ISLAM ME SURAJ GRAHAN OR CHAND GRAHAN KI HAQIKAT (SUN ECLIPSE AND MOON ECLIPSE IN ISLAM)

*🌹SAWAL:-🌹*
Islam me Sooraj Grahan or chand grahan(eclipse) ki kya haqikat he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

```Sooraj grahan or chand grahan ke waqt namaz padhni chahiye, allah ki ibadat karni chahiye, or astagfar w zikre ilahi me mashgool rehna chahiye yahi sunnat tarika he.
Sooraj grahan or chand grahan Allah ki nishaniyo me se he jin ka kisi ki maut w hayat or awam ke awham w khurafat se koi ta'alluk nahi.```

👉Arbo me mash'hoor tha ke sooraj grahan or chand grahan tab lagta he jab zameen par koi bahut bada zulm ho, RasoolAllah sallallahu alaihi w sallam ne us ko waham karar diya.

Hadish sharef me he,,
Sooraj or chand ko kisi ki maut or Zindagi ki wajah se grahan nahi lagta balki ye allah ki nishaniyo me se do nishaniya he. Jab tum unhe dekho to namaz padha karo.
*📚(SAHIHUL BUKHARI, HADISH NO-1041)*

Hazrat abu moosa ash'ari radialllahu anhu se marwi ki huzure aqdas sallallahu alaihi w sallam ke ahde karim me ek martaba gahan laga masjid tashrif laye or bahut taweel(lamba) kiyaam w ruku'a w sujud ke sath namaz padhi ki mene kabhi aesa karte na dekha or yah farmaya ki allah ta'ala kisi ki maut w hayat ke sabab apni yah nishaniya zahir nahi farmata lekin inse apne bando  ko darata he. Lihaza jab inme se kuchh dekho to zikr w duaa w istigfaar ki taraf ghabra kar utho.
*📚(SAHIHUL BUKHARI,1-360,RAQAM:1010)*
*📚(SAHIHUL MUSLIM, 2-628,RAQAM:912)*
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4, GAHAN KI NAMAZ KA BAYAN, S-786)*

Sahih bukhari sharif me hazrat asma binte siddiq radiallahu anhuma se marvi, farmati he Huzur sallallahu alaihi w sallam ne aaftab gahan me gulam aazad karne ka hukm farmaya.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4, GAHAN KI NAMAZ, S-787)*

👉Zameen par sooraj grahan us waqt hota he jab chand gardish ke dauran sooraj or zameen ke darmiyan me aa jata he jis ke baad zameen se sooraj ka kuchh ya fir pura hissa nazar nahi aata. Isi tarah zameen  ka kuchh saya jo gradish ke dauran chand or sooraj de darmiyan aa jane  se chand ki satah par padta he or chand tarik nazar aane lagta he. Qadeem mazahib me sooraj grahan or chand grahan ke muta'allik ajeebo gareeb kisse mash'hoor the jab ke Qur'aan majeed ne use allah ki nishani karar diya or Rasoolallah sallallahu alaihi w sallam ne namaze ada kar ke bata diya ke is kefiyat me sooraj w chand ki harkat ma'mool se hat kar he jo allah ki nishani he or qayamat ka manzar he, usse panah mangne ke liye khuda ke Huzur sajda raiz ho jaao.

👉Sooraj gahan ki namaz sunnate mu'aqqeda he or chand grahan ki namaz mustahab, soooraj grahan ki namaz ke liye jama'at mustahab he or tanha bhi padhi ja sakti he lekin jama'at se padhne ki soorat me siwae khutba baki tamam sharaite jumaa is ke liye shart he. Yaani uski jama'at vahi qaim kar sakta he jo jumaa kar sakta he vo na ho to log tanha tanha namaz padhe chahe ghar me padhe ya masjid me, ye namaz 2 rakat bhi padh sakte he or 4 bhi or 4  rakat ki soorat me 2 salam se bhi or 1 salam se bhi, us me na azan he, na iqamat, or na hi buland aawaz se qiraat he, namaz ke baad duaa kare yaha tak ke aaftab khul jaae.
Or chand grahan ki namaz me jama'at nahi imam maujud ho ya na ho baharhaal tanha tanha padhe..
*📚AESA HI ( BAHARE SHARIYAT, H-4, GAHAN KI NAMAZ, S-788) par maujud he*

Wallahi ta'ala aa'alam
==========➖➖➖➖==========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari_*

==========➖➖➖➖==========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts