Bataure Zakat Rupya Ke Badle Kapde Ya Saman Dena Kesa?

*Bataure Zakat Kapde Ya Saman Dena*

*🌹SAWAL:-🌹*
Kisi Zakat Ke Haqdar Ko Zakat Ke Paise Ke Badle Kapde Ya Koi Ghar Ka Zaroori Saman Dilwa Sakte Hai Kya Zakat Ada Ho Jayegi?

*🌹JAWAB:-🌹*

LIC ki Raqam Par Zakat Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Kisi Ne Lic Policy Li Ho to.uski Zakat Ka Kya Hukm He ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Rent Par Rahne Wale Shakhs Ka Ghar Me Taaq Banana Ya Charag Jalana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Hazrat Hmare Relatives Me Hai Jinka Ghr Kanpur Me Hai Waha Koi Rent Me Aaya Hai Wo Kahta Hai Ki Yaha Ham Taaq Bnaynge Aur Charag Roshan Krnge Kya Ye Krne Se Koi Dikkat Pareshanni Nhi Aati Hazrat Zrur Btaiye ,aur Ye Sb Ky Normal Person Bhi Kr Skta Hai Chirag Jalana Taaq Bnana Usme Agr Batti Aur Paleeta Wgera Jalana

Ek Shakhs Kursi Par Quraan Padhta Ho Ek Shakhs Niche To Kya Hukm He

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuh

Ulma E Ahle Sunnat Se Ik Sawal Hai ;
Ik Room Mein Do Bande Quran E Paak Ki Tilawat Kar Rahe Hai Ik Banda Floor Par Aur Ik Bed Par Quran E Paak Padh Rahe to Is Tarah Se Quran E Paak Padhna Kaisa ?

1.5 Lakh Ka Sona Or 15000 Qarz Ho To Zakat Kese Ada Kare?

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kisi Ke Paas Ek Laakh Pachas Hazar Ka Sona Chandi or Kuchh Raqam Panch Das Hazar He Us Par Saal Guzra Ho, Par Us Par 15000 Ka Qarz He to Kya Us Lar Zakat Nikalna Wajib Hoga Ya Nahiñ ?

Jiski Badmazhabi Hadde Kufr Ko Na Pahuchi Ho Ayse Badmazhab Ke Pichhe Jumuah Ki Namaz Ka Hukm

 *Jiski Badmazhabi Hadde Kufr Ko Na Pahuchi Ho Ayse Badmazhab Ke Pichhe Jumuah Ki Namaz Ka Hukm*

*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamu Alaikum

Huzoor Mufti Sahab Qibla Ke Bargah Me Sawal Arz Hai Ki Kiya Koe Badmajhhab Gumrah Jo Hade Kufr Tak Nahi Pahucha Ho Unke Pichhe Jumuah Ki Namaz Padh Sakte Hai Jab Ki Alake Me Kahi Sunni Sahihul Akida Imam Sahab Jumuah Ki Namaz Padhane Vale Na Ho
To Aise Surat Me Us Gumarh Ke Pichhe Jumuah Ki Namaz Padh Sakte Hai Jo Hade Kufr Tak Nahi Pahucha Ho
Baraye Karam Javab Inayat Farmayenge Huzur

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Bad Mazhab Jis Ki Gumrahi Hadde Kufar Tak Na Pahunchi Ho Aur Us Jagah Koi Suni Sahihul Aqeeda Imamat Na Karta Ho to Namaz Jumuah Padhne Ki ijazat Hai Us Se Farz Saqit Ho Jayega Lekin Gunahgar Bhi Hoga..
واللہ اعلم باالصواب
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Hashim Raza Sahab Misbahi*
*📬Darul Ifta Ahle Sunnat W Jama'at, Khargaun, MP (Sahibe Fatawa Shimoga)*
*🗓️24 March 2034, 13 Ramzanul Mubarak 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Business Ke Truck Or Darji Ka Silai Machine Par Zakat Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
  Agar Kisi k Pass 7lakh Ki Truck Hai wo Uska Business Hai Usme se Kaymay Karta Hai To Kya us Truck pur Zakat Hogi ?? 

Isi Tarah Kisi Darzi ke Paas kapde Sine ke Machine He To Us Machine Par Zakat Hogi Kya Ye Maale Tijarat Me Hoga ?

Jo Log Maangne Aate He Unhe Zakat Dena ? Or zakat kise de ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum 

Zakat Fitre Ka Asli Haqdar Kon Hai

Aj Kal to Sheron Me Sab Log Hi Kama Kar Khane Wale Hain

Aur Jo Bhikari Hote Hain O to Daily 500 Se 100 Bhik Manglete Hain

Ladkiyoñ Ke Madarsa Me Zakat Lene Ka Ek Mas'ala

 *🌹SAWAL:-🌹*
Kya Farmate Hai Ulmaye Kiram Mufti Yane Izam Is Masle Mein Ke

Zaid Jinki Ahliya Aalima Hai Ladkiyon/Auraton Ka Madarsa Chalate Hai Kareeb 6 Mah Se Khud Ke Ghar Ke Kamre Mein
Jisme Local Yane Gaon Hi Ki Bacchiyan Aur Kuch Auratein 2 Batches Mein Padhai Jaati Hai Kareeb 1 Se 2 Ghanta Har Roz Sirf Shaam Ko Aur Wahin Pe Haftawari Auraton Ka Iztema Bhi Karati Hai
Yeh Sab Fisabilillah Kiya Jaata Hai....
Zaid Ka Zakaat Aur Sadqat Ke Liye Jamaat Se Juma Mein Eylan Ka Mutalba Kiya Jaa Raha Hai Ke Us Madarse Ko Diya Jaye..

Arz Gujarish Ye Hai Ke Yahan Jakaat Sadqat Jo Mahe Ramadanul Mubarak Mein Digar Madaris Mein Diya Jaata Hai Is Tarah Ke Madarson Mein Dena Uska Masjid Mein Eylan Karna Aur Zaid Ka Iske Liye Mutalba Karna Kaisa Hai... 

Barahe Meharbani Rehnumai Faramaye

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Sawal Se Zahir Hota Hai Ki Madrase Ki Imdad Zakat Sadqate Wajiba Ke Bagair Ho Jati Hai Is Liye Wahañ Zakat Ka Elan Ka Mutalaba Durust Nahiñ Hai Kyunki Madaris Me Zaroorate Shariya Ki Wajah Se Heela Sharai Kar Ke Zakat Lagai Jati Hai Us Madrse Me Is Ki Zaroorat Nahi Hai..
واللہ اعلم باالصواب
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Hashim Raza Sahab Misbahi*
*📬Darul Ifta Ahle Sunnat W Jama'at Khargaun, MP*
*🗓️24 March 2024, 13 Ramzanul Mubarak 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jiski Badmazhabi Hadde Kufr Ko Na Pahuchi Ho Usse Zakat Lena Kesa?

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Agar Kisi Badmazhab Mi Badmazhabi Hadde Kufr Tak Na Pahunchi Ho to Kya Vo Zakat De to Uski Zakaat Li Jayegi Ya Nahiñ ?

Bawasir Ka Khun Nikalne Se Roza Tutega Ya Nahiñ ?

 *Bawasir Ka Khun Nikalne Se Roze Ka Hukm*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Aleykum 
Kisi Ko Khuni Bawasir Ho 
Khun Aata Ho Toilet Mai to Roza Baki Rahenga Ya Jata Rahenga
*🌹JAWAB:-🌹*

Taraweeh Ki Namaz Fasid Ho Jaye To Kya Padhi Hui Aayat Ko Dohrani Padegi ?

 *Taraweeh Ki Namaz Fasid Ho Jaye To Kya Padhi Hui Aayat Ko Dohrani Padegi ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Taraveeh Ki Namaz Ko Kisi Wajah Dohrana Pade to Kya Jo Ayate Us Rakat Me Padhi Usi Ayat Ko Bhi Dohrana Padega ?

Kiraye Par Di Hui Dukan W Makaan Ki Zakat Ka Hukm

 *Kiraye Par Di Hui Dukan W Makaan Ki Zakat Ka Hukm*

*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualikum Wa Rahmatulahi Ta'ala Wa Barkatuhu 

Ulema E Kiram Ki Bargah Mei Suwal Hai Ki Agar Zaid Ke Pass Khud Ke Rehne Ke Makan Ke Alwa Bhi Aur Ek Ya Ek Se Zaaieed Makaan Dukaan Ho Lekin Usne 
Bechne Ki Niyaat Se Nahi Kahrida Hai Balki Kiraye Par Diya Hua Hai Toh Kya Unn Dukaan O Makan Ki Qimat Par Zakat Hogi Ya Nahi ? 

Jazakallah Hu Khairan

Foreign Me Moatamad Aulma E Kiram Na Ho Sirf Dawate Islami Wale Ho To Ilm Kese Hasil Kare

 *Foreign Me Moatamad Aulma E Kiram Na Ho Sirf Di Wale Ho To Ilm Kese Hasil Kare*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatahu
Bhai Ek Dost Ka Sawal Haii Agar Yaha Koi Aisa Jagah Ya Foreign Mai Ya Aise Jagah 
Jaha Pe Apne Maslak-e-aala-hazrat Ke Mauqif Wale Nhi Ho 
Dawateislami Wale Hi Sirf Masjido Mai Ho 
Aur Ilm Hasil Karne Ka Wahid Zariya Waha Jake Ilm Hasil Karna Rhe to Iss Surat Mai Kya Karna Chahiye
Kyuki Waha Tasveerkashi Hoti Hai

Kya Tasbeehe Fatima Sirf Namaz Ke Baad Hi Padhni He Kya Kabhi Bhi Padh Sakte He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Ham Jo Tasbeeh E Fatima Padhte Hai Wo Kya Sirf Farz Namaz Ke Baad Hi Padhna Chahiye Ya Kisi Bhi Waqt Padh Sakte Hai
Aur Tasbeeh E Fatima Padhne Ka Sabse Bada Azl Kya Hai

Ramzan Me Shaitan Qaid Ho Jata He Fir Bhi Waswasa Ya Bure Khayalat Kyu Aate He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Aulma E Kiram Ki Bargah Me Sawal Arz He Ki Maahe Ramzaanul Mubarak Me Shayaateen Qaid Ho Jate Hai.
Magar Phir Bhi Waswasa Ya Kufriya Khayalat Aayeñ to Iske Pichhe Kya Hikmat He ?

Jamahi Aane Se Muh Me Paani Aaye To Roza Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Jab Jamahi Yani Bagasa Aane Se Muh Me Jo Extra Paani Jama Ho Jata Hai Aur Wo Gale Me  Utarne Se Roza Tut Jata Hai?

Aurat Ke Latke Huve Baaloñ Ka Dhona Zaroori He To Fir Bagair Choti Khole Kese Gusl Ada Hoga ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Agar Latke Huve Baaloñ Ka Bhi Dhona Zaroori He to Phir Choti Bandh Kar Gusl Karne Ki Rukhsat Ka Faaida Kaise Hasil Hoga ? Bahare Shariyat Ka Ek Mas'ala Me He Aysa ...

Bagair Choti Khole Aurat Ko Gusl Karna Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kya Farmate Hai Aulma E Kiram Is Mas'ala Ke Bare Me, Aurat Ka Gusle Janabat Me Choti Ka Kholna Zaroori He Ya Sirf Baaloñ Ki Jad Ka Tar Kar Kena Kaafi He..
Agar Sirf Jad Tar Karli or Baaqi Choti Ke Baal Jo Latke Huve Hote Hai Un Oar Paani Na Dala Vo Sukhe Hi Chhor Diye to Kya Gusl Ho Gaya ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Qarz Me Di Hui Raqam Ki Zakat Ka Hukm?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat Mufti Sahab Qibla Ki Bargaah Me Arz He Ki Kisi Maalike Nisaab Shakhs Ne Kisi Dusre Ko Ek Laakh Rupye Qarz Diya Fo Us Ek Laakh Ki Zakaat Ada Karni Hogi Halaañki Use He Bhi Nahiñ Maloom Ki Maqrooz Qarz Kab Ada Karega ??

Roza Me Balm Ya Vicks Lagana Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum warehmatullahi wabarakatuhu.. 
kya roze ki halat mein sar dard ka oil Vicks abu fas ( Balm ) wagera laga sakte hai...?

10 Tola Sona Or Kuchh Cash Ho To Zakat Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Hazrat
zaid Ke Paas 10 Tola Sona (Gold) Aur 20 Hazaar Rupye Balance Hai to  Kya Zaid Par Zakat Farz Hai ? 

Zaid Ke Paas Chandi (Silver) Kuch Bhi Nahi Hai..

Jawab Inayat Farmaye 
Jazakallah Khair

Haiz Wali Ladki Ko Roze Ka Hukm?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Ladki Haiz Me Ho To Usper Roze Ka Kya Hukm Hai ?

*🌹JAWAB:-🌹*

25 Saal Pahle Nikah Hua Mahar Ada Nahi Kiya Tha To Mahar Ki Raqam Tab Jo Thi Vahi Ada Kare Ya Is Zamane K Hisab Se ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalsmualikum
Janab Mera Nikah May 1995 Me Hua Hai, Maher Ki Rakam Rs. 786 Mukarrar Hui 
Hai, Lekin Aaj Tak Main Wo Rakam Ada Nahi Kiya, Lekin Abhi Main Wo Rakam 
Biwi Ko Dena Chahta Hu.
Janab Abhi Shadi Ko 25 Saal Ho Gaye Hai. Meherbani Hogi Ki Muje Aap Bataye 
Aaj Ke Tarikh Me Muje Biwi Ko Maher Ki Kitni Rakam Ada Karni Hogi.

Regards,
Shaikh Dawood Usman

Aurat Ka Miswak Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Ek Shakhs Ka Sawal Hai Auraten  Miswak Kar Sakti Hai Ya Nahin ?

Kaffara Ke 60 Roze Rakh Raha Tha Darmiyan Me Ramzan Aa Gaya To Kya Dubara Se Sab Roze Rakhega ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum.
Koi Shakhs Adaaygiye Qaffara K Roze Rakh Raha He or Darmiyan Me Ramzan Ka Mahina Aagaya to Us Ka Qaffara Adaa Hoga?
(Kaffara Ke Vo Roze Jo Halate Roza Me Woh Kaam Kiya Jis K Kerne Per Qaffara Lazim Aata He)

Masjid Madarsa Ki Tameer Me Sadqa Ka Rupya Lagana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
assalamualaikum Hazrat
Hazrat Sadke Ka Paise  Masjid Ya Madrasa Taamir Me De Sakte Hai Kya ??

Khula Kise Kahte He ? Khula Ke Masaail

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum, Khula Kise Kahte Hai.. ??

*🌹JAWAB:-🌹*

Surah Dukhan Ki Aayat Se Shabe Qadr Murad He Ya Shabe Baraat ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum, surah Dukhaan Ki Shuru Ki Ayaat Me Allah Paak Fermaya He.tarzama..qasam He Is Roshan Kitab Ki..beshaq Hamne Usey Utara Barqat Wali Raat Me Beshaq Ham Dar Sunane Wale He..ismey Baant Diya Jata He Har Hiqmat Wala Kaam Hamare Paas K Hukm Se Beshaq Ham Bhejane Wale He.kya Is Raat Se Se Shabe Qadr Muraad He Yaa Shabe Bar'at?

Shawl Par Urdu Me Naam Likha Ho Uska Istemaal Karna ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Kya Shawl Wagairah Pe Urdu Me Words (Name Nai Sirf Words ) to Aesi Shawl Odh Sakte Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*

Safar Ki Qaza Namaz Ki Ginti Kese Kare Or Ada Kese Kare ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Zaid Ki Safar Me Jo Namaze Qaza Hui He Uska Hisab Kese Lagaye ?

Zaid Driving Karta He Vo Zyadatar Safar Me Hi Hota He Aksar 4 Ya 5 Din Ha Usse Bhi Zyada Din Mumbai Ya Delhi Ya Desh Ke Kai Alag Alag Ilaaqo Me Rahta He, to Vo Un Safar Me Hui Kasar Namazoñ Ki Qaza Kese Ada Karega, Uska Hisab Kese Lagayega ??

Usko Yaad Na Ho Ke Kasar Me Kitni Qaza Hui or Muqeem Me Kitni Qaza Hui to Kya Kare Hazrat Rahenumai Farmaye.

Bachche Ki Khatna Kab Tak Kar Sakte He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمۃ اللہ وبرکاتہ
Hazrat Logo Mai Aam Hai Bache Ki Katna 3 Saal Chalu Thi Us Saal Nahi Karna Chahiye Kiya Yeh Sahi 
3 Saal K Bad Karna Chahiye 4 Saal Ka Bachcha Howa To Karna Chaye Ya Use Bada Howa Tho 
Hazrat Rehnumayi Farmaye Tafsil  Se

3 Talaq Ke Baad Aurat Ka Shohar Ke Ghar Me Rahna Or Bado Ka Mana Bhi Na Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Ek Aurat Ka Talaq Huva Iddat Usne Apne Sasuraal Me Guzari or Jis Ghar Me Talaq Huva Tha Us Ghar Me Bhi Sab Logoñ Ko Maloom Nahi Tha K Falañ Ka Talaaq Huva or Lockdown Bhi Tha Tab Ghar Ke Bado Ne Socha Bahar Kapde Ki Dukan He Agar Dukan Par Soyege Tab Bahar Ghar Sab Logoñ Ko Maloom Ho Jayega Is Liye Ghar Ke Bado Ne Socha Ek Hi Room Me Soyeñ Bas Ehtiyaat Rakheñ, Tab Miya Biwi Ek Hi Room Me Sote Biwi Palang Par Bachchoñ Ke Sath or Uske Shohar Niche Zameen Par Bistar Laga Kar Sote Ehtiyaat Bhi Iddat Tak Rakhiñ...

Is Tarah Ki Iddat Me Kya Hukme Shara'a He Kya Koi Gunah He Bado Ke Liye Kya Hukme Shara'a or Miya Biwi Ke Liye Kya Hukm Hoga ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Korhi Ya Safed Daag Wale Shakhs Ko Masjid Me Aane Se Rokna Kesa ? or Vo Shakhs Jism Se Touch Kar Jaye To Wuzu Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Kya Kodhi Wa Sufaid Daag Wale Shakhs Ko Masjid Me Aane Se Roka Jayega.or Kya Un Se Bila Haail Kisi Musalman Ka Jism Mas Ho Jaye to Wuzu Makrooh Ho Jayega.

Jism Par Mani Lag Jane Se Gusl Farz Hoga?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Ek Sawal Hai Ke
Ghusl Ke Bare Me
Jese Mani Kharij Hone Se Aur Haiz Aur Nifaz Se Ghusal Farz Ho Jata Hai 
To to Agar Kahi Isni Najasat Lagi Ho Aur Wo Hampe Lag Jay to Kiya Ghusal Farz Ho Jayga 
Jawab Farmay

Aurat Sahibe Nisab Ho Or Shohar W Saas Sasur Qarz Dara Ho To Zakat Nikal Sakti He ? Ya apne Saas Sasur ko Zakat De Sakti He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Aurat Sahibe Nisab He Par Uska Shohar or Saas Qarz Daar He to Kya Aurat Ko Zakat Nikaalni Padegi Ya Nahiñ ?

Agar Nikaal Ni Pade to Kya Uske Shohar Ya Saas Sasur Ke Qarz Ki Adayegi Ke Liye Unko De Sakti He Ke Nahi ?

Aurat Ke 3 Nikah Ho To Jannat Me Kiske Sath Rahegi ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuh 

Agar Kisi Aurat Ke 3 Nikah Huve Ho 3no Talaq Shuda Hai to O Jannat Me Kiske Sat Rahegi

Sahiyl Nabed Raza Qadri

Ladke Ko Shugar Ki Bimari He Rishte Ke Liye Ladki Walo Ko Batana Zaroori He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum, Hazrat ladke ko shugar ki bimari he to uska rishta leke jab jaaye to ladki waaloñ ko ye batana zaroori he ki ladke ko high shugar ki bimari he ? Iska jawab Inayat farmaye..

*🌹JAWAB:-🌹*

Nafl Rozo Ki Mannat Thi Or Rajab Ke Roze Rakhe To Kya Mannat Ke Roze Dubara Rakhne Hoge Ya Ho Gay ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Hajrat Hame Mere 3 Nafil Roze Rakhne the Pahle Ke Aur Maine Jaise 3 Roze Rakhe Rajab Ke to Kya Wo 3 Roze Bhi Pure Ho Gye Ya Wo Alag Se Rakhne Honge? 

Bakre Ya Digar Janwar Ki Khaal Khana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Bohot Se Log Bakre Aur Bade Ke Mundi Paya Jab Banate H to Uski Khaal Nahi Nikalte.. Uske Baalo Ko Jala Dete H Bhun Dete H... Kya Is Tarha Kha Sakte H... Ya Khaal Nikali Jaye

*🌹JAWAB:-🌹*

Gair Muslim Imaan Ke Aaye To Document Me Apne Gair Muslim Walid Ka Naam Likhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum.
Koi Gair Muslim Musalman Ho Gaya or Muqammal Tor Shariat Ki Pairvi Kerta Raha.
Lekin Us K Talluq Se Sawal Ye He K Jab Documents Wagaira Me Use Apna Poora Naam K Saath Walid Ka Naam Likhwana Ho to Wo Kya Kare.
K Woh to Alhamdulillah Musalman Ho Hi Gaya Lekin Us Maa Baap Wa Digar Khandan Wale to Abhi Gair Muslims Hi He.

Mard Ne Qasam Khai Me Falañ Kaam Karuñ To Tu Mujh Par Haram Or Vo Kaam Kar Liya To Nikah Ka Hukm?

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Ek Aurat Ne Apne Mard Se Qasam Li Aur Us Mard Ne Qasam Khaai Ke "Agar Me Falañ Kaam Karu to Tu Mujh Par Haram" Agar Mard Ne Falañ Kaam Kar Liya to Is Tarah Qasam Khane Par Kya Hukm Hoga ? Kya Isse Nikah Par Koi Asar Hoga ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Kya Jannat me Awlad Bhi Hogi ?

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمۃ اللہ وبررکاتہ
1 Peer Sahab Ki Clip Suni Usme Unse Sawal Hua Kya Zannat Me Aulad Bhi Hogi to Javab Me  Unho Ne Kaha Ke Ji Ha Pur Duniya Me Jo Taklif E Our Dard Hote Hai Wo Nahi Hoga 

Kya Ye Baat Durust Hai K Zannat Me Aulad Bhi Hogi ???

Roza Ne Gynecologist Ke Paas Checkup Karana Kesa?

 وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
بسم الله الرحمن الرحيم
الحمدلله والصلوة والسلام على رسول الله ﷺ

Sawal
Roze me gynecologist k paas checkup ke liye jaa sakte hein agr andruni  check kare to roze pe koi asar padta he.?

Broiler Chicken Khana Kesa ?

 *🌹SAWAL:6🌹*
Hazrat Kya Boiler Chiken Nahi Khana Chahiye... Kuch Logo Ka Ye Kehna H Ke Use Jaldi Bada Karne Ke Liye Suwar Ki Charbi Khilai Jaati H...?

Chalti Train Me Namaz Ka Hukm ?

 *Chalti Hui Train Me Namaz Ka Hukm*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَّلامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اَللّٰهِ وَبَرَكاتُهُ
Huzur Zaid or Uske Dost Train Me Bareli Sharif Ja Rahe Hai, to Train Ke Na Rukne Ki Vajah Se Kuch Vaqton Ki Namaz Qaza Ho Jati Hai, 
Jo Namazen Qaza Hoti Hain Un Per Kuch Sakht Hukm Lagega? 
Kya Un Namazon Ko Qaza Karne Ki Vajah Se Gunah Hoga?
huzure Rhenumai Farmaden

Mayyat Ke 40ve Din Raat Ko 12 Se 4 Baje Tak Isale Sawab Karna

 *Mayyat Ke 40ve Din Raat Ko 12 Se 4 Baje Tak Isale Sawab Karna*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Hazrat Ki Bargah Me Suwal He Ki Kisi Ka Intekal Hota He Uske 40 Din Baad Chehlum Hota He Usme Rat Me Jo Padhai Wagere Hoti He Kariban 12 Baje Se Rat Me 4 Baje Tak Padhai Hoti He to Kya Is Ki Shariyat Ijazat Deti He 
Rehnumai Farmae.

*🌹JAWAB:-🌹*

Aurat Ka Mard Doctor Se Injection Lagwana Kesa

*Aurat Ka Mard Doctor Se Injection Lagwana Kesa*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Tabiyat Kharab Ho to 
Koi Musalman Aurat Ya Ladki Kisi Mard Docter Se Kamar Me Injection Delwana Kaisa Hai

Jawab Inayat Farmade

Masbooq Ne Imam Ke Sath Sajda E Sahw Kiya Phir Apni Namaz Me Galti Ki Wajah Se Dubara Sajda E Sahw Karega

 *Masbooq Ne Imam Ke Sath Sajda E Sahw Kiya Phir Apni Namaz Me Galti Ki Wajah Se Dubara Sajda E Sahw Karega ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Masbooq Ne Imam Ki Iktidaa Me Sajdaye Sahw Kiya Tha Imam K Salam Pherne K Baad Masbooq Se Apni Infiradi Raqat Me Sahw Huwa to Kya Is Haal Me Use Sajdaye Sahw Kerna Padega? Ya Imam K Saat Wala Sajdaye Sahw Kaafi Hoga?

Muqtadi Ka Imam Ke Barabar Khade Ho Kar Namaz Padhna ?

 *Imam Or Muqtadi Ka Ek Hi Saf Me Khade Hona Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Mai Mumbai Me Kuch Kaam Se Aaya Tha Wahañ Ek Masjid Hai Jahañ Sirf Mushkil Se Teen Saf Ban Pati Hai, Usme Jahañ Imam Sahab Khade Hote Hain Imamat K Liye Wahiñ Imam K Barabar Farz Namaz Me Muqtadi Bhi Khade Hote Hain, to Kya Imam Aur Muqtadi Ki Namaz Me Koi Farq to Nahiñ ??

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ

Biwi Ki Razaai Bahan Se Nikah Ka Hukm?

 *Biwi Ki Razaai Bahan Se Nikah Ka Hukm*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَّلامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اَللّٰهِ وَبَرَكاتُهُ
Hazrat Aap Ke Bargah Mai Sawal Hai Ki Zaid Ka Aik Shadi Hua Bibi Zinda Hai Zaid Ka Aik Chachara Behen Hai Joh Uska Dudh Behen (Razai Behen) Bhi Hai Yani Zaid Ka Saas Ka Dudh Piya Hai Chota Mai . Toh Zaid Uss Razai Behen Koh Dusre Shadi Ke Jariye Dusre Bibi Kar Sakte Hai ? Shariyat Ka Kya Hukm Hai ? 
Jaise Mujhe Thoda Jankari Hai Ki Zaid Aik Sath Do Behen ( Jo Apna Behen ) Ko Shadi Nehi Kar Payega Jab Tak Pahli Bibi Zinda Hai . Toh Waise Dudh Behen ( Razai Behen ) Ka Fatwa Kya Hoga , Jawab Inayat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Soorate Mas'ula Me Jo Dusri Aurat He

Haiz Wali Aurat Umrah Par Kya Kare ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Umrah Ke Liye Ghar Se Rawana Hue... Jabke Hinda Haiza Thi... To Jab Wo Paak Hojaye Tab Wo Umrah Wagaira Kare....?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ

Chemical Wali Mahendi Lagane Se Wuzu Or Gusl Ka Hukm?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum.
Ek Khatoon Ne Apne Hatho Me Mehndi Lagawai Us Waqt Use Pata Na Tha K Is Me Chemical Ki Milawat He Baad Me Pata Chla.
To Is Soorat Me Us Khatoon K Wuzu Gusl or Namaz or Digger Umure Shraiyyah K Bare Me Kya Hukme Sharah He?

*🌹JAWAB:-🌹*

Shohar Ne Gusse Me Biwi Ko Phone Par Talaq Di Or Baad Me Mana Kare Ki Mene Talaq Nahiñ Di To Kya Hukm He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuh

Kiya Famate Hai Aulmay Kiram W Muftiyane Ijam Is Masail Ke Baare Mein Ke

Ek Din Kisi Zarurat Ke Liye Meine Apne Shuhar Ko Call Me Pesa Yani Kuch Hazar Rupy Magi to Mere Shuhar Ne Gussa Mana Andaz Se Kaaha Ke Mene Tom Ko Talaq De Diya Hai
Fir Dosre Waqt Call Aayi to Maine Kaaha Ke Aap Ne Mujhe Talaq De Diya Hai
To Mere Shuhar Ne Kahaa Ke Kasam's Khata Hu Ke Mene Talaq Nahi Diya Hai
'quran W Hadees Ki Rushni Me Jawab Inayat Farmaye'

Sahyila.. Suleha Begam Up

*🌹JAWAB:-🌹*

Mard Ko Hathoñ Me Chandi Ka Kada Pahanna Kesa He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Mard Ko Hathoñ Me Chandi Ka Kada Pahanna Kesa He ? 

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Mard Ko Haath Me Chandi Ka Kada Ya Kisi Bhi Tarah Ka Kada Ya Chhalla Pahanna Najaaizo Haram He. Mard Ko Sirf Ek Nang Wali Chandi Ki Ek Anguthi Vo Bhi Saarhe Chaar Masha Se Kam Wazan Ki Pahanna Jaaiz He, Uske Alawa Zewraat Pahanna Jaaiz Nahiñ..

Sarkar Aala Hazrat Se Suwal Hua Ki Mardoñ Ko Chandi Ka Chhalla Hath Ya Paanw Me Pahanna Kesa Jiske Jawab Me Aap Tahreer Farmate Hai,

Haram He, 
فقد قال صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم فی الذھب والنضۃ انھما محرمان علی
Sone Chandi Ke Muta'alliq Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya: Ye Donoñ Meri Ummat Ke Mardoñ Par Haram He.

قلت ولایجوز القیاس علی خاتم الفضۃ لانہ لایختص بالنساء بخلاف مانحں فیہ فینھی عنہ الاتری الی مافی ردالمحتار عن شرح النقایۃ انما یجوز التختم بالفضۃ لو علی ھیئۃ خاتم الرجال امالو لہ فصان اواکثر حرم 
*📚(ردالمحتار کتاب الحظروالاباحۃ فصل فی اللبس داراحیاء التراث العربی بیروت ۵ /۲۳۱)* انتہی ولان الخاتم یکون للتزین وللختم اما ھذا فلاشیئ فیہ الاالتزین وقد قال فی الدرالمختار لایتحلی الرجل بفضۃ الا بخاتم اذا لم یرد بہ التزین  *📚(درمختار کتاب الحظروالاباحۃ فصل فی اللبس مطبع مجتبائی دہلی ۲ /۲۴۰)* اھ ملخصا۔وفی الکفایۃ قولہ الا بالخاتم ھذا اذا لم یرد بہ التزیین  *📚(الکفایۃ مع فتح القدیر کتاب الکراھیۃ مکتبہ نوریہ رضویہ سکھر ۸ /۴۵۷)* اھ انتہی
(Sarkar Aala Hazrat Farmate Hai) Me Kahta Huñ, Isko Chandi Ki Anguthi Par Qayas Karna Jaaiz Nahiñ ( Ki Ye Jaaiz He To Vo Bhi Jaaiz Hona Chahiye) Kyuñ Ki Chandi Ki Anguthi Aurtoñ Ke Sath Mukhtas Nahiñ Bakhilaf Uske Jis Ki Ham Bahas Kar Rahe Hai (Yaani Chandi Ka Chhalla) Ki Is Se Mardoñ Ko Mana'a Kiya Jayega..
Kya Tum Iski Taraf Nahiñ Dekhte Jo Fatawa Shami Me Naqaaya Ke Hawale Se Aaya He Ki Chandi Ki Anguthi Pahanna Agar Mardana Hai'at Ke Mutabiq Ho to Jaaiz He Lekin Agar Iske Do Ya Do Se Zaaid Nageene Ho to Haram He or Isliye Ki Anguthi Zaibo Zeenat or Mahar Ke Liye Hua Karti He Lekin Chhalla Me Zaibo Zeenat Ke Alawa Koi Maqsad Baaqi Nahiñ Rahta Halañki Durre Mukhtar Me Farmaya Ki Mard Siwa E Anguthi Ke Chandi Ka Koi Zewar Na Pahne or Usse Bhi Zaibo Zeenat Murad Na Hoñ. الخ..
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-22, S-148, Mas'ala-19)*

Or Farmate Hai,
Hath Khwah Paanw Me Taanbe, Sone, Chandi, Peetal Lohe Ke Chhalle Ya Kaan Me Baali Ya Bunda Ya Sone Khwah Taanbe Peetal Lohe Ki Anguthi Agarche Ek Taar Ki Ho Ya Saarhe Chaar Maashe Chandi Ya Kai Nag Ki Anguthi Ya Kai Anguthiyañ Agarche Sab Mil Kar Ek Hi Masha Ki Ho Ki Ye Sab Cheezeñ Mardoñ Ko Haram W Najaaiz Hai or Unse Namaz Makroohe Tahreemi.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-7, S-307, Mas'ala-990)*

Or Farmate Hai,
Chandi Ka Chhalla Khas Libaase Zanaan (Aurtoñ Ka) He Mardoñ Ko Makrooh. Or Makrooh Cheez Pahan Kar Namaz Bhi Makrooh. Mard Ko Chandi Ki Anguthi Ek Nag Ki Sarhe Char Mashe Se Kam Wazan Ki Jaaiz He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-22, Mas'ala-15)*

Or Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
Mard Ko Zewar Pahanna Mutlaqan Haram He Sirf Chandi Ki Ek Anguthi Jaaiz He, Jo Wazan Me Ek Misqaal Yaani Saarhe Char Maasha Se Kam Ki Ho.
*📚(Bahare Shariyat, Anguthi or Zewar Ka Bayan, H-16 Mas'ala-1)*

Aage Farmate Hai,
Mardoñ Ke Liye Ek Se Zyada Anguthi Pahanna Ya Chhalle Pahanna Bhi Najaaiz He Ki Ye Anguthi Nahiñ..
*📚(Bahare Shariyat, Anguthi or Zewar Ka Bayan, H-16 Mas'ala-12)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,petlad_*
*🗓️31 Oct 2023, 15 Rabi Ul Aakhir 1445*
📲+9
*🌹 SAWAL-O-JAWAB 🌹F.T.S👑GRP*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Dukan Par Kuchh Rupye Jama Rakhe Or Lena Bhul Jaye To Tajir Or Kharidaar Par Kya Hukm He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

1 Dokan Dar Ke Pas 

Kisi Admi Ne 100 Rupis Dekar 97 Rupis Ka Saman Kharida 

Dokan Dar Ke Pas 3 Rupe Chutte Nahi Teh to Dokan Dar Ne Us Admi Se Kaha Agli Bar Yad Se 3 Rupe Lele Na 

Kuch Din Hogay Ab Dokan Dar Aur O Admi Dono Hi 3 Rupe Bhul Gai 

Is Pe Kay Hukam Hai 

Rehnomai Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
انما الاعمال بالنیات 
Aamal Ka Madar Niyyatoñ Par He.. Lihaza Jab Donoñ Janib Se Razamandi Dene Lene Ki Paai Gayi Our Uske Baad Wo Teen Rupe Dena Bhul Gaya Our Kharidar Lena Bhul Gaya to Allah Ta'ala Ki Zaat Se Ummid He Ki Un Ko Qiyamat Me Ek Dusre Ka Haq Muaaf Kara De... Ye Hukm Bhule Rehne Par He Our Jab Yaad Aae Us Waqt Dena Lazim Hoga. Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️30 Oct 2023, 15 Rabi Ul Aakhir 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gause Aazam Or 12 Saal Purani Dubi Hui Kashti Ko Bahar Nikalne Wale Waqeaa Ki Haqeeqat

 *Gause Aazam Or 12 Saal Purani Dubi Hui Kashti Ko Bahar Nikalne Wale Waqeaa Ki Haqeeqat*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum 
Aaj Kal Gyarvi Ke Kaafi Bayanat Hore Hain Aur Maine Suna Hu Ke Gaus E Azam Ne 12 Saal Purani Kashti Ko Nikala Tha. Iski Daleel Kaafi Dhundi Nahi Mili Aur Kaafi Samay Pehle Maine Suna Tha Ke Alahazrat Ne Ise Mangadat Bataya Nahi

*🌹JAWAB:-🌹*
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Se Suwal Hua Ki Bade Peer Sahab (Sarkar Gause Aazam) Rahimahullahi Ta'ala Ki Mash'hoor Karamat He Jo Ki Maulood Shareef W Wa'az Se Me Bayan Ki Jati Hai Ki Ek Burhya Labe Darya Bethi Roti Rhi, Ittefaqan Hazrat Ka Us Taraf Se Guzar Huva. Hazrat Ne Farmaya Ki Is Qadar Kyuñ Roti Ho ? Burhya Ne Arz Kiya: Hazrat ! Mere Ladke Ki Bara (12) Baras Yahañ Darya Me Ma'a Saman Ke Barat Doobi He Me Yayañ Aakar Rozana Roti Huñ, Aapne Dua Farmaai Aapki Dua Ki Barkat Se 12 Baras Ki Doobi Hui Barat Ma'a Kul Saman Ke Saheeh W Saalim Nikal Aai or Burhya Khush W Khuram Apne Makan Ko Chali Gai....

Jiske Jawab Me Farmate Hai,
Agarche Nazr Se Kisi Kitab Me Na Guzri Magar Zaban Par Mash'hoor He, or Usme Koi Amr Khilafe Shara'a Nahiñ, Iska Inkaar Na Kiya Jaye..
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-29, S-629, Mas'ala-187)*
Or Sarkar TajushShariyah Alaihir Rahma Isi Tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai,
Riwayat Kis Hesiyat Ki He Mujhe Is Waqt Mustahidan Nahiñ, Albatta Ye Waqeaa Mash'hoor Bahut He, Huzur Mufti Aazame Hind Ne Bhi Farmaya Ki,
Jo Doobi Thi Kashti Vo Damme Nikaali,
Tumhe Aysi Qudrat Mili Gause Aazam.
Http://jamiaturraza.com/session/18mar12/23.mp3

Lihaza Is Waqeaa Me Koi Baat Khilafe Shara'a Nahiñ.. Or Mash'hoor Bhi He Jiska Inkaar Na Kiya Jaye.. Or Kai Buzurgone Tahreer Bhi Farmaya.. Iski Mazeed Tafseel Faize Millat Hazrat Allama Faiz Ahmad Owaisi Alaihir Rahma Ki Kitab "Burhiya Ka Bera" Me Bhi Maujud He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️27 Oct 2023, 11 Rabi Us Saani 1445*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Masjid Me Apne Liye Maangana KeA Or Jo De Use Kya 70 Guna Kaffara Dena Hoga ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Masjid Me Apne Liye Mangna Kesa ? Or Kya Jo Unhe De Kya Unhe Jitna Diya Uska 70 Guna Zyada Bahar Sadqa Karna Hoga ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Masaajid Bheek Mangne Ke Liye Nahiñ Balki Allah Ki Ibadat Ke Liye Banai Gai He, Masjid Me Khud Apne Liye Bheek Mangna Jaaiz Nahiñ, Na Us Shakhs Ko Dena Jaaiz, Agar Kisi Ne De Diya to Jitna Diya Uska 70 Guna Zyada Allah Ki Raah Me De Ki Us Paisa Ka Kaffara Ho..

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Isi Tarah Ke Sawal Ke Jawab Me Taherir Farmate Hai,
Jo Masjid Me Gul (Shor) Macha Dete Hai Namaziyoñ Ki Namaz Me Khalal Daalte Hai Logoñ Ki Gardaneñ Phalangte Huve Safoñ Me Phirte Hai Mutlaqan Haram He Apne Liye Khwah Dusre Ke Liye,

Hadees Me He,
جنبوا مساجدکم صبیانکم ومجانینکم ورفع اصواتکم رواہ ابن ماجۃ عن واثلۃ بن الاسقع و عبدالرزاق عن معاذ بن جبل رضی اﷲ تعالٰی عنہما۔
Masjidoñ Ko Bachchoñ or Paagaloñ or Baland Aawaz Se Bachao..
*📚المصنف لعبد الرزاق  باب انشادالضالۃ فی المسجد  حدیث ۱۷۲۶  المکتب الاسلامی بیروت ۱ /۴۴۲،سنن ابن ماجہ کتاب المساجد باب مایکرہ فی المساجد  ایچ ایم سعید کمپنی کراچی ص۵۵*
Hadees Me He,
من تخطی رقاب الناس یوم الجمعۃ اتخذ جسرا الی جہنم،رواہ احمد والترمذی وابن ماجۃ عن معاذ بن انس رضی اﷲ تعالٰی عنہ۔
Jis Ne Jumuah Ke Din Logoñ Ki Gardaneñ Phalangiñ Usne Jahannum Tak Pahunchne Ka Apne Liye Pul Bana Liya.
*📚جامع الترمذی  کتاب الجمعۃ باب کراھیۃ التخطی یوم الجمعۃ  امین کمپنی دہلی  ۱ /۶۸،سنن ابن ماجہ  باب ماجاء فی النہی عن تخطی الناس یوم الجمعۃ ایچ ایم سعید کمپنی کراچی ص۷۹*

Or Agar Ye Baateñ Na Hoñ Jab Bhi Apne Liye Masjid Me Bheek Mangna Mana'a He.

Rasoolallah ﷺ Farmate Hai,
من سمع رجلا ینشد فی المسجد ضالۃ فلیقل لا ردھا اﷲ الیك فان المساجد لم تبن لھذا رواہ احمد ومسلم وابن ماجۃ عن ابی ھریرۃ رضی اﷲ تعالٰی عنہ۔
Jo Kisi Masjid Me Apni Gumi Cheez Daryaft Karte Sune Usse Kahe Allah Tujhe Vo Cheez Na Milaye Masjideñ Is Liye Nahiñ.
*📚صحیح مسلم  کتاب المساجد  باب النہی عن نشد الضالۃ الخ  قدیمی کتب خانہ کراچی  ۱ /۲۱۰،سنن ابن ماجہ  باب النہی عن انشادالضوال فی المسجد  ایچ ایم سعید کمپنی کراچی ص۵۶،مسند احمد بن حنبل  عن ابی ہریرہ رضی اللہ تعالٰی عنہ  المکتب الاسلامی بیروت ۲ /۳۴۹*

Jab Itni Baat Mana'a He to Bheek Mangni Khususan Aksar Bila Zaroorat Bataur Paisa Ke Khud Hi Haram He, Ye Kyuñ Kar Jaaiz Ho Sakti He Walihaza A'imma E Deen Ne Farmaya Jo Masjid Ke Saail Ko Ek Paisa De Vo (70) Sattar Paise Raahe Khuda Me or De Ki Us Paisa Ke Gunah Ka Kaffara Hoñ.. Or Dusre Mohtaj Ke Liye Imadaad Ko Kahna Ya Kisi Deeni Kaam Ke Liye Chanda Karna Jisme Na Gul Shor Ho Na Gardan Phalaangna Na Kisi Ki Namaz Me Khalal Ye Bila Shubah Jaaiz Balki Sunnat Se Sabit He. Or Be Sawal Kisi Mohtaj Ko Dena Bahut Khub or Maula Ali Karramallahu Ta'ala Wajahhu Se Saabit He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-23, Mas'ala-163)*

Or Sarkar Tajushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Isi Tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai,
(Masjid Me Bheek Mangna or Dena) Donoñ Najaaiz He, Dene Wala or Lene Wala Dono Gunahgaar He.. Haañ Ye Kar Sakta He Ki Kisi Ki Madad Ke Liye Masjid Me Ailan Karde Ya Keh De Ki Fulañ Ki Madad Kardo Lekin Saail Ko Khud Apne Liye Sawal Karna Jaaiz Nahiñ He.
Https://jamiaturraza.com/session/01nov09/19.mp3
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️27 Oct 2023, 11 Rabi Us Saani 1445*
📲+918
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Subah Nikah Hua Kuchh Der Khalwat Me Rahe To Kya Sham Ko Walima Ki Sunnat Ada Ho Sakti He

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum W Rahematullah,
Kya Soorat He Ki Agar Kisi Ka Aqde Nikah Subah Ko Huva Ho or Phir Miyañ Biwi Sath Me Thora Waqt Guzare or Phir Usi Roz Sham Ko Waleeme Ki Niyyat Se Dawat Ka Ehtemam Kare ? Is Soorat Me Sunnat Ki Adayegi Ho Jayegi ? Baraye Karam Jawab Inayat Farmayeñ 

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ji Puchhi Gai Soorat Me Bhi Dawate Waleema Ki Sunnat Ada Ho Jayegi...

Jaisa Ki Hadees Shareef Me Hazrate Abdullah Ibne Mas'ood Radiallahu Anhu Se Riwayat He,
عن ابن مسعود، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " طعام اول يوم حق، وطعام يوم الثاني سنة، وطعام يوم الثالث سمعة، ومن سمع سمع الله به

Or Huzur Sadrushshariyah Mufti Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahmato Ridwan Ne Tahreer Farmaya,
Dawate Waleema Sirf Pahle Din He Ya Uske Baad Dusre Din Bhi Yaani Do Hi Din Tak Ye Dawat Ho Sakti He, Iske Baad Waleema or Shadi Khatam.. Hindustan Me Shadiyoñ Ka Silsila Kai Dino Tak Qaaim Rahta He. Sunnat Se Aage Barhna Riya W Sam'aa He Isse Bachna Zaroori He..
*📚(Bahare Shariyat, H-3, S-392,393)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️22 Oct 2023, 6 Rabi Us Saani 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Sawalate Qabr Ke Waqt Huzur ﷺ Khud Tashreef Laate He Ya Unki Shabih Dikhai Jaati He ?

 *Sawalate Qabr Ke Waqt Huzur ﷺ Khud Tashreef Laate He Ya Unki Shabih Dikhai Jaati He ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Aehle Ilm Se Mera Saval Ye Tha Ke .
Marneke Baad Kabr Me Jo Momin Hoga Jiske Chere Pe Sunnate Rasul Hogi Ausko Huzur Ki Chere Mubarak Ki Ziyarat Karai Jaaegi ? Ya Fir Farishte Sirf Naam Se Mukhatib Karke Sawal Karenge ? 

Rehnumai Farmaae

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Ahaadis Me Sirf Itna Hi He Ki Nakeerain Ye Sawal Kareñge Ki مَا کُنْتَ تَقُولُ فِيْ ھَذَا الرَّجُلِ Zaahir He Ki Ye Sawal Huzure Aqdas ﷺ Ke Bare Me He or Huzure Aqdas ﷺ Ki Zaate Mushkhas, Muayyin Ho Kar Murde Ko Maloom Hogi. Hadees Me Nahiñ He Ki Ye Ta'ayyin W Tashkhis Kis Tarah Hasil Hoga, Magar Ye Sawal Bahut Aham He Is Liye Shariheene Hadees Ne Iski Teen Tawjeeheñ (Soorte Bayan) Ki He..

Jaisa Ki Shareh Bukhari Hazrat Allama Mufti Shariful Haq Amjadi Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Qabr Me Murde Se Sawal Kis Tarah Hota He Shariheene Hadees Ne Iski Teen Tawjeeheñ (Yaani 3 Soorteñ Bayan) Ki Hai Ek to Ye Ki Gumbade Khazra Tak Ke Sare Hijaabat (Yaani Parde) Utha Diye Jaayeñge or Murda Jamale Jahañ Aara Se Mushrraf Hoga, Ab Nakeerain (Yaani Qabr Me Sawalat Karne Wale Do Farishte Munkar Nakeer) Huzure Aqdas ﷺ Ki Taraf Ishara Karke Puchheñge.

Dusri Tawjeeyah Ye He Ki Huzure Aqdas ﷺ Ki Shabiyah Mubarak Nakeerain Ke Paas Hogi, Uski Taraf Ishara Karke Puchheñge.

Tisri Tawjeeyah Ye He Ki Huzure Aqdas ﷺ Khud Tashreef Laate Hai.
*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-1, S-406)*

Or Imame Ahle Sunnat Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
Iske Ba'ad (Farishte) Sawal Karte Hai, مَا تَقُوْلُ فِی ھٰذَا الرَّجُ Inke Baare Me Kya Kahta He ? Ab Na Ma'aloom Ki Sarkar ﷺ Khud Tashreef Laate Hai Ya Roza E Muqddasa Se Parda Utha Diya Jata He, Shariyat Ne Kuchh Tafseel Na Bataai or Chuñki Imtihan Ka Waqt He Is Liye ھٰذَا النَّبی Na Kaheñge ھٰذَا الرَّجُل Kaheñge.
*📚(Malfoozate Aala Hazrat, S-526, Matbooah Maktabul Madeena Karachi)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️19 Oct 2023, 3 Rabi Us Saani 1445*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

LIC Ya Is Tarah Ki Digar Life Insurance Company Me Paisa Lagane Ka Hukm

 *LIC Ya Is Tarah Ki Digar Life Insurance Company Me Paisa Lagane Ka Hukm*

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazraat E Muhtaram Ulmaa Ikraam Ki Baargaah Me Salaam Arz Hai

Assalaam Alaikum Wa Rahmatullaahi Wa Barakaatuhu

Hazrat Mera Sawaal Hai Ki Government Scheme Jaise Pradhan Mantri Jeevan Beema Yojana  Ya Pradhan Mantri Suraksha Beema Yojana Me Paisa Lagaana Kaisa Ki Usse Bohut Zaroori Haalaat Me Paise Ki Zarooriyaat Ko Poori Kiya Jaaye?

Jawaab Ka Muntazir

Assalaam Alaikum Wa Rahmatullaahi Wa Barakaatuhu

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jame'a Tul Asharafiya Mubarak Pur Me Mun'aqid Hone Wale Fiqhi Seminar Me Life Insurance Ke Ta'alluq Se Jo Faisla Hua Vo Mundarija Zail He,

1] Bima E Zindagi aqde qarz basharte riba mushtamal bar aqde Qimaar He.

2] Aqde Qarz Riba Ki Wajah Se Aqde Faasid Or Aqde Qimaar Bhi Aqde Faasid He.

Maujuda Soorate Haal Me Hukumate Hind Ki Life Insurance Company Ke Sath Uqoode Fasida Basharte Naf'e Muslim Mubaah He..

3] Darj Zail Logoñ Ke Liye Bima E Zindagi (Life Insurance) Jaaiz He...
1. Vo Mulaazim Jiski Tankhwah Se Premium Ki Raqam Mustaajir Khud Waza'a Karke Jama'a Karne Ka Zaamin Ho.

2. Vo Saahibe Maal Jisko Apni Maujuda Halat Ke Sath Teen Saal Ki Muddate Muqarrara Ya Uske Baad Ki Muddate Mussa'aa Tak 3 Saal Ki Tamam Qisteñ Musalsal Jama'a Karne Ka Zanne Gaalib Mulhiq Ba Yaqeen Ho, Aysa Zanne Gaalib Jo Imaame Ahle Sunnat Aala Hazrat Ne ”الأحلى من السکر" Ke Muqddama E Saabeaa Me Qisme Awwal Ke Taur Par Bayan Farmaya He.

4] Jis Shakhs Ki Maujuda Haalat Muddate Mussa'aa Tak Teen Saal Ki Policy Qaaim Rakhne Ke Qaabil Nahiñ Uska Zanne Mulhiq Ba Yaqeen Nahiñ He. Ayse Shakhs Ko Bima Policy Ki Ijazat Nahiñ....

5] Muddate Mussa'aa Me Qist Se Zaaid Jo Raqam Ada Kare Vo Sood Nahiñ He Balki Apne Maal Ko Qarz Dena He Ki Vo Use Wapas Milega.

6] Zanne Gaalib Ke Sath Shuru'a Karne Wala Agar Teen Saal Se Qabl Apni Kotaahi Se Bagair Kisi Sharai Majboori Ke Apni Policy Band Karde Aasim (Gunahgaar) He or Agar Kisi Sharai Majboori Maslan Aflaas Wagairah Ki Wajah Se Policy Band Ho Gai To Aasim Na Hoga..
 
7] Bima (Company) Se Hasil Shuda Zaaid Raqam Maale Mubaah He. Use Apne Umoor Me Sarf Karna Jaaiz He.. Albatta Use Sadqa Kar Dena Bahetar He.
*📚(Majlise Sharai Ke Faisle, S-123,124)*

Lihaza Lic Policy Lena Maujuda Soorate Haal Me Hukumate Hind Ki Insurance Company Ke Sath Uqoode Fasida Basharte Naf'e Muslim Mubaah He... Ye Bhi Is Shart Ke Sath Ki Isme Musalman Ka Naf'a  Hi Naf'a Ho Ek Rupye Ka Nuqsan Ya Uska Andesha Na Ho, Us Waqt Uski Ijazat He, Magar Ye Mutawaqqe'a Nahiñ Yaani Aysa Hota Nahiñ He Ki Company Apna Nuqsan Karde or Apne Costomer Hi Ka Fayida Hi Fayida Kare, Ye Hota Nahiñ.. Lihaza Agar Koi Aysi Scheme Ho Jisme Musalman Ka Naf'a Hi Naf'a Maqsood Ho or Qiste Jama'a Karne Ke Baad Rupye Wapas Milne Ki Garranty Ho or Vo Companyañ Bharose Layak Bhi Ho to Fir Uski Ijazat Honi Chahiye...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️16 Oct 2023, 30 Rabi Ul Awwal 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Shaitan Kon He ? Kya Insan Or Jinnat Me Bhi Shaitan Hote He Ya Vo Ek Alag Makhlooq He ?*

 *Shaitan Kon He ? Kya Insan Or Jinnat Me Bhi Shaitan Hote He Ya Vo Ek Alag Makhlooq He ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Bhai Mera Ek Sawal Hai Ke Allah Ki Bohat Sari Makhlooq Hai Jisme Se Khaas Makhlooq 3 Hai Jaise Jinn, Insaan Aur Farishte to Saitan Konsa Makhlooq Hai ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Shaitan Insanoñ Me Bhi Hote Hai or Jinnatoñ Me Bhi, Kyuñ Ki Shaitan Har Sarkash W Nafarman Ho Kahte Hai, Vo Koi Alag Makhlooq Nahiñ He.. 

Qura'ane Paak Me Allah Ta'ala Ne Irshad Farmaya,
وَ كَذٰلِكَ جَعَلْنَا لِكُلِّ نَبِیٍّ عَدُوًّا شَیٰطِیْنَ الْاِنْسِ وَ الْجِنِّ یُوْحِیْ بَعْضُهُمْ اِلٰى بَعْضٍ زُخْرُفَ الْقَوْلِ غُرُوْرًاؕ-وَ لَوْ شَآءَ رَبُّكَ مَا فَعَلُوْهُ فَذَرْهُمْ وَ مَا یَفْتَرُوْنَ
Aur Isi Tarah Hamne Har Nabi Ke Dushman Kiye Hai Aadmiyoñ or Jinoñ Ke Shaitan Ki Unme Ek Dusre Par Khufiya Daalta He Banawat Ki Baat Dhoke Ko or Tumhara Rab Chahta to Vo Aysa Na Karte to Unheñ Unki Banawatoñ Par Chhod Do.
*📚(Surah Al-An'aam, Aayat-112)*

Is Ki Tafseer Se Aulma Ke Do Qaul Hai,
1. Jinoñ Me Bhi Shaitan Hote Hai or Insanoñ Me Bhi Kyuñ Ki Shaitan Har Sarkash W Nafarman Ko Kahte Hai Chahe Vo Insan Ho Ya Jin.
2. Jinoñ or Insanoñ Ke Shaitan Se Murad Iblees Laeen Ki Awlad He. Iblees Ne Apni Awlad Ko Do Hissoñ Me Taqseem Kar Diya Ek Giroh Insanoñ Ko Waswasa Dalta He or Ek Giroh Jinoñ Ko Waswasa Dalta He.
*📚(Khazin, Al-an'aam, Tahat Aayat-112, 2/48)* 
Khufiya Baat Se Murad Waswase or Fareb Ki Baateñ Hai..

Shayatinul Jin Vo He Jiska Ta'alluq Jinnat Se He, Jaise Iblees Laeen or Uski Awlad, or Shayatinul Ins Vo He Jiska Ta'alluq Insanoñ Se He or Ye Kufr W Gumrahi Ki Taraf Bulane Wale Insan Hai..

Yahi Haqeeqat Ahaadis Me Bhi Bayan Ki Gai He, Jaisa Ki Rasoolallah ﷺ Ne Hazrat Abu Zar Gaffari Radiallahu Anhu Se Farmaya:
Shaitan Aadmiyoñ or Shaitan Jinoñ Ke Shar Se Allah Ta'ala Ki Panah Maañgo, Farmate Hai: Mai Ne Arz Ki: Kya Aadmiyoñ Me Bhi Shaitan Hai ? Irshad Farmaya: Hañ.
*📚(Musnad Iman Ahmad, J-8, S-132, Hadees-21608)*

In Donoñ Qismoñ Ke Shayatin Se Bachne Ke Bahut Tareeqe Hai. Jin Me Se Ek Aasan Tareeqa Hadees Me Bayan Farmaya Gaya Ki, Jab Shaitan Waswasa Daale to Itna Kah Kar Alag Ho Jaao Ki Tu Jhuta He.
*📚(Musnad Imam Ahmad, J-4, S-74, Hadees-11320)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️18 Oct 2023, 2 Rabi Us Saani 1445*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mard Ko Zulfe Rakhne Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم
Ek Sawal Arz He Ki, Mard Hazraat Ke Liye Zulfeñ Rakhne Ka Kya Hukm He ? Or Zulfeñ Kese Rakhi Jaati He ? Or Kya Koi Mard Sirf Zulfeñ Rakh Sakta He Bagair Pure Sarke Baal Lambe Kiye. ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
وكان شعره يصل إلى أنصاف أذنيه حينًا ويرسله أحيانًا فيصل إلى شَحمَة أُذُنيه أو بين أذنيه وعاتقه، وغاية طوله أن يضرب مَنكِبيه إذا طال زمان إرساله بعد الحلق. ولم يحلق رأسه بالكلية في سنوات الهجرة إلا عام الحديبية، ثم عام عمرة القضاء، ثم عام حجة الوداع. كان يرسل شعره، ثم ترك ذلك وصار يفرقه من وسط الرأس.
Kabhi Nisf Izn Tak Kabhi Mubarak Law Tak or Kabhi Unse Niche or Bahut Zyada Irsal Farmaya Jata Us Waqt Do Shuhahe Aqdas Ko Mas Kar Jaate.

Or Ek Jagah He,
Huzur ﷺ Ki Mubarak Zulfeñ Kabhi Nisf (Yaani Aadhi) Kaan Mubarak Tak To Kabhi Kaan Mubarak Ki Law Tak Or Ba'az Awqaat Barh Jaatiñ To Mubarak Shaanoñ Yaani Kandhoñ Ko Jhum Jhum Kar Chumne Lagtiñ.
*📚(الشمائل المحمدیۃ للترمذی ص۳۴،۳۵،۱۸)*

Ye Huzur ﷺ Ke Mubarak Baaloñ or Zulfoñ Ka Wasf Ahaadis Me Aaya Ki Kabhi Aadhe Kaan Tak To Kabhi Pure Kaan Tak To Kabhi Kandhoñ Tak...

In Me Se Jis Par Chahe Amal Kare. Haañ Kaandhoñ Se Niche Peeth Tak Jahaal Apne Baal Latka Kar Use Sunnat Zulf Ka Naam Dete Hai Ye Jahaalat He. Balki Ye Aurtoñ Se Mushabihat Ki Wajah Se Bahukme Hadees Sababe La'anat He.
Wallahu Ta'ala Aa'alam 
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Juned Raza Azhari Sahab Qibla*
*_📬Fazile Jame'a Azhar Misr, Nadiyad Gujarat_*
*🗓️16 Oct 2023, 30 Rabi Ul Awwal 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Maozoñ Par Masah Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم  
Sawal Arz He Ki, Kya Mauzoñ Par Masah Ba'azre Sharai Hi Karne Ki Ijazat He ? Or Kya Farmate Hai Fuqha Ayse Shakhs Ke Muta'alliq Jo Bagair Kisi Wajah Ke Hi Masah Ala Khuffain Karta Ho ? Jawab Inayat Farmayeñ

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Mauzoñ Par Masah Karna Mutlaqan Jaaiz He Ismeñ Kisi Uzre Sharai Ki Qaid Nahiñ..

Bahare Shariyat Me He,
Jo Shakhs Mauza Pahne Huve Ho Vo Agar Wuzu Me Baja E Paanw Dhone Ke Masah Kare Jaaiz He or Bahetar Paanw Dhona He Basharte ki Masah Jaaiz Samjhe.. Or Iske Jawaz Me Bakasrat Hadeeseñ Aai Hai Jo Qareeb Qareeb Tawatur Ke Hai, Isi Liye Imam Karkhi Rahimahullahi Ta'ala Farmate Hai Jo Isko Jaaiz Na Jaane Uske Kaafir Ho Jane Ka Andesha He.

Imam Shaikhul Islam Farmate Hai Jo Ise Jaaiz Na Maane Gumrah He. 

Hamare Imame Aazam Radiallahu Ta'ala Anhu Se Ahle Sunnat W Jama'at Ki Alamat Daryaft Ki Gai Farmaya:
تَفْضِیْلُ الشَّیْخَیْنِ وَحُبُّ الْخَتْنَیْنِ وَمَسْحُ الْخُفَّیْنِ
Yaani Hazrat Ameerul Muamineen Abu Bakar Siddique W Ameerul Muamineen Farooque Aazam Radiallahu Anhuma Ko Tamam Sahaba Se Buzurg Janna or Ameerul Muamineen Usmaane Gani W Ameerul Muamineen Ali Murtaza Radiallahu Anhuma Se Muhabbat Rakhna or Mauzoñ Par Masah Karna.
*📚(Bahare Shariyat, H-2, Mauzoñ Par Masah Ka Bayan, S-363)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻 Al-jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Zaiyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬khadim Sadrushshariyah Darul Ifta W Darul Uloom Raza E Mustafa, Bharuch, Gujarat*
*🗓️16 Oct 2033, 30 Rabi Ul Awwal 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mard Ka Murda Aurat Ko Ya Aurat Ka Mard Ka Janaza Dekh Sakhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Agar Koi Aurat Ya Mard  Inteqal Kar jaye to 
Us Murde Ko 
Kya Mard Aurat Ko Ya Aurat Mard Ko Dekh Sakte Hain ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jis Tarah Hayaat Me Ajnabi Mard or Ajnabi Aurat Ka Parda He Usi Tarah Marne Ke Baad Bhi Parda He... Ki Mard Ajnabi Murda Aurat Ka Chahera Na Dekhe Or Na Aurat Ajnabi Murda Mard Ka Chahera Dekhe....

Fatawa Europe Me He,
Asl Ye He Ki Jis Tarah Mard Ka Ajnabiya Aurtoñ Ko Dekhna Jaaiz Nahiñ Ayse Hi Aurat Ka Ajnabi Mardoñ Mo Dekhna Bhi Jaaiz Nahiñ He.
كما رواه الترمذى و احمد ابو داؤد عن ام المؤمنين سيدتنا

Aage Farmate Hai
Jin Logoñ Se Parda Karna Hayaat Me Wajib Tha Unheñ Chahiye Ki Mayyat Ka Didar Karke Use Aziyyat Na Pahunchaye Ki Jin Baatoñ Se Zindagi Me Aziyyat Pahunchti He Unse Ba'ade Maut Bhi Aziyyat Pahunchti He...

Or Vo Ajnabiya Aurteñ Jo Mard Se Uski Zindagi Me Parda Karti Thiñ Ya Parda Karna Un Par Wajib Tha Ayse Murda Mard Ka Didar Ajnabiya Aurat Na Kareñ Ki Isse Murde Ko Aziyyat Hoti He,

Allama Shami Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
" لان الميت يتأذى بما يتأذى به الحى"
Yaani Jisse Zindoñ Ko Takleef Hoti He Usse Murde Bhi Eiza Paate Hai.

Mukhtasar Ye Ki Aurtoñ Ke Haq Me Bahetar Ye He Ki Naamahram Uska Didar Na Kare or Mardoñ Ke Liye Bahetar Ye He Ki Ajnabiya Aurteñ Use Na Dekheñ or Donoñ Ke Haq Me Bahetar Ye He Ki Ro Numaai Ki Wajah Se Namaze Janaza Ya Tadfeen Wagairah Me Takheer Na Ho.
*📚Makhuz(Fatawa Europe, S-219)*

Or Fatawa Razviya Shareef Me Ek Sawal Ke Jawab Me He,
Shohar Ko Apni Zane Murda Ka Badan Chhuna Jaaiz Nahiñ, Dekhne Ki Ijazat He.
کمانص علیہ فی التنویر والدر و غیرھما
Ajnabi Ko Dekhne Ki Bhi Ijazat Nahiñ.  Mahaarim Ko Pet, Pith or Naaf Se Zaanu Tak Ke Siwa Chhune Ki Bhi Ijazat He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-9, S-138, Mas'ala-20)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️15 Oct 2023, 29 Rabi Ul Awwal 1445*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gair Sadaat (Aale Rasool) Ko Peer Banana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Kya Peer Ke Liye Sadaat Ya Aale Rasool Saiyed Hona Zaroori He ? Gair Saiyed Ko Peer Bana Sakte Hai ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Isi Tarah Ke Sawal Ke Jawab Me Taherir Farmate Hai,
Peer Hone Ke Liye Chaar Sharteñ Darkaar Hai, Sadaate Kiraam Se Hona Kuchh Zaroori Nahiñ, Haañ ! In Shartoñ Ke Sath Saiyed Bhi Ho to Noor Ala Noor.. Baaqi Use Shart Thahrana Tamam Salaasile Tareeqat Ka Baatil Karna He.. 

Silsila E Aaliya Qadariyah Silsilatuz Zahab Me Saiyeduna Imaam Ali Raza or Huzur Saiyeduna Gause Aazam Radiallahu Anhuma Ke Darmiyan Jitne Hazraat Hai Koi Sadaate Kiram Se Nahiñ. 

Or Silsila E Aaliyah Chishtiyah Me to Ameerul Muamineen Maula Ali Karramallahu Ta'ala Wajahhul Kareem Ke Ba'ad Hi Se Imam Hasan Basri Hai Ki Na Saiyed Na Qureshi Na Arbi..

Or Silsila E Aaliyah Naqshbandiyah Ka Khas Aagaz Hi Huzur Saiyeduna Siddique Akbar Radiallahu Ta'ala Anhu Se He, Isi Tarah Digar Salaasil رضوان اﷲ تعالٰی علٰی مشائخہا اجمعین
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-26, S-576, Mas'ala-290)*
Lihaza Peer Ke Liye Saiyed Sadaat Hona Zaroori Nahiñ.. Agar Saiyed Sadaat Me Ho Or Jame'a Sharaait Ho To Noor Ala Noor, Or Agar Jaame'a Sharaait Ho Or Saiyed Sadaat Na Ho To Kuchh Harj Nahiñ Bila Shakko Shubah Jaaiz He...
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️15 Oct 2023, 29 Rabi ul Awwal 1445*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

London Jaane Wala Shakhs Bachche Ki Parwarish Ke Liye Waqt Na Nikal Sake To Condom Ka Istemal Karne Ka Hukm

 *London Jaane Wala Shakhs Bachche Ki Parwarish Ke Liye Waqt Na Nikal Sake To Condom Ka Istemal Karne Ka Hukm*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
hazrat Hamre Gaav Se Ek Nau Jawan Ladka Nikah Karke Apni Biwi Ke Sath London Padhai Ke Liye Gaya Hai Sirf Ladka or Uski Biwi Dono Hi Gaye Hai.
Hazrat Masla Ye Hai Ki Vo Abhi Vaha Dono Job Karte Hai or Vo Apni Biwi Se Sohbat Kare or Uski Biwi Ka Hamal Thahar Gaya to Vo Akela Vaha Par Uska Khayal Nahi Rakh Payega to Ese Halat Me Vo Condom Ka Istemal Kar Saqta Hai Rehnumai Farma Dijiye Hazrat.
Appke Jawab Ka Muntazir.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aapne Jo Uzr Bayan Kiya Vo Uzre Sharai Nahiñ He, Is Bina Par Aapka Tareeqa E Zabte Hamal, Yaani Condom Wagairah Istemal Karke Azl Karna Ki Jisse Bachcha Paida Na Ho Ye Makroohe Tanzeehi He, Jo Bilkul Bhi Durust or Sahih Nahiñ He.. Condom Wagairah Ka Istemal Uzre Sharai Ki Bina Par Jaaiz W Durust He.. Or Bagair Uzre Sharai Ke Zabte Walad Ka Koi Tareeqah Ikhtiyar Karna Chahe Vo Condom Ke Zariye Ho Ya Nirodh Ki Dawa Wagairah Ho, Ya Copper-T Wagairah Ho, to Fir Ye Makroohe Tanzeehi Hoga, or Agar Uzre Sharai He Tab to Bila Karahat Jaaiz W Durust He..
*📚Makhuz:(Khandani Mansooba Bandi Or Islam, Az Mufti Nizamuddin Sahab)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_🎙Al-jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️5 Oct 2023, 19 Rabi Ul Awwal 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts