Nifas Ki Muddat Kitni Rehti He ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Aslamualaykum  Hajrat Mera Sawal He 

Orat Dilevri Ke Baad Se Kitne Din Napak Rehti He Rahenumai Farmaiye


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Bachche Ki Wiladat K Baad Aurat Ko Jo Khun Aata Hai Use Nifas Kehte Hai Is Ki Kam Se Kam Koi Muqarrara Muddat Nahi Ek Saat Aa Kar Bhi Band Ho Gaya To Aurat Nifas Se Pak Ho Jayegi.. Or Zyada Se Zyada Is Ki Muddat 40 Din Hai.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*

*_📬Markazul Uloomil Islamiyah Al-Madrasatul Alwiyyah, Petlad_*

*🗓️2 May 2021,19 Ramzanul Mubarak 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Qaida E Aakhira Me Durood Padhna Bhul Gaya To Namaz Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Aliakum

Ulame Ekram Ki Bargah Main Ek Sawal Arz Hai. Kya Kayde Akira Mein Tahiyat Padh Kar Darood Sharif Padhna Bhul Gaya Imam Salam Ferte Waqt Yad Aaya Ki Durood Sharif Padhna Tha Iske Liye Kya Hukum Hai

Jawab Imayat Farmaae....


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Qaida Akhira Me "Attahiyyat" Ka Padhna Wajib Hai, Jab Ki "Durood Sharif" Ka Padhna Sunnat,

Mazkoora Surat Me Wajib Ada Ho Gaya To Namaz Ada Ho Gai, Sunnat Ke Chhutne Par "Sajda E Sahw" Bhi Nahi, 

Al Garaz Sunnat Ke Khilaf Huwa Magar Namaz Ho Gayee.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*🎙Al-Jawab:- Hazrat Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*

*_📬idara Sharaiyah W Samaji Khidmat, Aala Hazrat Masjid NavaYard Vadodara Gujarat_*

*🗓️19 March 2021, 5 Shaban 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jis Ghar Me Ladke Ki Wiladat Ho Vaha Niyaz Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu  Alaikum. 

Sawal. Hazrat Shahdawal Shah Baba Rahematullah Alaihi Inke Naam Se Niyaz ( Kandori) Karte Hai Par  Zaid K Chachere Bhai K Ghar Bachhi Ki Wiladat Hui Hai To Niyaz Karna Kaisa Jawab Inayat Farmai Hazrat Plz Plz Plz.?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Kar Sakte He, Aysa Nahi He Ki Jis Ghar Me Bachche Ki Wiladat Hui Ho Us Ghar Me Niyaz Nahi Kar Sakte.. Aysa Khayal Jahilana He.. Al Batta Niyaz Dilane Wala Paak Saaf Suthra Ho. Wallahu Ta'ala Aa'alam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️26 March 2021, 12 Shaban 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gusl Me Kitne Farz He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum Hazrat Mera Ek Sawal Hai Ki Ghusal Mein Kitne Farz Hai 


Aap Jawab Inayat Farmay


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Gusl Ke 3 Farz Hai Agar Unme Se Ek Bhi Kami Hui Gusl Na Hoga, 

1. Kulli: Ki Munh Ke Har Purze Goshe Hont Se Halq Ki Jad Tak Har Jagah Paani Bah Jaye. Aksar Log Ye Jante Hai Ki Thoda Sa Paani Munh Me Le Kar Ugal Dene Ko Kulli Kahte Hai Agarche Zaban Ki Jad Or Halq Ke Kinare Tak Na Pahunche Yuñ Gusl Na Hoga, Na Is Tarah Nahane Ke Baad Namaz Jaaiz Balki Farz He Ki Daarho Ke Pichhe, Gaalo Ki Tah Me, Daantoñ Ki Jad Or Khidkiyoñ Me, Zaban Ki Har Karwat Me, Halq Ke Kinare Tak Paani Bahe.


2. Naak Me Paani Dalna Yaani Donoñ Nathno Ka Jahañ Tak Narm Jagah He Dhulna Ki Paani Ko Sungh Kar Upar Chadaye, Baal Barabar Jagah Bhi Dhulne Se Rah Na Jaye Warna Gusl Na Hoga. Naak Ke Andar Rinth Sukh Gai He To Uska Chhurana Farz He. Neez Naak Ke Baaloñ Ka Dhulna Bhi Farz He.


3. Tamam Zahiri Badan Yaani Sarke Baaloñ Se Panw Ke Talwoñ Tak Jism Ke Har Purze Har Rongte Par Paani Bah Jana, Aksar Awam Balki Ba'az Parhe Likhe Ye Karte Hai Ki Sar Par Paani Daal Kar Badan Par Hath Pher Lete Hai Or Samajhte Ki Gusl Ho Gaya Halanki Ba'az A'aza Ayse Hai Ki Jab Tak Unki Khas Taur Par Ehtiyat Na Ki Jaye Nahi Dhulenge Or Gusl Na Hoga.

*📚(Bahare Shariyat, Hissa-2, Gusl Ka Bayan)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️17 March 2021, 3 Shaban 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Tijarat Ke Liye 1Lakh Rupya Qarz De Kar 30% Nafa Lena Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualikum


Hazrat Ki Bargah Me Suwal Hai Ki Mere Ek Dost Ne Mujhse 1 Lakh Rs.. Karze Ke Tor Par Liya Shop Start Karne Ke Liye

Or Usne Ye Kaha Ki Shop Me 30%nafa Tumhara

To Kya Me 30%nafa Le Sakta Hu.....?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Soorate Mas'ula Me Ye Muamla Sood Ka Muaamla He Jo Najaaizo Haram Gunahe Kabeera He. Is Tarah Qarz De Kar 30% Ya Kuchh Bhi Nafa'a Lena Jaaiz Nahi. Ye Sood He.


Jaisa Ki Isi Tarah Ke Sawal Ke Jawab Me Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Qata'ee Sood Or Yaqeeni Haram W Gunahe Kabeera Khabees W Murdar He.


Hadees Me He, 

قال رسول اﷲ صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم کل قرض جر منفعۃً فہو ربٰو

RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya Jo Qarz Nafa'a Ko Khinche Vo Sood He.

*📚(کنز العمال حدیث ۱۵۵۱۶ مؤسسۃ الرسالہ بیروت ۶/ ۲۳۸)*

*📚(Fatawa Razviya, J-17, S-269, Baabul Qarz, Mas'ala-115)*


Or Isi Tarah Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,

Zaid Or Khalid Ka Ye Muaamla Qarz Bashart Sood Ka Muaamla He Jo Qat'an Haram W Gunah He Is Liye Zaid Or Khalid Donon Gunahgar Or Mustahiqe Azabe Naar Huve. Iske Bare Me Hadeese Paak Ke Alfaz Bahut Wazeh Hai,


Irshade Risalat  ﷺ He,

كل قرض جر منفعة فهو ربا

Yaani Qarz Ki Wajah Se Jo Nafa'a Hasil Kiya Jaye Vo Sood He.

*📚(Kanzul Ummal, S-238 J-2)*


Haañ Sharai Usool W Zawabat Ki Raushni Me Iske Jawaz Ki Sabse Aasan Ye Soorat Apnai Ja Sakti He Ki Zaid Khalid Ko Ek Lakh Rupye Bataure Qarz Dede Or Ek Rupya Bataure Shirkat Unaan Dede Yaani Khalid Ki Taraf Se Ek Lakh Rupye Tijarat Me Lage Jo Zaid Ne Use Qarz Diye Or Zaid Ki Taraf Se Sirf Ek Rupya Laga, Ab Shirkat Is Tarah Kareñ Ki Tijarat Donoñ Kareñge Uske Baad Tijarat Agarche Khalid Tanha Karta Rahe Isme Koi Harj Nahi Is Se Shirkat Batil Na Hogi Or Nafa'a Fee Sad (percent) Ke Lihaz Se Tay Karleñ Warna Ye Shirkat Bhi Najaaiz Thahregi. Khuda-na-khwasta Tijarat Me Ab Agar Nuqsan Huva To Zahir He Ki Zaid Ka Sirf Ek Rupya He Baqiya Sara Rupya Khalid Ka He To Khasara Uska Hoga Na Ki Zaid Ka Kyuñ Ki Jo Kuchh Zaid Ne Khalid Ko Diya He Qarz He Jo Isse Wasool Karega.

*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-2, S-275)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️24 March 2021, 10 Shaban 1442*

📲+918487928693


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Qabrastan Me Agarbatti Mombatti Ya Loban Karna Kesa

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaikum 
Hazrat Sawal Hai
Qabr Ke Nazdeek Mombatti, Agarbatti Loban Wagairah Karna Kaisa???

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,
AgarBatti Qabr Ke Upar Rakh Kar Na Jalai Jaye Ki Isme Soo E Adab Or Badfaali He.

Aalamgiri Me He,
Qabr Ki Chhat Haqqe Mayyat He
Haañ Qaribe Qabr Zameen Khali Par Rakh Kar Sulgayeñ Ki Khushboo Mahboob He.
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-9, S-514, Mas'ala-157)*

Or Farmate Hai,
Loban Wagairah Koi Cheez Nafse Qabr Par Rakh Kar Jalane Se Ehteraz Chahiye Agarche Bartan Me Ho,
لما فیہ من التفاؤل القبیح بطلوع الدخان علی القبر والعیاذ باﷲ
Kyuñ Ki Is Me Qabar Ke Upar Se Dhunva Nikalne Ka Bura Faal Paya Jata He, Or Khuda Ki Panah
Sahih Muslim Shareef Me Hazrat Umroo Bin Al-aas Radiallahu Anhu Se Marwi,
انہ قال لابنہ وھو فی سیاق الموت اذاانامت فلا تصحبنی نائحۃ ولانارا
Unhone Dame Marg Apne Farzand Se Farmaya Jab Me Mar Jauñ To Mere Sath Na Noha Karne Wali Jaye Na Aag Jaye.
*📚(Sahih Muslim, Kitabul Iman, J-1, S-76)*

Sharah Mishkat Lil Imam Ibne Hajar AlMakki Me He,
لانھا من التفاؤل القبیح
Kyuñ Ki Aag Me Faale Bad He
*📚(Mirqat, Kitabul Janaiz, J-4, S-196,Maktabil Habibiya)*
*📚(Mulakhkhasan Fatawa Razviya, J-9, S-470, Mas'ala-148)* 

Or Galat Fahemiyo Ki Islah Kitab Me Fatawa Razviya Ki Isi Ibarat Ka Mafhoom He Ki,

Shabe Barat Wagairah Ke Mauqa'a Par Qabrastano Me Charag Battiyañ Ki Jati Hai. Is Bare Me Ye Jaan Lena Zaroori He Ki Bilkul Khas Qabr Ke Upar Charag W Mombatti Jalana Loban Agarabatri Sulgana Mana'a He. Qabr Se Alayhida Kisi Jagah Aysa Karna Jaaiz He Jab Ki Un Cheezo Se Vahañ Aane Jaane Or Qura'an Shareef Or Fatiha Wagairah Padhne Waloñ Ko Ya Raahgiroñ Ko Nafa'a Pahunchne Ki Ummid Ho. Ye Khayal Karna Ki Uski Roshni Or Khushboo Qabr Me Jo Dafn Hai Unko Pahunchegi, Jahalat, Nadaani, Nawaqfi Or Galat Fehmi He. Dunya Ki Roshniyañ, Sajawateñ Or Decoration Wagairah Jo Qabrastano Me Karte Hai Or Ye Sab Murdoñ Ko Nahi Pahunchti, Murdoñ Ko Sirf Sawab Hi Pahunchta He. Murda Agar Jannati He To Uske Liye Jannat Ki Khushboo Or Roshni Kaafi He Or Jahannami Ke Liye Na Koi Roshni He Na Khushboo.
*📚(Awami Galat Fahemiya Or Unki Islah, Safha-65)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓27 March 2021, 13 Shaban 1442*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Hazrat Owais Qarni Ki Dandan (Daant) Shaheed Karne Wali Riwayat Be Asl He

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum Hazrat Sawal Ye He Ki Kya Hazrat Owais Qarni Radiallahu Anhu Ne Apne Dandane Mubarak Shahid Kiye The Ya He Baat Sirf Unki Taraf Mansoob Ki Jati He ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Hazrat Owais Qarni Radiallahu Anhu Ki Taraf Jo Dandane Mubarak Todne Wali Riwayat Mansoob Ki Jati He Iski Koi Haqeeqat Nahi, 


Jaisa Ki Fatawa Baraily Shareef Me He,

Huzur ﷺ Ke Dandane Mubarak Ki Khabar Hazrat Owais Qarni Radiallahu Anhu Ko Hui Or Unhone Apne Dant Shahid Kar Liye Ye Riwayat Nazar Se Na Guzri Or Galiban Aysi Riwayat Hi Nahi He Agarche Mashhoor Yahi He.

*📚(Fatawa Baraily Shareef, S-301)*


Or Huzur Shareh Bukhari Alaihir Rahma Taherir Famate Hai,

Ye Riwayat Bilkul Jhuth Or Iftara He Ki Huzur Owais Qarni Radiallahu Anhu Ne Ye Suna Ki Gazwa E Uhad Me Huzure Aqdas ﷺ Ke Dandan Shaheed Huve The To Unhone Apne Sab Dant Tod Dale Or Unhe Kisi Ne Khane Ke Liye Halwa Pesh Kiya.

*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-2, S-115)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓27 March 2021, 13 Shaban 1442*

📲+918487928693


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Shabe Barat Ko Halwa Q Banate Hai Use Hazrat Owais Qarni Ki Taraf Mansoob Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Jo 14 Shaban Ko Bachpan Se Hamare Gharo Me Hazrat Owais Qarni Radiallahu Anhu Ki Fatiha Hoti Aa Rahi He Is Iski Kya Asl He Or Shabe Barat Par Halwa Q Banate Hai ?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Shabe Barat Ya Kisi Bhi Tarikh Ko Fatiha Ka Ehtemam Kisi Bhi Buzurgane Deen Ke Liye Kar Sakte Hai, Or Kisi Buzurg Ki Tarikh Par Unhiñ Ke Naam Ke Liye Ehtemam Karna Bahetar W Afzal He, Lekin Shaban Ki 15vi Shab Shabe Barat Ke Mauqa Par Awam Me Halwa Ka Jo Riwaj He Or Use Hazrat Owaise Qarni Radiallahu Anhu Ke Naam Dilate Hai Or Ye Khayal Karte Hai Ki Hazrat Owais Qarni Radiallahu Anhu Ne Huzur ﷺ Ki Muhabbat Me Apne Sab Dant Tod Diye The Or Unhe Halwa Pesh Kiya Tha Is Liye Halwa Hi Ki Fatiha Dilai Jaye, To Ye Be Asl He, Kyuñ Ki Dant Todne Ki Nisbat Jo Hazrat Owais Qarni Radiallahu Anhu Ki Taraf Mansoob Ki Jati He Vo Be Asl He, Iski Koi Haqeeqat Nahi.


Shabe Barat Ke Halwe Ki Asl Riwayat Ke Muta'alliq Hazrat  Mufti Abdul Mustafa Aazmi Alaihir Rahma Farmate Hai,


Shabe Barat Me Halwa Pakana Na To Farz He Na Sunnat Or Na Haram W Najaaiz Balki Haq Ye He Ki Shabe Barat Me Dusre Tamam Khano Ki Tarah Halwa Pakana Bhi Ek Mubah Or Jaaiz Kaam He Or Agar Nek Niyyati Ke Sath Ho Ki Ek Umda Or Lazeez Khana Fuqra Or Masakeen Or Apne Ahlo Ayaal Ko Khila Kar Sawab Hasil Kare To Ye Sawab Ka Bhi Kaam He Dar Haqeeqat Is Raat Me Halwe Ka Dastoor Yuñ Nikal Pada Ki Ye Mubarak Raat Sadqa W Khairat Or Isale Sawab Sila Rahmi Ke Liye Khas He Lihaza Insani Fitrat Ka Taqaza He Ki Ayse Mauqa'a Par Koi Margoob Or Lazeez Khana Pakaya Jaye Ba'az Aalimoñ Ki Nazar Bukhari Shareef Ki Is Hadees Par Padi Ki,

کان رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم یحب الحلواء والعسل

Yaani RasoolAllah ﷺ Halwa Shirni Or Shahad Ko Pasand Farmate The.

*📚(Bukhari, J-2, S-838, Kitabul At'amah)*


Lihaza In Aulma E Kiram Ne Is Hadees Par Amal Karte Huve Is Raat Me Halwa Pakaya Phir Rafta Rafta Awam Me Iska Charcha Or Riwaj Ho Gaya Chunanche Hazrat Shah Abdul Azeez Muhaddise Dahelvi Alaihir Rahma Ke Malfoozat Me He Ki Hindustan Me Shabe Barat Me Roti Or Halwa Par Fatiha Dilane Ka Dastoor He Or Samarqand W Bukhara Me Qatlama Par Jo Ek Mitha Khana He.

*📚(Jannanti Zewar, S-134)*

Lihaza Shabe Barat Ko Halwa Shirni Wagairah Banana Jaaiz Mustahab W Sawab Ka Kaam He. Or Use Hazrat Owais Qarni Radiallahu Anhu Ki Taraf Be Asl Riwayat Mansoob Karna Durust Nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

📲+918487928693

*🗓27 March 2021, 13 Shaban 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

BadMazhab Se Free Me Dawai Ya Kisi Bhi Tarah Ki Madad Lena Kesa

https://baharemasail.blogspot.com/2021/03/badmazhab-se-free-me-dawai-ya-kisi-bhi.html



 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Corona Virus Ke Chalte Wahabi Deobandi Wagairah BadMazhab Ki Tanzeem Ki Taraf Se Free Me Dawai Ilaj Wagairah Karate Hai Sunni Hazraat Ko Isse Faaidah Uthana Kaisa ? Tafsili Ba-hawala Jawab Inayat Farmayeñ

*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Corona Ho Ya Koi Wabai Marz Ho, Wahabiya Dayabana Garz Ye Ki Jitne Bhi BadMazhab Or Gustakhane Shane Risalat Or Shane Uloohiyat He, In Logo Se Ta'awwun Hasil Karna Or Unki Madad Lena, Kisi Bhi Shaql Me Ho, Ye Kisi Tarah Jaaiz Nahi. Balki Sunni Musalmanoñ Par Laazim He Ki Vo Rifaahe Aam Ke Liye Apni Ek Aysi Tanzim Qaaim Kare Jisse Vo Sunni Musalmanoñ Ko Faaidah De Sake. Garz Ye Ki In BadMazhabo Or Be-deeno Se Kisi Bhi Tarah Ki Imdad Hasil Karna Shar'an Jaaiz Nahi.

Allah Ke Rasool  ﷺ Ne Farmaya,

 إنا لا نستعين بالمشركين فی شیء من الامور.

Ki Ham Mushrikoñ Se Madad Nahi Hasil Karte Hai Apne Kisi Bhi Deeni Muaamlat Me.

To Jab Mushrik Se Madad Lene Ke Baare Me Huzur ﷺ Ka Ye Irshad He To Fir Ye Gustakhane Risalat W Uloohiyat Inka Hukm To Mushrikeen Se Bhi Badtar He.

Or Unse Door Rahne Ka, Inke Kareeb Na Aane Ka To Allah Ke Rasool  ﷺ Ne Muta'addid Hadees Me Hukm Farmaya. Or Inka Yahi Makr Or Yahi Daaw Shuru Se Raha He, Ki Vo Log Garib Musalmanoñ Ko Daame Fareb Me Faasne Ke Liye Kisi Bhi Tarah Ki Chaal Baziya Or Scheme Apnate Hai, Ki Garib Musalman Unke Ehsan Tale Dab Jaye Or Fir Unka Makr Chal Jaye, 

Alawa Azeeñ Aysi Soorat Me In Logo Se Madad Hasil Karna To Ek Taraf Raha, Khilafe Shara'a Umoor Bhi Bahut Se Karne Padeñge, Maslan Salam Kalam, In Logo Se Hath Milana, Or Un se Yarana Mulaqat Karna, Wagairah Wagairah... Or Ye Tamam Cheeze Shariyat Me Najaaizo Haram He.

BadMazhabo Ke Sath Turshdohi Se Pesh Aana Wajib He, Inse Ta'alluqat Rakhna Dostana Mel Milap Wagairah Sab Najaaizo Haram He.

Or Khas Hazrate Umar Radiallahu Anhu Ka Ek Waqeaa Bhi Isme Hamare Liye Muaawin He, Ki Aap Ke Zamane Me Hazrate Abu Musa Ash'ari Radiallahu Ta'ala Anhu Ko Ek Muharrir Ki Zaroorat Pesh Aai To Ek Majoosi Jo Hisab Me Or Muharriree Me Taaq Tha  Uska Naam Hazrate Umar Radiallahu Anhu Se Zikr Kiya Or Uski Takarruri Ke Liye Aapse Shifarish Ki. Hazrate Umar Radiallahu Anhu Ne Sakhti Se Mana'a Farma Diya, To Hazrate Abu Musa Ash'ari Radiallahu Anhu Ne Arz Ki Huzur Hame To Sirf Iski Muharriree Se Or Iske Hisab Kitab Se Garz He. Hame Uske Deen Se Koi Lena Dena Nahi. Aapne Farmaya ki jise allah ne zalil kya me use izzat nahi de skata. Agar Vo Nahi Rahega Tab Tum Kya Karoge ? Jo Jab Karoge Vo Abhi Karo.

To Ye To Hazrate Umar Ka Irshad Us Zamane Ke Liye Tha Jabki Islam Ko Bala Dasti Thi Or Usko Sirf Ek Naukri Jisme Vo Mahkoom Or Tabe'a Hota He Us Tak Aapne Gawara Na Farmaya To Aaj To Islam Ki Quwwato Shokat Ka Daur He Nahi. Aaj To Musalmano Ki Zabu Haali He, Us Waqt Musalmano Ka Iman Qamil Tha  Aaj Musalmano Ka Iman Kamzor He. Vo Ek Muharriree Jo Ek Naukri Thi Or Yaha Par Inse Dawai Free Lena Ye Inka Ehsan Hoga, Jab Us Zamane Me In Halaat Me Hazrate Umar Radiallahu Anhu Ne Ye Gawara Nahi Kiya To Aaj Ke Ayse Halaat Me In Logo Ki Ye Imdad, Inko Musalmanoñ Par Sunniyo Par Bala Dasti Or Ehsan Ho; Kyuñ Kar Gawara Kiya Jaye. 

Lihaza Ye Kisi Tarah Jaaiz Nahi, Sunni Musalmanoñ Par Lazim He Ki Apni Sunni Tanzim Qaaim Kare Or Sunni Musalmanoñ Ki Imdad Kare.W

WallahuAa'alam Bis-Sawab

*🎙️Audio Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*

*📬Khadim Tadriso Ifta Darul Uloom Gause Aazam Porbandar Gujarat*

*🗓️20 March 2021, 6 Shaban 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Tasweer Na Khichane Wala Imam Kahi Na Mile To Panjwaqta Or Jumuah Ki Namaz Kese Padhe ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aaj Ke Daur Me Aysa Imam Nahi Mil Pata Jo Apni Tasweer Khichta Ya Khichwata Na Ho To Ayse Waqt Me Ham Kya Kare ? Me Jis Shahar Me Rehta Hu Vaha Ki Zyadatar Masjido Me Imam Ayse He Ki Photo Khichte Ya Khichate He To Hazrat Namaz Kis Tarah Se Padhe ? Or Jumuah Ki Namaz Ka Kya Hukm Hoga ? Hazrat Rahenumai Farmaye Ki Ham Kya Kare ??


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Jandar Ki Tasweer Khichna Ya Khichana Ya Adban Apne Paas Rakhna Najaaizo Haram He. Jo Imam Apni Tasweer Khichta Ya Khichata He Vo Fasiq He, Iske Bare Me Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,


Agar Ailaniya Fisqo Fujoor Karta He Or Dusra Koi Imamat Ke Qabil Na Mil Sake To Tanha Namaz Padhe.

فان تقدیم الفاسق اثم والصلاۃ خلفہ مکروھۃ تحریما والجماعۃ واجبۃ فھما فی درجۃ واحدۃ ودرء المفاسد اھم من جلب المصالح۔

Kyuñ Ki Taqdeeme Fasiq Gunah He Or Uske Pichhe Namaz Padhna Makroohe Tahrimi Or Jama'at Wajib He, Pas Dono Ko Darja Ek Huva, Lekin Masaaleh Ke Husool Se Mafasid Ko Khatm Karna Aham Or Zaroori Hota He.


Or Agar Koi Gunah Chhupa Kar Karta He To Uske Pichhe Namaz Padheñ Or Uske Fisq Ke Sabab Jama'at Na Chhoreñ.

Kyuñ Ki Jama'at Wajib He Or Fasiqe Gair Mu'allin Ke Pichhe Namaz Padhna Zyada Se Zyada Makroohe Tanzihi He.

*📚(Fatawa Razviya Jadeed Jild-6, Safha-602, Maktabul Madina)*


Lihaza Jo Imam Ailaniya Tasweer Kashi Karta Ho Ya Karata Ho Vo Fasiqe Mu'allin He Use Imam Banana Gunah Or Uske Pichhe Namaz Padhna Makroohe Tahrimi Yaani Namazo Ka Ae'aada Wajib. Lihaza Sabhi Jagah Fasiqe Mu'allin Imam Ho To Panjwaqta Namaz Unke Pichhe Na Padhe Balki Tanha Tanha Padhle. Or Jo Imam Tasweer Kashi Chhup Kar Karta Ho Uske Pichhe Namaz Makroohe Tanzihi He, Lihaza Or Makroohe Tanzihi Ke Sabab Jama'at Tarq Na Kare..


Or Jumuah Ke Ta'alluq Se Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

Fasiq Ki Iqteda Na Ki Jaye Magar Sirf Jumuah Me Ke Is Me Majboori He, Baki Namazo Me Dusri Masjid Ko Chala Jaye Or Jumuah Agar Shahar Me Chand Jagah Hota Ho To Usme Bhi Iqteda Na Ki Jaye, Dusri Masjid Me Jaa Kar Padhe.

*📚(Gunaytut Talibin, Raddul Muhtar, Fathul Qadeer)*


*📚(Bahare Shariyat, H-3, Baab- Imamat Ja Zyada Haqqdar Kon, Safa-569,Maqtabul Madina)*


Lihaza Jumuah Ki Namaz Bhi Ba-Shara'a Imam Ke Pichhe Hi Padhe Or Agar Kahi Dusra Sunni Sahihul Aqeeda Ba-Shara'a Imam Na Mile To Us Waqt Ham Majboor He Jumuah Ki Namaz Fasiq Ke Pichhe Majboori Me Padh Sakte He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️16 March 2021, 02 Shaban 1442*

📲+918487928693


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namaz Me Aadha Durood Padhna Kesa ? Namaz Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Zaid Namaz Ki Dua M Durude Razviya Padhta Hai To Sirf Aadhi Hi Padhta Hai 


Allahu Rabbu Muhammadin Salla Alaihi Wasallama


Aur 

Nahnu Ibadu Muhammadin Salla Alaihi Wasallama 

Nahi Padhta


Aur Kabhi Kabhi Puri Padh Leta H


Jabki Zaid Ye Janta Hai Ki Vo Aadhi Durud Sharif Hi Padh Raha H

Zaid K Bare M Kya Huqm H

Rehnumayi Farmaye


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Zaid Baad Namaz Jo Durood Shareef Padhta He To Kabhi "Allahu Rabbu Muhammadiñ Salla Alayhi W Sallama" Padh Leta He Or "Nahnu Ibadu Muhammadiñ Salla Alayhi W Sallama" Nahi Padhta Or Kabhi  Kabhar Durood Ko Pura Bhi Padh Leta He, To Shar'an Isme Koi Harj Nahi, Zaid Par Koi Shakht Hukm Nahi. Jab Vo Kabhi Kabhar Pura Padh Leta He Or Kabhi Waqt Ki Kami Beshi Ke Liye "Allahu Rabbu Muhammadiñ Salla Alayhi W Sallama" Hi Padh Leta He Ye Kaafi W Waafi He, Pahli Satar Me "Allahu Rabbu Muhammadiñ Salla Alayhi W Sallama" Me Bhi Durood Shareef Shamil He, Or Dusri Satar Me "Nahnu Ibadu Muhammadiñ Salla Alayhi W Sallama" Us Me Bhi Durood Shareef Shamil He, Agar Pahli Satar Padhle Fir Bhi Durood Shareef Padhna Kah laya Jayega, Naqees Durood Shareef Padhna Nahi Kaha Jayega, Lihaza Zaid Jo Kabhi Pahli Satar Padhta He Dusri Satar Nahi Padhta Or Kabhi Dono Satar Padh Leta He, To Ho Sakta He Ki Vo Waqt Ki Kami Beshi Ke Peshe Nazar Aysa Karta Ho Lihaza Zaid Par Koi Sakht Hukm Nahi Hoga..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️7 March 2021, 22 Rajab 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

"Meri Kamyabi Allah Ke Hath Me He" Kahna Kesa ??

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ 


Ek Saiyad Sahab Ne Apna Visiting Card Banwaya Aur Usme Unhone Likhwaya Hai Ki “Mu Success Is In The Hands Of ALLAH”


Kya Ye Kehna Ya Likhwana Sahi Hai?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

My Success Is In The Hands Of Allah Yaani "Meri Kamyabi Allah Ke Hath Me He" Isse Murad Allah Ta'ala Ki Daste Qudrat He Lihaza Aysa Kahne Ya Likhne Me Harj Nahi..


Jaisa Ki Is Tarah Ka Lafz Bahare Shariyat Me He,

Vo Hay He, Yaani Khud Zinda He Or Sabki Zindagi Uske Hath Me He, Jise Jab Chahe Zinda Kare Or Jab Chahe Maut De.

*📚(Bahare Shariyat, J-1, Aqaid Mut'alliqa Zaato Sifate Ilahi, Aqeeda-11)*


Or Isi Tarah Ke Alfaaz Ek Hadees Me He Ki,

Hazrat Saiyeduna Muaaz Bin Jabal Radiallahu Anhu Se Riwayat He, Huzure Aqdas ﷺ Ne Irshad Farmaya, Mene Apne Rab عَزَّوَجَلَّ Ko Dekha, Usne Apna Daste Qudrat Mere Kandhoñ Ke Darmiyan Rakha, Mere Sine Me Uski Thandak Mahsoos Hui, Usi Waqt Har Cheez Mujh Par Roshan Ho Gai Or Mene Sab Kuchh Pahchan Liya.

*📚(Tirmizi, Kitabut Tafseer Baab Waman Surah Swad, Jild-5, Safha-160, Hadees-3246)*


Hayat, Qudrat, Sunna, Dekhna, Kalam, Irada Sab Uske Sifate Zatiya Hai, Magar Kaan, Aankh Zaban, Hath Muh Se Uska Sunna, Dekhna Kalam Karna Nahi, Ki Ye Sab Ajsam Hai Or Ajsaam Se Allah Ta'ala Paak He.  Lihaza Yaha Hath Se Murad Rab Tabarak W Ta'ala Ka Daste Qudrat He.. Lihaza Aysa Likhne Me Koi Harj Nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*✍🏻7 March 2021, 22 Rajab 1442*

📲+918487928693


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Azan Ke Dauran Duaa Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

السلام علیکم ورحمۃ اللہ وبرکاتہ

Sawal :- Kiya Dauran E Azan Dua Karna Kaisa 

Hazrat Rehnumaye Farmaye 

Hawale K Sath


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Azan Ke Dauran Zikro Azkaar Salam Kalam Duaa Tilawat Wagairah Sab Mauquf Kar Diya Jaye Or Azan Gaur Se Sune Or Jawab De.


Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Jab Azan Ho To Utni Der Ke Liye Salam Kalam Or Jawabe Salam Tamam Ashgaal Mauquf Karde Yahañ Tak Ki Qura'an Majeed Ki Tilawat Me Azan Ki Aawaz Aaye To Tilawat Mauquf Karde Ke Azan Gaur Se Sune Or Jawab De.

*📚(Bahare Shariyat, Hissa-3, Azan Ka Bayan, Mas'ala-57)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓3 March 2021, 18 Rajab 1442*

📲+918487928693


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Bagair Chahere Ke Back Side Se Photo Lena Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَّــــــلَامُ عَلَــــــیْکُمْ وَرَحْـــمَتُہ اللُّہِ وَبَـــــرَکَاتُہ


Kya Video 📷 Ya Photo Bagair Face (chehre) Ki Movements Ke Saath Back Side Se Lena Jaaez Hai?


 Jisme Jaandar Ka Chehra Na Aata Ho? Aur Aisi Tasveer Jisme Jaandar Ka Chehra (face) Na Ho To Kya Aisee Tasveer Lena Jaaez Hai? 


*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_* 


Mufti Sahab Qibla Jawab Inayat Farmaiye 


Agar Kisi Kitab Ka Hawala Hoga Tw Zaroor De Dijiye Ga Hazrat 🙏

Meharbani


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Shak Nahi Ki Zee Rooh Ki Tasweer Khinchni Bil-ittefaq Haram He Agar Che Nisf Aala Balki Sirf Chahera Ki Hi Ho Ki Tasweer Chahere Ka Naam He.

*📚(Fatawa Razviya, J-21, S-195)*

 

Or Ek Jagah Farmate Hai,

Imam Ajal Abu Jaafar Tahaavi Saiyeduna Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Riwayat Farmate Hai, الصورۃ ھو الرأس

Yaani Faqat Chahera Tasweer He.

*📚(Sharah Ma'aanil Aasar, J-2, S-366)*

*📚(Fatawa Razviya, J-24, S-557)*


Or Isi Tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,


Tasweer Chahere Ka Naam He, Agar Chahera Samne Se Liya Gaya To Ye Tasweer Ho Gai, Ab Agar Baaki Aa'aza Ki Tasweer Na Bhi Ho Chahere Ki Tasweer Lene Se Tasweer Lene Ka Misdaq Kahelayega, Or Agar Pusht Ki Taraf Se Tasweer Li Ki Chahere Ki Tasweer Na Aai Ya Mahaz Hath Wagairah Ki Tasweer Leli To Ye Tasweer Ke Hukum Me Nahi He.

Http://jamiaturraza.com/session/24Mar13/2.mp3


Lihaza Agarche Pusht Ki Taraf Se Tasweer Lena Jisme Chahera Nazar Na Aaye Tasweer Ke Hukm Me Nahi Magar Isse Tasweer Kashi Me Mulawwish Hone Ka Andesha Ho To Isse Bhi Bachna Bahetar..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓3 March 2021, 18 Rajab 1442*

📲+918487928693


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

BadMazhab Ki Azan Ka Jawab Dena Kesa Or Usla Ehteram Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Bad Mazhabo Ki Azan Ka Jawab Dena Kaisa Ya Unhi Ki Azan Ke Kalimat Ka Ehtaram Karna Kaisa


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

BadMazhab Jiski BadMazhabi Hadde Kufr Ko Pahuchi Ho Uski Azan Azan Nahi, Na Uski Azan Ka Jawab Dena Wajib, Azan Ke Jawab Ki Hajat Nahi. Lekin Muqaddas Naamo Par Kalma E Ta'azeem Or Durood Shareef Padha Jaye..


Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

Isme Jalalat Par Kalma E Ta'azeem Or Risalat Par Durood Shareef Padhe. Agarche Ye Isma E Tayyabah Kisi Ki Zuban Se Ada Hoñ, Magar Wahabi Ki Azan Azan Me Shumar Nahi, Jawab Ki Hajat Nahi.

*📚(Fatawa Razviya, J-5, S-422, Raza Foundation)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓3 March 2021, 18 Rajab 1442*

📲+918487928693


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Qay Kapdo Par Lag Kar Sukh jaye To Paaki Ka Kya Hukm He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Ulema Ikraam Ki Baargaah Me Salaam Arz Hai 

Assalam Alaikum Wa RahmatULLAAHI Wa Barakaatuhu


Hazrat Mera Sawal Taharat K Mutaalliq Hai,

Hazrat Agar Pant Ya Shirt Qay Lag Jaaye Aur Sookh Jaaye To Kya Pant Paak Hai Ya Najis


Aur Agar Najis Hai To Paak Karne Ka Kya Tareeqa Hai.


Jawaab Inaayat Farmaayein.

JazakALLAH Khair


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Qay (Wamet) Ye Najasate Galeeza He, Or Jis Jagah Par Ye Lag Jati He Us Jagah Ko Bhi Napaak Kar Deti He, Lihaza Pent Par Jo Qay Lagi Pent Ka Vo Hissa Napaak He, Usko Mash'huro Ma'aroof Tariqa Yaani 3 Martaba Paani Se Achhe Se Usko Nichod Diya Jaye.aur Agar Pent Par Qay Ke Dane Bhi Lage Hai To Usko Bhi Door Kare ... Is Tarah Se Pent Ka Vo Hissa Paak Ho Jayega..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️16 Feb 2021, 3 Rajab 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Khudkushi Karne Wale Ke Liye Dua E Magfirat Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Jisne Khudkushi (Suicide) Ki Uske Liye Dua E Magfirat Karna Kesa ? Or Kya Khudkushi Karne Wala Hamesha Dozakh Me Rahega ?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Khudkushi Karna Gunahe Kabeera He, Ahadees Me Khudkushi Karne Wale Ke Liye Sakht Waeede Aai Hai. Khudkushi Karne Wala Musalman Kafir Ki Tarah Hamesha Jahannum Me Nahi Rahega, Balki Apne Gunah Ki Saza Paa Kar Dusre Momineen Ki Tarah Jahannum Se Nikal Kar Jannat Me Jayega. Is Liye Khudkushi Karne Wale Ke Liye Dua E Magfirat Or Isale Sawab Karna Durust He Or Namaze Janaza Bhi Padhi Jayegi Or Kafano Dafan Bhi Kiya Jaye..


Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Jisne Khudkushi Ki Halañki Ye Bahut Bada Gunah He, Magar Uske Janaza Ki Namaz Padhi Jayegi Agarche Qasdan Khudkushi Ki Ho.

*📚(Bahare Shariyat, H-4, Namaze Janaza Ka Bayan, Mas'ala-12)*


Isi Tarah Fatawa Razviya Me He,

وھذا منہ، کقاتل نفسہ، بل اولی فان قتل نفسہ اشد من قتل مؤمن غیرہ، وقتل المؤمن اکبر عنداللہ من ترک الصلاۃ۔ وقدقال فی الدر: من قتل نفسہ، ولوعمدا، یغسل ویصلی علیہ، بہ یفتی، وان کان اعظم وزرا من قاتل غیرہ،

Or Ye Unhi Me Se He Jis Tarah Khudkushi Karne Wala. Balki Batareeq Awla, Kyuñ Ki Khudkushi Karna Dusre Momin Ko Qatl Karne Se Zyada Shadeed Jurm He Or Momin Ko Qatl Karna Namaz Chhorne Se Bada Gunah He. Or Durre Mukhtar Me Kaha He Ki Jo Apne Aapko Qatl Karde, Khwañ Jaan Bujh Kar Hi, Usko Gusl Diya Jayega Or Namaz Padhi Jayegi, Isi Par Fatwa He.

*📚(Durre Mukhtar, Baab Salatul Janaza, Matbuaa Mujtabaai Dehli, J-1, S-122)*

*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-5, 107)*


Or Namaze Janaza Bhi Dua E Magfirat He Lihaza Khudkushi Karne Wale Musalman Ke Liye Dua E Magfirat Karna Jaaiz He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓4 March 2021, 19 Rajab 1442*

📲+918487928693


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts