Tootta Tara Kya He ? Tootte sitare ki haqiqat kya he ? Sahabe saqib ki haqiqat Qara'ano Hadish Ki Roshni me..

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Aasman me tara/sitara tootta he, islam me tara tootne ki kya haqiqat he ? Kya ye aqida rakhna islam ke khilaf he ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Tara Tootne ka aqida rakhna khilafe islam nahi. Tara tootne ka saboot hadishe paak se sabit he,

حدثنا  حصین بن عبد الرحمن  قال کنت عند سعید  بن جبیر  فقال ایکم رای الکوکب اللذی انقض البارحہ قلت انا.
Haseen bin abdur Rahman bayan karte he me saeed bin jubair ke paas betha tha unho ne puchha  tum me se kisi ne us sitara ko dekha he jo guzishta raat toota tha mene kaha mene dekha tha.
*📚(MUSLIM SHAREEF, J-1, S-117)*

*ise Sabit hua ke tara tootta he.*

Tara tootne ko sahabe sakib kahte he or iski haqiqat ke bare me ek or hadish shareef me he,,,

وعن ابن عباس قال أخبرني رجل من أصحاب النبي صلى الله عليه وسلم من الأنصار أنهم بينا جلوس ليلة مع رسول الله صلى الله عليه وسلم رمي بنجم واستنار فقال لهم رسول الله صلى الله عليه وسلم ما كنتم تقولون في الجاهلية إذا رمي بمثل هذا ؟ قالوا الله ورسوله أعلم كنا نقول ولد الليلة رجل عظيم ومات رجل عظيم فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم فإنها لا يرمى بها لموت أحد ولا لحياته ولكن ربنا تبارك اسمه إذا قضى أمر سبح حملة العرش ثم سبح أهل السماء الذين يلونهم حتى يبلغ التسبيح أهل هذه السماء الدنيا ثم قال الذي يلون حملة العرش لحملة العرش ماذا قال ربكم ؟ فيخبرونهم ما قال فيستخبر بعض أهل السماوات بعضا حتى يبلغ هذه السماء الدنيا فيخطف الجن السمع فيقذفون إلى أوليائهم ويرمون فما جاؤوا به على وجهه فهو حق ولكنهم يقرفون فيه ويزيدون . رواه مسلم .

Or Hazrat ibne abbas RadiAllahu Anhu kahte he ki nabi e kareem Sallallahu alayhi wasallam ke ansari sahaba me se ek sahabi  ne mujh se bayan kiya ki ek din raat ke waqt kuchh sahaba RasoolAllah Sallallahu alaihi w sallam ke paas bethe hue the ki ek sitara toota or us ki tez roshni fail gai ye dekh kar RasoolAllah Sallallahu alaihi w sallam ne sahaba se farmaya ki tum zamana e jahiliyat me is tarah sitara tootne ko kya kahte the ? Sahaba ne arz ki haqiqat haal ko allah or uska rasool hi bahetar jante he ham to ye kaha karte the ki aaj ki raat koi bura aadmi paida kiya  gaya he (ya kabhi kahte ki) aaj ki raat koi bada aadmi mar gaya he (yaani ham is tarah sitara tootne ko kisi bade or aham waqeaa ki alamat samjha karte the) RasoolAllah Sallallahu alaihi w sallam ne farmaya, sitara na to kisi ki maut se tootta he or na kisi ke paida hone se balki haqiqat haal ye he ki hamara rab jis ka naam ba barkat he jis ko koi hukm jaari farmata he to arze ilahi ko uthane wale farishte tasbih (yaani SubhanAllah SubhanAllah ka wird karne lagte he) fir unki tasbih ki aawaz sun kar aasman ke farishte tasbih karne lagte he, jo arsh uthane wale farishto ke qareeb he yaha tak ki us tasbih ki aawaz ek dusre aasman se hote huye Aasmane dunya par rahene wale farishto tak pahunch jati he, fir vo farishte jo arshe ilahi ko utha ne wale farishto ke qareeb rahte he arsh ko uthane wale farishto se  puchte he tumhare parwardigar ne kya farmaya ?  Vo farishte unko vo baate batate he jo Parwardegaar ne farmai he, fir is baat ko un se dusre frishte daryaft karte or unse or farishte, yaha tak ki ye silsila aasmane dunya par rahene walo tak pahunch jata he fir uski suni hui baat ko jinnat uchak lete he yaani vo kaan lagaye aysi bato ke muntazir rahte he or jab vo chori chhupe koi baat sun lete he to us ko waha se le udte he. Or apne dosto yaani kahano tak pahuncha dete he, chunanche un jinnat ko marne ke liye sitare feke jate he(Lihaza un sitaro ke feke jane ka sabab ye he ki vo jis ka tum ae'teqad rakhte ho, yaani kisi ki maut ya pedaish wagairah) is tarah kahan agar is baat ko jo aasman se suni gai he. Or jinnat ke zariye us tak pahuchi he joñ ki toñ(yaani usme koi kami beshi bagair) bayan kare to vo yaqeenan sahih sabit hogi, (lekin vo kahan esa nahi karte) balki usme jhuthi bate shamel kar dete he or ek baat ki bahut si baate bana lete he.
*📚(MUSLIM)*
*📚(MISHKAT SHAREEF, JILD-4, TIBB KA BAYAN, HADISH 535)*


Shahabe sakib ke ta'allik se Qur'an majeed me bhi he,

إِلَّا مَنْ خَطِفَ الْخَطْفَةَ فَأَتْبَعَهُ شِهَابٌ ثَاقِبٌ
Tarjama: Magar Jo ek aadh baat jo uchak le chala to roshan angaar uske pichhe laga.
*📚(SURA E SAFFAT, AAYAT-10)*

Or Dusri Jagah Allah Ta'ala irshad farmata he...
وَلَقَدْ زَيَّنَّا السَّمَاءَ الدُّنْيَا بِمَصَابِيحَ وَجَعَلْنَاهَا رُجُومًا لِّلشَّيَاطِينِ ۖ وَأَعْتَدْنَا لَهُمْ عَذَابَ السَّعِيرِ
Tarjama: or beshak hamne niche ke aasman ko charago(sitaro) se aarasta kiya or unhe shaytano ke liye maar kiya or unke liye bhadakti aag ka azab tayyar farmaya.
*📚(SURA E MULK, AAYAT-5)*

Yaani Shayateen Aasman se kuchh khabro ko churate the or kahano tak Apni taraf se bahut kuchh mila kar pahuchate the basa awqat un par aag fenk kar bhaga diya jata tha magar Wiladate sarkar Sallallahu alaihi w sallam ke baad se fir koi shaytan khabar hasil karne par kamyab na hua. Isi liye ham dekhte he ki huzur ke zamana se qabl kahanat ka daur tha magar ba'asat sarkar ke ba'ad se kahanat ka aysa khatma hua ki ab sirf uski kahanya rah gai or kahanat fana ho gai.

_Ye jo shahabe saqib he use hi ham tootta tara kahte he_

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍️Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖=========

Talaq Ke Baad Bachcha Kiske paas rahega ? Uska nafqa kon dega ? Talaq Baad maher dena hoga ya nahi ? jahez Par Kiska Haq ? Wagairah Mas'alo ke jawab

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Ek Behan Ka Nikah Hua Aur Sohar Ne Use Talaq De Diya Aur Dusri Shadi Karli Jabki Sohar Ne Naa To Pehli Biwi Mehar Di Naa Ladki Walo Ke Taraf Se Jo Dehaj Aur Raqam Di Usko Lotaya Is Par Pehli Biwi Ne Case Kar Diya Tha Aur Peheli Biwi Se Ek 4 Saal Ka Bachha Bhi He..Aur Jo Pehli Biwi Ko Jewar Chadhaya Tha Woh Sohar Ne Cheen Kar Dusri Biwi Ko Chadha Diya

To Mas'ala Yeh He Ke

1) Bachha Kiske Pass Rahega..

2) Agar Bachha Maa Ke Pass Rehta He To Uska Kharcha Kon Uthayega

3) Aur Kya Sohar Ko Talaq Ke Baad Bhi Mehar Dena Hoga Biwi Ko Aur Dehaj Ka Kya Huqm He

4) Jo Dusri Biwi Ko Zewar Chadhaya Uska Kya Huqm Hoga

5)Aur Jo Rakam Cash Mai Li Hai Ladke Ka Kehna Hai Ki Usme Se Case Par Jo Kharcha Hua Hai Usey Kaat Ke Dunga Is Par Kya Huqm Hoga

Barae Karam Rehnumaayi Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

1,2. Bachcha 9 Saal Ki umr tak maa ki parvarish me rahega or jab tak vo maa ki parvarish me rahe to us bachche ka kharch shohar ke zimma par he, ab ye kharch bahami raza mandi se jo bhi mu'ayyan ho vo shohar ke zimme hoga, har mahine vo deta rahe, ya zaroorat ke mutabik kharch yaani zaroori ashya khana, kapda, dawa wagairah usko deta rahe.

_Huzur SadrushShariyah Hazrat Allama Mufti Amjad Ali Aazami Alaihir Rahma Taherir Farmate he_

Ki bachcha jab tak maa ki parvarish me he ukharajat ma ke hawale kare ya zaroorat ki cheeze mu'hyya karde, or agar koi miqdar mu'ayyan karli to usme bhi harj nahi, or jo miqdar mu'ayyan hui uski miqdar itni zyadah he ki andaza se bahar he to kam kar di jaye, or agar andaza se bahar nahi to muaaf, or kam he kami puri ki jaaye.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-8, S-274)*

3. Maher ek haqqe quda'a he jo aurat ka haq he khalwate sahiha ya watee ho jane ke baad ya un dono mese kisi ek ki maut ho jaye to ye wajib ho jata he.

Yaani Watee ya khalwate sahiha ya dono me se kisi ki maut ho jaye in tino cheezo se maher jo mu'ayyan hua vo lazim ho jata he, to agar shohar ne nikah ke waqt maher ada na kiya ho to ab fauran ada karde jo bhi maher mu'ayyan hua ho vo dena shohar par wajib he.

_Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_
Watee ya khalwate sahiha ya dono me se kisi ek ki maut ho in sabse maher mu'aqqad ho jata he ki jo maher he ab usme kami nahi ho sakti.
Yu hi agar aurat ko talaqe baaindi di or iddat ke andar usse fir nikah kar Liya to ye maher bager dukhul wagairah ke mu'aqqad ho jayega. Hañ agar sahibe haq yani aurat ne kul ya juz muaaf kar diya to muaaf ho jayega.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-7,  S-65)*

4. Aurat Ko jo Uske gharwalo ne Jo Saman ya zewrat ya paise jo kuchh bhi diya he, aead ki milk he usme kisi ka haqq nahi, talaq ke baad vo sari chize aurat ko wapas lotani hogi,

Jesa ki Raddul Muhtar, Kitabul talaq or bahare Shariyat Wagairah me bhi or tamam fatawa ki kutub me he.

Vo zewar jo shohar ne shadi ke waqt apni hone wali biwi ko diye the vo talaq ho  jane ke baad shohar hi ke hoge, shohar hi uska malik he, ye jo zewar shadi ke waqt liye diye jate he vo aariyat hote he, talaq ho Jane ke baad ek dusre ko wapas kardege, Agar Shohar ke zewar biwi ke paas he to biwi lota degi, or jo zewar aurat ko uske gharwalo ne diye he vo aurat ke he, shohar uska malik nahi. Talaq hone ke baad usko wapas karna zaroori he, or shohar ne jo dusri biwi ko pahli biwi ke zewar pahenaye vo zulm or zyadati hui, zaroori or wajib he ki vo fauran uske paas se zewar le kar pahli biwi ko wapas lota de ki wahi uski malik he. Ye masail Fatawa Bahrul Uloom or Dusri kutube fiqh me wazeh he.

_Jaisa ki Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahemato Ridwan Taherir Farmate he_
Jo kuchh Zewar, kapda, bartan wagairah aurat ko jahez me mila tha uski malik khas aurat he or jo kuchh chadhava shohar ke yaha se gaya tha us me riwaj ko dekha jaega, agar riwaj ye ho ki aurat hi uski malik samjhi jati he to vo bhi aurat ki milk ho gaya, or agar aurat malik nahi samjhi jati he to vo jisne chadhaya tha usi ki milk he khwañ walide shohar ho ya walida ya khud shohar. Or jo zewar zaid ne baad nikah banwaya agar aurat ko tamleek kardi thi yaani ye kah diya tha ki me ne ye zewar tujhe de dala tujhe iska malik kar diya or qabza aurat ka ho gaya to ye zewar bhi milke zann ho gaya, or agar kaha ki tujhe pahenne ko diya to shohar ki milk raha. Or agar kuchh na kaha to riwaj dekha jaega
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-5, S-559)*

5. Or jo shohar ye dawa kar raha he ki jo case pe kharch hua vo raqam ko kaat kar me aurat ki raqam ko wapas karuga to ye bhi zulm or zyadati he. Jo aurat ya uske ghar walo ne jahez ke taur par or qarz ke naam par jo raqam di vo raqam ko pure ki puri wapas lotaye.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Qibla_*
*📬 Tadriso ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖=========

Kya Kunde Ki Niyaz Bahar Le Ja Sakte He Or Kya Uski Jagah Se Hata Sakte He ?


*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Kunde Ke Fatiha Ki Cheez ko Bahar Nahi Le Ja sakte ? Ya Uski Jagah se hata nahi sakte ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Awam me Mash'hoor He ki kunde ki fatiha ki cheez ko Bahar nahi le Jana Chahiye ya jaha bani he vahi khana chahiye, ye mahaz ek jahalat he uski koi asl nahi, ise aam niyazo ki tarah Dusri jagah bhi le ja sakte or khate sakte he.
_Jaisa Ki Shaikhul Hadees, Hazrat Allama Abdul mustufa Aazami Alaihir Rahma Taherir Farmate he_
Kondo ki fatiha me jahilo ka ye fe'al mazmoom or nari jahalat he ki jahañ kundo ki fatiha hoti he wahi khilate he vahañ se hatne nahi dete ye pabandi Galat or beja he.
*📚(JANNATI ZEWAR, S-474)*
_Mazkoora Pabandi ke tahat Hazrat Allama Mufti Waqaruddin Qadri Alaihir Rahma Taherir Farmate he_
Logo ne ye shart lagali ki wahi beth kar khale bahar na le jaae. Ye shart ka shariyat se koi ta'alluk nahi, waha bhi kha sakte he or bahar bhi le ja sakte he.
*📚(WAQARUL FATAWA, J-1, S-202)*
_Hakimul Ummat Hazrat Allama ahemad Yaar khan naeemi Alaihir Rahma Taherir Farmate he_
Dusri fatiha ke khano ki tarah is ko bhi bahar bheja ja sakta he.
*📚(ISLAMI ZINDAGI, S-75)*
_Huzur SadrushShariyah Hazrat Allama Mufti Amjad Ali aazami Alaihir Rahma Taherir Farmate he_
Logo ka ye khayal ki Apni jagah se kunda hataya na jaae jahalat he, unhe samjaya jaae balki qaul w amal se awam ko bataya jaae or un par zahir kiya jaae ki us jagah se hatane me koi harj nahi he.
*📚(FATAWA AMJADIYA, J-4, S-134)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖=========

Kya kunde Ki Niyaz Mitti Ke Hi Bartan Me Karni Chahiye ?


*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Kunde ke Fatiha Me Mitti Ke Bartan Me Hi Fatiha Dena Zaroori He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Kunde ki fatiha ke liye mitti ka bartan hona zaroori nahi.
_Jaisa ki huzur SadrushShariyah Allama Mufti Amjad Ali Aazami Alaihir Rahma Taherir Farmate he,_
Isale Sawab jaiz he mitti ke bartan me ho ya tanbe ke bartan me.
*📚(FATAWA AMJADIYA, J-4, S-177)*
Neez Farmate He,
Sone chandi ke alawa har qism ke bartan ka istemal jaiz he.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-16, S-35)*
_Hakimul Ummat Hazrat Allama Ahemad Yaar Khan Naeemi Alaihir Rahma Taherir Farmate he,_
Fatiha Har Kunde par or har bartan me ho Jaegi agar sirf zyaada safai ke liye naye kunde manga le to harj nahi.
*📚(ISLAMI ZINDAGI, S-75)*
Kunde ki Niyaz Imame Jafare Sadiq RadiAllahu Anhu ke Isale Sawab ke liye ki jati he, isme mitti ke bartan hona zaroori nahi, Ye jo awam me mash'hoor he ki mitti ke hi bartan hone Chahiye is ki koi asl nahi, fatiha kisi bhi bartan me dila sakte he.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖=========

Kunde Ki Niyaz 22 Rajab ko Kyu Jab Ki Imame Jafar ki tarikh 15 Rajab He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Imame Jafare Sadiq RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal 15 Rajab he To Kunde Ki Niyaz 22 rajab ko Kyu Ki jati he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Kunde Ki Niyaz Isale Sawab He, Jo Bila Subah Jaiz he..

'Hilyatul Auliya' Me Hazrat Ta'woos bin keesan RadiAllahu Ta'ala Anhu se ye riwayat manqool he ki Imam Ja'afare Sadiq RadiAllahu Ta'ala Anhu Ka wisal 15 Rajab ko hua aap ke wisal ke baad aap ke lawahiqeen ke 7 din tak isale sawab ka ahtemam kiya fir 7ve din yaani 22 rajab ko aali shan paymana par fatiha ka ahtemam kiya gaya.

Is ke baad se 22 ko log fatiha dilane lage jo kunde ke naam se mash'hoor he, iski wajah ye he ki us zamane me kisi ke inteqal par saat (7)  dino  tak gurba'a w masakeen ko khana khilana mustahab jante the or fir aakir din bahut zyada ahtemam karte the Imam Jafar Sadiq ke ham asr satar Sahaba e kiram ki ziyarat karne wale Jaleelul Qadr taba'ee hazrat ta'woos bin keesan ka qaul Hazrat imam Abu naeem hilyatul Auliya me naql farmate he

 *حَدّ َثَنَاأَبُوبَكْرِبْنُ مَالِكٍ،ثناعَبْدُ اللَّهِ بْنُ أَحْمَدَبْنِ حَنْبَلٍ، حدثناأَبِي، حدثنا هَاشِمُ بْنُ الْقَاسِمِ، حدثناالأَشْجَعِيُّ،عَن   سُفْيَانَ،قَالَ:قَالَ طَاوُسٌ:"إِنَّ الْمَوْتَى يُفْتَنُونَ فِي قُبُورِهِمْ سَبْعًا،فَكَانُوا يَسْتَحِبُّونَ أَنْ يُطْعَمَ عَنْهُمْ تِلْكَ الأَيَّامِ"*

*📚(HILYATUL AULIYA, HADISH-4593)*

Is Hadish Ki Imam Ahmad bin Hambal ne bhi apni kitab *📚'AL-ZAHAD'* Me Naql Farmaya He.

_Isi Tarah Se Hazrat Allama Jalaluddin Suyuti Alaihir Rahemato Ridwan Naql Farmate he,_

Sahaba E Kiram Saat Din Tak wafat Pa Jane Walo ki taraf se khana khilaya karte the.
*📚(Al-HAWI UL FATAWUS SUYUTI, J-2, S-223)*

Yahi Wajah he ki Kunde ki niyaz 22 Rajab Ko Mash'hoor hui.. Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Hazrat Ameere muawya RadiAllahu Anhu ka tarikhe wisal bhi he to unke naam se bhi fatiha dilae or sawab ke haqdar bane..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB 🌹F.T.S👑grp*
=============➖➖➖➖=========

Nafl Namaz Padhte Ho Or Ma Baap Bulaye To Kya namaz Tod sakte he ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

👆Hazrat Mera Ek Sawal Hai'??

Maine Suna Hai Kuch Ulmaon Se Wo Farmate Hain Agar Aap Nafil Namaz Padh Rahe Ho Aur Aap Ki Maa Aap Ko Bulaye To Aap Namaz Ki Jis Halat Me Hotey Hain Wahin Se Apne Maa Ki Pass Labbaik Kehkar Pahunch Jaye
Phir Kaam Hotey Hi Jahan Se Namaz Chordithi Wahin Se Continue Karen

Kya Farmatey Hain Ulma Ikram Ye Baat Durust Hai
Haan Agar Durust Hai To
Mujhe Us Kitab Ke Hawale Ke Saat Jawab Inayat Farmayiye Maherbani Hogi
👆👆👆👆👆👆👆👆

*🌹JAWAB:-🌹*

_Huzur SadrushShariyah Alahir Rahma Taherir Farmate He_

Maa, Baap, Dada, Dadi Wagairah usool ke mahaz bukane se namaz qata'a karna jaiz nahi, Al-batta Agar un ka pukarna bhi kisi badi musibat ke liye ho, Jaise uper mazkoor hua to tod de, ye hukm farz ka he or agar nafl namaz he or unko ma'aloom he ki namaz padhta he to unke ma'amooli pukarne se namaz na tode or uska namaz padhna unhe ma'aloom na ho or pukara to tod de or jawab de, agarche ma'amooli Taur se bulae
*📚(Durre Mukhtar w Raddul Muhtar, Kitabus Salat, J-2, S-514)*
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-3, S-206)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖==========

Sulehkulli Kise kahte he ? or kisi Sunni ko Sulahkulli kahna kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum,
Aulma e kiram ki Bargah Me Sawal Arz he ki,
Sulehkulli Ka Matlab Kya He ?
Zaid Ne bakar ko Bad Mazhabo se Mel Jhol Or Ittihad Ki Bunyad par sulahkulli kaha to kya zaid ne bakar ko Kafir kaha ?
Jab ki bakar Sunni He.

*🌹JAWAB:-🌹*

Wa AlaikumAssalam W Rahematullah,

Sulehkulli Ka Ma'ana Yahi He ki har ek ke aqaid ko Haq Janna. yaani Sunni, Deobandi, Wahabi, Shiya, Wagairah Jitne bhi Haq or batil Aqaid wale he un Tamam ke Aqaid ko Durust Kahna, Or sab ke sath sulah karna. or jo Tamam Batil Aqaid ko Haq mane  Vo Sunni Ho hi nahi sakta.

Agar bakar Badmazhabo ke sath mel jhol, uthna bethna rakhta he to bar bina e tasbih to sulahkulli kah sakte he, Yaani Sulahkulli ki tarah iska rawaiyya he, Haqiqatan sulehkulli nahi..

Jese ki Hadish Shareef me he,

من ترک الصلاۃ متعمدا فقدکفر جہارا

Jisne Qasdan Namaz Tarq ki vo Aelaniya Kafir Ho gaya.
*📚(JAMEUS SAGEER, 6/102, HADISH, 8587)*

Yaani kafiro ke tariqe par amal karne wala ho gaya.

Isi tarah Dusri Hadish Shareef me he,
Jis ne Meri Sunnat Se ae'araz kiya (yaani Chhod diya or gaflat barti) vo Ham me se nahi
*📚(BUKHARI SHAREEF)*

Yani Huzur Sallallahu alaihi w sallam ke Tariqe par amal karne walo me se nahi, isi tarah iska matlab ye hota he ki jo badmazhabo ke sath mel jhol rakhta he to vo sulahkulli ki tarah he, ki uska rawaiyya or tariqa vahi he jo sulahkullio ka tariqa he.

Aesa Sakhs Badmazhabo ke sath uthak bethak ki wajah se Sakht Gunahgar, murtaqibe kabair, or sakht haramkaar he, magar jab tak vo aqide me unka hamnava or mutaffiq na ho tab tak use sulahkulli nahi kahna chahiye Is jumle ke iste'amal se aehteraz karna chahiye.

Agar Vo badmazhabo se ittihad karta he, yaani unke aqaid me unse muttafiq he ya aqaid me unke sath muttahid he to fir bila Shubah
Vo sulahkulli he or yaqeenan vo kafiro murtad he.
Or agar esa nahi, Sirf Dunyavi  muamlaat me unki pairvi karta he, esi soorat me vo sakht gunahgaar. Or hadishe paak me badmazhabo se ta'alluk rakhne ke muta'allik  jo sakht tareen wa'eede warid hui he usme ye bhi Dakhil or shamil he.

Magar jab tak Aqaid me unka hamnava na ho, sulahkulli haqiqatan nahi. Ha chunki uske taur tariqe or aamal Sulahkulli haqiqi jese he is liye bar bina e tasbih Itlaq kar diya jata he, Fir bhi is istilah ke Riwaj se aehteraz karna chahiye ki jo aam taur par unke sath mel jhol uthk bethak karte ho unhe rokna chahiye, Unse door rahne ko samjana chahiye or Sulahkulli nahi kahna chahiye.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🎙Al-Jawab:- HAZRAT ALLAMA MUFTI MUZZAMMIL SAHAB QIBLA☘*
*_📬KHADIME TADRIS W IFTA DARUL ULOOM GAUSHE AAZAM, PORBANDAR_*
*_📌BANI SADRUSH SHARIYAH RESEARCH CENTER PORBANDAR, GUJRAT_*
📍(Note: Hazrat Ka Jawab Audio Me He)

*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖=========

Masjid Tang Hone Ki Wajah se Imam ka Safo Ke Darmiyan Ya Kuch Aage Khade Hona Makroohe Tahrimi He

*🌹SAWAL:-🌹*
Masjid Tang Hone ki Wajah Se Imam ka muqtadio ki saf me khada hona kesa ? Or agar sirf ek bilisht aage khada rahe to kya hukm he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Imam Ka Do se zyada muqtadio ke darmiyan khada hona ya is tarah khada hona ki pichhe ek ya do muqtadi ki jagah khali rahe, Namaz makroohe tahrimi wajibul ae'aada hogi. Agar Masjid me jagah Na ho to safo ke darmiyan kam jagah chhode, yani pichhli saf wale agli saf walo ki pith par sajda kare, magar tang masjid hone ki wajah se imam ka muqtadio ke darmiyan ya kuchh aage khada hona ki saf ki qadr jagah na chhute Na-jaizo gunah, namaz makroohe tahrimi wajibul ae'aada he.

Jab do se zyadq muqtadi ho, tab imam or Muqtadio ke darmiyan kam se kam ek saf( andajan 4 feet)  ka fasla hona chahiye imam ka saf se kuchh hi aage khada hona ki saf ki miqdar ki jagah na chhute, ye na jaiz or gunah he namaz makroohe tahrimi wajebul ae'aada hogi.
*📚(Fatawa Razviya, j-3, S-377)*
*📚(MOMIN KI NAMAZ, S- 314)*

_Imame Ishqo Muhabbat, Mujaddide Dino Millat, Aala Hazrat Ashshah Imam Ahemad Raza Khan Fazile Barailvy Alaihir Rahma Farmate He_

Sirf Ek Muqtadi ho to sunnat yahi he ki vo imam ke barabar dahini taraf khada ho magar is ka lihaz farz he ki qayam, qa'aud, ruku'a, sujood, kisi halat me us ke Paanw ka gitta imam ke gitte se aage na barhe. Isi ahtiyat ke liye imam Muhammad RadiAllahu Anhu ye farmate he ki apna panja imam ki Aedi ke barabar rakhe, or  agar do muqtadi ho to agarche sunnat yahi he ki pichhe khade ho, fir bhi agar imam ke daañye baañye barabar khade ho jaege harj nahi magar do se zyada Muqtadio ka imam ke barabar khada hona ya imam ka saf se kuchh aage badha hona ki saf ki qadr jagah na chhute ye najaiz w gunah he namaz makroohe tahrimi wajibul aeaada hogi, agar Muqtadio ki kasrat or jagah ki qillat he bahim safo me fasla kam chhode pichhli saf agli saf ki pusht par sajda kare or imam ke liye jagah baqadre zaroorat poori chhode or agar ab bhi imam ko jagah milna mumkin na ho na unke kuchh log dusri jagah namaz ko ja sake maslan Ma'azAllah kisi aysi kothdi me mahboos he jis ka arz janibe qibla gaz-sawa-gaz he to ye soorat majboori mahaz he us me qawaid  shara'a se zahir ye he ki jama'at kare imam bich me khada ho fir tanha tanha us ka ae'aada kare jama'at iqamat ash'aar ke liye or aeaada rafa'a khalal ke waste.

Durre mukhtar me he
ہے:کل صلاۃ ادیت مع کراھۃ التحریم تجب اعادتھ
Jo namaz makroohe tahrimi ke sath ada ki gai ho us ka ae'aada wajib he.
*📚(Durre Mukhtar, Jild-1, S-81)*

Usi me he:
لوتوسط اثنین کرہ تنزیھا وتحریما لواکثر ۲؎۱ھ
Agar Imam do muqtadio ke darmiyan khada huva to ye makroohe tanzihi he agar do se zyada Muqtadi ho to makroohe tahrimi
*📚(Durre Mukhtar, Jild-1, 83)*

*📚(FATAWA RAZVIYA SHAREEF, J-7, S-203)*

Isi Tarah se, *📚(FATAWA MARKAZE TARBIYAT IFTA, J-1, S-225 ta 228 par he)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*

📲
=============➖➖➖➖===========

PAKISTAN ME STOCK MARKET KA KAROBAR KESA ? SHARE BAZAR

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam alaikum Pakistan Stock market me karobar karna kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
W Alaikum Assalam W Rahematullahi W Barakatuhu,

Pakistan ke ta'alluk se aap ka sawal he pakistan hi ke bahut bade shaikh wali e kamil..

Mufti Aazame Pakistan, khalifa e mufti aazame hind, Hazrat Allama Saiyed Shah Turabul Haq Qadri Alaihir Rahma Farmate He,

Shares ya stock market me koi karobar jaiz Nahi, koi bhi system hamare yaha durust nahi he, is liye shares ki sari tijarat lena dena or isse jo nafa aaye ye sab sood ka karobar he jo nafa aayega  vo bhi sood he.

Hazrat Allama mufti waqaruddin sahab alaihir rahma ne bhi Waqarul Fatawa me yahi fatawa diya he..

stock exchange jo he vo shareef logo ka juva he, ye ek aala qism ka juva he jo bade log ise khelte he. Or isme koi soorat iske jawaz ki nahi, koi share esa nahi jo jaiz ho, ye sab karobar haram he, isse bachna chahiye.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖===========

AALA HAZRAT NE BEDARI ME HUZUR ﷺ KA DIDAR KIYA

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat mera sawal hai ki kya aala hazrat rehmatullahi ta-ala alaihi ne huzur ka deedar kiya tha ya nahi agar kiya tha to is par koi daleel kitabi surat me hoto pesh Karen Zazkallah

*🌹JAWAB:-🌹*

Aala Hazrat Imam Ahemad Raza Fazile Barailvy Alaihir Rahma Jab Dusri Martaba Ziyarate Nabvi ﷺ Ke liye madina hazir hue to Shauke didar me Rauza Shareef ke Muwajaha Me duroof shareef padhte rahe. Or yaqeen kiya ki sarkar abde qarar ﷺ bil Mawajaha ziyarat se musharraf farmaege.

Lekin pahli Shqb aysa na hua to ek gazal likhi jis ka matla'a ye he.

Vo Soo e Laa lazar firte ge,
Tere din ay Bahar firte he,

Ye Gazal mawajahe aqdas me arz karke intezar me muaddab bethe the ki Qismat jaag uthi or chashme sar se bedari me ziyarate huzure aqdas ﷺ se musharraf hue.
*📚(SAWANEH AALA HAZRAT IMAM AHMAD RAZA, S-228)*
*📚(MULANA AHEMAD RAZA KI NA'ATIYA SHAYRI, S-19, 20, MATBUAA LAHOR)*
*📚(IMAM AHMAD RAZA RAD BID'AAT W MUNKIRAT, S-89,90)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖===========

FARZ NAMAZ KI TISRI CHOTI RAKAT ME SOORAT MILAI TO KYA HUKM HE

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Mera ek saval he farz namaz ki tisri or cohti rakat me surat Mila li to Kiya hukan he rhnumai farmay

*🌹JAWAB:-🌹*

Bhul kar farz ki pichhli raka'ato me yaani zuhar, asar, or isha ki tisri w chauthi or magrib ki tisri raka'at me Al-Hamdu Shareef  Ke baad soorat milai to sajda e sahaw nahi, balki agar kasdan(jaan buz kar) bhi soorat milai, to bhi harj nahi, magar imam ko esa nahi karna chahiye. Yu hi pichhli raka'ato me Al-Hamdu Shareef Na padhi to bhi sajda e sahaw nahi.
*📚(AALAMGIRI)*
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4, S-41)*
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-3, S-637)*
*📚(MOMIN KI NAMAZ, S-370)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖===========

HUZUR ﷺ KI NAMAZE JANAZA KIS TARAH PADHAI GAI ?


*🌹SAWAL:-🌹*
Sarkaar nabi E kareem Sallallahu alayhi wasallam ke Namaz E janaza kis Tarah padai gaye?
Reference ke sath miljaye jwab to meherbani

*🌹JAWAB:-🌹*

Huzur Sallallahu alaihi w sallam ki namaz ada karna jama'at ke sath na tha balki ek jama'at aap ke kareeb aati or bagair jama'at ke namaz padhti or nikal jati fir dusri jama'at aati thi or padhti thi. Aap ka jasade aqdas usi hujre mubarak me tha jaha aap ko gusl diya gaya. Sabse pahle mard dakhil hue jab mard farig ho gae to aurte dakhil hui or aurto ke baad bachche aaye.

Ameerul Mua'mineen Saiyedna ali murtuza RadiAllahu Anhu se mankool he, farmaya RasoolAllah Sallallahu alaihi w sallam ke janaza shareef par kisi ne imamat na ki is liye ki huzur ayyame hayat w mamat me hamare imam he. Bahut si namaze hui or tanha tanha logo ne padhi.
*📚(MADARIJUN NABUWWAH, J-2, S-74)*
*📚(ISLAMI HAYRAT ANGEZ MALOOMAT, S-241)*

_Isi Tarah se Hazrate Abbas RadiAllahu Anhu ka bayan he_
عَنِ عَبَّاسٍ قَالَ لَمَّا صُلِّيَ رَسُولِ اﷲِصلیٰ الله عليه وآله وسلم اُدْخِلَ الرِّجَالُ فَصَلَّوْا عَلَيْهِ بِغَيْرِ إِمَامٍ إِرْسَالًا حَتَّی فَرَغُوا ثُمَّ اُدْخِلَ النِّسَاءِ فَصَلَّيْنَ عَلَيْهِ ثُمَّ اُدْخِلَ الصِّبْيَانُ فَصَلَّوْا عَلَيْهِ ثُمَّ اُدْخِلَ الْعَبِيْدُ فَصَلَّوْا عَلَيْهِ إِرْسَالًا لَمْ يَوُمَّهُمْ عَلَی رَسُولِ صلیٰ الله عليه وآله وسلم اﷲِ اَحَدٌ.


Hazrate Abbas RadiAllahu Anhu se riwayat he ki unhone kaha jab huzur nabi e akram Sallallahu alaihi w sallam (zahiri taur pe) wisal farma gaye to mardo ko dakhil kiya to unhone bagair imam ke akele akele namaz padhi fir aurto ko dakhil kiya gaya to unhone aap Sallallahu alaihi w sallam par salat padhi fir bachcho ko dakhil kiya gaya to unhone bhi huzur par salat parhi. Fir gulamo ko dakhil kiya gaya to unhone bhi huzur Sallallahu alaihi w sallam par salat padhi akele akele kisi ne aap Sallallahu alaihi w sallam ki imamat na karwai.
*📚(Bayhaqi, SUNAN KUBRA,  J-4, S-30, RAQAM 6698, MAQTABAH DARUL BAAZ, MAKKATUL MUKARRAMA)*

*📚(Ibne Kaseer, AL-BIDAYA WAN-NIHAYA, 3:232, MAKTABUL MA'AARIF, BAYROOT, LIBNAN)*

*📚(SUYUTI, AL-KHASAISUL KUBRA, 2:438, DARUL MAKTABUL ILMIYA BAYROOT, LIBNAN)*

*📚(Ibne Jareer, TARIKHUL TIBRI, 2:239, DARUL MAKTABUL ILMIYA, BAYROOT, LIBNAN)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖===========

HAZRAT ALI KA MAZAR KAHA HE ?


*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
👇Hazrat Mere Ek Sawal Hai
Nabi E Kareemﷺ Ke Chauntey Khalifa
Hazrat E Ali Sher E Khuda RadiallahutaAlaAnhu
Ki Qabr E Anwar Kahan Par Hain,???
👆Hazrat Jawab Inayat Farmayiye

*🌹JAWAB:-🌹*
W Alaikum Assalam W Rahematullah,
Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ka Mazar Kaha he is me mukhtakif Aqwal He. Hamare Mashaikh Or Aulma Me Ye baat mash'hoor he ki Hazrate Ali Ka Mazar Najafe Ashraf Me He.

_Jaisa Ki Apne waqt ke bahut bade muhaddis, Hazrata Allama Jalaluddin Suyuti Alaihir Rahma Farmate He,_

Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ko  Raat ke waqt dafn kiya gaya or ek maslehat se aap ka mazar logo par zahir nahi kiya gaya, is liye vah kaha he is me aqwal mukhtalif he. Abu bakar bin ayash kahte he ki aap ki kabr shareef ko is liye nahi zaahir kiya gaya tha ki kharji bad bakht kahi us ki bhi behurmati na kare. Shareek kahte he ki aap ke farzand Hazrat imam hasan RadiAllahu Anhu ne aap ke jism mubarak ko darul amarat kufa se madina tayybah ki taraf muntakil kar diya tha. Mubarrad ne Muhammadbin Habib ke hawale se likha he ki ek kabr se dusri kabr me muntakil ki jane wali pahli na'ash(jism mubarak) Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ki thi. Or ibne asaakir said bin abdul aziz se riwayat karte he ki jab Hazrat Ali RadiAllahu Anhu shaheed ho gae to aap ke jisme mubarak ko madina muawwara le jane lage taaki vaha rasoole akram Sallallahu alaihi w sallam ke pahlu mubarak me dafan kare, na'ash ek unt par rakhi hui thi, raat ka waqt tha vah unt raaste me kisi taraf bhaag gaya or us ka pata nahi chala, isi liye ahle iraq (shiya) kahte he ki aap baadalo me tashrif farma he. Baaz log kahte he ki talash w justaju ke baad vah unt sar zameene tay me mil gaya or aap ke jism mubarak ko usi zameen  me dafn kar diya gaya.
*📚(TARIKHUL KHULFA, S-120)*
*📚(KHUTBATE MUHARRAM)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖==========

Gause Aazam Or Garib Nawaz Kahna Jaiz He

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaykum hazrat mera sawal hai ki kuch log khwaja garib nawaj ko lekar he kahte hain ki sirf allah garib nawaz hai hamare liye allah kafi hai aur bando ko nawaz ne wala sirf allah hai to is ka koi tafseeli javab aur dalail ki roshni me javab ho to inayat farmyen..

*🌹JAWAB:-🌹*

Qur'an e Majeed Me Rab Tabarak W Ta'ala irshad farmata he,

ا عَلَيهِ فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَولاهُ وَجِبريلُ وَصالِحُ المُؤمِنينَ ۖ وَالمَلائِكَةُ بَعدَ ذٰلِكَ ظَهيرٌ
“Beshak Allah Unka Madadgaar Hai Aur Zibril Aur Nek Momineen Madadgaar Hai”
*📚(Al Quran Surah 66 At Tehrim Ayat : 04)*

Is Aayat Se Saaf Zahir He ki ham Momineen Ke madadgar Allah Ta'ala bhi He Hazrat Jibrail Alaihis Salam Bhi Or Allah Ke Nek momin bande,
Allah Ke Nek momin bande kon he ? Ye vahi he jise ham waliullah kahte he, ye wahi he jise ham gause aazam kahte he ye wahi he jise ham khwaja gareeb nawaz chishti kahte he ye wahi he jise ham Auliya e kiram kahte he.

To beshak Huzur Khwaja Moinuddin chishti ajmeri Alaihir Rahma ko Garib nawaz kehna bila subah jaiz he..

Or jo iska inkar kare ki Huzur garib nawaz hamari madad nahi kar te vo kafir he ki Qura'an majeed me Rab Tabarak W Ta'ala irshad farmata he,

ذٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ مَولَى الَّذينَ آمَنوا وَأَنَّ الكافِرينَ لا مَولىٰ لَهُم
“Yeh Isliye k Musalmano Ka Maula (Madadgaar) Allah Hai Aur Kaafiro ka Koi (Maula) Madadgaar Nahi ”
*📚(Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat : 11)*

Is se saaf zahir he ki kafiro ka yaani Deobandi wahabi wagairah batil firqo ka koi madadgaar nahi..

Qur’an-e-paak me bohot se alfaz ese he jo Allah Ta'ala ne apne lie bhi istemal kie he aur bando ke lie bhi istemal kie he :-

*1.RAB:-* Sab se pehla lafz-e-Rab *📚(Surah.01 Fateha)* me kaha gaya- “Alhamdulillahi Rabbil Alameen” ye jo “RAB” lafz ALLAH ta’ala ne apne lie istemal kia, tamam Nabiyo ne ye lafz ka istemal kia aur RABBANA keh kar dua mangi. Ye RAB lafz ALLAH TA’ALA ko bohot pasand he.

Lekin *📚(Surah Yusuf me, Ayat No. 41)* “Fayaski RABBAHU khamra” (tummese ek apne badshah ko sharab pilaega) jiski tafseer me pata chalega ke Nabi Hazrat Yusuf (alayhissalam) ne 2 sakhs ke khwab ki tabir batate huwe lafze RAB ko wo sakhs jo sharab pilane wala tha uske BADSHAH ke lie istemal kia he

*2.MOAMIN:-* Jese ke hamjante he ke ham “Moamin” he, Ye lafz Allah Ta'ala ne apne lie bhi istemal kia he, *📚(Surah.59 Al-Hasar me, Ayant No.24)* “Al malikul Kuddus Salamun Moamin” (Allah Moamin he) Allah agar Moamin he to fir aap aur ham kya hue ?

*3.HAFIZ :-* Jese ALLAH ta’ala ne “Hafiz” lafz khud ke lie istemal kia he, aur wahi lafz *📚(Surah.12, Ayat No.56)* Nabi Hazrat Yusuf alayhissalam ne apne lie bhi istemal kia “Ini Hafizul Alim” (Milkiyaton ko achhi tarah JANNEWALA hu)

*4 RAUF :-* Jese *(Surah.59 Al-Hashr, Ayat No.11)* me “Rauf aur Rahim” lafz ALLAH ta’ala ne apne lie istamal kiya, isi lafz ko Rasulallah sallalahualayhe-wasallam ke lie *📚(Surah.9 Al-Taubah, Ayat No.117 & 128)* me farmaya “Bil Moamenina Raufur Rahim”
Bohot se alfaz Quraan e paak me ese he jo Allah ta’ala ne apne lie bhi istemal kie aur bando ke lie bhi istemal kie he. Bande ke lie istemal karne wala Mushrik nahi fark ye he ke Allah ta’ala ke lie jo lafz he wo “Haqiki maine” me istemal kia aur bande ke lie wo “Kuyud ke sath majaji tor par” ek khas waqt aur khas sakhsiyat ke lie istemal hota he.

Ab ye jaan kar kuchh log ye Naa kahe ke “to kya hum kisi bhi bande ko Allah kahe?” hamne aap ko Qur’an-e-paak ke hawalo se ye bataya ke WO BUZURGANE-DEEN JINHONE APNA SAB KUCHH ISLAM KE NAAM KAR DIYA UNKE MARTABE KO DEKH KAR UNKO KISI LAFZ SE PUKARA JAE TO US BUZURG KO ALLAH NAHI KAHA JATA BANDO ME AFZAL MANA JATA HE.

Agar (Al Gausul-azam / Dastagir / Peerane-Peer) kehne se koi MUSHRIK/Bid’at hota he ? to jara sochiye ham ye kyu kehte he ? :-

Hazrat Abubakr “Siddik-e-Akbar” kehte he (Allah se Sachcha kon he?)

Hazrat Umar “Faruk-e-azam” kehte he to (Qur’an kehta he Fark karne wala to sirf Allah he), Hazrat Usman -e-Gani kehte he to

(Allah Quran me kehta he me Gani hu Tum Fakir ho)

Hazrat Ali-e-Murtuza kehte he to (Qur’an me he “Wahuwwal Ali ul Azim”)

ISILIE ALLAH KE MEHBUB BANDO KI MOHABBAT AUR ALLAH TA’ALA NE JO KARAMATE “HAZRAT ABDUL QADIR GILANI (rehmatullahalayh)” KO BAKSI USKO DEKH KAR JAAN KAR MOHABBAT SE UNKO AL-GAUSUL-AZAM (Jismwalo se Azamatwale), DASTAGIR (Mushkil me Hathpakadne wala/ Madadkarnewala), Or Isi Liye “Khwaja Moinuddin Chisti (rehmatullahalayh)” ko GARIB-NAWAZ (Zururatmand ko nawaznewala) kehna BESHAQ JAIZ he.

Haq janne ke baad tumpe Lazim he ke, is par Iman lao & ise unko kaho jo Nahi jante,

warna Mehsar me Haq chhupaneka jawab Allah ko dena padega.
*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖=========

BANK SE LOAN LENA KESA ? KYA USME SOOD HE ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Bank Se Loan Lena Kesa ? Kya Usme Sood Hoga Ya Nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Hindustan Ke Kuffar harbi kafir he.Or Musalman or harbi kafir ke darmiyan sood Nahi, Jaisa Ki Hadish Shareef Me he,

Or darul harab ki qaid waqe'ee he na ki Ehetrazi lihaza yaha hukumat ke banko se nafa'a lena jaiz he lekin is ko dena jaiz nahi, Haañ Agar Thoda nafa'a dene me apna nafa'a zyada ho to jaiz he

Jaisa Ki Raduul Muhtar Me He,
الظاھر ان الاباحة یفید نیل المسلم الزیادة وقد الزم الاصحاب فی الدرس ان مرادھم من حل الربا و القمار ما اذا حصلت الزیادة للمسلم "
*📚(RADDUL MUHTAR, J-4, S-188)*

Lihaza Bank ya kisi company  se loan lekar apna business chalana us waqt jaiz he jab ki uski zaroorat ho ya uski hajat ho ki bagair uske kaam nahi chalega ya chalega lekin bahut dushwari se chalega or ye soorat hajate shadeeda ki he or us me nafa'a muslim bhi zyada he to jaiz he.

Huzur Mufti E Aazame Hind Alaihir Rahma bhi bank se loan Lene ki ijazat us me Musalmano ko nafa'a kaseer hone ki bina par dete the lekin ye Ijazat mutlaqan nahi he ye is taur par mashroot he ki jis kaam ke liye loan le raha he ye uski shara'ee zaroorat ho ki uske bagair koi chara na ho ya ho ki kaam to chal jaye ga lekin bahut mashaqqat se chalega.
Or lete waqt use poora aetemad ho ki muddate muqarrara me qiste ada kar dega to jaiz he ki us me bank ka thoda faida he lekin Musalmano ka nafa'a zyada he.

_Isi Tarah Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta me he,_

Government ke bank se fazil maal dene ki shart par qarz lena ye is shart par jaiz he ki bank ko jo zaaid raqam banaam sood deni padti he us zaaid raqam ke barabar ya us se zyada nafa'a ka husool yaqeeni taur par ma'aloom ho jab to fazil maal dene ki shart par qarz lena jaiz he warna najaiz.
*📚(FATAWA MARKAZE TARBIYAT IFTA, J-2, S-261)*

Or Bahare Shariyat Me He,
Agar Is Tarah bhi qarz na mil sake to Sahih Shara'ee majboori ki soorat me soodi qarz lena jaiz he.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-11)*

```Or Isi Tarah Se Fatawa Barkatiya Shareef Me He,```

Bank Agar Musalman ka he ya gair muslim ka mushtarqa he to ayse bank se sood dene ki shart par qarz lena haram or sood dene wala bhi lene wale ke misl gunahgar he ki Huzur Sallallahu alaihi w sallam ne dono par la'anat farmai he,

Jaisa ki Hadish Shareef me he, ki Huzur Sallallahu alaihi w sallam ne sood lene walo or sood dene walo, soodi dastawez likhne walo or us ke gawaho par lanat farmai he or farmaya ki vo sab gunah me barabar ke shareek he.

Or bank yaha ke khalis jabki kafiro ka he to agarche ayse bank se zaid raqam dene ki shart par dukan wagairah ke liye rupyaa lana shar'an sood nahi ke yaha ke kuffar harbi he or Musalman w harbi ke darmiyan sood nahi..

Jaisa ki hadish Shareef Me He,
لاربا بین المسلم والحربی فی دارالحرب

Albatta jab ki musalmano ko nafa'a Zyada ho or nuqshan kam to bank se loan par qarz lena jaiz he,
Magar ayse bank se bhi bila zaroorat shadeeda ka qarz lana or unhe nafa'a dena manaa he.
*📚(FATAWA BARKATIYA, S-209)*

_Or Jaisa Ki Huzur Bahrool Uloom Hazrat Allama Mufti Abdul Mannan Sahab Aazmi Alaihir Rahma Taherir Farmate He,_

Majboori ki soorat me sood par qarz liya ja sakta he jabki us se zaaid ya barabar nafa'a ka yaqeen ho.
Ashbah Wan Nazaair Me He,
 یجوز للمحتاج الاستقراض بالربح

Lekin Aaj kal aam logo ne jis cheez ka naam majboori rakh chhoda he vo sharan majboori nahi he.
Jaisa ki Aala Hazrat Alaihir Rahma Fatawa Razviya Farmate He, Mohtaj Ke Ye Ma'ana he jo waqe'ee haqeeqi zaroorat qabil quboole shara'a rakhta ho. Na us ke bagair chara ho na kisi Tarah be soodi rupyaa milne ka yaara.

Ye matlab nahi ki allah ta'ala ne khata pita  banaya he aap tijarat ke liye government se soodi qarza le rahe he ye zaroorat sharaiya nahi or us ke liye sood qarza lena hargiz jaiz nahi.
*📚(FATAWA BAHROOL ULOOM, J-4, S-62)*

_Makhuz Yahi ki Hindustan ke kuffar Harbi he Or Harbi kafiro se jo zaaid raqam li jae ya di jae sood nahi. Loan bila Wajah Lena To Jaiz Nahi he. Is liye ki usme Qarz ki raqam se zyada dena padta he or ye najaiz he agarche ye sood ke zimme me nahi he. Ki sood Musalman Musalman ke darmiyan Me Ya Musalman or zimmi kafir ke darmiyan me hota he or hindustan ke kuffar gaire zimmi he to unse kisi tarah ka sood nahi he Lihaza unse unki raza se bagair bad ahdi ke jo kuchh mile vo Musalman ke liye khalis mubah he or unko zyada dena bila zaroorat bila hajat ye jaiz nahi he. Haañ Agar sachi sachi zaroorat ho ya hajate shariyah ho ki jiske bagair chara na ho ya kaam nikal sakta he lekin bahut mushkil se niklega us soorat me loan lene ki ijazat he jab ki ue aetemad ho ki jo loan liya he uski qiste(installment) waqte muqarrara par bhar dega or poori qiste ada kar dega to us soorat me loan le sakta he. Usme muslim ka nafa'a zyada he thoda unko nafa'a dena padta he.._

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Pathan Moin Raza Azhari,Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖========

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts