Namaz me surah fatiha ke baad surah milana wajib or hadish se sabit he


*🌹SAWAL:-🌹*

Sura e fatiha ke baad surah milana kaisa??
Or badmazhab kahte he ki surah fatiha ke baad surah na milai to bhi namaz ho jaaegi .kya ye sahi he ???

*🌹JAWAB:-🌹*

*👉🏻FARZ NAMAZ KI PAHELI DO RAKAAT OR SUNNAT W NAFL KI SABHI RAKATO ME ALHAMDU SHAREEF KE BAAD SURAH MILANA WAJIB HE*
```jaisa ki kitabo me maujud he👇🏻```

"Farz namaz ki pahli do rak'aato me or witr, sunnat ya nafl ki kisI bhi rak'at me sura e fatiha ki ek aayat padhna bhul gaya ya surat se pahle 2 martaba alhamdu Shareef padhi, *ya alhamdu shareef ke sath surat milana bhul gaya,* ya alhamdu shareef se pahle surat padhi or alhamdu Shareef ko baad me padha to *sajda e sahw wajib"*

*(Durre mukhtar,aalamgiri,bahare shariyat,hissa 4 safa 40, or Fatawa razviya jild 3 safa 123/134)*

👉🏻Or aap ne ek or sawal kiya ki badmazhab kahte he ki namaz me alhamdu Shareef ke baad surah nahi milana chahiye.

To pahli baat ye ki  4 mazhab he or charo mazahib me namza ka Tarika alag alag he.

Or ham alhamdulillah sunni Hanfi he

Hazrat Ubada Bin Saamt radiallahu anha Nabi e karim sallallahu alaihi w sallam Se Riwayat Karte He k Aap sallallahu alaihi w sallam Ne Farmaya jo Surah Fatiha Or is Se Zaayid (Yani Aik Or Surat) Na Parhe To is ki Namaz Nahi Hoti.
Is Hadith k Rawi Sufyan radiallahu anha farmaate He k Ye Hukam us Shakhs k Liye He jo Akele Namaz Parh Raha Ho…
*Ref:Sunan Abi Daud, j#01, p#119, Darul Isha’at Karachi.*

*_Sahi Muslim, j#01,P#169,Al-Meezan Karachi._*

*Sunan Nisai, j#01,p#145, Darul Isha’at Karachi.*

👉🏻NAMAZ ME SURAH FATIHA KE BAAD~

"namaz me surah fatiha ke baad surat padhna or usse pahle bismillah padhna"
*(Muslim hadish#894)*

"Pahli do rakato me surah fatiha ke sath or surat ya quraan ka kuch hissa bhi padhna"
*(Bukhari hadish#762, muslim hadish#1013, daud hadish#859)*

_"Or aakhir 2 rak'ato me sirf surah fatiha pdhna or kabhi kabhi surat bhi padhna"_
(farz ki aakhri rakato me sirf surah fatiha padhna, or sunnat w nafl ki sabhi rakato me surah fatiha ke baad quraan ki aayate ya surah padhna)
*(Muslim hadish#1013,#1014)*


In hadisho se sabit he ki surah fatiha ke baad surah milana wajib he or agar bhul kar koi surah ya quraan ki aayat milana bhul gaya to sajda e sahw wajib or agar jaanbuj kar surah fatiha ke baad quraan ki aayat na padhi to uski namaz na hui...

*_🌹SAWAL-O-JAWAB 👑F.T.S.🌹GRP_*

*_📬khadim:-Pathan MoinRaza Azhari(PETLAD)_*
📲+918487928693
🖋🖋📝📝📮📮📮📝📝✒✒

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts