Biwi Ko Khush Karne Ke Liye Shohar Ka Jhut Bolna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Kya Aadmi Apni Bivi Ko Manane Ke Liye Jhut Bol Sakta H


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Biwi Ko Khush Karne Ke Liye Jhuth Bolne Ki Ijazat He Maslan Khawind Biwi Se Yuñ Kahe Ki Me Tujhe Sabse Zyada Muhabbat Karta Hu, Tum Sabse Zyada Khubsurat Ho, Wagairah Wagairah... Yahañ Sirf Azdwaji Zindagi Khush'haal Ho Is Wajah Se Is Tarah Jhuth Bolne Ki Ijazat He, Ye Nahiñ Ki Biwi Se Jhuth Bol Kar Dhoka De Ya Har Muaamlaat Me Jhuth Bole..


Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: Jhut Kahiñ Thik Nahiñ Magar 3 Jaghoñ Me, Mard Apni Aurat Ko Raazi Karne Ke Liye Baat Kare Or Ladai Me Jhut Bolna Or Logoñ Ke Darmiyan Sulah Karane Ke Liye Jhut Bolna.

*📚(Sunan Tirmizi Kitabul Birr Was Sila, Hadees-1945, J-3, S-377)*


Teen Soortoñ Me Jhut Bolna Jaaiz He Yaani Isme Gunah Nahi. 


Ek Jung Ki Soorat Me Ki Yahañ Apne Muqabil Ko Dhoka Dena Jaaiz He, Isi Tarah Jab Zaalim Zulm Karna Chahta Ho Uske Zulm Se Bachne Ke Liye Bhi Jaaiz He. 


Dusri Soorat Ye He Ki Do Musalmanoñ Me Ikhtelaf He Or Ye Un Donoñ Me Sulah Karana Chahta He, Maslan Ek Se Samne Ye Kahde Ki Vo Tumhe Achha Janta He, Tumhari Ta'arif Karta Tha Ya Usne Tumhe Salam Kahla Bheja He Or Dusre Ke Paas Bhi Isi Qism Ki Baateñ Kare Taaki Donoñ Me Adawat Kam Ho Jaye Or Sulah Ho Jaye.


Tisri Soorat Ye He Ki Bibi Ko Khush Karne Ke Liye Koi Baat Khilafe Waqe'a Kahde.

*📚(Bahare Shariyat, H-16, Jhuth Ka Bayan, Mas'ala-1)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓24 June 2021, 13 Zilqad 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Iqamat Ke Waqt Anguthe Chumna Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Iqamat Ke Waqt Anguthe Chumna Kesa ?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Iqamat Ya Azan Me Naame Aqdas ﷺ Sun Kar Anguthe Chum Kar Aankho Se Lagana Jaaiz W Mustahab He, Is Amale Hasan Ke Jawaz Par Dalaail Maujud Hai Or Agar Koi Daleel Na Bhi Ho To Mana'a Par Shara'a Se Daleel Na Hona Jawaz Ke Liye Kaafi He. Isme Koi Khilafe Shara'a Amal Nahi, Balki Huzure Aqdas ﷺ Ke Naam Ki Ta'azeem He. Or Ye Bilashubah Jaaiz He.


Imame Ahle Sunnat Mujaddide Dino Millat Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ne Is Par Ek Mukammal Risala Taherir Farmaya Ba-naam نھج السلامۃ فی حکم تقبیل الابھامین فی الاقامۃ  Yaani "Iqamat Ke Dauran Anguthe Chumne Ke Hukm Me Umda Tafseel" .. Jiske Aakhir Me Aala Hazrat Alaihir Rahma Taherir Famate Hai Ki,


A'imma E Deen Tasreeh Farmate Hai Ki Jo Kuchh Nis Qadar Adab W Ta'azeeme Habeeb Rabbul Aalameen ﷻ Wa ﷺ Me Zyada Madakhilat Rakhe Usi Qadar Zyada Khub He, 


Fat'hul Qadeer Par Imame Itlaq W Munsalik Mutawassit W Aalamgiriya Wagairah Me He,


Jis Qadar Bhi Adab W Izzat Me Kamil Ho Itna Hi Zyada Achha He.


To Musalman Agar Bawaqte Iqamat Bhi Taqbil (Anguthe Chume) Kare Hargiz Wajhe Mumaneat Nahi, Or Shar'an Najaaiz Na Kahega Magar Vo Ki Shara'a Par Iftera Karta Ya Naam W Ikraam Saiydul Anaam Alaihi Afzalus Salato Salam Se Jalta He. Isi Tarah Namaz W Istema'e Qura'an Majeed W Istema'e Khutba Jin Me Harkat Mana'a He Or Unke Amsaal Mawaze'a Luzoom Ke Siwa Jahañ Kahiñ Bhi Ye Fe'al Banazare Ta'azeem W Muhabbat Hazrate Risalat Alaihi Afzalus Salat Wat Tas'heeha Ho Jaisa Ki Ba'az Muhibbane Sarkar Se Mash'hoor He Bahrhaal Mahboob W Mahmood He.

*📚(Fatawa Razviya, J-5)*


Mazeed Tafsil W Hawala Jaat Ke Liye Imame Ahle Sunnat Ka Risala Muta'ala Farmaye..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓24 June 2021, 13 Zilqad 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Shadi Ke Liye Photo Nikalna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Kya Sadi Ke Riste Ke Liye Photo Nikal Skte Hai 

Jaise Hm Goverment Ke Document Ko Banane Ke Liye Photo Nikalte Hai ???


*🌹JAWAB:-🌹*

Is Ka Hukm Bhi Vazeh Hai K Najaayiz O Haraam Hai Kyu K Is Me Koi Hajat Zarurat Ka Tahaqquq Hargiz Nahi Balke Is Me Mushahda Hai K Dhoka Hota Hai Photoshop K Kamal Se 19 Ka Model Bhi 20 Ka Lagta Hai Or Jab Samne Aata Hai To Kuch Or Hi Nazara Hota Hai ۔۔۔

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*

*_📬Markazul Uloomil Islamiyah Al-Madrasatul Alwiyyah, Petlad_*

*🗓️21 June 2021, 10 Zilqad 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Haiz Me Qura'an Sunna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Halat E Haiz Me Qurani Aayat Mobile Me Sunn Sakte Hain?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Halate Haiz Ya Nisaf Me Aurat Ka Qura'an Ki Aayat Kisi Se Muh Zabani Ya Mobile Wagairah Se Sunna Jaaiz He. 


Jaisa Ki Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Is Tarah Ke Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai,

(Aurat Ka Haiz O Nifaas Mein Tafseer Ka Bayan Aur Quran Pak Ki Tilawat Sunna) Jaaiz He.

Http://jamiaturraza.com/session/14Oct12/19.mp3

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️23 June 2021, 21 Zilqad 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Social Media Par Sirf Ek Jagah Jandar Ki Tasweer Profile Par Rakhne Wale Imam Ki Iqteda Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Taman Social Platform Me Se Kisi Ek Platform Par Kisi Ne Apne Profile Par Jaandaar Ki Tasveer Lagayi Ho Ab Wo Shaqs Agar Imamat Kare To Uski Iqtada Me   Namaz Ho Jayegi.

Rehnumai Farmaea


*🌹JAWAB:-🌹*

Bila Wajhe Sharai Tasweer Kashi Ki Hargiz Ijazat Nahi.. Or Social Media Ka Koi Bhi Platform Na Zaroorat He Na Hajat Lihaza Dp Profile Par Apni Ya Kisi Bhi Jandar Ki Tasweer Rakhna Najaaizo Haram He. Or Ye Amal Aelaniya Hi Hota He Lihaza Ayse Imam Ke Pichhe Namaz Makroohe Tahreemi Wajibul Ae'aada Hogi Or Ayse Shakhs Ko Imam Banana Gunah.

Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*

*_📬Markazul Uloomil Islamiyah Al-Madrasatul Alwiyyah, Petlad_*

*🗓️20 June 2021, 9 Zilqad 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Barish Ki Wajah Se Qabr Beth Jaye To Kya Kare ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

_Aoulma_e_Kiraam Ki Bargah Me Salaam Arz Hai..._

 _اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎_ 

_Hazrat Hamara 1 Sawal Hai Wo Ye Ki Lagatar Kuchh Dino Se Tezz Barish Ho Rahi Hai Jiski Wajah Se Haal Hi Me Inteqal Huyi Hamare Rishtedar Ki Qabr Kafi Niche Dhas Chuki Hai...Ab Kya Kiya Jaye❓Rahnumayi Kare Badi Meharbani Hogi...._

_Adil Sharaf Amin_

_Siwan, Bihar_

_17/06/2021_


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Barish Ki Wajah Se Ya Kisi Wajah Se Qabr Agar Dhans Jaye To Us Par Mitti Daal Kar Sahih Ki Jaye Or Agar Mayyat Ka Kafan Ya Jism Ya Haddiyañ Wagairah Dikhai De To Sirf Jaaiz Hi Nahi Balki Wajib He. 


Aapke Masail Me He,

Mayyat Par Mitti Daal Kar Dabana Jaaiz Nahi, Zameen Ki Satah Par Pahle Baans, Lakdi Ke Takhte Or Upar Se Chataai Wagairah Koi Chiz Bichha Kar Mitti Daaleñ Taaki Mayyat Ki Behurmati Na Ho Or Qabroñ Ka Nishan Mahfooz Rahe, Ye Jaaiz He Ki Is Me Ehterame Muslim He.

*📚(Aapke Masail, Safha-213)*


Or Ziya E Shariyat Me He,

Agar Qabr Is Tarah Khul Gai Ki Mayyat Ka Kafan Ya Haddiyañ Wagairah Dikhai Dene Lage To Is Soorat Me Us Qabr Par Mitti Dalna Faqat Jaaiz Hi Nahi Balki Wajib He.

Aysa Hi *📚(Fatawa Razviya, J-4, S-101)* Par Bhi He.

*📚(Ziya E Shariyat, J-1, S-212)*


Or Barish Ki Wajah Se Qabr Me Paani Chala Jaye Ya Surakh Ho Jaye To Usko Kholna Jaaiz Nahi Upar Se Mitti Daal Kar Sahi Kar Sakte He, Kyuñ Ki Hukme Shara'a Ye Hs Ki Bila Azre Sharai Qabr Kholna Najaaizo Haram He, Or Qabr Ka Dab Jana Ya Usme Paani Jana Ye Kholne Ke Liye Azre Sharai Nahi..


Qabr Kholne Ke Liye Aazar Shariyat Me Ye Bayan Kiye Hai Maslan, 

Kisi Ki Zameen Me Bagair Malik Ki Ijazat Ke Dafn Kar Diya Gaya Or Malik Us Par Raazi Nahi Ya Gasab Kiye Huve Kapde Me Dafn Kiya Gaya Ya Kisi Ka Maal Qabr Me Rah Gaya Or Maal Wala Uska Taqaza Kar Raha Ho In Aazar Ke Alawa Qabr Kholna Jaaiz Nahi.


Lihaza Barish Ki Wajah Se Qabr Beth Jaye Ya Dab Jaye To Us Par Mitti Daal Kar Sahi Ki Ja Sakti He, Qabr Ko Kholne Ki Ijazat Nahi..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓17 June 2021, 6 Zul Qa'ada 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

BadMazhab Ke Salam Ka Jawab Dena Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Koi Devbandi Agar Salaam Kare To Uske Salaam Ka Jawaab Desakte H


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Wahabi Deobandi Shia Wagairah BadMazhab Apne Aqaaide Kufriya Ki Buniyad Par Kafiro Murtad He, Unhe Salam Karna Unke Salam Ka Jawab Dena Yahañ Tak Ki Unke Paas Bethna Mel Jol Sab Najaaizo Haram He. UnSe Salam Or Uska Jawab Dene Me Uski Ta'azeem w Tauqeer He Jo Sakht Najaaizo Haram He.


Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

عن ابی ھریرۃ رضی اﷲ تعالی عنہ عن النبی صلی اﷲ تعالی علیہ وسلم ایاکم وایاھم لایضلونکم ولایفتنونکم۔

Sahih Muslim Shareef Me Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu Se He Nabi  ﷺ Ne Farmaya Unse Alag Raho Unheñ Apne Se Door Rakho Kahiñ Tumhe Bahka Na De Vo Tumhe Fitne Me Na Daal Deñ.

*📚(صحیح مسلم باب النہی عن الروایۃ عن الضعفاء قدیمی کتب خانہ کراچی ۱/ ۱۰)*


زاد ابن ماجۃ عن جابر رضی اﷲ تعالی عنہ عن النبی صلی اﷲ تعالی علیہ وسلم وان لقیتموھم فلا تسلموا علیہم ۲؎۔

Ibne Maja Ne Ba Riwayat Jabir Radiallahu Anhu Is Qadar Or Barhaya Jab Unheñ Milo To Salam Na Karo.

*📚(سنن ابن ماجہ باب فی القدر ایچ ایم سعید کمپنی کراچی ص۱۰)*


وللطبرانی وغیرہ عن عبداﷲ بن بشیر رضی اﷲ تعالی عنہ عن النبی صلی اﷲ تعالی علیہ وسلم من وقرصاحب بدعۃ فقد اعان علی ھدم الاسلام؎۔

Tabrani Wagairah Abdullah Bin Basheer Radiallahu Anhu Se Raawi Nabi E Kareem  ﷺ Ne Farmaya: Jo Kisi BadMazhab Ki Tauqeer Kare Usne Islam Ko Dhaane Me Madad Ki.

*📚(المعجم الاوسط مروی حضرت عائشہ رضی اللہ تعالی عنہا حدیث ۶۷۶۸ مکتبۃ المعارض الریاض ۷/ ۳۹۶)*

*📚(حلیۃ الاولیاء ترجمہ ۳۱۷ حضرت خالد بن معدان دارالکتب العربی بیروت ۵/ ۲۱۸)*

*📚(Fatawa Razviya, Mutarjim, J-14, S-582, Mas'ala-208)*


Or Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Wahabiya Kafiro Murtad Or Gumrah BadMazhab Hai To Unheñ Dil Se Bura Janna Bhi Zaroori He Or Unse Ta'alluqat Rakhna, Unke Salam Ka Jawab Dena Or Unse Musafa Karna Bhi Najaaizo Haram He.


Hadees Shareef Me He BadMazhab Se Door Raho Or Unheñ Apne Se Door Rakho Kahiñ Vo Tumhe Gumrah Na Kar Deñ Jab Unse Mulaqat Ho To Unheñ Salam Na Karo. Or Ye Bhi He Ki Jab Tum Kisi BadMazhab Ko Dekho To Uske Samne Tarsh Rooi Se Pesh Aao Is Liye Ki Khuda Ta'ala Har BadMazhab Ko Dushman Rakhta He. Or Ye Bhi He Ki BadMazhab Deene Islam Se Aysa Nikal Jata He Jaisa Ki Gundhe Huve Aate Se Baal Nikal Jata He.

*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-2, S-325)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓10 June 2021, 28 Shawwalul Mukarram 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jannati Sharab Or Dunyavi Sharab Me Kya Farq He

 *🌹SAWAL:-🌹*

Jannati Sharab Or Dunyavi Sharab Me Kya Farq He ?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Sharab Ka Lagwi Ma'ana Shorba Ya Pine Wali Cheez Hota He, Dunyawi Sharab Badboodaar Kadwaahat Wali Or Nasha Wali Hoti He, Jiske Pine Wala Be Aql Ho Jata He, Jabki Jannati Sharab Paak W Saaf Or Pakiza Khushboo Wali Bagair Nasha Ki Hoti He.. Or Un Sab Baato Se Paak W Munazzza He.


Jaisa Ki Qura'an Shareef Me Rab Tabarak W Ta'ala Irshad Farmata He,

وَسَقَاهُمْ رَبُّهُمْ شَرَابًا طَهُورًا

Or Unheñ Unke Rabne Suthri Sharaab Pilaai.

*📚(Surah Dahar, Aayat-21)*


Is Aayat Ki Tafseer Me He,

Ya'ani Un Jannati Ke Badan Par Bareek Or Mote Resham Ke Sabz Kapde Honge Or Unheñ Chandi Ke Kangan Pahnaye Jayeñ Ge Or Unka Rab Unheñ Paakiza Sharab Pilayega Jo Ki Intehai Paak Saaf Hogi Na Use Kisi Ka Hath Laga Hoga, Na Kisi Ne Use Chhuva Hoga Or Na Vo Pine Ke Baad Dunya Ki Sharab Ki Tarah Jism Ke Andar Sad Kar Peshab Banegi Balki Us Sharab Ki Safaai Ka Ye Aalam He Ki Jism Ke Andar Utar Kar Pakiza Khushboo Ban Kar Jism Se Nikalti He Or Jannat Me Rahne Waloñ Ko Khane Ke Baad Sharab Pesh Ki Jayegi, Use Pine Se Unke Pet Saaf Ho Jayeñge Or Jo Kuchh Unhoñ Ne Khaya Hoga Vo Pakiza Khushboo Ban Kar Unke Jismoñ Se Niklega Or Unki Khwahisheñ Or Ragbateñ Phir Taza Ho Jayeñgi.

*📚(Khazin, Al-insan, Tahat Aayat-21 J-4, S-341)*

*📚(Tafsire Seeratul Jinaan, Surah Dahar, Aayat-21)*


Or Isi Tarah Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Wahañ Ki Sharab Dunya Ki Si Nahiñ Jis Me Badboo Or Kadwaahat Or Nasha Hota He Or Pine Wale Be Aql Ho Jate Hai, Aape Se Bahar Ho Kar Behuda Bakte Hai, Vo Paak Sharab In Sab Baatoñ Se Paak W Munazzza He.

*📚(Bahare Shariyat, H-1, Jannat Ka Bayan)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*10 June 2021, 28 Shawwalul Mukarram 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Father's Day Manana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ

Father's Day Manana Kesa H. ???


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Father's Day Umuman June Mahina Ki Tisre Ravivar (Sunday) Ko Manaya Jata He.. Iski Ijaad Christians (Isai) Logo Ne Ki Thi.. Father's Day, Mother's Day Ya Isi Tarah Digar Din Manane Ki Koi Sharai Hesiyat Nahi. In Dino Ka Intezam W Ehtemam Gair Muslimo Ki Tahzib Se Mushabihat He.. In Dino Ke Manane Se Ehteraz Or Aysi Rasmoñ Ki Hosla Shikni Chahiye.. 


Hadees Shareef Me Huzur ﷺ Farmate He,

من تشبہ بقوم فہو منہم

Jo Kisi Qaum Se Mushabehat Paida Karega Vo Unhi Me Se Hoga.

*📚(Sunan Abu Dawood, J-2, S-203)*


Dusri Hadees Me He Huzur ﷺ Farmate He,

من کثر سواد قوم فہو منہم۔

Jo Kisi Qaum Ki Jama'at Barhaye Vo Unhi Me Se He.

*📚(Tarikhe Bagdad Tarjama Abdullah Bin Itaab, J-10, S-40)*


Or Islami Ta'alimat Ye He Ki Saal Bhar Walidain Ki Khidmat Ki Jaye Or Unke Sath Husne Sulook Se Pesh Aaye, Or Hamesha Walidain Ki Raza Hasil Kare..


Hadees Shareef Me He,

عن عبداللہ بن عمرو، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال: " رضا الرب في رضا الوالد، وسخط الرب في سخط الوالد "۔

Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhu Se Riwayat He Ki Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya: Rab Ki Raza Walid Ki Raza Me He Or Rab Ki Narazgi Walid Ki Narazgi Me He.

*📚(Sunan Tirmizi, Hadees-1900)*


Isi Tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Huzur Tajushshariya Alaihir Rahma Farmate Hai,

Mother's Day Or Father's Day Isme Kya Hota He Or Ye Kis Taur Par Manaya Jata He Me Isse Waqif Nahi Hu, Or Sawal Ke Tarz Se Maloom Ye Hota He Ki Ye Christians Ke Festival Or Unke Ye Function He Agar Ye Khas Unke Festival Ya Function He Ya Uske Andar Kuchh Aysi Baateñ Ki Jati He Jo Khilafe Shara'a He Or Khas Christianity Ki Pahechan He To Isme Mumaneat Me Shiddat He Or Isko Manane Ki Ijazat Nahi He.

http://jamiaturraza.com/session/12May09/8.mp3


Lihaza Gair Muslim Ke Ijad Kiye Huve Din Father's Day Wagairah Manane Se Ehteraz Karna Chahiye. Or Isme Koi Khilafe Shara'a Amal Ho To Iski Hargiz Ijazat Na Hogi. Albatta Islami Ta'alimat Par Amal Karte Huve Walidain Ki Hamawaqt Khidmat Karni Chahiye...

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓22 June 2021, 10 Zilqad 1442*


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jo Kisi Se Bay'at Na Hua Ho Or Gause Aazam Ko Peer Manta Ho To Kya Vo Gause Aazam Ka Mureed He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اسلام علیکم و رحمہ اللہ و برکاتہ 

Ji Mera Ye Suwaal Hai Ke Fulaañ Shaksh Filhaal Kisi Se Murid Nahi Hai. Par Vo Piraan E Pir Dastgeer Huzur Gaus Ul Aazam رحمۃاللہ علیہ Ko Apna Peer Manta Hai Or Is Nisbat Se Khudke Naam K Sath Qadri Likhta Hai. Esa Karna Durust Hai..? جزاک اللہ خیرا


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Us Shakhs Ko Chahiye Ki Kisi Ba Shara'a Peer Se Bay'at Kare.. Albatta Vo Huzur Gause Aazam Ko Dil Se Apna Murshid Manta He To Vo Gause Aazam Ke Mureedoñ Ke Zumre Me He.. Or Vo Gause Aazam Ki Nisbat Se Apne Naam Ke Sath Qadri Bhi Likh Sakta He..


Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Hazrat Allama Mufti Jalaluddin Ahemad Amjadi Alaihir Rahma Bahjatul Asraar Ke Hawale Se Taherir Famate Hai,


Huzur Gause Aazam Radiallahu Anhu Se Arz Kiya Gaya Ki Agar Koi Shakhs Huzur Ka Naam Leva Ho Or Usne Na Huzur Ke Daste Mubarak Par Bay'at Ki Ho Na Huzur Ka Khirqa Pahna Ho Kya Vo Huzur Ke Mureedoñ Me Shumar Hoga, 

Farmaya: Jo Apne Aap Ko Meri Taraf Mansoob Kare Or Apna Naam Mere Gulamo Ke Daftar Me Shamil Kare Allah Ta'ala Use Qubool Farmayega. Or Agar Vo Kisi Napasandida Raah Par Ho To Use Taubah Ki Taufiq Ata Farmayega Or Vo Mere Mureedoñ Ke Zumre Me He Or Beshak Mere Rab Azwajal Ne Mujh Se Wa'ada Farmaya He Ki Mere Mureedoñ, Ham Mazhaboñ Or Mere Har Chahne Wale Ko Jannat Me Dakhil Farmayega.

*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-1, S-41)*

Or Mazeed Tafsil Ke Liye *📚Fatawa Razviya Mutarjim, J-21* Mulaheza Farmaye..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️8 June 2021, 26 Shawwalul Mukarram 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Sabire Paak Ne Apni Zauja Ko Jala Diya Tha ? Iski Wazahat

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaikum Mufti Sahab Awam Me Ye Kaha Jata Hai Hazrat Sabir Pak رضی اللہ تعالیٰ عنہ Ke Jalal Se Unki Zauja Mohtarma Aag Se Jal Gayin???    Hazrat Is Pr Raushni Dalen Hmari Islah Farmaye, JazakAllah

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jalane Ka Ma'ana Ye Nahi Ki Unke Jism Ko Aag Se Jala Diya Balki Apni Dulhan Ki Khwahishate Nafse Ammara Ko Jalana He..

Jaisa Ki Hazrat Sabire Paak Alaihir Rahma Ki Sawaneh Hayat Me Likha He Ki,

Vo Kab Gavara Kar Sakte The Ki Fitri Or Dunyawi Aaram Ki Khatir Tahayyur Ki Bahtareen Raahat Se Mahroom Ho Jayeñ Or Apne Pahlu Me Siwa E Khuda Ke Or Kisi Ko Jagah De. Chunanche Unhone Ek Nazar Me Apni Mankooha Ko Bhi Apne Hi Rang Me Rang Liya Or Apni Dulhan Ki Khwahishate Nafse Ammara Ko Fana Kar Diya Or Jala Kar Raakh Kar Diya, Naa Ki Uske Tane Khaaki Ko Jaise Hazrat Sabir Rahematullah Alaihi Ko Zaujah Ki Zaroorat Nahi Thi, Ayse Hi Unki Mankooha Ko Bhi Zauj Ki Zaroorat Nahi Rahi.  Jaisa Ki Upar Tasawwuf Ke Bayan Me Aa Chuka He Ki Is Ishq Ki Aag Dile Salik Se Maa Siwa Alllah Sab Ko Jala Deti He. Jalane Or Fana Karne Ka  Ma'ana Us Paak Jama'at Sufya E Kiram Ke Nazdik Khwahishate Nafs Ko Jalana Or Fana Karna He.
*📚(Tazkira E Jameel Sawaneh Hayat Makhdoome Paak Sabir Kaliyari, Safha-48)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️8 June 2021, 26 Shawwalul Mukarram 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Quraan Shareef Ko Makhlooq Kahne Wale Par Kya Hukm He

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Hazrat Ki Bargah Me Ek Sawal He,

Agar Koi Quran Sharif Ko Makhlooq Kahe To Uske Bare Me Shariyat Ka Kya Hukm He ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Bahare Shariyat Me Me,

Misle Deegar (Allah Ta'ala Ki) Sifat Ke Kalaam Bhi Qadeem He. Haadas W Makhlooq Nahi, Jo Qura'ane Azeem Ko Makhlooq Maane Hamare Imame Aazam W Digar A'imma Radiallahu Anhum Ne Use Kafir Kaha, Balki Sahaba Radiallahu Anhum Se Uski Takfeer Sabit He.


Or Farmate Hai,

Uska Kalaam Aawaz Se Paak He Or Ye Qura'ane Azeem Jisko Ham Apni Zaban Se Tilawat Karte, Masaahif Me Likhte Hai, Usi Ka Kalame Qadeem Bila Soot He Or Ye Hamara Parhna Likhna Or Ye Aawaz Haadas, Yaani Hamara Parhna Haadas He Or Jo Hamne Parha Qadeem Or Hamara Likhna Haadas Or Jo Likha Qadeem, Hamara Sunna Haadas He Or Jo Hamne Suna Qadeem, Hamara Hifz Karna Haadas He Or Jo Hamne Hifz Kiya Qadeem, Yaani Mutajalli Qadeem He Or Tajalli Haadas.

*📚(Bahare Shariyat, H-1, Aqaaid Muta'alliqa Zaato Sifate Ilahi, Mas'ala-17,18)*


Isi Tarah Fatawa Barkaat Me He,

Qura'an Shareef Allah Ta'ala Ki Kitab He Or Uska Kalaam He Or Aawaz Se Paak He. Uska Kalaam Qadeem Bila Soot He. Is Par Islam Or Ahkame Islam Ka Madaar He.

ھدیً للمتقین ہے. ھدیً لناس ہے. 

*📚Al-baynaat Sharah Maktoobat 223* Par He,

 القرآن کلام ﷲ غیر مخلوق فمن قال غیر ھذا فقد کفر

Qura'an Allah Ta'ala Ka Kalaam He Jo Gair Makhlooq He Jis Ne Usko Makhlooq Kaha Usne Kufr Kiya. Isi Me Usi Safha Par He Aulma E Mutakallimeen Ahle Sunnat Ke Nazdeek Qura'an Allah Ka Kalaame Azli Gair Makhlooq Or Sifate Qadeema He.


Imam Rabbani Quddassirahu Ne Farmaya Ki Hazrat Imame Aazam Abu Haneefa Or Hazrat Imam Abu Yusuf Radiallahu Anhuma Ne Muzakara Ke Baad Muttafiq Taur Par Ye Faisla Farmaya Ki Qura'an Ko Makhlooq W Haadas Kahne Wala Kafir Ho Jata He Or Isi Par Ummat Ka Ijma'a Sabit He.

*📚(Fatawa Barkaat, H-4, S-11,12)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️7 June 2021, 25 Shawwalul Mukarram 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Blood Bank Se Khoon Lena Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Blood Bank Se Khoon Lena Kesa ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

باسمہ تعالی

Khoon Lene Or Dene Me Hukm Yahi He Ki Shara'a Me Jaaiz Nahi.. Na Hiba Kar Sakta He Na Bech Sakta He, Kyuñ Ki Aadmi Iska Malik Hi Nahi Balki Ye Allah Ki Taraf Se Qawam Ki Hayat Ke Liye Bahut Badi Ne'amat He. Yahi Hukm Tamam Insani Aa'aza Ki He.


Blood Bank Se Khoon Lene Ki Do Sorteñ Hai,

1. Khareed Kar Le. 

2. Aoz Me Apna Ya Kisi Ka Khoon De Kar Le.


Lihaza Agar Khoon Lene Ki Hajate Shariyah Shadeeda Waqaeeyah Ho To Paisa De Kar Le.. Jahañ Tak Ho Sake Khoon Ke Aoz Me Na Le.. Lekin Agar Khoon De Kar Liye Bagair Koi Charah Nahi To De Magar Jab Bhi Khoon Dega Chahe Blood Donation Me De Ya Majboori Me De Baharhaal Taubah Lazim He.

Wallahu Ta'ala Aa'alam

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*

*_📬Markazul Uloomil Islamiyah Al-Madrasatul Alwiyyah, Petlad_*

*🗓️6 June 2021, 24 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Toilet Me Qibla Ki Janib Muh Ya Pith Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Naye Makan Me Toilet Sit India Me uttar Dakshin Ki Taraf Bithate Hai Lekin Isme Pith Kis Taraf Honi Chahiye Uttar Ki Taraf Ya Dakshin Ki Taraf Kisi Ne Bataya Ki Dakshin Ki Taraf Awwal Qibla He Is Taraf Pith Nahi Kar Sakte Toilet Me.. Is Ka Jawab Ata Kare Hazrat Pith Kis Taraf Rakh ?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Qaza QiblaE Hajat Ke Waqt Ki Janib Pith Ya Munh Karna Jaaiz Nahi. Iske Alawa Jis Taraf Pith Kare Maslan Uttar Ko Ya Dakshin Ko Pith Ya Munh Kare Koi Harj Nahi..


Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Pakhana Peshab Ke Waqt Qibla Muazzama Ka Isteqbal W Istedbaar (Yaani Qibla Ki Taraf Muñh Ya Pith) Donoñ Najaaiz Hai.


Shumal (North/ Uttar) Junoob (South/ Dakshin) Ki Koi Takhsees Nahiñ Qibla Ko Na Munh Ho Na Pith Phir Jis Taraf Bhi Bethe Jaaiz He.


Or Farmate Hai,

Na Baytul Muqaddas Yahañ Se Thik Shumal (Uttar) Ko He Na Bagdad Shareef, Balki Donoñ Yahañ Se Janibe Magrib (West/ Pashchhim) Hi Hai Agarche Shumal Ko Qadre Jhuke Huve Or Shariyat Par Zyadat Ki Ijazat Nahiñ Or Agar Un Logon Ka Kahna Farz Kar Liya Jaye Ki Vo Janibe Shumal Hi Hai To Faqat Isteqbaal Hi Be Adbi Nahiñ Balki Istedbaar Bhi. Ab Mashriq Ya Magrib Ko Munh Ya Pith Hogi Or Junoob W Shumal Ko Yuñ Mana'a Huva Ki Baytul Muqaddas Ya Bagdad Shareef Ko Roo Ya Pusht Hogi To Qaza E Hajat Ke Waqt Kisi Taraf Munh Karne Ki Ijazat Na Rahi. Ye Kyuñ Kar Mumkin. Har Jahat Ka Hukm Uske Donoñ Pahluwoñ Me 45, 45 Darje Tak Rahta He Jis Taraf Namaz Me Isteqbale Qibla, To Tamam Aafaaq Ka Ehata Ho Gaya Or Qaza E Hajat Ki Koi Soorat Na Rahi.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-4, Mas'ala-425,426,427)*


Or Hadees Shareef Me He, RasoolAllah ﷺ Farmate Hai,

اذااتی احدکم الغائط فلا یستقبل القبلۃ ولا یولھا ظھرہ ولکن شرقو اوغربو

Jab Tum Me Se Koi Shakhs Pakhane Ko Jaye To Na Qibla Ko Munh Kare Na Pith Purab Pachchhim Munh Karo.

*📚(۱؎ صحیح البخاری باب لاتستقبل القبلۃ بغائط الخ مطبوعہ قدیمی کتب خانہ کراچی ۱/۲۶)*

*📚(سنن ابو داؤد باب کراہیۃ استقبال القبلۃ الخ مطبوعہ آفتاب عالم پریس لاہور ۱/۳)*

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-6, S-113)*

 

Lihaza Qaza E Hajat Ke Waqt Qibla Rukh Munh Ya Pith Donoñ Jaaiz Nahi. Lihaza Toilet Sit Ka Rukh Uttar Ya Dakshin Kisi Bhi Taraf Rakh Sakte He, 

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️5 June 2021, 23 Shawwalul Mukarram 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Isaale Sawab Or Chaliswa Din Mukarrar Karna Or Kya Chaliswe Ke Ek Do Din Baad Ya Pahle Fatiha Kar Sakte He

 *🌹SAWAL:-🌹*

_Aoulma_e_Kiraam Ki Bargah Me Salaam Arz Hai..._


 _Hazrat Hamara 3 Sawal Hai Jawab Inayat Karein Badi Meharbani Hogi:_ 


 _*1st Sawal* : 5th May(24 Ramadan) Ko Raat 10:05pm Me Kisi Ka Inteqal Hua To Ab Uska 40liswa Kb Hoga Jisme Qur'Aan Khani/Fateha Khani/Milad Shareef Waghairah Sahi Din Or Waqt Per Ho Sake❓_ 


 _*2nd Sawal :* Wo Ye Ki Rishtedar Hi Me Kuchh Ka Kahna Hai Ke Iss Tarikh Ko Nahi Iss Tarikh Ko Karo Nahi To *3 Chand*  Ho Jayega Kya Iss Tarah Ki Baatein Sahi Hai Ya Nahi Or Iss Per Amal Karna Durust Hai Ya Nahi❓_ 


 _*3rd Sawal :* Wo Ye Ki 40liswa Me Din Kam Or Zayada(Ghataya/Badhaya) Jata Hai Kya Or Iss Tarah Ki Ijazat Hai Ya Nahi❓_ 


 _Adil Sharaf Amin_

_Bhagalpur, Bihar._


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

1. Marhum Ke Isale Sawab Ke Liye Fatiha Khwani Ya Qura'an Khwani Ya Mahefile Milad Wagairah Kisi Bhi Din Kar Sakte He, Ham Jo Din Muta'ayyan Karte Hai Vo Urfi He Sharai Nahi, Lihaza Ginti Me 39 Ya 40 Ya 41 Jis Din Rakha Jaye Sahih Or Durust He,   Din Ghatane Badhane Me Koi Sharai Qabahat Nahi, Or Aasani Ke Liye Ek Din Mukarrar Kar Lena Bhi Durust He. 40 Ka Adad Roohani W Jismani Taraqqi Ka He Is Liye Chahelum Muqarrar Karte Hai Agar Uske Aage Pichhe Din Bhi Kare To Koi Harj Nahi Or Agar Chaliswañ Karna Chahe To Marhum Ke Inteqal Hone Ke 40ve Din Ya Uske Baad Wale Din Kar Sakte Hai


Jaise 5 May Ko Raat Me Intiqal Hua To Tisa Mahina Hone Ke Eitebar Se 15 June Ko Raat Me 40 Din Pure Honge To Wo 15 June Ki Subah Ya 16 Wi Subah Ko Bhi 40we Ka Fatiha Rakh Sakta He.


2. Is Tarah Ki Koi Baat Nazar Se Na Guzri, Balki Fatiha Ya Isale Sawab Kisi Bhi Din Kar Sakte He, Iski Kisi Bhi Tarikh Ya Din Ki Mumaneat Nahi..


3. Or Teeja, Daswañ, Biswañ Chalishwañ Aur Barsi Wagairah Ka Asl Maqsad Isaale Sawab He, Yaani Qura'an Sharif, Durood Sharif, Kalma Sharif Wagairah Padh Kar Ya Padhwa Kar Uska Sawab Marhumeen Ko Phunchaya Jaaye, Taki Usko Azabe Qabr Ki Sakhti Se Najaat Mile Aur Usko Aakhirat Me Fayda Hasil Ho..


Ab Raha Ye Sawal Ke Uske Liye Din Muqarrar Karna To Uska Muaamla Ye He Ke Aasani Ke Liye Din Fix Karna Jaaiz He, Magar Usko Wajib Ke Darje Me Thehra Lena Sakht Jahalat He, Ke Ye Samjhna Ke Mukammal Teen Din Ya Das Din Ya 40 We Din Agar Sawab Phunchaenge Tabhi Usko Phunchega Warna Nahi Phunchega Ye Shariyat Me Zyadati Karna He...


Lihaza Mukammal 40 Din Par Ya Uske Ek Do Din Pehle Ya Baad Me Bhi Isaal E Sawab Kar Sakte He Isme Koi Haraj Nahi.


Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,


Amwaat Ko Isaale Sawab Qat'an Mustahab. RasoolAllah ﷺ Farmate Hai,

:من استطاع منکم ان ینفع اخاہ فلینفعہ

Jo Apne Bhai Ko Nafa'a Pahuncha Sake To Chahiye Ki Use Nafa'a Pahunchaye.

*📚(صحیح مسلم باب استحباب الرقیۃ من العین الخ نور محمد اصح المطا بع کراچی ۲ /۲۲۴)*


Or Ye Taynaate Urfiya Hai, Inme Aslan Harj Nahiñ Jabki Unheñ Shar'an Lazim Na Jane, Ye Na Shamjhe Ki Unhiñ Dinoñ Sawab Pahunchega Aage Pichhe Nahiñ.


RasoolAllah ﷺ Farmate Hai,

صوم یوم السبت لالک ولاعلیک ؎

Roz e Shamba Ka Roza Na Tere Liye, Na Tere Upar

*📚(مسند احمد بن حنبل حدیث امرأۃ رضی اﷲ تعالی عنہا دارالفکر بیروت ۶ /۳۶۸)*

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-9, S-597, Mas'ala-210)*

Wallahu Ta'ala Aa'alam

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Khadim Tadriso Ifta Madresa E Islamiya, Devgadh Bariya, Dahod Gujarat*

*🗓️5 June 2021, 23 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Makkah Se Maqame Taneem Or Wahañ Se Wapsi Par Ehram Pahne Ya Nahi

 *🌹SAWAL:-🌹*

السلام علیکم و رحمة الله و بركاته

Sawal Arz Haike


Zaid Madina Shareef Se  Kaam Ke Silsile Mein Muqame Tan'eem (Masjide Aaysha Jo  Hudoode Haram Ke Baher Hai) Jana Chahata Hai, Kiya Baghair Ahram Ja Sakta Hai, Aur Wahan Se Makkah Baghair Niyaate Hajj O Umrah, Ke Baghair Ahram Ke Ja Sakta Hai,

Baray Karam Rahnumai Fermaen

Jazak Allahu Khaira


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Haañ, Zaid Maqam E Taneem  Jane Ki Hi Niyyat Waqaee Kare Uske Baad Vahañ Se Meccah Jane Ka Qasd Va  Irada Kare. Uske Bad Voh Bagair Ehram Ke Meccah Me Dakhil Ho Sakta Hai. 


Bahar E Shariat Me Hai,

Makkah Muazzama Jane Ka Irada Na Ho Balki Meeqaat Ke Andar Kisi Or Jagah Maslan Jiddah Jana Chahta He To Use Ehram Ki Zaroorat Nahiñ Phir Vahañ Se Agar Makkah Muazzama Jana Chahe To Bagair Ehram Ja Sakta He, Lihaza Jo Shakhs Haram Me Bagair Ehram Jana Chahta He Vo Heela Kar Sakta He Basharteki Waqaee Uska Irada Pahle Maslan Jidda Jane Ka Ho. Neez Makkah Muazzama Haj Or Umrah Ke Irada Se Na Jata Ho, Maslan Tijarat Ke Liye Jeddah Jata He Or Vahañ Se Farig Ho Kar Makkah Muazzama Jane Ka Irada He Or Agar Pahle Hi Se Makkah Muazzama Ka Irada He To Ab Bagair Ehram Nahi Ja Sakta. Jo Shakhs Dusre Ki Taraf Se Hajje Badal Ko Jata Ho Use Ye Heela Jaaiz Nahi.

*📚(Bahare Shariyat, H-6, Meeqaat Ka Bayan, Mas'ala-4)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️5 June 2021, 23 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Logo Ke Aaje Jane Wale Raste Me Apne Ghar Ka Zeena Wagairah Nikalna

 *🌹SAWAL:-🌹*

Asslamualaikum

Hazrat Mera Ek Sawal He

Mera Padosi Apna Ghar Bna Rha He To Jo Rasta He Wo Us Par Gaadi Ke Liye Jo Apni Peri( Zeena) Bna Rha He Wo Gali Me Se Bna Rha He Jisse Baki Logo Ka Rasta Tang Ho Jayega Or Pareshani Hogi

Kiya Aisa Krna Jaiz He Ke Raste Par Qabza Krle

Hazrat Iska Jawab De De Jldi Plz


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Najaaiz He, Shar'an Ye Durust Nahi, Uski Milkiyat Me Jitni Jagah Ho Vo Us Par Apni Sidi Wagairah Bana Sakta He, Uske Alawa Jo Zameen Uski Nahi He Ya Jo Aam Rasta He Logoñ Ke Aane Jane Ka Guzar Bashar Ka Jo Rasta He Us Par Hargiz Hargiz Esi Ta'ameer Karna Jaaiz Nahi He.

Jis Ki Tafsil Bahare Shariyat Wagairah Me Milegi..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️3 June 2021, 21 Shawwalul Mukarram 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Maut Ko Yaad Karna Ya Khud Ke Marne Ki Dua Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Khud Ke Marne Ki Duaa Karna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Dunya Guzashtini W Guzaashtini He, Aakhir Ek Din Mout Aani He Jab Yahañ Se Kuch Karna Hi He To Wahañ Ki Tayyari Chahiye Jahañ Hamesha Rahna He Or Us Waqt Ko Har Waqt Peshe Nazar Rakhna Chahiye.

Huzure Aqdas ﷺ Ne Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhu Se Farmaya: Dunya Me Ayse Raho Jaise Musafir Balki Raah Chalta. 
*📚(Sahih Bukhari, Kitabul Raqaaiq, Hadees-6416, J-4, S-223)*

To Musafir Jis Tarah Ek Ajnabi Shakhs Hota He Or Raah Geer Rasta Ke Khel Tamashoñ Me Nahiñ Lagta Ki Raah Khoti Hogi Or Manzile Maqsood Tak Pahunchne Me Nakaami Hogi, Is Tarah Musalman Ko Chahiye Ki Dunya Me Na Phanse Or Na Ayse Ta'alliqat Paida Kare Ki Maqsoode Asli Ke Hasil Karne Me Aar Aayeñ Or Mout Ko Kasrat Se Yaad Kare Ki Uski Yaad Dunyawi Ta'alluqat Ki Beej Kani Karti He..

Hadees Me Irshad Farmaya,
اکثروا ذکر ھاذم اللذات الموت .
Yaani Lazzatoñ Ki Tod Dene Wali Mout Ko Kasrat Se Yaad Karo.
*📚(Jame Ul Tirmizi, Baab Maza Feel Zikril Mout, Hadees-2314, J-4, S-138)*

Magar Kisi Musibat Par Mout Ki Aarzo Na Kare Ki Uski Mumaneat Aai He Or Nachaar Karni Hi He To Yuñ Kahe, Ilahi Mujhe Zimda Rakh Jab Tak Zindagi Mere Liye Khair Ho Or Mout De Jab Mout Mere Liye Bahetar Ho.
کما ھو فی حدیث الصحیحین عن انس رضی اللہ تعالی عنہ
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Mout Aane Ka Bayan)*

Or Farmate Hai,
Marne Ki Aarzu Karna Or Uski Duaa Mangna Makrooh He, Jabki Kisi Dunyavi Taklif Ki Wajah Se Ho, Maslan Tangi Se Basa Awqat Hoti He Ya Dushman Ka Andesha He Maal Jane Ka Khof He Or Agar Ye Bateñ Na Hoñ Balki Logoñ Ki Halateñ Kharab Ho Gai Mo'asiyat Me Mubtala Hai Use Bhi Andesha He Ki Gunah Me Par Jayega To Aarzoo E Mout Makrooh Nahi.
*📚(Bahare Shariyat, H-16, Mutafarriqat, Mas'ala-31)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️1 June 2021, 19 Shawwalul Mukarram 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Musalman Ko Dajjal Wagairah Kahna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Kisi Musalman Ko Kana Dajjal Se Campare Karna Kaisa Hai...

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kisi Musalman Ke Liye Bila Wajhe Sharai Dajjal Wagairah Jese Bure Alfaz Istemal Karna Najaaizo Haram He.. Kisi Musalman Ko Dajjal Wagairah Kahna Usko Eeza Dena Ya Taklif Dena He, Agar Kisi Ko Keh Diya To Us Shakhs Se Muaafi Mangi Jaye. Or Is Tarah Ki Harkat Se Taubah Kare.

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,
Musalman Ko Bagair Kisi Sharai Wajah Ke Taklif Dena Qataee Haram He.

Allah Ta'ala Ne Farmaya,
وَ الَّذِیْنَ یُؤْذُوْنَ الْمُؤْمِنِیْنَ وَ الْمُؤْمِنٰتِ بِغَیْرِ مَا اكْتَسَبُوْا فَقَدِ احْتَمَلُوْا بُهْتَانًا وَّ اِثْمًا مُّبِیْنًا
Vo Log Jo Imandaar Mardoñ Or Aurtoñ Ko Bagair Kisi Jurm Ke Taklif Dete Hai Beshak Unhoñ ne Bohtan Or Khula Gunah Apne Zimme Le Liya.

Saiyedi Aalam ﷺ Farmate Hai,
’’مَنْ اٰذٰی مُسْلِمًا فَقَدْ اٰذَانِیْ وَ مَنْ اٰذَانِیْ فَقَدْ اٰذَی الله‘‘
Jisne Musalman Ko Taklif Di Usne Mujhe Taklif Di Or Jisne Mujhe Taklif Di Usne Allah Ta'ala Ko Taklif Di.
*📚(Moajamul Awsat, J-2, S-386, Hadees-3607)*

Yaani Jis Ne Allah Ta'ala Ko Taklif Di Bil-aakhir Allah Ta'ala Use Azab Me Giraftar Farmayega. Imame Ajal Raafaee Ne Saiyedna Ali KarramAllahu Wajhahu Se Riwayat Ki, Musatafa  ﷺ Ne Farmaya,
’’لَیْسَ مِنَّا مَنْ غَشَّ مُسْلِمًا اَوْضَرَّہٗ اَوْمَاکَرَہٗ‘‘
Yaani Vo Shakhs Hamare Giroh Me Se Nahiñ Jo Musalman Ko Dhoka De Ya Taklif Pahunchaye Ya Uske Sath Makr Kare. Is Bare Me Beshumar Hadeese He.
*📚(Al-Moajamul Awsat, Hadees-3632)*
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-24, S-418, Mas'ala-166)*

Or Farmate Hai,
Kisi Musalman Balki Kafir Zimmi Ko Bhi Bila Hajate Sharaiya Ayse Alfaz Se Pukarna Ya Ta'abeer Karna Jis Se Uski Dil Shikni Ho, Use Eeza Pahunche, Shar'an Najaaizo Haram He Agarche Fee Nafsa Sachchi Ho.

RasoolAllah ﷺ Farmate Hai,
من دعا رجلا بغیر اسمہ لعنتہ الملائکۃ ۱؎ فی التیسیر ای بلقب یکرھا لابنحو یا عبداﷲ 
Jo Shakhs Kisi Ko Uska Naam Badal Kar Pukare Farishte Us Par La'anat Kareñ Taisir Me He Yaani Kisi Bad Laqab Se Jo Use Bura Lage Na Keh, Ay Banda Khuda Wagairah Se.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-23, S-204)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️1 June 2021, 19 Shawwalul Mukarram 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Deobandi Ka Nikah Sunni Se Karane Wale Imam Par Kya Hukm He

*🌹SAWAL:-🌹*
Imam Ne Deobandi Larke Ka Nikah Kisi Sunni Larki Se Karaya To Us Nikah Ka Kya Hukm He Or Us Imam Par Kya Hukm Hoga ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Deobandi Apne Kufriyate Qata'iya Mandarja Hifzul Iman Safha 8, Tahzirun Naas Safha 3, 14, 128, Or Barahine Qateaa Ki Bunyad Par Ba Mutabiq Fatawa Hussamul Harmain Or As-sawairimul Hindya Kafiro Murtad Hai Or Murtad Ka Nikah Kisi Sunni Ladki Se Hargiz Nahi Ho Sakta..

Jaisa Ki *📚Aalamgiri Ma'a Khaniya Jild-1, Safha-282* Me He,
لایجوز للمرتد ان یتزوج مرتدة ولا مسلمة ولا كافرة اصلية وكذالك لايجوز نكاح المرتدة مع احد کذالک فی المبسوط ھ

Yaani Murtad Ka Nikah Murtada/muslima Or Kafira Asliya Kisi Se Jaaiz Nahi Or Ayse Hi Murtad Ka Nikah Kisi Se Jaaiz Nahi Aysa Hi Mabsoot Me He.

Lihaza Deobandi Ladke Ka Nikah Sunni Ladki Se Hargiz Nahi Huva Agarche Saatvañ Kalma Parhane Ke Baad Nikah Parhaya Gaya He Is Liye Ke Deobandi Murtad To Kalma Parhta Hi Rahta He. Khulasa Ye He Ki Deobandi Ko Kalma Parha Kar Uska Nikah Parha Dena Shaitani Fareb He Or Ye Hargiz Jaaiz Nahi.

Albatta Agar Vo Deobandi Ke Aqaaide Batila Se Taubah Karle Or Apne Deobandi Ke Peshwaoñ Ko Kafiro Murtad Kahe Or Sunni Sahihul Aqeeqah Hone Ka Iqrar Kare To Uske Baad Ek Zamana Par Gahri Nazar Rakheñ Jab Pura Yaqeen Ho Jaye Ki Waqe'ee Vo Sunni Sahihul Aqeeqah Ho Gaya He Or Niyaz Fatiha Wagairah Karta He Or Deobandi Se Bilkul Mel Jol Nahi Rakhta Or Sab Gumrah Firqoñ Se Nafrat Karta He Tab Uska Nikah Sunni Larki Se Jaaiz Hoga.

Neez *📚Fatawa Aalamgiri Ma'a Khaniya, Jild-3, S-468* Me He,
الفاسق اذا تاب لا تقبل شھادته مالم یمض علیه زمان یظھر علیه اثر التوبة ھ
Yaani Deobandi Jante Huve Sirf Kalma Parha Kar Fauran Sunniya Se Nikah Parhane Ke Sabab Nikah Khwañ Mazkoor Sakht Gunahgaar W Fasiq He Or Zana Ka Darwaza Kholne Wala He Us Par Lazim He Ki Aelaniya Taubah W Astagfaar Kare Or Nikahe Mazkoor Ke Batil Hone Ka Aelane Aam Kare Or Nikah Khana Paisa Bhi Wapas Kare Agar Vo Aysa Na Kare To Sab Musalman Uska Boycott Kareñ.

Allah Ta'ala Ka Irshad He,
واما ینسینک الشیطٰن فلا تقعد بعد الذکرٰی مع القوم الظلمین
*📚(Al-Qura'an, Para-7, Ruku'a-14)*

Or Haañ Nikah Khwañ Mazkoor Agar Imam Ke Mansab Par Faaiz Hai To Jab Tak Ki Aelaniya Taubah W Astagfaar Na Kare Uske Pichhe Namaz Parhna Jaaiz Nahi Ki Parhni Gunah Or Jo Parh Li Uska Dohrana Wajib He.

*📚Fatawa Shami Jild-1, Safha-560* Me He,
الفاسق کالمبتدع تکرہ امامته بکل حال بل مشی فی شرح المنیة علی ان کراھة تقدیمه کراھة تحریم ھ۱

Or *📚Durre Mukhtar Ma'a Shami, Jild-1, Safha-475* Me,
کل صلاۃ ادیت مع کراھة تحریم تجب اعادتھا
*📚(Ba-Hawala: Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-441)*
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️30 May 2021, 17 Shawwalul Mukarram 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Juta Chappal Pahan Kar Namaze Janaza Padhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Juta Ya Chappal Pahan Kar Namaze Janza Parhna Kesa ?


*🌹JAWAB:-🌹*

Baaz Log Juta Pahne Or Bahut Log Jute Par Khade Ho Kar Namaze Janaza Parhte Hai, Agar Juta Pahne Parhi To Juta Or Uske Niche Ki Zameen Donoñ Ka Paak Hona Zaroori He, Baqadre Maane'a Najasat Hogi To Uski Namaz Na Hogi Or Jute Par Khade Ho Kar Parhi To Jute Ka Paak Hona Zaroori He.

*📚(Bahare Shariyat, H-4, Namaze Janaza Ka Bayan, Mas'ala-4)*


Imam Ahemad Raza Khan Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

Ehtiyat Yahi He Ki Juta Utar Kar Us Par Paanw Rakh Kar Namaz Parhi Jaye Ki Zameen Ya Tala Agar Napaak Ho To Namaz Me Khalal Na Aaye.

*📚(Fatawa Razviya, J-9, S-188)*

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*

*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🗓️29 May 2021, 16 Shawwalul Mukarram*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts