BADMAZHABO KE YAHA JOB KARNA KESA ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Deobandi, Wahabi, Shiya Wagairah BadMazhabo ke yaha nokri karna kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
_Wahabi, Deobandi or digar firqa e batila ke yaha nokri karna jaiz nahi he, ki unke sath iman jane ka khatra he. Hadish Shareef Me Unse Door rahne ka hukm he._

_Aala Hazrat Ashshah Imam Ahemad Raza Khanعلیہ الرحمہ   Farmate he_

Deobandi w nechari garz jo bhi zarooriyate deen se kisi shay ka munkir ho sab murtad kafir he, un ke sath khana pina, salam alaik karna, un ki maut w hayat me Kisi tarah ka koi islami bartao karna sab haram, na unki naukri karne ki ijazat, na unhe naukar rakhne ki ijazat ke unse door bhagne or unhe apne se door karne ka hukm he.

RasoolAllah ﷺ  farmate he,
ایاکم وایاھم لایضلونکم ولایفتنونکم
Un se bacho, unhe door rakho taaki vo tumhe na gumrah kare na fitna me daal sake.
*📚(SAHIH MUSLIM, 1/10)*

*📚FATAWA RAZVIYA, J-14, S-412)*

_Murtad ke sath kaam karne ya usko kaam pe rakhne ke ta'alluk se huzur Bahrul Uloom علیہ الرحمہ Farmate he_

Kafir w murtad ke sath Kaam karne ya unse kaam lene me deeni nuqshan ho ya us ke deene batil ki madad hoti ho to uske sath kaam karna ya usse kaam lena najaiz he. Or agar deeni nuqshan na ho to jaiz he. Albatta Murtad se bahar Haal door rahe.
*📚(FATAWA BAHRUL ULOOM, J-4, KITABUL SIYYIR AHKAME MURTAD KA BAYAN, S-282, 308, 330)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍Az: Pathan Moin Raza Azhari, Petlad, Gujrat_*


*✅Al-jawabus Sahih:- Hazrat Allama Mufti Ata Ullah naimi sahab qibla*
*_📬Darul Hadish w Darul Ifta Jameatun Noorya Jamiat Isha'at ahele sunnat, karanchi, pakistan_*
*📚Sahibe Fatawa Hajjo Umrah*

*✅Al-Jawabus Sahih:- Hazrat Allama Mufti Manzoor Ahemad Yaar Alvi Sahab Qibla*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Barkariya, Gulshan Nagar jogehsvari, Mumbai*
*📚Sahibe Fatawa Yaar Alviya*

*✅Al-Jawabus Sahih:- Hazrat Allama Mufti Hashim Raza Sahab Misbahi*
*_📬Sadrush Sho'aba w ifta darul uloom jamea Razviya shah aleem diwan, simoga, karnatak_*
*📚Sahibe Fatawa Simoga*

*✅ Al-jawabus sahih:- Hazrat Allama Muhammad Sadiq Raza Sahab Qibla*
*_📬Khatibo Imam Shahi Jame'a Masjid Patna, Bihar_*

*✅Al-jawabus Sahih:- Hazrat Allama Mufti Dilshad Ahemd Ziyai*
*_📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujrat*_

*✅ Al-jawabus Sahih:- Hazrat Allama Mufti Alfaz Ahemad Quraishi Sahab  qibla*

*✅ Al-jawabus Sahih:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi*
*_📬Tadriso Ifta Darul Ulomm Qadriya Razviya, Petlad, Gujarat_*

*✅Al-Jawabus Sahih:- Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Sahab Misbahi,*
*_📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya Haldarva, Gujarat, w Qazi E Petlad_*

*✅ Al-jawabus Sahih:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Sahab Faizi*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*

*_🎙HUZUR TAJUSHSHARIYAH  علیہ الرحمہ  EK SAWAL KE JAWAB ME FARMATE HE_*
Wahabi se muamlat najaizo haram he. Agar usko Kisi or jagah rozgaar mil sakta he, to uski mulazimat karna usko Najaizo haram he, or uska mangaya huaa nasta wagairah se sunni ko parhez lazim he.(link me sune)👇
http://jamiaturraza.com/session/8Jan12/29.mp3

*_✍ Pathan Moin Raza Azhari, Petlad, Gujrat_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖==========

KISI KA MAAL BINA USKI IJAZAT KE KISI KO DENA KESA

*🌹SAWAL:-🌹*
Zaid ka paisa khalid ke paas jama tha, khalid ne us paise ko zaid ko bina batae baqar ko de diya. Khalid ka is tarah karna kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Maale Gair me bila azn tasarruf karna sakht gunah he. Agar zaid is par raazi nahi he to khalid par lazim he ki jitne rupye us ne zaid ke bagair uski ijazat ke bakar ko diye, utni raqam zaid ko apni jeb se ada kare.
Wallahu Ta'ala aa'alam

*✍Al-Jawab:- HAZRAT ALLAMA MUFTI MUZZAMMIL SAHAB QIBLA☘*
*_📬KHADIME TADRIS W IFTA DARUL ULOOM GAUSHE AAZAM, PORBANDAR_*
*_📌BANI SADRUSH SHARIYAH RESEARCH CENTER PORBANDAR, GUJRAT_*

*_📬Admin:- Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖=========

KISI KI GAALI GALOCH WALI CALL RECORDING SHARE KARNA KESA

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum

Hazrat mera 1 sawal hai.

2 sakhs ki guftagu ki call recording(audio clip) hai usme galiya bol rahe hai aur wo audio clip ZAID ke paas aai aur ZAID ne sab me forward kar di to ZAID par shariat ka kya hukum hoga ?

Hazrat tafsili jawab de.
Jazak Allah khair

*🌹JAWAB:-🌹*

W Alaikum Assalam W Rahematullah,

Pahle to ye ki bila ijazat kisi ki guftagu record karna kesa ? Iske muta'allik Huzur TajushShariyah Alaihir Rahma Farmate He,

Ye dhoka He, Or hamare yaha dhoke ki ijazat nahi he, Agar kisi ka kalam record karne ke kabil he to uski ijazat se us kalam ko record kiya jaae, be uski ijazat ke uske kalam ko record karna jasoosi he, or dhoka dihi he jo najaiz he.
(Link Me Jawab Sune👇)
http://jamiaturraza.com/session/13Dec09/6.mp3


_Or Mobile phone ke zaroori masail me he,,_

Aaj Kal Mobile par kisi ki guftagu tep karne ka maqsad yahi hota he ki waqte zaroorat qail ko uski galt guftagu ka maza chakhaya jaae or use zaleel or ruswa kiya jaae. Ye jahat se or is niyyat se mobile par bila ijazat kisi ki guftagu tep karna jaiz nahi he.
*📚(MOBILE PHONE KE ZAROORI MASAIL, S-95)*

Or Gali Galoch karna sakht gunah, fisq w Azabe Qabr ka shabab he, gaali galoch karne wala taubah w astagfar kare.

Or gaali galoch jo ki gunah he usko aam karna bhi ek gunah he.. ki buri baat ko nashr karna bhi bura hota he. Zaid Ko chahiye ki vo bhi apne is fe'al se taubah w astagfar kare or aaindah is tarah ki gaali galoch vali clip ya koi bhi buri baat ko aam na kare.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_📬Pathan Moin Raza Azhari_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖==========

EK SATH 3 TALAQ DI TO KYA HUKM HE ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kisi Ne Apni Biwi Ko Ek Sath 3 Talaq Di To Kya Hukm he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

_Teen(3) Talaq Ek sath dena Islam me sakht napasandida amal he, or islam ne iski sakht mazammat ki, ekehi sath 3 talaq dena wala sakht gunahgar he, Lekin Agar koi dede to Isse Tino Talaq Waqe'a ho jaegi.Chahe Ek Jumla me teen talaq ka lafz istemal kiya maslan me apni biwi ko teen talaq deta hu, ya alag alag jumlo me kaha maslan mene apni biwi ko talaq di talaq di, talaq di. Ya ek Majlis ya ek din me teen talaq di bahere soorat talaqe waqe'a ho jaegi. Uski biwi uske nikah se nikal gai or us pe haram ho gai, Ab Agar Use Wapas rakhna chahe to bina Halale ke nahi rakh sakta._

Allah Pak Qura'ane Muqaddas Me Farmata Hai-

ٱلطَّلَٰقُ مَرَّتَانِ ۖ فَإِمْسَاكٌۢ بِمَعْرُوفٍ أَوْ تَسْرِيحٌۢ بِإِحْساَٰنٍ ۗ

*Tarjamah-* Talaq Jo 2 Baar Tak Hai, (Yani Jisse Biwi ko Bagair Naya Nikah Kiye Rakha Ja Sakta hai) Phir Bhalai Ke Sath Rok Lena (Yani Bagair Naye Nikah Ke Hi) Ya Nikoi (Bhalai) Ke Sath Chhod Dena.
*📚(QURA'ANE KAREEM, SURAH BAQRAH, AAYAT-229)*

Phir Rab Ta'ala Farmata Hai-

فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا تَحِلُّ لَهُۥ مِنۢ بَعْدُ حَتَّىٰ تَنكِحَ زَوْجًا غَيْرَهُۥ ۗ فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا جُنَاحَ عَلَيْهِمَآ أَن يَتَرَاجَعَآ إِن ظَنَّآ أَن يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِ ۗ وَتِلْكَ حُدُودُ ٱللَّهِ يُبَيِّنُهَا لِقَوْمٍ يَعْلَمُونَ

*Tarjamah-* Phir Agar Tisri Talaq Use Dee To Ab Aurat Halal Na Hogi, Jab Tak Dusre Shohar Ke Pas Na Rahe, Phir wo Dusra Agar Use TALAQ De De To In Dono Par Gunah Nahi Ki Apas Me Mil Jayen (Ab Pehla Wala Usse Nikah Kar Sakta Hai) Agar Guman Ho Ki Allah Ki Hadon Ko Qa'im Rakhenge, Ye Allah Ki Hade'n Hai Jo Wo Bayan Farmata Hai Samajhdaron Ke Liye.
*📚(SURA E BAQRAH, AAYAT-230)*

Sura e Baqrah ki In Aayato se Wazeh ho gaya ki, Do Talaqo Ke baad iddat khatam hone se pahle Rujoo'a ho sakta he. Agar Do talaqo se tadad badh jae to rujoo'a nahi ho sakta. Yaani  bek waqt teen talaqe di gai agarche aysa karna haram he, ya 3 tuhar me di gai jo jaiz or sunnat ke mutabiq tariqa he to in dono soorto me ruju'a nahi ho sakta.

*Ek sath Teen Talaq Dena Sakht Gunah W haram he lekin Talaq Waqe'a Ho jati he.*

Hadees-

أَخْبَرَنَا سُلَيْمَانُ بْنُ دَاوُدَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ ابْنِ وَهْبٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ أَخْبَرَنِي مَخْرَمَةُ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِيهِ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ سَمِعْتُ مَحْمُودَ بْنَ لَبِيدٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏  أُخْبِرَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنْ رَجُلٍ طَلَّقَ امْرَأَتَهُ ثَلَاثَ تَطْلِيقَاتٍ جَمِيعًا، ‏‏‏‏‏‏فَقَامَ غَضْبَانًا، ‏‏‏‏‏‏ثُمَّ قَالَ:‏‏‏‏  أَيُلْعَبُ بِكِتَابِ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏وَأَنَا بَيْنَ أَظْهُرِكُمْ ، ‏‏‏‏‏‏حَتَّى قَامَ رَجُلٌ وَقَالَ:‏‏‏‏ يَا رَسُولَ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏أَلَا أَقْتُلُهُ ؟.

Tarjamah-

Huzoor ﷺ Ko Eik Shakhs Ke Hawale Se Bataya Gaya Ki Usne Apni Biwi Ko Eik Sath 3-Talaqe'n De Dee Hain, Ye Sunke Aap Sakht Gusse Me Khade Huye Aur Farmaya Tum Log Allah Ki Kitab Se Khelte Ho Halaki Mai Tumhare Beech Maujood Hun, Eik Shakhs Khada Hua Aur Arz Ki Huzoor ﷺ Aap Ijazat De'n Ki Mai Use Qatl Karun.

{سنن النسائي، جلد-٦، صفحہ نمبر-٤٤٢، حدیث نمبر-٣٤٣٠}



Agar Eik Sath Dee Gai 3-Talaq 1 Hi Hoti To Huzoor E Pak ﷺ Is Qadar Gussa Na Farmate Aur Ise Allah Ki Kitab Se Khel Na Batate Jabki 1 Baar Me 1 Talaq  Quran Hi Ka Hukm Hai, Aur Phir Eik Sahabi Us Shakhs Ke Qatl Ki Ijazat Na Chahte.

Sunane Ibne Majah Me Ye Hadees Hai-

Hadees-

عَنْ عَامِرٍ الشَّعْبِیِّ:’’قَالَ: قُلْتُ لِفَاطِمَۃَ بِنْتِ قَیْسٍ: حَدِّثِینِی عَنْ طَلَاقِکِ، قَالَتْ: طَلَّقَنِی زَوْجِی ثَلَاثًا، وَھُوَ خَارِجٌ اِلَی الْیَمَنِ، فاَجَازَ ذَلِکَ رَسُولُ اللَّہِ صَلّی اللہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ‘‘۔

Tarjamah-Hazrat Shabi (شعبی) Kehte Hain Main Ne Fatimah Binte Qais Se Kaha Aap Mujhe Apni Talaq Ka Waqiyah Sunaiye, Unho Ne Jawab Diya Mujhe Mere Shaohar Ne Yaman Jate Waqt 3 Talaqen Dee'n, To Rasulullah ﷺ Ne Ye 3no Talaqen Naafiz Farma Dee'n.

[سنن ابن ماجہ ، کتاب الطلاق، باب من طلق ثلاثاً فی مجلس واحد، حدیث نمبر( 2024): 1/652، مطبوعہ:احیاء الکتب العربیۃ، بیروت۔]

Hadees Me Saaf Hai Ki Ye 3no Talaqen Eik Majlis Ki Thi, Jabhi Hazrat Fatimah Ne Bayan Diya Ki Rasulullah ﷺ Ne 3no Naafiz Farma Dee'n Agar Alag Alag Majlis Me Dee Hoti To Huzoor ﷺ Ka Ise Naafiz Farmane Ka Kya Matlab Hai?

Jaisa Ki Imam Abu Zakarya Yahya Bin Sharf An'nowi رحمہ اللہ Ne Sharah An'nowi Me Farmaya-

قال لامرأتہ انت طالق ثلاثاً فقال الشافعی ومالک وابو حنیفۃ واحمد وجماھیر العلماء من السلف والخلف یقع ثلاثاً‘‘۔

Tarjamah-

Jis Shakhs Ne Apni Biwi Ko Kaha Tujhe 3 Talaqen Hain To Uske Muta'alliq Imam Azam Abu Hanifah, Imam Malik, Imam Shafai, Imam Ahmad, Aur Jamhoor Ulama E Salaf O Khalaf Ne 3 Talaq Waqe Hone Ka Fatwa Diya Hai.

[شرح النووی علی المسلم، کتاب الطلاق، باب طلاق الثلاث: 1/478، مطبوعہ: قدیمی کتب خانہ،کراچی]

Allama Kamaluddin Ibne Humam رحمہ اللہ Fathul Qadeer Me Farmate Hain-

ذھب جمھورالصحابۃ والتابعین ومن بعدھم من ائمۃ المسلمین الی ان یقع ثلاثاً

Tarjamah-

Jamhoor Sahabah Taba'een Aur Unke Baad Wale Aimmah E Kiram Ka Maslak Ye Hai Ki Eik Lafz Se 3 Talaq Dene Se 3 Hi Waqe Hongi

[فتح القدیر، کتاب الطلاق، باب طلاق السنۃ: 3/469، مطبوعہ: دارالفکر، بیروت، لبنان]

Fiqhe Hanfi Ki Mash'hoor Kitab Alamgeeri Me Hai-

اذاقال لامرأتہ’’ انت طالق وطالق وطالق‘‘ ولم یعلقہ بالشرط، ان کانت مدخولۃ طلقت ثلثا‘‘

Tarjamah-

Jab Mard Ne Apni Madkhulah (Jisse Sohbat Hui) Biwi Se Kaha "Tujhe Talaq Hai Aur Talaq Hai Aur Talaq Hai" Aur Talaq Ko Kisi Shart Ke Sath Khas Na Kiya To Biwi Par Talaqen Pad Gai.

[فتاوی ہندیہ، کتاب الطلاق، الباب الثانی، الفصل الاول: 1/355، مطبوعہ: دار الفکر، بیروت۔]

_Hasile kalam yahi he ki ek sath teen talaq dena agarche gunah w haram he lekin tino takaqe waqe'a ho jaegi. Aurat nikah se nikal jaegi. Bina halala kiye wapas nahi rakh sakta_

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖=========

ANGREZI SAAL KI MUBARAK BAAD YA HAPPY NEW YEAR KAHNA KESA ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Angrezi Naye Saal Ki Mubarak Baad Dena Yani Sirf Happy New Year Ya naya Saal Mubarak ho Kahna kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Bazahir Angrezi Naye Sal Ki Mubarak Baadi dena Ya Happy New Year Kehna Sirf Musalman ko durust he vo bhi us waqt jab ki us me koi sharai qabahat na ho neez kisi gunah par ta'awwun bhi na ho or aainda saal neki me guzre or musalmano ka bhala ho ye duaa kare to itna thik he. Lekin Happy New Year Wagairah Kahne Se Bachna bahetar He Or Gair Muslim, badmazhab w kuffaro se dosti rakhna haram bad kaam bad anjam he. Or unse qalbi muhabbat rakhna kufr he. Unhe kisi bhi tarah ki mubarak baadi dena bhi najaizo haram he.

_👇Isi Tarah Se👑Huzur TajushShariyah Alahir Rahma ka Farman Sama'at Kare
mhttp://jamiaturraza.com/session/1Jan12/2.mp3

_Or Sirajul Fuqha ki deeni majalis me he ki,_

Naye saal ki mubarakb baad dene ka matlab ye hota he ki ye saal aap ke liye mubarak rahe,Khair se guzre. Ye jaiz he ki duaa e Khair he haañ agar koi angrezo ke banae hue maah w saal ki ta'azeem ke liye kahe to makrooh he, magar aam taur par musalman ye niyyat nahi rakhte balki unka maqsad dua e Khair hota he or usme koi mazaeqa nahi.
*📚(SIRAJUL FUQHA KI DEENI MAJALIS, S-144)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*
📲
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

============➖➖➖➖========

MUSALMAN KO MERRY CHRISTMAS YA HAPPY CHRISTMAS KAHNA KESA

*🌹SAWAL:-🌹*

Merry Christmas Ya Happy Christmas Kahna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

_Merry Christmas Ya Happy Christmas Kahna Sirf Najaaizo Haram W Gunah Hi Nahi Balki Kufr Ka Kaam He._

Merry Christmas Ka Ma'ana Hota He 'Allah Ka Beta Hua He Mubarak Ho' (Ma'azAllahi Rabbil Aalameen).

Is Tarah Ka Aqida Rakhna Quraane Karim Ke Khilaf He. Or Kufr He. Jo Bhi Esa Aqida Rakhe Vo Kharije Islam He. Uspe Taubah Tajdeede Iman W Tajdeede Nikah Lazim He.

_Jaisa Ki Aala Hazrat Alaihir Rahma Taherir Farmate He,_

Gair Muslim Ke Tahewar Christmas, Holi, Diwali Wagairah Ko Achcha Samajna, Us Ki Ta'azeem Me Mubarak Baad Dena Kufr He.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-14, S-683)*

Jis Tarah Ham Musalman 12 Rabi-un-noor Shareef Ko Huzur Sallallahu Alaihi W Sallam Ka Milad Manate He Ki Aap Dunya Me Tashreef Laye. Is Aqide Se Nasarani Log Hazrate Isa Ka Milad Nahi Manate Balki Unke Nazdik Hazrate Isa Alaihis Salam Jo Bin Baap Ke Paida Hue Goya Unka Baap Khuda Ta'ala He, Or Vo Khud Bhi Khuda He, Or Unki Maa Bhi Khuda He. Yani Vo Log 3 Khudao Ke Qaail He. Kisi Bhi Musalman Ka Chrischanns Ko Happy Christmas Ya Marry Christmas Kahna Ya Christmas Ki Mubarak Baad Dena Ye Sirf Najaaizo Haram,gunah Hi Nahi Balki Kufr He.

Kyu Ki Ye Islami Aqide Ke Sarasar Khilaf He Ki Allah Ta'ala Ka Koi Beta Bhi He.

Qura'ane Kareem Me Jagah Jagah Is Ki Nafee Ki Gai He. Allah Ta'ala Ki Ye Shan Nahi He Ki Vo Kisi Ko Jane Ya Kisi Ki Ye Shan Nahi Ki Vo Allah Ta'ala Ko Paida Kare. Allah Ta'ala In Tamam Baato Se Paak He.

Jesa Ki Qura'ane Kareen Ki Mash'hoor Sura'h Me He,
قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اللَّهُ الصَّمَدُ لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ
*Tarjama:-* Tum Farmao Vo Allah He Vo Ek He, Allah Be-Niyaz He, Na Uski Koi Aulad Na Vo Kisi Se Paida Huaa, Or Na Uske Jorh Ka Koi.
*📚(QURA'ANE KAREEM, SURAH IKHLAS)*

Beshak Hazrat Isa Alaihis Salam Bagair Baap Ke Paida Kiye Gaye. Lekin Hame Qura'an Ne Jo Bataya Vo Ye He Ki Unki Maa Purab Ke Ek Ilake Ki Taraf Chali Gai
Vo Baytul Maqdas Ki Khadema Thi Or Apne Khalu Hazrate Zakarya Ke Sath Vo Baytul Maqdas Ki Khidmat Kiya Karti Thi Hazrate Jibarail Alaihis Salam Tashreef Laye Or Unse Farmaya,
Bola Me Tere Rab Ka Farishta Hu Ki Me Tuje Ek Sutra Beta Du Us Par Hazrate Maryam Ne Arz Ki Ke Muje Kisi Bashar Ne Hath Nahi Lagaya Kisi Aadmi Ne Hath Nahi Lagaya Mera Beta Kaha Se Hoga ? Hazrate Jibarail Ne Farmaya Allah Ta'ala Ki Ye Shaan He Ki Vo Bagair Mard Ke Hath Lagaye Bhi Aurat Ko Aulad Ata Farma De.
*📚(Makhuz SURA E MARYAM)*

Isaiyo Ka Ye Kahna Ki Vo Bagair Baap Ke Paida Hue Lihaza Esa Ajuba Dunya Me Kabhi Nahi Hua, Or Ho Gaya To Vo Khuda Ke Bete He, Quraane Kareem Me Is Qism Ke Aqide Ki Tardeed Ki He,

_Allah Ta'ala Quraan Me Farmata He,_

إِنَّ مَثَلَ عِيسَىٰ عِندَ اللَّهِ كَمَثَلِ آدَمَ ۖ خَلَقَهُ مِن تُرَابٍ ثُمَّ قَالَ لَهُ كُن فَيَكُونُ
Tarjama:- Isa Ki Kahawat Allah Ke Nazdik Aadam Ki Tarah He Use Mitti Se Banaya Fir Farmaya Ho Ja To Fauran Ho Jata He.
*📚(SURA E AALE IMRAN, A-59)*

Yaani Hazrat Isa Alaihis Salam Bagair Baap Ke Paida Hue Is Liye Vo Khuda He To Hazrate Aadam Ke To Na Maa He Na Baap He. Bagair Maa Baap Ke Paida Hue To Unhe To Badarje Isa Khuda Ka Beta  Hona Chahiye Lekin Nahi Allah Ne Unhe Mitti Se Banaya He.

_Isaiyo Ke Is Aqide Ki Tardeed Karte Hue Quraane Kareem Me Ek Or Jagah Allah Ta'ala Farmata He,_

مَا كَانَ لِلَّهِ أَن يَتَّخِذَ مِن وَلَدٍ ۖ سُبْحَانَهُ ۚ إِذَا قَضَىٰ أَمْرًا فَإِنَّمَا يَقُولُ لَهُ كُن فَيَكُونُ
Tarjama:- Allah Ko Laiq Nahi Ki Kisi Ko Apna Bachcha Thehraye Paaki He Usko Jab Kisi Kaam Ka Hukm Farmata He Ho Jaao To Fauran Ho Jata He.
*📚(SURA E MARYAM, A-35)*

To Isaio Ka Ye Kahna Ki Allah Ta'ala Ke Vo Bete He Kufriya W Shirkiya Aqida He Lihaza Musalmano Ko Is Qism Ke Aqide Se Sakht Parhez Karna Chahiye Or Is Qism Ke Tahevar Par Kuffaro Mushrikeen Ko Mubarak Baad Dena Haram Sakht Haram Balki Kufr Ka Kaam He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*
📲
23 Dec 2018
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖===========

Jisse Qarz Liya Usse milna mumkin na ho to kis tarah Qarz Se bari uz zimma ho sakte he ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Ek shakhs ne uske dost se kuch saal pehle paise udhaar liye the..
Jisne qarza liya tha uski ye neeyath hai ke wo wapas paise lautaade lekin..
Jisne qarza diya hai wo abhi dusri jagah shift hua hai aur uska contact nahi hai.. yaani usse raabta nahinkqr sakrahe hain kisi bhi tarah se.. to aise situation me un paiso se kya karna chahiye?

*🌹JAWAB:-🌹*

W Alaikum Asslaam
Jai ke paas se qarz liya tha usse milna mumkin na ho to, uske kisi waris ka surag mil sake to raqam mazkoor uske supurd karde, or agar ye bhi na ho sake to usko(jiske paas se  qarz liya) sawab milne ki niyyat se utni raqam sadqa karde, is tarah qarz se bari uz zimma ho jaega..

*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, J-2, S-201)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab Sawab.
*_📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖========

CALENDAR ME QAMAR DAR AQRAB Q LIKHA HOTA HE ? QAMAR DAR AQRAB KO BURA JANNA KESA ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Calendar Me qamar dar aqrab likha hota he, us din ko bura samajna, usme shadi wagairah ka program na karna sahi he ya galat he ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Qamar Dar Aqrab ke din ko manhoos janna galat or Shariyat ke khilaf he. Shariyat me iski koi asl nahi he.

_Huzur SadrushShariyah Alahir Rahma Taherir Farmate he,_
Qamar-dar-Aqrab yani chand jab maqame aqrab me hota he to log safar karne ko bura jante he. Najoomi use manhoos batate he. Jab maqame aqdas me hota he to kapre katrane or silwane ko bura jante he. Aysi bato ko hargiz na mana jaye. Ye baat Shariyat ke khilaf or najoomiyo ke dhakosle he.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-16, S-258)*

Ab jante he ki Calendar me Qamar-dar-Aqrab kyu likhte he or use likhna kesa ?

Ilme falkiyat ke mutabik saat sitare he. Inme aqrab, mushtari, asad wagairah he. Chand har mahine in sitaro ke gird chakkar lagata rahta he. Jis din, aqrab, mushtari ya asad ke gird chakkar lagata he, vo din calendar me likha jata he. Isko calendar ke andar likhne me koi harj nahi. Lekin us din ko bura samajna galat he.
_Quraan Shareef me Allah Ta'ala Farmata he,_
الشَّمْسُ وَالْقَمَرُ بِحُسْبَانٍ
Tarjama:- Sooraj Or Chand Hisab Se He.
*📚(SURA E RAHMAN, AAYAT-5)*

Is Aayat ki tafsir me 'Tafsire Khajin' me he ke mukarar makam ke sath apne burujo manazil me sair karte he. Isme khalq ke liye fayeda he. Waqt hisab, salo or mahino ki ginti isi par hoti he.

Wallahi Aa'alam Bis-Sawab
*_📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*
📲
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

============➖➖➖➖========

UQOOBATE AULMAE SOO SE KYA MURAD HE

*🌹SAWAL:-🌹*
'Ukoobate Aulmae Soo' Se Kya Murad he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Ukoobat ka ma'ana hota he anjam. Or aulmae soo ka ma'ana hota he vo aulma, vo ilm rakhne wale hazraat, jo apne ilm par amal ja karte ho, ilm rakhne ke bawajood fisq bhi karte ho, badkaari or gunaho me mulawwish ho to ayse aalimo ko aulma e soo kaha jata he or ukoobate aulmae soo ka ma'ana hua ki gunah karne wale aalimo ka anjam. Jiska zikr kai hadisho me he. Ek riwayat me he ki jin hazraat ko sab se pahele jahannam me dakhil kiya jaega un me se ek be-amal aalim bhi hoge yaani aulma e soo, gunah karne wale aalim, ilm rakhne ke bawajood gunaho me zindagi bashar karne wale aulma ye jahannam me sab se pahele dakhil kiye jaege.  To yahi uqoobate aulma e soo he. Yani gunah karne wale aalimo ka anjam.

Aulma e soo ki ek khusoosiyat be amli hogi...
Allah Ta'ala ne bani israil ko Khabardat karte hue farmaya..
أَتَأْمُرُونَ النَّاسَ بِالْبِرِّ وَتَنسَوْنَ أَنفُسَكُمْ وَأَنتُمْ تَتْلُونَ الْكِتَابَ ۚ أَفَلَا تَعْقِلُونَ
Kya logo ko bhalai ka hukm dete ho or apni jaano ko bhulte ho halañ ki tum kitab padhte ho to kya tumhe aql nahi.
*📚(SURA E BAQRAH, A-44)*

وَلَا تَلْبِسُوا الْحَقَّ بِالْبَاطِلِ وَتَكْتُمُوا الْحَقَّ وَأَنتُمْ تَعْلَمُونَ
Or haq se batil ko na milao or dida danishta haq na chhupao.
*📚(SURA E BAQRAH, A-42)*

Aulma e Soo ki mukhtalif pahechan ahadis me bhi bayan ki gai he. Maslan ek riwayat me he
 قال رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم من طلب العلم لیماري بہ السفہاء أو یصرف بہ وجوہ الناس إلیہ أدخلہ النار رواہ الترمذي
Jis Shakhs ne ilm is liye hasil kiya taaki aulma se muqabla kare ya kam ilm logo se jagrha kare ya logo ko ilm ke zariye apni taraf maail kare, allah ta'ala aese shakhs ko jahannam me dakhil karega.
*📚(MISHKAT SHAREEF, 34)*

Dusri riwayat me,
قال رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم من تعلم علما مما یبتغی بہ وجہ اللہ لا یتعلمہ إلا لیصیب بہ عرَضًا من الدنیا لم یجد عرف الجنة یوم القیامة یعنی ریحہا رواہ احمد
Jis Shakhs ne is ilm ko jo allah ki khushnoodi hasil karne ke liye sikha jata he, is liye sikha taake uske zariye dunya kamae aysa shakhs jannat ki khushbu na paega
*📚(MISHKAT SHAREEF, 35)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖========

Khane Pine se Wuzu Nahi Tootta

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaykum hazrat mera sawal hai ki wazu karne ke bad khana khana kaisa hai??? Kya isse waju tut jata hai? Rehnumai farmyen

*🌹JAWAB:-🌹*

W Alaikum Asaalam W Rahematullah,
Ji Wuzu Karne Ke Baad Kha sakte he,Kuchh Khane se ya kuchh pine se wuzu nahi tootta Hañ agar kuchh khaya or wuzu tha to namaz ka waqt ho gaya, namaz padhne ke liye jane se pahle kulli kar lena bahetar he. Lekin Agar Na bhi kare to us wuzu se namaz ho jaegi.

*📚(BAHARE SHARIYAT, H-2, WUZU TODNE WALI CHIZO KA BAYAN)*
*📚QANOONE SHARIYAT*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖========

ALLAH KI QASAM KHA KAR TODNE WALE PAR HUKAM

*🌹SAWAL:-🌹*
Allah Ta'ala ki Qasam kha kar Ye kaha k falañ kaam aainda nahi karu lekin fir jane anjane me vo kaam kar deta he to us par shariyat ka kya hukm he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Qasam Ki kai kisme he jisme se ek qism he MunAqida.
Kisi ne aainda ke liye qasam khai maslan khuda ki Qasam me yah kaam karuga ya na karuga to usko MunAqida kahte he.
MunAqida Me Agar Qasam todega kaffara dena padega or baaz soorto me gunahgaar bhi hoga.

Allah Ta'ala Qurane Majeed Me Irshad Farmata he,
إِنَّ الَّذِينَ يَشْتَرُونَ بِعَهْدِ اللَّهِ وَأَيْمَانِهِمْ ثَمَنًا قَلِيلًا أُولَٰئِكَ لَا خَلَاقَ لَهُمْ فِي الْآخِرَةِ وَلَا يُكَلِّمُهُمُ اللَّهُ وَلَا يَنظُرُ إِلَيْهِمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ وَلَا يُزَكِّيهِمْ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ
Tarjama:- Jo Log Allah ke Ahad or apni qasmo ke badle zaleel daam lete he aakhirat me unka kuchh hissa nahi or allah na unse baat kare na unki taraf nazar farmae qayamat ke din or na unhe paak kare, or unke liye dardnaak azab he.
*📚(SURA E AALE IMRAN, AAYAT-77)*

Qasam ka kaffara gulam aazad karna ya 10 miskeeno ko khana khilana ya un ko kapde pahnana he yaani ye ahtiyat he ki in tin baato me se jo chahe kare.

Ya ye bhi kar sakta he ki 10 aadmio ko 2 waqt ka khana khilae ya 2.25(sava doso) aante ki keemat 10 fakeero me taksim kare..Misal ke taur par agar 2.25 (sava doso) aante ki kimat 25 rupye banti(misal ke taur par) he to 25-25 rupye 10 faqeero ko jo zakat khairat ke mustahiq he unhe dede.

*(Makhuz :- 📚BAHARE SHARIYAT, H-9, S- 14,15..)*

Zyada Tafsil Ke liye Bahare Shariyat Hissa 9 kasam ka bayan me dekhe..

_Soorate Mas'oola me agar kisi ne kasam khahi ke falañ kaam aainda na karuga to us par us qasam ko pura karna lazim hoga. ba-sharte ki vo kisi najaiz kaam ki qasam na ho. Agar vo shakhs qasam ko torh de to us par kaffara lazim hoga.Kaffara jo upper bayan kiya gaya._

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
==========➖➖➖➖===========

KHWAB ME GOSHT DEKHNE KI TA'ABEER

*🌹SAWAL:-🌹*
Khwab Me Gosht Dekhne ki kya Ta'abeer he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Khwabo Ki Ta'abeer ke ta'alluk se Hazrat Allama Faiz Ahemad Owaisi Alaihir Rahma Taherir Farmate He,

Goshte Kham (yaani kachcha gosht) dekhna, Maale Haram mile Ranjo gam uthane ki daleel he.

Or Gusht Bhuna hua ya Pukhta Dekhna  Maale Hakeem Ya Badshah se milne ki daleel he.

*📚(KHWABO KI TA'ABEER, S-136)*

Subah Ke aksar khwab sahih w sach hote he or uske tabeer ya hone me der nahi lagti lekin esa yakeen nahi rakhna chahiye ki jo khwab dekha he vo ho kar hi rahega..

Iske alawa jo waqt par khwab dekhe jate he vo kabhi pet ki kharabi, ges, kabjiyat ki wajah se bhi aate he ya din bhar me jo kara uske ta'alluk se hote he jiska aitbar nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp_*
*📬Khadim:- Pathan Moin Raza, Petlad*
============➖➖➖➖========

GAUSE AAZAM KE PEERO MURSHID KA NAAM

*🌹SAWAL:-🌹*
Gause Aazam Ke Peero Murshid ka naam kya he ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Peerane peer Hazrat Gause Aazam RadiyAllahu Anhu ke peero murshid ka naam Hazrat Abu Saeed Mubarak Makhzoomi Alaihir Rahma he.
*📚(SEERATE GAUSE AAZAM, S-60)*

*_📬Pathan Moin Raza Azharu_*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
==========➖➖➖➖=========

Kya bhoot ya aatma hoti he

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamuayekum hazrat mera sawal ye h ki marne k bad logo ki aatma bhtakti bhi h kya or kya bhoot paret hote h inki asal kya h is mamle me hamare hi hazrat taveez bhi dete h ye sab kya h ?

*🌹JAWAB:-🌹*

و علیکم السلام
الجواب بتوفیق اللہ تعالیٰ وتوقیفہ
Yeh bat bilkul galat aur be asl hai ki rooh bhatakti hai ye gair muslimoñ ka aqida hai islam ka nahin, ab raha yeh sawal ki bhoot pret jo kisi ke jism me dakhil ho jate hain aur kahte hain ki main falañ hon yeh kya hai ?
to is ka jawab yeh hai ki har insan ke sath ek shaitan paida hone se le kar marne tak hamesha sath sath rahta hai jo uske tamam halat ko dekhata aur janta he
kya karta he kya khata hai kis se milta hai kahañ kahañ jata he, sab janta hai jisko hamzad kaha jata hai Phir aadami ke marne ke baad dusre logoñ ko wahi shaitan pareshan karta hai aur kahta hai ki main falañ shakhs huñ, Usi shaitan ko bhagane aur us se nijat pane ke liye taweez wagairah diya jata hai, aur buzurgon ke mazarat par haziri ke liye kaha jata hai
واللہ اعلم بالصواب وعلمہ اتم واکمل
*_✍🏻Al-Jawab:- HAZRAT ALLAMA MUKHTAR AHEMAD SAHAB FAIZI,_*
*📬DAR UL ULOOL MUSTAFYA, HALDARVA,GUJRAT.*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza, Petlad_*
============➖➖➖➖========

Gym me gaana sunna ya Naat sunna kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم و رحمۃ اللہ و برکاتہ

jis Gym Main Gaane  bajte Ho Waha jana kaisa aur Kaan main headphones laga kar naat e paak sunkar Gym jaa sakte take gaano ki Awaaz na sunayi de

*🌹JAWAB:-🌹*
و علیکم السلام
الجواب بتوفیق اللہ تعالیٰ وتوقیفہ
Aisi gym me nahin jana chahiye jahan gane bajate hon, jana durust nahin.
Nate pak sunte Waqt adab zaroori hai jab bhi nate pak suneñ adab ke sath sune kan me headphone laga kar nate pak sunte huye gym karne me adab nahin rah payega lihaza aisa na karen.
واللہ اعلم بالصواب وعلمہ اتم واکمل

*✍🏻Al-Jawab:- HAZRAT ALLAMA MUKHTAR AHEMAD SAHAB FAIZI,*
*_📬DAR UL ULOOM MUSTAFYA, HALDARVA,GUJRAT._*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza, Petlad_*
============➖➖➖➖========

Maa ne bete ko kafir ka beta kaha to kya hukm he

*🌹SAWAL:-🌹*
Salam...
Hazarat ek sawal hai
Agar koi muslim maa apne bete (son) ko Kafir ka beta(son) kah de toh.
Iska matalab kya hoga.
Aage iss ka jawab Rahnumai farmae..

*🌹JAWAB:-🌹*
و علیکم السلام
الجواب بتوفیق اللہ تعالیٰ وتوقیفہ
Agar kisi musalman ne kisi musalman kafir kaha to kufr un dono mese kisi ek ki taraf paltega yani agar jiko kafir kaha hai wah kafir ho to thik wana kahne wala kafir ho jayega jaisa ki muslim sharif jild no 1 safah no 57 par hadis maujod hai
Han agar kisi jagah ke urf me lafze kafir gali ke mane me ho yani lafze kafir nafarman ya kafiron jaisa suluk karne wala ya iske alwa kuch aur murad ho lekin kafir murad na ho to kahne walla kafir nahin hoga Phir bhi ahtiyat zaroori hai aise alfaz na kahe jayen
واللہ اعلم بالصواب وعلمہ اتم واکمل

*_✍🏻Al-Jawab:- HAZRAT ALLAMA MUKHTAR AHEMAD SAHAB FAIZI,_*
*📬DAR UL ULOOM MUSTAFYA, HALDARVA,GUJRAT.*

*_🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp_*
*📬Khadim:- Pathan Moin Raza, Petlad*
============➖➖➖➖========

Khutbe me Ali ibne abu talib kehna kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum

Maula ali Ke walid Abu talib ka khatma kufr par hua kya is par ijmah he?

Aur agar ijmah he to Jumaa ke khutbe

Kyonki kufr ke bina par inka rista Khatm ho jayega to *ALI ibne Abu talib* bolna durust he

*🌹JAWAB:-🌹*
و علیکم السلام
الجواب بتوفیق اللہ تعالیٰ وتوقیفہ
Ji hazarate Ali raziallahu anhu ke bap abu talib ka khatma kufr par huwa yahi hamare aslsf ka mazahab hai
Bete ko nasab ke taur par bap ki taraf nisbat ki jati hai chahe bap kafir hi kyun na ho is me koi harj nahi ki khutabe me ali bin abi talib kaha jaye
واللہ اعلم بالصواب وعلمہ اتم واکمل

*_✍🏻Al-Jawab:- HAZRAT ALLAMA MUKHTAR AHEMAD SAHAB FAIZI,_*
*📬DAR UL ULOOM MUSTAFYA, HALDARVA,GUJRAT.*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza, Petlad_*
============➖➖➖➖========

WUZU YA GUSL KE PAANI ME HATH YA UNGLI DALNA YA GUSL KE OANI KE CHHINTE BALTI ME GIRNE SE WUZU YA GUSL HOGA YA NAHI

*🌹SAWAL:-🌹*
Ghusl Karte Waqt Paani Ko Chhu Ke Dekhte Hain Ke Kitna Garm Hai. Sawal Yeh Ke Napaki Ka Ghusl Karte Waqt Gile Haat Se Paani Ko Chuye'n To Kya Is Paani Se Ghusl Ho Jayega Aur Ghusl Ke Paani Ke Kuch Qatre Agar Paak Pani Me Gir Jaye'n To  Kya Is Paani Se Ghusl Ker Sakte Hain?

*🌹JAWAB:-🌹*
_Agar Paani Alag Lekar Ke Chhuwa Ke Kitna Garam Hai To Is Surat Me Woh Paani MustaAmal Nahi Hoga Usse Ghusl Ho Jayega. Aur Agar Isi Paani Me  Haath Daal Diya Jo Aab -E-Qaleel Hai Aur Ghusl ki Haajat Thi Ya Wuzu Ki Haajat Thi To Sara PAani MustaAmal Ho Gaya.  Ab Uski Surat Ye  Hai Ke PAani Ko Ubaal De'n Ke Baalty Ya Tub Ya Kisi Bartan Ke Kinaro'n Se Woh Jisme Paani Hai Woh Chhalak Kar Ke Beh Jaye To PAani Qabil-E- IsteAmal Hoga._
_Aur Nahate Me Agar Qaleel Paani Gir Jaye To Us Surat Me Paani MustaAmal Nahi Hoga Jab Tak Ke MustaAmal PAani Jo Badan Se Gira Woh Maa -E- MustaAmal Par Ghalib Na Ho._
(Must'amal Yani istemal kiya huaa or istemal kiye hue paani se wuzu ya gusl nahi hoga)

http://jamiaturraza.com/session/23Mar14/17.mp3
*_🎙 AL-JAWAB:- HUZUR TAJUSHSHARIYAH ALAIHIR RAHMA👆_*

_Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate He,_
*▶Mas'Ala:-*
Jo pani wuzu ya gusl karne me badan se gira wah paak he magar usse wuzu ya gusl jaiz Nahi, aese hi agar be wuzu shakhs ka hath ya ungli ya pora ya nakhun ya badan ka koi tukda jo wuzu me dhoya jata ho irade ya bagair irada dah-dar-dah se kam paani me be dhoye hue pad jaaye to wah paani wuzu or gusl ke layik na raha isi tarah jis par nahana farz he uske jism ka koi be dhula huaa hissa paani se chhu jaaye to wah paani wuzu or gusl ke kaam ka na raha agar dhula huaa hath ya badan ka hissa pad jaye to harj nahi.

*▶Mas'Ala:-*
Agar hath Dhula huaa he magar fir dhone ki niyyat se dala or wah dhona sawab ka kaam ho jese khane ke liye ya wuzu ke liye to wah paani must'amal(istemal kiya hua) ho Gaya, yaani wuzu ke kaam na raha or us paani ko Pina bhi makrooh he.

*▶Mas'Ala:-*
Agar Zaroorat se hath paani me dala jese bade bartan me he ki use juka nahi sakta na koi chhota bartan he ki usse nikale to eysi soorat me Zaroorat bhar hath pani me daal kar us se paani nikale ya kuyeÑ me rassi dol gir gaya or be guse nahi nikal sakta or paani bhi nahi ki hath paanv dho kar guse to is soorat me agar paanv daalkar rassi nikalega to paani must'amal na hoga is mas'ala ko bahut kam log jante he logo ko janna chahiye.

*▶Mas'Ala:-*
Istemal kiya huaa paani agar bina istemal kiye hue paani me mil jaaye jese wuzu ya gusl karte waqt paani ke katre lote ya ghade me tapke to agar achcha paani zyada he to yah wuzu or gusl ke kaam ka he warna sab be-kaar ho gaya.

*▶Mas'Ala:-*
Pani me hath pad gaya ya or kisi tarah must'amal ho gaya or yah chahe ki yah kaam ka ho jaye to achcha paani us se zyada us me mila de or uska yah tarika bhi he ki ek taraf se paani dale ki dusri taraf bah jaaye to sab kaam ka ho jayega aese hi napak paani ko bhi paak kar sakte he aysi hi har bahti hui cheez apni jins ya paani se ubal dene se paak ho jayegi.
*📚BAHARE SHARIYAT, H-2, S-56)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_📬Pathan Moin Raza Azhari,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖===========

DABBATUL ARDH KYA HE

*🌹SAWAL🌹*
Dabbatul Ardh Kya He ?

*🌹JAWAB🌹*

Ye ek ajeeb Shaql ka janwar he jo kohe safa se niklega tamam shahero me bahut jald firega fasahat (yaani bahut achchi sahih or saaf arbi) se kalam karega. Uske Hath me hazrat Moosa ka asa or Hazrat Sulaiman ki anguthi hogi. Asa se musalman ke maathe par ek chamakdar nishan lagaega or anguthi se kafir ke mathe par ek kala dhabba, us waqt tamam musalman w kafir aelaniya zahir hoge, yaani khullam khulla pahechane jaege. Ye nishani kabhi na badlegi jo kafir he hargiz iman na laega or jo musalman he hamesha iman par qaim rahega.
*📚(QANOONE SHARIYAT, S-32)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖==========

DAWATE ISLAMI KE PICHHE NAMAZ PADHNA KESA

*🌹SAWAL:-🌹*
Dawate Islami Ke Muballig Ke pichhe namaz padhna kesa Jo Tv video ko jaiz kahte he?

*🌹JAWAB:-🌹*
Jo imam apni tasweer banawata ho ya banata ho usko imam banana jaiz nahi uske pichhe padhi hui namaz makroohe tahrimi wajibul ae'aada he.

http://jamiaturraza.com/session/16Sept09/5.mp3

*_📚Masdiqate Tajushshariyah me he,_*

Tv Video ko jaiz samajna khulli gumrahi shaytan ki hamrahi he iska dekhna dikhana, video banana banvana nasse sharai mutlaqan haram badkam bad-anjam he khwaÑ usme Mazhabi program ho ya gair mazhabi uski hurmat par Ahadise kaseera shahid he jis ki tafsil saiyedy aala Hazrat imame Ahele Sunnat Alaihir Rahma ke risala e mubarak "Atayul Qadeer Fee Hukme Tasweer Me he ان شٸت فطالعہ.
Fatawa Shami Me he "
اما فعل التصویر فھو غیر جاٸز مطلقاً لانہ مضاھاة لخلق اللہ تعالیٰ کما مرّ

 Usi me he,
ظاھر کلام النووی فی شرح مسلم الاجماع علی تحریم تصویر الحیوان وقال وسواء صنعه لما يمتهن او لغيره فصنعته حرام بكل حال لان فیہ مضاھاة لخلق اللہ تعالیٰ

*(FATAWA SHAMI, J-1, S-479)*

Yaani jandar ki tasweer banana mutlaqab haram he is liye ki vo khalke ilahi ki mushabehat he jaisa ke guzra. Or  imam nawwi ke kalam ka zahir mafad ye he ki har jandar ki tasweer saazi ki hurmat par ijma'a he unhone farmaya ki zee rooh ki tasweer mutlaqan haram he khwaÑ use ehanat ke liye banae ya kisi or maqsad ke liye banae.

lihaza jandar ki tasweer banana bahar haal haram he is liye ki usme allah ta'ala ke fe'ale khalq ki mushabehat he. Us ko jaiz samaj kar dekhna video graphi karna karwana dohra gunah he, ek najaiz ko jaiz samje dusre is fe'ale bad ko anjam dene ka, Shaytan ka sab se bada dhoka ye he ki kisi najaiz kaam ko neki ke pardah me karwae video ke sath T.v se tablige deen karna haqiqatan me tablige deen nahi karna he balki deen ko tamasha banana he kyu ki tableege deen naam he ahkame shariyat ke nashro isha'at ka soorate mazkoor me to hukme shara'a ki paImali karna or karvana he (na'uzu billahi min ahlul tagvi) neez tahreek se joorhe bahut se afrad deeda danista wahabiya ke pichhe namaz padhte or T.V video ko jaiz bhi kahte he.

Aa'ala Hazrat mujaddide deeno millat imam ahmad Raza Khan Alaihir Rahmatu ridwan farmate he "deobandi aqeede walo ke pichhe namaz batil mahaz he. Hogi hi nahi, Farz sar par rahega, or unke pichhe padhne ka shadeed azeem gunah"
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-3, S-235)*

Dusri jagah farmate he
"Jise ye ma'aloom ho ki deobandiyo ne RasoolAllah Sallallahu alaihi w sallam ki tauheen ki he fir bhi unke pichhe namaz padhta he use musalman na kaha jaega ki pichhe namaz padhna uski zahir daleel ki unko musalman samja or RasoolAllah Sallallahu alaihi w sallam ki tauheen karne wale ko musalman samajna kufr he.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-6, S-76)*

Lihaza Soorate Mas'oola me Agar mazkoor muballig T.V Video ko jaiz kahta he ya deobandiyo ke pichhe namaz padhta he to usko imam banana najaiz or uske pichhe namaz padhna mamnoo'a he.

Wallahu Aa'alam

*_✍Al-Jawab :- HAZRAT ALLAMA MUFTI MUHAMMAD MUNAF RAZVI MARKAZI_*

*✅AL-JAWABUS SAHIH:- HUZUR TAJUSHSHARIYAH, HAZRAT ALLAMA MUFTI MUHAMMAD AKHTAR RAZA QADRI AZHARI ALAIHIR RAHMA👑*

*✅AL-JAWABUS SAHIH:- HAZRAT ALLAMA MUFTI ASJAD RAZA SAHAB QADRI*

*✅AL-JAWABUS SAHIH:- HAZRAT ALLAMA MUFTI HAKEEM MUHAMMAD MUZAFFAR HUSAIN QADRI*

*✅AL-JAWABUS SAHIH:- HAZRAT ALLAMA MUFTI AFZAL SAHAB RAZVI*

*✅AL-JAWABUS SAHIH:- HAZRAT ALLAMA MUFTI MUHAMMAD KAUSAR ALI RAZVI*

*📬MARKAZI DAR UL IFTA BARAILY SHAREEF📬*

*📚 BA-HAWALA:- MASDIQATE TAJUSHSHARIYAH, S- 35,36)📚*

*✍ Pathan Moin Raza Azhari,Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖============

GUSL KARTE WAQT DUAA YA KALMA PADHNA KESA?

*🌹SAWAL:-🌹*
Ghusl Karte Waqt Kalma ya Durood Shareef Padhna Kaisa?

*🌹JAWAB:-🌹*

Ghusl Karte Waqt Kalma -O- Durood Shareef Padhna Mana Aur Khilaafe Sunnat Hai Ke Us Waqt Kisi Qism Ka Kalaam Karne Aur Dua Padhne Ki Bhi Ijazat Nahi.

Huzoor SadrushShariah Alehi Rahmat-O- Ridwaan Tehreer Farmate Hain. "(Ghusl Main Sunnat Ye Hai Ke) Kisi Qism Ka Kalaam Na Kare, Na Koi Dua Padhe".
*📚(Bahare Shari'at,H-2, S-37)*

_Aur Hazrat Allama Ibne Aabideen Shaami Qudda Sirrahu Al-Saami Tehreer Farmate Hain._
قال شر نبلالی و یستحب ان الا یتکلم بکلام مطلقا اماکلام الناس فکرا ھته حال الكشف و اما الدعاء فلانه فى منصب المستعمل و محل الاقذار والا و حال اھ۔
*📚(Shaami , J-1, S-115)*

Aisa Hi *📚Fatawa AalamGiri Jild-1, Safa-14* Main Bhi Hai.

WAllAhu Ta'Aala Aalam.

*Ba-Hawala: 📚Fatawa Faqiah Millat, J-1, S-69*

*_📬Pathan Moin Raza Azhari,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
=============➖➖➖➖=========

KYA SUBAH KE KHWAB SACH HOTE HE HADISH

*🌹SAWAL🌹*
Asalamualikum,
Hazrat mene kuchh logo se suna hai ki subah Me Jo Khwab dekhe jate h Vo such hote he  kya khwab ke sach hone me koi waqt muqarrar he ?
Jawab inayat farmai hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*

```Subah Ke aksar khwab sahih w sach hote he or uske tabeer ya hone me der nahi lagti lekin esa yakeen nahi rakhna chahiye ki jo khwab dekha he vo ho kar hi rahega..```

_Hazrat Allama Faiz Ahemad Owaisi Alaihir Rahma Taherir Farmate he,_
RasoolAllah Sallallahu alaihi w sallam ne farmaya ki khwab subah ka sahih tar he or subah ka khwab Allah ta'ala ke noor se he
*📚(KHWABO KI TA'ABEER, S-11)*

_Aage Allama Faiz Ahemad Owaisi Alaihir Rahma Taherir Farmate he,_
Kabhi twarikhe qamri ka bhi asar hota he, ke konsi tarikh ke khwab ka nateeja der se aata he, konsi tarikh ke khwab sachhe or konse sachhe nahi hote wagairah...
Tafsil ke liye *📚KHWABO KI TA'ABEER, S-14* par dekhe

_Sham'a Sabistane Raza me he ki,_
Nek or swaleh log pichhli shab(Subah ke khwab) me dekhe vo khwab aksar sahih w sachche hote he.

Sabse pahle to ye zehan me rakhna chahiye ki khwab zanni cheez he, or ispe awamunnas ko kaamil bharosa nahi rakhna chahiye ki hamne ye khwab dekha he waqai hokar hi rahega, iske silsile me aulma e kiram ne mana farmaya ki khwab ke zariye qatai ilm rakhna haram he, yaani khwab jo he vo ho kar hi rahe, aesa nahi..

HaaN jo cheez khwab me dikhai jati he basa-awqat vo cheez ho jati he, to buzurgane deen se ye cheez riwayato se aai he ke khwab ke hisse ke 3 ajza kiye gaye he yaani raat ke awwali hisse ya raat ke darmiyani hisse ke tihai hisse me. Buzurgane deen farmate he ki raat ke awwali hisse me jo khwab dekhi jati he basa-awqat uski tabeer ya uske hone me bahut zyada waqt lag jag jata he, yaani koi shakhs agar raat ke awwali hisse me khwab dekha to fauran vo cheez nahi hoti, kabhi saalo lag jate he, ese hi agar kisi ne raat ke darmiyani hisse me koi khwab dekha to uske hone me kuchh waqt lagta he, lekin buzurgane deen ne farmaya ki raat ke tihai hisse me yaani tahajjud ke waqt ya fajar ke waqt dekhi jati he basa-awqat esa hota he ki vo cheez jaldi ho jati he ye to buzurgane deen ke aqwal he lekin fir bhi kamil yakeen se jo log kahte he ki  subah ke khwab sachche hi hote he ye baat durust nahi he, Haan kisi cheez ke hone ya na hone me un cheezo me kabhi waqt lag jata he kabhi nahi lagta to aysa yakeen nahi rakhna chahiye ki jo ham khwab fazar ke waqt dekhte he vo sachcha hi he..

_Hasile kalam Yahi he ki Subah ke khwab aksar sahih w sach hote or uski tabeer bhi jald hoti he lekin Khwab par esa kaamil yakeen rakhna ki ye ho kar hi rahega. Isse aulma e kiram ne mana farmaya, or ye islam ka Nazarya nahi he. ye allah ta'ala ki qudrat me he jab chahe jo chahe vo kare.._

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍ Pathan Moin Raza Azhari,Petlad*
📲

*🌹 SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖==========

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts