Qabr Ke Azab Se Mahefooz Hone Ke Liye Kya Padha Jaye

*🌹SAWAL:-🌹*
Inteqal hone par qabr ke aazaab aur aziyat se mehfooz aur panaah ke liye kya parha jaye ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Sura e Mulk Padhi Jaye Kyu Ki Bakasrate Ahadis Me Iska Zikr Aaya He.

Jaisa Ki Hadis Shareef Me He,

Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiAllahu Anhuma Farmate He, RasoolAllah ﷺ Ke Kisi Sahabi RadiAllahu Anhu Ne Ek Jagah Khayma Nasb Kiya, Wahañ Ek Qabar Thi Or Unhe Ma'aloom Na tha ki yahañ Qabr he. Achanak unhe pata chala ki ye ek qabr he or usme ek aadmi Sura e mulk padh raha he yahañ tak ki usne Surah mulk mukammal karli. Vo Sahabi RadiAllahu Anha (Jab) Nabi e Kareem ﷺ Ki Bargah me Hazir huye to arz ki: Ya RasoolAllah ﷺ Mene Nadanishta Ek qabr par khayma laga liya, achanak mujhe Ma'aloom huva ke ye ek qabar he kr usme ek aadmi Sura e Mulk Parh Raha he Yahañ Tak Ki Usne Soorat Mukammal karli. Tajdare Risalat  ﷺ Ne irshad farmaya Ye Soorat Azabe Qabr Ko Rokne Wali Or Usse Najat Dene Wali He.
*📚(TIRMIZI, KITAB FAZAILUL QURA'AN, J-4, S-407, HADIS-2899)*

Dusri Hadis Shareef Me He,
Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu Se Riwayat he, Rasoole Akram  ﷺ ne irshad farmaya, Qura'an Paak Me Tees Aayato Ki Ek Soorat He, Vo Apni Tilawat Karne Wale ki Shafa'at karegi yahañ tak ki use bakhs diya jayega. Vo Soorat تَبَارَكَ الَّذِي بِيَدِهِ الْمُلْكُ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ He.
*📚(ABU DAWOOD, KITAB SHAHRUR RAMZAN, J-2, S-81, HADIS-1400)*

Ek Or Hadis Me He,

Hazrat Abdullah Bin Mas'ood RadiAllahu Anhu Farmate he, surah tabarak apne parhne wale ki taraf se jagra karegi yahañ tak ki use jannat me dakhil kardegi.
*📚(SHO'ABUL IMAN, J-2, S-494, HADIS-2508)*

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aurto Ko Mazar Pe Jana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Aurton ko mazarate Auliya par jana jayez hai ya nahi. ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Aurto Ko Buzurgo Ke Mazarat Par Jana Mana'a He Chahe Burhi Ho Ya Jawan Ho.

Imame Ahle Sunnat Aala Hazrat RadiAllahu Anhu Farmate He,

Aurto Ko Mazarate Auliya W Maqabire Awam Dono Par Jaane Ki Mumane'at He.
*📚(AHKAME SHARIYAT, H-2, S-160)*

Or Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahma Farmate He,

Aslam Ye He Ki Aurte Mutlaqan (Yaani Jawan Ho Ya Burhi Sab Mazarat Ki Hazri Se) Mana'a Ki Jaye.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4, S-549)*

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Farz Tanha Padh Kar Jama'at Me Shamil Ho Sakta He Ya Nahi ? Magrib Ki Namaz Ka hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Jisne Farz Namaz Akele Padhli  Ba'ad Me Jama'at Qaaim Hui To Vo Jama'at Me Shamil Ho Sakta He. Arz Ye He Ki Uski Pahli Namaz Nafl Hogi Ya Jama'at Wali ? Neez Agar Jama'at Wali Nafl He To Magrib Me Aysa Kar Sakta He Ya Nahi Kyu Ki Nafl Shaf'a Hoti He Witr Nahi.

*🌹JAWAB:-🌹*
Siwaye Magrib, Asr Or Fajr Ke Farz Namaz Akele Padh Kar Fir Dubara Jama'at Qaaim Ho To Vo Usme Nafl Ki Niyat Karke Shamil Ho Sakta He.

Imame Ahle Sunnat Aala Hazrat رضی اللہ تعالی Se Is Ta'alluk Se Ek Sawal Huva, Aap Ne Irshad Farmaya,

Nafl Ki Niyat Chahiye,
 فان الفریضۃ فی الوقت لاتکرر،
(Kyu Ki Waqti Fariza Me Takraar Nahi)

Or Hadis Shareef Me He,
لایصلی بعد صلٰوۃ مثلھا.
(Yaane Namaz Ki Misl Namaz Ke Baad Ada Na Ki Jaye)

Or Agar Farz Ki Niyat Karega Jab Bhi Nafl Hi Hoge
فان الفریضۃ فی الوقت لاتکرر
(Kyu Ki Fariza Ek Waqt Me Mutakarrir Nahi Huva Karta.)
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-3, S-452)*

Uske Alawa *Bahare Shariyat* Me Huzur Sadrush Shariya علیہ الرحمہ Ne Ek Baab Bandha He *Munfarid Ka Farzo Ki Jama'at Paana*, Isme Bhi Huzur Sadrush Shariyah Ne Farmaya Jiska Khulasa Ye He Ki Fajr, Asr Or Magrib In tino Ko Akele Padhne Ke Baad Yaa Fir Jama'at Ke Sath Padhne Ke baad Dubara Jama'at Me Sharik Nahi Ho Sakta. Fajr Or Asr Me Is Wajah Se Ki Fajr Or Asr Ki Farz Padhne Ke Baad Chahe Vo Jama'at Ke Sath Ho Ya Akele Ho, Uske Baad Koi Nafl Nahi He. Or Magrib Me Is Wajah Se Ki Ye 3 Raka'at Hogi, Or 3 Raka'at Ye Shariyate Islamiya Me Nafl Ke Taur Par Mashroo Nahi He, Fir Bhi Agar Kisi Ne Nafl Ki Niyat Se Padh Li Or Ek Raka'at Or Milai To Usne Bura Kiya. Imam Ke Sath Shamil Ho Gaya To Ye Bura Kiya Imam Ke Salam Ferne Ke Baad Ek Raka'at Or Milale, Or 4 Puri Karle. Magar Aysa Nahi Karna Chahiye.

Uske Alawa Mishkat Shareef Me Sahibe Mishkat Ne Ek Baab Bandha He *📚Baabu Man Sallah Salatan Marratain, Safa-103* me Bahut Sari Ahadise Nabviya Is Ta'alluk Se Warid Hui Ki

 Hazrate Jabir Or Hazrate Abdullah Bin Umar رضی اللہ تعالی عنہم  in  Tamam Hazraat Ka Qaul Yahi He Ki Isha Or Zuhar Ki Jama'at me shamil Ho Sakta He, Nafl Ki Niyat Se Padh Sakta He Or Ahadise Nabviya Me Ye Saaf Saaf Irshad Huaa Ki Ye uske Nafl Hoge Farz Nahi Hoge.

Uske Alawa Ek Waazeh Qaul Hazrate Abdullah Ibne Umar RadiAllahu Anhu Ka He,
عبد اللہ بن عمر کان یقول من صلی المغرب اوالصبح ثم ادرکھما مع الامام فلی یعدلهما
Unhone Irshad Farmaya
Jisne Magrib Or Fajr Ki Namaz Padhli Fir Usne Imam Ke Sath Paya To Uske Liye Jaiz Nahi He Ki Usko Dohraye.

Algarz Mas'ala Waazeh He Ki Zuhar Or Isha Ki Farz Tanha padh Chuka Ho Ya Jama'at Ke Sath Padh chuka ho to Dubara Usko Jama'at ke Sath Nafl Ki Niyat Karke Padh Sakta He, Fajar, Asar, Or Magrib Ki Namaz Dubara Nahi Padhega, Agarche Nafl Ki Niyyat Se Ho.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gair Muslim Melo Me Jana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Hindu Ke Melo Me Jana Kesa  Or Jo Shakhs Mela Me Gaya Ho Uspe Shariyat Ka Kya Hukm He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Hadis Shareef Me He,
من کثر سواد قوم فھو منھم ....او کما قال رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم
Dusri Hadis Me He,
من جامع المشرک و سکن معه فانه مثله  ....او کما قال رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم

Or Aulma e Kiram Farmate He Ki Musalman Ko Chahiye Ki Majma e Kuffar Se Ho Kar Na Guzre  Ki Un Par La'anat Utarti He Or Sab Par Zahir He Ki Unka Mela Sad'ha Kufr ke Ash'aar Or Shirk Ki Baato Par Mushtamil Hota He Or Ye Mumane'at w Izala e Munkir Par Qadir Na Hoga To Khwahi Na Khwahi Gunga Shaytan Or Kafir Ka Tabedar Ho Kar Majma e Kuffar Me Rahna Or Unke Kufriyat Dekhna Sunna Musalman Ki Zillat He.

Or Imame Ahle Sunnat Aala Hazrat Alaihir Rahma Kafiro Ke Gair Mazhabi Melo Ke Ta'alluk Se Farmate He,

Kafir Ke (Gair Mazhabi) Melo Me Jane Se Aadmi Kafir Nahi Hota Ki Aurat Nikah Se Nikal Jaye Jo Log Ayse Fatwe Dete He Vo Shariyat Mutaharra Par Iftara Karte He Albatta Is me Shareek Hona Musalman Ko Mana'a He.
*📚(Al-Malfooz, H-4, S-357)*

Or Kafiro Ke Mazhabi Mele Maslan Dashera Wagairah me Shirkat Ke Ta'alluk Se Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahma Farmate He,

Gair Muslimo Ke Mazhabi Melo, Juluso Me Sharik Hona Sakht Haram He Balki Ba'az Soorto Me Kufr He. Maslan Unka Jhutha Badhane Ki Niyat se Koi Shareek Huva, Ya Un Ke Kufri Kamo Ko Achcha Jana To Kufr He Or Agar Sirf Tamasha Dekhne Ya Lahwa Laeeb Ki Niyat Se Shareek Huva To Haram W Gunah He.
*📚(FATAWA SHAREH BUKHARI, J-2, S-536)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Dalali Me Jhuth Bol Kar Paise Kamana

*🌹SAWAL:-🌹*
Zaid Dalali Ka Kaam Karta he.

Zaid Kisan ke paas ss Maal leta he, or usko 1100 rupya me farokht karta he or kisan ko 1000 rupya batata he ki aap ka maal 1000 me farokht hua. Is soorat me jo zaid 100 zaaid raqam leta he uska kya hukm he ? Jo zaid ne 100 zaaid liye uski kisan ko khabar bhi nahi hoti.

*🌹JAWAB:-🌹*

Irshade Baari Ta'ala He,
فَاجْتَنِبُوا الرِّجْسَ مِنَ الْأَوْثَانِ وَاجْتَنِبُوا قَوْلَ الزُّورِ
To Door Raho Buto Ki Gandagi Or Jhuth Se.
*📚(Sura e Hajj, Aayat-30)*

Huzure Akram ﷺ Farmate He,
التاجرالصدوق الا مین مع النبیین والصدیقین والشھداء
Jo Tajir Tijarat Ke Andar Sachchai Or Amanat Ko Ikhtiyar kare to vo qayamat ke din Ambiya, Siddiqqeen, Shohda, ke Sath Hoga.
*📚(Sunan Tirmizi)*

Dusri Riwayat Me Sarkar Farmate He,
التجار یحشرون یوم القیامة فجارا
الا من اتقی ۔وبر۔وصدق۔
Jhuthe Tajir Baroz Qayamat Fajito Ke Sath Uthaye Jayege Nek Tajir Bachege.
*📚(Al-Moajamul Kabeer Lil Tibrani)*

Mazkoora Dalaile Sahiha Se Ye Sabit Hota He Ki Jhuth Bolna Bhi Gunah He Or Jhuth Bol Kar Tijarat Karna Bhi Gunah He.

To Zaid Jo Tijarat Karta He Agar Usne Jhuth Ka Sahara Lete Huye Kisan Se Kaha Ki Aap Ka Maal 1000 Me Farokht Huva He Or Usne 1100 Me Farokht Kiya He To Zaid Ne 100 Rupya Jhuth Bol Kar Kamaya To Jhuth Bolne Ki Wajah Se 100 Rupye Uske Liye Najaiz Huye.

Zaid Ko Chahiye Ki Usse Bache Or Allah Ki Bargah Me Taubah Kare Or Sach Bol Kar Tijarat Kare. Allah Barkate Ata Farmayega..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Nizamuddin Qadri Sahab_*
*📬Sarbrahe Aala Darul Uloom Hazrat Bilal, Jarkhand*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲8
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Raat Me Kutte Kyu Rote He

*🌹SAWAL:-🌹*
Raat ME kutte rooe iska maana Kya hai yaani ye rona accha hai ya bura ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Jab Raat Me Kutto Ko Bhokte Ya Rote Dekhe To Allah Ki Panah Maange Yaani A'uzu Ya Laa Hawla Padhe Ki Vo Us Waqt Allah Ki Vo Makhlooq Ko Dekhte He Jise Ham Nahi Dekhte..

_Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He_

Sharhus Sunna Me Jabir RadiAllahu Anhu Se Riwayat He, Ki Nabi ﷺ Ne Farmaya Ki Jab Raat Me Kutte Ka Bhokna Or Gadhe Ki Aawaz Suno To A'uzu Billahi Minash Shaytan Nir Rajeem Parho Ki Vo Us Cheez Ko Dekhte He Jis Ko Tum Nahi Dekhte Or Jab Pahchal Band Ho Jaye To Ghar Se Kam Niklo Ki Allah عَزَّوَجَلَّ Raat Me Apni Makhlooqat Me Se Jis Ko Chahta He, Zameen Par Muntashar Karta He.
*📚(Sharahus Sunnah, Hadis-2954, J-6, S-141,142)*

*📚(BAHARE SHARIYAT APPLICATION, H-16, S-72)*

Isi Tarah Ek Or Hadis Me He
RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya Jab Tum Raat Me Kutto Ka Bhokna Or Gadho Ka Reñkna Suno To Allah Ki Panah Mango Kyu Ki Vo Aysi Cheezo Ko Dekhte He Jo Tum Nahi Dekhte.
*📚(Abu Dawood, Hadis-5103)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Auliya e Kiram Khana e Kaba Se Afzal He

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Auliya Allah Ka Martaba Khana e Kaaba se Afzal He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
عن عبد الله بن عمر قال: "رأيت رسول الله صلى الله عليه وسلم يطوف بالكعبة ويقول: ما أطيبك وأطيب ريحك! ما أعظمك وأعظم حرمتك! والذي نفس محمد بيده لحرمة المؤمن أعظم عند الله حرمة منك۔۔۔
*📚[رواه ابن ماجة]*

Hazrat Abdullah Ibne Umar Se Riwayat He Ki Mene Dekha Huzur ﷺ Khana e Kaba Ka Tawaf Karte Huye Farmate He ki Kaaba Tu Kitna Pakiza He Or Teri Khushboo Bhi Kitni Khushgawar He, Tu Kitna Azeem He Or Teri Azmat Bhi Kitni Aala He. Us Zaat Ki Qasam Jiske Daste Qudrat Me Muhammad Ki Jaan He Mo'amine Kamil Ki Izzato Hurmat Allah Ki Bargah Me Ay Kaaba Tujhse Zyada He.
*📚(Ibne Maja Ne Ise Riwayat Kiya)*

Isi Hadis Se Imame Ahle Sunnat Ne Istedalal Karte Huye Sabit Kiya He Ki Wali Ullah Ka Martaba Khana e Kaaba Se Zyada He.
*Makhuz📚(FATAWA RAZVIYA, J-11, S-30, Raza Acadmy)*

Wallahu Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qazi E Petlad w Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujrat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲8487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Shadi Ke Card Par Allah Ka Naam Likhna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Shadi Ke Card Par Allah Ka Naam Likhna Kaisa

*🌹JAWAB:-🌹*

Na Balig Bachche Ki Qayamat Me Umr Kitni Hogi Or Vo Kiske Sath Hoga ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum hazrat

8 saal ka ladka visal kar jaye, to kya qyamat ke din bhi ladka 8saal ka hi hoga? aur kya wo aakhirat me apne maa baap ke sath rahega?

jawab inayat farmaye
jazakAllah khair

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Zahir Yahi He ke kal medane mahshar me log apni apni qabro se jis umr me faut huye he, Jis Halat me faut huye he, usi halat or usi umr me zinda hoge. Or Medane Mahshar me jama'a hoge, lihaza 8 saal ka ladka jo balugat se pahle inteqal kar gaya he vo kal qayamat ke din bhi 8 saal hi ka hoga. Or kal medane mahshar me vo apne maa baap ki shafa'at bhi karega, Albatta Sabse Pahle baabe shafa'at jo fat'ha farmayege, kholege, vo hamare aaqa nabi e kareem  ﷺ hoge, uske baad digar hazraat shafa'at karege or usi me ye na-balig bachche jo balugat se pahle inteqal kar gaye vo bhi apne maa baap ki shafa'at karege.

Hatta ki Hadish Shareef Me Aaya,
Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya Jis Ka Mafhoom ye he ki Rab Tabarak W Ta'ala w Ta'ala usse Farmyega ja Jannat Me Dakhil Ho Jaa, vo jannat ke darwaze par khada rahega or intezar karega fir Rab Tabarak w Ta'ala ki bargah me arz karega ki ya ilaahal aalameen ! Me Jannat Me Dakhil Ho Jaau, Or Mere Maa Baap Dakhil Na Ho ? Allah Ta'ala Usko Dusri Ya Tisri Martaba irshad Farmayega Tu Bhi Jannat Me Dakhil Ho Jaa Or Tere Maa Baap Ka hath pakad le or fir unko bhi Jannat me Dakhil karde.

Isi Tarike Ka Mafhoom *📚Bahare Shariyat Hissa-1, Kitabul Aqaid* Wagairah Me Mukhtalif Jagaho Par maujud he.

Albatta Jannat Me Jane Ke Baad us Nabalig Bachche Ki Umr Kya Hogi ?

To Ma'az ibne Jabal RadiAllahu Anhu Ki Hadis He,
عن معاذ بن جبل أن النبي صلی اللہ علیہ وسلم قال:((یدخل أھل الجنۃ الجنۃ جردا مردا مکحلین أبناء ثلاثین أو ثلاث وثلاثین سنۃ))
*📚Sunan Tirmizi, Hadis-2554, j-4, S-244)*

Ma'az Ibne Jabal RadiAllahu Anhu ki Hadis Shareef he ki RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya ki Har Jannati ki Umr 30 saal Ya 33 Saal Hogi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*✅ Al-Jawabus Sahih: Fakhre Ratnagiri, Hazrat Allama Mufti Alfaz Sahab Najmi, Karnatak*

*✅ Al-Jawabus Sahih: Abu Sadaf Hazrat Allama Sadiq Raza Sahab Qibla*
*Shahi Jaama'a masjid, Patna, Bihar*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Maaldar ko barsi ya Chahellum Ka Khana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam alaykum Hazrat
Sawal
Kya maal Dar Admi Ko *Barsi* Ka Khana..khana kaisa Hai
Shariyat Main Iska Kya Huqm Hai Or Oh Khana Kon khasakta hai
Jawab ata farmai

*🌹JAWAB:-🌹*
Wa Alaikum Assalam w Rahematullah,

Teeja, daswa, chaliswa, ya Barsi Ye Sab Isale Sawab Hi Ka Naam He, Or Isale Sawab Ka Khana Garib Faqeer Ameer Sab Ko Jaiz He, Magar Ameer Ya Sahibe Nisab Ko Nahi Khana Chahiye, Isse Gurez karna Bahetar, Kyu Ki Is Par Garibo Fuqra Ka Haq Zyada He.

Jaisa ki Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

(Gurba W Masakin Ke Alawa Dusre Log Khusoosan Masjid Ke Imam Mayyat Ka Khana) Kha Sakte He, Magar Bahtar Ye he Ki Agniya'a Na Khaye, Yahi Hukm Imam Ka He Gani (Sahibe Nisab) ho to Use Khana, Kapda Lena Bahetar Nahi, Or Sahibe Nisab Na Ho To Use Mazaiqa Nahi, Magar Jab Ki Baqadre Kifayat Kasb Par Qadir Ho To Use Sawal Najaiz He.
*📚(FATAWA TAJUSHSHARIYA, J-4, S-477)*

Or Farmate He,

Urfe Aam Par Banazar Shaahid Ke Chahellum Wagairah Ke Khane Pakane Se Logo Ka Maqsood  Mayyat Ko Sawab Pahuchana  Hota He, Is Liye Ye Fe'al Karte he, chunanche Use Fatiha Ka Khana, Chahelum Ki Fatiha Wagairah Kahte He, Or Bila Shubah Is Niyyat Se Khana Pakana Kaare Khair He, Or Taheqiq Ye He Ki Sirf Fuqra Hi Par Ayse Khano Ke Tasadduq Me Sawab Nahi Balki Agniya Ko Bhi Khilana Sawab Ka Kaam He.

Huzur ﷺ Farmate He,
فی کل ذات کید حر جزاء
*📚(Sunan Ibne Maja, Hadis-3686)*

Yaani Zinda Ko Khana Khilayega, Paani Pilayega, To Sawab Payega.

Fatiha Ka Khana Gani Ke Liye Haram Nahi, Use Bhi Khila Sakte He, Or Da'awat Bhi De Sakte He,  Agarche Afzal Yahi He Ki Sirf Fuqra Par Tasadduq Kare Or Maqsoode Sawab He To Sirf Faqiro Ko Khilana Munasib Tar He, ki Isme Sawab Aksar He, Fir Bhi Asl Maqsood Mafqood Nahi Jabke Niyyat Sawab Pahuchana He. Wahañ Jise Ye Maqsood Hi Na Ho Balki Mahaz Fakhri Mubahat W Naamo Namood Ka Tasadduq Ho To Uski Hurmat Me Aslan Kalam Nahi.

Hadise Sahih Me He,

Jo Khane Tafakhiro Riya Ke Liye Pakaye Jate He Un ke Khane Se Nabi ﷺ Ne Mana'a Farmaya. Or Jo Khane Ba Niyyat Isale Sawab Mahaz Da'awat W Mahmandaari ke Taur par shadyo ke khane ki tarah pakate he unhe sawab se kuchh ilaqa nahi aysi Da'awat ko qubool na karna chahiye ke aysi Da'awato ka mahal shadiyañ he na gami, walihaza aulma farmate he ki ye bid'ate Sai'yya He. Magar be Daleele Wazeh Kisi Musalman Ke Liye Ye Samajh Lena Ki Ye Kaam Is Ne Tafakhkhur w naamwari ke liye kiya he, jaiz nahi, ki Qalb Ka Haal Allah Ta'ala Janta He Or Musalman Par Badgumani Haram.
*Makhuz: 📚(FATAWA TAJUSHSHARIYA, J-4, S-463-467)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Puri Zakat Na Nikalne Wale Par Kya Hukm He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam alaykum hazrat

Zaid ki Crodo ki propati hai ab zaid us main se Kam Zaqat Ada Karta hai Puri Maal Ke Nahi ada  karta to ab us maal ka kya huqm Hai Jo Oh Adhe Maal Ki Zaqat Ada Karta Th adhe ki nahi

Hazrat Shariat Ki roshni main jawab ada kre

*🌹JAWAB:-🌹*
Wa Alaikum Assalam w Rahematullah,

Soorate Mas'ula Me Sahih Tarah Se Zakat Ada Na Karne Par Zaid Gunahgar Mustahiqe Azab He, Zakat Ada Na Karne Par Azabe Ilahi Or Kai Saari Waeede He Jis Par Kai Ahadise Kareema W Aayate Qura'anya Warid He.

Jo Log Zakat Ada Karne Me Bukhl Karte He Sahih Tarah Se Zakat Ada Nahi Karte Unke Ta'alluk Se Qura'an Majeed Me Rab Tabarak w Ta'ala Farmata He,

وَلَا يَحْسَبَنَّ الَّذِينَ يَبْخَلُونَ بِمَا آتَاهُمُ اللَّهُ مِن فَضْلِهِ هُوَ خَيْرًا لَّهُم ۖ بَلْ هُوَ شَرٌّ لَّهُمْ ۖ سَيُطَوَّقُونَ مَا بَخِلُوا بِهِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ.
Yaani Jo Log Bukhl Karte He Uske Sath Jo Allah Ne Apne Fazl se Unhe Diya. Vo Ye Guman Na Kare Ki Ye Unke Liye Bahetar He Balki Ye Unke Liye Bura He. Us Cheez Ka Qayamat Ke Din Unke Gale Me Tauq Dala Jayega Jis Ke Sath Bukhl Kiya.
*📚(Sura e Aale Imran, Aayat-180)*

Or Farmata He,
وَالَّذِينَ يَكْنِزُونَ الذَّهَبَ وَالْفِضَّةَ وَلَا يُنفِقُونَهَا فِي سَبِيلِ اللَّهِ فَبَشِّرْهُم بِعَذَابٍ أَلِيمٍ. يَوْمَ يُحْمَىٰ عَلَيْهَا فِي نَارِ جَهَنَّمَ فَتُكْوَىٰ بِهَا جِبَاهُهُمْ وَجُنُوبُهُمْ وَظُهُورُهُمْ ۖ هَٰذَا مَا كَنَزْتُمْ لِأَنفُسِكُمْ فَذُوقُوا مَا كُنتُمْ تَكْنِزُونَ.
Yaani Jo Log Sona Or Chandi Jama'a Karte Or Use Allah Ki Raah Me Kharch Nahi Karte He, Unhe Dardnaak Azab Ki Khushkhabri Suna Do, Jis din Aatishe Jahannam Me Vo Tapaye Jaayeñ Ge Or Unse Unki Peshaniya Or Karwate Or Pithe Daagi Jayegi, (Or Unse Kaha Jayega) Ye Vo He Jo Tum Ne Apne Nafs Ke Liye Jama'a Kiya Tha To Ab Chakho Jo Jama'a Karte The.

Isi Tarah Ahadise Kareema Iske Bayan Me Bahut He Jisme Se Chand Ye He,

Sahih Bukhari Shareef Abu Huraira RadiAllahu Anhu Se Marvi, RasoolAllah ﷺ Farmate He: Jis Ko Allah Ta'ala Maal De Or Vo Us Ki Zakat Ada Na Kare To Qayamat Ke Din Vo Maal Ganje Saañp Ki Soorat Me Kar Diya Jayega, Jiske Sar Par Do Chatiyañ Hogi. Vo Saañp Uske Gale Me Tauq Bana Kar Daal Diya Jayega, Fir Uski Baacheñ Pakdega Or Kahega Me Tera Maal Huñ, Me Tera Khazana Huñ, Uske Baad Huzur ﷺ Ne Is Aayat Ki Tilawat Ki,
وَلَا يَحْسَبَنَّ الَّذِينَ يَبْخَلُونَ..........
*📚(Sahih Bukhari, Kitabuz Zakat, Hadis-1403, J-1, S-474)*

Ahmad Ki Riwayat Abu Huraira RadiAllahu Anhu Se Yuñ He, Jis Maal Ki Zakat Nahi Di Gai, Qayamat Ke Din Vo Ganja Saañp Hoga,(Saañp Jab Hazar Baras Ka Hota He To Uske Sar Par Baal Nikalte He Or Jab Do Hazar Baras Ka Hota He, Vo Baal Gir Jate He, Ye Ma'ana He Ganje Saañp Ke ki Itna purana Hoga) Malik Ko Dodayega, Vo Bhagega Yahañ Tak Ki Apni Ungliyañ Uske Munh Me Daal Dega.
*📚(Al-Musnad Al-Imam Ahmad Bin Hambal, Musnad Abi Hurairah, Hadis-10858, J-3, S-626)*

Sahih Muslim Shareef Me Abu Huraira RadiAllahu Anhu Se Marvi, Farmate He RasoolAllah ﷺ: Jo Shakhs Sone Chandi Ka Malik Ho Or Uska Haq Ada na Kars to Jab Qayamat Ka din Hoga Uske Liye Aag Ke Paththar Banaye Jayege Un Par Jahannam Ki Aag Barhai Jayegi Or Unse Uski Karwat Or Peshani Or Pith Daagi Jayegi, Jab Thande Hone Par Aayege Fir Waise Hi Kar Diye Jayege. Ye Muaamla Us Din Ka He Jis Ki Miqdar Pachas Hazar Baras Yahañ Tak Ki Bando Ke Darmiyan Faisla Ho Jaye, Ab Vo Apni Raah Dekhe Ga Khwañ Jannat Ki Taraf Jaaye Ya Jahannam Ki Taraf......
*📚(Sahih Muslim, Kitabuz Zakat, Hadis-987, Safa-491)*

Bukhari Apni Tarikh Me Or Imam Shafai W Bazar W Bayhaqi Ummul Mu'amineen Saddiqa RadiAllahu Anha Se Ravi, Ki RasoolAllah ﷺ Farmate He, Zakat Kisi Maal Me Na Mile Gi, Magar Use Halak Kardegi.
*📚(Sho'abul Iman, Baab Fee Zakat, Hadis-3522, J-3, S-273)*

Ba'az A'imma Ne Is Hadis Ke Ye Ma'ana Bayan Kiye Ki Zakat Wajib Hui Or Ada Na Ki Or Apne Maal Me Milaye Raha To Ye Haram Us Halal Ko Halak Kardega, Or Imam Ahmad Ne Farmaya Ki Ma'ane Ye He Ki Maaldaar Shakhs Maale Zakat Le To ye Maale Zakat Us Ke Maal Ko Halak Kardega Zakat To Faqeero Ke Liye He Or Dono Ma'ana Sahih He.
*📚(At-Targeebo Tarheeb, Kitabus Sadqat, Hadis-18, J-1, S-309)*

*Makhuz: 📚(BAHARE SHARIYAT, J-5, ZAKAT KA BAYAN)*

Isi Tarah Kai Aaya e Kirama w Hadise Mubarika Zakat Ada Na Karne Wale Ke Haq Me Azab W Waeedo Ke Sath Warid Hui He.


Zakat Pure Ki Puri Ada Karna Zaroori he, Agar Kisi Ne Isme Bukhl W Kanjusai Se Kaam Liya Ki Puri Zakat Ada Na Ki Balki Thodi Ada Ki Thodi Na Ki Uske Haq Me Bhi Sakht Azab W Waeede He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Pent Shirt Pahan Kar Namaz Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Pent Shirt Pahan Kar Namaz Padhna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Fee Zamana Pent Shirt Pahan Kar Namaz To Ho Jayegi Magar Makroohe Tanzihi Hogi.

Jaisa ki Fatawa Baraily Shareef Me He

Ab Jabki Angrezi Libas Maslan Pent Shirt Wagairah Ka Pahanna Angrezo ke sath khas na raha balki digar qaumo ke sath Musalmano me bhi aam ho gaya to ab ye kisi ek qaum ka waza'a makhsoosa or shuaare Qaumi na raha or Na hi ab ye Angrezo ka Shuaare Qaumi kahlayega lihaza ab vo hukm sabiq na raha Albatta use pahanna ab bhi karahat se khali nahi ke ye waza'a sulha nahi bahar haal waza'a fussaq he ki libase mazkoor abhi itna aam nahi huva ki sulha or Auoma or muttaqeen bhi istemal karte ho balki aksar fussaq hi istemal karte he balki ba'az Pahanne wale khud bhi use achcha libaas nahi tasawwur karte or logo ka ise muayyab samajna hi iski karahat ko kaafi, lihaza aysi soorat me Mutlaqan Makroohe Tanzihi ka Hukm he or agar pahanne wala ba niyyate tashba pahne makroohe tahrimi karibul haram he.
*📚(FATAWA BARAILY SHAREEF, S-208)*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲8487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts