*🌹SAWAL:-🌹*
Islam Ludo Game Khelna Kesa ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Ludo Game Khelna Mamnoo'a W Najaiz He.
Is Ki Ek Wajah Ye Bhi He Ki Ye Shatranj Ki Tarah He Or Fuqha E Kiram Ne Shatranj Ko Mutlaqan Najaiz Qarar Diya He.
Allama Shaami Alaihir Rahma Durre Mukhtar Me Farmate He,
فہو حرام وکبیرة عندنا، وفی اباحتہ اعانة الشیطان علی اّلسَلم والمسلمین.
Hamare Nazdik Shatranj Khelna Haram Or Gunahe Kabeera He Or Use Jaiz Thahrane Me Islam Or Musalmano Ke Khilaf Shaytan Ko Madad Dena He.
*📚(DURRE MUKHTAR, J-9, S-650)*
Or Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Shatranj Ganjafa, Chosar Ke Ta'alluk Se Farmate He,
Ye Sab Khel Mamnoo'a Or Najaiz He Or Unme Chosar Or Ganjafa Badtar He. Or Shatranj Ko Agarche Ba'az Aulma Ne Ba'az Riwayat Me Chand Sharto Ke Sath Jaiz Bataya He.. Magar Tahqiq Ye Ki Mutlaqan Mana'a He Or Haq Ye He Ki Un Sharto Ka Nibah Hargiz Nahi Hota Khusoosan Sharte Daum W Soum Ke Jab Us Ka Chaska Parh Jata He Zaroor Madawat Karte Hain Or La Aql Waqte Namaz Me Tangi Ya Jama'at Me Gair Hazri Beshak Hoti He Jaisa Ki Tajarba Is Par Shahid Or Bil Farz Hazar Me Ek Aadh Aadmi Aysa Nikle Ki In Sharait Ka Pura Lihaz Rakhe To Nadir Par Hukm Nahi Hota.
وانماتبتنی الاحکام الفقھیةعلی الغالب فلاینظرالی النادرولایحکم الابالمنع کماافادہ المحقق فی الفتح فی مسئلة مجاورة الحرم وفی الدرفی مسئلةالحمام.
Fiqhi Ahkam Galiban Halat Par Mabni Hote Hain Lihaza Nadirul waquu'a Par Nigah Nahi Ki Jati Is Liye Mumane'at Ka Faisla Hi Kiya Jayega Jaisa Ki Muhaqqiq Ibne Humam Ne Fathul Qadeer Me Hamsaigi haram ke mas'ala me ifada farmaya or durre mukhtar Me Mas'ala Humam Me Yahi Farmaya He.
Or Chosar Khel Ke Ta'alluk Se He,
حضور اقدس صلی اللہ تعالیٰ علیہ والہ وسلم نے فرمایا:من لعب بالنردشیرفکانماصبغ یدہ فی لحم خنزیرودمہ۱۔رواہ مسلم۔
Huzur ﷺ Ne Farmaya Jisne Chosar Kheli Usne Goya Apna Hath Suwwar Ke Gosht Khon Me Ranga.
*📚(Sahih Muslim, J-2, S-240)*
Dusri Hadis Me Farmaya,
من لعب بالنردفقدعصی اللہ ورسولہ اخرجہ احمد ۱وابوداؤد وابن ماجہ والحاکم عن ابی موسی الاشعری رضی اللہ تعالیٰ عنہ۔
Jis Ne Chosar Kheli Us ne Khuda Or Rasool Ki Nafarmani Ki
*📚(Musnad Ahmad Bin Hambal, J-4, S-394)*
Chosar Bil Ijma'a Haram w Maujube Fisq W Radde Shahadat He,
Fatawa Shami Me Fahastani Se Naql Kiya Gaya He Ki Chosar Khelna Haram He Is Se Bil Ijma 'a Adalat Saqit Ho Jati He.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-24, S_72)*
Lihaza Shatranj Khelna Mutlaqan Mamnoo'a w najaiz he Or Chosar Khelna Bhi Mutlaqan Haram Or Ludo Bhi Inhi Ke Misl He Is Wajah Se Ludo Khelna Bhi Mamnoo'a W Najaiz He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
Scane :-FATAWA RAZVIYA SHAREEF👇👇👇👇
No comments:
Post a Comment