NAJASAT KA BAYAN NAJASAT E GALIZA OR NAJASAT E KHAFIFA KYA HE

*🌹SAWAL:-🌹*
Najasat e galiza or najasat e khafifa kya he ??

*🌹JAWAB:-🌹*

_Najasath ki 2 kisme hai_
1: Najasath-e-Galiza (Badi Najasath)
2: Najasath-e-Khafifa(Choti Najasath)

*👉Najasath-e-Galiza:*

1:Admi ke badan se jo aisi cheez nikli jisse wuzu ya gusl jata raha woh
Najasath-e-Galiza hai
Ex: Paakhana, Peshab, Bahtaa howa khoon, Peeb, Muh bhar ke qai(ulti), Mani,Mazi,
sharab etc etc...

2: Her janwar ka bahata khoon, unka pakhaana, haram janwar ka pishab wagera wagera..
Note:Halaal janwar ka pishab Najasat-e-Khafifa hai
3: Doodh pite bachche (ladka ya ladki) ka pishab Najasath galiza hai
4: Bachche ne doodh ki qai(uti) ki agar munh bhar hai to najasate galiza hai
5: Kutta,chita aur dusre darinde ka lu'aab Najasate Galiza hai


_Najasat-e-Galiza kitna lage to paak karna hai ?_

Najasat-e-Galiza agar kapde ya badan per ek dirham se
zyada lag jaye to uska paak karna FARZ hai ,
bagair paak kiye namaz nahi hogi.
Agar ek dirham ke barabar hai to paak karna WAJIB hai,
bagair paak kiye namaz pade to makruhe tehrimi wajibul ae'aada hai
(yani aisi namaz phir se padhna wajib hai)

Agar ek dirham se kaam hai to paak karna SUNNATH hai,
bagair paak kiye namaz pade to namaz hojayegi magar sunnath ke khilaf hai

⏳Dirham naapne ka tariqa

_Najasat-e-Galiza 2 kism ki hai_

1:Gaadi Najasath: ex: paakhana,gubar etc etc..

2:Patli Najasath: ex: Pishab, Sharab etc etc..

dirham ko naap ne ka tareeqa:
Agar gadi najasath hoto uska wazan dekhe aur patli najasath hoto uski lambayi, chaudayi dekhe yani boundry dekhe Dirham ke wazan shariat me 4.5 mashah hai aur dirham ki chaudayi,lambayi se yaahan murad takriban hateli ki gherayi ke barabar hai jo ek rupaye ke phelaawe ke barabar jagha hoti hai.

Aaj awaam me ye mashur hai ke,

1:Doodh pite bachche ka pishab ya qai(Ulti) paak hai
ye sara sar galat hai ke agar ek din ka ya ek ghante(hour)
ka bachcha ya bachchi pishab ya qai(ulti) kare to woh napaak hai uski najasath se hume bachna chahiye isi tarha badon ki ulti ki najasath se bachna chahiye..

*👉Najasat-e-Khafifa*


1:Halaal janwaron ka pishaab Najasate khafifa hai
ex: Bail, Bakri, Oont etc etc

2:Haram parendon ko beet(Paakhana)
ex: Kawwa, Cheel etc etc

_Najasate khafifa lagjaye to kya kare?_

Agar najasate khafifa kapdo ya badan per lagi hoo aur woh chauthayi se kam
hai to maaf hai yani namaz hojayegi,
agar chautayi ke barabar hoo ya chautayi se zyada hoo to dhona zarori hai
warna namaz nahi hogi,

Ex: agar kurta ke aasteen ko Najasate-e-Khafifa lagjaye to ye dekhe ke woh Najasat pure ek aasteen ke chautayi hissa se kam laga hai ya
usse zyada agar kum laga hai to dhuna maaf hai, agar zyada laga hai ya barabar laga hai to dhuna zarori hai.

Note: 1: jis tarah uper ke example me kurta ke aasten ke mutaliq bataya gaya hai usi tarah har hisse ka alag alag chautayi hissa dekha jayega,
ex: Paajama ke aasteen, Kurte ka caller ,etc etc

1: Najasath galiza ya Najasate khafifa kapde ya badan ke alawa kayi ek katra bhi girjaye to woh najis hai , agar woh dhadarda nahoo.

ex: Pani, Doodh me agar ek katra bhi gire to Woh Najis hai

2: Agar Najasath galiza, Najasate khafia me miljaye to woh Najasate galiza hojayegi..

3:Pishab ki chinte soyi ki nouk ke barabar,
badan ya kapde per padjaye to kapde aur badan paak hai Agar aisa kapda pani me padagaya to pani bhi napaak nahoga.

4: Namaz ki halath me jaib wagera me sharab ya pishab ya khoon ki
shishi(bottle) hai to namaz nahi hogi.

5:Raste ki kichad paak hai jab tak uska najas hona malum naho, Namaz hojayegi dho lene bhetar hai.

*🌹SAWAL-O-JAWAB👑F.T.S.🌹grp*
*📬Khadim:- Pathan MoinRaza (Petlad)*
📲+918487928693
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

~•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••~

Apne baap ki jagah kisi or ka naam lagana jaiz nahi

*🌹SAWAL:-🌹*

Zaid ne ek ek aurat se nikah kiya hai us aurat ke pahle shohar se 3 bachche hai wo bachche KO bhi zaid hi apne sath rakha hai  ab wo bachche bade ho gaye hai uska nikah hona he ab. to zaid nikah me waldiyat ka naam apna de sakta hai ya fir bachche ke Jo pahle waleed hai unka hi naam Dena zaroori hai jawab inayat farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*

Zaid in bachcho ke waldiyat me apna naam nahi likha sakta, balke jo un bachcho ka haqiqi baap he usi ka naam Waldiyat ke khane me likhe.

Khwan shanakhti card, passport ya nikah naama ho algaraz har jagah ladka ho ya ladki waldiyat me haqiqi baap ka naam hi likha jaae ga.

📖QURA'AN MAJEED ME RAB TABARAK W TA'ALA IRSHAD FARMATA HE...

وَمَا جَعَلَ أَزْوَاجَكُمُ اللَّائِي تُظَاهِرُونَ مِنْهُنَّ أُمَّهَاتِكُمْ ۚ وَمَا جَعَلَ أَدْعِيَاءَكُمْ أَبْنَاءَكُمْ ۚ ذَٰلِكُمْ قَوْلُكُم بِأَفْوَاهِكُمْ ۖ وَاللَّهُ يَقُولُ الْحَقَّ وَهُوَ يَهْدِي السَّبِيلَ

*Tarjama:-* Or tumhari un aurato ko jinhe tum maa ke barabar kah do tumhari maa na banaya *or n tumhare lepalako ko tumhara beta banaya* ye tumhare apne muh ka kahna he or allah haqq farmata he or vahi raah dikhata he.

*(📚Sura e Al-Ahzab,Aayat-4)*

~,.,..,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,~

*🌹SAWAL-O-JAWAB👑F.T.S.🌹grp*
*📬Khadim:- Pathan MoinRaza (Petlad)*
📲+
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

~•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••~

NOOR NAAMA PADHNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹*

Noor naam padhna kaisa ??

*🌹JAWAB:-🌹*

Noor naam kitab ki riwayat be asl he uska padhna durust nahi.

Tafsil ke liye 👇🏻
*📚(Fatawa razviya jild-12,safa-153)*

*📚(Fatawa faqihe Millat,jild-2,safa-416)*

*📚(Fatwa shaami)*
~,.,..,., .,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,~

*🌹SAWAL-O-JAWAB👑F.T.S.🌹grp*
*📬Khadim:- Pathan MoinRaza (Petlad)*
📲
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

~••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••~

ISLAM ME GANA (MUSIC/SONG) SUNNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹*

Assalam O Alaikum....
Hazrat Jo Gana (Song/Music)Sunte hai unke uper Qur_Aan O Hadees ki Roushni me kya Hukm hai Tafsil me Jawab mile to Jayada Behtar hoga ....
Hazrat Rahnumai Farmaye...
Jazakallaho Khair.

*🌹JAWAB:-🌹*

Islam me Music sunna najaizo haram w sakht azab he.

Quran-e-Paak main ALLAH عزوجل fermata hai:
"Aur kuch loog khel ki baate khareedte hain k ALLAH ki rah se behka dein be sumjhe aur esse hassi bana lein, un k liye zillat ka azaab hai".
*📚(Sura Luqman, Ayat:6)*

Tafseer:Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas رضی الله تعالی عنہ ney es ayat ki tafseer yeh fermai k es sey muraad aalat-e-moseeqi hain.

Aik aur jaga irshad hua:"Aur behka dey in main sey jis per qudrat paey apni awaz sey".
*📚(Sura Bani Israeil, Ayat:64)*
Hazrat Syedna Mujahid رضی الله تعالی عنہ ney eski tafseer gaaney baajon k sath ki.

Ahadees:

-AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany waly k illawa her gunahgar ko muaaf ferma deita hai".
*📚(Alnihayat Fi-Ghareeb, V:3, Page:196)*

-AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ka ferman hai:"Meri ummat akhri waqt main aisi cheezon ko apna ley gi jo in per HARAM hain, jin main mard ka soona pehenana, zina aur aalat-e-moseeqi(music) shamil hain".
*📚(Sahi Bukhari, Hadees:5590)*

-AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"Jo gaana baaja sunta hai, ALLAH عزوجل qayamat k din es k kaano main pighla hua sheesha daaley ga".
*📚(Kanzul Aamal, V:5, Page:234)*

Bukari Shareef ki hadish me he ki Rasoolallah sallallahu alaihi w sallam ne irshad farmay ki zaroor meri ummat me aise log hone wale he jo zina,reshmi kapde,sharab or Bazo'n Tasho'n ko halal thahrayenge.
*📚(BUKHARI SHAREEF,JILD-2,KITABUL ASHRIBAH,SAFA-837)*

Huzur nabi e kareem sallallahu alaihi w sallam ne qiyamat ki nishaniya bayan karte hue farmaya ki qiyamat ke qareeb nachne gane waaliyo'n or baje Tasho'n ki kasrat ho jayengi.
*📚(TIRMIZI SHAREEF)*
*📚(MISHKAT SHAREEF,BAAB ASHRATUS-SA'AH,SAFA-470)*

AQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:
"Mujhy dhool aur bansari torney ka hukm dia gaya hai."
*📚(Firdoos Al-Akhbaar, Hadees:483)*

AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya jo shaks gana suney ga tou qayamat k din es k kaano main pighla hua seesa daala jai ga."
*📚(Kanzul Aamal, Hadees:40226)*

AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:
"2 awaazon per duniya aur akhrat main lannat hai,
(1)Neimat k waqt bajaa (2)Museebat k waqt chilana."
*📚(Kanzul Aamal, Hadees:40654)*

AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:
"Gaana dil main nafaq es terhan ugata hai jeisey sabzey ko paani."
*📚(Firdoos Al-Akhbaar, Hadees:4204)*

~,.,..,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,~

*🌹SAWAL-O-JAWAB👑F.T.S.🌹grp*
*📬Khadim:- Pathan MoinRaza (Petlad)*
📲
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

~•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••~

ISLAM ME PATAKHO KA KAROBAR KARNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹*
Patakha Wavhairah Ka Karobaar Karna Kaisa Hai ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Hakeemul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Na'eemi Alaihir Rahma Tahreer Farmate hai'n K ,,
Aatishbaazi(Pataakha) Banana, Uska Bechna, Uska Khareedna, Aur Khareedwaana, uska Chalaana Ya Chalwaana(FODNA) Sab Haram Hai

*( islaami Zindagi Safha - 76, Maktabatul Madeena )*

*Fatawa Markaze Tarbiyate ifta Me'n Hai K ,,*Aatishbaazi Haram Hai Ke Ye Gunaah Par A'aanat Hai Jo Haram Hai Allah Ta'ala Irshad Farmata Hai *"ولا تعاونوا علی الاثم والعد وان"*
*(Jild -2, Safha-237)*

_WALLAHU ALAM BISSAWAB_

~,.,..,., .,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,~

*🌹SAWAL-O-JAWAB👑F.T.S.🌹grp*
*📬Khadim:- Pathan MoinRaza (Petlad)*
📲+
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

~•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••~

Patakhe kharidna fodne ka islami shariyat me kya hukm he

*🌹SAWAL:-🌹*

पटाखे ख़रीदना, बेचना, फोड़ना वगैरा का इस्लामी शरीअत में क्या हुक्म है? पटाखे की इजाद (शोध) किसने की?

*🌹JAWAB:-🌹*

👉 हकीमुल उम्मत मुफ़्ती अहमद यार खान नईमी رحمة الله تعالى عليه अपनी किताब इस्लामी ज़िन्दगी में लिखते है: आतिशबाज़ी के बारे में मशहूर ये है के ये नमरूद काफ़िर बादशाह ने इजाद (शोध) की. उसने हज़रते इब्राहीम عليه السلام को आग में डाला और आग गुलज़ार हो गई  तो उसके आदमियों ने आग के अनार भर कर उनमे आग लगा कर हजरते इब्राहीम खालिलुल्लाह عليه السلام  की तरफ फैके.
और फरमाते है: *आतशबाजी (पटाखे fireworks) बनाना, इसका बेचना, इसका ख़रीदना और (बच्चो वगैरा को) खरीदवाना इसका चलाना या चलवाना (फोड़ना) सब हराम है.*
*📚(इस्लामी ज़िन्दगी 77,78)*

मेरे आक़ा आला हज़रत इमामे अहले सुन्नत इमाम अहमद रज़ा  खान رحمة الله تعالى عليه  से इस बारे में पूछा गया तो फ़रमाया: *आतशबाजी (पटाखे वगैरा जलाना) जिस तरह शादियों वगैरा में राइज है बेशक हराम और पूरा जुर्म है के इसमें माल की बरबादी है.*
*📚(फतावा रज़विय्या जिल्द 23 सफहा 279)*

मुसलमानों का लाखो रूपया हर साल इस रस्म में बरबाद हो जाता है और हर साल खबरे आती है के फुला जगह से इतने घर आतिशबाज़ी से जल गए और इतने आदमी जल कर मर गए. इसमें जान का खतरा माल की बरबादी  और मकानों में आग लगने का अंदेशा है. और अपने माल में अपने हाथ से आग लगाना और फिर ख़ुदा तआला की नाफ़रमानी का वबाल अपने सर पर डालना है. ख़ुदा के लिए इस बेहूदा और हराम काम से बचो. अपने बच्चो और रिश्तेदारों को रोको जहाँ आवारा बच्चे ये खेल खेल रहे हो वह तमाशा देखने के लिए भी न जाओ.

जो लोग पटाखे वगैरा में अपना पैसा बरबाद करते है वो शैतानो के भाई है. जी हाँ! ये किसी के घर की बात नहीं रब्बे अकबर का फरमान है.ऐ मुसलमान!! तेरा रब अपने पाक कलाम में तुझसे फरमा रहा है.
*📚पारा 15 सूराऐ बनी इसराइल आयत नं 26, 27:*
وَلَا تُبَذِّرۡ تَبۡذِيرًا إِنَّ ٱلۡمُبَذِّرِينَ كَانُوٓاْ إِخۡوَٰنَ ٱلشَّيَٰطِينِۖ وَكَانَ ٱلشَّيۡطَٰنُ لِرَبِّهِۦ كَفُورٗا

तर्जमा: और फुजूल न उड़ा. *बेशक फुजूल उड़ाने वाले शैतानो के भाई है* और शैतान अपने रब का बड़ा ना शुक्रा है.

तुम्हारे नबी अहमदे मुज्तबा, मुहम्मद मुस्तफ़ा صلى الله تعالى اليه واله وسلم फरमाते है: जो किसी कौम से मुशाबह्त करे (यानि उनके जैसा भेस अपनाये या उनके जैसे काम करे) वो उन्ही में से है.

मुसलमान की कब ये शान है के वो अपने वक़्त, माल, वगैरा को ऐसे फुजूल कामो में बर्बाद करे? खुदारा अपने हाल पर रहम करो और ऐसे शैतानी कामो से खुद को और अपनी आल औलाद को बचाओ.ये बहाने मत बनाओ के बच्चे ने जिद की तो पटाखे दिलवा दिए. वरना बच्चे रोयेंगे. बच्चे रोते है तो रोने दो. कितना रोयेंगे. दुन्या का रोना आखिरत के रोने से करोड़ो दरजे अच्छा है. आज तुमको अपने बच्चे के रोने पर रहम आ जाता है और उसकी हर ख्वाहिश पूरी करते हो, चाहे शरीअत में वो काम हराम ही क्यों न हो. तुम्हारा यही बेटा, बेटी इसी तरह पटाखे, और काफ़िरो के तरीको पर चल चल कर गुनाह करता रहा, और तुम्हारी दी हुई बुरी तालीम पर चल कर अपने रब का ना फरमान होकर बरोज़े क़ियामत मुजरिमों की सफ़ में खड़ा हो गया और उसे दोज़ख में जाने का हुक्म सुना दिया गया तब तुम अपने इस लख्ते जिगर का रोना देख सकोगे. अरे वहा तुम्हारी एक न चलेगी. बच्चे छोटे है कहकर बात को मत टालो. अभी से उनकी जैसी तर्बिय्यत करोगे बड़े होकर वैसे ही बनेंगे. अभी से उनको ये बात सिखाओ के हम मुसलमान है हमारा ये काम नहीं है।

ये अल्लाह पाक और उसके रसूल का हुक्म है जिस से मुसलमान कभी मुंह नहीं फेरेगा.
अल्लाह तआला फरमाता है:

فَلَا وَرَبِّكَ لَا يُؤۡمِنُونَ حَتَّىٰ يُحَكِّمُوكَ فِيمَا شَجَرَ بَيۡنَهُمۡ ثُمَّ لَا يَجِدُواْ فِيٓ أَنفُسِهِمۡ حَرَجٗا مِّمَّا
  قَضَيۡتَ وَيُسَلِّمُواْ تَسۡلِيمٗا

तर्जमा: तो ऐ महबूब! तुम्हारे रब की क़सम वो मुसलमान न होंगे, जबतक अपने आपस के झगड़ो में तुम्हे हाकिम न बना ले फिर जो कुछ तुम हुक्म फरमा दो अपने दिलो में उस से रुकावट न पाए और *जी से (सच्चे दिल से) मान ले.*
*📚(पारा 5 सुराए निसा आयात नं 65)*

बे ईमान को जब नसीहत की जाती है तो उसको गुनाह की ज़ियादा जिद चढ़ती है और गुस्से में आकर और ज़ियादा गुनाह करता है.
तुम्हारा रब फरमाता है:

وَإِذَا قِيلَ لَهُ ٱتَّقِ ٱللَّهَ أَخَذَتۡهُ ٱلۡعِزَّةُ بِٱلۡإِثۡمِۚ فَحَسۡبُهُۥ جَهَنَّمُۖ وَلَبِئۡسَ ٱلۡمِهَادُ

तर्जमा: और जब उससे कहा जाये के अल्लाह से डर! तो उसे और जिद चढ़े गुनाह की ऐसे को दोज़ख काफी है और वो ज़रूर बहुत बुरा ठिकाना है.
*📚(पारा 2 सूरतुल बक़रह आयात नं 206)*

ये इलज़ाम भी न लगाना के ऐसी बाते करके देश में कौमवाद फैलाते हो. नहीं नहीं. हम तो सिर्फ मुसलमानों को समजाते है. गैर मुस्लिमो को जो करना है करे.

रब फरमाता है के तुम कह दो:
لكم دينكم ولي دين

तुम तुम्हारे दीन को संभालो और हमारे लिए हमारा दीन काफी है.
*📚(पारा 30 सूरतुल काफिरून आयत नं 6)*


وما علينا إلا البلاغ المبين

~,.,..,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,~

*🌹SAWAL-O-JAWAB👑F.T.S.🌹grp*
*📬Khadim:- Pathan MoinRaza (Petlad)*
📲
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

~•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••~

jis hotel ya dhabe ka malik Sunni ho magar uske worker gaire Sunni ya kafir ho to aysi jagah par gosht ka khana kaisa ?? aysa hi malik gaire Sunni ya kafir ho magar kaam karne wale sare worker Sunni ho to aysi jagah par gosht khana kaisa ??

*🌹SAWAL:-🌹*

 jis hotel ya dhabe ka malik Sunni ho magar uske worker gaire Sunni ya kafir ho to aysi jagah par gosht ka khana kaisa ??

 aysa hi malik gaire Sunni ya kafir ho magar kaam karne wale sare worker Sunni ho to aysi jagah par gosht khana kaisa ??


*🌹JAWAB:-🌹*

*1.👉* Huzur faqihe millat mufti jalaluddin Ahmad Amjadi alaihirrahma ek sawal ke jawab me tahrir farmate he ki,,,

Saiyedi Aala Hazrat imam ahamad raza muhaddise barailvy radiallahu anha tahrir faramate he "hindu ke hath ka paka huva gosht haram he magar is soorat me ki musalman ne zabah kiya or apne aankh se gayib hone na diha uske samne pakaya
 *📚(fatawa razviya jild nuham nisf aakhir, safa 115)*

Lihaza soorate mas'aula me agar che us murg KO musalman ne zabah kiya magar chuñ ke banane wala gair Muslim tha or khana banate waqt vaha koi musalman maujud na tha is liye us gosht ka khana haram v najaiz he.
Jitne logo ne khaya sab tauba w astagfaar kare jab tak vo taubah na kare  musalmano ka unke yaha khana mana he.

*📖Ba-hawala:- ( fatawa faqihe millat, jild-2, safa-311)*

*👉*
Jab  ke hindu khana bana kar lata he to agar che uske yahakaam karne wale musalman bhi he agar khane me gosht or murg wagairah jaisi cheeze bhi hoti he to uske yaha ka bana huva khana kisi KO khilana ya khud khana dono haram he, or agar ye chize na ho to khana jaiz he magar bachna bahtar he.
Saiyedi Aala Hazrat alaihirrahmato ridwan tahrir farmate he "hindu ke hath ka paka huaa gosht haram he or baaki khane uske pakaye hue jaiz he.Jabke paani bartan me khillate najasat maloom na ho."
*📚(Fatawa razviya jild nuham nisf aakhri,safa 115)*
Or tahrir farmate he "Hindu ke yaha gosht khana haram he or dusri chiz me fatawa jawaz or taqwa aheteraze Imam Muhammed rahematullah alaihi farmate he به ناخذ مالم نعرف شيئا بعینه
*📚(Fatawa razviya jild nuham nisf aakhir safa 163)*
Or sadrushshariyah alaihirrahmato ridwan taherir farmate he "Hinduo ne pakaya huva khana najees nahi magar hatta alvus'a Muslim KO unki pakai hui chizo SE aehteraz karna chahiye. Ha gosht jisko unhone pakaya or (musalman ke waqte zibah SE khane ke waqt tak kabhi) vo nazare Muslim se gayib ho gaya to uska khana haram he
*📚(Fatawa amjadiya jild 4, safa 292)*

*📖Ba-Hawala:- (Fatawa faqihe millat jild-2,safa-314)*

~,.,..,., .,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,~

*🌹SAWAL-O-JAWAB👑F.T.S.🌹grp*
*📬Khadim:- Pathan MoinRaza (Petlad)*
📲+918487928693
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

~•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••~

Gair Muslim KO unke tyohar(festivals) ki Mubarak baad dena ya happy holi happy Diwali ya happy Christmas kahna kaisa

*🌹SAWAL:-🌹*

Gair Muslim ko unke tyohar(festivals) Diwali holi ya Chrismas ki Mubarak baad dena kaisa ?? Ya happy Diwali ,happy holi ya happy Christmas kahna kaisa ??

*🌹JAWAB:-🌹*

_Gair muslim ko happy diwali ya holi ya Christmas bolna ya unn ko unn ke tyohaar ki mubarkbadi dena najaizo haram Balki Achcha Smajah Kar Mubarak Baad Dena kufr he. Aesa karne wala Taubah Astagfar w tajdeede iman w Tajdide nikah kare..._

Happy ka matlab hota hai khushi.
kya hum unn ke tyohaar se khush hain?
Kya hum unn ke tyohaar mein hone wale shirk aur kufr se khush hain?

Mubarakbaadi, ek barkat ki duwa hai. Or Gair Muslim Ko Barkar Ki Duaa Dena Jaiz Nahi.

unn ke tyohaar ki mubarakbaadi dena ya uss mein shareek hona uss qaum ki mushabahat karna hai.
Iss talluq se ek mashoor hadis hai,
عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «مَنْ تَشَبَّهَ بِقَوْمٍ فَهُوَ مِنْهُمْ»

Tarjuma:
Ibn-e-Umar radiallahu anha ne kaha,
Nabi E Kareem sallallahu alaihi w sallam ne farmaya,
Jo jiss qaum ki mushabahat kare, wo unhein mein se hai.
*📚(Sunan Abu Daud : 4031)*

Jo shakhs jis qaum ki naqal karega (mushaabehat ikhtiyar karega) us ka hashr usi qaum ke saath hoga.
*📚(Abu Daawud shareef, Hadees -4031)*

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Kafiron Ke Tevhaar Holi, Diwali, Christmas, Wagairaha Ko Achcha Samajhna Aur Unki Tazeem Me Mubarak Baad Dena Kufr Hai..
*📚(Fatwa Razviya.-volume No.14-Page No. 273)*


Or Holi Diwali, Ganpati, Ahle Hunood Ke Kufriya Tehwaron Par Unhe Mubarak Bad Dene Ke Muta'alliq Fiqihe Aazame Hind Naibe Huzoor Mufti-E- Aazame Hind Sharahe Bukhaari Mufti Shariful Haque Amjadi Alaihir Rahma Tehreer Farmate Hai Ke

In Mushrikana Mazhabi Tehwaro'n Par Hinduwon Ko Mubarak BAad Dena Ashad Haram Munzir ILal Kufr Hai.
Jo Musalman Aisa Karte Hai Un Par Tauba Wa Tajdeed Eeman-O-Nikah Laazim Hai
*📚(Fatawa Sharahe Bukhaari,J-2,S:565)*

Lihaza Gair Muslim Ko Unke Tahewar Par Mubarak Baad Dena Najaizo Haram, Or Unke Mazhabi Tahewar Holi, Diwali Wagairah Ko Achcha Samajh Kar Mubarak Baad Dena Kufr He. ki Usme Unke Kufriya w Shirkiya Af'aal Se Raazi Hona He..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍️Pathan Moin Raza Azhari,Petlad*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB👑F.T.S.🌹grp*

~•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••~

AURAT KE LIYE EYEBROWS BANANA YA THREADING KARANA KESA

*🌹SAWAL:-🌹*
Aurto Ka Eyebrow Banana Kesa ? Jo Aaj Kal Beauty Parlour Wagairah Me Threading Karati He Us Par Kya Hukm He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Eyebrow Ke Baal Nauch  (Threading Kara) Kar Khoob Soorat Banana Aurto Ke Liye Najaizo Haram He. Or Agar Bahut Zyada Ho Gaye Ho Ki Dikhne Me Bahut Bure W Bad Soorat Lagte Ho To Tarashwane Ki Ijazat He.

Hadis Shareef Me He,

Allah Azza w Jal Ki La'anat He Godne Waliyoñ Aur Godwane Waliyoñ Par Or Baal Nauchne Waliyoñ Or Khoob soorati Ke Liye Daant Ko Kushadah Karne Waliyoñ Or Allah Ki Khalqat Me Tabdeel Karne Waliyoñ Par.
*📚(Sahih Muslim, J-2, S-205)*

Hadis Shareef والنامصاں Ka Matlab Bahare Shariyat Me Mazkoor He Yaani Jo Aurat Bhawoñ Ke Baal Nauch Kar Abroo (Eye Brow) Ko Khub Soorat Banati He Us Par La'anat He.
*📚(BAHARE SHARIYAT APPLICATION, H-16, S-238)*

Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He

Tabrani Mo'ajmul Kabeer Me Basanad Hasan Abdullah Bin Abbas RadiAllahu Anhuma Se Raawi, RasoolAllah ﷺ Farmate He,
من مثلہ بالشعر فلیس لہ عنداﷲ خلاق.
Jo Baalo Ke Sath Musla (Yaani Hulya Bigadna) Kare Allah Ta'ala Ke Yahañ Us ka Kuchh Hissa Nahi.
*📚(Al-Moajamul Kabeer Lil Tibrani, Hadis-10988, J-11, S-41 Maktaba Alfaisalya Bayroot)*

Ye Hadis Khas Mas'ala Musla Moo Me He Balo Ka Musla Yahi Jo Kalimate A'imma Se Mazkoor Huva Ki Aurat Sar ke Baal Ya Mard Darhi Ya Mard Khwañ Aurat Bhaweñ
کما یفعلہ کفرۃ الھند فی الحداد
(Jaise Hindustan Ke Kuffar Log Sog Manate Huye Aysa Karte He) Ya Siyah Khizab Kare
کما فی المناوی والعزیزی والحفنی شروح الجامع الصغیر،
Ye Sab Soorte Musla Moo Me Dakhil He Or Sab Haram.

(Yaani Eyebrow Banana Bhi Musla Me He Jo Haram He.)

RasoolAllah ﷺ Farmate He
لاتمثلوا بعباداﷲ
Allah Ke Bando Par Musla Na Karo.
*📚(Al-Moajamul Kabeer, Hadis-697, J-22, S-282, Maktaba Alfaisalya Bayroot)*

Hazrat Ummul Mu'amineen Siddiqa RadiAllahu Anha or Ibne Abhi Shayba Musnaf Me Ata Se Mursala Raawi RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya
لاامثل بہ کذا فیمثل اﷲ بی یوم القیمۃ.
Hasil Ye Ki Jo Yahañ Musla (Hulya Bigadega) Karega Roze Qayamat Use Allah Ta'ala Musla (Hulya Bigda Hua) Banayega.
*📚(Kanzul Ummal, Hadis-13337, J-5, S-408, Mausisur Risala Bayroot)*

(Isi Tarah Sarkar Aala Hazrat Ne Kai Ahadis Bayan Kiye Ki Kisi Shakhs Ke Sath Ya Janwar Ke Sath Musla( hulya Bigadna) Mana'a He.)

Fir Aala Hazrat Farmate He,
Chopayo Se Musla Haram, Chupaye Dar Kinar katkhane kutte se najaiz kutte se bhi guzarye Harbi Kafir se bhi Mana'a To Musalman Ka khud Munh Ke Sath Musla Kis Darja Ashad Haram W Maujube La'anat w Inteqam He.

*Makhuz 📚FATAWA RAZVIYA, J-22, S-652, 655)*

Ba'az Aurto Me Ye Waham Hota He Ki Mujhe Achchi Nahi Lagti Is Wajah Se Banana Majboori He. Aysi Aurte Upar Bayan Karda Hadis Ko Bagaur Baar Baar Parhe Ki Hadis Me La'anat Usi Aurto Par Aai Jo Use Bataure Khub Soorti Ke Karegi.

Jaisa Ki Fat'hul Baari Sharah Sahih Bukhari Me He,

Hadis Se Ye Baat Mafhoom He Ki Unhi Aurto Ki Mazammat He Jo Mazkoora Kaam Khubsoorti Ke Husool Ki Khatir Kare.
*📚(Fat'hul Baari Sharah Sahih Bukhari, J-10, S-372, Darul Muarrifa, Bayroot)*

Jesa Ki Aajkal Aam Taur Par Dhaga Ke Zariye Bhawoñ Ke Baalo Ko Ek Ragarh Se Nocha Jata He Yahañ Tak ki Vo Baal Ragarh Ki Wajah Se Bhawoñ Se Gayib Ho Jate he. Isi Taraharah Bhawoñ ke Baalo Ko Barik Kar Diya Jata He Or Hasbe Zaroorat Aurte Use Apni Khub Soorti Ke Liye Mota Ya Bareek Karti He.
Isi Tarah Chimti Ya Threading Machine Se Karte He. Ye Sab Bhi Usi Me Dakhil He Jiska Zikr Hadis Shareef Me Aaya He. Jis Par Allah Ta'ala Ne La'anat Farmai.

Al-Batta Agar Kasrat Se He Ki Dekhne Me Bahut Zyada Bure Lagte He To Baqadre Zaroorat Sirf Tarashne Ki Ijazat He.

Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahma Farmate He,

Bhawoñ Ke Baal Agar Bade Ho Gaye To Unko Tarashwa Sakte He.
*📚(Raddul Muhtar, J-9, S-670)*
*📚(BAHARE SHARIYAT APPLICATION, H-16, S-228)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Taswir haram he..KYA TASWIR OR MOBILE KI TASWIR EK HI HE ???

*🌹SAWAL:-🌹*

Kya photo kheenchna haraam hai?.
Hadeeso me aaya hai ke sabse battareen logo mese wolog hai jo tasaweer banaate hain..
Kuch logo ka Aitraaz ye hai ke tasveer banaana alag hai aur photo kheenchna alag..
Wajahath farmaye..


*🌹JAWAB:-🌹*Janashine huzur mufti e Azam e hind Huzur Taajushsharia TV MOVEI VIDEO ka masla koyi furuyi masla nahi hai yeh usi tarah haram hai jis tarah tasweer haram hai aur jaandar ki tasweer ki hurmat par ahadees-e-mubarka kaseer tadat mein warid huyi hai. Yeh ijmali taur par haram hai ismein kisi tarah ka koyi shaq-o- shubah nahi hai. Tasweer ki hurmat ke mutallik ala hazrat radi allah ta’ala anho nein bahut hi jama’e risala tasnif farmaya jiska naam atayil qadeer fi hukmi tasaweer hai . Is risale jariye ala hazrat nein yeh sabit kiya hai ki tasweer kisi bhi taur tarike se wajood mein aayi wo haram hai. Tasweer kahte hi usko jismein kisi masnuyi ya’ani insani dakhal ka fe’al ho aur jiske wajah se tasweer wajood mein aayi dekhane wala yeh kah de ki yeh jaandaar ki tasweer hai to wo us hurmat ki zad mein aa jayegi jis par ahadees-e-mubarka warid huyi hai.sarkar sallallahu aley wasallam nein apne hukm mein koyi khaas tarika mutayyin nahi farmya ki is tarah tasweer banegi to jaiz hai aur is tarah banegi to najaiz hai. Kahi koyi nishandehi nahi ki sirf uski hurmat par hukm diya. Tamam aqabireen nein ahadees-e-mubar ka ki sharah karne ke baad yahi fatawa diya ki kisi bhi taur par jaandaar ki tasweer wajud mein aati hai to wo haram hai. Takriban 1450 saalo ka zamane par nazar dali jaye to Tasweer banane ke kitne hi tariqe wajood mein aaye.jis bhi zamane mein jo tarika ijaad hua us tarike se banana wali jaandaar ki tasweer ko us zamane ki aulama nein use haram qarar diya.yahan tak ki is zamane mein camera wajood mein aaya. Chahe camera photo wala ho ya movei wala kisi bhi tarah ka ho iske jariye banana wali tasweer tasweer hi hai aur wo usi tarah haram hai jis tarah dasti, aksi sayadaar mujassim, dhali huyi, ya ghhadhi huyi ho hark ism ki jaandaar ki tasweer haram hai. Camera kisi bhi kism ka ho uske jariye result kya nikalta hai wo dekho. Uske jariye yahi result nikalta hai ki humein TV ya COMPUTER ki screen par nazar wale manajir tasweeron ke taur par dikhayi dete hein.bas yahi uski asal hai.
 " ▶Mas’ala 647:- Kya Farmate Hein Aulmaye Deen Is Mas’ala Mein Ki Aaj Kal Duniya’n Mein Aam Riwaj Musawweer Ka Ye Hai Ki Bagair Qalam Wa Roshnayi Ke Aur Bagair Haath Lagaye Is Tarah Par Tasweer Banate Hein Ke Ek Saman-E-Musawweer Ka Hota Hai Jisko Angrezi Mein Camera Hai Lagakar Jis Sha’ye Ki Tasweer Lena Maqsood Ho Usko Samne Rakhate Hein . Sheeshe Ke Asar Se Kashish Ke Saath Tasweer Ma’amuli Sheesha Par Jo Aatishi Sheesha Ya’ani Lence Ke Paas Laga Hota Hai Aa Jati Hai. Isko Angrezi Masaleh Mein Daal Kar Kagaz Par Likhkar Khushk Karte Hein Is Tarah Se Tasweer Ban Jati Hai. Shara’a Shareef Mein Is Babat Kya Hukm Hai Ya’ani Aisi Tasweer Kheenchane Wale Khichwane Wale Rakhane Wale Farokht Karne Wale Khareedne Wale Kis Hadd Tak Gunahgar Ho Sakte Hein?
Aur Jis Makan Mein Tasweer Ho Waha Namaz Jaiz Hai Ya Nahi?
Ya Shara’a Ke Muwafiq Us Mein Koyi Gunah Nahi Hai?
Jawab Bisswab Se Mutla’a Farmaye.
*🌹JAWAB:-🌹* Shara’a Nein Tasweer Haram Farmayi Aur Kisi Tareeq’a Sakaht Ke Saath Hukm Ko Muqayed Na Farmaya Na Kisi Khususiyat-E-Tareeka Ko Usmein Dakhil. Na Photo Be Us Ke Azm Wa Fai’al Wa Harkat Ke Khud Ba Khud Ban Sake, Dasti Wa Aksi Mein Sirf Takhfeef-E-Amal Ka Farq Hai Jaise Pyadah Aur Rail. Jaha’n Jana Sharan Haram Hai Pyadah Wa Rail Dono Yaksa Hai Wo Nahi Kah Sakta Ke Ismein Mujhe Paao’n Ko Harkat Deni Na Padhi Na Manzil Manzil Thaharta Gaya, Biljumla Tasweer Aksi Wa Dasti Ke Banane, Rakhane Sab Bato’n Ke Ahkam Qata’an Ek Hein Aur Farq Ki Koyi Waja Nahi. Urf Hi Dekhein Kya Jo Tasweer Banayi Urfan Tauheen Ya Behayayi Aur Qanooni Jurm Hai Wo Aksi Bana Sakta Hai Aur Wahi Uzr Kar Sakta Hai Ke Be Qalam Roshnayi Aur Be Haath Lagaye Banayi Hargiz Nahi. To Zahir Hua Ke Aks Hone Se Tasweer Ke Maqasid Mein Kuchh Farq Nahi Aata Balki Basa’auqat Kuchh Ziyarat Hi Ho Jati Hai Aur Sha’ye Apne Maqasid."
*📚Fatawa Ridawiyyah-vol-24 (Jadid Jild) Page No.567 Mas’ala 647 Mursala-Muhammad Siddique Baig Sahab Muradabad Az Bareli*
========================================
NOTE = JO TASWEER BANANA HARAM HE TO USE APNE PASS RAKHNA BHI HARAM HE SIRF WAHI TASWEER BANAE JO MAJBOORI HO MAJBOORI ME BHI GUNHA KA AHSAS HO KABHI AAP NE SOCHA HE PROFILE PER HUM SIRF EK TASWEER RAKHTE HE MAGAR HUMARE COMMENTS OR HUMARI POST SHARE SE HAZAROO TASWEER WAJOOD ME AATI HE JIS K LIYE HUM SAB GUNHEGAR HE BAHTER HE ALLAH K KALAAM KO PROFILE RAKHO HER COMMENTS PER ALLAH KA NAAM NAZAR AAYE JISE DEKHNA PADHNA IBADAT HE

~,.,..,., .,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,~

*🌹SAWAL-O-JAWAB👑F.T.S.🌹grp*
*📬Khadim:- Pathan MoinRaza (Petlad)*

  • 📲+91

🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

~•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••~

Sajde me ungliyo ke zameen par lagne ka mas'ala or IMAM ka mas'ala

*🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Jaise Namaz Me Agar 3 ungli se Kam ke pet Zameen Par Lage To Namaz Ho Jayegi Ya Nahi

Rehnumai Farmaea

*🌹JAWAB:-🌹*

Sajde me paanw ki ek ungli ka pet lagna farz he.
Sajde me dono paanw ki 10 ungliyo ke pet zameen se lagana sunnat he.
Or har panw ki 3--3  ungaliya zameen par lagana wajib he.

Agar kisi ek wajib ko kasdan(jaanbuj) kar chchod diya to sajda E sahw karne SE bhi namaz sahih na hogi, namaz ka ae'aada yani namaz ka dobara padhna wajib he.

*📚(fatawa razviya, jild-3,safa-556)*

*📗(Ba-hawala:- momin ki namaz)*

*SAWAL:-*

Ek sawal he muftiyane kiram se..ek imam sahb ki sajde me paw ki ungliya nahi zamin ko lagti..wo paw ko piche mod dete he...unhe is masle k bareme bataya Jo ap ne jwab Diya he...unhone kha mujko uzar he...paw ki ungliya ka peat zamin see nahi lagata..
To Kya uzar majburi me.. ungliya ka peat zamin pe na laga sake to.Namaz ho jayegi muktadio ki....or imam ka ye uzar hote.imamat karna jaiz he..or use ki iktedaa me namaz sabki sahi hogi...ya nahi...or dusre imam Jo uzar Wala naho is ko rakhaa jayee....
Iawab inayat kare...

*JAWAB-1:-*
Uzr or majbori ki surat me namaz jayez hogi emam ki bhi or sare muqtadi bhi  jaisa ke qayeda hai الضرورت تبيح المحضورات

*JAWAB-2:-*

Sajde ke halat me pair ki kam se kam teen unglion ka pet zameen par lagna wajib hai. Kya yeh baat sahi hai. Agar koi imam sajde ke waqat sirf pair ki aik ungli ka pait zammen par lagata ho, to us imam ke peeche namaaz parhni chaahiye ke nahi
 http://jamiaturraza.com/session/15Nov09/2.mp3
Click on this link

Al-Jawab:- QAZI-UL-QUZZAT MURSHIDE BARHAQQ HUZUR TAJUSHSHARIYAH


~,.,..,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,~

*🌹SAWAL-O-JAWAB👑F.T.S.🌹grp*
*📬Khadim:- Pathan MoinRaza (Petlad)*
📲+918487928793
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

~•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••~

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts