FATIHA KI CHIZ KO FATHA DENE KE PAHLE KHANA KAISA

*🌹SAWAL🌹*
Assalamu Alaikum W rahematullahi w barakatuhu

Jo khir puri banai jati he use fatiha dene ke pahle kha sakte he ya nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*

W alaikum Assalam W rahematullah Alaih

Jo kheer puri Banate he Use Agar Fatiha de kar khahege to Allah ta'ala usme barkate Nazil farmaega kyu ke Qura'ane Majeed Jis murde pe padh diya jaae To Allah uspe se Azab door kar deta he, Khane pe Padh di jaae to allah barkat ata farmata he ,kisi bimar pe padh di jaae to Allah shifa yaabi ata farmata he.
To Agar aap fatiha de kar khae to inshaAllah Allah ta'ala usme barkate zaroor nazil farmaega lekin agar koi shakhs bagair fatiha ke bhi kha leta he to isme koi harj nahi he, kha sakta he. Agar Fatiha dekar khata to sawab bhi milta or fatiha dekar nahi khaya he to bas khane se pet bharega.

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Khan_*
📲
==========➖➖➖➖=========

HAIZ WALI AURAT FATHA KA KHANA BANA SAKTI HE

*🌹SAWAL🌹*
Haiz Wali Aurat Faiha ka Khana Bana sakti he?

*🌹JAWAB:-🌹*

```Haiz wali Aurat Fatiha Ka khana ya aam khana bana sakti he is me koi shar'an harz nahi,,,```

Haiz Wali Ke Hath Ka Paka Huwa Khana Bhi Jayez Hai Aur Use Apne Sath Khilana Bhi Jayez Hai.
Hazrat-E-Ansa Bin Malik  رضی اللہ  عنہ Se Marwi Hai Ki Farmate Hai "Yahudiyon Me Jab Kisi Aurat Ko Haiz Aata Hai To Use Na Apne Sath Thahrate Na Use Apne Ghar Me Rakhte Nabi Kareem صلی اللہ علیہ و سلم Se Iske Bare Me Sawal Kya Gaya To Aap صلی اللہ علیہ و سلم Ne Farmaya ! Jima Ke Siwa Har Shai Karo- Lehaza Is Hadeese Pak Se Pata Chalta Hai Ki Haiz Ke Dinon Me Aurat Ko Alag Rakhna Yahudiyon Ke Feil Se Mushabihat Rakhta Hai.

*{📚 Bahare Shariat Hissa-02, Page No.41]*

*_Mas'ala_*
Haiz wali Aurat ko apne sath khilane ya uska jhutha khane me koi harz nahi, Hindustan me jo kuchh jagah unke bartan tak alag kar deti he balki Unke bartano ko napak bartan ki tarah samajti he, Yah Galat he yah hinduo ki rasme he, Aesi Behuda Rasmo se bachna zaroori he.
*(BAHARE SHARIYAT, HAIZ W NIFAS KE MUTA'ALLKK AHEKAM)*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Khan_*
📲
==========➖➖➖➖=======

SHARE MARKET ME LONG TERM INVEST KARNA KAISA ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Kya share bazar me long term invest kar ke profit hasil kiya ja sakta he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Share market me agar long term investment me ye khatra nahi he ki jis value ka share hasil kiya he kharidne ke baad vo value kam ho jaegi, balki vo aesa he jese  fixed deposit ya bank me jo rakam jama kar di jati he or us par profit milna yakeeni he to long term ka share kharida ja sakta he jab ke uski jo company he vo sab ke sab gair muslim uske malikan ho uske jo profit he vo musalman ke liye lena jaiz he. jese ki daak khano ki rakam or banko ki hindustan ya dusre mumalik me profit milta he. Or agar usme khatra ye he ki 10 rupee ka hamne share liya or vo 5 rupe ka rah jata he, Agar ye soorat he to ye soorat juve ki he, or isme apne maal ko zaaye karna he or khatre me dalna he ye najaiz he.

```🎙Al-JAWAB:- 👑QAZI UL QUZZAT, HUZUR TAJUSHSHARIYAH MUFTI MUHAMMAD AKHTAR RAZA KHAN QADRI,AZHARI☘```

Audio 👇🏻
http://jamiaturraza.com/session/31May09/16.mp3

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:-Pathan Moin Raza Khan_*
📲
=========➖➖➖➖=========

DADHI RAKHNA SUNNAT HE YA WAJIB,, QURAAN W HADISH SE

*🌹SAWAL:-🌹*

Dadhi Rakhna Sunnat he ya Wajib ?

*🌹JAWAB:-🌹*

```Hamare Muashre me Aksar Log Darhi rakhana Gair Zaruri Smjhte hain
Jabki Haqeeqat ye hai ki Darhi Rakhna Sirf Sunnat Hi nahi Balki Isko Wajib Kaha Gya hai```

Imame aazam abu hanifa or aaj tak ke tamam aulma e ahnaf ne dadhi ko wajib kaha,
Or shaikh Muhaddise haqq Dahelvi alaihir rahma ne mishqat ki shara'a me bhi dadhi rakhne ko wajib kaha he or Imame Ahle sunnat Aala Hazrat Alaihir Rahma ne Dadhi ke mas'ale par ek makhsoos kitab likhi jisme dadhi rakhne ko wajib kaha gaya he,Aam tarike se vo Huzur sallallahu Alaihi w sallam ka shiyaar w aadat hone ki wajah se ma'aroof tarike se sunnat kaha jata he lekin ye ki dadhi ka rakhna wajib he.
Uski sharai miqdar ek musht he, uska rakhna wajib he..

 ye baat aap ke zahen me rahe ki kabhi kabhi wajib ko sunnat keh diya jata he. Yaani sunnat to urf me kaha jata he lekin haqikat me uska hukm wajib ka he misal ke taur par ham jab idul adha ke mauke par qurani karte he to ye qurbani kya he ? Agar koi shakhs na kare to sakht gunehgar hoga or jo kare to yakeenan bahut bada sawab paega. or umooman aap jante he  ki qurbani karna wajib he.
Nabi e kareem sallallahu alaihi w sallam ki hadish he hazrate zaid ibne arqam radiallahu anhu ne sawal kiya vo farmate he huzur sallallahu alaihi w sallam ke sahaba e kiram ne aap se sawal kiya aap ne ye kaha ya rasoollallah sallallahu alaihi w sallam ye qurbani kya he ? Aap sallallahu alaihi w sallam ne farmaya hamare baap hazrat ibrahim alaihis salam ki sunnat he to hazrate ibrahim ka tarika or nabi e kareem sallallahu alaihi w sallam ka tarika hone ke aetbar se ise sunnat kaha jata he lekin ye yani qurbani wajib he. isi tarike se umooman mash'hoor he ki dadhi ka rakhna sunnat he lekin haqikat me dadhi ka rakhna wajib he.koi shaks dadhi na rakhe to vo tarke dadhi ka gunahgaar hoga

Iske Bareme Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم  Ne Iska Khas Hukm dia hai

Hadees Shareef:-
MushrikoN ki Mukhalifat Karo Darhi ko Badhaao Aur Moonchho ko Chhota karo
*📚(Bukhari Sharif 5892, 5893)*


Hadees shareef:-
Hazrat Abdullah Bin Umar Radiallahu Ta'ala Anhu
Farmate hain ki Rasoolullah صلى الله عليه وسلم Ne Moonchho ko Chhota karne Aur Darhi ko Badhaane ka hukm Dia Hai
*📚(Abu dawd 4199*
*📚Muslim Sharif 259*
*📚Tirmizi Sharif 2764)*

Quraan Ka hukm Rasoolullah صلى الله عليه وسلم Ki Ita'At Karne Ke Liye Allah Ta'ala Quraan me Irshad Farmata hai

Aur Jo Kuchh Rasool صلى الله عليه وسلم Tumhe De Wo le lo Aur Jis Baat Se Manaa Farmayen Usse Ruk Jao Aur Allah Se Daro Beshaq Allah Sakht Azaab Dene Wala Hai
*📚(Surah Hashr 59 Ayah No.7)*

Is Ayat Par Agar Gour Kia Jae To Hamen Pata Chalta he ki Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ke Hukmo ko Manna
Asal me Allah ke Hukm ko manna he, Aur Allah ke Hukm Ko Manna Aur Uspar Amal Karna Har Insan Par Farz hai

Aur Ek Jagah Allah Rabbul izzat
Irshad Farmata hai

مَنۡ یُّطِعِ الرَّسُوۡلَ فَقَدۡ اَطَاعَ اللّٰہ

Jisne Rasool صلى الله عليه وسلم ki Farmabardari ki Usne Meri Yaani
Allah ki Farmabardari ki
*📚(Surah Nisa 4 Ayah no. 90)*

Yaani Jisne Rasool صلى الله عليه وسلم ke hukm ko maana Usne Allah ke hukm ko Maana Ab Chunki Darhi Badhane
Ka hukm Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ne Farmaya hai Isliye Dadhi Rakhne me Na Sirf Rasool صلى الله عليه وسلم ki Farmabardari hai Balki Allah ki Farmabardari hai Dadhi Rakhane me Na Sirf Hadees Par Amal karna hua Balki Quraane Paak Par bhi Amal karna hua

Darhi Rakhna Wajib hai Aur isko katana ek Haraam Amal hai
jo Allah Aur Uske Rasool صلى الله عليه وسلم ki Narazgi ka Baish
hai

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Khan_*
📲
=========➖➖➖➖=======

Kya Nabi Ne Allah Ko Dekha ? Nabi Ne Meraj ki ? Quraan W Hadish Se Radde Wahabiya On Merajun Nabi

KYA ALLAH عزوجل KO DEKHNA MUMKIN HAI ?

Aaye pehle ye jaan le k Deedar e Rabbul Aalamin عزوجل Mumkin hai ya nahi kyuki kaum e wahabiya sabse pahle bhagne ka raste yehi se shuru karti hai ye kehke hi bhagti hai k ALLAH عزوجل ko Dekhna mumki hi nahi par wo kehte hai ye ratta tota jamaat hai quran ki 02 04 ayat ratt marli kaum ko gumraah karne lage aaye iska jaiza hum Quran e Karim Aur Hadees e Nabvi ﷺ se le taaki haq aur wajeh hojaye k ALLAH عزوجل ko Dekhna Mumkin Hai Ya Mahaal Hai.
Wahabi Quran ki jis aayat ko bataur e dalil pesh karte hai wo hai
Quran Ayat 01 :

لَا تُدْرِكُهُ الْأَبْصَارُ وَهُوَ يُدْرِكُ الْأَبْصَارَ ۖ وَهُوَ اللَّطِيفُ الْخَبِيرُ

“Koi Aankh Uska Ehaata Nahi Kar Sakti Aur Har Aankh Uske Ehaate Me Hai”
 (Surah Anam Ayat 103)
Is aayat ko pesh karke wahabi kehte hai k ALLAH عزوجل ka deedar Mumkin Nahi Hai Halanki is aayat me ye saabit nahi hota k ALLAH عزوجل ka Deedar Namumkin Nahi Hai balki logo ki Salahiyat ki Nafi Kiya Hai k Logo ki Ankho Me Wo Idraak Nahi Hai Jo Allah عزوجل ki Tajjaliat ko Bardast Kar Sake.
To Phir Jiski Aankho Me ALLAH عزوجل wo Idraak Ata kare Uske liye jarur Mumkin Hai k Wo ALLAH عزوجل ka Deedar Kar Sake.
Aaiye Quran dusre Makam par Allah عزوجل kya Farmata hai Deedar k Talluk se taaki masla bilkul clear hojaye.
Quran Ayat 02 :
   وَلَمَّا جَاءَ مُوسَىٰ لِمِيقَاتِنَا وَكَلَّمَهُ رَبُّهُ قَالَ رَبِّ أَرِنِي أَنْظُرْ إِلَيْكَ ۚ قَالَ لَنْ تَرَانِي وَلَٰكِنِ انْظُرْ إِلَى الْجَبَلِ فَإِنِ اسْتَقَرَّ مَكَانَهُ فَسَوْفَ تَرَانِي ۚ فَلَمَّا تَجَلَّىٰ رَبُّهُ لِلْجَبَلِ جَعَلَهُ دَكًّا وَخَرَّ مُوسَىٰ صَعِقًا ۚ فَلَمَّا أَفَاقَ قَالَ سُبْحَانَكَ تُبْتُ إِلَيْكَ وَأَنَا أَوَّلُ الْمُؤْمِنِينَ
“Aur Jab Moosa Hamare Waade Par Haazir Huwa Aur Usse Uske Rab Ne Kalam Farmaya Arz Ki Aye Rab Mere Mujhe Apna Deedar Dikha Ki Tune Tujhe Dekhu, Farmaya Tu Mujhe Hargiz Na Dekh Sakega
Haa Is Pahad Ki Taraf Dekh Ye Agar Apni Jagah Par Tehra Raha To Bahot Jald Tu Mujhe Dekh Lega
Phir Jab Uske Rab Ne Pahad Par Apna Noor Chamkaya Usse Tukde Tukde Kar Diya Aur Moosa Gira Behosh Huwa Bola Paaki Hai Tujhe Main Teri Taraf Ruzu Laaya Aur Mai Sabse Pehla Musalman Hoon”
(Surah Al Aaraf Ayat 143)
Tafseer E Jalalayn Jisko Do Bade Muhaddis Mufasir Mujadid ne Milke Mukammal Kiya
1) Imam Jalaludin Al Mahalli (2)Imam Jalaludin As Suyuti Ash Shafai
Iski Tafseer me Likhte Hai
“Tu Mujhe Hargiz Na Dekh Sakega iska matlab hai k Tum me Dekhne ki Salahiyat Nahi Hai isliye Allah عزوجل Ne Yaha Quran me Lafz (LAN TARANI لَنْ تَرَانِي ) istemal huwa Naaki LAN URA Jiska (Dekhna Na Mumkin Hai) Jis se Pata Chalta Hai K Allah عزوجل ko Dekhna Mumkin Hai aur Aage Farmaya Agar Pahad apni Jagah Rahe To Bahot Jald Mujhe Dekh Lega”
(Tafseer E Jalalayn Vol : 01, Pg : 167, Under Surah Al Araf Ayat 143)


Hakim Al Mustadrak me Hadees e Paak Hai Jisme Hai k Moosa عليه السلام ne Tazaliat e Rabbani k Noor ka ek Halka sa Mushaida kiya jo Fakat Sabse choti Ungli k Nakhoon K Chote se Hisse k barabar hi jhalak dekhi aur Behosh hogaye.

Is aayat se ye pata chala k Allah عزوجل ko Dekhna Mahaal Nahi Hai Aur Ambiya ki ye shaan nahi hai k ALLAH se Mahaal Chiz ka sawal aur ilteza bhi kare Agar Allah Chahe to Deedar karade ALLAH عزوجل k Liye ye Namumkin Nahi Hai.Ab aaye ek aur Aayat e Mubarika Deedar E ALLAH عزوجل K MUTTALIK taaki aur baat samajh aajaye
وُجوهٌ يَومَئِذٍ ناضِرَةٌ
إِلىٰ رَبِّها ناظِرَةٌ
“Kuch Muh (Faces) Us Din Taro Taaza Honge Apne Rab Ko Dekhte”
(Surah Qiyamah Ayat 22 - 23, Surah No 75)
Subhan Allah is aayat e Mubaraka se ye pata chala k Allah عزوجل ka Deedar Namumkin to nahi aur hadees e paak me bhi aata hai k Jannat me Musalman Apne Rab ka deedar karenge. Alhamdullilah
Ab iski taid me ek hadees e paak bhi pesh e nazr hai.

Hadees :
”Hazrat Adi ibn Hateem رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hai k Rasoolullah ﷺ ne farmaya Tum Me Se Har Koi Anqareeb Apne Rab se Kalam Karega is haal me koi Parda Na Hoga Tum Rab se Kalam Karoge aur Be Hizab Deedar Bhi Karoge”
References :
(Sahi Bukhari, Vol : 03, Kitab No 97 Kitabut Tawheed, Hadees :7443)
(Sunan ibn Majah, Kitabus Sunnah/Kitabul Mukaddamah, Hadees : 185)
(Musnad E Ahmad Vol : 04, Pg : 360)

Isi Tarah Allah عزوجل k deedar k Muttalik Bahot si Hadees Shaheed Hai. Alhamdullilah In daleel se ye wajeh hua k ALLAH عزوجل ka Deedar Namumkin to Nahi jab ek Musalmaan behizab Rab Ka Deedar karega to Kya Meraj Me Nabi e Karim ne Rab ka deedar Na kiya hoga.

2) KYA MERAJ KI RAAT ME NABI صلى الله عليه وسلم NE ALLAH عزوجل KA DEEDAR KIYA HAI ?


Is Masail me Salf Salaheen ka ektelaf hai k Allah عزوجل k Nabi ﷺ ne Meraj Ki raat me Allah زوجل ka Deedar kiya ya nahi Umool Momineen Hazrat Ayesha Siddika Tahira Radi Allaho Anha aur Baaj Sahaba e Kiram Radi Allaho Anha Azmain ne farmaya k Meraj me Aap ﷺ ne Allah عزوجل Ko Nahi Dekha aur In Hazraat ne ما كَذَبَ الفُؤادُ ما رَأىٰ (Surah Nazm Ayat 11) “Dil Ne Jhoot Na Kaha Jo Dekha” is aayat ki tafseer me farmaya k Allah زوجل ka Nahi Balki Roohul Jibril E Ameen Alaihi Salam ko unke asli shaklo surat me dekha unke unke 600 par (wings) the, aur baaj Salaf ne jaise Saeed ibn Jabir jo mashoor Tabai hai unhone kuch bhi kehne se tawaako (Silent) farmaya aur Sahaba wa Tabain ki bahot badi jamaat ne kaha k Nabi e Karim ne Allah Ka Deedar Apne Matho ki Aankho se kiya hai”
(Imam Qazi Al Ayaz Ash Shifa Shareef Vol : 01, Pg : 120)
Ahle Sunnah Wa Jamaat ka Maslak O Mazhab majority Sahaba Tabaeein Fukaha Muhadeesin k taraf hai aur wo ye hai k Allah K Nabi ﷺ ne Meraj Ki Raat ALLAH عزوجل ka DEEDAR apne MATHO ki aankh se kiya.
 Ye humne dono maamlaat saaf saaf likh diye ab aaye mukhalifeen ki dalil aur apne jawabat ki taraf.
Musalmano me mauzoda jamane me Gair Mukallid Wahabi ye kehte milenge k Nabi E Karim ﷺ ne Allah Tabarakwatala ka Deedar nahi kiya aur apni is baat ko sahi saabit karne k liye wo dalil denge 02 hadees ye wo tabka hai jiska daawa hai sabse zyada padha likha hone ka magar jab inki kabiliat aur ilm ka jaiza lo to pata chalta hai inke paas hai kuch nahi siwaye chand khawarij Mullao ki takreero se siwa jo sunte hai wohi bulte hai tote ki tarah ab jo dalil ye dete hai deedar na karne ki wo ye hai pehle ispe tabseera kare phir hum us hadees ki taraf roshni daalenge jo sabse zyada ghoti jaati hai khwarij mullao ki taraf se ab aaye Kaum e Wahabiya k Dalil Ka Tehkeeki Jaiza le.

WAHABIYO K NAA DEKHNE WAALI DALIL KA JAIZA
Dalil Ya Objection 01 Kaum E Wahabiya ki Taraf Se :
Hadees :
Hazrat Abu Jarr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat k Unhone Rasool Allah ﷺ Se Pucha Kya Aap ne Rab Ta’ala ko Dekha ?
Farmaya Wo NOOR Hai Mai Kaise Dekh Sakta Hoon ?”
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitabul Imaan, Hadees : 178 Arabic)
(Sahi Muslim Hadees : 341 English Version)
Is hadees se ye batane ki koshish ki kaum e wahabiya ne k ALLAH عزوجل ko NABI ﷺ ne Ne Nahi dekha.
Ab iske baad hi dusri Hadees hai wo bhi dekhe jispe dekhna Saabit Hai aur in dono hadeeso pe tabseera karen phir

 Hadees :
Hazrat Abdullah bin Shaqik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Farmate Hai Maine Hazrat Abu Jarr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Kaha Agar Mai Nabi e Karim ﷺ ko dekhta To Mai Aap Huzoor ﷺ Se Puchta.
Hazrat Abu Jarr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Farmate Hai Aye Shaqik Tum Kya Puchte ?
Farmaya Mai Puchta Aye Allah K Nabi ﷺ Kya Aapne Allah ko Dekha Hai ?
Hazrat Abu Jarr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Farmate Hai Aye Shakik Maine Pucha Tha Aur Rasool Allah ﷺ ne Farmaya MAINE NOOR KO DEKHA”
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitabul Imaan, Hadees : 178 Arabic)
(Sahi Muslim Hadees : 342 English Version)
Pehle Hadees No. 341 ye galat translation ki gayi kaum e wahabiya ki janib se jiska sahi tarjuma hum aage karenge kyuki ye wrong translation karke kaum e wahabia k chote chote mendak watsapp facebook me tableeg kar rahe hai isliye iska khulasa karna jaruri hai.
Agar iske wohi maane liye jaaye jo wahabio ne bayan kiye hai to iske baad waali Hadees no 342 aur 341 me Tazaad (Contradiction) saaf nazar aayga ek me kaha gaya hai k NOOR HAI MAI KAISE DEKH SAKTA HOON wahi dusri very next hadees no 342 me likha hai k MAINE NOOR KO DEKHA ab ek me Naa dekhna saabit horaha hai dusre me DEKHNA Saabit horaha hai aur wo bhi dono k raavi me bhi ek hi naam Hazrat Abu Jarr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ka hai ye mumkin hi nahi k wo ek jagah kuch kahe aur dusri jagah kuch aur Imam Muslim رَضِیَ اللهُ عَنْهُ koi Raah chalte Aalim nahi the apne daur k Sabse bade Muhadiseen me se hai jinka ilmul hadees kisi se chupa nahi hai wo ye galti kar hi nahi sakte k do hadees is tarah laaye wo bhi ek k baad ek to phir iska maane kya hai ?
Yaha Dhyan se padhe Maazra ye hai k hadees k translation me ghotala kiya wahabio ne jaha se Dekhna Saabit horaha tha waha se naa dekhna saabit karne lage wo bhi tarjume ko change karke ab aaye hum word to word arabic se translation karen taaki saamne sab clear ho jaaye.

حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، عَنْ يَزِيدَ بْنِ إِبْرَاهِيمَ، عَنْ قَتَادَةَ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ شَقِيقٍ، عَنْ أَبِي ذَرٍّ، قَالَ سَأَلْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم هَلْ رَأَيْتَ رَبَّكَ قَالَ ‏ "‏ نُورٌ أَنَّى أَرَاهُ ‏"‏

Puri Sanad Imam Muslim ne likhi aur wo sanad aakhir me Sahabi E Rasool ﷺ Hazrat Abu Jarr tak pahuchayi hadees ka sabse important word humne red mark kiya hai jiska translation word to word karenge.

Hazrat Abu Jarr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat k Unhone Rasool Allah ﷺ Se Pucha Kya Aap ne Rab Ta’ala ko Dekha ?
Farmaya Wo NOOR Hai ( ‏ نُورٌ), Maine Usse Dekha (أَنَّى أَرَاهُ ‏)”
Reference:
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitabul Imaan, Hadees : 178 Arabic)
(Sahi Muslim Hadees : 341 English Version)
ye hai hadees e paak ka sahi translation magar badmazhabo ne translation me kya likha k Wo NOOR Hai Mai Kaise Dekh Sakta Hoon
Now word to word translation taaki aur aasani se samajh aajaye.
 نُورٌ = Wo Noor Hai (He Is Light)
 أَنَّى = Mai, Mujhe, Mai Khud (I, Me, Myself)
أَرَاهُ = Dekha Usse (Saw Him)
Ye hai hadees ki sahi tashreeh magar badmazhabo ne tarjume me khayanat dikhayi aur hadees k tarjume ko badal k awaam k saamne pesh kiya ALLAH عزوجل badmazhabo k makar o fareb se mehfooz farmaye. Humne unke galat tarjume aur apne sahi dalail se ek dalil abhi saabit ki deedar hone ki hadees e sahi se.

Dalil Ya Objection 02 Kaum E Wahabiya ki Taraf Se :
HADEES E UMMOL MOMINEEN AYESHA SIDDIKA RADI ALLAHO ANHA
Is Hisse ko Hum 02 Parts me divide karte hai aur Compare Karenge bilkul clear words me taaki shak o subhat ki koi gunjaish na rahe.
A) Hazrat Masruk Tabai se rivayat Hadees Aur Hazrat Anas bin Sahabi Se Rivayat Hadees
B) Hazrat Abdullah ibn Abbas Sahabi se rivayat hadees aur Hazrat Masruq Tabai se Rivayat Hadees

A) Hazrat Masruk Tabai se rivayat Hadees Aur Hazrat Anas bin Malik Sahabi Se Rivayat Hadees Ka Bayan Aur Jaiza
Hadees :
“Hazrat Masruq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hai k unhone Ummul Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha se Suna k Unhone Farmaya Jo Ye Kahe K Nabi E Karim ﷺ ne Allah Tabarakwatala ko Dekha Hai Wo Jhoota Hai”
References :
(Sahi Bukhari Vol : 03, Kitab No 97, Kitabut Tawheed, Hadees : 7380)
Isi Tarah ki Hadees ko kuch alfaz k changes k saath Imam Muslim ne likha hai
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitabul Imaan, Hadees : 177)
Yehi Sunaya jaata hai awaam ko aur is hadees ko base banake Kaum e Wahabiya k nanhe nanhe muballig jo fakat 02 04 takreer sun english me wahabi aur christian website padh watsapp facebook munazir bane ghumte hai wo msg k through aur inke mullahs apne speech me ye bayan karte hai k dekho hadees me aaya k jo ye kahe K Nabi e Karim ﷺ ne Allah ka deedar kiya wo jhoota hai par ye la ilm kaum akal,muttala se khali hai jo na aimma ko maanti hai fukaha ko na sharain ko bas jo apne dil ka accha laga jo akal me samaya usko maanti hai lekin bas ek hadees padhke aap pura akeeda nahi bana sakte iske liye mazeed muttale ki jarurat hai.
Ab Aaye Hum ussi Bukhari Sharif ki dusri hadees Likhte hai
Hazrat Anas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne jo ke Sahabi hai unhone ek taveel riyavat bayan ki Safar e Meraj ki jo unone Nabi E Karim ﷺ se Suna hai us hadees ka hum wo hissa likh rahe hai
Hadees :
حَتَّى جَاءَ سِدْرَةَ الْمُنْتَهَى وَدَنَا الْجَبَّارُ رَبُّ الْعِزَّةِ فَتَدَلَّى حَتَّى كَانَ مِنْهُ قَابَ قَوْسَيْنِ أَوْ أَدْنَى
Hazrat Anas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hai “Pura Meraj ka Wakya Bayan kiya”.... Fir Kehte hai “Huzoor Sidratul Muntaha Par Tashreef Laaye aur Izzat Waala Jabbar (Allah ) Yaha Tak K Karib Huwa Aur Nazdik Aaya k Do Kamano Ya Is Se Bhi Kam Ka Faasla Reh Gaya”
(Sahi Bukhari, Vol : 03, Kitab No 97 Kitabut Tawheed, Hadees : 7517)
Ab aaye Hum dekhe dusri hadees Hazrat Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ waali bhi hai jo bahot si kutub e hadees me alag alag sanado se aayi hai wo dekhenge (B) part me filhal ye hadees k hisse me thodi tehkeek

A) Hazrat Masruk رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Tabai se rivayat Hadees Aur Hazrat Anas bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Sahabi Se Rivayat Hadees ko dekhe in dono hadees me hume kis taraf jaana chahye ek aam musalmaan kaise samjhe k kis ko follow karen.
Point Wise :
1) Awwal to ye Jab Wakya E Meraj Huwa us wakt Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha ki umr 04 baras ya 06 baras thi aur wo Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم K Nikaah me bhi naa aayi to unhe is masle ka mukkamal ilm na tha aur agar baad me unhone ye bayan bhi kiya hai to ye Kaul e Umool Momineen Hai jiske baare me Aimma Fukaha ne likha hai k Umool Momineen jo na dekhne ki baat kahi hai wo is dunaya me rehte huwe na dekhne ki baat kahi hai par Hamare Nabi صلى الله عليه وسلم ne ALLAH عزوجل ko is dunya me nahi balki Laa Maka me apne Matho ki aankh se dekha hai.
2) Sanad pe behas Hazrat Ayesha Siddika Radiallahu Anha ka Kaul Bayan huwa hai Hazrat Masruq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se Joke ek Tabai Hai. To Yaha Sanad (Chain) pahuchi Tabai se Sahabiya tak.
Chain : Hazrat Masruk رَضِیَ اللهُ عَنْهُ - > Ummol Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha Yaani Tabai se Sahabiya tak.
3) Hazrat Anas bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ joke Khud Jalilul kadr sahabi hai unki rivayat hai direct Rasool Allah صلى الله عليه وسلم se Yaani ki Sanad Sahabi se Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم tak pahuchi.
Chain : Hazrat Anas Bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ - > Huzoor e Akram صلى الله عليه وسلم Tak Sahabi se Nabi E Karim ﷺ Tak.
To Ab is masle me usool (Kanoon) ye hai k hum Farmaan e Nabi ﷺ ko tarjeeh denge aur uspe akeeda banaynge naaki us hadees pe jispe Kaul e Sahaba hai aur ye baat koi hamari aajki dalil nahi hai Shara e Hadees bhi yehi kehte hai chunache
Sabse Motebar Shara e Bukhari Me se ek Imam Ibn Hajar Al Asqalani رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه is hadees ki shara me likhte hai wahabi maulvi khud inhe bahot maante hai.

عن المروزي قلت لأحمد إنهم يقولون إن عائشة قالت من زعم أن محمدا رأى ربه فقد أعظم على الله الفرية فبأي شيء يدفع قولها قال بقول النبي صلى الله عليه وسلم رأيت ربي قول النبي صلى الله عليه وسلم أكبر من قولهاTranslation : “Hazrat Maruzi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه ne Imam Ahmad Ibn Hambal رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه se pucha k Log Kehte hai Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha ne Kaha k Jo ye Kahe K Nabi ﷺ Ne Allah عزوجل ka deedar kiya wo Jhuta Hai iska kya jawab hai.
Hazat Imam Ahmad Ibn Hambal رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه Farmate hai jab Nabi e Karim ﷺ ne khud Irshad Farmaya ( رأيت ربي ) MAINE MERE RAB KO DEKHA ye jawab Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha Ka k kawl ka hai Kyuki Nabi e Paak ﷺ ka Farman Ummol Momineen Ayesha Siddika Radiallaho anha Se Zyada BADA (Superior) Hai”
(Fath Ul Baari Shara e Sahi Bukhari, Vol : 08, Pg : 494)
Allama Ibn Hajar Asqalani رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه ne yaha pure masle ka hi khulasa kiya k hum usko Follow karnge jo Nabi e Karim Rauf o Raheem ﷺ Ne farmaya yaani NABI ﷺ NE ALLAH KO DEKHA hai wo bhi Imam Ahmad Ibn Hambal ka farman yehi hai wahabi aaj dawa bahot karte hai Imam Ahmad ibn Hambal ko maan ne ka yaha tak k pura saudi Fiqah e Hambli pe chalta hai unka bhi yehi akeeda k NABI NE ALLAH عزوجل KO DEKHA HAI.
Kya karenge Wahabi Agar Apne Abba k acche bacche hai to Lagaye Fatwa Hazrat Anas ibn Malik pe Imam Ibn Hajar Asqalani pe Imam Ahmad ibn Hambal pe Radiallaho anha azmain pe ? Kisi maa ne wo beta jana hai to dikhaye hume bhi fatwe.
Takreero me kehte hai wahabi jo ye Kahe K Nabi ﷺ ne Allah عزوجل ko Dekha wo kafir hai Nauzubillah abhi aage dekhe hum kitne hawale denge inko dekhne naani yaad aajaygi pyjama gila hojaynge pura padhne k baad inke mullo aur facebook watsapp muftio k khokle gande chehre saamne aajaynge.
B) Mufassire e Quran Sahabi e Rasool ﷺ Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hadees e Paak.
Iske pehle hadees bayan kare hum Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ka makam aur martaba bayan karde taaki koi wahabi ye na kahe kiski hadees likh di.
Hadees :
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ farmate Hai
“Ek baar Nabi e Karim Ne Mujhe Apne Sine (Chest) Se Lagaya Aur Dua Ki Aye ALLAH Abdullah ibn ABBAS رَضِیَ اللهُ عَنْهُ KO Quran Ka Ilm Aur Hikmat Ata Farma”
Reference :
(Sahi Bukhari, Vol : 02, Kitab No 62 Fazail E Ashabun Nabi, Baab : Zikr Ibn Abbas, Hadees : 3756)
(Jamai Tirmizi, Vol : 03, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4195)
(Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Kitab Us Sunnah, Hadees : 171)
ye Makam hai Sahaba me jinke Haq me Quran ki Samajh ki dua Khud Nabi e Akram ﷺ ne Ki aur Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ khud Sahaba e Kiram ki jamaat me sabse pehle Muffasir huwe aapki Tafseer Ibn Abbas k naam se mashoor hai.
Ab aaye Meraj Un Nabi ﷺ Me ALLAH عزوجل k deedar k talluk se hadees Yu To Ibn Abbas se rivayat bahot si kutub me hai par yaha hum 02 likh rahe hai mulahiza kare.
Hadees :
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Farmate Hai Hum Bani Hashim Kehte Hai beshak Nabi e Karim ne ALLAH ka Deedar Kiya”
(Jamai Tirmizi, Kitab No 47 Kitabut Tafseer, Hadees : 3201)
Imam Tirmizi Ne Is Hadees ko HASAN kaha Hai

Hadees :
Imam Ahmad ibn Hambal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne Apni Musnad me nakl kiya rivayat hai
قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم رأيت ربي عزّ و جل
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ bayan farmate hai k RASOOL ALLAH ne farmaya MAINE MERE RAB KO DEKHA”
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal, Vol : 01, Pg : 285, Print : Al Maktab Al Islami, Beirut)
(Imam ibn Asim Vol : 01, Pg : 188, Hadees : 433)
(Imam Haythami Al Majmau Zawaid , Vol : 01, Pg : 178)
Imam Jalaludin Suyuti ne Khasais Al Kubra Vol : 01, Pg : 161 pe likha ye Hadees Sahi Hai.
Imam Abdur Rauf Munadi ne Tahsheer Shara Jama as Sageer Vol : 02, Pg : 25, Maktaba Riyadh me Likhte hai ye hadees Sahi Hai.
Ab Aaye Is Hadees pe bhi Sharain ka jawab padhe Chunache Imam Nawawi Ash Shafai رَضِیَ اللهُ عَنْهُ likhte hai
 “Jab ye Baat Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ki Hadees e Sahi se Sabit Hai to Hum ye Guman Nahi karte k ye unka apna KAWL hai Unhone ye Rasool Allah se Sunke Hi Farmaya Hai,
Ma’mar ibn Rashid (Tabain) ne Umool Momineen Aur Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ k ektelaf k baare me kaha k Ummool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha ko us wakt is masail me pura Ilm na tha, Jabki Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ isko saabit kar rahe hai aur kuch log Nafi kar rahe hai to Usool k mutabik Masbat ko maana jayga Naki Nafi (rejection) Ko”
(Shara E Sahi Muslim, Kitabul Imaan, Baab : Allah K Nabi Ne Deedar Kiya)
Imam Nawawi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ bhi Deedar waali hadees ko accept kar rahe hai.
Ab aaye dusri ek aur dalil aaj kaum e Wahabiya Huzoor Sayyidi Shaikh Abdul Qadir Jilani رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ko maan ne ka bahot daawa kar rahi aur kitabo pe kitabe chaap rahi hai sirf is baat ko saabit karne k liye k Gaus e Paak Ahle Hadees the goya Awaam ko ye batana chah rahe hai k Gaus e Aazam ka akeeda aur wahabiya ka akeeda ek ho magar hum challenge karte hai kaum e wahabiya ka koi ek bhi nazariya aur akeeda aisa nahi jo Wahabio ka Gaus e Aazam رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se mel khata ho balki aqaid me wo AHLE SUNNAH k aqaid pe hi the aur fiqh me Imam Ahmad ibn Hambal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ k mukallid the.
Chunache uzoor Sayyidi Shaikh Abdul Qadir Jilani رَضِیَ اللهُ عَنْهُ kya farmate hai padhe unki maarakatul aara kitab GUNYATUTALIBEEN me.

“Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ farmate Hai ki Hazrat Ibrahim عليه السلام Ko Khullat Mili , Hazrat Moosa عليه السلام ko Kalam aur Muhammad ﷺ Ko Deedar E Ilahi Haasil Huwa.
Hazrat Abdullah Ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Ne ye bhi farmaya Muhammad ﷺ ne Apne Rab Ko Apne Matho ki Aankho Se DO baar Dekha. Ye rivayat Hazrat Ayesha Siddika Radi Allaho Anha k Us Rivayat se Maarij Nahi Jo Ro’eet k Inkaar Me Marvi Hai Isliye k Isme Nafi Hai aur Rasool Allah ﷺ ne Apne Ro’eet ka Isbaat Farmaya Hai.
Hazrat Abu Bakr bin Suleman رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ka Kaul Hai k Rasool Allah ﷺ ne apne Rab Ka deedar 11 martaba Kiya , 9 Baar Ka Saboot Hadees E Paak se milta Hai Jab ki Aapne Hazrat Moosa عليه السلام aur Allah عزوجل k Maa’bain Takhfeef E Namaz K Liye Baar Baar Gaye
aur 50 Wakt Ki Namaz K Bajaye 5 wakt Namaz Farz Ki Gayi (45 Baar Ki Takhfeef Hogyi) Ye Sunnan Nabvi se saabit hai aur 02 baar ALLAH ka deedar Quran Se Saabit Hai.
(Guniyatutalibeen, Baab Shab e Meraj Ka Bayan, Pg : 186)

3) DEEDAR K TALLUK SE AIMMA MUHADISEEN FUKAHA KA KYA AKEEDA THA ?

Sahaba E Kiram Rizwanullahi Azmaeen Ki Jamaat Ka Aqeeda
“Hazrat Abdullah bil Al Haris رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne rivayat kiya hai k Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ aur Hazrat Kaab رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ek Mazlis me Jama Huwe to Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne farmaya koi Kuch bhi Kehta Rahe Lekin Hum Bani Hashim K Log Yehi Kehte Hai k Bila Shuba Hazrat Muhammad Mustafa ﷺ ne Yakinan Apne Rab عزوجل ko Meraj Me Do Martaba Dekha. Ye Sunkar Hazrat Kaab رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Ne Is Zorse Naara Maara k Pahadiya Gunj Uthi Aur Farmaya Beshak Hazrat Moosa عليه السلام ne Allah عزوجل se Kalam Kiya Aur Hazrat Muhammad Mustafa ﷺ ne Allah عزوجل ko Dekha”
(Tafseer Ibn Kathir Surah Nazm Ayat 05)

Hazrat Abu Jarr Gaffari رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne ما كَذَبَ الفُؤادُ ما رَأىٰ (Surah Nazm Ayat 11) “Dil Ne Jhoot Na Kaha Jo Dekha” is aayat ki tafseer me farmaya hai k Nabi ﷺ Ne Apne Rab عزوجل Ko Dekha.
Isi tarah Hazrat Muaz Bin Jabal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Ne Huzoor E Akram ﷺ Se rivayat Kiya Hai ‘Maine Apne Rab Ko Dekha’
Muhaddis Imam Abdur Razzaq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Naakil Hai k Imam Hasan Al Basri رَضِیَ اللهُ عَنْهُ is baat par halaf uthate the k yakinan Nabi e Karim ﷺ Ne Apne Rab Ko Dekha aur baaj Mutakkalimeen ne Nakal kiya Hai k Hazrat Abdullah ibn Masoodرَضِیَ اللهُ عَنْهُ ka bhi mazhab yehi tha aur ibne Isaaq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Likhte hai k Hakim e Madina Marwaan ne Hazrat Abu Hurraira رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se Sawal kiya k Kya Hazrat Muhammad ﷺ ne Apne Rab ko Dekha To Aapne Jawab Diya “JEE HAA”

Isi tarah Nakkash ne Hazrat Imam Ahmad Ibn Hambal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ k baare Me Zikr Kiya Hai k Hazrat Imam Ahmad Ibn Hambal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne Farmaya Mai Hazrat Abdullah Ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ k Mazhab Ka Kayal Hoon wo ye k Meraj me Huzoor e Akram ﷺ ne ALLAH KO DEKHA DEKHA DEKHA … Itni Der Tak Wo DEKHA kehte Rahe Hatta k Unki Saans Toot Gayi”
(Qazi Al Ayaz Ash Shifa Vol : 01, Pg : 119/120)

 Sahaba,Imam Hasan Basri, Imam Abdur Razzak Rizwanullahi Azmaeen Ka Akeeda


Imam Ibn Khuzaima رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Ne Urwa ibn Zubair رَضِیَ اللهُ عَنْهُ k hawale se likha “Hazrat Urwa ibn Zubair رَضِیَ اللهُ عَنْهُ farmate the NABI E KARIM ﷺ ne MERAJ Ki raat ALLAH عزوجل ko Dekha
و انه كان يشتد عليه إنكارها Jab Koi Is Baat Ka Inkaar Karta to Sakht Gamgin Hojate”
(Sharha Zarqani ala al-Mawahib, Vol 1, Page 116, Print : Dar al Ma'arifah - Berut)

Urwa ibn Zubair رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ye Siddik e Akbar رَضِیَ اللهُ عَنْهُ K Pote (Grandson) Hai Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha K Bhanje Hai Us Lihaj se riste me Rasool Allah ﷺ k Bhanjne Bhi Huwe Jalilul Qadr Tabain hai aur yehi akeeda Tabain ki Bahot badi Jamaat ka Tha.
Sayyiduna Kaab Ah'baar رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Jo Pehle ki Kitabo k Aalim The
Imam Ibne Sha'haab Zahri Qarshi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ

Imam Mujaahid Makh'zoomi Makki رَضِیَ اللهُ عَنْهُ

Imam Akrama bin Abdullah Madani Haashimi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ

 Imam Ata bin Rabah Qarshi Makki (Radi ALLAHu Ta'ala Anho) (Ustaaz Imam Abu-Hanifa رَضِیَ اللهُ عَنْهُ )
 Imam Muslim bin Sabeeh Abud-Duha Kufi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ aur bhi bahot se jalilud qadr Tabain Tabe tabain ka yehi Akeeda tha k Nabi e Karim ﷺALLAH ka Deedar Kiya

Imam Abdur Razzak (Ustaad e Imam Ahmad ibn Hambal /Imam Bukhari rahimullah Ta’ala Azmain ) inhone apni Musannaf Me Apne Ustaad Imam Mau’maar Se rivayat kiya
Ibn Khuzaimah رَضِیَ اللهُ عَنْهُ SAHI SANAD k saath rivayat karte hai Anas bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Farmate Hai Muhammad Ne ALLAH KO DEKHA, yehi rivayat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Hai aur Unke Shagird jaise Kaab Al Ahbaar, Zuhiri and Mamar se hai, Imam Abdur Razzaq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne Mamar se rivayat ki k Imam Hassan Basri رَضِیَ اللهُ عَنْهُ kehte They Mai HALAF (Kasam) Uthata Hoon K Muhammad Ne ALLAH KO DEKHA, ibn Khuzaima Ne ALLAH Ka DEEDAR hona Hazrat Urwa ibn Zubair Se Bhi Saabit Kiya Hai.
(Umdatul Qari Shara E Sahi Bukhari Vol : 19, Pg : 198)
(Shifa Sharif Vol : 01, Pg : 159)
(Tafseer Abdur Razzak, Hadees : 2940)

Imam Hasan Al Basri رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ye Shagird hai Hazrat Ali رَضِیَ اللهُ عَنْهُ k Aur Ummool Momineen Umme Salama Radi Allaho Anha Ka Shikam (Dudh) Nosh Kiya Hai hatta k chote pan me rivayato me aaya hai k Rasool Allah k GODH mubarak me khele hai Saare Silsila e Tariqat Hasan Basri رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se milte hai ye makam hai unka tamam Muhadis inke Ilm k aage sar kham karte nazar aate hai.
Hazrat Hasan AL Basri رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ka Kasam Khana is baat k liye ALLAH K NABI ﷺ NE ALLAH KO DEKHA ye koi Mamuli baat nahi hai Jo hadeeso ki rivayat me Imam Hasan Basri k Makam ko nahi samjhe wo hadees ko kya samjhega.
Imam Tabrani رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Ka Akeeda
واللفظ للطبرانى عن ابن عبّاس قال نظر محمد الى ربه قال عكرمة فقلت له نظر محمد الى ربه ؟ قال نعم ! جعل الكلام لموسى والخلة لإبراهيم والنظر لمحمد صلى الله تعالى عليه و سلّم ( زاد الترمذى ) فقد رأى ربه مرتين
“Imam Tabrani رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne likha Sayyidina Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne Farmaya Rasool Allah ﷺ ne ALLAH KO DEKHA.
Hazrat Ikrama رَضِیَ اللهُ عَنْهُ , ne Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se Puche Kya Allah K Rasool Ne ALLAH KO DEKHA ??
Hazrat Abdullah Ibn Abbas ne Farmaya HAA, ALLAH NE MOOSA عليه السلام SE KALAM KIYA, HAZRAT IBRAHIM عليه السلام KO DOST BANAYA AUR RASOOL ALLAH ﷺ KO APNA DEEDAR KARAYA”
(Imam Tabrani Al Maujam Awsaat , Vol : 10, Pg : 181, Hadees : 9392, Print : Maktaba Maarif Riyadh)

عن عبد الله بن عبّاس انه كان يقول ان محمدا صلى الله تعالى عليه و سلّم رأى ربه مرّتين مرّة ببصره و مرّة بفواده
Sayyidina Abdullah ibn Abbas farmate hai “Hakikat Muhammad ne ALLAH ko Do baar Dekha, Ek Baar Apni Matho k Aank Se (physical eyes) Aur Ek Baar Kalb Ki Aankho Se”
(Imam Tabrani Al Maujam Awsaat , Vol : 06, Pg : 352, Hadees : 5757, Print : Maktaba Maarif Riyadh)
(Imam Qastalani Al Mawahib Al Laduniya Vol : 03, Pg : 104, Maktab Islami Berut)
Imam Jalaludin Suyuti, Imam Qastalani, Allama Shami Aur Allama Zarqaani Radi Allahu Anho Azmain ne kaha ye Hadees Sahi hai.
(Mawahib al-Ladunniya , Vol 3, Page 105 Print : Maktaba Islami - Berut)
(Sharha Zarqani ala al-Mawahib , Vol 6, Page 117, Print - Dar al Ma'arifah - Berut)


Imam Ibn e Asakir Ash Shafai رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Ka Akeeda
قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلّم قال لي ربي نحلت إبراهيم خلتي و كلمت موسى تكليما و أعطيتك يا محمد كفاحا
“Hazrat Abdullah ibn Masood رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hai Rasool Allah ﷺ ne Farmaya ALLAH RABBUL IZZAT ne Mujh se Farmaya Maine Apna Khalil Hazrat Ibrahim Ko Banaya Aur Moosa se Kalam Kiya Aur Aye Mehboob Maine Tumse Mulakat Ki (Meeting In Meraj) Jaha Tumne Mujhe Behizab Dekha”
(Tarikh E Damishq Al Kabir, Vol : 04, Pg : 424, Print : Daral Imaan Madina Munawwarah)

Imam ibn Jarir Tabari رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne Tafseer E Tabari Surah Nazm Ayat 11 ki tafseer me likha
“Isa ibn Ubaid رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne kaha Ikrama رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se Sawal Huwa Kya Nabi e Karim ﷺ ne ALLAH Ko Dekha, Unhone Kaha HAAN UNHONE APNE RAB KO DEKHA ”
(Tafseer E Tabri Under Surah Nazm Ayat 11)

Allama Ibn Hazar Al Asqalani رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Ka Akeeda
(ibn Hajar Asqalani Futuhool Baari Shara E Sahi Bukhari, Vol : 08, Pg : 186,

“Meraj Me Aap ﷺ Ne Apne Sar Ki Aankho Se Jamal E Ilahi Ka Deedar Kiya”Kitabul Manakib, Baab Al Meraj, Hadees : 3888)


Hazrat Shaikh Abdul Qadir Jilani Gaus E Aazam رَضِیَ اللهُ عَنْهُ apna akeeda likhte hai
“Hum Imaan Rakhte Hai ki Rasool E Khuda Ne Shab e Meraj Me Apne Rab Ko JIsmani Aankho Se Dekha Dil Ki Aankho Se Nahi Aur Na Khwab Me.
Hazrat Jabir رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ki rivayat hai ki Rasool Allah ﷺ Ne farmya Maine Apne Rab Ko Rubaroo Dekha Isme Koi Shak o Subaha Nahi Aur Farmaya ki Maine Usko Sidratul Muntaha K Pass Dekha Yaha Tak Ki Rab K Jalwe Ka Noor Mere Saamne Jaahir Huwa”
(Guniyatutalibeen, Baab Shab e Meraj Ka Bayan, Pg : 186)

Imam Shahabudin Khafazi ne apni Shara e Shifa me likha Hai
“Sabse Motebar Kawl Yehi Hai K Meraj Ki Raat Nabi e Karim Ne Allah Ka Deedar Apni Matho Ki Aankho Se Kiya Jispe Mutadir (Majority) Sahaba e Kiram Rizwanullahi Azmain ka Izma Hai”
(Naseem Ur Riyadh Fi Sharh Ash Shifa Vol : 02, Pg : 303)

Allama Muhammad ibn Tahir Al Hind Al Patni (948 Hizri) apni kitab Majmaul Bihar Al Anwaar me is hadees k lafz كفاحا k muttalik likhte hai
“ALLAH ne Apne Mehboob Pe kuch is tarah Karam Farmaya k BILA HIZAB APNA DEEDAR KARAYA aur Jaha Farishto ki bhi dakhal na thi”
(Mazma Ul Bihar, Vol : 04, Pg : 424, Print : Daral Imaan Madina Munawwarah)

Ali ibn Abd-al-Malik Hussam Al Muttaki Al Hindi Ka Akeeda
“Imam Muhadis ibn Asakir رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne Hazrat Jabir ibn Abdullah رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat kiya k Rasool Allah ﷺ ne Farmya
Beshak Allah Ne MOOSA عليه السلام Se Kalam Kiya aur Maine ALLAH KA DEEDAR kiya Aur ALLAH ne MUJHE MAKAM E MEHMOOD (Shafat) diya aur Hauz e Kausar Ata Kiya”
(Kanj Al Ummal, Vol : 14, Pg : 447, Hadees : 9407, Moasasa Risalah Beirut)

Hazrat Abdullah ibn Umar رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Ka Akeeda - Shaikh Abdul Haqq Muhaddis e Dahelvi Al Hindi, Imam Jalaludin Shafai ka Akeeda
Hazrat Abdullah ibn Umar رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se Pucha K Kya Nabi E Karim Ne Allah Ka Deedar Kiya Hai, Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Ne Kaha Haan Kiya Hai. Is Par Hazrat Abdullah ibn Umar رَضِیَ اللهُ عَنْهُ unse Muttafik Huwe aur Unki Baat Ko Raddh Na Kiya”
(Shaikh Abdul Haqq Muhaddis Dahelvi ne Ashaat Ul Lamaat Shara E Mishkat, Vol : 04, Pg : 431)
(Imam Jalaludin Suyuti ne Al Durr Al Mansoor , Vol : 07, Pg : 170, Under Ayat 18 : 53, Dar Al Ihya Beirut)


Humne Alhamdulillah عزوجل, Farman e Mustafa ﷺ se Sahaba e Kiram Rizwanullahi Azmain Ki Badi jamaat Se Tabain, Tabe Tabain, Fukaha Aimma Muhadiseen Ulema Rahmatullahi Alaihi Azmain Sabke Aqaid iske talluk se likhe aur bhi hazaro dalail shaheed jo yaha bayan na ki gayi hai agar ab bhi koi in tamam dalil ko thukrake apni hi akal aur hatt dharmi me zinda rahe to aiso ka koi ilaaz nahi hai ab Faisla unhe khud karna hai k wo kisko follow kare itne bade bade jo Islam me khud ek Makam rakhte inko hi na maane aur kahe Hum Hadees waale hai to ye dawa jhoota hai aur humne Yaha koi bhi dalail mauzooda ulema ka nahi diya warna aaj ye bahot bada propoganda failaya jaa raha hai k ye Aqaid k baani Mufti Ahmad Raza Khan رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne gada hai ye fakat jhoot hai Aala Hazrat رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne fakat wo hi aqaid ko bayan kiya jo Alhamdullilah Aimma se saabit hai koi ek akeeda bhi unka khud sakhta nahi hai.

Tarikhe tabari,tafseer ibne kaseer, tabqat ibne sa'ad kitab Ahele sunnat ke nazdik

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya ye kitabe Ahele Sunnat ke Nazdik Mo'atebar he ?
Tarikhe tabari
Tafseer ibne kaseer
Tabqat ibne sa'ad

*🌹JAWAB:-🌹*

Tabqat ibne sa'ad moatebar kitab he.👇🏻

http://jamiaturraza.com/session/18Sept11/2.mp3

Tafseer ibne kaseer kitab mo'atebar nahi👇🏻

http://jamiaturraza.com/session/080209/19.mp3

Tarikhe tabari ke bare me 👇🏻

http://jamiaturraza.com/session/23Oct11/35.mp3

*_🎙Al-JAWAB:- HUZUR TAJUSHSHARIYAH MADDA ZILAHUL AALI W NOORANI_*

```TAFSILI JAWAB SUNNE KE LIYE LINK PAR CLICK KARE.```

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:-Pathan MoinRaza KHAN_*
📲
========➖➖➖➖========

MAYYAT KA KHANA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹*

Marhum Ke Isale Sawab Ke Liye Jo Khana Banate Hain Wo Khana Garib Ke Alawa Maldar Log Bhi Kha Sakte Hain Ya Nahi?

*🌹JAWAB:-🌹*

Maiyyat Ke Naam Par Maiyyat Walo Ki Taraf Se Aam Khas Sab Logo Ko Dawat Dekar Khilana NaJaiz Aur Buri Bid’at Hai,
Kyun Ke Shariat Ne Dawat Khushi Me Rakhi Hai Na Ke Gam Me
*📚(Fatawa Aalamgiri Jild 1 Page 168, )*
*📚(FathulBaari Jild 2 Page 142, )
*📚(Durre Mukhtar + Raddul Mohtar Jild 2 Page 240,)*

Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat Maulana Ahmad Raza RehmatullahAlaih Farmate Hain,
Murde Ka Khana Sirf Fuqra (Yani Jo Sahib e Nisab Na Ho) Ke Liye Hona Chahiye, Aam Dawat Ke Taur Par Jo Karte Hain Ye Mana Hai, Gani (Sahib e Nisab) Na Khaye’n,
*📚(Fatawa Razviya Jild 9 Page 536)*

 Aur Farmate Hain:

Maiyyat Ke Yaha’n Jo Log Jama Hote Hain Aur Unki Dawat Ki Jati Hai Ye Khana Har Tarah Mana Hai,

*📚(Fatawa Razviya Jild 9 Page 673*

 Aur Farmate Hain:

Maiyyat Ki Dawat Biradari Ke Liye Mana Hai,
*📚(Fatawa Razviya Jild 9 Page 609)*

 Aur Farmate Hain:

Tije. 10we. 20we. 40we. Wagairah Ka Khana Miskino Ko Diya Jaye, Biradari Me Bantna Ya Biradari Ko Ikattha Kar Ke Khilana BeMatlab Hai,
*📚(Fatawa Razviya Jild 9 Page 667)*

 SadarusShariAh Hazrat Allama Amjad Ali Aazmi Rehmatullah Alaih Farmate Hain:

Aam Maiyyat Ka Khana Fuqra (Jo Sahib e Nisab Na Ho’n) Ko Khilaye’n Aur Biradari Me Agar Kuch Log Jo Sahib e Nisab Na Ho’n Unko Bhi Khila Sakte Hain, Aur Apne Rishtedaro Me Agar Ayse Log Ho’n To Unko Khilana Auro’n Se Behtar Hai, Aur Jo Sahib e Nisab Ho’n Unko Na Khilaye’n Balke Ayse Logo Ko Khana Bhi Na Chahiye,

*📚(Fatawa Amjadiya Jild 1 Page 337)*

 Hazrat Mufti Shariful-Haq Amjadi RehmatullahAlaih Farmate Hain:

Kuch Jagah Ye Riwaj Hai Ke Maiyyat Ke Khane Ko Biradari Apna Haq Samajhti Hai, Agar Na Khilaye’n To Aeb Lagate Aur Tana Dete Hain Ye Zarur Buri BidAt Hai, Lekin Agar Maiyyat Ko Sawab Pahuchane Ke Liye Khana Pakwa Kar Gareeb Musalmano’n Ko Khilaye’n To Isme Harj Nahi, Ye Khana Agar Aam Musalmano’n Me Se Kisi Ko Sawab Pahuchane Ke Liye Hai To Maaldaro (Sahib e Nisab) Ko Khana Mana Hai, Aur Fuqra (Gair Sahib e Nisab) Ko Jaiz, Aur Agar Buzurgan e Deen Ko Sawab Pahuchane Ke Liye Hai To Ameer Gareeb Sabko Khana Jaiz Hai,
*📚(Fatawa Amjadiya Jild 1 Page 337)*

Aur Isi Liye Jis Surat Me Dawat NaJaiz Hai Wo NaJaiz Hi Rahegi Chahe Maiyyat Ki Dawat Kahi Jaye Ya Sirf Dawat Keh Kar Khilayi Jaye, Aur Mana Hone Ki Buniyad Fateha Nahi Hai, Ki Fuqra Ka Khana Alag Fateha Karne Aur Baqi Logo Ka Alag Bagair Karne Karne Kharabi Door Ho Jayegi,

Musalmano Par Lazim Hai Ki Is Galat Riwaj Ko Khatm Kare’n, Jis Chiz Ka NaJaiz Hona Sabit Ho Jaye Uske BaWajud Agar Usko Karega To Wo Gunahgar Hai,
*📚(Fatawa FaizurRasul Jild 1 Page 657 Se 662)*

 Aala Hazrat Farmate Hain:

*_Tajurbe Ki Baat Hai Ki Jo Log Maiyyat Ke Tije. 10we. 20we. 40we. Barsi. Wagairah Ke Khane Ke Talabgar Aur Shauqin Rehte Hain Unka Dil Murda Ho Jata Hai, Allah Ki Yaad Aur Ibadat Ke Liye Unke Andar Wo Chusti Nahi Reh Jati Kyun Ke Wo Apne Pet Ke Luqme Ke Liye Musalman Ki Maut Ke Intezare Rehte Hain,Aur Khana Khate Waqt Apni Maut Se BeKhabar Hokar Khane Ke Maze Me Khoye Rehte Hain,_*
*📚(Fatawa Razviya Jild 9 Page 667)*

👇🏻
*Kuch Log Paise Wale Hote Hai Magar Bahut Se Log Gareeb Hote Hain Kaise Bhi Intezam Kar Ke Maiyyat Ke Khane Ka Intezam Karte Hain Aur Logo ko Khilate Hain Is Se Behtar Hai Ke Ye Khana Yatim. Bewa. Gareeb. Miskeen. Logo Ko Khilya Jaye Take Sawab Bhi Hasil Ho Aur Ye Riwaj Bhi Khatm Ho.*
=========➖➖➖➖======
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬khadim:-Pathan MoinRaza Khan_*
📲
==========➖➖➖➖========

SHABE MERAJ KE ROZO KI FAZILAT OR EK MSG KI ISLAH

*🌹SAWAL:-🌹*

Kya ye msg sahih he ???👇🏻

"Jo Shabe raat ke Agle din ka roza rakhega use 1 hajj ka sawab milega or uske 2 saal ke gunah maaf kar diye jayege.

Jo ye baat dusro ko bataega uske 80 saal ke gunah maaf ho jayege."

*🌹JAWAB:-🌹*

Pahli baat Sawal me jo last me likha he ki is msg ko send karne wale ke *80 saal ke gunah maaf ho jaege ye Be Asl or ek jahilana baat he..*
Is Baat ki koi Sharai hesiyat nahi....
Aese msgs send karne se bache..

Dusri baat sawal me he ki 'shabe raat' isme konsi raat ka zikr he ye maloom nahi...
Agar shabe meraj ki baat he to 27vi RAJAB ka Roza rakhne ki fazeelat👇🏻

Imaam-e-Ahl-e-Sunnat, Mujaddid-e-Deen-o Millat,Imaam Ahmad Raza Khan Rehmatullaahi Ta'ala A'layihi Farmaatey Hain Ki Fawaayide Nihaad Mein Hazrate Sayyiduna Anas RadiAllahu Ta'ala Anhu Se Marwi Hai ki Nabi e Kareem Sallallahu Ta'ala A'laihi Wasallam Ne Irshaad Farmaaya (Mafhoom),
Sattaayis (27) RAJAB Ko Mujhe Nubbuwwat
Ataa Hui, Jo Iss Din Ka Roza Rakhe aur Iftaar Ke
Waqt Duaan Kare, Dass (10) Baras Ke Gunaaho'n
Ka Kaffaara Ho "...
*_📚(Fataawa Razviyya, Jild:4, Safha:658, Matbu'aa, Maktaba-e-Razviyya, Karaachi)_*

Hazrate Sayyiduna Abu Huraira RadiAllahu Ta'ala A'nhu Farmaatey Hain Ki
Jo RAJAB Ki Sattaayisvi (27vi) Ka Roza Rakhe,
Allah Ta'ala Uske Liye Saatth (60) Maheeno'n
Ke Roze Ka Sawaab Likhega aur Yeh Woh Din Hai
Jis Mein Jibreel A'layihisSalaam Muhammad e arbi sallallaahu Ta'ala A'layihi Wasallam Ke Liye Paiggambari Lekar Naazil
Hue...
*_📚(Tanziyyatush Sharee'ah, Jild:2, Safha:161, Matbu'aa Maktabatul Qaahiraa, Misr)_*

Hazrate Sayyiduna Salman Farsi RadiAllahu  Ta'ala A'nhu Se Marwi Hai, Allah Ke Maheboob sallallahu Ta'ala
A'layihi Wasallam Ka Farmaan-e-Zeeshan Hai,
RAJAB Mein Ek Din aur Raat Hai, Jo Uss Din
Roza Rakhe aur Raat Ko Qiyaam (Ibaadat) Kare
Toh Goya Usne So(100) Saal Ke Roze Rakhe aur
Yeh RAJAB Ki Sattaayis (27) Taareekh Hai, Isi
Din Muhammad Sallallaahu Ta'ala A'layihi
Wasallama Ko Allah Azza-wa-Jalla Ne Mab'oos Farmaaya "...
*_📚(Shu'abul Imaan, Jild:3, Safha:374, Hadees No.:3811)_*

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ?

Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye..
✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho.

Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare..

Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu.

✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```

 Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua ( To Aapne) Ameerul Moamineen Farooqe Aazam Radiallahu ta'ala Anho ko bulakr farmaya :  "Aye Umar ! (Radiallahu ta'ala Anhu) Allah Azzwajalla ke kuch kaam din me hain ki unhe raat me kro to qabool na farmayega aor kuch kaam raat me hain ki unhe din me kro to maqbool na hongen aor *khbardar raho ki koi nafl qabool nhi hota jb tk farz ada na kr liya jaye.*

*📚(Hilytul Awliya, Volume 1/71, Hadees 83)*

 Huzoor purnoor Sayyiduna Ghaose Aazam, Maulaye Akram Huzoor Sheikh Mohiyyul Millat Walidain Abu Muhammad Abdul Quadir Jilani Rahmatullahi Ta'ala Alayhiapne kitab mustataab " *Futoohul Ghaib*" me Aise *shkhs ki misaal jo farz chodkr nafl bja laye* yun bayaan farmate hain : uski kahawat Aisi , jaise kisi shkhs ko *badshah apni khidmat ke liye bulaye ye wahan to hazir na hua aor uske ghulaam ki* *khidmatgari me maojood rhe.*

Neez (Aage) farmate hain : *Agr farz chodkr sunnat w nafl me mashgool hoga, yh qabool na honge aor khwaar (zaleel) kiya jayega.*

 *📚(Futoohul Ghaib,11)*

 Huzoor Shaikh-us-shuyookh Imaam shahabul Millat Walidain Suharwardi Rahmatullahi Ally*  *"Awarif Shareef"* me hazrat khwaas Radiallahu ta'ala anhu se naql farmate hain : hme khbar pahunchi ki *Allah Azzawajalla*  *koi nafl qabool nhi farmata yahan tk ki farz ada kiya jaye.*

*Allah ta'ala* ese logo se farmata hai : Kahawa tumhari, bd bandah (us bure shkhs) ki manind hai jo qarz ada krne se phle tohfa pesh kre.

 *📚(Awarifulm'aarif, Page Number 191)*

 Aalahazrat Rahmatullahi Alayhi farmate hain : *Jb tk farz zimma pr baqi rahta hai koi nafl qabool nhi kiya jata.*

 *📚(Almalfooz, jild 1/ Safa- 70)*

�� *Han!* jb wo banda apne zimme baqi tamaam farayez se bari ho jata hai to bargahe *Rabbulizzat Azzawajalla*se ummeed hai ki uske nawafil bhi maqbool ho jayenge ki qabooliyyate nawafil me jo cheez rukawat thi, wo zail ho gyee.

Aalahazrat Rahmatullahi Alayhi mazeed farmate hain : -
   "In sb ki bhi maqbool ki ummeed hogi ki jis jurm ke bais yh qabile qabool na the, jb wo zail hogya to inhe *Bi'iznahi ta'ala* sharfe qabool hasil ho gya."

*📚(Fatawa Razawiyya, Volume 10/ Page no.- 182)*


Sadrushshriyah Badruttariqah Hazrate Allamah Maulana Mufti Amjad Ali Aazmi Rahmatullahi Alayhi farmate hain*:  "Qaza Namaaze nawafil se ahm hain yani jis wqt nafl padhta hai unhen chodkr unke badle qazayen padhe ki bariuzzima ho jaye albatta taraweeh aor 12 rakaten (fajr ki 2 sunnate, zohar ki 6 sunnaten, maghrib ki 2 sunnaten, isha ki 2 sunnaten) sunnate muakkida na chode.

 *📚(Bahare Shariyat, Volume 1, Part 4/706)*

Khaleele Millat Hazrate Allamah Maulana Mufti Muhammad Khaleel Khan Quadiri Barakati Rahmatullahi Alayhi isi ke tahat farmate hain : "Aor lao lagaye rakhe ki *Maula Azzawajalla* apne karam e khaas se qaza Namaazon ke zimn me un nawafil ka sawaab bhi apne khazaine ghaib se ata farmade, jin ke awqat me yh qaza Namaazen padhi gyeen.

 *📚(Suuni Bahishti Zewar, Page 240)*

To jiske jimme farz baki hai (Qaza e umri)aap pehle use ada karein
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬khadim:- Pathan Moin Raza_*
📲8
==========➖➖➖➖======

Namaz me dayen pair ka angutha hatne se namaz hoti he ya nahi ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kiya Namaz meindaayeN(right) Pair ka Anghotha Hatne Say Namaz Nahi Hoti ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Baaz logon ko Ye Kehtay Dekha Gaya Hai ki Namaz ki Halat mein Pair Ka Anghotha Apni Jagah Say sarak gaya to Namaz Nahi Hoti jo ki sahih Nahi Hai Fiqah Ki koi kitab Mein istarah ki Baat Nahi likhi Gai Hai
Faqeeh e Millat Hazrat allama Mufti Jalaluddin Amjadi Rahmatullahaleh say Sawal howa ki Halate Namaz mein agar Dahine Pair Ka Anghota Apni Jagah Say Hat gaya to kiya hukam hai?

Hazrat is sawal kay jawab mein likhtay Hain
”Dahine Pair Ka Anghota Apni Jaga say Hat Gaya to Koi Harj Nahi lekin Muqtadi Ka anghota Dain Baayen ya Aage Piche itna Hata ki Jis Say Saf bandi mein Khushadgi paida Ho Ya seena Saf Say Bahar Niklay Makrooh Hai kay Ahadees Karima Mein Saf Kay Darmiyan Khushadgi Rakhne Aur Saf say Seene Ko bahar Nikalne Say Mana Kiya gaya Hai Aur Agar Muqtadi Jo Imam Kay Barabar mein Tha wo Itna Aage Badha kay uskay Qadam Ka Aksar Hissa imam Kay Qadam Say Aage Howa tu Muqtadi Ki Namaz Fasid Howi Warna Nahi”
*_📚(Fatawa Faiz ul Rsool vol 1page 370)_*
========➖➖➖➖=======
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*
📲
========➖➖➖➖=======

Sood/ Interest lena or dena kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Sood (Interest) lena ? or sood/byaj (Interest) dena kesa  he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Sood ek bahut badi la'nat hai.
Is par bahut sari wa'eede'n aae'n hai'n.
sood lena dena do'on sakht haraam hai..
Sood lene or dene wale dono'n par Nabi e Kareem alaihissalaam ne LAANAT farmaaee hai...

Sood ke muta'allik kai sari aayate w hadish shareef maujud he jisme se sirf chand yaha pesh ki jati he.

🔴FARMAN E ILAHI

✔ “Jo log sood khate hain wo Qayamat ke din us shakhs ki tarah uthenge Jinhe shaitan  ne lipat kar deewana bana liya ho, ye halat unki is wajah se hogi ki unhone kaha tha ki kharid wa farokht (tijarat/businesses) bhi sood ki tarah hai jabki Allah Ta’ala ne kharid aur farokht ko halal qarar diya hai aur sood ko haram, phir jisko uske rab ki naseehat pahunchi aur wo (sood lene se) baaz aa gaya to wo jo kuch pahle le chuka hai wo usi ka hai aur uska muaamla Allah ke supurd hai lekin agar wo phir bhi sood leta rahta hai to ye log jahannami hai ye ismein hamesha rahenge”
*📗 Surah Baqra 2 : 275*

✔”Allah Ta’ala sood ko mitaata hai aur sadqe ko badhaata hai aur Allah Ta’ala kisi na-shukre aur gunehgaar se muhabbat nahi karta”
*📗Surah Baqra 2 : 276*

✔”Aye imaan waalo Allah Ta’ala se daro, jo sood baaqi reh gaya hai wo chhod do agar tum sach much imaandaar ho”
*_📘Surah Baqra – 2 : 278_*

✔”Aur agar aisa nahi karte, to Allah Ta’ala se aur uske Rasool (Sallallahu Aalaihi wasallam) se ladne ke liye tayyaar ho jaao, haan agar tauba karlo to tumhaara asal maal tumhaara hee hai, na tum zulm karo, na tum par zulm kiya jaaye”
*📕Surah Baqra – 2 : 279*

```🔴Ahadees```

✔☘Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne Laanat ki hai Sood (byaaj) lene wale par aur Sood dene wale par , aur Sood likhne wale par aur Sood ke gawahon par aur farmaya wo sab barabar hain
*📚Sahih Muslim, 1598*

✔☘Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya :sood me 70 darje hain, isme sabse halke darje ka gunah aise hai jaise mard ka apni maa ke sath zina karna( having intercourse with his mother).
*📚Sunan ibn Majah, 2274 Hasan*

✔☘Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya
“Koi shakhs agar Ek dirham bhi sood jan bujh kar khata hai to aisa shakhs Allah ke Qareeb 36 baar zina karne wale se bhi zyada badtar hai.
*📚Narrated by Ahmad and al-Tabaraani; classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’, no. 3375*

📮KYA AB BHI AAP SOOD KHAYENGE❓
Quran Aur Hadees ki roshni me hame ye malum chalta hai ke Sood khana kitna bada aur badtareen gunah hai aur iski saza jahannum hai. To Kya Ab bhi aap Sood Khayenge ❓
👉Meri ye darkhwast hai ke ap sab Allah ke is paighaam ko zada se zada jaha tak bhi pahucha sakte hai ise pahucha de.Najane kitne log anjane me is gunah me mubtila hai aur kuch janbujh kar ise ek chhota gunah samjh kar. Ho sakta hai koi shakhs isse hidayat pa jaaye aur is badtareen gunah se tauba karle.
Ai Allah Ta’ala tamam Musalmano ko is badtareen Gunah se bacha aur sabko halal Rozi Nasib kar Duniya ki lalach se bacha aur Akhirat ka talabgaar banade.Beshak ye Maal o daulat yahi rah jana hai. Ameen
=========➖➖➖➖========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*
📲
==========➖➖➖➖========

Ye sher padhna kaisa ? Kafir bata rahe he Ali ke baap ko, Jise khud apne baap ka sajra nahi mila.

*🌹SAWAL:-🌹*

Ye sher padhna kaisa ?
Kafir bata rahe he Ali ke baap ko,
Jise khud apne baap ka sajra nahi mila.

*🌹JAWAB:-🌹*

Ye ek jahilana sher he,


Ahele sunnat w jama'at ka aqida yahi he ki abu talib ka iman lana sabit nahi.
Hazrate ali radiallahu anhu ke walid abu talib ka iman lana kai a'imma ke nazdik sabit he lekin zyadatar a'imma ke nazdik or qura'aan w hadish ki roshni me bhi abu talib ka iman lana sabit nahi.
Khud hazrate ali se bhi hadish shareef riwayat he jisme abu talib ka iman lana sabit nahi.
Bukhari shareef, musleem shareef,imake aazam abu haneefa, imam ahmad bin hambal, imam qurtusi,gause aazam, imam gazali, makhdoom ashraf simnani,nizamuddin auliya or digar a'imma w auliya ke nazdik abu talib ka iman sabit nahi..

Or is sher me kaha gaya ki use khud apne baap ka sijra pata nahi..

To is me in sabhi a'imma aulma par nishana bandha. kya in sabhi a'imma ko sijra nahi mila??? (ma'azallah).

Abu talib ka iman lana sabit nahi he is ke muta'allik 100 se bhi zyada quraan hadish w a'imma ke qaul maujud he jise is link me padh sakte he
https://pathanmoinraza13.blogspot.in/p/iman-e-abu-talib-ahele-sunnat-w-jamaat.html?m=1
=========➖➖➖➖========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑*
*_📬khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*
📲
==========➖➖➖➖========

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts