Namaz Me Aadha Durood Padhna Kesa ? Namaz Ka Hukm ?
*🌹SAWAL:-🌹*
Zaid Namaz Ki Dua M Durude Razviya Padhta Hai To Sirf Aadhi Hi Padhta Hai
Allahu Rabbu Muhammadin Salla Alaihi Wasallama
Aur
Nahnu Ibadu Muhammadin Salla Alaihi Wasallama
Nahi Padhta
Aur Kabhi Kabhi Puri Padh Leta H
Jabki Zaid Ye Janta Hai Ki Vo Aadhi Durud Sharif Hi Padh Raha H
Zaid K Bare M Kya Huqm H
Rehnumayi Farmaye
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Zaid Baad Namaz Jo Durood Shareef Padhta He To Kabhi "Allahu Rabbu Muhammadiñ Salla Alayhi W Sallama" Padh Leta He Or "Nahnu Ibadu Muhammadiñ Salla Alayhi W Sallama" Nahi Padhta Or Kabhi Kabhar Durood Ko Pura Bhi Padh Leta He, To Shar'an Isme Koi Harj Nahi, Zaid Par Koi Shakht Hukm Nahi. Jab Vo Kabhi Kabhar Pura Padh Leta He Or Kabhi Waqt Ki Kami Beshi Ke Liye "Allahu Rabbu Muhammadiñ Salla Alayhi W Sallama" Hi Padh Leta He Ye Kaafi W Waafi He, Pahli Satar Me "Allahu Rabbu Muhammadiñ Salla Alayhi W Sallama" Me Bhi Durood Shareef Shamil He, Or Dusri Satar Me "Nahnu Ibadu Muhammadiñ Salla Alayhi W Sallama" Us Me Bhi Durood Shareef Shamil He, Agar Pahli Satar Padhle Fir Bhi Durood Shareef Padhna Kah laya Jayega, Naqees Durood Shareef Padhna Nahi Kaha Jayega, Lihaza Zaid Jo Kabhi Pahli Satar Padhta He Dusri Satar Nahi Padhta Or Kabhi Dono Satar Padh Leta He, To Ho Sakta He Ki Vo Waqt Ki Kami Beshi Ke Peshe Nazar Aysa Karta Ho Lihaza Zaid Par Koi Sakht Hukm Nahi Hoga..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️7 March 2021, 22 Rajab 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
"Meri Kamyabi Allah Ke Hath Me He" Kahna Kesa ??
*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Ek Saiyad Sahab Ne Apna Visiting Card Banwaya Aur Usme Unhone Likhwaya Hai Ki “Mu Success Is In The Hands Of ALLAH”
Kya Ye Kehna Ya Likhwana Sahi Hai?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
My Success Is In The Hands Of Allah Yaani "Meri Kamyabi Allah Ke Hath Me He" Isse Murad Allah Ta'ala Ki Daste Qudrat He Lihaza Aysa Kahne Ya Likhne Me Harj Nahi..
Jaisa Ki Is Tarah Ka Lafz Bahare Shariyat Me He,
Vo Hay He, Yaani Khud Zinda He Or Sabki Zindagi Uske Hath Me He, Jise Jab Chahe Zinda Kare Or Jab Chahe Maut De.
*📚(Bahare Shariyat, J-1, Aqaid Mut'alliqa Zaato Sifate Ilahi, Aqeeda-11)*
Or Isi Tarah Ke Alfaaz Ek Hadees Me He Ki,
Hazrat Saiyeduna Muaaz Bin Jabal Radiallahu Anhu Se Riwayat He, Huzure Aqdas ﷺ Ne Irshad Farmaya, Mene Apne Rab عَزَّوَجَلَّ Ko Dekha, Usne Apna Daste Qudrat Mere Kandhoñ Ke Darmiyan Rakha, Mere Sine Me Uski Thandak Mahsoos Hui, Usi Waqt Har Cheez Mujh Par Roshan Ho Gai Or Mene Sab Kuchh Pahchan Liya.
*📚(Tirmizi, Kitabut Tafseer Baab Waman Surah Swad, Jild-5, Safha-160, Hadees-3246)*
Hayat, Qudrat, Sunna, Dekhna, Kalam, Irada Sab Uske Sifate Zatiya Hai, Magar Kaan, Aankh Zaban, Hath Muh Se Uska Sunna, Dekhna Kalam Karna Nahi, Ki Ye Sab Ajsam Hai Or Ajsaam Se Allah Ta'ala Paak He. Lihaza Yaha Hath Se Murad Rab Tabarak W Ta'ala Ka Daste Qudrat He.. Lihaza Aysa Likhne Me Koi Harj Nahi.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*✍🏻7 March 2021, 22 Rajab 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Azan Ke Dauran Duaa Karna Kesa ?
*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمۃ اللہ وبرکاتہ
Sawal :- Kiya Dauran E Azan Dua Karna Kaisa
Hazrat Rehnumaye Farmaye
Hawale K Sath
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Azan Ke Dauran Zikro Azkaar Salam Kalam Duaa Tilawat Wagairah Sab Mauquf Kar Diya Jaye Or Azan Gaur Se Sune Or Jawab De.
Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,
Jab Azan Ho To Utni Der Ke Liye Salam Kalam Or Jawabe Salam Tamam Ashgaal Mauquf Karde Yahañ Tak Ki Qura'an Majeed Ki Tilawat Me Azan Ki Aawaz Aaye To Tilawat Mauquf Karde Ke Azan Gaur Se Sune Or Jawab De.
*📚(Bahare Shariyat, Hissa-3, Azan Ka Bayan, Mas'ala-57)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓3 March 2021, 18 Rajab 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Bagair Chahere Ke Back Side Se Photo Lena Kesa ?
*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَّــــــلَامُ عَلَــــــیْکُمْ وَرَحْـــمَتُہ اللُّہِ وَبَـــــرَکَاتُہ
Kya Video 📷 Ya Photo Bagair Face (chehre) Ki Movements Ke Saath Back Side Se Lena Jaaez Hai?
Jisme Jaandar Ka Chehra Na Aata Ho? Aur Aisi Tasveer Jisme Jaandar Ka Chehra (face) Na Ho To Kya Aisee Tasveer Lena Jaaez Hai?
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
Mufti Sahab Qibla Jawab Inayat Farmaiye
Agar Kisi Kitab Ka Hawala Hoga Tw Zaroor De Dijiye Ga Hazrat 🙏
Meharbani
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,
Shak Nahi Ki Zee Rooh Ki Tasweer Khinchni Bil-ittefaq Haram He Agar Che Nisf Aala Balki Sirf Chahera Ki Hi Ho Ki Tasweer Chahere Ka Naam He.
*📚(Fatawa Razviya, J-21, S-195)*
Or Ek Jagah Farmate Hai,
Imam Ajal Abu Jaafar Tahaavi Saiyeduna Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Riwayat Farmate Hai, الصورۃ ھو الرأس
Yaani Faqat Chahera Tasweer He.
*📚(Sharah Ma'aanil Aasar, J-2, S-366)*
*📚(Fatawa Razviya, J-24, S-557)*
Or Isi Tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,
Tasweer Chahere Ka Naam He, Agar Chahera Samne Se Liya Gaya To Ye Tasweer Ho Gai, Ab Agar Baaki Aa'aza Ki Tasweer Na Bhi Ho Chahere Ki Tasweer Lene Se Tasweer Lene Ka Misdaq Kahelayega, Or Agar Pusht Ki Taraf Se Tasweer Li Ki Chahere Ki Tasweer Na Aai Ya Mahaz Hath Wagairah Ki Tasweer Leli To Ye Tasweer Ke Hukum Me Nahi He.
Http://jamiaturraza.com/session/24Mar13/2.mp3
Lihaza Agarche Pusht Ki Taraf Se Tasweer Lena Jisme Chahera Nazar Na Aaye Tasweer Ke Hukm Me Nahi Magar Isse Tasweer Kashi Me Mulawwish Hone Ka Andesha Ho To Isse Bhi Bachna Bahetar..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓3 March 2021, 18 Rajab 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
BadMazhab Ki Azan Ka Jawab Dena Kesa Or Usla Ehteram Karna Kesa ?
*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Bad Mazhabo Ki Azan Ka Jawab Dena Kaisa Ya Unhi Ki Azan Ke Kalimat Ka Ehtaram Karna Kaisa
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
BadMazhab Jiski BadMazhabi Hadde Kufr Ko Pahuchi Ho Uski Azan Azan Nahi, Na Uski Azan Ka Jawab Dena Wajib, Azan Ke Jawab Ki Hajat Nahi. Lekin Muqaddas Naamo Par Kalma E Ta'azeem Or Durood Shareef Padha Jaye..
Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,
Isme Jalalat Par Kalma E Ta'azeem Or Risalat Par Durood Shareef Padhe. Agarche Ye Isma E Tayyabah Kisi Ki Zuban Se Ada Hoñ, Magar Wahabi Ki Azan Azan Me Shumar Nahi, Jawab Ki Hajat Nahi.
*📚(Fatawa Razviya, J-5, S-422, Raza Foundation)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓3 March 2021, 18 Rajab 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Qay Kapdo Par Lag Kar Sukh jaye To Paaki Ka Kya Hukm He ?
*🌹SAWAL:-🌹*
Ulema Ikraam Ki Baargaah Me Salaam Arz Hai
Assalam Alaikum Wa RahmatULLAAHI Wa Barakaatuhu
Hazrat Mera Sawal Taharat K Mutaalliq Hai,
Hazrat Agar Pant Ya Shirt Qay Lag Jaaye Aur Sookh Jaaye To Kya Pant Paak Hai Ya Najis
Aur Agar Najis Hai To Paak Karne Ka Kya Tareeqa Hai.
Jawaab Inaayat Farmaayein.
JazakALLAH Khair
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Qay (Wamet) Ye Najasate Galeeza He, Or Jis Jagah Par Ye Lag Jati He Us Jagah Ko Bhi Napaak Kar Deti He, Lihaza Pent Par Jo Qay Lagi Pent Ka Vo Hissa Napaak He, Usko Mash'huro Ma'aroof Tariqa Yaani 3 Martaba Paani Se Achhe Se Usko Nichod Diya Jaye.aur Agar Pent Par Qay Ke Dane Bhi Lage Hai To Usko Bhi Door Kare ... Is Tarah Se Pent Ka Vo Hissa Paak Ho Jayega..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️16 Feb 2021, 3 Rajab 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Khudkushi Karne Wale Ke Liye Dua E Magfirat Karna Kesa ?
*🌹SAWAL:-🌹*
Jisne Khudkushi (Suicide) Ki Uske Liye Dua E Magfirat Karna Kesa ? Or Kya Khudkushi Karne Wala Hamesha Dozakh Me Rahega ?
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Khudkushi Karna Gunahe Kabeera He, Ahadees Me Khudkushi Karne Wale Ke Liye Sakht Waeede Aai Hai. Khudkushi Karne Wala Musalman Kafir Ki Tarah Hamesha Jahannum Me Nahi Rahega, Balki Apne Gunah Ki Saza Paa Kar Dusre Momineen Ki Tarah Jahannum Se Nikal Kar Jannat Me Jayega. Is Liye Khudkushi Karne Wale Ke Liye Dua E Magfirat Or Isale Sawab Karna Durust He Or Namaze Janaza Bhi Padhi Jayegi Or Kafano Dafan Bhi Kiya Jaye..
Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,
Jisne Khudkushi Ki Halañki Ye Bahut Bada Gunah He, Magar Uske Janaza Ki Namaz Padhi Jayegi Agarche Qasdan Khudkushi Ki Ho.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Namaze Janaza Ka Bayan, Mas'ala-12)*
Isi Tarah Fatawa Razviya Me He,
وھذا منہ، کقاتل نفسہ، بل اولی فان قتل نفسہ اشد من قتل مؤمن غیرہ، وقتل المؤمن اکبر عنداللہ من ترک الصلاۃ۔ وقدقال فی الدر: من قتل نفسہ، ولوعمدا، یغسل ویصلی علیہ، بہ یفتی، وان کان اعظم وزرا من قاتل غیرہ،
Or Ye Unhi Me Se He Jis Tarah Khudkushi Karne Wala. Balki Batareeq Awla, Kyuñ Ki Khudkushi Karna Dusre Momin Ko Qatl Karne Se Zyada Shadeed Jurm He Or Momin Ko Qatl Karna Namaz Chhorne Se Bada Gunah He. Or Durre Mukhtar Me Kaha He Ki Jo Apne Aapko Qatl Karde, Khwañ Jaan Bujh Kar Hi, Usko Gusl Diya Jayega Or Namaz Padhi Jayegi, Isi Par Fatwa He.
*📚(Durre Mukhtar, Baab Salatul Janaza, Matbuaa Mujtabaai Dehli, J-1, S-122)*
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-5, 107)*
Or Namaze Janaza Bhi Dua E Magfirat He Lihaza Khudkushi Karne Wale Musalman Ke Liye Dua E Magfirat Karna Jaaiz He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓4 March 2021, 19 Rajab 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•