Sone Ka Chashma Pahenna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Gold .. Sone Ka Chashma Ya Gold Ka Pani Chada Ke Chashma Ko Mard Ke Liye Pahen Na Kaisa Hai....?
Jawab Inayat Farmayiye Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,
Agar Aynak (Chashma) Ka Halqa Ya Qeemeñ Chandi Ya Sone Ki Hai To Aysi Aynak (Chashma) Najaaiz He Or Namaz Uski Or Muqtadiyoñ Sab Ki Sakht Makrooh Hoti He Warna Taanbe Ya Or Dhaat Ki Hoñ To Bahetar Ye Ki Namaz Padhte Me Utaarle Warna Ye Khilafe Awla Or Karaahat Se Khali Nahi.
*📚(Fatawa Razviya, J-7, S-318)*

Wallahu Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,petlad_*
*🗓29 July 2020, 7 Zilhijja 1441*
📲+91

*🌹sawal-o-jawab🌹f.t.s👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Qurbani Ke Badle Garibo Me Paisa Taqseem Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
ASSALAMUALAIKUM WA RAHMAT ULLAHI WA BARKATUH

Bhai Aaj Kal Kuch Muftiyo Ki Taraf Se Fatwe Aarahe Hay
Ki Janwar Ki Qurbani Ke Bajae Qurbani Ki Niyat Se Paisa Gareebo  Me Taqseem Karde To Qurbani Hojaegi

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Qurbani Ke Waqt Me Qurbani Karna Hi Laazim He Koi Dusri Cheez Iske Qaaim Maqam Nahi Ho sakti Maslan Bajaye Qurbani Usne Bakri Ya Uski Qeemat Sadqa Kardi Ye Nakaafi He Usme Nayaabat Ho Sakti He Yaani Khud Karna Zaroori Nahi Balki Dusre Ko Ijazat De Di Usne Kardi Ye Ho Sakta He.
*📚(Aalamgiri)*
*📚(Bahare Shariyat, Hissa-15, Qurbani Ka Bayan)*

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*
*🗓️25 July 2020, 3 Zil Hijja 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Khasi Wale Janwar Ki Qurbani Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Salaam Hzrat Kassi Our Akhkhe Bakre Ki Qurbani Ka Kya Masla Hai
Log Kehte Hai Ki Kassi Bakre Ki Qurbani Nhi Hoti
Kuch Kehte Ho Jati Hai
Is Baat Ka Kya Sharai Huqum Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,
Ayb Daar Janwar Ki Qurbani Jaaiz Nahi. Or Chuñki Khasi Hona Ayb Nahiñ Is Liye Uski Qurbani Jaaiz He.

*📚(Bahare Shariyat, J-2, H-15, Qurbani Ka Bayan, S-2402)* Me He,
Khasi Yaani Jis Ke Khusye Nikaal Liye Gaye Hoñ, Ya Majboob Yaani Jis Ke Khusye Or Azoo E Tanaasul Sab Kaat Liye Gaye Hoñ Unki Qurbani Jaaiz W Durust He.

Durre Mukhtar Me He,
یضحی بالجمإ والخصی
*📚(Durre Mukhtar Ma'a Raddul Muhtar, J-5, S-212)*

Or Fatawa Aalamgiri Me He Ki,
یجوز المجبوب العاجز عن الجماع
*📚(Fatawa Aalamgiri, J-5, S-262)*
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-461)*

Lihaza Khasi Wele Janwar Ki Qurbani Jaaiz W Durust He

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓27 July 2020, 5 Zilhijja 1441*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kafir Ko Gosht Dene Se Qurbani Me Koi Asar Na Hoga

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
Sawal- Kya Ek Gaa'e Main 7 Hisse Hote Hain To Hum Ne Ek Ya Do Hissa Leliya Fir Bakhi 5 Hisse Aur Logh Ne Liye Fir Wo 5 Hisson Main Se Kisi Ne Kisi Whaabi Deobandi Badhmazhab Main Batdiya Ek Ya Do Pekkit Ya Usse Zyada Diye To Wo Qurbani Hogi Ya Nhi Aur Hum Ne Sahi Treeqe Se Gosht Ko Takseem Kiya Lekin Hai To Ek Gaae Hi Jis Main Wo Logh Bhi Aye Aur Hum Bhi.. To Jo Gaae Ki Qurabani Hogai Ya Nhi????? Aur Hum Ne Jo Ki Hamari Bhi Huwi Ya Nhi???

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kafir Ko Qurbani Ka Gosht Dene Se Qurbani Ho Jayegi Isme Harj Nahi, Magar Kafir Ko Qurbani Ka Gosht Dena Jaiz Nahi Dene Wala Gunahgar Zaroor Hoga.

Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Qurbani Ka Gosht Kafir Ko Dena Shar'an Jaaiz Nahi Or Kisi Ne De Diya To Gunahgar He. Taubah Kare Or Qurbani Ho Jayegi Yaani Kafir Ko Gosht Dene Ke Sabab Qurbani Ka Ae'aada Karna Wajib Nahi.
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-457)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️26 July 2020, 4 Zilhijja 1441*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Biwi, Chaar Bete, Ek Beti Virasat Kese Taqseem Kare ? Or Beti Badmazhab Ho To Uske Hisse Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum

Mera Sawal He K Ager Zaid Ki Zameen Biki To Hisse Batne Ka Sahi Tarika Kya He
Virasat K Hakdar 6 Log He Usme 1 Zaid Ki Biwi, 4 Bete Or 1 Beti To Kisko Kitna Milega ?

Note: Bhai Sunni He Aor Bahen Tabligi He Is Surat Me Kya Hukm He.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Bar Sidqe Mustafti Puri Jaaidad Me Se Aañthva (8) Hissa Biwi Ka Hoga,
Qura'an Shareef Me Hai,
فَإِن كَانَ لَكُمْ وَلَدٌ فَلَهُنَّ الثُّمُنُ مِمَّا تَرَكْتُم
*📚(Surah Nisaa, Aayat-12)*

Or Baaqi Jo Jaaidad Bachegi Usme Ladki Ko 1 Hissa aur Usse Double Ladke Ka Hissa Hoga ,
Quran Sharif me hai,
لِلذَّكَرِ مِثْلُ حَظِّ الْأُنثَيَيْنِ
*📚(Surah Nisaa, Aayat-11)*

Or Is Pure Mas'ala Ki Tasheeh 72 Se Hogi, Yaani Puri Jaaidad Ke 72 Hisse Kareñge Or Usme Se 9 Hisse Aurat (Biwi) Ke  Hoñge Or 7 Hisse Ladki Ke Or 14,14 Hisse Har Har Ladke Ke Hoñge, 4 Bhaiyoñ Ke 14 14 Hisse Or Ek Ladki Ka 7 Hissa Or Aurat Ka 9 Hisse, Yuñ Hi Totel 72 Hisse Hoñge.
Or Agar Yaqeeni Taur Par Beti Tabligi, Deobandi, Wahabi Ho Gai He Or Uske Aqaaid Wahi He Jo Wahabiya Or Deobandiyoñ Ke He To Yaqeenan Vo Fatawa E Aulma e Harmain Shareefain W Aulma E Ahle Sunnat Aulma E Hind Ke Mutabiq Uska Mazhab Tabdil Ho Chuka He Or Mazhab Tabdil Hone Ki Bina Par Waraasat Se Ye Aurat Kharij Ho Jati He Yaani Waraasat Me Usko Hissa Nahi Milta.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️22 July 2020, 30 Zilqad 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jhinga Khana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Jhinge Khana Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
(Jhinge Ke Halaal Or Haraam Hone Ka Mas'ala) Mukhtalif Fiyah He. Jo Hazraat Usko Machhli Ki Qism Kahte He Halaal Kahte Hai, Kyuñki Machhli Ki Tamam Aqsam Hamare Nazdeek Halaal Hai, Or Jo Hazraat Usko Gair Machhli Kahte Hai Vo Haraam Mante Hai Kyuñki Machhli Ke Maasiwa Tamaam Aabi Janwar Hamare Nazdeek Haraam Hai, Ayse Masaail Me Ijtenaab Bahetar He, Alhamdulilllah Is Faqeer (huzur Aala Hazrat) Or Uske Ghar Waloñ Ne Umr Bhar Na Khaya Or Na Use Khayeñ Ge.
*📚(Fatawa Razviya, J-20, S-332)*
*Or Aysa Hi 📚(Fatawa Faqihe Millat, J-2, S-307)* Par Bhi He

Or Huzur Aala Hazrat Dusri Jagah Farmate Hai,
Jawahirul Ikhlaati Me Tasreeh Dekhi He Ki Aysi Chhoti Machhaliyañ Sab Makroohe Tahreemi Hai Or Ye Ki Yahi Sahih Tar He.
حیث قال السمک الصغار کلہا مکروھۃ کراۃ التحریم ھو الاصح
Jahañ Kahiñ Ki Chhoti Tamaam Machhaliyañ Makroohe Tahreemi Hai Yahi Sahih He.
*📚(Jawahirul Ikhlaati, S-229,287)*

Aage Farmate Hai,
Yahañ Ke Jhinge Ayse Hi Chhote Hai Jin Par Jawahirul Ikhlaati Ki Vo Tas'heeh Warid Hogi, Bahar Haal Ayse Shubah W Ikhtelaf Se Be Zaroorat Bachna Hi Chahiye.
*📚(Fatawa Razviya, J-20, S-331)*

Isi Tarah Bahare Shariyat Me He,
Jhinge K Muta'alliq Ikhtilaf Hai K Ye Machhli Hai Ya Nahi Isi Bina Par Us Ki Hillat O Hurmat Me Bhi Ikhtilaf Hai Bazaahir Us Ki Surat Machhli Ki Si Nahi Maloom Hoti Balke Ek Qism Ka Kira Maloom Hota Hai Lihaza Us Se Bachna Hi Chahiye
*📚(Bahare Shariyat, H-3, S-325)*

Lihaza Jhinge Khane Se Bachna Hi Bahetar He..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓21 July 2020, 29 Zilqad 1441*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jarsi Gaay Ki Qurbani Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat. Kya Jarsi Gay Ki Qurbani Jaiz H Rahnumai  Farmayen

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jarsi Gaaye Ki Qurbani Jaaiz He, Jab Ki Gaay Ke Pet Se Paida Hui Ho, Kyuñ Ki Janwaroñ Me Maañ Ka Aitbar Hota He.

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Maadah Jab Halaal He To Bachcha Bhi Halaal He Ki Janwaroñ Me Nasab Maañ Se He Na Baap Se
 وھو الصحیح کما فی الہدایۃ وغیرھا
*📚(Fatawa Razviya, J-21, S-636)*

Fatawa Barkatiya Me He,
Jarsi Gaaye Or Beyl Jab Ki Gaaye Ke Pet Se Paida Huve Hai To Uski Qurbani Karna, Unka Gosht Khana, Jaaiz He Or Jarsi Gaaye Ka Doodh Peena Bhi Jaaiz He. Is Liye Ki Janwaroñ Me Maañ Kka Aitbar He.
*📚(Fatawa Barkatiya, S-229)*

Or Isi Tarah Fatawa Bahrul Uloom Me He,
Jarsi Gaaye Ke Baare Me Hamari Koi Tahqeeq Nahi. Suna Jata He Ki Nar Khinzeer Se Jaftee Ke Nateeja Me Hi Ye Nasl Wujood Me Aati He, Agar Waqe'ee Yahi Ho To Bhi Jarsi Gaaye Or Uska Doodh Halaal He Ki Shariyat Me Janwaroñ Ka Nasab Maañ Ki Taraf Se Mana Jata He, Maañ Gaaye He To Uska Bachcha Bhi Gaaye Hi He. Jo Hukm Uska Wahi Hukm Bachcha Ka, Baap Halaal Janwar Ho Haraam Isse Koi Farq Nahi Padta.
*📚(Fatawa Bahrul Uloom J-5, S-342)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓21 July 2020, 29 Zilqad 1441*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Sood Khane Wale Imam Ke Pichhe Namaz Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum W Rahmatullahi W Barkatuhu. Kya Sood Khane Wale Imam Ke Peechhe Namaz Jaiz H Agar Nahi To Us Imam Par Shariyte Mutahhera Ka Kya Hukm H Jawab Inayat Farmayen Aur Indallah Majoor Hon...

*🌹JAWAB:-🌹*
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,

Sood Khor Faasiq He Or Faasiq Ke Pichhe Namaz Naaqiz W Makrooh Agar Padhli To Feri Jaye Agarche Muddat Guzar Chuki Ho, Walihaza Use Hargiz Imam Na Kiya Jaye Jahañ Imamat Karta Ho Bashart Qudrat Ma'azool Karke Imam Mutaqqi Sahihul Aqeeda Sahihul Qira'at Muqarrar Kareiñ, Agar Qudrat Na Payeñ To Jumuah Ke Liye Dusri Masjid Mai Jayeñ Yuñ Hi Panjgana Mai Khwah Apni Dusri Jama'at Yahiñ Kar Leñ.

Sageeri Me,
یکرہ تقدیم الفاسق کراھۃ تحریم
Faasiq Ki Taqdeem (Yaani Imamat) Makroohe Tahrimi He.
*📚(Sageeri Sharah Munyatul Musalla, S-262)*
*📚(Fatawa Razviya, J-6, S-391)*

Or Isi Tarah Dusri Jagah Farmate He,

Sood Khor Ke Pichhe Namaz Makroohe Tahrimi Wajibul Ae'aada He, Or Sood Dene Wala Agar Haqeeqatan Sahih Sharai Majboori Ke Sabab Deta He Us Par Ilzaam Nahi.

Durre Mukhtar Me He,
یجوزللمحتاج الاستقراض بالربح
Zaroorat Mand Ke Liye Nafa'a Ki Bunyad Par Qarz Hasil Karna Jaiz He.
*📚(Al-Ashba Wan Nazaair Qaaida Khamsa, J-1, S-126)*

Or Agar Bila Majboori Sharai Sood Deta He Maslan Tijarat Badhane Ya Jaaidad Me Izafa Karne Ya Uncha Mahal Banwane Ya Awlad Ki Shadi Me Bahut Kuchh Lagane Ke Waste Soodi Qarz Leta He To Vo Bhi Sood Khane Wale Ke Misl He, Or Use Imam Banana Bhi Gunah, Or Namaz Ka Wahi Haal.
*📚(Fatawa Razviya, J-6, S-585)*

Sood Lene Wala Sakht Haram Fe'al Or Gunahe Kabeera Ka Mutraqib Hoga, Jab Tak Vo Taubah Karke Is Fe'al Se Baaz Na Aa Jaye Usko Hargiz Imam Na Banaya Jaye.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓21 July 2020, 29 Zilqad 1441*
📲+9184

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kai Bete Kama Kar Walid Ko Paisa Dete He to Sahibe Nisab Kon ? Or Qurbani Kiske Naam Par

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat Sawal Ye Hai Ki Aagr Kisi Ke 3 , 4 Bete Hain Aur Sab Sahibe Nisab Hon Aur Sab Bete Apne Baap Ko Hi Malik Maante Hon Aur Sab Bete Apne Walid Ko Mahana Kuchh Rakam Dete Hon Aur IsTarah Baap Bhi Sahibe Nisab Ho Gaya To Ab Asal Malik Kaun Hai Kiske Naam Ki Qurbani Ki Jaye ?


*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Soorate Mas'ula Me Betoñ Ke Paas Jo Maal He, Or Unme Jo Sahibe Nisaab He, Yaani 25000 Rupye Se Zyada Ka Maalik He To Vo Sahibe Nisaab He Un Par Apni Janib Se Qurbani Wajib He. Haañ Agar Vo Pura Ka Pura Maal Kama Kar Apne Baap Hi Ko Hiba Kar Dete Ho, Malik Bana Dete Ho Tab To Yaqeen Uske Baap Par Qurbani Wajib Hogi Beto Par Na Hogi. Lekin Agar Sirf Hisaabo Kitab Ya Sambhalne Ke Liye Dete Ho, Haqeeqat Me Maalik Bete He, To Fir Unme Jo Sahibe Nisaab He Un Par Qurbani Wajib Hogi. Or Bete Kuchh Maal Ka Baap Ko Maalik Bana Dete Ho Or Kuchh Apne Paas Rakhte He To  Baap Ke Paas Itni Raqam Ho Gai Ke Sahibe Nisab Ho Gaya To Baap Par Qurbani Wajib He, Or Betoñ Ke Paas Bhi Itna Maal Ho Ki Sahibe Nisaab Ho Jaye To Un Par Bhi Qurbani Wajib..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️16 July 2020, 24 Zilqad 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Baap Par Qarz Ho To Beta Zakat Or Qurbani Ada Kare Ya Nahi

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
Ulmaae Ekram Ki Bargah Main Ek Sawal Arz Hai....
Ke Ek Family Main 2 Logh Kamate Hoo Ek Beta Aur Ek Baap Aur Beta Aur Baap Alagh Alagh Kamate Hoooo To Baap Ko Karz Dena Hai Logho Ka Aur Beta Kamarha Hai Lekin Ek Hi Ghar Main Rehte Hain Dono
Kya Bete Ki Kamai Main Se Zakat Farz Hogai...Aur Wo Beta Qurbani 11vi Shareef Wagera Karsakta Hai?????.......
Jawab Inayat Farma'e...

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ji Mazkoora Soorat Me Agarche Baap Or Beta Ek Hi Ghar Me Rahte He Magar Unme Jo Bhi Sahibe Nisab He Un Par Qurbani Wajib Hogi Or Unhi Ke Paiso Me Zakat Farz Hogi, Lihaza Agar Beta Kamaata He Or Bete Ki Milkiyat Me Vo Sara Paisa He, To Bete Oar Qurbani Wajib Hogi, Or Bete Hi Ke Paiso Ke Zakaat Farz Hogi, Or Baap Maqrooz (yaani Qarz Daar) He  To Bete Ko Chahiye Ki Baap Ke Qarze Ko Bhi Chukaye, Lekin Ye Farzo Wajib Nahi He, Chukayega Tab Tak Vo Nafl Hoga Or Agar Nahi Chukayega To Koi Gunah Bhi Na Hoga.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️16 July 2020, 24 Zilqad 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Jinnat Me Bhi Awliya Hote He

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Kya Jinnato Mein Bhi Wali Awliya Hote Hai

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ji Haañ, Jinnatoñ Me Bhi Allah Ke Auliya Hote He,

Qura'an Shareef Me Allah Tabarak W Ta'ala Ne Irshad Farmaya,
وَأَنَّا مِنَّا الْمُسْلِمُونَ وَمِنَّا الْقَاسِطُونَ.
*📚(Surah Jinn, Aayat-14)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️12 July 2020, 20 Zilqad 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Jinnat Me Bhi Sahaba Guzre He

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Kya Koi Jinnat Me Bhi Sahaba Guzre

Jawab Inayat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jinnato Me Sahaba E Kiraam Bhi Guzre He Or Rasoole Qaainat  ﷺ Par Apni Jaañ Nichaawar Karne Wale Aashiqe Rasool Jinnat Me Bhi Guzre He, Jis Raat Ke Bare Me Qura'an Shareef Me Allah Tabarak W Ta'ala Ne Zikr Farmaya Us Raat Me RasoolAllah ﷺ Ke Paas Qura'an Shareef Sunne Ke Liye Taqreeban 900 Ya 950 Ke Qareeb Jinnat Musalman Tashreef Laaye The, Aap  ﷺ Ki Mubarak Zuban Se Qura'an Shareef Suna Aapke Hatho Par Bay'at Ki, Or Aapke Sachche Aashiq Bane Rahe.

Allama Faiz Ahemad Owaisi Sahab Alaihir Rahmat Ne Apni Kitab Me Un 950 Jinnat Sahabiyoñ Me Se 3 Jinnat Ke Zinda Hone Ke Bare Me Darj Farmaya, Or Vo Jinnat Jo 950  Me The Unmese Ek Afganistan Me The Jo Taqreeban Aaj Se 30 Saal Pahle Ki Riwayat Bayan Ki Jati He,

Algarz Jinnatoñ Me Musalman Aadil Usi Tarah Aashiq Or Sahaba E Kiram Allah Ke Awliya Buzurgane Deen Farma Bardaar Jinnat Bhi Guzre He,

Rab Tabarak W Ta'ala Ne Qura'an Majeed Me Irshad Farmaya,
وَمَا خَلَقْتُ الْجِنَّ وَالْإِنسَ إِلَّا لِيَعْبُدُونِ.
*📚(Surah Zariyaat, Surah Number-51, Aayat-56)*

Yaani Ham Ne Jinn Or Insan Ko Ibadat Ke Kiye Paida Kiya,
Is Aayate Kareema Me Jinnat Bhi Insanoñ Ki Tarah Muqallaf He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️12 July 2020, 20 Zilqad 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Nokri Ki Jagah Par Sab Jute Chappal Pahan Kar Jaate Ho Vahañ Namaz Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualikum, Noukri Pe Hai Agar Waha Zameen Kharab Hai Yani Jute Pahen Ke Insan Chalta Hai Us Jagah Pe Musallah Bicha Ke Namaz Prne Se Namaz Ho Jayegi Ya Nahi??

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Napaak Zameen Agar Khushk Ho Jaye Or Najasat Ka Asar Yaani Rang W Boo Jata Rahe Paak Ho Gai, Khwañ Vo Hawa Se Sukhi Ho Ya Dhoop Ya Aag Se Magar Usse Tayammum Karna Jaaiz Nahi, Namaz Us Par Padh Sakte Hai.
*📚(Bahare Shariyat, Hissa-2)*

Lihaza Jis Zameen Par Najasat Lagi Hui Na Ho Yo Us Par Musalla Bichha Kar Ya Waise Hi Namaz Padhna Jaaiz He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
 *✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️12 July 2020, 20 Zilqad 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Nokri Ke Liye 8 10 Din Safar Me Ho To Namaz Kese Padhe

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualikum
Agar Safar Me Hai (Noukri Ki Niyat Se) Aur Agar Fix Nahi Hai Ki Kitne Din Rukna Hai 10 Din Rukna Hai Ya 8 Din Rukna Hai To Aise Surat Me Namaz Kaise Padhi Jaye??

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Musafir Kisi Kaam Ke Liye Ya Saathiyoñ Ke Intezar Me Do Chaar Roz Ya Terah Chaudah Din Ki Niyat Se Thahra Ya Ye Irada He Ki Kaam Ho Jayega To Chala Jayega Or Dono Soorto Me Agar Aaj Kal Karte Barseñ Guzar Jaayeñ Jab Musafir Hi He, Namaz Qasr Padhe.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Musafir Ka Bayan)*

*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️12 July 2020, 20 Zilqad 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kafir Ka Bachcha Jannat Me Jayega Ya Jahannum Me ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum,
Ek Bhai Ne Ye Sawal Pucha Hai👇🏻

Agar Koi Non Muslim NaBalig Bachcha Mara, To Us Ka Kya Banega, Q K Us Ko Abhi Mazhab Ki Samjh Nahi Hai Kya Wo Jahannum Mai Jayega Us Ka Hashr Kafiro K Sath Hoga?????

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Fatawa Faqihe Millat Me Isi Tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Me He,
Kafir Ke Na-balig Bachchoñ Ke Jannati W Jahannami Hone Me Aulma E Kiram Ke Darmiyan Ikhtelaf He, Ba'az Kahte Hai Vo Jannati Hai Or Ba'az Ke Nazdeek Jahannami. Or Isi Ikhtelaf Ki Buniyad Par Imame Aazam Abu Haneefah RadiAllahu Anhu Ne Khamoshi Ikhtiyar Ki He Or Un Ke Sawab W Azab Ke Bare Me Koi Raaye Qaaim Nahiñ Ki,

Jaisa Ki Raisul Muhaddiseen Abdul Haq Muhaddise Dahelvi Alaihir Rahma Ki Kitab *📚Takmeelul Eiman Urdu Safha-27* Me He Ki,

Mushrikeen Ke  Atfaal Ke Muta'alliq Imame Aazam Abu Haneefah RadiAllahu Anhu Ne Tauquf Kiya Or Unhone Dalaail Me Ta'aarruz Ki Wajah Se Khamoshi Ikhtiyar Ki He Or Unke Sawab W Azaab Ke Muta'alliq Bhi Koi Wazeh Raaye Qaaim Nahi Ki,

Lekin Ba'az Aulma Ka Khayal He Ki Ayse Bachche Dozakh Me Jayeñge Or Ba'az Kahte Hai Ki Bahshat Me.  Muhammad Bin Alhusain Farmate Hai Ki, Mujhe Yaqeen He Ki Allah Ta'ala Kisi Ko Be Gunah Azaab Nahi Karta Is Liye Ye Bachche Mas'oola Nahi Hoñge.

Lihaza Zaid W Bakar Par Lazim He Ki Is Mas'ala Me Hargiz Na Uljhe Or Imame Aazam Alaihir Rahma Ki Pairvi Karte Huve Khamoshi Ikhtiyar Kareñ Warna Bahre Ameeq Me Apne Aap Ko Daalne Ke Mutradif Hoñge.
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-32)*

Lihaza Hamare Aaqa Imame Aazam Abu Haneefah Alaihir Rahma Ki Pairvi Karte Huve Is Mas'ala Me Khamoshi Ikhtiyar Ki Jaye. Aakhirat Me Uske Sath Kya Muaamla Hoga Khuda Hi Bahetar Janta He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓11 July 2020, 19 Zilqad 1441*
📲+9

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Allah Se Wada Karke Todne Par Taubah Kis Tarah Kare

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum, Koi Shaks Allah O Rasool Allahﷺ Se Zina Haram Kari Nakarne Ka Wada Karleta Hai Aur Jane Anjane Mein Toodh Deta Hai...to Usper Kya Hukom Hoga??? Wada Toodha??

Ager Wo Tohbah Karni Chahta Hai.. To Usko Kya Karna Chahiye????.....Aur Uski Adayegi Kya Hai....
Jawab Inayat Farma'e...

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Kisi Shakhs Ne Allah Or Uske Rasool Ka Wada Karke Tod Diya He Use Chahiye Sachche Dil Se Taubah Kare Or  Sachche Dil Se Taubah Karega To Allah Ta'ala Uski Taubah Ko Qubool Farmane Wala He Uski Rahmat Bahut Wasee'a He.

Or Irshad Farmata He,
وَإِنِّي لَغَفَّارٌ لِّمَن تَابَ وَآمَنَ وَعَمِلَ صَالِحًا ثُمَّ اهْتَدَىٰ
Or Beshak Me Bahut Bakhshne Wala Huñ Use Jisne Taubah Ki Or Iman Laya Or Achcha Kaam Kiya Fir Hidayat Par Raha.
*📚(Parah 16, Surah Taaha, Aayat-82)*

To Agar Sachche Dil Se Taubah Karli He Orr Uske Upaar Qaaim Rahega To InshaAllah Allah Ta'ala Kanhe Wa'ada Pura Hoga Ki Vi Bakhshne Wala Bahut Bakhshne Wala He,

Ek Or Jagah Irshad Farmaya,
*📚(Parah 28, Surah Tahrim, Aayat-8)*

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا تُوبُوا إِلَى اللَّهِ تَوْبَةً نَّصُوحًا
Ay Imaan Walo Allah Ki Taraf. Aysi Taubah Karo Jo Aage Ko Naseehat Ho Jayeñ.

Aysi Taubah Karo Jo Aapke Liye Nasihat Ban Jaye Agar Aysi Taubah Ki He To Aage Irshad Farmata He,

 عَسَىٰ رَبُّكُمْ أَن يُكَفِّرَ عَنكُمْ سَيِّئَاتِكُمْ
Kareeb He Tumhara Rab Tumse Buraiyañ Utar De

 وَيُدْخِلَكُمْ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِن تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ
Or Tumhe Baago Me Le Jaye Jinke Niche Nahre Baheñ ..

Yaani Jannat Me Dakhil Farmayega, Ye Tabhi Hoga Ki Sachche Dil Se Taubah Kare Taubah E Nasuha Kare. Sache Dil Se Taubah Karege Or Aaindah Kabhi Bhi Us Kaam Ko Na Karne Ka Ahad Kareñge Yahi Sachchi Taubah He. Allah Maherban He Bakhshne Wala Gafoorur Raheem He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*🎙Al-Jawab:- Hazrat Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*
*_📬idara Sharaiyah W Samaji Khidmat, Aala Hazrat Masjid NavaYard Vadodara Gujarat_*
*🗓️11 July 2020, 19 Zilqad 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jinnat Kiski Awlad Se He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Ham Insan Aadam Alaihis Salam Ki Aulad Hai , To Fir Jinnat Kin Ki Aulad Hai?
Barae Meharbani Islah Kare...

*🌹JAWAB:-🌹*
Jin Ko Aag Se Paida Kiya Gaya He.
*📚(Bahare Shariyat, H-1, S-96)*

Or Jaisa Ki Qura'an Majeed Me He,
وَ خَلَقَ الْجَآنَّ مِنۡ مَّارِجٍ مِّنۡ نَّارٍ
Or Jin Ko Paida Farmaya Aag Ke Loke (lapet) Se.
*📚(Surah Rahman, Aayat-15)*

Hazrat Saiyeduna Hasan Rahematullah Alaihi Farmate Hai, Jis Tarah Hazrat Aadam Alaihis Salam Tamaam Insanoñ Ke Baap Hai, Usi Tarah Iblees Tamaam Jinnat Ka Baap He.
*📚(Kitabul Azmah, Hadees-1140, S-429)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️10 July 2020, 18 Zilqad 1441*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Witar Wajib Me Duaa E Qunoot Zaroori He Ya Dusri Koi Dua Padh Sakte He ?

*🌹SAWAL:-🌹* 
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kya Isha Ke Waqt Witr Ki Namaz Ki Tisri Raka'at Me Duaa E Qunoot Padhna Zaroori Hai ? Kya Koi Aor Surah Nahi Padh Sakte?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Duaa E Qunoot Ki Jagah Agar Bhule Se Ya Jaan Kar Duaa E Qunoot Na Padha Balki Koi Or Duaa Padh Liya Tab Bhi Namaz Ho Jayegi Haañ Duaa Qunoot Ki Jagah Koi Or Duaa Padhna Khilafe Sunnat He.

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Namaz Sahih Ho Jane Me Kalaam Nahi Na Ye Sajda E Sahw Ka Muhal Ki Sahwan Koi Wajib Tark Na Huva Duaa E Qunoot Agar Yaad Nahi Yaad Karna Chahiye Ki Khaas Uska Padhna Sunnat He Or Jab Tak Yaad Na Ho
رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الْآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ
Padh Liya Kare Ye Bhi Yaad Na Ho To
اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي
Teen Baar Keh Liya Kare Ye Bhi Na Aaye To Sirf  یا رب  Teen Baar Kah Le Wajib Ada Ho Jayega.
*📚(Fatawa Razviya Qadeem, J-3, S-489)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓10 July 2020, 18 Zilqad 1441*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Tashahud Me Ungli Uthana Hadees Se Sabit He

*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamu Alaikum.. Kya Tashahud Me Ungli Utha Kar Gira Dena,kahi Se' Mera Matlab Hai Kisi Hadees Se Sabit Hai ?
Barae Maherbani Islah Kejiae..

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Tashahud Me Ungli Uthana Huzur ﷺ Or Fuqha E Kiram Se Sabit He.

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,

اخرج مسلم فی صحیحہ عن سیدنا عبداﷲ بن عمر رضی اﷲ تعالی عنھما قال فیہ کان اذاجلس فے الصلوۃ وضع(یرید رسول اﷲ صلی اﷲ تعالی علیہ وسلم ) کفہ الیمنی علی فخذہ الیمنی وقبض اصابعہ کلھا واشار باصبعہ التی تلی الابھام۔
Yaani RasoolAllah ﷺ Ne Tashahud Me Apna Dahina Hath Dahini Raan Par Rakha Or Sab Ungliyañ Band Karke Unguthe Ke Paas Ungli Se Ishara Farmaya.
*📚(Sahih Muslim, J-1, S-216, Matbuaa Qadeemi Kutub Khana Karachi)*

واخرج ابن السکن فی صحیحہ عنہ رضی اﷲ تعالی عنہ قال قال رسول اﷲ صلی اﷲ تعالی علیہ وسلم الاشارۃ بالاصبع اشد علی الشیطان من الحدید۔
Yaani Farmaya RasoolAllah ﷺ Ne Ungli Se Ishara Karna Shaitan Par Dhaar Daar Hathyar Se Zyada Sakht He.
*📚(Musnad Ahmad Bin Hambal, J-2, S-119, Matbuaa Darul Fikr Bayroot)*

وعنہ رضی اﷲ تعالی عنہ ایضاعن النبی صلی اﷲ تعالی علیہ وسلم قال ھی مذعرۃ للشطان۔
Yaani RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya Vo Shaitan Ke Dil Me Khauf Daalne Wala He.
*📚(Sunan Ul Kubra Lil Bayhaqi, J-2, S-132, Matbuaa Daarus Sadir Bayroot)*

واخرج اباداؤد والبیھقی وغیرھما عن سیدنا وائل بن حجر رضی اﷲ عنہ ان النبی صلی اﷲ تعالی علیہ وسلم عقد فی جلوس التشھد الخنصر والبنصرثم حلق الوسطی بالابھام و اشار بالسبابۃ۔
Yaani Nabi E Akram ﷺ Ne Apne Jalsa Tashahud Me Chhoti Ungli Or Uski Barabar Wali Ko Band Kiya Fie Bich Ki Ungli Ko Anguthe Ke Sath Halqah Banaya Or Angushte Shahadat Se Ishara Farmaya.
*📚(Sunan Ul Kubra Lil Bayhaqi, J-2, S-131)*

Mazeed Fuqha E Kiram Ke Aqwal Or Mazeed Tafseel Ke Liye,
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-16, S-150)* Ka Muta'ala Farmaye.

Or Bahare Shariyat Me He,
Jab Kalma لا (laa) Ke Qareeb Pahunche, Dahine Harh Ki Beech Ki Ungli Or Anguthe Ka Halqa Banaye Or Chhungaliya Or Uske Paas Wali Ko Hatheli Se Mila De Or Lafz لا Par Kalma Ki Ungli Uthaye Magar Usko Junbish Na De Or Kalma الا (illa) Par Gira De Or Sab Ungliyañ Fauran Sidhi Karle.
*📚(Bahare Shariyat, J-1, S-505)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓9 July 2020, 17 Zilqad 1441*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Farishto Ke Naam Par Bachcho Ka Naam Rakhna Kesa ?

*🌹sawal:-🌹*
Assalamu Alaykum
Kya Kisi Bachche Ka Frishte Jesa Name Rakh Sakte He???

*🌹jawab:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Farishto Ke Naam Par Bachcho Ke Naam Rakhna Manna'a He.

Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya,
سموا بأسماء الأنبياء ولا تسموا بأسماء الملائكة
Yaani Tum Apne Bachcho Ke Naam Ambiya Ke Naam Par Rakho, Farishtoñ Ks Naam Par Mat Rakho.

Jaisa Ki Hadees Shareef Me He,
وقال أيضاً: أجمعوا على جواز التسمية بأسماء الأنبياء إلا ما قدمناه عن عمر بن الخطاب. قلت: وقد قدمت ما هو الصواب. قال: وكره مالك التسمي بأسماء الملائكة كجبريل. قلت: ويؤيده ما رواه البخاري في تاريخه عن عبد الله بن جراد: «سموا بأسماء الأنبياء ولا تسموا بأسماء الملائكة»".
*📚(Mirqatul Mafaateeh Sharah Mishkaatul Masabeeh, 7/2996)*

Malaaika Ke Naam Par Naam Rakhna Mamnoo'a He Lihaza Kisi Cheez Ka Jibrail Ya Mikaail Naam Na Rakho Jaisa Ki Hadees Me He. Chunanche Bukhari Ne Apni Tarikh Me Ek Hadees Naql Ki Ke Nabiyoñ Ke Naam Par Naam Rakho Farishtoñ Ke Naam Par Naam Na Rakho.
*📚(Miraat-Ul-Manajeeh Sharah Mishkaat-Ul-Masabeeh J-6, S-336)*

Wallahu Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻pathan Moin Raza Khan,petlad_*
*🗓️8 July 2020, 16 Zilqad 1441*
📲+9184

*🌹sawal-o-jawab🌹f.t.s👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Farz Ki Teesri Choti Raka'at Me Surah Milana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Hazrat Aulema Ekram Ki Bargah Me Ek Khatoon Ka Sawal Hai Ki Unho Ne Kisi Kitab Me Padha Tha Ki 4 Raka'at Ki Farz Namaz Me Jis Trah Paheli Raka'at Padhi Jati Usi Trah Tisri Aor  Chaothi Raka'at Bhi Padhni Chahiye

 *Sawal* To Kya 4 Raka'at Aor 3 Raka'at Ki Farz Namaz Me Tisri Aor Chaothi Raka'at Me Sure Fatiha Ke Baad Koi Aor Surah Padhna Jayaz Hai Ya Nahi Padhni Chahiye

*sawal* Aor Khatoon Ne Ab Tak 3 Raka'at Ki Farz Aor 4 Raka'at Ki Farz Namaz Me Tisri Aor Chaothi Raka'at Me Surah Fatiha Ke Saath Quran Ki Aor Sure Mila Kar Padhi Hai To Kya Unki Namaze Huyi Ya Nahi Huyi

 _Baraye Meharbani Rahenumayi Farmaye_

*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Hukm Ye He Ki Farz Ki Tisri (3) Ya Choti (4) Raka'at Me Yaa To Surah Fatiha Padhe Ya 3 Tasbeeh Padhe Ya Utni Miqdaar Khada Rahe, Ye Tino Cheezo Me Namazi Ko Ikhtiyar Diya Gaya He, Albatta Surah Fatiha Padhna Sunnat He, Zahire Mazhab Ke Mutabiq. Or Agar Kisi Namazi Je Farz Ki Tisri Or Choti Raka'at Me Surah Fatiha Ke Baad Qura'an Shareef Ki Koi Surah Padhi Ya Aayate Kareema Tilawat Ki To Uski Bhi Namaz Ho Jayegi.

Jaisa Ki Halbi Kabeer Me Ye Ibarat Mazkoor He,
کذافی الخلاصة ( وان قرأ الفاتحة في ) احدى ( الأخريين مرتين او ضم
 فيهما ) اليها ( سورة ) وكذالو قرأ السورة دون الفاتحة ( اوقرأالتشهدمرتين في) القعدة ( الاخيرة او تشهد قائما او را كما اوسا جدا لاسهو عليه ) كذا في الختار على
 ماذكره الأسبیجایی اماتكرار الفاتحة وضم السورة فلان الأخريين محل للقراءة مطلقاو لم يلزم منه ترك واجب ولاتأخيره واما التشهد فلانه ثناء و القيام والركوع والسجود محل لاثناء وذكر الناطقي في الاجناس عن محمد لوتشهد في قيامه قبل قراءة الفاتحة فلاسهر وبعدها يلزمه قال السروجي وهو الاصح لانه

Or Durre Mukhtar Sharah Tanveerul Absaar Me Allama Haskafi Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,

(واكتفى)المفترض ( فيما بعد الأوليين بالفاتحة ) فإنها سنة على الظاهر ، ولو زاد
 لا بأس به(وهو مخير بين قراءة)الفاتحة ، وصح « العيني » وجوبها( وتسبيح ثلاثا )
 و سکوت قدرها ، وفي « النهاية » قدر تسبيحة ، فلا يكون مسيئا بالسكوت (على المذهب )
*📚(Kitabus Salat Jild-1, Safa-71)*

Mazkoora Dono Ibaratro Se Ye Baat Wazeh Ho Jati He Ki Farz Ki Tisri Or Choti Raka'at Me Soorat Milane Se Ya Quraan Shareef Padhne Se Sajda E Sahw Wajib Nahi Hota.lihaza is tarah jitni bhi namaz padhi gai sab ho gai.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️8 July 2020, 16 Zilqad 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Fashion Wale Kapde Jisme Aurat Ke Aa'aza Dikhe Ya Tasweer Wale Kapde Ki Kharido Farokht Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
1. Jese Kisi Cloth Shop (Kapdon Ki Dukan) Main Fashion Wale Kapde Bechna Kesa?

2. Fashion Wale Kapde Jisme Aurto Ki Satr Bhi Dikhti Ho Use Gair Muslim To Sahi Muslim Aurtein Bhi Le Jati Ho Uska Kya Hukm He
Or Ese Kapde Jis Par Jandaar Ki Tasweer Wagairah Bhi Ho ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
1. Jo Kapde Jis Ke Liye Jaaiz Hai Uske Kapde Bachan Jaaiz Hai.

2. Tasweer Wale Kapdo Ka Hukm Waazeh He Ki Ayse Kapdo Ki Kharido Farokht Jaaiz Nahi.
Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,
Kisi Jandar Ki Tasweer Jis Me Uska Chahera Maujud Ho Or Itni Badi Ho Ki Zameen Par Rakh Kar Khade Se Dekheñ To Aa'aza Ki Tafseel Zahir Ho, Is Tarah Ki Tasweer Jis Kapde Par Ho Uska Pahenna, Pahenana Ya Bechna, Khairat karna sab najaiz he.
*📚(Fatawa Razviya, J-24, S-556)*

 Or Ayse Kapde Ki Jisse Aurto Ki Heyyate Aa'aza Jhalakti He Or Muslim Aurtain Usko Khareedti He To Ayse Kapde Bhi Bechna Najaiz He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️5 July 2020, 14 Zilqad 1441*

*✅Al-Jawabus Sahih: Hazrat Allama Mufti Ameen Siddiqui Razvi, Muradabad Up*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Baalty Me Pahle Se Thoda Paani Ho To Usme Dusra Paani Daal Kar Gusl Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
1. Gusul Karne Ke Liye Ager Ek Balti Main Paani Pehle Se Baaki Hai To Kya Ismain Pura Bhar Ke Full Karke Bina Hath Dale....... Gusul Ke Liye Istemal Kar Sakte Hain....

2. Isi Tarah Agar Baalti Me Pahle Se Paani Bhara Pada He Or Usme Kisi Ne Pahle Hath Daal Diya Ho Ya Kisi Ke Gusl Ke Chhinte Gire Ho Or Musta'amal Ho Gaya Ho To Us Paani Ka Kya Hukm He ?
Jawab Inayat Farma'e...

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
1. Kar Sakte Hai.

2. Agar Vo Paani Musta'amal Ho Or Vo Baalti Me Paani Aadhe Se Kam He Ya Aadha Hi He Yaani Baalti Ki Jitni Miqdaar He Usse Aadha He, Or Dusra Naya Paani Baalti Me Daala Or Puri Baalti Bhar Gai To Vo Sara Ka Sara Paani Tahir, Gair Musta'amal, Paak Ho Gaya, Yaani Ye Maa E Musta'amal Ab Nahi Kahelayega. Usse Wuzu Gusal Wagairah Bhi Kar Sakte He. Or Agar Aadhi Baalti Se Zyada Paani Tha Or Naya Paani Milaya To Itna Paani Milaye Jitna Paani Pahle Se Us Baalti Ya Us Bartan Ke Andar He, Uske Baraabar Ya Usse Thoda Zyada, To Jab Uske Baraabar Ya Usse Zyada Paani Dusra Paak, Taahir Paani Mil Jayega To Agarche Baalti Me Maujud Napaak Ya Musta'amal Paani Bhi Ho To Vo Taahir, Mutahheer, Paak Ho Jayega.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️5 July 2020, 13 Zilqad 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Qabar Ke Sarhaane paththar Rakhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum, Jo Qabarastan Mein Kisi Ke Marne Ke Baad Hum Jo Sarke Paas Naam Ka Patthar Lagatey Hain Kisi Wahabi Nai Eteraz Kiya Ki Pathar Nahi Laga Saktey, Hadees Ki Roshni Me Jawab Inayat Farmaye.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Zaroorat Ke Waqt Yaani Qabr Ki Pahechan Nishan Wagairah Ke Liye Qabar Ke Sarhaane Paththar Rakhna Jaiz He Usme Koi Harj Nahi, Or Paththar Par Pahechan Ke Liye Naam Wagairah Bhi Likh Sakte He, Haañ Aam Muslimeen Ki Qabr Par Qura'ani Aayat Wagairah Na Likhe Ki Isme Be Adbi Ka Andesha He,

Jaisa Ki Fatawa Razviya Me He,
Huzure Akram  ﷺ Ne Hazrat Usman Bin Maz'aoon RadiAllahu Anhu Ki Qabar Par Paththar Nasb Farmaya Taakeh Us Paththar Ke Sabab Qabar Ki Pahchan Rahe Or Huzur ﷺ Ke Khandan Mubarak Se Wisal Farmane Wale Afraad Ko Us Qabar Ke Qareeb Dafan Kiya Jaye, Jaisa Ki Imam Dawood Ne Apni Sunan Me Jayyad Sanad Ke Sath Uski Takhreej Ki He.
*📚(Sunan Abi Dawood, Kitabul Janaaiz, J-2, S-101)*
*📚(Fatawa Razviya, J-25, S-422, Ruhul Madina Acadmy Software)*

Or Isi Tarah Jaa Al Haq Me He,
Mishkat Kitabul Janaiz Baabul Dafn Me Bariwayat Abu Dawood He Ki Jab Huzur ﷺ Ne Usman Ibne Maz'aoon Ko Dafan Faramaya To Unki Qabar Ke Sarhaane Ek Paththar Nasb Farmaya. Or Farmaya Ki Ham Isse Apne Bhai Ki Qabar Ka Nishaan Lagayeñge  Or Usi Jagah Ahle Bayat Ke Murdoñ Ko Dafn Kareñge.

Bukhari Kitabul Janaaiz Baabul Jareed Alal Qabr Me Ta'aleeqan He Hazrat Khaarja Farmate Hai, Ham Zamana Usman Me The, Ham Me Bada Kud Ne Wala Vo Tha Jo Ki Usman Ibne Maz'aoon Ki Qabar Phalaang Jata.

Mishkat Ki Riwayat Se Ma'aloom Huva Ki Usman Ibne Maz'aoon Ki Qabar Ke Sarhaane Paththar Tha Or Bukhari Ki Is Riwayat Se Ma'aloom Huva Ki Khud Hazrat Usman Ka Taweez Us Paththar Ka Tha, Or Dono Riwayaat Is Tarah Jama'a Ho Sakti He Ki Mishkat Me Jo Aaya Ki Qabar Ke Sarhaane Par Paththar Lagaya Iske Ma'ana Ye Nahi He Ki Qabar Se Alaahida Sar Ke Qareeb Khada Kar Diya Tha, Balki Matlab Ye He Ki Khud Qabar Me Hi Sar Ki Taraf Usko Lagaya. Ya Matlab Ye Ki Saari Qabar Us Paththar Ki Thi Magar Sarhaane Ka Zikr Kiya. In Dono Ahaadis Se Ye Sabit Huva Ki Agar Kisi Khas Qabar Ka Nishan Qaayam Rakhne Ke Liye Qabar Kuchh Unchi Kardi Jaye Ya Patthar Ki Wagairah Se Pukhtaar Kardi Jaye To Jaiz He Taakeh Maloom Ho Ki Ye Kisi Buzurg Ki Qabar He.
*📚(Jaa Al Haq, Hissa-2, Safha-230)*

Or Sharah Mishkaat Me He,
Aam Qabroñ Par Jahañ Ehtiyaat Na Ho Sake Allah Ka Naam Ya Qura'an Ki Aayat Likhna Mana'a He Ki Isme Be Adbi Ka Qawi Ehtemaal He, Log Bhi Guzar Jate Hai, Wahañ Janwar Bhi Guzarte Hai, Khawas Ke Mazaarat Jahañ Unki Be Adbi Ka Ehtemaal Na Ho Vahañ Jaiz He. Mirqaat Me He Ki Ba'az Aulma Farmate Hai Qabr Par Mayyat Ka Naam Or Tarikhe Wafat Likhna Sunnat He Or Likhne Ki Mumane'at Ki Hadees Mansookh He, Jaisa Ki Haakim Je Farmaya Ye Tamam Gufatagu Qabr Ke Ta'aweez Par likhne Me He, Agar Qabar Ke Sarhaane Paththar Khada Kiya Jaye Us Par Kuchh Likha Jaye To Bila Karaahat Jaiz He.
*📚(Miraatul Manajeeh Sharah Mishkaatul Masabeeh, J-2, S-518)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️1 July 2020, 9 Zilqad 1441*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aquarium (Machhli Ghar) Ke Samne Namaz Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Salaam Hazrat
Hmare Kamre Me Aquarian Hai Jisme Machliya Pali Hui Hai

Ab Namaz K Wkt Wo Samne Hota Hai Yahi Qibla Ki Direction Me Aquarian Rakha Hua Hai
To Kya Same Aquarian Hai To Namaz Pad Skte Hai ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Samne Aquarium Tank Hone Se Namaz Ki Adayegi Me Koi Harj Nahi, Namaz Ho Jayegi.

Kyu Ki Jandar Ki Tasweer Ke Bare Me Ye Hukm He Ki Aysi Jagah Namaz Durust Nahi Hoti, Na Ki Jandar Janwar Ke Hone Se.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️30 June 2020, 8 Zilqad 1441*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Ladki Pasand Ke Ladke Se Shadi Kar Sakti He

*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamo Alykum .kya Ldki Apni Psnd Ke Ldke Se Nikah Kr Skti H Or Ldka V Kaabil Ho Uske Swal Y H Ki Islam Me Kya Ldki Ko Y Ijajt H Ki Wo Apne Psnd K Ldke Se Shadi Kre Aisa Koi Wakya H Agr Ya Koi Daleel To Jawab Inayat Farmaye .

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ladka Ya Ladki Balig Ho Jane Par Khud Mukhtar Hain, Apni Pasand Se Apne Kufvu(barabari)ke Sath Shadi Kar Sakte Hain.
*📚(Durre Mukhtar)*

*🎙Al-Jawab:- Hazrat Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*
*_📬idara Sharaiyah W Samaji Khidmat, Aala Hazrat Masjid NavaYard Vadodara, Gujarat_*
*🗓️27 June 2020, 5 Zilqad 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Witr Me Taqbeere Qunoot Na Kahi To Kha Kare

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamo Alaikum,
Isha ki namaz me Witr ki teesri rakat me agar bhool se takbir nahi kar paye or Ruku me chale gaye to Sajda e sahaw kiya jaye ya Namaz Dohrayi Jaye ?

Jawab ka intezar rahega

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sajda s Sahw karle Namaz Ho Jayegi, Dohrane Ki Zaroorat Nahi.

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Qunoot Ya Takbeere Qunoot Yaani Qira'at Ke Baad Qunoot Ke Liye Jo Takbeer Kahi Jati He Bhul Gaya Sajda E Sahw Kare.
*📚(Bahare Shariyat, Hissa-4, Sajda e Sahw Ka Bayan)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*
*🗓️27 June 2020, 5 Zilqad 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mayyat Ko Mitti Dene Ke Liye Qabrastan Me Qabr Par Pair Rakh Ke Jana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Qabristan Me Kahi Kahi Qabr Ka Pata Nahi Chalta Hai Yaha Qabrastan Maidan Ke Jaisa Lagta He Magar Waha Logo Ko  Bafnaya Gaya Hai Magar Saamjh Me Nahi Aata Ki Qabr Kaha Aur Kaha Nahi,

Aisi Soorat Me Qabr Me Mitti Dene Kaise Jaye Q Ki Qabr Par Chalna Jaiz Nahi Hai Aur Koi Rasta Bhi Nahi Haii Jahase Mitti Dene Jaye,

Aur Log Ye Bhi Bolte Haii Sab Jangha To Qabr Kaise Bachoge Isliye Sab Qabristan Me Qabr Par Chahadte Hue Ja Kar Mitti De Dete Haiiii

Mas'ale Ka Haal Bataiye Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Zaroorat Ki Soorat Maslan Qabrastan Me Mayyat Ke Liye Qabr Khodne Ya Dafn Karne Jana Chahte Hai Bich Me Qabreñ Haail Hai Is Haajat Ke Liye Ijazat He, Fir Bhi Jahañ Tak Ban Pade Bachte Huve Jaayeñ Or Nange Paanw Hoñ, In Amwaat Ke Liye Duaa Astagfaar Karte Jayeñ.

فی حاشیۃ العلامۃ الطحطاوی علی مراقی الفلاح عن شرح المشکوۃ الوطء الحاجۃ کدفن المیت لایکرہ اھ وعن السراج فان لم یکن لہ طریق الاعلی القبر جازلہ المشی علیہ للضرورۃ

Allama Tahtaawi Ke Haashya Maraaqil Falah Me Sharah Mishkat Se He Ki Zaroorat Ke Peshe Nazar Maslan Mayyat Ko Dafn Karne Jana Ho To Qabroñ Par Se Guzarna Makrooh Nahi..

Or Siraaj Se He Ki Qabr Par Hi Guzarne Ka Rasta Ho To Us Par Chalna Zarooratan Jaiz He.
*📚(Hashiya Tahtaawi Ala Miraqil Falah, S-340)*
*📚(Fatawa Razviya, J-9, S-437)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓28 June 2020, 6 Zilqad 1441*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mayyat Ke Paas Tilawat Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Mayyat Ke Paas Beth Kar Qura'an Majeed Ki Tilawat Karna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahma Farmate He,
Mayyat Ke Paas Tilawate Qura'an Majeed Jaiz He Jabki Tamam Badan Kapde Se Chhupa Ho Or Tasbeeh W Deegar Azkaar Me Mutlaqan Harj Nahi.
*📚(Bahare Shariyat Application, H-4, Safha-159)*

Isi Tarah Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,
Mayyat Ke Paas Tilawate Qura'an Majeed W Isale Sawab Jaiz He. Jabki Uska Tamam Badan Kapde Se Chhupa Ho or Tasbeeh W Digar Azkaar Me Mutlaqan Harj Nahi Khwañ Mayyat Usi Kamre Me Ho Ya Dusre Kamre Me.

Raddul Muhtar Me He,
الحاصل ان الموت ان كان حدثا فلا كراهة فى القرأة عنده وان كان نجسا كرهت وعلى الاول يحمل مافى النتف و على الثانى مافى ذيلعى وغيره
وذكر (طحطاوي) اذ محل الكراهه اذ كان قريبا منه اما انا اذا  بعد عنه بالقراءة فلا كراهة اھ"
قلت والظاھر ان ھذا ایضا اذا لم یکن المیت  مسجی یثوب یستر  جمیع بدفه ولا بأس بالتسبيح والتهليل وان رفع صوته اھ مخلصا
*📚(Kitabus Salat, Baab Salatul Janaza, J-3, S-85)*
*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-1, S-381)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓25 June 2020, 3 ZulQada 1441*
📲+9

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Hazrat Aaisha Ne Aurto Ki Jama'at Karai Thi ?

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salaamu Alaikum

Kya Hazrat E Aaisha Siddiqa رضي الله عنها Ne Aurto Ki Jamat Qayam Karwayi Thi

Iska Jawab Thoda Tafseel Me Irshal Farmade

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ji Haañ Hazrate Aayesha Sidiqqah رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی  عَنْہَا Ne Aurto Ki Imamat Karai Balki Hazrate Umme Salma رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی  عَنْہَا Ne Bhi Aurto Ki Imamat Karai, Or Vo Dono Hi  Bich Me Khadi Hoti Thi. Albatta Bada'is Sana'i Me Allama Kasani Hanafi Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,  Hamare Yaha ( Mazhab E Hanafi Me ) Ye Makrooh Hai Ki Is Baare Me Jitni Bhi Riwayate Mazkoor He Aurto Ki Jama'at Ya Imamat Karne Ke Ta'alluq Se Vo Ibteda  E Islam Ki Hai Baad Me Mansukh Ho Gai... Tamam Ki Tamam Ham Hanfiya Ke Nazdik Mansukh He, Isi Wajah Se Mazhabe Hanfi Me Aurto Ki Jama'at Karna Makrooh...

Jaisa Ki Bada'is Sanai'a Me He,
۔ وکذا المراۃ  تصلح للامامۃ فی الجملہ، حتی لو امت النساء جاز، وینبغی ان تقوم و سطھن ، لما روی عن عائشۃ۔ رضی اللہ عنھا۔ انها امت نسوۃ فی صلاۃ العصر وقامت وسطھن، و امت ام سلمۃ نساء، وقامت وسطھن، ولان مبنی حالھن علی الستر۔ وھذا استر لها، الا ان جماعتھن مکروہ عندنا۔۔۔۔۔۔۔
و یروی فی ذلك أحاديث لكن تلك كانت في ابتداء الإسلام ثم نسخت بعد ذلك
*📚(Bada'is Sanai'a, J-1, Kitabus Salat, Safha-668)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️24 June 2020, 2 Zul Qada 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts