Gair Muslim Ko Salam Karna Kesa Or Agar Vo Salam Kare To Jawab Kese De ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Sabko,
*Sawal Salam Ke Upar*
Salam Kisi Ko Bhi Kar Sakte Hai?, Non-Muslim Ko Bhi
Or Kuch Non-Muslims Mujhe Salam Karte Hai, Kiya Unko Jawab Dena Chahiye.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Salam Ek Salamati Ki Dua He, Or Salamati Ki Dua Sunni Sahihul Aqeeda Musalaman Ke Alawa Kisi Or Ke Liye Karna Jaaiz Nahi. Non Muslim Ko Salam Karna Jaaiz Nahi Or Agar Vo Salam Kare To Jawab Me Sirf Alaikum Kah De.

Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
Kuffar Ko Salam Na Kare, Agar Vo Salam Kareñ To Jawab De Sakta He. Magar Jawab Me Sirf Alaikum Kahe. Agar Aysi Jagah Se Guzar Raha Ho Jahañ Muslim Kafir Donoñ Hai To Assalamu Alaikum Kahe Or Musalamanoñ Par Salam Ka Irada Kare, Or Ye Bhi Ho Sakta He Ki {السلام علی من اتبع الھدیٰ} Kahe.
*📚(Bahare Shariyat, Hissa-16, Safha-78)*

Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Farmate Hai,
Kafir Ko Be Zaroorat Ibteda'a Bis Salam Najaaiz He, نص علیہ فی الحدیث والفقہ (Hadees Paak Or Fiqh Me Is Ki Tasreeh Maujud He), Or Hindustan Me Vo Tariqe Tahiyyat Jaari Hai Ki Ba Zaroorat Bhi Unheñ Salame Sharai Karne Ki Haajat Nahi, Maslan Yahi Kaafi He Ki Lala Sahab, Babu Sahab, Munshi Sahab, Ya Be Sar Jhukaye Sar Par Haath Rakh Lena Wagairah.. Kafir Agar Be Lafz Salam Salam Kare To Ayse Hi Alfaaze Raaija Jawab Me Bas Hai. Or Balafz Salam Ibteda'a Kare To Aulma Farmate Hai Jawab Me Wa Alaik He Magar Ye Lafz Yahañ Makhsoos Ba Ahle Islam Thahra Huva He. Or Vo Kafir Bhi Use Jawabe Salam Na Samjhega Balki Apne Sath Istehza Khayal Karega To Jis Lafz Se Munasib Jane Jawab Dele Agarche Salam Ke Jawab Me Salam Hi Kah Kar.
*📚(Fatawa Razviya, J-22, S-313)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓14 Sep 2020, 25 Muharram 1442*
📲+9

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ghar Se Makdi Ke Jaale Saaf Karna Chahiye Ya Nahi ?

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum Sawal-Kya Ghar Main Makdi Ke Jalo'n Ka Hona Buri Alamat Hai ????
Jawab Inayat Farma'e.....

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Gharo Ko Makdi Ke Jaaloñ Se Paak Saaf Rakhna Mustahsan He Or Ye Safaai Or Suthraai Ke Zyada Qareeb He.

Imam Abu Is'haaq Ahmad Bin Muhammad Ibrahim Sa'albi Apni Sanad Ke Sath Riwayat Karte Hai, 

Hazrat Ali Murtuza کَرَّمَاللہ تَعَالٰی وَجْہَہُ الْکَرِیْم Farmate Hai, Apne Gharo Se Makdiyo Ke Jaal Door Karo Kyuñ Ki Unheñ (Gharo Me Laga Huva) Chhod Dena Naadari Ka Baais He Or Faqr (Gurbat Or Tangi) Paida Karta He.
*📚(Al-Kasfu Wal-Bayan, J-7, S-280)*

Isi Tarah,
وَإِنَّ أَوْهَنَ الْبُيُوتِ لَبَيْتُ الْعَنكَبُوتِ
*📚(Surah Ankabut, Aayat-41)*
Ke Tahat Tafsire Madaarik Me Bhi Mazkoorah Riwayat Naql Ki Gai He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️12 Sep 2020, 23 Muharram 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Musalman Engineer Ya Mazdoor Ka Mandir Ka Kaam Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Salaam Hazrat
Mera Muslim Bhai Joki Architect Hai Uska Ye Sawaal Hai Ki Kya
Kisi Kaafir Ka Ghr Bnate Hue
Uske Ghr Me Mandir Bnwane Ko Agr Vo Kahe To Kya
Muslim Architect Mandir Bana Skta Hai Kya?
Rehnumai Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Musalman Architect Ya Engineer Ka Ba Garze Ujrat Mandir Banana Ya Uska Naqsha Bana Dene Me Koi Harj Nahi, Isi Tarah Musalman Mazdoor Ka Ujrat Ke Liye Mandir Me Mezdoori Karne Me Bhi Harj Nahi. Or Ghar Me Mandir Ki Jagah Wagairah Bhi Bana Ne Me Harj Nahi, Lekin Agar Isse Bache To Bahetar He, Or Mandir Se Murad Agar Unki Murti Boot He To Iska Banana Najaaizo Haram He.

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Raaj (Yaani Makaan Banane Wala Ya Kaarigar) Ka Girja Ya Shiwala (Mandir) Banana Ya Makaan Randi Ya Zaniya Ko Kiraya Par Dena (Me Mumane'at Nahi).

فی الخانیۃ لوآجر نفسہ یعمل فی الکنیسۃ ویعمر ھالاباس بہ لانہ لامعصیۃ فی عین العمل
Fatawa Qaazi Khan Me He,
Agar Koi Mazdoor Girje Ki Tameer Or Aabadi Ke Liye Kaam Kare To Usme Koi Harj Nahi Kyuñ Ki Nafse Amal Me Koi Gunah Nahi.
*📚(Fatawa Qazi Khan, J-4, S-794)*
*📚(Fatawa Razviya, J-24, S-179)*

Or But (Murti) Banana Ya Kharido Farokht Karna Haram He Jiski Hurmat Hadeese Mubaraka Me He Ki,
عن جابر بن عبد اللہ رضی اللہ عنہما:  انہ  سمع رسول اللہ صلی اللہ علیہ و سلم، یقول عام الفتح وھو بمکة  : ان اللہ و رسولہ  حرم بیع الخمر، و المیتة، والخنزیر، و الاصنام
Hazrat Jabir Bin Abdullah  رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہما Ne Fateh Makka Ke Saal RasoolAllah ﷺ Ko Farmate Suna Jabki Aap Makka Mukarrama Me The Ki Allah Or Uske Rasool ﷺ Ne Sharab, Murdar, Khinzeer Or Butoñ Ki Kharido Farokht Ko Haram Qarar Diya He.
*📚(Bukhari Shareef, J-1, Hadees-2236)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓13 Sep 2020, 24 Muharram 1442*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Imam Husain Ki Shahadat Sajda E Namaz Me Hui Ya Sajda E Shukr Me

*🌹SAWAL:-🌹*
Salaam Hazrat
Imam E Hussain Ki Shahadat Halat E Namaz (Sajde) Me Hui?
Kehne Wale Ka Kehna Hai Ki Koi Sabit Nhi Kr Skta Ki Imam Hussain Namaz Ke Shajde Me Katl Hue Bs Vo Normal Sajda Tha Namaz Wala Sjda Nhi Tha

Rehnumai Frmaye .

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Saiyedush Shohda Imame Aali Maqam Hazrat Imam Husain RadiAllahu Ta'ala Anhu Or Aapke Sathiyo Ne Zuhar Ki Namaz Ada Ki Baad Me Sakht Ladai Hui, Imam Husain RadiAllahu Anhu Ke Sathi RadiAllahu Anhum Shaheed Hone Ke Baad Aap Khub Zakhmi Ho Kar Ghode Se Niche Aa Gay Or Allah Ki Bargah Me Sajda E Shukr Ada Kiya Or Usi Halat Me Aapki Shahadat Hui.

Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
Har Taraf Se Teer Aa Rahe Hai Or Imame Mazloom Ka Jism Aqdas Teeroñ Ka Nishana Bana Huva He. Tane Naazneen Zakhmoñ Se Choor Or Lahu Luhaan Ho Raha He. Be Wafa Kufyo Ne Jigar Para E Rasool, Farzande Batool Ko Mahmaan Bula Kar Unke Sath Ye Suluk Kiya. Yahañ Tak Ki Zahar Me Bijha Hua Ek Teer Aapki Us Muqaddas Peshani Par Laga Jise Rasoole Akram ﷺ Ne Hazaroñ Baar Chuma Tha. Teer Lagte Hi Chahra E Anwar Par Khoon Ka Dhara Bah Nikla, Aap Gash Kha Kar Ghode Ki Zeen Se Farshe Zameen Par Aa Gaye. Ab Zalimoñ Ne Nezo Se Hamla Kiya, Shaitan Sifat Sinaan Ne Ek Aysa Neza Mara Jo Tane Aqdas Ke Paar Ho Gaya. Teer Or Neza W Shamsheer Ke Bahattar Zakhm Khane Ke Baad Aap Sajde Me Gire Or Allah Ka Shukr Ada Karte Huve Wasile Bahaq Ho Gaye.
*📚(Khutbate Muharram, S-374)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓10 Sep 2020, 21 Muharram 1442*
📲+

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Shardi Se Wuzu Tootta He ? Namaz Me Naak Se Paani Bahe To Kya Kare ?

*🌹SAWAL:-🌹*
اسلام علیکم
Kya Shardi Hone Ki Wajah Se Naakh Mese Pani Nikalna Suru Ho Jata Hai Kabhi Kabhi To Kya Is Surat Me Namaz Padh Sakte Hai Or Kya Ise Wuzu Tut Jayega

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Mujaddide Deeno Millat Sarkar Aala Hazrat Ashshah Imam Ahmad Raza Khan Fazile Barailvy Alaihir Rahma Ne Is Ta'alluq Se Ek Mukammal Risala Likha Ba-naam لمع الاحکام ان لاوضوء من الزکام Yaani "Zukaam Se Wuzu Nahi" , Jiske Andar Aapne Mukammal Tafseel Bayan Ki He Ki Zukam Se Wuzu Nahi Tootta.

Jiske Khulasa Me He Ki Jo Cheez Aadatan Badan Se Baha Karti Ho Or Usse Wuzu Na Jata Ho Jaise Aansu, Paseena, Doodh, Balgam, Naak Ki Rezish Agarche Kitni Hi Kasrat Se Nikle Naaqize Wuzu Nahi Agarche Uski Kasrat Bajaye Khud Ek Marz Gini Jati Ho.

Mukammal Tafsil Ke Liye Dekhye *📚(Fatawa Razviya, J-1, S-347-366)*

Isi Tarah Sarkar SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,

Balgami Ratoobat Naak Ya Munh Se Nikle Najis Nahi Agarche Pet Se Chade Agarche Bimari Se Ho.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-2, S-112)*

Or Agar Halate Namaz Me Naak Se Paani Bahe To Use Niche Girne Se Bahetar He Pochhle. Or Agar Masjid Me Ho To Zaroori He Ki Niche Girne Na De..

Namaz Me Naak Se Paani Baha Is Ko Punchh Lena, Zameen Pad Girne Se Bahetar He Or Agar Masjid Me He To Zaroori He.
*📚(Bahare Shariyat Application, H-3, S-214)*

Or Farmate He,
Masjid Ki Diwaro Or Chataiyoñ Par Ya Chataiyoñ Ke Niche Thukna Or Naak Sinkna Mamnoo'a He Or Chataiyoñ Ke Niche Dalna Upar Dalne Se Zyada Bura He Or Agar Naak Sinkne Ya Thukne Ki Zaroorat Hi Pad Jaye To Kapde Me Lele.
*📚(Bahare Shariyat Application, H-3, S-214)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓9 Sep 2020, 20 Muharram 1442*
📲+9184

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

English Me Salam MashaAllah SubhanAllah Wagairah Likhna Kesa ?

SAWAL:-🌹*
اسلام علیکم
Kya English Me Assalamu Alaikum, Subhanallah, Masha Allah, Inshaallah, Alhamdulilllah Likh Sakte Hai Kya Mujhe Kisine Kaha Ke Is  Tarha Nhi Likh Sakte Jawab Irshad Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
English Me Assalamu Alaikum, SubhanAllah, MashaAllah, InshaAllah Wagairah Likhna Jaaiz He, Koi Harj Nahi, Magar Urdu Ya Arbi Me Likhna Bahetar He.

Jaisa Ki Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
English Mein Iss Tarha Spelling Mien AsSalamu Alaikum, JazakALLAH Ya In Sha Allah Likh Saktay Hain.
Http://jamiaturraza.com/session/30Oct11/23.mp3*🌹
Http://jamiaturraza.com/session/30Oct11/23.mp3

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓9 Sep 2020, 20 Muharram 1442*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Huzur ﷺ Ne Farmaya Hazrat Umar Or Abu Bakar Qayamat Me Mere Sath Hoge Ek Riwayat ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Ek Bayan Me He, Huzur ﷺ Masjid Se Tashrif La Rahe The Dayeñ Hath Me Hazrate Umar Ka Hath Or Bayeñ Hath Me Hazrat Abu Bakar Ka Hath Huzur ﷺ Ne Farmaya Qayamat Ke Din Ham Isi Tarah Uthenge.

Is Hadees Ki Daleel Chahiye.

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Isi Tarah Hadees Shareef Me He,
Hazrat Abdullah Bin Umar Bayan Karte Hai, Ek Din Nabi  ﷺ Ghar Se Bahar Nikle Or Masjid Me Dakhil Huve Or Hazrat Abu Bakar Or Hazrat Umar Me Se Ek Aap Ki Daayeñ Taraf The Or Dusre Baayeñ Taraf The Or Aap Un Donoñ Ke Hath Pakde Huve The, Aapne  Farmaya, Ham Qayamat Ke Din Isi Tarah Uthaye Jayeñ Ge.
*📚(Tirmizi Shareef, Hadees-3669)*

Isi Ke Misl Dusri Ahadise Kareema Me He,

Hazrat Abdullah Ibne Umar RadiAllahu Ta'ala Anhuma Se Riwayat He,
Beshak RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: Sab Se Pahle Apni Qabar Se Me Uthuñga Fir Abu Bakar Or Fir Umar. Phir Ham Ikaththe Jannatul Baqee'a Ki Taraf Jayeñge Or Ahle Baqee'a Hamare Sath Shamil Hoñge Phir Me Ahle Makka Ka Intezar Karuñga Or Vo Mujh Se Aa Mileñge Or Phir Ham Harmain Ke Maabayn Uthaye Jayeñge.
*📚(Jame'a Al-Tirmizi, J-10, S-194, Hadees-3847)*

Hazrat Ibne Umar RadiAllahu Anhuma Se Riwayat He, Beshak RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya, Me Abu Bakar Or Umar Is Tarah Mahshar Ki Taraf Nikleñge. (Or Aap  ﷺ Ne Chhungli Ke Alawa Tino Ungliyoñ Ko Bahar Nikala) Or Ham Logoñ Me Numaya Hoñge. (Ise Hakeem Tirmizi Ne Riwayat Kiya)*
*📚(Nawadirul Usool, J-1, S-166)*
*📚(Ibne Asaakir, J-30, S-214)*
*📚(Kanzul Ummal, Hadees-32697)*

Hazrat Abdullah Bin Umar RadiAllahu Anhu Se Riwayat He, Beshak RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya, Qayamat Ke Din Me Abu Bakar W Umar (RadiAllahu Anhuma) Ke Maabayn Uthuñga, Hatta Ki Harmain Ke Darmiyan Thahruñga Or Ahle Madeena W Ahle Makka Mujhse Aa Mile. (Ise Ibne Asaakir Ne Riwayat Kiya)
*📚(Jame'a Al-Tirmizi, Manaqibe Umar, Hadees-3625)*
*📚(Kanzul Ummal, Hadees-32698)*
*📚(Meezanul Aitedal, J-2, S-389)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓7 Sep 2020, 18 Muharram 1442*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Baitul Mamoor Kya He Kaha He Or Uska Tawaf Kon Karta He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
ASSALAMUALAIKUM
Baitul Mamur Hai Kia Aur Kaha Par Hai ?? Aur Kon Uska Tawaf Krte Hai ??

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Baytul Ma'amoor Ka Zikr Qura'an Majeed Me Aaya He,

وَالْبَيْتِ الْمَعْمُورِ
Or Baytil Ma'amoor (ki Qasam)
*📚(Surah Toor, Aayat4)*

Baytul Ma'amoor Satveñ Aasman Me Arsh Ke Samne Kaaba Shareef Ke Bilkul Upar He. Aasmanoñ Me Iski Hurmat Ayse Hi He Jaise Zameen Par Kaaba Mu'azzama Ki Hurmat He. Ye Aasman Waloñ Ka Qibla He Or Har Roz Sattar Hazar (70000) Farishte Isme Tawaf Or Namaz Ke Liye Hazir Hote Hai, Phir Kabhi Unheñ Wapas Yahañ Aane Ka Mauqah Nahi Milta Balki Har Roz Naye Sattar Hazar Farishte Hazir Hote Hai.
*📚(Tafsire Khazin)*

Hadeese Me'araj Me Sehat Ke Sath Sabit He Ki Tajdare Risalat ﷺ Ne Me'araj Ki Raat 7ve Aasman Me Baytul Ma'amoor Ko Mulahiza Farmaya Tha, Chunanche Sahih Bukhari Or Sahih Muslim Me He, Saiyedul Mursaleen ﷺ Ne Irshad Farmaya: Phir Mere Liye Baytul Ma'amoor Zahir Farmaya Gaya, Mene Jibrail Alaihis Salam Se Puchha To Unhone Jawab Diya: Ye Baytul Ma'amoor He, Isme Rozana Sattar Hazar (70000) Farishte Namaz Padhte Hai, Jab Vo Padh Kar Nikal Jate Hai To Unki Phir Kabhi Baari Nahi Aati.
*📚(Bukhari, Baab Zikrul Malaaik, J-2, S-380, Hadeea-3207)*
*📚(Muslim, Kitabul Iman, Baabul Asra'a Ba Rasool  ﷺ..., S-101, Hadees-264)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️5 Sep 2020, 16 Muharram 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

'Chinta Mat Kar Nipat Luga' Allah Ki Bargah Me Chand Ashaar Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
AssalamuAlaikum Hazrat
Ek Video Me Ye Alfaz He Ki  "Jab Aapko Zindagi Me Koi Samasya Na Ho Yo Gutno Ke Bal Beth Jana Or Upar Dekh Kar Bolna Bharosa Khatam Ho Gaya Kya ? Agar Nahi To Samasya Bhej Nipat Luga, Chinta Mat Kar"

Kya Is Tarah Ke Alfaz Allah Ki Shan Me Kehne Waley Par Koi Giraft Hogi Aur Jo Apne Whatsapp Status Par Is Ke Alfaz Waley Video Rakhta Hai Us Par Kya Hukum Hoga'???    Hazrat Jawab Inayat Farmayiye Maherbani Hogi

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ma'azallah Ma'azallahi Rabbil Aalameen, Ye Alfaz Rab Tabarak W Ta'ala Ki Bargah Me Nihayat Hi Be Waqoofi Or Jurrat Bhare He, Ayse Alfaz Allah Tabarak W Ta'ala Ki Bargah Me Hargiz Hargiz Istemal Nahi Karne Chahiye.

Agar Hamari Zindagi Me Koi Khushi Aati He Ya Koi Dukh Hota He To Vo Sab Kuchh Rab Tabarak W Ta'ala Ki Taraf Se Hi Hota He, Or Fir Agar Khushiya Aaye To Vo Bhi Rab Tabarak W Ta'ala Ki Taraf Se He, Fir Aage Se Rab Tabarak W Ta'ala Ki Bargah Me Samasya Mangna Taklife Mangna Yaqeenan Ye Jahalat He.

 Or Fir Allah Tabarak W Ta'ala Ki Bargah Me Ye Jur'at Karna Ki 'bharosa Khatam Ho Gaya' Yaqeenan Ye Jahil Ki Boli He, Ye Jahil Hi Bol Sakta He. Or Uske Baad Ye Lafz Istemal Karna "chinta Mat Kar"  Yaqeenan Allah Tabarak W Ta'ala Ko Hamari Kya Parwah ? Allah Ta'ala To Be Niyaaz He, Balki Ham Uske Mohtaaj He, Ayse Alfaz Istemal Karna Ki "chinta Mat Kar Nipat Lege" Ye Bewaqoofi Bhare, Jahalat Se Bhare Alfaz He, Ayse Alfaz Allah Tabarak W Ta'ala Ki Bargah Me Istemal Karna Najaaizo Haram He. Aysa Shakhs Taubah Kare..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️4 Sep 2020, 15 Muharram 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gair Muslim Ladki Islam Qubool Karle To Usse Nikah Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Mera Sawal Ye He Ki Agar Ladka Hindu Ladki Se Muhabbat Karta He, Or Vo Usse Shadi Karna Chahta He To Kya Usse Shadi Ho Jayegi, Or Vo Ladki Islam Qubool Karne Ko Tayyar He Usse Shadi Karne Ke Liye ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Agar Vo Ladki Sachche Dil Se Islam Qubool Kar Leti He To Vo Muslim Ladka Usse Shadi Kar Sakta He.

Jaisa Ki Qura'an Majeed Me Rab Tabarak W Ta'ala Ka Irshad He,
وَلَا تَنكِحُوا الْمُشْرِكَاتِ حَتَّىٰ يُؤْمِنَّ
Or Shirk Waali Aurtoñ Se Nikah Na Karo Jab Tak Musalman Na Ho Jayeñ.
*📚(Surah Baqrah, Aayat-221)*

Isi Tarah Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Farmate Hai,
Kafira Aurat Ko Musalman Karke Usse Nikah Karna Jaaiz He. Kafira Ko Kufr Se Taubah Kara Ke Fauran Kalma E Tayyabah Padhaya Jaye.
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-1, S-608)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*🎙Al-Jawab:- Hazrat Mufti Gulzare Nabi Khan Razvi Naeemi Sahab Qibla*
*_📬idara Sharaiyah W Samaji Khidmat, Aala Hazrat Masjid NavaYard Vadodara, Gujarat_*
*🗓️2 Sep 2010, 13 Muharram 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Sote Waqt Jo Muh Se Raal Nikle Paak He

*🌹SAWAL:-🌹*
AssalamuAlaykum Hazrat
Kya Sote Waqt Ki RAAL Pak Hoti He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
Sote Me Raal Jo Munh Se Gire, Agarche Pet Se Aaye, Agarche Badboodaar Ho, Paak He.
*📚(Durre Mukhtar, J-1, Kitabut Taharat, J-1, S-290)*
*📚(Bahare Shariyat, H-2, Mutafarriq Masail)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓3 Sep 2020, 14 Muharram 1441*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Bagair Dadhi Wala Iqaamat Kahe To Namaz Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Salam Hazart Bina Dadi Wala Shks Taqbeer De To Namaz Ho Jayegi !? Jabki Dusra Dadi Wala Shakhs Waha Mojud Ho ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Dadhi Mundane Wala Ya Ek Musht Se Kam Rakhne Wala Shakhs Fasiq He, Uski Azan Or Iqaamat Dono Makrooh He. Fasiq Ki Azan Ka Ae'aada Karna Bahetar Or Iqaamat Me Ae'aada Ki Hajat Nahi. Namaz Ho Jayegi. Magar Azan Or Iqaamat Ba Shara'a Shakhs Se Hi Karai Jaye.

Jaisa Ki Fatawa Baraily Shareef Me He,
Fasiqe Muallin Ki Azan Makrooh He Ae'aada Kiya Jaye Agar Fitna W Fasaad Ka Andesha Na Ho Or Iqaamat Ki Takrar Mashrooa Nahi Lihaza Iqaamat Dubara Na Kaheñ.
Durre Mukhtar Me He,
(لااقمة) لمشروعة تكراره في الجمعة دون تكرارها.
*📚Fatawa Baraily Shareef, S-68*

Isi Tarah Se *📚(Bahare Shariyat, J-1, H-3, S-466 Or S-471, Maktabul Madina)* Par Bhi He..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓1 Sep 2020, 12 Muharram 1442*
📲+9184

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jamat Tarq Karne Wale Imam Ke Pichhe Namaz Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
اسلام علیکم
Kya Koi Aalim E Din Masjid Me Namaz Nhi Padhta Or Ghar Padta Hai To Kya Uske Piche Hamari Namaz Hogi. Hawale Ke Sath Jawab Irshad Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Bila Azre Sharai Ya Majboori Vo Imam Jama'at Ek Baar Bhi Jama'at Tark Karta He To Vo Gunahgar Or Mustahiqe Saza He Or Kai Baar Tark Karne Ka Aadi Ho To Vo Fasiq Mardoodush Shahadah He, Usko Imam Banana Gunah Or Uske Pichhe Padhi Gai Namaz Makroohe Tahreemi Wajibul Ae'aada Hogi.

Jaisa Ki Ek Sawal Ke Jawab Me Fatawa Faqihe Millat Me He,

Bila Azre Sharai Ek Baar Bhi Jama'at Chhodne Wala Gunahgar Or Saza Ka Mustahiq He Or Kai Baar Tark Kare To Fasiq Mardoodush Shadah He.
Aysa Hi *📚(Raddul Muhtar, J-1, S-552, Or 📚 Bahare Shariyat, H-3, S-111)* Me He.

Lihaza Zaid Agar Bila Azre Sharai Umooman Jama'at Se Namaz Nahi Padhta To Vo Fasiq W Mardoodush Shahadah He Uske Pichhe Namaz Makroohe Tahreemi Wajibul Ae'aada He. Or Agar Koi Dusra Laaiqe Imamate Jumuah Ki Sahih Namaz Padha Sakta Ho To Jumuah Ki Namaz Bhi Uske Pichhe Padhna Jaaiz Nahi.

Albatta Agar Jumuah Padhaane Ke Liye Koi Dusra Imam Na Mile To Dusri Masjid Me Jumuah Padhe Or Agar Dusri Masjid Me Bhi Koi Imam Laaiqe Imamat Na Mile To Zaid Ke Pichhe Badarja Majboori Jumuah Padhne Ki Ijazat He.
Aysa Hi *📚(Fatawa Razviya, J-3, S-209)* Me He

Or Hazrat Allama Shaami Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
الفاسق قد عللوا کراھۃ تقدیمہ بانہ لایھتم لامردینہ وبان فی تقدیمہ للامامۃ تعظیمہ وقد وجب علیھم اھانۃ شرعا ولا یخفی انہ اذاکان اعلم من غیرہ لاتزول العلۃ تکرہ امامۃ بکل حال مشی فی شرح المنیۃ علی ان کراھۃ تقدیمہ کراھۃ تحریم "اھ ملخصا
*📚(Raddul Muhtar, J-1, S-560)*
*Ba Hawala: 📚(Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-140)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓1 Sep 2020, 12 Muharram 1442*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts