Khel Me The Tum Farma Do Kya Allah Or Uski Aayatoñ Or Uske Rasool Se Thaththa Karte The ? Bahane Na Banao Tum Kafir Ho Chuke Musalman Ho Kar.
*📚(Surah Taubah, Aayat-65, 66)*

Ibne Abi Shayba W Ibne Jareer W Ibnul Manzoor W Ibne Haatim Ashshaikh Imam Mujahid Tilmeez Khas Saiyedna Abdullah Bin Abbas RadiAllahu Ta'ala Anhum Se Farmate Hai,
انہ قال فی قولہٖ تعالی''ولئن سالتھم لیقولن انما کنا نخوض و نلعب'' طقال رجل من المنافقین یحد ثنا محمد ان ناقۃ فلان بوادی کذا وکذا وما یدریہ بالغیب۔
Yaani Kisi Ki Untni Gum Ho Gai, Uski Talash Thi, RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya Untni Falañ Jangal Me Falañ Jagah He Is Par Ek Munafiq Bola, Muhammad Batate Hai Ki Untni Falañ Jagah He, Muhammad Gaib Kya Jane ? Is Par Allah Ta'ala Ne He Aayate Kareema Utari Ki Kya Allah W Rasool Se Thaththa Karte Ho, Bahane Na Banao, Tum Musalman Kahla Kar Is Lafz Ke Kahne Se Kafir Ho Gaye.
*📚(Tafsire Imam Ibne Jareer, J-10, S-105)*
*📚(Tafsir Durre Mansoor, Imam Jalaluddin Suyuti, J-3, S-254)*

*📚(Fatawa Razviya, J-30, S-329)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓22 June 2020, 29 Shawwal 1441*
Bahare Masail Baharemasail

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Likorya Bimari Me Aurat Ko Namaz Or Paaki Ka Hukm



*🌹SAWAL:-🌹*
Likorya Zada Khatoon Ko namaz Ka Kya Hukm He ? Unko Mazi Har Waqt Aati Rahti He Or Mani Thodi thodi der aati he ? Ayse me namaz kese ada kare ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Soorate Mas'ula me khatun ma'azoor he ma'azoor ke ahkaam daarj zail hai,

Har Vo Shakhs Jiskko Aysi Koi Bimari He Ki Ek Waqt Pura Aysa Guzar Gaya Ki Wuzu Ke Sath Namaze Farz Ada Na Kar Saka Vo Mazooor He Uskaa Bhi Yahi Hukm He Ki Waqt Me Wuzu Karle Or Aakhir Waqt Tak Jitni Namaze Chahe Us Wuzu Se Padhe. Us Bimari Se Uska Wuzu Nahi Jata Jaise Qatre Ka Marz Ya Dast Aana Ya Hawa Kharij Hoona Ya Dukhti Aankh Se Paani Girna Ya Fode Ya Nasoor Ss Har Waqt Ratoobat Bahna Ya Kaan Naak Ya Chhati Se Paani Nikalna Ki Ye Sab Bimariya Wuzu Todne Wali He Unme Jab Pura Ek Waqt Guzar Gaya Ki Har Chand Koshish Ki Magar Taharat Ke Sath Namaz Na Padh Saka To Ye Majboori Hogi Oe Mazoor Samjha. Jayega.

Jab Uzr Saabit Ho Gaya To Jab Tak Har Waqt Me Ek Baar Bhi Ye Cheez Paai Jaaye Mazoor Hi Rahega, Jaise Aurat Ko Ek Waqt To Istehaza Ne Taharat Ki Mohlat Di Ab Itna Mauka Milta He Ki Wuzu Karke Namaz Padhle Magar Ab Bhi Ek Aadh Baar Har Waqt Me Khun Aa Jata He To Ab Bhi Mazoor He, Yuhi Tamam Bimariyon Me. Or Jab Pura Waqt Guzar Gaya Or Khun Nahi Aaya To Ab Mazoor Na Rahi Jab Fir Kabhi Pahli Halat Paida Ho Kaye Fir Mazoor He Uske Baad Fir Agar Pura Waqt Khali Gaya To Uzr Jata Raha.

Farz namaz ka waqt jaane se ma'azoor ka wuzu tut jata he jaise kisi ne asar ke waqt wuzu kiya tha to aaftab ke dubte hi wuzu jata raha or agar kisi ne aaftaab nikalne ke baad wuzu kiya to jab tak zuhar ka waqt khatam na ho wuzu na jayega ki abhi tak kisi farz namaz ka waqt nahi gaya.

Ma'azoor ko aysa azr he jis ke sabab kapde najis ho jate he to agar eo dirham se zyada najis ho gaya or janta he ki itma mauqa'a he ki use dhho kar namaz padhna farz he or agar janta he ki namaz padhte padhte fir itna hi najis ho jayega to dhona zaroori nahi usi se padhhe agarche musalla bhi aaaluda ho jaye kuchh haarj nahi or agar dirham ke barabar he to pahli Soorat me dhona wajib or dirham se kam he to sunnat or Dusri soorat me Mutlaqan na dhone me koi harj nahi.
*📚(Bahare Shariyat, J-2, Istehaza Ka Bayan)*

Lihaza Jis Khatoon Ko Likorya Ki Bimari Ho Agar usko har namaz ke waqt me rutoobat aati he to vo har namaz ke waqt ke liye wuzu kare, or usse vo farz w sunano nawafil ada kar sakti he fir jab waqt chala jaaye To Dusra waqt shuru hote vo dusra wuzu karle.
Isi Tarah Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Ka Farman He.
http://jamiaturraza.com/session/20Apr14/16.mp3

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️6 May 2020, 12 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
Bahare Masail Baharemasail

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mobile Me Quraan or Islami Tasweer Ho to Baytul Khala Ke Jana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum, Mobile Phone Me Quran Ki Aayat  Naat Sharif Aur  Auliya Ikram Ke Mazaro Ke Photo Vagaira Hoti Hai Tho Toilet Ya Bathroom Me Phone Lekar Ja Sakte Hain Ya Nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Laaiqe Ta'zeem Islami Tasweere Maslan Khana E Kaba, Gumbade Khizra, Isme Jalaalat, Isme Risalat, Qura'ani Aayat Ka Aks Wagairah.. In Tamam Islami Tasweero Ko Mobile Ki Screen Par Ya Mobile Ke Andar Folder Ya Image Gallery Me Rakhte Huve  Mobile Ko Istinja Khana Ya Baytul Khala Le Jana Jaiz He. Lekin Bachna Bahetar.

Jaise Taaweez Ki Usme Isme Jalaalat Or Quraani Aayat Wagairah Hoti He, Lekin Kapda Or Khol Wagairah Me Poshida Hone Ki Wajah Se Us Taaweez Ko Pahan Kar Baytul Khala Jana Jaiz He.

Ye Islami Tasweere Chuñ Ki Mobile Ke Andar Or Jeb Ke Andar Hone Ki Wajah Se Chhup Jaati He, Is Liye Unki Behurmati Ka Koi Sawal Paida Nahi Hota Or Jab Unki Behurmati Nahi Hoti He To Mobile Ki Screen Par Maujud Un Tasweero Ko Mobile Ke Sath Baytul Khala Le Jane Me Koi Karaahat Or Mumane'at Nahi. Yaani Le Jaa Sakte Hai. Iski Ijazat He.

Haañ Bahetar Or Ehtiyaat Isi Me He Ki Kalemaate Muqaddasa Ya Laaiqe Taazeem Tasweeroñ Ke Screen Par Numaayañ Hone Ki Sooraat Me Mobile Ko Baytul Khala Ya Istinja Khana Na Le Jayeñ. Ya Baytul Khala Jane Se Pahle Mobile Band Kardeñ.

Is Mas'ale Ki Nazeer Taaweez Le Kar Baytul Khala Jane Ka Mas'ala He.

Chunanche Fatawa Shaami Me He,
رقیت فی غلاف متجاف لم یکرہ دخول الخلاء بہ والا حترازافضل
Tarjama: Jo Taaweez Alag Gilaaf Ke Andar Ho, Use Lekar Baytul Khala Jana Makrooh Nahi (yaani Us Taaweez Ko Pahan Kar Baytul Khala Jaa Sakte Hai) Lekin Is Se Bachna Afzal He.
*📚(Fatawa Europe, S-529)*

Hazrat Allama Shaami Alaihir Rahma Ke Raddul Muhtar Me Bayan Karda Darj Zail Mas'ale Se Bhi Hamare Mauqoof Ki Taeed Hoti He. Aap Likhte He,
فلو نقش اسمہ تعالی اواسم نبیہ صلی اللہ علیہ وسلم استحب ان یعجل الفص فی کمہ اذا دخل الخلاء
Tarjama: Agar Anguthi Par Allah Ta'ala Ya Uske Rasool  ﷺ Ka Naame Paak Kuninda Ho To Bahetar Or Mustahab Yahi He Ki Baytul Khala Jaate Waqt Anguthi Ke Nagine Ko Apni Aasteen Me Chhupa Le.
*📚(Raddul Muhtar, J-9, S-519, Zakarya Book Depo)*

Is Ibarat Se Maloom Huva Ki Isme Jalaalat Or Isme Risalat Ya Digar Qabile Ta'azeem Tasweereñ Chhupa Di Jaye To Karaahat Khatm Ho Jati He.

Mobile Screen Par Numaayañ Khana E Kaaba, Gumbade Khizra Or Qura'ani Aayat Ke Ukoos Mobile Ke Jeb Me Rahne Ke Baaees Chuñ Ki Chhup Jate He, Is Liye Unke Sath Baytul Khala Jane Me Koi Karaahat Or Qabaahat Lazim Nahi Aati.
*📚(Mobile Phone Ke Zaroori Masail, S-78,79)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓18 June 2020, 25 Shawwal 1441*
📲+91848792

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Badnazar Se Bachne Ke Liye Bachcho Ke Chahere Par Kajal Ka Tika Lagana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum, Chote Baccho'n Ke Gaal Pe Ya Cehre Pe Wagera Kala Tika Lagay Jaata Hai Kya Ayesa Karne Se Us Bacche Ko Nazar Nhi Lagegi....... Haqiqat Kya Hai.???.... Jawab Inayat Farma'e..

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Nazre Bad Se Bachne Ke Liye Aysa Fe'al Karna Jo Shar'an Mamnoo'a Na Ho Durust He, 

Chhote Bachccho Ko Nazar Lagne Se Bachane Ke Liye Chahere Ya Gaal Par Ya Thodi Par Kajal Ka Kala Nishan Ya Teeka Lagaya Jata He Jo Hazrat Usman Gani RadiAllahu Anhu Ki Ek Riwayat Se Bhi Sabit He,
ومنہ حدیث عثمان بن عفان انہ مر ببعض طرقات المدینۃ فرای صبیا ومعہ حشمۃ فقال دسموا نونتہ لکیلا تصیبہ العین

Hazrat Usman Gani RadiAllahu Anhu Madina Munawwara Ke Ek Raste Se Guzre To Ek Bachcha Ko Dekha Jis Ke Sath Uske Ghar Wale Bhi The, Farmaya Us Ki Thodi Pe Kala Teeka Lagado Taaki Nazar Na Lage,
*📚(Sharah Sahihul Bukhari,J-2, A-511,)*

Or Allama Abdul Mustafa Aazmi Alaihir Rahma Farmate He,

Nazar Se Bachne Ke Liye Maathe Ya Thodi Wagairah Me Kaajal Wagairah Se Dhabba Laga Dena Ya Kheto Me Kisi Lakdi Me Kapda Lapet Kar Gaad Dena Taaki Dekhne Wale Ki Nazar Pahle Is Par Pade Or Bachcho Or Kheti Ko Kisi Ki Nazar Na Lage, Aysa Karna Mana'a Nahi He, Kyuñ Ki Nazar Ka Lagna Hadeeso Se Sabit He Iska Inkar Nahi Kiya Ja Sakta.
*📚(Jannati Zewar, S-335)*

Lihaza Bachcho Ko Nazre Bad Se Bachane Ke Liye Muh Pe Kaajal Ka Kala Dhabba Lagane Me Koi Harj Nahi, Laga Sakte He..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓18 June 2020, 25 Shawwal 1441*
📲+9184

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Khaufe Hadas (Hawa Kharij Hone Ka Khauf) To Imam Se Pahle Salam Ferna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Qaaida E Aakhira Me Pura Attahiyyat Padh Liya, Fir Muqtadi Ko Pura Guman He Ki Abhi Agar Salam Nahi Ferega To Wuzu Toot Jayega, Abhi Imam Ne Salam Nahi Fera, Imam Se Pahle Salam Ferke Farig Ho Sakta He Kya Namaz Ho Jayegi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Muqtadi Ko Imam Se Pahle Salam Ferna Jaiz Nahi, Magar Bazaroorat Maslan Khaufe Hadas (yaani Wuzu Tootne Ka Khauf) Ho Ya Ye Andesha Ho Ki Aaftab Tulu'a Kar Aayega Ga Jumuah Ya Eidain Me Waqt Khatm Ho Jayega.
*📚(Bahare Shariyat, Hissa-3)*

Lihaza Agar Khauf He Ki Wuzu Toot Jayega To Imam Se Pahle Salam Fer Sakta He, Namaz Ho Jayegi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️17 June 2020, 24 Shawwal 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Sunnate Mu'akkida Or Gair Mua'kkida Namaz Me Farq

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat Ek Sawal Arz Hai Rahnumayi Farmayen  . Kya Sunnate Moqda  Aur Gair Moqda Padhne Me Kuchh Farq Hota Hai ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sunnat E Muakkida Jab Char Rakat  Padhenge To Qaidae Ula Me Sirf Attahiyyat Padh Ke Khade Ho Jaenge
Aur Tisri Rakat Me Tasmiyah Padh Ke  Sura E Fatiha Aur Surat Milaenge 
Phir Ruku Sujud Ke Bad Namaz Khatam Karenge.

Jab Ki Sunnat E Gair Muakkida Me Qaid E Ula Me Attahiyyat Ke Bad Durud Sharif Aur Duaa Padhna Mustahb He,
Aur Tisri Rakat Me Sana Ta'awwuz V Tasmiya Bhi Padhi Jaegi Jis Tarah Pahli Rakat Shuru Ki Thi,
Phir Aur Namazon  Ki Tarah  Ye Namaz Bhi Puri Ki Jaegi.

Wllahu Ta'ala Aalam
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️14 June 2020, 21 Shawwal 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Sabse Afzal Durood Konsa He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ 
Hadrat Kon Si Dorud Paak 
 حضور سرکارِ دوعالم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم 
Pe Padhna Behtar Hai Aor Choti Ho Jo Ki Asani Se Tasbih Pe Padhi Ja Sake 

Baraye Meharbani Rahenumayi Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sabse Afzal Durood Shareef To Vo He Jo Namaz Me Muqarrar Kiya Gaya, Aap Is Durood Shareef Ko Chalte Firt, Uthte Bethte Padh Sakte He, Jahañ Par Najasat Na Padi Ho. Sabse Chhota Durood Shareef  ﷺ (sallallahu Alaihi W Sallam) Ye Bahut Hi Aasan, Sabke Liye Fayda Mand Or Tasbeeh Wagairah Me Padhne Ke Liye Bahetareen Durood Shareefo Me Se Ek He, "sallallahu Alaihi W Sallam" Or Bhi Bahut Sare Durood Shareef He Ki Jumuah Ke Deen, Jumuah Ki Namaz Ke Baad 100 Martaba Madina Shareef Ki Taraf Muh Karke Duroode Razviya Padhna Buzurgane Deen Ka Tariqa E Kaar Bhi Raha He, Or Uski Bahut Si Fazilate Bhi Hamare Buzurgane Deen Ne Bayan Farmai, To "sallallahu Alaihi W Sallam" Bhi Padhe, Duroode Ibrahim Bhi Padhe, Duroode Razviya Bhi Padhe, Jo Bhi Aap Ko Mayassar Ho Jo Bhi Aapke Liye Aasan Ho, Usko Padhte Rahe.

Aysa Hi *📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-6, S-183)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️14 June 2020, 21 Shawwal 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Lahne Jali Or Lahne Khafi Kya He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamo Alaykum Y Lahne Jali Or Lahne Khafi Ki   Kya Mane Hai ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Lahan Arbi Me Kai Ek Ma'ana Ke Liye Aata He, Magar Fanne Tajweed Me Isse Murad Galti, Or Durust Raah Se Hat Jana He, Yaani Qura'an Ko Mutabiqe Usool Na Padhna.

Lahan Ki Do Qism He,

*Lahne Jali:*

Badi Or Zahir Galti Ko Kahte He,
Lahne Jali Vo Galti He Jo Talaffuz Par Taari Hoti He, Or Ma'ana W Urf Dono Me Mukhl Hoti He. 

Lahne Jali Ka Padhna Or Sunna Dono Haram He, Or Usse Bachna Wajib. Agar Kisi Lahne Jali Se Fasade Ma'ana Laazim Aaye To Namaz Fasid Ho Jati He Jo Dohrane Se Or Sajda E Sahw Se Bhi Nahi Ho Sakti, Ta-waqtika Us Galti Ko Durust Na Kar Liya Jaye. Aammunnaas Is Me Zyada Mubtala Hai.

Lahne Jali Ki Chand Soorte He,
Ek Huruf Ko Dusre Huruf Se Badal Dena,
Jaise  عَظِیْمٌ  Ko  عَزِیْمٌ Padhna

Saakin Ko Mutaharik 
Jaise, جَمْعاً  Ko  جَمَعاً

Or Mutaharik Ko Saakin
 Jaise, کَتَبَ اللّهُ   Ko  کَتْبَ اللّه Padhna

Harkat Ko Harkat Se Badal Dena,
Jaise اَرَءَیْتَ  Koاَرَءَیْتُ  Padhna

 Kisi Huruf Ko Badha Dena
Jaise, خَلَقَ   Ko  خَلَقَا

Ya Ghata Dena 
Jaise, لَمْ یُوْلَدْ Ko  لَمْ یُلد

*Lahne Khafi:*

Chhoti Or Poshida Galti Ko Kahte He,
Lahne Khafi Ka Padhna Or Sunna Dono Makrooh He, Bachna Sunnat He Or Riwayatan Najaiz.

Idgaam, Ikhfa, Iqlaab Ki Jagah Izhaar Ya Izhaar Ki Jagah Idgaam Wagairah Kar Dena.
Mad Ki Jagah Qasr, Or Qasar Ki Jagah Mad. Tahqeeq Ki Jagah Tas'heel Or Tas'heel Ki Jagah Tahqeeq. Amala Ki Jagah Tarke Amala Karna, Ya Tarke Amala Ki Jagah Amala Karna. Kisi Bhi Harkat Ko Majhool Kar Dena,... Wagairah (Lane Khafi Massage Par Samjhana Mushkil He,)
*📚Makhuz:(Barkaatut Tarteel, S-64, 65)*

Bahetar He Kisi Nazdiki Aalime Deen Se Sabhi Tajweed Sikhe.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️17 June 2020, 24 Shawwal 1441*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Zana Kaar Ko Saja Dena Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Muftiyane Kiram W Aulma E Zawil Ehteram Kya Farmate Shariyat Ke Mutabik Is Mas'ala Me Zaid Or Hinda Ka Abhi Nikah Nahi Huva Or Dono Se Zana Huva He Ab Basti Walo Ke Samne Ye Gunah Zahir Huva He Ab Dono Ek Dusre Se Shadi Karne Ke Liye Raazi Lekin Basti Wale Kahte He Unhe Pahle Gunah Ki Saza Di Jaye Baad Me Nikah Hoga, Hazrat Jald Az Jald Jawab Ata Farmaye Ab Kya Kare ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Is Zamane Me Saza Dena Maarna Pitna Ye Kisi Ko Haq Nahi, Balki Jurm Par Saza Ye Sirf Qazi Ka Haq He, Is Zamane Me Sabse Badi Saza Ye He Ki Usse Qat'e Ta'alluq  Kiya Jaye, Dono Ko Juda Kiya Jaye,  Or Dono Se Khurdo Nosh, Mel Jhol, Salam Kalaam Sab Band Kar Diya Jaye, Yahañ Tak Ki Ye Log Taubah e Sadiqa Or Nadamat Ka Izhar Karde, Isse Zyada Or Koi Saza Nahi Di Ja Sakti He, Dusri Baat Ye Ki Ye Dono Agar Aapas Me Shadi Karna Chahte He To Dono Ki Shadi Kara Di Jaye.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🎙️Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬Mufti Darul Uloom Gause Aazam Porbandar Gujrat*
*🗓️15 June 2020, 22 Shawwal 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Usi din Ki Asar Ki namaz Makrooh Waqt Me Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Hazrat kya asar ke makrooh waqt mein ussi din ki asar ki namaz padhi ja sakti hai??

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Usi din ki namaz Padh sakte he, magar itni takhir karna haram he .

Jaisa ki Bahare Shariyat me he,
Us roz agar asar ki namaz nahi padhi to agarche aaftab dubta ho padh le, magar itni takhir karna haram he, hadees me isko Munafiq ki namaz farmaya.
*📚(Bahare Shariyat Application, H-3, S-22)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️5 May 2020, 11 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kafir Ki Maut Par RIP Likhna Kesa Or Kafir Ki Dua e Magfirat Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Kuchh Log Kafir Actor Ya Kisi Bhi Kafir Ke Marne Par RIP (Rest In Peace) Wagairah Likhte he Or Status Lagate He ? Aysa Karne Walo Par Kya Hukm He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Rip (Rest In Peace) Yaani Sukoon Se Aaram Me Raho, Is Tarah Kisi Kafir Ke Marne Par Likhna Sakht Najaizo Haram He, Or Agar Is Niyat Se Likha Ki Jannat Naseeb Ho To Kufr He. Kyu Ki Kisi Bhi Kafir Ke Liye Magfirat Ki Duaa Karna Hargi Jaiz Nahi, Rest In Peace Kahna Ki Use Marne Ke Baad Aaram Ho Ye Bhi Sakht Najaizo Haram Or Islam Ke Khilaf He, Marne Ke Baad Aaram Sirf Momin Ke Liye He Kisi Kafir Ke Liye Nahi, Ke Kafir Marne Ke Baad Azabe Ilahi Me Or Hamesha Jahannam Me Rahega.

Qura'an Majeed Me Rab Tabarak W Ta'ala Farmata He,
مَا كَانَ لِلنَّبِيِّ وَالَّذِينَ آمَنُوا أَن يَسْتَغْفِرُوا لِلْمُشْرِكِينَ وَلَوْ كَانُوا أُولِي قُرْبَىٰ مِن بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمْ أَنَّهُمْ أَصْحَابُ الْجَحِيمِ
Yaani Nabi Or Iman Walo Ko Laaiq Nahi Ki Mushriko Ki Bakhshish Chaheñ Agarche Vo Rishtedar Ho Jabki Unhe Khul Chuka Ki Vo Dozakhi He.
*📚(Surah Taubah, Aayat-113)*

Or Fatawa Razviya Me Hilya Ke Hawale Ss He,
Kafir Ke Liye Duaa E Magfirat Karna Kufr He Kyuñ Ki Ye Khabre Ilahi Ki Takzeeb Ka Talib He,
*📚(Hilyatul Muhalla Sharah Munyatul Musalla)*
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-9, S-173)*

Or Bahare Shariyat Me He,
Jo Kisi Kafir Ke Liye Uske Marne Ke Baad Magfirat Ki Duaa Kare Ya Kisi Murda Murtad Ko Marhum Ya Magfoor Ya Kisi Mare Huve Hindu Ko Baykunth Baashi (yaani Jannati) Kahe Vo Khud Kafir He.
*📚(Bahare Shariyat, H-1, S-97)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓14 June 2020, 21 Shawwal 1441*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mimbar Ki Kitni Sidi Honi Chahiye

*🌹SAWAL:-🌹*
Mimbar Me Kitni Sidiya Honi Chahiye?

*🌹JAWAB:-🌹*
Mimbar Ke Liye Shariyat Mutaharra Ne Sidiyoñ Ki Ta'adad Muqarrar Nahi Ki Ke Us Ginti Ka Pura Karna Zaroori Ho, Jama'at Ki Kasrat Ka Khayal Karke Jitni Sidiyañ Chahe Banaye.

Sahih Muslim Shareef Me,
Mimbare Nabwi Alaihis Salam Ke Muta'alliq Ek Taweel Hadees Sahal Bin Sa'ad RadiAllahu Anhu Se Marwi Usi Me Ye Lafz Bhi He,
فعل ھذہ الثلث درجات ثم امر بھا رسول اللہ صلی اللہ علیہ و سلم فوضعت ھذالموضع
Us Shakhs Ne Ye 3 Zeeno Ka Mimbar Banaya.
RasoolAllah ﷺ Ke Hukm Se Us Jagah Rakha Gaya.

Imam Navvi Is Hadees Ke Tahat Me Farmate Hai,
فیہ تصریح بان منبر رسول اللہ صلی اللہ علیہ و سلم کان ثلث درجات
Is Hadees Me Tashreeh He Ki RasoolAllah ﷺ Ka Mimbar 3 Zeeno Ka Tha. Lihaza 3 Sidiyoñ Ks Mimbar Par Na Aitraaz Ho Sakta He Na Use Khilafe Sunnat Kaha Ja Sakta He.
*📚Aysa Hi, (Fatawa Amjadiya, J-1, S-288)* Me He.

Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Mimbar Khud RasoolAllah ﷺ Ne Banwaya Or Us Par Khutba Farmaya

کما ثبت فی الصحیحین وغیر ھما حدیث سھل بن سعد رضی اﷲ تعالی عنہ
Mimbare Aqdas Ke 3 Zeene The Alawa Upar Ke Takhte Ke Jis Par Bethte Hai.
*📚(Sahih Bukhari, J-1, S-125, Matbuaa Qadeemi Kutub Khana Karachi)*

Raddul Muhtar Me He,
منبرہ صلی اﷲ تعالی علیہ وسلم کان ثلث درج غیر المسماۃ بالمستراح
Huzur ﷺ Ke Muqaddas Mimbar Ke 3 Zeene Us Takht Ke Alawa The Jis Par Betha Jata He.
*📚(Raddul Muhtar, J-1, S-608)*

Balandi Mimbar Se Asl Maqsad Ye He Ki Sab Hazreen  Khateeb Ko Dekhe Or Uski Aawaz Sune Jahañ Ye Hajat Ba-sabab Kasrat Hazaar W Doori Safof 3 Zeenoñ Me Puri Na Ho To Zeene Zyada Karne Ka Khud Hi Ikhtiyar He Or Bahetar Adade Taaq (yaani 1,3,5,7,9,...)ki Maraa'aat.
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-8, S-343)*

Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️12 June 2020, 19 Shawwal 1441*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Masjid Me Mimbar Kyu Hota He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Masajid Me Mimber Kyu Bnaya Jaata Hai

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Khatib Ka Wa'az Nasihat Ya Khutba Mimber Par Dena Ambiya Alahis Salam Ki Sunnat He, Yahi Wajah He Ki Masjid Me Mimbar Rakha Jata He, Jisse RasoolAllah ﷺ Ki Sunnat Ke Mutabik Khatib Mimbar Par Khutba Ada Kare. 

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Khutba Ki Sunnato Me Se Ek Ye He Ki Khatib Ka Mimbar Par Hona.
*📚(Bahare Shariyat Application, H-4, S-117)*

Or Dusri Jagah He,
Mimbar Par Chad Kar Wa'azo Naseehat Karna Ambiya Alaihis Salam Ki Sunnat He.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-16, S-269)*

Fatawa Razviya Me He,
Balandi E Mimbar Se Asl Maqsad Ye He Ki Sab Hazreen Khateeb Ko Dekhe Or Us Ki Aawaz Sune.
*📚(Fatawa Razviya, J-8, S-343)*

Or Hadees Shareef Me He,
Hazrat Nabi E Akram  ﷺ Masjide Nabwi Me Khajoor Ke Tane Se Tek Laga Kar Khutba Irshad Farmaya Karte The, Jab Sahaba E Kiram Ki Ta'adad Badh Gai To Sahaba E Kiram Arz Pardaar Huve, Ya RasoolAllah ﷺ Yaqeenan Musalmano Ki Kasrat Ho Chuki He, Is Liye Kya Hi Achha Hota Ki Aap Aysi Koi Cheez Ikhtiyar Farmaye Jis Par Khutba Ke Waqt Qayam Farma Ho, Taaki Log Aap Ke Didar Oa Sharf Hasil Kar Sake, To Huzur  ﷺ Ne Farmaya, Jaisa Tum Chaho, Thik He.
*📚(Al-Tabqatul Kubra, J-1, Zikre Mimbare Rasool ﷺ)*

Or Ek Dusri Hadees Me He,
Hazrat Sahal Bin Sa'ad RadiAllahu Anhu Ka Bayan He Ki RasoolAllah ﷺ Ne Ek Khatun Ki Taraf Paigam Bheja Ki Apne Barhaee (carpenter) Gulam Se Mere Liye Lakadyo Ki Koi Aysi Cheez Banado Ki Jis Par Beth Kar Logo Se Guftagu Kar Sakuñ. Us Khatun Ne Apne Gulam Ko Hukm Diya Ki Jangal Se Jaao (ki Lakdi Ka) Mimbar Banado, Vo Tayyar Karke Laya To Us Aurat Ne Use Nabi E Paak  ﷺ Ki Bargah Me Pesh Kar Diya, Nabi E Kareem ﷺ Ke Hukm Ke Mutabiq Use Rakha Gaya Or Aap  ﷺ Us Par Tashreef Farma Huye.
*📚(Bukhari, J-2, S-17, Hadees-2094)*

Or Allama Badruddin Ayni Rahematullah Alaihi Farmate He,
ومنھا ان فیہ استحباب اتخاذالمنبر و کون الخطیب علی مرتفع کمنبر وغیرہ
Yaani Masjid Me Mimbar Banana Or Khatib Ka Mimbar Wagairah Jaise Buland Maqaam Par Khada Hona Mustahab He.
*📚(Umdatul Qaari, Kitabus Salata)*

Or Fatawa Aalamgiri Me He,
ومن السنۃ ان یکون الخطیب علی منبر اقتداء برسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم
Yaani  Huzur ﷺ Ki Itba'a Karne Ke Liye Khateeb Ka Mimbar Par Hona Masnoon He.
*📚(Fatawa Aalamgiri, J-1, S-147)*

Lihaza Ahadise Kareema Se Wazeh He Ki Masjid Me Mimbar Par Chad Kar Khutba Dena Huzur ﷺ Ki Sunnat He, Or Mimbar Banana Mustahab  He.

Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️11 June 2020, 17 Shawwal 1441*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Haddi Chaba Kar Fekna Kesa Or Kya Haddiya Jinnat Ki Giza He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
Sawal- Ke Koi Halal Janwar Ki Haddi Maslan Ga'ae Hooo Kya Uski Haddi Ko Hum Chus Kar Aur Mu Main Chaba Kar Barik Karke Thook Sakte Hai.....Aur Haddiyan Jinnat Ki Giza Hoti Hai?????
Jawab Inayat Farma'e

*🌹JAWAB:-🌹*
السلام علیکم و رحمۃ اللہ وبرکاتہ
Halal Janwar Ki Haddi Chusna Chabana Khana Jaiz Hai, Jab Ki Us Ke Chabane Aur Khane Me Koi Dushwari Wa Masjaqat Wa Nuksan Na Ho.

Jaisa Ki Aala Hazarat Imama Ahmad Raza Khan علیہ الرحمۃ والرضوان Fatawa Razawiyah Me Tahrir Farmate Hain,
Janware Halal Mazbuh Ki Haddi Kisi Qism Mana Nahiñ Jab Tak Us Ke Khane Me Mazarrat (nuksan) Na Ho Agar Ho To Zarar Ki Wajah Se Mumaniat Hogi Na Ki Is Liye Ki Haddi Khud Mamnooa Hai
*📚(Fatawaye Razawiyah Jild 20 Safah 320)*

Raha Yeh Sawal Ki Haddiyan Jinnat Ki Giza Hai To Iske Mutaalliq Ek Hadise Paak Hai Jo Aksar Hadis Ki Kitabon Me Istinja Ke Bayan Me Milti Jis Ke Alfaz Yeh Hain
عن عبداللہ بن مسعود قال قال رسول اللہ صلی اللہ تعالیٰ علیہ والہ و سلم لا تستنجوابالروث ولا بالعظام فانہ زاد اخوانکم من الجن
Yani Hazarate Abdullah Ibne Masood رضی اللہ عنہ Kahte Hain Ki Allah Ke Rasool ﷺ Ne Irshad Farmaya Ki Gobar Aur Haddiyoñ Se Istinja Na Karo Kyunki Wah Tumhare Bhaiyon Jinoñ Ki Khurak Hai.

Is Hadis Ki Tashrih Me Sharihin Ne Farmaya Hai Ki Jin Haddiyon Ko Ham Kha Kar Fek Dete Hain Us Par Allah Taala Dubara Gosht Paida Farmata Hai Us Gosht Ko Jinnat Khate Hain.
واللہ تعالیٰ اعلم 
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️24 May 2020, 30 Ramzanul Mubarak 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Konsi Namaz Sabse Pahle Kis Nabi Ne Padhi

*🌹SAWAL:-🌹*
Konsi Namaz Sabse Pahle Kisne Padhi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Sabse Pahle Fajar Ki Namaz Hazrat Aadam Alaihis Salam, Zuhar Ki Namaz Hazrat Dawood Alaihis Salam, Asar Ki Namaz Hazrat Suleman Alaihis Salam, Magrib Ki Namaz Hazrat Yaqoob Alaihis Salam Or Isha Ki Namaz Hazrat Yunus Alaihis Salam Ne Padhi.
*📚(Fatawa Razviya Qadeem, J-2, S-215)*
*📚(Makhzane Maloomat, S-113)*

Mazeed Tafsil Ke Liye *📚Fatawa Razviya Jadeed, J-5, S-70* Ka Muta'ala Kare.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️5 June 2020, 12 Shawwal 1441*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Apni Khala Se Ishq Karne Wale Par Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
*السلام عليكم و رحمة الله و بركاته*

Agar Koi Ladka Apni Khala K Saath Ishq Kr Liya To Ispar Kya Hukm Hoga...
Q K Mera 1 Dost Hai Jo Apni Khala Se Mohabbat Krta Hai Aur Uski Khala Bhi Usko Pasand Krti Hai...?
Dono 1 Dusre Ke Diwane Hai

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sakht Najaiz Haram, Balki Khala To Uske Maharim Me Se He, Yaani Uske Sath Nikah Bhi Hamesha Hamesha Haram He, Chejaayke Usse  Ishq Baazi Ladai Jaye, Ye To Badarje Ula Najaizo Haram, Ashad Haram He,

Qura'an Shareef Me Rab Tabarak W Ta'ala Ka Irshad He,
حُرِّمَتْ  عَلَیْكُمْ  اُمَّهٰتُكُمْ  وَ  بَنٰتُكُمْ  وَ  اَخَوٰتُكُمْ  وَ  عَمّٰتُكُمْ  وَ  خٰلٰتُكُمْ  وَ  بَنٰتُ  الْاَخِ  وَ  بَنٰتُ  الْاُخْتِ۔۔۔اھ۔۔ 
*📚(Surah Nisa, Aayat-23)*
Yaani Haram He Tum Par Tumhari Maayeñ, Tumhari Betiyañ, Tumhari Bahne, Tumhari Fufyañ, Or Tumhari Khalayeñ.

Yaha Par Rab Tabarak W Ta'ala Ne Mahaarim Ka Zikr Kiya Or Usme Khalao Ka Bhi Zikr Kiya To Khala Maharim Me Se He Unke Sath Kabhi Nikah Ho Hi Nahi Sakta, Usi Ke Sath Sath Unse Ishq Baazi Wagairah Ladana Yaqeenan Najaizo Haram He, Dono Khala Or Bhanje Dono Hi Taubah Kare, Roye Gidgidaaye Or Aainda Ye Pakka Ahad Kare, Ki Kabhi Bhi Aysa Gunahe Azeem Nahi Karege, Agar Ye Log Baaz Nahi Aate To Fir Jo Uska Ye Dost He Vo Usse Muqata'aa Karle, Samaji Boycott Kare, Or Jin Jin Logo Ko In Logo Ki Ishq Baaziya Maloom Ho, Vo Log Unse Door Rahe, Unka Samaji Boycott Kare, Jab Tak Ye Log Sachchi Taubah, Sidq Dil Se Taubah Na Karle.
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️4 June 2020, 11 Shawwal 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Underwear Par Mazi Lagi To Pent Paak Hogi Ya Nahi

*🌹SAWAL:-🌹*
Underwear Me Mazi K Point Jaise Qatrat Zahir Huye To Ab Kya Underwear K Oopar Jo Pant Pehni Hai Wo B Napaak Ho Gayi?

Baraye Karam Jawab Inayat Farmaayein.

Jazakum ALLAHU Khairan Katheeran

*🌹JAWAB:-🌹*
Underwear Par Uska Gila Pan Chhut Kar Agar Upar Pahene Huve Pent Ya Pajama Par Laga To Ye Pent Ya Pajama Bhi Napak Ho Gaya. Or Agar Us Gile Pan Ka Koi Asar Ya Gila Pan Upar Zahir Nahi Huva To Napak Nahi. Or Puchhi Gai Soorat Me Zahir Yahi He Ki Pent Ya Pajama Napak Nahi Hoga.

Bahare Shariyat Me He,
Napak Kapde Me Paak Kapda Ya Paak Me Napak Kapda Lapeta Or Us Napak Kapde Se Ye Paak Kapda Nam Ho Gaya To Napak Na Hoga Basharte Ki Najasat Ka Rang Ya Boo Us Paak Kapde Me Zahir Na Ho, Warna Nam Ho Jane Se Bhi Napak Ho Jayega, Haañ Agar Bhig Jaye To Napak Kapda Paani Se Tar Huva Ho Or Agar Peshab Ya Sharab Ki Tari Usme He To Vo Paak Kapda Nam Ho Jane Se Bhi Najis Ho Jayega Or Agar Napak Kapda Sukha Tha Or Paak Tar Tha Or Us Paak Ki Tari Se Vo Napak Tar Ho Gaya Or Us Napak Ko Itni Tari Pahunchi Ki Usse Chhut Kar Us Paak Ko Lagi To Ye Napak Ho Gaya Warna Nahi.
*📚(Bahare Shariyat, Hissa-2, Najasat Ka Bayan)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️3 June 2020, 10 Shawwal 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mazi Nikalne Ka Waswasa Aaye To Paaki Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Jab Mazi Ek Point Jitni Nazar Aane Par Do Suraton Ka Jawab Inayat Farmaayein:

1) Agar Kapde Ki Jagah Jahan Par Mazi Ek Point Barabar Lagi Hai Jo Zahir Hoti Ho To Dhone Par Wo Jagah Geeli Ho Jaati Hai, Ab Us Jagah K Geele Ho Jaane Par Pehenne K Baad Aur Wasawis Paida Hote Hain K Kahin Kuch Kharij Na Hua Ho Hatta K Ache Se Istinja Aur Baaz Taur Par Istebra B Kiya Ho, To Ab Is Surat E Haal K Liye Zaroori Hoga Kya K Ache Se Dho Le Ya Sirf Paani Se Masal Liye To B Wo Kpada Pak Ho Jaayega?

2) Agar Aise Me B Kuch Kharij Hota Hai To Geele Pan Me Pata B Nhi Chalega To Kya Paaki Shumar Hogi Ya Dobara Kapda Dhona Hoga?

*🌹JAWAB:-🌹*
بسم اللہ الرحمن الرحیم 
الجواب بعون الملک الوھاب ۔۔۔۔۔۔
(1) ..(2)
Agar Ye Zindagi Me  Pehli Bar Aisa Huva Hai To Use Dho Dale Aur Agar Baar Baar Ye Vasvase Aate Hi Ho Aur Mazi Vagaira Nikalne Ka Yaqin Ya Galib E Guman Nahi Hai To Aisi Surat Me Kapda Aur Aap Dono Pak Hai. Pani Se Pak Karne Ki Zarurat Nahi ..
و اللہ تعالی اعلم بالصواب

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️3 June 2020, 10 Shawwal 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Dadhi Ki Miqdar Kitni Honi chahiye

*🌹SAWAL:-🌹*
Dadhi Ki Miqdar Kithni Honi Chahiye? Dadhi Kaha Se Kaha Tak Hai? 
Gale Par Jo Baal Hai Wo Kya Daadhi Kehlaenge?  Kya Use Kaat Sakte Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
Dadhi Ek Musht Rakhna Wajib Or Huzur  ﷺ Or Ambiya E Kiram Alaihimus Salato Salam Ki Sunnate Daaimi Or Ahle Islam Ke Shiaar Se He Ek Musht Se Kam Karna Najaizo Haram Or Gunah He Or Shiaare Kuffar He.

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Farmate He,
Dadhi Ki Had Muqarrare Shara'a (ek Musht) Se Kam Na Karna Wajib Or Huzur Sarware Aalam  ﷺ Or Ambiya E Kiram Alaihimus Salato Salam Ki Sunnate Daaimi Or Ahle Islam Ke Shiaair Se He Or Uske Khilaf Mamnoo'a W Haram Or Kuffar Ka Shiaar He.
*📚(Fatawa Razviya, J-9, S-29)*

Or Faqihe Aazame Hind Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate He,
Dadhi Badhana Sunane Ambiya E Sabiqeen Se He Mundana Ya Ek Musht Se Kam Karna Haram He.
*📚(Bahare Shariyat, H-16, S-197)*

Dadhi Ki Miqdar Ek Musht He, Isse Zaaid Baal Ho To Ek Musht Ki Had Tak Usko Kaat Sakte Hai, Dadhi Ke Bare Me Yahi Ma'amool Huzur ﷺ Or Sahaba RadiAllahu Anhum Se Marwi He.

Dadhi Ki Ye Miqdaar Is Liye Wajib He Ki RasoolAllah ﷺ Ne Bahut Hi Takeed Ke Sath Dadhi Badhane Ka Hukm Diya He, Jin Riwayaat Ki Bina Par Dadhi Badhana Wajib He, Dusri Taraf RasoolAllah ﷺ Or Kai Sahaba E Kiram Ridwanallahu Alaihim Ajmaeen Se Dadhi Ko Ek Musht Tak Kam Karwana Sabit He, Isse Kam Miqdar Kisi Se Bhi Sabit Nahi He, In Tamam Riwayaat Ke Majmooe Se Yahi Nateeja Nikalta He Ki Dadhi Katne Ki Aakhri Had Ek Musht He, Isse Kam Jaiz Nahi He, Agar Jaiz Hoti To Sahaba Kiram Ridwanallahu Alaihim Ajmaeen Me Se Koi Kam Karte.

Do Hadees Shareef Peshe Khidmat He,

Hazrat Umru Bin Shoyib RadiAllahu Anhu Ba Wasta Walid Apne Dada Se Riwayat Karte He,
Nabie Kareem ﷺ Apni Dadhi Mubarak Lambai Or Chodai Me Kam Karte The.
*📚(Tirmizi, Sunan, J-5, S-94)*

Hazrat Ibne Umar RadiAllahu Anhuma Se Riwayat He Ki Nabi E Akram  ﷺ Ne Farmaya, Mushrikeen Ki Mukhalifat Karo, Munchhe Barik Karo Or Dadhi Badhao. Hazrat Ibne Umar Jab Haj Ya Umrah Karte To Apni Dadhi Ko Muthi Me Pakadte Or Jo Izaafi Hoti Usko Kaat Dete.
*📚(Sahih Bukhari, J-5, S-2209)*

Dadhi Me Khat Banwane Ke Ta'alluq Se Mas'ala He Ki,

Jahañ Tak Jabda Hilta He Wahañ Tak Dadhi He Agar Uske Upar He To Saaf Karva Sakte Hai,
Isi Tarah Halq Me Jahañ Mardoñ Ki Ubhri Hui Haddi Hoti He Wahañ Tak Dadhi He Uske Niche Agar Baal He To Katwa Sakte Hai Koi Harj Nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓1 June 2020, 8 Shawwal 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Qabrastan Ke Darakht Se Phal Khana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamo Alaikum....
Hazrat Agar Qabristaan Me Faldaar Darakht Hai To Uska Fal Khana Kaisa Hai❓
Rahnumayi Farmaye...
Jazakallahokhair...

*🌹JAWAB:-🌹*
Qabrastan Me Kisi Ne Darakht Lagaya  To  Yahi Shakhs Un Darakhto Ka Malik He, Uski Ijazat Ke Bagair Dusro Ko Usme Se Phal Lena Jaiz Nahi, Agar Vo Ijazat De To Le Sakta He. Or Agar Darakht Apne Aap Qudrati Ug Aaya Ya Darakht Lagane Wale Ka Pata Na Ho Ki Kisne Lagaya He To Ye Qabrastan Ki Milk Me Hoga, Usme Se Bhi Phal Khana Jaiz Nahi, Haañ Qazi Bech Kar Uski Qimat Qabrastan Ki Durustagi Me Sarf Kar Sakta He.

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Qabrastan Me Kisi Ne Darakht Lagaye To Yahi Shakhhs Un Darakhto Ka Malik He Or Darakht Khud Roo (Qudrati Paida Huve) He Ya Maloom Nahi Kis Ne Lagaye To Qabrastan Ke Qarar Paayege Yaani Qaazi Ke Hukm Se Bech Kar Usi Qabrastan Ki Durustagi Me Sarf Kiya Jaye.
*📚(Bahare Shariyat Application, H-10, S-100)*
Isi Tarah *📚(Fatawa Razviya, J-9, S-405) Par Bhi He

Isi Tarah Fatawa Razviya Me He,
Qabrastan Agarche Waqaf Ho Magar Darakht Jo Usme Lagaye Jaye Agar Lagane Wala Tasreehan Ye Keh Bhi De Ki Mene Inko Qabrastan Par Waqaf Kiya Jab Bhi Waqaf Na Hoge Or Lagane Wale Hi Ki Milk Rahe Ge, Uski Ijazat Ke Bagair Dusro Ko Unme Tasaruf Jaiz Nahi, Or Usko Ikhtiyar He Ki Uski Lakdi Kaate Ya Jo Chahe Kare Balki Agar Inke Sabab Maqaabir Par Zameen Tang Karde To Use Majboor Kiya Jayega Ki Darakht Kaat Kar Zameen Khali Karde. Aysa Hi Fatawa Hindiya Wagairah Me Maujud He.
*📚(Fatawa Razviya, J-16, S-157)*
Mazeed Tafsil *📚(Fatawa Razviya, J-20, S-541)* Par Bhi Mulaheza Farmaye

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓2 June 2020, 9 Shawwal 1441*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Salatut Tasbeeh Or Digar Namaz Me Surah Or Aayat Kese Gine

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salam O Alaykum.
 Mera Ye Sawal Hai Ke Salatun Tasbi 1 Rakat Me Jo 75 Bar Jo Padh Na Hai Wo Kai Se Gin Sakte Hai. Jawab Inayat Farmiye Hazarat.

*🌹JAWAB:-🌹*
Namaz Me Ungliyoñ Par Aayatoñ Soortoñ  Or Tasbihaat Ka Ginna Makrooh He, Namaze Farz Ho Khwañ Nafl Or Dil Me Shumar Rakhna Ya Poroñ Ko Dabane Se Ta'adad Mahfooz Rakhna Or Sab Ungliyañ Bataure Masnoon Apni Jagah Par Ho, Isme Kuchh Harj Nahi, Magar Khilafe Awla He Ki Dil Dusri Taraf Mutawajjeh Hoga Or Zaban Se Ginna Mufside Namaz He.
*📚(Bahare Shariyat, H-3)*

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️27 May 2020, 3 Shawwal 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jumuah Ki Do Jama'at Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Farmate Hai Aulma E Deen Is Mas'ala Me Ki Shahar Me Jumuah Ki Do Jama'at Ho Sakti He Ya Nahi ? Jawab Bahawala Inayat Farmae

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Shahar Me Ek Masjid Me Ek Hi Din Jumuah Ki Do Jama'at Jaiz Nahi, Albatta Eid Ki Do Baar Jama'at Ho Sakti He.
*📚(Fatawa Razviya, J-3, S-803)*

*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*
*_📬idara Sharaiyah W Samaji Khidmat, Aala Hazrat Masjid NavaYard Vadodara, Gujarat_*
*🗓️23 May 2020, 29 Ramzanul Mubarak 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ulti Hui Or Kisi Ne Paani Pila Diya To Roze Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Salam, Biwi Ko Muh Bhar K Ulti Hui....main Pani Pilwa Diya... Kya Roza Tut Gya?

*🌹JAWAB:-🌹*
Walykum Asslam
Khud Ba Khud Ulti Hui Chahe Munh Bhar Ho Roza Nahi Tutega, Albatta Aap Ne Ye Samjh Kar Ke Roza Tut Gaya, Paani Pilwa Diya To Roza Tut Gaya.Uski Qaza Karni Hogi.

Bahare Shariyat Me He,
Qay Aai Ya Bhul Kar Khaya Ya Piya Ya Jima'a Kiya Or In Sab Soorto Me Use Maloom Tha Ki Roza Na Gaya Fir Us Ke Baad Kha Liya To Kaffara Lazim Nahi.
*📚(Bahare Shariyat, Hissa-5)*

 Wallahu Ta'ala Aalam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*
*🗓️21 May 2020, 27 Ramzanul Mubarak 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Nind Me Bure Khayal Se Bachne Ka Amal

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualayekum Hazrat Mujhe Na Kuchh Din Se Roz Raat Ko Ese Khwab Aa Rahe H Jisme Mujhe Koi Jakad Leta H Isko Hamare Yahañ Maya Bolte H Jiske Aane Se Fir Me Hil Tak Nahiñ Pata Na Hi Bol Pata Or Darawni Si Chize Hoti H Kabhi Khuchh Dikhta H Kbhi Kuchh Hazrat Me Kya Karu Jo Ese Sapne Aane Band Ho Jaye Or Me Bahut Uthne Ki Koshish Karta Huñ Utha Nahiñ Jata Bilkul Eesa Lagta H Kisi Ne Daba Rakha Ho Mujhe Yahañ Tak Ki Meri Raal Bhi Nikal Jati H

Mustamal Paani Ke Ahkam Or Paak Karne Ka

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Ek Sawal, Mustamal Pani Ke Bare Me Batae

Pani Kab Kab Mustamal Hota Hai
Mustamal Pani Kaha Istemal(Use) Kar Sakte Hai Aur Kaha Nahi

Aur Mustamal Pani Ko Sahi Karne Ka Tarika Kya Hai.

*🌹JAWAB:-🌹**
Musta'amal Ye Arbi Zaban Ka Lafz He Jis Ke Ma'ana He Istemal Kiya Huva, Maa'e Mustamal Ya Aabe Mustamal  Ka Matlab Vo Pani He Jis Ko Wuzu Wagairah Me Istemal Kiya Gaya Ho, Musta'amal Paani Ke Ahkam Darj Zail He.

Agar Chhote Bartan Me Paani He Ya Paani Bade Bartan Me He Magar Wahañ Koi Chhota Bartan Bhi Maujud He Or Usne Be Dhoya Hath Paani Me Daal Diya Balki Ungli Ka Pora Ya Nakhun Dala To Vo Sara Paani Wuzu Ke Qabil Na Raha Maa E Musta'amal Ho Gaya.

Ye Us Waqt He Ki Jitna Hath Paani Me Pahuncha Uska Koi Hissa Be Dhula Ho Warna Agar Pahle Hath Dho Chuka Or Uske Baad Hadas Na Huva To Jis Qadar Hissa Dhula Huva Ho, Utna Paani Me Dalne Se Musta'amal Na Hoga Agarche Kohni Tak Ho Balki Gaire Junub Ne Agar Kohni Tak Hath Dho Liya To Uske Baad Bagal Tak Daal Sakta He Ki Ab Uske Hath Par Koi Hadas Baaqi Nahi, 

Haañ Junub Kohni Se Upar Agar Hath Dhula Huva He Magar Fir Dhone Ki Niyyat Se Dala Or Ye Dhona Sawab Ka Kaam Ho Jaise Khane Ke Liye Ya Wuzu Ke Liye To Ye Paani Musta'amal Ho Gaya Yaani Wuzu Ke Kaam Me Na Raha Or Usko Peena Makrooh Bhi He.

Agar Bazaroorat Hath Paani Me Dala Jaise Paani Bade Bartan Me He Use Jhuka Nahi Sakta, Na Koi Chhota Bartan He Ki Usse Nikale To Aysi Soorat Me Baqadre Zaroorat Hath Paani Ke Daal Kar Usse Paani Nikale Ya Kuweñ Me Rassi Dol Gir Gaya Or Be Ghuse Nahi Nikal Sakta Or Paani Bhi Nahi Ki Hath Paanw Dho Kar Ghuse, To Is Soorat Me Agar Paanw Daal Kar Dol Rassi Nikalega To Musta'amal Na Hoga, In Mas'alo Se Bahut Kam Log Waqif Hai Khayal Rakhna Chahiye.

Musta'amal Paani Agar Achche Paani Me Mil Jaaye Maslan Wuzu Ya Gusl Karte Waqt Qatre Lote Ya Ghade Me Tapke, To Agar Achcha Paani Zyada He To Ye Wuzu Or Gusl Ke Kaam Ka He Warna Sab Bekaar Ho Gaya.

Paani Me Hath Pad Gaya Ya Or Kisi Tarah Musta'amal Ho Gaya Or Ye Chaheñ Ki Ye Kaam Ka Ho Jaye To Achcha Paani Usse Zyada Usme Mila De, Neez Uska Ye Tariqa Bhi He Ki Usme Ek Taraf Se Paani Daale Ki Dusri Taraf Se Bah Jaye Sab Kaam Ka Ho Jayega.

Yuñ Hi Napak Paani Ko Bhi Paak Kar Sakte Hai. Yuñhi Har Bahti Hui Cheez Apni Jins Ya Paani Se Ubaal Dene Se Paak Ho Jayegi.

Jhuta Paani Paak He Usse Wuzu Or Gusl Jaiz Hai Magar Junub Ne Bagair Kulli Kiye Paani Piya To Us Jhute Paani Se Wuzu Najaiz He Ki Vo Musta'amal Ho Gaya.
*📚(Bahare Shariyat, H-2)*

Musta'amal Paani Ke Bare Me Tafsili Maloomat Ke Liye *📚(Fatawa Razviya, Jild-2, Safha-43-248)* Mulaheza Farmaye.
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️27 May 2020, 3 Shawwal 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts