PHONE KE ZARIYE MUREEED HONA OR CHAND KI GAWAHI KA MAS'ALA

*HA HA PHON K ZARIAH MUREED BAN SAKTE*



Shahadat arabi ka lafz hai us me Shahid yani Gavah ka Hazir Or Nazir hona zaruri hai jasa k Ahle Sunnat K Aqide k mutabiq Huzur Ko Hazir o Nazir Mante hai us par Dalil Shahid Lafz se hi di Jati hai jaise k انا ارسلناک شاھدا sur e Ahzab aayt no.45 para no.22 yani ay Nabi Hamne Aap ko Shahid banaya .. yani Hazir or Nazir ... is se pata chala k Shahid or Gavah ka Nazir yani Jis bat ki Gavahi de us ka us k samne pesh aana zaruri hai Hazir yani woh vaha or gavahi ki jagah me Hazir hona zaruri hai .. isi tarah Kabar e Mutavatir Jis par etemad kar k hukm sabit hota hai is me bhi Ittesal yani khabar dene wale or jis ko khabar di jati hai us ki Mulaqat yani rubaru hona Shart hai Jaisa K imam bukhari ne Khabar e Mutvatir me Ittesal or Mulaqat ki Shart lagai hai ... Lihaza is qayde ki roshni me  chand ki Gavahi ho ya khabar e Mustafiz is k liye gavah or Khabar dene vale ka rubaru or samne hona zaruri hai... or Murid karne or Baiat karne ka muaamla Shahadat or Khabar jaisa nahi hai lihaza is k liye Mureed ka peer k rubaru hona bhi zaruri nahi hai .. kyu k mureed lafz irade se bana hai yani Mureed ka mana hai irada karne vala .. or zahir si bat hai k irada karne k liye Muraad ka samne hona zaruri nahi hai jaise aadmi Hajj ya Umrah to Makka me karta hai magar is ki niyat makka se bahot door miqak jaha se ehram bandha jata hai waha in Alfaz me karta hai ... اللھم انی ارید الحج والعمرة yani Ay Allah me haj or umrah ka irada rakhta hu...... jab k waha samne makka nahi hota balke makka to koso dur hota hai. is se pata chala k Irada dil k azm or maqsad ko kehte ..
Imam e Ahle Sunnat Ala Hazrat alaihir rahmah ne bahot se fatava me phone  par chand k elan ko najaeiz or na-kafi  likha or khat k zariah mureed hone ko jayiz likha lijye havala pesh pesh e khidmat hai..

*Baiat (Mureed Hona) Ba zaria e Khatto Kitabat bhi Mumkin hai* [Fatava Rizviyyah Jild no.26 page. 568]

Puri Duniya e Ahle Sunnat Me Arab or Ajam k Hazaro Lakho Olma ki mani huei Shakhsiyat k Fesle se jab ye bat sabit ho gai k Mureed Hone k liye rubaru hona zaruri nahi.. or ye bhi pata chala k Shahadat or Istefaza me phon ki khabre Muatabr nahi...

Lihaza Mureed  hone k liye peer k samne hona zaruri nahi phone par bhi ho sakte hai...

Aap ka Irshad k phone par mureed nahi ho sakte  us k liye Mureed or Peer ka samne hona zaruri hai to kisi ki tarafdari kiye bager thande dil se sochye .. k kya ye bat *(yani phon par mureed nahi bana sakte ya nahi ho sakte)* hamara dawa k *phon par na shahadat di jasakti hai na khabar e Mustafiz ho sakti hai* sabit nahi kar rahi hai ??

Ab aap kahenge kese to suniye Mureed hona Farz ya wajib nahi hai balke ek mustahab kam hai *to jab aap k kehne k mutabiq Phon se mureed banane ya banne ka  Mustahab kam nahi ho sakta to chand ki Shahadat jesa ahm kam k is k sath bahot si Farz ibadaat hoti hai ye kese ho jayega ???*

ZAKAT KE MUTA'ALLIK MASAIL

*🌹SAWAL:-🌹*

Asslamualaikum Hazrat

Mere Zakat K Muttallik Kuch Sawalat H Jo Darje Jail Hai

1. Zakat Kis Par Farz Hai Jiske Pass 7.50 Tola Sona Ho Ya 52.50 Tola Chandi Ho

Ab Sawal Ye Hai Ki Kisi K Paas Agar Dono Ho To Kya Use Sone Aur Chandi Dono Ki Alag Zakat Nikalni Hogi Ya Ek Ki
Agar Ek Ki To Kaise Aur Dono Ki To Kaise Nikalenge

2.Jaisa Ki Huqm Hai Ki 52.50 Tola Chandi Hone Par Zakat Farz Ho Jayegi

Agar Kisi K Pass Chandi Nahi Ho Aur 2 Tola Sona Ho To Baazar Kimat K Hisab Se 2 Tole Sone Ki Qimat Taqriban 60 Hazar Hoti Hai Jabki 52.50 Tole Chandi Ki Kimat Taqriban 25 Hazar Tak Hai To Kya Ab Us Shaks Par Zakat Farz Hogi Ya Nahi Jabke Uske Pass 7.50 Tola Sone Ki Miqdaar To Nahi Hai Lekin Chandi Se Jyada Kimat Ka Sona Hai
Jo 25000 Rupaye Se Jyada H

3.Maine Huzur Turabul Haq Qadri Sahab Rahmatullah Taala Alaihi Ki Aawaz M Ek Audio Suni Jisme Unhone Bataya Ki

Agar Kisi Shaks K Paas Thodi Chandi Ho Aur Thoda Sona Ho Aur Thoddi Rakam Ho Aur Sab Ko Milakar Agar 52.50 Tola Chandi Ki Miqdaar Ki Kimat Banti Hai To Us Par Zakat Farz Hai

Muje Kuch Samaj Nahi Aa Raha Hai

Hazrat In Sabhi Sawalo Ko Shayad Mai Puri Tarah Se Khul K Nahi Bata Paaya Hu
Ab Aap In Sawalo Ka Jawab Ata Farmaye Mai Bohot Uljhan Mai Hu


JazakAllah Khair

*🌹JAWAB:-🌹*

1. Agar kisi shakhs ke paas 7.5 tola sona hani 93 gram312  mili gram sona ho to us sone par bhi zakat farz he or uske alawa uske paas sona nahi he sirf chandi hi he to chandi  hone ke liye zaroori he ki 52.5 tola chandi or naya wazan jo he 653 gram 184mili gram itni chandi ho to ab sone par bhi alag zakat he or chandi par bhi alag zakat he.sone ka 40 va hissa or chandi ka bhi 40 va hissa dono ka alag alag hissa zakat ka hoga

2.
Qutube fiqah me ye qayida bataya gaya he ki kisi shakhs ke paas thodi chandi ho, thoda sona ho, to ab un dono ki kimat ko milayege agar un dono ki kimat mil kar 653 gram. 184 miligram chandi ki kimat ko pahoch jae to yakinan us sone chandi ki kimat par zakat farz hogi..
Ab un dono ki kimat ko mila kar zakat ada karege.
Jaise ki saman lijiye 1 shakhs ke paas 10000 ka sona he or usi shakhs ke paas 14000 ki chandi he to ab 10000 ka sona or 14000 ki chandi ko milate he to un dono ki kimat milkar 24000 ho jati he. Or 24000 ye bazar bhav me 653 gram chandi ki kimat ko pahuch jati he to in dono ki kimat par zakat farz hogi,yahi qaida he.
Or agar kisi ke paas sona nahi he balki uske paas chandi he or kuchh rokde paise he. To un rokde paise or chandi ki kimat dono ko milayege. Or in dono ko milakar dekhege ki kya 653 gram chandi ki kimat ko pahuch jate he.
Yani Agar 24000 rupe tak pahuch jate he to ab bhi zakat faz hogi.
Jaise ki kisi shakhs ke paas 10000 rokde paise he or usi ke paas 14000 ko chandi he to un dono ko milayege
Un dono ko milane se 24000 ki rakam ho jaegi to ab us chandi or rokde ko mila kar jitni bhi rakam hogi uske 40 ve hisse par zakat farz hogi usi tarike se agar kisi shakhs ke paas chandi nahi sirf thoda sa sona he, 7.5 tola sona nahi he. To yakeenan us sone par zakat farz nahi q ki tanha sirf sona hi ho to tanha sone ka jo nisab be vo 7.5 tola he lekin agar kisi shakhs ke paas thoda sona he or thode se paise bhi he to ab un dono ko milayege. To un dono ki kimat mila kar bazar bhav me 653 gram chandi ki kimat ho jaegi to ab us thode se sone par or thode paise par zakat bhi zakat farz hogi

Wallahu aa'alam

*_✍🏻Al-jawab:-🌹KHALIFA E HUZUR ASHRAFUL FUQHA,MUFTI E PETLAD, 🌹HAZRAT MUFTI TAUFIQ RAZA SAHAB MISBAHI,_*
*_📬(DARSO TADRISO IFTA DARUL ULOOM QADRIYA RAZVIYA,PETLAD)_*
=======➖➖➖➖=======
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬khadim:- Pathan MoinRaza khan_*
📲
=======➖➖➖➖========

MOBILE KE ZARIYE YA INTERNET KE ZARIYE MUREED HONA JAIZ

*🌹SAWAL:-🌹*
Khat,E-mail or internet ya mobile ke zariye mureed hona kaisa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Khat or internet ke zariye mureed hona jaiz he.

Mureed hone ke liye zaroori nahi ki hath me hath leke hi bay'at kare.
Baaz aqabirin aesa karte he ki chadar pakadwate he or chadar pakad kar mureed bay'at hote he.
Ye dono tarike bhi durust he.
Lekin khud hamare nabi e kareem sallallahu alaihi w sallam se sabit he saiyyeda aayisha siddiqa radiallahu anha farmati he ki sarkar sallallahu alaihi w sallam ne kabhi aurto ka hath hath me lekar bay'at nahi farmaya balki parde me rakh kar unko bay'at farmaya karte the. Is se wazeh ho gaya ki aurte parde me he or sarkar sallallahu alaihi w sallam is taraf bay'at karva rahe he or darmiyan me na chadar pakdwai he.
NA hath me hath liya or na chadar pakdwai or bay'at ho gai..
Isi tarah nabi e kareem sallallahu alaihi w sallam ne khutut rawana farmaye he islam ki tablig ke liye or jiske paas ye khutut pahuchte the vo padhte the or bahut sare log islam qubool bhi karte the. To goya ki khat ke zariye bhi bay'at ho sakti he. Maloom hota he ki peer sahab ka samne hona bhi zaroori nahi he. Agar hazaro mil door he or aap khat ke zariye bay'at hona chahe tab bhi ho sakte he baaz aqabir ka ye hota he ki aap apna naam or apni walida ka naam likh ke de dijiye vo aap ko bay'at kar lege.

*_Or ek hadish shareef me he_*

Tirmizi shareef me hazrat anas radiallahu anhu se riwayat he vah farmate he ki jab Rasoolallah sallallahu alaihi w sallam ne maqame hudaibya me bay'ate rizwan ka hukm farmaya us waqt hazrate usmane gani radiallahu anhu huzur sallallahu alaihi w sallam ke qasid ki hesiyat se makka mu'azzam gaye hue the, logo ne huzur ke hath par bay'at ki, jab sab log bay'at ho gaye fir Rasoolallah sallallahu alaihi w sallam ne apna ek hath dusre hath par rakha or hazrat usmane gani ko bay'at ki..(hazrat usmane gani waha maujud nahi the)
*_📚TIRMIZI SHAREEF_*
*_📚MUSLIM SHAREEF_*
*_📚AL-MUSTADARAK_*
*_📚KHUTBATE MUHARRAM ,S-182_*

Is hadish se maloom huaa ki bay'at hote waqt peer ka samne hona zaroori nahi he...

Mobile Phone, call ya sms ke zariye bhi mureed hona ya karna chahe to kar sakte he ki bay'at naam he ijabo qubool ka. Ek taraf se ijab huva or dusri taraf se qubool khwañ call ki soorat me ho ya sms ki soorat me bayat ho jaegi. Logo me mashHoor he ki bay'at hath daal kar hi hoti he. ya dar he aysa kuchh nahi zaroori nahi ke RasoolAllah Sallallahu alaihi w sallam ne kai ek aysi bay'ate ki ke hath me hath na dala. Is ki ek misal vo ki jab wafadsukaif hazire bargahe aqdas hue or daste anwar par bay'ate ki un me ek sahab ko juzam ka aarza tha. Huzure aqdas Sallallahu alaihi w sallam ne unko paigam bheja. Tarjama:- wapas jaao Tumhari Bay'at ho gai.
*📚SUNAN IBNE MAJA, KITABUL TIBB, BABUL JUZAM, JILD-2, SAFA-1172, DARUL AHYA KUTUBUL ARBIYA)*

Saiyedi imam Ahemad Raza Is hadish ko naql karne ke baad likhte he  "Yaani Zaban Kaafi he, Musafah Na Hona Mane'a Bay'at nahi".
*📚(FATAWA RAZVIYA, JILD-24, SAFA-218,219,)*

Lihaza khat, Phone, Loudspeaker par ek taraf se ijab or dusri taraf se qubool honto bay'at ho jaegi.

_Imame Ahele sunnat mujaddide dino millat Huzur saiyedi Aala Hazrat Alaihir Rahma farmate he._
" Bay'at bazariya khat w kitabat bhi mumkin he. Ye darkhwast likhe vo qabool kare or apne qubool ki us darkhwast dahinda ko itla'a de or uske naam ka shajra bhi bhej de, mureed ho gaya ki asl iradat fe'ale qubool he. Qalam Do zabano me se ek zaban he."
*📚(FATAWA RAZVIYA, JILD-26, SAFA-568)*

_hasile kalam yahi he ki Beshak mobile phone, email , khat massages wagairah ke zariye mureed kiya ja sakta he or ye jaiz he..._
========➖➖➖➖=======
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*
📲
=======➖➖➖➖=======

🚫JISKI QAZA NAMAZ HO RAMZAN KE AAKHRI JUMAA ME NAFL PADHE.. GALAT HADISH BAYANI KA JAWAB

*🌹SAWAL:-🌹*
Maah e Ramzan ka aakhri Ashra shuru hote hi ek message aam ho jata hai k
''Huzoor Sallallahu alaihi wasallam ne Irshaad farmaya Jis ki Namaz e Qaza ho gai ho aur yaad na ho to wo Maah e Ramzan k aakhri Juma ko '4 Rak'at Nafl is is tariqe se padh le uski tamam Qaza Namaz e maaf ho jayegi garche 700 saal ki ho''

Kya ye msg sahih he ???

*🌹JAWAB:-🌹*
```MA'AZALLAH,Aesi Koi Hadees Nahi Hai.OR AESE MSG FORWARD KARNA HARAM HE. ise Log Bana Baithe Hai. Or Bina Tehqeeq Ke Share Bhi Kar Dete Hai.
Jab Tak Dalil Na Ho Aage Koi Bhi Esi Post Na Kare. ```

Ye Riwayat Na hi kisi buzurg ne bayan farmai na hi Hadees e Mubarak ki kitab me yeh baat maujud hai.

Sab se pehli Cheez Jab kabhi Qura'an ya Hadees shareef ki baat aaye to Bila tehqeeq k kisi aur ko forward na kare kyun ke,

Hazrat Ali Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mujh par jhooot na bolo kyunki jo mujh par jhoot bolega wo Jahannam mein dakhil hoga.

*_📔 Sahih Bukhari, Vol 1, 107_*

Rasoollullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jo shaksh mere naam se wo baat bayan karey jo mainey nahi ki to wo Apna thikana Jahannam mein bana le.

*_📚 Sahih Bukhari, Vol 1, 109_*

Aap SABHI Logo se GUZARISH hai Jab bhi Koi hadith ya Quran Ke baare me post ya Logo ko Bataa Rahe ho Toh Daleel ke Sath batawo.
WARNA khamosh Rahna Bahetar hai.

Jo Log Bina Tehqeeq Ke Hadees Bhej Dete Hai. Un Logo Ko Is Hadees Par Gaur O Fikar Karni Chahiye.

* Hazrat Umar Farooq e Azam Radiallahu anhu Irshad farmate hai jis par Farz ka Qarz baaki ho Allah Uske Nafl ko qubul nahi farmata.

* Ab aap andaza lagayen k Farz Namaz ka badla Nafl Namaz kaise hosakti hai?(hargiz nahi)

*_🌹Isi msg ke muta'allik HUZUR TAJUSHSHARIYAH ka Jawab sama'at kare.🌹_*

Mobile sms aur email k zariye aesi baat chalai ja rahi hai aur usko HADEES SHARIF bataya rahe hai wo ye hai k Jis Shakhs Ki Namazein Qaza hui ho aur Taadad na Maloom ho, Toh wo Ramadan ke Akhri Juma'a ke Din 4 Rakat Nafil 1 Salam se Padhe, Har Rakat me Surah Fatiha ke baad 7 baar Ayatal-Kursi, 15 baar Surah Kausar Padhe. Agar 700 Saal Ki Namazein bhi Qaza hui hogi, Toh Iske Kafarey ke liye ye Namaz Kafi Hai. Kya ye SAHI HADEES SHARIF SE SAABIT HAI ?
Mobile sms aur email k zariye aesi baat chalai ja rahi hai aur usko HADEES SHARIF bataya rahe hai wo ye hai k Jis Shakhs Ki Namazein Qaza hui ho aur Taadad na Maloom ho, Toh wo Ramadan ke Akhri Juma'a ke Din 4 Rakat Nafil 1 Salam se Padhe, Har Rakat me Surah Fatiha ke baad 7 baar Ayatal-Kursi, 15 baar Surah Kausar Padhe. Agar 700 Saal Ki Namazein bhi Qaza hui hogi, Toh Iske Kafarey ke liye ye Namaz Kafi Hai. Kya ye  SAHI HADEES SHARIF SE SAABIT HAI ?
http://jamiaturraza.com/session/12Sept10/22.mp3
========➖➖➖➖=======
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:-Pathan Moin Raza Khan_*
📲8487928693
========➖➖➖➖======

NAYE CHAND KE MOTE HONE KA KHULASA HADISH SHAREEF SE

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaykum
Kuchh log chand ko dekh kar ye kahte he ki ye pahla nahi dusra chand he.
Ye chand mota he.etc...

Is tarah ke sawal log karte he. Iska kya khulasa  he ??
```Naye chand ka mota hone ka khulasa👇🏻```

*🌹JAWAB:-🌹*

```✍🏻Urdu Taherir:- Nishar Misbahi```

*_📚Imam Tabrani Al-Ma'ajamul Awsat Me ek *Hadise Hasan* Riwayat farmate he

Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi w sallam Ne Farmaya
من اقتراب الساعة أن يرى الهلال قبلا فيقال لليلتين، وأن تتخذ المساجد طرقاً، وأن يظهر موت الفجأة.
*_📚Imam Manavi "at-Tanveer Fi Sharah al-Jame'Aus Sageer"_* Me is ki Sharah me farmate he
(من اقتراب الساعة أن يرى الهلال قبلاً) بفتح القاف والباء الموحدة أي ساعة ما يطلع، لعظمته ووضوحه من غير أن يتطلب. (فيقال: لليلتين) أي يقول من رآه: إنه لليلتين وما هو إلا لليلة.

Yani Qayamat ki Nishani he ki Naya chand nikalte hi aone mote or wazeh hone ki wajah se bagair talash kiye fauran nazar aa jaega. To kaha jaae ka kk ye dk raato ka he !(haalaN ki vo do raat ka nahi balki usi raat ka bilkul naya chand hoga)
Neez Qayamat ki ek nishani ye bhi he ki masjido ko rasta bana liya jaega.Neez Achanak hone wali maut ki kasrat hogi.

*_📚Imam Tabrani al-ma'ajamul Sageer me ek "Hadishe sahih"_* riwayat farmate he: من اقتراب الساعۃ انتفاخ الأھلۃ, و أن يرى الهلال لليلته فيقال: لليلتين.

Qayamat Kareeb hone ki ek nishani naye chand ka mota hona bhi he. Neez ye ki chand usi raat ka hoga, fir bhi kaha jaega ki do raato ka he..

*_📚Sahih Muslim Shareef, kitabus saum me ek Hadish he:_*
عَنْ كُرَيْبٍ أَنَّ أُمَّ الْفَضْلِ بِنْتَ الْحَارِثِ بَعَثَتْهُ إِلَى مُعَاوِيَةَ بِالشَّامِ.
قَالَ: فَقَدِمْتُ الشَّامَ فَقَضَيْتُ حَاجَتَهَا وَاسْتُهِلَّ عَلَيَّ رَمَضَانُ وَأَنَا بِالشَّام،ِ فَرَأَيْتُ الْهِلَالَ لَيْلَةَ الْجُمُعَةِ.
ثُمَّ قَدِمْتُ الْمَدِينَةَ فِي آخِرِ الشَّهْرِ، فَسَأَلَنِي عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عَبَّاسٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا. ثُمَّ ذَكَرَ الْهِلَالَ فَقَالَ: مَتَى رَأَيْتُمْ الْهِلَالَ؟ فَقُلْتُ: رَأَيْنَاهُ لَيْلَةَ الْجُمُعَة. فَقَال:َ أَنْتَ رَأَيْتَهُ ؟ فَقُلْتُ: نَعَمْ، وَرَآهُ النَّاسُ، وَصَامُوا وَصَامَ مُعَاوِيَةُ.
فَقَالَ: لَكِنَّا رَأَيْنَاهُ لَيْلَةَ السَّبْتِ، فَلَا نَزَالُ نَصُومُ حَتَّى نُكْمِلَ ثَلَاثِينَ أَوْ نَرَاهُ. فَقُلْتُ: أَوَ لَا تَكْتَفِي بِرُؤْيَةِ مُعَاوِيَةَ وَصِيَامِهِ ؟
فَقَالَ : لَا، هَكَذَا أَمَرَنَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ.
Yani Hazrate Kuraib (Tabai) ko Ummul Fazal binte Haris ne ek kaam se hazrate Ameere Muawiya Ke paas Mulke Sham bheja (ye hazrate ameer muawiya ke zamana e khilafat ka waqeaa he).
Hazrate Kuraib Vaha gaye kaam kiya, usi dauran vaha ramzan ka chand nazar aa gaya. Farmate he : jumaa ki raat ( 29 Shaban ko) mai ne chand dekha.
Fir mahine (yaani ramzan) ke aakhir me mai madina shareef wapas aaya.
Hazrate abdullah bin Abbas radiallahu anhu  se ramzan ke naye chand ka tazkara huva to unhone puchha:
Tum Logo ne vaha chand kab dekha ?
Mai ne kaha : ham ne jum'ae ki raat use dekha.
Abdullah bin abbas ne puchha : tumne khud dekha ?
Kuraib me jawav diya:ha mai ne khud dekha. Logo ne bhi dwkha, or jumaa ko tamam logo or khalifa e waqt hazrat Ameere muawiya ne bhi roza rakha. Is par hazrate abullah bin abbas ne farmaya: lekin ,ham ne sanichar ki raat chand dekha tab se ham roza rakh rahe he. Ab ham (sanichar ke aetbar se) ya to tees roze pure karege ya (29 hi ko) chand dekh lege.
Mai ne arz ki:
Kya (Hakime islam) ameere muawiya ka chand dekhna or (jumaa hi ko) roza rakhna aap ke liye kaafi nahi ??
Hazrate abdullah bin abbas ne farmaya: nahi.
Allah ke rasool sallallahu alaihi w sallam ne hame isi ka hukm diya he
*_📚(Sahihul muslim shareef)_*

*_📚Muslim shareef_* me hi ek or hadishe paak he.

*_📚(بابُ بيان أنه لا اعتبار بكبر الهلال وصغره وأن الله تعالى أمده للرؤية فإن غم فليكمل ثلاثون)*_

1088- عن أبي البختري قال خرجنا للعمرة، فلما نزلنا ببطن نخلة، قال: تراءينا الهلال. فقال بعض القوم: هو ابن ثلاث. وقال بعض القوم: هو ابن ليلتين. قال: فلقينا ابن عباس ، فقلنا : إنا رأينا الهلال فقال بعض القوم هو ابن ثلاث وقال بعض القوم هو ابن ليلتين فقال : أي ليلة رأيتموه ؟ قال : فقلنا : ليلة كذا وكذا. فقال : إن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: إن الله مده للرؤية فهو لليلة رأيتموہ.
Abul bakhtari bayan karte he, ham umre ke liye nikle jab ham "batane nukhla" pahoche to ham ne chand dekhne ki koshis ki. Kuchh logo ne chand dekh kar kaha: ye 3 din ka he kuchh ne kaha ye 2 din ka he.
Fir hamari mulaqat hazrate abdullah bin Abbas radiallahu anhuma se hui, ham ne arz ki: hamne chand dekha to koi use 3 din ka kah raha tha or koi use 2 din ka kah raha tha. Hazrate ibne abbas ne puchha : tum ne kis din dekha ?
Ham ne kaha: fala din dekha.
To aap ne farmaya:
Allah ke Rasool sallallahu alaihi w sallam ne farmaya he ki Allab ne rooyat ke liye use mota kar diya he. Vo usi din ka he jis din tumne dekha he.
*_📚صحیح مسلم کتاب الصوم,  باب بیان أنہ لا اعتبار بکبر الهلال و صغره) _*_

```Naye chand ke mote or dair tak rahne ka falsafa bigarhne wale in ahadis ko pahle dekhe fir khuda taufiq de to deeni Ahkam samajne ki kuchh koshish kare. Bila wajah ka drama or jahilana hangama kar ke musalmano ke is muqaddas mahine ke qimti lamhat zaaye na kare.```

Wallahu aa'alam bis sawab..
=========➖➖➖➖=======
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Khan_*

==========➖➖➖➖=======

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts