Namaze Janaza Kya He?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Namaz E Janaza Jo Padhi Jaati Hai Wo Kya Hai

Sunnat, Wajib, Ya Farz 

REHNUMAI Farmaea


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Namaze Janaza Farze Kifaya He Ki Ek Ne Bhi Padhli To Sab Bari Uz Zimma Ho Gaye. Warna Jis Jis Ko Khabar Pahunchi Thi Or Na Padhi Gunahgar Huva. Uski Farziyat Ka Jo Inkar Kare Kafir He.

*📚(Bahare Shariyat, Hissa-4)*

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*

*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🗓️16 Jan 2021, 2 Rabi Ul Aakhir 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Sharab Bikti Ho Vaha Cashier Ka Kaam Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Zaid Ek Shopping Mall Me Cashier Kaam Karta Hain... Shopping Mall Me Khaane Peene Ki Cheezein Jaise Sharaab Wagera Bhi Milti Hai.. 


Zaid Ka Kaam Sirf Ye Hota Hai Ke Wo Customer Jo Bhi Khareedta Hai Iska Bill Karta Hai Or Usko Deta Hai.. Kabhi Kabhi Sharaab Ki Bottle Bhi Customer Khareedta Hai To Usko Dekar Uska Paisa Leta Hai.. To Kya Aisa (cashier) Kaam Karna Jaiz Hai? Kya Wo Gunahgaar Hoga?


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Zaid Ka Ayse Shopping Mall Wagairah Me Cashier Ka Kaam Karna Jaaiz Nahi Jisme Sharab Ki Kharido Farokht Hoti Ho.

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Sharab Ka Banana, Banwana, Chhuna, Uthana, Rakhna, Rakhwana, Bechna, Bikwana, Mol Lena, Dilwana Sab Haram Haram Haram He. Or Jis Naukri Me Ye Kaam Ya Sharab Ki Nigehdasht Uske Damoñ Ka Hisab Kitab Karna Ho Sab Shar'an Najaaiz He.

قال اﷲ تعالی : ولاتعاونوا علی الاثم والعدوان۱

Or Gunah Or Zyadati Ke Kaamo Me Ek Dusre Ki Madad Na Kiya Karo.

*📚(Qura'anul Kareem, Surah-5, Aayat-2)*

*📚(Fatawa Razviya, J-23, S-555, Mas'ala-239)*

Or Ek Jagah Farmate Hai,

Haram Haram Haram Or Maujube La'anat, RasoolAllah  ﷺ Farmate Hai,

ہیں:لعن اﷲ الخمر وشاربہا وساقیہا ومبتاعہا وبائعہا وعاصرہا ومعتصرہا وحاملہا والمحمولۃ الیہ ۱؎(رواہ ابوداؤد وابن ماجۃ) وزادالترمذی واکل ثمنہا 

Yaani Allah Ta'ala Ne La'anat Farmai He Sharab Par, Or Jo Use Piye, Jo Pilaye, Jo Mol Le. Jo Beche, Jo Nichode, Jo Nichodwaye, Jo Utha Kar Laaye. Jis Ke Liye Utha Kar Laai Jaye. (Use Abu Dawood Or Ibne Maja Ne Riwayat Kiya)

*📚(Sunan Abu Dawood, Kitabush Sharba, Aaftab Aalam Press Lahor, Jild-2, Safha-161)*

*📚(Sunan Ibne Maja, Safha-250)*

 Or Tirmizi Ne Ye Zyada Kiya Jo Uske Daam Khaye Un Sab Par.

*📚(Jame Ul Tirmizi, Jild-1, Safha-155)*

*📚(Fatawa Razviya, J-19, S-529, Mas'ala-201)*

Lihaza Zaid Ka Ese Shopping Mall Wagairah Me Kaam Karna Jisme Sharab Ka Mol Lena Ya Sirf Utha Kar Dena Bhi Hota Ho Najaizo Haram Balki Maujube La'anat He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓25 Jan 2021, 11 Jamadi Ul Aakhir 1442*

📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Shohar Biwi Ko Gusl De Sakta He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Kya Shohar Apni Biwi Ko Gusl De Sakta Hai? Iski Dalil Ke Saath Bata Dijiye Tafseel Mein


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

1. Nahi De Sakta, Kyu Ki Biwi Ki Mout Se Hi Wo Uske Nikah Se Nikal Jaati He.


Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,


Aurat Mar Jaye To Shohar Na Use Nahla Sakta He Na Chho Sakta He Or Dekhne Ki Mumane'at Nahi.

*📚(Durre Mukhtar)*


Aurat Ka Inteqal Huva Or Vahañ Koi Aurat Nahi Ki Nahla De To Tayammum Karaya Jaye Phir Tayammum Karne Wala Mahram Ho To Hath Se Tayammum Karaye Or Ajnabi Ho Agarche Shohar To Hath Par Kapda Lapet Kar Jinse Zameen Par Hath Mare Or Tayammum Karaye, Or Shohar Ke Siwa Koi Or Ajnabi Ho To Kalaiyoñ Ki Taraf Nazar Na Kare Or Shohar Ko Uski Hajat Nahi, Or Is Mas'ala Me Jawan Or Burhya Dono Ka Ek Hukm He.

*📚(Durre Mukhtar, Aalamgiri Wagairah)*

*📚(Bahare Shariyat, Hissa-4)*


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️5 Jan 2021, 20 Jamadi Ul Awwal 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+9

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Nikah Ke Baad Ki Rasmo Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

 As Salamu Aliakum 

Ulame Ekram Ki Bargah Main Ek Sawal Arz Hai,

1) Ke Nikah Walima Ke Baad (Jumagi) Wagera 5 Rasmain Ki Jati Hai Kya Wo Karna Zaruri Hai..Ya Nhi Ki Jaae To Chalegaaa?????


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aaj Kal Shadi Ki Aksar Rasme  Gair Zaroori Hoti He Uska Karna Shar'an Lazmi Nahi Albatta Wo Rasm O Riwaj Shariat Ke Khilaf Na Ho Maslan Fuzool Kharchi, Be Pardagi Wagairah To Karne Me Shr'an Haraj Nahi. 


Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,

Shadiyoñ Me Tarah Tarah Ki Rasmeñ Barti Jati Hai, Har Mulk Me Nai Rasm Har Qaum W Khandan Ke Riwaj Or Tareeqe Judagana Jo Rasmeñ Hamare Mulk Me Jari Hai Unme Ba'az Ka Zikr Kiya Jata He.

Rusoom Ki Bina Urf Par He Ye Koi Nahi Samajhta Ki Shar'an Wajib Ya Sunnat Ya Mustahab Hai Lihaza Jab Tak Kisi Rasm Ki Mumane'at Shariyat Se Sabit Na Ho Us Waqt Tak Use Haramo Najaaiz Nahi Kah Sakte Kheench Taan Kar Mamnoo'a Qarar Dena Zyadati He, Magar Ye Zaroor He Ki Rusoom Ki Pabandi Usi Had Tak Kar Sakta He Ki Kisi Fe'ale Haram Me Mubtala Na Ho.

*📚(Bahare Shariyat, Hissa-7)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*

*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*

*🗓️5 Jan 2021, 20 Jamadi Ul Awwal 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+91

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mard Ki Sirf Sharmgah Ko Aurat Ki Sharmagah Se Milane Se Gusl Hoga ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Ulema Ikraam Ki Baargaah Me Salaam Arz Hai,


Assalamu Alaikum Wa RahmatULLAAHI Wa Barakaatuhu,

Hazrat Mera Ek Sawal Hai Taharat K Mutaalliq

Agar Sardi K Mausam Me Kisi Fulaan Shakhs Ko Apni Soti Huyi Biwi Se Jama Karne Ki Khwahish Huyi Aur Usne Bas Apni Aage Ki Sharmgah Apni Biwi Ki Aage Ki Sharmgah Se Mila Di K Bas Oopar Ki Satah Ko Chhu Gayi Aur Dono Ki Sharmgah Khushq Thi, K Fauran Us Shakhs Ko Yaad Aaya K Farz Ki Namaaz K Liye Gusl Farz Ho Jaayega To Fauran Hata Diya, 

Ab Kya Us Shakhs Par Gusl Farz Hai Aur Kya Use Gusl Kar K Hi Jama'at Me Namaaz Karna Hoga, Ya Tayammum Kar K Ya Phir Ab B Wo Paak Hi Hai?


Aur Yeh Bhi Jawab Inaayat Farma Dein K Agar Dono Me Kisi Ki Ya Sirf Ek Hi Sharmgah Me Tari Maujood Hoti To Ab Kya Hukm Hoga?


Jawaab Inaayat Farmaayein.


Jazakum ALLAHU Khairan Katheeran.


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Mard Ke Uzv E Tanasul Ka Agla Hissa( Jise Hashfa Kahte Hain,) Aurat Ki Sharm Gah Me Dakhil Ho Gaya, To Gusl Dono Par Farz Hai, Mani Nikli Ho Ya Na Nikli Ho..

     Is Se Kam Hai Yani Mahaz Sharmgah Se Sharmgah Milaye To Gusl Farz Nahi. Haañ Is Soorat Me Jiski Tari Nikli Us Par Gusl Farz Hai, Dono Par Nahi..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*

*_📬idara Sharaiyah W Samaji Khidmat, Aala Hazrat Masjid NavaYard Vadodara Gujarat_*

*🗓️24 Jan 2021, 10 Jamadi Ul Aakhir 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+91

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Huzur ﷺ Har Mahfil Me Tashrif Late He ? Salam Ke Baad Naat Padhna Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Ek Milad Sharif M Ek Sahab Ne Milade Akbar Ki 

Huzur Ki Aamad Padhi

Nida Thi K Sarkar Tashrif Lao Uske Baad Salam Ko Khadde Ho Gaye 

Lekin Mehfil Kuch Hazrat Aur The Jinko Bhi Naat Sharif Padhni Thi To Un Logo Ne Kaha Hame Bhi Padhna H Aap Salam Baad M Padh Leve


Lekin Un Sahab Ka Kahna Tha K Aamad Padhne K Foran Baad Salam Padhna Sakht Jaruri H Aap Iske Baad Kuch Nahi Padh Sakte Kyoki Sarkar Tashrif Laa Rahe Hai


Jabki Dusre Hazrat Ka Kahna Tha Ki Ye Jaruri Nahi Hai Aamad Padhne K Baad Bhi Aur Koi Zikr Naat Padh Sakte H


Salam Baad M Bhi Padhi Jaa Sakti H


Isme Sahi Kya H Hazrat Rehnumayi Farmaye


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Milad Aamad Jo Padhi Jati He Uske Baad Fauran Salam Padhna Zaroori Nahi, Kabhi Bhi Aap Salam Padh Sakte Hai,aamad Padhne Ke Baad Aap Naat Wagairah Padh Sakte He, Jinhone Kaha Ki Fauran Salam Ke Baad Aamad Padhna Zaroori He Ki Sarkar Tashreef La Rahe He, Ye Bilkul Galat He Or Ye Hamara Aqeeda Nahi.. 


Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

Majalise Khair Me Huzure Aqdas  ﷺ Ki Tashreef Aawri Akabir Awliya Ne Mushahida Farmai Or Bayan Kiya,

کمافی بہجۃالاسرار للامام الاوحد ابی الحسن نورالدین اللخمی الشطنوفی وتنویرالحوالک للامام جلال الملۃ والدین السیوطی وغیرھما لغیرھما رحمۃاللہ تعالی علیہم


Magar Ye Koi Kulliya Nahi Sarkar Ka Karam He Jis Par Jab Ho.

*📚(Fatawa Razviya, J-23, S-750, Raza Foundation Dawate Islami)*


Isi Tarah Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahma Ek Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai,

Sarkar Ko Allah Tabarak W Ta'ala Ne Ye Qudrat Ata Farmai He Ki Jahañ Chahe Tashrif Laye Or Jis Ghar Ko Chahe Apne Jalwo Se Saja De Or Muzayyan Farmaye Ye Hamara Aqeeda Nahi He Ki Har Mahfile Milad Me Zaroor Sarkar Ki Tashrif Aawri Hoti He.

Http://jamiaturraza.com/session/2Jan11/8.mp3


Or Ek Jawab Me Farmate Hai,

(Sarkar  ﷺ Ki) Aamad Hoti He Har Mahfil Me Ye Hamara Aqeeda Nahi, Vo Karam Farmaye Jis Mahfil Me Chahe Tashreef Le Aayeñ. Unke Karam Se Kuchh Door Nahi He Vo Aa Sakte He Or Ye Aana Unka Unki Rooh Ka Aana He.....

Http://jamiaturraza.com/session/5Feb12/4.mp3


Lihaza Ye Kahna Ki Aamad Padhne Ke Fauran Baad Hi Sarkar Tashreef La Rahe Hai Bilkul Galat He, Balki Sarkar Jab Chahe Jahañ Chahe Tashreef Layeñ, Ye Unka Karam He....

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️23 Jan 2021, 9 Jamadi Ul Aakhir 1442*

📲


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ojhadi Khana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Hazrat Baaz Logo Ka Kahna He Ki Bade Janwar Maslan Gaay Bhens, Bel Wagairah Ki Ojhadi Khana Jaaiz He Hazrat Wazahat Farma Dai.

*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Halal Janwar Ki Ojhadi Khana Makroohe Tahrimi He Or Makroohe Tahrimi Ka Irtekab Najaaizo Gunah He. Har Makroohe Tahrimi Istehqaqe Jahannam Ka Sabab Hone Me Haram Ke Misl He.


Faqihe Millat Hazrat Allama Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi Alaihir Rahma Taherir Fatmate Hai,


Ojhadi Or Aanteñ Khana Durust Nahi,

Allah Ka Irshad He,

وَیُحرِّمُ عَلَیْھِمُ الخَبَائِثُ

Tarjama: Nabi E Kareem ﷺ Khabaais Yaani Gandi Cheezeñ Haram Farmayeñge..


Or Khabaais Se Murad Vo Cheezeñ Hai Jin Se Saleemut Tab'a Log Ghin Kareñ Or Unheñ Gandi Jane. 


Imame Aazam Abu Hanifa Radiallahu Anhu Farmate Hai,

اما الدم فحرام بالنص  واکرہ الباقیه لانھا مما تستخبثھا الانفس قال تعالیٰ وَیُحرِّمُ عَلَیْھِمُ الخَبَائِثُ 


Isse Maloom Huva Ki Haywane Makoolul Hukam Ke Badan Me Jo Cheeze Makrooh He Unka Madaar Khubas Par He. Or Hadees Me Masana Ki Karahat Mansoos He. Or Beshak Ojhadi Or Aante Khabaais Me  Masana Se Zyada Nahi To Kisi Tarah Kam Bhi Nahi. Masana Agar Ma'adune Bowl He To Ojhadi Or Aanteñ Makhzane Fars He, Lihaza Dalalatun Nass Samjha Jaye Ya Ajza E Illate Mansoosa Baharhaal Ojhadi Or Aanteñ Khana Jaaiz Nahi.

*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-433)*


Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Taherir Fatmate Hai,

Dubar Yaani Pakhane Ka Makam, Karsh Yaani Ojhadi, Am'aa Yaani Aanteñ Bhi Is Hukme Karahat Me Dakhil He.

*📚(Fatawa Razviya, J-20, S-232, Raza Foundation Lahor)*


Or Fatawa Faizur Rasool Me He,

Halal Janwar Ki Ojhadi Khana Makroohe Tahrimi Qareebe Haram He.

*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-432)*


Or Farmate Hai,

Ojhadi Khana Makroohe Tahrimi He Or Makroohe Tahrimi Ka Gunah Haram Ke Misl He.

*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-433)*


Mazeed Tafseel Ke Liye Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ka Risala Muta'ala Farmaye..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️21 Jan 2021, 7 Jamadi Ul Aakhir 1442*

📲+91


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mudarris Ka Paise Le Kar Padhana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum...

Bacho Ko Har Mahine Pese Lekar Padhana Kaisa??? Padhane Ke Liye Kya Aese Paise Le Sakte He??


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Daure Hazir Me Wa'az Imamat Azan Ta'aleeme Qura'ane Majeed Or Ta'aleeme Fiqh Par Ujrat Lena Jaaiz He,


Fatawa Razviya Me He,

Asl Hukm Ye He Ki Wa'az Par Ujrat Leni Haram He, Durre Mukhtar Me Use Yuhoodo Nasara Ki Zalalatoñ Me Se Gina Magar,

کم من حکم یختلف باختلاف الزمان کمافی العالمگیریۃ

Kulliya Gair Makhsusa Ki Ta'at Par Ujrat Lena Najaaiz He, A'imma Ne Halate Zamana Dekh Kar Usme Se Chand Cheeze Bazaroorat  Mustasna Ki, Imamat, Azan, Taaleeme Qura'ane Majeed, Fiqh Ki Ab Musalmanoñ Me Ye Aa'amal Bila Nakeer Muaawza Ke Sath Jaari Hai. 


Majmaul Bahrain Wagairah Me Inka Panchwañ Wa'az Gina.


Faqih Abul Lays Samarqandi Farmate Hai,

Chand Cheezo Par Fatwa Deta Tha Ab Unse Ruju'a Ki Azañ Jumla Me Fatwa Deta Tha Ki Aalim Ko Jaaiz Nahi Ki Dehat Me Daura Kare Or Wa'az Ke Aoz Tahseel Kare, Magar Ab Ijazat Deta Hu. Lihaza Ye Aysi Baat Nahi Jis Par Nakeer Lazim. (Yaani Paisa Le Kar Wa'az Imamat Azan Or Talim Dena Aysi Baat Nahi Jis Par Aitraz Kiya Jaye)

*📚(Fatawa Razviya, J-8, S-185)*

*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-2, S-296)*


Lihaza Bachcho Ko Paise Le Kar Taleeme Qura'an Ya Taleeme Fiqh Dena Jaaiz He.. 


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓21 Jan 2021, 7 Jamadi Ul Aakhir 1442*

📲+


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Raam Ki Tarif Karne wale Par Kya Hukm He ? Ubaidullah Aazmi Par Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum Mohtaram Hazraat Mera Ye Sawaal Hai Ki Jo Kisi Aise  Ki Tareef Kare Jisko Poori Kaum Khuda Maanti Hai Apna Jaisa Hindu Ram Ko Maante Hai To Kya Hukm Lagega Uspe?? Agar Aap Ko Malum Ho Ubaidullah Aazmi Hai Uski Baat Krra Hu


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aulma E Ahle Sunnat Ne Is Ta'alluq Se Fatawa Sadir Farmaya Ki,


Kuffar Ke Devi Devtaoñ Ki Tareef Karna Khula Kufr He,


Fatawa Razviya Mutarjim Me He, Kuffar Ke Devtaoñ Ko Izzat Dena Sareeh Kalma E Kufr He.

*📚(Jild-14, S-625)*


Lihaza Aysa Shakhs Daira E Islam Se Bahar He Us Par Taubah Tajdeede Iman Or Agar Biwi Rakhta Ho To Tajdeede Nikah Farz He. Use Program Me Bulana Uski Taqreer Sunna Najaizo Gunah He.


Is Fatawa Ki Tasdeeq Hindustan Ke Kai Bade Bade Muftiyane Kiram Ne Farmai Jisme Huzur Tajushshariya Alaihir Rahma Or Huzur Muhaddise Kabeer Maddazilahul Aali Ki Bhi Tasdeeq He..


Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Taherir Fatmate Hai,


Kuffar Ke Mazhabi Jazbat Or Unke Devtaoñ Or Peshwaoñ Ko Izzat Dena Sareeh Kalma E Kufr He,


Allah Ta'ala Ne Farmaya,

وَلِلَّهِ الْعِزَّةُ وَلِرَسُولِهِ وَلِلْمُؤْمِنِينَ وَلَٰكِنَّ الْمُنَافِقِينَ لَا يَعْلَمُونَ

*📚(Surah Munafiqun, Aayat-8)*

Yaani Izzat To Khas Allah Or Uske Rasool Or Musalmano Ke Liye He Magar Munafiqo Ko Khabar Nahi. 

Unke Devtaoñ Or Peshwaoñ Or Mazhabi Jazbat Ka Aezaz To Dar-kinar Jo Unke Kisi Fe'al Ki Tahseen Kare, Bil-ittefaqe A'imma Kafir He.


Gumzul Auyun Wal Basaair Me He,

اتفق مشائخنا ان من رأی امرالکفار حسنا فقد کفر

Yaani Jisne Kisi Kafir Ke Amal Ko Achcha Guman Kiya Vo Bil-ittefaqe Mashaikh Kafir He.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-14, S-625)*


Or Isi Tarah Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,

Gair Muslimon Ki Devi Devtaoñ Ki Tareef Karna Unko Izzat Dena He, Phir Aage Likha Ki Jin Baato Se Unke Devtaoñ Ka Aezaz Zahir Ho, Sareeh Kufr He.

*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-2, S-60)*


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️21 Jan 2021, 7 Jamadi Ul Aakhir 1442*

📲+9


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mackup Laga Kar Namaz Or Wuzu Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum Wa Rehamtulahi Wa Barkatuhu..


Hamare Do Sawal Hai...👇


1) Kya Agr Makeup Hua Hai Toh Kya Humari Namaz Hojayegi Ya Nhi???


2) Aur Agr Wazu Hone Ke Baad Makeup Kare Tu Kya Wazu Toot Jayega Ya Nhi???


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aurtoñ Ke Liye Mackup Karna Jaaiz He Jabki Usme Napaak Cheez Ki Aamezish Na Ho Or Agar Mackup Wagairah Jarm Daar Ho Jis Ki Wajah Se Paani Na Pahunch Sake, To Usko Saaf Kiye Bagair Wuzu Ya Gusl Sahih Nahi Hoga, Or Usme Namaz Bhi Sahih Na Hogi.


Fatawa Europe Me He,

Lipstick Or Nakhun Palish Jin Me Haram Of Napaak Ashya Ki Aamezish Ho Unka Istemal Muslima Auratoñ Ke Liye Haram He. Or Unke Lage Rahne Ki Soorat Me Na Wuzu Sahih He Na Gusl Or Na Hi Namaz.


Haañ Agar Lip Stick Or Nel Palish Ke Sath Uska Formula Bhi Maujud Ho Jis Me Zanne Galib Ho Ki Usme Koi Napaak Or Haram Ashya Ki Milawat Nahi He To Uska Istemal Muslima Aurtoñ Ke Liye Jaaiz He Ki Vo Samane Zeenat He Or Aurtoñ Ke Liye Zeenat Rawa He.


Phir Agar Lip Stick Or Nakhun Palish Ka Jarm Paani Ke Bahaaw Ko Na Roke Or Vo Laboñ Or Nakhun Par Maujud Ho To Aurtoñ Ke Liye Maane'a Wuzu W Gusl Nahi Hona Chahiye Kyuñ Ki Lip Stick Or Nel Palish Ka Wahi Hukm He Jo Mahendi Or Mahendi Ke Jarm Ka He, Jaisa Ki Aala Hazrat Imame Ahle Sunnat Fazile Barailvy Alaihir Rahma Ne Ta'aleeqate Shami Me Surma Ke Jarm Ko Mahendi Ke Jarm Ki Tarah بدلالۃ النّص Sabit Farmaya.


Or Durre Mukhtar Jild Awwal Me He,

لا یمنع الطھارۃ خرءذ باب وبر غوث لم یصل الماء تحتہ وحنا ولو جرمہ بہ یفتی,اھ


Ye Aasani Zeenat Ke Sabab Aurtoñ Ko Di Gai He Warna Gusl Ka Itlaaq Az Rooe Istelahe Fiqhi Is Par Sadir Nahi Aata.

Yaani Baaz Aulma Muhaqqiqeen Ke Nazdeek Nakhun Palish Pent Ki Tarah He Jis Me Sarayat W Nafooz Ki Salahiyat Nahi He Lihaza Vo Wuzu W Gusl Ke Adame Sehat Ka Hukm Dete Hai Or Ye Pur Zahir Ki Ikhtelafe Aulma Se Bachna Awla He. Pas Ehtiyat Isi Me He Ki Aysi Cheezoñ Ka Istemal Hi Na Kiya Jaye.

*📚(Fatawa Europe, S-107, 108)*


Or Tafhimul Masail Me He,

(Lipstick Wagairah Mackup) Ke Ajza Tarkeebi Me Koi Napaak Cheez Shamil Na Ho Or Agar Lip Stick Water Proof He Or Uske Lage Rahne Ki Wajah Se Hontoñ Ki Jild Wuzu Ke Dauran Paani Se Tar Nahi Hoti To Wuzu Ada Nahi Hoga Or Ayse Natamam Wuzu Se Namaz Sahih Ada Nahi Hogi Or Jo Cheez Kisi Sharaee Farz Ki Sehat Ada Me Maane'a Ban Jaye Vo Jaaiz Nahi He.

*📚(Tafhimul Masail, J-1, S-187)*


Isi Tarah Sirajul Fuqha Ki Deeni Majalis Me Lipstick Ke Ta'alluq Se He,

Suna He Isme Alcohol Ki Aamezish Hoti He Is Liye Bachna Bahetar He Or Tahqeeq Se Ye Aamezish Sabit Ho Jaye To Uska Istemal Haram W Gunah He.


Jaaiz Khilafe Awla Hone Ki Soorat Me Bhi Ye Farz He Ki Junubi Or Be Wuzu Aurat Or Wuzu Ke Waqt Achhi Tarah Chhura Kar Hont Saaf Karleñ Warna Na Wuzu Hoga Na Gusl Kyuñ Ki Lipstick Se Hont Par Na Jam Jati He Jiske Baais Wahañ Paani Nahi Pahunchega To Vo Paak Bhi Na Hoga.

*📚(Sirajul Fuqha Ki Deeni Majalis, S-144)*


Lihaza Aysa Mackup Istemal Karna Jisme Koi Napaak Ya Haram Ashya Ho To Najaaizo Haram Or Usme Namaz Bhi Na Hogi, Or Aysa Mackup Jo Jarm Daar Ho Jisse Paani Na Pahunch Sake To Wuzu Ya Gusl Sahih Na Hoga Or Namaz Bhi Sahih Nahi Hogi. Baqiya Soorat Me Bhi Ehtiyat Isi Me He Ki Namaz Ke Waqt Mackup Wagairah Sahih Se Saaf Kar Liya Jaye. Or Wuzu Ke Baad Mackup Kiya Jisme Koi Napaak Ashya He To Namaz Na Hogi Or Agar Napaak Ashya Nahi Na Koi Or Wajhe Mumane'at To Namaz Ho Jayegi..


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓8 Jan 2021, 23 Jamadi Ul Awwal 1442*

📲+918487928693


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Girvi Zameen Ki Kheti Se Fayda Uthana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum. Hazrat Sawal Ye H Ki Zaid Ne Ek Shakhs Se 25000 Rs Liya Aur Kaha Ki Meri Ek Bigha Zamin Lelo Uski Paidwar Khao Jab Rupye Wapas Karunga Tab Apni Zamin Lunga Kya Aisa Karna Jaiz H Jawab Inayat Farmayen


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Ye Muamla Bazaahir Rahan Ka He. Lekin Sharaee Nuqta E Nazar Se Qarz Basharte Nafa'a Ka He. Yaani Rupye Qarz De Kar Maqrooz Ki Zameen Se Nafa'a Hasil Karne Ki Shart Hoti He Is Liye Musalman Musalman Ke Darmiyan Ye Karobar Najaaiz He. Hadees Shareef Me He,

كل قرض جر منفعة فهو ربا

Or Durre Mukhtar Me He,

لا الانتفاع به مطلقا لا بالاستخدام ولا سكنى ولا لبس ولا اجارة ولا اعارة كان من مرتهن او راهن

*📚(Jild-6, Safha-482)*


Lihaza Bakar Ka Zaid Se Kuchh Rupye Le Kar Apna Khet Uske Paas Is Shart Par Rahan(girvi) Rakhna Ki Tum Khet Se Faaida Uthate Raho Or Jab Ham Tumhare Pure Rupye Wapas Kardeñge To Tum Hamara Khet Wapas Kar Dena Ye Najaaizo Haram He. 


Haañ Hal Ki Ek Soorat Ye He Ki Bakar Jis Se Qarz Le Use Khet Kiraya Parde. Yaani Agar Munasib Kiraya Salana Paanch So Rupye Bigha Ho To Do Dhaaiso Me De Dale. Is Se Qarz Dene Wale Ko Bhi Faaida Hoga Ki Paanch So Ka Khet Use Do Dhaai So Me Mil Jayega. Or Ye Raqam Qarz Se Mujra Hoti Rahegi Jab Kul Raqam Ada Ho Jayegi Khet Wapas Mil Jayega.

(Isi Tarah Bahare Shariyat Me Bhi He)

*📚Makhuz:(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-2, S-270)*


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓7 Jan 2021, 22 Jamadi Ul Awwal 1442*

📲+91


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Huzur Ko Ummi Kahna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazraat E Muftiyaan Wa Ulma E Deen Ki Baaragah Me Ba Adab Salam Pesh Hai, Assalamu Alaikum Wa RahmatULLAAHI Wa Barakaatuhu


Hazraat Mera Ek Sawal Hai,


Durood E Radawiya Me 


صل الله على النبي ألامي و آله صل الله عليه و سلم صلوٰةً وّ سلاما عليك يا رسول الله


صل الله تعلى عليه و سلم


Yahan Lafz E Ummiy K Maani MUAAZALLAH Lugati Maane K Mutabik Anpadh Ba Zaahir Hai.


Aap Tashreeh Aur ISLAAH Kar De Ki Ye Durood Me Ummiy K Dar Asl Maani Kya Hai.


Main Ye Durood Har Jum'ah Aur Kayi Mawaqe Par Padhta Hu, 


Aur Mera Saheeh Ul Aqeeda Ye Hai K Nabi Gayb K Jaanne Waale, Aur Padhe Likho Se B Afzal Hai, Chun K Ye Nabi SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM Ke Sifaati Naamo Me Se Ek Hai Isliye Inhe Padhna B Saheeh Hai.


Bas Ilm K Husool K Garz Se Aap Mere Is Sawal Ka Jawab Inaayat Farmaayein


Al FAQEER,

MOHAMMAD SHOEB IBN MARHOOM GULZAR ALAM QADRI RIZVI, GADA E TAJUSH SHARIAH RADIALLAHU TA'AALA ANHU


*🌹JAWAB:-🌹*

السلام علیکم و رحمۃ اللہ و برکاتہ 

Ummi Ke Kai Ek Maana Hai. Albatta Jis Ta'alluq Se Aap Puchh Rahe Hai Uska Maana Ye Hai Ki "Hamre Aaqa Huzoor ﷺ Ne Duniya Me Kisi Se Kuchh Bhi Padha Likhha Nahi" Balki Allah Tabarak Va Ta'ala Ne Aap Ko Tamam Uloom Ata Farmaye , Aur Aap Ko Har Cheez Ka Ilm Sikhaya, Aap Ka Duniya Me Koi Ustad Nahi, 


Kuchh Log Is Lafz Ko Lekar Ye Kehte Hai K "Huzoor ﷺ Likhna Padhna Nahi Janta The" (allah Ki Panah) Bhala Aise Kaise Ho Sakta Hai K Puri Qainat Ka Moallim Ho Aur Usi Ko Likhna Padhna......??? Sari Duniya Ko Ilm Jiske Dar Se Mila Vahi Padha Likhha.....???? Hargiz Hargiz Aisa Nahi... 

Aur Aisa Kisi Sunni Ka Aqeeda Ho Bhi Nahi Sakta.


Quran Sarif Me Alllah Ta'ala Apne Habib Ki Shan Yun Bayan Farmata Hai,

"وَعَلَّمَكَ مَا لَمْ تَكُن تَعْلَمُ ۚ وَكَانَ فَضْلُ اللَّهِ عَلَيْكَ عَظِيمًا" 

Jiska Mafhoom Ye Hai K Mahboob Aap Ko Voh Sab Sikha Diya Jo Aap Na Janta The. 


Lihaza Ummi Ka Ma'ana Ye Kare "Jo Duniya Me Kisi Se Na Padha Likha Balki Khuda Ne Sab Kuchh Sikhya."


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️17 Dec 2020, 1 Jamadi Ul Awwal 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+9

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Dawa Khate Waqt Bismillah Padhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum 

Bahut Se Logo Ka Kehna Hai Ki Tablets(medicine) Khate Waqt Bismillah Shariff Nahi Padhna Chahiye Kyun Ki Bimari Mein Barkat Hojati Hai Kya Ye Sahi 

Jawab Tafsil Se Ata Kare Meherbani Hogi Hazrat


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Baaz Logoñ Ka Ye Guman Karna Ki 'agar Dawai Khate Waqt Bismillah  بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ Padhoge To Hamesha Bimar Rahoge Or Dawai Hi Khate Rahoge' Ye Mahaz Galat Or Jahilana Khayal He Balki Dawai Khane Pine Se Pahle Bismillah  بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ Khas Taur Se Dhyan Karke Zaroor Padhna Chahiye Naame Khuda Ki Barkat Dawa Me Shamil Ho Jaye Or Dawa Jald Az Jald Shifa De Kyuñ Ki Bimariyañ Or Unki Shifa Allah Ta'ala Ki Taraf Se He.

*📚(Galat Fahemiya Or Unki Islah, S-134, Islami Kutub Khana)*


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓4 Jan 2021, 19 Jamadi Ul Awwal 1442*

📲+


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kafir Ke New Born Baby Ke Baal Najis Hote He Ya Nahi ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh Hazrat Mera Sawal Yah Hai Agar Koi Gair Kom Ka Baccha Hai Aur Hua Baccha Hindu Hai Aur Vah Jab Paida Hua Wah To Uske Bal Ko Chilakar  Saaf Nahin Karaya Gaya Hai Hazrat Rahnumai Farmaya Usko Godi Lena Aur Uske Bal Ko Chuna Kaisa Hai Wo Bal To NaPak Hote Hain Na To Kya Hua Baccha Ko Khilane Se Aur Bal Ko Chhune Se Insan Napak Ho Jaega Hazrat Rehnumai Farmaya Yahan Per Kafi Ke Bacche Bahut Hai Aur Vah Log Ki Ek Manti Hoti Hai 8 Sal Ke Bad Baccha Ka Bal Katwana Hai


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aadmi Chahe Voh Kafir Hi Kyu Na Ho Uska Badan Ka Koi Hissa Najis Nahi, K Use Hath Lagane Se Napak Ho Jaye..

 Haañ Bachha New Born Hai Aur Uske Badan Par Abhi Najasat Lagi Hui Hai To Hath Na Lagaye, Achhi Tarah Saaf Ho Jane Ke Bad Lagaye... Bilkul Saf Karne Ke Bad Hath Lagane Se Hath Napak Na Hoga... Lihaza Kafir Ke Bachhe Ke Bal Bade Hai,, To Use Sirf Hath Lagane Se Hath Napak Na Hoga ...

واللہ تعالی اعلم بالصواب

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️8 Dec 2020, 23 Rabi Ul Aakhir*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+91

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Bachche Ko Faqeer Banane ki Mannat Mangi To Use Puri Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

AS Salamu Aliakum 

Sawal- Kisi Ghar Ke Maa Aur Baap Ne Mannat Mangi Ke Mere 7 Beti Hai Aur Uske Baad Ladka Hojayega To Hum Usko Faqeer Banaenge 5 Saal Ke Liye...

Jabke Ladka Hogya Fir Wo Balogh Ho Gyaa17- 18 Saal  Ka Huwa Tab Wo Faqeer Banke Gali Gali Jagha Jagha Bhek Mang Rhaa Hai Kya Ayesaa Karne Se Mannat Puri Hogi........ Ya Uski Umar Kamne Ki Hai Wo Bhek Magrha Hai Kya Usko Bhek Denaaa Sahi..............


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Pahli Baat Ye Ki Ye Mannat Hi Behuda He Jiska Pura Karna Zaroori Nahi He, Mannat Maangi Jati He Allah Ki Ibadat Ke Liye, Maslan Ham 10 Raka'at Nafl Padhe, Ya 100 Raka'at Padhege, Ya 2 Roze Rakhege, Ya 10 Din Ka Aitekaf Karege Wagairah Wagairah... 

To Jo Ibadat Me Shamil He Mannat Usi Ki Hoti He Vo Bhi Allah Hi Ke Liye Mannat Maani Jati He, Usi Ka Pura Karna Zaroori Hota He, 


Usi Ke Ta'alluq Allah Ta'ala Qura'an Me Irshad Farmata He,

 وَلْيُوفُوا نُذُورَهُمْ

Or Apni Mannate Puri Kareñ.

*📚(Surah Hajj, Aayat-22)*


Iske Alawa Koi Or Mannat Maani He Maslan Kisi Buzurg Ke Ta'alluq Se Ki Ham Khwaja Sahab Ki Bargah Me Hazri Dege, To Ye Mannat Bhi Puri Karna Zaroori Ya Farzo Wajib Nahi He, Lekin Allah Ke Liye, Ibadat Ke Liye Jo Mannat Ki Usko Pura Karna Zaroori Hota He.


Ab Rahi Baat Bhik Mangne Wali Ya Usko Faqeer Banana Ye Shariyat Ke Sarasar Mukhalif He Agar Vo Gareeb Nahi He Sahibe Nisab He To Fir Usko Bhik Mangna Haram He, Agar Koi Zaroorat Mand He Bahut Zyada Zaroorat Mand He To Sarkar  ﷺ Farmate He Ki Bagair Zaroorat Ke Bhik Mangna Ki Kal Baroze Qayamat Uske Jism Par Gosht Nahi Hoga Balki Haddi Hi Haddi Hogi. Is Liye Bhik Mangna Haram He. Agar Garib He Faqeer He Mohtaj He To Bhik Maang Sakta He Lekin Faqeer Ban Karke Mannat Ko Pura Karne Ke Liye Bhik Maangna Ye Sarasar Haram He. Is Mannat Ka Pura Karna Zaroori Nahi.


Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*🎙Al-Jawab:- Hazrat Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*

*_📬idara Sharaiyah W Samaji Khidmat, Aala Hazrat Masjid NavaYard Vadodara Gujarat_*

*🗓️8 Dec 2020, 23 Rabi Ul Aakhir 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+9

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aalim Ko Zalim Kahna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Aalim Zalim Hota He Esa Bolna Kesa? Aur Ye Bat Kisi Aalim Ke Samne Nahi Boli To Kya Ab Uske Liye Shariyat Ka Kya Hukm Lagega?


*🌹JAWAB:-🌹*

Aalim Zalim He Aysa Bolna Sarasar Haram He, Usko Chahiye Ki Fouri Taur Par Taubah Kare.


Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ne Fatawa Razviya Me Iski Tashreeh Ki Ke Aalim Se Bugz Rakhma Basaa Awqaat Kufr He, Warna Haram To He Hi. Lihaza Us Shakhs Ko Chahiye Ki Vo Apni Is Galti Ke Aiteraf Karte Huve Allah Ki Bargah Me Taubah Kare.. 


Kyu Ki Aalim Se Muhabbat Karne Ke Liye Aalim Ke Paas Jane Liye  Khud Allah Ta'ala Qura'ane Paak Me Irshad Farmata He,

فَاسْأَلُوا أَهْلَ الذِّكْرِ إِن كُنتُمْ لَا تَعْلَمُونَ

Ilm Walo Se Puchho Agar Tumhe Ilm Nahi.

*📚(Surah Nahal, Aayat-43)*


Ye Puchhna Tabhi Hoga Ki Jab Pahli Unki Bargah Me Haqeeqatan Ya Hukman Hasil Ho, Haqeeqatan To Rubaru Or Hukman Jese Phone Wagairah Ya Kisi Ke Zariye Se.

Zahir Si Baat He Aulma Ke Paas Bhejne Ke Liye Allah Ta'ala Hukm Farma Raha He, Or Usko Zalim Kahna Yaqeenan Ye Bahut Bada Gunah He. Us Shakhs Ko Chahiye Ki Fori Taur Par Taubah Kare.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*🎙Al-Jawab:- Hazrat Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*

*_📬idara Sharaiyah W Samaji Khidmat, Aala Hazrat Masjid NavaYard Vadodara Gujarat_*

*🗓️8 Dec 2020, 23 Rabi Ul Aakhir 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*


*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jumuah Ke Khutbe Me Kese Bethna Chahiye

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum

Jumma Ke Qutbe Ke Dauran Kaise Baithna Chahiye Bahawala Jawab Inayat Farmai Hazrat Meherbani Hogi


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Mard Agar Imam Ke Samne Ho To Imam Ki Taraf Munh Kare Or Dahne Baayeñ Ho To Imam Ki Taraf Mood Jaye. Or Khutba Sunne Ki Halat Me Do Zaanu Bethe Jaise Namaz Me Bethte Hai.

*📚(Bahare Shariyat, H-4, Khutba Ka Bayan, Mas'ala-25)*


Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

Jo Kaam Namaz Ki Halat Me Haram W Mana'a Hai Vo Khutba Ki Halat Me Bhi Haram W Mana'a Hai.

*📚(Fatawa Razviya, J-3, S-695, Qadeem, )*


Huzur Tajushshariya Alaihir Rahma Dono Khutbo Ke Darmiyan Hath Kis Position Me Hona Chahiye Ke Jawab Me Farmate Hai,

(Jumuah W Eidain Ke Dono Khutbe Me) Gutno Par Hath (jis Tarah Namaz Me Qaaida Ki Halat Me Rakhte He) Rakhna Hi Aam Dastoor He.

Http://jamiaturraza.com/session/30May10/23.mp3


Or Dusre English Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai,

Jis Tarah Namaz Me Bethte He Usi Tarah Khutba Me Bethna Chahiye..

Http://jamiaturraza.com/session/16Aug09/3.mp3


Lihaza Dono Khutba Me Jis Tarah Namaz Ki Halat Me Yaani Qaaida Ki Halat Me Bethte He Ki Dono Hath Guthno Ke Upar Rakh Kar Bethte He Usi Halat Me Sunna He. 

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓18 Dec 2020, 2 Jamadi Ul Awwal 1442*

📲+91


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gair Aalim Ka Takrir Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Gaire Aalim Ka Taqrir Karna Kesa Aur Awam Ka Gaire Aalim Ki Taqrir Sunna Kesa??


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,

Jo Kaafi Ilm Na Rakhta Ho Use Waa'az Kahna Haram He Or Uska Waa'az Sunna Jaaiz Nahi.

*📚(Fatawa Razviya, J-23, S-278)*


Or Waa'az Ki Sharaait Bayan Karte Huve Farmate Hai,

Tisri Shart Aalim Hona Jahil Ko Waa'az Kahna Najaaiz He.


Jaisa Ki Irshad He

اتخذالناس رؤسا جہا لا فسئلوا فافتوا بغیر علم فضلوا واضلوا ۔

Yaani Logo Ne Jahiloñ Ko Sardar Bana Liya Pas Jab Unse Sawal Kiya Gaya To Unhone Be Ilm Ahkame Sharai Bayan Karne Shuru Kiye To Aap Bhi Gumrah Huve Or Auroñ Ko Bhi Gumrah Kiya.

*📚(Sahih Bukhari, Kitabul Ilm, H-1, S-20, Qadeemi Kutub Khana Karachi)*

*📚(Fatawa Razviya, J-29, S-71)*


Or Farmate Hai,

Jahil Urdu Khwañ Agar Apni Taraf Se Kuchh Na Kahe Balki Aalim Ki Tasneef Padh Kar Sunaye To Isme Harj Nahi Jabki Vo Jahil Fasiq Maslan Dadhi Munda Wagairah Na Ho Ki Us Waqt Vo Jahil Safeere Mahaz He Or Haqeeqatan Waa'az Us Aalim Ka Jis Ki Kitab Padhi Jaye Or Agar Aysa Nahi Balki Jahil Khud Bayan Karne Bethe To Use Waa'az Kahna Haram He Or Uska Wa'az Sunna Haram He. Or Musalmanoñ Ko Haq He Balki Musalmanoñ Par Haq He Ki Use Mimbar Se Utardeñ Ki Isme "nahi Munkar" He Or "nahi Munkar" Wajib He.

*📚(Fatawa Razviya, J-23, S-409)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓18 Dec 2020, 2 Jamadi Ul Awwal 1442*

📲+91


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namaz Ke Baad Musalla Mod Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum Suwal  Farz Namaz Ke Bad Musllah Mod Dena Jaiz H Ya Nahi Agar H To Sunnat Ya Mustahab Ya Jaiz H Jawab Inayat Farmayen Zaroor Hazrat..


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Sarkar SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Namaz Padhne Ke Baad Muslle Ko Lapet Kar Rakh Dete Hai, Ye Achchi Baat He Ki Isme Zyada Ehtiyat He, Magar Baaz Log Jaanamaz Ka Sirf Kona Lot Dete Hai Or Ye Kahte Hai Ki Aysa Na Karne Me Is Par Shaitan Namaz Padhega Ye Be-asl He.

*📚(Bahare Shariyat, H-16, Aadabe Masjid W Qibla, Mas'ala-10)*

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️18 Dec 2020, 2 Jamadi Ul Awwal 1442*

📲+9


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Fatiha Me Agarbatti Or Chirag jalana kesa ? Or na jalane par ye kahna ki gause aazam naraz hoge ??

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamu Alaikum..

Hazrat, Hamara Sawal Yeh Hai Ke Agarbatti Ya Chirag Wagerah Jala Kar Ya Iss Qism Ki Koi Bhi Cheez Samne Rakh  Ke Fatiha Padhna/karna Kaisa Hai..or Aisa Amal Karne Wale Fard Ke Mutalliq Kya Hukm E Sharieat/Aehkam Honga?


Ummuman 11vi Sharif Main Yeh Amal Kiya Jata Hai Or Na Karne Par Peeran E Peer Naraz Ho Jayenge Ya Iska Khasara Bhugatna Padega Wagerah Awam Main Mashoor Iska Muqammal   Tariqa Bataye 

Barayemeharbani


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Agarbatti Aur Chirag Rakhkar Fateha Padh Sakte Hain. Isme Koi Harj Nahi. Aisa Na Karne Se Huzur Gause Aazam Radiyallahu Ta'aala Anhu Naraz Nahin Honge. Chahe Agarbatti Chirag Jalaye Ya Na Jalaye Koi Baat Nahi, Khane Ki Cheezon Par Aayat Padhna Fateha Dilana Hi Asl Hai. Jis Cheez Per Fateha Padhi Jaye Usme Barkat Hogi. Ap Waham Ko Dur Karen.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Hasan Raza Qadri Sahab Qibla*

*_📬Ameer Tahreek Faizane Umar Farooque, Aandhrapradesh_*

*🗓️5 Dec 2020, 20 Rabi Ul Aakhir 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+91

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Sachool Ke Waqt Namaze Zuhar Kese Padhe

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Kaafi Din We Lock Down Me School Band The Ab Jakr Khule Hai Mere School Ka Timing Hai 10:50 Se 3:50 Aur Ghr Aate Aate 4:15bj Jaata Hai To Hazrat Mujhe Koi Aisa Tareeqa Btaiyye Jisse Meri Namaz E Zuhar Kaja Na Ho Aur Mai School Bhi Chla Jau


*🌹JAWAB:-🌹*

Aap Apne Elaqe Ka Namaz E Zohar Ka Waqt Sahih Sahih Maloom Karle.. K Vaha Zohar Ka Waqt Kab Se Kab Tak Rehta Hai ...Phir Uske Mutabiq Jaise Bhi Aap Ko Waqt Mile Aap Zohar Ki Namaz Ada Karle... School Time Ke Bich Me Thodi Der Ka Vaqfa Hota Hi Hai... Aap Usi Bich Bhi Namaz E Zohar Ada Kar Sakte Hai... Hasil Ye K Aap Ko Jab Bhi Jaise Bhi Waqt Mile Paak Saaf Jagah Dekh Kar Aap Zohar Ada Karle...

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*

*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🗓️8 Nov 2020, 21 Rabi Ul Awwal 1442*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+91

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*


•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts