Loading Date...
﷽
Header image

Hijri Date Adjustment

Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?

 *Aala Hazrat Ya Buzurgoñ Ke Kalaam Par Tazmeen Likhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* السلام علیکم و رحمۃ اللہ تعالیٰ و برکاتہ  Mufti Sahab Qibla Ki Baargaah Me Suwaal Arz He Kalam E Aala Hazrat رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ Par Tazmin Likhna or Parhna Kaisa? *🌹JAWAB:-🌹* وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎ Kalame Raza Par Tazmeen Likhna Ye Agar Barkat Ke Liye He Ki Sarkare Aala Hazrat Ke Kalaam Ke Sath Hamare Bhi Kuchh Kalaam Mil Jaye to Hamara Bhi Kalam Mutabarrak Ho Jaye, Is Tarah Se Ho Isme Koi Be Adbi Na Ho, to Fir Haraj Nahiñ Hona Chahiye.. Lekin Agar Is Taur Par He Ki Aala Hazrat Jaisa Kalaam Ham Bhi Likh Sakte Hai, Kuchh Baraabari Ka Indiyah Dene Maqsood Ho to Ye Ek Galat Massage Jayega Is Liye Is Tarah Se Tazmeen Likhne Se Bachna Chahiye. واللہ تعالیٰ اعلم بالصواب  *🎙️Al-Jawab: Nabeera E Sadrushshariyah, Hazrat Allama Mufti Faizanul Mustafa Qadri Amjadi Sahab Qibla* *📬Baani Jamiaah Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow* *🗓️6 June 2026, 19 Zulhijja 1446* *🌹SAWAL-O...

Search This Blog

Latest Masail
Loading Latest Posts...

Maslake Aalahazrat Zindabad

Aysi Dukan Se Gosht Lena Ya Shadi Ki Dawat Me Jana Kesa Jo Apne Aapko Sunni Hi Kahe Lekin Tahqeeq Na Ho Or Jahañ Se Gosht Aata He Uske Bare Me Ilm Na Ho ?

 *Aysi Dukan Se Gosht Lena Ya Shadi Ki Dawat Me Jana Kesa Jo Apne Aapko Sunni Hi Kahe Lekin Tahqeeq Na Ho Or Jahañ Se Gosht Aata He Uske Bare Me Ilm Na Ho?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuh Huzoor Mufti Sahib Qibla Ki Bargah Mein Suwal Arz Hai Ek Gosht Ki Dukan Hai Wo Apne Aapko Sunni Kaheta Hai Masaile Sharaiya Kuchh Bhi Use Pata Nahi Hai Fasiq Hai Janwar Jahan Se Zibah Hokar Ata Hai Wahan Ke Bare Me Hame Kuch Nhi Pata Dukandar Kaheta Hai Wo Bhi Sunni Hai Ab Us Dukan Se Gosht Le Sakte Hain Aur Shadi Ya relation Me Jaye to Wahan Per Bhi Taheqiq Zaruri Hai ? Huzoor Rahnumai Farmaden Jazakallahu Khairan Kasira

*🌹JAWAB:-🌹*

Kuchh Raqam Kiraya De Kar Heavy Deposit Wale Makan Se Nafa'a Uthana Kesa?

 *Kuchh Raqam Kiraya De Kar Heavy Deposit Wale Makan Se Nafa'a Uthana Kesa?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Agar Heavy Deposit K Sath Kuch Kiraya De Diya Jaaye Us Surat W Haal Me Kya Heavy Deposit Wala Room Se Nafa Uthana Jaiz Hoga ?

Islaah Fermaye

*🌹JAWAB:-🌹*

Passive Income Ya Network Marketing Ka Hukm

 *Passive Income Ya Network Marketing Ka Hukm*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Passive Income Yaani Jaise Hinda Ne Zainab Ko Company Ke Product Beche to Company Ne Hinda Ko 1000 Rupye Commission Diye. Or Jab Zainab Ne Fatima Ko Company Ke Product Beche to Zainab Ko Company Ki Taraf Se 1000 Rupye or Hinda Ko 100 Rupye Commission Mila. Kyuñ Ki Hinda Ne Zainab Ko Sikhaya Tha.. To Kya Is Tarah Hinda Ko Company Ki Taraf Se 100 Rupye Mile to Us Ka Lena Jaaiz He ? Reselling Ki Jaaiz Soorat Bata Deñ ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Commission Ke Ta'alluq Se Shariyat Ka Hukm Ye He Ki Jab Koi Banda Kisi Ke Taraf Se Bhaag Dod Kare or Kuchh Mahenat Kare or Kuchh Waqt Lagaye to Us Par Commission Lena Yaani Jitna Market Me Utni Mahenat Ka Charge Banta Ho Utna Commission Banta He or Vo Commission Lena Durust He..

Or Jab Hinda Ne Zainab Ko Company Ke Product Bech Diye to Bechne Par Hinda Ko 1000 Rupye Commission Mil Gaye Ye to Bechne Ka Commission He Jo Hinda Ke Kaam Par Mila Lekin Jab Zainab Ne Fatima Ko Product Becha to Ab Zainab Ko Milna Chahiye Lekin Us Zainab Ki Mahenat Ki Wajah Se Hinda Ko Bhi 100 Rupye Mil Rahe He, to Ye Aakhir Kis Cheez Ka Commission He ? Zainab Ki Mahenat Ka Commission Hinda Ko Mile Ye Bilkul Durust Nahiñ He..

Ab Ye He Ki Hinda Ne Zainab Ko Sikhaya Tha Ya Bataya Tha to Fir to Ye Commission Zainab Ki Taraf Se Milna Chahiye Ki Zainab Ko Jo Fatima Ko Bechne Par 1000 Mila Zainab Usme Se Kuchh Deti... Or Usse Aage Nahiñ Barhna Chahiye Lekin Company De Rahi He to Iska Matlab Ye He Ki Company Zainab Ki Mahenat Ka Fal Zainab Ko to De Hi Rahi or Hinda Ko Bhi De Rahi He.. Halañ Ki Zainab Ki Mahenat Ka Phal Usko 1000 Mil Chuka.. To Bagair Mahenat Ke Bagair Kaam Ke Kisi Qism Ke Commission Ka Istehaaaq (Haq) Shar'an Saabit Hota Nahiñ He... 

Or Agar Ye Bhi Tay Ho Gaya Ho Ki Jitne Aap Aage Costomer Barhate Rahiye or Aapke Costomer Costomer Banate Rahe Phir Vo Silsila Aur Aage Barhta Rahe to Agle Tamaam Logoñ Ki Mahenat Ka Phal Aapko Bhi Milega to Is Qism Ka Muaahida Bhi Durust Nahiñ He Kyuñ Ki Jo Bhi Commission Mil Gaya Vo Pure Kaam Ka Commission Mil Chuka, Is Liye Is Qism Ka Jaari Commission Sharaee Taur Par Yuñ Durust Nahiñ He Ki Iska Koi Istehqaaq Sabit Ho or Claim Kar Sake... Ab Company Aysi He Ki Jiske Sath Ayse Muaahide Me Koi Harj Na Ho or Gadr or Jhuth Usme Shamil Na Ho to Vo Commission De Banda Le Koi Harj Nahiñ He.. Lekin Is Qism Ke Commission Ka Istehqaaq Bande Ke Liye Saabit Nahiñ He.
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab 
*🎙️Al-Jawab: Nabeera E Huzur Sadrushshariyah Hazrat Allama Mufti Faizanul Mustafa Sahab Qibla*
*📬Baani Jaameaa Imame Aazam Abu Hanifa, Lucknow*
*🗓️16 Dec 2024, 13 Jamadi Ul Aakhir 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Jo Badmazhab Ke Yahañ Job Kare Use Badmazhab Se Tohfa Qubool Karna Kesa

 *Jo Badmazhab Ke Yahañ Job Kare Use Badmazhab Se Tohfa Qubool Karna Kesa?*

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Alaykum 

Kya Farmate Haiñ Ulmaa E Deen Is Mas'ale Meiñ Keh Zaid Sunni Sahih Ul Aqeeda Musalman Hai; Woh Kisi Wahabi Deobandi Ke Yahan Mazdoori Karta Hai; Wahabi Deobandi Use Har Saal Ramzan Meiñ Eid Ke Liye Kuch Gifts Aur Eidi Waghairah Deta Hai; Kya Zaid Un Gifts Ko Qubool Kar Sakta Hai? Agar Nahiñ Kar Sakta Aur Woh Karta Hai to Us Par Kya Hukm Aayega?

*🌹JAWAB:-🌹*

Namaz Me Koi Surah Parh Raha Tha Or Bich Me Dusri Surah Shuru Kardi To Namaz Ka Hukm

 *Namaz Me Koi Surah Parh Raha Tha Or Bich Me Dusri Surah Shuru Kardi To Namaz Ka Hukm*

*🌹SAWAL:- 🌹*
Assalamualaikum 
Zaid Namaz Me Alhamdu Ke Bad Koi Surah Pada Adha Surah Pada Tha Ke Baki Zuban Se Nahi Nikla

Phir Zaid Ne Dusra Surah Pada

Kya Ise Me Namaz Hojayegi

Ulma E Deen Jawab Inayat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Is Soorat Me Agar Namaz Parhne Wale Ne Jahañ Ruk Karke Dusri Jagah Se Aage Parha He, Agar Pahli Jagah Mukammal Waqf Kar Liya Tha or Aage Parha He to Aysi Soorat Ne Namaz Me Koi Harj Nahiñ He, Namaz Ho Jayegi... Or Agar Waqf Nahiñ Kiya Tha or Aysa Tha Ki Jisme Ma'ana Faasid Ho Raha Ho to Fir Namaz Faasid Hogi, Warna Namaz Me Koi Harj Nahiñ Aayega..

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Ek Aayat Ko Dusri Ki Jagah Parha, Agar Pura Waqf Kar Chuka He to Fasid Na Hui Jaise,
{ وَ الْعَصْرِۙ(۱) اِنَّ الْاِنْسَانَ }
*📚(Surah Asr, Aayat-1,2)*
Par Waqf Karke 
 { اِنَّ الْاَبْرَارَ لَفِیْ نَعِیْمٍ }
*📚(Surah Mutaffifeen, Aayat-22)*
Parha, Ya
{ اِنَّ الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا وَ عَمِلُوا الصّٰلِحٰتِ }
*📚(Surah Al-Bayyinah, Aayat-7)*
Par Waqf Kiya, Phir Parha
{ اُولٰٓىٕكَ هُمْ شَرُّ الْبَرِیَّةِ } 
*📚(Surah Al-Bayyinah, Aayat-6)*
Namaz Ho Gai or Agar Waqf Na Kiya to Ma'ana Mutagayyar (Ma'ana Badla Hua) Hone Ki Soorat Me Namaz Fasid Ho Jayegi, Jaise 
   { اِنَّ الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا وَ عَمِلُوا الصّٰلِحٰتِ كَانَتْ لَهُمْ جَنّٰتُ الْفِرْدَوْسِ } 
*📚(Surah Kahaf, Aayat-107)*
Ki Jagah 
فَلَھُمْ جَزَآؤُنِ الْحُسْنٰی 
Parha Namaz Fasid Ho Gai.
*📚(Bahare Shariyat, Qiraat Me Galti Ho Jane Ka Bayan, Mas'ala-11)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Mufti Salman Raza Mustafai Sahab Qibla*
*📬Jamia Madinatul Uloom Ratanpur, Kheda Gujrat*
*🗓️12 Jan 2025, 11 Rajab Ul Murajjab 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

Walid Faut Ho Jaye To Dada Ki Wiraasat Me Se Pote Ko Hissa Milega Ya Nahi ?

 *Walid Faut Ho Jaye To Dada Ki Wiraasat Me Se Pote Ko Hissa Milega Ya Nahi ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Zaid Ke Do Bete Hai Bakar or Umar Bakar Ka Inteqal Ho Gaya He, Jab Ki Bakar Ke Walid Zaid Zinda He, to Bakar Ke Bete Ko Apne Dada Zaid Ki Wiraasat Me Se Hissa Milega Ya Nahiñ ? Qur'aan W Hadees Ki Roshni Me Jawab Inayat Farmayeñ..

*🌹JAWAB:-🌹*

Christmas Ke Din Musalman Ka Church Me Jana Kesa ?

 *Christmas Ke Din Musalman Ka Church Me Jana Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu 
Hazrat Ki Bargah Me Suwal He
Christmas Ke Din Hamare Kuch Muslim Church Ghumne Gaye Ek Hisab Se Unke Tyohar Me Sharik Huwe Inke Liye Kya Hukum He Rehnumai Farma'e

*🌹JAWAB:-🌹*

Most Popular Posts

KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ? Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ???

```KUNDE KI NIYAZ KAB KARE ?👇🏻``` *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Saiyeduna Imam Jaafar sadiq radiallahu anhu ki tarikhe fateha 15 Rajjab ko he ya 22 Rajab ko ??? *🌹JAWAB:-🌹* Hazrat imam ja'afar Sadiq radiallahu anhu ki fatiha kisi bhi tarikh ko kar sakte he lekin aap ke wisal ki tarikh 15 rajab he is lihaz Se15 Rajab ko kare ki hazrat ke wisal ki tarikh 15 rajab hi he to Afzal he. Or Jo Kunde Ki Niyaz Dilai Jaati He Vo 22 Rajab Ko Mash'hoor He, Or 22 Rajab Ko Sahabi e Rasool Ameerul Mu'amineen Hazrat Ameere Muawya RadiAllahu Anhu Ki Tarikhe Wisal He, Is Liye 22 Rajab Ko In Dono Hazraat Ke Naam Se Fatiha Kare Tab Bhi Afzal He. Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He, Hazrat imam ja'afar sadiq radiallahu anhu ki niyaz 15 rajab ko kare ki hazrat ka wisal 15 rajab hi ko huaa he na ki 22 rajab ko... *📚(FATAWA FAQIHE MILLAT JILD-2,SAFA-265)* *📚(MIRATUL ASRAR SAFA-213)* *📚(SAWANEH BARAH IMAM SAFA-125)* Mazkura kitab ke Mazkura safa par aap dekh sa...

Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹* Shabe meraj/ shabe barat ko kya ibadat kare ? Farz chhor kar nafl padhna kaisa ? *🌹JAWAB:-🌹* ```Shabe meraj, shabe barat ya jitni bhi shab aati he usme awam ko bataya jata he ki us din nafl namaze padhni chahiye.. ✅LEkin asl me ye nafl Namaze un ke liye he jiske zimme koi bhi Qaza namaz na ho yaani uski 5 waqto me se koi bhi farz namaz baaki na rahi ho. Is raat Agar Namaz padhe to apne zimme jo farz namaz chhuti he(qaza e umri) use pahle ada kare.. Or isi tarah roza ka bhi he Agar nafl roze rakhe to pahle ye niyyat kare ki jo mera farz Roza chhuta use ada kar raha hu. ✍🏻Q ki Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.```  Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi  *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua (...

ISLAM ME GANA (MUSIC/SONG) SUNNA KAISA

*🌹SAWAL:-🌹* Assalam O Alaikum.... Hazrat Jo Gana (Song/Music)Sunte hai unke uper Qur_Aan O Hadees ki Roushni me kya Hukm hai Tafsil me Jawab mile to Jayada Behtar hoga .... Hazrat Rahnumai Farmaye... Jazakallaho Khair. *🌹JAWAB:-🌹* Islam me Music sunna najaizo haram w sakht azab he. Quran-e-Paak main ALLAH عزوجل fermata hai: "Aur kuch loog khel ki baate khareedte hain k ALLAH ki rah se behka dein be sumjhe aur esse hassi bana lein, un k liye zillat ka azaab hai". *📚(Sura Luqman, Ayat:6)* Tafseer:Hazrat Syedna Abdullah Bin Abbas رضی الله تعالی عنہ ney es ayat ki tafseer yeh fermai k es sey muraad aalat-e-moseeqi hain. Aik aur jaga irshad hua:"Aur behka dey in main sey jis per qudrat paey apni awaz sey". *📚(Sura Bani Israeil, Ayat:64)* Hazrat Syedna Mujahid رضی الله تعالی عنہ ney eski tafseer gaaney baajon k sath ki. Ahadees: -AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany waly k illawa h...