KYA KISI BHI MAHINE KI MUBARAK BAAD DENE SE JANNAT WAJIB HO JATI HE

*🌹SAWAL:-🌹*

Kya kisi bhi Mahine ki Mubarak Baad dene se ya pahele khabr dene se jannat wajib hoti he ??? Ya dozakh haram ho jati he.

*🌹JAWAB:-🌹*

*YE BAAT BILKUL GALAT HE❌*

Kisi bhi islamic mahine ki khushkhabri dene se jannat aur dozakh ka faisla nahi hota.
 Alhamdulillah sabhi islamic mahine ba-barkat w azeem hi hote he. lekin jo ye bolta hai k aisa Rasool Allah sallallahu alaihi w sallam ne farmaya k jo sabse pahle iski khabar dega uspe jahannhum haram ya jannat wajib ho jaaegi. Is tarah ki koi baat hadishe Mubaraka me maujud nahi he..
Balki aese be buniyadI msg bhejne wala allah ke rasool par jhuth bandh raha he or apne aap ko jahannam ki taraf dhakel raha he. Aur jo shaks har suni sunai bat ko aage badha deta hai wo jhutha he or jahannam ka haqdar he.


📘✔Rasool Allah sallallahu alaihi w sallam ne farmaya; “Mat jhoot bandho mere upar, jo koi mujhpe jhoot bandhega wo jahannum me jayega.”
*📚(Sahi bukhari ,kitabul ilm hadees no.106)*

2.”Rasool Allah sallallahu alaihi w sallam ne farmaya kisi shaks k jhutha hone k liye yahi bat kaafi hai ki wo har suni sunai (bagair taheqik kiye) baat ko aage bayan karde.
*📚(Muqaddama Sahi Muslim Hadess no.9)*

*_⛔YAAD RAKHNE WALI BATEIN_*

1.Koi b khushkhabri Allah paak hi de sakta hai. 10 logo ko msg send karne se khushkhabri nahi milti.

2.Pyare nabi sallallahu alaihi w sallam ki Qasam de kar msg forward karne ko kahna haram hai.Qki qasam sirf Allah ki khai ja sakti hai.

3.Pyare nabi sallallahu alaihi w sallam aur bibi fatima aur bibi zainab (radiallahu anhum) k khwab me aane wale msg ko forward na kare.

4.Koi b Quran ki ayat ya Hadees ya kisi sahaba ka qaul tahqeeq kiye baghair forward na kare.


~_______________________________​~
*​🌹SAWAL-O-JAWAB🌹FTS👑grp​*
*​📬Khadim:-Pathan MoinRaza (Petlad)​*
📲+91

~',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',','​~

HUZUR/NABI KA MADADGAAR HONA.. NAAT PAR AITRAZ KA JAWAB.... Kisi ka ehsan kyu uthaye kisi ko halath kyu bataen.. *Tumhi se mange ge tumhi doge tumhare dar se hi loh lagi hai* Sallallahu alaihi wasallam . Wahabi ka suwal hai ye aisa kehna ghalath hai.. Shirk nazar aata hai. Jawaab inaayath farmaiyye..

*🌹SAWAL:-🌹*
Ashaar yu hai..

Kisi ka ehsan kyu uthaye kisi ko halath kyu bataen.. *Tumhi se mange ge tumhi doge tumhare dar se hi loh lagi hai*
Sallallahu alaihi wasallam
.
Wahabi ka suwal hai ye aisa kehna ghalath hai.. Shirk nazar aata hai.

Jawaab inaayath farmaiyye..

*🌹JAWAB:-🌹*

Paheli baat to ye ki in wahabiyo ko shirk kya he yahi maloom nahi..


ALLAH TA’ALA ki Zaat-e-paak ko uski zaat o siffaat main shareek se
Paak maanna, Yaani jesa ALLAH TA’ALA hai, wesa hum kisi ko ALLAH
TA’ALA na maanen, agar koiALLAH TA’ALA k hote huwe, kisi dusre ko
ALLAH TA’ALA Tassawwur karta hai, to woh Zaat-e-Bari TA’ALA main Shirk
karta hai..

*SHIRK kise kehte hain:👇🏻*
ALLAMA Taftaazaani (Rehmatullah) apni kitaab *📚Sharah Aqaid-e-Nasfiyah*
main Shirk ki Taareef is tarah farmate hain,
” Kisi ko Shareek therane se murad yehhai k, Majoosiyon ki tarah kisi
ko Khuda aur Waajib ul Wajood samjha jae, ya But Paraston ki tarah
kisi ko ALLAH k siwa Ibadat k laek samjha hae”
SHIRK ki taareef se maaloom huwa k 2 Khudaon k Maanne waale jese,
Majoosi(AAG PARAST), mushrik hain, isi tarah ALLAH k siwae Ibadat k
laek samajhne waala Mushrik hoga..
E.g Jese But Parast jo Buton ko mustahik-E-ibadat samajhte hain..

Ab sawal ye uthta he ki kya allah ke siWa bhi koi madad kar sakta he??

Aaiye iska jawab bhi quran e muqaddas w hadish e mubaraka me dekhe...

ذٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ مَولَى الَّذينَ آمَنوا وَأَنَّ الكافِرينَ لا مَولىٰ لَهُم
“Yeh Isliye k Musalmano Ka Maula (Madadgaar) Allah Hai Aur Kaafiro ka Koi (Maula) Madadgaar Nahi ”
*📚(Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat : 11)*

Is aayat me farmaya ALLAH TAALA Musalmano ka to madadgaar hai par Kaafiro ka koi madadgaar nahi hai par Musalmano k liye kya farmaya
*Ayat*
ا عَلَيهِ فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَولاهُ وَجِبريلُ وَصالِحُ المُؤمِنينَ ۖ وَالمَلائِكَةُ بَعدَ ذٰلِكَ ظَهيرٌ
“Beshak Allah Unka Madadgaar Hai Aur Zibril Aur Nek Momineen Madadgaar Hai”
*📚(Al Quran Surah 66 At Tehrim Ayat : 04)*

Ab Is aayat me Farmya ALLAH MADADGAAR HAI Musalmano ka Jibrail Alaihi Salam bhi aur Nek Momin bhi Madadgaar hai ek dusre k kya taabir aaygi iski ? ?
Is main Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH Haqeeqi madadgaar hai, Aur Jibrael AlaihSalam, aur Auliya E Karam, ALLAH TA'ALA ki Ata se madadgaar hain, jo Zaat-E-Baari TA'ALA Ata farma rahi hai, us main aur jis ko Ata kiya ja raha hai, un Hazraat main barabri ka Tassawwur bhi nahin kiya jasakta, aur jab barabri nahin to SHIRK kahaan se hoga??

Aur ye farmaya k KAFIRO Ka Koi Madadgaar Nahi hai kyu ? Pata chala k Madadgaar hona yeto ALLAH waalo k liye hai Musalmano k liye ab jin logo ne madadgaar ko hi Me’aar bana liya hai wo kon hai ?? Faisla to Quran ne kar diya ab hum kya kahe.

nabi e paak ﷺ ne farmaya:"allah deta hai aur mai taqseem karta hu"
*📚{Sahih Bukhari,Jild1,Page16}*

rasool allah ﷺ ne
irshad farmaya:"mai bantne wala hu ,mai khazanchi hu aur allah ata farmane wala
*📚{Sahih Al Bukhari,Jild 1,Kitabul Jihaad,Page 439}*

hazrat abdullah bin atiq
raziallahu anho farmate haiń ke fir maine rasool allah ﷺ se( abu rafaye yahoodi ko qatl karne aur pair tootne) ka qissa bayan kiya to huzoor ﷺ ne irshad farmaya

"apna toota hua pair bichao".Huzoor ﷺ ne ispar hath phera to oh jaisa pahle tha bilkul waisa hi ho gaya jaise is me kabhi kuch kami aayi hi na thi.
*📚{1-Sahih Al-Bukhari, Jild 2,Babe Qatl E Abi Rafaye,Page 577)*
*📚(2-Mishkat Sharif,Page 532}*

2) rasool allah ﷺ ne irshad farmaya:"mai bantne wala hu,mai khazanchi hu aur allah ata farmane wala  *{Sahih Al Bukhari,Jild 1,Kitabul Jihaad,Page 439}*

Hazrat e rabiya bin kaab aslami raziallahu anho kahte haiń ke mai raat ko
huzoor ﷺ ki khidmat me rahta tha.Mai huzoor ﷺ ko wazu ke liye paani aur digar samaan-e-zarurat pesh karta to huzoor ﷺ ne farmaya "JO CHAHO MANG LO".Maine arz kiya
"HUZOOR JANNAT MANGTA HU AUR USME AAPKA SATH". Huzoor ﷺ ne farmaya "ISKE ALAWA AUR BHI KUCH MANGNA HAI???". Maine arz kiya "huzoor yahi chahiye".farmaya"zyada sajdo se apne nafs ki islaah karke meri muawinat(himayat) karo".
*📚{1-Sahih Muslim ,Jild 1,Baab Fazl Ul Sujood,Page 83...)*
*📚(2-Mishkat Sharif,Baabus Sujood Wa Fazla, Page 84}*

Subhanallah dekhiye sahabi e rasool ﷺ hazrat rabiya aslami raziallahu anho ka bhi yahi aqida hai ke JO MAANG DARE MUSTAFA SE MANG...
aur is hadees se ye bhi pata chala

ke mere aaqa ﷺ sirf duniyavi ikhtiyaar hi nahi balke jannat aur dozakh ka bhi ikhtiyaar rakhte haiñ...
Beshak huzur sallallahu alaihi w sallam ba hayat he lekin in aql ke dushman wahabi ispe bhi aetraz karte he..
*Subahat Wahabiyat ki Janeeb Se :*
1) Aitraaz  : Aapne Jo Dalail Qurani Aayat Pesh ki hai is se bas ye saabit huwa k Zindo se Madad Maang Sakte Hai Murdo Se Nahi.
*Al Jawab :* awwal to is se saabit nahi huwa k Murdo se maanga to SHIRK hai ya zindo se maango to Tauheed.  Maangna hargiz me’aar nahi hai Kya Aap Zindo ko ALLAH ka Sharik Maante ho ?
Wo tilmila jayga yaha Chand Istelahi baat yaad rakhe kaam aaygi
i) Jo SHIRK Hai wo hamesha SHIRK HAI aisa nahi hai k Zindo k liye Tauheed ho aur Murdo k liye SHIRK hojaye ? Kya Aisa Hai ?
ii) Kisi Shaks Ne Zinda ko Mabood banaya Wo Mushrik hai SHIRK huwa Kisi shaks ne Murde ko maabood bnaya Wo Bhi Mushrik huwa kyu kyki Shirk hone me ZInda aur murda ye paimana hai hi nahi.

~__________________________________~
*​🌹SAWAL-O-JAWAB🌹FTS👑grp​*
*​📬Khadim:-Pathan MoinRaza (Petlad)​*
📲+91

~',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',​',',',',',',','~

HUZUR KA ILM GAIB ,, NAAT PAR AITRAZ KA JAWABNaath ke lyrics hai .. Hamko apni talab se siva chahiye aap jaise hai waisi ataa chahiye.. Kyu kahe ye ata wo ata chahiye *unko malum hai hamko kya chahiye* (sallallahu alaihi w sallam) Aisa kehna kaisa? Iska jwab kaise dein mujhe samajh nahi aaraha lihaaza Iski bhi wajahath kardein meherbani.. Jazakallahu khairan

*🌹SAWAL:-🌹*

اسلام اليكم ورحمة الله

Naath ke lyrics hai ..

Hamko apni talab se siva chahiye aap jaise hai waisi ataa chahiye..
Kyu kahe ye ata wo ata chahiye *unko malum hai hamko kya chahiye* (sallallahu alaihi w sallam)

Aisa kehna kaisa?
Iska jwab kaise dein mujhe samajh nahi aaraha lihaaza
Iski bhi wajahath kardein meherbani..
Jazakallahu khairan

*🌹JAWAB:-🌹*

Beshak ye sher haqq he or isme shak ki gunjaish nahi kyu ki beshak huzur sallallahu alaihi w sallam ko maloom he ki hame kya chahiye.allah ne unhe ilm gaib ata kiya jisse jo ho chuka he or jo hoga huzur jante he.or iska zikr quraan w hadish me maujd he. Or jo quraan w hadish ka inkar kare wo kafir he.

*QURAAN MAJEED ME RAB TABARAK W TA'ALA FARMATA HE*

Tarjuma: “Gaib ka jaanne wala, apne Gaib par sirf apne Pasandeeda
RASOOLON hi ko Aagah farmata hai, har kisi ko Yeh ILM nahin deta”.
*📚(Surah JIN, Aayat 26/27, Parah 29)*

*hadish*

Hazrate Umar Farooq Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ek Roz Hamare Darmiyan Khade Huye To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Makhluq Ki Paidaish Ka Ibteda Se Zikr Farmana Shuru Kiya Yahan Tak Ki Jannati Apne Maqaam Par Pahoch Gaye Aur Dozakhi Apne Maqaam Par Ise Yaad Rakha Jisne Yaad Rakha Aur Bhool Gaya Jisne Bhool Gaya
*📚(Bukhari Jild 1 Safa 354) (Muslim Jild 2 Safa 390)*

Haashiye Mein Hai Imaam Taibi Ne Farmaya Ki Is Hadees Se Zaahir Hai Ki Sari Makhluq Ke Saare Haalat Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Sahaba Ko Bata Diye

“Aur ALLAH Ki Shaan Ye Nahi. Aye Aam Logo Tumhe Ilme Gaib Dede. Ha ALLAH Chun Leta Hai Apne Rasoolo Se Jise Chahe.”
*📚(Sure Al Imraan, Para 4, Aayat 179, Tarzuma: Kanzul Imaan)*

*Hadees*

Hazrat Uqba Ibn Aamir Radiallahu Anu Farmate Hai Ek Din Huzoor-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Tashreef Laye Aur Uhaad Ke Shadeedo Ki Qabr Pe Namaz Padhi Aur Apne Mimber Pe Tashreef Laye Aur Farmaya,
“Mai Tum Par Gawaah Hu Aur Kasam Khuda Ki Mai Is
Waqt Bhi Yaha Se Apna Hauz-E-Kausar Dekh Raha Hu.” “ALLAH Ta'ala Ne Zameen Ke Saare KHAZANE Ki KUNJIA Mujhe Ata Kar Diye.”
Ya Ye Farmaya Ke
“MUJHE KHAZANE De Diye Zameen Ke Aur ALLAH KI Kasam Mujhe Is Baat Ka Khauf Nahi Ke Tum Mere Baad Shirk Karoge. Mujhe Sirf Is Baat Ka Khauf Hai Ke Tum Dunya Talbi Me Ladoge.”
*📚(Sahi Bukhari Volume : 1, Pg : 189 Kitab No: 23 Kitabuz Janaiz, Baab :As Salate Alash Shaheed, Hadis 1344 “English Book No 23, Hadees : 428)*
*📚(Sahi Bukhari , Kitabur Riqak, Hadees : 6426 & 6590) 📚(Sahi Muslim Vol : 02, Book No 43, Kitabul Fazail, Baab : Isbaati Hauzin Nabiyana Wa sifatihi, Hadees : 2296 English Book No 30 Hadees : 5688)*
*📚(Musnad e Ahmad ibn Hambal Vol: 04, Pg:154, Hadees : 17532)*

Or bhi kai jagah hadish w quraan me huzur sallallahu alaihi w sallam ka IlM gaib sabit he.
Lekin post zyada lambi hone ki vajah se itna hi abhi..
Ab un badmazhabo ko chahiye ki wo quraan w hadish ki baato par amal kare or jisne bhi iska inkar kiya wo kafir he.
“Aur Aye MEHBOOB ! Agar Tum Inse Puchoge, To Kahenge Ke Hum To Yun Hi Hansi Khel Main The. Tum Farmao Kya ALLAH Aur Uski Aayato Aur Uske Rasool Se Haste Ho. Bahane Na Banao Tum Kaafir Ho Chuke Musalman Ho Kar.”
*📚(Surah Para 10, Aayat 65-66, Tarzuma: Kanzul Imaan )*

~_____________________________~
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹FTS👑grp*
*📬Khadim:-Pathan MoinRaza (Petlad)*
📲+91
~',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',',~

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts