Nafil Namaz Ki Jagah Kaza Namaz Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*

Namaz me nafil ke jagah kaza e umri padhna kesa hai?

*🌹JAWAB🌹*

_Agar kisi ke zimme farz baki ho to nafil ki jagah farz namaz ki qaza hi ada karni chahiye. Kyu ki jab tak uske zimme farz baki rahega uski nafl namaz qubool na hogi._

 Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid E Din O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza  Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi   *📚Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua ( To Aapne) Ameerul Moamineen Farooqe Aazam Radiallahu ta'ala Anho ko bulakr farmaya :  "Aye Umar ! (Radiallahu ta'ala Anhu) Allah Azzwajalla ke kuch kaam din me hain ki unhe raat me kro to qabool na farmayega aor kuch kaam raat me hain ki unhe din me kro to maqbool na hongen aor *khbardar raho ki koi nafl qabool nhi hota jb tk farz ada na kr liya jaye.*

*📚(Hilytul Awliya, Volume 1/71, Hadees 83)*

 Aalahazrat Rahmatullahi Alayhi farmate hain : *Jb tk farz zimma pr baqi rahta hai koi nafl qabool nhi kiya jata.*

*📚(Almalfooz Kamil,, jild 1/ Safa- 93, Razvi Kitab Ghar)*

Sadrushshriyah Badruttariqah Hazrate Allamah Maulana Mufti Amjad Ali Aazmi Rahmatullahi Alayhi farmate hain*:  "Qaza Namaaze nawafil se ahm hain yani jis wqt nafl padhta hai unhen chodkr unke badle qazayen padhe ki bariuzzima ho jaye albatta taraweeh aor 12 rakaten (fajr ki 2 sunnate, zohar ki 6 sunnaten, maghrib ki 2 sunnaten, isha ki 2 sunnaten) sunnate muakkida na chode.

*📚(Bahare Shariyat, Volume 1, Part 4/706)*

Khaleele Millat Hazrate Allamah Maulana Mufti Muhammad Khaleel Khan Quadiri Barakati Rahmatullahi Alayhi isi ke tahat farmate hain : "Aor lao lagaye rakhe ki *Maula Azzawajalla* apne karam e khaas se qaza Namaazon ke zimn me un nawafil ka sawaab bhi apne khazaine ghaib se ata farmade, jin ke awqat me yh qaza Namaazen padhi gyeen.

*📚(Suuni Bahishti Zewar, Page 240)*

Baherhaal jis ki farz namaz baki ho vo nafil ki jagah farz namaz ki qaza hi padhe, Ki jab tak farz pura na hoga nafl qubool na hogi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍Pathan Moin Raza Azhari,Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
=============➖➖➖➖===========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts