Qabr Par Azan Dena Kesa Or Kaha Se Sabit He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alalykum Mayyat Ko Kabr Me Dafn Karne K Baad Azan Dena Kaisa Aur Kaha Se Sabit Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
Mayyat Ko Dafn Karne Ke Baad Qabr Par Azan Dena Bilashubah Jaaiz Or Mustahsan Amal He.. Shara'a Me Iski Koi Mumaneat Mazkoor Nahi Balki Baaz Aulma Ne Ise Sunnat Bhi Bataya He.. Takbir Yaani Allahu Akbar Kahna Aag Ko Bujhata He Lihaza Qabr Par Azan Dene Se Murda Aag Se Mahefooz Rahega. Us Par Allah Ki Rahemat Nazil Hogi. Azan Dene Ke Kai Fawaaid He Maslan Azan Se Shaitan Or Sarkash Jinnat Bhagte Hai, Nakirain Ke Sawal Jawab Me Aasani Hoti He Wagairah...

Jaisa Ki Imame Ahle Sunnat Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Baaz Aulma E Deen Ne Mayyat Ko Qabr Me Utarte Waqt Azan Kahne Ko Sunnat Farmaya He. Imam Hajar Makki W Allama Khairul Millah Wad Deen Ramli Ustaze Sahibe Durre Mukhtar Alaihir Rahma Ne Unka Ye Qaul Naql Kiya Haq Ye He Ki Azan Mazkoor Fees Sawal (Qabr Par Azan) Ka Jawaz Yaqeeni He Hargiz Shara'a Mutahhar Se Iske Mumaneat Ki Koi Daleel Nahiñ Or Jis Amr Se Shara'a Mana'a Na Farmaye Aslan Mamnoo'a Nahiñ Ho Sakta...

Daleel Awwal:
Warid He Ki Jab Banda Qabr Me Rakha Jata He Or Sawale Nakirain Hota He To Shaitan Rajeem Wahañ Bhi Khalal Andaz Hota He Or Jawab Me Bahkata He. Or Sahih Hadeesoñ Se Sabit Ki Azan Shaitan Ko Dafa'a Karti He.

امام ترمذی محمد بن علی نوادر الاصول میں امام اجل سفیٰن ثوری رحمہ اللہ تعالٰی سے روایت کرتے ہیں :اذا سئل المیت من ربک تراأی لہ الشیطان فی صورت فیشیر الی نفسہ ای اناربک ۱؎ فلھذا ورد سوال التثبیت لہ حین یسئل
Yaani Jab Murde Se Sawal Hota He Ki Tera Rab Kon He ? Shaitan Us Par Zahir Hota Or Apni Taraf Ishara Karta He Yaani Me Tera Rab Huñ, Is Liye Hukm Aaya Ki Mayyat Ke Liye Jawab Me Sabit Qadam Rahne Ki Duaa Kareñ
*📚(نوادر الاصول فی معرفۃ احادیث الرسول الاصل التاسع والاربعون والمائتان الخ مطبوعہ دارصادر بیروت ص ۳۲۳)*

Or Sahih Hadeesoñ Se Sabit Ki Azan Shaitan Ko Dafa'a Karti He, 

Sahih Bukhari W Muslim Wagairahuma Me Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Marwi Huzure Aqdas  ﷺ Farmate Hai,
اذااذن المؤذن ادبر الشیطان ولہ حصاص 
Jab Muazzin Azan Kahta He Shaitan Pith Pher Kar Guzzanañ Bhagta He.
*📚(الصحیح لمسلم باب فضل الاذان وہرب الشیطان عندسماعہ مطبوعہ قدیمی کتب خانہ کراچی ۱/۱۶۷)*

Or Khud Hadees Me Hukm Aaya Jab Shaitan Ka Khatka Ho Fauran Azan Kaho Ki Vo Dafa'a Ho Jayega.

Or Jab Sabit Ho Liya Ki Vo Waqt Ayazubillah Madakhilate Shaitan Layeen Ka He Or Irshad Huva Ki Shaitan Azan Se Bhagta He Or Usme Hukm Aaya Ki Uske Dafa'a Ko Azan Kaho To Ye Azan Khas Hadeesoñ Se Mustanbit Balki Ayn Irshade Share'a Ke Mutabiq Or Musalman Bhai Ki Umda Imdad W Aanant Hui Jis Ki Khubiyoñ Se Qura'an W Hadees Mala Maal.

Daleel Dom:
Imam Ahmad W Tabrani W Bayhaqi Hazrat Jabir Bin Abdullah Radiallahu Anhuma Se Raawi,
قال لمادفن سعد بن معاذ (زاد فی روایۃ) وسوی علیہ سبح النبی صلی اللّٰہ تعالٰی علیہ وسلم وسبح الناس معہ طویلا ثم کبر وکبرالناس ثم قالوا یارسول اللّٰہ لم سبحت (زاد فی روایۃ) ثم کبرت قال لقد تضایق علی ھذا الرجل الصالح قبرہ حتی فرج اللّٰہ تعالٰی عنہ
Yaani Jab Sa'ad Bin Ma'az Radiallahu Anhu Dafn Ho Chuke Or Qabar Durust Kardi Gai Nabi ﷺ Der Tak SubhanAllah  Farmate Rahe Or Sahaba E Kiram Bhi Huzur Ke Sath Kahte Rahe Phir Huzur Allahu Akbar Allahu Akbar Farmate Rahe Or Sahaba Bhi Huzur Ke Sath Kahte Rahe, Phir Sahaba Ne Arz Ki Ya RasoolAllah ﷺ Huzur Awal Tasbeeh Phir Takbir Kyuñ Farmate Rahe ? Irshad Farmaya: Us Nek Mard Par Uski Qabr Tang Hui Thi Yahañ Tak Ki Allah Ta'ala Ne Vo Taklif Usse Dur Ki Or Qabr Kushada Farmadi.
*📚( مسند احمد بن حنبل عن مسندہ جابر بن عبداللہ رضی اللہ تعالٰی عنہما مطبوعہ دارالفکر بیروت ۳/۳۷۷ ۔۳۶۰)*

Is Hadees Se Sabit Hua Ki Khud Huzure Aqdas ﷺ Ne Mayyat Par Aasani Ke Liye Baade Dafan Ke Qabr Par Allahu Akbar Allahu Akbar Baar Baar Farmaya He Or Yahi Kalma Mubaraka Azan Me 6 Baar He To Ayn Sunnat Hua, Gayat Ye Ki Azan Me Uske Sath Or Kalimat Tayyibat Zaaid Hai Or Unki Zyadat Na Ma'azAllah Kuchh Muzr Na Us Amre Masnoon Ke Manaafi Balki Zyada Mufeed W Muayyad Maqsood He Ki Rahemate Ilahi Utarne Ke Liye Zikre Khuda Karna Tha...

Daleel Som:
Bilittifaq Sunnat Or Hadeesoñ Se Sabit Or Fiqh Me Musbat Ki Mayyat Ke Paas Halate Naza'a Me Kalma E Tayyaba لا الہ الا اللہ Kahte Raheñ Ki Use Sun Kar Yaad Ho.

Hadeese Mutwatir Me He Huzure Aqdas ﷺ Farmate Hai,
لقنوا موتاکم لاالٰہ الاللّٰہ
Apne Murdoñ Ko Laa Ilaha Illallah Sikhao..
*📚(سنن ابی داؤد باب فی التلقین مطبوعہ آفتاب عالم پریس لاہور ۲/۸۸)*
رواہ احمد ومسلم وابوداؤد والترمذی والنسائی وابن ماجۃ عن ابی سعید الخدری وابن ماجۃ کمسلم عن ابی ھریرۃ وکالنسائی عن ام المؤمنین عائشۃ رضی اللّٰہ تعالٰی عنہم۔

Ab Jo Naza'a Me He Vo Mijazan Murda He Or Use Kalma E Islam Sikhane Ki Hajat Ki Bahawlillahi Ta'ala Khatima Usi Paak Kalme Par Ho Or Shaitan Laeen Ke Bhulane Me Na Aaye Or Jo Dafn Ho Chuka Haqeeqatan Murda He Or Use Bhi Kalma Paak Sikhane Ki Hajat K Ba'awnillahi Ta'ala Jawab Yaad Ho Jaye Or Shaitan Rajeem Ke Bahkane Me Na Aaye Or Beshk Azan Me Yahi Kalmaلا الہ الا اللہ 3 Jagah Maujud Balki Uske Tamam Kalimat Jawabe Nakirain Batate Hai..

Unke Teen Sawal He,
Ab Azan Ki Ibteda Me Allahu Akbar Allahu Akbar, Ash'hadu Al Laa Ilaha Illallah Asha'hadu Al Laa Ilaha Illallah.. Or Aakhir Me Allahu Akbar Allahu Akbar Laa Ilaha Illallah Sawal 1.Man Rabbuk Ka Jawab Sikhayeñge. Unke Sunne Se Yaad Aayega Ki Mera Rab Allah He..

Or Ash'hadu Anna Muhammadur RasoolAllah Sawal 2. Maa Kunt Taqool Fee Hazar Rajul Ka Jawab Ta'aleem Kareñge Ki Me Unheñ Allah Ka Rasool Janta Tha... 

Or Hayya Alas Salah Hayya Alal Falah Jawab 3.Maa Deenuk Ki Taraf Ishara Kareñge Ki Mera Deen vo Tha Jis Me Namaz Rukn W Sutoon He.

To Baade Dafn Azan Dena Ayn Irshad Ki Ta'ameel He Jo Nabi  ﷺ Ne Hadeese Sahih Mutwatir Mazkoor Me Farmaya..
*📚(Mulakhkhssan, Fatawa Razviya Mutarjim, J-5, Mas'ala-388)*

Or iski Mazeed Tafsil Sarkare Aala Hazrat Ne Apne Risala
 ایذان الاجر فی اذان ھ القبر(۱۳۰۷ھ)
"Dafan Ke Baad Qabr Par Azan Kahne Ke Jawaz Par Mubarak Fatwa" Me Taherir Farmai He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓10 Aug 2022, 11 Muharram 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aurat Ko Qabrastan Jana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaykum
Auraton Ka Kabristaan Me Jana Kaisa? (Chahe Vo Dafnane Ki Surat Me Ho Ya Fir Fatiha Padhne K Liye Ya Koi Aur Surat )

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aurtoñ Ko Qabrastan Jana Mana'a He, Agarche Baparda Ho Kar Jayeñ, Apne Kisi Azeez, Rishtedar Ki Qabr Par Jayegi To

Muharram Me Bachchoñ Ko Faqeer Banana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualaikum Hazrat Kuchh Log Muharram Ki 7 Tarikh Ko Apne Bachchoñ Ko Fakeer Ka Hare Rang Ka Libaas Pehnate Hain..iski Asl Kya Hai

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sab Khurafat Or Jahalat He..

Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Kisi Bachcha Ko Faqeer Banaya Jata He Uske Gale Me Jholi Dalte Or Ghar Ghar Usse Bheek Mangwate Hai, Koi Saqqa (Yaani Paani Bhar Kar Laane Wala) Banaya Jata He, Chhoti Si Mashk Uske Kandhe Se Latakti He Goya Ye Darya E Furaat Se Paani Bhar Kar Laayega, Kisi Alam Par Mashk Latakti He Or Usme Teer Laga Hota He, Goya Ye Hazrat Abbas Alamdaar Hai K Furaat Se Paani Laa Rahe Hai Or Yazeediyoñ Ne Mashk Ko Teer Se Chhed Diya He, Isi Qism Ki Bahut Si Baateñ Ki Jaati Hai Ye Sab Lagw (Behuda) W Khurafat Hai Inse Hargiz Saiyeduna Hazrat Imam Husain رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُ Khush Nahiñ Ye Tum Khud Gaur Karo Ki Unhone Ehya E Deen W Sunnat Ke Liye Zabardast Qurbaniyañ Keeñ Or Tumne Ma'azAllah Usko Bid'aat Ka Zariya Bana Liya....... Ye Sab Najaaiz Or Gunah Ke Kaam He..
*📚(Bahare Shariyat, H-16, Baab Majaalise Khair, Mas'ala-8)*
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️6 Aug 2022, 7 Muharram 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Taziya Me Chanda Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Alaikum
Ek Sawal He Aap Hazraat Se 
K Tajiyadari Karne K Liye Or Tajiya Banane K Liye Jo Hamare Gaaw Me Banta He Banaate He Uske Liye Chanda Dena Kesa

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Taziya Jis Tarah Raaij He Na Ek Bid'at Balki Majma E Bid'aat He, Jo Najaaizo Haram Or Gunah He.. Usme Kisi Qism Ki Imdad Ya Chanda Karna Jaaiz Nahiñ, Balki Dene Wala Bhi Gunahgar Hoga....

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Taziya Me Kisi Qism Ki Imdad Jaaiz Nahiñ,
قال االلہ تعالیٰ
وَلا تَعَاوَنُوا عَلَى الإثْمِ وَالْعُدْوَانِ..
Allah Ta'ala Ne Irshad Farmaya: Gunah Or Zyadati Ke Muaamlat Me Ek Dusre Ki Madad Na Kiya Karo..
*📚(Surah Maaidah, Aayat-2)*
*(Fatawa Razviya Mutarjim, J-24, S-495, Mas'ala-198)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️7 Aug 2022, 8 Muharram 1444*
📲+
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

RasoolAllah ﷺ Ka Mujh Par Karam He Kahna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Asslamaualaykum


Aulmaye Kiram Ki Bargah Me Suwal He Ke Bad Aqida Ye Aitraaz Karte He Allah Or Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Mujhpar Karam He Ye Nahi Keh Sakte Sirf Ye Kaho Ke Allah Ka Karam He Iska Jawab Qur'an Wa Hadees Ki Roshni Me Ata Karke  Rehnumai Farmaye


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Aisa Sirf Kehna Hi Nahiñ Balki Aysa Aqida Rakhna Our Dil Se Usko Manna Yahi Ham Ahl E Sunnat W Jama'at Ka Aqida He Ke Allah Our Uske Rasool Ka Ham Par Karam He...


Quran E Pak Me Allah Kareem Irshad Farmata He... 

لَقَدْ جَآءَكُمْ رَسُوْلٌ مِّنْ اَنْفُسِكُمْ عَزِیْزٌ عَلَیْهِ مَا عَنِتُّمْ حَرِیْصٌ عَلَیْكُمْ بِالْمُؤْمِنِیْنَ رَءُوْفٌ رَّحِیْمٌ(۱۲۸)

Tarjama: Beshak Tumhare Paas Tum Me Se Wo Azeem Rasool Tashrif Laye Jin Par Tumhara Mashaqqat (Taklif) Me Padna Bahut Bhari Guzarta He, Wo Tumhari Bhalaai Ke Nihayat Chahne Wale, Muslmanoñ Par Nihayat Maherban, Rehmat Farmane Wale He.


Is Quran E Paak Ki Aayat Se Waazeh Ho Gaya Huzur Sallallahu Ta'ala Alayhi W Sallam Momino Par Bahut Zyada Maherban Our Rahmat W Karam Farmane Wale He..


Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He..

Waah Kya Jud O Karam He Shah E Batha Tera,

Nahi, Sunta Hi Nahi, Maangne Wala Tera.


Dar Asl Wahabiya Dayabna Ye Aqida Rakhte He Ke Jo Kuchh Maango Allah Se Maango Our Kisi Se Na Maango...


Magar Inki Samajh Me Ye Bat Nahi Aati Ke Haqiqat Me Har Cheez Ka Kahliq O Malik Allah Ta'ala Hi He, Our Ambiya W Mursaleen Ke Paas Jo Kuchh He Wo Sab Allah Ta'ala Ka Ata Karda Hi He, To Sabit Ye Huwa Ke Huzur Ka Karam Dar Asl Allah Ta'ala Hi Ka Karam He..


Aala Hazrat Yahi Batate He...

Rab He Muati (ata Farmane Wala) Ye Heñ Qasim

Rizq He Uska Khilate Ye He.

Our 

Me To Malik Hi Kahunga Ke Ho Malik Ke Habib

Yaani Mehboob Our Muhib Me Nahi Mera Tera.


Isko Our Aasan Andaz Se Samjhiye..

Ye Wahabiya W Dayabna Jab Bhi Koi Cheez Kisi Bhi Shakhsh Me Mangte He To Kya Usko Khuda Samjhte He ?nahi Balki Wo Is Bat Ko Taslim Karte He Ke Ham Chanda Seth Sahab Se Mang Rahe He Dar Haqiqat Is Maal Ka Malik Allah Ta'ala He Ke Ye Maal Usi Ne Seth Ko Diya He... Bila Tamsil Ham Bhi Jo Kuchh Sarkar E Do Aalam Se Talab Karte He Ya Unko Kareem Jante W Mante He To Yahi Aqeeda Rakhte He, Ke Huzur ﷺ Jo Kuchh Bhi Ata Farmate He Wo Allah Ta'ala Ki Ata Se He....

Wallahu Ta'ala Aa'alam

*✍🏻Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*

*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*

*🗓️19 July 2022, 19 Zilhijja 1443*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

📲+918487928693

*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Hindu Baba Ke Paas Faal Khulvana Or Us Par Yaqeen Karna ??

 *🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Koi Muslim Kisi Hindu Baba Ke Paas Jaye   Or Usse Faal Khulwaye   Or Faal Par Yaqeen Kare To Ya Hukum Hai

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Gair Muslim Hindu Baba Wagairah Ya Nujumi Jotish Wagairah Se Qismat Ka Haal Puchhna Ya Faal Khulvana Ki Jo Ye Batayega Vo Yaqeenan Haq Hoga, To Ye Kufr He.. Hadeese Mubaraka Me Aysoñ Ke Liye Waeed Warid Hui He.. Or Agar Ye Yaqeen To Na Ho Lekin Sirf Ragbat W Shoq Ki Wajah Se Ho To Gunahe Kabeera W Fisq He Or Agar Mazaq Ke Taur Par Ho, To Makrooh He Or Agar Nujumi Ko Hath Dikhana Usko Aajiz Karne Ke Liye Ho To Harj Nahiñ, Lekin Ye Aakhri Soorat Kam Hi Paai Jati He.. Or Ye Jawaz Uske Liye He Jis Ka Yaqeen Hukme Shariyat Par Mustahkam Ho, Warna Ye Na Ho Ki Nujoomi Ki Koi Baat Sahih Nikal Aai To Khud Hi Apne Iman W Yaqeene Shara'a Se Hath Dho Bethe..

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Kaahanoñ Or Jotishyoñ Se Hath Dikha Kar Taqdeer Ka Bhala Bura Daryaft Karna Agar Bataure Aeteqad Ho Yaani  Jo Ye Batayeñ Haq He To Kufr Khalis He. Isi Ko Hadees Me Farmaya,

فقد کفر بما نزل علی محمد صلی اﷲ تعالی علیہ وسلم۔
Beshak Us Se Inkar Kiya Jo Kuchh Huzur ﷺ Par Utara Gaya.
*📚(جامع الترمذی کتاب الطہارت بب ماجاء فی کراھیۃ ایتان الحائض امین کمپنی دہلی ۱/ ۱۹)*

Or Agar Bataure Aeteqad W Yaqeen Na Ho Magar Mel W Ragbat Ke Sath Ho To Gunahe Kabeera He. Isi Ko Hadees Me Farmaya..
لم یقبل اﷲ لہ صلوۃ اربعین صباحا۔ 
Allah Ta'ala 40 Din Tak Uski Namaz Qubool Na Farmayega.
*📚(جامع الترمذی کتاب الاشربۃ باب ماجاء فی شارب الخمر امین کمپنی دہلی ۲ /۸)*

Or Agar Hazl W Istihza Ho To Abas W Makrooh Himaqat He. Haañ Agar Baqasde Ta'ajeez (Yaani Nujoomi Ko Aajiz Karne Ke Liye) Ho To Harj Nahiñ..
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-21, S-155, Mas'ala-26)*

Sunan Ibne Maja Me He,
’من اتى حائضا او امرأة فی دبرها او كاهنا فصدقہ بمایقول فقد كفر بما انزل على محمد  صلى الله عليه و سلم‘
Jo Haaiza Aurat Se Ya Aurat Ke Pichhle Maqam Me Jima'a Karr Ya Nujoomi Ke Paas Jaye Or Uske Kahe Ki Tasdeeq Kare, To Usne Muhammad Mustafa ﷺ Par Utre Hube Ka Inkar Kiya 
*📚(سنن ابن ماجہ ، ابواب الطہارۃ ، باب النہی عن اتیان الحائض ، صفحہ 47 ، مطبوعہ کراچی )*

Or Hazrat Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemj Alaihir Rahma Ne Ibne Maja Ki Hadees Shareef Ki Yuñ Sharah Farmai He,
Khayal Rahe Ki Yahañ Se Sharai Kufr Hi Murad He, (Yaani Jo Kufr) Islam Ka Muqabil (he) (Ye Is Soorat Me He Ki Jab) Kaahan Nujoomi Ko Aalimul Gaib Jaan Kar Usse Faal Khulvayeñ Ya Gaibi Khabreñ Puchheñ Or Agar Gunah Samajh Kar Ye Kaam Kareñ To Fisq He Kufr Nahiñ Yahañ Kufr Se Murad Lagwi Ma'ana Hai Nashukri.
*📚(Miratul Manajeeh, Kitabut Taharat, Haiz Ka Baab, J-1, S-351, Matbuaa Ziya Ul Qura'an, Lahor)*

Or Huzur Shareh Bukhari Alaihir Rahma Farmate Hai,
Ayse Kafiroñ Ke Paas Jana Haram Qata'ee W Gunahe Kabeera Or Unki Khufya Batai Hui Baatoñ Ko Sach Janna Kufr He.
*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-2, S-605)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓18 July 2022, 18 Zilhijja 1443*
📲
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts