Mobile Screen Par Islamic Tasweer Rakhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum Wa Rehmatullahi Ta'ala Wa Barkatahu, Mecca Ya Madina Ka Wallpaper Mobile Me Rakhna Kaisa Hai???


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Isi Tarah Ka Ek Sawal Ki Mobile Phone Or Computer Me Wallpaper Ko Koi Dargah Ya Gumbad Set Karna Kesa Jiske Jawab Me Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

Isme Koi Harj Maloom Nahi Hota..

Http://jamiaturraza.com/session/7Nov10/16.mp3

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️7 Oct 2021, 29 Safarul Muzaffar 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kapdo Me Sona Ya Pital Ya Lohe Ka Button Lagana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaykum


Aaj Kal Kurta Wagerah Me Kayi Log Loha Ya Doosre Petal Ki Chain Ya Button Wagerah Lagwate Hein Aur Kayi Log Pant Wagerah Me Bhi Namaz Padhte Hein Jisme Petal Ka Button/hook Wagerah Hota Hai,


Kya Isse Namaz Hogi Ya Nahin

 Jawab Inayath Farmaya


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Mard Ko Kurta, Shirt Ya Pent Wagairah Me Loha, Pital Ya Sone Wagairah Ka Button Lagana Jaaiz He. Or Agar Zanjeer Wale Button Ho To Uska Istemal Najaaiz He.


Jaisa Ki Fatawa Amjadiya Me He,

Sone Chandi Ke Button Is Wajah Se Jaaiz Hai Ki Ye Malboos Nahiñ Hai, Balki Tawabe'a Libas Se Hai, Lihaza Dusri Dhaat Ke Button Bhi Isi Illate Mushtarka Se Jaaiz Hai..

*📚(Fatawa Amjadiya, J-4, S-233)*


Or Bahare Shariyat Me He,

Sone Chandi Ke Button Kurte Ya Achkan Me Lagana Jaaiz He, Jis Tarah Resham Ki Ghundi Jaaiz He. Yaani Jabki Button Bagair Zanjir Hoñ Or Agar Zanjeer Wale Button Hoñ To Unka Istemal Najaaiz He Ki Ye Zanjeer Zewar Ke Hukm Me He, Jiska Istemal Mard Ko Najaaiz He.

*📚(Bahare Shariyat, H-16, Libas Ka Bayan, Mas'ala-31)*


Iski Mazeed Tafseel *📚Fatawa Razviya Mutarjim J-22, Mas'ala-3* Me Maujud He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓10 Oct 2021, 3 Rabi Ul Awwal 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Marhum Ko Durood Shareef Bakhshna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Marhumeen Ko Durood Paak Bakhsha Sakte H Ya Nahi...?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Durood Shareef, Kalma Shareef, Naat Shareef, Ya Qura'an Majeed Parh Kar Ya Kisi Bhi Nek Amal Ka Sawab Marhoomin Ko Bakhshna Yaani Isale Sawab Karna Bila Shuba Jaaiz W Durust He Balki Mahboob W Mahmood He..


Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

Isale Sawab Yaani Qura'an Majeed Ya Durood Shareef Ya Kalma E Tayyabah Ya Kisi Nek Amal Ka Sawab Dusre Ko Pahunchana Jaaiz He. Ibadate Maaliya Ya Badaniya Farz W Nafl Sabka Sawab Dusroñ Ko Pahunchaya Ja Sakta He. Zindoñ Ke Isale Sawab Se Murdoñ Ko Faaida Pahunchta He.

*📚(Bahare Shariyat, H-16, Baab Isale Sawab, Mas'ala-1)*


Or Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Se Suwal Hua Ki Murda Ko Qura'an Majeed Ya Durood Shareef Wagairah Ka Sawab Puhunchta He Ya Nahi Or Murda Ko Ye Maloom Hota He Ki Ye Falañ Shakhs Ya Azeez Ne Bheja He ?


Jiske Jawab Me Aap Taherir Farmate Hai,

Musalman Mayyat Ko Jo Sawab Pahunchaya Jaye Use Pahunchta He Or Usse Zyada Khush Hota He Jaise Hayat Me Tohfa Bhejne Se Use Maloom Hota He Ki Mere Falañ Azeez Ya Dost Ya Musalman Ne Bheja He. Ye Sab Mazaameen Ahadis Me Warid Hai,

 بینھا الامام الجلیل الجلال السیوطی فی شرح الصدور

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-9, Mas'ala-199)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓10 Oct 2021, 3 Rabi Ul Awwal 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gair Muslim Hotel Par Machhli (Fish) Khana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Asslamualaikum

Kya Kisi Hindu Ke Hotal Par Machli Kha Sakte He ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Gair Muslim Hotel Se Machhli Kha Sakte He.. Lekin Agar Kafir Ki Hotel Par Fry Kiye Huve Gosht Ke Tel Me Fry Ki Hui Ho To Uska Khana Jaaiz Nahi..


Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ek Sawal Ki Jis Ke Hath Ka Zabah Najaaiz He Jaise Hindu Uske Hath Ki Pakdi Machhli Khana Kesa Jiske Jawab Me Farmate Hai,

Jaaiz He, Agarche Uske Hath Me Mar Gai Ya Usne Maar Daali Ho Ki Machhli Me Zabah Shart Nahiñ Jis Me Musalman Ya Kitabi Hona Zaroori Ho.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-20, Mas'ala-165)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓9 Oct 2021, 2 Rabi Ul Awwal 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Quraan Ki Jhuthi Qasam Khana Or Uske Kaffare Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*

السلام علیکم

 Quran E Majeed Ki *Jhuthi Qasam* Khana Kesa...?

Aur Us Qasam Ke Todne Par Kaffara Hoga..?

رہنماؤں فرمائے

جزاکم اللہ خیر و احسن الجزاء

نعمان رضا اسماعیلی، گجرات


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,

Jhuthi Baat Par Qura'an Majeed Ki Qasam Khana Ya Uthana Sakht Azeem Gunahe Kabeera He Or Sachchi Baat Par Qura'an Azeem Ki Qasam Khane Me Harj Nahi Or Zaroorat Ho To Utha Bhi Sakta He Magar Ye Qasam Ko Bahut Sakht Karta He. Bila Zaroorate Khassa Na Chahiye.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-13, Mas'ala-215)*


Or Farmate Hai,

Jhuthi Qasam Guzishta Baat Par Danista (Jaanbujh Kar) Uska Koi Kaffara Nahi, Uski Saza Ye He Ki Jahannum Ke Kholte Darya Me Gote Diya Jayega. Or Aainda Kisi Baat Par Qasam Khai Or Vo Na Ho Saki To Uska Kaffara He.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-13, Mas'ala-251)*


Lihaza Agar Kisi Guzre Huve Zamane Ki Jhuthi Qasam Khai Maslan Kisi Ne Koi Kaam Kiya Hi Nahi Ya Usko Pata He Ki Ye Baat Is Tarah Nahi Fir Bhi Qasam Khai Ki Ye Aysa Hi Hua To Ye Gunahe Kabeera Azabe Ilahi Ka Haqdaar He, Iska Kaffara Nahi Taubah W Astagfaar Kare Or Aaindah Aysa Na Karne Ka Ahad Kare. 


Or Aane Wale Waqt Me Qasam Khaye Ki Me Aysa Karuñga Or Nahiñ Kar Paya Ya Qasam Toddi To Uska Kaffara Ada Karna Hoga..


Qasam Ke Kaffara Ke Ta'alluq Se Bahare Shariyat Me He,

Ki Qasam Ka Kaffara Gulam Aazad Karana Ya Das Miskeenoñ Ko Khana Khilana Ya Das Miskeenoñ Ko Kapde Pahenana He Yaani Ye Ikhtiyar He Ki In Teen Baatoñ Me Se Jo Chahe Kare..

*📚(Bahare Shariyat, H-9, Kaffara Ka Bayan, Mas'ala-1)*


Agar Gulam Aazad Karne Ya Das Miskeenoñ Ko Khana Ya Kapde Dene Par Qadir Na Ho To Pedarpe (Lagatar) Teen Roze Rakhe.

*📚(Bahare Shariyat, H-9, Kaffara Ka Bayan, Mas'ala-15)*


Kaffara Ki Aasan Soorat Ye He Ki 10 Miskeenoñ Ko Pet Bhar Kana 2 Waqt Khilaye.. Or Agar Khana Nahiñ Khila Sakta He To Gehuñ Wagairah De Ya Uski Qeemat De.. Ye Sadqa E Fitr Ki Miqdar Me He. Yaani Taqriban 2 Kilo 50 Gram Achhe Qism Ka Gehuñ Yaani Bahut Zyada Bhi Nahi Or Bahut Low Quality Ka Bhi Nahi Awsad Darje Ka Gehuñ Ya Uski Qeemat De De.. Maslan Misal Ke Taur Par Agar 2 Kilo 50 Gram Gehuñ Ki Qeemat 100 Rupya He To 10 Miskeenoñ Ko 100 - 100 Rupya De De. Ya Ek Hi Miskeen Ko 10 Deen Tak Baqadrd Sadqa E Fitr Qeemat Ada Kare Ya Ye Bhi Kar Sakta He Ki Baaz Ko Khilaye Or Baaz Ko Qeemat Ada Karde. Isse Kaffara Ada Ho Jayega.


Qasam Or Kaffare Ke Ta'alluq Se Mazeed Tafseel Ke Liye Bahare Shariyat Hissa-9 Ka Muta'ala Farmaye..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓6 Oct 2021, 28 Safarul Muzaffar 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mard Ko Kitne Lambe Baal Rakhna Jaaiz He

 *🌹SAWAL:-🌹*

Asslamualaikum

Mardo Ke Lambe Baal Rkhna Kaisa He?

Mard Baal Kitne Lambe Rkh Skte He?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Sarkar ﷺ Se Sabit He Kabhi Aap Ne Nisf Kaan Tak Kabhi Kaan Ki Lo Tak Or Usse Zyada Badhaye To Shano Tak Usse Zyada Aap Ss Sabit Nahi.


Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,

Mard Ko Ikhtiyar He Ki Sar Ke Baal Mundaye Ya Badhaye Or Maang Nikale.


Huzure Aqdas ﷺ Se Donoñ Cheeze Sabit Hai. Agarche Mundana Sirf Ahram Se Bahar Hone Ke Waqt Sabit He. Digar Awqat Me Mundana Sabit Nahi. Haañ Baaz Sahaba Se Mundana Sabit He Maslan Hazrat Maula Ali رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُ Bataure Aadat Mundaya Karte The. Huzure Aqdas ﷺ Ke Mue Mubarak Kabhi Nisf Kaan Tak, Kabhi Kaan Ki Lo Tak Hote Or Jab Badh Jate To Shana Mubarak Se Chhu Jate. Or Huzur ﷺ Bich Sar Me Maang Nikalte.


Mard Ko Ye Jaaiz Nahiñ Ki Aurtoñ Ki Tarah Baal Badhaye, Baaz Sufi Banne Wale Lambi Lateñ Badha Lete Hai Jo Unke Sina Par Saañp Ki Tarah Lahrati Hai Or Baaz Chotiyañ Gundhte Hai Ya Jode Bana Lete Hai Ye Sab Najaaiz Kaam Or Khilafe Shara'a Hai. Tasawwuf Baaloñ Ko Badhane Or Range Huve Kapde Pahanne Ka Naam Nahi Balki Huzure Aqdas ﷺ Ki Puri Pairwi Karne Or Khwahishate Nafs Ko Mitane Ka Naam He.

*📚(Bahare Shariyat, H-16, Bayan Hajamat Banwana Or Nakhun Tarashwana, Mas'ala-19,20)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh Bariya Dahod Gujarat*

*🗓4 Oct 2021, 26 Safarul Muzaffar 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Sunnat Namaz Me Muakkida Ya Gair Muakkida Bolna Zaroori He ??

 *🌹SAWAL:-🌹*

As Salamu Aliakum

Ulmaae Ekram Ki Bargah Main Ek Sawal Arz Hai.. Ke 

Koi Shaks Sunnat E Muqqedah Bolne Ki Bajae Sunnat Bolke Padhletaa Hooo To Uspe Kya Hukum Hai Kya Uski Sunnnat E Muqqedah Nmaz  Ada Hojaegi Ya Nhi... 

Jawab Inayat Farmaae....


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Niyyat Dil Ke Pakke Irade Ko Kehte He, Our Zaban Se Niyyat Karna Mustahb He, Lihaza Namaz Padhte Waqt Sunnat E Muakkida Na Bola Sirf Sunnat Bola Our Dil Me Yahi He Ke Sunnat E Muakkida Jese Zuher Se Pehle Ki Char Rak'at To Namaz Ho Jaaegi. Allah Sab Ke Dilo Ke Haal Janta He, Zahir Batin, Kya Huwa Kya Ho Raha He Kya Hoga Kab Hoga Kese Hoga Koi Bhi Chiz Usse Poshida Nahi... Lihaza Namaz Ho Jaaegi.


Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,

Niyat Dilke Pakke Irade Ko Kahte Hai, Mahaz Janna Niyyat Nahi, Ta WaqtYe Ki Irada Na Ho.


Niyyat Me Zaban Ka Aetebar Nahi, Yaani Agar Dil Me Maslan Zuhar Ka Qasd Kiya Or Zaban Se Lafz Asar Nikla, Zuhar Ki Namaz Ho Gai.

*📚(Bahare Shariyat, H-3, Niyat Ka Bayan, Mas'ala-76,77)*

Wallahu Ta'ala Aa'alam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh, Bariya Dahod Gujarat*

*🗓️4 Oct 2021, 26 Safarul Muzaffar 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Om Ka Matlab Allah Kahne wale par kya hukm he

 *🌹SAWAL:-🌹*

Agar Koi Zaid E Shaqs Kaha Ke Om(ऊ) Ka Matlab Allah Hai Toh Ispar Kya Huqm Hoga


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Huzur Shareh Bukhari Hazrat Allama Mufti Shariful Haq Amjadi Alaihir Rahmato Ridwan Isi Tarah Ka Ek Sawal Ki Ek Aadmi Hari Om Ka Naara Kai Baar Janbujh Kar Bola Or Usse Daryaft Karne Par Ye Bataya Ki Allah Ka Ek Naam He, Akh.., Iske Jawab Me Taherir Farmate Hai,


"Hari Om" Sanskrit Ka Lafz He Sanskrit Me Iske Kya Ma'ana Mujhe Maloom Nahi Magar Itni Baat Tay He Ke Ye Kalma Musalmanoñ Me Raaij Nahiñ Balki Hinduoñ Ke Alawa Kisi Qaum Me Must'amal Nahi Sirf Hinduñ Isko Istemal Karte Hai.. Hatta Ki Agar Diwar Ke Pichhe Koi Hari Om Kahe To Sunne Wala Yahi Samjhega Ki Ye Koi Hindu He. Is Liye Musalmanoñ Ko Ye Lafz Istemal Karna Kam Az Kam Haram W Gunah Zaroor He, Agarche Waaqe'a Me Hari Om Ka Ma'ana Ayse Hoñ Jiska Itlaq Baari Az Isma Par Durust Ho Kyuñ Ki Is Na'ara Ke Lagane Me Tashba Bil Hunood Zaroor He,


Or Hadees Me Farmaya Gaya,

من تشبه بقوم فهم منھم۔

Us Shakhs Par Taubah Farz He.

*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-1, S-251)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓2 Oct 2021, 24 Safarul Muzaffar 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Dhundhne Se Khuda Bhi Mil Jata He' Kahna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

السلام علیکم

Bhout Se Log Aise Jumlo Ka Istemal Karte Hai  “Dhundne Wale Khuda Ko Dhund Lete Hain ” Ya “Dhundne Se Khuda Bhi Mil Jata Hai” Kiya Aisa Bolna Durust Hai?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

"Dhundne Se Khuda Bhi Mil Jata He" Ya "Dhundhne Wala Khuda Bhi Dhundh Leta He" Ye Ek Muhawra He, Yaani Koshish Karne Walo Ki Kabhi Haar Nahi Hoti, Or Is Muhawre Se Murad Ye He Ki Agar Sachchi Lagan Ho, Khuloos Ho Or Aadmi Mahenato Koshish Karta Rahe, Allah Tabarak W Ta'ala Or Uske Rasool Ke Irshado Faraamin Par Amal Paira Ho Jaye To Fir Usko Rab Tabarak W Ta'ala Ka Bhi Qurb Hasil Ho Jata He... In Jumloñ Me Koi Qabahat Nahi He..

ھذا ما ظہرلی واللہ اعلم بالصواب

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️27 Sep 2021, 19 Safarul Muzaffar 1443*


✅الجواب صحیح

واللہ تعالیٰ اعلم بالصواب

(حضرت علامہ مفتی سید کفیل ہاشمی صاحب قبلہ

جمیعت الرضا بریلی شریف)


✅الجواب صحيح والمجيب نجيح 

*فقط محمد عطاء اللہ النعیمی خادم الحدیث والافتاء بجامعۃالنور جمعیت اشاعت اہلسنت (پاکستان) کراچی* (صاحب فتاویٰ حج و عمرہ)


✅الجواب صحیح والمجیب نجیح فقط مفتی جنید العطاری المدنی


✅ الجواب صحیح والمجیب مصیب فقط ابو آصف راجہ محمد کاشف مدنی نعیمی رئیس دارالافتاء ھاشمیہ کراچی

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mangal Vaar Ko Kapde Kaatna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Mangal  (Tuesday) Ko Naye Kapde Ko Cut Karne K Bare Me Kiya Hukm Hai


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Mangal Ke Din Kapda Qata'a (Cut) Na Kiya Jaye. Maula Ali Karramallahu Wajahu Ne Farmaya "Jo Kapda Mangal Ke Roz Qata'a Kiya Jaye Vo Jale Ya Dube Ya Chori Ho Jaye.

*📚(Fatawa Razviya, J-22, Mas'ala-38)*

Lihaza Mangal Ko Kapda Kaatne Se Bachna Chahiye.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓27 Sep 2021, 19 Safarul Muzaffar 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Muqtadi Sana Padh Raha Tha Or Imam Ne Qirat Shuru Kardi To Kya Kare

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum


Sawal Ye Hai


Muhktadi Sana Pad Raha Tha Aadha Padh Liya Ya Adein Se Zyada Padh Liya Or Imam Sahab Ne Surah Fatiha Shuru Kar Diye

To Aise Surat Mein Sana Padhna Rokde Ya Pura Mukmmal Karen


Jawab Inayat Farmaiye


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Imam Ne Bil-Jahar Qiraat Shuru Kardi To Muqtadi Sana Na Parhe Agarche Door Hone Ya Bahre Hone Ke Imam Ki Aawaz Na Sunta Ho Jaise Jumuah W Eidain Me Pichhli Saf Ke Muqtadi K Bawajah Door Hone Ke Qiraat Nahi Sunte... Imam Aahista Parhta Ho To Parhle.

*📚(Bahare Shariyat, H-3, Namaz Ki Sunnat Ka Bayan, Mas'ala-75)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️26 Sep 2021, 18 Safarul Muzaffar 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Bachha God Lena Jaaiz He Ya Nahi ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Kya Chhote Bachche Ko God Lena Ya Kisi Ko God Dena Jaaiz He Agar Jaaiz He To Iski Kya Soorat Ho Sakti He ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Bachcha God Lena Ya Dena Jaaiz He..


Qura'an Muqaddas Me Allah Ta'ala Farmata He,

وَ مَا جَعَلَ اَزْوَاجَكُمُ الّٰٓـِٔیْ تُظٰهِرُوْنَ مِنْهُنَّ اُمَّهٰتِكُمْۚ-وَ مَا جَعَلَ اَدْعِیَآءَكُمْ اَبْنَآءَكُمْؕ-ذٰلِكُمْ قَوْلُكُمْ بِاَفْوَاهِكُمْؕ-وَ اللّٰهُ یَقُوْلُ الْحَقَّ وَ هُوَ یَهْدِی السَّبِیْلَ

Or Usne Tumhari Un Biwiyoñ Ko Tumhari Haqeeqi Maayeñ Nahi Bana Diya Jinhe Tum Maañ Jesi Kahdo Or Na Usne Tumhare Muñh Bole Betoñ Ko Tumhara Haqeeqi Beta Banaya, Ye Tumhare Apne Muñh Ka Kahna He Or Allah Haq Farmata He Or Wahi Raah Dikhata He.

*📚(Surah Ahzab Aayat-4)*


اُدْعُوْهُمْ لِاٰبَآىٕهِمْ هُوَ اَقْسَطُ عِنْدَ اللّٰهِۚ-فَاِنْ لَّمْ تَعْلَمُوْۤا اٰبَآءَهُمْ فَاِخْوَانُكُمْ فِی الدِّیْنِ وَ مَوَالِیْكُمْؕ-وَ لَیْسَ عَلَیْكُمْ جُنَاحٌ فِیْمَاۤ اَخْطَاْتُمْ بِهٖۙ-وَ لٰكِنْ مَّا تَعَمَّدَتْ قُلُوْبُكُمْؕ-وَ كَانَ اللّٰهُ غَفُوْرًا رَّحِیْمًا

Unke Haqeeqi Baap Hi Ka Kah Kar Pukaro, Ye Allah Ke Nazdik Zyada Insaf Ki Baat He Phir Tumheñ Unke Baap Ka Ilm Na Ho To Vo Deen Me Tumhare Bhai Or Tumhare Dost Hai.

*📚(Surah Ahzab, Aayat-5)*


Is Aayate Mubaraka Ki Tafseer Me Tafseere Seeratul Jinan Me He,


Pahli Aayat Me Le Paalak Bachche Ko Palne Waloñ Ka Beta Qarar Dene Se Mana'a Kiya Gaya Or Is Aayat Me Ye Farmaya Ja Raha He Ki Tum Un Bachchoñ Ko Unke Haqeeqi Baap Hi Ki Taraf Mansoob Karke Pukaro, Ye Allah Ta'ala Ke Nazdik Zyada Insaf Ki Baat He, Phir Agar Tumheñ Unke Baap Ka Ilm Na Ho Or Is Wajah Se Tum Unheñ Unke Baapoñ Ki Taraf Mansoob Na Kar Sako To Vo Tumhare Deeni Bhai Or Dost Hai Or Insaniyat Ke Naate Tumhare Chacha Zaad Hai, To Tum Unheñ Apna Bhai Ya Ay Bhai Kaho Or Jis Ke Lepaalak Hai Uska Beta Na Kaho Or Mumaneat Ka Hukm Aane Se Pahle Tumne La Ilmi Me Le Paalakoñ Ko Unke Paalne Waloñ Ka Beta Kaha Us Par Tumhari Giraft Na Hogi Albatta Is Soorat Me Tum Gunahgar Hoge Jab Mumaneat Ka Hukm Aa Jane Ke Baad Tum Jaanbujh Kar Le Paalak Ko Uske Paalne Wale Ka Beta Kaho.

*📚(Tafsire Khazin, Al-Ahzaab, Aayat-5)*

*📚(Tafsire Madarik, Al-Ahzaab, Aayat-5, Safha-932)*


God Liye Huve Bachche Ki Haqeeqi  Baap Ke Taur Par Apna Naam Istemal Karne Ka Sharai Hukm:


Bachha God Lena Jaaiz He Lekin Ye Yaad Rahe Ki God Me Lene Wala Aam Bol Chaal Me Ya Kagzaat Wagairah Me Uske Haqeeqi Baap Ke Taur Par Apna Naam Istemal Nahiñ Kar Sakta Balki Sab Jagah Haqeeqi Baap Ke Taur Par Us Bachche Ke Asli Walid Hi Ka Naam Istemal Karna Hoga Or Agar Asli Baap Ka Naam Maloom Nahi To Uski Ma'aloomat Karwa Kar Baap Ke Taur Par Haqeeqi Baap Ka Naam Likhna Hoga Or Agar Koshish Ke Bawajood Kisi Tarah Uske Asli Baap Ka Naam Maloom Na Ho Sake To God Lene Wala Guftagu Me Haqeeqi Baap Ke Taur Par Apna Naam Hargiz Istemal Na Kare Or Na Hi Bachcha Use Haqeeqi Walid Ke Taur Par Apna Baap Kahe, Isi Tarah Kagzaat Wagairah Me Sarparast Ke Column Me Apna Naam Likhe Haqeeqi Walid Ke Column Me Hargiz Na Likhe, Agar Jaanbujh Kar Khud Ko Haqeeqi Baap Kahe Ya Likhega To Ye Bhi Darj Zail Waeedoñ Me Dakhil He,


Chunanche, Hazrat Sa'ad Radiallahu Anhu Se Riwayat He, Huzure Aqdas ﷺ Ne Irshad Farmaya: Jis Shakhs Ko Ye Maloom Ho Ki Uska Baap Koi Or He Or Uske Bawajood Apne Aapko Kisi Gair Ki Taraf Mansoob Kare To Us Par Jannat Haram He.

*📚(بخاری، کتاب الفرائض، باب من ادعی الی غیر ابیہ،  ۴ / ۳۲۶، الحدیث: ۶۷۶۶)*


Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Riwayat He, Nabi E Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya, Jis Shakhs Ne Khud Ko Apne Baap Ke Gair Ki Taraf Mansoob Kiya Ya Jis Gulam Ne Apne Aapko Apne Maula Ke Gair Ki Taraf Mansoob Kiya Us Par Allah Ta'ala Ki, Farishtoñ Ki Or Tamam Logoñ Ki Laanat Ho, Qayamat Ke Din Allah Ta'ala Uska Koi Farz Qubool Farmayega Na Nafl.

*📚(مسلم، کتاب الحج، باب فضل المدینۃ ودعاء النبی صلی اللّٰہ علیہ وسلم فیہا بالبرکۃ۔۔۔ الخ، ص۷۱۱، الحدیث:۴۶۷ (۱۳۷۰))*


Ek Mas'ala Ye Bhi He Ki,

God Liya Hua Bachha Jab Us Umr Tak Pahunch Jayeñ Jis Me Un Par Namahram Mard Ya Aurat Se Parda Karna Laazim Ho Jata He To Us Waqt Bachhe Par Palne Wali Aurat Se Or Bachchi Par Palne Wale Mard Se Parda Karna Bhi Lazim Hoga Kyuñ Ki Vo Us Bachche Ke Haqeeqi Ya Razaai Maañ Baap Nahiñ Is Liye Vo Us Bachche Or Bachchi Ke Haq Me Mahram Nahi,


Lihaza Agar Bachcha God Me Liya Jaye To Aurat Use Apna Ya Apni Bahan Ka Dudh Pila De Or Bachchi God Me Li Jaye To Mard Apni Kisi Mahram Aurat Ka Dudh Use Pilva De, Is Soorat Me Unke Darmiyan Razaai Rishta Qaaim Ho Jayega Or Mahram Ho Jane Ki Wajah Se Parde Ki Vo Pabandiyañ Na Raheñgi Jo Namahram Se Parda Karne Ki Hai, Albatta Yahañ Mazeed Do Baateñ Zaheen Nasheen Raheñ.


Pahli Ye Ki Dudh Bachche Ki Umar Do Saal Hone Se Pahle Pilaya Jaye Or Agar Do Saal Se Le Kar Dhaai Saal Ke Darmiyan Dudh Pilaya To Bhi Raza'at Sabit Ho Jayegi Lekin Us Umr Me Dudh Pilana Naajaiz He Or Dhaai Saal Umar Ho Jane Ke Baad Pilaya To Raza'at Sabit Na Hogi.


Dusri Ye Ki Aurat Ne Bachche Ya Bachchi Ko Apni Bahan Ka Dudh Pilwaya To Vo Uski Razaai Khala To Ban Jayegi Lekin Uska Shohar Bachchi Ka Mahram Na Banega..


Albatta In Masaail Me Kahiñ Pechidgi Peda Ho Sakti He Lihaza Aysa Koi Muaamla Ho To Kisi Qabil Mufti Ko Puri Tafseel Bata Kar Amal Kiya Jaye..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓20 Sep 2021, 12 Safarul Muzaffar 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jisne Gunah Se Taubah Karli Uske Gunah Zahir Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ

Kisi Shaks Nein Apne Gunaahon Se Tauba Karliye Uske Bawajood Bhi Uske Gunnah Ko Zahir Karna, Dusron Ko Batana 

Aise Shaks Par Hukum E Shara'a Hai...


*🌹JAWAB:-🌹*

وعلیکم السلام ورحمۃ اللہ وبرکاتہ

Hadees Sharif Me He,

التائب من الذنب کمن لا ذنب لہ

Tarjama: Gunahoñ Se Sachchi Toubah Karne Wala Ayse Ho Jata He, Jese Usne Wo Gunah Kabhi Kiya Hi Nahi..


Lihaza Jo Momin Bhai Kisi Gunah Ko Chhod Chuka He Us Ko Yaad Dila Kar Usko Aar Dilana Bhut Hi Buri Baat He,


Our Hadees Sharif Me Aaya He, Aysa Shaksh Us Waqt Tak Nahi Marega Jab Tak Khud Us Gunah Me Mubtla Na Ho Jaae... Allahu Akbar.

Hawala: *📚(Miratul Manajih Sharah Mishkat Ul Masabih Jild 6)*


Riwayat He Hazrat Khalid Ibne Mu'adaan Se, Vo Hazrat Ma'aaz Se Raawi Farmate Hai Farmaya RasoolAllah ﷺ

Ne Jo Apne Bhai Ko Kisi Gunah Ki Aar Dilaye To Vo Na Marega Hatta Ki Khud Bhi Karega. Yaani Vo Gunah Jis Se Vo Taubah Kar Chuka He.

*📚(Tirmizi)*


Lihaza Aysa Hargiz Hargiz Na Kare, Balki Hamesha Apne Gunahoñ Par Touba W Istigfar Karta Rahe.. 

Wallahu Ta'ala Aa'alam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh Bariya Dahod Gujarat*

*🗓️18 Sep 2021, 10 Safarul Muzaffar 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Hing Khana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum

Ek Sawal Hai Ki Hing Khana Kaisa?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Kha Sakte He. Albatta Aysi Chiz Jo Badboo Deti Ho Kachchi Kha Kar, Masjid Ko Na Jaaye Jab Tak Munh Ki Badboo Ko Door Na Karle Jese Lehsun Wagairah..


Fatawa Amjadiya Me He,

Hing Me Chunke Badboo Hoti He, Lihaza Ye Bhi Kachhe Lahsun Ke Hukm Me He,


Or Kachche Lahsun Wagairah Ke Hukm Ke Ta'alluq Se Farmate Hai,

Kachcha Lahsun, Pyaz Khana Makrooh He Or Khane Ke Baad Jab Tak Boo Baqi He, Masjid Me Jana Mana'a He Or Agar Waqt Me Gunjaish Ho, To Namaz Me Bhi Takhir Kare, Warna Badarja Majboori Parhle. Yuñhi Jab Tak Boo Baaqi Ho, Tilawat Bhi Makrooh He Or Wajah Sabki Ye He Ki Isse Farishtoñ Ko Eeza Hoti He.

*📚(Fatawa Amjadiya, J-4, S-149,150)*

Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh Bariya Dahod Gujarat*

*🗓️19 Sep 2021, 11 Safarul Muzaffar 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Isha Ki Farz Se Pahle Sunnat Ya Witr Padhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

AssalamuAlaikum


Zaid Ka Sawal Hai Hazrat

Kya Namaze Ishaa Ki Farz Se Pehle Sunnat Aur Witar Padh Saktey Hain'???? 

👆

Hazrat Jawab Inayat Farmayiye Ilm Me Izafa Hoga


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Witr Ki Namaz Isha Ki Farz Aur Sunnat E Muakkida Ke Baad Padhe, Jab Ke Raat Ko Uth Kar Padhne Par Qadir Na Ho, Our Qudrat Rakhta Ho To Raat Me Uth Kar Witr Ada Karna Behter He..


Bahaar E Shariyat Me He,

Jise Aakhir Shab Me Jagne Par Aetemad Ho To Bahetar Ye He Ki Pichhli Raat Me Witr Parhe, Warna Baade Isha Parhle.

*📚(Bahare Shariyat, Hissa-4, Witr Ka Bayan, Mas'ala-17)*

Wallahu Ta'ala Aa'alam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh Bariya Dahod Gujarat*

*🗓️18 Sep 2021, 10 Safarul Muzaffar 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Aurat Ke Naam Ka Bhi Parda He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Kya Shariyat Me Aurat Ke Naam Ka Bhi Pardah Hai ?  Agar Aurat Ke Naam Ka Parda Hai To Hazrt  E Fatima Tuz Zahra RadiallahuAnha Ka Naam  Hame Aaj Sune Nhi Milta Hazraat Rahemumayi Farmaye!


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aurat Ki Aawaz Bhi Aurat He.. Magar Naam Ka Bhi Parda He Aysa Kañhi Nazar Se Nahi Guzra...


Agar Aysa Hi Hota To Kisi Bhi Nabi Ya Rasool علیہم السلام Ke Walida Ka Naam Ham Ko Pata Hi Nahi Chalta...


Buzurgo Ke Naamo Par Apne Bachhe Bacchiyoñ Ke Naam Rakhne Chahiye.. Magar Naam Pata Hi Na Ho To Kese Rakkha Jaye.. Is Liye Ye Sharai Nuqta E Nazar Se Aur Qayasi Etebar Se Bhi Durust Maloom Nahi Hota..


Khud Quran E Paak Me Hazrat Bibi Mariyam Ke Naam Ka Zikr Moujud He....


Albatta Ayse Log Jo Deen O Mazhab Se Koi Sarokar Nahi Rakhte... Aur Sirf Logo Ko Pareshan Karte He. Aawaara Qism Ke Luchche Logo Ke Samne Bila Wajah Apni Bahen Betiyo Ke Naam Zikr Karne Ki Bilkul Ijazat Nahi.. 

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh Bariya Dahod Gujarat*

*🗓️14 Sep 2021, 6 Safarul Muzaffar 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Social Media Par Document Ki Photo Rakhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaykum

Aaj Kal Aksar Dekha Ja Rha Hai Ki Log Apne Social Media Accounts Par Apni Document Photos Lagate Hein Or Kehte Ye Hein Ki Ulama Ne Document Photo Ki Ijazat Di Hai, To Kya Ye Sahi Hai? Kyuki Tasweer To Bewajah Waha Bhi Share Ho Rahi Hai


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Document Jaise Passport, Aadhar Card Wagaira Me Diye Jane Vala Photo Hajat Ki Wajah Se Hai K Agar Ye Document Kisi K Paas Na Ho To Ise Is Mulk Ka Shehri Sabit Karna Mushkil Ho Jayega Or Jaan Or Maal Ka Khatre Ka Bhi Qavi Andesha Rahega, Jis Ki Vajah Se Is Me Rukhsat Hai... Lekin Whatsapp, Facebook Or Social Media K Account Ki DP Par Apni Tasveer Rakhne Ki Koi Hajat E Sharaei Nahi Hai.. Lihaza Is Ka Bhi Hukm Bagair Vajahe Sharaei K Jandar Ki Tasveer Khinchvane Or Rakhne Ka Hi Hoga. Yaani Haram

و اللہ تعالیٰ اعلم

*✍🏻Al-Jawab: Qazi E Shahar, Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*

*_📬Markazul Uloomil Islamiyah Al-Madrasatul Alwiyyah, Petlad_*

*🗓️14 Sep 2021, 6 Safarul Muzaffar 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Badmazhab Ke Pichhe Padhi Gai Namaz Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalam Alaikum, Hazrat Sawal Hai,  Zaid Ne Kyi Maheene Tak Ya Kayi Dino Tak Jis Imam Ke Piche Namaz Padhi Thi,  Phir Baad Me Zaid Ko Pata Chala Imam Badmazhab Badaqida Tha Aur Hai To Ab Zaid Ko Kya Un Sabhi Namazo Ko Lautana Hoga ????? ,,, Rahnumayi Farmayen Hazrat


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agar Waqaee Vo Imam Badmazhab Badaqeedah He To Uske Pichhe Parhi Hui Namaz Ka Ae'aada Farz He.


Jaisa Ki Fatawa Baraily Shareef Me He,

Agar Waqaee Vo Imam Deobandi  Aqeedah Rakhta He Or Taqiya Baazi Se Kaam Leta He To Uski Iqteda Me Namaz Najaaizo Batil Mahaz He Ki Deobandi Ki Namaz Namaz Nahi He,


Fathul Qadeer Wagairah Me He,

ان الصلاة خلف اهل الاهواء لا تجوز،

Or Uski Iqteda Me Parhi Gai Namazoñ Ka Ae'aada Farz He..

*📚(Fatawa Baraily Shareef, S-130)*


Isi Tarah Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Taherir Famate Hai,

Deobandi Aqeede Waloñ Ke Pichhe Namaz Batil Mahaz He, Hogi Hi Nahiñ, Farz Sar Par Rahega Or Unke Pichhe Parhne Ka Shadeed Azeem Gunah. 


Alawa Imam Muhaqqiq Alal Itlaq Fathul Qadeer Sharah Hidaya Me Hamare Teenoñ A'imma E Mazhab Imame Aazam W Imam Abu Yusuf W Imam Muhammad Radiallahu Anhum Se Naql Farmate Hai,

:ان الصلوۃ خلف اھل الھواء لاتجوز

*📚(فتح القدیر باب الامامۃ مطبوعہ مکتبہ نوریہ رضویہ سکھر ۱/۳۰۴)*


Isme Sab Barabar Hai Namaze Panjgaana Ho Khwañ Jumuah Ya Eid Ya Janaza Ya Taraweeh Koi Namaz Unke Pichhe Ho Hi Nahi Sakti Balki Agar (Unko Qabile Imamat Ya Musalman Janna Bhi Darkinar) Unke Kufr Me Shak Hi Kare To Khud Kafir He Jabki Unke Kabees Aqwaal Par Matla'a Ho.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-6, Mas'ala-705)*


Or Ek Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai

Phir Agar Taheqiq Ho Ki Imam Wahabi Tha Namaz Phere.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-6, Mas'ala-765)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

📲+918487928693

*🗓14 Sep 2021, 6 Safarul Muzaffar 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Safar Ke Aakhri Budh Ki Haqiqat Kya He

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum, Safar Ke Aakhri Budh Ki Kya Haqiqat He Kuchh Aurte Is Din Qabro Par Jaati He Or Khana Banate Or Gumte He Uski Kya Asl He ?? Kya Is Din Huzur ﷺ ko marz se sehtayabi hui tha ya marz or badh gaya tha ??


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Safar Mahine Ke Aakhri Budh Ki Koi Asl Nahiñ, Or Naa Hi Is Din Huzur ﷺ Ki Sehat Yaabi Ka Koi Suboot He, Balki Aap ﷺ  Ke Marze Aqdas Jis Me Wafaat Hui, Uski Ibteda Isi Din Se Batai Jaati He. Lihaza Logoñ Ka Ye Aeteqaad Karna Ki Is Roz Huzur ﷺ Ke Sehatyaabi Hui Or Is Bina Par Umda Khane Banana Naye Kapde Wagairah Pahanna Gumne Firne Jana Sab Be Asl He Iska Koi Suboot Nahi, Or Khas Aurtoñ Ka Mazarat Wagairah Par Jana Or Vahañ Jaa Kar Khana Wagairah Sab Be Asl He. Balki Ye Sab Khurafat Itna Gunah Or Shariyat Ke Khilaf He.


Sarkar Aala Hazrat Mujaddide Dino Millat Ashshah Imam Ahmad Raza Khan Fazile Barailvy Alaihir Rahmato Ridwan Se Suwal Hua Ki Safar Ke Aakhri Budh Ke Roz Mash'hoor He Ki Huzur ﷺ Ne Marz Se Shifa Paai Thi Is Bina Par Is Roz Log Khana Or Shirni Bana Kar Taqsim Karte Hai Or Jangal Wagairah Ki Gumne Nikalte Hai Or Kahiñ Is Din Ko Nahus Or Namubarak Jankar Is Roz Ghar Ke Purane Bartan Todte He (Mafhoom), Jiske Jawab Me Aap Taherir Fatmate Hai,


Aakhri Char Shanba (Ya Aakhri Budh) Ki Koi Asl Nahi, Na Is Din Sehat Yaabi Huzur ﷺ Ka Koi Suboot Balki Marze Aqdas ﷺ Jis Me Wafaat Mubarak Hui Uski Ibteda Isi Din Se Batai Jaati He Or Ye Ek Hadeese Marfu'a Me Aaya He, 


آخر اربعاء فی الشھر یوم نحس مستمر ۔

Maahe Safar Ka Aakhri char Shañba Daaimi Nahoosat Wala Din He.

*📚(Kanzul Ummal, Hadees-2931, J-2, S-11)*


Or Marwi Huva Ki Ibteda Ibteda E Saiyeduna Ayyub Ala Nabiyyina W Alaihis Salato Salam Isi Din Thi Or Use Nahus Samajh Kar Mitti Ke Bartan Tod Dena Gunah W Izaa'ate Maal He. Bahar Haal Sab Baateñ Be Asl W Be Ma'ana Hai.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-23, Mas'ala-81)*


Or Dusri Jagah Suwal Hua Ki 

Maahe Safar Ke Aakhri Char Shanba (Aakhri Budh) Ko Aurteñ Bataure Safar Shahar Se Bahar Jaayeñ Or Qabroñ Par Niaz Wagairah Dilayeñ Jaaiz He Ya Nahiñ, Jiske Jawab Me Aap Taherir Farmate Hai Ki,


(Aysa) Hargiz Na Ho, (ki Isme) Sakht Fitna He Or Chaar Sanba (Budh Ka Din) Mahaz Be Asl He. (Yaani Iski Koi Asl Nahi)

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-22, Mas'ala-98)*


Or Huzur Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,


Maahe Safar Ka Aakhri Char Shanba (Budh) Hindustan Me Bahut Manaya Jata He Log Apne Karobar Band Kar Dete Hai Or Sero Tafreeh (Gumne Firne) W Shikar Ko Aate Hai Or Puriyañ Pakti Hai Log Nahate Dhote Khushiyañ Manate Hai Or Kahte Ye He Ki Huzure Akram  ﷺ Ne Isi Roz Gusle Sehat Farmaya Tha Or Berune Madina Ser Ke Liye Tashreef Le Gaye The Ye Sab Baateñ Be Asl He Balki In Dinoñ Me Huzure Akram ﷺ Ka Marz Shiddat Ke Sath Tha Vo Baateñ Khilafe Waaqe'a Hai.. Or Baaz Log Ye Kahte Hai Ki Is Roz Balayeñ Aati Hai Or Tarah Tarah Ki Baateñ Bayan Ki Jaati Hai Sab Be-suboot He. 

Balki Hadees Ka Ye Irshad 

لا سفر

*📚(Sahih Bukhari, Kitabul Tibb, Hadees-5757, J-4, S-36)*

Yaani Safar Koi Cheez Nahi, Aysi Tamam Khurafat Ko Rad Karta He.

*📚(Bahare Shariyat, Hissa-16, Aadabe Safar Ka Bayan, Mas'ala-41)*


Or Huzur Bahrul Uloom Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,


Aakhiri Chaar Shamba Ke Naam Par Musalmano Ne Jo Rasmein Ijaad Kar Li Hain, Shariyat Me Inki Koi Asal Nahin Hai, Hadees Shareef Se Iske Khilaf Saabit Hai, 

Irshaade Nabawi Hai,

"Ullu Ke Bol Aur Safar Koi Shay Nahiñ" 

Haañ Riwayatoñ Se Saabit Hai Ke Is Din Se Huzoor ﷺ Ka Marz Badh Gaya Tha

*📚(Fatawa Bahrul Uloom, J-5, S-267)*


Lihaza Safar Ke Aakhri Budh Manane Ki Koi Asl Nahi..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓5 Oct 2021, 27 Safarul Muzaffar 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts