*🌹SAWAL:-🌹*
Calendar Me qamar dar aqrab likha hota he, us din ko bura samajna, usme shadi wagairah ka program na karna sahi he ya galat he ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Qamar Dar Aqrab ke din ko manhoos janna galat or Shariyat ke khilaf he. Shariyat me iski koi asl nahi he.
_Huzur SadrushShariyah Alahir Rahma Taherir Farmate he,_
Qamar-dar-Aqrab yani chand jab maqame aqrab me hota he to log safar karne ko bura jante he. Najoomi use manhoos batate he. Jab maqame aqdas me hota he to kapre katrane or silwane ko bura jante he. Aysi bato ko hargiz na mana jaye. Ye baat Shariyat ke khilaf or najoomiyo ke dhakosle he.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-16, S-258)*
Ab jante he ki Calendar me Qamar-dar-Aqrab kyu likhte he or use likhna kesa ?
Ilme falkiyat ke mutabik saat sitare he. Inme aqrab, mushtari, asad wagairah he. Chand har mahine in sitaro ke gird chakkar lagata rahta he. Jis din, aqrab, mushtari ya asad ke gird chakkar lagata he, vo din calendar me likha jata he. Isko calendar ke andar likhne me koi harj nahi. Lekin us din ko bura samajna galat he.
_Quraan Shareef me Allah Ta'ala Farmata he,_
الشَّمْسُ وَالْقَمَرُ بِحُسْبَانٍ
Tarjama:- Sooraj Or Chand Hisab Se He.
*📚(SURA E RAHMAN, AAYAT-5)*
Is Aayat ki tafsir me 'Tafsire Khajin' me he ke mukarar makam ke sath apne burujo manazil me sair karte he. Isme khalq ke liye fayeda he. Waqt hisab, saal or mahino ki ginti isi par hoti he.
Wallahi Aa'alam Bis-Sawab
*_📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*
📲
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖========

No comments:
Post a Comment