QURAAN SHAREEF GALTI SE GIR JAE TO KYA HUKM HE

*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamailykum  Agar  Qurane  Karim  Hath se  chut kar  gir jaye to  us ka  koi Fidiya  Dena padta he  yaa kuch  or ?

*🌹JAWAB:-🌹*

W Alaikum Assalam,
Quraane kareem Agar Galti se gir jaaye ya hath se chhut jaye to vo Taubah w astagfar karle uska koi kaffara nahi..
Aesa hi, *📚FATAWA SHAREH BUKHARI,J-1,S- 649)* par he

Or agar koi janbuz kar ya tauheen kar ke feke to ye kufr hoga jo koi musalman to kar hi nahi sakta,,
Itna jaan le k Quran majeed Allah ka paak Kalam hai, Quran majeed ka ahtram aur tazeem faraz hai. Iski be-adbi aur be-hurmati na jayaz aur haram hai. Baaz awqaat iski toheen kufr tak poncha deti hai. Isliye Quran Kareem lene dene uthane rakhne m ahteyat se kaam Lena chye.

Lekin phir bhe gair-irade tor par Quran majeed hath se chut kar gir jaye to koi gunah lazim nahi aata aur na hi koi Kaffara shriyat me Tay kiya gaya hai.

Sahabi e Rasool Abdullah bin Abbas Radiallahu anhu se riwayat hai k Allah k Rasool sallallahu alaihi w sallam ne faramaya :

" Allah tala ne meri Ummat se galti, bhool chook aur zoor zabardasti k nateeje me hone wale khilaf e sharai kamo ko maaf kar diya hai.*
*📚Sunan Ibne Maja : 2045_*

Isse pata chalta hai k bande se Agar bhool chook ho jaye to Allah tala use maaf farma deta hai, Agar bhool se Quran Kareem bhi gir jaye to WO Allah tala k nazdeek maaf hai Aur Quran Kareem k girne par koi Kaffara lazim nahi he.. Agar banda Astagfaar kar leta hai to behtar hai. Allah se duwa hai k hame Quran paak ko samjh kar padhne ki tofeeq ata kare...aameen

Wallahu aa'alam bis-sawab..
========➖➖➖➖===========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*

=========➖➖➖➖============

1 comment:

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts