Quraan Shareef Me Baal Nikalne Ki Haqiqat

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Quraan Shareef Me Kuchh Baal Nikalte He Or Ye Har Jagah Ho Raha He, Or Kuchh Log Use Huzur ﷺ Ke Baal Mubarak Kahte He, Iski Kya Haqiqat He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ye Bahut Purana Mu'amla He, Pahle Bhi is Tarah Ki Baate Fail Chuki He Ki Qura'an Shareef Me Huzur ﷺ Ke Baal Nikalte He Kabhi Kabhi Aysi Baat Chal Padti He, Ek To Ye Ki Ham Qura'an Majeed Padhte He To Istemal Me Hamare Baal Bhi Andar Chale Jate He, Binding Karte He Un Logo Ke Bhi Hote He, Or Ise Huzure Paak  ﷺ Ke Baal Mubarak Kahna Iski Koi Sanad Nahi He, Wajah Ye Ki Huzure Paak ﷺ Ki Taraf Kisi Bhi Cheez Ki Nisbat Bila Tahqiq Kar Dena Ye Jaiz Nahi He, Yahañ Tak Ki Hadees Shareef Me Bhi He Ki Jisne Huzur ﷺ Ki Taraf Jhuth Bandha Vo Apna Thikana Jahannam Me Talash Kare, Lihaza Huzur ﷺ Ki Taraf Kisi Bhi Cheez Ki Nisbat Bila Tahqiq Jaiz Nahi.
Wallahu Ta'aala Aa'alam

*🎙Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qazi E Petlad w Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujrat_*

Is Tarah Ke Muaamle Pahle Bhi Ho Chuke He, Or Kuchh Jahil Log Ise Huzur ﷺ Ke Baal Mubarak Kahte He, Ye Bilkul Be Asl, Mangarhat He, Kuchh Log To Ayse Hi Afwah Faila Dete He, Or Jahañ Qura'an Shareef Me Baal Nikalte He, Vo Khud Un Parhne Walo Ke Ya Ird Gird Se Ud Kar Aa Girte He,

In Baalo Ko Bagair Daleel Huzur ﷺ Se Nisbat Kar Dena Bilkul Jagalat w be asl He.

Jaisa Ki Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Se Is Ta'alluk Se Sawal Hua Aap Farmate He,
(Qura'an Shareef Me Huzur ﷺ Ke Baal Mubarak Nikalna) Ye Baat Be Asl He, Usko Apne Taur Par Huzur ﷺ Ka Baal Samajh Lena Ye Baat Samajh Nahi Aati.
http://jamiaturraza.com/session/30May10/34.mp3

Isi Tarah Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Se Ek Or Sawal Is Hi Ta'alluk Se Hua Aap Farmate He,

Is Silsile Me Khabar Ki Tausiq Ka Koi Zariya Maqool Samajh Me Nahi Aata, Moo e Mubarak Ka Achanak Qura'ane Kareem Me Zahir Hona Or Fir Ye Ki Ye Sarkar Ke Baal Mubarak He Isko Muta'ayyan Karne Ka Kya Zariya He ? (Yaani Is Baal Ko Sarkar  ﷺ Ke Baal Mubarak Kahne Ka Kya Saboot He ? Iska Koi Saboot Nahi.)

http://jamiaturraza.com/session/25Aug13/3.mp3

Lihaza Is Tarah Ki Afwah Or Be Asl Baato Par Gaur Na Kiya Jaye.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Masjid me Badmazhab Ka Ailan Or Kafiro Ko Bhai Kahne Wale Ko Imam Banana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
_اسلام عليكم_
Zaid Masjid Ka Imaam Hai,
_Usne Ek Jumu'ah Ye Ayelan Kiya Ki Hindu, Muslim, Sikh, Isaayi, Sab Bhai Bhai._
_Ek Jumu'ah Me Ye Ayelan Hua Ki Aaj Baad Namaz E Isha, Kul Jama'ati Tehreek Ke Matahat Ek Program Rakha Gaya Hai, Aur Us Kul Jama'ati Tehreeq Ke Memberon Ne Ye Kaha Ki Is Committe Se 2 Chize Karni Hai Ek CAA Ke Khilaaf Morcha Aur Dusra Aapsi Ittihaad Aur Ye Baat Imaam Sahaab Ko Batayi Bhi Gayi_
_Teesri Jumu'ah Me Unhone Ye Ayelan Kiya Ki Jama'at Islami Hind Ke Jaanib Se Khawateen Ka Dharma Aa Rakha Gaya Hai_
_Uski Baad Ke Jumu'ah Me Bhi Aise Ayelan Hue_

_Aur Unhone Wo Kul Jama'ati Tehreek Ka Stage Bhi Share Kiya_

_Kya Ab Is Imaam Ke Piche Namaz Hogi?_

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jamate Tahreeke Islami Or Tabligi jamat Ye Tamam Ki Tamam Badmazhab Gumraho Ki Jama'at He, Unka Kisi Bhi Tarah Ka Ailan Karna Yaqeenan Unki Madad Karna He, Or jo bhi kisi tarah se Badmazhabo gumraho ki izzat Ta'azeem Baja Laata he Vo Deen Ki Izzat W Ahteram ko dhaa deta he,

Jaisa Ki Hadees Shareef Me He,
Hazrat Ibrahim Bin Mayyassara RadiAllahu Anhu Ne Kaha Ki RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya Jis Ne Badmazhab Ki Ta'azeem w Tauqeer Ki Usne Islam Ke Dhane Par Madad Ki.
*📚(Mishkat Shareef)*

Is Hadees Ke Zaman Me Huzur Shaikh Abdul Haq Muhaddise Dahelvi RadiAllahu Anhu Farmate He Ki Badmazhab Ki Ta'azeem w Tauqeer Me Sunnat Ki Hiqarat W Zillat He Or Sunnat Ki Hiqarat Islam Ki Bunyad Dhane Tak Pahucha Deti He.
*📚(Anware Hadees, S-89)*

Or Hindu Muslim Sikh Isai sab Bhai Bhai Ka Nara Sulehkulliyat Ka Naara He, Or Huzur Shareh Bukhari Farmate He Mushreek Ko Apnq Bhai Kahne Wala Sunni Musalman Hi Nahi Ho Sakta,

Jaisa ki Fatawa Shareh Bukhari Me He,
Jo Sakhs Apne Aap Ko Kisi Mushrik Ka Bhai Bataye Vo Sunni Musalman Nahi Ho Sakta.

Qura'an Majeed Me He,
إِنَّمَا الْمُؤْمِنُونَ إِخْوَةٌ
Musalman Musalman Bhai He.
*📚(Sura e Taubah, Aayat-10)*

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَتَّخِذُوا بِطَانَةً مِّن دُونِكُمْ لَا يَأْلُونَكُمْ خَبَالًا وَدُّوا مَا عَنِتُّمْ قَدْ بَدَتِ الْبَغْضَاءُ مِنْ أَفْوَاهِهِمْ وَمَا تُخْفِي صُدُورُهُمْ أَكْبَرُ ۚ قَدْ بَيَّنَّا لَكُمُ الْآيَاتِ ۖ إِن كُنتُمْ تَعْقِلُونَ
Yaani Ay Iman Walo Gairo Ko Apna Raaz Daar Na Banao Vo Tumhari Burai Me Kami Nahi Karte Unki Aarzoo He, Jitni Eeza Pahuche Bayr Unki Baato Se Jhalak Utha Or Vo Jo Sine Me Chhupaye He Or Bada He, Ham Ne Nishaniya Tumhe Khol Kar Suna di Agar Tumhe Aql Ho.
*📚(Sura e Aale Imran, Aayat-118)*
*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-2, S-552)*


Is Wajah Se Ayse Alfazo Ko Hargiz Istemal Na Kare, Or Jis Imam Ne Is Tarah Jumaa Me Kaha Ya Fir Badmazhabo Ke Ailanat Kiye, Ayse Imam Ke Pichhe Namaz Makroohe Tahrimi Wajibul Ae'aada. Jab tak Taubah Na Kare Usko Imam Na Banaya Jaye, Or Taubah Karle Or Us Par Kaayam Rahne ka Gaalibe Guman Ho Jaye, Tab Tak Usko Imamat Se Door Rakha Jaaye, Usko Imam Banana Gunah Or Uske Pichhe Agar Namaz Padhe To Wajibul Ae'aada Makroohe Tahrimi Hogi.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Noodles Or Maggie Khana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum

Sawal....kya Nudals Ya Magi Khana Ja'ez Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
و علیکم السلام و رحمۃ اللہ و برکاتہ
Kha sakte hai jab tak k kisi haram ki aamezish ka yaqeen ya galib e guman na ho..
کما فی الفتاوی الرضویہ
واللہ تعالی اعلم بالصواب

*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Majboori Me Mandir Se Paani Pina Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
mera suwal h ke piyas bahut shiddat ki lagi ho aur sirf Mandir k ilawa aur koi jaga nhi to kya Mandir ka pani ya khana kha sakte h
Gulam Musatafa

*🌹JAWAB:-🌹*
Aap ne jo soorat zikr ki hai voh bahut naadir hai bahut kam hi aisa hota hai...phir bhi  الحمد للہ mazhab e  Islam kisi shobe ke masail ke hal se khali nahi sabhi pareshaniyo ka  hal hai.. To agar aisi koi soorat e hal pesh aaye to aap hatt-al-imkan koshish kare k mandir ke Andar na jakar sirf bahar rehkar apni hajat puri kare. Ye Hukm Halate Majboori Ka he,Kyu ki mandir  jaha gair e khuda ki parastish hoti hai vaha allah tala ki laanat utarti hai...is liye us ki khas jagah se bach kar apni payas bujhaye aur khana agar parshad aur chadhava ho to na khaye k najaiz va mana hai ...
واللہ تعالی اعلم بالصواب
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aurat Ka Mobile Par Gair Mahram Se Baat Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaykum wa Rahmatullah
Kya aurat ka phone par kisi gair mehram mard se bat karna jayiz hai (khairyat wagerah puchne k liye) or mamu ka beta ya masi ka ya chacha ke bete se to kabhi kabhi bat karni padti hai kuch kam ho to kya bat kar sakte hai phn pe ya parde me reh kar?
Baraye meherbani jawab bataye
Kya Aurat ke liye jaiz hai
Ye kaam

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aurat Ko Apne Mahram Se Mobile Phone Par Baat Karna Jaiz w Durust He, Or Gair Mahram Se Baat Karna Najaiz He. Or Agar Sharai Haajat Ya Zaroorat Ke Waqt Ho To Gair Mahram Se Mobile Par Baat Karne Ki Ijazat He Vo Bhi Is Shart Par Ki Aawaz Me Lachak Ya Narmi Na Ho Balki Sakht Lahja Ho Jisse Fitne Ka Andesha Na Ho.

Fatawa Baraily Shareef Me He,

Aurat Ki Aawaz Bhi Aurat He, Or Aurat Ko Apni Aawaz Ka Chhupana Wajib He.

Imame Ahle Sunnat Aala Hazrat Quddasirahu Se Sawal Huva Ki,
Kitne Ayse Shakhs He Jinse Aurto Ko Guftagu Karna Or Un Ko Apni Aawaz Sunana Jaiz He,

Jawaban Taherir Farmate He, Tamam Mahaarim Or Hajat Ho Or Andesha e Fitna na ho na khalwat ho to parda ke andar se Ba'az Na-mahram Se Bhi.
*📚(Fatawa Razviya, J-9, S-161)*

Is ibarat se Ma'aloom huva ki agar Waqaee hajat he andesha e fitna or khalwat nahi he to aurat ko apni aawaz na Mahram ko sunana jaiz he to agar phone par Aurat ki aawaz aurat hi maan li jaaye or hajat he or Andesha e Fitna nahi to phone par Aurat ka dusre mard ko zaroori baat batana jaiz hoga.
*📚(Fatawa Baraily Shareef, S-285)*

Or Mobile Phone Ke Zaroori Masail Me He,

Muslim Aurto Ke Liye Mobile Istemal Karna Or Uske Zariye Apne Mahramo Se Baat Cheet Karna Jaiz W Durust He, Or Gair Mahramo Se Baat Cheet Mamnoo'a W Najaiz He. Or Sharai Haajat Ya Zaroorat Ke Waqt Ke Liye Parde Ke Ehtemam Ke Sath Ajnabi Mardo Se Guftagu Ki Ijazat He, Khwañ Ye Guftagu Mobile Se Ho Ya Bagair Mobile Ke.

Gair Mahram Or Ajnabi Mardo Se Jahañ Waqte Zaroorat Baat Cheet Ki Ijazat He Wahañ Ye Bhi Shart He Ki Aurte Apni Aawaz Me lachak, Narmi Or Dilkashi paida na kare. Balki sakht lahje me or khurdure Andaz me Baat Cheet Kare Taaki Fitne ka Andesha Na Ho Or Koi Hareesut taba'a Aadmi aurto ko apni taraf maail karne ki jur'at na kar sake.

Allah Tabarak w Ta'ala Irshad Farmata He,
 إِنِ اتَّقَيْتُنَّ فَلَا تَخْضَعْنَ بِالْقَوْلِ فَيَطْمَعَ الَّذِي فِي قَلْبِهِ مَرَضٌ
Tarjama: Agar Tum Parhezgari Ikhtiyar Karo To Narm Lahje se baat na karo ki jiske dil me rog he vo bura khayal kare.
*📚(Sura e Ahzab, Aayat-32)*

Lihaza Aam Halato Me Mobile Par Mard w Aurat Ka Ajnabi Mard w Aurat Se Guftagu Najaiz He Or Zaroorat Ke Waqt Jaiz He.
*📚Makhuz: (Mobile Phone Ke Zaroori Masail, Safha- 71 ta 73)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aurat Ko Baalo Me Clip Laga Kar Namaz Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Aurto Ko Baalo Me Clip Lagana Kesa Or Use Laga Kar Namaz Padhna Kesa Or Jo Namaz Padhi Gai Uska Kya Hukm He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Aurte Jo Baalo Ko Ekaththa Karne Ke Liye Chhoti Clip Ya Pin Lagati He Use Lagana Jaiz He Or Use Laga Kar Namaz Padhna Bhi Durust He. Or Jo Zinat Ke Liye Bade Bade Pieces Lagaye Jate He Uski Ijazat Nahi Hona Chahiye.

Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,

Sone chandi Ke Alawa Dusri Dhaato Ke Zewraat Maslan Loha, Taanba, Peetal, Raang, Jasta Wagairah Aurto Ke Liye Bhi Najaizo Haram He.

Or Clip Jis Ko Aurte Apne Baalo Me Lagati He Uska Istemal Jaaiz He Ki Clip Khalis Zewar Nahi Is Ko Sirf Zinat Ke Liye Nahi Lagaya Jata Balki Uska Maqsad Baalo Ko Yakja Rakhna He, Fir Use Baalo Me Lagana, لبس Yaani Pahanna Nahi He Or  لبس Hi Mamnoo'a He.

Fatawa Amjadiya Me He,
Sone Chandi Ke Batton Is Wajah Se Jaiz He Ki Malboos Nahi, Balki Tawabe'a Libas Se He, Lihaza Dusri Dhaat Ke Batton Isi Illate Mushtarka Se Jaiz He Ki Dusri Dhaato Ka Pahanna Mana'a He, Balki Unka Hukm Sone Chandi Se Akhf He Ki Sone Chandi Ka Istemal Sirf Ek Makhsoos Soorat Ke Alawa Mutlaqan Najaiz He Or Dusri Dhaate Siwa Pahanne Ke Har Tarah Istemal Kar Sakte He. Unke Bartano Me Khaa Pee Sakte He. Surma Daani, Silaai, Tel, Wagairah Ki Pyaliya, Qalam Dawaat Wagairah Tamam Ashya'a Ko Istemal Kar Sakte He.
*📚(Fatawa Amjadiya, J-4, S-233)*
*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-2, S-499)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Niche Gire Huye Khane Ko Left Hath Se Khana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Salam

Khana Pina khate waqt baaz aukaat kch Dane gir jate hai ya papad khate waqt is baat pr dhyaan nahi jata k use ulte haath se kha lete h aur isi tarah  hath pr jab khana Laga hota hai to ulte haath se Pani Peete hai aur glass k niche seedha hath Laga lete hai ... To ispr kya hukum hoga

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Khane ke Bare Me Or Pine Ke Baare Me Yahi Hukme Rasool ﷺ He, Ki Sidhe Haath Se Khaya Jaaye Sidhe Hath Se Piya Jaaye, Jo Daane Niche Gir Jaye Ya Papad Ya Salaad Wagairah Khana Ho To Uske Bhi Khane Ke Bare Me Yahi Hukm He Ki Sidhe Hath Hi Se Khaya Jaaye, Agarche Sidhe Hath Me Daane Wagairah Lage Huve Ho, To Un Cheezo Ko Apni Taraf Lele Or Uske Baad Khay  Taake Dusre Logo Ko Nafrat Paida Na Ho, Albatta Ulte Haath Se Khana Ye Shaitan Ki Janib Se He, Ye Shaitan Ka Kaam He Allah Ke Rasool ﷺ Ne Irshad Farmaya Ki Ulte Hath Se Khana, Ulte Hath Se Pina, Ulte Hath Se Dena, Lena, Ye Shaitan Ka Tatika e Kaar He, Ye Hadees Shareef Ka Mafhoom Tha.

Or Bahut Saari Ahadise Nabviya Is Par Dalalat Karti He Ki Sidhe Se Khana He, Sidhe Se Pina He Sidhe Hath Se Lena Or Dena He, To Hukme Rasool Yahi He Ki Daana Gir Jaye Ya Paapad Khana Ho Ya Paani Pina Ho Agarche Un Cheezo Par Daane Lag Jaye Lekin Sidhe Hath Hi Se Khana Pina He, Albatta Agar Sidhe Hath Me Daane Lage Ho Or Paani Pina Ho To Ulte Hath Me Glaas Pakad Kar Niche Sidhe Hath Ka Tek Dede To Ye Bhi Jaiz Hoga

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Chamde Ka Belt Pahan Kar Namaz Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum..
Kya Chamre Ka Belt Ya Rabbar Ke Belt Ko Phen Kar Nmaz Padhe To Nmaz Hogi Ya Nhi..?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Khinzir (Suwwar) Or Insan Ke Alawa Dusre Kisi Bhi Janwar Ke Chamde Ka Belt Pahan Kar Namaz Padhna Jaiz He, Isi Tarah Rexin, Rabar, Ya Leather Ka Belt Pahanna Bhi Jaiz He, Jab Ki Usme Koi Najasat Na Ho.
Or Janwar Ke Vo Chamde Jise Sharai Taur Par Zabah Kiya Gaya Ho Vo Paak He Or Murdar Janwar Ke Chamde Ko Dabagat Dene Ke Baad Paak Ho Jayege Use Pahan Kar Namaz Padhna Bhi Durust He, Magar Insan Or Khinzir Ka Chamda Dabagat Dene Se Bhi Paak Na Hoga, Use Pahanna Jaiz Nahi Or Use Pahan Kar Namaz Padhna Bhi Durust Nahi.

Jaisa Ki Sharah Waqaya Me He,
وکل اھاب دبغ فقد طھر
Yaani Har Voo Chamda Jisko  Dabagat De Diya Gaya Vo Paak He.
 الا جلد الخنزیر والادمی
Magar Khinzir Or Aadmi Ka Chamda

Khinzir Najisul Ayn Hone Ki Wajah Se Or Aadmi Mukrram Yaani Ashraful Makhluqat Hone Ki Wajah Se

Dabagat Ka Matlab Ye He Ki Chamde Ki Badboo Or Gandagi Ko Door Kar Diya Jaaye Dawai Ya Dhoop Wagairah Ke Zariye.
ان الدباغۃ ہی ازالۃ النتن والرطوبآت النجسۃ من الجلد فان کانت بالادویۃ کالقرظ الخ..
*📚( Sharah Waqaya, J-1, Kitabut Taharat)*

Isi Tarah Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Se Sawal Hua Ki Kamar Me Patta Bandh Kar Kar Namaz Padhna Durust He Ya Nahi To Aap Farmate He,
Durust He Magar Daman Uske Niche Na Dabe.
*📚(Fatawa Razviya, J-7, S-385)*

Or Hidaya Awwalin Me He,
 کل اھاب د بغ فقد طھر جازت الصلوة فیه و الوضوء منه الا جلد الخنزیر و الاد می "
Yaani Har Kachchi Khal Jis Ki Dabagat Di Gai Vo Paak Ho Gai Us Me Namaz Padhna Or Usse Wuzu Karna Jaaiz He Siwaye Khinzir Or Aadmi Ki Khal Ke.
*📚(Hidaya Awwalin, Safa-24)*

Or Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Soowar Ke Siwa Har Murdar Janwar Ki Khal sukhane Se Paak Ho Jati He Khwañ Usko Khari Namak Wagairah Kisi Dawa Se Pakaya Ho Ya Faqat Dhoop Ya Hawa Me Sukha Liya Ho Or Us Ki Tamam Ratoobat Fana Ho Kar Badboo Jaati Rahi Ho Ki Dono Sortoo Me Paak Ho Jayegi Us Par Namaz Durust He,
*📚(Bahare Shariyat, H-1, S-402)*

Lihaza Khinzir Ke Alawa Dusre Janwar Ke Chamde Se Badboo Or Gandagi Door Karne Ke Baad Use Pahan Kar Namaz Padhna Durust He..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aurat Ko Chain Wali Ghadi Pahan Kar Namaz Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya chain wali ghadi khawateen pehen sakte hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
Khawateen ke liye bhi sone chandi ke alawa koi aur dhat jaiz nahi, chain agar sone chandi ki hai to bila shubha pahan sakti hain. Or Dusri Koi Dhaat Ki Jaiz Nahi.

Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Sone Chandi Ke Siwa Dusri Dhaato Ke Zewar Mard Aurat Dono Ke Liye Najaiz He Ye Masnooi Sona Bhi Isi Hukm Me He.
*📚(Fatawa Amjadiya, J-4, S-287)*

Lihaza Aurat Ko Sone Chandi Ke Alawa Dusri Koi Dhaat Ki Chain Wali Garhi Pahanna Jaiz Nahi. Or Umooman Garhiyo Ki Chain Steel Ya Lohe Wagairah Ki Hi Hoti He Jise Aurat Ko Bhi Pahanna Jaiz Nahi.

*✍Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*
*📬Idara e Sharaiyah W Samaji Khidmaat, Aala Hazrat Masjid, NavaYard, Vadodra Gujrat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

YouTube Se Paisa Kamana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuhu
Youtub ki kamai Jo kmate h adiuo video par wo kaisa h
Gulaame Musatafa

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
YouTube Se Paisa Kamane Ki Soorat Ye Hoti He Ki Youtuber Apni Channel Par YouTube Ko Permission Deta He Ki Youtuber Apni Taraf Se Jo Chahe Ads Apni Video Par De Sakta He, Or Isi Ke Paise Milte He, Vo Ads Hamari Upload Ki Hui Video Ke Shuruaat Me Ya Bich Me Aate He, Or Us Ads Me Kuchh Bhi Aata He, Jaise Ladkiyo ki Gandi Tasweere, Business ke Ta'alluk Se, Kisi Application Ki, Wagairah, Lekin Usme Jandar Ki Tasweer To Zyadatar Hoti Hi he, Or Song Wagairah Bhi Aate He, Or Ye Sab Dekhna Dikhana Najaizo Haram He.

Lihaza Is Tarah Paisa Kamana Ki Jisme Jandar Ki Tasweer Dikhai Jaaye Ya Gair Mahram Mard Aurat Ki Tasweere Ya Filmi Song Wagairah Dikhaya Sunaya Jaye Ye Sab Najaizo Haram He. Or Najaiz Tariqe Se Kamaya Paisa Bhi Najaiz He. In sab Najaiz Umoor Ke Alawa Koi Dusra Rasta ho Jo Shariyat ke Dayre Me Jaiz W Mubah ho To Usse Kamaya Paisa jaiz He.

Jaisa Ki Sarkaar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Se Internet Ki Kamai Ke Ta'alluk Se Sawal Hua Aap Farmate He,

Agar Vo Kaam Jaiz He To Uski Ki Ujrat Jaiz He Or Agar Vo Kaam Najaiz He To Uski Ujrat Najaiz.

http://jamiaturraza.com/session/26April09/38.mp3

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gair Muslim Ki Dawat Me Khane Jana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Salaam

Mera ye suwal he ki Hindu ki parti wagera se dawat aati ho to waha Jana aur unka khana kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Hindu Ke Yaha Da'awat Wagairah Me Nahi Jana Chahiye Is Se Parhez Karna Chahiye,

Jaisa Ki Fatawa Faqihe Millat Me He,
Musalman Ko Ehtraz Chahiye,

Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate he,

Musalmano ko Mutlaqan Kafiro se ijtenab chahiye na ki un Kuffar se itna khillat ki unki Da'awat me shirkat ho jin ke yaha jana or khana urfan bhi Nihayat Qabeeh He.
*📚(Fatawa Amjadiya, J-4, S-148)*
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-2, S-313)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Dulhan Ke Paanw Dho Kar Paani Ghar Me Chhirakna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Salam, Ek sawal he ki sadi ke din dulan apne ghar se vida ho ke sasural aae tab sasural pohche tab gharme dakhil hone se pehle dulhan ke pehar dho ke us pani ko ghar ki diwalo pe chhirak na kesa hadis ki rosni me
Jawab de ke ilm me izafa kare

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Nai Dulhan Ke Pair Dho Kar Uska Paani Ghar Ki Diwalo Par Charo Kone Me Chhidakna Mubah W Jaiz He,  Balki Baaise Barkat He, Albatta Ye Zaroori He Ki Isme Or Koi Khilafe Shara'a Rasm Na Ki Jaye.

Jaisa Ki Huzur Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Dulhan Ko Biyah Kar Laaye To Mustahab He Ki Uske Paanw Dho Kar Makaan Ke Charo Gosho Me Chhirke Is Se Barkat Hoti He.
*📚(Fatawa Razviya, J-2, S-595, Matbuaa Raza Foundation Lahor)*

Isi Tarah Fatawa Europe Me He,
Ki Ye Rasm Mubah W Jaiz He...
*📚(Fatawa Europe, S-389)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Urs Ke Mauqa Par Sandal Ko Mathe Par Hath Wagairah Par Lagana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمۃ اللہ وبرکاتہ
Kya Farmate Hai Ulma e Kiraam Wa Muftiyaane izaam Mundarejaa zyal Masa'ale ke Baare Me ke...

↪ Mazarate Awliya ke Ursh ke Moke Par Jo Sandal Ka Qashqaah Maateh Par Lagaaya Jata Hai Wo Lagwana Kesa hai...?

↪ Kya Yeh Lagana Jaaiz hai, Haraam hai, Makhrooh hai Ya Kufr hai...?

↪ Lagane Wale Aur Lagwane Wale Par Kya Hukm hai...?

↪ Zaid Ek Masjid ka imam hai Jo Is Fail ko Jaaiz Bata kar Lagata aur Lagwata hai to Uske Piche Namaz ka kya Hukm hai...?

_*Baraaye Maherbaani Mufassal Jawaab Inaayat Farma kar Hamari Rahanumaee Farmaye*_

🌴 𝐉𝐚𝐳𝐚𝐚𝐤𝐚𝐥𝐥𝐚𝐡𝐮 𝐊𝐡𝐚𝐢𝐲𝐚𝐫𝐚𝐧 𝐁𝐢𝐬𝐬𝐚𝐰𝐚𝐚𝐛 🌴

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sandal Ek Khushbu Daar Cheez Hoti He Ki Jisko Nihayati Adabo Ahteram Ke Sath Naato Manqabat Or Duroodo Salam Ke Sath Mazarate Awliya Par Lagaya Jata He, Taaki Usse Khushboo Uthe Or Logo Ke Zahen Mu'attar Ho Or Fir Use Qabr Shareef Par Lagane Ke Baad Jab Usse Tabarruk Mas Ho Jata He, To Use Tabarruk Ke Taur Par Ham Maathe Par Lagate He, Isko Qashqah Wagairah Se Tabeer Na Kiya Jaye, Jis Tariqe Se Hindu Log Chandla Ya Qashqah Ya Koi Or Nishani Maathe Par Lagate He Usse Tashbeeh Na Di Jaye, Usse Bilkul Alag He, Yaqinan Ye Hinduo Ki Tarah Qashqah Nahi He, Balki Vo Tabarruk Ke Taur Par Sandal Ko Apne Maathe Par Apne Aankho Par Apne Muh Par Lagana He, Or Ye Jaiz he, Mubah He. Lekin Bahetar Ye He Ki Mathe Par Lagane Se Bacha Jaye Ki Jisse Logo Ko Galat Shubah Bhi Na Ho, Haañ Hath Per Wagairah Par Bataure Tabarruk Lagane Me Harj Nahi.

Or Jab Ye Sandal Ko Lagana Jaiz He Use Sar Or Hath Wagairah Par Bhi Laga Sakte He, To Jo Lagwane Wale He Unpar Bhi Koi Hukm Nahi, Koi Gunah Nahi, Lihaza Jo Imam Lagata He Ya Lagvata He Us Par Bhi Koi Muaakhaza Nahi, Kyo Ki Ye Sandal Lagana Bi-Zaatihi Mubah He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Mufti E Petlad, Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*✅Al-Jawabus Sahih:- Hazrat Allama Mufti Dilshad Ahmad Ziyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Darul Uloom Mustafiya Haldarwa Gujarat*

*✅Al-Jawabus Sahih: Sahibe Fatawa Sharfe Millat, Hazrat Allama Mufti Sharfuddin Razvi Sahab Qibla,*
*_📬Darul Uloom Qadariya Habibya Fel Khana Hawda, Kalakatta, Bangal_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Napaak Kapda Pahenne Se Jism Napaak Hoga ya nahi

*🌹SAWAL:-🌹*
Agar  jism paak hai aur napaak kapda pehenliya Kya jism napaak hogaya ya nhi

*🌹JAWAB:-🌹*
 Agrar jism pak hai aur najis yani napak kapada pahan liya to agar kapada khushk yani sukha hai to jism napak nahin hoga aur agar Kapda gila yani bhiga hai to jism ke jis hisse par us kapde ki tari yani us ka pani lagega wah hissa napak hojayega us ko pak karna zaroori hoga
و اللہ تعالیٰ اعلم

*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Musafir Ko Masjid Ka Paani Istemal Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kya Farmate He Aulma e Kiram W Muftiyane Izaam Mas'ala Zel Ke Bare Me Ki Kisi Kaam Ke Sabab Shahar Ya Dehat Me Gaye Or Peshab Ya Qaza e Hajat Ka Galba Pesh Aaya Ya Pyas Lagi Ya Garmi Or Thakan Ke Sabab Hhath Munh Dhone Ki Aarzoo Paida Hui To Kya In Sab Soorato Me Us Shahar Ya Dehat Ki Masjid Ka Paani Ya Baytul Khala'a Ka Istemal Karna Jaiz He Ya Nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Ae'atekaf Ki Niyyat Karle Or Kuchh Allah Ka Zikr Karle Uske Baad Vaha Ka Pani Bhi Piye Or Apni Hajat Se Bhi Farig Ho ,Or Ye Bil Ittifaq Jaiz He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Wahabi Mayyat ko Gusl Dene Wale Ko Sunni Mayyat Ko Gusl Dene Bulana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
ek aisi Aurat jo mayyat ko Gusul deti hai aur agar wo Sunni wahabi sab ko gusul deti ho to kya use Gusul ke liye bulana saheeh hai aur is tarah ke mard bhi hain jo wahabi mardon ko gusul dete hain aur wahan ke sunni imaam bhi mana nahi karte.

*🌹JAWAB:-🌹*

Aysi Aurat Ya Mard Ko Gusl Dene Ke Liye Hargiz Hargiz Na Bulaya Jaye, Koshis Ki Jaye Ki Sunni Aurat Ko Gusl Dene Ke Liye Sunni Parhezgar Aurat Hi Ko Bulaya Jaye.

Jaisa Ki Fatawa Aalamgiri Me He,
Bahetar Ye He Ki Nahlane Wala Mayyat Ka Sabse Zyada Qareebi Rishtedaar Ho, Vo Na Ho Ya Nahlana Na Janta Ho To Koi Or Shakhs Jo Amanat Daar Or Parehzgaar Ho.
*📚(Fatawa Aalamgiri Jadeed Urdu, J-1, S-402)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+918w
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Do Kafir ka Bachcha Waladuzzana Na Kahelayega

*🌹SAWAL:-🌹*
Agar do kafiro ka baccha paida hota hai, wo baccha aage jaake islam qubool krleta hai, toh kya wo halali kehlayega ????

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Galiban halali ka matlab suval me ye hai k voh valadu zzina hai ya sabitu nnasab ..to  agar unke mazhab me jis tarah nikah ka Rivaj hai agar usi tarah huva hai to vo bacha sabitu nnasab hoga valadu zzina na kehlayega ...
Hadis sharif me hai ..
"الولد للفراش" أو كما قال

Huzure Akram  ﷺ Ke Zamane Me Kuchh Aurte Islam Laai Or Unke Shohar Kafir The, Fir Jab Shohar Bhi Musalman Ho Gaye To Usi Pahle Nikah Ke Sath Unki Aurte Unhe Wapas Ki Gai, Yaani Dubara Nikah Na Kiya Gaya, Or Isi Hadees Shareef Se Ye Bhi Sabit Hua Ki Kafiro Ke Mazhab Me Jo Nikah Sahih He Vo Dono Ke Iman Lane Ke Baad Bhi Nikah Sahih Hoge, Jadeed Nikah Ki Zaroorat Na Hogi.
*📚(Bahar e Shariyat J-2 )*

 Isse Ye Bhi Sabit Ho Jata He Ki Do Kafiro Se Jo Bachcha Paida Hua Vo Bhi Nikahe Sahih Ki Wajah Se Sabitun Nasab Hi Kahelaywga Waladuzzana Na Kehlayega.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mushtazani Se Roza Toot Jayega Or Uske Kaffara Or Qaza Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Musht zani se roza Toot jata He or Agr totta He to kya Kaffara Lazim Ayega?? 

Bht urgent  Jawab Chahiye 👆🏻

*🌹JAWAB:-🌹*

Mushtazani ( Mastrubation) Yaani Hath Se Mani Nikalna Sharai Aitbar Se Sakht Najaizo Haram W Gunah ka Kaam He Or Tibbi Aitbar Se Bhi Nuqshan Deh He, Aam  Halat Me Bhi Isse Bachna Zaroori He, Or Agar Ma'azAllah Kisi Ne Roza Jesi Paak Ibadat Me Mushtazani Ki Or Mani Nikal Gai To Roza Toot Jayega Taubah W Astagfaar Kare Or Us Roze Ki Qaza Bhi Lazim He Uska Kaffara Nahi.

Raddul Muhtar Me He,
وکذا الاستمناء بالکف أی فی کونہ لايفسد ،لکن ھذا إذا لم ینزل،أما إذا أنزل فعلیہ القضاء
Yaani Yahi Hukm Hath Se Mani Nikalne Ka He Ki inzaal Na Huva To Roza Fasid Na Hoga. Or Agar Inzaal Ho Gaya To Fir (Fasid Ho Gaya) Ab Us Par Roze Ki Qaza He.
*📚(Raddul Muhtar, J-2, S-399)*

Isi Tarah Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahma Farmate He,

Hath Se Mani Nikalne se Roza Toot Jayega Uski Qaza Lazim He Kaffara Nahi.
*📚Makhuz: (Bahare Shariyat Application, J-5, 124)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kafir Ki Di Hui Sabzi Khana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
Kisi Kafir Ki Di Huwi Sabzi Ko Khana Chahiyee Ya Nhi....

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Hindu Wagairah Kafir Gosht Ke Alawa Koi Khana De To Vo Khana Jaiz He Magar Aehtraz Karna Bahetar, Yaani Na Khana Bahtar He.

Jaisa Ki Saiyedi Aala Hazrat alaihirrahmato ridwan tahrir farmate he,

"Hindu ke hath ka paka huaa gosht haram he or baaki khane uske pakaye huye jaiz he.Jabke paani bartan me khillate najasat maloom na ho."
*📚(Fatawa razviya jild nuham nisf aakhri,safa 115)*

Or tahrir farmate he "Hindu ke yaha gosht khana haram he or dusri chiz me fatawa jawaz or taqwa aheteraze Imam Muhammed rahematullah alaihi farmate he به ناخذ مالم نعرف شيئا بعینه
*📚(Fatawa razviya jild nuham nisf aakhir safa 163)*

Or sadrushshariyah alaihirrahmato ridwan taherir farmate he,

"Hinduo ne pakaya huva khana najees nahi magar hatta alvus'a Muslim Ko unki pakai hui chizo Se aehteraz karna chahiye. Ha gosht jisko unhone pakaya or (musalman ke waqte zibah Se khane ke waqt tak kabhi) vo nazare Muslim se gayib ho gaya to uska khana haram he
*📚(Fatawa amjadiya jild 4, safa 292)*

*📖Ba-Hawala:- (Fatawa Faqihe Millat Jild-2,safa-314)*

Lihaza Kafir Agar Sabzi De Or Agar Usme Koi Najasat Wagairah Nahi To Khane Me Harj Nahi Magar Bahetar Yahi He Ki Na Khaye, Bachna Bahetar He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+918487

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Musalman Ko Buri Qaum Kahne Wale Par Hukme Shara'a

*🌹SAWAL:-🌹*
*•السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ علماء و مشائخ و مفتیان کرام•*
Meraa Sawaal Hai Keh Agar Koi Shaqhs Yeh Kahe Ke
*"Islaam Sab Se Achhaa Mazhab Hai Par Musalmaan Sab Se Buri Qaum Hai!"*

Aisaa Kehne Waale Par Koi Hukme Shara'i A'aed Hogaa?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Taubah Lazim He Us Par Vo Gunahgar He.

*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Zulfiqar Naeemi Sahab Qibla Maddazilahul Aali*
*📬Noori Darul Ifta, Madina Masjid Muhalla Ali Khan Kashi Pur, Uttarkhand*
*📚Sahibe Fatawa Utrakhand*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Biwi ko Ye Kahna Ki Falañ Aadmi Ko Ghar Aane Se Na Roka To Talaq

*🌹SAWAL:-🌹*
Ek dost ka talaq ka masla he kya aisa ho sakta he ki shohar ye pakki niyat kare le main apni bivi ko khuda na kasta jab talaq dunga to lafz talaq se hi dunga aur bivi bhi samne ho.
Fir us ne apni bivi se kaha ki "fala admi mere ghar aya aur tum ne us ko aane diya aur ghar se bhagaya nahi to ek talaq hogi " jabki shohar ki pakki niyat ho ki ye sirf us kaam se baaz rahe jo us se kaha talaq sirf samne bitha kar hi dunga.
Ab us fala admi ko us ne nahi bhagaya to talaq hogi ya nahi. Jab ki sohar ye bhi janta he ki kinaya alfazo se bhi talaq hoti he is wajah he niyat ki hui thi ki talaq sirf talaq alfaz se he dunga who bhi samne bitha kar
Baraye karam rahanumi kare
Jajakallah

*🌹JAWAB:-🌹*

Shohar Ka Ye Kahna Ki "Falañ Aadmi Mere Ghar Aaya Or Tumne Usko Aane Diya Or Ghar Se Bhagaya Nahi To Ek Talaq Hogi" Ye Ta'alleeqe  Talaq He Yaani Talaq Ko Shart Par Mu'alliq Karna Lihaza Vo Shakhs Agar Aata He Or Biwi Use Aane Se Rokti Ya Bhagati Nahi He To Ek Talaq Waqe'a Ho Jayegi Or Agar Aane Se Mana'a Karti He Ya Bhagati He To Talaq Nahi Padegi.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Dilshad Ahmad Ziyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Darul Uloom Mustafiya Haldarwa, Gujarat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Fasiq Ki Iqteda Me Namaze Janaza

*🌹SAWAL:-🌹*

السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ

Ek Masle Per Oulma E Din Or Ahele Ilm Ne Farmaya Ke Kitaabo Me Ye Masla Hai Ke Tasweer Khichwane Wale Imaam Ke Piche Namaz Nahi Hoti.

Lakin Agr Aisa Koi Ek Gaaw Me Ek He Imaam Ho Or Uske Piche Jab Namaz E Janaza Ke Namaz Padhne Par Kya Huqm Hai
Rahnumai Farmaye Jazak Allah

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jandar Ki Tasweer Khichna Khichana Najaizo Haram Sakht Waeed Ka Haqdar He, Or Haram Kaam Ko Aelaniya Karne Wala Fasiqe Mu'allin He, Uski Iqteda Me Namaz Padhna Makroohe Tahrimi Or Use Imam Banana Gunah Or Padhi Hui Namazo Ko Dohrana Wajib..

Lihaza Soorate Mas'ula Me Dusra Koi Imam Maujud nahi, Sirf Yahi Fasiq Imam He To Majboori Me Usse Namaz Padhva Sakte He, Us Imam Ki Namaz Ho Jayegi Or iqteda Karne Walo Ki Na Hogi, Namaze Janaza Farze Kifaya He Kisi Ek Ke Padh Lene Se Sab Par Se Farz Saqit Ho Jayega. Lihaza Tarqe Namaze Janaza Ke  Gunahgar Na Hoge.

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate he,
(Fasiq) Janaza Me Imamat Karega To Zahiran Namaz Farze Kifaya Thi Ada Ho Jayegi Ki Go Auro Ki Namaz Uske Pichhe Na ho Uski Apni Taubah To Ho Gai Suqoote Farz Ke Liye Usi Qadar Bas He Ki Namaze Janaza Me Jama'at Shart Nahi.
*📚(Fatawa Razviya, J-6, S-389)*

Or Farmate He,

Fasiqe Mu'allin Ho Or Namaze Janaza Me Use Imam Karna Bhi Zyada Mo'ayub Ke Ye Namaz Bagarz Dua W Shafa'at He Or Fasiq Ko Shafa'at Ke Liye Muqaddam Karna Himaqat, Taham Agar Padhaye Ga to Jawaze Namaz W Suqoote Farz Me Kalam Nahi.
*📚(Fatawa Razviya, J-6, S-392)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Chishti RasoolAllah Ka Jawab


*🌹SAWAL:-🌹*
ASSALAMUALAIKUM
AULMAYE AEHLE SUNNAT KI BARGAH ME EK BOHOT HI AEHAM SAWAL HE KIYA SARKAR GAREEB NAWAZ RAHMATULLAH NE LA ILAHA I'LL ALLAH CHISHATI RASOOLALLAH KALMA PADHAYA HE KISI KO
YE SAWAL KARNE KI VAJAH YE HE KE WAHABI DEO BANDI AEHLE HADEES WAGERAH SARKAR GAREEB NAWAZ PAR AETRAZ KATTE HUYE YE KEHTE HE KE BARELVIYO KA KALMA TO CHISTI RASOOLALLAH HE
AEHLE ILM SE GUJARISH  HE KE ISKI HAQIKAT KIYA HE AAP REHMUKAI FARMAYE
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Ye Waqe'aa Kisi Be Deen Ne Buzurgo Ki Kitabo Me Izafa Kiya He, Or Ye Koi Nayi Baat Nahi He. Logo Ne Huzur ﷺ Or Sahaba e Kiram Ke Bhi jhuthe Waqeaa Bayan Kiye He. ek To Ye Waqeaa Galat or Dusra Bad Mazhab Use Aadha Adhura bayan Karte He,

Pahli Baat Ye ki Ye Qaida He Jab Tak Kisi Qaul Ka Qata'ee Taur Par Qaail Ki Taraf Nisbat Sabit Na Ho Jaye Tab Tak Usko Mansoob Nahi Kiya Jata He.
Or Kisi Bhi Baat Ka Kisi Aysi Shakhsiyat Ki Taraf Mansoob Hona Jo Shakhsiyat Musalmano Ke Yahañ Musallma Ho, Buzurg Samja Jata Ho, Us Baat Ko Dekha Jayega ki Uski Hesiyat Kya He.

Aala Hazrat Ashshah Imam Ahmad Raza Khan Fazile Barailvy Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Koi Kitab Ya Risala Kisi Buzurg Ke Naam Se Mansoob Hona Issw Saboote Qata'ee  Ko Mustalzim Nahi. (Yaani Ye Nahi Ki Koi Kitab Ya Risala Kisi Buzurg Ke Naam Par Mansoob Ho to Wo Qata'ee Taur Par Us Buzurg Se Sabit He) Bahut Risale Khusoosan Akabire Chisht Ke Naam Se Mansoob He Jiska Aslan Saboot Nahi. Saaniyan Kisi Kitab Ka Sabit Hona Uske Har Fiqre Ka Sabit Hona Nahi, (Yaani Agar Koi Kitab Buzurg Ke Naam Se Sabit Bhi Ho To Ye Nahi Ki Uska Har Har Fiqra Usi Buzurg  Se Sabit He) Bahut Aqabir Ki Kitabo Me Ilhaaqat He Jin ka Mufassal Bayan Kitab Al-Yawaqeet Al Jawahir Imam Aarif Billah Abdul Wahab Sherani Rahematullah Alaihi He,  Khusoosan Hazrat Shaikhe Akbar RadiAllahu Anhu Ke Kalam Me To Ilhaaqaat Ki Ginti Nahi, Khule Huye Sareeh Kufr Bhar Diye he.
*📚(Fatawa Razviya, J-15, S-555,556)*

Or Farmate He,

Hazraat Auliya Jin ki Wilayat Sabit W Muhaqqiq He Unse Jo Qaul Ya Fe'al Ya Haal Aysa Manqool Ho Ki Bazahir Khilafe Shara'a Mutahar Ho To Awwalan Agar Vo Sanade Sahih w Wajibul Aetemad Se Sabit Nahi Naqil Par Mardood He, (Yaani Uski Sanad Sahih Nahi He Or Muttasil Sanad Se Sabit Nahi Or Vo Qaul Qura'an w Hadees Ke Khilaf He To Vo Naqil Naql Karne Par Kiya Jayega, Us Qaul Ko Us Buzurg Ki Taraf Mansoob Or Sabit Nahi Mana Jayega) Or Damane Auliya Isse Paak Balki Auliya To Auliya Hujjutul Islam Gazali Quddasirahu Ne Ahya Shareef Me Tashreeh Farmai Ki Kisi Musalman Ki Taraf Kisi Kabeera Ki Nisbat Jab Jaiz Nahi Jab Tak Saboot Qamil Na Ho.
*📚(Fatawa Razviya, J-22, S-516)*

Isi Se Sabit Hua Ki koi Fe'al Ya Qaul Kisi Buzurg Ki Taraf Mansoob Ho Or Sahih Sanad Se Sabit Na Ho to Naqabile Qubool he, Us Par Aetemad Nahi, Or Jo Kalma Chishti RasoolAllah Wali Riwayat Huzur Khwaja Garib Nawaz Ki Taraf Mansoob Ki Jati He, Vo Kisi ne Buzurgo Ki Kitabo Me Ilhaaqat Kiya He, Jisse Ye Riwayat Galat Or Gair Aetemadi he.

Ab Dusri Baat Wahabi Deobandi Ki Purani Aadat Ki Kisi Bhi Riwayat Ko Aadhi Adhuri Hi Pesh Karte He, Ye Galat Riwayat Ko bhi Wahabiyo Ne Adhuri Hi Pesh Ki, Isi Galat Riwayat Ko Ek Baar Puri Padhi Jaye..

Hasht Bahishti Me Malfoozate Khwaja Qutbuddin Bakhtiyar Kaki Alaihir Rahma Me Is Riwayat Ko Is Tarah Naql kiya He,

"Me Or Bahut Sare Ahle Safa Shaikh Moinuddin Alaihir Rahma Ki Khidmat Me Hazir The Awliya Allah Ke Baare Me Zikr Ho Raha Tha, Usi Asna (Yaani Usi Dauran) Me Ek Shakhs Bahar Se Aaya Or Bay'at Hone Ki Niyyat Se Khwaja Sahab Ke Qadmo  Me Sar Rakh Diya. Aapne Farmaya Beth Ja. Vo Beth Gaya Or Us ne Arz Ki Ke Me Aap Ki Khidmat Me Mureed Hone Ke Waste Aaya Hu ! Shaikh Sahab Us Waqt Apni Khas Halat Me The. Aapne Farmaya Ke Jo Kuchh Tujhe Kahta Hu Kaho Or Baja la Tab Mureed Karuga. Usne Arz Ki Jo Aap Farmaye Me Baja Lane Ko Tayyar Hu. Aapne Farmaya Ki Tu Kalma Kis Tarah Padhta He ? Usne Kaha La Ilaha Illallah Muhammadur RasoolAllah. Aapne Farmaya Kaho ! La ilaha Illallah Chishti RasoolAllah. Usne Usi Tarah Kaha. Khwaja Sahab Ne Use Bay'at Kar Liya Or Khal'at W Ne'amat Di Bay'at ke Sharf Se Mushraf Kiya (Wahabi Deobandi Bas Itna Hi Bayan Karte He,) Fir Farmaya Ki Sun ! Mene Tujhe Jo Kaha Tha Ki Kalma Is Tarah Padho Ye Sirf Tera Aqida Aazmane Ki Khatir Kaha Tha Warna Me Kon Huñ (Yaani Warna Meri Kya Hesiyat Jo RasoolAllah Hone Ka Dawa Karu) Me To Ek Adna Sa Gulame Muhammadur RasoolAllah ﷺ Ka Hu. Kalma Asl Me Wahi He (Yaani La Ilaha Illallah Muhammadur RasoolAllah ﷺ) Lekin Me Sirf Haal Ki Kamaliyat Ki Wajah se ye Kalma Teri Zaban se Kahalwaya Tha Chuñ Ki Tu Mureed Hone Ke Liye Aaya He Or tujhe mujh par Yaqeen Tha Is Liye Fauran Tu Ne Aysa Hi Kah Diya Is Liye Sachcha Mureed Ho gaya..
*📚 (Hasht Bahisht, Fawaidus Salikeen, S-19)*

Hazrat Nizamuddin Auliya Ki Taraf Mansoob Kitab Fawaidul Fawaid Me,

Isi Tarah Ka Waqeaa Hazrat Shibli Rahematullah Alaihi Ki Taraf Mansoob He,
Pura Waqeaa Aysa Hi Sirf Usms Khwaja Gareeb Nawaz Ki jagah Hazrat Shibli or Kalma Chishti RasoolAllah Ki Jagah Shibli RasoolAllah He.
*📚Fawaidul Fawaid, Urdu S-252)* Par Maujud he.

Pahli Baat To Ye Ki Ye Hikayat hi Galat He, Or Dusra Ye Ki Wahabi Ise Adhuri pesh Karte He, agar puri padhi jaye to maloom hoga ki Hazrat Khwaja Garib Nawaz Sabko ye Kalma Kahelwa kar Mureed nahi karte the, balki ek mureed ki Aqeedat Janne Ke Liye Kaha Tha Or Baad Me Use Usi waqt Zahir bhi kiya, Or Ye Bhi Kaha Ki Me To adna Sa Gulame Muhammadur RasoolAllah ﷺ Hu. Lihaza Wahabio Ko Chahiye Ki Apne Makro Fareb se Baaz Aaye.

Ab Tisra Ye Ki Ye Hikayat Ke Ta'alluk Se Wahabi Deobandi Ke Peshwa Kya Kahte he, To Dekhe,

Deobandi Ke Hakimul Ummat Ashraf Ali Thanvi Likhte He,

Chishti RasoolAllah Ba Ma'ana Paygams Risañ Or Bataure Imtihan Tha. Ye Kisi Soorat Kalma e Kufr Nahi banta.
*📚(AlSunnatul Jalila, S-111, 112)*

Chishti RasoolAllah Kahlane Me Maslehate Imtehan Ki thi Or Samaeen khush Faham the is liye mufsida Muhtamal na tha.
*📚(AlSunnatul Jalila, S-118, Hakimul Ummat Deoband)*

Lihaza Pahle To Deobandiyo Ko Chahihe Ki Apne Peshva Par Hukm Lagaye Ya Unki baat Taslim kare, Or Aadhi Adhuri Baate Bayan Na kare..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Daurane Koma Chhuti Hui Namazo Ki Qaza Ka Hukm


*🌹SAWAL:-🌹*
Ek Insaan 2 Saal Koma Me Raha Ab Vo Bahar Aaya He To Kya Qaza Namaz Padhega ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Agar 2 Saal Koma Me Behosh Raha Is Dauran Me Chhuti Hui Namazo Ki Qaza Nahi.
Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate he,
Junoon Ya Behoshi Agar Pure Chha Waqt (Yaani Ek din Raat Se Zyada Waqt Ya 6 Waqto Ki Namaz) Ko Gherle To Un Namazo Ki Qaza Bhi Nahi, Agarche BeHoshi Aadmi Ya Darinde Ke Khauf Se Ho Or Usse Kam Ho To Qaza Wajib He.
*📚(Bahare Shariyat, J-4, S-73)*
Or Allama Ibne Aabedin Shami Alaihir Rahma Farmate He,
ﺇﻥ ﺯاﺩ اﻟﻤﺮﺽ ﻋﻠﻰ ﻳﻮﻡ ﻭﻟﻴﻠﺔ ﻭﻫﻮ ﻻ ﻳﻌﻘﻞ ﻓﻼ ﻗﻀﺎء ﺇﺟﻤﺎﻋﺎ
Yaani Agar Marz Ek Din Raat Se Badh Jaye Is Tarah Ke Mareez Hosh Me Na Ho To Bil Ijmaa'a Us (Dauranya Ki Namazo) Ki Qaza Nahi He.
*📚(Raddul Muhtar Ala Durrul Mukhtar, J-2, S-687)*
Lihaza  Soorate Masoola Me Jo Shakhs Pure 2 Saal Koma Me Behosh Raha, Hosh Raha Hi Nahi To Is Dauran Jo Behoshi Ka Waqt He Us Ki Namazo Ki Qaza Nahi.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+9184
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gumrah Kise Kahte He

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaykum

Gumrha Ki Tareef Kya Hai
Ghumra Kise Khete Hai

Hazrat Jawab Ata kre

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jo Shakhs Zarooriyate Mazhabe Ahele Sunnat Ya Zarooryate Aqaaide Ahele Sunnat Ka Munqeer Ho, Inkar Karta Ho Use Gumrah Kahte He, Or Zarooryate Mazhabe Ahele Sunnat Se Murad Ki Jiska Mazhabe Ahele Sunnat Se Hona Awam Or Khawas Sabko Maloom Ho Misaal Ke Taur Par Azaabe Qabr, Aamal Ka Wazan Ye Sab Zarooryate Mazhabe Ahele Sunnat Me Se He, Agar Koi Shakhs Zarooryate Mazhabe Ahele Sunnat Me Se Kisi Cheez Ka Inkar Kare To Aysa Shakhs Gumrah He Badmazhab He,

Jaisa ki Huzur Aala Hazrat  عَلَیْہِ رَحْمَہ 
*📚(Fatawa Razviya, Mutarjam Jadeed Addition, Jild-29, Safa-414)* Par Taherir Farmate He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Dulhe Ke Hath Me Kangna Bandhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Aulmao ki bargah me Ek Sawal he ke Aaj kal Muslmano ke yaha Shadi ke Moke par Dulha or Dulhan ke hath me Ek Kagaz ka Tukda band te he Or usko Kangna Kaha Jata he or isko Badhna Jese farz ho Is trha ka Guman karte he or Usko bandhna Sagun Bata te he Or na Bandhne par Nuksan hoga ye bhi Khayal karte he
Aap logo se Gujarish he ke Rrhnumai Farmaye Iski hakikat kiya he

Rishtedaar Inteqal Kar Jaye To Naye Kapde Kharidna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام عليكم ورحمه الله وبركاته
Mufti sahab ke bargh me sawal hai
Kya ghar ya family me kis shayks ka inteqal ho jaye to kya naye kapade nhai kareed sakte

Barye karam rehnumaye farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts