KYA CHAND YA SOORAJ GRAHAN HAMILA AURAT YA USKE BACHCHE PAR ASAR KARTE HE ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Chand Grahan Ya Sooraj Grahan Me Hamila(pregnent) Aurat Par  Ya uske Bachche par Koi Asar Hota he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Sooraj Grahan Ya chand grahan ka koi Asar Hamela Aurat or Uske bachche par nahi padta Ye Faqat waham he shara'i lihaz se is ka koi taswwur nahi.
Ba'az zaiful aeteqad log grahan ke waqt Hamila aurat ko sabzi wagairah na katne ki, chhuri ya lohe ki koi chhiz na chhune ki hidayat karte he take unke bachche par koi asar na pade.
Ye sab sirf awam ka waham he iski shariyat me koi haqiqat nahi. Lekin agar isko ek nazariya na samaj kar sirf un kaamo se ahtiyat bhi karle to koi harz nahi..
Vo bhi is wajah se ki badhe budho me ye baate zyada mash'hoor he, isliye sirf un kaamo se sirf ahtiyat karle yani un kaamo se door rahe to koi harj nahi lekin use nazariya na bana le ki grahan se nuqshan hota he.. (jin kaamo ka karna shariyat ke khilaf na ho unse ahtiyat kar sakte he)Lekin Shariyate Mustufa alaihis salam me iski koi hesiyat nahi..

Grahan ke dino me Hamela aurat or aam awam ko bhi astagfar or zikre ilahi w namazo me mashgool rahna chahiye. Jiske muta'allik mene pahle post ki thi or insh'Allah is post ke aakhir me bhi iske muta'allik thoda bata diya jaega,

*Hazrat Aallama Mufti Muneebur -Rahmaan Sahab Qiblah Tehreer Farmate Hain Ke....,*
*Ye Kahyaal Shar'an Bilkul Baatil Aur Ghalat Hai*
Ke Suraj Ya Chaand Garhan Ke Mauqa Par Khawateen BilKhusoos Hamilah Khawateen Par Koi Asar Murattab Hote Hain Ya Unhe'n us Waqt Chalte Phirte Rehna Chahiye
(Sona Nahi Chahiye) In Tawahhumaat Ki SharAn Koi Haisiyat Nahi.Haan Khawateen Ko Bhi Chahiye Ke *_Namaz , Zikr , Tauba-O-Istighfaar Aur Tasbeeh -O- Tehmeed Mein Mashghool Rahe'n._*
*📚(Tafheemul Masayil  , J:6 , S:47)*

Ta'alimate islam se pahle ahle arab me ayse waham paaye jate the ke jab bhi sooraj ya chand grahan lagta to vo log kahte ki kisi ki maut hui he jis ki wajah se gahan laga he.
_Lekin Rasoollallah sallallahu alaihi w sallam ne in sab baato ka radd farmaya._

Hadish shareef me he,
Rasoollallah sallallahu alaihi w sallam ne farmaya Sooraj or chand kisi ke marne se grahan nahi hote. Ye to Qudrate ilahi ki do nishaniya he jab unhe grahan hote dekho to namaz ke liye uth khare ho.
*📚(SAHIHUL BUKHARI, HADISH NUMBER:1043)*

Bukhari shareef hi ki ek or hadish me marqoom he k aap sallallahu alaihi w sallam ne farmaya:
Chand or sooraj ka grahan aasare qudrat he. Kisi ke marne,jine(ya kisi or wajah) se namudar nahi hote. Balki allah apne bando ko ibrat dilane ke liye zahir farmata he. Agar tum ayse aasar dekho to fauran duaa astagfar or yaade ilahi ki taraf ruju'a karo.
*📚(SAHIHUL BUKHARI, HADISH NUMBER: 1059)*

Lihaza jab aysa mu'aamla pesh aaye to ahle iman ko chahiye ki vo is nazara se mahzooz hone, taumahat ka shikar hone ki bajae darbare khudawandi me haziri de or apne gunaho ki maafi talab kare. Kyu ki sooraj or chand grahan allah ki nishaniyo me se he un ke zariye allah ta'ala apni makhlooq ko darata he or unke zahno me qayamat ka manzar taza karta he ki us din sooraj lapet diya jaega or sitare torh diye jaege,sooraj or chand jama'a kar diye jaege vo dono be noor ho jaege.
Huzur sallallahu alaihi w sallam ka sooraj or chand grahan ke waqt par ye aalam tha  ki aap sallallahu alaihi w sallam pareshan ho jate or gahan ki namaz padhte.

Lihaza jab bhi aysa mu'aamla ho to waham ka shikar hone ki bajae allah ki baargah me taubah astagfar karni chahiye or apne gunaho ki maafi maangni chahiye or gahan ki namaz padhni chahiye.

Wallahu aa'alam bis-sawab.
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*

==========➖➖➖➖==========

SIRF NIYAT KI THI KI UNSE MUREED HONA HE OR PEER WAFAT OA GAYE TO KYA UNKA MUREED HOGA

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaykum hazrat mera sawal hai ki agar kisi ne uske hone wale peer se mureeed Hone ki niyat karli lekin unki hayat me unse mureeed na hua to kya aise me us niyat ki wajah se wo sakhs mureeed hogaya ya nahi? iska javab inayat kijiye... Jazkallah

*🌹JAWAB:-🌹*

Is soorat me vo un peer ka mureed na huvaa,

Agar aesa hi hota ki koi wafat hue peer se bhi mureed ho jaae to aaj koi kisi peer se mureed na hota direct Gaushe Aazam ka mureed ban jata..
Lekin aesa nahi he..

Vo mureed hona chahta tha or ab jisse mureed hona chahta tha vo peer ka wisal ho gaya to ab ye he ki us sahibe tasarruf ka jo janasheen he or jo jaame'a sharait peer he usse vo mureed ho jaae to uski nisbat usko hasil ho jaegi.

isi tarah ka,
*👑HUZUR FAQEEHE ISLAM, HUZUR TAJUSHSHARIYAH ALAIHIR RAHMA KA BHI FARMAN HE*
http://jamiaturraza.com/session/3Jan08/10.mp3

```👆🏻IS LINK ME AAP KI MUBARAK AAWAZ ME JAWAB SUNE```

Wallahu aa'alam bis- Sawab
===========➖➖➖➖==========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:-Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*

===========➖➖➖➖===========

IQRAAN KA MEANING KYA HE

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaykum
Iqraan ke mana kya he?

*🌹JAWAB:-🌹*

W alaikum Assalam W rahematullah..

Iqraan ke kai alag alag ma'ane he jo mandarjaZail he...

1. Iqraan(اقران) = sitaro ka milap
*📚(ISLAMIC NAAMO KI DICTIONARY, S-34)*

2.Iqraan(اقران) = Qaran(قرن) ki Jama'a - Zamane.

3. Iqraan(اقران) = Qareen(قرین) ki jama'a - Paas ke log, Ham Asr log, Muaasireen.
*📚(FIROZUL LUGHAT URDU JADEED, S-74)*
*📚(URDU LUGHAT APPLICATION)*

Wallahu aa'alam bis-Sawab
==========➖➖➖➖==========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*

=========➖➖➖➖==========

BAAT BAAT PE KASAM KHANA KESA ? OR USKA KAFFARA KYA

*🌹SAWAL:-🌹*
Baat baat par kasam khana kesa ? Or uspar kya sharai hukm hoga or uska kaffara kya hoga ?

*🌹JAWAB:-🌹*
```APNI KASMO KI HIFAZAT KARNE KA HUKM QURAAN SHAREEF ME BHI MAUJUD HE```

Baat baat par kasam uthana shar'an layike malamat or qabile mazammat fe'al he. Kyu ke ba-kasrat kasme khane se jahaN aadmi ke dil me sharai hudood w quyood se gaflat w laa-parwahi payda hoti he vaha us ki baat me bhi wazan or aetemad barqarar nahi rahta. Isi liye nabi e kareem sallallahu alaihi w sallam ko qura'ane majeed me hukm diya gaya ke "aap kisi bhi ayse shakhs ki baat na mane jo bahut zyada qasme uthata ho"
*📚(SURA E QALAM, AAYAT-10)*
Or Musalmano ko paband kiya gaya ke " tum allah ko apni kasmo ka nishana na banao.
*📚(SURA E BAQAR, AAYAT-22)*
Ba'az mufassireen ke nazdik is se murad ye he ki baat baat par qasam na uthaya karo.
*📚(TAFSIRE QURTIBI, W KHAZAINUL IRFAN)*
Isi tarah ek or maqam par farmaya " apni qasmo ki hifazat kiya karo.
*📚(SURA E MAAIDA, AAYAT-89)*
Sadrul afazil farmate he "ye bhi hifazat se he ki qasam khane ki aadat tarq kar di jaae.

Mazkura tamam tar tafsil se wazeh ho gaya ki baat baat par qasam uthana shariyate mutahara ki nazar me ek mazmoom or bura fe'al he. Jaha tak us shakhs ke liye sharai hukm (yaani qasam ke kaffara wagairah) ka ta'alluk he to uski tafsil ye he ke agar vo shakhs maazi(past) ya haal(present) ke kisi waqe'aa par jaan bujh kar qasam uthae or us me vo Jhutha ho to vo gunahe kabeera ka murtakib hoga or us par taubah karna lazim hoga. Is me kaffara nahi he. Or agar vo shakhs mustaqbil(future) ke kisi kaam ko karne ki qasam khaae to us par us qasam ko pura karna lazim hoga. ba-shart ye ki vo kisi najaiz kaam ki qasam na ho. Agar vo shakhs qasam ko torh de to us par kaffara lazim hoga. Kaffara ye he ke 10 miskeeno ko 2 waqt ka khana de diya jae ya unhe kapda de diya jaae. Agar in baato ko taqat na ho to 3 din musalsal roze rakhe jaae.yahi kaffara us soorat me he jab koi shakhs mustaqbil me gunah ki qasam khae. Yaani aysi soorat me lazim ho jata he ki aadmi us qasam ko torh kar kaffara de. Kyu ke nabi e kareem sallallahu alahi w sallam ne irshad farmaya " jis shakhs ne kisi cheez ki qasam khai fir vo us cheez ke khilaf karne ko bahetar jaane to vo us qasam ke khilaf kare or us ka kaffara de.
*📚(SAHIH MUSLIM, 650)*

*📖BA-HAWALA:-(📚ANWARUL FATAWA, SAFA-517,518)*

Or Hazrat Saiyed Shah Turabul Haqq Qadri Alahir Rahma ek sawal ke jawab me farmate he ki iska kaffara ye he ki 10 aadmio ko 2 waqt ka khana khilae ya 2.25(sava doso) aante ki keemat 10 fakeero me taksim kare..Misal ke taur par agar 2.25 (sava doso) aante ki kimat 25 rupye banti(misal ke taur par) he to 25-25 rupye 10 faqeero ko jo zakat khairat ke mustahiq he unhe dede.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
==========➖➖➖➖==========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*

==========➖➖➖➖===========

KYA NABINA(blind) SHAKHS IMAMAT KARA SAKTA HE

*🌹SAWAL:-🌹*

Kya nabina(andhe) imam ke pichhe namaz hogi ya nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*

_Huzure Faqihe Millat Hazrat Allama Jalaluddin Ahemad Amjadi Alaihir Rahma Taherir Farmate He,_

Nabina ke pichhe namaz padhna jaiz he agar koi or dusri wajah mane'a imamat na ho.
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, J-1, S-112)*

Andha(blind) shakhs agar tamam hazerin me sabse zyada masaile namaz ka jaan ne wala ho or uske siwa dusra koi sahihul aqida, sahihul qir'at, or gair fasiqe mo'allin shakhs hazire jama'at na ho or vo andha hi sabse zyada ilme namaz v ilme taharat rakhta ho, to usi ki imamat afzal he.
*📚(FATAWA RAZVIYA SHAREEF, J-3, S-207)*
*📚(MOMIN KI NAMAZ, S-338)*
==========➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*

==========➖➖➖➖==========

ISLAM ME SURAJ GRAHAN OR CHAND GRAHAN KI HAQIKAT (SUN ECLIPSE AND MOON ECLIPSE IN ISLAM)

*🌹SAWAL:-🌹*
Islam me Sooraj Grahan or chand grahan(eclipse) ki kya haqikat he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

```Sooraj grahan or chand grahan ke waqt namaz padhni chahiye, allah ki ibadat karni chahiye, or astagfar w zikre ilahi me mashgool rehna chahiye yahi sunnat tarika he.
Sooraj grahan or chand grahan Allah ki nishaniyo me se he jin ka kisi ki maut w hayat or awam ke awham w khurafat se koi ta'alluk nahi.```

👉Arbo me mash'hoor tha ke sooraj grahan or chand grahan tab lagta he jab zameen par koi bahut bada zulm ho, RasoolAllah sallallahu alaihi w sallam ne us ko waham karar diya.

Hadish sharef me he,,
Sooraj or chand ko kisi ki maut or Zindagi ki wajah se grahan nahi lagta balki ye allah ki nishaniyo me se do nishaniya he. Jab tum unhe dekho to namaz padha karo.
*📚(SAHIHUL BUKHARI, HADISH NO-1041)*

Hazrat abu moosa ash'ari radialllahu anhu se marwi ki huzure aqdas sallallahu alaihi w sallam ke ahde karim me ek martaba gahan laga masjid tashrif laye or bahut taweel(lamba) kiyaam w ruku'a w sujud ke sath namaz padhi ki mene kabhi aesa karte na dekha or yah farmaya ki allah ta'ala kisi ki maut w hayat ke sabab apni yah nishaniya zahir nahi farmata lekin inse apne bando  ko darata he. Lihaza jab inme se kuchh dekho to zikr w duaa w istigfaar ki taraf ghabra kar utho.
*📚(SAHIHUL BUKHARI,1-360,RAQAM:1010)*
*📚(SAHIHUL MUSLIM, 2-628,RAQAM:912)*
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4, GAHAN KI NAMAZ KA BAYAN, S-786)*

Sahih bukhari sharif me hazrat asma binte siddiq radiallahu anhuma se marvi, farmati he Huzur sallallahu alaihi w sallam ne aaftab gahan me gulam aazad karne ka hukm farmaya.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4, GAHAN KI NAMAZ, S-787)*

👉Zameen par sooraj grahan us waqt hota he jab chand gardish ke dauran sooraj or zameen ke darmiyan me aa jata he jis ke baad zameen se sooraj ka kuchh ya fir pura hissa nazar nahi aata. Isi tarah zameen  ka kuchh saya jo gradish ke dauran chand or sooraj de darmiyan aa jane  se chand ki satah par padta he or chand tarik nazar aane lagta he. Qadeem mazahib me sooraj grahan or chand grahan ke muta'allik ajeebo gareeb kisse mash'hoor the jab ke Qur'aan majeed ne use allah ki nishani karar diya or Rasoolallah sallallahu alaihi w sallam ne namaze ada kar ke bata diya ke is kefiyat me sooraj w chand ki harkat ma'mool se hat kar he jo allah ki nishani he or qayamat ka manzar he, usse panah mangne ke liye khuda ke Huzur sajda raiz ho jaao.

👉Sooraj gahan ki namaz sunnate mu'aqqeda he or chand grahan ki namaz mustahab, soooraj grahan ki namaz ke liye jama'at mustahab he or tanha bhi padhi ja sakti he lekin jama'at se padhne ki soorat me siwae khutba baki tamam sharaite jumaa is ke liye shart he. Yaani uski jama'at vahi qaim kar sakta he jo jumaa kar sakta he vo na ho to log tanha tanha namaz padhe chahe ghar me padhe ya masjid me, ye namaz 2 rakat bhi padh sakte he or 4 bhi or 4  rakat ki soorat me 2 salam se bhi or 1 salam se bhi, us me na azan he, na iqamat, or na hi buland aawaz se qiraat he, namaz ke baad duaa kare yaha tak ke aaftab khul jaae.
Or chand grahan ki namaz me jama'at nahi imam maujud ho ya na ho baharhaal tanha tanha padhe..
*📚AESA HI ( BAHARE SHARIYAT, H-4, GAHAN KI NAMAZ, S-788) par maujud he*

Wallahi ta'ala aa'alam
==========➖➖➖➖==========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*

==========➖➖➖➖==========

GUSL YA WUZU FARZ HO OR NAMAZ KA WAQT JA RAHA HO TO KYA KARE

*🌹SAWAL:-🌹*

Agar ehtelam ho jae or fazar ka waqt ja raha ho to kya kare ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Waqt itna tang ho gaya ki Wuzu ya gusl karega to namaz qaza ho jaegi to chahiye ki tayammum karke namaz padhle or fir wuzu ya gusl karke namaz ko dohrana lazim he.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-2, TAYAMMUM KA BAYAN, S-54)*

Namaz Ada ho Jaegi...

Wallahu ta'ala aa'alam bis sawab..
==========➖➖➖➖==========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari,Petlad_*
📲8487928693
==========➖➖➖➖==========

BLOOD DONATION CAMP ME BLOOD(KHOON) DENA KESA ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Blood Donation camp me blood donate karna kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
```Blood donation camp me blood donate karna jaiz nahi..```

Insaan apne jism ka malik nahi hai. Balki haqiqat mein ye us ke paas Allah Ta’ala ki di hui amanat hai. Isi liye ye jaa’iz nahi ki koi insaan apne jism ke kisi hisse ko kaat daale.Ya us ko kisi ke haath se bech de. Kyunki aisa karne mein amanat mein khayanat ke saath saath insaniyat ko zalil karna bhi hai. Jis ki shari’at mein koi ijaazat nahi.  Khoon bhi insaan ke jism ka ek hissa hai.is liye ise bhi dena jaiz nahi sirf zaroorat ki buniyad par dena jaiz he Kyunki zarurat ki bunyad par haraam chiz bhi halaal ho jaati hai.Jaisa ki Allah ta’ala ne irshad farmaya ki:

وَ قَدْ فَصَّلَ لَکُمۡ مَّا حَرَّمَ عَلَیۡکُمْ اِلَّا مَا اضْطُرِرْتُمْ  اِلَیۡہِ

Mafhoome:- Jo chizein tum par haraam ki gayi hai Allah Ta’ala ne un ko tafseel se tumhare liye bayan kar diya hai.Elawah is ke ki tum zarurat ki bunyad par tum un ka istemal karo.
*📚(Surah An’aam,Aayat No.119)*

👉Kisi Beemaar Ko Khoon Dena Chand Sharaayet Ke Saath Jaayez Hai……

1).Agar Khoon Na Diya Jaaye To Beemaar Ke Fauran Mar Jaane Ya Beemaari Ke Itna Badh Jaane Ka Darr Ho Ke Wo Kuch HI Dinon Me MAR Sakta Hai….ALBATTA KHOON DENE KI SOORAT ME US KE BACHNE KI UMMEED HO…..

2).Khoon Dene Ke Alaawa Us Ko Bachaane Ka Koi Aur Raasta Na Ho…..

3).Khoon Dene Ki Soorat Me Khud Khoon Dene Waala Beemaar Na Ho Jaaye…Ya Us Ki Jaan Ko Khtra Na Ho….

4)).Khoon Dene Waala Us Ke Badle Me Paise Na Le…

5)).Jin Logon Ke Paas Donate Kiya Hai Wo Log Bhi Ise Bechte Na Hon….

6)).Khoon Ko Sirf Stock Kar Ke Na Rakhaa Jaata Ho , Balke Waaqetan Koi Beemaar Shakhs Hai Jise Khoon Ki Zaroorat Hai To Hi Khoon Dena Jaayez Hai….Warna Jo Donate Camps Lagte Hain jahan Koi BhI Beemaar Nahi Hota Hai , Sirf Beemaaron Ko Khoon Chadhaane Ka Waada Kiya Jaata Hai , Aisi Jagah Par Khoon Dena Jaayez Nahi Hai , Balke Un Ke Paas Sirf Blood Group Likha Diya Jaaye Aur Kaha Jaaye Ke Zaroorat Padne Par Phon Kar Ke Bulaa Len……

To In Tamaam Sharaayet Ke Saath Khoon Dene Ki Ijaazat Hai, vo bhi usi miqdar me khoon chadhane ki he jitne se kaam chal sake.……Agar Aisi Majboori Na Ho Aur Khoon De Diya Jaaye To Dene Waala Aur Lene Waala Donon Hi Gunahgaar Honge…..

*📚Majlise Sharai ke faisle ke chatte seminar me tay huaa ki* mareez ko jab khoon chadhane ki zaroorat ya hajat ho to uske liye khoon chadhana jaiz ho jata he.

Or *📚FATAWA RAZVIYA SHAREEF J-10, S-200 NISF AAKHIR*  me he ki dusre muslim ki zaroorat ka bhi aetbar he, jaise doobte ko bachane ke liye namaz padhne wale ko namaz todna wajib ho jata he, ia liye jab kisi muslim ko zaroorat ya hajat dar paish  he to dusre shakhs ke liye jaiz he ki apna khoon use bachane ke liye dede.

Blood donation ki Majeed tafsil or uske sharait janne ke liye *MAJLISE SHARAI KE FAISLE, S-195,196* dekhe

👉Or blood donation Camp me jo blood dete he us blood ko blood bank me jama kiya jata he, or us waqt koi sharai hajat nahi hoti is liye blood donation camp me blood ya khoon dena jaiz nahi.

Wallaahu A’lamu Bis’sawaab….
==========➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*

==========➖➖➖➖==========

KAPDE MOD(FOLD) KAR KE NAMAZ PADHNA KESA

*🌹SAWAL:-🌹*
kapde mod kar namaz padhna kesa iska daleel k sath jawab inayat farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
https://pathanmoinraza13.blogspot.com/2018/07/kapde-modfold-kar-ke-namaz-padhna-kesa.html?m=1

```Kapde mod ke namaz padhna jaiz nahi, maslan pent ya paaincha mod kar namaz padhna ya aasteen aadhi kalai se uper chadha kar namaz padhna wagairah, to is tarah namaz padhne se namaz makroohe tehreemi hogi. Or us namaz ka dobara padhna wajib he. Or agar Namaz Ka Ae'aada na kiya to gunahgar hoga```

_Jaisa Ki Hadees Shareef Me he_

hazrat e abdullah ibne abbas radiallahu anhu se riwayat hai keh rasoolullah Sallallahu alaihe w sallam ne irshad farmaya: mujhe hukm mila main namaz men baal aur kapde na sametun.
*📚(Bukhari shareef jild 1 safah 113 / muslim shareef/ ibn e maajah wagairah)*

_or Bahare Shariyat me he,,_

Koi aastin aadhi kalai se zyada chadhi hui ya daman samete namaz padhna bhi makroohe tahreemi he khwah vah pahle se chadhi hui ho ya namaz me chadhai ho
*📚(DURRE MUKHTAR, J-1 S-420)*
*📚(BAHARE SHARIYAT, HISSA-3)*

Namaz me aastin upar ko is tarah chadhana ki hatho ki kohni khul jaye, namaz makroohe tahrimi wajibul ae'aada hogi. Agar fir se dobara nahi padhi to gunahgar hoga.
*📚(Fathul Qadeer, 📚Bahrur Raiq, 📚Fatawa Razviya, J-3, S-416/423)*
*📚(MOMIN KI NAMAZ)*

_Jesa ki duree mukhtar mehe,_
Or har vo namaz jo makroohe tehreemi ho uska ae'aada(lautana ya dobara padhna) wajib he magar makroohe tanzihi ho to ae'aada wajib nahi.
*📚(DURRE MUKHTAR MA'A SHAMI, J-1, S-337)*

```👉 agar kisi ne kapde mod kar namaz padhi to makroohe tehreemi hoga or uska lautana yane dobara padhna wajib he.Agar Dubara Na Padhi To Gunahgar Hoga.
👉Lihaza pajama ya pent ko na nichhe se mode or na kamar me. Or na hi kurta ya shirt ki aastin ko mode.```

Wallahu aa'alam bis sawab...
=========➖➖➖➖==========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬khadim:-Pathan Moin Raza Azhari_*
📲848
==========➖➖➖➖==========

HUZUR KA ILM GAIB OR MERAJE NABI PAR HAZRATE AAISHA radiallahu anha KE BAYAN HADISH KA JAWAB

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Ayesha Radialla Taaa Anha Se Riwayat Hai Ki Jisne Kaha K Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Apne Rabb Ko Dekha Woh Jhuta Hai Aur Jo Kahe K Nabi Swallallahualaihiwasallam Gaib Jante Hai Toh Woh Jhuta Hai

*🌹JAWAB:-🌹*

Yeh Hadees Bilkul Sahi Hai Lekin Hadees Ko Samajna Padega.....

Is Hadees Me 2 Point Hai..

*1)* Humare Sarkar Swallallahualaihiwasallam Ne Allah Ko Dekha.
*2)* Agar Koi Kahe Ki Nabi Sallallahualaihiwasaalm Ko Ilm E Gaib Hai Toh Woh Jhuta Hai...

*_Pehle Point Ka Jawab Hum Gaushe Aazam Hazrat Shaikh Abdul Qadir Jeelani Radiallahu Taala Anhu Se Samajte Hai._*

Kitab Ka Naam Gunya Tut Talebeen

Yeh Kitab Arbi Me Thi Aur Iska Tarjuma Kiya Hai Ahle Hadees Hafiz Mubashhir Hussain Lahori.

*Safa No. 178 :*

Likhte Hai : “Humara Aqeeda Hai K Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Shab E Meraj Bedaari Ki Haalat Me (Khwab Me Nahi) Apne Sir Wali Aakhon Se (Dil Se Nahi) Allah Taala Ka Deedar Kiya Hai Jaisa K Hazrat Jabir Radiallataala Anhu Riwayat Karte Hai K Nabi Swallallahualaihiwasallam Ne Aayat (Aap Swallallahualaihiwasallam Ne Allah Ko Dusri Martaba Dekha , *Surah Najam Aayat 13,* Ki Tafseer Me Farmaya K Mene Bila Shak Wa Shuba Apne Rab Ko Apne Saamne Dekha”.

Aur Akhir Ki Line Per Gaur Kare Hazrat Ibn Abbas Radiallataala Anhu Se Jo Riwayat Hai Ki Farmate Hai K Mohammad Swallallahualaihiwasallam Ne Apni Ankhon Se Do (2) Martaba Rabtaala Ka Deedar Kiya.

Subhan Allah

Hazrat Gaus E Paak Khud Apna Aqeeda Bayan Farma Rahe Hai Aur Hazrat Gaus E Paak Radialla Taala Anhu Ko Har Tabka (Jamaat) Manti Hai Aur Yeh Aqeeda Rakhti Hai Ki Hazrat Gaus E Paak Radialla Taala Anhu Allah Taala K Wali Hai .

Aur Aage Khud Hazrat Gaus E Paak Hazrat Ayesha Radialla Taala Anha Waali Hadees Ka Jawab Dete Hai,

*📚Safa 179 Per*

Likhte Hai: “Yeh Riwayat Hazrat Ayesha Radiallataala Anha Ki Riwayat Se Muta’araz Nahi Q K Inki Riwayat Me Nafi Hai Aur Yeh Isbaat Hai Aur Ijtama’a K Waqt Isbaat Naïf Per Muqaddam Hota Hai Aur Nabi Sallallahualaihiwasallam Ne Bhi Apni Rue’yat Ka Isbaat Farmaya.

Yaha Per Hazrat Gaus E Paak Khud Kehrahe Hai Ki Nabi Swallallahualaihiwasallam K Muqabil Hazrat Ayesha Radiallataala Anha Ka Qaul Nahi Maana Jayega.

👉Ab Dusra Point

Dusre Point Ka Jawaab Yeh Hai Ki Hazrat Ayesha Ne Zaati Ilm E Gaib K Baare Kaha Hai Ki Agar Kisi Ne Kaha Ki Nabi Sallallahualaihiwasallam Khud Se Gaib Jaante Toh Woh Jhuta Hai...Q K Ilm E Gaib Khud Se Jaan Lena Sirf O Sirf Allah K Liye Hai Aur Allah K Ilawa Kisi K Liye Nahi Aur Ataai Ilm E Ghaib K Bare Humne Quran Shareef Ki Aayat Aur Ahadees E Mubaraka Pesh Kiye Aur Aage In Sha Allah Hum Imam K Aqwal B Pesh Karege.

Note: Hadees Kabhi Quran Shareef Se Takra Nahi Sakti Aur Yeh Hadees Sahi Hai Aur Quran Ki Woh Aayatein B Sahi Hai Jo Ataai Ilm E Gaib K Baare Batati Hai Jinka Zikr Pehle Kiya Gaya Hai.

Isliye Yeh Hadees Nabi Sallallahualaihiwasallam K Ilm E Gaib Ki Nafi Nahi Karti.

*📚Isi Hadees Per Hum Ab Imam Ibn Hajar Asqalani Radialla Taala Anhu Ki Likhi Hui Sharah Sahi Bukhari Fatah Ul Bari Se Padhte Hai:*

Tarjuma: Maruzi Rahimahullah Ne Imam Ahmed Bin Hanbal Radialla Taala Anhu Se Pucha K Log Kehte Hai K Hazrat Ayesha Radialla Taala Anha Ne Farmaya Hai K Jo Koi Tumhe Kahe K Aap Swallallahualaihiwasallam Ne Allah Ko Dekha Hai Toh Usne Allah Per Bohtan Bandha,Iska Jawab Kaise Diya Jaye,(Imam Ne Farmaya) Rasul Allah Swallallahualaihiwasallam K Aapne Farman Se Jisme Inhone Farmaya Hai “Rayyat Rabbi”(Yaani Mene Rab Ko Dekha) , Yeh Hazrat Ayesha Radialla Taala Anha K Qaul Ka Jawab Hai Kyukay Rasul Allah Sallallahualaihiwasallam Ka Farma Dena Hazrat Ayesha Radialla Taala Anha K Farmane Se Hazar Badarja Buland Hai.

*📚Fatah Ul Bari Sharah Sahi Bukhari Jild 8 Safa 494.*

*📚Ab Imam Nawawi Rahimah Ullah Ka Jawab Padhte Hai Isi Hadees Per Sharah Sahi Muslim Kitab Al Iman*

Likhte Hai:
Jab Yeh Hazrat Ibn Abbas Radialla Taala Anhu Ki Sahi Hadees Se Saabit Ho Chukka Hai Toh Hum Yeh Nahi Soch Sakte K Yeh Inhone Apni Taraf Se Se Kaha Hoga,Yaqeenan Inhone Aap Sallallahualaihiwasallam Se Sunkar Farmaya Hai.Mamar Bin Rasheed Hazrat E Ayesha Aur Hazrat Ibn Abbas Rizwanallah Alaihim Ajmaen Ki Babat Farmate Hai K Yeh Ikhtilaf Is Wajah Se K Ayesha Radialla Taala Anha Issey Mukammal Taur Per Waqif Na Thi Jabke Ibn Abbas Radialla Taala Anhu Mukammal Taur Per Jante The,Toh Agar Ibn Abbas Radialla Taala Anhu Isko Saabit Karrahe Hai Aur Kuch Aur Log Iski Nafi Karrahe Hai Toh Yeh Sabik Ka Usool Hai K Woh Nafi Per Bhari Hota Hai.
=======➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:-Pathan Moin Raza Azhari_*

========➖➖➖➖=========

EK HADISH KA JAWAB HAZRAT AAISHA SE BAYAN JO KAHE KI HUZUR SALLALLAHU ALAIHI W SALLAM NE ALLAH KO DEKHA VO JHUTHA HE

*🌹SAWAL:-🌹*
Wahabi log Hazrate Aaisha siddiqa radiallahu anha ki ek hadish bayan karte he or kahte he ki jo aesa kahe ki huzur sallallahu alaihi w sallam ne Allah ko dekha vo jhutha he.. iske bare me kuchh irshad farmae. Or kya huzur ne allah ko dekha ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Is Hisse ko Hum 02 Parts me divide karte hai aur Compare Karenge bilkul clear words me taaki shak o subhat ki koi gunjaish na rahe. *A)* Hazrat Masruk Tabai se rivayat Hadees Aur Hazrat Anas bin Sahabi Se Rivayat Hadees *B)* Hazrat Abdullah ibn Abbas Sahabi se rivayat hadees aur Hazrat Masruq Tabai se Rivayat Hadees A) Hazrat Masruk Tabai se rivayat Hadees Aur Hazrat Anas bin Malik Sahabi Se Rivayat Hadees Ka Bayan Aur Jaiza Hadees :
“Hazrat Masruq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hai k unhone Ummul Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha se Suna k Unhone Farmaya  Jo Ye Kahe K Nabi E Karim ﷺ ne Allah Tabarakwatala ko Dekha Hai Wo Jhoota Hai”
References :
*📚(Sahi Bukhari Vol : 03, Kitab No 97, Kitabut Tawheed, Hadees : 7380)*
Isi Tarah ki Hadees ko kuch alfaz k changes k saath Imam Muslim ne likha hai
*📚(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitabul Imaan, Hadees : 177)*
Yehi Sunaya jaata hai awaam ko aur is hadees ko base banake Kaum e Wahabiya k nanhe nanhe muballig jo fakat 02 04 takreer sun english me wahabi aur christian website padh watsapp facebook munazir bane ghumte hai wo msg k through aur inke mullahs apne speech me ye bayan karte hai k dekho hadees me aaya k jo ye kahe K Nabi e Karim ﷺ ne Allah ka deedar kiya wo jhoota hai par ye la ilm kaum akal,muttala se khali hai jo na aimma ko maanti hai fukaha ko na sharain ko bas jo apne dil ka accha laga jo akal me samaya usko maanti hai lekin bas ek hadees padhke aap pura akeeda nahi bana sakte iske liye mazeed muttale ki jarurat hai.
Ab Aaye Hum ussi Bukhari Sharif ki dusri hadees Likhte hai
Hazrat Anas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne jo ke Sahabi hai unhone ek taveel riyavat bayan ki Safar e Meraj ki jo unone Nabi E Karim ﷺ se Suna hai us hadees ka hum wo hissa likh rahe hai
Hadees :
حَتَّى جَاءَ سِدْرَةَ الْمُنْتَهَى وَدَنَا الْجَبَّارُ رَبُّ الْعِزَّةِ فَتَدَلَّى حَتَّى كَانَ مِنْهُ قَابَ قَوْسَيْنِ أَوْ أَدْنَى
Hazrat Anas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hai “Pura Meraj ka Wakya Bayan kiya”.... Fir Kehte hai “Huzoor Sidratul Muntaha Par Tashreef Laaye aur Izzat Waala Jabbar (Allah ) Yaha Tak K Karib Huwa Aur Nazdik Aaya k Do Kamano Ya Is Se Bhi Kam Ka Faasla Reh Gaya”
*📚(Sahi Bukhari, Vol : 03, Kitab No 97 Kitabut Tawheed, Hadees : 7517)*

Ab aaye Hum dekhe dusri hadees Hazrat Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ waali bhi hai jo bahot si kutub e hadees me alag alag sanado se aayi hai wo dekhenge (B) part me filhal ye hadees k hisse me thodi tehkeek

A) Hazrat Masruk رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Tabai se rivayat Hadees Aur Hazrat Anas bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Sahabi Se Rivayat Hadees ko dekhe in dono hadees me hume kis taraf jaana chahye ek aam musalmaan kaise samjhe k kis ko follow karen.
Point Wise :
1) Awwal to ye Jab Wakya E Meraj Huwa us wakt Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha ki umr 04 baras ya 06 baras thi aur wo Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم K Nikaah me bhi naa aayi to unhe is masle ka mukkamal ilm na tha aur agar baad me unhone ye bayan bhi kiya hai to ye Kaul e Umool Momineen Hai jiske baare me Aimma Fukaha ne likha hai k Umool Momineen jo na dekhne ki baat kahi hai wo is dunaya me rehte huwe na dekhne ki baat kahi hai par Hamare Nabi صلى الله عليه وسلم ne ALLAH عزوجل ko is dunya me nahi balki Laa Maka me apne Matho ki aankh se dekha hai.
2) Sanad pe behas Hazrat Ayesha Siddika Radiallahu Anha ka Kaul Bayan huwa hai Hazrat Masruq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se Joke ek Tabai Hai. To Yaha Sanad (Chain) pahuchi Tabai se Sahabiya tak.
*⛓Chain :* Hazrat Masruk رَضِیَ اللهُ عَنْهُ - > Ummol Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha Yaani Tabai se Sahabiya tak.
3) Hazrat Anas bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ joke Khud Jalilul kadr sahabi hai unki rivayat hai direct Rasool Allah صلى الله عليه وسلم  se Yaani ki Sanad Sahabi se Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم  tak pahuchi.
*⛓Chain :* Hazrat Anas Bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  - > Huzoor e Akram صلى الله عليه وسلم  Tak Sahabi se Nabi E Karim ﷺ Tak.
To Ab is masle me usool (Kanoon) ye hai k hum Farmaan e Nabi ﷺ ko tarjeeh denge aur uspe akeeda banaynge naaki us hadees pe jispe Kaul e Sahaba hai aur ye baat koi hamari aajki dalil nahi hai Shara e Hadees bhi yehi kehte hai chunache
Sabse Motebar Shara e Bukhari Me se ek Imam Ibn Hajar Al Asqalani رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  is hadees ki shara me likhte hai wahabi maulvi khud inhe bahot maante hai.

عن المروزي قلت لأحمد إنهم يقولون إن عائشة قالت من زعم أن محمدا رأى ربه فقد أعظم على الله الفرية فبأي شيء يدفع قولها قال بقول النبي صلى الله عليه وسلم رأيت ربي قول النبي صلى الله عليه وسلم أكبر من قولهاTranslation : “Hazrat Maruzi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  ne Imam Ahmad Ibn Hambal رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه se pucha k Log Kehte hai Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha ne Kaha k Jo ye Kahe K Nabi ﷺ Ne Allah عزوجل ka deedar kiya wo Jhuta Hai iska kya jawab hai.
Hazat Imam Ahmad Ibn Hambal رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  Farmate hai jab Nabi e Karim ﷺ ne khud Irshad Farmaya ( رأيت ربي ) MAINE MERE RAB KO DEKHA ye jawab Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha Ka  k kawl ka hai Kyuki Nabi e Paak ﷺ ka Farman Ummol Momineen Ayesha Siddika Radiallaho anha Se Zyada BADA (Superior) Hai”
*📚(Fath Ul Baari Shara e Sahi Bukhari, Vol : 08, Pg : 494)*

Allama Ibn Hajar Asqalani رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  ne yaha pure masle ka hi khulasa kiya k hum usko Follow karnge jo Nabi e Karim Rauf o Raheem ﷺ Ne farmaya yaani NABI ﷺ NE ALLAH KO DEKHA hai wo bhi Imam Ahmad Ibn Hambal ka farman yehi hai wahabi aaj dawa bahot karte hai Imam Ahmad ibn Hambal ko maan ne ka yaha tak k pura saudi Fiqah e Hambli pe chalta hai unka bhi yehi akeeda k NABI NE ALLAH عزوجل KO DEKHA HAI.
Kya karenge Wahabi Agar Apne Abba k acche bacche hai to Lagaye Fatwa Hazrat Anas ibn Malik pe Imam Ibn Hajar Asqalani pe Imam Ahmad ibn Hambal pe Radiallaho anha azmain pe ? Kisi maa ne wo beta jana hai to dikhaye hume bhi fatwe.
Takreero me kehte hai wahabi jo ye Kahe K Nabi ﷺ  ne Allah عزوجل ko Dekha wo kafir hai Nauzubillah abhi aage dekhe hum kitne hawale denge inko dekhne naani yaad aajaygi pyjama gila hojaynge pura padhne k baad inke mullo aur facebook watsapp muftio k khokle gande chehre saamne aajaynge.

B) Mufassire e Quran Sahabi e Rasool  ﷺ Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hadees e Paak.
Iske pehle hadees bayan kare hum Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ka makam aur martaba bayan karde taaki koi wahabi ye na kahe kiski hadees likh di.
Hadees :
Hazrat Abdullah ibn Abbas  رَضِیَ اللهُ عَنْهُ farmate Hai
“Ek baar Nabi e Karim Ne Mujhe Apne Sine (Chest) Se Lagaya Aur Dua Ki Aye ALLAH Abdullah ibn ABBAS رَضِیَ اللهُ عَنْهُ KO Quran Ka Ilm Aur Hikmat Ata Farma”
Reference :
*📚(Sahi Bukhari, Vol : 02, Kitab No 62 Fazail E Ashabun Nabi, Baab : Zikr Ibn Abbas, Hadees : 3756)*
*📚(Jamai Tirmizi, Vol : 03, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4195)*
*📚(Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Kitab Us Sunnah, Hadees : 171)*

ye Makam hai Sahaba me jinke Haq me Quran ki Samajh ki dua Khud Nabi e Akram ﷺ ne Ki aur Hazrat Abdullah ibn Abbas  رَضِیَ اللهُ عَنْهُ khud Sahaba e Kiram ki jamaat me sabse pehle Muffasir huwe aapki Tafseer Ibn Abbas k naam se mashoor hai.
Ab aaye Meraj Un Nabi ﷺ Me ALLAH عزوجل k deedar k talluk se hadees Yu To Ibn Abbas se rivayat bahot si kutub me hai par yaha hum 02 likh rahe hai mulahiza kare.

Hadees :
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Farmate Hai Hum Bani Hashim Kehte Hai beshak Nabi e Karim ne ALLAH ka Deedar Kiya”
*📚(Jamai Tirmizi, Kitab No 47 Kitabut Tafseer, Hadees : 3201)*
Imam Tirmizi Ne Is Hadees ko *HASAN* kaha Hai

Hadees :
Imam Ahmad ibn Hambal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne Apni Musnad me nakl kiya rivayat hai

قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم رأيت ربي عزّ و جل

Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ bayan farmate hai k RASOOL ALLAH ne farmaya MAINE MERE RAB KO DEKHA”
*📚(Musnad E Ahmad Ibn Hambal, Vol : 01, Pg : 285, Print : Al Maktab Al Islami, Beirut)*
*📚(Imam ibn Asim Vol : 01, Pg : 188, Hadees : 433)*
*📚(Imam Haythami  Al Majmau Zawaid , Vol : 01, Pg : 178)*

*📚Imam Jalaludin Suyuti ne Khasais Al Kubra Vol : 01, Pg : 161 pe likha ye Hadees Sahi Hai.*
*📚Imam Abdur Rauf Munadi ne Tahsheer Shara Jama as Sageer Vol : 02, Pg : 25, Maktaba Riyadh me Likhte hai ye hadees Sahi Hai.*

Ab Aaye Is Hadees pe bhi Sharain ka jawab padhe Chunache Imam Nawawi Ash Shafai رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   likhte hai

“Jab ye Baat Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   ki Hadees e Sahi se Sabit Hai to Hum ye Guman Nahi karte k ye unka apna KAWL hai Unhone ye Rasool Allah se Sunke Hi Farmaya Hai,
Ma’mar ibn Rashid (Tabain) ne Umool Momineen Aur Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  k ektelaf k baare me kaha k Ummool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha ko us wakt is masail me pura Ilm na tha, Jabki Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   isko saabit kar rahe hai aur kuch log Nafi kar rahe hai to Usool k mutabik Masbat ko maana jayga Naki Nafi (rejection) Ko”
*📚(Shara E Sahi Muslim, Kitabul Imaan, Baab : Allah K Nabi Ne Deedar Kiya)*

Imam Nawawi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   bhi Deedar waali hadees ko accept kar rahe hai.
Ab aaye dusri ek aur dalil aaj kaum e Wahabiya Huzoor Sayyidi Shaikh Abdul Qadir Jilani رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ko maan ne ka bahot daawa kar rahi aur kitabo pe kitabe chaap rahi hai sirf is baat ko saabit karne k liye k Gaus e Paak Ahle Hadees the goya Awaam ko ye batana chah rahe hai k Gaus e Aazam ka akeeda aur wahabiya ka akeeda ek ho magar hum challenge karte hai kaum e wahabiya ka koi ek bhi nazariya aur akeeda aisa nahi jo Wahabio ka Gaus e Aazam رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se mel khata ho balki aqaid me wo AHLE SUNNAH k aqaid pe hi the aur fiqh me Imam Ahmad ibn Hambal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   k mukallid the.
Chunache uzoor Sayyidi Shaikh Abdul Qadir Jilani رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  kya farmate hai padhe unki maarakatul aara kitab GUNYATUTALIBEEN me.

“Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   farmate Hai ki Hazrat Ibrahim عليه السلام Ko Khullat Mili , Hazrat Moosa عليه السلام ko Kalam aur Muhammad ﷺ Ko Deedar E Ilahi Haasil Huwa.

Hazrat Abdullah Ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   Ne ye bhi farmaya Muhammad ﷺ ne Apne Rab Ko Apne Matho ki Aankho Se DO baar Dekha. Ye rivayat Hazrat Ayesha Siddika Radi Allaho Anha k Us Rivayat se Maarij Nahi Jo Ro’eet k Inkaar Me Marvi Hai Isliye k Isme Nafi Hai aur Rasool Allah ﷺ ne Apne Ro’eet ka Isbaat Farmaya Hai.

Hazrat Abu Bakr bin Suleman رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ka Kaul Hai k Rasool Allah ﷺ ne apne Rab Ka deedar 11 martaba Kiya , 9 Baar Ka Saboot Hadees E Paak se milta Hai Jab ki Aapne Hazrat Moosa عليه السلام aur Allah عزوجل k Maa’bain Takhfeef E Namaz K Liye Baar Baar Gaye

aur 50 Wakt Ki Namaz K Bajaye 5 wakt Namaz Farz Ki Gayi (45 Baar Ki Takhfeef Hogyi) Ye Sunnan Nabvi se saabit hai aur 02 baar ALLAH ka deedar Quran Se Saabit Hai. *📚(Guniyatutalibeen, Baab Shab e Meraj Ka Bayan, Pg : 186)*
=========➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*

=========➖➖➖➖==========

KYA AURAT SHADI KE BAAD APNE BAAP KI JAGAH SOHAR KA NAAM LAGA SAKTI HE ? EK GALAT MSG KA JAWAB

*🌹SAWAL:-🌹*
SHADI KE BAAD AURAT KA APNE NAAM KE SAATH APNE SHOHAR KA NAAM LAGANA SAHI HAI YA GALAT?

*🌹JAWAB:-🌹*
Kuch dino se whatsapp par ek Msg logo ko pareshaan kar raha hai aur unhe waswase mein daal raha hai ki "
Jo AURTEIN APNEY WALID KA NAAM HATA KAR SHAUHAR KA NAAM ADOPT KARTI HAIN SHAADI KE BAAD WO ZARA GAUR KAREN KI YE HARAAM HAI "

Ab sawaal ye paida hota hai ki Kya aisa karna waqaie Haram aur kufr hai? Kya waqie aisa karne par Azaab hoga❓

Asl mein kuch logo ne Is mauzu ke talluq se Hadith e Paak ka galat itlaaq karke hadith ki galat tashreeh ki hai.

👉Logo mein is baat ko failane walo ne daleel ke taur par Bukhari, Muslim aur Ibne Maja ki hadith pesh ki hai jis mein Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne aisa karne ko kufr kaha aur jahannam ko uska thikana bataya aur jannat us par haram ho gayi aur us par farishto ki laanat hai wagaira wagaira ka zikr hai.

👆Ab dekhte hai ki is hadith ka matlab wa mafhoom kya hai aur uska itlaaq kis par hota hai?

🔸Sab se pehle ye baat wazeh ho jaaye ki ye masla sirf Aurto ke liye khaas nahi balki Mardo ka bhi hai. Ab hum In logo se puchte hai ki Kya Mard agar apne asli baap ke badle dusre Aadmi ka naam apne naam ke saath likhe to kya uske liye bhi wahi hukm aur waeed hai jo hadith mein maujood hai? Agar haan to Aap ne sirf Aurto ke liye khaas kyu kiya?

🔸Dusra ye ki Agar koi Aurat jo shadi shuda na ho aur woh apne asli baap ka naam hata kar dusre Aadmi ka naam apne naam ke saath jod de to kya aisa karna sahi hoga?

✅Shayad Aqal mand log samajh gaye hoge ki hum kya kehna chahte hai..

Suniye ❗Asl mein masla ye hai ki Agar koi shaks chahe Mard ho ya Aurat is garz aur niyat se apne asal baap ka naam hata kar apne naam ke saath likhta ya jod deta hai taaki logo ko woh ye dhoka de sake ya bewaqoof bana sake ki mera baap fulaah nahi balki fulaah hai. Aur woh ye amal is liye karta ho taaki logo ko uske asli baap ka pata na chale. Yaani uske asli baap mein koi aib ho maslan woh badkaar ho, nichli jaat ka ho, gareeb ho, wagaira wagaira jiski wajeh se usko Log bura samjhege aur uske asl baap ki wajeh se usse society mein acha maqaam na milega ya kisi na kisi tarah usse nuqsaan pohchega, to aisa karne wala galat hai aur jahannam ka mustahiq hai. Kyuki woh Kisi dusre Aadmi ko apna baap bata kar apni nisbat uske saath jodna chahta hai taaki uska gair faida utha sake aur logo ko dhoka de sake.

👉Ab Hamari Aurte apne shohar ka naam is liye nahi lagati ki log uske shohar ko uska baap samjhe. Balki woh is liye lagati hai ki log ye jaan le ki woh shadi shuda hai.

Jaisa ki Hamare yahan legal documents mein Agar Female Candidates Apne naam ke baad Jis Aadmi ka naam likhti hai aur jab "Unmarried (single)" and "Married" column mein tick mark karti hai to fauran ye samajh liya jata hai ki agar Unmarried mein tick kiya hai to ye shaks uska Baap hai aur Married mein tick kiya hai to ye shaks uska Shohar yaani husband hai.

👆Yaani Shohar ka naam likhne ka Maqsad apne asli baap ki pehchaan ko chupana nahi balki apne Shadi shuda hone ya kuwara hone ka wazeh karna hai. Jab maqsad aur niyat hi woh na raha to Haram, kufr aur jahannam ka mustahiq kaise banegi?

✅Pata chala ki hadith me jo waeed hai uska matlab ye hai ki jo apne apko apne bap ke siwa dusre se mansub kare taki log us dusre admi ko uska bap samjhe ye amal haram hai.

🚫Magar ye baat yaad rakhe ki jahan apne naam ke sath baap ka nam jodne ka riwaz hai wahan shauhar ka naam na jode. Isse galatfahmi hogi aur jahan aisa riwaaj hai ki shadi ke baad shohar ka naam lagana riwaaj hai wahan koi harj nahi.

❓Ab koi ye aiteraaz kar sakta hai ki Jab Islam mein ye tareeqa raha hai ki Chahe mard ho ya Aurat, hamesha uske saath uske Baap hi ka naam likha jata hai to Aap kyu Shohar ka naam likhne ki ijaazat de rahe ho?

✅Iska jawab ye hai ki hum ijaazat nahi de rahe hai balki hum un logo ko ye batana chahte hai ki Hadith mein jo Asli baap aur Nakli baap ka naam jod ne ka zikr aaya hai uska in riwaaj se koi talluq nahi balki Hadith mein Asli aur nakli baap ki sachaai aur jhooth ke fitne se aagah karne par waeed aur uska Ailaan kiya gaya hai. Ye koi Islam ka shiyaar nahi aur na hi Kuffaro ki alaamat. Agar ye kuffaro ka shiyaar hota to bilashuba Shadi shuda Musalmaan Aurto ko aisa karne se roka jata. Aur Ye amal Musalmaano ka shiyaar bhi nahi warna hargiz iski ijazat na di jaati.

Hamari Maa Behno aur bachiyo ko Jab bhi unke Baap ka naam pucha jaayega to Fakhr se woh Apne asl baap ka naam Batayegi ki Mein falan binte falan hu. Aur Alhumdulillah Apne Aap ko jahannam ki aag se hamesha mehfooz rakhegi.

🚫Kuch log Apni jahalat, kaj fehmi, aur apni mehdood soch mein had se zyada sakhti ki wajeh se is tarah ke mugaalte paida karte hai aur Hadith ka galat itlaaq aur galat mafhoom nikaal kar logo ko mashakat mein daalte hai. Ye deen mein zyatti hai aur Deen mein mushkile paida karna hai.

Deen mein Aasaaniya paida karo aur mashakkat mein na daalo.

🔷Allah hume Aql e saleem ataa farmaye aur Jahilo ki jahalat se mehfooz rakhe. Aameen
==========➖➖➖➖===========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Khan Azhari_*

==========➖➖➖➖===========

MOBILE SE YA RECORDING SE BACHCHE KE KAAN ME AZAN DENA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹*
Bachay ki Pedaish k baad ghar k kisi Buzurg ya kisi Aalim-e-Deen se Mobile k Zariye usay Azan Dilwa saktay hain?

*🌹JAWAB:-🌹*
Nahi, azan ke liye ye he ki vaha par jo shakhs swaleh deendaar nek maujud ho uske kaan me azan kahe.

http://jamiaturraza.com/session/01Nov09/25.mp3

*_🎙AL-JAWAB:- QAZI UL QUZZAT HUZUR TAJUSHSHARIYAH MADDAZILAHUL AALI_*

Pehli baat to ye ki recording ka hukm asli azan ka nahi hota, jis tarah agar tilawat kisi ne record karli he to asli tilawat ki tarah vo nahi he, koi achchi niyyat ke sath sunta he sawab milna ye alag baat he lekin ham ye kahe ki recorded ya live azan sunta he ya tilawat sunta he to jo asal ka sawab he uska vo nahi he. live (mobile ya internet se) ka mamla alag he or direct sunne ka mamla alag he. To ye recording ke uper asal ke ahekam nahi aate to is liye ye kifayat nahi karega. Bachche ke kaan me azan dena rasoollallah sallallahu alaihi w sallam ki sunnat he or ye sunnat tab ada hogi jab bachche ke kaan me vaha maujdud ho kar azan di ja sake. kaan par mobile lagane se ye sunnat ada na hogi..

Wallahu ta'ala aa'alam
==========➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan Azhari_*
📲
==========➖➖➖➖=========

KYA JO AALA HAZRAT KO PAHECHANTE HI NAHI VO SUNNI NAHI

*🌹SAWAL:-🌹*
Duniya me kuch jagah ke log aise hai Jo aala hazrat rahmatullah Alaihir rahma ko nahi pechantey .. To kya vo sunni nahi?

Kuch log ye kehte hain ke jo aalahazrat ko nahi pehchana WO Sunni nahi . aiso par kya hukm hai Jo bagair ilm ke  fatwe dete hain?

*🌹JAWAB🌹*

Hazrat saiyeduna imame aazam abu hanifa radiallahu anhu se puchha gaya ki ahle sunnat ki alamat kya he: farmaya " Hazrate siddiqe akbar or hazrate farooke aazam ko tamam sahaba se afzal manna or hazrate usman gani or hazrat ali se muhabbat karna or mauzo par masah karna. Wajah hui ke khwarij hazrat ali par sahbbo sitam karte the or rawafiz khulfa e salasa par, or mauzo ke masah ko najaiz kahte the is liye us daur me mazkura bala chize ahele sunnat ki alamat karar paai maazi karib me kalma padhte hue wahabiyo deobandio ne allah azwajal or rasoolullah sallallahu alaihi w sallam ki gustakhi ki, nechariyo ne zarooryate din ka inkar kiya, qadyanio ne nabuwat ka dawa kiya, chaklarwiyo ne  ahadis ka radd kiya, wagairah wagairah To mujddide aazam aala hazrat imam ahemad raza alaihir rahma ne un sab ka shaddo mad ke sath radd kiya or tamam aulma e ahele sunnat ne aala hazrat ko apna imam w peshva mana, unki tasanif or fatawa se ittefaq kiya is liye aala hazrat ki zaat is daur me haqq w batil ke darmiyan imtiyaz ban gai ke makka muazzama ke shaikhul muhaddisin allama muhammad jazairi ne farmaya: jab hindustan se koi shakhs aata he to ham usse shaikh ahemad raza khan ke bare me puchhte he agar vo unki tarif karta he to ham jante he ki ye sunni he or agar vo unki burai bayan karta he to ham jaan lete he ki ye badmazhab he, hamare paas yahi kasoti he.
Chunke hindustan ke tamam aulma e ahele sunnat aala hazrat ke sath muttafiq he is liye maslake aala hazrat ka matlab huaa hindustan ke tamam ahele sunnat ka maslak isi wajah se maslake aala hazrat sunniyat ka me'ayar he.
*📚(FATAWA SHAREH BUKHARI, J-3,S-385)*

*👉Beshak Aala hazrat sunniyat ki alamat he, or jo log door darash me rehte he ya dehato me ya kai esi jagah he jaha aap ko kuchh log jante nahi ya aap ke bare me kuchh ilm hi nahi lekin unka aqida ahele sunnat ke mutabik he to beshak vo sunni he.. or jo log unhe sunni nahi mante vo galat he.*

Hadishe paak me farmaya gaya:

إِنَّ اللَّهَ لَا يَقْبِضُ الْعِلْمَ انْتِزَاعًا يَنْتَزِعُهُ مِنَ الْعِبَادِ وَلَكِنْ يَقْبِضُ الْعِلْمَ بِقَبْضِ الْعُلَمَاءِ حَتَّى إِذَا لَمْ يُبْقِ عَالِمًا اتَّخَذَ النَّاسُ رُءُوسًا جُهَّالًا فَسُئِلُوا فَأَفْتَوْا بِغَيْرِ عِلْمٍ فضلوا وأضلوا.

Yaani Allah ilm khinch kar uthaega k bando se khinch le balki AULMA ki wafat se ilm uthae ga. Hatta k jab koi aalim na rahega log jahilo ko peshwa bana lege jin se masail puchhe jaaege vo bagair ilm fatawa dege gumrah hoge gumrah karege.

Is hadish ki sharah me mufti ahemad yaar khan sahab alaihir rahma farmate he:
Matlab ye he ki diini aohde jahil sambhal lege or apni jahalat ka izhar na-pasand karege. Mas'ala puchhne par ye na kahege ke hame khabar nahi balki bagair ilm ghar kar galat mas'ale bataege is ka anjam zahir be. Be ilm tabeeb mareez ki jaan leta he or jahil mufti or khatib iman barbad karte he.
*📚(MIR'AATUL MINAJIH SHARAH MISHQATUL MASABIH, J-1, S-185)*

Wallahu aa'alam bis sawab
=========➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan_*

==========➖➖➖➖=========

BE WUZU GUMAN KARKE NAMAZ PADHI BAAD ME PATA CHALA BE WUZU NAHI THA TO KYA NAMAZ HOGI

*🌹SAWAL:-🌹*

Kisi Shaks Ne Apne Aap Ko Bewuzu Guman Kiya Aur Isi Haalat Mai Namaz Padh Li Baad Ko Zahir Hua Ki Bewuzu Nahi Tha Namaz Hui Ya Nahi

*🌹JAWAB:-🌹*

HUZUR SADRUSHSHARIYAH ALAIHIR RAHMA TAHERIR FARMATE HE,,
Kisi shakhs ne apne aap ko be wuzu guman kiya or usi halat me namaz padh li baad ko zahir huaa ki be wuzu na tha namaz na hui.
*📚(DURRE MUKHTAR,J-1,S-292)*
*📚(BAHARE SHARIYAT,HISSA-3,SAFA-35)hindi additional*

==========➖➖➖➖========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Khan_*
========➖➖➖➖=========

KYA HAZRAT ALI SE MUHABBAT KARNE WALA MALAIKA SE AFZAL HE ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Is tarah ka aqida rakhna kaisa ki jis shakhs ke dil me hazrate Ali Radiallahu anhu ki sachchi muhabbat ho vo malaika se afzal he.Aesa Kahne wale par kya hukm he or ahele sunnat ka kya aqida he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Aysa aqida rakhna galat he balki gumrahi he ki hamara aqida ye he ki farishto me jo rasool he(yani hazrate jibrail,israfil,mikail,israel alaihimussalm) vo aam bashar se afzal he or aam bashar aam malaika se afzal he.

*Jaisa ke ALLAMA SA'ADUDDIN TAFTAZANI ALAIHIR RAHMA farmate he*

رسل البشر افضل من رسل الملائکۃ ورسل الملائکۃ افضل من عامۃ البشر وعامۃ البشرافضل من عامۃ الملائکۃ
*📚(SHARAH AQAID, S-166)*

Bashar me jo rasool he vo farishto ke rasoolo par afzal he. Farishto me jo rasool he vo aam bashar se afzal he or aam bashar aam farishto se afzal he.

Or aam bashar se murad yaha muttaqi musalman he.
Gunahgaar musalmano ko farishto par fazilat nahi.

Jaisa ke uske hashiya me *ALLAMA AHEMAD BIN MOOSA KHAYALI* Farmate he
المرادبالعوام ماسوی الرسل من الاتقیاءوالمؤمنین واماالعصاۃ فلایفضلون علی الملائکۃ اصلا

Yani awam se murad rasoolo ke alawa momin muttaqi he, raha gunehgar musalman to vo farishto par bilkul fazilat nahi rakhte.

*📚HASHIYA KHAYALI BAR SHARAH AQAID*

Or fazilat ka ye mas'ala zanni or ijtehadi he

*Jaisa k ALLAMA TAFTAZANI farmate he*
ولاخفاء ان ھذہ المسئلۃ ظنیۃ یکتفی فیھابالادلۃ الظنیۃ

*📚(SHARAH AQAID,S-167)*

Yani poshida nahi ke fazilat ka ye mas'ala zanni he or is me dalaile zanniya se iktafa'a hoga.

```Or malaika me, rasool malaik, aam malaika, sab shamil he is liye agar shakhse mazkoor ka ye aqida ho ke sab farishto se yaani rasool malaika se afzal to ayse shakhs par taubah w astagfar zaroori he or agar rasool malaika ko chhor kar ye aqida rakhe ke hazrat ali radiallahu anhu se muhabbat karne wala aam farishto se afzal he or vo muhabbat karne wala gunehgar he tab bhi us qaul se ruju'a lazim hoga, tahim kufr nahi hoga ke fazilat ka mas'ala ijtehadi he or ijtehadi masail me kisi pahlu par kufr ka fatawa dena jahalat he.```

Aesa hi *📚FATAWA BAHRUL ULOOM,J-6,S-275* par bhi he.

Wallahu ta'ala aa'alam bis sawab

*✍🏻AL-JAWAB:- HAZRAT MUFTI ATA MUSHAHIDI SAHAB QIBLA,*
*_📬SADAR SHO'ABUL IFTA DARUL ULOOM HASHMATUR RAZA, PILIBHIT SHAREEF, UP_* (urdu taherir)

Or jis kitab ka hawala de kar ye baat bayan ki jaa rahi thi vo kitab *ROOHUL HAYAT* jiske musannif *ALLAMA BAQIR MAJLISI* he vo *SHIYA he*. Or shiya ki koi bhi baat mo'atebar nahi. Shiya apne kufriya aqaid ki buniyad par kafiro bad mazhab he
==========➖➖➖➖==========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Khan_*

==========➖➖➖➖==========

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts