HATHI HARAM JANWARO ME SE HE

*🌹SAWAL:-🌹*
HATHI KA GOSHT HARAM HE YA HALAL?

*🌹JAWAB:-🌹*

Hathi ka gosht halal nahi he. Is liye ke vo nukile daant or fadne wale janwaro me se he.

Nabi e kareem sallallahu alaihi w sallam ne nukile daant waale janwaro ko khane se mana kiya.
Jaisa ke sahih bukhari me hadish paak he..

Hazrat saiyedna abu salba radiallahu anhu se riwayat he ki rasoollallah sallallahu alaihi w sallam ne nuqile dant wale janwar ko khane se mana kiya.
*📚SAHIH BUKHARI, J-2,S-830*

JAISA KI DURRE MUKHTAR JILD 5 ME BHI ZIKR HE...

Or Bahare Shariyat,hajj ke masail me ek mas'ala darz he ki,
Haram or halal janwar dono ke shikar ka ek hukm he magar haram janwar ke qatl karne me kuffara ek bakri se zyada nahi he agarche us janwar ki kimat ek bakri se bahut zaaid ki ho maslan hathi ko qatl kiya to sirf ek bakri kuffara me wajib he..
*📚BAHARE SHARIYAT, H-6,S-150*

Is mas'ale se zahir hota he ki hathi haram janwar me shumar he...

Hathi ka gosht haram he
*📚FATAWA QAZI KHAN*

Wallahu aa'alam bis-sawab
========➖➖➖➖========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Khan_*

=========➖➖➖➖========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts