*🌹SAWAL:-🌹*
Kya charo Mazahib Me kisi ke Nazdik Dadhi Ek musht se kam thi ?
Rahenumai farmae
*🌹JAWAB:-🌹*
```Charo Mazahib Hanfi, Shafai, Maliki, Or Hambali me Se kisi bhi mazhab me ek Musht se kam dadhi rakhna durust nahi.```
*_👑Imame Aazam Abu Hanifa radiallahu anhu ke nazdik dadhi ek musht rakhna wajib he._*
Imame Aazam Abu Hanifa ki kitab "al-Aasar" Me he,
”محمد قال اخبرنا ابوحنیفة رحمہ اللہ عن الہیثم عن ابن عمر انہ کان یقبض علی اللحیة ثم یقص ما تحت القبضة قال محمد: وبہ ناخذ وہو قول ابی حنیفة رحمہ اللہ“۔
*TARJAMA:-* Imam Muhammad, Imame Aazam Abu Hanifa se vo hazrate Haisam se riwayat karte he kk hazrat Abdullah bin Umar dadhi ko muththi me pakad kar muththi se zaaid hissa ko kaat diya karte the. Imam muhammad farmate he he ki: hamara amal isi hadish par he or hazrat imame aazam ne bhi yahi farmaya.
*👑Shafaiyonke nazdik bhi khashkhashi dadhi mamnoo'a he.*
Mash'hoor Shafai muhaddis w faqih Shareh muslim Imam Navvi rahematullah alaihi ”حدیث خصال فطرت“ ki sharah me farmate he,
”المختار ترکہا علی حالہا وان لایتعرض لہا بتقصیر ولاغیرہ“
*TARJAMA:-* "Mazhabe mukhtar ye he ki dadhi ko bilkul chhod diya jaae na use katra jaae or na munda jaae."
*👑Hambaliyo ke nazdik bhi dadhi ek muththi rakhna he or is se kam karna haram he.*
Fiqhe hambali ki mu'atabar kitab ”کشاف القناع شرح متن الاقناع“ ج:۱‘ ص:۶۰ me mazkoor he.
”واعفاء اللحیة ) بان لایاخذ منہا شیأ مالم یستہجن طولہا ویحرم حلقہا ولایکرہ اخذ ما زاد علی القبضة“
*TARJAMA:-* "Or huzur ki sunnat dadhi ko chhod dena is tarah ki usme se kuchh bhi na tarashe jab tak ki vo lambi ho kar badi na lagne lage or uska mundana to bilkul haram he, albatta qabza se zyada hissa ka tarashna makrooh nahi."
*👑Maliki bhi ek musht dadhi ke qail he.*
Malikiya ke mash'hoor faqih allama muhammad bin muhammad gaisi rahematullah alaihi ”المنح الوفیہ شرح مقدمہ العزیة“ me farmate he ki,
”ان ترک الاخذ من اللحیة من الفطرة‘ وامر فی الارسال بان تعفی ای تترک ولاحرج علی من طالت لحیتہ بان یأخذ منہا اذا زادت علی القبضة“۔
*TARJAMA:-* "Dadhi rakhna fitrat me se he or chhod ne ka hukm diya gaya yaani barhai jaae. Lekin jiski ek qabza yaani muththi se zaid ho jaae to use kaatne me koi harj nahi."
Isse maloom huaa ki ek Musht se kam dadhi karna kisi bhi imam ke nazdik durust nahi..
*📚MUQASHEFATUL QULUB, DURRE MUKHTAR, FATHUL QADEER, BAHRUR RAIK,📚* Wagairah mu'atebar KUTUBE FIQH me mazkoor he,
Jab tak dadhi ek musht se kam he us me se kuchh lena, jaisa ki magribi mukhannas karte he ye kisi ke nazdik halal nahi he or puri darhi ka safaya karna ye kaam to hindustan ke yuhudio or iran ke majoosio ka he..
Imame aazam Abu hanifa ke nazdik dadhi ek MUSHT rakhna wajib he. Iska tarq karne wala na imamat ke layik he ,or naahi peer banne ke.. vo FASIQ he..
Dadhi Mundana(Clean Shave) Ya Ek Musht Se Kam Karna “Haraam” Hai. Haa Ek Musht Se Ziyada Ho Jaye To Jitni Ziyada Hai Usko Katwa Sakte Hai.
*📚(Qanoon-E-Shariyat , Hissa: 2 , Safa: 489)*
*📚(Fatawa-E-Razawiya , Jild: 22 , Safa: 571-573)*
Aalahazrat Imam Ahmad Raza Rehmatullah Alaihi Farmate Hai:
“Jab Tak Dadhi Ek Mutthi Se Kam Hai Is Me Se Kuch Lena (Katana) Jis Tarah Ki Kuch Maghribi (Western) Log Karte Hai Kisi Ke Nazdeek Halaal Nahi Aur Sab Lena (Yani Bilkul Hi Mundwa Dena) Aatish-Parasto, Yahoodiyo, Hinduo, Aur Farangiyo Ka Tereeqa Hai.
*📚(Al-Bahrur’eek , Jild: 2 , Safa: 490)*
*📚(Fathul Qadeer , Jild: 2 , Safa: 270)*
*📚(Fatawa Razwiya , Jild: 22 , Safa: 652)*
Sheikh Abdul Haqq Muhaddith Dehlwi Rahmatullahi Alaih Farmate Hai:
"Ek Mutthi Dadhi Rakhna Wajib Hai. Dadhi Mundwana Haraam Ya ek Mutthi Se Kam Karna Haraam.
*📚(Ash’Atul Lam’Aat , Jild: 1 , Safa: 228)*
*_Pathan Moin Raza Azhari,Petlad_*
Wallahu Aa'alam bis-Sawab
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*
===========➖➖➖➖==========

No comments:
Post a Comment