AALA HAZRAT SAHABI E RASOOL QAIS MALIK ABDUL RASHID KI AULAD SE

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Aala hazrat ashshah imam ahemad raza khan suja'at jang muhammad saidullah khan or sahabi e raaool hazrat qais malik abdul Rashid radiAllahu Anhu ki Aulad se he ?

*🌹JAWAB🌹*

_Ji Ha, Aala Hazrat Azeemul barkat mujaddide dino millat Ashshah imam ahemad raza khan fazile barailvy alaihir rahma sahabi e rasool hazrat qais malik abdul rashid radiallahu anhu ki aulad se he._

Aala Hazrat Rahematullah Alaih ka nasabi silsila afganistan ke mash'hoor w ma'aroof qabile barh'hech se he jo afgano ke jadde amjad Qais AbdurRashid (Jin ke bare me sarkare do aalam Sallallahu alaihi w sallam  ki khidmate aaliya me hazri de kar dine islam qubool karne ki sa'aadat hasil hui) ke pote he.
Goya aap sahabi e Rasool Ki Aulad se he.
*📚(SHAH IMAM AHEMAD RAZA KHAN BARH'HECH AFGANI, S-35, Az Qalam- Muhammad Akbar ae'awan Matbuaa karachi)*

Huzur Aala Hazrat ke aaba o ajdad kandhari ke muwaqqir qabila barh'hech ke pathan the.
*📚(HAYATE AALA HAZRAT)*

Or Huzur TajushShariyah Alaihir Rahma ke bare me farmaya gaya ki Aap Sajra e Padri w madri se najeebul tarfain barh'hechi afgani pathan he.
*📚(FATAWA TAJUSHSHARIYAH, J-1, S-27)*

Huzur TajushShariyah Ka silsila nasab aala hazrat ko dada w nana banate hue Sahabi e Rasool Qais Malik Abdul Rashid Tak Ja pahuchta he.
*📚(MAHNAMA JAHANE RAZA, SITUMBER 2018,LAHOR)*

Aap ka nasab kuchh is tarah se he,👇🏻
Imam Ahemad Raza bin,
Maulana naqi ali bin,
Maulana raza ali bin,
Maulana kazim ali bin,
Maulana aazam ali bin,
Maulana sa'aadat ali bin
*Suja'at jang muhammad saidullah khan bahadur kandhari bin*,
Abdur rahman khan bin,
Yusuf khan bin,
Daulat khan bin,
Badal khan bin,
Bin daud khan bin,
Barhech khan bin,
Sarfuddin bin,
Ibrahim bin,
*Sahabi e Rasool, Hazrat Qais Malik AbdurRashid Radiallahu anhu*

Or hazrat Qais Malik AbdurRashid ki shadi Sahabi e rasool Saifullah Hazrat khalid bin walid ki sahabzadi ke sath hui thi.

Makhuz :- *📚(HAYATE AALA HAZRAT)*
*📚(TARIKHE KASHMIR, TAHEQIQ MUHAMMAD DIN FAUT)*
*📚(TAHQIQ IMAM AHEMAD RAZA ACEDMI DURBAN SOUTH AFRIQA)*

*_📬Pathan Moin Raza Azhari,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖==========

MAHARAJ YA SADHU KO HAAR PAHNANA HARAM

*🌹SAWAL:-🌹*
agare kisi bade mahnt (sadhu )  ka jannmdin ho usme sharik hona usko mubarak baad dena ya gulposhi ya saal poshi karna kesa  voh sadhu hindu muslman sabse achha bartav he to kya uske birthday me sharik hona gulposhi saal poshi karna kesa javab inayat farmae ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Ye sab najaiz or sakht haram w gunah he, aesa karne wala apne is fe'al se aelaniya taubah kare.

Kisi maharaj ya sadhu ko uske janam din ki mubarak baad dena or uske janamdin ke program me sharik hona najaizo haram he.
Or uske gale me haar dalna ya gulposhi ya shal poshi karna haram sakht haram w gunah he.
Aesa hi *📚(FATAWA SHAREH BUKHARI, J-2, S-625)* par he..

Wallahu aa'alam bis-sawab

*📬Pathan Moin Raza Azhari,Petlad*


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
=============➖➖➖➖==========

BOOT(MURTI) KO HAAR PEHNANA KUFR

*🌹SAWAL:-🌹*
agar (zaid) kisi but Ganesh Ko har pehnaye  aur us but ka istikbal kare to us ke bare me kya hukma he . Qauraan aur hadish ki Roshni javab Inayat farmaye.

*🌹JAWAB:-🌹*

Boot jo mandir me pooja ke liye rakha gaya he to uske gale me haar pahnane wala islam se kharij ho kar kafiro murtad ho gaya, mushrik ho gaya, Ye haqiqat me murti ki pooja he, zaid par farz he ki fauran is kufr se taubah kare kalma padh kar fir se musalman ho apni biwi rakhna chahta ho to us se dobara nikah kare or agar zaid taubah tajdeede iman w nikah na kare to musalman zaid se mel jhol, salam kalam bilkul bandh karde  masjid me ghusne na de or usi haal me mar jae to us ki murdar laash ke karib na jaae kafan dafan me hargiz shareek na ho uski namaze janaza hargiz na padhe.
*📚(FATAWA SHAREH BUKHARI, J-2, S- 626)*

Wallahu aa'alam bis sawab

*📬Pathan Moin Raza Azhari,Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
=============➖➖➖➖==========

FASIQ IMAM KE PICHHE JUMUAH PADHNA KESA

🌹SAWAL:-🌹
Assalamualaikum

👇Hazrat Mera Ek Sawal Tha
Agar Hum Koi Aisi Jaga Gaye Hain jahan par Juma Ki Namaz Ba,Jamat Aada Karna Hai Par Us Masjid ka Imam Dadhi Ek Musht Se Kam Rakhta Hai
Aur us jagah Koi Dusri Sunni Masjid Na Ho To kya Hum is Surat me Us Fasik Imam Ke Piche Namaz E Juma padh Saktey Hain,??

👆Hazrat Rehnumai Farmayiye

🌹JAWAB:-🌹

W alaikumAssalam W rahematullah,

Pahli baat fasiq ko imam banana jaiz nahi. Fasiq ke pichhe padhi hui namaz makroohe taherimi wajibul ae'aada he.
Agar ham aesi jagah gaye jaha koi jumaa ki namaz ke liye kahi dusri sunni masjid nahi ya koi ba-shara'a imam na mile to us waqt ham mazoor he. Us waqt jumaa ki namaz us imame fasiq ke pichhe padh sakte he. Or Panj waqta namaz ba-shara'a imam ke pichhe padhege.

Jaisa ki Huzur Sadrushshariyah AlaihirRahma taherir farmate he,

Fasiq ki iqteda na ki jaae magar sirf Jumuah me ke is me majboori he, baki namazo me dusri masjid ko chala jaae or or jumaa agar shahar me chand jagah hota ho to usme bhi iqteda na ki jaae, dusri masjid me jaa kar padhe.
*📚(GUNAYTUT TALIBIN, RADDUL MUHTAR, FATHUL QADEER)*

*📚(BAHARE SHARIYAT, H-3, BAAB- IMAMAT JA ZYADA HAQQDAR KON, SAFA-569; NASHIR:- MAQTABUL MADINA)*

*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖==========

Gair Muslim Ko Bhik Ya Sadqa Dena Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat mera sawal hai ki meri shop par bohot si gair muslim aurten or mard bhikh magne ko aate hain to kya unki madad karna jaiz hai?

*🌹JAWAB:-🌹*

Jesa ki Aala hazrat alaihir rahma farmate he ki hindustan darool islam he albatta yaha ke kafir Harbi he, or Harbi kafir ko kisi bhi qism ka sadqa e wajiba, nafila, ya kisi bhi qism ki koi madad ya bhik dena najaizo mamnoo he.

Huzur Tajushshariyah Alaihir Rahma ki sadarat me qaim hone wali sharai Council baraily shareef me ek Sawal ye bhi tha ki kya kisi kafir Harbi ko sadqa e nafila de sakte he ? Usi me bhik bhi aa gaya.
Iska jawab me huzur tajushshariyah alaihir rahma or huzur Muhaddise kabeer or digar Aulma e ahele sunnat w tamam logo ke ittefaq se ye faisla huaa ki Harbi kafir ko kisi qism ka sadqa dena jaiz nahi or usme ye bhi faisla huaa ki agar kisi qism ka zarar ka andesha ho to zarar ke sadde baab ke liye use be niyyate tasadduq yani bagair sadqa ki niyyat kiye hue kuchh de sakte he.
*📚(FAISLA JAATE SHARAI COUNCIL, S-310)*
 Wallahu aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab:- Khalifa E Huzur Ashraful Fuqha, Mufti E Petlad, _Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi,_*
*📮Tadriso Ifta- Darul uloom Qadriya Razviya,Petlad*

*📬 Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖===========

Shah Ast Husain BadShah Ast Husain Khwaja Garib Nawaz ne likhi ya nahi

🌅🌅🌅🌅🌅🌅🌅🌅🌅🌅🌅

*💚شاہ است حسین بادشاہ است حسین کس کی رباعی ہے💚*


*❓❓کیا یہ بات صحیح ہے کہ یہ بات کی کوئی اصل نہیں ہے یا یہ کوئی کتابوں میں نہیں ملتا ہے کہ یہ شعر حضرت خواجہ غریب نواز رحمۃ اللّٰہ تعالیٰ علیہ کا ہے۔👇*

*شاہ است حسین بادشاہ است حسین*
*دین است حسین دین پناہ است حسین*


*🌹سائل محمد اسلم رضا*


↕⏬↕⏬↕⏬↕⏬↕⏬⏬

*الــــجـــواب جواب بعون الملک الوھاب*

*باوجود تتبع تام واستقراء حتی الامکان کے تاہنوز حضرت سلطان الہند خواجہ غریب نواز رضی اللہ عنہ یا ان کے سلسلے کے یا ہندوستان کے معتمد مصنفین کی تصنیفات میں کہیں اس رباعی کا تذکرہ نہیں ہے*
*قصاص قسم کے واعظین بڑے طمطراق سے اسے حضرت غریب نواز کی طرف منسوب کرتے ہیں*
*میں نے ان قصاصین سے پوچھا کہ اس کی کیا سند ہے تو اب تک کوئی بھی اس کی سند نہیں پیش کرسکا*
*کسی نے بازاری رسالوں کا نام لیا*
*کسی نے اور کسی واعظ کا حوالہ دیا*
*حد یہ ہے کہ غریب تواز قدس سرہ کی طرف ایک دیوان منسوب ہے*
*اس میں بھی یہ رباعی نہیں ہے*
*غرض کہ اب تک یہ ثابت نہیں کہ حضرت سلطان الہند رضی اللہ عنہ کی رباعی ہے*
*حضرت خواجہ غریب نواز رضی اللہ تعالی عنہ کے آستانہ عالیہ پر میں نے یہ رباعی کہیں کندہ نہیں دیکھی*
*ہوسکتا ہے کہ کندہ ہو*
*میں نے دسوں بار کی حاضری کے باوجود کتبات پڑھنے کی کوشش نہیں کی میرا ذوق یہ ہے کہ جتنی دیر کتبات کے پڑھنے میں مصروف رہوں اتنی دیر مواجہہ اقدس میں کیوں نہ وقت گزاروں*

*اور اگر بالفرض یہ رباعی وہاں کندہ ہو بھی تو یہ اس کی دلیل نہیں کہ رباعی حضرت کی ہے*
*گنبد پاک اگر چہ حضرت سلطان الطارکین صوفی حمید الدین ناگوری قدس سرہ نے بنوایا*
*مگر بعد میں بہت اضافے ہوے ہیں*
*کیا پتہ کس نے یہ رباعی لکھوائی ہے*
*یہ صحیح ہے کہ رفاض نے دسیسہ کاری کرکے دیوان حافظ اور مثنوی شریف میں بہت کچھ الحاقات کردیئے ہیں*

*حضرت شیخ محقق کی اس وقت تک پچیس تصانیف کا مطالعہ کرچکا ہوں کہیں بھی اس رباعی کا ذکر نہیں ہے*

*واللہ اعلم بـالصـواب*


*📚فــتــــاوی شـــارح بــخــــاری جـلــد دوم ص٢٠٤*


*٣ محرم الحرام ١٤٤٠ ہجری مطابق ١٤ ستمبر ٢٠١٨ بروز جمعہ*
✅✅✅✅✅✅✅✅✅✅✅
*✍🏼ازقـــــلــم حضـــرت علامــــہ ومولانـــا*
*محمـــد اسمــاعیـل خـان امجـدی صاحـب*
*قبلــــہ مدظلــــہ العـــالــٰـی والنـــــورانــــی*
*دارالـــعـلـــــــــوم شـہـیــــــــداعـظــــــــــم*
*دولـھـــــــاپورضـلـــــع گـونــــــڈہ یـوپــــی*



✳️برکاتی عفی عنہ❇️:
"شاہ است حسین، بادشاہ است حسین" کس کی رباعی ہے؟

یہ اشعار (شاہ است حسین، بادشاہ است حسین... الخ) کثرت سے پڑھے جاتے ہیں جس میں کوئی حرج نہیں مگر ساتھ ہی ساتھ یہ بھی کہا جاتا ہے کہ یہ خواجہ غریب نواز علیہ الرحمہ کی رباعی ہے-
صرف مشہور ہونے کی بنا پر کسی بات کو کسی کی طرف منسوب کرنا صحیح نہیں ہے اور اس رباعی کا بھی کچھ ایسا ہی معاملہ ہے، چناں چہ:

خلیفۂ حضور مفتئ اعظمِ ہند، شارح بخاری، حضرت علامہ مفتی شریف الحق امجدی علیہ الرحمہ اس رباعی کے متعلق لکھتے ہیں کہ حتی الامکان چھان بین کے باوجود یہ نتیجہ نکلا کہ حضور خواجہ غریب نواز علیہ الرحمہ یا ان کے سلسلے کے بزرگوں یا ہندستان کے معتمد مصنفین کی تصنیفات میں کہیں اس رباعی کا تذکرہ نہیں- مقررین اسے حضور خواجہ غریب نواز کی طرف منسوب کرتے ہیں؛ مَیں نے ان سے پوچھا کہ اس کی کیا سند ہے تو اب تک کوئی بھی اس کی سند پیش نہیں کر سکا- کسی نے بازاری رسالوں کا نام لیا تو کسی نے کسی واعظ کا حوالہ دیا- حد یہ ہے کہ حضور خواجہ غریب نواز کی طرف ایک دیوان منسوب ہے اور اس میں بھی یہ رباعی نہیں- اب تک یہ ثابت نہیں کہ رباعی حضور خواجہ غریب نواز کی ہے-

(ملخصاً: فتاوی شارح بخاری، ج2، ص204، دائرۃ البرکات گھوسی)

حضرت علامہ مفتی فیض محمد قادری مصباحی صاحب (فتاوی مرکز تربیت افتا میں) ایک سوال کے جواب میں لکھتے ہیں کہ یہ اشعار حضور خواجہ غریب نواز کے ہیں، یہ ہمیں نہیں معلوم لیکن اس کا مفہوم درست ہے-

(انظر: فتاوی مرکز تربیت افتا، ج2، ص623، فقیہ ملت اکیڈمی اوجھا گنج)

حضرت علامہ مفتی محمد مقصود عالم صاحب قبلہ لکھتے ہیں کہ اگرچہ اس میں اختلاف ہے کہ یہ اشعار حضور خواجہ اجمیری کے ہیں یا نہیں لیکن اس کی صحت (یعنی اس کے صحیح ہونے میں) کسی کا اختلاف نہیں؛ مقبولیت بھی کافی ہے اور شہرت کی بنیاد پر سلطان الہند علیہ الرحمہ کی طرف منسوب کرنا بھی درست ہے-

("تاج الشریعہ لقب کس کا؟"، ص8)

مفتی مقصود صاحب قبلہ کے اس جملے سے مجھے اتفاق نہیں کہ "شہرت کی بنیاد پر سلطان الہند کی طرف منسوب کرنا بھی درست ہے" کیوں کہ مشہور ہونا تو دور کی بات ہے، بہ قول حضرت عبدالعزیز رحمہ اللہ کسی امام سے منسوب کسی مسئلے کا ایک یا ہزار کتاب میں پایا جانا بھی اس بات کی دلیل نہیں بن سکتا کہ یہ قول واقعی ان ہی کا قول ہے-

(انظر: الابریز من کلام سیدی عبدالعزیز، ص430، دار صادر بیروت؛ بہ حوالہ تحریرات علامہ لقمان شاہد حفظہ اللہ)

اسے لکھنے کے بعد علامہ لقمان شاہد صاحب قبلہ لکھتے ہیں کہ ہمارے وہ خطبا و واعظین جو "ہر بات" پر یہی دلیل پیش کرتے ہیں کہ یہ فلاں فلاں کتاب میں ہے، فلاں فلاں نے لکھا ہے، انھیں اس سے سبق حاصل کرنا چاہیے-
بہت ساری ایسی باتیں بھی ہیں جو بہت ساری کتابوں میں ہونے کے باوجود، وجود نہیں رکھتیں- اس لیے علم و تحقیق کا دامن تھامے رکھنے میں ہی عافیت ہے-

میں کہتا ہوں کہ اس رباعی کو پڑھا جائے لیکن اسے حضور خواجہ غریب نواز علیہ الرحمہ کی طرف منسوب نہ کیا جائے-


Shah Ast Husain BadShah Ast Husain Rubai par aitraz ke jawab

( گرامی قدرقبلہ پروفیسر علامہ عون محمد صاحب زید مجدہ کی زبانی ان اشعار کی تشریح)
👇🏻👇🏻👇🏻

شاہ است حسین بادشاہ است حسین
دین است حسین دین پناہ است حسین
سر داد نہ داد دست در دست یزید
حقا کہ بنائے لا الہ است حسین
تحقیق کے مطابق یہ رباعی حضرت معین الدین چشتی کی نہیں ہے. پھر یہ کس شاعر کی ہے؟ اس بارے میں کئی اقوال ہیں.
البتہ مفہوم کے اعتبار سے یہ بالکل درست ہے. جو لوگ اس پر اعتراض کرتے ہیں وہ غلط فہمی کا شکار ہیں.
اس کا مفہوم حسب ذیل ہے.

امام حسین قلوب امت کے سردار و بادشاہ ہیں.
دین میں ایسے مستغرق ہیں کہ سرتاپا خود دین ہیں، دین نے اپنے تحفظ کے لیے آپ ہی کے دامن میں پناہ لی.
سر تو دے دیا مگر یزید کے ہاتھوں میں ہاتھ نہیں دیا.
حق تو یہ ہے کہ آپ لا الہ الا اللہ کی بنیاد ٹھہرے.

یہاں بناء بمعنی عمارت ہو تو مطلب یہ ہو گا کہ یزید کے ہاتھوں اسلام کی منہدم ہوتی عمارت کو اپنا خون دے کر دوبارہ تعمیر کر دیا..
اور اگر بناء بمعنی بنیاد ہو تو مطلب یہ ہو گا کہ
اپنا سب کچھ لٹا کر اسے بنیاد فراہم کر دی.

دراصل موروثی جانشینی اور فسق و فجور کی حکومت کا آغاز تاریخ اسلام میں پہلی بار ہو رہا تھا ، اب اس موقع پر اہل اسلام کا رد عمل کیا ہو، یہ کسی صاحب عزیمت کا اپنے عمل سے ثابت کرنا ضروری تھا، تاکہ رہتی دنیا تک کے لیے مثال بن جائے کہ غلط نظام حکومت کے سامنے کس قسم کا کردار پیش کرنے کی ضرورت ہوتی ہے.
یہی کام سیدنا امام حسین نے کر دکھایا اور اپنے جد اعلی سیدنا ابراہیم علیہ السلام کی طرح باطل کے بت کدے میں جرات رندانہ کے ساتھ گھس کر اسے تہس نہس کر کے بتا دیا کہ جب بھی یزیدی نظام حکومت دیکھو تو اس کے خلاف حسینی انداز کی جد و جہد کا آغاز کرو.

اگرچہ فسق و فجور کی حکومتوں کا سلسلہ یزید کے بعد بھی جاری رہا مگر حسینی طرز عمل کا فائدہ یہ ہوا کہ فکر ونظر ہمیشہ اس کو خلاف اسلام  سمجھتی چلی آ رہی ہے. یقیناً یہ فکر و نظر حضرت امام  کی عظیم قربانی کا ثمر ہے.
اگر اس وقت آپ یزید کے ہاتھوں میں ہاتھ دے کر موروثی اور فسق وفجور کی حکومت پر مہر تصدیق ثبت کر دیتے تو پھر اس اسلام کش عمل کو قیامت تک کے لیے سند جواز فراہم ہو جاتی، جو کہ اب کسی بھی طور پر  کسی بھی باطل حکومت کے پاس نہیں ہے .
.
آج کوئی بھی شخص سر بازار کھڑے ہو کر یہ کہنے کی جرات نہیں کر سکتا کہ "میں یزیدی ہوں" مگر سینہ تان کر فخر کے ساتھ یہ بات بے جھجھک کہہ سکتا ہے کہ "میں حسینی ہوں"
یہ ہے دین کی وہ بنیاد جو ہمیں حسین نے فراہم کی ہے. یقیناً سیدنا امام حسین کی اس عظیم ترین خدمت پر امت ہمیشہ کے لیے آپ کے زیر بار ہے بقول سید نصیر الدین نصیر:

حجت تمام کر گیا ہے شبیر
آفاق میں نام کر گیا ہے شبیر
تا حشر نہیں جواب جس کا ممکن
سر دے کے وہ کام کر گیا ہے شبیر
(پروفیسرعون محمد سعیدی مصطفوی)


*🌹شاہ است حسین الخ مذکورہ رباعی پر چند اعتراضات کے جوابات*🌹

(ایک انتہائی ضروری بات جو سب کو معلوم ہونا بہت ضروری ہے)
آج کل یہ اشعار اکثر محافل میں پڑھے جاتے ہیں اور یہ کہا جاتا ہے کہ یہ اشعار خواجہ غریب نواز نے لکھے ہیں حالانکہ حقیقت تو یہ ہے کہ یہ اشعار خواجہ غریب نواز کے کلام کے ہے ہی نہیں اور پھر اس کے چوتھے شعر کا معنٰی ہی کُفریہ ہے جس کا مفہوم یہ بنتا ہے کہ اللّٰہ کی توحید کا بانی حُسین ہے (اَستَغفِرُ اللّٰہ)
عظیم مُحدّث شاہ عبدالعزیز مُحدّثِ دہلوی (رَحمَتُہ اللّٰہِ عَلَیہ) اپنی تصنیف '' تُحفہ اثناء عشریہ '' صفحہ نمبر 106 پر یہ لکھ چُکے ہیں کہ " شاہ اَست حُسین بادشاہ اَست حُسین '' یہ خواجہ غریب نواز کا کلام نہیں ہے اور وہ ساتھ یہ بھی فرماتے ہیں کہ غریب نواز ہو کر اتنی کُفریہ بات نہیں کرسکتے۔ یہ اشعار دراصل ایک ایرانی شاعر معین الدین حسن سنجری  کے ہیں جو شیعہ تھا، اب اہلِ سنت نادانستہ طور پر اور شیعہ دانستہ طور پر خواجہ اجمیری (رَحمَتُہ اللّٰہِ عَلَیہ) کی طرف منسوب کرتے ہیں۔
اور ہند غریب نواز کے جو ملفوظات ہیں وہ ہشت بہشت میں خواجہ بختیار کاکی (رَحمَتُہ اللّٰہِ عَلَیہ) نے قلمبند کر دئیے ہیں اُن میں یہ شعر نہیں ہے خواجہ غریب نواز (رَحمَتُہ اللّٰہِ عَلَیہ) نے خود کوئی کتاب لکھی ہی نہیں ہے۔
اور پھر اس شعر کا معنٰی ہی غلط ہے ''حقّا کہ بِنائے لَااِلٰہٰ اَست حُسین '' اس کا معنٰی یہ ہے کہ خدا کی بنیاد حُسین ہے، لَااِلٰہٰ کی بنیاد حُسین ہے (ثُمَّ مَعَاذَ اللّٰہ) اس کا مفہوم پھر یہی بنا کہ حُسین اللّٰہ کی بنیاد ہے حُسین پہلے ہے اور اللّٰہ بعد میں ہے (اَستَغفِرُ اللّٰہ) تو یہ اسلام ہے یا کُفر؟ یقیناََ یہ کُفر ہے۔
ہم سب کو چاہیے کہ یہ اشعار نہ پڑھیں اور باقی لوگوں کو بھی اس کی حقیقت بتائیں خصوصاََ ہمارے نعت خواں حضرات اور نقیب حضرات کو بھی یہ اشعار نہیں پڑھنے چاہیے۔
اس پیغام کو زیادہ سے زیادہ لوگوں تک پہنچائیں تاکہ سب کی اصلاح ہو سکے۔
جزاک اللّٰہ

*🌹سـائــل غــلام مـصـطفی*🌹

*◆ــــــــــــــ🌹💠🌹ـــــــــــــــــ◆*

*📝الجواب: بعون الملک الوہاب*
*اسی طرح کے ایک سوال کے جواب میں حضرت علامہ مفتی محمد نظام الدین رضوی صاحب قبلہ تحریر فرماتے ہیں: جاہل کی جہالت عذر نہیں سائل نے یہاں جاہل اور عالم میں فرق دکھا کر بلا وجہ قابلیت جتائی ہے وہ شعر جس کا بھی ہو اس میں ضرورت شعری کی وجہ سے پورا کلمہ طیبہ مذکور نہیں ہے مگر جاہل کے سامنے کیا ضرورت تھی جس کے باعث اس نے لاالہ پر اقتصار کیا اس کا بلا ضرورت لاالہ پر اقتصار کرنا جہالت ہے کیونکہ صرف اتنے کلمہ کا معنی یقیناً قبیح بلکہ اس کی حقیقت پر نظر کی جائے تو کفر ہے مگر جاہل کی مراد ہرگز وہ معنی نہیں قبیح و کفر نہیں ہوتا اس لئے اس پر حکم کفر نہ ہوگا۔*

📚 *فتاوی بزازیہ النوع الحادی عشر فیما یکون خطا میں ہے*

*🏷من قال لاالہ واردان یقول الااللہ ولم یتکلم بہ لا یکفر لانہ معتقد للایمان اما اذالم یخطر ببالہ الاثبات وارد النفی فقط فھو کافر، اھ*

📚 *جلد ٦ صفحہ ۳٤۷*

 *🥠شعر مذکورہ خواجہ صاحب کا ہے یہ ہمیں نہیں معلوم لیکن اس کا مفہوم درست ہے شعری کی وجہ سے اگر اس میں لاالہ پر اقتصار درست ہے تو اس کا یہ مطلب ہرگز نہیں کہ بلا ضرورت بھی یہ اقتصار درست ہو ضرورت شعری اس پر دال ہے کہ قائل کی مراد یقیناً پورا کلمہ ہے سیاق کلام سے بھی اس کی تائید ہوتی ہے کیونکہ معاذ اللہ اگر نفی محض مراد ہوتو دین اور دین پناہ ہونے کے بجائے اس کا عکس ہو جائے گا- اور جب نفی محض مراد نہیں تو حضرت حسین رضی اللہ عنہ نفی محض کی بنیاد کہاں ہوئے کہ توہین کا سوال پیدا ہو*

*مصرع کا مطلب یہ ہے کہ کلمہ طیبہ کے حق کی بنیاد حضرت امام حسین رضی اللہ عنہ ہیں کلمہ طیبہ کا ایک حق یہ بھی ہے کہ فاسق و فاجر کے ہاتھ پر بیعت نہ کی جائے اور اسے سید الانبیاء صلی اللہ تعالی علیہ وسلم کا جانشین نہ تسلیم کیا جائے یقیناً اس حق کو حضرت سیدنا امام حسین رضی اللہ عنہ نے کامل طور سے پورا کیا اور یزید پلید کی مٹی پلید کرکے حق کلمہ طیبہ کی لاج رکھ لی اور معنی کے لحاظ سے آپ کو دیں پناہ کہا گیا حدیث شریف میں ہے*

*🍢من قال لاالہ الااللہ دخل الجنۃ*
*اس کی تصریح میں علماء فرماتے ہیں کہ جس نے یہ کلمہ پڑھا اور ساتھ ہی اس کا حق بھی ادا کیا مثلاً ارکان اسلام کی* *بجاآوری کی نواہی سے بچا وہ اس بشارت کا حقدار ہے یونہی مذکورہ مصرعہ میں کلمہ طیبہ سے مراد کلمہ طیبہ کا حق ہے پھر یہ بات دور یزید کو سامنے رکھ کر کہی گئی ہے جیسا کہ اس طرح کے کلام عموماً ایک مخصوص دور کے لئے ہی کہے جاتے ہیں اس لئے السبقون الاولون اس میں شامل نہیں*
*اسی وجہ سے کہ الااللہ اس کے ذہن میں ہو سکتا ہے بلکہ ایک مسلمان سے یہی متصور ہے حضور صدرالشریعہ علیہ الرحمۃ نے محض قبیح فرمایا کافر نہیں کہا کسی قول کا کفر ہونا الگ چیز ہے اور اس کے قائل کا کافر ہونا الگ چیز۔ کیوں کہ معاذ اللہ اگر الااللہ اس کے ذہن و دل میں نہ ہو تو وہ کافر ہو جائے گا جیسا کہ فتاوی بزازیہ کے درج بالا جزیہ سے ظاہر ہے*

📚 *فتاوی مرکز تربیت افتاء جلد دوم صفحہ ٦۲۳، ٦۲٤*

*🌹واللہ اعلم با لصواب*🌹

*◆ــــــــــــــ🌹💠🌹ـــــــــــــــــ◆*

*✍شــرف قلم محمــد شـــاہد رضــا قادری صــاحـب قــبلہ مـد ظـلـہ العــالی والـنــورانـی محمـدآباد گوہنہ ضلع مئو*

CHARO IMAM KO YA CHAR ME SE EK (IMAME AZAM ABU HANIFA,/IMAM SHAFAI,/IMAM HAMBAL/IMAM MALIK) KO NA MANNE WALE PAR KYA HUKM HE

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaykum

Que: agar koi shaksh 4 imaam ( imaam e aazam, imaam shafaye, imaam maliki, or imaam hambali rehmatullaalayehe) me se kise 1 ko ya 4ro ko nahe maanta to uskr liye kya hukm hoga?

*🌹JAWAB:-🌹*
و علیکم السلام ورحمۃ اللہ و برکاتہ
الجواب بتوفيق اللہ تعالیٰ وتوقیفہ

Quraan majid me allah taala ne farmaya :aur us din ham unko unke imamon ke sath bulayenge :
*📚(SURA E BANI ISRAIL,71)*
is ki tafsir me imame razi alaihirama farmate hain ke yu kaha jayega aye hanafio aye shafaio aye hanbalio aye malikio,
*📚(TAFSIRE KABEER)*
or isi Tarah se *📚(TAFSIRE RUHOOL BAYAN, J-5, S-221)* me bhi he.
aur Hazarate Bayazid bustami alaihir rahma farmate hain jiska koi imam nahi uska imam shaitan hai or shaytan ka thikana jahannam he to uska thikana bhi jhannam he.
Aur is bat par ijma e ummat hai ki charo imamon me se kisi ek imam ki taqlid wajib hai.
is se pata chala ki jo charo imamon ko na mane un me se kisi ek ki taqlid na kare wah gumrah wa bad mazahab hai و اللہ تعالیٰ اعلم بالحق والصواب و علمہ أتم واکمل


*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Maulana Mukhtar Ahemad Sahab Faizi_*
_📮Ustad Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat_

*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖==========

ISLAMIC NAYE SAAL KI MUBARAK BAAD DENA KESA

*🌹SAWAL:-🌹*
Islamic Naye Saal Ki Mubarak Baad Dena Kesa ?kuchh Log Kahte He Ki Isme Imamse Husain Radiallahu Anhu Ki Shahadat He To Gam Manana Chahiye Mubarak Baad Nahi Deni Chahiye. Is Ki Kya Asl He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Islamic Naya Saal Muharramul Haram Se Shuru'a Hota He, Or Ye Mahina Sog W Gam Manane Ka Nahi He. Balki Barkato Or Rahemato Ka Mahina He. Or Islami Naye Saal Ki Mubarak Baad Dene Me Koi Harj Nahi. Agar Koi Sunni Dusre Sunni Ko Mubarak Baad Deta He To Ma'azAllah Imame Husain Ki Shahdat Par Nahi Balki Naye Mahine Ke Aamad Ki Khushi Me Deta He.

Naye Saal Ki Mubarak Baad Dene Wala Is Baat Par Khush Hota He Ki Allah Ne Hame Zindagi Ka Ek Or Saal Bhi Dikha Diya He Jisme Hame Tauba Or Nek Amal Kamane Ki Mazeed Mauqa Mayassar Aa Sakta He. Is Liye Naye Saal Ki Mubarak Baad Dene Me Koi Harj Nahi. Ek Musalman Par Dusre Musalman Ke Jo 6 Huquq He Unme Se Ek Ye He Ki Jab Use Khushi Pahunche To Use Mubarak Baad De.

Hazrat Abdullah Bin Hussham Radiallahu Allahu Anhu Ki Riwayat Jise Imam Tabrani Ne Al-awsat Me Darj Kiya Usme Vo Farmate He.

Naye Saal Ya Mahine Ki Aamad Pe Sahaba E Kiram Radiallahu Allahu Anhum Ek Dusre Ko Ye Duaa Sikhate The. Ay Allah Hame Is Mahine Me Aman, Eman Salamati, Or Islam Ke Satb Dakhil Farma. Shaytan Ke Hamlo De Bacha Or Rahman Ki Raza Mandi Ata Farma.
*📚(Al-Tibrani, Al-Awsat : 6241)*

👉Or Jo Log Kahte He Ki Is Mahine Me Imam Husain Radiallahu Anhu Ko Yazeed Paleed Ne Zulmo Sitam Kiye Or Shaheed Kiya Is Liye Mubarak Baad Nahi Dena Chahiye. Vo Log Zara Ise Bhi Padhe.

Allah Rabbul Izzat Qurane Majeed Me Irshad Farmata He Ki,
Jo Khuda Ki Raah Me Maare Jae Unhe Murda Na Kaho Balki Vo Zinda He Haan Tumhe Khabar Nahi.
*📚(SURA E BAQAR, AAYAT-154)*

Or Jo Allah Ki Raah Me Maare Gaye Hargiz Unhe Murda Na Khayal Karna Balki Vo Apne Rab Ke Paas Zinda He Rozi Pate He.
*📚(SURA E AALE IMRAN, AAYAT-169)*

Is Aayat Se Awwal Tou Ye Hi Sabit Ho Gaya Ki Jo Shaheed Huwe Woh Isi Tarah ALLAH Ke Yaha Zinda Hai, Bas Is Duniya Wale Ko Iska Sha'ur Nahi. Aur Hadees Me Tou Hai Ki Kisi Ki Maut Par 3 Din Se Zyada Gham Na Kare, Agar Shaheedo Ki Maut Ko Maut Samaj Kar Gham Bhi Kiya Jaye Tou Woh Bhi Is Duar Me Mumkin Nahi, Kyunki Hadees Me Gham Ke Din Sirf 3 Bataye Gaye Hai, Jab Shohda E Karbala Ko Aaj 1300 Se Zyada Ho Gaye. Fakhr Is Baat Par Karna Chahiye Ki Jin Yazeedio Ne Us Daur Me Islam Ki Roshni Ko Bujana Chaha Use Us Jannat Ke Nau-jawano Ke Sardar Hazrate Hussain Radiyallahu Anhu Ne Apne Khoon Se Us Chirag Ko Jalaya Aur Islam Ki Roshni Bakhshi Jinki Badolat Aaj Hum Tak Aasani Se Islam Pahucha Hai.

Huzur Sallallahu Alaihi W Sallam Irshad Farmate He Ki Shaheed Ko Qatl Ki Bas Itni Hi Taklif Hoti He Jitni Chinti Ke Katne Se Hoti He Warna Maut Ki Taklif Ke Bare Me Riwayat He Ki Kisi Ko Agar 1000 Talwar Ke Zakhm Diye Jaaye To Iaki Taklif Maut Ki Taklif Se Kahi Zyada Halki Hogi Or Allah Ke Yaha Use 6 Inamat Diye Jate He.
*📚(SHARAHUSSUDOOR, SAFA-31)*

Huzur Sallallahu Alaihi W Sallam Ns 3 Din Se Zyada Shog Manane Se Mana Farmaya He.
*📚(BUKHARI SHAREEF, J-2, S-804)*
*📚(MISHKAAT SHAREEF, J-1, S-486)*

👉Aaiye Dekhte He Muharram Ki 10 Tarikh Ko Kya Kya Huaa.

1.  Hazrat Sayyadna Aadam Alaihissalam Ki Tauba Qubool Huyi.

2.  Hazrat Sayyadna Yunus Alaihissalam Ki Tauba Qubool Huyi Aur Aap Machhli Ke Peit Se Baahar Aaye.

3.  Hazrat Sayyadna Nooh Alaihissalam Ki Kashti Joodi Pahaad Par Thahri,us Din Shukrane Ke Taur Par Aapne Roza Rakha Aur Tamam Ko Roza Rakhwaya.

4.  Hazrat Sayyadna Ibraheem Alaihissalam Paida Hue.

5.   Hazrat Sayyadna Moosa Alaihissalam Paida Hue.

6.   Hazrat Sayyadna Eesa Alaihissalam Paida Hue.

7.   Hazrat Sayyadna Yusuf Alaihissalam Qaid Se Baahar Aaye.

8.   Hazrat Sayyadna Ibraheem Alaihissalam Par Aag Gulzar Huyi.

9.   Hazrat Sayyadna Ayyub Alaihissalam Ne Shifa Paayi.

10. Hazrat Sayyadna Yaqoob Alaihissalam Ki Aankhon Ki Raushni Wapas Aayi.

11. Hazrat Sayyadna Yusuf Alaihissalam Kunwe Se Baahar Nikle

12. Hazrat Sayyadna Suleman Alaihissalam Ko Baadshahat Mili.

13. Hazrat Sayyadna Moosa Alaihissalam Jaadugaro Par Gaalib Aaye

14. Hazrat Sayyadna Idrees Alaihissalam Jannat Me Pahunche.

15. Firaun Ka Lashkar Gark Hua.

16. Pahli Baar Baarish Huyi.

17. Aasman Kursi Kalam Pahaad Samandar Sab Isi Din Paida Hue

18. Isi Din Ashaabe Kahaf Karwatein Badalte Hain

19. Qayamat Isi Din Aayegi.

20. Aur Sayyadna Imaam Husain Raziyallahu Taala Anhu Ki Shahadat Huyi.

*📚Jaame Sageer,jild 5,safah 34/226*

*📚Ajaybul Makhtuqat,safah 44*

*📚 Guniyatut Talebeen,jild 2,safah 53*

*📚Nuzhatul Majalis,jild 1,safah 145*

 Isliye Yahi Mahina Islami Naye Saal Ka Pahla Mahina Qaraar Paaya,ab Sochiye Ki Jis Din Jis Mahine Kitne Hi Azeem Kaam Murattab Hue Agar Us Mahine Yaani Islami Naye Saal Ki Koi Mubarak Baad Pesh Kare To Kya Harj He ?

*✍️Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

============➖➖➖➖==========

MASJID ME WAQAF KI HUI CHEEZ AWAM YA WAQIF KHUD ISTEMAL KAR SAKTA HE

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya masjid me waqaf ki hui chiz ko awam apne zati kamo me istemal kar sakti he ?

Kya farmate he aulmae deen w muftiyane shara'a matin mas'ala zail me bhola shahid masjid jo new cloth market ke pichhe ke hisse me he ye masjid kalupoor baitul maal ke zere zere sarparasti me he vaha par ramzanul mubarak me har jumaa ke roz pani ki taklif rahti thi lihaza is masle par khuda ke ek bande ne baitul maal se ijazat le kar 1 paani ka bor khudvaya jiske sare akhrajat usne hi ada kiye maslan bor khudvai ka kharch sab marsabal pump pipe fitting lait connection wagairah kharche usne apni istita'at se khud kiye or inshaallah aage bhi akhrajat khud hi karege. Kya vo shakhs us bor ke pani ka khud istemal kar sakta he ?
Kya us bor ke pani ko awamun naas faida utba sakti he ?
Kya is borke pani ko masjid me bhi istemal kar sakte he ?
Kya waqaf masjid or awam dono ke liye istemal kiya ja sakta he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Soorate mas'ula me Agar Masjid ke naam waqaf kiya he to awam ya khud waqif apne ghar ke liye istemal nahi kar sakte. Kyu ki agarche paisa us shakhs ka he jisne Waqf kiya lekin ba'ade waqaf vo milkiyat uski na rahi vo allah ki milkiyat hui he.

Albatta waqif ka waqaf karte waqt irada masjid or awam ko faida pahunchana tha to awam or masjid dono istemal kar sakte he.

_Huzur Faqihe Millat Fatawa Razviya ke Hawale se taherir farmate he,_

Jo cheez jis garz ke liye waqaf ki gai dusri garz ki taraf use ferna jaiz nahi, agarche vo garz bhi waqaf hi ke faida ki ho ki شرط واقف نص شارع صلی اللہ علیہ وسلم واجب الاتباع ہے۔ *📚در مختار* "کتاب الوقف فروع فصل شرط الواقف کنص الشارع فی وجوب العمل بہ"
*📚(FATAWA RAZVIYA SHAREEF, JILD-6, SAFA-455)*
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, J-1, S-191)*

Waqaf usi kaam me laya ja sakta he jis garz ke liye waqaf kiya gaya. Dusre kaam me lana mana'a he khusoosan masjid ke is ka muaamla aamma awqat se bhi tang tar he.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-3, S-732)*

Huzur Mufti Aazame Hind Alaihir Rahma Taherir Farmate he,
masjid ka pani is soorat me le sakte he ki nal lagane wale ki niyyat sab ko lene ki ijazat ho or agar nal lagane wale ki khas masjid hi ke liye niyyat ho ko wuzu or gusl wagairah namaz ke liye taharat hi ke kaam me liya jae to us nal ke paani ki qimat masjid ke maal se ada ki jati ho to Awam gharo ko le jana jaiz nahi.
*📚(FATAWA MUSTAFIYA, S-269)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬Pathan Moin Raza Khan Azhari,Petlad*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖===========

KUTTA KAPDO KO CHHU LE TO KYA KAPDA NAPAK HOGA

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
👇Hazrat Mera ek Sawal Hai

Agar Kutta Hamare Kapde Ko Sungh Ley Ya Us Par Chal Phir Ley Ya Kapda Chatley To Kya Wo Kapda Napak Hojayega,??

👆Hazrat Rehnumai Farmayiye

*🌹JAWAB:-🌹*
W alaikum Assalam w rahematullah,
Kutta agar khushk he yani uske badan par koi najasat nahi lagi tab agar vo kapde ko chhu le to kapda napak nahi hoga. Or agar kutte ke badan par najasat lagi hui he or vo kapde ko chhu le to kapde ka vo hissa napak ho jaega uska dhona zaroori he.

Albatta kutte ka luaab napak he. Agar kutte ka luaab kahi lag jae to vo jagah napak ho jaegi.uska dhona zaroori he.

_Isi tarah ka jawab Huzur Tajushshariyah Alaihir Rahma_ Ki Aawaz me sama'at kare.👇
http://jamiaturraza.com/session/16Dec12/7.mp3

Wallahu aalam bis-sawab
*_📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖=========

BAGAIR TOPI KE NAMAZ PADHNA KESA

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat mera sawal hai ki bagair topi se namaz padhna kaisa ?
Wahabi is bat ki daleel me kehte hain ki huzur sallallahu alaihi wasallam ne bhi sar dhake bina namaz ada ki thi
 hazrat rehnumai farmyen

*🌹JAWAB:-🌹*
_Topi Pahen Kar Namaz padhna Huzur Sallallahu Alaihi W sallam Ki Sunnat he._

Susti se nange sar namaz padhna yaani topi pahenna bojh ma'aloom hota ho ya garmi ma'aloom hoti ho, makroohe tanzihi he or agar tahqeere namaz maqsood he, maslan namaz koi aysi muhtam bisshaan cheez nahi jis ke liye topi, amama pahna jaae to ye kufr he or khushu'a w khuzu'a ke liye sar barhana padhi to mustahab he.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-3, S-171)*
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-3, S-416)*

Nabi Pak Sallallahu Alyhi wasallam Ne Farmaya Hamare Aur Yahoodi k Amame Me Farq Topi Hai Musalman Topi pr Amama Bandhta hai Aur gayr Muslim Bger Topi ke.
*📚(Mishkat Baab Al Qalanswa )*

Imam Bukhari Ne Sahih Bukhari Me Topi K Naam Ka Baab Likha hai,

Sahabi e Rasool Hazrat Anas bin Malik Peele Rang Ki Topi Pahante
*📚(Bukhari Kitab Libas Baab Topiyo Ka byan Hadees Number 5802 )*
Is Baab me Hi Aysi Hadees NaqaL Ki Jisme Nabi Pak ne FarmaYa

Halat e Ehram Me Topi Na Pahno.
*📚( Bukhari Hadis Number 5803)*
Iska Mtlab Bger Ehraam Me Sahaba Topi Lagya krte the.or  topi lagana sahaba ki sunnat he.

Topi Islam Ki Nishani Hai Dadhi Aur Topi Hamesha Se Muslim ki Pahchan rhi hai Mgr Yahood k Agent(wahabi deobandi ahle hagees) Muslims ko Bager Topi Wala Yahood Banane me lage hain.

*▶khule sar namaz ki chand surte  he*

1 majburi ki halaat me bila kaharat jaez he

2 susti ki wajah se kisi  waqt khule sar namaz padi jaay to makrooh e tanzihi he jiski wajah se sawab kam ho jayga

3 khule sar namaz ko sunnat bagair aadat bana li jaay to makrooh e tahrimi he

4 khule sar namaz ko sunnat samajh kar ada karna bi;ddat  he

5 khule sar namaz ko afzal wa sunnat samajh na or namaz me sar dhakne ko bura janna kufr he

*📚(fatawa Alamgiri jild 1 page 106 . durre mukhtar jild 1 page 474, )*

*_👉Ab dekhiye khud wahabi gair muqalid ulma ki kitab se_*

(1) jamaat ahle hadees ( gair muqalied) ke bani miya nazeer hussain farmate he

: juma ki namaz ho ya koi or namaz rasoolAllah (sallallahu alaihi wasallam) or sahaba  Radi Allahu Taala Anhu Aamama bhand kar namaz padte the is shahanshah ahkamul hakimin ne apne darbaar me hazir hone ke bare me yeh hukum kiya hai ki tum log har namaj ke waqt apne kapde le liya karo yani apne kapde pehan kar namaj padha karo or kapde me aamama bhi shamil hai q ki aamama ek masnun kapda hai
*📚(Hawala : Fatawa najiriya jild 3 . page no. 272.)*

👉(2) Mashur Gair muqllid  aalim molana daud gaznavi aur molana abdul jabbar gajnavi likhte hai :

islam ke shuru zamane ko chhod kar jab ki kapdo ki kami thi uske baad is aajij ki nazar se koi aisi riwayat nahi guzri jisme saaf taur me ho ki nabi sallallahu alaihi wasallam ne ya sahaba kiram  Radi Allahu Taala Anhu ne masjid me or wah bhi namaj baajamat mein khule sar namaj padhi or maamul bana lena door ki baat hai isliye is buri rasam ko jo fail rahi band karna chahiye agar fashion ki wajah se khule sar namaj padhi ho to namaj maqruh hogi. agar aajiji ke khayal se padhi jaye to ye isaaiyo ke saath musabihat hogi or agar susti ki wajah se hai to munafiqo ki ek aadat se musabihat hogi garz har lihaaz se ye napasand amal hai
*📚(Fatawa : ulama e hadees jild 4 page 290 se 291 tak)*

👉(3) molvi sanaullah amratsari  likhta he

sahi tariqa namaz ka wahi he jo nabi sallallahu alaihi wasallam se sabit hua he yani badan par kapda  or sar dhaka hua pagdi se ho ya topi se
*📚( fatawa sanaiya jild 1 page 524)*

👉(4) wahabiyo ke shaikul hadees molvi mohammed ismail salfi likhte he

garz kisi hadees se bhi bagir mazburi ke khule sar namaz ki aadat banana sabit nahi sirf be’amli ya bad’amli ya susti ki wajah se yeh riwaaz badh raha he balki jahil to ise sunnat samajhne lage he (Allah ki panah) or liikhte he kapda mojud ho to khule sar namaz ada karna ya jid se hoga ya kam aqali se
*📚(fatawa ulmaa’e ahle hadees jild 4 page 286se 289 tak)*

👉(5 )molvi abu saied sharfudin likhte he

ba hukum (har namaz me apna libaas pahno) or rasoolAllah sallallahu alaihi wasallam ke sar me Amama rakhne se Amama sunnat he or humesha khule sar ko namaz ki aadat banana bhi bi’ddat he or khilafe sunnat he *📚(fatawa sanaiya jild 1 page 292)*

👉(6) gurba ahle hadees ke imaam molvi abdul sattar likhte he

topi ya Amama ke saath namaz padhni behtar wa afzal he kyuki topi or Amama khubsurti ki alamat he
*📚(fatawa satariya  jild 3 page 59)*

👉(7) molvi abdul mazid sohadravi likhte he

khule sar namaz ho jati he mager faishon or laparwahi or taassub ke bina par mustakil yeh aadat bana lena jase aaj kal kafi ho raha he humare nazdik sahi nahi  nabi sallallahu alaihi wasallam ne khud ye amal nahi kiya
*📚(fatawa ulmaey hadees jild 4 page 281)*

👉(8) molvi muhibulllah shah rashidi likhte he

yeh kahna ki sar dhakne par pasandida hone ka hukum nahi lagaya ja sakta isse rakimul huruf ko ikhtilaf he  hadiso ki jayadti se maloom hua ki aqsar nabi sallallahu alaihi wasallam or sahaba Radi Allahu Taala Anhu sar par Amama bhandte rahte ya sar par topiya hoti thi or is lekahk ke ilm ki had tak siway haz wa umrah ke koi aasi sahi hadees nahi daikhne me mili jisse yeh ho ki huzur sallallahu alaihi wasallam khule sar ghumte firte the ya kabhi sar e mubarak par Amama vagerah tha lakin masjid me aakar Amama vagera utarr kar rakh liya or khule sar namaz padhni shuru ki hum ne bade bade ulma wa fuzla ko daikha he wah aqsar sar dhak kar chalte firte or namaz padhte he yeh aaj kal nai nasal khususan ahle hadees jamaaat ke afraad ne maamul bana rakha he use chalte hua ye faishon ka ibtidaah to kaha ja sakta he masnoon nahi
*📚(al -eatisaam lahor bhag 45 ankh 27 30 julay 1933)*

👉(9) molvi ishaaq bhatti sahab likhte he

bade bade ulma e hadees khule sar namaz padne ko bura karaar date the lakin nai daor ke ahle hadees ulma khule sar namaz padne ke haq me dalile faraham karte  he ( mahanama arshid lahor )

in fatwo se pata chala ye log faishon ki ittebaa karte he or Zid me or sirf fitna karne ke liya  topi nahi pahante he

Note: kisi Hadees Me Nabi Ya Sahaba Se Bger Zroorat Nannge Sar Namaz Sabit Nahii
*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖==========

PAKKI QABAR BANANA KESA ? WAHABI AITRAZ KE JAWAB

*🌹SAWAL:-🌹*
Pakki qabar banan kesa ? Wahabi Aitraz karte he ki ye shirk he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Pakki qabre banana bila Shuba jaiz he, or ye rasoollallah sallallahu Alaihi w sallam w sahaba e kiram w Muhaddisin ke zamane se he.
Lekin aaj kal ke Wahabio ko isme shirk nazar aata he.
Iski daleel mulaheza kare👇

Isme hum apko Sahih Hadeeso ke Saheeh tarjume ke sath aur Muhaddesin aur Aimma ke aqwal ke sath Dalile pesh karenge. Pehle kuch Basic info bhi deta hain:

Islam aalam ka ek bada tabqa aaj Qabro ki ziyarat ko mustahab, Buzurgo ki Qabro ko awam se mumtaz rakhne ko afzal aur Sahaba wa Auliya ki Qabro se tabarruk hasil karne ko jaez aur mustahen gar janta hai.
Unki taraf Shiddar-e-Haal, yani safar karna bhi jaez hai, Unji ziyarat bhi baais-e-ajr, neez unko deegar qabro se mumtaz karne ke liye unpar Qubba banana bhi jaez samajhta hai.
Aur ye fatwa aaj ka nahi balki Salaf-e-Salehin se manqul hai.
Aur jo log mulk-e-Shaam, Iraq, Filisteen aur Misr ka safar karte hain wo apne sar ki ankho se un fatwo par amal mehsus shakl me mulahiza farmate hain.
Goya salaf se lekar Khalaf tak is baat par Ijma amali hai.

Khud hejaz Muqaddas me Ibne Saud ki hukumat se qabl Ummul Momineen Syyedah Khadijatul Kubrah r.a ke mazar par qubba tha.
Jisko zalim Saudi Saudi hukumat ne Shahid kiya,
Syedush Shuhada H.Ameer Hamzah r.a ke mazar par Qubba bana hua tha, Jisko baad me shaheed kiya gaya,

Ek nahi, Hazaro misale maujud hain ki buzurgan-e-deen ki qabr par Ahle Salaf qubba banana jaez jante the, magar Najdi aur uske mutbein ko ye kaam shirk lagta hai.
Aur unhone Sawad-e-Azam aur Ulama-e-Jamhoor ki parwah kiye bagair un sare qubbo ko dhaha diya,
unchi qabro ko buldozer se raund dala,
kisi Shaherah ke beech me aane wali tarikh masajid ko mismar kar diya.
Qissa yahin tak tamam ho jata tab bhi hum apne gile shikwe band kar lete,
magar afsos Ibne Saud ki resha dawaniya aur America ke ishare par nachne wali katputli sarkar aaj bhi apni na-zeba Harkato se baaz nahi aa rahi.

Puri Duniya bulan dhone wali sada-e-Ehtijaj aur Islamiya aalam me gham wa ghussa ki leher is baat ka wajeh subut hai ki aaj bhi Duniya me Rasool-e-Maqbul sallallaho alaihe wasallam ke wafadar zinda hain,
aur jo Saudi hukumat ki aisi ghrib mahzab aur ghatiya harkat par hargiz khamosh nahi baithenge.

*DALAIL:*

Sahaba-e-kiram aur Tabaeen ke zamane se Khawas ki qabro par zarurat ke pesh-e-Nazar Qubba banane par Aimma-e-Ummat ka ijma amali hai.
Aur isi se gumbad banane ka jawaz sabit hai.
Albatta Hadees paak me Bila Zarurat ta’mir ki mumaniat aayi hai.

Hazrat Mulla Ali Qari ne bhi isi dalil ko naqal kiya hai, ki mumaniat wali Hadees bila zarurat Ta’mir par mehmool hai.Jaisa likhte hain:

*👉SHARAH-E-HADEES:* Jab Qabr par Khema kisi faide ke pesh-e-nazar lagaya jaye,
maslan: iske zer saaya Qaari baithkar Quran ki tilawat kare, to uski Mumaniat nahi
Isi tarah Salaf-e-Salehin ne mashaikh aur mashahir Ulama ke liye maqabir ta’mir karne ko jaez kaha hai.
Taki log inki ziyarat karen aur unhe koi taklif na ho.
*📚(Mirqat Sharah Mishkaat, J-4, S-69, Maktaba Imdadiya, Multan, 1392 Hijri)*

👉Sawal: Aaj puri duniya me kahan aur kis faasiq wa fajir ki qabr par Qubba ta’mir hota hai.? Qubba jab bhi ta’mir hota hai to kisi buzurg kisi wali Kisi Aalim-e-Deen, kisi paband-e-Shara aur kisi Khadim-e-Deen ki Qabr par hi qubba hota hai.

*👉HADEES:* Hazrat Jabir radiallahu anhu se riwayat hai ki Rasoolullah sallallahu alaihi w sallam ne qabro ko pukhta aur kubta lagane aur unko raundne se mana farmaya.
*📚(Tirmizi)*

👉Magar afsos ye andhe Najdi is Hadees ke hi akhri tukde par amal nahi karte, aur Mukhalefin zad wa enaad me qabro ko buldoser se munhadam karte hain.
.
Qabro par qubba na banane ke silsile me jo Ahadees warid hain,  Unka Shaafi jawab aur Sahih Taaweel aur Tatbeeq jo zer nazar kitab me pesh ki gayi hai,
Wo Qabil-e-Mutaala hain.

*👉WAHABI QABRO PAR QUBBA NA BANANE KI JO HADEESE PESH KARTE HAIN PEHLE HUM APKE SANE WO HADEESE PESH KARTE HAIN, FIR INKE BAAD INKE MAANE PAR BEHES KARENGE,TAKI HAQ WAZEH HO JAYE.👈*

*_📛Wahabi Aitraz Hadees 1:_* Allah Taala ne Yahoodo Nasara par laanat farmayi, Jinhone Ambiya ki Qabro ko masjid banaya.
*📚(Bukhari, Kitabul Janaiz, Baab- Ma Yakrohu,*
*📚Muslim, Kitabul Masajid, Baabun Noha,*
*📚Sunan Nasai, 1/336,*
*📚Fath-ul-Bari, Sahih Bukhari, 2/272)*
.
*📛Wahabi Aitraz HADEES#2:* Rasoolullah alaihe salam ne kabro ki ziyarat karne wali aurto aur unpar Masjid banane wale aur charag rakhne walo par laanat famayi.
*📚(Abu Dawood, 2/560,*
*📚Tirmizi, 1/283,*
*📚Nasai, 1/335,)*

*📛Wahabi Aitraz HADEES#3:* Abu Hayaj Aasadi se riwayat hai ki mujhse Ali Murtaza ne farmaya ”kya mai tujhe is kaam par na bheju jispar Mujhe Rasoolullah alaihesalam ne bheja tha. Wo ye ki tu kisi taswir ko be-mitaye na chhode aur na kisi Qabr buland ko be barabar kiye.
*📚(Muslim, 1/380,*
*Abu Dawood, 2/557,*
*Tirmizi, 1/282,*
*Nasai, 1/333)*

*📛Wahabi Aitraz HADEES#4:* Jundub se marwi hai kaha, Maine Nabi alaihesalam s se suna, Farmate the ki Khabardar!
Jo log tumse pehle the wo apne Ambiya aur Salehin ki qabro ko masjid bana liya karte the. Khabardar! Tum Qabro ko majid na banana, mai tumko mana farmata hu.
*📚(Muslim, 1/213-214)*

*📛wahabi Aitraz HADEES#5:* Hazrat Ayesha radiallahu anha se marwi hai ki Umme Habibab aur Umme Salma radiallahu anhum ne ek kuneesa ka zikr kiya, jo unhone Habshah me dekha tha. Isme taswiren hain to Huzur se ye zikr kiya, Huzur ne farmaya, Un logo ki ye halat thi ki jab unme koi Mard Saleh inteqal farmata, Iski qabr par masjid bana lete, aur usme Taswiren banate,
wo Allah ke nazdik roz-e-Qayamat bad-tarin khalq honge.
*📚(Fath-ul-Bari, 4/341, 2/272,
Muslim, 1/213)*

*📛Wahabi Aitraz HADEES#6:* Ibne Yasara se riwayat hai ki Nabi alaihesalam ne farmaya:
Ilahi meri Qabr ko butt(murti) na banana ki Pooji jaye, Allah ka ghazab us qaum par bahot sakht hai jisne apne Ambiya ki Qabro ki masjid bana liya.
*📚(Muatta Imam Malik, Kitab Qasrus Salaat, S-57,*
*Mishkatul Masabih, 3/72)*

*📛Wahabi Aitraz HADEES#7:* Huzur alaihesalam ne mana farmaya ki Qabro par gajj kiya jaye aur unpar kitabat ki jaye, aur woh paa maal ki jayen.
*📚(Tirmizi, 1/282,*
*Nasai, 1/332,*
*Mishkatul Masabih, Fasl Saani, S-148-149)*

*📌Masturah baala Ahadees aur unke hum na’ane khwah aur bhi kitni bhi ho, Bas yehi sarmaya hai jis par Muftiyan-e-Kiram, Jami-il-Ulama, Jaamia Milay waghairah ko etmad hai, aur jiske bharose par wo Akabir Islam ke mazart manhedam karne ka fatwa dete hain, Baaqi tamam ibaarat jo unhone naqal ki hain, unme bhi unhi Hadeeso se tamassik kiya gaya hai. Lehaza ab hume ye tehqiq karni hai ki aaya Ahadees mazkurah baala se ye natija Ukhaz karna Sahih hai ya nahi??,*

👉Hadees 1, 2, 4, 5, 6 me Yahud-o-Nasara par Ambiya aur Saleha ki qabro ko Masjid banane ki waja se laanat farmayi gayi hai.

👉Hadees 3 me Buland Qabro ko barabar karne ka zikr hai,

👉Hadees 7 me Qabro ko pukhta karne se roka hai.

📌Sawal: In Ahadees ko buzurgan-e-Deen aur Saleha wa Ambiya ke Qub’haye mazar se kya talluq?
Itna to Urdu janne wala bhi mehez Tarjume se samajh sakta hai.
Yahudo Nasara par Ambiya Saleha ki Qabro ko masjid bana lene se jo lanat famayi gayi,
Uski waja kya hai?
.
Hadees ki Sharah ki taraf hath badhane se pehle 5th aur 6th Hadees ki taraf nazar daalne se ye baat saaf ho jati hai.

✅5th Hadees me Huzur alaihesalam ne ye farmaya hai ki
‘In logo ka ye dastur tha ki jab inme koi mard Saleh inteqal farmata to wo iski Qabr par masjid tamir karte, aur usme inki taswir banate, wo Allah Taala ke nazdik Qayamat ke din sabse badtarin Khalq honge’
.
Is Hadees se ye malum hua ki unka Qubur-e-Ambiya par masjid banana, un Qubur ya taswir ki Ibadat ke liye tha.
Aur ye beshak Mustahiq-e-Lanat hai.

✅6th Hadees me isse bhi zyada sarahat hai ki irshad farmaya,
‘Ya Rab! Meri Qabr ko butt na banana ki pooji jaye, Allah ka sakht azab us qaum par hai jisne Ambiya ki Qabr ko masajid banaya’

Is Hadees ne bata diya ki Qabro ko masjid banane ke ye ma’ane hain ki Unki Ibadat ki jaye, ya kam az kam unhe Qibla banakr unki taraf Namaz padhi jaye,
jaisa ki Abu Mursad Ghanwi ki Hadees me hai ki Huzur ne farmaya,
‘Qabro par na baitho, na unki taraf Namaze ada karo’
*📚(Sahih Muslim, 1/380,*
*📚Tirmizi, 1/282,*
*📚Abu Dawood, 2/559)*

Isse khas Qabr ke upar Namaz mamnoo hui ki isme Juloos-e-Alal-Quboor­ hoga.
Aur Qabr Haq Maqboor hai aur isi waja se Huzur ne Yahud-o-Nasara par lanat farmayi aur isse apni Ummat ko baaz rehne par mutanba farmaya, ye har musalman ka eiman hai,
aur Har Momin Qabr ki ibadat ko shirk janta hai.

MaazALLAH, kon momin hoga jo Qabr ko ma’bood banaye?

Khulasa ye hai ki in Hadeeso se Qubbe ki hurmat to kya sabit hoti?
Jiska zikr tak inme nahi hai, aur Masjid ki hurmat bhi sabit nahi hoti jo Qabr ke qarib Allah ki ibadat ke liye banai gayi ho.
Aimma aur Muhaddesin ne bhi in Hadeeso ka yegi matlab likha hai.

✅Sheikh-ul-Asra wahdul Huffaz Qaziul Quzza Allama Abul Fazl Shahabuddin Ibne Hajar Asqalani Shafai radiallahu anhu Fath-ul-Baari Sharah Bukhari me likhte hain:
Baizavi ne kaha, jabki Yahud-o-Nasara Ambiya alaihesalam ki qabro ko ba-niyat-e-tazim Sajdah karte the. Aur unki Qabr ko Qibla banakar, Namaz me unki taraf muh karte the.
Aur unhe butt banakar poojte the. To Allah aur Rasool ne unpar lanat farmayi, aur Musalmano ko aisa karne se mana farmaya. Lekin jis Shaks ne kisi Saleh ki mazar ke qarib ba-qasd tabarruk Masjid banayi aur, ba-niyat-e-Tazim namaz me iski taraf muh na kiya to wo is waeed me dakhil nahi hai’
*📚(Fath-ul-Baari Sharah Bukhari, Kitabus Salaat, Baab-Hal Tanbish Quboor, J-2,S-275)*

✅SHARAH HADEES#2: Wajah ta’leel ye hai ki ye waeed un logo ko shamil hai jinhone Ambiya wa Salehin ki Qabro ko ta’zeeman Masjid banaya, jaisa ki Ahle Jaahiliyat ka amal tha.
Jisme badhte badhte wo unki Ibadat hi karne lage.
Aur ye Waeed unko bh Shamil hai jo Salehin ki Qabrein ukhadkar unki jagah Masjiden banai.
Ye Mumaniat Ambiya aur unke Tabaeen ke sath khas hai.
Kuffar ki Qabren khodne me harj nahi, kyunki unki Ehanat me harj nahi.
*📚(Fath-ul-Baari, Sharah Bukhari, Kitabus Salaat, 2/273-274)*

Neez isme hai,
*✅SHARAH HADEES#3:* Qabro me Namaz ki karahat jab hai ki jab Namaz Qabr ke upar padhi jaye, ya Qabr ki taraf, ya 2 Qabro ke darmiyan waaqe ho.
Aur is masle me Abu Mursad Ghanvi ki Hadees Imam Muslim ne riwayat ki hai ke Rasoolullah alaihe salam ne farmaya:
Qabro par na baitho, unki taraf ya unke upar Namaz na padho.
*📚(Fath-ul-Baari, Sharah Bukhari, 2/273-274)*

Imam Ibne Hajar Asqalani farmate hain, ye Hadees Bukhari ki shart par nahi.
Isliye tarjuma me uski taraf isharah kiya, aur iske sath H.Umar r.a ka asar warid kiya, jo dalalat karta hai ki ye manadi Namaz ke fasad ki muqtazi nahi.

Aisa hi Imam Badruddin Abu Muhammad Mehmood Bin Ahmed Ainy ne Umdatul Qari Sharah Nukhari me famaya.
Aur aisa hi H.Mulla Ali Qari ne Mirqatul Mafatih Sharah Mishkatul Masabih me tehreer farmaya.
Sheikh Abdul Haq Muhaddis Deelvi r.a ne Ash’atul Lamaat Sharah Mishkaat me farmate hain:

*✅SHARAH HADEES#3:* Huzur sallallaho alaihe wasallam ne un logo par lanat farmayi jo Qabro ke upar masjid banate hain. Isse wo log murad hain jo Qabr ki taraf ba-tazim Sajda karen.
*📚(Ash’atul Lamaat, S-266)*

4: Qabro ko masjid banane se Qabro ki taraf sajda karna murad hai.
Iski 2 suraten hain,
1 ye ki khas Qabro ko sajda kiya jaye aur unki ibadat maqsud ho, jaise but parast karte hain.
2 ye ki maqsud to Ibadat-e-Ilahi ho lekin etiqad ye ho ki namaz Ibadat me us Quboor ki taraf muh karna Qurb Ilahi ka maujib hai.
Aur Allah ke nazdeek iska bada martaba hai.
Kyunki ye Allah ki ibadat aur Ambiya ki ghayat ta’zim par mushtamil hain
ye dono tariqe na-pasandida aur na-jaez hain,
pehla Shirk-e-Jali aur Kufr Khalis hai,
aur Dusra Shirk-e-Khafi par mushtamil hai. Aur unme se har taqdeer par la’an mutawajja hai.

Aur Ambiya wa Salehin ki Qabro ki tarafa’zim wa tabarruk ke irade se Namaz padhna haram hai,
aur Ulama me se kisi ko isme khilaf nahi,
lekin agar unki Qabr ke nazdik agar Namaz ke liye koi Masjid banai jaye, bagair is niyat ke ki Namaz me un Qabro ki taraf muh kiya jaye, isliye ki wo jaga jo unke Jisd mutahair ka madfan hain.
Uski Barkat se aur unki Ruhaniyat wa Nooraniyat ki Imdad se hamari Ibadat kamil aur Maqbool ho.
To Isme Koi Harj aur koi muzaiqa nahi.
*📚(Madarijun Nabuwwa, 2/4474)*

In Riwayaat se malum hua ki Muftiyan-e-Jidat taraz ne jo matlab Ahadees se nikalna chaha, wo Sahi nahi, aur Unhe us Hadees se istedlal nahi pahuchta.

✅Hadees 3rd me, Jisme Hazrat Ali radiallahu anhu ki us riwayat ka bayan kiya gaya hai ki Huzur alaihesalam ne mujhe hukm diya ki mai jo Tawir paaun, unhe mahu kar du aur jo Qabr bulan paaun, usko barabar kar du.

✅Is Hadees se dalil dene se pehle Wahabi Mufti par lazim hai ki wo pehle sabit karte ki wo Qabr musalman ki thi jinhe todne ka hukm diya tha?

Dusra ye ki Barabar karne se kya murad hai?
Aaya bilkul zamin se hamwaar kar dena ki nishan bhi na rahe, to ye Sunnat-e-Mutawatirsa­ ke khilaf hai.

Teesra ye ki taswiro ka zikr Qabr ke sath kya talluq se hai?
Jab in maslo ko wazeh karte, tab un Wahabiyo ko is Hadees ki Dalil dene ki gunjaish thi.

Ab mai kuch Bil-Ikhtisar arz karu?
Ye baat to har Momin ke liye yaqini hai ki Rasoolullah ke zamane me jo bhi Qabrein bani, wo Huzur alaihesalam ke Ilm aur Ijazat se, ki Huzur ki Aada sharif thi ki Dafn me shirkat karte the. Aur apne Niyaz mando ko apni shirkat se mehroom nahi farmate the.
To jis qadar Quboor Zamana-e-Aqdas me bani, Sahaba ne banai, Huzur ki maujudgi me banai, aur agar Maujudsi na bhi hoti to Sahaba koi bagair puche kab karte the?
Wo kaunse Musalmano ki Qabrein thi jo na-jaez taur par unchi ban gayin thi aur fir unko mitane ka hukm diya??
Ye baat bilkul Aql se bahar hai,

Albatta kuffar ki abrein bahot bahot unchi banayi jati thi.
Jaisa ki ab bh Nasara ki qabren dekhi jati hain.
Huzur ne unhi ho Dhahane ka hukm diya, Kama Fis Sihah, aur Kuffar ki Qabr dhahana jaez bhi hai.
Musalmano ki qabr dhahana tauheen hai.

Bukhari Sharif me hai:
.
*HADEES#5:* Huzur ne Mushrekin ki Qabro ke liye hukm farmaya, wo ukhad di gayin,
*📚(Fath-ul-Baari Sharah Bukhari, Kitabus Salaat, 2/273)*

Ye kahan se kaha jata hai ki Hazrat Ali ko musalmano ki Qabr ukhadne ka hukm diya gaya tha?
Ya fir Mushrekin ka hukm Musalmano par chaspan karte hain ye Wahabi.

Allama Ibne Hajar Asqalani farmate hain:

*HADEES#6:* Baab, iska ke kya jahiliyat ke mushrekin ki Qabre ukhad di jayen,
yani Ambiya aur Tabaeen ki Qabro ke alawash, kyunki isme unki ehanat hai, bas mushrekin ki, ki unki koi izzat nahi.
*📚(Fath-ul-Baari Sharah Bukhari, Kitabus Salaat, Baab-Hal Tambish, Quboor Mushriki Jahiliyya, 2/273)*

Dusri jaga farmate hain:

*✅SHARAH HADEES#7:* Aur Hadees me Baiy aur hiba ke zariye mamluka maqbarah me tasarruf karna jaez hai, aur boseedah Qabro ko ukhadna jaez hai jabki ba-izzat na ho.
*📚(Marje Sabiq, 2/272)*

Kya mushrekin Jahiliyat ki quboor ukhad di jayen, ye jaez hai?
Unwan Baab ye tha Allama farmate hain yani siva Ambiya aur unke Tabaeen ke kyuki unki Qabrein dhahane me unki ehanat hai. Ba-khalif mushrekin ke unki koi hurmat nahi.
Yani Hadees me dalil hai ispar ki jo maqbarah hiba wa baiy se milk me aa gaya ho, usme tasarruf kiya jaye. Aur purani bosidah qabrein ukhad di jayen, basharte ki Mohtarma na ho.

In Ibarat se malum hua ki musalman ki Qabr mohtaram hain,
Unko dhahana, Unme tasarruf karna, na-jaez aur unki ehanat hai.
Qabrein ukhadne ka hukm mushrekin ki Qabro ke liye hai.

Multaqiul Abhar aur iski Sharah Majmaul Anhar me hai:
*👉8: Eint aur lakdi se qabr banana makrooh hai, aur aise hi patthar aur gach se, lekin jab zameen narm ho jaye, to jaez hai. Aur aise hi Qabr ko unchi karna mustahab hai. Gair chipti, ek balisht unchi aur usme zyadti jaez hai, gach eint aur lakdi se ta’mir karna Allah ke Rasool sallallaho alaihe wasallam ke irshad ke mutabiq ki hawaao ka chalna aur barish ka qatrah momin ki qabr par iske gunaho ka kaffara hai, lekin Mukhtar mazhab ye hai ki pukhta karna durust hai. Aur Isam bin Yusuf, Madina ke ird gird pukhta karte the aur veeran qabro ko tamir karte the,

Badaay Imam Mulkul Ulama Abu Bakr Masood ka saani me hai:

Abdullah Ibn Masood radiallahu anhu ka jabTaaef me inteqal huato Muhammad Ibne Hanfiya ne Namaz-e-Janazah padhai aur apki Qabr ko uncha rakha aur ispar khema lagaya”

Ta Taarkhaniya fir *📚Aalamgeeriya me hai:*
Iza Kharibatil Quburo fala ba’sa bitatyeeneha
Tarjuma: Jab Qabren bosida ho jayen to unko pukhta karne me harj nahi.

*📚Jawahirul Ikhlati me hai:*
Wahual Asihho wa alaihe fatwa,
Tarjuma: yehi Sahih hai aur isi par fatwa hai.

*📚Kifaya me hai:*
Aur agar Qabr par mitti daal di gayi ho to patthar aur eint rakhne me harj nahi, aise hi agar kuch likhne ki hajat ho to harj nahi, Jaisa ki Jaame Sagheer me hai ki kuch Qabr par kuch likhne aur is par alamat ke taur par patthar rakhne me harj nahi.

Khas Qubbo ke mutalliq to Imam Ibne Hajar Makki ne Nass farma di hai ki Ghari masla me Ulama aur Auliya wa Saleha ki mazarat-e-Tayyaba par Qubba banana Qurbat hai.

*📚Imam Ibne Hajar Asqalani ne Fath-ul-Baari Sharah Bukhari me farmate hain:*
Qabr par khema jab kisi nek maqsad se ho to sahi hai. Jaise ki zindo ke liye dhoop se saya karne ke liye, na ki mayyat ke liye.

Isi me hai:
Jab Qabr par khema kisi nek maqsad se ho to durust hai, lekin fakhr ke liye na ho.

Dono Imamo, Hazrat ibne Hajar Asqalani aur Ibne Hajar Makki ne to un muh zoro ke muh me patthar de diya.
Ye Mutbaeen Sheikh Najdi jis Illat se Qubbo aur Mazaro ke Qile Qame ke darpe hain, Ulama-e-Kiram usi Illat se unke jawaz, balki istehbab ka fatwa dete hain.
*📚Mehbuban-e-Ilahi wa Maqbulan-e-Bargah-e-­Risalat panahi* se jalne wale isiliye to mana karte hain ki isme unki tazim hai. Aur Ulama unhe isiliye jaez balki qurbat kehte hain.
Mulahiza ho,

*📚Tafsir-e-Roohul Bayan me hai:*
Ulama, Auliya aur Salehin ki Qabro par Qubba banana jaez hai, jab isse awam ki nigah me izat dilana maqsud ho, taki log is qabr wale ko haqir na jaane.

*📚Badaay Imam Malikul Ulama me hai:*
Ye Namaz Janaza, Mayyat ki tazim ke liye padhi jati hai. Isiliye jiski ehanat wajib hai. Maslan: Baaghi, Kafir, aur Daaku ki namaz Janaza jaez nahi.,

Ye dushman-e-Deen-o-Eim­an jo aaj is ta’zim Mehbuban-e-Khuda ki waja se inki mazarat tayyaba khode dalte hain
aur unka Hadam wajib thehrate hain. Khairiat hui ki unhe ab tak ye malum hua ki Namaz-e-Janaza me bhi Tazimiyat hai. Aur wo isiliye mashroo hui hai, isi waste Kafir wa Baaghi wa Qitaa-ul-Tariq, jinki ehanat lazim hai, unke Janaze ki namaz nahi hoti, agar us taraf unhone tawajjo ki to ye farz-e-Kifaya, Namaz-e-Janaza ko bhi shirk, Haram keh denge.

*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*


  • *🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S GRP*

AASHURA YANI MUHARRAM KE 9 10 ROZO KI FAZILAT OR EK MSG KI ISLAH

*🌹SAWAL:-🌹*
Aashura ke yaani Muharram ke 9 or 10 tarikh ko roza rakhne ke fazilat kya he ?

Or ek msg social media par chal raha he jisme kaha jata he ki yah msg Kisi ko bhejne se 80 saal ki ibadat ka sawab milta he ? Kya ye sahih he ?

*🌹JAWAB:-🌹*
_Muharram ke 9 or 10 va roza rakhne ki bahut si fazilate he agar koi kisi wajah se 9 ko na rakh saka to 10 or 11 ka roza rakhe.._

Or jesa ki social media pe raaij he ki kisi bhi msg ke nichhe likha jata he ki ye msg kisi ko send karne se 80 saal ko ibaadat ka sawab ya is tarah ki jahilana baat kahi jati he. Jiski koi asl nahi he aese msg hargiz send na kare.

Aashura ke yani muharram ke va or 10 va roza rakhne ki fazilat👇

“Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Rasool Allah Sallallahu Alaiho w sallam Ne Farmaya

Sab Rozo Me Afzal Ramzan Ka Roza Aur Uske Baad Muharram Ka Roza Hai, Jo Allah Ka Mahina Hai Aur Baad Namaz E Tahazud ki Namaz Hai”
*📚(Sahi Muslim Vol :03, Pg :246, Kitab As Saum, Baab : Muharram Me Roze Ki Fazilat, Hadees : 2755)*

_Aashure Ka Roza Pichle Saal k Gunaho Ka Kaffara Hai_

Abu Qatada Ansari Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Nabi sallallahu alaihi w sallam se Asura (10 Muharram) ke din ke Rozey ke bare mein pucha to Aap صلى الله عليه و آله وسل ne faramaya ye Guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai.
*📚(Sahih Muslim Vol :03, Pg :243, Kitab As Saum, Hadees : 2747)*

*_❓Kitne Roze Rakhe ❓_*

Aksar Log Isme Bhi Confuse Hote Hai k Kitne Roze Rakhne Hai.
Awwal to Jitna Aap rakh sake rakhe jitne rakhe utna faida hai dusri baat log 9 10 ye tarikh me confuse hai to uska jawab bhi hadees me hai , 9 Aur 10 Muharram ko rakhe

“Hazrath Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasool Allah sallallahu alaihi w sallam Ne Aashurey ke din (10 Muharram) ka aur Huqm Kiya is Rozey ka, tou logo ne Arz ki : “Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam ye din to aisa hai ki iskiTaazim karte hain Yahud aur Nasara”?

To Aap sallallahu alaihi w sallam Ne farmaya Ki : “Jab Agla Saal aayega to Inshallah Hum 9 ka Roza Rakhege” Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap sallallahu alaihi w sallam Ne Duniya se parda farma liya”
*📚(Sahi Muslim Vol :03, Pg :205, Kitab As Saum, Hadees : 2666)*

*📌Note : Jo kisi wajah se 9 ko naa rakh sake to 10 aur 11 ko rakh sakte hain 09 & 10 ko Roza Rakhna Sunnat hai agar koi Muslim Roza kisi aisi wajah se naa rakh saka kay uski tabyaat yaa koi sharai mazburi hoto usko maah me 02 to jarur rakhna chahye jab mauka mile phir bhi agar naa rakh saka to koi gunaah nahi hai lekin agar koi shaks ho accha khasa tandrust par ROZA sirf KHICHDA SARBAT kay chakkar me chod de aur yaa phir Murwazza TAZIYADARI ki khurrafat kay liye chod de aur phir khud ko bahot bada Hussaini hone ka dawa bhi kare to yakin jaan le ye dawa jhuta hai aur shaitan ka waswasa hai*

Imam Abdur Rehman ibn Abdus Salam Safuri likhte hai
“Nabi E Karim  صلى الله عليه و آله وسل Ne Irshad Farmaya Jo Shaksh Aashure Kay Din 04 Rakat is tarah padhe kay har rakat me Surah Fatiha kay baad 11 baar Surah Ekhlas padhe To Allah Taala uske 50 Saal Kay gunaah maaf farmayga aur uske liye Noor ka Mimber banayga”
*📚(Nuzhatul Majalis Vol : 01, Pg : 181)*

“Hazrat Abdullah Ibn Masood Radiallahu Anhu Se Rivayat hai Nabi E Akram  صلى الله عليه و آله وسل Ne irshad farmaya Jo Shaksh Yaum E Aashure Kay Roz Apne Ghar Waalo Pe Khane Peene Me Khushadgi Karega Saal Bhar Tak barabar Khusadgi Me Rahega”
References :
*📚(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 03, Pg : 366, Hadees : 3790)*
*📚(Maa Sabata Bis Sunnah, Pg : 10)*
*📚(Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Ashatul Lam’aat Shara E Mishkat Vol : 03, Pg : 135)*
*📚(Imam Ghazali Muqashafatool Quloob Pg :655)*
*📚(Mazahir E Haqq Vol : 02, Pg : 135)*

*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖==========

BIDI CIGARETTE TAMBAKU GUTKA KA KAROBAR KARNA KESA

*🌹SAWAL:-🌹*
Bidi Cigarette tambaku ka karobar karna kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Vo manshaba jo ki indushaa'a jaiz he unki kharido farokht jaiz he, maslan huqqa,bidi, cigarette, tambaku.

Jaisa ki Imame ahle sunnat Saiyedi Aala Hazrat Alaihir Rahma farmate he, Bidi Peene Me harj nahi or huqqa jesa ki Aam taur par raij he mubah or tarq awla he.
*📚(AYZAS-S126)*

Nasha Wali Sokhi cheeze itni miqdar me Khana jis se aql me fitoor paida ho ya mazre sehat ho jaiz nahi taham tambaku naweshi fi nafsa mubah he haqaza qaal imam tahtawi or tambaku ki kharido farokht jaiz he.
*📚(SHARAH SAHIH MUSLIM, JILD SHOSHAM, S-218)*

Paan Tambaku Ko qaleel nasha aawar nahi hota is liye uska khana haram nahi he.
Aysa hi *📚FATAWA RAZVIYA, J-9, 269* me he.

*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, J-2, S-309)*

Iske muta'allik huzur tajushshariyah alaihir rahma ka jawab sama'at kare👇
http://jamiaturraza.com/session/16Nov14/42.mp3

*📬Pathan Moin Raza Azhari,Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖=========

JUMAA KAB CHHOD SAKTE HE

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum huzur

Kal aakhri din he ke collage me ek speech muje deni he jiske muje marks milenge magar vo speech deta hu to jumma hath se chali jayegi
Ab me is surat me kya karu

Rehnumai farmaye

Jazakallahu khair

Noman raza
Gujarat

*🌹JAWAB:-🌹*
_Surate mas'ula me jumma chhodne ki ijazat nahi, chhodne wala gunhegar hoga._

Kisi bhi Musalman par Jum’ah wajib hone ke liye 11 sharait hain :

(1) Baaligh hona. (Na-baaligh par Jum’ah farz nahi.)

(2) Aaqil hona. (Pagal par farz nahi.)

(3) Mard hona. (Aurat par farz nahi.)

(4) Mukeem hona. (Musafir par farz nahi.)

(5) Sehat. (Mareez aur Shaikhe faani jo masjide jum’ah tak na ja sakte ho ya agar chala to jaayega lekin marz badh jaayega to us par farz nahi.)

(6) Ankhiyara hona. (Andhe pa farz nahi.)

(7) Chalne par qaadir hona. (Apaahij ya Faalij (Paralysis) wale par farz nahi.)

(8) Aazad hona. (Gulam par farz nahi. Khaadim/ Nokar ko uska maalik nahi rok sakta.)

(9) Qaid me na hona. (Qaidi par farz nahi.)

(10) Khauf na hona. (Agar hakim ka ya chor vagairah kisi zalim ka dar hai ya muflis karzdar ko qaid hone ka dar hai to us par farz nahi.)

(11) Sakht baarish ya aule ya sailaab ya aandhi ya sardi ka na hona. (Ye chize itni sakht hai ke in se nuqsan ka khauf ho to farz nahi.)

*📚Bahare Shariyat, H-4*
zyada tafsil liye bahare shariyat dekhe.

in sharto ke alawa namaz chhodne wala sakht gunahgar he.

Wallahu Aa'alam bis-sawab

📬Pathan Moin Raza Azhari,Petlad
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖==========

KYA JUMAA KI NAMAZ QAZA PADH SAKTE HE

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Namza e Juma Jo Ke Farz Hai Agar Kisi Wajah Se Chhut Jaye To Kya Uski Qaza Padhi Jayegi?

*🌹JAWAB:-🌹*
Namaze Juma Farz e Aaen (Bahut Zaruri Farz) Hai or uski farziyat zohar se zyada muaqqad he or iska inkar karne wala kafir he.

Namaz e Juma Ke Chhodne Par Ahadis e Mubarka Me Badi Waeid (Saza Dene Ka Wada) Aayi Hai Rasulullah Sallallhu Alaihi Wa Sallam Ne Farmaya Ke Jis Shakhs Ne Gair Zaruri Aur Mamuli Baat Samajhte Hue 3 Jume Chhod Diye Allah Ta’Aala Uske Dil Par Mohar Laga Dega….
*📚(AbuDaud, Timizi, Nasai)*

Phir Bhi Agar Kisi Shakhs Ki Namza e Juma Uzr Ki Bina Par (Jaise Safar, Bimari, Mazuri) Se Bila Uzr Chhut Gayi To Us Par Jume Ki Qaza Nahi Balke Wo Zuhar Ki Namaz Padhe…..

*📚(Bahar e Shariat)*

*_📬Pathan Moin Raza Azhari,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖========

MOBILE COMPANY SE BALANCE LOAN LENA KESA

*🌹SAWAL:-🌹*
Mobile Company se balance loan lena kesa ? Kuchh companya balance loan deti he maslan 10 rupye ka loan deti he or 12 ya 13 rupye baad me kaatti he. Kya ye loan lena jaiz he or kya ye sood hoga ?

*🌹JAWAB:-🌹*

_Mobile company Se balance loan lena jaiz he, isme Koi Harj Nahi, or ye sood nahi hoga._

Ba'az Companya kuchh balance advance me deti he or use loan wagairah ka naam deti he, or jab balance lod karate he to jitna advance liya hota he company wale usse kuchh zaaid kaat lete he, sharai taur par ye jaiz he kyu ki phone ki kisi company ki service ko paiso ke badle istemal karna ijara he, bilkul isi tarah jis tarah dukan wagairah kiraya par lena. *📚Tanweerul Absar* me ijra ki ta'arif is tarah likhi he "تملیک نفع بعوض" tajama:- kisi cheez ke auz(Badla) nafa'a ka malik hona.
*📚(DURRE MUKHTAR MA'A RADDUL MUHTAR, J-9, S-32)*

Yaha 2 baate qabile gaur he,
1. Loan ke waqt service ke paise zyada hote he company par lazim he ki is baat ki logo ko aagahi de.
2. Ise ba'az log waqa'i sood samajte he halaki us ko sood samajna galat he. Company paise nahi service deti he vo bhi ek khas had tak or grahak agar istemal kare to is ke paise kate jate he. Is me sood ki koi wajah nahi paai jati.

*📚(MOBILE PHONE SHARIYAT KE AAINE ME, S-199,200)*

*_ ✍Pathan Moin Raza Azhari,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖==========

Masjid Me CCTV Camera Laga Ho to namaz ka kya hukm he

*🌹SAWAL:-🌹*
Masjid Me Cctv camera laga ho to vaha namaz padhna kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Masjid Ya kisi bhi Jagah cctv camera lagane ki ijazat nahi he.

Or agar pahle se kisi ne masjid me lagae hue he to vo uska fe'al hoga namazi ka nahi. Namaz ho jaegi. kyu ki masjid me sirf camera hota he vaha tasweer nahi dikhai deti balki tasweer taar ke zariye kisi or room me screen par dikhai deti he. or agar jo namazi ke aage ya ird gird tasweer dikhai deti ho to namaz karahat hogi..

*Aesa hi Gause zama Huzur Tajushshariyah Alaihir Rahma ka farman he.*

1. http://jamiaturraza.com/session/8Dec13/9.mp3

2. http://jamiaturraza.com/session/2Jun13/4.mp3

*📬Pathan Moin Raza Azhari,Petlad.*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖========

Mard Ko Zafrani Ya Kesri Kapde Pahenna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*

Mard Ko zafrani Ya kesar ke rang ke kapde pahenna kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

_Kesar se ya zafran se range hue kesri or pile kapde pahenna najaizo haram he or jo kesar or zafran se range hue na ho khalis Pila ho to aesa kapda pahenna mubah w jaiz he._

Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahma Tahrir Farmate he_

Kusum ka ranga huva surkh or kesar ka zard jinhe mu'asefar w muz'efar (zard w jafrani rang) kahte he mard ko pahanna najaiz w mamnoo'a he or inse  namaz makroohe taherimi. or inke siwa or rang ka zard bila karahat mubah khalis he.
*📚(FATAWA RAZVIYA  SHAREEF, J-22, S-185 )*

Kusum(ek tarah ke phul ka rang) ya za'afran(kesar) ka ranga huaa kapda pahenna mard ko mana he gahra rang ho ke surkh(laal) ho jae ya halka ho ki zardar(pila) he, dono ka ek hukm he aurto ko ye dono qism ke rang jaiz he in dono rango ke siwa baqi har qism ke rang zardar, surkh, dhani, basanti, champaee, naranjee(pila, laal popti, jafrani, soneri, narangi) wagairah mardo ko bhi jaiz he. Agar che bahetar ye he ki surkh rang ya shokh rang ke kapde mardana pahne khusoosan jin rango me zanana pan ho mard usko batil na pahne *📚(DURRE MUKHTAR W RADDUL MUHTAR)*  Or ye mumane'at rang ki wajah se nahi balki aurto se tashbah hota he is wajah se mumane'at he lihaza agar ye illat na ho to mumane'at bhi na hogi maslan ba'az rang is qism ke he ki amama ranga ja sakta he or agar kurta pajama usi rang se ranga jae ya chadar rang kar urhe to usme zanana pan(auto ki tarah) zahir hota he to amama ko jaiz kaha jaega or dusre kapdo ko makrooh .
*📚(QANOONE SHARIYAT, H-2, S-443)*
*📚BAHARE SHARIYAT, H-16, S-58)*


*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848792
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Hinduo Ke melo me karobar karna kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Janmastmi Ya Kisi Bhi Hinduo Ke Melo Me Karobar Ke Liye Jana Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Hinduo Ke Gair Mazhabi Mele Jisme Kahi Bhi Shirkiya Pooja Paat Wagairah Nahi Hoti Balki Sirf Lahv Laeeb Or Sero Tafreeh Ke Saman Hote He Vaha Agar Kisi Gair Sharai Kaam Ka Irteqab Na Karna Pade To Koi Harj Nahi, Lekin Isse Bhi Bachna Bahetar He.

Janmastmi Mazhabi Mela He Or Mazhabi Melo Me Jana Jaiz Nahi.

_Huzur Shareh Bukhari Allama Shariful Haqq Amjadi Alahir Rahma Taherir Farmate He_

Janmastmi Ya Gair Muslimo Ke Kisi Mazhabi Mele Me Jana Jaaiz Nahi, Kharido Farokht Karna, Apne Karobar Ka Propaganda Karna Najaaiz He, Karne Wale Gunah Gaar He.
Wallahu Aa'alam Bis- Sawab
*📚(FATAWA SHAREH BUKHARI, J-2, S-538)*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari,Petlad_*
📲8487928693
==========➖➖➖➖==========

RISHTE KE LIYE ISTEKHARA KARNA KESA

*🌹SAWAL:-🌹*

Rishte Ke Liye Istekhara Karna Zaroori He ki Nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Rishte Ke liye Istekhara karna lazim Nahi he, Agar Kar liya to pata chal jata he ki rishta bahetar rahega ya nahi.
Or istekhara kar lena bahetar he kyo ki usi me khairo barkat he..

_Jaisa ki huzur Sadrushshariyah AlaihirRahma Taherir Farmate he,_

Hadishe Sahih jis ko muslim ke siwa jama'ate muhaddiseen ne jabir bin abdullah radiallahu anhuma se riwayat kiya, farmate he ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi W sallam ham ko tamam umoor me istekhara ki ta'aleem farmate, jaise quraan ki soorat ta'aleem farmate the.
*📚(BAHARE SHARIYAR, H-4, S-31)*

Bahetar ye he ki Saat baar istekhara kare ki ek hadish me he "Ay anas! Jab tu kisi kaam ka kasd kare to apne rab (ta'ala) se usme 7(saat) baar istekhara kar fir nazar kar tere dil me kya guzra ki beshak usi me khair he.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4, S-32)*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari,Petlad_*

============➖➖➖➖===========

PESHAB KE CHHINTE LAG JAE TO NAMAZ KESE PADHE

*🌹SAWAL:-🌹*
Agar paishab k kuch halke aur barik qatre kapddo par lag jaye to namaz kaise padhe unhe dho kar namaz padh sakte hai aur kya itna dhone se paak ho jayega
Usme padhi hui namaz ka qya huqm hai

Aur isse jyada qatre lag jaye jo dirham se jyada ho to ab kya huqm hai rehnumayi farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*

Peshab Najasate Galiza me se he,
Najasate Galiza ka hukm ye he ki agar kapde ya badan me ek dirham se zyada lag jaae to uska paak karna farz he agar be paak kiye namaz padh li to hogi hi nahi or agar jaan bujkar padhi to gunah bhi huaa or agar istikhfaf(halka samajna) ki niyat se he to kufr he. Or agar dirham ke barabar he to paak karna wajib he agar be paak kiye namaz padhi to makruhe tahrimi hui yani aesi namaz ka lautana wajib he or jaan buj kar padhi to gunahgaar bhi huaa agar dirham se kam he to paak karna sunnat he ki be paak kiye namaz ho gai magar sunnat ke khilaf he or uska lautana bahetar he.

Peshab ke nihayat barik chhinte  sooi ki nok barabar ki badan ya kapde par pad jaae to kapda or badan paak rahega.

Agar patli najasat jaise aadmi ka peshab or sharab to dirham se murad uski lambai chaudai he or shariyat ne uski mikdar hatheli gahrai  ke barabar batai yani hatheli khoob faila kar barabar rakhe or us par aahista se itna pani daale ki usse zyada paani na ruk sake ab paani ka jitna failav he utna bada dirham samja jaaye or uski miqdar takriban yaha ke rupees ke barabar he.
*📚(BAHARE SHARIYAT, HISSA-2,NAJASATO KE AHKAM)*

=========➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*

=========➖➖➖➖=========

ISLAM ME AURAT KA JOB KARNA KESA

*🌹SAWAL:-🌹*
Islam Me Aurat Ka job karna kesa ?

*🌹JAWAB🌹*

_Bila zaroorat aurat ka job karna najaizo haram or gunah he , yaani uska shohar ya ghar koi mard itna kamata he ki zaroorate or hajate poori ho jati ho,(vo hajate jinke bagair insan ka jina dushwar ho jae) tab tak aurat ko ghar se bahar kamane ke liye jane ki ijazat nahi_

_Aala Hazrat Azimul Barkat Mujaddide dino millat Alaihir Rahma Farmate he,_

Aurat ka job karna 5 sharto ke sath jayez hai:-
1. Kapde baareek na hon, jinse sir ke baal ya kalaayi waghaira sitr (jitne jism ka chhupaana farz hai, us) ka koi hissa na chamke.

2. Kapde tang aur chust (tight & fit) na hon, jo badan ki banaawat (yaani seene ka ubhaar ya pindli ki golaayi waghaira) zaahir karein.

3. Baalon ya galey ya pet ya kalaayi ya pindli ka koi hissa zaahir na hota ho.

4. Kabhi zara si der keliye bhi na maheram mard ke saath tanhaayi na hoti ho.

5. Uske wahaan rehne ya ghar se baaher aane jaane me kisi fitne (gunah aur kharaabi) ka gumaan na ho.

Ye 5 shartein agar sabki sab jama hon to aurat ke Job karne me haraj nahi, aur agar inme se ek bhi kam hai to haraam hai.
*📚(FATAWA RAZVIYA SHAREEF, J-22, S-248)*

Jahaalat aur be parwaahi ka daur hai, upar bayaan ki gayi 5 sharto par amal is zamaane me bahut ziyada mushkil hai,Balke koi aurat kar hi nahi sakti aajkal daftaro me mard aur aurat ikatthe kaam karte hain, aur istarah be pardagi, be takallufi aur bad nigaahi se bachna na mumkin ke qarib hai, isliye aurat ko chahiye ke daftar ya kisi ke ghar naukari ke bajaaye aisa koi kaam kare jis se apne ghar me rehte huwe kamaayi ho sake.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*

===========➖➖➖➖=========

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts