kya wajah hai ki hum fajr,magrib,aur isha mai jahar say or zuhar aur asar mai siri say qirat kartay hai?

*🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualikum,
kya wajah hai ki hum fajr,magrib,aur isha mai jahar say or zuhar aur asar mai siri say qirat kartay hai?

*🌹JAWAB:-🌹* Walaikumassalam wa rahmatullah,,
Kutab e tafaseer me uski badi tafseel aayi hai,jiska khuslasa ye hai,ke ibtedaye islam me jab din me jahri qirat ki jarah thi to kuffaro ko ibadat ka pata chal raha tha to wo satane keliye hazir hojate awr namaz me khalal paida karte,awr aksar ZOHAR WA ASAR ki Namazo me huva karta tha,kyu ke ye Namaze din me huva karti hai,awr Maghrib ,isha wa fajar me aysa nahi tha,to Allah tala ne hukm farmaya : APNI PURI NAMAZ ME QIRAT NA JAHR HO AWR NAHI SIRR(AHISTAH) BALKE UN DONO KE DARMIYAN ME QIRAT HO”
*📖(AL QURAN,VOL/15,Surah,Bani israyeel),*

lehaza 2 namazo me qirat sirri awr 3 namazo me jahri rakh di gayi,

NOTE: Eidain ki Namaze DIn me hoti hai,awr us din qirat awaz se honi wajah ye hai,ke us din saare log jama hote hai,awr fitrati wa sharee 2 khushiya hoti hai,to uske shukr ke izhaar awr momino ke ittehad ke iftekhar ki wazahat me qirat jahri ka hukm hai

~::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑 grp*
*_📬khadim:- Pathan MoinRaza,(petlad)_*
📲
~:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts