GADDE YA MOTE KAPDE PAR NAJASAT LAGE TO PAAK KESE KARE/AISA KAPDA JISKA NICHODNA MUMKIN NAHI USE PAAK KARNE KA TARIQA

*🌹SAWAL:-🌹*
Gadde Ya mote kapde par najasat lagi or uska nichodna mumkin nahi he to use paak karne ka tariqa kya he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Jis Gadde ya mote kapde par najasat lagi or uska nichodna mumkin nahi he us ke paak karne ka tariqa ye he ki uske dono kinaro ko kisi unchi jagah par rakhde or jis jagah najasat lagi he pani bahae yaha tak ki vo pani niche se bahne lage fir jab pani tapakna bandh ho to dusri martaba ese hi kare, Yu hi 3 martaba dhone se vo chiz paak ho jaegi.

قال ابو یوسف رحمہ اللہ تعالی ینقع فی الماء ثلاث مرا ت ویجفف فی کل مرہ فیحکم بطھارتہ

*📚 البدائع الصنائع ج اول*

Or mani ya wadi ka hukm ye he ki, mani jo ke gharhi hoti he or aksar vo sukh jati he to agar garhi ho jisam daar ho to us mani ko khurach lene se naakhun ya kisi bhi dhaar daar chiz se vo gadda paak ho jaega, lekin basa-awqat kabhi kabhi esa bhi hota he ki mani patli hoti he or fauran gadde ke andar sarayat kar jati he, usi tarah se wadi ka bhi hukm he ke wadi bhi chunke patli, chikni hoti he vo jisam daar nahi hoti he ya gharhi nahi hoti he or jese hi girti he gadde me pewasht ho jati he, to mani ka to ye hukm huaa ki gharhi ho jisam daar ho to nakhun ya kisi dhar daar chiz se khurach dene se gadda paak ho jaega. Lekin mani agar patli ho bilkul gadde me sarayat kar jaae or wadi chunki patli hi hoti he, gharhi nahi hoti, to patli mani or wadi ka hukm ye he ke gadde ko bilkul pura paani bahae jis ka zikr uper kiya he, ki ek martaba paani bahae ki pura beh jaae, sukh jaae(yaha tak ki paani tapakna bandh ho jaae) uske baad dobara bahae, or sukh jaae (yaha tak ki pani tapakna bandh ho jae) Yuhi teen martaba karne se gadda wagairah paak ho jaaega.

_Or Huzur SadrushShariyah Farmate he,_

Jo Chiz Nichodne Ke Qabil Nahi (Juta, Chappal, Chatai, Bartan Etc) Use Dho Kar Chhod Den Ki Pani Tapakna Band Ho Phir Yun Hi 2 Martaba Aur Dhoyen Tisri Martaba Jab Pani Tapakna Band Ho Gaya To Wo Chiz Pak Ho Gai.
Aisa Hi Jo Kapda Nazuk Ho Ki Nichodne Se Phat Jayga Use Bhi Yun Hi Pak Kare.
*📚(BAHRUR RAIQ, KITABUL TAHARAT, J-1, S-413)*
*📚(BAHARE SHARIYAT, J-2, BAAB-NAJIS CHIZO KO PAAK KARNE KA TARIQA)*

Rooi Ka Gadda Agar Napak Hua Bachche Ke Pakhana Ya Peshab Se Ya Kis Chiz Se To Use Khole Aur Upar Ka Kapda 3 Baar Dho Kar Pak Kare Aur Rooi Ko Dhunwaye Pak Ho Jayga.
*📚{Bahare-E-Shariat, Alamgiri, Fatwa Khaniyah}*
*📚(HAQ KI BANDAGI)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB 🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖==========

KYA 10 MUHARRAM KO ZAMZAM KA PANI SABHI PANI TAK PAHUCHTA HE

*🌹SAWAL:-🌹*
Huzoor Mera Ek Sawal Hai,??

Maine Kuch Bayanaat Mein Aur Kuch Logon Se Bhi Suna He, Ki 10 Muharram Ke Din Aabe Zam Zam Ka Pani Tamam Panion Mein Nazil Kiya Jata Hai
Kya Ye Sahi Hai

Kya Kisi Hadees Mein Is Ka Zikr Aya Hai

👆Hazrat Rehnumai Farmayiye Jawab Ka Talab Gaar Hun

*🌹JAWAB:-🌹*

Ye Baat Sahih He Ki 10 Muharram Ke Roz Allah Ta'ala Tamam Paanio Me Aabe Zam Zam Ki Tarah Khairo Barkat Ata Farmata He, Ki Ye Din Badi Ne'amto Wala Din He...

_Jesa Ki Tafsire Ruhul Bayan Me He,_

Jo 10 Muharram Ko GhusL Kare To Tamam SaaL Bemarion Se Aman Me Rahega Kyu K Is Din Aab-E-Zam-Zam Tamam Paniyon Me Pohanchta Hai

*📚(Rooh-uL-Bayan J-4,S-142)*
*📚 Tafsire Ruhul Bayan, Parah-12,Safa-124)*
*📚Madni Panjsurah, Safa-318*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬Pathan Moin Raza Azhari,Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

===========➖➖➖➖==========

Nafil Namaz Ki Jagah Kaza Namaz Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*

Namaz me nafil ke jagah kaza e umri padhna kesa hai?

*🌹JAWAB🌹*

_Agar kisi ke zimme farz baki ho to nafil ki jagah farz namaz ki qaza hi ada karni chahiye. Kyu ki jab tak uske zimme farz baki rahega uski nafl namaz qubool na hogi._

 Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid E Din O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi   *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua ( To Aapne) Ameerul Moamineen Farooqe Aazam Radiallahu ta'ala Anho ko bulakr farmaya :  "Aye Umar ! (Radiallahu ta'ala Anhu) Allah Azzwajalla ke kuch kaam din me hain ki unhe raat me kro to qabool na farmayega aor kuch kaam raat me hain ki unhe din me kro to maqbool na hongen aor *khbardar raho ki koi nafl qabool nhi hota jb tk farz ada na kr liya jaye.*

*📚(Hilytul Awliya, Volume 1/71, Hadees 83)*

 Aalahazrat Rahmatullahi Alayhi farmate hain : *Jb tk farz zimma pr baqi rahta hai koi nafl qabool nhi kiya jata.*

*📚(Almalfooz Kamil,, jild 1/ Safa- 93, Razvi Kitab Ghar)*

Sadrushshriyah Badruttariqah Hazrate Allamah Maulana Mufti Amjad Ali Aazmi Rahmatullahi Alayhi farmate hain*:  "Qaza Namaaze nawafil se ahm hain yani jis wqt nafl padhta hai unhen chodkr unke badle qazayen padhe ki bariuzzima ho jaye albatta taraweeh aor 12 rakaten (fajr ki 2 sunnate, zohar ki 6 sunnaten, maghrib ki 2 sunnaten, isha ki 2 sunnaten) sunnate muakkida na chode.

*📚(Bahare Shariyat, Volume 1, Part 4/706)*

Khaleele Millat Hazrate Allamah Maulana Mufti Muhammad Khaleel Khan Quadiri Barakati Rahmatullahi Alayhi isi ke tahat farmate hain : "Aor lao lagaye rakhe ki *Maula Azzawajalla* apne karam e khaas se qaza Namaazon ke zimn me un nawafil ka sawaab bhi apne khazaine ghaib se ata farmade, jin ke awqat me yh qaza Namaazen padhi gyeen.

*📚(Suuni Bahishti Zewar, Page 240)*

Baherhaal jis ki farz namaz baki ho vo nafil ki jagah farz namaz ki qaza hi padhe, Ki jab tak farz pura na hoga nafl qubool na hogi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍Pathan Moin Raza Azhari,Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
=============➖➖➖➖===========

S.A.W YA A.S YA R.A. LIKHNA KESA.? Short Me Durdood Likhna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Nabi Sallallahu alaihi w sallam ke naam ke sath s.a.w ya a.s ya urdu me ص ya  ع likhna kaisa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

_Huzur Sallallahu Alaihi w sallam ke naame mubarak ke sath s.a.w ya a.s yani adhura durood likhna najaizo haram w sakht mahroomi he._

_Huzur Sadrushshariya Alaihir Rahma Farmate he,_

Huzur se muhabbat ki alamat yah he ki zyada se zyada unka zikr kare or zyada se zyada un par durood bheje. Or jab huzur ka naam likha jaae to 'sallallahu alaihi w sallam' pura likha jaae. Kuchh log s.a.w(صلعم) ya swad  (ص) likh dete he yah najaizo haram he.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-1, S-22)*

_Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahma Taherir Farmate he,_

Huroofe ص likhna jaiz nahi na logo ke naam par na huzur ke naam par. _Aage farmate he.._
Naame aqdas par yu nahi ke vaha pure durood shareef ka hukm he sallallahu alaihi w sallam likhe faqat ص ya صلم (s.a.w) ya صلعم jo log likhte he sakht shanee'a w mamnoo'a he yaha tak ki TATARKHANIYA me is ko takhfeefe shane aqdas thareya.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-23, S-384)*

Yuhi Sahaba ya buzurgo ke naam ke sath radiAllahu anhu ki jagah 'RA' ya Rahematullah alaihi ki Jagah 'RH' likhna bhi jaiz nahi.

Aysa hi *📚FATAWA AMJADIYA* w  *📚FATAWA FAIZUL RASOOL* me bhi maujud he.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍Pathan Moin Raza Azhari,Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
===========➖➖➖➖===========

EIDE MILAD PAR KHARCHA KARNA YA ROSHNI KARNA.. HADISH KI ROSHNI ME

*🌹SAWAL:-🌹*
Eide Milad me Roshni ke liye kharch karna kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

_Eide Milad me sidqo dil se kharch karna baise barkat, baise rahemat, or allah or uske rasool ko khush karna he or jannat me aala ina'aam pane ka zariya he._

_Huzur Sallallahu Alahi w sallam ki wiladat par khud rab ta'ala ne aasmano zameen ko roshan farmaya...._
Hazrat e Ameena رضي الله تعالى عنها Farmati Hai Ke Maine Us Roshni Me Sham(Mulk E Sham) Ke Mohallat Dekh Liye!*
Baz Riwayato Me Basra, Baz Riwayato Me Raom Aur  Baaz Me Mashrik o Magarib Bhi Aya Hai!
*📚(Seerat e Rasool e Pak Ba Riwayat Ibne Ishaq (150hijri) Safa 146)*
*📚(Sahih Ibne Habban Jild 7 hadees No 6335 safa 369)*
*📚(Imam Baihaqi Ki Shuab Ul Iman  Jild 2 Hadees No 1388 Safa 149)*
*📚(Mustadrak Al Hakeem Jild 3 Safa 789)*
*📚(Shaik Abdul Haq Mohaddis Dehlvi Ki Madarij Un Nabuwa Jild 2 Safa 25)*

_EIDE MILAD ME KHARCH KARNE KE MUTA'ALLIK KHALIFA E CHAHRUM KE IRSHADAT_
▶Hazrat Usman رضی الله عنه ney fermaya, "Jo milaad per aik derhum kharch kary ga usko badr ka shohada jitna sawab milega."
▶Hazrat Umer رضی الله عنه ney fermaya, "Jiss ney milaad ki tazeem ki us ney deen ko zinda ker dia."
▶Hazrat Abu bakr رضی الله عنه ney fermaya, "Wo shaks jannat main mery sath hoga jis ney milaad per aik derhum bhi kharch kia."
▶Hazrat Ali رضی الله عنه ney fermaya, "Milaad manany wala dunia sey eman ki neimat ley ker jai ga, aur billa hisab janat main dakhil hoga"
*📚(Ibn-e-Kaseer, Maulid-ul-MUSTAFA, Page:29-30)*
*📚(Al-Mustadrak, Pg:327, vol:3)*
*📚(Khasais Ul Qubra, Page:97, vol:1)*
*📚(Anwar-ul-Muhammadiya, Pg:62)*
*📚(Ibn-e-Kaseer, vol:4, Pg:321)*
*📚(Al-Mustadrak, Vol:2, Hadees:4174)*

_EIDE MILAD ME KHARCH KARNE WALE SE HUZUR ﷺ KHUSH HOTE HE_
"Ek sahib ne poocha Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم se ki hum aap ke milad per khushiyaan manaty hain kya aap ko acha lagta hai ? Aaqa-e-Karim صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya, 'jo hum se khush hota hai hum us sey khush hoty hain'."
*📚(Tazkiratul Waezeen, Page:600)*

_EIDE MILAD ME KHARCH KARNE WALE KO AZAB ME KAMI_
Sahih bukhari jild 2 me he ki abu lahab ke marne ke baad hazrate abbas radiAllahu anhu ne use khwab me bahut buri halat me dekha or puchha, marne ke baad tera kya haal he ?  Abu lahab ne kaha, tum se juda ho kar me ne koi raahat nahi paai  siwae us ke ki me thoda sa sairab kiya jata hu kyuki mene muhammad ﷺ ki pedaish ki khushi me apni londi sobya ko aazad kiya tha. Imam ibne juzri farmate he ki jab huzur sallallahu alaihi w sallam ki milad ki khushi ki wajah se abu lahab jese kafir ka ye haal he ki us ke azab me kami kar di jati he. Halanki us ki mazammat me qura'an nazil hua to huzur sallallahu alaihi w sallam ke mu'ameen ummati ka kya haal hoga. Jo milad ki khushi me huzur sallallahu alaihi w sallam ki mubabbat ke sabab maal kharch karta he. Qasam he meri umr ki us me jaza yahi he ki allah ta'ala use apne fazlo karam se jannat na'aim me dakhil farmade.
*📚(MAWAHIBUL LADUNYA, J-1, S-27, MATBUAA MISR)*

Jab Allah Ta'ala Ne Apne Maheboob ﷺ Ke Milad Ke Mauqe Par Mashrik o Magarib Ku Roshan Farmaya Hai Ke
Hazrat e Ameena رضي الله تعالى عنها Us Roshni Me Makka Sharif Se Mulk e Sham Ko Mulhaiza Farma Rahi Hai SubhanAllah Wo Roshni Ka Kya Alam Hoga, Jab Ke Hum To Apni Hasbe Haisiyat Kuch Chiragah Lighting Roshni Karte Hai Kuch Log Isko Gair Mazahaib, Isaaio Se Tasbee Dete Hai Ab Ye Jahalat Nahi To Aur Kya Hai, Agar Ye Fizul Kharchi Aur Isaaio Ki Mushabiyat Hai To Baroz E Maheshar Rab e Zul Jalal Se Puchna Aye Parwardigar Tune Wiladat E Rasool ﷺ Ke Waqt Kyu Mashrik o Magarib Ko Roshan Farmaya Tha?

Allah Ta'ala Humhe Deen Ki Samaj  Aur Badmazabo Se Bachne Ki Toufiq Ata Farmaye..aameen

Wallahi aa'alam bis sawab
*📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

EIDE MILAD PAR WAHABI AITRAZ KA MUDALLAL JAWAB

*🌹SAWAL:-🌹*
Ek post wahabi badmazbabo ki taraf se social media par gasht kar rahi he jisme sirf kitabo ke naam likh kar kaha jaa raha he ki sirf 2 hi eid ka zikr he eide milad ka kahi zikr nahi.. ?
Iska jawab irsal farmae.

*🌹JAWAB:-🌹*
Pahle mukhtasar sa wahabio ko kahna chahuga ki konsi hadish ki kitab quraan ki aayat ya muhaddism ke aqwal me he ki eide milad nahi manani chahiye ? Bas iska jawab tumhari aane wali qayamat tak ki naslo me se koi lake do.

Wahabio ke aitraz ka jaame'a jawab...

Wahbio badmazhabo tumne kuchh padha hi nahi.. aao me batata hu quraan or hadish me kya he or mhhaddisin ka kha kahna he... tum pahle dil me ishqe rasool basalo fir har jagah mere aaqa ke milad ke charche nazar aayege..
*_Eidul adha or idul fitr ke alawa eide milad ke zikr ke muta'allik IBNE MAJA SHAREEF KE hawala is post me he vo bhi padhe._*

Alhamdulillah ham bhi jashne Eide milad manate he.

Q ki

Ye Mere Aaqa ki wiladat ka din he. Jo bahut barkato rahemat wala he. Kuchh fazail padhte he quraan w hadish ki roshni me..

*✅Aaiye Sab se Pahle Quraan Shareef me padhte he*

Quraan majeed me rab tabarak w ta'ala irshad farmata he..

(1). Tum Farmao ALLAH Hi Ke Fazl Aur Usi Ki Rehmat Aur Usi Par Chahiye Ke Khushiya Kare.
*📚(Surah Yunus Ayat 58)*

Is Ayat Me Allah Azzawajal Ne Apne Fazal Aur Apni Rahamat Par Khushiya Manane Ka Hukum Diya hai

(2). Or Humne Tumhe Na Bheja Magr Rahmat Sare Jahan K Liye.
*📚(Surah Ambiya Ayat 107)*

Is Ayat Me Allah Azzawajal Apne Pyare Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Se Farma Raha Hai K Humne Tumhe Sirf 1 Ya 2 Aalam K Liye Nahi Balki Sare Aalam K Liye Rahamat Bana Kar Bheja Yaha Gour Kare Allah Ne Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Ko Rahamat Kaha hai Aur Jo Paheli Ayat Pesh Ki Gai Hai Usme Allah Ne Apni Rahamat Par Khushi karne Ka Hukum Diya Hai

Jo In Ayato Ka Munkir Hoga Jo Nabi Salallah Aihe Wasallam Ko Apne Liye Allah Ki Rahamat Aur Nemat Nahi Samajta Wo Nabi E Pak Salllaho Aliahe Wasallam Ki Wiladat Ki Khushi Se Aitaraz Karega Yani Wo Gum Manaega Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Ki Wiladat par

(3). “Apne Rab Ki Nemato Ka Khoob Khoob Charcha Karo”
*📚(Surah Duha Ayat11)*

Is Ayat Me Allah Azzawajal Ne Hume Apni Nemato Ka Charcha karne Ka Hukum Diya. Har Momin Ye Janta Hai Ki Allah Azzawjal Ki Subse Badi Aur Azeem Nemat Hamare Liye Uske Rasool Salllaho Aliahe Wasallam Hai

Is Baat Ko Samjhane K Liye Mai Quran Ki Ek Ayat Pesh Karta Hu Allah Azzaajal Farmata Hai:“Humne Momino per Ahesan kiya, ki jab unme apne Rasool Salllaho Aliahe Wasallam ko bhej diya”
*📚(Sureh Al-Imran, Ayat 164)*

Mere Pyare Islami Bhaiyo Aap Sara Quran Pad Lijiye Kisi Bhi Jagah Allah Azzawajal Ne Ye Nahi Kaha K Humne Tumhe Ye Nemat Dekar Tumpar Ahesan Kiya hai Siwae Apne Maheboob Nabi Salllaho Aliahe Wasallam K Isse Malum Hua K Allah Ki Subse Badi Nemat Hamare Liye Uske Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Hai or ham allah ki di hui is  ne'amt kisi khushi manate he or usi khushi ko eide milad kahte he.. quraan bhi huzur ki wiladat par khushi manane or khub charcha(mahefile milad) karne ka hukm deta he..

*✅AB BUKHARI SHAREEF KI HADISH PADHTE HE*

Jab Huzur Sallallaho Alihe Wasallam Ki Wiladat Hui Tab Abu lahab Ki Laundi Sobiya Ne Abu Lahab Se Kaha K Tujhe Bhatija Hua hai Is Khushi Me Abu Lahab Ne Apni Us Laundi Ko Ungli K Ishare Se Aazad Kiya Tha “Pas Jab Abu-Lahab Mar Gaya To Uske Baad Ahl-e-Khana Ne Use Khuwab Mein Buri Haalat Mein Dekha To Usse Puchha “Tera Kiya Haal Hai To Abu-Lahab Ne Kaha:Maine Tumhare Baad Koi Bhalaa’ee Nahi PayiLekin Mujhe Us Ungli Se Paani Diya Jata Hai is Se Maine Hazrat Muhammad (Sallalahu AlaihiWa Salam) Ki Wiladat Ki Khushi Mein Sobiya (Abu-Lahab Ki Londi) Ko Aazad Kiya Tha.
*📚(Sahih Bukhari, Vol. 1, Page 153, Hadith No 5101, Kitaabun Nikaah)*

Mere azizo Zara Gour kare Jab Abu Lahab jo ke iman bhi nahi laya tha us Ko Apne Bhatije Yani Muhammad Sallaho Alihe wasallam Ki Wiladat Par Unhe Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Man Kar Nahi Balki Apna Bhatija Maan kar Khushiya Manaya Tha To Use Ye faida Hua k Usi Ungli Se Use Pani Pilaya jata hai Jisse Usne Apne Bhatije Ki Wiladat Ki Khushi Me Apni Laundi Sobiya Ko Azad Kiya Tha Hum Musalman To Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Maan Kar Wliadat Ki Khushi Manate Hai To Socho K Hume Allah Ki Bargah Se Kya Kya Inaam Milege Duniya Aur aakhirat Me..

*✅AB MUSLIM SHAREEF KI HADISH PADHTE HE*

Hazrat Abu Qatada RadiAllah Anhu Se Riwayat Hai Rasool-E-Karim Salllaho Aliahe Wasallam Se Peer Ka Roza Rakhne Ke Bare Me Sawal Kiya Gaya To Aap Salllaho Aliahe Wasallam Ne Farmaya K Isi Din Meri Wiladat Hui Aur Isi Din Mujh par Quran Nazil Hua”
*📚(Sahih muslim Jild 2.hadith no 819 .page 1162)*

SubhanAllah khud huzur sallallahu alaihi w sallam apni wiladat ke din khuda ka shukr ada karte or roza rakh kar khushi ka izhar karte... or ham musalmano ko aaqa ki sunnat hi apnani chahiye. Or khushiya manani chahiye...

*✅AB TIRMIZI SHAREEF PADHTE HE*

Huzoor Ke Zamane Me Masjid-E-Nabwi Me Milaad Huyi Isme Khud Huzoor Salllaho Aliahe Wasallam NeApni Wiladat Ke Fazail Bayan kiye.
*📚(Tirmizi Sharif, Jild 2 Safa 201)*

SubhanAllah is Hadish se pata chala huzur ki wiladat ke din huzur sallallahu alaihi w sallam ke fazail bayan karna huzur sallallahu alaihi w sallam ki hi sunnat he. Or hame isi par amal karna chahiye.. ham ba-shaqle naat khwani, mahefile milad w waa'az w bahan ke zariye huzur ki is sunnat par amal karte he..

*✅AB ABU DAUD SHAREEF PADHTE HE*

Huzur SallAllaho alaihe wasallm Hazrat Hassan razi Allah anho k liye Masjid e Nabvi shareef me Minbar rakhte or Hazrat Hassan us par kharey ho kar Huzur SallAllaho alaihe wasallm ki shan e aqdas me naatia ashaar parhte the or Huzur SallAllaho alaihe wasallm farmate: jb tak Hassan mere baare me naatia or fakharia ashaar parhta rahe ga to beshak Allah taala roohul uqdas (Hazrat Jibrail alehsalam) k zarye Hassan ki madad farmata hai
*📚(Sunan abu Dawood,Kitab ul adab, baab ma jau fi’shaar, Jild 5 Page 176 Hadith No 5015)*
*📚(Sunan Tirmizi,kitab ul adab,baab ma jau fi inshad’shaar, Jild 3 Page 562,561 Hadith No 2846)*

 subhanAllah is hadish se pata chala huzur ki shan me naat padhna hazrate bilal ki sunnat or naat sunna huzur sallallahu alaihi w sallam ki sunnat. Huzur sallallahu alaihi w sallam is se khush hote he.. Or hazrate jibrail alaihis salam naat padhne wale ki madad karte he.

*✅AB NASAI SHAREEF PADHTE HE*

Khud Nabi sallallahu alahi w sallam Ne Apne Milad Par allah  Ka Shukra Bajaa Lane Ki Talkin Farmayi Aur Targeeb Di….!!

Iski Tafseel Yaha Check Kare Hadith Taweel Hai
*📚[ Muslim Sharif, Jild – 2, Safa – 819 ]*
*📚[ Nisaai Sharif, Jild – 2, Safa – 147 ]*

*AB IBNE MAJA SHAREEF PADHTE HE*

NABI e Mu’ajjam, Sarapa Judo karam Salllaho Aliahe Wasallam ne farmaya ki Juma’a ka din sab dino ka sardar hai, ALLAH ke nazdik sabse bada hai aur wo ALLAH ke nazdik Eidul Azha aur Eidul Fitr se bada hai. ALLAH ne isi me Hazrate ADAM alaihissalam ko paida kiya, Isi me Zameen par unhe utara Aur Isi me Unhe wafat di.
*📚[Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8, Hadith No. 1084]*

Is Hadees me Teen khaslate Hazrate Aadam alaihissalam ke liye bayan ki gai, jisme aap ki wafat ka bhi zikr hai, to pata chala ki ek nabi ki paidaesh, unka zameen par utarna, aur unki wafat ke din ke bawajud bhi Mo’amino ke liye ALLAH ne use Eid bana diya. Ki woh din Eidul Azha aur Eid ul fitr se bhi afzal kar diya.Tou hamare Sarkar e do Jahan jo ki tamam ambiya ke sardar hai, unki tashrif aavari par hum us din ko kyun Eid na kahe, balke hum tou use Eido ki Eid kahenge, ki unki tashrif aavri ki wajah se hi tou hume baki Eid mili aur har hafte me ek eid karke pure saal me 52 Eido (juma) ka tohfa mila woh isi rahmatalil aalamin ki tashrif aavari se mila hai. tou hum kyun us din khushi na kare?

*✅AB BAYHAQI SHAREEF PADHTE HE*

Khud ‘ NABI – E – PAK SALLALLAHU ALAI HI WASALLAM ‘ Ne Apne Milad Par ‘ ALLAH ‘ Ka Shukra Bajaa Lane Ki Talkin Farmayi Aur Targeeb Di….!!
Iski Tafseel Yaha Check Kare Hadith Taweel Hai
*📚[ Baihaqi Sharif, Jild – 4, Safa286]*

*✅Or Bhi Kai sari hadise or muhaddisin ke aqwal eide milad ke muta'allik he.. lekin post zyada lambi hone ki wajah se itna hi... wahabi o abhi bhi waqt he ishqe nabi ko dil me basa ke dekho har jagah mere aaqa ka zikr hi nazar aayega..*

*_✅Aakhir me is natije par pahucha ki he nabi ki, ambiyao ki, farishto ki, sahaba ki a'aimma ki sunnat he, sawab ka kaam he. Khudara aap hazrat se guzarish he is sunnat or baise barkato sawab ka kaam khud kare or dusre musalmano ko bhi is par amal karae._*

*(Note:- Post me edit kar ke khayanat ke murataqib na ho)*

Likhne wala:✍
_Ek adna sa Gulame Mustafa w Gulame Aala Hazrat.._
*✍Pathan Moin Raza Khan Azhari,Petlad*

📲
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖==========

NAMAZ ME MAKHRAJ KI GALTI صمد KO سمد PADHNE SE NAMAZ KA HUKM

*🌹SAWAL🌹*
Assalamu alaikum namaz me Surah Ikhlas me Samad ص مد ki jagah Ye ( سمد) parh diya To namaz ho gayi ya mana badal gaya?

*🌹JAWAB:-🌹*
Walaikum Assalam w rahematullah,
Agar kisi ne Namaz me Samad(صمد) ki jagah samad(سمد) seen(س) se padh liya to namaz fasid ho jaegi ki samad(صمد) ka ma'ana hota he be niyaz or samad(سمد) seen(س) se padha jiska ma'ana hota he baal ko tarashna, lihaza ma'ane me tabdili ho jaegi jisse namaz fasid ho jaegi.Aysi namaz ka nae sare se padhna lazim..

_Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahma taherir farmate he,_
Agar swad(ص) mutahrrik he jaise As-Samad(الصمد) to ab use seen (س) padhna jaiz nahi, agar kisi ne seen (س) padha to us ki namaz fasid ho jaegi.
*📚(حلیۃ المحلی شرح منیۃ المصلی)*
*📚FATAWA RAZVIYA SHAREEF, J-6, S-429)*

_Huzur SadrushShariah alaihir rahma farmate he,_
Galtiya ba'az aysi he jin se namaz fasid ho jati he or ba'az se fasid nahi hoti, jo galti aysi ho ki us se ma'ana fasid ho jae us se namaz fasid hogi, warna nahi, ek harf ki jagah dusra harf padhne se aksar ma'ane fasid ho jate he or namaz jati rahti he.
*📚( FATAWA AMJADIYA, J-1, S-139)*
*📚(BAHARE SHARIYAT H-3, S-124)*

Wallahu aa'alam bis-sawab
*Al-Jawabus Sahih:-*
*✅HAZRAT MUFTI TAUFIQ RAZA SAHAB MISBAHI,PETLAD*
*W*
*✅HAZRAT ALLAMA MUKHTAR AHEMAD SAHAB FAIZI, OLPAD,SURAT*

*✍Pathan Moin Raza Azhari,Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖===========

HALATE NAMAZ ME MOBILE KI RING BAJE TO KYA KARE

*🌹SAWAL:-🌹*
Halate Namaz Me mobile ki Ring baje to kya karna chahiye ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Huzur TajushShariyah Alaihir Rahma farmate he,
_Halate namaz me agar mobile ki ring baje to use ek hath se band kar sakta he jab ke amale kaseer ki hajat na ho, Or agar amale kaseer ki hajat ho to namaz fasid ho jaegi us soorat me us ko chhod de._
http://jamiaturraza.com/session/04Oct09/13.mp3

Agar kabhi bhul se phone band na karne ki wajah se namaz ke dauran ring bajne lage to use ehtiyat se bandh karne ki koshis kijiye, jeb me hath daal kar ma'amooli harkat se use band kiya ja sakta he kyu ke daurane namaz khafeef harkat se namaz fasid nahi hoti yaani phone band karne ke liye itni zyadah harkat na kare ki jis se dusra dekhne wala ye samje ki aap namaz nahi padh rahe, taham aysa bhi na kijiye ke agar namaz me ghanti baje,jeb se phone nikala,call karne wale ka naam ya number dekha fir itminan se band kar diya, or andaz ye apnaya ki dekhne wala samje ki hazrat namaz me nahi to ye amale kaseer he jo namaz ko fasid kar deta he. Ba'az dafa gaano ki mausiqi sari masjid me gunjti rahti he use use bandh karna mumkin he uske bawajood nahi karte kyu ke hame ilm nahi ki ayse waqt kya karna chahiye,wahi baat ke darte he ki kahi namaz na toot jae.

_Hukme Sharai yahi he ki amale qaleel se mobile bandh kar diya jae ki is se namaz nahi tootti lihaza ek hath jeb me daal kar mobile ko bandh karna, or agar na ho to jeb se nikal kar batan dekh kar bandh karne se bhi namaz nahi tootegi ki ye sab amale qaleel ki soorate he,_

Amale kaseer w qaleel ki ta'areef bayan karte hue Allama shami rahematullah alaihi likhte he "door se dekhne wale ko uske namaz me na ho ne ka shak na ho to amale kaseer he or agar door se dekhne wale ko shak ho ki namaz me he ya nahi to amale qaleel he.
*📚(RADDUL MUHTAR, J-1, S-625)*

Agar ek hi rukn me teen martaba amale qaleel se mobile bandh kiya to namaz fasid ho jaegi ki teen martaba hath ki harkat amale kaseer he. Ba'az log hatta ki imam sahban tak ko ye kahte hue suna he ki mobile phone bandh karle ya vibration par lagade halaki ye durust nahi ki is me agarche masjid ki be adbi or dusro ki namaz ka yaqeeni taur par tahaffuz he lekin apne khushu'a w khuzu'a ka tahaffuz nahi he ki jab phone aaega to vibration ki soorat me yaqeeni taur par tawajje bategi. Is liye mobile ko pahle se hi bandh kar de.

Namaz Shuru'a karke use todna nasse qat'ai qura'an najaiz he. Allah ta'ala irshad farmata he.
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ وَلَا تُبْطِلُوا أَعْمَالَكُمْ
Tarjama: Ay iman walo Allah or us kw rasool ki ita'at karo or aone aa'mal ko batil na karo.
*📚(SURA E MUHAMMAD, SOORAT NO-47, AAYAT NO-33)*

_Iske bawajood hukm sharai ye he ki agar mobile ki tone aysi he ki jis ki wajah se vo khud or dusre namazi tashwees me padh gae he or us ki or dusre namaziyo ki namaz me khalal waqe'a ho raha he to is soorat me agar amale qaleel se band kar sakta he to fauran band karde or agar amale qaleel se band nahi ho sakta to namaz tod de, tone band kare, fir namaz nae sare se shuru'a kare jaisa ki fuqha ne pakhana wagairah ki shiddat ki wajah se namaz tod ne ka hukm diya he or us ki illat khushu'a w khuzu'a ka khatm hona batai he._

Allam Alauddin haskafi alaihir rahma farmate he " peshab w pakhana or reeh ki hajate shadeeda ke waqt namaz makroohe tahrimi he.(waqt me wus'at he to tod kar farig ho kar dobara padhna farz he.)
*📚(DURRE MUKHTAR, J-1, S-641)*

*BA-HAWALA: 📚MOBILE PHONE SHARIYAT KE AAINE ME, S-140,141,142)*

Wallahu Aa'alam bis-Sawab
*✍Pathan Moin Raza Azhari,Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖===========

IMAM PHONE ME TASWEER DEKHTA YA SEND KARTA HO TO USKE PICHHE NAMAZ KA HUKM

*🌹SAWAL:-🌹*

Imam Phone me Jandar Ki Tasweee dekhta ho ya dowlnload ya send karta ho to uske pichhe namaz padhna kesa ?
Or Jo Imam Video ya tasweer banae uske pichhe namaz ka kya hukm he ??

*🌹JAWAB:-🌹*

Jandar Ki tasweer khinchna ya khinchwana ya mobile se send ya download karne ka bhi wahi hukm he juski waeed hadiso me warid hui. Ye sab najaizo haram he. Or jis imam ka ye fe'al sabit ho or isme uski shohrat ho to usko imam banana najaizo haram w gunah he. Ki ye sab haram he, or is kaam me shohrat ho to vo fasiq he or fasiq ko imam banana najaizo gunah he. Or uske pichhe padhi hui namaz wajibul ae'aada he yani namaz ka dohrana wajib he.

_Huzur Faqihe millat alaihir rahma taherir farmate he_

Tasweer Khinchna ya khinhwana ya ta'aziman apne paas rakhna sakht najaizo haram he.

Is bare me Ahadise karima kasrat se warid he, Jis Ghar me tasweer hoti he usme rahmat ke farishte nahi aate

Huzur Sallallahu alaihi w sallam irshad farmate he
لاتدخل الملائکة بیتا فیہ کلب ولا صورة
*📚(MUSLIM SHAREEF, J-2, S-200)*
Fir isi safah par dusri riwayat me he
ان من اشد الناس عذابا یوم القیامة الذین یشبھون بخلق اللہ
Yani Beshak nihayat sakht azab roze qayamat un tasweer banane walo par hoga jo khuda ke banae hue ki naql karte he.

Lihaza soorate mas'ula me agar waqai zaid photo khinchwata he to vo fasiqe mu'allin he or sakht gunahgaar mustahiqqe azabe naar he us par lazim he ki aelaniya taubah w astagfar kare or tamam tasweero ko phad kar fek de.
Use imam banana gunah he. Is aib ke baad jitni namaze uske pichhe padhi gai he unka dobarah padhna wajib he.
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, J-1, S-120)*

_Or Huzur Tajushshariyah Alaihir Rahma farmate he_
uska ye fe'al (yani mobile se tasweer ya video download ya send karna) mustahiq w sabit ho to usko imam banana najaizo haram w gunah he. Namaz wajibul ae'aada he.
http://jamiaturraza.com/session/29Dec13/8.mp3

Wallahu Aa'alam bis-sawab
*✍Pathan Moin Raza Azhari,Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
=============➖➖➖➖=========

Ay Hadi e Mutlaq Tamam insano ke liye hidayat ka fesla farma he duaa karna kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Ek aalime deen ka waqte Duaa " Ay Hadi e mutlaq tamam insano ke liye Hidayat ka faisla farma"
Is tarah ke alfaz kahna kaisa he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Allah Ta'ala ki zaati sifat sab mutlaq he kisi se vo muqeed nahi. Or 'hadi' allah ta'ala ki ek sifat he jiska ma'ana hota he hidayat karne wala. Or beshak allah hi hidayat karne wala he. Is liye hadi e mutlaq kahna galat nahi..

Bahare shariyat aqaid ke baab me he ki,
Haqiqat me rozi pahuchane wala sirf allah hi he or farishte rozi pahuchane ke zariye he
*📚(BAHARE SHARIYAT, J-1, AQAID KA BAYAN)*

Hidayat w gumrahi usi ki taraf se he.
*📚(QANOONE SHARIYAT, S-24)*


Allah ta'ala hadi e mutlaq he or vahi tamam insano ke liye hidayat ka faisla farmata he. To bilkul is tarah ki duaa kar sakte he koi harj nahi.

Wallahu aa'alam bis-sawab

*📬Pathan Moin Raza Azhari,Petlad*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖==========

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts