Siyah khizab (black colour) baal me lagana kaisa ? Or uski namaz ka kya hukm he ? Or gusl hoga ya nahi ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Siyah khizab (black colour) baal me lagana kaisa ?
Or uski namaz ka kya hukm he ?
Or gusl hoga ya nahi ?


*🌹JAWAB:-🌹*

Siyah khisab (kala rang) balo me lagana mana'a w haram he or dusre rang ka ho to mana' nahi

Agar kala khizab lagane ka aadi ho to namaz maqroohe tahrimi wajibul ae'aada he.

Jaisa k durre mukhtar me he.
و کل صلاۃ ادیت مع کراھة تحريمة فتجب اعادتھا ـ
*📚(DURRE  MUKHTAR JILD-2,SAFA-130)*
*📚(FATAWA BAHRUL ULOOM,JILD-1,SAFA-315)*

NEEZ...
```FATAWA BARAILY SHAREEF ME HE👇🏻```
"Siyah khizab ya aysi mahendi jisse baal kale ho jae lagana jaiz nahi he Siyah khizab jihad ke siwa mutlaqan haram he jis ki hurmat ahadise sahiha mu'atebara se sabit he.
Huzur sallallahu alaihi w sallam ke farman he ki
غیروالشیب ولا تقربوالسواد
Peeri tabdil karo or Siyah rang ke qareeb na jaao
*📚(MUSNAD IMAM AHMAD BIN HAMBAL)*
🔹Dusri hadish me he
Tarzuma:- huzur sallallahu alaihi w sallam farmate he aakhri zamane me kuchh log Siyah khizab karege jaise kabootaro ke pote jo jannat ki khushboo na sunghe ge.
🔹Tisri hadish me he
Huzoor nabi e karim sallallahu alaihi w sallam ne farmate he jo Siyah khizab kare allah ta'ala roze qayamat uski taraf nazre rahemat na farmaega.
🔹Chothi hadish me he,
Zard khizab iman walo ka he, surkh khizab islam walo ka, or Siyah khizab kafiro ka he.

Lihaza jo imam kala khizab karta he vo fasiqe mu'allin he or uske piche namaz makroohe tahrimi wajibul ae'aada he yani padhi to gunah or use lotana wajib he..
Khwan namaz farz ho ya tarawih
*📚(FATAWA BARAILY SHAREEF,SAFA-68)*"

Ahadise mubaraka me Siyah rang ko istemal karne ki shiddat se mumaneat farmai gai he.
Jaisa ke mazkoora bala hadish
Aakhri zamane me kuchh log ayse hoge jo Siyah khizab karege jaise kabootar ke pute ye log jannat ki khushboo nahi payege
*📚(SUNAN ABU DAWOOD,J-2,S-222)*

Isi tarah ek or hadish me rasoole kareem ne irshad farmaya
Jisne kala khizab lagaya allah ta'ala qayamat ke din uska chahera Siyah farmaega.
*📚(MAJMA'AUZ ZAWAID,J-5,S-163)*

Jalilul qadr tabei hazrat mujahid radiallahu anhu farmate he ke sab se pahle fir'Aon ne kala khizab lagaya tha
*📚MUSANNIF IBNE ABI SHAYBA,J-8;S-163)*

_In tamam ahadise karima se bilkul wazeh ho gaya k kala khizab lagana jaiz nahi he baaki digar rango ke khizab lagana jaiz or ahadis me chunke mutlaqan kaale rang ke istemal se mana'a faramaya_
_Is liye vo chiz jis ke lagane se sar ya darhi me kala rang aaye vo mamnoo'a hogi_
_Khwa vo Siyah mahedi ho ya kala kula, ya kuchh or ho,_
*Aala hazrat mujaddide dino millat Ashshah imam ahemad raza fazile barailvy alaihir rahamatu ridwan* ne gyarah ahadise mubaraka se Siyah khizab ki mumaneat ko sabit kiya he or aakhir me tahrir farmai he ki ahadise mubaraka v riwayat me mutlaq Siyah rang se mumaneat farmai to jo chiz balo ko Siyah kare Khwa vo neera neel ho ,mahedi ho ,ya koi tel ho ,garz kuchh ho sab najaiz v haram or un waido me dakhil he
*📚(FATAWA RAZVIYA SHAREEF,J-10,S-59)*
*📚(ANWARUL FATAWA,S-499,500)*

Chunanche aala hazrat alaihir rahma tahrir farmate he k hadish shareef me mutlaq Siyah rang kare Khwa neel ya mahedi ka mel, ya koi tel garz ke kuchh bhi ho sab najaizo haram he
*📚(FATAWA RAZVIYA.J-9,NISF AWWAL,S-32)*

Mard aurat dono mo kaalk mahedi lagana haram he.
*📚(FATAWA RAZVIYA JILD 9 ,NISF AAKHIR SAFA 192)*
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, JILD 2, SAFA-248)*
Hazrat abdullah ibne umar radiallahu anhu se riwayat he ki muslim ka khizab surkhi he or kafir ka khizab siyahi he.
*📚(BAHARE SHARIYAT,J-3,HISSA-16,SAFA-595, ZINAT KA BAYAN, MAKTABUL MADINA)*

Bahre kayf aaj kal aksar log or ba'az maulvi hazrat darhi ko khizab se ya duari udwiya se bilkul Siyah karte he ye bilkul najaiz haram he
*📚(FATAWA AALA HAZRAT, S-23)*

lihaza khizab me aesi koi chiz mili hui nahi he jo pani ko sar me pahunch ne se roke to gusl ho jaega. Or Agar pani sarayat na kare to gusl nahi hoga.
Is liye k gusl janabat me har a'zu par paank ka pahunchna farz he
*📚aam kutube fiqha*

NOTE:-

SIYAH KHIZAB LAGANA NAJAIZO HARAM HE, JIHAD KE SIWA MUTLAQAN HARAM HE AGAR KOI IMAM SIYAH KHIZAB KARE TO VO FASIQE MU'ALLIN HE, US KE PICHE NAMAZ MAKROOHE TAHRIMK WAJIBUL AE'ADA HE,PADHI TO GUNAH OR USE LOTANA WAJIB HE FARZ NAMAZ HO YA TARAWIH YA NAFL SAB KA EK HI SHARAI HUKM HE KYU K SIYAH KHIZAB LAGA KAR NAMAZ PADHEGA TO NAMAZ NAHI HOGI
JAB TAK KE TAUBATUN NASUHA NA KARE
*HAWALA:-📚FATAWA BARAILY SHAREEF SAFA 48, 49)*

========➖➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:-Pathan Moin Raza Azhari_*
📲
========➖➖➖➖➖=========

Kya ye hadish sahih he ? Huzur sallallahu alaihi w sallam ne farmaya meri ummat ke aulma bani israil ke nabiyo ki tarah hoge ​علماء امتی کانبیاء بنی اسرائیل

*🌹SAWAL:-🌹*

Kya ye hadish sahih he ?

Huzur sallallahu alaihi w sallam ne farmaya meri ummat ke aulma bani israil ke nabiyo ki tarah hoge ​علماء امتی کانبیاء بنی اسرائیل

Iska hawala irsal farmae..

*🌹JAWAB:-🌹*

​علماء امتی کانبیاء بنی اسرائیل

Ye hadish sahih he, is se ummate muhammadiya ki fazilat maloom hoti he. Iska matlab ye he ki jis tarah bani israil me anbiya shariyate moosavi ki hifazat ka kaam anjam dete the usi tarah meri ummat ke aulma meri shariyat ki hifazat karege or makhlooq ko hidayat karege.
Kyu ke 'la nabi baadi'
Mere baad koi nabi nahi.
Chunke bani israil me ye tariqa tha ke ek nabi ke tashrif le jane ke baad dusre nabi un ki jagah tashrif laate or qaum ki hidayat or iman ki hifazat karte ek waqt me kaseer anbiya e kiram maujud the
Or ye sab shariyate moosavi ke paband or muhafiz the siwa e hazrat isa alaihis salam ke.

*_📚IMAM FAKHRUDDIN RAZI ALAIHIR RAHMA NE APNI TAFSIR ME 📖SURAH YUNUS AAYAT 37,38 ME IS HADISH KO ZIKR KIYA HE_*

*_📚MULLA ALI QARI ALAIHIR RAHMA NE 📖MIRQATUL MAFATIH J-3,S-274 KITABUL MANASIK BAAB HURMATUL MADEENA KE TAHAT BHI ZIKR KIYA HE._*
*📚SHAREH BUKHARI ALLAMA MUFTI MUHAMMAD SHAREEFUL HAQQ AMJADI ALAIHIR RAHMA NE APNE FATAWA,, 📖FATAWA SHAREH BUKHARI J-1,S-494.*

*📚BAHARUL ANWAR J-2,S-22.*
*_📚MUSTDARAKUL WASAIL J-14,S-320._*
*📚ALLAFIN SAFA-331*
*_📚MANIYATUL MUREED S-182_*
me bhi is ko zikr farmaya he.
=======================
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza,Petlad_*
📲8
​=======➖➖➖➖=========

Aurat ko uski shadi par usko jo saman(jahez) diya jata he us pe kiska haqq he??

*🌹SAWAL:-🌹*

Aurat ko uski shadi par usko jo saman(jahez) diya jata he us pe kiska haqq he??

*🌹JAWAB:-🌹*

Jahez sab aurat ka hota he dusre ka isme koi haq nahi. Is liye aurat uski malike mustaqil hoti he jaisa ke *durre mukhtar jild-2 safa 319* me bhi he.
Or saiyedna aala hazrat imam Ahmed raza muhaddise barailvy alaihir rahma ek sawal ke jawab me taherir farmate he 'zewar wagairah jahez ke zaid ne apni beti ko diya khas malike dukhtar he,shohar ko kisi tarah ka istehqaqi malikana is me nahi. *makhuz (fatawa razviya jild-5,safa-529)*

Lihaza jahez ki malik aurat hi hoti he shohar nahi hota agar che vo jahez ka mutalba karta he. Jaise ke masjid ka mutawwali chanda ka mutalba karta he magar uska malik nahi hota.
Albatta kapda rupya wagairah jo ke dulhan ki taraf se dulhe ke makan par bataure lagn aata he dulha baade qabza uska malik ho jata he ke isme yahi urfo aam he agarche kahne me riwaj mukhtalif he aesa *fatawaz razviya jild-5, safa-561* par he.

*📚Ba-Hawal:- (FATAWA FAQIHE MILLAT, JILD-1,SAFA-425)*

============================

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*
📲848
========➖➖➖➖➖======

Tulu'a Aftab Guroobe Aftab or Nisfunnihar ke ke waqt tilawat Karna Kaisa h hawale K sath chahiye ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Tulu'a Aftab Guroobe Aftab or Nisfunnihar ke ke waqt tilawat Karna Kaisa h hawale K sath chahiye ?

*🌹JAWAB:-🌹*

In waqto me Quraan ki tilawat bahetar nahi, bahetar ye he ki zikr w durood Shareef me mashgool rahe.
*📚(Durre Mukhtar, jild-1,safa-250)*

*Ba-hawala: 📚(Bahare shariyat, hissa-3, safa-32)*

*============================*
*🌹 SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬khadim:- Pathan MoinRaza Azhari_*
📲84

===========================

Badmazhabo ka radd karna Kaisa Qura'an w ahadish Shareef se RADDE SULEHKULLIYAT

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazraat mera swal sulahkulliyat ko lekar h. Jis tarah daure haza me ye fitna kuch dunyawi muddo ke chapet me akar badi tezi se badh raha h. Inke dunyawi mudde h Jaise gair muslimo k zulmo ko khatm karne k lye ek hona padega. Sunni wahabi deobandi ye sab hamara ghar ka muamla h isko hum ghar me hi khatm kar sakte h. Agar hum khul kar in k rad me ladenge to kuffar iska faida uthayenge wagaira wagaira. Or fir bhole bhale sunni bhaiyo ko aisi batein karke gumrah karna shuru kardete h..
To meri aap hazraat se guzarish h k baraye mehrbani aap inke dunyavi muddo ko lekar quran o hadees ko roshni me hawale k sath  koi post send karke rehnumayi karein..

*🌹JAWAB:-🌹*
*Qur'an o Ahaadees-e-Mubaraka(Hadeeso) se Bad-Mazhabo ke Radd(Khilaaf bolne ya likhne) Ka Suboot*

*Qur'an Paak(Tarjuma) : Ae Gaib Bataane Wale(Nabi) Kafiro par Aur Munafiqo par Jihaad Karo aur Un par Sakhti Farmaao aur Unka Thikaana* *Jahannam(Dozakh) He aur Kya Hi Bura Anjaam.[Paara-28, Surat Al-Tehreem,Aayat-9]*

*Ahaadees e Mubaraka : Jab Tum Kisi Bad-Mazhab ko Dekho to Uske Saamne Tursh-Rui(Sakhti) Se Pesh Aao Isliye k Allah Ta'aala Har Bad-Mazhab ko Dushman Rakhta he.[Ibne Asaakir,Jild-43,Safha-337]*

*Allah Ta'aala Kisi Bad-Mazhab ka Na Roza Qubool Karta he,Na Namaz,Na Zakaat,Na Umra,Na Jihaad Aur Na Koi Farz o Nafil, Bad-Mazhab Deen-e-Islam se Aese Nikal Jaata he Jese Goondhe Huwe Aate se Baal Nikal Jaata he.[Ibne Maaja,Safha-6, Kanz-ul-Ummaal,Jild-1,Safha(page)-220]*

*Bad-Mazhab Dozakh Waalo ke Kutte hey.[Kanzul-Ummaal,Jild-1,Safha-223]*

*Un(Bad-Mazhabo) Se Door Raho aur Unhe Apne Se Door Rakho Kahee Wo Tumhe Gumrah Na Kar dey, Kahee Wo Tumhe Fitna mey Na Daalay.[Mishkat,Safha-28 Saheeh Muslim,Jild-1,Safha-10]*

*Bad-Mazhab Agar Beemaar Pad jaaye to unki Ayaadat na karo, Agar Mar Jaaye to Unke Janaaza mey Shareek Na ho, Unse Mulaaqaat ho to Unhe Salaam Na Karo, Unke Paas Na Betho, Unke Saath Paani Na Piyo, Unke Saath Khaana Na Khaao, Unke Saath Shaadi-Biyaah na karo, Unki Namaz-e-Janaaza na padho, aur unke Saath Namaz na padho.[Muslim Sharif, Kanzul-Ummaal,Jild-11,Safha-324]"*

*Jisne Kisi Bad-Mazhab ki Izzat ki Us ne Islam Dhaane(Yaani Giraane) par Madad ki[Mishkaat Sharif, Kanzul Ummal,Jild-1,Safha-219]*

*Allah Ta'aala Ke Pyaare Mehboob,Nabi-e-Akram, Noore Mujassam SallAllahu Alaihe wa Aalihi wa Sallam ne humey Ye Taalimaat Irshad Farmaayi hey k Bad-Mazhabo ki Sohbat(Society) Se Bacho Aap ne Unki Buri Sohbat ke Nuqsaanaat Bhi Bayan Farmaye hey. Ab Agar Koi Shakhs Pyare Aaqa SallAllahu Alaihe Wa Aalihi wa Sallam Ke Hukm Ko Thukra kar Bay-Deeno, Gustakho, Bad-Mazhabo se Dosti rakhega to wo Zaroor Gumrahi Aur Halaakat Ke Raaste par he.*

*Kuch log ye Aayat-e-Kareema Padh kar Dhoka Dene ki Koshish karte hey :-*

واعتصموا بحبل الله جميعا ولا تفرقوا

*[Paara-4,Surah Aale Imran,Aayat 103]*
*Yani "Aur Allah Ki Rassi Mazboot Thaam lo sab Mil Kar aur Aapas mey Juda(Alag) Na Ho Jaao".*

*Kehte hey k Qur'an paak mey Aaya he k Allah ki Rassi Ko Mazbooti se Thaam lo aur Firqo Mey na pado, Lekin Iska Matlab Ye Nahi he k Firqe Bilkul Nahi Honge. Farmaan-e-Mustafa SallAllahu Alaihe wa Sallam Ke Mutaabiq Ummat-e-Muhammadiya Mey 73 Firqe Honge Lekin Jannati Sirf ek Firqa hoga. Is Aayat-e-Mubaraka Ka Mafhoom aur Ishaara Yahi He k 72 Gumrah Firqo ko Chorh do aur Ek Giroh(Group) jo(Ahle Sunnat wa Jama'at) Jannati he Us ke Saath Ho jaao, Dusre Firqo mey Naa Pado.*
 ==========➖➖➖➖=======
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*
📲
=========➖➖➖➖=========

JUMMAA MUBARAK KAHNA KAISA HADISH KI ROSHNI ME

*🌹SAWAL:-🌹*
Jumaa Mubarak Khana Kesa ?
Kuch log kahte he ye biddat he(Ma'azallah) aesa nahi kahna chahiye...
Rahenumai farmaae....

*🌹JAWAB:-🌹*

Kuch Log la-ilmi aur jahalat Aur Bad Aqeedo ki Sohbat ki buniyaad par "JUMMA MUBARAK" Kehne par Aitraaz karte hain balki yahan tak Isse Biddat kehte hain
معاذ الله
Jab ki Nabiyon ke Sultan,
Rehmat-e-Aalam,
Sardar-e-do jahaan,
Hazrat Muhammad Mustafa(صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmane Aalishan, Barakat-o-Magfirat Nishan hai,
"Aye Musalmano Ke Giroh, Beshaq Ye Jumma Woh Din Hai Jisko Allah (عزوجل) Ne Eid Banaya Hai.
*📚(Mishkat Hadees No. 123)*

↪Isme koi shak nahi ke Jumah musalmano ke liye Eid ka din hai, jaise ke hadees me aya hai

Ibn ‘Abbaas Radiallahu’anhu ne kaha: Allah ke Rasool sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya: “jumah eid ka din hai Allah ne musalmano ko hukm kiya, jo koi bi jumah ko aye wo ghusl kare, aur apke pas koi khusbu ho wo lagaye, aur miswaak istemal karen.”
*📚(Ibn Maajah, 1098)*

Bas isse clear ho jata hai ki jab Isse Eid kehdiya gaya toh iski Mubarakbad dene me koi harj nahi hona chahiye magar Aqal ke Andhe ko kahan yeh baat samajh aane wali hai...


Hazart Aws Bin Aws ِRadiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wassallam Ne Farmaya:
Beshak! Tumhare Dino Me Afzal Tarin Din Jum’a Ka Din Hai. Isi Din Hazrat Aadam Alaihissalam Paida Huwe Aur Isi Din Unhone Wafaat Paaee Aur Isi Din Soor Foonka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi. Pas Is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai”
*📚(Sunan Abu Dawood Volume : 01, Kitabus Salat,Baab Fazle Youme Jumaat, Pg : 443, Hadees : 1047)*
*📚(Sunan Nasai, Book : As Salah Jild : 2 Pg : 101 Hadis: 1374)*
```Or bhi kai kutub me ye riwayat maujdu he lekin post lambi hone ki wajah se likh nahi raha yaha```

👉🏻Aaiye Pahele Hum Eid Ka Matlab Samaj Lete Hai Eid Ka Lugvi Maina (Wordly Meaning) Hai "Khushi" Agar Koi Arabi Khushi Ka Lafz Arabi Me Kahega To Wo Yahi Kahega "Eid".
Ise Samjhane Ke Liye Quran Ki Ek Aayat Peshe Khidmat Hai,

Al Quran-E-Kareem:
Isa ibn-E-Mariyam Alaihissalam Ne Arz Ki Aye ALLAH ! Aye Rab Hamare ! Hum Par Aasman Se Ek KuwaN Utar Ke Woh (Kuwan Utarne
Ka Din) Hamare Liye Eid Ho, Hamare Aglon Aur Pichhlo Ki"
*📖(Surah Maida, Para 7, Aayat 114, Tazuma: Kanzul Imaan)*

Aaqa-e-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya,
"Juma’a ka din sab dino ka sardar hai, ALLAH (عزوجل) ke nazdik sabse bada hai aur wo ALLAH ke nazdik "Eid-ul Azha" aur "Eid-ul Fitr" se bada hai,
ALLAH (عزوجل) ne isme Hazrate ADAM (عليه السلام) ko paida kiya,
Isme Zameen par unhe Utara Aur Isme Unhe wafat di."
*📗[Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8,Hadith No. 1084]*
Is Hadees se pata chala ki Ek nabi ki paidaish unka zameen par utarna aur unki wafat ke din ke bawajud bhi Mo’mino ke liye ALLAH عزوجل ne use Eid bana diya....
▫Aur toh aur woh din "Eid-ul-Azha" aur "Eid-ul-Fitr" se bhi afzal kar diya.

Ab Batao Agar Eidein Me Mubarak Bad Dena Jaiz Hai To Kaise Usse Afzal Din Par Mubarakbad Dena Biddat Hoga?
Kya Aisi Jahalat Bhari Baatein Kehnewalon Ko Apne Aapko Musalman Kehte Hue Sharm Nahi Aati?
Aapni Jahalat Ki Wajahse Lakhon Musalmanon Ko Bas Yun Hi Gunaahgar Keh Dena Kahan Ki Samajhdari Hai?

Aur Jo Ye Kehte Hain Inse Kahein Itne Bhi Doodh Ke Dhule Na Bane Ki Har Chiz Karne Ka Saboot Quran-O-Hadees Se Chahiye Agar Aisa Hai To Mujhe Jawab Do,
📌 Masjid Par GUMBAD Banana Kis SAHABI Se Sabit Hai?
📌 Masjid Main Aoqat Makhsoos kerna kis sahabi sey SABIT hai ?
📌 Masjid Me Air-Conditioner Lagane Ki Dalail Do Quran-O-Hadees Se?
📌 Aalishan Jamiat Aur Islamic School Ki Tmeer Ki Dalil Lao.
📌 Khatm-E-Bukhari Karna Aur Saudi Day Manana Kahan Se Sabit Hai? Tum Saudi Day Ke Mubarakbad Do Wo Jaiz Aur Musalman Jumma Ke Din Ko Mubarakbad De Wo Najaiz?

Yeh Bila Wajah Aetrazaat Hain Agar Hum Bhi Aisa Karne Par Aa Jayein Toh Subh-Qayamat Tak Jawab Dhundhte Reh Jaoge Magar Jawab Na La Paoge !

============================
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:-Pathan MoinRaza,Petlad_*
📲
===========================

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts